• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,289 83.2%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 26 1.7%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 201 13.0%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 34 2.2%

  • Total voters
    1,550

khemucha

Active Member
540
1,366
138
Matlab ye ki sirf sex hi ayyaashi nahi hai. :noo:
Debauchery matlab ayyaashi. Aur sex kar liya iska matlab ye nahi ki ayyaashi me jee rahe ho.
Poori lifestyle wesi honi chahiye. Uthna baithna bhi luxury ho jaaye jab. Then, usse hum debauchery define karte hai.
baaki types of debauchery are best avoided ... aur luxury kab se debauchery ho gai ... anyway no point ... abhi to banda mold ho raha hai ...
 

Awan Badshah

Well-Known Member
2,067
5,415
158
Update - 79 ~ Going Abroad.
Ab tak...

Car me wo iss waqt Suhana ke saath baitha hua tha. Baaki sabhi ghar ke andar the.

Suhana ne ek kaagaz ka packet usse thamaaya hua tha.

Veer : What's this?

Suhana : Kuch aisa jiski talaash me tum the. It's important. Open it. You'll know what it is.

Veer ne jese hi usse khola aur dekha. Toh uski aankhein hairaani aur khushi ke maare felti chali gayi.


Ab aage...

Iss saal ke Holi ke parv ka ant ho chuka tha. Aur iss prakaar ki Holi aaj tak Veer ne apne poore jeevan me pehle kabhi nahi kheli thi. Ye Holi usse jeevan bhar yaad rehne waali thi. Jaha iss Holi me maza tha, toh saath hi ek saza bhi thi.

Itni saari ladkiya uske ird gird jab saath me aa jaaye, toh iska kya parinaam hota tha? Iska Veer ko anumaan lag chuka tha. Khaaskar, jab Kaera aur Sonia jesi ladkiya saath me ho. Wo dono toh jagah ko yuddhbhumi me badal deti thi.

Chaos!!! Harr jagah chaos hi fel jaata tha fir toh.

Kal uske ghar Karan bhi aaya tha Holi ke liye. Wo bechaara ye soch ke aaya tha ki Veer ki koi girlfriend nahi hai toh wo uska mood theek karne ke liye, apni pehchaan ki high class ladies ke beech usse Holi khilwaane le jaayega. Issi bahaane Veer ka mood bhi theek ho jaega. Ek dost hone ke farz nibha raha tha woh.

Par jese hi wo Veer ke ghar pohucha toh, uske chehre se uska rang udd chuka tha. Veer ke agal bagal gopiya hi gopiya thi. Ye sab kya chal raha tha behanchod? Ye Veer ke paas toh gf hi nahi thi. Ye itni saari ladkiya ekdum se kaha se tapak gayi?

Aur wo bhi sab ek se ek sundar, husn ki deviyaa. Upar se uski khud ki behan Kaera? Wo yaha kya kar rahi thi?

Kaera aur Veer ko aapas me Holi khelte dekh ke hi uska dimaag kaam karna band kar chuka tha. Jese tese hosh banaaye hue tha woh.

Jis behan ke saath aaj tak woh khud theek se Holi nahi khel paaya tha wo aaj Veer ke saath Holi khel rahi thi? Karan ko pal bhar ke liye laga tha wo kisi galat ghar me aa gaya hai. Haa yahi hua hoga. Ya koi sapna dekh raha hai. Par nahi, ye sab toh sach tha.

Kaera, yaha tak ki Kaera ki bachpan ki dost Sonia, uski badi behan Suhana. Aur na jaane kitni ladkiya. Aur beech me bas ek Veer. Karan apni kismat ko hi koss sakta tha. Aur Veer ki kismat ko bhi.

Kherr! Jo bhi tha. Issi bahaane Karan ko kal apni behan ka muskuraata chehra toh dekhne mil gaya. Saath hi itne barso baad, uski behan ne khud se pahal kar ke uske gaalo par rang lagaaya. Iss se zyaada khushi ki baat kya hi ho sakti thi uske liye.

Mann toh kar raha tha uska ki ussi waqt Veer ko gopche me le jaake uski khabar le. Par jab Kaera ne khud aake uske gaal par gulaal lagaaya. Toh Karan jese apna saara gussa bhul chuka tha.

Na keval Karan, balki Manorath aur Veer ki chachi Sumitra bhi aayi thi Ragini se milne.

Bhale hi Ragini ne talaak de diya tha Vivek ko par Manorath abhi bhi usse hi apne pote ki patni maante the. Sumitra shayad glaani ke chalte milne aayi thi. Wo apne bete ki harqat par abhi bhi sharminda thi.

Ye sab toh samaapt ho chuka tha. Lekin, kal jo Suhana ne usse diya tha. Wo package. Usme rakhi cheez. Wo thi asli cheez.

Iska kab se Veer ko intezaar tha. Kab se iski talaash thi usse.

Jii haan!! Veer ki asli Maa ki details.

Kal uss diye gaye package me Veer ki Maa se judi kuch details thi. Wo haal hi me kaha gayi hui thi, kya khoj ki, aur ab kidhar pe hai? Sab kuch uss package me tha. Ek file me.

Asli surprise toh Suhana hi ne diya tha usse kal ye deke. Aur Veer ab restless tha. Ekdum betaab.

Kese nahi hoga? Uski sagi Maa...

Jinke baare me wo kuch nahi jaanta tha. Kab se unki talaash me tha woh. Kitne sawaal the uske mann me. Kyu chorr ke gayi wo usse iss haal me? Kyu kabhi nahi milne aayi uss se? Kyu bhul gayi uske baare me? Kya wo ab bhi usse yaad karti hai? Ye saare sawaalo ka jawaab ab wo unse hi jaan sakta tha. Unki apni zubaan se. Ab jab uski Maa ka pata lag chuka tha, toh Veer bilkul bhi nahi rukne waala tha.

Uske paas rukne ka koi reason bhi nahi tha. Slogan marr chuka tha. Kaera filhaal safe thi. Uska food truck Sonali dekh hi rahi thi. Aur college ke exams bhi khatam ho chuke the. Koi bhi reason aisa nahi tha jo Veer ko jaane se rok sake.

Haan, ek matter tha. Nidhi ka matter. Par Veer ne thaan liya tha. Jab wo waapas aaega tab sabse pehle Nidhi ke matter ko hi solve karega.

Aur usne tay kar liya tha ki...

Wo apni sagi Maa se milne jaega. Akhir uski ek behan bhi toh hai saath me unke. Uss se bhi toh milna hai Veer ko. Na jaane kesi dikhti hogi? Kya naam hoga uska? Kya wo Veer ko jaanti bhi hogi ya nahi? Kesa react karegi woh? Veer jese itna desperate tha unn dono se milne ke liye.

Aur apni issi trip ko anjaam dene ke liye wo aaj Suhana ke paas uske office aaya hua tha.

Suhana, uske saamne ek business outfit me baithe usse hi dekh rahi thi.

Suhana : Toh tum chaahte ho ab ye bhi mein hi karu?

Veer : Yadi mein khud kar sakta toh bhala aapke paas kyu aata?

Suhana : Nope! I'm sorry! Ye kaam itni jaldi nahi ho sakta. Mein koi bottle me se nikli jinn nahi hu jo tumhara harr kaam kar dungi.

Veer : But it's really important.

Suhana : Dekho! Tum jo ye kaam keh rahe ho na? Nahi! Pehle toh ye idea hi waahiyat hai. Kisne diya tumhe ye idea? Haan? Kaun bewakoof hai ye?

[Huh? What did she say? Master~ I didn't hear that wrong right? Isne mere idea ko waahiyat kaha? Where's my lance?]

Aur hamaari Pari bhadak uthi. Kyu na bhadke? Suhana ne uske idea ko waahiyat jo keh diya tha. Par dekha jaaye toh galti Suhana ki bhi nahi thi. Idea hi aisa tha.

Jab Pari ko pata laga ki Veer directly apni sagi Maa se milne jaa raha hai toh usse Veer ki ye approach pasand nahi aayi.

Veer directly jaa ke apni Maa se milne waala tha. Unhe sab kuch bataane waala tha. Aur unse sab kuch puchne waala tha. Apne saare sawaalo ke jawaab maangne waala tha woh. Shayad wo apni Maa ki khabar paate hi, bhaavnao me beh gaya tha aur unse jald se jald milna chaahta tha sab kuch jaan'ne ke liye.

Par Pari ko ye approach zara bhi pasand nahi aayi. Ye bhi koi tareeqa tha? Uske hisaab se ye sahi dhang nahi tha. Aur isliye usne ye idea diya tha~

An Idea to hide your identity when meeting with your mother. Hide it as much as you can.

Pari ka sujhaav tha ki Veer directly jaa ke apni identity na bataaye. Usne Veer ko saare points rakhte hue apni baat samjhaayi. Veer samajhdaar tha toh Pari ki baat sunte hi wo agree ho gaya.

Zara sochiye ki aapki Maa aapko bachpan me chorr ke chali gayi. Kabhi aapse milne nahi aayi aur unke baare me ghar par aisi koi cheez nahi hai jo ujaagar ho sake aur unke baare me kuch bata sake.

Ab aise me aap ko unki jaankaari milti hai aur aap forun waha jaake sab kuch bata dete ho. Fir aap unse apne sawaalo ke jawaab maangte ho.

Kya wo bataengi?

Nahiiiii!!!!!! Bilkul nahi!!!

Koi na koi bada reason zaroor tha jo Veer ki Maa uss se ab tak chhipa rahi thi. Tabhi toh woh usse chorr ke gayi thi. Aur ab tak milne bhi na aayi.

Pari ne yahi samjhaaya tha. Apni Maa se milo, par unhe batao nahi kaun ho. Aise me wo usse ek stranger ke roop me dekhengi.

Unse milne ke baad unse dosti karo aur unse jaano ki kya kuch hua tha unke past me. Veer ki Maa Veer ko ye sab nahi bataengi, par kisi aur se toh share kar hi sakti thi!? Aur yahi pe Pari ka plan kaam aane waala tha.

Veer ka task tha~ Ek stranger bann ke unse milna, unhe jaan'na aur unse jitna ho sake, unke ateet ki baatein ujaagar karwaana.

Par Veer aur Pari dono hi ek baat nahi jaante the. Jis Bhavna ne aaj tak apni beti tak ko sach nahi bataaya, wo ek stranger ke saath apni baatein kese share kar sakti thi?

Yaha par Veer aur Pari dono hi andhere me the. Aur wo keval abhi ek hi dikkat par focused the.

Wo dikkat thi ki...

Yadi Veer unse waha milne jaega. Toh kese milega?

Kyuki, Bhavna iss waqt apne Delhi ke ghar me thi hi nahi. Wo toh already apni dusri excavation site par nikal chuki thi. Aur wo bhi videsh.

Yadi, Veer unse ek stranger ke roop me milega, fir bhi koi na koi padd toh uske paas rehna chaahiye taaki wo apni Maa ko approach kar sake.

Aise me bas ek hi upaay tha.

Faking yourself as a young archeologist.

Ab chuki Bhavna bhaarat ki archeologist thi. Veer ke paas bhaarat sarkaar ki taraf se ek ID hona zaroori tha. Ek legal ID jo usse permit kare archeological sites me research aur khoj been ke liye.

Aur kaun kar sakta tha ye?

One and only, Suhana!

Par, iss baar Veer ko niraashajanak uttar mila Suhana se.

Suhana (sighs) : Listen! Sabse pehli baat ye illegal hai. Yadi galti se bhi kisi ne ID pehchaan lii ya tumse details maang lii toh tum kya karoge? Wo retrace karenge sab kuch. Aur fir baat mujhpe aaegi. Mein matter sambhaal lungi par mujhe free ka headache nahi chaahiye.

Veer : ...

Suhana : Aur wese bhi ye kis type ka idea hai tumhara? Ki apni hi Maa ko ye nahi bataoge ki tum unke bete ho. Wtf? Toh mene details hi kyu dii tumhe? Jao na ab! Ask all what you want. Bring her back here. Ye faaltu ke dhakochle kyu kar rahe ho?

Veer : She's hiding something. Something big.

Suhana : Huh?

Veer (stares) : Mein unhe directly ye nahi bata sakta. Otherwise, she won't tell me. Isliye... I must hide my identity. As much as I can.

Suhana (sighs) : Sorry, but mein ye nahi kar sakti. It's too risky.

Veer : Well! I understand! Alright! Thanks!

Aur Veer bina kuch aage bole, waha se muda aur jaane laga. Aisa pehli baar tha, ki Veer ne Suhana se zidd nahi kii. Ek baar ka jawaab sunte hi wo jaane laga.

Suhana : That... I...

Suhana ne kuch bolna chaaha toh Veer palta.

Veer : ??

Suhana : I... I really cannot take such risks. Otherwise, mene...

Veer : It's okay! See you later!

Itna bol Veer waha se nikal gaya. Usne peeche mud ke dekha bhi nahi. Suhana ke mann me na jaane kya chal raha tha. Wo bas Veer ko jaata hua dekhti rahi. Mann me uljhan thi. Was she concerned? About Veer? Who knows!?

***

Ab bas abhi ek kaam aur bacha tha.

Balhaar se milna.

Veer ke plan ko qamyaab karne me uska hi toh sabse bada haath tha. Aisa Haath, jo filhaal toota hua tha. Haha!

Limbo ke istemaal se, Veer ne Balhaar ki limb ko marod ke rakh diya tha. Ab Balhaar chaah ke bhi uss haath ko pehle jesa nahi kar sakta tha. Veer hi tha jo usse iss mushqil se baahar nikaal sakta tha.

Isliye, Suhana ke office se seedha Veer Slogan ke main hideout ki orr gaya.

Andar pohuchte hi waha maujood dherr saare aadmi forun hi Veer ko pehchaan gaye.

Last time, kisi ne Veer ka mazaak udaaya tha waha toh Balhaar ne kya haalat kari thi ye unn sab ko yaad tha.

Unke mann me ye baat tab se hi baith chuki thi ki yadi Balhaar unka boss tha. Toh ye saamne khada banda unke boss ka bhi boss tha. Isliye iss se bakchodi nahi.

Veer : Balhaar kaha hai?

Aadmi 1 : Wo... Wo bas aa hi rahe hai.

Aur agle hi pal Balhaar aa bhi gaya.

Balhaar : A-Arre...!? Arre Boss aap? Hahahaha~ Aaiye... Aaiye..

Jab se Balhaar ko pata chala tha ki Veer ne Slogan ko akele hunt kiya. Aur toh aur Matthew ko bhi akele nipta daala. Tab se uska attitude Veer ke prati poora 180° flip ho chuka tha.

He went from a domineering Thug to a licking Dog.

Veer : Mene tumhe zubaan dii thi. Yadi Slogan ko maarne ka plan safal hua toh mein tumhe uske resources ki saari access de dunga. Sab kuch tumhara hoga.

Balhaar (smiles) : Bilkul! bilkul! Boss! Hahahaha~

Veer : Aur mein dekh raha hu tumne already apne aadmiyo se kaafi kuch apne under me karwa liya hai.

Balhaar : Bilkul boss!!! Jo mera hai wo toh aapka hi hai. Par... Bas ye...

Veer : I know! Tumhara haath. Ussi ke liye toh mein yaha hu.

Balhaar : S-Sach? Hahaha~ Toh Boss, M-Mera haath ab theek toh ho jaega na?

Veer (smiles) : Of course! Par uss se pehle...

Balhaar : Huh?

Veer : Mene ek shart aur rakhi thi. Yaad hai na?

Balhaar : ....!?

Veer : Yahi ki aaj se... Ab tum mere under me kaam karoge. Mujhe jab jidhar bhi tumhaari zaroorat padegi. Tumhe aana hoga. Yaad hai na?

Balhaar : Huh?? B-Bilkul! Ye bhi koi kehne ki baat hai boss? Aaj se ye Balhaar aur uske aadmi Boss ke liye hi kaam karenge.

Veer (smiles) : Good!

Veer fir aage badha, aur Balhaar ka haath thaama.

Aur agle hi shan...

*Ding*

LIMBO!!!

*CRAAAACCCKKKK*

"Aaaarrrghhhhhh!!!!!!!!"

Balhaar dard se karaaha. Usse ek tezz dard mehsoos hua apne haath me. Par uske baad hi, wo dard achanak se kam hone laga.

Usne apna haath hila ke dekha aur achanak hi uske chehre par khushi ki lehar daud gayi.

Balhaar : Haah... Haha... Hahahaha~ Mera haath... M-Mera haath... Mera haath theek ho gaya. Mera haath pehle jaisa ho gaya. Dekha tum logo ne... Hahaha~ Ye dekho... Ye dekho haath mera...

Wo khush hote hi apne haath ko ghuma ghuma ke dikhaane laga.

Balhaar : B-Boss!! Iss Balhaar ke liye koi bhi kaam ho bejhijak bata dena. Kaam ho jaega.

Veer (smiles) : Of course! Chalta hu.

Aur Veer waha se apna ghar aa gaya.

***

Uske Ghar aate hi...

*Ding*

[You have established a gang under your control.]

[You have now stepped into the underworld.]

*Ding*

[Fame tab has been unlocked.]

*Ding*

[You have received 200 Fame Points.]

[Fame

Bio : Fame is the popularity tab of the host. More the fame, more it will be better. Fame represents the social standing of the host in the world. Fame points can be achieved by various means. Setting up your name in the outer world or setting up a large business can allow host to establish newer connections. Hence, increasing the Fame.]

[Current Fame : 600]

Fame tab unlock ho chuka tha. Ye Fame tab Veer ki samaaj me kya image hai usko darshaane ke liye tha.

Veer jitna zyaada apna naam duniya me kamaaega, Fame utna hi badhega aur faayda Veer ka hi hoega.

[Now Now master!! Mujhe aapko kuch important baatein bataani hai.]

'Yadi ye Fame waali baat hai toh don't worry. Mein already sab samajh chuka hu padhne ke baad.'

[No! Not this...!]

'Hmm? Fame ke baare me nahi bataana hai toh aur kya bataana chaahti ho Pari?'

[It's about your stats.]

'Stats!?'

[Yes! Aap already first limit reach kar chuke ho. Ek average person ki ideal limit.]

'Huh!? Wait! Don't tell me...!'

[Yes! Master! 100 points tak ki limit ek average person kii hai. Ek average person khud ko behtar banaate hue keval 100 tak hi reach kar sakta hai.]

'Wait!!! Tumne toh mujhe kaafi pehle bataaya tha na ki... Bruce Lee ke stats bhi 90 ke aas paas honge!? Toh ye average person ke kese 100 ki limit hai? Do you mean, Bruce Lee was an average person? Heck no!!!'

[No Master! Ye kisne kaha tha aapse ki Bruce Lee ke stats 100 se neeche honge!?]

'Huh!?? What the fuck? Tumne hi toh...'

[Ahh! That might be my other personality Master.]

'What the...!?'

[Anyways!!! Mein aapko samjhaati hu. 100 stats tak ki limit ye darshaati hai ki ek average vyakti apne aap ko behtar banaate hue keval iss point tak hi pohuch sakta hai. Iske aage nahi jaa sakta.]

'Yadi aisa hai... Then genius log...'

[Yes!! You are correct Master! Genius people ke stats above 100 rehte hai. For example, aapne abhi tak Kaera ke stats check nahi kiye. Right?]

'N-No I didn't...'

[Kabhi kariyega. I can assure you ki uska intelligence above 100 hi hoga. A sign of a genius.]

'I see! Hmm! So tumhaare kehne ka matlab hai ki mein first limit reach kar chuka hu. Aur ab mein iss limit ko cross bhi kar sakta hu.'

[Exactly Master!!!]

'And let me guess. Ye itni asaani toh hone se raha right? So tell me! Kya kuch karna hoga mujhe iss limit ko cross karne ke liye?'

[Hooo~ Master! You are getting sharp day be day. As expected from you Master!]

'Tell me Pari...!'

[Hmm~ Baat simple hai Master. Yadi stat ki limit ko cross karna hai toh...]

'Toh...!?'

[Toh points spend karne honge.]

'Bas!?'

[Baat itni hi nahi hai Master. It's...]

'Hmm? Kaho mein sunn raha hu.'

[Okay~ So... Aisa hai ki... Harr ek stat ki aapko limit cross karni hogi. Aisa isliye kyuki, aap system ko bataana chaah rahe ho ki ab aap average vyakti ke max potential se aage badhna chaahte ho.]

'I see...! So!?'

[So... Usse karne ke liye. Jis stats me aapko aage badhna hai. Unki limits cross karni hongi. And to do that, you'll have to pay a price. For example, yadi aap strength stat ki limit cross karna chaahte ho toh aapko ek amount pay karna hoga tab jaake wo 100 ki limit extend hoegi. Aur fir aap apni strength 100 ke aage badha paoge. Then, you'll belong into the genius category.]

'Samajh gaya. Toh? Kya hai amount?'

[It's...]

'Ab bata bhi do Pari!'

[It's 2000 points for a single stat.]

'Huhhhhh? Kya kaha?'

[It's... It's 2000 points master. For a single stat.]

'Fucccckkkk! Ye system mujhe lootne ke liye bana hai kya? 2000 points? Aise me mere 5 stats hai. Toh harr ek ki limit cross karne me. Fuccccckkkkk!!! 10,000 points lagenge.'

[And this is not the end. Abhi tak aapke 2 points 1 point ke baraabar hote the. Par ab aisa nahi hoega.]

'N-Nahi... Mazaak mat karna okay!?'

[I'm sorry Master! But this is how it is. Ab se aapke 10 points ek point ke barabaar honge. In other words, yadi Strength Stat ko 100 se 101 par laana hai toh aapko 10 points add karne honge.]

'Fuuuuuccccckkkk this sytemmm!!!! Damnnnn youuuu!!!!!'

***

4 Days later...

Veer iss waqt jaldbaazi me apna zaroori samaan utha utha ke ek bag me daal raha tha.

Aur uske theek peeche khadi Ragini usse hairaani me dekhe jaa rahi thi.



588916088755439655-JPG

Ye achanak Veer ko kya ho gaya tha? Apna bag kyu pack karne laga? Kaha jaa raha tha wo iss waqt?

Ragini : V-Veerrr!?? Kaha jaa rahe ho? Ye bag kyu pack kar rahe ho?

Veer : Abhi sawaal mat puchiye Bhabhi! Boht urgent hai. Mujhe nikalna hoga.

Ragini : What!?? But...

Veer tabhi apni jagah se khada hua aur Ragini ke sameep aaya. Ragini ki aankhein uske chehre ko hi dekh rahi thi.

Veer : Mujhe meri asli Maa ka pata lag chuka hai Bhabhi.

Aur ye sunte hi Ragini ashcharya me reh gayi. Veer ki Maa!??? Sagi Maa???

Ragini : K-Kyaaaaaa!?? T-Tumhari Maa? Wait you mean...?

Veer : Jii haan Bhabhi! Meri real Mom... Sagi Maa...

Ragini : What? Kaha se? Kaise??? Kaha hai woh???

Wo behad khush thi. Hairaan bhi aur thodi utsukta se bhari hui bhi.

Veer : Mein sab baad me bataunga. Filhaal mujhe jald se jald nikalna hoga Bhabhi.

Ragini : A-Arre aise kese?? Aise achanak? Kaha jaa rahe ho? Kaha hai pe hai tumhari mamma? M-Mein bhi chalti hu tumhaare saath. Tum akele kaha bhatkoge? Tumhara dhyaan kaun rakhega? Haan? Wait!!! Mein aati hu...

Kehte hue wo hadbadi me mud ke jaane ke liye hui. Par uske mudte hi Veer ne uski komal kalaayi thaam lii. Aur Ragini wahi jamm ke reh gayi.

Veer : Bhabhi! Please! Abhi mujhe jaane dijiye. Mein foreign jaa raha hu.

Foreign shabd sunte hi Ragini palat ke Veer ko asmanjas me dekhne lagi.

Veer ne uski ye haalat dekh uske kandhe par apne dono haath rakhe aur uski orr jhukte hue bola,

Veer : I know aapke mann me dherr saare sawaal hai. Par abhi mein unn sabke jawaab nahi de sakta. Bas itna samajh lijiye ki mujhe kahi se info mili hai ki meri Maa..
Asli maa.... Wo Egypt me hai iss samay. Ek archeologist hai woh.

Ragini : E-Egypt? Archeologist?

Veer (smiles) : Jii! Ek baar unse mil lu. Fir waapas aake aapko sab kuch bataunga mein.

Ragini : Arre par... Visa ka kya? Travel me toh lagega na? Aur passport tumhara? Sab rakha hai na? Aur khaane ke liye mene toh kuch banaaya hi nahi... Aur tumhara bag ready ho gaya?

Veer : Hahaha~ Chill bhabhi!!! Chill!!! Saari cheezo ka intezaam ho chuka hai. Itne dino se yahi toh kar raha tha.

Ragini : Aur tumne ek baar bhi mujhe bataana zaroori nahi samjha?

Veer uski baat par kuch na bola. Woh Ragini ko sheeshe ke saamne le gaya. Aur uske peeche jaa ke khada ho gaya.

Dono hi Ragini aur Veer iss samay darpan me ek dusre ko nihaar rahe the.

Veer : Close your eyes!!!

Ragini : Huhhh??

Veer : Apni aankhein band kariye Bhabhi!!

Veer ke kehne par Ragini me apni aankhein band kar lii.

Aur tabhi kuch pal baad...

"Ahhhh!!!"

Hairaani me uski aankhein jhatke me khul gayi.

'This... This...!!!' Uski aankhein sheeshe me khud ko dekh aasuo ki nami se timtima rahi thi.

Uske gale me... Ek pendant tha.

Ek behad hi sundar sa pendant.

Veer ke haath abhi bhi uske nange gale ke peeche uss pendant ko baandhne me lage hue the.

Veer : Aapne pehli baar mujhse kuch maanga tha. Mein kese mana kar sakta tha? Wese ye ho sakta hai aapko pasand na aaye. Mujhe pasand aaya tha isliye mein isse le aaya.

Usne itna kaha hi tha ki Ragini ne uss pendant ko apne haatho me kass ke bheench liya,

Ragini : N-Nooooooo~ This... It's beautiful. This is perfect!!! I like it. Nooo~ I love it!!! Th-Thank you Veer!!!

Ragini ka reaction dekh veer ke chehre par apne aap muskaan aa gayi.

Veer : Haha~ Aap behad cute ho bhabhi.

Ragini (khuspusaate hue) : Meri toh chaahat bhi behadd hai Veer!

Veer : Hmm?

Ragini : Mene kaha... Thank you Veer! Thank you so much. Isse mein hamesha sambhaal ke rakhungi. I love this. Thank you~

Aur usne palat ke Veer ke gaal par apne laal honth chipka diye. Aur unki chhaap bhi chorr dii.

Veer : Ahem... That...

Ragini (smiles) : Toh... Tum abhi nikal rahe ho?

Veer : J-Jii!

Ragini : Waapas aake...

Veer : Haan haan! Saari details dena hai. I know~

Ragini (smiles) : Yes!

***

Aur kuch iss tarah Veer inn maamlo se nipta. Wo taiyaar tha... Mumbai chorrne ke liye.

Uski destination thi ~ Egypt!!!!

Bhavna bhale hi Giza Pyramids ki khoj se laut aayi thi. Par Egypt me keval yahi pyramids nahi the. Haal hi me, researchers ne ek aur pyramid khoja tha. Uske andar ki saari chhaan been karne dherro researchers aur scientists aaye hue the. Bhavna unme se ek thi.

Ye ek bade scale ka excavation tha.

Aur Veer ready tha.

Apni Maa se Finally milne ke liye. Aur apni uss behan se bhi.

'Mein aa raha hu... Maa~'
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Like thokne ka aur revos rakhne ka.

Keep supporting! ✨
Fantastic update
 

Werewolf

ɢʜᴏꜱᴛ
Supreme
13,492
97,408
259
ह्म्म्म्म
तो बात ऐसी रही
भलार का हाथ ठीक हो गया
होली में करन पोपट बन गया
जैसे कि पहले से अंदाजा था सुहाना ने वीर को उसके माँ की डिटेल्स ही दिया था
वीर ने रागिनी को शायद स्पेशल टाइम के लिए रिजर्व रखा है
पर चलो यह देखना अच्छा रहेगा वीर कैसे भारत वापस आने के बाद निधि की प्रॉब्लम सॉल्व करता है वीर की फेम बढ़ गया है
अपना गैंग भी सेट हो चुका है
इतना कुछ हो गया है
अब इजिप्ट में क्या होगा यह देखना बहुत दिलचस्प होगा
बढ़िया लिखा हमेशा की तरह
Dhanyavaad mitr! ✨
Bane rahiyega!
Wonderful Update Werewolf .
Yeh bola tha ju ne ki bahut dur ki sochte ho. Dekh phi liya ki Egypt ( 4,529 km :Distance from Delhi to Egypt) tak soch liya.:)
Kya baat hai. Firse googlewa... :applause:
:superb: :good: :perfect: awesome update hai Werewolf bhai,
Behad hi shandaar, lajawab aur amazing update hai bhai,
pari se stats ki limit badhane ke baare mein sun kar to veer ka sar hi chakkar kha gaya hai,
Ab aakhir kar veer apni maa se milne ke liye nikal gaya hai,
Ab dekhte hain ki aage kya hota hai,
Waiting for next update
Thanks man! Bane rahiyega! ✨
बहुत शानदार अनुछेद। लेकिन होली के रात के कारनामा पूरा गायब है। सोचे थे की देखने मिलेगा की होली के रात मे कोन किसको ले उड़ेगा,लेकिन रात का कोई जिक्र नहीं हुआ। आगे उम्मीद करेंगे की समय पर होली के रात का कारनामा lप्रदर्शित होगी।
Suman aur Aabha ke sath sex scenes plenty of times rahenge. Toh harr baar dikhaane ki zaroorat nahi. :D
अभी बहुत जरूरी है माँ बेटे का मिलन विदेश मे कैसे और किस हालत मे होती है और वीर को क्या क्या जानकारी मिलता है। बात तो सही है की जो माँ बचपन मे ही वीर को छोड़ गयी थी लेकिन अभी भी हर वक़्त याद करती है, उनकी घर छोरने की कुछ तो बड़ी वजह होगी ही। वो देखने लायक होगा।देखते है कैसे यह गुत्थी सुलझता है
Bas! Next update me wahi dikhaaya jaega.
एक बात अच्छा लगा की अब सुहाना भी कुछ कुछ बदली हुई है वीर के प्रति। लगता है की वीर की वीसा पासपोर्ट सब का ब्याबस्था उस बलहर ने ही किया है। आगे की अनुछेद के लिए प्रतीक्षा मे रहेंगे। धन्यबाद।
Veer ke paas passport toh tha hi. Visa ka intezaam kaha se hua ye next update me pata lag jaega.
Thanks man! Keep supporting! ✨
lovely update ..to suhana ne veer ko uski maa ki jaankari di aur ab veer nikal chuka hai apni maa se milne par jaldi usko apni pehchan nahi batanewala hai .
is baar suhana uski kuch madad nahi kar paayi .
Maamla govt. se related tha. Suhana thoda hichkicha gayi. Dhyaan rahe ki wo married hai. Aur apne saath saath apne pati, parivaar ko bhi represent karti hai. Yadi uska naam phassta, it could have caused a huge problem for her.
balhar ka haath theek kar diya aur uska boss bann gaya veer aur system ke mutabik veer ne underworld ki duniya me kadam rakh diya hai
Yes!!! :approve:
normal insan se aage badhne ke liye ab veer ko kaafi points chahiye .
ragini ko pendant pehna diya veer ne aur wo khush ho gayi 😍.. ab dekhte hai veer ki egypt ki journey kaise hoti hai ,kya waha pe koi adventure karne ko milega ya nahi 🤔🤔..
It will be interesting 🔥
Thanks man!!! Keep supporting as usual! ✨
 

Werewolf

ɢʜᴏꜱᴛ
Supreme
13,492
97,408
259
Veer akhir apni asli maa se milne ja raha hai, maa bhi uske liye roti hai par beti ko batati nahi hai, dekhte hain Veer apni pehchaan maa se kaise karwata hai, aur vo kya raaz hai jiski vajah se iski maa ko ise chhodna pada, Pranjal ki kartutein abhi Manorath ke samne nahi khuli hain, ye kab khuleingi aur tab kya hoga.
Next update kaafi interesting rahega. Kahani naye gear par chadh jaegi. Thanks a lot! ✨
I m agree with suhana...

Itta tucha plan kon banata hai re ese hi thodi bhavna kuch bata is plan ke hisab se yahi hoga ki "aao aao stranger sir main apka batati hu kyu maine ghar chorha kyu maine apne bete ko chorha"

1 saal chahiye tha nidhi ko 50 lakj jama karne ko mere hisab se ek saal to pura ho hi gya
Dhyaan rahe... Yaha Veer ka intelligence 100 par hai. Uske bawajood wo Pari ke plan se raazi hua hai. :D
There must be something.
Bhai nidhi or kaera ke baad ab very important character hein veer ki maa ab isi character ke liye veer kya kya karta hein or karvata hein woh jaanne ki ruchi rahegi or ek hein jo hein slogan's daughter but woh character abhi bahot door hein pehle yeh maa vaala topic padhna hein i am so excited.....! BCZ OF WORLD MOST WORTHER WORD IS “MAA”....!🥺😘🤗
KEEP WRITING.....!
Bas ye samajh lo, aane waale updates kaafi rochak hone waale hai. Aur uske baad toh.. house of killers arc start ho jaega. Wo toh apne aap me hi alag bawaal hai. 🔥 Thanks! Keep supporting!
Wow nice update, Veer is getting smart ad strong by the day. Balhaar ka gang uske paas aa gaya hai, property uske paas hi hai aur ab wo apni maa ke paa jaa raha hai. Dekna hoga wo kaise api maa ko approach karta hai. Jaandaar update.
Thanks man! Keep supporting! ✨
Very nice update bhai now new adventure and some flesh back stories and lots of suspense I guess!
Keep reading. Interesting things are waiting for you all. :D
Bahut hi umda update tha,slogan ki life ki bare janke dukh bhi hua.Is story ka asli villain kishore hei.
Heinnnn?? :shocked: Iss comment ko bookmark kar lo bhai! :D
Ye sahi kiya guru..sidhe sidhe ma se mila dena kuch jamata nahi.
Now system is going to help, veer aur iski ma ke relation ko naya aakar dene me aur samajhane me.
Bhavnao me behke pehle Veer wahi karne waala tha baad me Pari ki baat sunn, aur apna dimaag ka use kar, usse bhi yahi sahi laga. Plus, uske mann me shayad koi plan hai. :D
Bhai Mera bhi ek sujhav hai... Jab bhi veer apni maa se mile toh sidhe sidhe BAAT karwana hi Sahi lagega plz Bhai itni si request hai mana mat karna
Pehle Veer yahi kar raha tha. :redface:
Par ab nahi... Kyuki, usse baat samajh aayi hai kuch. Uska intelligence 100 par hai. Toh soch samajh ke hi kuch kar raha hoga. Padhte rahiye. Maza aaega abhi.
Veer jarur ensure karega ki Ragini Menorath ka pote ki patni hi hey:)
Of course!!! :approve:
 
Top