- 14,126
- 100,106
- 259
Last edited:
Excellent updateMega UpdateAb tak...
Update - 52 ~ Bruised and Battered
Unki ye mulaqaat zyaada derr tak ki na rahi, kyuki Nidhi waha se bina Veer se mile hi jaa chuki thi.
Aur idhar Ragini bechaari...
Wo iss umeed me thi, ki Veer kuch derr me laut aaega. Par usse kya pata tha, ki Veer toh waha Slogan dwara kab ka uske changul me phass chuka tha.
Ab aage...
Veer aur Kaera dono hi Slogan ke changul me phass chuke the. Par ye baat shayad Veer ke ghar me kisi ko na pata thi. Ab sawaal ye uthata hai ki jab Kaera kidnap kii gayi tab uske ird gird ghumne waale Jassi aur Raghu kya kar rahe the? Aur kaha par the?
1st January
New Year's Eve
************* Hotel
Few hours back...
*********** Hotel me iss waqt party shuru ho chuki thi. Visitors apne aap me lage hue the. Shaam se chaalu hui ye party, aaj derr raat tak chalne waali thi. Akhir naya saal roz roz thodi aata hai bhala. Par uss se bhi khaas baat ye thi ki yeh party vishesh thi.
Kyu? Kyuki Kaera jo unn invite kiye gaye sadasyo me se ek thi. Aur yadi Kaera jaisi hasti party me ho toh ye baat jataane ki bhi zaroorat nahi ki party kitni khaas rahi hogi. Aur beshaq, party keval khaas logo ke liye hi thi. Uske bawajood Kaera shaam me thodi derr ke liye party attend kar bas waapas lautne ki hi soch rahi thi. Shayad iss party me uska mann nahi lag raha tha.
Aur jab wo baahar nikalne hi waali thi ki kuch awaazo ne uska dhyaan kheech liya.
"Dekho! Mein ab bhi kehti hu aap gaadi chalaane ki haalat me nahi ho. Mene kaha tha driver ko saath me le chalna chahiye. Par aap ho ki..."
"Arre... Mene kaha na *hic* ki mein chala lunga... *hic* Tum kyu khamakha *hic* tension le... le rahi ho?"
Inn awaazo ko sunn jab Kaera unn do vyaktiyo ke nazdeek aayi toh usne dekha ki ek aged couple aapas me behas kar rahe the. Jo aadmi tha wo nashe me tha aur uski patni usse aisi haalat me gaadi chalaane ko mana kar rahi thi.
Kaera : Ohhh!? If it isn't Mister and Mistress Bansal??
Aur Kaera ki awaaz sunn jese hi uss lady ne usse dekha toh wo chaunk gayi.
Aurat : Arre? K-Kaera beti... tum!?
Kaera : Mujhe nahi pata tha aap bhi yaha aayi hongi Miss.
Aurat : Ohh! Beta! Quit the formalities. Dekho na tumhi, tumhaare ye uncle meri baat sunn hi nahi rahe hai. Aaj jamm ke wine pee hai inhone. Mene kaha tha inn se ki driver rakh lete hai par inhone meri ek na suni aur usse mana kar diya. Ab wo apne ghar chala gaya hoga. Ab aisi haalat me mein inhe kya drive karne de sakti hu? Tum hi batao beta!?
Kaera : Drink and drive? No way! Aap wahi puraani location me situated ho na abhi bhi?
Aurat : Haan beta!
Kaera : Then don't worry! Raghu!?
Raghu : Haan! Haan Miss!?
Kaera : Go and drop Mister and Mistress Bansal!
Raghu : Huh!? Par? Par Miss!? Mein aapko chorr ke bhala...?
Kaera : Are you questioning me Raghu? Jassi hai yaha par. You don't have to worry!
Raghu : J-Jii!
Na chaahte hue bhi, apni miss ke order par Raghu ko bemann agree karna pada.
Aurat : Arre! Beta?? Iski kya zaroorat? Arre, mein call kar ke kisi ko bula lungi. Boht log hai beta, koi na koi aa hi jaega.
Kaera : Don't worry Miss! Chota sa hi kaam hai. Raghu will do it. Aur karne dijiye mujhe help, warna Dad ko pata chala toh baad me wo mujhe sunaenge. After all wo aur uncle puraane friends hai.
Aurat (smiles) O-Okay beta! Sach me, kitni badi ho gayi ho tum aur kitni samajhdaar bhi. Kitne saalo pehle dekha tha mene tumhe. Ab toh bas tv aur newspapers me dikhti ho tum. Aur kitna aage badh chuki ho tum aur badhti jaa rahi ho. Aise hi jeevan me success milti rahe tumhe beta. Bless you!!
Kaera : Thank you Miss!
Aurat : Beta ghar zaroor aana.
Kaera : Hmm~
Aur fir Raghu dono Mister aur Mistress Bansal ko unki hi car ko drive kar unhe ghar ki orr le gaya. Idhar Kaera ab keval Jassi ke saath hi maujood thi.
Aur dono hi nikalne waale the jab...
Jassi : Ugh! Miss! Mein washroom se abhi aata hu. Aap kahi jaana mat. Idhar hi rukna.
Kaera : Are you okay Jassi? Kaafi derr se notice kar rahi hu. Tum teen se chaar baar washroom ki orr jaa chuke ho. Is everything alright?
Jassi : Wo... Pata nahi Miss! Shayad... Nahi kuch nahi! Mein... Mein abhi aata hu. Bas yu gaya aur yu aaya.
Bolte hue Jassi forun hi apna pait pakad ke washroom me ghusa aur zorr se darwaaza band kar toilet seat par baith gaya.
'Dhatt saala!!! Kuch gadbad hai. Kisme?? Ek minute!!!! Wine!!!! Haan!! Iski toh... Shit!!!! Achha hua Raghu ne nahi lii! Mujhe jald se jald usse yaha bulaana padega.'
Idhar baahar Kaera ki car ke andar hi uska driver baitha hua tha jab andar hotel se ek aadmi suit pehne aaya aur haath me ek gift tha uske ekdum chamkeeli gift wrapping se saja hua.
Usne window par khat khataate hue driver se window neeche karwaayi aur bola.
Aadmi : Ye Miss Kaera ka gift hai, isse andar rakh lo.
Driver : N-Nahi! Miss ke gifts hamesha Raghu Sir aur Jassi Sir hi laate hai. Mein...
Aadmi : Arre haan baba! Mujhe pata hai, par abhi wo Miss ke saath unke saath khade hai, wo kya hai na andar bheed hai. Aur tum mujhe nahi jaante? Soch lo! Miss Kaera ne hi bheja hai mujhe ye gift rakhwaane. Yadi mein waapas jaa ke tumhaari shikaayat kar diya na, toh tumhaari naukri gayi samjho.
Driver : N-Nahi! Accha theek hai! Rakh do! Miss ka hi hai na?
Aadmi : Haan na bhai, ab kya likh ke du?
Aur wo aadmi gift ko andar rakh chala gaya. Driver thodi duwidha me toh zaroor tha par jab usne dekha ki banda andar hotel se hi aaya tha aur suit bhi pehne hue tha aur saath hi saath gift ekdum neatly packed tha toh usne bhi fir zyaada dhyaan nahi diya.
Idhar andar maujood Kaera ko khade hue 5 minute ho chuke the par abhi tak Jassi baahar nahi aaya tha aur ye soch usne car me baithne ka faisla liya.
Baahar kya ho raha tha unn baato se bekhabar idhar andar washroom me baitha hua Jassi iss waqt Raghu ko call laga raha tha.
*Ring Ring*
Raghu : Bol Jassi!
Jassi : Jald se jald unhe chorr ke waapas aa, yaha kuch gadbad hai.
Raghu : K-Kesi gadbad!?
Jassi : Meri wine me drug mila hua tha!
Raghu : Kyaaaaa!? Tu... Tu theek toh hai na?
Jassi : Hmm! Constipation Drug!!
Raghu : Ek minute!!! Tabhi tu...???
Jassi : Haan! Pehle mujhe laga tha mera hi pait kharaab hai par nahi. Kisi ne meri wine me drug milaaya tha. Mein daawe ke saath keh sakta hu. Ugh!!! Tu... Tu jald se jald yaha aa, mein washroom me hu aur Miss baahar. Tu iska matlab samajh raha hai na?
Raghu : Wait! Tu washroom ke andar se baithe hue mujhe call kar raha hai? Haha~
Jassi : Gandu! Ughhh! Hassne ka samay nahi hai.
Raghu : Right! Haggne ka samay hai hahaha~
Jassi : Iski toh... Abey Saale!! Ugh!!! Mein serious hu! Jo koi bhi hai wo yaha par hotel me maujood hai. Aur uska target Miss hai. Aur aisa karne waala ek hi insaan ho sakta hai...!
Raghu (frowns) : Slogan!!!
Jassi : Right... Aargh!! Dekh! Tujhe jald se jald yaha aana hoga. Meri haalat sahi nahi hai. Pait me dard hai. Miss baahar akeli hai. Tu samajh raha hai na?
Iss baar Raghu ki bolti band ho gayi. Usse samajh aa chuka tha maamla gambheer hai.
Jassi : Tu bas jaldi...
*Kaboooooooooommmm*
Aur tabhi ek itni tezz awaaz aayi ki andar washroom me baithe Jassi ko vibrations tak feel hue uss dhamaake ke.
Jassi : Shit...!!!!
Maano jese uske chehre se rang hi udd gaya tha.
Raghu : J-Jassi!?? Wo awaaz kesi thi!? Oyeeee! Jassi!?
Par Jassi toh jese koi baat ka jawaab dene ki haalat me nahi tha. Usne forun apna pant sahi kiya aur phone bina kaate hi jeb me rakha aur door ka knob jese hi usne kholna chaaha toh paaya ki...
Door locked tha.
"Iski maa ki aankh... Dhattttt!!!!!"
*Thud*
Gusse me usne zorr se ek laat dii door ko par door tass se mass na hua.
Tabhi uski nazre upar ko gayi toh usne dekha upar opening thi. Yaani ki thoda chadh ke waha se nikla jaa sakta tha.
Aur yahi soch wo lag gaya apne kaam me.
Par tab tak boht derr ho chuki thi.
Kaera jo bomb ke blow se gir kar behosh ho chuki thi, wo Steve aur uske saathiyo dwaara ek gaadi me baith chuki thi. Aur palak jhapkate hi unki gaad waha se rafu chakkar ho gayi. Bas reh gaya toh...
Kaera ki jalti hui Mercedes ka dhaacha jisme tezz aag ki lapte apna kaam kar rahi thi, logo ki afra tafri, aur unka shor.
***
Wahi yaha hospital me bhi kuch sahi nahi chal raha tha. Doctor ne bataaya tha ki Dada jii ko chot zaroor aayi thi par koi critical chot nahi thi.
Ab chuki unki age ke hisaab se zyaada strong medications nahi de sakte isliye doctors ne slow process ko apnaaya. Wese hi Dada jii iss waqt kamzori ki sthiti me the.
Toh unka dose light rakha gaya tha. Isme time zyaada lagne waala tha par yahi sabse sahi raasta tha.
Unke maathe aur ghutno par chot zyaada thi. Isliye zyaada se zyaada araam karna hi unki best medicine tha.
Arohi idhar baithi hui soch rahi thi ki Veer kab tak aaega? Kyuki Kavya ko uss se baat kiye kaafi samay ho chuka tha.
'Maybe subah aaye woh!?'
Usne Veer ke baare me sochna band kiya aur apne aas paas maujood sabhi logo ko dekha aur unki baatein sunn'ne lagi.
Karunesh : Mere khayaal se, baccho ko ab ghar bhej dena chahiye. Aur ladies logo ko bhi. Hum gents log yaha reh lenge! Kyu Bhaiya!?
Brijesh : Hmm! Shweta, tum Bhumika ko leke ghar chali jao.
Shweta : Par...!?
Brijesh : Hum hai na idhar. Raat bhar hum reh lenge yaha. Aur subah hum sab fresh hone jaenge toh tum me se koi bhi yaha aa jaana tab tak ke liye.
Shweta : Th-Thik hai!
Brijesh : Kavya, Arohi, Vivek, Pranjal aur Sumitra aap bhi. Aap sab ghar jaiye. Mein aur Karunesh hai yaha par. Raat bhar hum dekh lenge.
Kavya : Nahiiiii! Mein Dada jii ko aise akele chorr nahi jaungi.
Karunesh : Beta Tau jii sahi keh rahe hai. Pehle apni sehat dekhna bhi zaroori hai. Aur hum toh hai na yaha par!?
Kavya : Nahi mein nahi jaungi!
Arohi : Mein bhi nahi!
Brijesh : ???
Pranjal : Aur mein bhi nahi Papa!
Karunesh : Beta! Zidd nahi karte!
Vivek : Kavya aur Pranjal tum dono chote jao. Mein aur Arohi yaha Papa aur Tau jii ke saath rukenge.
Pranjal : Par bhaiya...!?
Vivek : Mene kaha na!
Pranjal : Fine!
Kavya : Bhaiya mujhe bhi rukna hai...
Vivek : Subah Kavya! Subah! Subah fresh hoke aana fir hitni derr rukna ho yaha rukna. Ab raat bhi kaafi ho rahi hai. Jao! Savere se waha mandir ki bhaag daud me thak gayi hogi. Chaliye aap sab. Mein drivers ko bol deta hu.
Aur na chaahte hue bhi Vivek sabhi ko gaadi me baitha kar unhe ravaana karwa diya.
Car me baithi iss samay Shweta apna angutha daato tale dabaaye chinta me thi.
'Kese!? Ye sab kese ho gaya!? Dada jii ke saath aaj saal ke pehle hi din!? Meri toh kuch samajh nahi aa raha. Unka swasth rehna zaroori hai.'
Toh wahi car me aage baitha Pranjal mann hi mann muskuraa raha tha.
'Sab kuch sahi se hua. Kya kehne hai mere bhi! Haha~'
Sochte hue usne apni jeb me haath sehlaaya jisme wheelchair ka wahi toota hua pahiya rakha hua tha.
Ye wahi pahiya tha jo usne wheelchair ko patakte waqt ukhaad ke alag kar diya tha. Kyu!??
Kyuki yahi toh saare raaz chhupaaye hue tha.
'Kya khoob alter karke diya diya hai ye pahiya uss robotics club waale ne. Hahaha~ Andar itne chote gears haraami ne fit kese kiye!? Kherr jo bhi ho, Mene sahi time pe remote ki button dabaayi ekdum haha~ Mandir ke pujaari ke saamne tab mein apne haath felaaye prashaad le raha tha.
Par usse kya pata tha ki uske pehle hi mene jeb ke upar se button daba dii thi. Hehehe~ Ab bas saari jaayzaat hamaari. Ab aage ka plan araam se karna hai.'
Sabhi ki nazro pare, Pranjal apna chehra chhupaaye apne hontho par muskurahaat bikhere hue tha.
Aur idhar hospital me keval Vivek, Arohi, Brijesh aur Karunesh hi bache the Dada jii ki dekhbhaal ke liye.
Khaane ki tension nahi thi kyuki bhandaare ka kuch khaana lunchbox me rakha hua tha toh raat araam se guzar jaane waali thi.
Arohi jo wahi baithi hui thi wo abhi bhi puraani vardaat ko yaad kar ussi baare me soch rahi thi.
Fir achanak hi uska dhyaan uss incident par gaya jab Pranjal gusse me uss wheelchair ko tod raha tha.
'Mene kabhi usko itna gusse me nahi dekha Dada jii ke liye. Aur kursi par kyu gussa nikaal raha tha woh!? It's not like that ki kursi...!?????'
Pata nahi usse kya soojha par Arohi uthi aur forun hi neeche car ki taraf gayi jo unke liye ruko hui thi. Aur car me ghuste hi usne sabse pehle wheelchair ko dekha jiski haalat boht hi bigdi hui nazar aa rahi thi.
Usme se ek chaka bhi gaayab tha. Harr jagah usne bade hi gaur se check kiya par usse kuch bhi nazar na aaya.
'Wait! Iska ek pahiya kaha gaya!?'
Arohi : Bhaiya! Ye wheelchair ka pahiya kaha gaya ek!?
Driver : Arohi Ma'am!? Ye wheelchair toh Pranjal bhaiya jab se rakh ke gaye hai yaha uske baad kisi ne usse nahi chhua hai. Jo kuch bhi hoga udhar hi hoga. Baaki mujhe koi jaankaari nahi hai.
Arohi : Accha!
'Na jaane kaha gaya hoga!? Pranjal ne toh mandir ke udhar hi isse patka tha, kahi wahi toh nahi gir gaya!? Udhar jaake dhundna toh ab possible nahi. Akhir Dada jii ki chair apne aap kese neeche aa sakti hai!? Mujhe Dada jii ke hosh me aane ka wait karna chahiye. Wahi kuch bata paenge.'
Mann me aneko sawaal liye Arohi khaali haath hi waapas se ward ke baahar aa kar baith gayi.
Aur kismat se, kuch derr baad hi Dada jii ko hosh aa chuka tha.
Doctor : Dekhiye! Dada jii ko hosh aa chuka hai. Par aap sabhi 5 minute baad hi milne jaaiyega andar. Aur haan, ek baar me do se zyaada vyakti nahi. Unhe bulwaana bhi mat zyaada. He needs rest.
Brijesh : J-Jii doctor.
Aur sabse pehle dono Karunesh aur Brijesh Manorath jii se andar mil ke kuch derr baad baahar aaye.
Jab Vivek aur Arohi ki baari aayi toh wo bhi andar gaye.
Arohi : D-Dada jii!?
Manorath : Arohiii... Vivek... Beta!
Vivek : Boliye mat Dada jii! Doctor ne mana kiya hai. Aap bas lete rahiye. Aap ko hosh aa gaya yahi boht badi khushi ki baat hai hamare liye.
Arohi : Dada jii! A-Aap jab mandir me upar the. Toh aapki chair achanak apne aap neeche kese aa gayi!?
Arohi ka sawaal sunn jaha Manorath yaad karne ka prayaas karne lage toh wahi Vivek achanak hi ekdum alert ho gaya.
Manorath : Beta! Jaha tak mujhe yaad hai, mene peeche mud ke dekha tha toh koi nahi nazar aaya tha.
Arohi : Kya!?? P-Par aisa kese ho sakta hai!? Bhala aapki chair aise kese apne aap...!?
Vivek : Arre meri behan! Araam se! Dada jii ko zyaada zorr mat lene de dimaag pe.
Arohi : Wo... I... Par aisa kese akhir!?
Manorath : Shayad aaj devi mata ki yahi iksha thi...!? Mein itne saalo se unke darshan karne na gaya na toh dekho Devi maa ne mujhe saza dii hai.
Wo muskuraate hue bole par jese unke ye bol Vivek ki aankho me chamak laa diye.
Vivek : Haan! Arre haan! Aisa ho sakta hai Dada jii! Aaj mujhe bhi subah perr me chot lag gayi thi mandir me hi. Shayad devi maa batlaana chaah rahi thi ki bhale hi hamaara ghar panap raha hai par iska matlab ye nahi ki hum unhe bhul jaaye. Hume ye dhyaan me rakhna chahiye ki ye sab unke ashirwaad ke kaaran hi hota aa raha hai. Aur shayad devi mata ko pasand nahi aaya ki ab jab hume firse unke aashirvaad ki zaroorat padi toh hum unhe yaad karne pohuch gaye.
Manorath : Mujhe bhi aisa hi lagta hai beta. Kyuki mere peeche koi bhi nahi tha. Ekdum jhatka sa laga tha kursi ko, maano jese kisi ne dhakka diya ho. Ab toh theek se yaad bhi nahi aa raha. Jitna yaad kar raha hu utna bhulta jaa raha hu.
Vivek : Aap dimaag par zorr bilkul mat daaliye Dada jii. Araam kariye. Aur kuch bhi cheez ki zaroorat ho toh hum sab baahar hi hai. Isse Mata ki saza samajh ke bhul jaiye aur aage hum kese unki sharan me hamesha bane rahe iss baare me soch aage badhiye.
Manorath : Shayad... Shayad tum sahi keh rahe ho beta.
Vivek (smiles) : Hmm Dada jii!
Arohi : Par...
Vivek : Chalo Arohi baahar. Dada jii ko araam karne do.
Aur bemann Arohi Vivek ke saath baahar aa gayi.
'H-How!?? This doesn't makes any sense. Gravity ke kaaran bhi wo chair aise neeche nahi aa sakti. Dada jii ne kaha tha unhe aisa laga ki kisi ne dhakka diya ho!? Par peeche koi bhi nahi tha. Kahi dada jii se dekhne me koi galti toh nahi ho gayi!?? Kya karu? Mera dill maan hi nahi raha ki chair apne aap neeche aayi hogi.'
Uske sawaalo ka jawaab shayad aaj toh nahi milne wala tha usse. Par dekhna ye tha ki kya hoga jab Arohi waqai gutthi suljha legi. Aur suljha paegi bhi ya nahi!? Ya fir uske dono bhaiyo ki ye kartoot hamesha hamesha ke liye gupt ho ke reh jaegi!?
***
Mumbai
11:00 PM
Slogan's Hideout...
Veer aur Kaera dono hi bandhe hue the. Ekdum nidar aankhein liye Veer Slogan ko ghur raha tha toh wahi Slogan uss LED ki roshni se dur andhere me kursi par baitha hua chaav se Veer ko parakh raha tha.
Veer keval uske perr hi dekh paa raha tha. Kyuki udhar tak roshni nahi jaa rahi thi.
Tabhi Steve Slogan ke bagal me aaya aur bola.
Steve : Wo Deal poori ho gayi aur next deal ke liye abhi dealer ke aadmi se milne jaana hai Dada!
Kehte hue usne ek suitcase khola jisme paiso ki gaddiya bhari hui thi.
Slogan : Mene tumhe kitni baar kaha hai Steve ki inn choti moti deals ke baare me mujhe baar baar nahi bataaya karo. Seedhe ek report taiyaar kar baad me dikha diya karo.
Steve : Mujhe pata hai. Fir bhi ye meri tasalli ke liye.
Slogan : Hmm~ Thik hai. Jao aur next deal ke liye jis se bhi milna hai mil aao.
Steve : Jii Dada!
Aur itna bol Steve waha se nikal gaya.
Uske jaate hi Slogan ne ek baar taali bajaayi aur ek aadmi peeche se aaya aur uske paas aake jhuk gaya.
Slogan : Steve par nazar rakho. Yadi zara bhi tumhe lagta hai ki paiso ki koi herr ferr hui hai aur yadi wo kisi se mila hua hai. Forun mujhe bataana.
Aadmi : Jii Dada!
Aur wo aadmi bhi nikal gaya.
Uske jaate hi iss baar Slogan ne do baar taali bajaayi aur ek aur aadmi peeche se aaya aur uske nazdeek jhuk gaya.
Slogan : Tumhe ispe nazar rakhni hai jo gaya abhi. Dhyaan rahe, yadi tumhe zara bhi lage ki ye mera kaam karne ki bajaaye Steve ke saath mil ke peso ki herra feri kar raha hai toh usse wahi uda dena. Par dhyaan rahe yadi mujhe pata chala ki tumne keval befaaltu usse maara hai, toh agla udne waala sarr tumhara hoga.
Dusra aadmi : J-Jii Dada!
Aur itna bol dusra aadmi bhi jaa chuka tha.
Finally, Slogan ne Veer ki taraf apna focus kiya aur usse dekha.
*Ring Ring*
Par tabhi uska phone baj utha.
Aur number dekhte hi Slogan ki bauhe sikud uthi.
Slogan : Hello!?
Voice : I told you! Didn't I!?
*Craasssssssssshhhhhhh*
Aur agle hi pal Slogan ne zorr se apna phone patak ke fek diya. Phone do tukdo me jaake toot gaya.
"Maaadarchooodddd!!!"
Wo chillaya...
Aur uske chillaate hi Kaera jo ab tak behosh padi hui thi, wo kasmasaayi aur apni palke jhapkaane lagi.
"Umm..."
Usse hosh aa chuka tha. Uski aankho se dhundlapann hata aur jese usse saamne ka nazaara nazar aaya. Usse koi bhi chot nahi aayi thi. Wo bas Bomb ke blow se thoda sa dur jaa giri thi jiske chalte wo behosh ho gayi thi.
"Where...!? Where am I!?"
Aur agle hi pal uske kaano me ek jaani maani awaaz padi.
"Y-You... Okay!?"
Usne bagal me dekha toh wo thoda chaunk gayi. Veer uske bagal se rassiyo se bandhe hue baitha tha. Aur usse apni haalat par dhyaan aaya fir, ki wo khud bui toh bandhi hui thi.
Kaera (shocked) : Y-You!??? Veer!!!!?
Veer : Hmm~
Kaera : Where...!? Where are we!? Aur tum yaha!? Y-Ye sab!?
Veer : In short, you got kidnapped. Mein isliye yaha hu because I came to save you. But as you can see, I got caught.
Kaera smart thi boht. Veer ke chote se description se wo saari baatein samajh chuki thi. Wo blast, wo Jassi ka yu bathroom jaana baar baar aur uska yaha hona. Everything was planned. It was a trap.
Wo kuch kehne ke liye hui par tabhi...
*Tuck* *Tuck*
Juuto ki chalne ki awaaz ne uska dhyaan kheecha.
Aur tabhi uski aankho ke samaksh ek suit pehna vyakti saamne aaya.
Slogan : Kitna... Kitna bhaagna pada hai tumhaare liye. Kitne saalo se... Akhir! Akhir tum mere haath aa hi gayi. Tum soch bhi nahi sakti.
Kaera : T-Tum kaun!? Who are you!? Aur yaha mujhe aise kyu...!?
Slogan : Who am I!?? Hahaha~ Mein Slogan hu.
Naam sunte hi Kaera ki aankhein hairaani ke maare felti chali gayi.
Beshaq! Ye naam usne Jassi aur Raghu ke muh se kayi baar suna tha. Wo jaanti thi ki ye aadmi uske peeche pada hua hai. Par kyu? Iska jawaab usse bilkul bhi nahi pata tha.
Kaera (nidarta se) : What do you want from me!? Jo kehna hai seedhe muh kaho. Why act like a coward!?
Veer Kaera ki nidarta dekh khud aascharya me tha. Usse nahi laga tha ki Kaera itna straightforward hoke baat karegi.
Slogan : What do I want from you!? Arre sab kuch toh tumhi se milna hai mujhe...!
Kehte hue Slogan ne zorr se Kaera ki chin apne haato me jakad lii.
Kaera : Mmphhhh...
Veer : Youuu.....!!!!!
Apni rassiyo ko zorr se marod Veer ne khud ko jhanjhora... Par koshish bekaar.
Rassiya boht hi mazbooti se bandhi hui thi.
Veer : Don't you dare touch her....!!!
Wo gurraaya. Par Slogan toh jese Veer ke ravaiyye ko dekh aur bhi khush ho raha tha. Maano jese wo yahi chaahta tha.
Slogan : Hahaha~ Karo gussa! Aatish ko toh badi hi berehmi se maara tumne hai na!?
Veer (shocked) : Tumhe...!? Tumhe kese!?
Ye sunn jese usse boht bada jhatka laga tha. Aur bina samay waste kiye hi usne fir...
'Check!'
*Ding*
[Real Name : Sanjeev
Alias Name : Slogan
Age : 58
Bio : Sanjeev ek crime boss hai. Different crime organizations aur underworld me usse kaafi log jaante hai. Uska ek hi maqsad hai, Kaera ko paana aur usse khatam karna.]
Aur bio padhte hi Veer ki haalat sahi toh bilkul bhi nahi thi. Bhale hi zyaada details nahi mili thi. Par Slogan ka goal spasht roop se uske saamne tha.
Aur ab bas chinta hi usse khaaye jaa rahi thi. Atyant bechaini. This man was not someone with whom you can deal alone.
Slogan ek crime boss tha.
'Shitttt!!!! No no no no no... I can't let anything happen to Miss Kaera.'
[This is really bad!! Tum... Try to open the knots. Loose karo unhe kheech ke.]
'I'm trying... Kuch nahi ho raha hai. It will take time.'
Aur Slogan agle hi pal ek chaaku liye aage badha.
'No no no.... Ughhhh!'
Veer ghabraate hue apne aap ko poore force ke saath jhanjhora aur unn rassiyo ko dheeli karne ka prayog kiya par koi fayda nahi.
Rassiya dheeli toh ho jaati par time lagta. Aur Veer ke paas time ki hi toh kami thi.
Slogan ne Kaera ka ek haath khola aur uske haath me chaaku thamaayi aur uska haath apne haatho me pakda raha.
Veer sawaaliyo nazro se pal bhar ke liye unhe dekha par agle hi pal...
*Splurrrrrrrtttttttt*
"Aaaaaaaaaaaaarrrrrrrrrrrrgghhhhhhh"
Ek zordaar cheenkh uss kamre me goonj gayi.
Aur ye cheenkh kisi aur ki nahi, Veer ki thi.
Kyuki iss waqt Slogan ke haatho me Kaera ka haath tha jisme chaaku thi.
Aur wo chaaku Veer ke haath me dhassi hui thi. Wo laal laal koon behna shuru ho chuka tha.
"Noooooooooooo....!"
Kaera khoon dekhte hi chillaayi aur apne haatho ko peeche kheechne ke liye hui par...
Slogan ke dono haath aur dabaav daal uss chaaku ko andar ghused rahe the.
"Aaaaaarrrrrrrghhhhhhh"
Wo chaaku aise andar baahar ho rahi thi jese maano kisi phal me maar dii ho.
Par Veer ki haddi ko wo penetrate na kar saki. Kaaran!? Kaaran tha Bone Reaper jo Veer ne equip kiya hua tha. Fir bhi... Dard toh dard hota hai. Bhale hi Veer ki haddi sahi salaamat thi, par dard toh utna hi hona tha.
Wo dard se tadap raha tha. Uske perr zorr zorr se zameen par patak kar shor kar rahe the. Uski kursi bhi dolne lagi thi aage peeche hokar.
Aur wo chaaku ki chamdi ko ujaadne ki awaaz jiske chalte khoon ris ris ke baahar aa raha tha aur gaadha gaadha ekdum laal behte hue zameen par gir raha tha.
Aaj pehli baar Kaera ki aankho me aasu aaye the. Itne saalo ke baad.
"Noooooooo....! D-Don't.... Leave him alooooonneeee!!!!"
Veer ko dard me dekh pata nahi kyu... Uski aankhein apna aap namm ho chali.
Usne bharpoor prayaas kiya ki wo apna haath kheech ke uss chaaku ko baahar nikaal sake par Slogan ke dono haath uske force par bhaari pad rahe the aur na chahte hue bhi wo kuch nahi kar paa rahi thi.
"Pleaaaaaseeeeee!!!! Leave him alooonnneee!!!!"
Shayad aaj pehli baar Kaera ne itne varsho me kisi se please kehke guhaar lagayi thi. Itna darr toh usse tab nahi laga tha jab Slogan uski chin pakde hue tha.
Kuch bhi ho, Kaera Veer ko iss dard me nahi dekhna chaahti thi. Kyu!? Iska reason usse bhi nahi pata tha.
[Nooooooo!!!!]
Iss baar Pari ki bhi ek zordaar bechaini bhari cheenkh Veer ko apne mann me sunaayi dii. Wo samajh chuka tha ki Pari uske liye kitna concerned thi. Bhale hi uska behaviour badal chuka tha. Par Veer ye jaan ke khush tha ki Pari still cared about him.
'Fuuuuuuccckkkkkk!!!!! Aaaaaaarrrrghhhh!!!'
Apne nichle honth ko daato me dabaaye Veer dard ko sehne ki koshish kar raha tha toh wahi Slogan aur zorr se chaaku ko ghuma ghuma ke Veer ki chamdi ukhaadne me laga hua tha.
*Splurt* *Splurt*
Bas aisi hi awaaz aa rahi thi khoon ki risne kii.
Slogan : Mein isse thodi maarunga... Isse toh tum maarogi. Hahaha~ Aur fir tumse mein niptunga.
Kehte hue usne chaaku baahar nikaali aur ek baar fir...
*Spluuuurttttttt*
"Aaaaaaaaaaaaaaaarrrrrrrrrrrrghhhhhhhh"
Ussi hamle ke upar hi dusra prahaar kiya Slogan ne. Aur uske haath ki chamdi ko cheerte hue Chaaku ek baar fir ghus gayi.
"Nooooooooooooooo~"
Iss baar Kaera ki ye guhaar jaise kisi ne sunn lii, kyuki agle hi pal...
*Bang*
Ek gunshot ka sound baahar se aaya aur andar maujood ek aadmi dhadaam se zameen par gir pada.
Slogan ke haath apne aap hi wahi rukk gaye aur usne jese hi entrance me dekha...
Usne paaya ki 30 se 35 aadmi sabhi gun liye andar aa rahe the.
"Tchhhh!"
Daat meeste hue usne Kaera ko wahi chorra aur wo bhaaga peeche ke gate ki orr...
"Gherr lo... Ek bhi aaj bhagne na paaye..."
Ye awaaz sunn Kaera ki jaan me jaan aa gayi thi jese. Kyuki ye awaaz Raghu ki thi.
Slogan ke saath kuch aadmi toh bhaag gaye the par kuch wahi reh gaye aur nateeja unki maut.
Itne saare log ek saath aaye the. Raghu ne jese hi kaera ko dekha uski jaan me jaan aayi.
Raghu : Thank God you are safe...
Par uski nazar jese hi bagal me gayi toh wo hairat ke maare wahi jamm sa gaya.
Veer ka haath khoon se latpat tha. Uske chehre par paseena hi paseena tha aur uski aankhein band hone ko ho rahi thi.
Kaera (cries) : R-Raghuuuu!!!!
Fatafat samay ki paabandi ko dhyaan me rakhte hue Raghu ne rassiya kholi aur Kaera aur Veer ko azaad kiya. Par Veer jese apne hosh kho raha tha.
Blood loss jo ho gaya tha itna.
Kaera : Raghuuuuuu! Veeeer.... We...
Raghu : I know Miss! Suno tum sabhi, Miss ko leke forun ghar ki orr jao. Mein isse hospital tak chorr ke aata hu.
Kaera : I'll... I'll come too...
Raghu : Nooooo! Aap nahi! Please! Ghar jaiye! Sir wait kar rahe hai aapka.
Apne dad ke baare me sunn Kaera shaant pad gayi aur na chaahte hue bhi usse waha se jaana pada.
Par jaane se pehle usne kayi dafa peeche mud Veer ko dekha jo neeche pada hua tha. Aur Raghu apna rumaal baandh uske khoon ko rokne ki koshish kar raha tha.
***
2nd January
*** Hospital
10:36 AM
Veer ko jab hosh aaya toh usne dekha ki wo hospital ke bed par laita hua tha.
Usne kasmasaate hue apni aankhein mali aur apne ek haath ka jaayza liya jo pattiyo se bandha hua tha.
Usne Pari se baat karne ki bhi koshish kii par Pari sleep mode me thi.
Shayad Veer ko wo araam dena chaahti thi isliye wo kal raat me hi sleep mode me chali gayi thi.
Veer jaanta tha ki Pari uski energy use karti hai active rehte waqt. Toh uska sleep mode me jaana ye concern tha Veer ke prati. She wanted him to recover soon.
"Arrrghhh!"
Karaahte hue jese Veer ne jaise hi saamne dekha toh wo ek baar fir ashcharya chakit reh gaya.
Saamne teen behad hi parichit aurte maujood thi...
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Like aur comments karne ka.
Dhanyavaad!!
Chalo 10 min aur sahiEditing
??Editing
Mmarvelous updateUpdate - 53 ~ Subtle HintsAb tak...
Veer jaanta tha ki Pari uski energy use karti hai active rehte waqt. Toh uska sleep mode me jaana ye concern tha Veer ke prati. She wanted him to recover soon.
"Arrrghhh!"
Karaahte hue jese Veer ne jaise hi saamne dekha toh wo ek baar fir ashcharya chakit reh gaya.
Saamne teen behad hi parichit aurte maujood thi...
Ab aage...
"A-Aap sab!?"
Veer ki awaaz sunte hi jo teeno aurte waha maujood thi wo forun hi usse dekhi aur usse hosh me paate hi wo tezz kadmo ke saath uske nazdeek aayi.
Aur beshaq! Wo teen aurte koi aur nahi balki Ragini, Suman aur Nidhi hi thi.
Ragini : Veer!!!???
Teeno uske nazdeek aake khadi ho gayi. Veer ne notice kiya ki Ragini samet Nidhi aur Suman ki bhi aankhein namm thi. Khaaskar Nidhi ki.
Veer ko apni situation ka jayza lene me bilkul bhi samay nahi laga. Hosh aate hi usse abhaas ho gaya tha ki wo hospital me hai. Par sawaal kayi saare the uske mann me.
Pehla sawaal toh yahi tha ki Nidhi, Ragini aur Suman ko uski iss haalat ke baare me kisne bataaya!? Zaahir sii baat thi wo teeno hi yaha uske liye aayi thi. Par prashn wahi tha, ki bataaya kisne unko iss baare me!?
Veer : Mein... Yaha hospital me!?
Uske iss sawaal par Ragini ne pehle Nidhi ko dekha aur fir Suman ko.
Aur jese dono hi ladies Ragini ka ishaara samajh gayi. Wo dono hi baahar ko gayi aur Veer aur Ragini ko unhone akela chorr diya.
Veer : Bh-Bhabhi!?
Ragini namm aankhein liye Veer ko sabse pehle kuch shan tak shaanti se dekhi. Jese maano jayza le rahi ho ki Veer ekdum sahi salaamat hai ki nahi, kahi usse koi taqleef toh nahi!?
Aur kuch derr baad usne apni khamoshi todi,
Ragini : Mujhe call aaya tha...
Veer : Call!? Kiska!?
Ragini : Mujhe nahi pata. Tumhaare hi phone se aaya tha. Kisi aadmi ka tha aur usne sirf itna bataaya tha ki tum xxxxxxxx hospital me ho aur jitni jaldi ho sake mein waha aa jau. Yahi baat boli thi usne. Uske baad mein aur Suman derr raat se hi yaha par hai.
Veer : Aadmi ka call!? Wait!! M-Mera phone!?
Ragini : Tumhara phone wo rakha hai waha table par.
Veer ne dekha toh paaya ki waqai uska phone waha maujood tha. Aur usse saari baato ko samajhne me derr na lagi.
Usse yaad tha ki kal Raghu usse bachaane aaya tha. Bhale hi wo behoshi me jaa raha tha par usne Raghu ko andar aate zaroor dekha tha. Yaha tak ki wo tab bhi hosh me tha jab Raghu uski rassiyo ko tatol kar usse churra raha tha.
Slogan ne uske aur Kaera dono ke hi phones apne kabze me kar liye the. Toh zaahir sii baat thi ki Raghu ne hi uske aur Kaera ke phones waha se retrieve kiye the. Aur call list me se sabse upar Ragini ka hi number tha recent calls me. Toh shayad Raghu ne Ragini ko aise call lagaaya tha.
Veer apne phone me koi password nahi rakhta tha. Uska phone mostly bas chatting aur Calling ke liye hi use hota tha. Kherr! Accha hua, ki issi bahaane kam se kam Ragini ko call toh laga paaya Raghu.
Veer ko ab kaafi hadd tak baatein samajh aa chuki thi. Par abhi bhi kayi sawaal sesh the. Jaise ki...
Kaera, Mumbai me kya kar rahi thi!? Wo toh Delhi me thi.
Aur, Slogan ne aisa kyu kaha ki wo uska hi intezaar kar raha tha. Kyu aisa mehsoos hua Veer ko ki Slogan prepared tha uske liye.
Teesra sawaal ye ki bhala Slogan Kaera ko maarna kyu chaahta hai!? Aisi kya dushmani hai unn dono ke beech!?
Aur akhiri sawaal, uske Dada jii kese mandir se gir gaye!? Jaha tak wo jaanta tha apne Dada jii ko usse pata tha ki uske Dada jii boht hi savdhaani baratne waale insaan hai. Fir bhala aisa kese ho gaya!?
Wo apni uljhano me phassa, apne khayalaato me duba hua tha jab usse achanak hi apne haath par ek narm sa ehsaas hua.
Ragini ka haath uske haath par tha.
Veer : !??
Ragini : Kyu karte ho aisa!?
Iss baar Ragini ki awaaz me ek kap kapaahat thi. Darr ki wajah se nahi par udaasi ki wajah se.
Veer ne jese hi uski aankho me dekha toh aur hairaan reh gaya wo. Ragini ki aankhein bheegi hui thi.
Veer : Bhabhi!?
Ragini : Mein kuch puch rahi hu Veer. Bolo! Jawaab do! Kyu karte ho aisa!?
Veer : M-Mein...
Ragini : Ghar par phone laga ke kehte ho ki kuch kaam aa gaya hai jaa raha hu. Suman jii se kehte ho ki samaan wo le aaye aur fir derr raat ko mujhe koi anjaan aadmi tumhaare phone se call kar ke ye bataata hai ki tum hospital me ho aur buri tarah zakhmi ho. Ye sab kya hai Veer!? Mein toh samajhti thi ki tum mujhse apni baatein share karte ho. Mein ek dost ki tarah hu tumhaari. Par tum toh jese mujhe apna kuch maante hi nahi.
Veer : N-Nahi! Bhabhi! Aisa bilkul bhi nahi. Aap jo soch rahi hai wo ekdum...
Ragini : Galat hai. Hai na!? Sahi kaha tumne. Mein hi toh galat hoti hu Veer. Mein hi galat hu. Tabhi toh dekho na... Aaj shadi shuda hoke bhi apne pati ke saath nahi hu. Kyuki mein galat hu na...
Veer : Bhabhi! Mera wo matlab nahi tha. Aap kaha ki baat kaha le jaa rahi ho!? Ek minute!!! Meri bike!??????
Ragini : T-Tumhari bike neeche hi parked hai.
Veer : Huh!? W-Wo kaise!? Ohhh! I see!
'Wo Raghu... Shayad ussi ne meri pocket se key nikaal ke apne kisi aadmi ko bike ko yaha laane ke liye kaha hoga. Wow! Presence of mind badhiya hai uss bande ka. He even thought of that...!? I mean obviously, tabhi toh wo Miss Kaera ka bodyguard hai.'
Ragini : Tumhaare saath itna sab kuch ho gaya aur tumhe Bike ki padi hai Veer!?
Veer : H-Huh!? Nahi... I mean, wo aap ne dii thi na mujhe. Kya aapko tension nahi ho rahi...!?
Veer ki iss baat par jese Ragini ekdum bhadak uthi.
Ragini : Pagal ho gaye ho kya Veer!? Tumhe bike ki padi hai!? Apni haalat dekho tum. Arre aisi 100 bikes aa jaengi. Bike zaroori hai ya tum Veer!???
Wo uchi awaaz me boli toh Veer ekdum khamosh hoke reh gaya. Saath hi stabdh bhi.
Ragini uske ekdum kareeb aa chuki thi. Itne kareeb ki usse Ragini ki garam saasein tak apne chehre par mehsoos ho rahi thi.
Aur jese Ragini ko bhi ussi shan iss baat ka abhaas hua toh usne forun hi apni nazre Veer par se ferr lii aur thoda peeche khasak gayi.
Shayad, unn gore gaalo pe laali bhi chhaayi hui thi iss waqt.
Veer : Umm... Toh!? Nidhi ma'am yaha...!?
Ragini : Mene bulaaya tha subah unhe. Kal wo ghar aayi thi.
Veer : Kal!? Kab!? Mere jaane ke baad?? Itni late!?
Ragini : Wo kahi se laut rahi thi. Mene pucha tha toh kuch bataaya nahi unhone. Kal unhone mujhe toh aise sunaaya tha ki mein tumhaara theek se dhyaan nahi rakhti, kuch khabar nahi leti tumhaari, tum college chorr rahe ho, wagarah wagarah. Aur waqai, shayad unhone theek hi kaha tha. Ab se tumhaare upar dhyaan dena padega mujhe.
'Ma'am raat me ghar par!? She...!? Ahh! Right! Wo shayad wahi gayi hongi. Apne husband ke yaha. That bastard. He might have called her.'
Veer : Ahem! Unhone aisa kaha!?
Ragini : Haan bilkul! Aur ye college ka kya scene hai huh!?
Veer : Don't worry mein unhe...
Veer apni baat poori rakh paata ki tabhi gate khula aur doctor andar aaya nurse ke saath.
Doctor : Waqai! Mein hairaan hu tumhe itni jaldi hosh ho gaya. Nurse!?
Nurse : Yes doctor!
Aur nurse haan me sarr hilaate hue Veer ke check up me lag gayi.
Ragini : Please doctor! Veer thik hai na!? Usse koi andhruni chot ka darr toh nahi!? Kahi kuch aisa toh nahi jo aap chhupa rahe ho!?
Doctor (laughs) : No no...! Hahaha~ Aisa bhala kyu karunga mein!? He looks fine. More than fine actually. Mein waqai... Mujhe taajub hai iss baat ko lekar. Mera matlab hai ki wound ek stab wound tha. Do jagah. Aur dono hi jagah aapas me kaafi nazdeek hai. Khaaskar pehla wound. Wo kaafi ghaatak hai. Aur mujhe laga tha aap ko abhi toh bilkul bhi hosh nahi aane waala. And I'm really really surprised...!
Veer keval muskuraa hi paaya.
Ab wo ye toh nahi keh sakta tha ki bhaiya uske andar Pari hai aur saath hi saath uski recovery speed pehle se kayi guna badh chuki hai. Toh bas chup rehna hi uchit tha yaha pe toh.
Ragini (sighs) : Thank you doctor!
Doctor : Par iska matlab ye nahi hai ki aap ko leniency baratni hai. Proper rest okay!? Aur abhi kesa mehsoos ho raha hai!?
Veer : I feel fine!
Doctor : Mera matlab haath se tha...!
Veer : Ohhh! Haath me... Thodi numbness hai.
Doctor : Hmm! Woh rahegi abhi. Aur dard hai kya!?
Veer : Halka fulka!
Doctor : Hmm! Numbness kam hote hi badhega dard thoda. Baaki toh sab theek hai... Good! Good! Strong boy huh!? Anyways! Kuch bhi ho toh nurse ko bol dena. Yadi kuch zyaada lagega toh nurse mujhe khud inform kar degi.
Ragini : Thank you doctor!
Doctor (smiles) : Welcome!
Aur nurse aur doctor dono hi waha se chale gaye.
Ragini aur baatein karti par jese samay abhi ke liye guzar chuka tha, kyuki Doctor ke jaate hi Suman ne gate khola aur unn dono ko dekha aur ishaara samajhte hue Ragini uthi, aur baahar jaane lagi.
Par jaate jaate wo palat ko Veer ko dekhna na bhuli. Aur Veer bhi thoda apne kiye par pachhtaate hue Ragini ko dekhta raha jab tak ki wo uski aankho se ojhal na ho gayi. Par Veer jaanta tha. Uski aur Ragini ki baatein adhuri thi. Wo zaroor baad me aakar iss ghatna ki poori jaankari legi uss se. Aur sawaalo par sawaal puchegi. Lagta hai Veer ko uske liye khudko prepare karna padega.
Kherr! Ragini ke jaate hi Suman daudi bhaagi sii Veer ke paas aayi,
Suman : Maalik!!!! A-Aap...
Veer (smiles) : Mein thik hu. Bas thodi sii chot aayi hai.
Badi hi komalta se Suman ne apni ungliyo ko Veer ke haath me bandhi pattiyo par firaaya. Jese maano koi boht hi naazuk sii cheez ko chhu rahi thi woh.
Suman : Itna sab kuch...?? Kese hua!? Kisne kiya!? K-Kese aap... Mmmmphhh!!???
Par iske pehle ki wo kuch keh paati uske honth Veer ke hontho ki giraft me the.
*Slurp*
"Mmmm...!!!???? Ummphhhhh!!!!?"
Aur kuch pal ke baad jab dono ke honth aapas me alag hue toh ek thook ki patli sii dor unn dono ke muh ke beech reh gayi.
Iss achanak hue hamle se Suman toh stabdh thi hi par saath hi saath wo sharma bhi rahi thi.
Suman : M-Maalik!??
Veer : Aah! I really missed this.
Kehte hue Veer ne usse apne paas kheecha aur uske unn naram naram urojo par apna sarr rakh wo aankhein band kar araam farmaane laga.
Suman : Maalik!?
Bechari Suman! Uski kuch samajh me hi nahi aaya ki hua kya ye akhir!? Beshaq! Uske honth uske maalik toh chuste hi the par aise achanak se!? Ye kuch naya sa tha uske liye.
Veer : Bas itna samajh lo Suman ki kisi ko bachaane gaya tha. Aur usse bachaane me ye haal ho gaya. Abhi ke liye... Itna hi. Theek hai!?
Suman : J-Jii!
Mann ki jigyaasa ko maarte hue Suman ne khud ke zorr se dhadakte dil ko thoda shaant kiya aur bade hi pyaar se usne apne maalik ke sarr ko apne aalingan me le liya. Apni chhaati me jese sama lena chaahti thi wo Veer ko.
Aur Veer ko bhi ye pal bada hi aanand se bharpoor mehsoos ho raha tha. Aur kyu na hota!? Veer jitni bhi aurto se ab tak mila tha unme se Suman ke than ab tak sabse bade the. Ekdum gol matol bhari hui doodh ki thailiya thi woh. Bas dukhad baat ye thi ki unme koi doodh nahi tha. Warna Veer pakke se din raat apna muh unme lagaaye rehta jab tak ki wo saara ka saara doodh nichod na leta.
Veer jese Suman ke aalingan me apni saari thakaan mita raha tha. Wo frustration jo itne dino se bhara hua tha idhar udhar ki maara maari ke chalte wo jaise kam ho raha tha Suman se lipat'te hi.
Aur Suman bhi kisi amar bel ki tarah Veer se lipti hui thi. Par iss baat ka dhyaan rakhte hue ki Veer ke baaye haath par koi bhi zorr na pade.
Veer : Hmm!? Tumne Bra nahi pehni!?
Ye sawaal sunte hi Suman ekdum maun ho gayi. Aur apni nazre usne jhuka lii. Saaf saaf uske chehre par laali chhaayi hui thi.
Veer : Suman!?
Suman (blushes) : Wo... Wo... Maalik! Darasal, baat ye hai ki... Ragini jii apne size ki laati hai aur unke size ki hi bra Aabha pehnti hai. Usse thodi sii badi padti hai par kaam chal jaata hai. Unhone mujhe bhi kayi saari dii hui hai. Par mein sankoch me unse na boli... Mujhe... Mujhe unki bra thodi choti aur tight padti hai.
Veer ne ek nazar Suman ko dekha aur fir uske thano ko. Aur waqai, inn ko qaid karne ke liye Ragini ki bra toh kya Nidhi ki bra bhi kaam nahi aane waali thi.
Kyuki Veer inn sab se familiar tha. Yadi Suman ke baad kisi ke breasts bade the toh wo Nidhi ke hi the. But then again, usne Nidhi ko kabhi uss nazar se nahi dekha tha. Par fir bhi nazre toh chali hi jaati hai. Aur usse iss baat ka andaaza ho chuka tha.
Veer : Waqai! Bhala ye kaha unn bra me samaane waale hai!?
Kehte hue Veer ne apna ek haath aage badhaate hue Suman ki ek chuchhi par rakha aur agle hi pal usse blouse me se kheench ke baahar nikaal diya.
Suman (gasps) : Ssssss.....aaaahhhh!???
Aur nipple ko dekh Veer se zara bhi sabr na hua toh usne apna muh de maara aur bhar liya Suman ka ek doodh poora muh me.
Suman (blushes) : M-Maalik!?
Veer : Umm...
Suman (blushes) : K-Koi aa sakta hai!
Veer : Ahh! Right!
Kehte hue usne apna muh bemann hataaya. Jagah ko dekhte hue usse peeche hatna hi pada warna yadi koi dekh leta toh lene ke dene pad jaate.
Veer : Wese...
Suman (blouse thik karte hue) : !???
Veer : Tumhari training kesi chal rahi hai!? Mera matlab hai, Bhabhi ne tumhe kuch sheher ke taur tareeqe sikhaane shuru kiye!?
Suman (khush hokar) : Arre haan! Maalik! Kal hi wo mujhe sadko ke niyamo ke baare me bata rahi thi. Kal boht kuch seekha mene. Wese toh hari batti, laal batti ye sab pata tha mujhe. Par peeli batti ke baare me nahi pata tha. Yaha tak ki aur bhi kitni saari cheezein hoti hai. Mein toh kal hairaan reh gayi thi ye jaan ke ki sadko ke liye itne niyam hote hai.
Veer (smiles) : Hahaha~ bas tum sab kuch seekhti jao.
Suman : Wo...
Veer : Kaho na!?
Suman : Sabse pehle toh boht boht dhanyavaad Maalik! Mein ye kabhi nahi bhulungi. Mujh jaisi aurat ko sabse pehle aapne apnaaya. Mujhe uss daldal se baahar nikaala aur ek rehne ke liye chhat dii. Mere parivaar ko bhi saath me rakha. Aur ab ye... Ye jo aapne mujhe nayi cheezein seekhne ka mauka diya. Par, mera sawaal hai aapse. Ki aap aisa kyu kar rahe hai!? Zaahir hai ki kuch shayad aur bhi kaaran hai!?
Veer : Hmm! Tumne sahi samjha. Yadi aisa kahu ki kuch mera bhi swaarth hai. Toh kya tum naraaz ho jaogi!?
Suman (naa me sarr hilaate hue) : Bilkul bhi nahi! Balki mujhe toh khushi hogi ki mein apne maalik ke liye kaam aa saki. Keval jismaani roop se hi nahi, mein apne maalik ki harr tareeqe se seva kar sakti hu. Kahiye maalik! Mujhe kya karna hai!?
Veer (smiles) : Abhi toh kuch nahi Suman. Bas, jitna ho sake utna seekho. Utna jaano, nayi cheezo ke baare me. Harr cheez. Chaahe wo sadko ke niyam ho ya police, court, kacheheri ke. Chaahe wo mobile phones ho ya laptop. Sab ke baare me jitna ho sakta hai utna jaano.
Suman (surprised) : I-Itna sab kuch!? Mujhe samay lag jaega Maalik!
Veer (smiles) : Abhi tumhaare paas hai samay. Lo samay! Mujhe yakeen hai tum kar logi!
Suman (blushes) : Itna bharosa hai aapko mujhpe!?
Veer : Of course! Tum meri ho. Aur apne logo ko mein pehchaanta hu acche se.
Suman (smiles) : J-Jii! Par fir!?
Veer (smiles) : Fir samay aane par mein bata dunga kya karna hai. Okay!? Filhaal shayad tumhe ab jaana padega. Lagta hai koi aane waala hai.
Veer ne darwaaze ki orr dekhte hue kaha kyuki darwaaze ke glass ke baahar kisi ke khade hone ki dhundli sii aakriti nazar aa rahi thi.
Aur bilkul, agle hi pal darwaaza khula aur wo jis se milne ki Veer ko khud bhi talab lagi hui thi wo haazir hua.
Nidhi!!!
Darwaaza khulte hi dono hi Veer aur Nidhi ki nazre aapas me jaa takraayi. Aur maano pal bhar ke liye waqt sa tham gaya.
Veer ke honth halke se khul uthe. Par wo ekdum maun hi raha. Yahi haal kuch Nidhi ka bhi tha. Par Veer se nazre hataate hue usne fir Suman ko dekha jo baat ko samajhte hue haan me sarr hilaayi aur baahar jaane lagi.
Suman ke jaate hi Nidhi ne gate ko lagaya aur ahista ahista wo Veer ke qareeb aayi. Uski nazre Veer par na hokar neeche thi. Aur idhar Veer keval apni ma'am ko apne paas aata dekh raha tha.
Nidhi bed ke paas aate hue, Veer ki jaangh ke paas baithi aur uski taraf chehra karte hue usne dheere se apne haatho se ek steel ka gol sa lunchbox bed par sarkaate hue Veer ke paas kar diya.
Par abhi bhi, uski nazre neeche hi thi.
Veer ne dekha toh paaya ki wo Nidhi ka lunch box tha jo wo college le jaaya karti thi.
Veer : Y-Ye!??
Nidhi : Kh-Khaana hai isme. Kuch khaaya nahi hai tumne.
Veer : Umm! Ye toh aapka lunchbox hai na!? Aap college nahi gayi kya aaj!?
Nidhi (naa me sarr hilaate hue) : N-Nahi! College ke liye hi nikal rahi thi. Par tabhi tumhari Bhabhi ka call aaya aur unhone jab bataya ki tum hospital me ho. Toh... Toh seedha yaha aa gayi.
'Aah! So that's how it is!'
Veer ne mann hi mann socha. Shayad Ragini ne ye soch ke Nidhi ko bataaya tha kyuki kal raat Nidhi itni chinta lekar uske ghar tak aayi thi. Toh badle me usse jataana bhi Ragini ne thik samjha. Aur shayad Nidhi college hi jaa rahi thi jab ye khabar sunte hi wo forun hi yaha aa gayi.
Veer : T-Toh ab college!?
Nidhi : Mene leave le lii!
Veer : Ahh!? P-Par... Really!? I mean, is it okay!? Leave lena...!?
Veer ke iss sawaal par Nidhi ekdum maun rahi aur kuch na boli. Veer jaanta tha ki Nidhi ki job ek professor ki thi yaani ki ek private job. Aur zyaada leave lene par zaahir hai ki payment cut hota hi tha.
Veer : J-Juhi kesi hai!?
Nidhi : Thik hai.
Veer : Aur Shreya jii!?
Nidhi : Wo bhi... Thik hai!
Veer : Kya aapne unko bhi meri iss haalat ke baare me bata diya!?
Nidhi (naa me sarr hilaate hue) : Nahi! Abhi kisi ko nahi.
Veer (sighs) : Good!
Uske aisa kehte hi Nidhi ek pal ke liye usse dekhi par jese hi Veer ne uski nazro ko pakda toh Nidhi ki palke ek baar fir neeche jhuk gayi.
Nidhi : T-Tum ab kesa mehsoos kar rahe ho!?
Veer : I'm... I'm good actually!
Nidhi : Hmm~
*Silence*
Aur bas, ek baar fir khamoshi sii chha gayi.
Dono me se koi bhi kuch nahi bol raha tha. Veer toh soch raha tha ki kya bole aur Nidhi toh bas sawaalo ka jawaab hi de rahi thi.
Par achanak hi Veer ki nazar Nidhi ke gaalo par gayi aur usne gaur se dekha. Usse nazar aaya ki Nidhi ke gaalo par aasuo ke kuch nishaan the.
Aur ye dekhte hi pata nahi kyu par Veer ko andar hi andar atyant hi peeda sii mehsoos hui.
Aur saath hi saath Nidhi ka uss se yu nazre na milaana jese andar hi andar Veer ko kachot sa raha tha. Maano khaaye jaa raha tha.
Veer : Ma'am!?
Nidhi : ....
Veer : Ma'am!???
Nidhi : ....
Do baar bulaane par bhi Nidhi ne koi jawaab na diya. Veer ko jese ye aur bhi glaani mehsoos karwa raha tha. Usse aur bhi tadpa raha tha. Usse aisa mehsoos ho raha tha jese maano uske seene me kisi ne haath daal diya ho aur uska dil nichod diya ho.
Ajeeb sii bechaini aur ek peeda usse ho rahi thi apne dil me.
Aur apne haath ko aage badhaate hue usne Nidhi ki chin pakad uska chehra apni taraf kiya.
Iss baar Nidhi ki palke upar hui aur usne Veer ko dekha.
Veer ne bhi usse dekha par...
Agle hi pal usne ye bhi dekha ki...
Nidhi ki palko par aasuo ki bunde sajne lagi. Kayi saare aasu, motiyo ki tarah unn naazuk palko par umadte hue sajte chale gaye.
*Tap*
Aur bas, ek aasu ki boond aankh ke kone se baahar nikal neeche ek dhaar bante hue gir gayi.
Veer ekdum stabdh hue dekhta raha. Uske honth khule par koi bhi shabd baahar na aaya.
Iss baar Nidhi ke bhi honth khule, par wo thar-thara rahe the. Kaanp rahe the. Thand ki wajah se nahi, rulaayi ki wajah se.
Aur agle hi shan Nidhi ki thodi uchi hui awaaz Veer ko sunn'ne mili. Par saath hi saath ye awaaz ek rundhe hue gale se aayi thi. Rote hui Nidhi ke gale se.
Nidhi : K-Kya hua ab!? Aur kya chaahiye!? *sniff* Ye jhoothi care mat dikhaaya karo Veer.
Veer : Y-Ye!? Ye aap!???
Nidhi : T-Tumhaare vaade jhoote rehte hai. Toh... Toh zaahir hai ye care karna bhi koi formality hi hogi. *sniff*
Veer : N-No wayyy! Ye aap kya...!?
Nidhi (cries) : Sab samajhti hu. Na toh tum apni Bhabhi ko baatein bataate ho ki kaha jaate ho kya karte ho, aur na hi kisi aur ko... Ma'am mein padhaayi zaroor karunga. Aise na jaane kitne vaade tumne logo se kiye honge Veer. Par kya pata!? Shayad issi ki tarah unhe bhi jhootha...
Veer (uchi awaaz me) : Ma'am!!!
Aur Veer ke thoda zorr se kehte hi Nidhi ekdum shaant pad gayi.
Maano jese pal bhar ke liye waha sannaata sa chha gaya tha. Wo toh accha hua ki Suman aur Ragini ward se shayad dur the jiske chalte baahar koi awaaz na gayi.
Nidhi forun hi palti, aur apne aasu jaldbaazi me poch wo waha se uthne ke liye hui jab...
Nidhi : !???
Uska haath Veer ki giraft me tha.
"Aaahh!?"
Aur agle hi shan ek jhatke me Veer ne usse kheencha toh Nidhi uske seene ki orr jhukte hue uske paas aa baithi. Ek prakaar se wo uske upar jhuki hui thi. Uska seena poora ka poora Veer ki chhaathi par tha. Aur dono ke hi chehre behad hi kareeb the.
Nidhi jaise iss harqat se bhauchakki sii reh gayi thi aur wo agle pal hi uthti agar...
Agar wo saamne ka drashya nahi dekhti.
Kyuki uske saamne Veer tha, jiski aankho me aasu the. Ye pehli baar nahi tha jo Nidhi ne usse rota hua dekha tha. Par iss baar baat kuch aur thi. Wo baat Veer ki aankho me thi jisse Nidhi shayad bhaanp paa rahi thi.
Veer : You know it! Don't you!? Sab kuch jaanti ho fir bhi sataati ho!? Kyu!? Aap jaanti ho ki mera aisa koi bhi iraada nahi rehta hai. Mein kabhi kisi ko jaan bujh ke hurt nahi karta. Rahi baat Bhabhi ki toh mein unhe sab kuch bata deta hu. Mostly! Aur ye sab kese hua... Ye bhi unhe mein bataane waala hu baad me. Fir bhi aap aisa kehti ho!? Even though aap mujhe kitne acche se jaanti ho... Kyu!? Kitni baar sorry kehta aaya hu aapko. Aisa mat kiya karo ma'am.
Bechari Nidhi. Veer ki baatein sunn ekdum shaant sii pad gayi. Uske aasu khud nirantar bahe jaa rahe the.
Aur fir next moment hi veer ne khud ko aage kiya. Uske kaano ke ekdum sameep aaya aur kaha,
"Ye tiffin mere liye!? Kitna khayaal rakhti ho aap mera huh!? Leave bhi leli meri khaatir college se!? Aur!? Kal raat me aap ghar aayi thi!? Mere liye!? Mujhe manaane ke liye!? Aapko mere future ki bhi itni chinta hai. Kitna karti rahogi!? Why don't you understand you stupid Ma'am!?"
Nidhi (shocked) : H-Huhhh!??
Maano jese Nidhi ko apne kaano par vishwaash hi nahi hua. Kya abhi abhi Veer ne sach me usse stupid kaha!?
Veer : Why don't you understand!? Itni parvaah dikhaati rahogi... If you keep doing like that... Then... Then... Beware... I might fall for you!
*Badump*
Aur bas, Nidhi ka dil ye sunte hi jese maano ek beat skip kar gaya.
Wo phati aankho se Veer se alag hote hue usse ghuri. Par uska khud ka dil itni zorro se dhadak raha tha ki wo waha zyaada derr na khadi reh paayi.
Aur tezz kadmo ke saath wo jhatpat baahar bhaagte hue nikal gayi.
Veer, keval usse bas jaata dekhta raha jab...
*Ding*
[System has been activated.]
[Mission~ 'Rescue Kaera from the hideout.' has been completed.]
[400 Points have been rewarded.]
[Hmm!? Your heart rate is high... Something up!?]
Veer (sighs) : Kuch bhi nahi!!!
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Like karne ka aur comment bhi.
Dhanyavaad!!