RECAP :- AB TAK AAPNE DEKHA KI AV AASHRAM MEIN APNE PEHLE TEST MEIN PASS HO JATA HAI, WAHIN MAHENDRA SHARMA, SUYASH SE MILNE UNKE OFFICE PAHUNCH JAATE HAIN. AV NE MAHIRA KO USKE BIRTHDAY KA SURPRISE DIYA.
AB AAGE :-
LOCATION :- IN THE GARDEN :-
AV ne MAHI ke haathon ko apne haathon mein lete hue kaha,
AV – MAHI, main tumse kabse ye baat kehna chahta tha par kabhi himmat hi nahi hui. MAHI maine jabse tumhe dekha hai, sirf tumhare baare mein sochta hun. Tum me wo sab kuchh hai jo ek perfect ladki mein hona chahiye. Tumhari smile, tumhari baatein , tumhara gussa sab kuchh , mujhe mere poore hone ka ehsaas dilata hai.
MERE MUSKURANE KI, WAJAH TUM HO,
MAIN JEE RAHA HUN AAJ, WAJAH TUM HO
MUJHE MUJHSE MILANE KI, WAJAH TUM HO
MERA DIL MERA NA RAHA, WAJAH TUM HO
AB ZINDAGI KI KHAWAHISH, SIRF TUM HO.
Iske baad AV ne apne ghutne par aate hue (typical propose position) kaha,
I LOVE YOU MAHI. I LOVE YOU FROM THE BOTTOM OF MY HEART. YOU’VE BEEN THE REASON OF ALL MY HAPPINESS, WILL YOU LET ME BE THE REASON OF YOURS FROM NOW? WILL YOU BE MINE FOREVER?
AV ne ye sab MAHI ki aankhon mein aankhein dalkar kaha. Aur is samay MAHI ke chehre ki smile bata rahi thi uski khushi, ya kahun ki aseem khushi. Aaj apne birthday ke din use apni life ka best gift mila tha. AV ne apna haath MAHI ki taraf badhaya aur MAHI ne jhat se use tham liya aur bas itna hi kaha,
MAHI – YES. I LOVE YOU TOO AV.
Bas AV pahunch gaya saatve aasmaan mein. Itni khushi, itni khushi ki control hi na ho rahi thi lounde se. Wo utha aur jhat se MAHI ko gale laga liya. Ye dono kitni hi der tak gale lage rahe jaise ek doosre mein sama jaana chahte hon. Tabhi AV ne MAHI ko khudse alag kiya aur uske chehre ko dekhne laga. MAHI AV ke iss tarah dekhne se sharma rahi thi aur uske gaal bhi laal hone lage the. Tabhi achanak,
MAHI – Are main to bhool hi gayi Maa ko thodi der ka bol kar aayi thi aur abhi itni der ho gayi. Main chalti hoon, haan.
AV (mazakiya andaaz mein) – Are re re kaisi girlfriend mili hai do minute pyaar se baat bhi nahi karti.
MAHI uski girlfriend waali baat par aur bhi sharma gayi aur wahaan se bhaagti hui chali gayi. Tabhi wo ruki aur pichhe mudkar boli,
MAHI – Tum bahut kharab ho, bandar. Huhhh.
Aur fir wahaan se chali gayi. AV pichhe khada MAHI ke baare mein sochkar mand-mand muskura raha tha. Aur fir wahaan se samaan lekar ghar ki or nikal gaya.
(Ab se MAHIRA ko MAHI hi likhunga, aakhir ab official heroine jo ban gayi hai wo.)
Chaliye ab chalte hain flashback mein or jaan lete hain SUYASH aur MAHENDRA ki mulakat ke baare mein bhi.
YESTERDAY :-
LOCATION :- SUYASH’s OFFICE
Haan toh jab MAHENDRA andar aaye to unke chehre par khushi saaf jhalak rahi thi but SUYASH ke chehre par khushi se zyada hairangi thi.
Tabhi MAHENDRA ne aage badhkar unhe gale se laga liya par SUYASH ne koi response nahi diya. MAHENDRA ko bhi is baat se koi hairani nahi hui. Kyonki unhone bhi wo kahawat suni hui thi – Boya ped babool ka to aam kahaan se hoye. Jab JAIDEV ki death ke baad MAHENDRA apni marzi se sabse alag ho gaya to ab SUYASH kaahe us se milkar khush hoga. Apni galti ka ehsaas use tha hi aur isiliye wo SUYASH se milne aaya tha,
MAHENDRA – Main jaanta hun bhai ki tu mujhse naaraz hai. Hona bhi chahiye, main maanta hoon meri galti thi par main majboor tha. Ek baar bas meri baat sun le fir teri marzi jo chaahe wo karna.
SUYASH ko uski baat sahi bhi lagi. Wo acchhi tarah jaanta tha ki MAHENDRA uske aur JAIDEV ke liye kuchh bhi kar sakta tha. Teeno ki dosti ki to misaalein di jaati thi. Aur fir ek dam se uska badal jana aasani se hajam hone waali baat to thi nahi.
SUYASH – Bolo kya kehna chahte ho.
MAHENDRA – Tujhe ye to pata hai ki jisne wo sab kiya tha wo ye bhi jaanta tha ki JAIDEV ne ham dono ko uske baare mein bataya hua hai.
SUYASH – Haan pata hai, par us se kya.
MAHENDRA – Us se ye ki JAIDEV ke jaane ke baad mere upar ek ke baad ek hamle hone lage. Ek accident hua, ek baar ghar oar hi goliyan chalne lagi. Par har baar main bach gaya. Dekh mujhe apni chinta na thi or na hai par mujhe meri patni aur betiyon ki chinta thi, isi wajah se maine tumse kinara kar liya tha. Aur dekh mujhe meri karni ka fal bhi mil gaya. Meri bachi , meri KANIKA wo mujhe chhod kar chali gayi. Un darindon ne pehle meri fool si bachi ko bedardi se nocha aur fir uske poore shareer par tezaab daal diya. Par wo haari nahi, haan wo haari nahi, poore 2 din tak wo maut se ladti rahi par fir wo chali gayi, wo hame chhodkar chali gayi.
Itna kehne ke baad MAHENDRA apne ghutno par baithkar foot-foot kar rone laga. SUYASH ki aankhon ne bhi uska saath chhod diya, aur wo bhi MAHENDRA ke dukh mein aansoon bahane laga. Usne aage badhkar MAHENDRA ko gale laga liya aur use shaant karne laga.
SUYASH – Shaant ho ja bhai, shaant ho ja, tune is baare mein mujhe pehle kyun nahi bataya. Akele hi kyun ghut ta raha tu. Aur un kameeno ko to tune saza dilwaayi na, bol dilwaayi na.
MAHENDRA ka rona ye sunkar or bhi badh gaya. Kyonki yahi ek daag tha uski itni saalon ki Vakaalat par. Sabhi gunehgaaron ko sazaa dilwaane waala Advocate MAHENDRA SHARMA apni hi beti ke gunehgaaron ko saza na dilwa paaya. Ab ese mein SUYASH ki baat ka kya jawaab deta wo isiliye chup hi raha. Lekin SUYASH uski chuppi ka matlab acchhe se samajh raha tha.Aur uska gussa bhi badh raha tha kyonki chahe in dono mein tne saal baat na hui ho par KANIKA aur MAHI ko usne apni betiyon ki tarah hi god mein khilaya tha. Wo ek dam se pichhe hua aur,
SUYASH – Teri chuppi ka main kya matlab nikaalun MAHENDRA. Yaani tune un vahashiyon ko sazaa nahi dilwaayi. Kyon , jawaab de kyon.
SUYASH ki baatein MAHENDRA ko poore tareeke se jhanjhor rahi thi. Wo apne aap ko utna hi bebas aur laachaar mehsoos kar raha tha jitna usne ek saal pehle kiya tha. Usne himmat jutate huye kaha,
MAHENDRA – Nahi dilwa paaya main apni bachi ko insaaf. Nahi dilwa paaya, main ek baap ka farz bhi nahi nibha paaya. Na to use un jalladon se bacha paaya na hi unhe sazaa dilwa paaya. Kya faayda meri Vakaalat ka , haan kya faayda jab apni hi beti ko nyay na dilwa paaya.
SUYASH – Lekin kyon, dekh tu sach-sach bata ki kya hua tha.
MAHENDRA – Ye sab ek saal pehle ki baat hai, KANIKA ne 12th pass karne ke baad college jaana shuru kiya tha. Usi College mein ek SARTHAK naam ka ladka bhi padhta tha. KANIKA mujhse aur apni maa se kuchh nahi chhupaati thi. Ek din usne hame bataya ki wo ladka use pareshaan kar raha hai aur roz-roz uska raasta rok kar khada ho jaata hai. Mujhe ye sunkar bahut gussa aaya , main agle din uske saath college gaya aur us ladke ki shikaayat Principal se kar di. Principal ne use fatkaar lagayi aur College se kuchh din ke liye suspend bhi kar diya. Mujhe laga ki ab wo kuchh nahi karega aur fir jab wo waapis College aane laga to KANIKA ne bataya ki ab wo usse pareshaan nahi kar raha. Main iss baat se nischint ho gaya aur yahi meri sabse badi galti thi. Ek din jab kaafi late ho gaya aur KANIKA college se waapis nahi aayi to ham sab bahut chintit ho gaye, uska phone bhi band aa raha tha. Hamne college mein check kiya to pata chala ki wo pehle hi wahaan se ja chuki thi. Hamne bahut dhunda par wo kahin nahi mili. Par agle din Police ka phone aaya aur unhone hame hospital mein bulayaa aur jab main wahaan pahuncha to meri bachi......
Itna bolkar MAHENDRA ka control chhoot gaya aur wo fir se rone laga. Kuchh der mein jab wo shaant hua to,
MAHENDRA – Do din baad wo chali gayi, wo hame chhodkar chali gayi aur tujhe pata hai us din kya tha, meri bachi ka 19 va janamdin tha. Aur usi din vo..... Fir police ne tehkikaat shuru ki aur maine bhi poori koshish ki un gunehgaaron ko khojne ki. Aur fir ek din Inspector ne bataya ki jaanch padtaal mein unhe us ladke SARTHAK ke khilaaf pakke saboot mile hain. Mujhe poori umeed thi ki us se KANIKA ko insaaf zaroor milega. Par court mein wo sab saboot pesh hi nahi huye, naa hi judge ne hame koi mohlat di. Maine high court mein bhi apeel ki par kuchh haasil nahi hua. Aur pata hai kyon, kyonki us ladke ke dost ne apne baap ke sahare Inspector, Commisioner aur yahaan tak ki Judge ko bhi khareed liya tha.
SUYASH ki aankhon se ye sab sunte hue lagaatar aansoon beh rahe the par ye aakhiri baat sun ne ke baad uske jabde sakthi se bhinch gaye aur vo gusse mein garja,
SUYASH – Kaun tha vo kameena?
MAHENDRA – Aur kaun ek hi to grahan hai ham sab ki zindagi mein jisne hamare bhai jaise dost ko maara (JAIDEV) , usi ka kaam tha ye bhi….
MAHENDRA ki baat ko katkar beech mein hi chillaya SUYASH,
DEVEN RAJVANSH......
Iske baad in donon ne ek doosre ko dilasa diya kyunki dono hi jaante the ki us insaan ka na toh ye kabhi kuchh kar paaye the aur shayad aage bhi uske gunaahon ki sazaa use na milegi. (Lekin inko kya pata apna Hero uski bajane ko tatpar baitha hai bas ek baar use sachayi pata lage).
MAHENDRA – ABHIMANYU kaisa hai?
MAHENDRA ka sawaal sunkar SUYASH ke chehre par ek dard bhari muskaan aa gayi,
SUYASH – Kaisa hoga vo ladka jisne apne bachpan mein hi apne maa-baap ki chita ko aag di ho, kaisa hoga vo jo apni behan ki aawaaz bhi na sun paaya, kaisa hoga vo jiska bachpan hi us se chheen liya gaya ho. MAHENDRA vo theek nahi hai, vo apne aap ko Normal dikhata hai, pata nahi kaise us bache mein itni kaabiliyat aa gayi hai chhoti umra mein hi ki wo apne dard ko sabse chhupaana bhi seekh gaya hai. Par uski aankhon mein mujhe kuchh alag dikhta hai, uske baat karne ka tareeka , uski soch , uske sanskaar, sab bahut alag hai, dekhna ek din vo zaroor apne naam ko sahi saabit karega.
MAHENDRA – Kaisi zindagi hai meri pehle JAIDEV aur KANIKA ne mera saath chhod diya aur fir main ABHIMANYU ke dukh mein bhi uske saath na reh paaya. Pata nahi kab in paapon ke bojh se mukti milegi mujhe.
SUYASH – Tu esa mat soch , aur chal tujhe us se milwaata hun.
MAHENDRA – Milna to main bhi chahta hun us se lekin aaj MAHI ka birthday hai, usne pichhle saal bhi nahi manaya tha aur iss saal bhi nahi manayegi, ulta dukhi ho jaati hai KANIKA ko yaad karke. Main kal aata hun fir chalenge. Vaise kaunse school mein hai vo aur haan ARYAN aur RAGHAV kaise hain.
SUYASH – RAGHAV to MBA kar raha hai aur ARYAN aur ABHIMANYU 11th mein hain, SCOTTISH INTERNATIONAL SCHOOL main.
MAHENDRA – Are usi school main to MAHI bhi hai. Par yaar wo school to kaafi mehenga hai fir ABHI.......
Uski baat ke beech mein hi,
SUYASH – Abbe wo bilkul apne baap jaisa hai padhayi mein, All India topper hai wo , scholarship se help ho jaati hai uski. But haan hai to bilkul JAIDEV jaisa hi, khuddar hai poora, aaj tak ek paise ki madad bhi nahi li mujhse , hamesha keh deta hai ki agar zaroorat hogi to khud maang loonga. Par aaj tak to esa din kabhi nahi aaya.
MAHENDRA – Fir uska baaki ka kharcha kaise hota hai?
SUYASH – Tujhe yaad hai na Bhabhi ABHIMANYU ke liye hamesha paise joda karti thi, bas usi se hi. Unki death ke baad pata chala ki unhone ABHIMANYU ko nominee banakar apne bank account mein 10-12 laakh rupaye jamaa kiye hue the. Aur JAIDEV ne bhi jamaa kiye hue the par wo unhe istemaal nahi karta.
MAHENDRA – Kyon??
Fir SUYASH unhe AV ki JAIDEV se nafrat ke baare mein batate hain, jise sunkar MAHENDRA ko bahut dukh hota hai. Iske baad inmein kuchh normal baatein hi hoti hain, aur agle din school mein hi milne ka plan banate hain ye dono.
BACK TO PRESENT :-
Bas aur kuchh khaas nahi hua aaj , haan RAHUL the great ne poori planning kar li thi AV aur MAHI ke khilaaf jise vo jald hi amal mein laane waala tha. Isi tarah ye din bhi khatam hua.
NEXT MORNING :-
AV subah utha fir dhyaan mein baitha. Ab uski dhyaan ki timing bhi kaafi achhi ho gayi thi. Use dhyaan se kaafi zyaada faayda hota hua bhi nazar aa raha tha. Uski concentration badh rahi thi aur saath hi saath wo ab badi aaram se kisi bhi cheez par focus kar leta tha. Iske baad wo fresh hua and then school ki taraf nikal gaya. Aaj wo kaafi excited tha school jaane ke liye kyonki aaj paheli baar wo MAHI ko ek girlfriend ke roop mein milne waala tha.
LOCATION :- SCOTTISH INTERNATIONAL SCHOOL
“ Waah kya smile aa rahi hai lounde ke chehre par , abhi to aayi bhi nahi hai wo jab aa jayegi tab kya hoga. ”
Ye comment diya tha ARYAN ne AV ko muskurata dekh kar. Asal mein AV jab se class mein enter hua tha tab se hi ek smile thi uske chehre par. MAHI ka intezaar jo kar raha tha lounda. Aur aakhir intezaar khatam hua , jaise hi usne MAHI ko class mein aate hue dekha to smile gehra gayi aur dil mein titliyaan udne lagi. Same haal MAHI ka bhi tha bas ek expression extra tha aur wo thi sharm. Wo aage badhti hui AV ke saath baith gayi par dono mein se koyi kuchh nahi bol raha tha. Bas dono hi ek dusre ko dekh rahe the aur shayad shabdon ki zaroorat bhi nahi thi. Kyonki jab dil baat kar rahe hon tab zuban kya kare. Dusri taraf ARYAN or KABIR in bhaisahab ke liye kaafi khush the. Aakhir itne samay baad iccha jo poori hui thi inki.
Poore din dono ka ek doosre ko apni aankhon mein utaarne ka kaam chalta raha. And then the school was off. Jaise hi ye sab bahar aaye to do log shocked ho gaye. Ye do the ARYAN and MAHI. Kyonki wahaan par maujood the MAHENDRA and SUYASH. Ab aaj se pehle to kabhi inhe pick nahi kiya tha na isiliye.
(Aapko ek baat bata doon ki MAHI ko bilkul bhi nahi pata hai ki uske papa aur ARYAN – AV ke fathers dost the. ARYAN ko sirf JAIDEV ke baare mein pata hai. But AV in dono ko hi by face jaanta hai. Kaise? Chaliye dekhte hain.)
Jaise hi ARYAN – MAHI apne apne papa ke paas pahunche to unhone un dono ko shaant kar diya. Iske baad MAHENDRA ne SUYASH ki taraf dekha to usne AV ki direction mein ishara kar diya. MAHENDRA ne jab AV ko dekha to uski aankhon se do boond aansoon chhalak gaye. Wo tezi se aage badha aur AV ko gale laga liya.
Aur ye BOOOOMM.... Ek bomb hi tha ye baaki sab ke liye, especially MAHI ke liye , (par chalo acha hi hai sasur-damad ek doosre ko pehle se hi jaante hain). AV ne MAHENDRA ko pehchaan to liya tha par hairaan to wo bhi tha, aakhir achanak ese koi prakat ho jayega to kesa lagega. Wo thoda pichhe hua aur MAHENDRA ki taraf swaliya nazron se dekhne laga. MAHENDRA ko laga ki AV ne use pehchana hi nahi,
MAHENDRA – Beta tumne shayad mujhe pehchana nahi, Main......
Beech mein hi,
AV – MAHENDRA SHARMA hain. Haina.
Aur yeh ek or jhatka MAHI ke liye ki AV uske papa ko jaanta hai.
MAHENDRA – Tumne mujhe kese pehchana.
AV – Ghar mein papa, SUYASH uncle or aapki kaafi photos hain aur papa aapke baare mein bataya bhi karte the. Par aap yahaan achanak?
MAHENDRA – Beta mujhe maaf kardo main JAIDEV ki death ke baad kabhi tumse milne nahi aaya, par main majboor tha.
Ye kehkar unhone AV ke saamne haath jod liye par AV ne jhat se unke haath pakad liye. Aur,
AV – Nahi uncle rehne dijiye, aap maafi mat mangiye main samajh sakta hoon.
Par doosri taraf MAHI aur ARYAN ye sab hairan hokar dekh rahe the aur unki shaklein dekh kar MAHENDRA and SUYASH bhi samajh gaye ki inko ghanta kucchh samajh nahi aaya. Isiliye,
SUYASH – Tum dono hairan mat ho. Main , MAHENDRA aur ABHIMANYU ke papa bahut achhe dost the par shayad tum dono ko iske baare mein kuchh yaad nahi. Haina.
ARYAN – Lekin dad main JAIDEV uncle ke baare mein to jaanta hoon fir inke baare mein kyon nahi.
SUYASH – Wo isiliye beta ki JAIDEV apni duty ke liye zyadatar bahar hi rehta tha isiliye ham teeno ka ek dusre ke ghar jaana kam hi hota tha. Jab tum teeno chhote the tab ek dusre ke saath hi khelte the.
Aur ye ek aur jhatka , iske baare mein to AV ko bhi kuchh yaad na tha. Are bhai 4-5 saal ke hi to the ye us samay. Uske baad JAIDEV ne in dono ko kuchh baatein batayi thi aur khud se door karne ka faisla liya tha. Wo nahi chahta tha in dono ki family par koi aanch aaye. Ab esi kya baatein thi wo ye to aapko next update mein is story ke ab tak ke sabse important flashback mein hi pata chalegi. Abhi in logon par dhyaan dete hain.
MAHI – Lekin papa aapne mujhe kabhi kuchh kyon nahi bataya?
MAHENDRA – Beta thi kuchh majboori jiske chalte ham teeno ko ek dusre se alag hona pada. Uske baare mein mat poochna main nahi bata paaunga.
Aur ye baat AV ne pakad li thi. Wo samajh gaya tha ki in dono ko zaroor uski family ke past ke baare mein kuchh pata hoga. Isiliye baad mein inse puchne ka decide kar liya bhai ne.
Isi tarah inka kuchh der bharat milap chalta raha and fir ye apne ghar ki taraf chal diye. MAHENDRA AV ko apne ghar le jana chahta tha but usne baad mein aane ka kehkar taal diya.
Iske baad as usual AV AASHRAM gaya apni training ke liye aur aaj se AACHARYA ne AV ki training ka level bhi badha diya tha. Bas aur kuchh khaas nahi hua.
NEXT DAY :-
Chalo bhai aaj RAHULWA ko bhi theek karne ka time aa gaya hai. Bechara. Wahi ghisi piti planning ki hai usne. Par use kya pata ki AV ab uske jaise 10-15 ko ese hi lamba gira sakta hai. Koi nahi ab pata chal jaayega.
To aaj jab AV school gaya to bas baitha MAHI ka intezaar kar raha tha par aaj wo aayi hi nahi. Aur kamaal ki baat to ye thi ki RAHULWA bhi nahi aaya tha. School off ho gaya tha aur Ab AV ko MAHI ki tension hone lagi thi to usne ARYAN se puchha , aur tension hona laazmi bhi tha kyonki aaj inka test tha aur MAHI ese hi miss to karegi nahi. But ARYAN ko bhi kahaan kuchh pata tha. To usne MAHI ko phone lagana hi behtar samjha.
(Aapko bata doon ki AV mobile use nahi karta hai). Par MAHI Mobile bhi switched off aa raha tha. To usne MAHENDRA ko call lagana hi behtar samjha.
AV – Namaste uncle.
MAHENDRA – Namaste beta, aur batao kese ho?
AV – Main theek hun uncle aap kese ho?
MAHENDRA – Ab tum badiya ho to ham bhi badiya hain. ABHIMANYU beta main na abhi ek important meeting ke liye jaa raha hun to main tumse baad mein baat karunga. Haan mera ek kaam karoge.
AV – Ji uncle boliye.
MAHENDRA – Main kya keh raha hun ki aaj tum teeno kahin ghumne chale jaayo. Wo kya hain na ki MAHI ki mom apne maayke gayi hui hai, to wo akele bor ho jaayegi. Tum logon ke saath rahegi to man bhi laga rahega.
AV ye sunkar blank ho gaya tha. Par abhi usne MAHENDRA ko ye baat batani sahi nahi samjhi. To usne kaha,
AV – Ji uncle thik hai.
Iske baad usne ARYAN ko poori baat batayi to uska bhi dimag kharab ho gaya. Itna to clear tha ki MAHENDRA ke hisaab se MAHI school mein hi hai. Ab in dono ko hi kuchh bhi samajh nahi aa raha tha tabhi AV ke dimag ki batti jali aur usne fatafat ARYAN ko uske bade bhai RAGHAV ko phone milane ko kaha, aur us se phone le liya,
AV – Bhaiya suno aapne bataya tha na ki aapka ek dost ethical hacker hai uska number de do please bahut urgent hai.
RAGHAV – Kyon kya hua tujhe.
AV – Bhaiya abhi kuchh mat pucho please jaldi send kar do or use bhi message kar dena ki wo meri help kare.
RAGHAV – OK bhejta hun.
Iske baad AV ne us hacker ko call kiya aur RAGHAV uska best friend tha isiliye usne bhi help karne ke liye haan keh diya. Fir AV ne use MAHI ka no. track karne ke liye kaha. To usne bataya ki uska mobile off hai but wo last location track kar raha hai. Usne AV ko last location send kar di aur saath hi kaha ki wo Mobile company ke server ko hack karke Mobile on karne ki koshish karta hai. Idhar AV aur ARYAN nikal gaye us location ki taraf.
Jab ye dono wahaan pahunche to wo ek sunsaan ilaaka tha. Chaaron taraf khaali maidaan the. Ye MAHI ke ghar se kuchh do-teen kilometre door tha. Ye dono yahaan Auto se pahunche the par tabhi KABIR ek bike par wahaan pahunch gaya. (KABIR ko in dono hi location send karke bula liya tha kyonki uske paas bike thi. Ab bike isliye thi kyonki uske Orphanage mein ek ladka kaam karta hai. Wo KABIR ko apna chhota bhai manta hai or isiliye KABIR ko apni bike bhi de deta hai. In teeno ne uski bike se hi driving sikhi thi).
Ye teeno aas paas check karne lage to inhe ek direction mein jaate hue tyre marks dikhe. Bas fir kya tha ye teeno unko follow karne lage. Tabhi ARYAN ke mobile par us Hacker ne phone ki current location bhi send kar di. Aur luckily ye log usi taraf badh rahe the. Kuchh aadhe ghante baad ye ek band padi factory ke bahar pahunche aur phone ki location bhi wahin thi.
Ye teeno, chaaron or dhyaan se dekhte hue aage badhne lagte hain. Tabhi inhe aage kuchh gunde type ke log dikhayi dete hain. AV in dono ko wahin rukne ko kehkar aage badhta hai or ek ek kar un teeno gundo ki gardan ki nas dabakar unhe behish kar deta hai. Ye technique bhi AACHARYA ne hi use sikhayi thi. KABIR aur ARYAN to bas mook darshakon ki tarah aankhen faade use dekh rahe the. Bhai ab ek school going ladka in haathinuma raakshason ko ese hi gira dega to hairangi to hogi hi na. Par abhi time nahi tha na is sab ke liye to ye teeno ese hi aage badhne lage. Tabhi unhe ek toote foote kamre ke andar MAHI kursi par bandhi hui dikhayi di. Aur wahin paas hi RAHUL ke saath 10-12 gunde bhi maujood the.
Wahaan par MAHI ki haalat aur RAHUL ko dekhne ke baad AV ka khoon khol gaya. Us se ek pal bhi ruka nahi jaa raha tha. Par use pata tha ki agar wo inpar hamla karega to wo MAHI ko bhi nuksaan pahuncha sakte hain. Isiliye ye apne dimag ke ghode daudane laga. Tabhi MAHI bhi hosh mein aane lagi thi. Aur jab uski aankhein khuli aur usne apni haalat ka jaayza liya to uski rooh kaanp gayi. Use apni behan ke saath huye vaakye ki yaad aane lagi aur uski aankhon se aansoon behne lage.
(Aapko bata doon ki jab RAHUL ne SARTHAK ko bachaya tha kanoon se to use nahi pata tha ki kis ladki ke saath usne wo darindagi ki hai. Usne to bas apne baap se itna hi kaha ki uske dost ko kisi bhi tarah bacha le. Aur DEVEN babu sabse zyada pyaar apni shaan-o-shokat ke baad RAHUL se hi karte hain. To apne bete ki baat ese hi maan li. Isiliye RAHUL ko ye bhi nahi pata ki MAHI usi ladki ki behan hai).
Jab usne apne saamne RAHUL ko hasta dekha to use sara maajra samajh aa gaya. Tabhi,
RAHUL – Are are, ro kyun rahi hai abhi to kuchh bhi nahi hua. Rona lekin baad mein abhi to ye jaanwaron ko dekh rahi hai, ye log tujhe batayenge ki RAHUL RAJVANSH ko thappad marne ka kya anjaam hota hai.
MAHI ka rona badh gaya tha aur wo apne aap ko bebas mehsoos kar rahi thi ki tabhi uska dhyaan piche ki taraf gaya jahaan is waqt wo teeno khade the. MAHI kuchh bolne hi waali thi ki AV ne use shaant rehne ka ishara kar diya. Aur ARYAN–KABIR se plan discuss karne laga.
Wo teeno andar ki taraf jaane ke liye aage badh gaye,
RAHUL kuchh bolne hi waala tha ki tabhi use pichhe se ek laat padi aur wo kursi samet niche gir gaya. Ye laat kisi aur ne nahi AV ne hi maari thi. Ye dekh kar wo gunde bhi harkat mein aa gaye aur AV ki taraf badhne lage. AV ne pehle hi bahar se ek lohe ki rod utha li thi aur ab uska upyog karna tha. Itne mein KABIR ne MAHI ko khol diya aur idhar ARYAN, RAHULWA ko gande kapdon ki tarah dhone mein lag gaya. KABIR ne bhi ek danda uthaya aur AV ke paas pahunch gaya. Abhi tak AV do gundon ko gira chuka tha. Fir shuru hui inki tod–fod. AV and KABIR dana dan dande barsaye jaa rahe the. Idhar ARYAN ne bhi RAHUL ki haalat patli karne ke baad in dono ko join kar liya tha. Ab tak sabhi gunde gir chuke the. And then AV chalte hue RAHUL joki tooti footi haalat mein pada tha uske paas pahuncha aur uska collar pakadkar uthate huye bola,
AV – Sun kutte main sirf ek baar bolunga, dobara tu sun ne ki haalat mein nahi hoga. Sidhi si baat ye hai ki Meri MAHI se door reh warna zinda gaad doonga.
Itna kehne ke baad usne RAHUL ke seene par ek laat jad di or wo pichhe ki taraf gir gaya or behosh ho gaya. Par idhar jab AV ne “Meri MAHI” kaha to MAHI ke dil mein khushi ka sanchar hone laga. Wo dodte hue AV ke lage lag gayi aur rone lagi. Use to vishwas hi nahi ho raha tha ki wo bach gayi. Jis tarah se AV ne sahi waqt par aakar use bachaya use AV par bahut pyaar aa raha tha. Par is samay yahaan se nikalna zaroori tha isiliye AV ne MAHI ko alag karte hue use bahar le jane laga. Ab ek bike or chaar log, bahut naa insaafi hai ye to. So ye idhar udhar dekhne lage tabhi inhein wahaan par RAHUL ki bike dikhayi di. KABIR jaldi se andar gaya aur RAHUL ki jeb se chaabi nikal laaya.
Ab KABIR aur ARYAN ek bike par aur MAHI and AV ek bike par nikal gaye. MAHI AV ke saath chipak kar baithi thi , AV samajh raha tha ki wo abhi bhi dari hui hai to usne abhi baat karna sahi nahi samjha. Unhone RAHUL ki bike raaste mein hi chhod di aur fir auto lekar AV ke ghar pahunch gaye. Ab tak MAHI bhi kaafi had tak normal ho chuki thi.
Jab AV ko laga ki MAHI ab thik hai to usne pucha,
AV – MAHI dekho daro mat ab hum safe hain aur mujhe batao ki tum wahaan kaise pahunchi.
To aaj ke liye itna hi, milenge next update mein aur dekhenge ki JAIDEV ne MAHENDRA aur SUYASH se kya baat ki thi. Tab tak ke liye bye-bye.
YOURS RD. (4755 WORDS). |