- 14,065
- 99,728
- 259
Last edited:
Kaam chal raha hai. Jese hi ready ho jaaye...Werewolf bhai next update kab tak aayega?
Fabulous update...Update - 30 ~ The Best Gift
Ab tak...
Jese hi usne aankhein khol ke dekha toh paaya ki...
Suman ekdum nangi apni dono doodh ki thailiya uske seene par tikaaye usse hi nihaar rahi thi aur muskuraa rahi thi.
Uske baad wo boli,
"Subah ho gayi... Ma-Maalik!"
'Huh?? Wait!!!! What did she sayyyy???'
Ab aage...
Mumbai...
At Nidhi's Home...
Subah subah Nidhi badi hi pareshaan sii hall me hi sofe par viraajmaan thi. Haatho me phone tha aur aankho me nami.
'He doesn't even replies to me. Phone karti hu toh wo bhi nahi uthaana hai usse. Kya itna bura laga hai usse meri baato ka? Jo ab wo mujhse baat bhi nahi karna chaahta? Kya ho gaya tha mujhe bhi uss din? Uss... Uss din itna kese bhadak gayi mein uspe? Meri hi galti hai. Bura laga hai usse tabhi toh dekho na... Na mere calls utha raha hai, na meri baatein maan raha hai college roz aane ki, na messages seen kar raha hai. Itna... He's... He's stupid... Idiot... Pagal... He...'
Nidhi bechaari, Veer ke hi baare me sochi jaa rahi thi. Akhir uska contact jo nahi hua tha Veer se uss raat se. Bechaini se bharpoor thi wo iss waqt. Upar se Rajat ka alag tension. Kahi Rajat ne Veer ko kisi pareshani me toh nahi daal diya. Dherr saare sawaal umad rahe the uske mann me.
Apni aankho me bann rahe aasuo ko poch wo uthne hi waali thi ki uski jaangh pe uske gown ko kisi ne pakad ke kheencha,
Dekha toh Juhi thi jo abhi abhi apni aankhein malte hue uske paas aayi thi.
"Uth gayi meri bacchi!?" Nidhi ne usse thaamte hue apne seene se laga liya.
Juhi : Mmmm
Nidhi : Chalo! Ready kar du tumhe. School bhi jaana hai.
Juhi : Mummy aap yaha kyu baithi ho? Tiffin me kya rakhogi aaj?
Nidhi : Kuch nahi betu. Tumhaare Veer maamu... Boht tang karte hai tumhari mummy ko...
Juhi : Mmm? Veer maamu!? Veer maamu se toh mein parso hi mili thi Ehehehe~
Juhi ki baat sunte hi jese Nidhi ko ek jhatka laga. Uski beti bhala kab aur kaha mil lii Veer se?
Nidhi : ??? Tum?? Kaha!??? Kaha mili thi beta Veer se? Wo toh...
Juhi : Hmm? Parso jab mein maasi ke saath bazaar gayi thi toh waha se jab aaye... Toh Veer Maamu neeche hi khade thi bike pe.
'Bike!??? That means... It was him!!!!!!!'
Nidhi apni bacchi ko kass ke thaame usse ghur rahi thi. Aur uss se jaldbaazi me sawaal karte jaa rahi thi. Jese maano Veer se judi harr ek information wo Juhi se jaan'na chaahti thi.
Nidhi : T-Toh? F-Fir kya hua? Kya kaha usne? Aapke Veer maamu ne?
Juhi : Wo bole unhe kuch kaam hai aur chale gaye... Mummy! Mujhe toilet aayi hai...
Juhi itna bol Nidhi ke aachal se nikal tezz kadmo ke saath andar washroom me bhaag gayi.
Par Nidhi ka sawaal poora nahi hua tha. Sabse bada sawaal ki Veer iss waqt kaha reh raha hai...?? Ye toh woh puchna hi bhul gayi.
Ye khayaal aate hi jese hi wo palti aur Juhi ko awaaz lagaane waali thi ki tabhi, usne dekha ki Shreya darwaaze ki dehleez pe khade usse hi dekh rahi hai.
'???'
Shreya : Don't worry! Wo apni Bhabhi ke saath reh raha hai. Remember? Wahi Bhabhi... Jinhe wo uss din bachaane gaya tha?
Nidhi (surprised) : Tumhe...?? Noo!!! Wo tumse milne aaya aur tumne mujhe bataaya tak nahi Shreya? Itni badi baat...
Shreya : Chill!!! Uska kehna hai ki wo aapke saath nahi reh sakta. Kyuki wo aapki situation jaanta hai aur wo guilt conscious banda hai. Uss se aise nahi raha jaega. Isliye, wo waha reh raha hai.
Nidhi : Aur kaun tha jisne usse meri sacchaayi ke baare me bataaya!? Haa?
Shreya : I...
Nidhi : Mene tumhe mana kiya tha na Shreya? Mene mana kiya tha na? Fir kyu tumne usse...
Wo Shreya ko acchi khaasi sunaati par tabhi usse kuch shabd yaad aa gaye.
'Shreya ji ko mat daatiyega, unhone mujhe wo sab batana zaroori samjha isliye bataaya tha shayad.'
Aur bas...
Nidhi ke khule honth apne aap hi band ho gaye. Letter me Veer ne spasht likha tha ki Shreya jii ko na daanta jaaye. Ab bhala Nidhi uski baat kese nahi rakhti? Uski maujoodgi na hone par bhi, iss tarah se uska mehatv bann chuka tha uske ghar me.
"Idiot...!"
Wo badbadaati hui uthi aur seedhe kitchen me chali gayi.
Par saamne khadi Shreya sab kuch dekh paa rahi thi. Wo dekh paa rahi thi ki kitna significance tha Veer ka Nidhi ke upar aur saath hi saath Juhi par bhi... Even uske khud ke upar bhi.
Wo khud ek gehre chintan me doob gayi.
'I wonder how it would look if he was my Sister's husband!...'
'????'
'Huh?? Wtf!?? Wait! Mein kya sochne lagi??'
Apna sarr hilaate hue wo andar chali gayi.
***
Rajasthan...
At Suman's home...
Veer : Hmm! Toh ab bataogi ki ye kya chakkar hai? Kyu mujhe aap...
Suman : Tum kehke bulaaiye mujhe maalik... Tum... Tum keh ke... Kripya kar!
'She..'
Veer (sighs) : Hmm! Toh ab bataogi ko ye sab kya chakkar hai? Kyu tum... Kyu tum mujhe maalik keh ke bula rahi ho?
Veer kal ki hui ghatna ke baad mann me dherr saare sawaal liye hue tha. Ab chuki wo dono ka hi clear mind tha, Veer ne forun hi sawaal puchna sahi samjha.
Wo iss waqt ussi bistar par baitha hua tha jispe kal raat dono ne hi rangreliyaa manaayi thi. Uske perro ke paas uski jaangh par haath rakhe Suman baithi hui thi jo keval muskuraa ke Veer ko dekhe jaa rahi thi.
Suman (smiles) : Ye toh hona hi tha ek na ek din maalik!
Veer (frowns) : Kya matlab!?
Suman : Maalik! Ye toh hona hi tha... Jis pal mene aapka seena dekha tha.
'Mera seena!?'
Sochte hue Veer ne jese hi apne seene par nazar maari toh usse nazar aaya...
Uska pendant. Wahi pendant jo uski Maa ne diya tha. Wo shirt ke baahar hi tha.
'Huh!?? So... That's why she kept looking at me like that!?'
Veer ne apne haatho me uss pendant ko thaama jo ek sone ki chain ka tha aur usme ek bada hi anokha sa neela patthar chipka hua tha.
Veer : Tumhara matlab hai ye?? Mera pendant?
Suman (nods) : Jii Haa maalik! Yahi! Aur isliye aaj se ye Suman aapki Daasi hai.
'Huh??? Wtf?? Did I heard that right!?'
[Hahaha~ You don't know. You just found the diamond. Wo Heere ki anguthi kuch bhi nahi, asli heera toh ab aapko mila hai master. Haha~ Who needs a diamond ring? When you can have a slave? Hahaha~]
'Oh come on Pari! This is serious.'
[Hehe~]
Veer (pendant pakadte hue) : Isme aisa kya hai?
Suman (surprised) : Maalik? Kya aapko waqai kuch nahi pata iske baare me?
Veer : Hmm? Nahi! Kyu?
Suman Veer ko aise dekh rahi thi jese maano koi bhoot dekh liya ho.
Suman : Maalik!??? Ya toh aap mazaak kar rahe hai ya anjaan bann rahe hai.
Veer : Dekho Suman...
Suman : *smiles*
Veer : ???
Suman : Mujhe accha laga aapne akhir kaar mujhe mere naam se bulaaya. Aur mera ye anurodh hai ki... Aage bhi... Aage bhi maalik... Aise hi mujhe bulaaye.
Veer : Ahem! Haa! Toh dekho Suman... Mein waqai kuch bhi nahi jaanta hu. Tum kya keh rahi ho meri samajh me kuch bhi nahi aa raha hai.
Suman : Par aisa kese ho sakta hai!? Huh!?? Zara rukiye maalik...
Wo hairaan hote hue kuch sochti hai aur fir Veer ko punah dekhti hai,
Suman : Ye aapko kisne diya? Aapke paas ye kese aaya?
Veer : Hmm? Ye!? Ye meri Maa ne mujhe janm ke waqt pehnaaya tha.
Suman (shocked) : Aapki Maa ne!?
Veer (frowns) : Hmm! Tum... Kya tum kuch jaanti ho?
Suman : Aapki... Aapki Maa ka naam kya hai!?
Veer : Bhavana!
Suman ye sunte hi forun khadi ho gayi hai aur muh faade Veer ko dekhne lagi. Stabdh nigaaho se wo usse ghur rahi thi.
Suman : Bh-Bhavana!?
'There's something wrong!'
[Ask her every possible detail master! Something is fishy!!!]
'Yeaaahhh!!'
Veer (frowns) : Tum! Kuch zaroor jaanti ho. Hai na!?
Veer ne khade hote hue agle hi pal kivaad ki chatakni andar se hi band kar lock laga diya.
Veer : Jawaab do!!
Suman haa me sarr hilaayi aur tezz kadmo ke saath almaari ki taraf gayi, usse khol wo kuch hi palo ke andar ek chaavi dhund ke laayi.
Uske baad wo neeche jhuki aur ussi bistar ke neeche se usne ek peti sarka ke nikaali.
Suman ki harr ek harqat Veer dekh raha tha aur uska dil zorr se dhadak raha tha. Zaroor... Zaroor kuch na kuch usse pata chalne waala tha jiske chalte usse shayad jhatke bhi lag sakte the.
Andar peti me se usne ek tasveer nikaali jo photo frame me saji hui thi aur Veer ki taraf badhaayi.
'??'
Sawaalia nazre liye jese hi usne wo photo dekhi...
Usse dikhaayi diya ki ek behad hi shandaar sa mahal ya haweli keh lo jo kaafi badi thi aur phoolo se saji hui thi. Koi bhi insaan nahi tha photo me. Keval ek mahal jitni badi haweli hi thi.
Veer (frowns) : Iska matlab kya hai!?
Suman : Maalik! Mein aapko zyaada kuch nahi bata sakti. Keval itna hi bata sakti hu ki...
Mein aur mera parivaar, mere purvaj asal me...
Hamesha se iss haveli me rehne waale logo ki seva karte aaye hai. Itne pehle se ki sahi anumaan lagaana naamumkin hai.
Veer : Kaun hai ye log? Aur ye haveli?
Suman : Mein nahi bata sakti. Mujhe maaf kijiyega. Mein vachan baddh hu. Bas itna jaan lijiye ki... Mein aur hamaare poorvaj iss haveli ke logo ke sevak the aur hai aur aane waale samay me bhi rahenge.
Veer : Par tumne abhi abhi kaha ki tum meri daasi...!? Wait!! Huh??
Jese usse realize hua...
Suman (smiles) : ....
Veer : Iska matlab toh yahi hua ki... Mein iss haweli se hu... Jo ki bilkul bhi sach nahi hai.
Suman : Ye jo aapke gale me tanga hua hai na??
Veer : Hmm!
Suman : Ye mene iss haveli me rehne waale logo ke paas dekha tha. Aur... Ye unka beshkeemti gehna tha.
Veer (surprised) : Yadi iss hisaab se chale toh... Doesn't that means ki meri Maa... Wo iss haveli ke logo me se ek thi?
Suman : ....
Veer : Ye log kaha hai abhi? Ye haveli kidhar hai?
Suman : Mein nahi bata sakti maalik! Mein vachan baddh hu.
Veer : Dammmn it!!! Toh... Toh ye toh bata sakti ho na ki tumhe ye vachan kisne diya?
Suman (nods) : Meri Nani ne...
Veer : Nani? Okay!! G-Good! Toh chalo... Kaha hai wo? M-Mujhe unse milna hai.
Suman : Maaf kijiyega par... Wo ab iss duniya me nahi hai maalik!
'Fuuuuccccckkkkkkk!!!!'
'There's something wrong!! Yadi Suman ka kehna hai ki wo aur uska parivaar Inn haveli ke logo ki sewa karta tha toh yaha toh wo meri sewa kar rahi hai. Keval mere pendant dekhne ke baad. Kyuki uske hisaab se ye pendant unn haweli ke logo ka beshkeemti gehna tha. Toh fir Mom ke paas kese aaya ye pendant? Did she stole it? No I don't think so. Iska matlab toh bas yahi darsha raha hai ki Mom inn haveli waale logo ke beech ki ek sadasya thi. Ya fir unhone Mom ko ye gehna diya ho? Par wo itna beshkeemti gehna kyu denge bhala? Aaaarrrghhhhhh!!!'
Veer ne kheejte hue apne baal noche. Itne saare sawaal umad rahe the ki uski kuch soojh nahi raha tha kya kare.
[Don't worry! Ye kaafi uljhi hui gutthi hai. Atleast aapko apni Mom ke baare me kuch information mili.]
'Yeaahhh! No wait....'
Kuch sochte hue wo forun hi palta aur Suman se pucha,
"Toh kya tum meri Maa ko jaanti ho? Bhavana?"
Suman Veer ko dekhi aur fir naa me sarr hila dii.
Suman : Nahi maalik!! Mein unhe nahi jaanti.
Veer (frowns) : Par tumhaare haav bhaav toh kuch aur hi the jab tumne mere muh se unka naam suna tha.
Suman : Jesa ki mene kaha maalik. Mein unhe nahi jaanti. Rahi baat mere haav bhaav ki... Toh mein iss se zyaada kuch bhi kehne ke liye vachan badhh hu maalik. Mujhe maaf kar dijiye maalik!
Suman ko Veer ne gaur se dekha aur ant me ek aah bhari. Kyuki Suman ko dekh ke hi pata lagaaya jaa sakta tha ki wo bilkul bhi jhooth nahi bol rahi thi.
Abhi wo baitha hi hua tha ki tabhi uska phone bajne laga,
Screen pe dekha toh...
'Ragini Bhabhi!?'
Veer : Hello?
Ragini : Happy Birthday Veeeeeeeerrrr!!
Ragini ki khil khilaati hui awaaz uske kaano me padi. Aur ye sunte hi Veer ke hontho pe ek muskaan fel gayi.
'I almost forgot... Ki aaj toh mera b'day hai. Bhabhi ko yaad tha!? I wonder... Aur kisse yaad hoga?'
[Fuck! It's your birthday master!? Happy Birthday my dear master.]
'Thanks Pari!'
[Ab gift ke taur pe fataak se mujhe Level 4 pe pohuchao.]
'Gift jiska b'day hota hai wo nahi deta idiot. Wish karne waale dete hai usse.'
[Huh? Ohh yeah! Fuck! I forgot! Ahahaha~]
Veer (sighs) : Thank you Bhabhi!
Ragini : Welcome! Toh!? Wo... Wo... Tum aa rahe ho na? Kab tak aaoge?
Veer : Kal! Aaj reservation karwa lunga. Aur aaj raat me baith jaunga. So kal tak...
Ragini ki tabhi udhar se thodi udaasi bhari awaaz aayi,
"Toh! Tum b'day par yaha nahi rahoge matlab."
Veer : Chaahta hu par possible nahi hai. Kal hi aa paunga.
Ragini : Well! Right! Kal then... I have a surprise for you! Kal aao... And... Acche se safar karna okay?
Veer (smiles) : Jiii!
Ragini : Okay! Toh... Mein rakhu..!?
Veer (smiles) : Jii!
Aur call end ho gaya.
Bechaari Ragini call toh badi hi utsaah se lagaayi thi. Par usse wish karne ke baad samajh hi nahi aa raha tha ki apne dewar se bhala ab aur kya baatein kare. Aur iske chalte usse khud pe sharam aa rahi thi. Wo jald se jald phone rakhi aur khud ko baatein sunaate hue andar chali gayi.
***
Veer ka birthday toh tha hi par saath hi saath aaj kisi aur ka bhi b'day tha. Wo shaks aur koi nahi balki Suhana aur Sonia ki Maa thi ~ Jyoti!
Ek badi sii hotel me ek poora hall booked tha. Poore hall ko sajaaya gaya tha. Andar dherr saari lights jal rahi thi aur mand mand awaaz me instrumental music chal raha tha.
Waiters me saari ki saari khubsoorat ladkiya thi jo khubsoorat sii attire pehne guests ko kahi cold drinks toh kahi snacks serve kar rahi thi.
Toh kuch entrance pe unke swaagat ke liye khadi hui thi.
Guests bhi ek se badh ke ek the. Sabhi raees aur bade gharaano se belong kar rahe the.
Mahaul kul milaake boht khushnuma tha par...
Par iss waqt ussi hotel ke ek kamre me do behad hi khubsoorat auratein atyant hi chintan me doobi hui thi.
Ye aur koi nahi balki Suhana aur Sonia hi thi.
Suhana idhar se udhar tahelte hue khud ko shaant karne ki koshish kar rahi thi.
"Kuch nahi hoga Suhana! Phew! Calm down! Phew!"
Sonia : Wo aate hi honge.
Suhana : Tum mujhe aur darra rahi ho Sonu!
Par Suhana ki baat pe Sonia kuch na boli bas muh ferr ke kahi aur dekhne lagi.
Aur uska ye rukhapann Suhana ko andar hi andar tadpa raha tha. Wo Sonia ke sameep aayi aur uske chehre ko apne haatho se ghumaate hue apni orr kii.
Suhana : Ab bhi naraaz ho mujhse?
Sonia : ....
Suhana : Sonuuu! Please! Don't! Tere bina adhuri hu mein ye baat tu bhi jaanti hai. Aur mein tujhse maafi maang chuki hu na. Mene maana hai na ki uss Veer ne ring nahi churaayi hogi kyuki tum uske saath thi. Toh ab kya dikkat hai?
Sonia : ....
Suhana : Sonu!!! Maaf kar de!!! Dekh! Mein kaan pakadti hu.
Wo kaan pakad paati ki uske pehle hi darwaaza khula aur ek aadmi andar aaya. Upar se leke neeche tak wo mehnge kapdo se saja hua tha.
Sonia : Dad!?
Sonia aur Suhana ke pita, yaani ki desh ki jaani maani automobiles company ke maalik ~ Shailendra.
Shailendra : Bolo! Kya baat hai? Tumlogo ko beta waha hall me rehna tha. Sabhi guests kya sochenge?
Suhana apne pita ko dekh ekdum kaanp rahi thi. Akhir kese wo bataegi ki jo ring wo dene waale hai. Wo toh chori ho chuki hai.
Sonia : Dii ko aapse kuch kehna hai.
Shailendra : Hmm? Kya baat hai beta? Jaldi kaho... Baahar bhi jaana hai. Tumhari Mom bhi ready ho hi gayi hai.
Suhana Sonia ko hairani bhare bhaav se ghur rahi thi. Andar aane se pehle hi Sonia ne uss se kaha tha ki Sonia uski madad karegi. Par yaha toh wo jese uski taraf dekh hi nahi rahi thi.
'Oh no!!! Sonu!!! She's really mad...'
Yaha Sonia apne alag hi vichaaro me leen thi.
'Mene kitna call kiya Veer ko. Ki aaj party hai. I wanted to say sorry to him again. Par... Abhi tak uska koi reply na aaya. He probably hates me now. Akhir... Dii ne uski itni beizzati kii hai ki wo mujhe hi inn sab ka kaaran samajh baitha hoga. Par Veer... Kese batau tumhe... Sacchaayi!?'
Shailendra : Bolo beta!
Suhana : Wo... Wo...
Shailendra : Haa?
Suhana : Asal me...
Shailendra : Arre bolo bhi...
Suhana : Wo dedh crore ki ring chori ho chuki hai.
Wo ek saas me bol gayi.
Aur agle hi pal...
Poore kamre me sannaata sa chhaa gaya.
Shailendra : ???
Sonia : ....
Suhana : ....
Shailendra : K-Kya? Kya kaha tumne?
Suhana : Wo... Wo... Dedh crore waali ring... Jo aap Mom ko dene waale the wo... Wo chori ho gayi hai.
Aur agle hi pal Shailendra ki aankhein felti chali gayi.
Uske baad jab Suhana ne poori sachhai bataayi toh Shailendra ka gussa saatve aasmaan par pohuch chuka tha.
Wo aag baboola hoke Suhana aur Sonia dono ko dekh raha tha.
Aisa lag raha tha ki kisi bhi waqt wo dono ko tamaacha jadd dega.
Par usne aisa kiya na...
"Kal tak yadi Ring nahi mili... Toh Suhana... Hmph!"
Daant meeste hue wo agle pal hi mobile nikaal kaan se lagaaya aur baahar nikal ke...
*Slaaammmm*
Zorr se usne darwaaza band kar diya.
Aur Suhana ye dekhte hi bilakhte hue rone lagi. Wo jaanti thi ki jab uske Dad kuch nahi bolte the toh wo kitna naraaz aur gusse me rehte the. Sonia se chipak ke wo rone lagti hai.
Ab usse Veer ke kahe shabd yaad aa rahe the.
"Didn't you said that few minutes ago!? Money can buy happiness. Paisa sab kuch hai. Paisa hi khushiya laata hai. Paise se hi aap khush rehte ho? Paise se kabhi koi udaas reh hi nahi sakta. Didn't you said that!? Then why do you look sad now? Mujhe toh abhi keval yahi dikhaayi de raha hai ki... Paise se... You are not even happy... Look! How distressed you are. Look at yourself. Kaha gaye ab wo shabd??? Hmm?? I can't hear them..."
Iss waqt bhi...
Wo ro rahi thi. Aur kahi se bhi happy nahi thi. Uske shabd jese ekdum sahi saabit ho rahe the. Pata nahi kyu par iss baar Suhana ko Veer ka dhyaan aate hi... Iss baar usse gussa nahi aaya. Keval rulaayi hi chooth rahi thi.
***
Idhar Veer reservation karwa ke Jaipur ke station pohuch chuka tha. Ragini ke diye gaye paise waqai boht kaam aaye the uske liye.
Na keval Suman ne idhar apne ghar me poora taala laga diya balki wo apne ghar ki chaavi bhi pados me de aayi ye kehke ki yadi uska pati waapas se aaye toh usse dhundne ki koshish na kare.
Keval Suman hi nahi, Aabha aur Sonali bhi uske sang thi. Suman ka kehna tha ki ab wo Veer ki daasi hai toh harr pal uske aas paas hi rahegi aur uski sewa karegi.
Shaam ko bhi Suman ke aakarshan ke chalte Veer se raha na gaya aur usne ek baar aur Suman ko pel diya.
Pehli baar me jo sex usne Suman ke saath kiya tha uske chalte usse 35 points mile the aur usse bachaane ke 30 points. Toh kul milaake uske paas 65 points maujood the jinhe wo spend nahi kiya tha.
Wo ghar lautne ke baad hi inn points ka sahi istemaal kese karna hai ye decide karne waala tha.
Ab chuki aa toh gaya tha wo station par usne dekha ki Sonali bade hi gusse se usse dekh rahi thi. Aur baat bhi nahi kar rahi thi. Bas dekhti aur gusse se aag baboola ho jaati. Par bolti kuch nahi. Veer ne bhi ignore karna hi behtar samjha filhaal ke liye.
Train aa chuki thi reservation unka AC 1 coach me tha. Veer samaan rakh ke abhi baahar hi aake kuch chips aur biscuits khareedne me laga hua tha jab usse sunaayi diya,
"Bhaiya!! Oo bhaiya! Hello jii!?"
Usne dekha toh paaya ki saamne ek dusri train me ek mahila khidki se apna ek haath nikaale kisi ko awaaz laga rahi thi.
Veer kuch soch aage badha toh agle hi pal uss mahila ki nazar Veer par gayi.
Dono ki nazre jab aapas me takraayi toh uss mahila ne forun hi firse pukaara,
"Betaa! Suno..."
Usne haath se ishaara karte hue Veer ko bulaaya.
Veer jab uske sameep aaya toh thoda hairaan reh gaya. Paas se gaur se jab usne dekha toh paaya ki...
Wo mahila waqai khubsoorat thi. Aur saree nahi balki ek kaali t shirt pehni hui thi. Jisme uski gori twacha alag hi khil ke dikhaayi de rahi thi.
Veer : Jiii!?
Aurat : Beta! Kya tum mere liye waha shop se ek paani ki bottle laa doge please? Mein khud le aati par... Meri back me thoda pain hai.
Veer (smiles) : Sure!
Aurat : Ohh! Th-Thank you beta!
Veer (smiles) : Isme thanks kesa? Aap rukiye! Mein aata hu.
Veer uske diye gaye paiso se ek bottle liya aur apni taraf se usne ek biscuit ka packet bhi liya aur wo leke uss aurat ke paas aaya.
Aurat (surprised) : Ye!?
Veer (smiles) : Ye meri taraf se... Rakh lijiye! Back me pain hai aapki. Aage station me aapko utarna na pade.
Aurat kuch derr ke liye usse dekhi aur fir ek badi hi pyaari sii muskaan usne dii.
Na jaane kyu par wo muskaan dekh Veer ekdum shaant pad gaya.
Aurat : Thank you beta! Wese iski koi zaroorat nahi thi par fir bhi thank you! Aur ruko...
Tabhi wo apne bagal me rakhe bag se kuch tatolti hai aur ek candy ka packet usse thama deti hai.
Aurat : Ye meri taraf se... Haha~
Veer (smiles) : Iski koi zaroorat nahi...
Aurat : Na na! Haha~ Ab ye rakhna padega. Thank you once again.
Veer (smiles) : Jii! Chalta hu! Safe journey!
Aurat (smiles) : Okay! You too!
Aur tabhi uss aurat ki train aur saath hi saath Veer ki bhi train chalne lagti hai.
Ek baar fir wo Veer ko khidki se dekhti hai toh paati hai ki Veer bhi usse hi dekh raha tha. Dono bas muskuraa dete hai.
Veer lapak ke train me chadhta hai par achanak usse pata nahi kya sujhta hai ki...
Wo palat ke ek baar fir uss aurat ko dekhta hai aur...
'Check!'
[Alias name - Geeta
Real Name - Bhavana Singh.
Bio - Bhavana! Ek behad hi strong woman hai. Boht peeda me hai jo kayi saalo se wo bardaasht karti aa rahi hai. Loves her daughter too much. Ek aas hai usse. Aur kisi ki talaash. Peshe se Archeologist hai.
Favourability - 70
Relationship - Mother.]
Aur ye padhte hi Veer ko uski life ka sabse bada jhatka laga tha.
Aaj usse apne janmdin par koi gift mila ho na mila ho. Ye jese...
Uske liye best gift tha.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Don't forget to like.
Excellent updateUpdate - 34 ~ Intense RushAb tak...
Idhar Kavya full excited Arohi ke peeche baith chuki thi. Dono hi behad hi khubsoorat dress pehni hui thi.
Aur gaadi me sang baith wo ravaana ho gayi.
Par unhe nahi pata tha...
Ki iss waqt unke peeche kaun aa raha tha.
Ab aage...
Ek behad hi khubsoorat se sheher me iss waqt dherr saari jhaalaro athwa anya prakaar ki lightings se saare ghar, dukaane avum buildings jagmaga rahi thi. Laal, neeli, peeli na jaane kitne rango ki LED lights se aaj harr ek ghar saja hua tha.
Diwali ki iss raat me harr jagah khushiyo ka mahaul tha. Aur iss samay issi sheher ke ek bade se ghar me ek Aurat behad hi khubsoorat sii saree pehne, thaal liye, apne ghar me jagah jagah Diye rakh rahi thi.
Hontho pe muskaan sajaaye wo gungunaate huye Diyo se apne ghar ko raushan kar rahi thi. Tabhi uske peeche se ek kamre se atyant hi sundar sii ladki, badi hi aakarshak sii dress pehne baahar aayi aur boli,
"Mom?? Terrace pe rakh diye aapne Diye?"
Aurat : Nahi Beta! Tum rakh aao. Mein neeche rakh rahi hu.
Ladki : Okay!
Aur itna bol wo jhat-pat upar chali gayi aur kuch derr me hi Diye rakh ke neeche bhi aa gayi.
Ladki : Haaaash!! Na jaane kitne dino baad aaj itna free time mila hai festival celebrate karne ka, hai na Mom? Warna aisa tight aur busy schedule tha apna.
Aurat : Ekdum sahi kaha tumne beta.
Ladki : Accha chalo! Mom! Aao baahar chal ke thode pataakhe fode. Mene kuch khareede hai.
Aurat : Kya tu bhi ye le ke baith gayi? Ab usme meri kya zaroorat!?
Ladki : Waah! Ek toh saal me ek baar Diwali aati hai. Aur ab usme bhi pataakhe na fode? Aur aap nahi chalogi toh kya mein akeli bewakoofo type fuljhadi liye ghumungi kya?
Aurat (sighs) : Accha baba! Chal! Tu maan'ne waali toh hai nahi?
Ladki : Wahi! Hehe~ Toh pehle hi aa jaati...
Aurat : Haan haan meri Mata... Ab chal!
Aur dono Maa Beti nikal ke ghar ke baahar aa gayi jaha colony ke sabhi log bade hi dhoom dhaam se Diwali mana rahe the. Bade jaha khade ho kar baat kar rahe the, ek dusre ko badhaaiya de rahe the toh wahi bacche pataakhe fod apne hi anand me doobe hue the.
Idhar wo Ladki bhi fuljhadi jalaate hue anaar avum chakri jalaa ke apni Maa ko bhi aage aake pataakhe fodne ke liye mana rahi thi aur saath hi saath aas pados ki ladkiyo se baatein bhi kar rahi thi.
Par uski Maa yaani ki wo Aurat ek muskaan liye bas peeche khadi hoke hi sab dekh rahi thi. Zameen chakri, anaar se nikli chamakti hui chingaariya uski aankho me pratibimbit ho rahi thi. Bhale hi aankho ka dhyaan udhar hi tha...
Par...
Uske antar mann ka dhyaan kahi aur tha...
Aur dheere dheere uske hontho se wo muskaan apne aap gaayab ho gayi.
'21 saal ho gaye... Na jaane...'
Jab uss Ladki ne kuch pal baad palat ke apni Maa ko dekha toh usse ek pal nahi laga ye jaan'ne me ki uski Maa kisi cheez ko lekar pareshaan hai.
Wo turant sab kuch chorr apni Maa ke paas aayi aur boli,
"Aap pareshaan lag rahi ho Mom!"
Aurat : H-Huh!? Nahi! Kuch bhi toh nahi!?
Ladki (frowns) : Kabhi toh share kar liya karo!? Huh!? Aisi kaun sii baatein hai jo sochti rehti ho aur khud hi gehre chintan me doob jaati ho? Kya aapko mujh pe trust nahi hai kya? Huh?
Aurat : Ek jhaapad lagaungi aisi baatein boli toh. Apni beti pe trust nahi hoga toh kispe hoga bhala?
Ladki : Toh fir bataati kyu nahi ki kya sochti rehti ho aap aksar?
Aurat : Bas... Kaam ke baare me beta.
Ladki : Mujhe pata tha aap yahi bologi. Mein chaahe jitni baar puch lu, aapka jawaab yahi rehta hai. *sighs* Kherr! Accha! Chaliye ab... Dekhiye bagal waali Aunty aapko puch rahi hai... Aaiye...
Aurat : Hmm!
Aur wo dono baahar nikal padosiyo ke saath gap-shap me ghul mil gayi.
***
Wahi yahi Mumbai me iss samay bhi kuch aisa hi mahaul tha.
Harsho-ullaas ka mahual.
Aur yaha bhi ek flat ke baahar ek aurat apne ghar ke dwaar ke paas do Diye rakh rahi thi.
Ye aur koi nahi, Nidhi hi thi, jo aaj laal rang ki saree me itni aakarshak aur haseen lag rahi thi ki agal bagal waale flat me rehne waale log bhi palat palat ke dekh rahe the usse.
Aakhiri Diya rakh wo uthi aur thaal andar table pe rakh wo apni sandals pehn'ne lagi...
Jab andar se uski laadli Juhi daudte hue baahar aayi. Uske nanhe haatho me ek packet tha jisme kayi saare pataakhe rakhe hue the.
Juhi : Mummmyyy! Mummmyyy! Chalo na jaldi! Chalo na...
Wo zidd karte hue Nidhi ke haath pakad jab hilaane lagi toh andar se Shreya jaldbaazi me nikal ke aayi,
Shreya : Arre baba ruko na Juhi! Chal toh rahe hai. Oh God! Tumne idhar se udhar kar ke itna paseena nikalwa diya mera. Kahi make-up na kharaab ho jaaye mera.
Aaj Shreya bhi behad sundar lag rahi thi. Safed aur golden colour ki dress uspe itni zyaada jach rahi thi ki uski ek hi jhalak kaafi thi ladko ko apne upar lattu karne ke liye.
Shreya ki baat pe dhyaan dete hue, Nidhi jo wahi baithi thi bol padi,
Nidhi : Hmm? Anti-sweat waale makeup bhi aate hai Shreya.
Shreya : I-I know... Wo... Wo branded waale thode mehnge aate hai Dii.
Nidhi : Ohh! M-Mein tumhaare liye le aaungi Shre...
Shreya : No No No No... It's... It's totally fine Dii. Mein yahi prefer karti hu.
Nidhi : Par!?
Shreya : Mene kaha na!? It's fine dii.
Shreya itna bol apna muh ferr khud ke vichaaro me doob jaati hai,
'Dii kitni pyaari hai. Kitni acchi hai. She knows ki hamaari kya condition hai. Still... Wo chaahe meri ho ya Juhi ya Mom Dad ki need... Sabhi ki needs ke baare me kitna dhyaan rakhti hai. Kabhi wo apne upar dhyaan nahi deti. Na hi sochti hai apne baare me. Yadi mein unhe ye saree dilwaane na le jaati aur yaha na hoti. Toh pakke se dii ne apne upar ek rupaye tak na kharch kiya hota. She... I think ki ab mein boht acche se samajh gayi... Ki kyu Veer yaha se chala gaya.'
Idhar Nidhi bhi Shreya ki hi tarah apne vichaaro me khoyi hui thi. Aur dono hi Behne andar se glaani ko mehsoos kar rahi thi.
'Shreya ke liye mein itna bhi nahi kar sakti? Of course mein kar sakti hu. Par... Meri behan... Meri sthiti dekh jaan bujh ke peeche hatt rahi hai. Mein jaanti hu usse kitna pasand hai make-up se leke dresses tak. Sab kuch branded. Par mein ye bhi jaanti hu ki... Wo phone me bas inki pics dekhti rehti hai. Aur kabhi kabhi jab mauka milta hai tab apne liye kuch khareed leti hai. Kya mein apni behan ke liye... Itna bhi nahi kar sakti? Kya Veer bhi... Isliye yaha se gaya tha? Haan! Mein hi shayad... Capable nahi hu. Mein hi...'
Wo apne mann se aur sawaal karti par tabhi Juhi ki awaaz ne dono behno ko hosh me laa diya,
"Chaliye na Mummmyyyy!!! Maaaasssiii!!"
Aur bas...
Fir kya tha. Baccho ki zidd ke aage parents haar maan hi jaate hai aksar.
Aur yahi hua. Juhi ke sang dono Shreya aur Nidhi neeche aa gayi jaha unki society ka campus tha. Aur saare flats me rehne waale log neeche utar campus me hi Diwali ka lutf le rahe the.
Nidhi bhi ek pillar ke paas khadi Shreya aur Juhi ke hasste chehre dekh unme khoyi hui thi.
Achanak hi uski nazar apne phone par gayi jo usne apne haatho me liya hua tha, kyuki abhi abhi uska phone vibrate hua tha.
Message dekha toh paaya ki, usme likha hua tha...
'Happy Diwali Ma'am!!'
Aur bas... Uss ek message ko dekh. Nidhi ke hontho pe bina uske jaane hi muskaan aa gayi. Apne phone ko kass ke bheench usne type karna shuru kiya...
Par fir...
Usse jese soojha hi nahi ki kya reply de. Usne firse keyboard khol chat me kuch type karne ka prayaas kiya... Par... Fir uski samajh me naa aaya ki bhala kese wo conversation aage badhaaye.
Ant me usne 'Happy Diwali' likh ke bas send kar diya.
Par send ka button dabaate hi usse jese agle hi pal apne upar itna gussa aaya aur khud ko bewakoof bhi bolne lagi.
Kaaran tha... Uska itna simple sa reply bhejna.
'Uggghh!!! Ye kya bhej diya mene? No sticker... No emoji... Bas... Ek happy Diwali? Veer ne already dekh liya hai. Will he reply? Wo mujhse naraaz hai. Par... Mein bhi toh uss se naraaz thi. But kam se kam... Uss din ke baad bhi... Usne mujhe message kiya. Matlab... Wo ekdum naraaz nahi hai.'
Nidhi beech beech me Veer ki chat baar baar khol check karti ki shayad Veer ne reply kiya ho koi firse.
Par...
Uska uske baad koi reply nahi aaya.
Aur pata nahi kyu...
Ye chota sii baat Nidhi ko kahi na kahi khatak rahi thi.
***
Message bhejne ke baad idhar Veer sofe pe viraajmaan tha. Aaj usne kurta payjama pehna hua tha jo uspe bada hi jach raha tha.
Ragini sang Suman aur baaki sabhi Pooja karne me vyast thi. Par Veer baahar hi baithe apne khaas logo ko message kar raha tha.
Nidhi ka reply aaya zaroor. Par bada hi rukha sa laga Veer ko wo reply.
'Shayad wo mujhse abhi bhi naraaz hai.'
[Master! Aapne unko rulaaya. So obviously wo naraaz hai. You must cherish her. She's an angel. Ehehehe~]
'Pari ka behaviour na jaane kyu... Bada hi odd sa lag raha hai. Kya ye mera veham hai?? Ya fir sahi me...!? Uss din bhi... Suhana jii ko jab mein ring dene gaya tha... Tab bhi...'
[Ahh!? W-W-Wha... What are you thinking master? Mein Pari hu aapki. Aapki pyaari Pari. Ehehe~]
'Ah! Right! Tum meri mann ki baatein sunn sakti ho. Toh mera mann me sochna hi bekaar hai. Mein jo bhi sochunga... You can hear all.'
[R-Right!]
'Siwae jab tum Sleep mode me hoti ho.'
[J-Jii master. Sleep mode me sirf mein deactivate hoti hu. Baaki system shut down nahi hota. Aap mujhse baatein nahi kar sakte. Na hi mein uss waqt aapke mann ki baatein sunn sakti hu.]
'Hmm! Lagta hai tumhaare baare me mujhe tab hi sochna padega. Jab tum Sleep mode me rahogi.'
[Ahhh!? K-Kya matlab aapka master? Aap mere baare me peeth peeche sochenge? A-Aisa kyu master? K-Kya mene kuch galti ki hai?]
'Waqai! Mein sahi hu. Pari is behaving somewhat strange...'
[Huh??? No no no no... Master! Mein aapki wahi Pari hu. Aapki pyaari Pari. Your one and only masterrrr.]
Veer ek aah bharte hue wahi baitha raha jab achanak hi Pari ne usse ek naya jhatka de diya,
[Oh! I forgot!]
'Huh? Kya?'
[Wo... Wo... Pehle promise kariye aap chillaaoge nahi.]
'Hmm? K-Kya gadbad kari ho ab tum?'
[Wo Ahahaha~ actually ek in-built function aur unlock hua tha. But mein uski notification nahi de paayi thi. Kyuki already itni saari notification mene eksaath dii thi na... Ahahaha~ So... so... I forgot.]
'What the...!?'
[No! Please! Gussa mat hona maasterrr! I love you so much! You love me too right? Pleaaase maaasterrr! Don't scold me. Okay!?]
'Pari ka screw dheela ho gaya hai kya? What the hell is this? Aisa toh kabhi behave na kari ye? There's something wrong.'
[Noooo noooo nothing is wrong you stupid master. Ahhhhh!!!! I mean... My lovely master. Kuch bhi gadbad nahi hai. Haan toh mein in-built function ke baare me bataati hu.]
'???????'
[Wo actually... Past Illustration function is available now.]
'H-Huh?'
[In-built function : Past Illustration.
Description : You can see the history of any person and know their past, once you kill them.]
Description padhte hi Veer ki aankhein hairaani ke maare phati ki phati reh gayi aur wo apni jagah se hadbada ke utha khada hua.
'Y-Ye...!? Ye sab kya hai? Pariiii!?'
[Yes master. Yadi aap kisi ko maaroge. Toh... Aap uss shaks ka past dekh sakte ho. I mean... Past padh sakte ho. Details status window me likh ke aa jaengi.]
Veer stabdh sa bas description ko hi dekhe jaa raha tha. Ye sab kuch jese uske liye handle karne ke liye boht zyaada tha.
Wo yadi kisi ki hatya karta hai toh uss shaks ka saara ateet ab padh paane me saksham ho chuka tha wo.
Ye kisi jaadu se kam nahi tha uske liye.
Par usse shayad ab ek baat dimaag me daalni pad sakti thi...
Ki yadi Pari hai...
Toh mumkin hai...
Aur abhi wo apne shock se baahar aa paata ki tabhi ek aur awaaz ne uske shock ko alag level pe pohucha diya...
*Ding*
[Mission : Save Kavya and Arohi before it gets too late.
Rewards : ?? Points.
Time Limit : 20 minutes.
Location : xxxxxxxx route to xxxxxxx road.
Mission Fail Penalty : 300 Points Deduction.]
'H-Huhhh?? Keh do ki ye mazaak hai.'
[...]
'Daaamnnn itttt!!'
Veer fir na kuch socha aur waha ruka. Usne agle hi pal apni bike nikaal ke start kii aur tezz raftaar me repte hue bike bhagaane laga.
Ghar ki Pooja aur Diwali chorr wo yaha mission poora karne nikla tha. Ek aisa mission jisse padhne ke baad usne ek second waste karne ka nahi socha.
Kyuki wo jaanta tha. Arohi aur Kavya kisi mushqil me pad gayi hai. Upar se mission me iss baar penalty bhi thi. Wo bhi 300 points. Saath hi saath time limit keval 20 minutes.
Wo samajh gaya tha ki situation kitni critical thi. Veer ek baat aur jaan gaya tha ki yadi missions me penalty dii hai toh mission fail hone par keval wahi penalty hi uspe lagegi. Wo Pari ko nahi khoyega.
Par yadi penalty mentioned nahi hai. Toh iska matlab yahi hai ki penalty Pari hai. Mission fail, yaani ki Pari ka uske shreer se nikal jaana.
Wo gaadi bhagaate hue ussi route me jaa raha tha jaha ki details Mission me mentioned thi.
Ek ek second uske liye keemti tha. Uske dil ki dhadkan itni tezz ho chuki thi ki raaste me phoot rahe pataakho ke baad bhi wo apne seene me ho rahe vibrations ko mehsoos kar paa raha tha.
*Boom*
*Whooooossshhh*
Log toh apne aanand me doobe pataakhe fod rahe the par Veer idhar...
Bechaini ke maare mara jaa raha tha. Usse bike chalaane me bhi dikkat jaa rahi thi. Kyuki koi na koi raaste me pataakhe fodne aa hi jaata.
'Damn it! Damn it! Wo dono iss route se kyu aa rahi hai??'
Usne kheejte hue gaadi ko race diya aur tabhi...
*Ring Ring*
Uska phone baj utha...
Ek second na gawaate hue usne apne payjaame ke jeb se phone nikaala aur bike chalaate hi apne kandhe se phone kaan me laga liya.
Veer : Kaaavyaaaa!???
Kavya : Bh-Bhaiyaaa...
Veer : Kavya... Kaha ho tum? Kya hua??
Kavya : Bhaiyaaa.... Ouchhhhhh!!!
Veer : Kavyyyyaaaaa!??
Kavya : Diiiii... Sambhal ke... Diiii... Wo... Aa rahe hai...
Veer : Helllooo? Helloooo!?? Kaaaavyaaaa!!?
Kavya : Bhaiyaaaaa! Mein aur dii... Idhar... xxxxxx road se xxxxxxxx chowk ki orr jaa rahe hai. Aur pata nahi... Kuch... Kuch do bike waale humko follow kar rahe hai...
Veer : Tum... Tum bas aage aati jao... Mein baahar hi hu... Aur chowk par pohuch hi raha hu. Ghabrao nahi... Chowk ke paas police thaana hai. Aati jao...
Kavya : Bhaiyaaaa... Humne... Humne gaadi rok ke ek uncle aunty se bataaya tha aur kuch derr wahi khade rahe... Par... Jese hi thodi derr baad hum waha se nikle... Wo log firse follow karne lage... Bhaiyaaa... Mujhe... Darr lag raha hai.
Veer : Arohi dii se kaho ki wo bas gaadi chalaati rahe... Aur unse duri bana ke rahe... Mein aa raha hu behan... Chinta mat karrrr...
Kavya : Helllooo??? Bhaiyaaaa... Aapki awaaz nahi aa rahi hai... Theek se... Helloooo??? Helllooooo???
*Call ends*
'Fuuuuuccckkkk!!!'
Veer ghabraate hue acceleration aur badha diya. Apni behan ki ghabrayi awaaz sunn wo andaaza laga sakta tha ki uski behan kitna darri hui thi.
Kavya ne jo situation bataayi uska andaaza Veer laga chuka tha ki maajra kesa tha waha.
Shayad koi 2 bikes me log the jo Kavya aur Arohi ko peeche se follow kar rahe the. Aur iss baat ka abhaas shayad Arohi aur Kavya ko ho gaya tha jiske chalte wo beech raaste me hi kahi ruki aur kuch ghar ke baahar khade logo se baat kar unhe apni pareshaani bataayi.
Zaahir sii baat hai ki tab wo bike waale kahi chhup gaye honge. Aur jese hi Arohi aur Kavya ne waha se chalna sahi samjha tab unn bike waalo ne waapas se unhe follow karna shuru kar diya.
Ab sawaal ye tha ki kya wo normal stalkers the? Ya fir koi aur? Aur iska jawaab bhi Veer ne dhund liya tha.
Wo ye ki ye koi normal stalkers nahi the. Yadi normal stalkers hote, toh Veer ko ye mission nahi milta aur itni heavy penalty nahi hoti.
Zaroor...
Zaroor kuch na kuch gadbad thi. Aur kuch boht hi bura hone waala tha.
Veer chowk pohuch chuka tha. Yaha kaafi chahal pahal thi. Par Kavya aur Arohi usse kahi nazar naa aayi.
Aur jis route se wo aa rahi thi. Wo outer area tha. Idhar andhera bhi rehta tha, street lights jagah jagah nahi thi. Aur road ke ek side kuch khula ilaaka tha jaha ped paudhe lage hue the.
Toh wahi road ki dusri taraf kuch dukaane thi par wo Diwali ke chalte band ho chuki thi.
Veer jaanta tha ki issi route se Arohi aur Kavya aane waali thi. Par...
Uske paas intezaar karne ka samay nahi tha.
Usne ek hi jhatke me Bike aage badhaate hue uss mod me daal dii aur speed me bhagaane laga.
Andhere se bhari wo road Veer ki gaadi ki headlight se ekdum se jese raushan ho gayi aur uss poori sadak me keval uski hi bike ke chalne ki awaaz aa rahi thi.
Gear badal usne aur tezz gaadi bhagaayi ki tabhi usse nazar aaya...
Dur se ek peele rang ki bindu sii roshni...
Jo harr ek second aakaar me badi hoti jaa rahi thi.
Aur usse samajhne me derr na lagi ki ye...
Arohi aur Kavya ki gaadi thi.
Veer ka chehra dekhte hi Kavya ke aasu jo usne thaam rakhe the wo uske gaalo se behne lage aur wo chillaayi...
"Bhaaaaiyyyaaaa!!!"
Bina samay gavaaye Veer ne apni bike Arohi ki scooty ke aage le jaate hue beech raaste me aadhi khadi kar dii.
Aur wo bike se utar forun hi Kavya ke sameep aaya.
"Bhaiyyyaaaa!"
Kavya utar Veer ke gale se lag gayi. Par ye milan hona zyaada derr tak sambhav na tha.
Kyuki agle hi pal do aur bikes ki awaaz unn sabhi ke kaano me padi.
Apne seene se Kavya ko lagaaye Veer gusse se aane waale logo ko dekha.
Headlights ke chalte wo theek se unka muh nahi dekh paa raha tha.
Lekin unke agle bol ne jese usse satark kar diya.
"Pakad pakad... Pakad akela hai Madarchod. Pakad bhaagne na paaye..."
Unme se ek bola...
Kul 4 logo the. Aur ye dekh Veer ki aaj pehli baar dhadkan itni tezz ho gayi.
Usse darr apna nahi tha. Darr tha Kavya aur Arohi ka.
Yadi galti se bhi unhe kuch ho jaata toh wo kabhi bhi khud ko maaf nahi kar paata.
Aur abhi Kavya ko apni baaho me liye jo raahat usse mil rahi thi wo Veer apne shabdo me baya nahi kar sakta tha.
Par issi raahat ko... Wo banaaye rakhna chaahta tha.
Aur usse banaaye rakhne ke liye...
Veer : Arooohiiiii!!
Usne tezz awaaz me peeche khadi Arohi ko chillaaya, jo uski awaaz sunn ek dum sihar gayi.
Kaaran tha Veer ka usse, uske naam se bulaana.
Jabki wo Veer se ek saal badi thi. Aur jitni baar bhi Veer usse bulaata tha, Dii kehke hi bulaata tha.
Par aaj...
Veer ki peeth dekh... Wo Veer jo unn anjaan aadmiyo ke saamne uske aur Kavya ke liye ek shield bann ke khada hua tha. Arohi apne mann me aa rahe vichaaro ko samajh nahi paa rahi thi.
Veer : Aroooohiiiii!
Ek baar fir wo chillaaya...
Aur, Arohi ka shareer hil utha.
Arohi : Haahhh!?
Veer : Kavya ko yaha se leke jaao. Bhabhi ke Ghar.... Forun...
Arohi : P-Par!??
Veer : I said goooooo....
Kavya : Bhaiyaaaa!?? Noooo bhaiyaaa... Hum aap ko akela chorr ke kahi nahi jaenge...
Arohi : T-Tum...
Veer : Wo aa gaye hai... We don't have time. Arohiiiiiiiiiii!!! Jaaaaooo!!!
Uski garajti hui awaaz sunn Arohi samajh chuki thi ki uska yaha se jaana kitna zaroori tha.
Apna nichla honth dabaaye wo apni asamarthata vyakt kar... Forun hi Kavya ka haath thaami aur usse scooty pe baitha ke khud baith usne scooty chaalu kar dii...
Arohi : Y-You... You will come back...
Wo peeche mud Veer se boli. Jese wo puch nahi balki order de rahi thi ki tumhe laut ke aana hi hai. Aur wo bhi jald hi.
Veer : Hmm!
Veer bina peeche mude hi haami bhara. Aur...
*Vroooooommmm*
Agle hi pal Arohi scooty ko bhaga ke uss sunsaan sii sadak se chauk ko orr jaane lagi.
"Bhaiyaaaaaaaaa!!!!"
Peeche se Kavya ki bechaini bhari pukaar wo sunn paa raha tha. Par...
Iss waqt uska poora focus saamne aaye unn 4 aadmiyo par tha.
Usme zyaada confidence nahi tha ki wo unn 4 ko handle kar paega. Kyuki...
Ek ke haath me ek lohe ka pipe tha aur wahi dusre ke haath me lakdi ki ek moti stick.
Baaki 2 nihatte the par...
Akhir the toh wo 4 bande.
[Master!? Wo 4 hai. You must run.]
'Noooo! Pari! Jitna ho sakega. I'll fight them. Samay aa gaya hai ki mein apni Martial arts skill ko istemaal kar ke dekhu.'
"Dhattt behanchod ladki bhaag gayi. Tum dono... Jao peecha karo... Jaldi... Aage nahi gayi hogi abhi zyaada..."
Unme se ek aadmi bola toh do nihatte aadmi ek bike pe sawaar huye aur bike bhaga ke wo peecha karne jaa rahe the.
Par...
Akhir nikalna toh unhe Veer ke bagal se hi tha.
Jese hi wo bike leke uske sameep aaye...
Veer ne seedha ek laat driver ke muh pe jadi jiske chalte unki bike ladkhadaayi aur dono hi road ke uss taraf ped paudho waali jagah me jaa gire.
'Oh! I feel strong...'
Wo dono gaaliya bakte hue khade huye aur firse bike chaalu kar peecha karne jaa rahe the.
Veer ye dekh unhe jhapatne ke liye hua par...
Wo ye kese bhul sakta tha ki peeche bhi 2 aadmi the jo hathiyaar liye the aur ussi ki taraf badh rahe the.
Majbooran, usse peeche mudna pada aur...
*Whooosssshhhh*
Ek ne uske sarr ko aim karke wo pipe ghumaaya par Veer apne reflex ke chalte turant jhuk gaya.
Apni fist ko kass ke uska pichla bhaag Veer ne fir seedha uske sarr par ghumaaya aur...
*Poooowwwww*
Wo vaar jaake seedha uss aadmi ke jabde se connect hua aur ek pal me hi wo 3-4 kadam dur jaa ke dhadaam se neeche gira.
"Maaadarchooddd!!!"
Dusra chillaaya aur Veer ki taang pe usne apni stick ghumaayi...
*Whooooooosssshhh*
Veer ne dodge kiya par...
*Whoooossssshhhhhh*
Ek baar fir usne apni stick ghumaayi jisse Veer ne barely dodge kiya.
'This guy.... Tchh!!!'
Veer uspe poori tarah toot padta ki tabhi usse sunaayi diya,
*Vrrrooooooommm*
*Vrooooommmmm"
Usne palat ke dekha toh wo do aadmi gaadi utha ke Arohi aur Kavya ka peeche karne nikal chuke the.
'Fuckkkk! Arohi! Kavya! You must stay safe... Chaahe kuch bhi ho jaaye... Don't get caught.'
Par ye waqt... Peeche nahi aage dhyaan dene ka zyaada tha. Kyuki agle hi second...
"Le maadarchodd saaalee..."
Uss aadmi ne stick ek baar fir Veer ke saar ki taraf ghumaayi aur iss baar jese hi Veer ne palat ke waapas dekha toh...
Dodge karne ka time nahi tha.
*Thud*
Apne dono haatho ko X ki tarah banaate hue usne stick ko roka aur kood ke peeche ho gaya.
'Dammmn!!? That hurts!'
"Uth be... Jaldi uth... Saala bhaagne na paaye."
Veer utna fluidly lad nahi paa raha tha jitna wo lad sakta tha. Kaaran tha kurta aur pyjaama.
Dusra aadmi bhi uth ke aaya aur dono aadmi Veer pe toot pade.
Wo idhar se udhar hathiyaar chalaate par Veer jese tese kar bach jaata. Lekin thode boht hits usse bhi lag rahe the.
Par ye zyaada derr tak nahi tha.
Uski aankho me mitti fek pehle aadmi ne peeche se Veer ko deadlock me fassaaya aur pipe uske gale par tika ke uski saas rokne ki koshish karne laga.
Toh wahi dusra aadmi stick liye hasste hue saamne se uske qareeb aane laga.
Aur uski nazar me...
Veer ka pait tha jo bilkul unprotected tha. Ek shot, aur Veer dherr.
Usse pata tha stick kaha maarni hai.
'Daaamnnn ittttt!! Shiiittt! Aaarghhhh!'
Veer changul se choothne ka prayaas hi kar raha tha.
Itne me uss aadmi ne apni stick uthaaya aur wo maarne hi waala tha ki tabhi...
*Thud*
Achanak hi wo apne aap ekdum se neeche gir pada.
'Huh???'
Aur jab saamne nazar padi... Toh...
Ek yuvak peeche khada hua tha. Jisne patthar fek uss aadmi ke sarr pe maar, usse yu gira diya.
Par Veer ki nazar jese hi uspe padi uski aankhein hairat ke maare felti chali gayi...
Veer : G... Goluuuu!???
Golu : Huh!?? Arre... T-Tum...!?
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Next update iss kahani ka ab tak ka most thrilling update hone waala hai.
So keep supporting!
Aur like karna na bhul
Update - 38 ~ I'm not the same as beforeAb tak...
Aatish muskuraate hue apni hat aur hockey stick uthaaye neeche jaane laga.
'Tumhaare liye ek uphaar hai...'
Soch wo neeche chala gaya.
Par...
Usse nahi pata tha. Ki shayad Veer ko chorr ke usne ek boht badi galti kar dii hai. Shayad apne jeevan ki sabse badi galti...
Ab aage...
Subah ke 10 baj rahe the aur ghar me idhar upar apne kamre me Veer soya hua tha. Kal Nidhi samet sabhi uski haalat ke chalte kaafi tension me the jiske chalte unn sabhi ne Veer ko araam hi karne diya.
Aur yahi kaaran tha ki Veer abhi tak soya hua tha. Ab jab 10 bajte hi uski aankh khuli toh usne saari baato ka jayza liya aur usse samajh aaya ki kal wo kis sthiti me tha.
[Ab aapko kesa mehsoos ho raha hai Master!?]
Bistar par baithate hi usse Pari ki awaaz sunayi dii apne mann me. Usne ye bhi gaur kiya ki usne upar kuch bhi nahi pehna hua tha. Wo poora shirtless tha. Shayad subah Ragini ne firse Doctor ko uska check up karwaane ke liye bulaaya tha. Aur shayad isliye uske badan par shirt nahi thi.
'Mein thik hu, Pari!'
[Phew! Aap ko pata hai aapne kitna darra diya tha mujhe? Mujhe laga tha aap sahi ho chuke ho but fir achanak se hi aapki pulse badh gayi, saath hi saath aapki breathing bhi itni zyaada ho gayi thi ki mein boht darr gayi thi. Accha hua, Ragini ne forun hi doctor ko bula liya. Aap unconscious ho gaye the Master!]
'Hmm? Bhabhi ne doctor ko bulaaya tha!?'
[Yes! Aapki haalat dekh wo toh accha hua ki unka dimaag chala aur doctor ko turant bula liya unhone.]
'I see!'
Veer ki nazar jab saamne ek choti sii table par gayi toh usse kuch jaani maani cheez dikhayi dii.
Wo uth ke aage aaya aur uss cheez ko apne haatho me lete hi uske hontho par ek halki sii muskaan bikhar gayi.
'Abhi tak nahi badli wo...'
[Hmm?]
'Nidhi Ma'am ke baalo me lagaane waali clip. Wo harr waqt utaar ke kahi na kahi rakh deti hai, aur baad me bhul jaati hai. I'm sure ye unhi ki hai.'
[O-Ohhh!]
'Wo kal yahi thi na? Mere behosh ho jaane ke baad kya hua tha, Pari!?'
[Hmm... Aapke behosh ho jaane ke baad Nidhi baaki sabhi se yahi par kaafi derr tak baatein karti rahi. Beech beech me Suman, Kavya aur Arohi aake aapko dekh jaati thi. Raat me Ragini aapko dekhne aayi thi. Uske baad se ab jaake uthe ho aap.]
'Ohhh!'
[Aap... Waqai theek ho na Master!? Even though mujhe andar se sab normal lag raha hai par pata nahi kyu I think aap thode badle badle se lag rahe ho.]
Par Pari ki baat ka Veer ne koi jawaab na diya. Wo bas Nidhi ki clip liye waha se palat kar bistar ki orr aaya.
Apni shirt uthaayi aur usse pehen hi raha tha jab uske kamre me achanak hi Arohi ne dastak de dii.
Arohi : ??
'??'
Kuch palo tak dono ki hi nazre aapas me mili rahi. Arohi kabhi uski aankho me dekhti toh kabhi uske seene ko.
Arohi : Wo... Ab... Tumhe hosh aa gaya! Ab kesa lag raha hai!?
Veer : Behtar!
Veer ka jawaab sunn, Arohi dheere dheere apne kadam badha ke uske sameep aayi aur bina kuch kahe hi, yu nazre neeche jhukaaye uske haath khud-ba-khud Veer ke seene ki orr badh gaye.
Buttons ko haath me le wo unhe band karne lagi. Achanak se iss ravaiyye me badlaav ko dekh, Veer kuch kehne ke liye hua, par uska muh khulte hi band ho gaya. Wo bas yu khade khade apni iss badi behan ko dekhta raha, jo uss se aise nazre churaaye uski shirt me buttons laga rahi thi.
Kya ye wahi behan thi, jo ghar me uss se aaj tak baat karna pasand nahi karti thi? Na kabhi uske baare me sochte thi. Kya ye waqai wahi behan thi?
Yadi haan... Toh fir aaj kese uski behan itni parvaah dikha rahi thi? Kya kaaran yahi tha bas, ki Veer ne uski jaan bachaayi thi. Ya fir kuch aur bhi baatein thi, jinse Veer anjaan tha?
Saari buttons lagaane ki baad akhir kaar Arohi ne apni nazre utha ke Veer ko dekha aur boli,
"Naashta taiyaar ho raha hai. Tum brush kar ke, fresh ho ke neeche aa jao, jaldi se..."
Veer : Hmm!
Arohi : Aur...
Veer : ??
Arohi : Mujhe sab kuch jaan'na hai. Kaha gaye the tum, kis se milne, kisne ye haalat kii tumhari...
Veer (sighs) : Mein unhi se milne gaya tha jo aapka peecha kar rahe the. Ya yu kahu... Ki unhe sabak sikhaane gaya tha. Par... Wo zyaada the.
Baato ko thoda ghumaate hue Veer ne Arohi ko aadha sach bata diya, jisse sunte hi Arohi stabdh reh gayi.
Arohi : T-Tum?? Waha unn gundo ke peeche gaye the??
Veer : Hmm!
Arohi (screams) : Kyuuuuuuuuu!???
Iss behaviour ki Veer ko umeed bilkul bhi nahi thi. Usse bilkul bhi andaaza nahi tha ki Arohi itni zorr se chillaa ke uss se ye puchegi. Uske chillaane se Suman bagal ke kamre se daud ke baahar aayi aur dono bhai behno ko dekh wo wahi darwaaze par khadi ho gayi.
Shayad ye sahi samay nahi tha beech me dakhal andaazi dene ka. Isliye, Suman kuch mann me soch peeche hatt gayi aur apne kamre me aake khadi ho gayi.
Veer : Chillaa kyu rahi ho aap?
Arohi : I... Mera matlab hai... Tum kyu gaye the waha??? Mujhe jawaab do!
Veer : Kyu nahi jaunga? Wo mere parivaar waalo ke peeche pade the. Haath pe haath rakh ke baitha rahunga kya?
Arohi : You...
Veer : Mein aata hu... kuch derr me...
Veer palta aur bathroom me jaane ke liye hua jab usse feel hua ki koi uski shirt ka nichla bhaag pakde hue tha.
Arohi, uski shirt pakad dheere se aage badhi aur iss baar thodi thar-tharaati sii awaaz me boli,
"W-Wahi puch rahi hu mein... Mein kabse... Tumhara parivaar...!?"
Veer : Aankho ke saamne jab kuch galat ho raha ho... Toh aap bhale hi usse nazar andaaz kar do... Par mein kabhi nahi karta...
Uske harr ek shabd kisi khanjar ke bhaati Arohi ke dil me chubh rahe the aur harr guzarte pal usse chotil kar rahe the.
Wo bhali bhaati samajh gayi thi ki Veer kis vishay ki baat kar raha tha. Yahi ki...
Kese wo shuru se Veer pe ho rahe harr ek anyaay ko dekhti aayi, harr ek apraadh ko dekhti aayi par harr baar usne Veer ko nazarandaz kar apna muh ferra tha. Aur yaha aaj...
Veer ne ek baar kya usse musibat me dekha...
Wo usse bachaane ke liye apni jaan jokhim me daal diya.
Kitna antar tha.
Shayad ab, Arohi ko poori tarah samajh aa chuka tha. Kyuki agle hi pal uski aankho se aasu jo behne lage.
Wo aage badhi aur Veer ko peeche se hi usne apni baaho me bhar liya. Uski peeth me wo apna chehra chhupaaye bina koi awaaz kiye bas roti rahi.
Jab wo shaant hui toh Veer peeche mude bina hi bathroom me chala gaya. Aur idhar Arohi usse bas jaata dekhti rahi.
***
Kuch derr baad hi sabhi dining table par baith ke naashta kar rahe the. Veer se sabhi ne uski haalat ke baare me pucha toh usne sabhi ko yahi bataaya ki ab wo behtar hai.
Veer : Tum log ghar nahi gayi, Kavya!?
Kavya : Hmm? Bhaiya! Chale jaenge! Kya ye hamaara ghar nahi? Kyu Bhabhi?
Ragini : Arre arre... Kyu nahi hai? Ye tumhaara hi ghar hai. Jab tak rehna hai raho.
Kavya : Sunn liya na bhaiya? Hehe~
Veer (smiles) : Hmm! Suna...
[Master! Aap ekdum se itne normal...!? Mujhe aisa kyu lag raha hai aap boht badal gaye ho?]
'Uss aadmi ne... Mein bhula nahi hu... Usne mere saath kya kiya hai... Golu ke saath... He will pay for that. Aur meri first priority wahi hai...'
Veer apni soch me doob gaya. Tabhi Arohi ki awaaz usse hosh me laayi...
Arohi : Umm... Bhabhi... Aap kab tak yaha rehne waali ho? Wo... Vivek bhaiya ghar pe kaafi...
Apne pati ka naam sunte hi Ragini ki nazre neeche jhuk gayi aur usne apna chehra bhi ferr liya.
Kavya : Arohi dii... I don't think hume iss baare me kuch kehna chahiye. Bhabhi ka personal matter hai wo. Bhabhi ko hume space dena chahiye...
Arohi : Ahh! Right! T-Tum thik keh rahi ho Kavya... I'm sorry Bhabhi... Mein bas curious thi... Isliye aap se pucha... Kyuki... Ghar me roz hi aapko aur Bhaiya ko lekar topic chidhta hi hai.
Ragini : Koi baat nahi Arohi... Mein bas... Mujhe samay chaahiye.
Arohi : Aap... Aap waapas toh aaengi na?
Kavya : Huh? K-Kya matlab Dii? Waapas kyu nahi aaengi? Bhabhi? Aap kya waqai me...!? No! Aap aise...
Ragini : Mein... Abhi kuch nahi keh sakti Kavya! Mene kaha na... Mujhe samay chaahiye aur...
Kavya : O-Okay Bhabhi!
Kavya aur Arohi ye jaan ke kaafi duwidha me thi ki shayad ab unki Bhabhi Ragini kahi ghar na laute. Unn dono ka hi Ragini se accha relationship tha, jiske chalte wo dono hi kabhi bhi Ragini se alag nahi hona chaahengi.
Idhar Ragini bhi apne vichaaro me leen thi jab usse apne haath par kisi ki hatheli mehsoos hui.
Dekha toh paaya ki...
Uske bagal me baitha Veer uska haath thaame hue tha.
Ragini : Huh!?
Veer : Don't worry! Hum sab aapke saath hai. Aap itminaan se apna faisla lijiye.
Kuch ho na ho, par Veer ki baat sunn ke Ragini ka mann zaroor khush ho gaya tha. Uske chintit chehre par agle hi pal ek smile aa gayi aur usne haule se haa me sarr hilaaya.
***
Nidhi's apartment...
Iss waqt, Nidhi baahar se kuch samaan le kar apne flat ki orr jaa rahi thi.
Aaj Saturday tha toh aaj Nidhi ne chutti lii hui thi. Wese bhi Saturday ko college me bacche boht hi kam aate the.
Wo ek choti sii thaili liye abhi apne flat ka door kholne hi waali thi jab uske peeche se ek badi hi parichit sii awaaz aayi aur uska badan sihar utha...
"Ma'am!??"
Wo forun palti...
Toh dekha ki... Veer uske saamne khada tha.
Nidhi : Veeerrr!?
Veer : Hmm! Aaj aap... College nahi gayi!?
Nidhi : N-Nahi... Par wo sab chorro... Tum... Tum thik ho na ab!? Aur wo sab kya...
Usne aage haath badha ke Veer ke gaal par rakha par agle hi pal jese usse kuch dhyaan aaya aur usne apna haath peeche kheech liya.
Veer : Don't worry! Mein thik hu...
Nidhi : O-Ohhh! Toh... Andar aao na...
Wo palti, iss aas me ki Veer bhi andar aaega par...
Mudte hi usse apni gardan ke paas Veer ke chehre ka abhaas hua.
Aur agle hi pal...
"Mujhe kuch zaroori kaam hai. Baad me zaroor aaunga..."
Veer ki garam garam saasein Nidhi ko apni nagn gardan par mehsoos hui aur achanak hi uski dhadkane tezz ho gayi.
Par jese itna kaafi nahi tha, jab agle pal hi usse feel hua ki uske baalon ko Veer chhee raha hai.
"Aaahh!?"
Uska badan ek jhatka maara, kyuki uske baal Veer ke haatho me the.
Nidhi ke baalo ko mod Veer ne dusre haath se wo clip uske baalo me lagaayi aur firse uske kaan ke sameep aaya aur kaha,
"Mera kabhi bhi aapko hurt karne ka iraada nahi rehta ma'am. Fir bhi... Yadi be-iraada mujhse kuch khataaye hui ho... Toh unhe meri nadaani samajh ke ignore kar dijiyega please... After all, I don't want to lose you."
Aur next second hi... Nidhi ki aankhein felti chali gayi jab peeche se Veer ne usse zorr se apni baaho me jakad liya.
Nidhi kehna toh boht saari baate chaahti thi par Veer ke iss ek gesture ne jese uski bolti band kar dii thi.
Nidhi : V...Veer!?
Usne apni nazre tedhi kar Veer ko dekhne ka prayaas kiya par koi aur uski nazro me aa gaya.
Bagal ke flat ki aurat usse aur Veer ko badi hi ajeeb nigaaho se dekh rahi thi.
Aur ye dekhte hi Nidhi ekdum se hadbada gayi aur Veer ke haatho ko usne apne pait se jaldi se hata diya aur uski taraf ghum gayi.
Bhale hi Veer ka usse yu iss tarah hug karna bura nahi laga tha. Par akhir wo jis jagah khade the, uss baat ka dhyaan rakhna zaroori tha. Na jaane bagal wali aurat kya soch rahi hogi. Yadi usne landlord ko galat salat complaint kar dii toh? Aur inhi sab baato ko soch usse majbooran Veer ka haath iss qadar hataana pada.
Nidhi : W-Wo... Tum...
Kintu shayad Veer ne Nidhi ke iss gesture ko alag way me le liya tha. Usse mehsoos hua jese Nidhi uske touch se uncomfortable feel kar rahi thi.
Aur ye abhaas hote hi Veer jhatke se 2 kadam peeche ho gaya.
Veer : Ahh! Right! I'm really sorry... Mein bhi na... Haha~ Really... Really sorry... Mujhe aisa nahi karna chaahiye tha. Bewakoof hu mein bhi... Mein chalta hu... Aap... Aap apna kaam kariye...
Aur bina koi jawaab sune hi, Veer jaldbaazi me waha se muda aur tezz kadmo ke saath lift ki orr chal diya.
Nidhi : N-Nooo! Veeeerrr!
Nidhi ne thodi tezz awaaz me pukaara, par tab tak Veer kaafi aage jaa chuka tha.
Wo issi waqt Veer ke paas jaake usse rokna chaahti thi par jese... Uske bagal ke flat me khadi wo aurat ki shanka janak nazre aisa karne se rok rahi thi.
Aur na chaahte hue bhi, Nidhi apne flat ka door khol andar chali gayi.
***
xxxxxxxx Hotel...
Time - 2:15 PM
Lunch ka samay tha aur hotel me iss waqt halki halki awaaz me gaane baj rahe the aur kuch couples apna lunch enjoy kar rahe the.
Aur unhi couples waale area me ek table par ek aurat aur ek ladka baitha hua tha.
Ye ladka koi aur nahi, apna Veer hi tha.
Aur uske saamne baithi hui ye mahila Sonia ki badi behan Suhana thi.
Veer : Mujhe samajh jaana chahiye tha ki aap issi hotel me mujhe bulaogi...
Ye hotel pichli baar ki tarah, wahi hotel thi. Yaani ki uski Sauteli maa air behan ki hotel.
Suhana : Well! Haha~ Of course! Itni acchi opportunity kese chorr sakti hu mein? Jab se Sonu ne mujhe bataya hai ki ye tumhari Step Mom ki hotel hai, tab se hi mein tumhara aur unke beech ka interaction dekhna chaahti thi.
Veer : Jale pe namak chidhakna haan!?
Suhana (smiles) : Hmm! Toh bolo... Kyu milna chaahte ho tum mujhse!?
Veer agle hi pal serious ho gaya... Aur table par apne dono haath rakh thoda aage badhte hue bola,
Veer : I can finish your problem.
Suhana : Huh!?
Veer : Sarr par hat pehan'ne waala vyakti, wahi jo mouth organ bajaata hai, jo aapki pyaari behan ke peeche pada hua hai, wahi jis se police tak darrti hai... Uss problem ki baat kar raha hu mein. I can finish him.
Veer ke bol sunte hi Suhana ko jese maano 440 volt ka jhatka laga tha. Wo phati ankho se Veer ko ghure jaa rahi thi.
Aur agle hi pal usne aage badh Veer ke muh pe apna haath rakh diya.
Suhana : Y-Ye...!? Who told you??? Tumhe iss baare me kese pata hai!? Bolo?
Veer (Suhana ka haath hataate hue) : Kyuki mein bhi uske hamlo ka victim hu. Aur usne mujhse kuch chheena hai.
Suhana : Tumhe kese pata ki mein iss sab ke baare me jaanti hu!?
Suhana ki baat sunn Veer ke honthon pe ek muskaan aa gayi.
Jab Veer uss din Suhana ke ghar se usse ring de kar waapas laut raha tha, tab usne Suhana ko check karna nahi bhula tha.
Aur check karte hi usse ek sach ke baare me pata chala tha...
Ki Suhana jo dikhti thi, wo thi nahi.
[Name - Suhana
Age - 29
Bio - Suhana! Ek split personality waali aurat hai. Chanchal, ghamandi, confident behaviour wo saamne se dikhaati hai par sabhi se chhipi ek aur personality hai uski, jo ki timid, cutesy, caring aur loving nature se bhari hui hai. Suhana ka husband IT company ka C.E.O hai. Aur iske alawa Suhana ke kayi contacts hai jinhe wo apne husband se chhipa ke rakhti hai. Police, CBI, Forensic department me bhi Suhana ki kaafi pehchan hai. Apni family se boht pyaar karti hai. Khaas kar apni behan Sonia se.
Favourability : 38
Relationship : Familiar one.]
Jabse Veer ne Suhana ka bio padha tha. Tab se hi usne ye anumaan laga liya tha ki Suhana shayad uske boht kaam aa sakti thi.
Suhana : Mein kuch puch rahi hu tumse... Bolo? Kisne bataaya tumhe inn sab ke baare me?
Veer : I just guessed. Mujhe laga ki aap apni behan ki itni fiqar karti hai toh obviously aap jesi smart behan harr taraf se apni choti behan ko protect karegi hi... Hai na?
Suhana (nods) : Hmm! Hmm! Ye toh tumne thik kaha wese... Smart toh mein hu... Hehe~
Wait! Don't change the question... Ye batao... Ki... Tumne jo abhi abhi kaha... Ki... You will finish him... Uska kya matlab hai.
Veer : ....
Suhana : ....
Veer : I will kill him.
Suhana : ??
Kuch derr tak maano Suhana ko kuch sunaayi hi nahi diya. Wo bhoot bane Veer ko dekh rahi thi. Jese maano Veer ne koi chutkula maara ho..
Suhana : K-Kya kaha tumne?
Veer : Wahi jo aapne suna. Problem wo aadmi hai. Mein uss problem ko hi mita dunga.
Suhana : Keh do ki tum joke maar rahe ho?
Veer : I'm serious!
Suhana : What the fucccccckkkkk!!!?
Aur wo chillaate hue apni jagah se khadi ho gayi.
Aas paas ke sabhi log usse ghoor ke dekh rahe the.
Situation ko samajh wo waapas apni chair par baithi aur Veer ko iss baar chintit nazro se dekhi.
Suhana : D-Dekho Veer! This is not a joke okay!? Wo aadmi ka naam hai Aatish. Halaki mene uspe nazar rakhwaayi hui hai aur mein ye bhi jaanti hu ki wo meri behan ke peeche pada hua hai. Ek minute, tumhe kese pata chala wo meri behan ke peeche pada hua hai?
Veer : Sonia jii ne mujhe khud bataaya tha. Ki koi hai, jo unhe maarna chaahta hai. I just guessed. Thanks for telling me his name..
Aatish haan...!?
Suhana : Wait! Toh tunhe abhi tak uska naam bhi nahi pata tha!?? Matlab jab se tum bas tukka maar rahe the!??
Veer : Yeah!
Suhana : Ugghhh!
Suhana iss se pehle kuch aur bolti...
Ki tabhi Veer ke kaano me ek kaafi familiar sii awaaz padi.
"Arre!? Suhana Jii aap!?"
Suhana : O-Ohhh! If it isn't the owner of the hotel...!?? *Smiles*
Saamne se aa rahi ek kaali saree pehne hue koi aur nahi balki uski stepmom thi ~ Shweta.
Jese hi Shweta ki nazre Veer par gayi wo hairaani aur shock ke maare wahi jam gayi.
Par agle hi pal usne apne chehre se wo bhaav hataaye aur Suhana ke nazdeek aake uss se boli,
Shweta : And who's this gentleman?
[What the hell? I will kill her. Wo aisa kese keh sakti hai? Sab kuch jaante hue bhi... Dekho toh master... Aaarrrghhh! I hate her... I hate her...]
'Mere apne hi mujhse ajnabee pesh aate hai, Pari. Isme koi nayi baat nahi hai. Ab toh aadat sii ho gayi hai.'
[Maaasteeerr!!!]
Suhana : Kya aap apne hi bete ko nahi jaanti Miss Shweta?
Suhana ke iss prashn ke liye Shweta bilkul bhi taiyaar nahi thi. Usse nahi laga tha... Ki Suhana directly itna bada sach uske saamne rakh degi.
Shweta : Beta!? Miss Suhana! I dont have any son. Meri ek hi daughter hai. Wahi mera sab kuch hai. Bhumika!
Pal bhar ke liye, Suhana ki bhi bauhe sikud gayi. Kya moti chamdi leke paida hui thi ye Shweta. Iss waqt Suhana waqai yahi soch rahi thi. Aur iss baar ab thoda taras bhi aa raha tha usse Veer ke upar. Usne toh bas halka sa mazaak karne ke liye Veer ko iss hotel me bulaaya tha. Par ab jab usne apni aankho se ye vyavhaar dekha...
Toh usse ye bilkul bhi pasand na aaya.
Usne kheejte hue Veer ka haath thaama aur Shweta ki taraf mudi,
"Chalti hu..."
Shweta : Jii! Aati rehna Miss! And Please Sonia ma'am ko bhi apne saath laana mat bhulna. She loves our coffee after all...
Suhana : Chalo Veer...
Veer ko yu kheechte hue wo apni gaadi me le gayi.
Aur idhar andar se Shweta kevak muskuraate hue dekhti rahi. Par dono ke jaate hi uski muskuraahat gaayab ho gayi. Aur wo tezz kadmo ke saath andar cabin me ghus gayi.
Idhar Veer ke haath Suhana ki giraft me the iss waqt...
Veer : Wait!!!
Suhana : Ghar chalo... Wahi baat karenge hum. Aur ye tumhari stepmom... What the hell is wrong with her?? Haan?
Veer : ???
Suhana : God damn! She pissed me off. Muh pe kese keh sakti hai wo tumhaare ki wo tumhe nahi jaanti?
Veer : ....
Suhana : Ugghh! Anyways! Ghar chalo...
***
Police station...
Officer : Dekhiye! Mein lauta toh du... Par kya waqai!?
Suhana : Kya mujhe waqai saare proof laane padenge officer? Itni choti sii baat hai ye mere liye. Fir bhi mein yaha aayi hu. Obviously baat sach hogi isliye mein yaha hu... Hai na?
Officer : J-Jii! Madam! Mein aapki baat samajhta hu. Mein bas ek baar poori tareeke se clarification maang raha tha.
Veer : Jii haa! Wo meri hi hai. Bill hota toh zaroor mein aapko dikha deta. Trust me.
Officer : Ughh! Accha chaliye thik hai. Gupta jii!??
Gupta : Jii! Saab!?
Officer : Inhe wo deke alag kariye... Lock hata dijiye...
Gupta : J-Jii! Sir!
Aur kuch hi palo baad, Veer apne ghar par tha.
Uske ghar ke saamne Suhana apni car ke paas khadi hui thi.
Suhana : I have agreed! Par... Ye baat Sonu ko kabhi pata nahi chalna chahiye warna wo meri jaan kha jaegi.
Veer : Hmm!
Suhana : Aur... Tum... You'll be fine right? Abhi bhi samay hai... Chaaho toh...
Veer : No! Mera iraada pakka hai.
Suhana : O-Okay! Mein chalti hu... Just call me if you need any help.
Veer : Hmm! Thanks!
Suhana : Thanks apni baat ko poora saabit karne ke baad kehna... Goodbye!
Aur Suhana waha se chali gayi...
Veer uske jaate hi apne bagal me rakhi ek cheez ko dekhne laga aur uss par haath dheere se rakha usne...
'Kal... I promise... I will take him down...'
Usne mann me thaana, aur usse cheez ko zorr se bheench liya.
Aur Wo cheez thi...
Golu ki cycle...
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Like kar ke jaiyo!
Exclusive update
Fabulous UpdateMega UpdateAb tak...
Update - 39 ~ A Mother's Love will always be Eternal
[This update contains explicit gore scenes. Beware!]
Veer uske jaate hi apne bagal me rakhi ek cheez ko dekhne laga aur uss par haath dheere se rakha usne...
'Kal... I promise... I will take him down...'
Usne mann me thaana, aur usse cheez ko zorr se bheench liya.
Aur Wo cheez thi...
Golu ki cycle...
Ab aage...
Wo mahina tha March ka. Jab thand ka mausam jaa raha tha aur garmiyo ka mausam aana shuru ho chuka tha. Mein apni Maa ki goad me sarr rakh ke laita hua tha.
Bade hi pyaar se wo apna ek paav jhula rahi thi taaki mujhe neend jaldi aa jaaye, par aaj jese mujhe neend aa hi nahi rahi thi.
Mein aur Maa ghar ke andar hi neeche zameen par chataayi bicchaaye baithe the. Ya yu kahu, ki Maa baithi thi aur mein laita hua tha. Ghar kehna bhi galat hoga. Ek chota sa hissa tha chaar diwaaro ka jisme upar se khappar ki chhat thi aur darwaaze ke naam pe bas ek toota foota lakdi ka darwaaza.
"Aai!?"
Mere pukaarne par meri Aai ne mujhe jhukte hue dekha aur boli,
"Tu abhi tak soya nahi Ashu?"
"Nahi Aai! Mujhe neend hi nahi aa rahi hai."
"Accha? Aur kyu nahi aa rahi hai mere lalla ko neend?"
"Aai! Mein ye soch raha tha, kal hamaare ghar wo 3-4 police waale kyu aaye the?"
Mere ye sawaal karte hi mene dekha ki Aai ke chehre par agle hi pal chinta aa gayi aur wo kisi soch me pad gayi.
"Aai?"
"H-Huh?? Kuch nahi lalla. Tu apne khel kood aur padhayi par dhyaan diya kar samjha?"
Aai ne thoda uchi awaaz me bola toh mein shaant ho gaya. School toh naam maatr ka tha. Hum sabhi bacche jaate, teacher aata ya nahi aata baat ek hi thi. Keval unhi ke upar dhyaan zyaada dete the teacher jinke baap ke paas paisa zyaada hota tha.
Mere Baba toh badi mushqil se meri school fees de paate the. Abhi mein Baba ke hi baare me soch raha tha ki utne me ghar ka darwaaza khula aur Baba andar aa gaye.
"Babaaa!"
Mein utha aur Baba se lipat gaya.
"Hahahaha~ Mera beta!! Aaj tere liye tohfa laaya hu. Wahi jiske baare me tu roz charcha kiya karta tha."
Mene Baba ko prashn bhari nazro se dekha toh unhone mujhe thoda dur karte hue apne peeche se ek jhola nikaala aur usse jese hi khola toh meri aankhein hairaani aur khushi dono ke maare felti chali gayi.
"Y-Ye toh..."
"Hahahaha~ Ye raha tumhara tohfa."
"Mera tohfaaaa..."
Mein chillaaate hue uss par jhapta. Aur kyu nahi jhapatata? Saamne mere ek hockey stick maujood thi. Roz mein maidaan me khelne jaata tha. Waha hum sabhi hockey khelte the. Kuch logo ke paas hockey stick thi toh kuch bas lakdiyo se apna kaam chalaate the.
Roz mein Baba ko iss baare me bataata tha aur wo meri baat sunke sarr hila dete the. Par mujhe nahi pata tha ki wo meri baat ko aise hi poora kar denge. Aaj mein boht khush tha. Kitni chamak rahi thi meri hockey stick. Kal jab mein apne dosto ko dikhaunga toh kitna jalenge sabhi.
Wese toh yadi aap accha khelo toh pradesh starr par khelne ka bhi mauka diya jaata tha. Par ye mauka keval 18 umr se upar waalo ke liye tha. Aur mujhe 18 ka hone me abhi 5 saal baaki the.
"Itna kharcha? Kyu??? Aap jaante hai hum wese hi kitni pareshaani me hai fir bhi?"
Aai ne chintit nazro se Baba ko dekhte hue kaha.
"Arre theek hai ab... Kab se laga hua tha wo... Kabhi kabhi chalta hai."
"Kabhi kabhi...? Arre ghar ki sthiti ka bhi toh dhyaan rakhiye."
"Mein sab dhyaan rakh raha hu meri priye. Tumhi batao... Kya mene tumlogo ke alaawa kabhi kisi aur baare me socha hai?"
"Ab... Ab aap aisa bolenge toh mein kya hi vrodh kar paungi?"
"Hahaha~ Tum chinta mat karo. Sab sahi ho jaega."
Na jaane Aai Baba kya baat kar rahe the par mein itna toh jaanta tha ki hamaare ghar ki aarthik sthiti boht kamzor thi.
"Aai! Tumhari kya khwaaish hai?"
Mene apni hockey ko rakhte hue pucha. Toh Aai muskuraayi aur bagal me rakhe ek chote se lakdi ke bane mandir ko dekhne lagi.
"Meri khwaaish? Meri khwaaish toh bas yahi hai ki tu ek boht bada aadmi bane. Aur ye jo mandir hai na... Mein isse poori chaandi ka banwaana chaahti hu. Par wo tabhi mumkin hoga jab tu bada aadmi banega samjha?"
"Hmmm!"
"Jaa ab so jaa."
Na chaahte hue bhi, mujhe laitna pada. Par neend toh aaj jese meri aankho se koso dur thi. Mein karwat leke laita hua tha kaafi derr se aur isliye shayad Aai Baba ko laga ki mein so gaya hu.
Aur wo baatein karne lage. Par mein jaag raha tha. Aur issi kaaran mujhe kayi saari baatein pata chali jo wese mujhe kabhi nahi pata thi.
"Aaj aap ko itna mehnga tohfa laane ki kya zaroorat thi waqai..."
"Tum abhi bhi uske peeche lagi ho. Arre baccha hai. Aur wo mene apni jama punji se liya hai uske liye."
"Yadi koi kitaab laake dete toh bhi koi baat hoti..."
"Khel se bhi aadmi bada aadmi ban sakta hai. Aur Ashu ko khel me ruchi hai toh hume toh usse uss taraf badhaava dena hi chaahiye na?"
"Aapke saamne meri ek na chalti. Accha wo... fir kya hua? Hamari zameen ka? Mujhe boht chinta ho rahi hai. Yadi wo hamaare haath se gayi, toh kya hoga hamaara?"
"Hmm! Uss kameene ne chhal se hamaari zameen ke kaagzaat chori karwaaye hai. Aur ab hume kese bhi karke unhe waapas lena hai."
"Wahi puch rahi hu aap se. Kal police waale bhi aaye the. Kitni dhamki deke gaye hume. Sab mile hue hai. Upar se... Upar se mujhe toh unn police waalo ke iraade bilkul theek na lag rahe..."
"Kya kehti ho? Kya kal unn ne...?"
"Hmm! Aapne shayad gaur nahi kiya. Par wo sabhi mere badan ko gandi nazar se dekh rahe the."
"Unn haraam ke pillo ki toh mein..."
"Shaant! Ashu uth jaega!"
"Hmm! Mujhe ab wo kadam uthaana hi padega..."
"??"
"Bhulo mat ki mein uske hi ghar me kaam karta hu. Mujhe pata hai usne kaagzaat kaha rakhe honge... Bas ek baar haath aa jaaye..."
"Choriii??"
"Chori nahi hai ye... Ye hamaara apna haq hai priye! Ye toh hamaari zameen hai. Uss thakur ko yadi waha building banwaani hai toh banwaaye. Par hamaaari kheti ki zameen ko chorr ke banwaaye. Aur hum apna haq leke rahenge. Bhale hi mujhe uske ghar se apne kagzaat kyu na lene pade."
"Par... Par yadi uss thakur ko pata chala toh..."
"Pata chala bhi toh kya? Kam se kam hamaare paas... kachehri me dikhaane ke liye kagzaat toh rahenge."
"Kachehri toh hume surakshit rakh legi par uske baad kya? Wo haraami thakur kuch bhi kar sakta hai. Yadi hamaare Ashu ko kuch ho gaya toh?"
"Bilkul nahi! Tum kal ek kaam karna... Ashu ko maidaan khelne bhej dena. Jese hi mein kaagaz leke aaunga hum seedhe dusre thaane chalenge aur kachehri bhi jaenge. Vakeel ko dene ke liye hai paisa humaare paas. Bas hume jald se jald sab kuch karna hoga. Iss se pehle ki wo thakur hamaare vakeel ko khareed paaye."
"Kya aapko waqai lagta hai ki hum safal honge?"
"Bhagwaan ke ghar derr hai, andherr nahi!"
"Hmmm! Aur... Hamara sabzi aur phal ka dhandha toh accha hai hi par aapke mochi ke dhande ka kya hua?"
"Aaj acchi kamaayi hui. Wo jinki haweli hai na? Singh sahab kii? Wo aaj mujhe haweli me bulwaaye the."
"Kyaa?"
"Haa! hahaha~ Arre unke joote videsh se aaye hai. Aur tum jaanti hi ho ki jooto ka mujhe kitna shauk hai. Mene joote ke baare me itna sab kuch bataaya unhe ki wo khush ho gaye aur meri acchi khaasi kamaayi ho gayi."
"Chaliye! Ye toh badi hi acchi baat hai."
Aai, Baba kuch derr yu baat karke so gaye the. Par unki baate mere dimaag me hi raat bhar ghumti rahi.
Agli subah wahi hua. Aai ne naashte me mujhe roti dii aur bas aam ka achaar. Mein thoda boht khaaya aur tab tak sooraj sarr ko chadhne par tha.
Din hote hi Aai ne mujhe maidaan me jaane keh diya. Mujhe pata tha ghar me kuch sahi nahi hai aur isliye mene jaane se mana kar diya.
"Ab jaata kyu nahi!? Wese toh roz ghar me laga rahega. Ab jab Baba tere liye hockey le aaye hai toh jaa na... Dikha apne dosto ko... Kyu nahi jaa raha ab!?"
"Mujhe nahi jaana..."
"Tu... Jaata hai ya mein pitaayi karu teri...!?"
Aai ne jhaadu uthaayi toh mein gusse me bina hockey uthaaye hi bhaag gaya. Mujhe rona aa raha tha. Ek toh mein itni chinta kar raha tha upar se Aai ne meri bhawnao ko samjha hi nahi. Hmph!
Gusse aur udaasi ke chalte mein poora din maidaan me raha. Ghar gaya hi nahi.
Jab shaam hui aur andhera hone ko aaya tab hi mein utha aur ghar ki orr jaane laga.
Hamaara ghar thoda ucche sthaan par tha. Thoda sa pahaadi ilaaka tha. Wese Mumbai me pahaad nahi the par baahri chhetr me kuch kuch hote the jinpe log makaan bana kar guzaara karte the.
Jese hi mein kacchi sadak se hote hue apne ghar ke paas pohucha toh...
Mujhe nazar aaya ki ghar ke baahar se 3 se 4 police waale nikal rahe the. Unki shaqale mujhe boht acche se yaad thi. Kyuki yahi log kal bhi aaye the.
Wo ghar se baahar nikle aur jaldbaazi me bhaag gaye. Mein thoda chintit hote ghar ke nazdeek aaya toh paaya ki andar se laalten jalne ki roshni baahar sadak tak aa rahi thi.
"Aai!?? Babaaa!?"
Awaaz lagaate hue mein jese hi andar aaya toh...
Meri aankhein phati ki phati reh gayi. Saamne ke drishya ko dekh meri rooh kaanp gayi. Ek pal me mere shareer ke raungte khade ho gaye. Dil zorro se dhadakne laga. Aur darr ke maare mera badan kaapne laga.
Mein waha aise jam gaya tha jese mene koi bhoot dekh liya ho.
"N-Nahiiiiiiiiiiiii!!!"
Mein cheenkha... Aur ladkhada ke aage badha...
Saamne...
Saamne mere Baba ka sarr phata hua tha. Unke sarr se poora khoon hi khoon beh raha tha. Khoon ke chheete diwaaro par bikhre hue tha. Zameen par khoon behte hue felta jaa raha tha.
Aur unke bagal se...
Meri hockey stick rakhi hui thi, jis par...
Khoon hi khoon laga hua tha.
"Baaabaaaaaaaaa!!!"
Mein firse cheekha... Aur thar-tharaate hue bagal me bistar ki orr dekha... Toh maano jese mere perro ke neeche se zameen khisak gayi thi.
Saamne meri Aai...
Peeth ke bal bistar par padi hui thi. Muh se jhaag beh raha tha. Aur unki aankhein...
Unki aankhein ekdum khuli hui thi, maano baahar hi aa jaengi.
Unke seene ka kapda phata hua tha, neeche ka kapda bhi phata hua tha. Alag alag jagah se unke ang dikh rahe the.
"A-Aaiii!?"
Mein girta hua reng ke unke paas pohucha aur unhe jese hi mene chhiya...
Unka shareer hilke dhadaam se bistar se neeche gir gaya.
"Aaaaahhhhhhhh!"
Mein darr ke 2 kadam peeche hata, aur unhe seedha kiya toh... Wo bas aankhein khole hue thi.
"Aaaiii!!! Uthooo... Uthoo aaiii!!!"
Mene na jaane kitni guhaar lagaayi hongi. Par Aai ek baar bhi na uthi.
"Nahi... Nahiiiiiiiiiiiii!!? Aaaaaiiiiiii!!! Baaabbaaaaaa!!"
Apna gala phaad phaad ke mene unhe pukaara. Par mere Aai Baba dono ne hi koi jawaab nahi diya.
Mene kaapte hue haatho se apni wo hockey stick uthaayi aur dekha... Toh mujhe samajh aaya ki ispe jo khoon laga tha aur jo khoon Baba ke sarr se beh raha tha, wo shayad ek hi tha.
Aur ye sab sochte hi mein agle hi pal, wahi behosh ho gaya.
Jab meri neend khuli toh pata chala mein kisi aur hi jagah par tha. Ek anjaan jagah.
Mene dekha toh paaya ki saamne mere ek aadmi maujood tha, jo kareeb 30-32 saal ka prateet ho raha tha.
"Toh hosh aa gaya tumhe!?"
Uske sawaal par mene haa me sarr hilaaya. Mene gaur kiya ki wo bade hi acche kapde pehne hue tha.
"Aaj se tum mere saath rahoge. Kyuki... Tumhara ab apna ghar toh raha nahi... Hai na?"
Uski baat se mujhe sab kuch yaad aa gaya. Aur agle hi pal meri aankho se aasu behne lage. Mein khub roya. Par jitna mein udaas tha, uss se kahi zyaada mujhme gussa bhara hua tha. Aur ek josh tha, pratishodh lene ka.
"Bolo? Rahoge mere saath?"
Mere paas aur koi chaara nahi tha. Mene haa me sarr hilaaya aur bas...
Uss din se mein uss aadmi ke saath rehne laga. Uss aadmi ne mujhe kaha tha ki mein usse 'Dada' keh ke pukaaru. Toh mein usse Dada keh ke hi bulaane laga. Mujhe pata chala ki uss raat Dada ke kuch aadmi udhar se guzar rahe the. Aur mujhe waha dekh ke wo mujhe Dada ke paas le aaye the.
Dheere dheere jese jese meri umr badhne lagi, mein Dada ke saath kaam karne me aur bhi leen hota gaya.
Mujhe pata chala Dada kya kaam karte the. Drugs, aur avaidh cheezo ki smuggling. Daaru se leke harr ek cheez jisme kaala dhan rehta tha, wo sabhi ka dhanda Dada karte the. Mujhe kabhi isme buraayi nazar nahi aayi. Akhir itna paisa jo aa raha tha.
Mujhe pata chala ki kese inn sab kaamo ko kiya jaata tha. Dada mujhe harr choti sii choti baat samjhaate, jisse mein apne dimaag me baitha leta tha.
Par issi waqt mujhe ye bhi pata chala, ki uss raat meri Maa ko unhone maara hi nahi tha, balki unki izzat bhi looti thi aur berehmi se mere Aai Baba ki jaan lii thi. Tab se lekar ab tak... Mein bas tadap raha tha. Ki kab mujhe mauka mile, aur kab mein unn saare policewalo ko apne haatho se maut du.
"Tum badla lena chaahte ho?"
"Jii! Dada!"
Aur aaj wo din aa chuka tha. Mene akhir kaar apne badle ki bhaavna Dada ke saamne rakhi. Wo muskuraaye aur bole,
"Aadmi aur hathyaar mein dilwa dunga. Par maarna tumhe hai. Ki kaise tum maarna chaahte ho aur kaha pe... Tum bhi meri hi tarah kismat ke maare ho. Mujhe tum se badi umeede hai. Ek accha pradarshan rakhna.""
"Jii! Dada!"
Dada ki baat saaf thi. Wo mujhse kaafi kuch umeede liye baithe the. Aur mein unhe bilkul bhi niraash nahi karna chaahta tha.
Fir wo din aaya...
Mere jeevan ka sabse khush-haal din...
Saari jad toh wo thakur tha. Mene na keval apni zameen ke kaagaz, balki apni chaturayi ke chalte uski khud ki building bhi mene apne kabze me karwaa lii thi.
Jin police waalo ki mujhe talaash thi. Wo sab bhi mere changul me fasse hue the.
Iss waqt hum sabhi Thakur ki hi uss building me khade hue the. Aur upar...
Upar uchaayi par...
Thakur, aur wo sabhi police waale rassi se bandhe latke hue the, jo gidgida rahe the. Hawa me perr unke kisi bin paani ki machli ki tarah hil rahe the.
Aur aankho me unka wo khauf dekh, pata nahi kyu... Mere hontho par apne aap ek daraavni sii muskuraahat felti jaa rahi thi. Mujhe ye sab accha lag raha tha. Aanand aa raha tha mujhe ye sab karne me.
"Haaah... Hahahahahaha~"
Mein paagalo ki tarah hassne laga. 10 saal... 10 saal tak mene intezaar kiya tha apna badla lene ke liye.
Aaj... Mere haatho me Baba ki dii hui wahi hockey thi. Perro me mehnge joote, jinka Baba ko hamesha shauk rehta tha. Aur aaj unn haraam ke pillo ki bilakhti hui awaazein jo 10 saal pehle mere Aai Baba par garajti thi.
Mene na keval Aai Baba ki zameen wapas lii thi balki uss madarchod Thakur ki zameen bhi hadap lii thi. Aur inn sab ko karne me meri chaturayi toh kaam aayi hi par Dada ne bhi mera boht saath diya.
"Udaa do ek ek ko..."
Mene ant me ishaara kiya aur tabhi...
*Bang* *Bang*
*Bang* *Bang*
*Bang* *Bang*
Goliyo ki awaaz poori building me goonj uthi. Upar khade aadmiyo ne apni bandooko se ek ke baad ek goliya unn aadmiyo ke shareer me ghop dii...
Aur...
Goli padte hi, unn sabhi ke jism se aise khoon ke chheete uchak ke bikhar rahe the maano jese hawa me koi rocket phoot ke chingaariya bikher raha ho. Unke ang goli ke lagte chithado ki tarah shareer se nikal ke alag hoke gir rahe the.
Waqai! Aaj mene khoon ki aatishbaazi karwa dii thi.
Neeche mein apne haath felaaye aankhein band kiye, apne Dushmano ke khoon me naha raha tha. Aur hontho par ek santushti bhari muskaan bikhri hui thi.
Jab sab kuch shaant hua toh Dada, jo kuch dur khade hue the wo bole,
"Aaj! Aaj hamaare khaas, Ashu ne apna badla liya hai. Jiska wo 10 saal se intezaar kar raha tha. Aaj ye building bhi uski hui aur uski apni zameen bhi. Isliye... Aaj iss khushi ke mauke par mein kuch ghoshna karna chaahta hu..."
Hum sabhi Dada ki baatein bade hi dhyaan se sunn rahe the.
"Aaj se... Ashu, 'Aatish' ke naam se jaana jaega. Aur ye building... 'Jalsa' ke naam se."
"Aatish Bhau! Aatish Bhau! Aatish Bhau! Aatish Bhau!"
Aur bas...
Mere naye naam ke naare lagne shuru ho gaye. Mein khush tha. Behad khush. Ajeeb sii muskaan feli thi mere hontho par jo jaa hi nahi rahi thi.
Dade mere kareeb aaye aur mere kandhe par haath rakhe aur bole,
"Aaj se ye akkha Mumbai ko tu bhi sambhalega. Mein jald hi yaha se chala jaunga... Tab... Poora ka poora ye Mumbai tere haatho me hoga. Mujhe niraash na karna."
"Jii! Dada!" Mene muskuraate hue jawaab diya.
Aur Dada chale gaye. Ek baat thi, jo mujhe pata thi. Yahi... Ki mene aaj itihaas likh diya tha.
***
Apne haatho me ek tasveer liye Aatish iss waqt Jalsa ke hi basement me apni puraani yaado ko yaad kar raha tha.
"Dekh! Mene kaha tha na... Tere liye uphaar hai ek."
Usne kehte hue jeb se ek kaagaz nikaala,
"Ye dekh Aai! Iss poori basement ki diwaaro par sone ki parat chadh jaegi. Ussi ka contract hai ye. Tu kehti rahi na? Tujhe chaandi ka mandir chaahiye? Arre tere Ashu ne poora sone ka itna bada mandir banwaya hai dekh..."
Usne photo ko ghumaaya, jese maano photo ko kuch dikha raha ho.
Saamne ek behad hi shaandaar boht bada sa sone ka mandir tha. Par...
Bas ek hi baat ajeeb thi. Wo ye ki wo ekdum khaali tha.
"Ab tu puchegi ki bhagwaan kaha hai? Tu jaanti hai na? Mein Bhagwan pe vishvaash nahi karta. Mein toh keval tujh pe aur Baba pe vishvaash karta hu. Hahaha~ Kaam karo toh bada karo..."
Wo hassa...
Par tabhi...
"Ekdum sahi kaha..."
Usse peeche se ek awaaz sunaayi dii. Aur ye sunte hi Aatish ke pal bhar ke liye raungte khade ho gaye.
Wo forun hi palta par...
*Pooooooooooowwww*
Ek zordaar ghusa uske chehre par aake kisi patthar ki tarah laga aur uss impact se Aatish ki body hawa me uchak ke peeche jaa giri.
*Craaaassshhhhhhhh*
Peeche rakhi ek table bhi gir gayi aur saath hi saath usme rakha samaan bhi.
Uske haath se uski hocky ki stick bhi gir chuki thi aur saath hi saath wo contract ka paper aur wo tasveer bhi.
Jese hi Aatish khada hua usne dekha ki saamne ek ladka maujood tha. Jo ek kaala hoodie aur kaala hi jeans pehne hue tha. Yaha tak ki uski aankho ke neeche bhi kaale rang ka kapda bandha hua tha.
Aatish : K-Kaun ho tum!?? Yaha andar kese aaye...!?
Par jese usse samajh aaya ki sawaal karna fizool hai aur yahi soch Aatish ne fataak se apne coat ki inner jeb se apna revolver nikala aur wo saamne khade ladke par chalaane hi wala tha ki tabhi...
*Craaaaaasssssshhhhhhhh*
Uske haath pe ek daaru ki bottle udd ke aayi aur seedha uske haath pe hi phoot gayi.
"Aaaaarrghh!"
Revolver ke neeche girte hi wo ladka aage badha aur uski collor pakad ke ghoose pe ghoose dena shuru kar diya.
"Aaaaarrghhhh!! Ughhhhh... Haraamiyo baahar aao jaldi... Kaha chhupe ho?"
Usne apne pantaro ko bulaana chaaha...
Par... Jese koi fayda hi nahi tha. Kyuki koi nahi aaya.
Chheena jhapti me jab Aatish ne kuch vaar kiye toh uss ladke ke muh se kapda hatt gaya aur saamne uss parichit chehre ko dekh uski aankhein phati ki phati reh gayi...
"T-Tummm!???"
"Haan! Mein!"
Saamne khada wo ladka koi aur nahi, Veer hi tha.
Veer ko dekh Aatish forun hi bhaaga. Aur lift ki orr gaya.
[Wo bhaag raha hai Master! Chase him down!]
Veer tezzi se aage badha aur next second hi...
*Ding*
[Mission : Take Down Aatish!
Rewards : 1) ??? Points.
2) One Random Free Skill.
Time Limit : 30 minutes.]
Veer ko Mission mil chuka tha par iss waqt mission padhne ka time bilkul nahi tha uske paas. Wo toh aaj wese hi Aatish ko maarne hi aaya tha, chaahe mission mile ya nahi.
*Huffff* *Hufff*
Tezz tezz saasein liye Aatish lift me ghus upar seedha second floor par jaane laga.
But too bad for him. Veer ne neeche se hi check kar liya tha ki lift kis floor par jaa rahi hai. Aur agle hi pal Veer stairs ki madad se seedha second floor ki orr bhaaga.
Lift khulte hi jese hi Aatish baahar nikla, toh saamne hi Veer khada hua tha.
Aatish : Huh???
Aatish ko yu pakad Veer ne usse kamre me fek diya. Ye wahi kamra tha, jaha rassiya hi rassiya latki hui thi.
Kisi me upar tezaab bhara tha toh kisi me eete, toh kisi me lohe ki rods.
Aatish : Veeeeeeeerrrr!! Tum yaha aa zaroor gaye... Par laut ke ab kabhi nahi jaa paoge... Tumne yaha aa ke sabse badi galti kii hi Veeeeeeerrr...
Wo cheenkha... Iss umeed me ki shayad uske ye kehne se Veer ka manobal dagmagaega.
Par Veer toh jese kisi faulaad ki tarah saamne nidar hoke khada hua tha. Uska seena haafne se upar neeche ho raha tha. Aur aankhein ekdum laal thi. Gusse se bharpoor.
Agle hi pal dono ek dusre par jhapte. Ek dusre ke kapde pakad wo jese haawi hone ki koshish kar rahe the.
Kuch punches Veer deta toh kuch Aatish usse maarta. Par most of the time, Veer dodge kar le raha tha. Jiske kaaran Aatish ki haalat jald hi kharaab ho rahi thi.
Abhi wo ek dusre ko jakde hi hue the ki tabhi... Aatish haivaano ki tarah muskuraaya aur...
*Pulls*
Usne bagal me latak rahi ek rassi kheench dii.
Upar ki ceiling ka box palta aur...
*Craaaaaaaaaaassssssshhhhh!*
Saari lohe ki roads neeche giri. Veer jaanta tha ki upar rods thi. Wo Aatish se ek kadam aage hi chal raha tha. Usne pehle hi nazar maar lii thi upar.
Aatish Veer ke changul se chooth peeche kuda aur Veer bhi kayi backflip maarte hue peece ho gaya.
'Huh!??'
[Moves apne aap niklenge. Mene kaha tha na master. Basic Martial Arts skill aapko parkour aur acrobatics me kaafi madad karengi.]
'Got it!'
Veer ko bachta dekh Aatish daant peeste hue bhaagne ke liye hua par tabhi...
Veer ne ek rassi haath me lii aur wo Aatish ke paas jaa pohucha. Usne Aatish ko ek laat dii...
*Poooowwwww*
Aur Aatish peeche ki orr gira...
'Got you!'
Aur agle hi pal Veer ne muskuraate hue haath me lii hui rassi kheench dii.
*Craasssssssssshhhhhhh*
*Thud* *Thud* *Thud*
Dherr saare Eete uske upar girne lage.
"Aaaaaaaaaaaaahhhhh"
Wo chillaaya aur apna jese tese sarr usne bachaaya. Par itna toh saaf tha ki uski peeth ki ek aad haddi toh toot hi gayi hongi.
Veer dheere dheere uske kareeb aaya aur usne Eeto ko hata ke Aatish ko ghaseet ke baahar nikaala.
Abhi wo Aatish ko aur maarta ki tabhi Aatish ne chalaaki se apne coat ki jeb me chhupi ek pocket knife nikaali aur Veer ke perr me ghop dii...
"Aaaaaaaarrrrrggghhhh.... Ssssss"
Veer jese hi gira toh Aatish khud ko churra ke lift ki orr bhaaga.
[He's running away master! Oh Noooo~ Are you okayyyy!?]
'Fuuuucccckkkkk!!!! Aaaarrrghhhh!'
[Jaldi! Apna rumaal use kariye. Hum koi bhi aham clue nahi chorr sakte. Aur isliye toh mene aapko gloves pehnaaye hai.]
Pari ki baat sunn Veer ne jaldi jaldi apna rumaal nikaal ke apne muh ki madad se rumaal ko taang par laga ke usme ek gathaan baandhi aur apni bleeding ko jese tese thoda roka.
Aatish third floor pe gaya tha. Udhar se hi secret passage tha jo seedha control room ko hote hue nikalta tha. Control room bole toh wahi room jaha par baith ke Aatish sabhi Cameras ki footages pe nazar rakhta tha.
Uthate hue Veer bhi apna dard ignore kar seedha third floor pe jaa pohucha. Aatish ne jese hi dekha ki Veer peeche se aa raha hai, wo dekh ke aaj pehli baar usse ghabraahat mehsoos ho rahi thi.
Veer bhi langda raha tha. Par... Uske bawajood wo dheere dheere aage badh raha tha. Aise jese maano wo jaanta tha ki aage kya hone waala hai.
Aatish haafte hue bhaagte bhaagte jese hi darwaaza kholne ke liye hua toh usse ek aur jhatka laga.
Darwaaza dusri taraf se locked tha.
"Huhhhh!??? Ye... Ye darwaaza!? Haraam ke pillo tum sab so gaye kya??? Baahar aao madarchodo... Kis baat ki tankha khaate ho tum?""
Par usse kya pata tha... Ki Veer yaha poori taiyaari se aaya tha. Veer ne hi control room se saare cameras off kiye the. Veer ne hi uss darwaaze par peeche se lock lagaaya tha. Veer ne hi uske pantaro ko ek ek karke daboch ke maar ke unhe baandh diya tha.
Sab kuch...
Wo itni derr pehle kar chuka tha. Ab baaki tha..
Toh bas badi machli ka shikaar karna.
"Veeeeeeerrrrrr!!!! Aaj ya toh tum bachoge ya toh mein." Aatish ghabraate hue chillaaya aur wo aage badh ke Veer pe hamla karne hi waala tha ki tabhi...
"Huhhhh?"
Uska perr ek rassi ke phande me phassa aur tabhi...
Uska poora ka poora shareer hawa me ulta jhool gaya.
Ek trap! Bilkul wesa hi jesa Aatish ne Veer ke liye banaaya tha.
Veer aage dheere dheere badha aur usne Aatish ke neeche uss boht badi sii cheez se parda hata diya.
Aatish ne jese hi neeche dekha toh uski haalat patli ho gayi. Aaj pehli baar usse itna darr mehsoos ho raha tha. Apni jaan ka darr.
Neeche bada sa glass tank tha. Aur uss glass tank me... Wahi Magar maujood tha jisne Golu ki jaan lii thi.
Wahi Magar, yaani ki Aatish ka paaltu janwar urf Clutch.
"Na-Nahiiiiii!!!! Nahiiiii!!!" Usne apna sarr naa me hilaaya aur ghabraate hue Veer ko dekhne laga.
Neeche Magar uska jese wait hi kar raha tha aur uss magar ki aankhein itni khatarnaak lag rahi thi iss waqt ki Aatish shabdo me bhi baya nahi kar sakta tha.
"Aise hi... Aise hi tumne Golu ko maara tha... Mujh se marwaaya tha usse haan!? I will kill you in the exact same way!!!!!!"
Veer ne itna bol dheere dheere ussi pocket knife se rassi kaatna shuru kar dii, jo Aatish ne kuch derr pehle usse maari thi.
"Naaaaaaahiiiiiiiiiiiii.... Nahiiiiiiii Veeeeeeeeerrrr"
Wo chillaaya par....
*Splaaasssssssshhhh*
Tab tak boht derr ho chuki thi. Aur agle hi pal wo paani me jaa gira.
*Chhap* *Chhap*
Uske haath perr vyarth hi idhar udhar machalte hue baahar nikalne ka prayatn kar rahe the. Par...
Agle hi pal...
*Cruncccccchhhhhhhh*
Magar aage badha aur ek baar me hi Aatish ke sarr ko apne nukile daato me jakad usse daba diya...
"Aai!!!!" Bas... Yahi aakhiri shabd uske muh se nikla.
Uske baad... Poore tank ka saaf paani bas laal rang ke khoon hi khoon se bhar gaya.
Aur Veer apni bauhe sikode saamne ke iss manzar ko dekhta raha jab tak ki paani me ho rahi wo chhap chhap awaaz kam na ho gayi. Aur fir shaanti sii na chha gayi...
'It's over!'
[Yes master! Aap theek ho na?]
'I'm not fine. But...'
[???]
'Aatish ne teen badi galtiya kari thi.'
[Hmm?]
'Pehli ye... Ki usne mere kareebi jano ko chherra.'
[...]
'Dusri ye ki usne mujhe zinda chorr diya.'
[Master!]
'Aur teesri ye... ki usne aisa jaanwar paala jo apne hi maalik aur maalik ke dushmano me antar karna nahi jaanta.'
[Hmm!]
Pari kuch soch ke shaant ho gayi par tabhi...
*Ding*
['Mission : Take down Aatish!!!' has been completed.]
*Ding*
[120 points have been rewarded.]
*Ding*
[You have been rewarded a Random skill. ~ Hawkeye.]
*Ding*
[Past Illustration function is invoked.]
[Do you want to see Aatish' Past?]
'Huh???'
Veer chakit ekdum saamne ki orr dekh raha tha. Tank me Aatish ke kuch shareer ke hisse terr rahe the. Aur ussi ke upar system ki screen hawa me khuli hui thi.
'Ye sab..!?'
[Mene aapko bataya tha na master. Past Illustration function ke baare me... Aap yadi kisi vyakti ko maarte hai toh uske baad uska past padh sakte hai. So? Kya aap dekhna chaahte hai?]
Veer ne kuch socha aur fir haa me sarr hilaaya aur mann me hi 'Yes' keh diya.
Uske baad Aatish ka poora past Veer ke saamne ussi screen me likh ke aa gaya. Sab kuch.
Jab Veer ne wo sab padha toh uska sarr apne aap jhuk gaya.
[Master! Do you regret it now?]
'No! I don't... Pari! Usne Golu ki jaan lii. Aur na jaane kitne nirdosh logo ki jaan lii hogi usne. I don't regret it. It's finally over.'
[Yes! Aapko yaha se jaana chaahiye!]
'Hmmm! Par uss se pehle... Kuch kaam hai..'
Veer third floor se waapas basement me aaya jaha wahi sona ka mandir rakha hua tha.
Usne aage aake wahi hockey stick uthaayi aur wo contract bhi...
Aur wo tasveer bhi... Usme ek aadmi, ek aurat aur ek bacche ki tasveer thi.
Unn sabhi ko leke wo mandir ke kareeb aaya aur teeno cheeze usne mandir me hi rakh dii.
[Hmm? Maaasteeerr!?? W-Whyy!? Aapne...!?]
Veer ka behaviour Pari ke palle nahi pada tha aur isliye... Usne ye sawaal kiya. Iss Waqt toh Veer ko apne ghar ki orr bhaagna chaahiye tha aur sabse pehle apni chot ke baare me sochna chahiye tha. Par wo ulta yaha waapas aake dushman ki cheezo ko utha ke idhar se udhar kar raha tha.
Ye sab kuch Pari ke liye prashn janak tha.
Par...
Pari ke sawaal par...
Veer ke muh se ek hi uttar nikla...
"Maa... toh akhir Maa hoti hai... Pari!!!"
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Issi ke saath yaha par khatam hota hai Aatish' arc. Slogan arc shuru hoega next update se. Tab tak ke liye like karke jaane ka pasand aaye toh aur comment karne ka.
Dhanyavaad!
Marvelous updateUpdate - 40 ~ Getting a JobAb tak...
Ye sab kuch Pari ke liye prashn janak tha.
Par...
Pari ke sawaal par...
Veer ke muh se ek hi uttar nikla...
"Maa... toh akhir Maa hoti hai... Pari!!!"
Ab aage...
Aatish ki death ke baad, Veer uss raat thoda buri haalat me ghar pohucha tha. Par ghar pohuchne se pehle usne clinic me apni first aid karwa lii thi.
Ghar me usne bilkul bhi aisa nahi dikhaaya ki wo ladkhada raha hai ya uske perr me kuch gadbad hai, warna sabhi uski jaan kha jaate. Wo seedha dinner karke apne room me jaa ke lait chuka tha. Jo bhi medications doctor ne provide kiye the, usse time to time usne liya aur bas araam farmaane laga.
Par bhala Veer kisi ka khoon karne ke baad itni asaani se kese araam farma raha tha?? Aur aise hi kese usne Aatish jese aadmi ko thikaane laga diya?
Iss sawaal ka jawaab ek hi tha.
~Suhana!
Jis din Veer Suhana se milne gaya tha. Toh Bhumika ki hotel se Suhana usse apni gaadi me baitha ke apne ghar le gayi thi. Aur unn dono ke beech jo bhi conversations hui thi, usme hi iss baat ka uttar chhipa tha.
Veer : Wait! Aap mujhe apne ghar kyu le jaa rhi ho!?
Suhana : Shut up okay! Ek toh mujh se kehte ho ki mujhse aake milo. Waah! Dekh rahe ho? Suhana yaani ki mein tumse milne aa rahi hu. Apne saare kaam chorr ke. Aur fir milte se hi ek bomb patakte ho ki tum uss Aatish ko maaroge... Mazaak chal raha hai kya!?
Veer : Mein jhooth nahi bol raha. I'll definitely...
Suhana : Wahi! Idiot! It's not a small matter. Ghar pe chal ke discuss karna padega.
Veer : Fine!
Jab dono hi ghar pohuche, toh ghar me sabhi servants unn dono ko hi dekhe jaa rahe the.
Suhana : Ignore the maids and servants. Aao! Mere room me hi discuss karte hai.
Aur Suhana Veer ko apne room me le gayi. Par uske aisa karne se servants ki beech baatein na bane, bhala aisa kese ho sakta tha?
Servant 1 : Suhana Ma'am ek ladke ke saath!? Wo bhi apne room me le gayi usse!?
Maid 1 : Sonia Madam ko pata hai ye baat? Kaun hai ye ladka bhala? Aaj ke pehle kabhi kisi ladke ko Suhana Madam apne kamre me nahi le gayi. Fir aaj kese? Uss din bhi aaya tha ye... Par hai kaun!?
Servant 2 : Hmm! Kuch gadbad toh nahi!?
Maid 2 : Tum log apna kaam karo aur faaltu ki baatein na banao. Yadi Suhana Madam ko pata chala toh pata hai na kya hoga!?
Uss dusri maid ke itna kehte hi waha maujood baaki sabhi servants ki bolti band ho gayi aur wo kuch ateet ke baare me soch ke forun hi apne kaamo me lag gaye.
Idhar andar Veer Suhana ke kamre me daakhil hua toh woh chakit reh gaya. Kamra waaqai neat and clean tha aur ek lady ka hi kamra prateet ho raha tha.
Par iss waqt uski nazre jese kisi cheez ko dhund rahi thi.
Suhana : Hmm? Kya hua? Kya dekh rahe ho aise?
Uske sawaal par agle hi pal Veer ko Suhana ki wahi image yaad aa gayi.
"Waaahahahahahahaha fuck you chorrrr..."
Jab wo Teddy ki dhulaayi badi hi berehmi se kar rahi thi. Aur ye yaad aate hi Veer ke paseene chootne lage.
Suhana : Oh hello? Kaha kho gaye?
Veer : Huh!? No... I... just...
Suhana : Bolo? Kya dekh rahe ho aise!?
Veer ek baar fir idhar udhar dekha aur jese hi uski nazar bed ke neeche padi uski aankho me jese ek chamak aa gayi.
Wo teddy wahi thusa hua pada tha. Jab Suhana ne uski nazro ko follow kiya aur usse ye ehsaas hua ki Veer kya dekh raha hai. Uski aankhein hairaani aur fir gusse ke maare fel gayi.
Agle hi pal usne teddy ko laat se aur andar thoos diya aur Veer ke paas apni gaand matkaate hue wo aayi aur dheere se boli,
"Tumne kuch nahi dekha. Right!?"
'Fucccccckkkkk! She's scary!'
Veer : Y-Yeah!!
Suhana (smiles) Good! Then... Baitho!
Aur dono hi aamne saamne baith gaye.
Suhana : Ab bolo!
Veer : Mein pehle hi bata chuka hu. Aur kitni baar batau?
Suhana (sighs) : Tumhe pata hai na tum kya baat kar rahe ho? Yadi meri nazro se dekhoge toh tumhe pata chalega ki tum kitna bada joke maar rahe ho.
Veer : I'm not joking.
Suhana : Dekho! Abhi tumhaari boht life hai yaar. Tum inn sab ke chakkaro me kaha pad gaye!? Tum toh ek college student ho. Aur wo Aatish Mumbai ka Don aadmi jesa hai. Arre wo ek phook me hi tumhe uda sakta hai. Fir kyu maut ke mooh me jaa rahe ho? Mein khud uske khilaaf kuch karne se darr rahi hu. Warna tumhe lagta hai mein shaant baithi rehti? Ye jaan ke ki meri behan ki jaan ke peeche koi pada hai? Definitely not!
Aur wo bolte bolte uth khadi hui aur palat ke window ke paas jaa pohuchi.
Suhana : Just live a normal life man. Inn sab me kuch nahi rakha...
Veer : Usne mere dost ko maara hai...
*Silence*
Suhana : ???
Veer : He planned it. That's why... Chaahe kuch bhi ho jaaye... I have to take him down.
Suhana : ...
Veer : Aur isliye... Mujhe aap se help chaahiye!
Suhana : ??
Veer : I want you to handle the Police and investigation.
Suhana : Hmm! Toh tum chaahte ho ki mein tumhaari kartoot ke baad saara kuch handle karu?
Veer : Kuch aisa hi...
Suhana : Aur mujhe kya milega? No wait! Tum itna yakeen ke saath kese keh sakte ho ki tum uss aadmi ko maarne me kaamyaab ho jaoge? Huh?
Veer : Trust me! I will bring him down.
Suhana (sighs) : Mujhe abhi bhi ye ek joke hi lag raha hai chaahe kisi bhi angle se kyu na dekhu. Alright! Maan lo mein agree kar gayi aur police ko handle kar liya... But... Mujhe kya!? Mujhe kya milega? Exchange equal hota hai you know right? Mein tumhari itni help kar rahi hu toh... You know...
Veer : Mein Aatish ko aapki behan ke raaste se alag kar raha hu kya wo kam nahi!?
Suhana : Oh c'mon! Wo Aatish abhi tak meri behan ka kuch nahi kar paaya hai. Toh uska hona obviously threat hai par aisa bhi nahi hai ki uske hone se meri behan jee hi nahi paa rahi hai. Toh itne se kuch nahi hone waala. Give me something equal to my favour...
Veer : Then... Mere paas aur kuch nahi hai dene ko... Aap wese hi crorepati log ho. Upar se aapne hi mujhe wo debit card diya tha. Toh paise dena toh murkhta hogi.
Suhana : Hmm! Then promise me...
Veer : ???
Suhana : You will do two favours.
Veer : Kaise favour?
Suhana (smiles) : Pehla ye ki... Mujhe jaana hai next week Delhi. Sonu bhi saath me rahe isliye wo abhi zyaada busy hai aur saare yaha ke kaam schedule se aage hi kar rahi hai. Taaki wo mere saath chal sake. Mere husband ki taraf se mujhe waha jaana hai. Basically, Boht bada function hai jaha dherr saare alag alag companies ke log aaenge... Kuch aage ki technologies se related innovative function rakha gaya hai.
Veer : Hmm! Toh!?
Suhana (smiles) : You'll come with us.
Veer : ???
"Kyaaaaaaaaaaaaaa????"
Aur Veer jhatke se khada ho gaya.
Suhana : Yeah! Dekho mein toh busy ho jaungi waha pohuch ke. Toh Sonu ko company dene wala koi hona chaahiye na? Aur tum dono wese hi ek dusre se familiar ho.
Veer : Wha...!? No... Wait!!! Mein kyu??? I mean... Aapke itne saare contacts...
Suhana : You don't understand.
Veer : Huh?
Suhana (sighs) : Aaye din inn ameer gharano se rishte aate hai Sonu ke liye tumhe pata hai? But she never pays any attention to them. Kyuki, wo sabhi ki personalities ek jhatke me dekh ke hi pehchaan jaati hai. I mean... Ahem... Excluding mine.
Veer : ??
Suhana : Isliye... Koi aisa hona chahiye uske saath jiske sang wo uncomfortable na feel kare, easy to talk ho banda... Aur tum se behtar kaun hai?
Veer : No... I mean... Unki friends bhi toh hongi na... Jo...
Suhana : Uski sirf 2 hi friends hai. Ek aur tha Pushkar... But wo ab iss duniya me nahi hai. Baaki 2 friends... Well... It's complicated. Isliye... Ab tum hi bachte ho... So? Mein haa samjhu ya...!?
Veer kuch derr socha... Par akhir usse ye shart toh maan'ni hi thi. Kyuki tabhi Suhana uski help karne raazi hoti...
Veer (sigh) : Fine!
Suhana (smiles) : That's good to hear. Passport wagarah toh hoga hi tunhaare paas hai na?
'Damn! Passport toh mera uss ghar me hai. Ab mein waha nahi jaa sakta...'
[Aap Ragini se keh ke passport mangwa sakte ho Master.]
'Ahh! Right! Thanks Pari!'
[You are welcome Master!]
Veer : Jii! Passport hai.
Suhana : Good! Then I agree...
Veer : Wait a minute! Dusra favour!?
Suhana (smiles) : Samay aane par... Uski bhi maang karungi. Filhaal toh yahi hai... Okay now... You can leave. Police and investigation mein dekh lungi. Also, kuch aadmi bhi bhijwa dungi... Par dhyaan rahe... Wo tumhaare saath ekdum andar nahi jaenge.
Veer : Chalega... And thanks! Also...
Suhana : Hmm??
Veer : 2 favour aur jod lijiye...
Suhana : Huh??
Veer : Mujhe police station jaana hai aur waha se kuch baraamad karna hai. Mere friend ki cycle. Uski akhiri nishaani... Thaane me hi hai. Aapko meri help karni hogi.
Suhana : Ohhhh! Ho jaega. Aur dusra kya!?
Veer : Dusra ye ki... Help me find someone!
Suhana : ???
Veer tabhi dheere se aage aaya, usne table par rakhe pen aur ek dairy se paper faad Suhana ko kuch likh ke usse thama diya.
Suhana : Kya hai ye? Hmm? Bhavana Singh!? Alias name Geeta!? Job... Archeologist!?
Veer : Meri Maa... Real maa... Unki details... I know aapke connections kaafi hai. Help me find her location. Mujhe vishwaash hai aap karwa logi ye...
Suhana (smiles) : Ohhhh! I see!
[Damn master! What a perfect plan. Suhana can really help you. Uski madad se jald hi location mil jaegi aapko apni mom ki...]
'Yeahhh!'
Suhana : Toh tumhaare ab teen favour ho gaye. Chautha toh yahi hai ki... You are coming with us. Remember this.
Veer : Hmm! Chalta hu...
Suhana : Okay!... And....
Veer : ???
Suhana : Good luck! Also... Don't die...
Veer jaane ke liye jese hi muda... Toh Suhana ke bol ke chalte ek baar fir wo ruk gaya.
Suhana : Wese... Tumhe kese pata chala ki mere itne contacts hai!? Itne yakeen ke saath kese aa gaye tum mere paas? Kuch toh pata chala hoga kahi se!?
Uski baat sunn, Veer dheere dheere uske kareeb aaya aur theek uske peeche khada ho gaya. Suhana abhi bhi window se baahar hi dekh rahi thi. Uski peeth abhi bhi Veer ki taraf thi. Wo mehsoos kar paa rahi thi ki Veer uske theek peeche khada hua hai.
Par agle hi pal Veer ne kuch aisa kaha, jiske chalte uski aankhein hairaani aur shock ke maare phatati chali gayi...
Veer : Aapka reaction kuch odd sa tha. Hotel me mene kisi ko maarne ki baat aapke saamne rakhi, aur aap of course thoda shock hui but after that... Aapke liye jese ye utna shocking bhi nahi tha. Ye meri guessing hai... But i feel it... You have killed someone before...Right?
Wo dheere se kahe gaye shabd, jese Suhana ke kaano me ghanti ko tarah baj rahe the. Wo last sentence jese kisi bomb ki tarah aake gira tha Suhana ke upar. Pal bhar ke liye toh uska shareer bhi sihar utha.
Fir toh usne na aav dekha na taav, wo tezzi se yu palti aur Veer ki collor ko bheench usne usse peeche dhakela jaha ek couch rakha tha. Aur dono hi uss couch par gir pade.
Suhana Veer ke thik upar thi. Uske zulfe Veer ke gaal ke bagal se hote hue latak rahi thi.
Veer ki collor uski giraft me thi aur wo ekdum gusse se Veer ko dekh rahi thi.
Suhana : How did you know?
Veer : I... I just guessed.
Suhana (glares) : Waqai!? Kyuki mujhe ab tumpe doubt ho raha hai.
Veer : Waqai!
Suhana halka sa aage jhuki, uska badan poora Veer ke seene par tika hua tha. Wo uske kaano ke sameep aayi aur badi hi dheemi par thodi bhayanak sii awaaz me boli,
"Tumhari guessing kuch zyaada hi sateek jaa rahi hai. Aage se... Iss baat ka zikr kabhi tumhaare muh se nahi nikalna chaahiye. Kisi ko pata nahi chalna chahiye. Sonu ko toh bilkul bhi nahi. Jis din aisa hua... Wo tumhara probably last din hoga."
Suhana ne daraate hue uss se kaha. Yadi koi aur hota toh waqai thoda ghabra jaata. Par Veer toh Veer tha... Aur wo bhi pehle waala nahi. Uske andar Pari jo thi ab.
Apne haath ko uthaate hue usne Suhana ki narm gardan ko thaama aur uski aankho me dekhte hue bola,
"Don't tempt a young man like that Suhana jii... Dusro ke secrets ko felaana... Meri aadat nahi! Aur ho sake toh... Uthiye please!"
Aisa response Suhana ne bilkul bhi expect nahi kiya tha. Usse laga tha wo Veer ko thoda darra degi par yaha toh situation hi alag bann gayi thi. Aur jab usse apni haalat ka dhyaan aaya toh achanak hi uske gaalo par halki laali sii chhaane lagi aur wo ekdum jhatke se uth ke do kadam peeche ho gayi.
Veer (smiles) : Chalta hu... Thanks again!
Aur Veer Suhana ko akela chorr waha se nikal gaya. Suhana keval usse jaate hue dekhti rahi.
Suhana Veer ki madad karne ke liye keval ek hi kaaran se raazi hui thi. Aur wo ye ki Veer Aatish se bhid chuka tha aur abhi tak zinda tha. Saath hi saath Veer ki Dushmani bhi Aatish se thi.
Ye kehna galat nahi hoga ki wo Veer ko as a pawn use kar rahi thi. Aur saath hi saath usse extra favours bhi mil chuke the. Par usse doubt tha ki kya Veer waqai ek maamuli sa ladka kuch kar paega?
Suhana shaatir thi. Usse pata tha yadi Veer fail hua toh kya karna hai. Wo Sonia ko kuch bhi pata nahi chalne deti ki isme uska haath tha. Par yadi Veer pass hua, toh sabse pehla sawaal uske mann me yahi aane waala tha ki akhir aisa kese kar liya usne? Aatish jese aadmi ko khatam karna?
Yadi aisa hua toh iska matlab saaf hone waala tha ki Veer kuch chhipa raha hai uss se. Aur isliye Suhana ne pehle hi dur ki soch lii.
Wo Veer se do kadam aage chal rahi thi.
Yadi Veer pass hua, toh usse apna favour nibhaana padega. Aur aisa karne ke liye usse uske saath jaana padega Delhi.
Aur issi trip me... Wo Veer ke secrets dhundne ka prayatn karegi. Ki akhir kese... Ek maamuli sa insaan kese Aatish ko maar diya? Par usse kya pata tha...
Ki Veer koi maamuli insaan nahi tha.
Jab Veer ghar aaya toh wo Ragini se mila.
Ragini : Kya hua Veer?
Veer : Bhabhi wo... Ab kese kahu... Mera passport rakha hai ghar me... Puraane waale...
Ragini : Passport? Nahiii! Arre mene tumhaare saare documents aur IDs pehle hi servant se mangwa lii thi Veer. Mere room ke cupboard me rakhi hai. Tum lelo jaake.
Veer : Huh? Really?
Ragini : Haan!
Aur next second hi Veer ne wo kiya jiske chalte Ragini hakki bakki sii murti bani khadi rahi.
Veer ne Ragini ko apni baaho me zorr se kheencha aur usse daboch lia,
"Ohh thank you Bhabhi! Aapne meri samasya hi hal kardi! Thanks a lot!"
Aur wo Ragini ke kamre me chala gaya. Par idhar bechaari Ragini, bhauchakki sii apne surkh laal gaal liye khadi rahi. Usse samajh me nahi aaya ki ye achanak se kya ho gaya.
Wahi dusri orr,
Idhar Suhana khaayalo me ghum thi jab kuch derr baad usse Veer ki taraf se ek message aaya,
"Shaam ko thaane me miliyega. Mujhe friend ki cycle baraamad karwaani hai. Need you help!"
Suhana : Ughh! Really... Ek cycle bhi nahi li jaaegi iss se...
Aur usne "Fine" reply kar mobile side me fek diya.
***
Aur ye thi Aatish ki death ki pehle ki poori planning. Veer ne Suhana ke aadmiyo ki madad se JALSA me unn gundo ki thikaane lagaaya tha. Baaki toh usne apne hi bal boote par kiya tha.
Ab sawaal tha ki wo 110 points kaha invest karne wala tha? Aur uski nayi skill Hawkeye kya thi?
'Pari! Show me my stats'
[Yes master!]
[ Stats :
Strength - 50/100
Intelligence - 35/100
Agility - 30/100
Endurance - 45/100
Appearance - 22/100]
'Alright! Intelligence me 15 daal do. Agility me 20. Endurance me 5.'
*Ding*
[15 points have been added to Intelligence.]
[20 points have been added to Agility.]
[5 points have been added to Endurance.]
[70 points remaining.]
[Kisi aur me Master?]
'Hmm! Appearance me bhi 18 add kar do.'
*Ding*
[18 points have been added to Appearance.]
[Stats :
Strength - 50/100
Intelligence - 50/100
Agility - 50/100
Endurance - 50/100
Appearance - 40/100]
'Good'
[52 points remaining hai. Kuch karna hai? Wese mujhe kuch baatein bataani hai aapko.]
'Kesi baatein?'
[50 points se ab upar jaane ke liye. Aapke 2 points keval 1 hi point consider kiye jaenge.]
'Huh? No... Ek minute!'
[Yes! That's right! Ab yadi aapko 50 se 52 par kisi stat ko badhaana hai toh aapko 2 nahi balki 4 points invest karne honge tab jaake wo 52 par aaega.]
'Wtf????? Ye toh pagalpan hai. Aise toh mere...'
[Yes! Aapko kya laga? Stats badhaana itna asaan hai? It will take time. And a lot of hard work.]
'Fuccccccckkkk!'
[Toh? Kisi me invest karna hai?]
'Abhi nahi! Yadi koi skill hai kaam kii toh wo dikhao. By the way, ye Hawkeye kya hai.'
*Ding*
[Skill : Hawkeye.
Description : A Diamond Tier Skill. Grants the user a perfect aim for anything. No target can slip away from Hawk's eye.]
'Holyyyy shittttttt!!!!'
Skill padhte hi Veer ko pata chal chuka tha ki ye kya thi. Ek Diamond Tier skill. System ki sabse highest skills hoti hai Diamond Tier skills. Uske neeche aate hai Gold, fir Silver aur Bronze.
Veer ke paas jo Basic Martial Arts skill thi wo ek Bronze skill thi. Saath hi saath Sex protection jo usne purchase kii thi wo ek Silver Tier Skill.
Aur ye thi... Ek Diamond Tier Skill.
Jise upgrade karne ki koi zaroorat nahi thi. Perfect Aim matlab perfect Aim. Permanent on hi rehne waali thi ye.
'Fuccckkk! This is insane. Wait! Toh mein Shop se Diamond Tier skills access kar sakta hu?'
[No way! Ye toh aapka reward tha. Aur... Reward randomly select hoke aaya. Isliye aapko jhatke me mil gayi. Warna iski probability boht kam rehti hai. You are lucky.]
Veer abhi aur functions ke baare me jaanta ki achanak hi uska phone bajne laga.
Dekha toh paaya ki Shreya ka phone tha.
Veer : Hello?
Shreya : Guess what?
Veer : Guess what kya?
Shreya : Arreeee buddhuu meri job lag gayi... Tumne jo bheja tha na mujhe address company ka. I went there... Mera interview hua and Omg... Like... They hired me... I'm so happy right now...
Veer (smiles) : Congratulations!
Shreya : All thanks to you... Mujhe toh pata hi nahi tha tumhara itni badi company me connection hai. Like mera bas interview hua aur kuch nahi... Aur suno... Abhi ke abhi mujhe xxxxxxxx mall me milo. Mein shopping karne jaa rahi hu. Tum saath me chaloge.
Veer : Hmm! Aata hu.
Aur bataaye gaye samay pe Veer pohuch chuka tha, xxxxxxxx mall me.
Kuch hi derr me Shreya bhi aa gayi.
Shreya : Kesi lag rahi hu?
Veer : Hmm? Great!!
Shreya (blushes) : Thanks! Toh chale?
Veer : Sure!
Aur dono hi shopping karne nikal gaye.
Shreya : Wese... Ab kesa feel kar rahe ho tum? Dii bataayi thi tum kaafi pareshaan the kuch dino se...
Veer (smiles) : I'm fine now. Nidhi ma'am aur Juhi kesi hai?
Shreya (smiles) : Juhi toh roz tumhaare baare me puchti hai. Aur... Dii bhi tumhe yaad karti hai. Dono acche hai... Bas... Tum the toh ghar ka mahaul aur khushnuma sa tha.
Veer : I... I see!
Shreya : Anyways! Aaj meri job lagi hai. Toh aaj mein apni savings se saari shopping karungi. Aur tumhe bhi mere saath chal ke ek shirt leni padegi.
Veer : Naah! It's okay! Balki, aap chalo... Aaj mein aapko aapki pasand ki cheez dilwaunga.
Shreya : What the hell? Joke maar rahe ho? Hahaha~ zyaada nahi fekte... Chalo ab.
Aur wo Veer ko kheench ke le gayi. Par usse nahi pata tha, ki Veer ke paas Suhana ka diya hua Debit card tha. Aur iss account me 5 se 6 lakh amount bhara hua tha.
[Master! Aap Nidhi ko kyu nahi de dete ye paise? After all, she needs money.]
'No! Itne me unka kuch nahi hone waala Pari. Kam se kam... 45 lakhs hone chaahiye. Tab jaake kuch ho sakta hai. Yadi abhi mein unhe dunga... She will question me. Ki itne paise kaha se aaye? Koi galat kaam toh nahi kar raha mein? Wo wese hi tension me hai. Unhe aur tension nahi deni hai.'
Wo Nidhi ke khayaalo me khoya hua tha jab Shreya ki awaaz usse waapas se hosh me laayi.
"Oye!? Kaha kho gaye? Look! How do I look? Is it good?"
Aur wo ek full sleeve top pehen ke baahar aayi jisme wo alag hi kayaamat lag rahi thi.
Veer (smiles) : Aapke upar sab kuch accha lagta hai. After all, you are beautiful.
Shreya (jhepte hue) : Huh?? W-Wh-What??? Y-Ye achanak se, tumhe...!?
Aur uske gore se gaalo par halki sii laal parat chadh gayi.
Wo bhaag ke gayi aur fir kuch aur kapde pehen ke usne Veer ko dikhaaye.
Veer ne fir usse apni taraf se bhi ek top kharidwaaya aur apni Nidhi Ma'am ke liye ek suit bhi aur Juhi ke liye pyaari sii frock bhi.
Jab Shreya ne ye prashn kiya ki itne paise kaha se aaye toh usne yahi kaha ki mehnat ki kamaayi hai.
Shreya aaj behad khush thi. Naukri lagne se uske andar ka confidence badh chuka tha.
Shreya ko ghar pe drop kar Veer apne ghar ke liye jaane hi waala tha jab wo uske paas aayi aur ek baar fir se usse thanks boli,
Shreya : H-Hey!!
Veer : Hmm?
Shreya : Th-Thanks... Once again!
Veer : Baar baar thanks nahi kaha jaata...
Shreya (blushes) : R-Right!
Veer : You should go now! Ma'am aur Juhi wait kar rahi hongi aapka.
Shreya : Hmm! T-Tum nahi aaoge andar?
Veer : No! Mein do din baad Delhi jaa raha hu. Waha se aake hi milunga...
Shreya : Huh??? Delhi?? Kyu??
Veer : Kaam hai...
Shreya : O-Okay...
Veer : Jaaiye ab...
Shreya (blushes) : Hmm!
Wo jaane ke liye hui toh Veer apni gaadi me key lagaane laga.
Par achaanak hi wo palti aur agle hi pal, Veer ko apne gaalo par kuch geelapan sa mehsoos hua.
Iske pehle ki wo kuch samajh paata, Shreya sharmaate hue jhat-pat tezz kadmo ke saath lift ki orr bhaag gayi.
Aur bechaara Veer apni aankhein faade, hairaani me usse keval jaata hua hi dekhta raha.
'Huhhhhh!?'
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Baaki ju logo ko toh pata hi hai ki kya karna hai?
Dhanyavaad!
Excellent TwistUpdate - 41 ~ It's her...!?Ab tak...
Veer : Jaaiye ab...
Shreya (blushes) : Hmm!
Wo jaane ke liye hui toh Veer apni gaadi me key lagaane laga.
Par achaanak hi wo palti aur agle hi pal, Veer ko apne gaalo par kuch geelapan sa mehsoos hua.
Iske pehle ki wo kuch samajh paata, Shreya sharmaate hue jhat-pat tezz kadmo ke saath lift ki orr bhaag gayi.
Aur bechaara Veer apni aankhein faade, hairaani me usse keval jaata hua dekhta raha.
'Huhhhhh!?'
Ab aage...
*Yawns*
Subah subah Veer apne bistar par se jab utha toh aaj usse kuch alag sa mehsoos ho raha tha.
'Hmm? Why do I feel different?'
[Pata chal jaega Hehe~]
'Hmm?'
Usne na hi koi shirt daali aur bas yu hi apne lower me bistar se uth wo darwaaze ke paas aaya. Darwaaza kholte hi usse bagal ke kamre se hi nikalti hui Suman dikhaayi de gayi.
Jese hi Suman ki nazre Veer par padi, wo hairaani ke maare wahi sthir hoke theher gayi.
Suman : Maalik...!? Ye...
Veer : Hmm?? Kya hua!?
Agle hi pal Suman Veer ki taraf aayi, uska haath thaami aur usse apne sang uske kamre me laakar sheeshe ke saamne khada kar dii.
Jab Veer ne apna rang roop dekha toh wo khud chakit reh gaya tha.
'Wtf!???'
[Haha~]
Uska chehra pehle se kaafi khila hua lag raha tha. Rang bhi thoda fair nazar aa raha tha. Aur itna hi nahi, keval face hi nahi uska chest bhi kaafi well defined nazar aa raha tha.
Jagah jagah muscle cuts the aur four packs already bann chuke the. Hairat ke maare usne apne haatho se khud ke seene ko touch kiya.
Aur touch karte hi usse ek naya anubhav hua. Uski muscles kadak ho rahi thi. Thos ekdum.
'Wtf!???'
[Aapne kal ek saath 18 points invest kiye the Master Appearance me. Toh ye toh hona hi tha. Aur appearance me changes karne ke baad ye sirf face ko effect nahi karta.]
'Don't tell me...!?'
[Yes! Hehe~ It affects your whole body. Aapke poore physical appearance ko change karta hai. Yahi reason hai ki aapki body me bhi aapko changes dekhne ko mile hai. But dhyaan rakhiyega. Kabhi eksaath itne points na add kar lena appearance me ki ghar ke log pehchaan hi naa paaye. Haha~]
'Damn! Mujhe nahi pata tha itne significant changes dekhne ko milenge.'
[Well! Now you know...]
Suman : Dekha aapne Maalik!? Aapka chehra... Yaha tak ki aapka shareer... *blushes* ekdum se badla badla sa lag raha hai.
Veer : Ahem! Well... Haha~ Kyu nahi hoga. Mein apne khaan paan ka poora dhyaan jo rakh raha hu. Aur ye toh umr hi wesi hai... You know... Shareer me changes aate hai.
Suman (blushes) : J-Jii!
Wo itna bol palat ke jaane ke liye hui toh Veer ne achanak hi uska haath thaama aur ek jhatke se usse apne kareeb kheech apne seene se laga liya.
Suman : Ahh!???
Uske nagn pait me haath ferr, jo harr sparsh Suman ko siski lene par majboor kar raha tha, Veer ne dheere se uske kaan ki taraf badhte hue kaha,
"Par... Ye badlaav toh acche hai na!?"
Lambi lambi saasein liye, Suman keval haa me sarr hi hila paayi kyuki Veer ke honth already uski makhmali gardan par jam chuke the.
Suman (blushes) : Maalik... Sssssss...!
Aaj Veer ka mood kuch zyaada hi naughty ho raha tha. Apne haatho me usne Suman ki unn narm doodh ki thailiyo ko thaama aur poori shiddat se unhe masalne laga.
Bechaari Suman keval jhatke par jhatke hi liye jaa rahi thi. Aaj uske maalik kuch zyaada hi aakramak ho rahe the. Par kahi na kahi, usse apne Maalik ka ye roop bada bhaa raha tha. Wo jese chaahti hi yahi thi ki issi tarah uske Maalik uspe apna haq jataaye.
Kuch hi palo me Suman ki chuchiyya uske maroon colour ke blouse se baahar thi aur unn thano ka maza Veer bharpoor utha raha tha. Unn nipples ko marod marod ke wo Suman ko ek uttejit swar nikaalne par majboor kar raha tha.
Par ye maza jese bas kuch pal ke liye hi tha. Kyuki agle hi pal, paayalo ki khan khan ki awaaz Veer aur Suman dono ke hi kaano me padi,aur unhe samajh aaya ki koi upar aa raha hai.
Jhatke se Veer alag hua aur apni shirt pehn'ne laga wahi Suman ne bhi apna blouse bas seene se lagaaya aur upar pallu daal ke saamne khadi ho gayi.
Dekha toh upar aane waala shaks koi aur nahi, Ragini hi thi.
Ragini : Arre Veer!? Uth gaye!? S-Suman jii aap!?
Usne Suman ko dekha toh thoda ascharya chakit zaroor hui wo par jab dobaara se uski nazre Veer par gayi, toh maano ek jhatka sa laga usse.
Wo badi badi aankhein liye Veer ko dekh rahi thi jo apni shirt pehen raha tha aur achanak hi uski nazre firse Suman par jaa kar jamm gayi. Suman ko jese abhaas ho gaya tha ki Ragini kya soch rahi hai toh usne forun hi jawaab de diya,
Suman : Haan Ragini jii! Mein... Dekhne aayi thi... Ki Veer jii thik se soye kal raat ya nahi!?
Kehte hue usne apna blouse girne se bachaaya. Uske gaalo par bhi halki halki laali chhaayi hui thi.
Ragini : O-Ohh!
Ragini ki aankhein ek baar fir Veer ke chehre par jaakar tham gayi. Aaj Veer itna aakarshak lag raha tha ki iske pehle Ragini ne kabhi usse aisa nahi dekha tha.
Ragini : K-Kuch lagaaya tha kya Veer? Kal chehre pe...??
Veer (coughs) : J-Jii? Nahi toh...!?
Ragini : O-Ohh! Aaj... Aaj tumhaari skin boht fair lag rahi hai.
Veer (smiles) : Aap itne pyaar se hum sab ke liye itna pyaara pyaara khaana banaati ho, hamaari care karti ho toh rang roop me nikhaar toh aaega hi na?
Ragini : H-Huh!?
Veer : Aur aap ye kyu bhul gayi!? Ki aap khud bhi itni pyaari lag rahi ho? Aap bhi toh pehle se kahi zyaada sundar hoti jaa rahi ho Bhabhi! Aapko kisi ki nazar na lage...
Ragini (blushes) : Aahhh!??
Ye kehna galat nahi tha, ki Ragini ke gaal iss waqt tamatar ki tarah laal ho gaye the. Iske pehle Veer ne kabhi uske saath aisi baatein nahi kii thi. Kal se hi wo kuch badla badla sa behave kar raha tha.
Kal achanak hi usse apni baaho me bhar liya tha toh aaj ye... Na jaane aage kya kya hone waala tha!?
Par itna toh saaf tha...
Ki Ragini ko ye sab, kahi se bhi bura nahi lag raha tha. In fact, uska dil zorro se dhadak raha tha. Jab jab Veer uski tareef karta, ek jeeb sii khushi hone lagti usse.
Ragini (blushes) : T-Tum fresh hoke aao... M-Mein naashta taiyaar karti hu.
Aur wo jhat-pat bina Veer se dobaara nazre milaaye neeche ki orr bhaag gayi.
Par jaate jaate uske mann me sawaal zaroor umad rahe the.
'Y-Ye Veer...!? Achanak kya ho gaya isse!? Kal bhi... Ugh!!! Mein kya sochne lagi... Paagal kahi ka... Suman jii bhi wahi khadi thi. Arre kisi ke saamne aisa bolna zaroori tha kya!? Kitni sharm aa rahi thi mujhe... Na jaane wo kya soch rahi hongi?'
Par Ragini ke khayaalo se ulta, yaha Suman Veer ko muskuraate hue dekh rahi thi.
Suman : Ragini jii sharma gayi aap ki baato se...
Veer (smiles) : Hmm! By the way... Chalo neeche! Mein aata hu.
***
Kuch derr baad sabhi dining table par maujood the. Kavya aur Arohi pehle hi ghar jaa chuki thi. Par haa, ab unhone Ragini ke ghar aana bhi shuru kar diya tha. Wo college se lautate waqt ek baar zaroor aati aur sabhi se mil ke jaati.
Arohi ki baat Veer se hone lagi thi par abhi bhi... Wo uss se khul ke baat karne me thoda hichkichaati thi. Shayad... Samay ke saath ye duri kam ho jaaye!?
Veer apna naashta kar raha tha jab Ragini ne achanak hi sawaal kiya,
"Kal! Kal tum passport kis liye dhund rahe the Veer!? Kahi pe lagna hai kya?"
Veer : Hmm? Ohh! Well... Mein Delhi jaa raha hu.
Wo yu chabaate chabaate hi bola. Aur Ragini ye sunn usse muh khol ke dekhne lagi.
Ragini : Huh?
Veer : Kya hua?
Ragini : T-Tum Delhi jaa rahe ho?
Veer (nods) : Mmm-Hmm!
Ragini : K-Kiske saath!?
Veer : Kuch friends hai. Friends toh nahi kahunga but they are familiar...
Ragini (frowns) : Par aise bina bataaye tum firse...
Veer : Relax Bhabhi! Mein bas kuch din me aa jaunga. And don't worry! Mene kaha hai na aapko... Mein saari baatein share karunga aapse. Don't worry!
Ragini : O-Okay! Par... Kya unhone waqai tumhe apna passport laane ke liye kaha hai?
Veer (nods) : Uh-Huh...
Ragini : Pfffttt~
Veer : ???
Ragini (chuckes) : N-No nothing... Mein harr baar yahi kehti hu aur firse keh rahi hu. Ekdum safely travel karna okay? Phone karte rehna samay samay par. Mein koi bahaane nahi sunungi... Aur kaam hote hi jald se jald aana. Saari baatein baad me mujhe bataoge. Okay!?
Veer : J-Jii!
'Wtf! Why did she laugh!?'
[I-I don't know Master!]
***
Ye din Veer ne raat me apni packing karte hue guzaara. Aur agle hi din, uske ghar ke saamne ek badi sii sedan khadi hui thi.
Ye Suhana ne usse airport par laane tak ke liye bheji thi. Sabhi ko goodbye bol wo apni iss nayi trip par nikal chuka tha. Na jaane kya kya hone waala tha uske saath!? Wese hi... Itni rushed ho chuki thi uski life. Delhi me uske liye kesi sthitiya uska intezaar kar rahi thi, ye kisi ko nahi pata tha.
Kuch chand palo me hi Veer airport pohuch chuka tha. Iss beech raaste me usne Pari se Hawkeye ke baare me bhi kayi details jaani...
Hawkeye usse luckily mili thi. Warna Diamond Tier skill ka itni asaani se milna boht hi rare chance maana jaata hai.
Usse pata laga ki uska aim kabhi nahi chookega. It will be perfect.
Filhaal ke liye toh Veer ko ye skill itni powerful lagi ki usne ye bhi socha ki wo isko abuse bhi kar sakta hai. Kyuki System ne usse koi demerits nahi bataaye the. Par...
Kya Hawkeye waqai abusable thi!? Ya fir...!?
Kuch aur bhi sachaayi thi? Ye toh samay hi bataane waala tha.
Jab Veer airport par pohucha toh usse Suhana aur Sonia dono hi side me ek jagah khadi hui nazar aayi.
Suhana (smiles) : And he's here...! Wait!!!! Huh???
Sonia~
Sonia jo ki ek casual outfit me thi, palat ke Veer ko dekh itni surprised thi ki uska chehra hi batla raha tha.
Sonia : V-Veer!????? Huh???
Dono Veer ka chehra dekh ke shocked sii thi. Itna badlaav jo nazar aa raha tha uske chehre me.
Veer : Y-Yeah!?
Sonia : Tum yaha kya kar rahe ho... No wait! What the hell Dii? Toh aap Veer ki baat kar rahi thi? He's the one? Jo hamaare saath aa raha hai?
Suhana : Well yes! Kyu? Isme kya problem hai bhala?
Sonia : Arre par... Kyuuuuuuuu?? Veer ko kyu??? Mein already usse itna pareshan kar chuki hu and now you're dragging him into this?
Suhana (smiles) : Chill behna Chill! Well, considering how good your friend circle is... Veer ek perfect choice hai. Hai ki nahi?
Suhana ke bol kadwe zaroor the par jese seedha Sonia ke dil par jaa ke lage.
Sonia : Ughhhh!
Aur wo chupp ho gayi.
Waqai!
Suhana ki harr baat sach thi. Sonia ka friend circle jo tha. Wo tha na ke baraabar. Pushkar uska childhood friend iss duniya se jaa chuka tha. Aur baaki jo 2 friends the unko shayad dono hi behno ne consider nahi kiya.
Wo apna sarr jhukaaye bas Veer aur Suhana se nazre churaane lagi.
Veer : Umm...!?
Suhana : Ahh! Right! Tum Passport laaye?
Veer (nods) : Haa of course!
"Pfffttttttt Hahahahahahahahaha~"
Aur agle hi pal Suhana wahi zorr zorr se thahaake laga ke hassne lagi.
Veer : ????
Sonia : ????
Suhana : He actually brought.... Hahahahahaha~
Wo apna pait pakad ke hasse jaa rahi thi. Aur Veer aur Sonia dono hi usse prashn bhari nazro se ghur rahe the. Khaaskar Veer.
'Wtf? She's gone mad or what?'
Suhana : Hahahahaha~ Can you imagine!? Can you imagine Sonu??? Ye ladka... Hahahaha~ Ye Passport laaya hai travel karne ke liye. Wo bhi Mumbai to Delhi... Hahahahaha~
Jab Suhana ki baat Sonia ne suni toh wo hairat me Veer ko dekhi aur agle hi pal...
Sonia (chuckles) : Fufu~
Halki sii hassi uske muh se bhi chooth hi gayi. Veer ko zyaada bura na lage isliye wo khud ko control karne lagi par fir bhi... Halki sii muskaan abhi bhi uske chehre par barkarar thi.
'Fuccccccckkkk! What the hell???'
[Passport ko lekar kuch chakkar hai Master!]
Jab dono hi behno ka hassna band hua toh finally Sonia Veer ke kareeb aayi aur pyaari sii awaaz me usse samjhaayi...
Sonia (smiles) : Veer! Domestic flights me Passport ki koi zaroorat nahi padti hai... Keval ID ki hi zaroorat padti hai. Tumhaara abhi ka passport keval ID proof ke liye hi kaam aaega... Because hum domestic hi travel kar rahe hai.
'Fucccccckkkk youuuuu Suhanaaaaaa!!!'
Sonia ka jawaab sunn, Veer ke mann me yahi nikla bas.
'Pari! Tumne mujhe kuch kyu nahi bataaya!?'
[Master! I only know what you know. Mein iske alaawa aur kese jaankaari de sakti hu? It's not possible right now.]
'Arrrghhh! Right! Mein bhul gaya tha! But ye Suhana. She did it on purpose. Sonia jii ke saamne meri beizzati karna chaahti hai ye. I see... Eeet ka jawaab patthar se dena aata hai mujhe...'
Sonia : Kya tumhe nahi pata tha Veer!?
Veer : N-No! Mene kabhi travel nahi kiya flight me. Mujhe ahem... Iske baare me koi knowledge nahi tha.
Sonia (smiles) : It's okay!!! Pehli baar hota hai Veer.
Pata nahi kyu, par Sonia ko muskaan dekh, Veer apne aap shaant sa pad gaya.
Veer (blushes) : Th-Thank you!
Sonia (smiles) : Don't mention it.
Veer : Aap dikhi nahi... Mein... Aapke ghar aaya tha do baar...
Sonia (surprised) : You came!?????
Aur wo palat ke Suhana ko ghur ke dekhti hai jisne uss se ye baat chhipaayi hui thi.
Suhana : Ahem! Well! Tum busy thi toh mene tumhe nahi bataaya!
Sonia : Really Diii!????
Suhana : Ughh! Ab theek hai na... Let's go!! Flight ka time ho raha hai.
Veer : Wait! Meri ticket!? Mein kese...
Sonia (smiles) : Don't worry! Hum chaaro ki ticket already arranged hai.
Veer : Huh?? But... Aapne kaha na... Wo ID lagti hai... And... Meri ID toh mere paas hai... Aur...
Sonia (smiles) : I have all your details Veer!
Veer : H-Huh!??
Veer iss se pehle kuch keh paata tabhi usse apne bagal se ek awaaz sunaayi dii,
"Good Afternoon Sir!"
'Waaaaaa....'
Achanak hi bagal se ek suit pehna hua aadmi uske saamne tha.
Prakash!
Sonia ka personal assistant jisse wo apna P.A kam uncle zyaada maanti thi.
'T-This man... scared the shit outta me...'
[Ye kab prakat hua!? Even I couldn't see.]
Veer : G-Good Afternoon Haha~
Suhana : let's gooo yaar... Kitna time lagaoge...!?? Aur ye... Ye tumhaare chehre ko kya hua!? Veer!?
Sonia : Righttt!!!??
Veer : Ahem... Kuch bhi toh nahi!? Mein thand me gora hone lagta hu...
Suhana : What the hell?
***
Kuch hi derr baad sabhi flight me apni seats par viraajmaan the.
Suhana ka mazaak Veer bhula nahi tha. Aur usne mann me ye note likh liya tha ki Suhana ke saath bhi ek prank karna hai.
Iss dauraan Sonia Veer ko flights se related saari baatein samjha rahi thi. Kyuki wo uske bagal se jo baithi hui thi. Wahi Suhana window seat ke paas baithi hui apne hi khyaalo me ghum thi.
Sonia : Veer! Tumne pucha VISA kis kaam aata hai right?
Veer : Y-Yeah!
Sonia : Well, Jab aap foreign country me entry lena chaahte ho toh ye zaroori hota hai Veer. Ye bhi alag alag types ke hote hai. Kisi din... Tumhe poora details me samjhaungi... I mean... If you want.
Veer : Ah! Sure! N-No problem!
***
Kuch din pehle...
Delhi...
Hotel xxxxxxxxxxxx...
Ek aadmi floral shirt pehne Aur trouser pehne baitha hua tha. Saamne uske badi sii dining table pe dherr saari alag alag khaane ki dishes rakhi hui thi. Aur spoon, fork haatho me liye wo apna lunch kar raha tha jab achanak hi ek aadmi bhaagta hua kamre me enter kiya.
Aadmi : D-Dadaaaa....!!
Dada : ??
Iske pehle ki wo aadmi kuch bol paata. Ek dusra aadmi jo gun liye side me khada tha usne apni gun ko andar aaye aadmi ke upar taante hue kaha,
Aadmi : Pata hai na ye Dada ke khaana ka samay hai!? Himmat kese hui tumhaari andar ghusne kii?
Aadmi : Steve Bhai! Wo... Wo baat hi kuch aisi hai. Boht important baat hai. Aur baat boht hi dukh bhari hai...
Steve : Bolo jaldi!
Aur Steve peeche ho gaya.
Andar aaya hua aadmi darrte hue dining table ke paas aaya aur apni topi nikaal haath jod ke khada ho gaya.
Aadmi : Dada... Dada... Boht buri khabar hai.
Dada : Suna mene! Kaho!
Aadmi : W-Wo.... *gulps*
Dada : ???
Aadmi (shivers) : A-Aatish... Aatish bhau nahi rahe. Kal hi... M-Mujhe pata chala ki A-Aatish bhau ko boht hi buri tarah se maut ke ghaat utaara hai kisi ne... Unke apne... apne paaltu jaanwar Clutch ke haatho... Kisi ne...
Bas!
Uska itna sunn'na tha ki chair par baithe Dada ne side me rakhe kaanch ke glass ko zorr se bheenchte hue saamne ki orr phekk diya.
*Craaashhhhh*
Aadmi : *gulps*
Steve : Dada...!
Dada : Details...
Steve : Jii Dada...
Aur bas ek shabd bol, Dada uthate hue apna khaana wahi chorr baahar nikal gaya.
Steve ko jese pata tha ki kya karna hai.
***
Idhar Veer aur baaki sabhi bas kuch ghante ki duri tay karne ke baad Delhi pohuch chuke the.
Veer : Toh!? Kaha chalna hai hume!?
Suhana : Hmm? Ohhh!
Veer : ....
Suhana (smiles) : Hotel me...!
Veer : Aapne toh kaha tha ki koi innovative function hai. Hai na?
Suhana (smiles) : Wo toh kal hai. Aaj shaam ko... Hume hotel me jaana hai. There's a party. Meri presence waha zaroori hai. So pehle waha. Kaafi saari companies ke bade bade log aayenge... So dress well okay!?
Veer : Ughhh!
Suhana : Ab ye mat kehna ki tum suit wagarah nahi laaye!??
Veer : I... I really didn't...
Suhana (shocked) : What the hell??? Arre mene jo debit card diya tha uska kya kiya tumne?
Veer : Wo? Wo rakha hai mere paas.
Suhana : Aur tumne usme se apne liye kuch nahi khareeda???????
Veer : Filhaal toh aisa kuch nahi khareeda...
Veer ki baat sunn Suhana apna sarr pakad lii. Aur tab hi decide hua, ki sabse pehle wo shopping par jaengi aur Veer ke liye ek suit lengi.
Aur yahi hua...
Ek tuxedo Veer ke liye Sonia ne pasand kiya. Veer ko thoda awkward lag raha tha. Ye sab kuch wo pehli baar pehn'ne waala tha. Thoda nervous bhi tha wo. Aaj se pehle usne kabhi bhi itni badi hotel me apne kadam nahi rakhe the. Na jaane kitne bade bade log maujood honge waha. Kya wo waqai apne aap ko sambhaal ke rakh paega!?
Shaam ka samay tha aur hotel andar se lights se jagmaga raha tha. Bade bade log haatho me wine ka glass liye ek dusre se baat kar rahe the.
Veer awkwardly Sonia aur Suhana ke bagal se khada hua tha. Ye kehna galat nahi hoga ki uske paseene chooth rahe the iss waqt. Kyuki dono hi Sonia aur Suhana item bomb lag rahi thi.
Aur dono hi Veer ke agal bagal se lag ke khadi hui thi. Veer ko jaha proud toh feel ho hi raha tha par saath hi saath utna hi nervous bhi tha woh...
'Ye sabhi log... Mujhe aise kyu dekh rahe hai? Pari? Mere muh pe kuch laga toh nahi hai na!?'
[Haha~ You are the public enemy number 1.]
'???'
[Sonia ke kayi saare suitors hai. There's no way usse dekh ke ameero ke shehzaade usse nahi pehchaanenge. Aur wo aapke bagal se khadi hui hai. So... You are their enemy! Haha~]
'Fuckkkkk!'
Suhana : Well! Mein kisi se mil ke aati hu. You two enjoy!
Aur Suhana waha se jaa chuki thi.
Sonia : Aur gayi wo... *sighs*
Veer : Aapko pasand nahi parties!?
Sonia : Hmm? Pasand hai Veer! Par... Not these types of parties... Inn parties me... Freedom chhin jaata hai.
Veer : ???
Aur jese Sonia ki baat sach ho gayi...
Kyuki agle hi pal, ek bada hi raees sa banda poora mehnge suit me saja hua unke kareeb aaya. Haatho me ek wine ka glass tha aur nazro me pehle hi ghamand nazar aa raha tha.
Guy : If it isn't the one and only, the most beautiful, Miss Sonia!??
Aur kareeb aake wo Veer ko side kar Sonia ke saamne khada ho gaya.
Jese maano Veer uske saamne kisi waiter ke samaan tha.
[Screw this guy....]
Apni bauhe sikode Veer chup chaap khada raha. Usne kuch kehna zaroori nahi samjha...
Sonia ne ye notice kiya aur wo forun hi do kadam peeche hui aur Veer ke bagal se khadi hoke uske kandhe par apna ek haath rakh dii,
Guy : Hmm??
Sonia (smiles) : Nice to meet you Mister Rohan!
Rohan : Kya mein puch sakta hu? Who's this?
Sonia : He's with me... One of my precious friend!
Sonia ne muskuraate hue kaha toh Rohan ko maano ye baat kuch hazam sii nahi hui. Usne Veer ko upar se neeche dekha aur dheere se dabe hontho se budbudaaya,
"Just a 'good for nothing' Hmph!"
Veer (frowns) : You said something...!?
Rohan kuch kehta ki tabhi peecho se taaliya bajne ki awaaz aane lagi aur na chaahte hue bhi sabhi ki nazre peeche ki orr chali gayi.
Aur kyu na jaati!? Peeche se ek behad hi sundar husn ki mallika jo aa rahi thi.
Par jese hi Veer aur Sonia ki nazre uss ladki par padi dono ki hi nazre hairaani ke maare felti chali gayi.
'It's... It's her...!????'
Veer ko toh jese jhatka sa laga tha.
Wo ladki... Jiske upar sabhi ki nazre thi. Usne jese hi
Veer aur Sonia ki taraf dekha uske kadam wahi theher gaye.
Aur Sonia aur uss ladki ki aankhein ek dusre se jaa mili...
Sonia usse dekh ke poori tarah se stabdh thi. Usse bilkul bhi ye umeed nahi thi. Uss ladki ke yaha hone ki...
Uske honth khule aur bas dheere se ek hi shabd nikla...,
"K.... Kaera!?"
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Don't forget to like!
Dhanyavaad!
Update - 42 ~ Strange RelationshipAb tak...
Wo ladki... Jiske upar sabhi ki nazre thi. Usne jese hi
Veer aur Sonia ki taraf dekha uske kadam wahi theher gaye.
Aur Sonia aur uss ladki ki aankhein ek dusre se jaa mili...
Sonia usse dekh ke poori tarah se stabdh thi. Usse bilkul bhi ye umeed nahi thi. Uss ladki ke yaha hone ki...
Uske honth khule aur bas dheere se ek hi shabd nikla...,
"K.... Kaera!?"
Ab aage...
Kaera ki nazre aur Sonia ki nazre dono hi aapas me bhidi hui thi, aur na jaane kitni anginat baatein unn dono ki nigaahe ek dusre se keh gayi.
Veer ko Kaera ne abhi tak nahi dekha tha. Uska poora dhyaan Sonia par hi tha. Aur issi mauke ka fayda uthaate hue Veer dheere dheere kuch kadam peeche ki orr liya aur palat ke wo waha se nikalne laga.
'Fuckkkkk... Ye toh wahi hai... Shitttt!!! Club waali... Pari! Remember??'
[Yes Master! But aap bhaag kyu rahe hai?]
'Toh kya karu? I don't want to face her. Tumhe pata hai na mene uske saath kya kiya tha? Aur upar se... Suhana ne kaha tha na. Boht bade bade log aaenge. Iska matlab... She's definitely not a normal person.'
[But aisa thodi hai ki wo aapko kha jaegi.]
'Nooo... Khaegi nahi par yadi galti se bhi usne Sonia jii ke saamne kuch keh diya toh..... Shitttt! Wo dono ek dusre ko jaanti hai. Kahi usne meri baat bata dii toh?'
[Ohhhhh!!!]
'Mein aise bhaagna nahi chaahta par abhi situation hi aisi hai.'
Aur Veer logo ke agal bagal se nikal dur jaane laga.
Idhar Kaera dheere dheere seedhiyo se neeche utri, uska aura hi aisa tha jiske chalte sabhi uske saamne khade log usse nikalne ke liye jagah dene lage aur side hatt gaye.
Ekdum se jese sab shaant pad gaye the. Bas unn high heels ki hi awaaz aa rahi thi jo Sonia ki taraf badh rahi thi.
Wo aate hue seedhe Sonia ke saamne khadi hui. Do itni khubsoorat ladkiya aamne saamne khadi hui thi aur aas paas ke sabhi logo ki nazre unn dono par hi thi.
Sab ka dhyaan apne upar kendrit karwa ke rakhi hui thi Kaera.
Aur finally, Sonia ne iss khamoshi ko dur kiya.
Sonia (frowns) : Kaera...!! I thought you were in America...!?
Kaera : Prakash Sir abhi bhi sabhi ko investigate karne ka kaam karte hai? Tell him to get his news updated then.
Sonia : *frowns*
Kaera : Mein America se kal hi yaha aa gayi thi. What about you? I thought... Sirf Suhana hi dikhegi yaha pe...
Halaki Kaera umr me Sonia jitni hi thi par...
Uske bawajood wo Suhana ko uske naam se hi bulaati thi.
Sonia : Mein unke saath chali aayi. Any problems!?
Kaera : That's so not like you...
Sonia (smiles) : Because I'm not alone.
Kaera : ???
Kaera ko Sonia ka ye jawaab kuch atpata sa laga aur wo prashn bhari nazro se usse dekhni lagi. Jese maano uske haav bhaav dekh ke sach jaan'ne ka prayaas kar rahi ho. Par Sonia ki muskaan usse aur bhi chintan me doobne ke liye vivash kar rahi thi.
Uska sochna, iss baar kaam na aaya. Wo nahi jaan paa rahi thi ki akhir Sonia kya kehna chaah rahi thi. Aisa pehla kabhi nahi hua tha. Wo toh Sonia ke saare actions se waaqif rehti thi. Fir aaj kyu...!?
Kyu wahi muskaan uski samajh me nahi aa rahi thi. Akhir uss muskaan ke peeche ka kaaran kya tha?
Inn dono ko akela chorr idhar Veer nikalte hue baahar jaane hi waala tha jab achanak hi uski kalaayi kisi ne pakdi aur usse kheech ke palta diya.
Veer : What the...!? Huh!?
Uska haath thaame Suhana usse confusion me dekh rahi thi.
Suhana : Kidhar chale tum? Sonu kaha hai? Mene tumhe kaha tha na uske saath rehne ke liye...
Veer : Wo... Wo kisi se baat kar rahi hai shayad.
Suhana : Huh? Kis se?
Veer : Umm... Udhar dekhiye...
Jab Veer ki nazro ko Suhana ne follow kia aur jo nazaara usne dekha, toh usse dekh uski khud ki hi aankhein hairaani ke maare fel gayi.
Suhana : I knew it... Itni badi party ho... Aur ye yaha na aaye... Bhala aisa kese ho sakta hai?
Veer : A-Aap unhe jaanti ho?
Suhana : Jaanti hu? Arre... Boht acche se jaanti hu... Hmph!
Veer : ??
Suhana : Mene tumhe bataaya tha na...!?
Veer : Kya?
Suhana : Sonia had three childhood friends. Ek Pushkar jo ab iss duniya me nahi raha... And there were two more...
Veer : Hmm!
Suhana : Well... And she's one of them. Kaera!
'Kaera... Ek sundar naam...'
[I agree Master!]
Suhana : Chalo ab...
Aur Suhana Veer ko kheechte hue Sonia aur Kaera ke paas le jaane lagi.
Veer : Whaaaaattt?? No no no no.... M-Mujhe baahar jaana hai... Wait!
Suhana : Ugh!!! Baahar kyu jaana hai? What the hell? Andar ho raha hai sab kuch...
Veer : Wo... Haan! Mujhe washroom jaana hai...
Suhana : Haa toh washroom andar hai ab chalo... Aur washroom baad me jaana... Pehle tum mere saath chalo jaldi...
'Fucccckkkkkkkk...'
Suhana Veer ko ghaseet kar le jaane lagi. Na chaahte hue bhi Veer ko ab toh jaana hi tha.
Nervousness toh itni ho rahi thi ab usse ki pucho mat. Kya hoga jab Kaera usse dekhegi aur usse pata chalega...!? Ki Veer wahi banda hai jisne uski virginity lii thi.
'Wait! Mene usse number chorra tha apna... And she didn't call me... Kahi wo bhul toh nahi gayi!? Nahi! Then why...!? Kya wo mujhe pehchaan paegi!? Obviously! No wait... Wo nashe me bhi toh thi... Shitttttt!!!!'
[Ab jo hoye so hoye Master! We'll face it. No matter what aap ko ab peeche nahi hatna hai. You are the Alpha Master. Be the dominator.]
'Yeaaahhh! Right!'
Aur kuch hi palo me Veer Suhana ke sang Sonia aur Kaera ke saamne tha.
Jese hi Kaera ne dono ko aate dekha, toh sabse pehle toh uski nazar Suhana pe gayi aur uske chehre pe santushti ke bhaav aaye. Jese maano wo issi cheez ki umeed me thi.
Kaera (mann me) : As expected...
Par jese hi uski nazre Suhana se hatt bagal me khade Veer par gayi toh wo apni bauhe sikode usse dekhne lagi.
Usne dekha, ki Suhana ke haath Veer ki baazu ko thaame hue the.
Kaera : Hmm?
Fir agle hi pal usse jese Veer ka chehra kuch jaana pehchaana sa laga. Aur dheere dheere jese saari picture clear hoti chali gayi.
Uski aankhein surprise ke chalte badi hoti chali gayi. Aur muh halka sa khul gaya.
Uska ye reaction Sonia ki nazro se bach ke nahi jaa paaya.
She noticed.
Aur Suhana ne bhi ye notice kiya.
Kaera (mann me) : It's him...!!!!! But... How!? Itna kese changed...!?
'Fuckkkk! Gaya mein... Usse yaad hai... Usse definitely yaad hai...'
Aur agle hi pal, wo Veer ki taraf badhi aur uske sameep aayi.
Uske honth kuch kehne ke liye khule...
'Fuccckkk...!!'
Par achanak hi wo honth band ho gaye. Aur uski nazre bhi Veer se hatt Suhana ki taraf jaa pohuchi...
Kaera : I knew you would come...
Suhana : Hmph! Keval husband busy the... Isliye...
Kaera : Of course! I know! I know all the details...
Suhana : *frowns*
Kaera : And... Who's this gentleman...!?
'Huh!? Wait! Ye bhul gayi kya? No no no... Usse yaad hai definitely. Is she trying to save me? Anjaan bann rahi hai!? Hmm!'
Suhana : Well... Ye... Ahem! Veer... Meet her. She's
Kaera. Sonu's childhood friend. And umm... He's Veer... Sonu ka friend.
Kaera : Veer huh....!? Sonia made a friend!? Interesting!
Veer : N-Nice to meet you...!
Jab Veer ne apna haath aage badhaaya toh Kaera ke chehre par ek muskaan thi. Halki sii hi thi par thi zaroor.
Aur ye dekh thodi dur khade do aadmi aapas me baatein karne lage.
"Abey Jassiiii....!"
Jassi : Hmm! Dekh raha hu...
Raghu : Wahiiiii!!
Jassi : Miss ke hontho par muskaan aayi thi. Bhale hi kuch pal ke liye thi. Par mene dekha...
Raghu : Haan! Abey ek minute... Abey ye toh wahi hai na? Meri aankhein kabhi dhoka nahi kha sakti... Abe jisne Miss ko waha club se bachaaya tha...
Jassi : Hmm? Arre haan... Waqai! Ye wahi hai.
Raghu : Ye yaha kya kar raha hai? Nahi... Usse se bhi bada sawaal. Miss ke chehre par usse dekh muskaan kyu hai...!?
Jassi : Ahh! Ab samajh aaya... Zaahir sii baat hai unke chehre par smile hai. Unhe yaad hai ki unhe kisne bachaaya tha. Hum ne hi toh baad me unhe bataaya tha na... Kya kuch hua tha club me.
Raghu : Ohhhhh!
Jassi : Kam se kam unki smile toh dekhne mili...
Raghu (smiles) : Hmm... Hmm...
Ye dono Kaera ke wahi bodyguards the jinse Veer ki mulaqaat club me hui thi.
Idhar Kaera ne Veer ka haath thaama. Unn haatho ko thaamte hi Veer ko Kaera ki makhmali twacha ka jab anubhav hua toh andar hi andar uska shareer garmaane laga.
Veer ne jab paas se firse ussi chehre ko dekha toh ye kehna galat nahi tha ki usse sharm aani shuru ho chuki thi.
Kaera thi hi itni sundar. Upar se... Wo uske itne qareeb thi ki Veer ka nazre milaana hi mushqil ho raha tha.
Par Veer bhi ab pehle ki tarah nahi tha. Usne Kaera ki aankho me dekha. Wo iss baat se confused tha ki akhir Kaera ne uska sach ujaagar kyu nahi kiya!?
Itni badi baat... Aur wo Veer ko aise hi jaane de rahi thi? Itni badi personality... Aise me toh usse pehle hi Veer ki khatiya kar deni chahiye thi. Par uske bawajood na toh ek call aaya uska... Aur na hi.. usne kuch kiya.
Bhala kyu!? Koi ladki kese apni virginity ko leke itni insensitive reh sakti hai? Ye toh harr ladki ke liye boht important matter hota hai. Not to mention ki Kaera ek boht badi personality thi. Fir uske liye toh ye aur bhi important hona chahiye tha.
Then kyu!? Veer jese sadhaaran se ladke ko wo bacha rahi thi? Yahi sawaal Veer ke mann me chal rahe the. Par usse dur dur tak inn prashno ka uttar dikhaayi nahi de raha tha.
'Just why...!?'
[Wo ye jaan bujh ke kar rahi hai Master. Kaaran toh mujhe bhi nahi pata...]
'Wait! I can check her...'
'Check'
[You are not eligible to view this person's status.]
Aur ye padhte hi ek zordaar jhatka laga Veer ko.
'What the fuck!?'
Pari Level 4 par thi. Uske bawajood ye notification jese Veer ko aur duwidha me daal chuka tha. Kya status hoga Kaera ka jab Pari level 4 pe bhi nahi dekh paayi uske status ko.
Veer ne agle hi pal Sonia ko dekha aur...
'Check!'
[Name - Sonia
Age - 26 yrs
Bio - Sonia! Ek boht hi talented, khubsoorat aur mehanati ladki hai. Ek strong independent business woman. Suhana usse boht preeya hai. 3 childhood friends the uske~ Pushkar, Kaera, aur ******. Kuch uljhano me rehti hai. Kaera is her role model.
Favourability - 39
Relationship - Close Familiars]
Sonia ka poora Data uske saamne khula hua tha.
Aur ek Koshish firse kar Veer ne firse Kaera ko scan kia. Akhir Sonia ka status bhi wo ab padhne me saksham tha.
Par...
[You are not eligible to view this person's status.]
'Shittttttt!!!'
Veer chaah kar bhi, Kaera ka status nahi dekh paa raha tha.
'Just who is she...!?'
Ab iska jawaab toh usse Sonia ke through yu hi mil jaata. Par system dwaara diya gaya description ek alag hi cheez hoti hai apne aap me.
"Nice to meet you.... Veer!"
Kaera ke shabd jese usse apni soch se baahar laaye. Wo peeche hati aur ek antim nazar Veer par daal wo yu hi waha se jaane lagi.
Toh Rohan jo ab tak iss poore nazaare ko dekh raha tha wo apni aas liye bhaagta hua Kaera ke bagal me aaya aur badi hi respect ke saath Kaera se kuch kehna chaaha...
Par Kaera ne usse aise treat kiya jese maano Rohan keval ek hawa ko jhoka ho. Wo bina ruke, bina kisi se baat kiye seedhe hi ek table ki orr jaane lagi. Wo apni seat par baithi toh agle hi pal ek aur business attire me ek professional lady uske bagal me aa kar baith gayi.
Idhar Rohan bechaare ki gaand jalna swabhaavik tha. Wo kehte hai na, jo jesa karta hai wo wesa hi bharta hai.
Jo usne Veer ke saath kiya tha. Wesa hi raviyya usse Kaera se mila. Aur ye sabhi waha khade hue logo ne dekha. Rohan ne jese hi dekha ki Veer usse dekh ke muskuraa raha hai, toh uski gaand aur bhi jal gayi. Aur sulghi gaand liye wo apne daat meeste hue waha se nikal gaya.
[Haha~ Such a jerk. That's what you get for disrespecting my Master!]
Veer : Sonia jii... Aapki friend... Yu hi nikal gayi...??
Suhana (sighs) : Ye toh harr baar ka hai.
Veer : Kya matlab!?
Suhana : Let's move to our table... Dinner start ho chuka hai. Wahi samjhaati hu.
Aur Sonia aur Veer ko liye Suhana apni table ki seat me viraajmaan thi.
Uss se kuch hi duri par Kaera ki table thi jaha keval wo aur shayad uski P.A baithi hui thi.
Aur harr ek na ek pal, Kaera ki nazre Veer se bhidti. Nazro ke yu milaap se Veer apni nigaahe hataane par majboor ho jaata. Par ye naino ke khel me keval wahi nahi shaamil tha.
Veer ke saamne baithi Sonia, usse aur Kaera ko ghur ghur ko side eye kar ke dekh rahi thi. Harr ek action uski nazre pakad rahi thi.
Aur pata nahi kyu... Ek ajeeb sii bechaini sii ho rahi thi usse Kaera ke yu iss tarah se Veer ko dekhne par...
Sonia (mann me) : Just what is going on between them!? K-Kya Kaera...?? Veer ko jaanti hai...!? Dono aise baar baar kyu dekh rahe hai... This is so ... Ugh! It's making me anxious...
Suhana : Haa! Toh... Baat aisi hai ki...
Sonia : Ye bataana zaroori hai...!?
Suhana : Hmm? Kyu? Kya tumhe Veer pe bharosa nahi..!?
Sonia : Aisi baat nahi hai. I trust him... It's just...
Suhana : Toh kya dikkat hai...!? Well, wo hamaare saath hai so there's no harm in telling him.
Veer : !??
Suhana : Darasal... Jab Sonu choti thi. Tab se hi uske 3 khaas dost the.
Veer : Ohhh!
Suhana : Aur teeno hi well... Hamaari tarah rich family ko belong karte hai. I mean... Pushkar ab nahi raha... But Kaera aur Nat abhi bhi hai.
Veer : Nat!?
Suhana : Hmm! Nat... Matlab Natalia. She's a singer. Wo yaha nahi rehti ab. Foreign me hai. Sonu ne uske saath bhi apna touch kho diya.
Veer : Uske saath matlab!?
Suhana (sighs) : Kaera se bhi... Sonu ki patri nahi khaati... I don't know uss Kaera ko achanak kya hua hai ki wo bas aise behave karti hai kese Sonu uski bachpan ki dost nahi bas ek stranger hai.
Veer : Aisa kyu bhala?
Suhana : I don't know. Wo pehle aisi nahi thi. I hate to say it... But... She's damn intelligent. I mean... Wo boht hi zyaada talented hai. Ek alag hi level pe hai wo. Sonu se bhi zyaada...
Veer (surprised) : R-Really!???
'Fuckkkk! Ye Suhana mujhe darra rahi hai ya bata rahi hai....!?'
Suhana : Hmm! Bachpan se hi... Sonu usse apna role model maanti aayi hai. Ye kehna galat nahi hoga ki aaj yadi Sonu iss mukaam par hai toh uska boht bada kaaran Kaera hai.
Suhana ke aisa kehne par Sonia ka chehra apne aap neeche udaasi me jhuk gaya jo Veer dekh paa raha tha.
Suhana : Kaera aur Sonu ke beech boht gehra rishta tha. Boht gehra. Par achanak hi... Kaera foreign shift ho gayi thi. Uske baad Sonu aur uske beech kayi saalo tak mulaqaat nahi hui. Aur jab hui... Toh uski personality completely badal chuki thi.
Veer : I see... Aisa kya hua hoga bhala...!?
Suhana : Iska koi fayda nahi. Lakh baar puch chuki hai Sonu aur mein bhi... But she remains indifferent. Wo bas... I don't know kehke hume jawaab de deti hai. Na jaane kya hua hai.
Veer : But... Aisa kese... Baat karne se koi na koi toh hal niklega hi...
Suhana : You don't understand Veer. Maamla boht pecheeda hai. Trust me!
Aisa kya hua tha inn do saheliyo ke beech bhala!? Jo aaj dono itni gehri dosti rakhne ke baad ek dusre se aise pesh aa rahi thi jese maano anjaan ho.
Sonia ka yu maayusi se bhara chehra Veer ko kahi na kahi andar se bada hi tang kar raha tha. Uska dil khud bechain hue jaa raha tha.
Aur agle hi pal Suhana ne fir aur kuch baatein ujaagar kii,
Suhana : Baat sirf itni nahi hai. Sonu ko inferiority complex hai...
Sonia : Diiiiiiiii....
Suhana : Shhh! Jo sach hai wo sach hai.
Sonia : Ughhh!!!!
Wo Veer se nazre churaaye ek baar fir apna sarr jhuka lii.
Suhana : Yaani ki... Sonu apne aap ko Kaera ke saamne tucch samajhti hai. Usse lagta hai ki wo kabhi bhi Kaera se aage nahi nikal paegi. Hamesha uss se peeche hi rahegi. Chaahe wo sundarta ho, chaahe intelligence, chaahe leadership, chaahe richness, personality, everything.... You name it. Harr baar... Meri Sonu... Bechaari maat kha jaati hai.
Veer : Ahh! I see... Ki kyu aap unhe apna role model maanti hai...
Suhana : Par yahi heen bhaavna Sonu ki aur badh jaati hai jab jab usse ye realize hota hai ki wo aur Kaera ek hi umr kii hai. Fir bhi... Look at the difference.
Sonia : And thank you for again making me realize.
Suhana : Sorry Sonu! I had to...
Veer : Iska koi na koi solution toh hoga...
Suhana : Hmm! Par ye yahi khatam nahi hota...
Veer : Huh??
Suhana : Jab jab... Sonu ne kuch paana chaaha hai... Kaera wo pehle hi paa chuki thi.
Veer : ??
Suhana : Bachpan me school me first aane ke liye mehnat karti thi Sonu par top pe hamesha se Kaera ka naam hota tha. Sports me race me first aane ke liye Sonu practice karti thi toh usse pata chalta tha ki Kaera pehle se hi top rank holder hai. Bade hue toh Business me already Kaera apni company ko kaha se kaha leke aa gayi... Aur Sonu abhi bhi uss se boht peeche hai... Itna hi nahi... Jis University se Kaera thi, Sonu ne bhi wahi admission liya tha, iss aas me ki wo iss baar Kaera ko academics me peeche chorregi...
Veer : Then!?
Suhana (sighs) : Firse muh ki khaani padi... Kaera University ki topper in academics bani. Dono ke beech hi ek bridge bana hua hai jo itna lamba hai ki bechaari meri Sonu... Bas usse paar karne ke liye din raat mehnat karti rehti hai.
Veer : Par itni mehnat kyu? Sonia jii... Aap ke paas itna paisa hai... Bhale hi Kaera jii se kam hai. Par... Aapke paas apne aap me ek santushti janak sampatti hai. Fir isme itni mehnat kyu!??
Suhana : Veer! Samjho...!
Veer : ??
Suhana : Pehle... Sonu ye sab karti thi because she wanted to beat Kaera... Wo Kaera se aage nikalna chaahti thi. Tab usse jalan bhi hoti thi. Par ab...
Veer : Ab!?
Suhana : Ab Sonu usse haraana chaahti hai to get her attention. Keval ek baar uska dhyaan kheechna chaahti hai. Apni uss puraani sabse close saheli ka...
Sonia : Boht hua dii... Stop it now. Please!
Suhana : Fine! Yahi hai truth Veer...
Veer : Hmm! It's complicated.
Suhana : Exactly!
Aur kuch derr me hi dinner shuru ho chuka tha.
Dinner karne ke baad jab Veer uthne ke liye hua tabhi uske kareeb ek lady chalte hue aa rahi thi.
Aur Sonia aur Suhana ne jese hi uss lady ko aate hue dekha toh wo dono hi hairaani me pad gayi.
Wo lady Veer ke paas aake khadi hui aur uss se boli,
"Miss wants to see you in private for a moment!"
Veer : Hmm????
Par Veer se zyaada hairaan kar dene waala Sonia ka reaction tha.
Sonia : Whaaaaaaatttttt!???
Wo apni jagah se khadi hui uss lady ko stabdh nigaaho se ghur rahi thi.
Sonia : W-Whyyy!????? Why does she wants to meet Veer? Kya Kaera Veer ko jaanti hai?
Saamne khadi lady, Kaera ki wahi P.A thi jo uske saath baithi hui thi aur wo apni miss ka instruction leke yaha par aayi thi. Par jese ye sab kuch Sonia ko zaroorat se zyaada hi affect kar raha tha.
Veer : K-Kya mein puch sakta hu kyu?
Lady : Mujhe nahi pata! I'm sorry! Unhone bas kuch moments ke liye hi apni table par bulaaya hai. Only you! No one else.
Usne ek nazar Sonia aur Suhana par maarte hue kaha. Wo kya kehna chaah rahi thi matlab saaf tha. Sonia apna nichla honth daato tale dabaaye bechaini me Veer ko dekh rahi thi jese maano uss se guhaar laga rahi ho ki mat jao.
Par Veer ka jaana zaroori tha. Kahi Kaera ne usse uss raat ke baare me discuss karne ke liye toh nahi bulaaya?
Veer : O-Okay!
Suhana : For only few moments... We have to leave too. Tell your Miss Kaera about this...
Lady : I understand. I will tell her for sure.
Aur Veer agle hi pal Sonia ki nazro se dur jaa chuka tha. Kaera ki table ki orr...
Suhana apni behan ke ravaiyye ko dekh chintit thi par usne wo bhaav apne chehre par na aane diye. Wo jaanti thi ki uski behan Sonu itni bechain kyu hai. Sonia ko ek darr tha...
Kaera bachpan se leke aaj tak... Uske haatho se harr cheez pehle leti gayi hai. Chaahe wo top positions ho ya awards ho ya kuch bhi...
Kahi aisa na ho... Aaj Veer ko bhi wo...
Sonia ke paas se dur kar apne paas le jaaye.
Bas! Issi kaaran ek ajeeb sii bechaini ho rahi thi Sonia ko... Wo abhi bhaag ke Veer ko pakad ke apne paas laana chaahti thi par wo khud ko roke hue thi.
Sonia (mann me) : I knew it. I knew ki Kaera Veer ko jaanti hai... Par... Par kese!??? Aur kyuuuu???
Idhar Veer jese hi uske saamne pohucha toh Kaera ne usse uske saamne baithne ke liye kaha.
Lady : Miss! Suhana miss has said that they have to leave soon.
Kaera : Thank you Ruchika! And don't worry... Mujje zyaada samay nahi lagega...
Ruchika : As you say Miss. I will go and inform Miss Suhana.
Kaera : Please do so...!
Aur wo Ruchika Veer aur Kaera ko akela chorr Suhana ko inform karne chali gayi.
Kaera : Veer!
Veer : Aahh! Y-Yes!??
Kaera : It's been a long time... Isn't it!?
'Fuckkkkk! She remembered...'
Veer : Aah! Y-Yeah!!
Kaera : I'm glad ki tumne honestly kaha.
Veer : Th-Thanks!? Ahahaha...
Itni khubsoorat ladki ke saamne baith Veer ka confidence dagmaga zaroor raha tha par still wo pehle se situation ko kaafi behatar handle kar raha tha. Par Kaera ke agle kuch shabd jese usse poora hairat me daal diye.
Kaera : Life is merciless. Zindagi ko gam dena bakhubi aata hai. Jitna iss zindagi se dosti karna chaahoge, ye utna hi dur bhaagti hai. Kuch logo ke paas kaabiliyat hoti hai toh wo apni zindagi badal lete hai. Kuch ke paas kaabiliyat hoti hai par halaat unhe apni zindagi na badalne par majboor kar dete hai. Aur jinke paas kaabiliyat nahi hoti wo bas kismat ke liye baithe rehte hai. Ki kisi na kisi din unki kismat chamkegi.
Veer (shocked) : !??????
Kaera : Fir ek samay aisa bhi aata hai, jab aapke paas sab kuch hota hai, par jeene ki tamanna hi nahi rehti. Aisa lagta hai maano ki bas ye zindagi apne aap hi tham jaaye. Khud ko maarne ki himmat bhi nahi hoti kabhi. Bas talaash rehti hai toh kuch aisi cheez ki jo sab kuch badal ke rakh de. Aur... Baad me wo milta bhi hai. Wo kisi bhi roop me mil sakta hai, ek insaan ke roop me, ya ek jaanvar, ya fir kuch aur... Jo aapko ek raah dikhaata hai, khushiyaa deta hai, ek naya jeevan deta hai. Bas uska intezaar karna padta hai. Aur jab uss se mulaqaat hoti hai, tab pata chalta hai ki Life kya cheez hai.
Veer : Y-Ye...!???
Kaera : Weren't you the one who told me this?
Ye shabd wahi the, jo Veer ne uss raat Kaera ko tab kahe the jab usne ye sawaal pucha tha ~ 'What is life??'
Kaera ko harr ek baat jese by heart ratti hui thi.
'Wtf?? What abnormal memory is this!?'
[I must say! She's damn good!]
Kaera : Tell me Veer! Tumne hi ye sab kaha tha na?
Veer (nods) : R-Right!
Kaera : I still don't understand. I find it relatable. But still... I don't feel anything... Tumhe hi unn baato ka matlab mujhe samjhaana hoga...
Veer : Huh????
'Wtf???'
Kaera usse ajeeb sii nazro se dekh rahi thi. Uske chehre par koi muskuraahat nahi thi. Bas ajeeb sii ek aas thi unn aankho me...
Duwidha me phassa Veer Kaera se nazre churaate hue usne Suhana ki table par nazar maari toh paaya ki Sonia khud boht bechaini sii bhari nigaaho se Veer ko dekh rahi thi. Balki ghur rahi thi.
"Where are you looking!?"
Veer : ???
Kaera ki awaaz jese usse hosh me laayi.
Kaera ne notice kar liya tha ki Veer kaha dekh raha tha. Aur shayad usse Veer ka ye ravaiyya pasand nahi aaya tha. Kahi aur dekhna jab wo uss se baat kar rahi ho...
Kaera : Look at me... You Understand!?
Agle hi pal uski aankho me itna tej tha aur nidarta jisse dekh koi bhi bhaybheet ho jaaye.
Veer : *nods*
Tabhi Ruchika laut ke aayi aur kuch chintit sii lag rahi thi.
Ruchika : Miss! There's a problem!
Kaera : Hmmm? Kya hua?
Ruchika : Wo... Saxena yaad hai na aapko? Uska call aaya tha abhi. Uska kehna hai ki wo apni zameen utne amount me bilkul nahi bechega... Uska kehna hai ki wo zameen boht hi faldaayak hai aur boht hi shubh hai. Keh raha hai ki usse hum se zyaada amount dene ke offers aa rahe hai toh bhala wo saste amount me hume kyu beche zameen!?
Kaera : He's just bluffing. Wo chaahta hai ki hum zyaada paisa deke uski uss zameen ko le jo outer area me hai? Aur already teen baar reject ho chuki hai...!? He should thank us ki humne itna offer diya hai.
Ruchika : I know but wo wahi keh raha hai ki... Amount double karo warna wo kisi aur ko de dega.
Kaera : Ohhh!? Wo kisi ko nahi de paega. Koi lene waala hi nahi hai. He's just bluffing. He wants to play... Then I will play as well...
Ruchika : ???
Kaera : Spread the rumours ki wo zameen ekdum ashubh hai. Waha bhooto ka vaas tha ya kuch bhi... Make it extreme. Press ko inform karo ki company xxxxxx ki Miss Kaera uss zameen ko visit karne gayi aur waha se aane ke baad unhe karodo ka nuksaan hua... Pehle page par display honi chahiye ye news... Go! I'll see... Ki kese amount badhaata hai ab Saxena.
Ruchika (dazed) : Ahhh! Y-Yess!!!
Kaera : Hmm? So where were we...!?
Usne Veer ko firse dekha jo usse muh khole ghur raha tha.
'Who the hell is this girl...!???'
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Don't forget to like!
Dhanyavaad!
WTF...Kaera is extreme