- 14,066
- 99,721
- 259
Last edited:
Eexcellent updateUpdate - 43 ~ The TeachingAb tak...
Kaera : Spread the rumours ki wo zameen ekdum ashubh hai. Waha bhooto ka vaas tha ya kuch bhi... Make it extreme. Press ko inform karo ki company xxxxxx ki Miss Kaera uss zameen ko visit karne gayi aur waha se aane ke baad unhe karodo ka nuksaan hua... Pehle page par display honi chahiye ye news... Go! I'll see... Ki kese amount badhaata hai ab Saxena.
Ruchika (dazed) : Ahhh! Y-Yess!!!
Kaera : Hmm? So where were we...!?
Usne Veer ko firse dekha jo usse muh khole ghur raha tha.
'Who the hell is this girl...!???'
Ab aage...
Raat ka samay ho chuka tha, party khatam ho chuki thi aur guests apni apni hotel ke rooms ke liye nikal chuke the.
Veer aur baaki sab bhi apni hotel me aa chuke the par... Sonia ka toh jese muh rukne ka naam hi nahi le raha tha. Wo sawaal pe sawaal kiye jaa rahi thi.
Sonia : Veer! Pleaseee! Batao... Kyu bulaaya tha Kaera ne tumhe!? There's no way she doesn't know you... Mujhe pata hai ki wo tumhe jaanti hai
Hai na? Tell me!
Veer (sighs) : Jii haa! Wo mujhe jaanti hai.
Khidki ke paas khadi Suhana jo Veer ke saare actions ko observe kar rahi thi, usne apni buddhi chalaani shuru kar dii. Akhir uska maqsad yaha Veer ko laake uske secrets dhundna hi tha. Ki akhir Veer jese bande ne Aatish ko kese thikaane laga diya?
Suhana (mann me) : Kahi... Ye Veer aur Kaera mile hue toh nahi? Kya Kaera ne madad kii thi Veer ki Aatish ko maarne me? Mujhe ispe poori nazar rakhni padegi.
Suhana : Ahem! Veer... Mein kya kehti hu? Yaha baitho na... Aur vistaar se batao. Mein aur Sonu koi anjaan toh hai nahi ab right? Itni saari baatein akhir mene bhi toh share kii na Sonu ke past ki tumhaare saath? Kam se kam Sonu ko itna toh bata hi sakte ho right?
Veer : Fine! Darasal... Jese mene Sonia jii ko uss raat bachaaya tha... Accidentally... Kuch ussi prakaar se... Mene Kaera jii ko ek raat bachaaya tha... Kuch gundo se...
Sonia : Huh!? K-Kaha bachaaya tha? Wait!!! Gundo ke paas tum kya kar rahe the udhar!?
Veer : Lambi kahani hai... Bas itna samajhiye ki uss raat ittefaaq se Kaera jii aur mein mil gaye. Fir halaat kuch aise the ki waha jaan ko khatra tha. Kaera jii ki jaan ko sabse zyaada. Aur uss sthiti me mene unhe waha se bachaaya tha. Bas... Isliye wo mujhe jaanti thi.
Veer ki baat me gundo ka zikr sunn, Sonia aur Suhana ne aapas me ek dusre ko dekha aur haa me sarr hilaaya.
Agle hi pal, Suhana kuch kadam aage badhi aur Veer ki taraf aayi aur boli,
"Toh... Wo gunde kaun the...!?"
Veer : Wo... Mujhe kese pata rahega bhala!?
Suhana uska chehra acchi tareeke se bhaanp rahi thi. Uske baad wo dheere se Veer ke kaan ke sameep aayi aur apni garam saasein chorr uske kaano me dheere se boli,
"Mujhe pata hai tum jaante ho... Bolo! Kya wo Aatish ke aadmi the?"
Uski baat sunn Veer ne Suhana ko pal bhar ke liye dekha aur haa me sarr hilaate hue fir haami bhari.
Suhana (mann me) : Iska matlab mein sahi thi. Akhir jab Kaera jesi ladki par hamla hua ho toh aere gerre gundo ko kaam ho hi nahi sakta ye. Zaroor... Ye Aatish ka hi kaam raha hoga. Anyways he's dead now...
Sonia ki kuch samajh me nahi aaya ki Veer aur Suhana ne kya baatein kari khusur pusur karke. Usne puchna bhi chaaha par Suhana ne ye keh diya ki koi baat nahi thi.
Darasal, Sonia itna jaanti thi ki uski jaan ke peeche koi aadmi laga hua tha. Wo ye bhi jaanti thi ki wo aadmi yaani ki Aatish ab marr chuka hai. Par usko kisne maara aur Veer aur Suhana ke beech kya deal thi, Veer Aatish se kese juda hua tha... Ye saari baato se Sonia anjaan thi.
Usse kuch bhi nahi pata tha ki wahi Veer jo uske saamne khada tha wahi Aatish ka khooni hai.
Yaha tak ki uski behan, Suhana bhi ateet me kya kuch kari baithi hai. Inn sabhi baato se anibhigya thi wo.
Kaaran!?
Kaaran tha ki Suhana ne kabhi uspe koi aanch aane nahi dii aur na hi degi kabhi wo. Uski choti behan uske liye behad anmol jo thi aur hamesha rahegi. Bas isliye... Sonia ki zindagi me jo bhi adchane aati thi, usse peeth peeche Suhana handle kar ke maamla settle kar deti thi.
Toh bhala Sonia ko inn sab andhruni baato ka kaha se pata chalne waala tha??
Sonia : Ahhh!?
Suhana : Huh? Kya hua!?
Sonia (blushes) : Wo...
Suhana : Bolo na...
Sonia ko na jaane kya hua jo wo ekdum se aisa reaction dii... Par wo kabhi Veer ko dekhti toh kabhi Suhana ko. Usse na jaane kis baat ki sharam aa rahi thi.
Suhana : Arre baba bol bhi...
Sonia (blushes) : Wo...
Suhana : Haan!?
Sonia : Idhar aaiye na aap...!
Aur Suhana ko apne sameep bula ke Sonia ke uske kaan me kuch baatein kahi.
Suhana : Kyaaa!? Tu bhi na... Pehle se sab ready karke chalna chahiye na. Ab ruko... Prakash uncle ko bolti hu...
Sonia (blushes) : Ehhh!?? What the hell dii!?? Kya kar rahi ho aap!?? Prakash uncle??? Really!?? No wayyyy!!!!
Suhana : Ugh!! Toh ab mein itni neeche jau!? Sonu waha hotel me itni maatha pacchhi kari hu..
Ab mujhse neeche nahi jaaya jaega.
Sonia : Ughhh!!! Diii....
Suhana : Haan! Ek kaam karte hai... Veer toh hai hi... Uss se mangwa lete hai... Kyu Veer!?
Veer : Hmm??
Sonia (blushes) : What the hell?? Nooooooooo... Diiiii!! How can you...!??? Veer kese...!?
Suhana : What!? Isme itna kya sharmaana? Bacchi hi rahogi tum bhi...! Veer...!
Veer : Haan!?
Suhana : Sonu ko... Sonu ke liye pads le aaoge!? Uske periods hai... Neeche jaana padega. Le aaoge na? Ye rahe paise!?
Veer : Huh? W-Well! Okay!!
Veer toh utna nahi sharmaaya par bechaari Sonia toh jese poori laal tamatar ho chuki thi. Apna chehra wo haatho se chhipaaye peeche mud gayi aur Suhana ko baatein sunaane lagi.
Sonia : Diiii!!!! You are so bad... Mein aapse kabhi baat nahi karungi...
Suhana : Arre baba... Tu bhi na... Bacchi hai re...
Suhana Sonia ko console karne lag gayi aur Veer dono hi behno ko keval muskura ke dekhta raha.
Sonia ki ye adaa, Veer ko kahi na kahi behad pasand aayi.
'She's cute...!'
[......]
Veer unn dono behno ko akela chorr jab neeche nikla toh ab sanitary pads dhundne ki chikallas thi.
11 baj raha tha aur ab usse Medical shop dhundni thi. Usne phone me maps on kiya toh kuch dur par usse ek Medical shop ka naam nazar aaya aur Veer chal diya uss disha ki orr.
Par abhi wo kuch dur hi chala tha ki usse saamne ek ajab hi nazaara dekhne ko mila.
Ek ladka jo ki ek accha sa suit pehne hue tha wo kisi ladki par chillaa raha tha.
Ladka : Yaar kitni beizzati karwaogi tum haan meri?
'Ye sab kya ho raha hai!?'
Veer kuch soch ke unke paas gaya toh usse maajra samajh me aaya...
Ladka : Tumhe laana hi nahi chaahiye tha yaha.
Wo ladka kheejte hue apni kamar par haath rakh sarr na me hilaane laga. Toh wahi ladki jo khud bhi acche kapde pehne hue thi wo rone lagi.
Veer : Kya hua bhai!? Aise kyu chillaa rahe ho?
Veer iss waqt khud hotel se jab lauta tha toh ussi suit me tha. Jab uss ladke ne Veer ko dekha toh wo samajh gaya ki Veer koi aera gerra nahi hai. Waqai! Aaj ye zamana tha ki aadmi ko kapdo se jaacha jaata tha.
Ladka : Arre bhai... Kya batau... Mein yaha aaj apne puraane school friends se milne yaha tha. Aaj school ka reunion tha.
Veer : Hmm...
Abhi Veer aur wo ladka baatein hi kar rahe the ki tabhi unke peeche ek car aake ruki, jisse dono ne hi gaur nahi kiya. Kyuki wo bas ruki hui thi.
Par...
"Miss! Aapne yaha kyu rukwai car!?"
Car ke andar Kaera baithi hui thi. Saath me hi Raghu Jassi aur Ruchika bhi.
Jaha sabhi Kaera ke car rukwaane ke iss instruction se confused the toh wahi Kaera ki nazre Veer aur unn ladke aur ladki par thi.
Usne apni window halki sii neeche kii taaki sab kuch sunaayi de sake...
Ladka : Arre bhai... Aaj reunion tha... Toh school ki puraani kuch friends bhi aane waali thi. Ab mere harr ek puraane dost ki ek na ek gf hai, toh wo unke saath aayi thi.
Veer : Hmm!
Ladka : Ab... Meri koi gf nahi hai bhai... Par wo logo ko pata chalta toh hasste na mere upar!? Isliye...
Veer : ???
Ladka : Isliye mene fir isse chalne ko kaha... Ki ye meri gf bann ke chale...
Veer : Toh!?
Ladka : Par isme akal naam ki cheez hi nahi hai kuch.
Veer : Aisa kya ho gaya!?
Ladka : Arre... Mein isse school se jaanta hu. Ye dusre school me padhti thi. Par iske ghar ki condition bilkul kharaab hai. Ye kapde bhi mene dilaaye hai isse. Wo toh ye mere ghar ke aas paas rehti hai aur upar se sundar hai, isliye mene iss se pucha ki ye meri gf bann jae. Bhala waha kisi ko kya pata chalta ki ye kis gharaane se hai. Kaun iske ghar aata koi details maangne...
Veer : ....
Ladka : Udhar tak toh theek tha... Par isse koi manners hi nahi hai. Wahi gaav dehaat waala accent use kar rahi thi... Itni dhajjiya udwa dii waha meri... Arre meri friends iss se puchi ki iski dress kis company kii hai... Toh waha bhi madam jii ka muh jam gaya. Ab kaha se bataengi brands? Saala suna hoga tab na bata paengi brands ke baare me...!? Ek toh mene itni mehngi dress dilwai isko... Upar se isne poori izzat ka faluda bana diya.
Veer sab kuch chup chaap sunn raha tha. Par uski nazre... Uske nazre ekdum uss ladke par sthir thi.
Ladka : Arre hadd toh tab ho gayi... Ending me...
Veer : ??
Ladka : Ending me khaana khaane ke baad bowl me lemon slice aur paani diya jaata hai na bhai?? Haath done ke liye???
Veer : Hmm!!
Ladka : Toh ye jhandu usse peene jaa rahi thi... Meri sabhi friends itna hass ke gayi hai na... Bhai tum soch nahi sakte... Poori izzat dubwa dii isne meri aaj... Tch!!
Jab saara maamla Veer ko clear hua toh usne uss bechaari ladki ko dekha... Jo one piece dress pehne hue the. Aur waqai... Kaafi sundar ladki thi. Par iss waqt uss sundar chehre par aasuo ki bunde saji hui thi.
Bechaari wo... darr ke maare aur halki thand ke maare apni nazre neeche kar kaanp rahi thi.
Veer : Galti tumhaari hai... Bhala tumhari iss dost ko kese pata rahega ki kya karna hota hai!? Akhir... Ye sab uske liye naya anubhav tha... Aur tum isse apna dost kese keh sakte ho jab uski itni sii baat bardaasht nahi kar sakte?
Ladka : Itni sii baat? Bhaiii... Ye mere liye boht badi baat hai. Aur mein galat hu??? Bhai zamaana aage badh raha hai... Itni toh akal honi hi chaahiye na isme? Aur vikaas ki taraf toh harr insaan ko badhna hi chahiye na? Fir ye khud par vikaas kyu nahi laati!? Vikaas hona toh acchi baat hai... Hai ki nahi?
Veer (smiles) : Vikaas huh!? Tumhe pata hai...!?
Ladka : ...!?
Veer ne ek nazar uss ladki ko dekha jo uss se nazre churaaye sar jhukaaye subak subak kar bina koi shor kare ro rahi thi aur usne bola,
"Vikaas yadi insaan ki unnati ke liye ho..."
Ladka : ???
Veer (smiles) : Toh wo vikaas sahi hai..
Ladka : Haa wahi mein...
Par iske pehle ki wo kuch keh paata Veer ne uski orr dekha aur uske chehre se wo muskaan agle hi pal gaayab ho gayi. Fir dheemi par buland awaaz me Veer ke shabd uske muh se nikle...
Veer : Par yadi... Wahi Vikaas... Kisi insaan ko neecha dikhane ke liye kiya jaaye... Ya ameero ko aur ameer banaane ke liye... Toh wo vikaas galat hai.
Ladka : huh??
Ladke ki toh kuch samajh nahi aa raha tha par iss waqt peeche khadi car ke andar baithi Kaera ka reaction dekhne waala tha.
Maano ek jhatka sa laga tha usse.
Uske honth ek dusre se juda hue aur uska muh halka khula ka khula reh gaya...
Wo bas ek taq Veer ki peeth ko dekhe jaa rahi thi.
Aur agle hi pal Veer ne apna blazer nikaala aur uss ladki ke peeche se uske upar daal diya.
Ladke ko dekhte hue Veer ne kathor awaaz me kaha,
"Go away! Iske pehle ki mein violent ho jau..."
Ladka : Huh!? T-Tum...
Veer : Jaate ho ya nahi!??
Ladka Veer pe hamla toh yahi karna chaahta tha par jab uski nazar Veer ke shirt ki brand par gayi toh woh wahi theher gaya. Akhir iss brand ki shirt pehna hua vyakti koi shadharan vyakti ho hi nahi sakta.
Ladka : Tch.... Dekh lunga...
Itna bol wo waha se nikal gaya.
Aur idhar Veer uss ladki ko dekhne laga.
Veer : Tum theek ho!?
Ladki (rote hue) : H-Hmm...!
Veer : Ab chali jaogi na ghar!? Ya mein taxi karu!?
Ladki : M-Mera ghar zyaada dur nahi hai... Mein chali jaungi...
Veer (smiles) : Okay!
Ladki : W-Wo... Meri madad karne ke liye aapka boht boht dhanyavaad... Par aap apna blazer rakh lijiye... Y-Ye kaafi keemti lag raha hai.
Veer : Paiso ki baat mere saamne nahi karne ka... Jao tum... Thand me garmaahat de raha hai ye zyaada zaroori hai. Uska daam kya hai ye zaroori nahi hai. Samjhi?
Ladki (smiles) : J-Jii! Wese... Kya naam hai aapka!?
Veer : Mein Veer hu...
Ladki (smiles) : Mein Madhuri... Dhanyavaad ek baar firse... Aur mein ye aapko zaroor lautaungi... Aap apna address de dijiye...
Veer : Mene kaha na...! Iski koi zaroorat nahi hai. Jao ab.
Ladki : P-Par...
Veer : Ab jaati ho ya nahi? Ya taxi me daalu tumhe??
Ladki : J-Jaati hu... Th-Thank you..
Aur wo waha se jaane lagi. Par kuch kadam chalte hi wo theher jaati aur Veer ko peeche mud dekhti aur fir chalne lagti.
Jab wo gayi toh Veer ko finally yaad aaya,
'Fuck! Pads lene nikla tha mein toh... Kahi dukaan band na ho jaaye.'
Aur wo tezzi se bhaagte hue nikal gaya.
Par...
Idhar car ke andar...
Kaera ke haav bhaav dekhne laayak the.
Agle hi pal wo apne trance se baahar aayi aur Jassi jo gaadi drive kar raha tha usse dekhi.
Kaera : Jassi... Wo ladki ke paas chalo... Jaldi. Take the U turn...
Jassi ke mann me toh kayi sawaal the. Par uska kaam tha Apni Miss ke instructions follow karna. Na ki unn instructions par sawaal karna.
Aur isliye usne forun hi U turn le lii aur kuch seconds me hi Kaera aur wo sabhi ladki ke paas pohuch gaye jo apne ghar ki orr jaa rahi thi.
Madhuri ne jab apne paas aa rahi itni mehngi aur badi gaadi dekhi toh wo hadbada gayi. Agle hi pal Kaera gaadi se utar uss ladki ke saamne aayi toh wo ladki Kaera ki khubsoorti dekh hi wahi jamm se gayi.
Madhuri : ???
Kaera : Ek kaam hai tumse...
Madhuri : H-Huh? M-Mujhse!??
Kaera : Darro nahi... Bas ek chota sa kaam hai.
Madhuri : ???
Kaera : Can I have that?
Kaera ne kehte hue apni aankho se Madhuri ke kandho par Veer ke tange hue blazer ki orr ishaara kiya.
Madhuri (surprised) : Y-Ye!??
Kaera : Don't worry! Mein Veer ko jaanti hu... He won't mind. So can I?? Baaki... You can have this in return...
Bolte hue usne apne haatho me maujood ek boht hi mehnga woman's coat Madhuri ko thama diya.
Kapda chheete hi Madhuri ko samajh aa gaya tha ki bhala ye kitna mehnga kapda tha.
Bechaari Madhuri... Kaera ko dekh bhaanp chuki thi ki ye koi badi hasti hai. Isliye usne forun hi dheere se sarr haa me hila diya aur Veer ka wo blazer Kaera ko thama diya.
Veer ka blazer apne haath me lete hi Kaera ne usse ek pal dekha aur fir ladki ko usne thanks kaha aur waapas se car me aake baith gayi.
Idhar Jassi Raghu aur Ruchika apni Miss ke iss raviyye se behad hi confused the, par kisi ne koi sawaal nahi kiya.
Par hamara bechaara Veer...
Inn sabhi baato se anjaan tha.
***
Agla din...
Ek nayi subah...
Mumbai me yaha Nidhi apne flat me subah subah uth chuki thi aur bas fresh hone ke baad wo nikli hi thi aur ab usse naashta banaana tha.
Apne khuli hui zulfe baandhne ke liye wo table par rakhi clip lene gayi aur baalo ko peeche kar unhe jakad ke wo jaise hi clip lagaane ke liye hui toh achanak hi uske haath wahi tham gaye.
Aur usse wo drishya yaad aa gaya...
Wo drishya jis din Veer aaya tha... Aur uske peeche khade hoke usne apne haatho se uske baalo me wo clip lagaayi thi. Uski garam garam saasein jo Nidhi ne uss din apne nagn kandhe par mehsoos kari thi. Kitni tezz ho gayi thi uski dhadkane uss waqt...
"Huh!?"
Ek baar fir... Nidhi apne khayalaato se baahr aayi toh usne gaur kiya ki firse... Uski dhadkane tezz ho chuki thi.
'Y-Ye kya ho gaya hai mujhe!?'
Apna sarr na me hilaate hue wo baal baandh chalne ko hui toh tabhi waha Juhi apni aankhein malte hue uth ke uske paas aa gayi.
Juhi : Mummmyyyyy!!
Nidhi : Juhi??? Uth gayi beta!? Chalo jaldi school jaana hai na?
Juhi : Nahi mummyyyyy... Aaj nahi jaana... Aaj mann nahiiiii...
Nidhi : Arre par....
Wo iss se pehle ki Juhi ko thoda daat paati ki ek baar fir Veer ke kuch bol uske dimaag me gunjne lage, jab wo uske ghar me thehra karta tha.
"Juhi ko itna mat daata kariye Ma'am. Bacchi hai wo. Kabhi kabhi school jaane ka mann nahi karta hai. Bilkul wese hi jese hum logo ka kabhi kabhi college jaane ka mann nahi karta hai!? Toh Juhi toh bacchi hai. Ek do din school miss ho jaane se kuch nahi hota ma'am!"
"Tum bigaad rahe ho Juhi ko Veer...!"
"Thodi shararat bhi zaroori hai Ma'am. Bachpan toh yaadgaar rakhiye Juhi ka uske liye. Halki fulki sharaarte chalti hai. Kyu hai na Juhi??"
"Haaaa maaaamuuuuu!!!"
"Ughh! Fine! Tum kehte ho toh..."
Aur unn baato ko yaad kar... Nidhi ka mann ekdum shaant ho gaya.
Nidhi : Accha theek hai... Rehne do. Aaj maze karo ghar me...
Juhi : Yaaayyyyyyy!!! I love you mummy...
Nidhi (smiles) : Ye tumhaare Veer maamu ki kartoote hai sab...
Juhi daudti hui bhaagti hui andar jaa rahi thi jab andar se aati Shreya ne usse forun hi goad me utha liya aur uske gaal chum liye...
Shreya : Arre kaha jaa rahi hai meri barbie girl!?? Subah subah!??
Juhi : Aaj meri chutti hai Maasiii... Mummy ne Veer maamu ke chakkar me mujhe chutti dedi hehe~
Mummy ko Veer maamu ki yaad aa rahi hai...
Shreya : Hmm???
Nidhi (blushes) : Ahh!??
Juhi ke bol sunte hi bechaari Nidhi apne surkh laal gaal liye forun hi andar kitchen me bina kuch bole hi bhaag gayi.
Shreya (mann me) : Inhe kya hua?
***
Delhi...
Idhar ek badi hi alishaan sii hotel ke ek room me, ek aadmi apne haath jode hue khada tha.
Aadmi : Maaf kar do mujhe please Madam... Maaf kardo... Par mujhe doobne se bacha lo... Meri galti thi saari... Saari galti haaan... Mein paiso ki laalach me andha ho gaya tha. Maaf kar do mujhe madam jii...
Ye aadmi aur koi nahi balki Saxena tha jo Kaera ko chuna lagaane ki soch raha tha par badle me uski hi khatiya khadi ho gayi thi.
Kaaran?
Kaaran tha newspaper me front me news jo chhap chuki thi.
Ki Kaera ko Saxena ko zameen par jaane ke baad karodo ka nuksaan hua. Bas! Ab kya tha? Uski zameen ke baare me jo log pehle soch bhi rahe the ab toh wo bhi dur ho chuke the uss se.
Kaera saamne baithi wahi newspaper thaame badi hi santushti bhari nigaaho se Saxena ko dekh rahi thi.
Par saath hi saath uski nazar ek khabar aur pe thi.
Ussi khabar ke theek neeche, ek aur khabar thi. Jisme Veer aur Kaera akele table ke paas, aamne saamne seats par baithe hue the. Aur headline thi ~ "Who's the gentleman whom Miss Kaera herself seeked out?"
Par Kaera akeli nahi thi..
Yahi haal iss waqt Veer ki hotel me unke room me tha. Sonia paper ko zorr se thaame daato tale apna angootha dabaaye badi hi bechain sii thi.
Sonia : Y-Ye newspaper waalo ko kuch aata hai ya nahi? Kya zaroorat thi tumhari aur Kaera ki tasveer daalne ki!? Ughhh!!
Suhana : Chill! Bas ek khabar hi toh hai...
Sonia : Baat wo nahi hai... I don't want Veer to get dragged into this.... Glamour and shitty company's politics...
Veer : Hmm?
Sonia : Veer... Mujhe galat mat samjhna... Mein Kaera se jealous nahi hu. Kabhi nahi. I mean pehle hue karti thi... But ab nahi... Bhagwaan ka diya hua sab kuch hai mere paas... Mujhe koi paiso ki nadiyo me nahi nahaana hai...
Veer : ???
Sonia : Mein bas... Usse haraana chaahti hu because I want to get her attention... Kaera tabhi mujhe attention degi jab wo mujhse haaregi. Aur tab hi hamaare beech baatein shuri hongi... She will take interest in me... Mein usse hamesha ke liye khona nahi chaahti... Isliye... Mein itna try karti hu...
Veer : I see!
Sonia : Hmm! Aur isliye... Mein tumhe bhi... Inn sab cheezo se dur rakhna chaahti hu.
Veer (smiles) : Don't worry! I'll be fine.
Sonia : Nahi... Aise me...
Veer (smiles) : Don't worry! I have you beside me. I'll be fine...
Sonia (blushes) : Huh!?!!
Sonia : Umm... Wo R-Right....
Aur kuch derr baad...
Mahaual thanda hua.
Par...
Veer ke chehre par shikan thi.
Behad hi chinta aur gambheerta bhi.
'Pari! Go to sleep mode!'
[Huh??? Whaaaaattt!??]
'Mene kaha na...! Go to sleep mode! It's an order!'
[Ughhh! Fine!]
*Ding*
[System has entered into the sleep mode.]
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Pasand aaye toh like thok ke jaane ka.
Dhanyavaad!
Excellent updateUpdate - 44 ~ Broken SoulAb tak...
Veer ke chehre par shikan thi.
Behad hi chinta aur gambheerta bhi.
'Pari! Go to sleep mode!'
[Huh??? Whaaaaattt!??]
'Mene kaha na...! Go to sleep mode! It's an order!'
[Ughhh! Fine!]
*Ding*
[System has entered into the sleep mode.]
Ab aage...
"Arre....!? Ye isse achanak kya ho gaya!? Kaha chala gaya ye!?"
Ye bol the Suhana ke.
Jo iss waqt kamre me maujood thi Sonia aur Veer ke sang, par achanak hi Veer unn dono ke saamne se ye kehke chala gaya ki wo kuch derr me waapas aaega.
Ab wo kaha gaya tha, kis kaam se... !? Ye kuch bhi bata ke nahi gaya.
Sonia : Umm... Shayad neeche tak gaya hai. Yadi usne kaha hai toh jald hi aa jaega.
Suhana : Arre par bata ke toh jaaye. Hmph! Hum dono ko wo kuch zyaada lightly nahi le raha!?
Sonia (smiles) : Yahi baat toh mujhe uski pasand hai. Wo harr ek insaan ko ek matlab... Poora insaan ki tarah hi dekhta hai. Matlab aise nahi ki, koi bada vyakti aaye toh uske saamne uska behaviour alag ho aur koi gareeb vyakti aaye toh uske saamne wo alag behave kare. Harr kisi se wo ek jaisa behave karta hai. That's what I like about him.
Suhana : Umm? Hmm.... You are right. Wait! Tum kab se ye sab notice karne lagi usme!?
Sonia (blushes) : Ehh!?? N-Noooo... Ab wo ham dono hi ek dusre se familiar hai toh ye choti choti baatein obviously dimaag pakad leta hai mera... You know na dii!? I-I'm sharp after all... Ahahaha~
Suhana : Hmmm....
Sonia ne apni sharm ko chhupaane ki koshish kari jisme shayad iss baar wo kaamyaab bhi ho gayi kyuki Suhana ne keval haami bhari aur uski baato ko zyaada deeply nahi socha.
Par sawaal abhi bhi wahi tha...
Akhir Veer unn dono ko bina kuch bataye yu achanak kaha nikal liya!?
***
Idhar Veer, hotel me hi upar corridor ke end me window ke paas khada hua tha.
Na jaane kya baatein chal rahi thi uske mann me. Par itna zaroor tha ki wo iss samay kisi chintan me dooba hua tha.
Yaha tak ki usne Pari ko bhi sleep mode me daal diya tha.
'Kuch... Kuch gadbad hai... I should head downstairs.'
Wo mann me soch neeche jaane laga toh neeche se upar aati ek waitress usse dekhe jaa rahi thi aur upar badhti jaa rahi thi.
Veer ko iss baat ka abhaas bhi nahi hua. Ab wo ek average person se bhi thoda zyaada smart jo dikhne laga tha. Na jaane kya hoga jab uska Appearance stat 80 -90 ke upar jaega.
Fir toh shayad Veer ko dekhte hi ladkiyo ki panties me tsunami aa jaengi...
Kherr! Veer uss waitress ki nazro se anibhigya neeche aaya aur hotel ke resting area side hi wo chal diya jaha luxury sofas dale hue the, reception tha aur kaafi saare log idhar se udhar apne kaamo me lage hue the. Aur gaane bhi baj rahe the jisse log bhali bhaati sunn paa rahe the.
Ek sofa pakad wo firse apne chintan me doob gaya. Ye jagah gehre chintan ke liye sahi toh nahi thi. Par Veer khud hi itna apne thoughts me dooba hua tha ki usse koi farq hi nahi pada.
'Pari... Level 4 pe hone ke bawajood Miss Kaera ka status nahi dekh paayi. Wahi dusri taraf... She was able to see... Sonia's and Suhana's status. Iska matlab ek hi baat hai. Miss Kaera ka auhda kuch aur hi hai... Miss Sonia se bhi zyaada... Aur aisi hasti ke saath... Mene wo sab kiya hai. Par iske bawajood unhone ye baat chhipaayi hamaari. Na hi mere khilaaf koi karyavaahi kari... Kyu??'
'Kya wo apni image kharab nahi karwana chaahti isliye? Hmm! Ye ek reason ho sakta hai. Par... Wo mere khilaaf secretly action toh le hi sakti thi... Fir kyu? Kya mein unki nazar me worthless hu? Hmm! Ye bhi ek reason ho sakta hai...'
'Suhana ne ek pal me hi guess kar liya ki wo gunde Aatish ke the. Yaani ki Aatish Miss Kaera aur Miss Sonia dono ke peeche tha. But why!? Wait! Ye dono hi ek dusre se related hai... Aur Aatish ne... First time... Miss Kaera ko club me... Aahhh!!! So that's what it was... He was after Miss Kaera.'
'Par firse wahi sawaal... Kyu!???'
'Aur ye Pari... She's hiding something. Pari ko sleep mode me daalna zaroori tha. Warna abhi mein jo bhi sochta wo usse sunn leti. Atleast Sleep mode me wo mere koi bhi thoughts nahi sunn paegi.'
'Pari ke reactions kabhi kabhi ajeeb hote hai. Akhir kya hai ye system ki paheli!? Mujhe dheere dheere isse suljhaana hoga. Aur usse karne ke liye..
Mujhe Pari ko jitna jald ho sake utni jald level up karna padega.'
Abhi wo apne thoughts me ghum tha jab achank hi uske peeche se ek awaaz aayi,
"Can I have a seat!? If you don't mind!?"
Aur jese hi usne palat ke dekha toh woh stabdh reh gaya.
Uske peeche Kaera khadi hui thi.
Ek modern sii dress me wo itni khubsoorat prateet ho rahi thi ki Veer shabdo me uske saundarya ka varnan nahi kar sakta tha. Aur ye pehli baar nahi tha. Harr baar...
Jitni baar wo usse dekhta, uska muh khula ka khula reh jaata tha. Kaera perfect thi. Harr angle se...
Kahi se bhi aisa mehsoos nahi hota tha usse dekh ke ki iss ladki se ye kaam nahi banta hoga. She was damn perfect.
Ye Veer ke thoughts the Kaera ke prati...
Veer : S-Sure!
Aur Veer ki haami paate hi wo aayi aur uske bagal se baith gayi.
Aur bas...
Agle hi pal poori hotel ka vatavaran badal gaya. Jo log pehle Veer ko dekh tak nahi rahe the, wo sabhi ab usse aur Kaera ko dekh khus pusaane me lage hue the. Ye tha Kaera ki presence ka jaadu...
Jo iss qadar fela hua tha...
Veer ne dekha ki forun hi kayi saare media reporters andar ghus uski photos lene lage par agle hi pal, Kaera ne kisi ko ishaara kiya aur kuch hi moments me sabhi reporters baahar the.
Ye kaam tha uske bodyguard Jassi ka, jo Raghu ke saath thodi dur khada hua tha.
Raghu : Akhir Miss iss ladke me itna interest kyu le rahi hai!? Hmph! Normal sa ladka hi toh hai wo...
Jassi : Abe chutiye! Uss ladke ne unki jaan bachaayi thi aur tune dekha nahi tha kal?
Raghu : Kya?
Jassi : Wo ladka Miss ki bachpan ki dost Miss Sonia ke saath tha. Iska matlab wo Miss Sonia ko jaanta hai. Toh bhala hamari Miss ko jigyaasa toh hoegi hi na...!?
Raghu : Ohhhhhh!
Jassi : Bewakoof rahega tu ekdum...
Raghu : Par Miss ne kal raat... Uska blazer ko liya hmph... Mera blazer bhi toh itna accha hai...
Jassi : Chal hatt be... Tere blazer se kya lena dena unhe... Par iska jawaab mere paas bhi nahi hai.
Raghu : Arrrghhh! Mera sarr phata jaa raha hai soch soch ke.
Jassi : Toh udhar jaa ke phat, idhar nahi...
Inn dono se thodi dur Kaera aur Veer baith apni baato me lage hue the. Aur Veer ne akhir kar himmat kar wo sawal puch hi liya...
Veer : You...
Kaera : Hmm?
Veer : Ahem... Wo... Hamaare beech... First time... I mean... Uss raat jab mein aur aap mile the uss club me...
Kaera : Yeah...!?
Veer : Toh... Uske baad... Hamaare beech wo sab hua tha... Ahem...
Kaera : Hmm?
Veer : I mean... You remember right? W-We... *Cough* We... We had sex...
Kaera : .....
Kaera ka ye baat sunn apne aap muh ekdum expressionless ho gaya.
Aur Veer bechaara thoda seham gaya. Ki kahi usne galat topic toh nahi cherr diya.
'Shit! Is she pissed...!?'
Kaera : I...
Veer : Hmm?
Kaera ne fir wo jawaab diya jiski umeed Veer ko bilkul bhi nahi thi. Usne aisa jawaab toh bilkul bhi expect nahi kiya tha.
Kaera : I don't know... Should I be sad? I don't feel anything...
Veer : Huh!??
Kaera : ...
'Kya kaha isne!??'
Veer : K-Kya kaha? Pardon...!?
Kaera : I said I don't feel anything. Should I be sad? Or happy?
Ye sab kya tha? Veer ke mann me yahi chal raha tha abhi. Ek ladki ne uske kaaran apni virginity khoyi aur sawaal puchne par wo keh rahi hai ki usse kuch feel nahi hua? Usse ye bhi nahi pata ki wo khush hoye ya dukhi iss baat pe? Bhala ye kesa jawaab tha? Ye kesa reaction tha? Ek normal ladki ko toh ab tak uske upar chadh jaana chahiye tha aur uski khatiya khadi kar deni chahiye thi. Par yaha Kaera ne toh...
Jese bilkul hi alag jawaab diya tha. Aisa jawaab, jiski Veer ko katayi umeed nahi thi.
Veer : Wait! You said you don't feel anything!?
Kaera : Yeah...! Tell me... Should I be sad?
'Ye... Kahi ye paagal toh nahi na? No way! Iske jesa dimaag toh mene kisi ladki me nahi dekha hai. She's not mad... But fir whyyyyy? Kyuuu?? What is this reaction?? Fuck! Pari ko bhi mene sleep mode me daala hua hai.'
Veer : Dekhiye... We... Hamaare beech... Wo sab hua... Right? You remember!? Itni badi baat hai ye... Y-You don't feel anything?
Kaera : I don't... That's why... Tell me... Also, what is life? Tumne answer diya tha. But I couldn't understand.
Veer : T-This....
'Akhir chal kya raha hai behanchod ye sab!????? Fucccckkkkk!!!!'
Kaera usse aasha ki nazro se dekh rahi thi. Par jese achanak hi Veer ko kuch abhaas hua aur usse ek zordaar jhatka sa laga. Usne firse sawaal karna shuru kiye.
Veer : Wait! Toh aapka kehna hai... You don't feel anything...
Kaera : Right...
Veer ne unn aankho ko dekha... Jo jheel sii prateet ho rahi thi. Itne sundar wo kaale kaale nain...
Itna manmohak chehra... Wo khule halke geele baal jinhe wo apne maathe ke peeche kare hue thi. Kaano me lagi wo chamakti baaliya... Sab kuch itna aakarshak ki pucho mat.
Maano Veer pal bhar ke liye uski sundarta me doob gaya tha.
Peeche hi ek jaana pehchaana gaana baj raha tha.
Jiski kuch panktiyo ne Veer ko ekdum maun kar diya.
Soche dil ke aisa kaash ho...
Tujhko... ek nazar meri talaash ho...
Jese... Khaab hai aankho me base meri...
Wese... Neendon pe silvate pade teri...
Bheege bheege armaano ki wo hadd hai...
Haaye... Geeli geeli khwaaish bhi toh behad hai...
Mar jaawaa... Mar jaawaa...
Aur ye panktiya... Gaayika ki wo madhur awaaz aur saamne Kaera ke wo kuch bechain se chehre ne jese Veer ko ek pal ke liye wahi baandh ke rakh diya tha. Maano jese wo panktiya Kaera apne muh se kehna chaah rahi thi, aisa mehsoos hua Veer ko.
Unn aankho me kahi na kahi... Veer ko atyant hi dard aur peeda nazar aa rahi thi. Itni zyaada ki Veer ko apni nazre hataani pad gayi.
Ya yu kahe ki uski nazre apne aap hi Kaera ki aankho se alag ho gayi.
'No No No No.... She's not perfect. Not at all. She's... She's broken...'
Usne apni bauhe sikode Kaera ko dekha. Aur uske iss tarah se dekhne par bechaari Kaera bhi confused ho gayi.
Par agle hi pal...
Veer ne uska haath thaama aur usse uthaate hue le jaane laga,
"Come with me..."
"Huh???"
Ye pehli baar tha, jab kisi ladke ne uska haath thaama tha iss prakaar se. Aur usse yu kheech ke le jaa raha tha.
Wo apne haath ko dekhi, jo iss waqt Veer ke unn haatho ki giraft me tha. Uski rookhi rookhi hatheli ki twacha wo apne makhmali narm hatheli me bhali bhaati mehsoos kar paa rahi thi. Aur ek ajeeb sii feeling uske andar jaag rahi thi. Ya yu kahe ki jaagna chaahti thi... Ya jaagne ki koshish kar rahi thi.
Raghu : Oye... Iski toh...
Raghu saamne ka nazaara dekh forun hi badhne ke liye hua par tabhi Jassi ne usse rok diya.
Jassi : Ruko...
Raghu : Ughhh... Jassi chorr... Wo dekh wo ladka... Miss ko kaha le jaa raha hai!? Aur uski himmat kese hui unhe aise chheene kii?
Jassi : Shut up... Miss ne mujhe ishaara kiya abhi. Ki hum unhe follow na kare...
Raghu : Par...
Jassi : Mene kaha na... Aur wo ladka... I think ki hum uspe bharosa kar sakte hai...
Raghu : Kyaaa??? Tum ek anjaan ladke par kese bharosa kar sakte ho?
Jassi : Miss ne uske baare me mujhe details nikaalne kaha tha kal. Saari ki saari... Uska naam Veer hai. Kuch yaad aaya!? Jaha tak mera anumaan hai... Miss ke liye wo khatra nahi hai.
Raghu : Par...
Jassi : Mene kaha na... Hum follow nahi karenge unhe.
Raghu (daat meeste hue) : Fine!!!
***
Kaera ko thaame Veer usse ek thodi shaant sii jagah laaya aur uske saamne khada ho gaya.
Usne Kaera ko dekha aur apne dono haath uske kandhe par rakhe aur apna maath uske maathe se laga ke khada ho gaya.
Bechaari Kaera... Uski aankhein phati ki phati thi. Wo bas Veer ko dekhe jaa rahi thi. Poori confused thi wo iss ravaiyye se... Par...
Kehne ke liye koi shabd na nikle uske hontho se.
"I think now I get it..."
Kaera : ??
Veer : You are...
Kaera : ??
Veer : You are broken idiot...
Kaera : Huhhhhh?? *Gasp*
Aise shayad hi kabhi kisi ki himmat hui hogi uss se baat karne ki. Par aaj usse yu iss tarah ek ladka thaame hue bol pe bol sunaaye jaa raha tha.
Aur ye koi aur nahi, uski hi Virginity lene waala insaan tha ~ Veer.
Kaera abhi bhi confused thi...
Par tabhi usse Veer ki aankho se nikalte hue aasu dikhe aur wo aur zyaada confused ho gayi...
Bhala Veer kyu ro raha tha iss waqt...!?
Wo ekdum prashnjanak bhaav se usse dekhe jaa rahi thi. Par Veer toh bas usse hold kiye ro raha tha.
Veer : You are broken... Aur uss se bhi badi dard bhari baat ye hai ki...
Kaera : ??
Veer : ...ki you don't even realize it you idiot...
Kaera : ...??
Aur agle hi pal Veer ne kass ke usse thaam liya aur apni baaho me jakad liya.
Kuch derr tak wo dono hi ek dusre ki baaho me the. Na toh Veer ne usse azaad kiya aur na hi Kaera ki kuch samajh aaya ki ye chal kya raha tha.
Jab Veer ne usse apne se alag kiya toh usne Kaera ki aankho me aankhein daalte hue dekha aur kaha,
"You want to know the meaning of life right? I will tell you... No! In fact, I will teach you... Kya hoti hai zindagi"
Kaera : Y-You will...!?
Veer : I will... I will teach you everything... You are broken right now.... Lonely... Hurt... Depressed... Frustrated... Anxious... Apathetic... Perplexed... Right!?
Kaera : ???
Veer : Aaj pehli baar... Kisi ki madad karne ka itna mann kar raha hai... *smiles* I will make you feel... Everything...
Kaera : ...
Veer aur Kaera jis sthiti me the abhi, yadi uss sthiti me koi unhe dekh leta toh aaj pakka bawaal khada ho jaana tha.
Veer ke paas aate hi Kaera aaj achanak hi itni timid sii ho gayi ki wo bas Veer ke flow ke saath behti sii chali gayi. Aur sabse shocking ye tha ki... Usse zara bhi iska abhaas nahi hua aur na hi bura laga.
Kaera : I...
Par iske pehle wo kuch keh paati Veer ne apne bol rakh diye,
"Ab mujhe jaana hoga. I promised Miss Sonia ki mein jald hi aa jaunga. Aap... You take care. We'll meet again."
Aur bas... Unn baato ko rakh wo waha se nikal gaya. Kaera idhar keval uski jaati hui peeth dekhti rahi.
Wo wahi khadi kabhi apni hatheli ko dekhti toh kabhi apne maathe ko touch karti toh kabhi apne nagn kandho ko...
Jaha jaha usse abhi bhi... Veer ka touch mehsoos ho raha tha.
***
Waapas aate hi Veer se kayo sawaal Sonia aur Suhana ne kiye jiska jawaab usne ghuma fira ke de diya. Fir wo seedhe Suhana ke saamne baitha aur kaha,
"I want to talk to you..."
Suhana : Hmm? Haa toh kaho na...
Veer : Wo... Sonia miss bhi yahi hai... It's important...
Suhana : Ohhh!
Suhana : Sonu! Jao... Jaake bath le lo...
Sonia : Okay!!
Sonia jo koi magazine padhne me lagi thi wo agle pal hi uthi aur washroom me chali gayi.
Suhana : Hmm... Ab kaho...
Veer : Aapke teen favours hai na mere pe...!?
Suhana : Right...
Veer : Well... Ek aur badha lijiye...
Suhana : You sure? Pehle hi teen vaade kar chuke hai. Teen favour tumhe chukaane hai. Kahi... Khud ke hi vaado me na fass jao.
Veer : Mujhe pata hai mein kya kar raha hu.
Suhana : Ohhh...!
Veer : Bataiye fir... Will you help me?
Suhana : Fine...! Tumhaare 4 favours ho gaye ab. Bolo... What do you want!?
Usne pucha... Wo bhi jaan'na chaah rahi thi ki akhir Veer itna utawla kis baat ko lekar tha. Aur saath hi wo veer ke secrets bhi jaan'na chaahti thi isliye wo raazi ho gayi. Par Veer ke jawaab ne jese usse poora chaunka ke rakh diya.
Veer : I want to do business.
Suhana : Huhhhh!??
***
Veer toh apni Zindagi me tha hi vyast. Aatish ko maarne ke baad usne uss taraf jaan'ne ki koi dilchaspi nahi dikhaayi thi.
Par usse nahi pata tha... Ki usne anjaane me hi sahi par Aatish ko maar ke ek nayi musibat ko apne sarr le liya tha.
Slogan jo iss waqt apni ek pasandeeda rocking chair par baitha hua tha.
Usse saari baatein ab pata lag chuki thi. Usse itna pata chal gaya tha ki Veer naam ke bande ne Aatish ko maara hai, wo wahi Mumbai ka rehne waala hai, ek college student hai, aur uske kuch ghar ke sadasya hai...
Itni baatein wo jaan chuka tha.
Aur abhi wo bas khud ke mann me ek chakravyuh me fassa hua tha.
'Isse baad me dekhunga... Pehle... Mera maqsad... Aatish ki maut ka badla uske baad. Akhir wo mera sabse khaas student tha.'
Wo kehte hai na, buddhimaan log nirnay lene me zyada samay nahi lagaate. Slogan jaanta tha ki usse iss waqt kis cheez ko priority deni hai.
Bhale hi uska dil Aatish ka badla lene ke liye zyaada kar raha tha par wo hamesha dil ki nahi apne dimaag ki sunta tha. Aur isliye wo ab tak zinda tha.
'Boht jald... Mera maqsad poora hoga. Boht jald...'
***
Giza Pyramids...
Egypt...
Hamaare bhaarat se kayi koso dur...
Egypt me greater Cairo naamak ek jagah sansaar ki sabse zyaada popular archaeological sites me se ek maani jaati hai.
Kyu? Kyuki yaha The Great Pyramid of Giza jo tha.
Jisse The Great Pyramid of Khufu ke naam se bhi jaana jaata hai. Ye Giza ka sabse puraana aur sabse bada pyramid jo tha.
Yaha bhar bhar ke investigations hoti thi. Aaye din koi na koi archeologists ki team aati aur wo kuch na kuch investigate karti aur apni findings ko public ke saamne ujaagar karti.
Par of course... Iske liye permission leni padti thi.
Aur inhi kuch teams me se ek team aur bhi thi.
Aaj se inhe yaha par investigation karne ka mauka diya gaya tha.
"Let's go... Look it's huge! Right?"
Team me ek angrez lady thi jisne ye vaakya kaha toh team ke sabhi logo me uski baat me haami bhari. Waqai... Pyramid bhavya tha.
Uski greatness waha khade hokar hi bhaapi jaa sakti thi.
Aur issi team me... Ek aurat ek jeans pehne aur ek shirt daale apna luggage liye aage ki orr badhti jaa rahi thi.
"Wowwwwww!!"
Uske bagal se chal rahi ladki ne kaha. Toh uska reaction dekh wo keval muskura dii.
"I can't believe aap yaha pehle bhi aa chuki ho Mom. This is amazing... It's phenomenal."
"Ye toh kuch bhi nahi beta. Andar chalo... You will see some bizarre things."
"Ohhhh! Don't make me curious mom"
Jii Haa~ Ye aurat koi aur nahi balki Bhavana hi thi.
Jo apni beti ke saath yaha aayi hui thi.
Aur ab iss baat ka andaaza lagaana mushqil nahi tha ki Veer ki ye maa kitni qaabil archeologist thi. Jisse yaha par aane ka dusra mauka mila tha.
Apni beti ke chehre par khushi dekh wo behad khush thi. Par jaha wo iss baat se khush thi wahi...
Usse jese kuch yaad aaya aur agle hi pal wo wahi theher gayi.
"Hmm!? Kya hua...!?"
Bhavana : Huh!? K-Kuch nahi... Aao... Andar aao... Sambhal ke... Iske baad hum seedhe andar jaenge... Inside the actual pyramid okay..!? Come!
Wo bolte hue apne chehre ke bhaav ko chhupaate hue aage badh gayi. Par...
Peeche khadi uski beti...
Usse jaata hua dekh rahi thi. Jo utsaah thodi derr pehle tha uske chehre pe wo gaayab ho chuka tha. Aur ek expressionless chehra saamne aa chuka tha.
'Chaahe aap kitna bhi kyu na chhupa lo... Kitna bhi kyu na jhooth bol lo... But I can see through your every action Mom. And I know the truth you are hiding... I already know it... That...
I have a brother as well.'
Apne mann me soch wo fir dheere dheere aage badhi aur Bhavana ke sameep aake uske saath chalne lagi. Uske chehre pe waapas se wahi utsaah aa chuka tha. Jo shayad... Iss baar thoda banaavti tha.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Don't forget to like and share your thoughts.
Next update se action hai. Be prepared.
Will arrive around 1.Bhai waiting for your next update eagerly.
Confusing update... I think there is a problem in system and a bigger conspiracy There us no free meal in this world..Update-48~ Mystery and PlanAb tak...
'Y-Ye!?? Damnnnnnnn....!'
Bas baaki tha... toh Veer jo achraj me waha khada hua tha abhi bhi apni fist hold kiye aur baaki aadmi... Jo karaahte hue sadak par dale hue the.
Veer ne khush hote hue ek raahat ki saas lii...
Par ...
*Clap* *Clap* *Clap*
Apne just peeche se ye awaaz sunn uska shareer kaanp utha.'
Ab aage...
Achanak aayi unn taaliyo ki awaaz jese uss sunsaan sadak me goonjne lagi aur Veer ke raungte khade ho gaye. Kuch shan ke baad hi taaliyo ki goonj tham gayi aur sab kuch shaant pad gaya.
Ekdum ekaant sa...
Aur fir Veer dheere dheere palta...
Usne saamne dekha aur jese hi uski nazre saamne hui....
Uski ankhein phati ki phati reh gayi.
Uss limousine se ek vyakti nikal ke baahar aaya tha. Floral shirt, blazer, trouser, black formal shoes aur bas. Uske haatho me kuch nahi tha. Veer iss vyakti se kabhi nahi mila tha. Na hi usse jaanta tha. Par uske saamne khada ye vyakti, pata nahi kyu par Veer ko usse dekh ke hi khatre ki ghanti sunaayi de rahi thi.
Kuch gadbad thi.
Veer ko aisa mehsoos hua jese iss waqt usko yaha nahi hona chaahiye tha.
Ye wahi vyakti tha. Wahi vyakti...
Jisse Veer ne uss din Suhana ke saath hotel me dekha tha. Uss lift me. Bilkul!!!!
Veer ki memory sharp thi. Usse bakhubi yaad tha ki ye wahi insaan tha jo uss din lift me tha. Akhir kese Veer usse bhul sakta tha!?
Wo floral shirt... Uss aadmi ke dress up ki sabse eye-catching cheez thi. Jisse aadmi ek nazar me asaani se bhul hi na paaye.
Par sabse bada sawaal tha. Wo akhir yaha kar kya raha tha!? Inn aadmiyo se uska kya lena dena tha?
Dono ki nigaahe ek dusre ko aise scan kar rahi thi jese maano ek dusre ko ladne se pehle parakh rahe ho.
Veer : T-Tum...!!
Aadmi : *smiles*
Veer ke response par wo aadmi kuch nahi bola bas muskuraaya. Par kisi kaaran vash Veer ko uss aadmi ki muskuraahat aur bhi zyaada khatre ke sanket de rahi thi.
Uski bauhe apne aap sikudi... Aur usne firse pucha.
Veer (frowns) : Tum sab kaun!? And you... You were there in the elevator that night.
Aadmi (smiles) : Ohh! Beshaq! Toh mein yaad hu tumhe!? Good! Good! Toh mein bhi apna intro de du. Right!? So... Well! I go by the name of...
Veer (gulps) : ...
Aadmi (smiles) : SLOGAN!!!
Veer (frowns) : Slogan!?
Veer ne usse dekh ek shan bhi waste nahi kiya aur seedhe...
'Check!'
Par...
[You are not eligible to view this person's status.]
Ek aur bada jhatka laga usse.
Saamne khada vyakti jo kareeb 55-60 saal ki umr ka tha par utne ka prateet nahi ho raha tha. Wo muskuraate hue Veer ko aise dekh raha tha jese uski saari chaale jaanta ho.
Veer (frowns) : Ye sab tumhaare aadmi hai!?
Slogan : Bilkul bilkul! Par yaha pe sawaal toh mera hona chaahiye na!? Tum meri gaadi ke saamne aaye aur gaadi roki... Toh zaahir hai ki mere aadmi tumhe dushman hi samjhenge na?
Veer : T-That...
Slogan : Toh kya mein jaan sakta hu? Ek anjaan ladka meri gaadi ko itni raat gaye follow kiya aur fir saamne apni bike rok mere aadmiyo se lada. Ab iss par apne vichaar rakhna chaahoge tum?
'There's something wrong...!!! I can feel it. I cannot say ki mujhe mission mila tha.'
[Ye aadmi mujhe creepy vibes de raha hai Master! Ugh!]
Veer (frowns) : I think... Tum aur tumhaare aadmi kuch illegal kaam kar rahe hai. Gaadi ki window tints itni black kyu hai!? Transparent kyu nahi!? This is illegal.
Veer ne kuch soch ke ye jawaab diya. Kyuki zaahir sii baat thi. Mission tha ki gaadi me andar thehre vyakti ko chot na aaye. Matlab saaf tha, ki gaadi me koi aisa shaks tha jisse harm na pohuch paaye.
Aur ye log gaadi ki window tints ekdum kaali rakhe hue the. Veer inn sab baato ko parakhne ke baad, uska anumaan ek hi jagah par jaa raha tha.
That...
This was a Kidnapping!!!!
And someone was inside....
Zaroor! Zaroor kuch gadbad thi. Warna aisa mission me likh ke nahi aata. Wo bhi warning me likh ke aaya tha.
Pakke se iss aadmi ne kisi ko agvaah kiya hai aur Windows ka yu kaala hona koi ittefaaq nahi tha balki jaan boojh ke unke sheeshe kaale the taaki andar kya ho raha kisi ko bhi kuch pata na chale.
Aur itne aadmi same dress pehne hue!? Zaahir sii baat thi. There was something definitely wrong.
But what was it!???
Aisa kya tha jo sense nahi bana raha tha? Iska jawaab jaan'ne ke liye Veer ko keval uss limousine ke andar dekhna tha aur bas... Saara ka saara sach ek baar me saamne aa jaata.
Slogan : Mein illegal kaam kar raha hu? Ye windows safety purpose ke liye hai. Aur transport department se permission bhi hai mere paas... Toh bhala kyu nahi!?
Veer ki kuch samajh nahi aa raha tha. Kya ye vyakti waqai begunaah tha!? Kya uska hi system behak raha hai!?
Veer : Mujhe andar dekhna hai... Surely! Yadi kuch illegal nahi hai andar toh... You won't mind right!?
Slogan : Ahem!!! Par kyu!? Kyu dekhne du bhala mein? Mein chaahu toh abhi tumhaare khilaaf complaint kar sakta hu... Akhir dekho! Tumne kitne aadmiyo ko maara hai yaha mere...
'This doesn't makes sense at all... Damn ittt!!!!'
[This guy... Master!!!! Iski baato me mat ulajhiye... I can feel it. Ye baato me uljha raha hai.]
'I know it Pari!!'
Veer : Mujhe bas andar dekhna hai. Akhir mein concerned tha aur isliye follow kiya... So yadi koi illegal kaam nahi hai toh... You shouldn't mind right!?
Slogan : Well!!! Thik hai... Have a look...
Aur wo limousine ke darwaze se side hatt gaya aur Veer ko andar dekhne ke liye permission de diya.
Ahista ahista aur satarkta se bhare kadam badhaate hue Veer unn aadmiyo aur uss Slogan ke paas se guzra aur usne jese hi andar jhaak ke dekha...
Toh usse nazar aaya, ek ladki acchi si dress pehne hue baithi hui thi. Kahi se bhi wo aisi nahi lag rahi thi jo kidnapped kii gayi ho.
Veer : ???
Ladki : Hmm!?
Veer : Aapka naam!?
Ladki : Huh!? Why should I tell you? Aur tumhaare hi kaaran car ruki hai na? Tumne hi uncle ke aadmi ko maara na abhi? Get lost okay!? I'm in my way to home...
Par uss ladki ka jawaab sunn Veer toh ekdum hakka bakka reh gaya tha. Ye sab chal kya raha tha!? Akhir system ne usse ye car rokne ke liye kyu kaha!?
Veer : Ma'am! Aap safe hai na!? Aisa toh nahi ki... Ye sabhi aadmi aapko majboor kar kahi le jaa rahe hai!?
Ladki : What the hell? Are you mad or what? Ab iss se pehle ki mein police ko phone karu tum nikal lo yaha se samjhe!? Uncle chaliye na...! Kaafi neend aa rahi hai mujhe.
Veer ko laga tha ki shayad unn aadmiyo ke darr se ye ladki sach chhupa rahi hogi par aisa toh kuch bhi nahi tha. Wo toh poori tarah se normal lag rahi thi. Akhir kya chal raha tha yaha pe!?
Aur isliye ek baar aur confirm karne ke liye, Veer ne wahi kiya...
'Check!'
[Name : Priya
Age : 24
Bio : Priya! Ek xxxxxxx college ki student hai. She loves to go into the parties and dancing. Thodi selfish hai. Paiso ka guroor bhi hai. Priya ke Dad ek rich business man hai.
Favourability : 2
Relationship : Strangers]
Par status padhte hi Veer ko ek aur bada jhatka laga. Ye ladki kisi bhi danger me nahi thi. Everything was completely normal.
Then why this mission!?
Akhir system uss se karwana kya chaah raha tha!? Yu itni raat gaye kisi ki gaadi rokna? What the hell was wrong with this system!?
Veer awkwardly darwaaze se peeche hata.
Slogan (smiles) : Ab yakeen ho gaya!?
Veer : Y-Yeah... Sorry for that...
Slogan : Yadi tumhare intentions galat hote na ladke toh tum bhaari musibat me pad sakte the.
Veer : Y-Yeah!!
Aur Veer waha se bina kuch kahe hi jaane laga. Usse samajhne ke liye ab ekaant mahaul chahiye tha taaki wo samajh sake ki ye sab behanchod hua kya uske saath.
'Pari! Ghar pohuch ke... I need an explanation.'
[Even... I... I don't know master. System ne aisa Mission bhala kyu generate kiya hoga!? Jiska koi matlab hi nahi tha!?]
Par ye baat hamari bechari Pari bhi nahi jaanti thi. Kya waqai system ne ek sahi mission generate kiya tha? Ya ye koi internal malfunction tha system me!?
Jo kuch bhi ho, iska answer jaan'na Veer ke liye boht zaroori tha.
Abhi wo apni bike utha ke key ghuma hi raha tha jab peeche khade unn logo ki kuch awaaz uske kaano me padi.
Ek aadmi Slogan ki taraf muda aur bola,
"Usne sahi kaha tha Dada... Bilkul wesa hi hua. Ye toh jaadu ki tarah hai. Usko kese...!?"
Par iske pehle ki wo kuch keh paata. Slogan ka haath tezzi se ghuma aur ek tamaacha uss aadmi ke gaal par pada. Bechaare ke kaan me seeti bajne lagi itni zorr se wo jhaapad pada tha usse aur agle hi pal wo shaant pad gaya.
Veer ne ek baar fir shanka me unhe peeche mud dekha par fir gaadi chaalu kar wo nikal gaya.
Uske jaane ke baad ab keval Slogan aur uske aadmi hi bache hue the.
Steve, Slogan ka right hand aadmi jo kaafi derr se chup tha aur uske peeche khada hua tha wo aage aaya apne Dada se kuch kehne ke liye par jese hi usne apne Dada ki aag baboola aankhein dekhi toh uske shabd muh me hi reh gaye.
Slogan : Steve!!!
Steve : J-Jii Dada!
Slogan : Taiyaariya kesi chal rahi hai!?
Steve : Sab taiyaar hai Dada!
Slogan : Good!
Slogan andar limousine me baithne jaa hi raha tha jab Steve ne himmat kar puch hi liya.
Steve : D-Dada!!
Slogan : !??
Steve : U-Uss... Uski baat sahi nikli... Bilkul wesa hi hua... Ye sab...!?
Slogan : Aaj tak... Aaj tak iss Slogan ko kabhi koi darra nahi paaya hai Steve. Wo koi chhal kiya hai. Dekh lenge usse bhi.
Aur itna bol wo ghus gaya car me.
Ye sab kya baatein thi jo ye kar rahe the!? Kiske baare me baatein thi ye? Ye keval wahi jaante the.
***
Few Days later...
Uss raat uss ajeeb se mission ke baad, Veer ki life kuch shaant sii thi. Sabse strange baat par uss mission ki hi thi.
Uss raat jab Veer waha se lauta toh ghar pohuchte hi usse notification mil gaya tha.
*Ding*
['Mission : Follow the black limousine and stop it at all costs' has been completed.]
*Ding*
[200 points have been rewarded.]
Ye jese aur bhi bada surprise tha uske liye. Usse uss mission ke baare me toh kuch jaankaari nahi mil paayi par zaroori baat ye thi ki mision complete ho chuka tha aur toh aur...
200 points eksaath.
'Uss raat... Kuch aisi cheez hai Pari... Jisse hum dekh nahi paa rahe hai. I don't think ye system ka koi malfunction hai. Kyuki iss se pehle kabhi system ne aise behave nahi kiya hai.'
[I agree master! Wait I can do something.]
'Kya!?'
[Mein ek diagnostic run maar sakti hu. Uss se pata chal jaega ki system me kahi kuch kharaabi hai ya nahi!]
'Do it right now then!'
Veer ke nirdesh anusaar Pari lag chuki thi apne kaam me. System ko check kar rahi thi. Taaki yadi koi bhi error ho toh saamne aa jaaye.
Par...
[Everything is fine Master. There's nothing wrong!]
'Damn it!!! It doesn't makes any sense. System wanted me to not harm that girl. Iska matlab kahi mujhe keval uss se milwana toh nahi tha!? But she's just a rich girl. Usme koi aisi khaasiyat nahi hai. I don't think that's the case. Wait! Kahi... Wo kisi aise ko jaanti ho? Jis se future me mujhe milwaye wo!? Aur hamari mulaqaat ho? Isliye shayad system ne mujhe usse harm na pohuchaane ke liye kaha!? But no... Akhir milwaane ka matlab kya? Upar se mera pehla impression hi bekaar tha uske liye...'
[Kuch bhi ho master. Aapko ab pehle se zyaada alert rehna padega.]
'Yeahhh! Aur tum level 5 se kitni dur ho?'
[I'm almost there. One more Mission aur mein level 5 pe hehe~]
'Hmm!'
[And you will get surprises then... Hehe~]
'Hmm? Of course! Harr level up pe kuch na kuch internal feature unlock hota hai. Right!?'
[Yeah! Par iss baar aur bhi boht kuch hai. It will be a great surprise!]
'Meri umeede na jagao.'
[I promise Master! You know how much I love you right? Jhooth thodi bolungi.]
'Hmm... Alright! Let's go! Suhana ne business ke baare me discuss karne bulaaya hai. I need to earn money fast. Miss Kaera se milna padega. She's damn good in business.'
[Yesssssss!]
***
Same day...
At Veer's old house...
Raat ka waqt tha. Hall me hi ghar ke mukhiya Manorath viraajmaan the aur ek naukar unke perro me tel laga ke unki maalish kar raha tha.
Ussi hall me maujood couch par dono bhai, Vivek aur Pranjal baithe hue the jo ishaaro hi ishaaro me na jaane kya baatein kiye jaa rahe the.
Brijesh abhi tak ghar nahi lauta tha aur Karunesh bhi. Ghar me Sumitra, Arohi aur Kavya hi maujood thi aurato me.
Bhumika aur Shweta, bole toh Veer ki Sauteli behan aur Maa dono hi apni hotel me thi aur wo aksar raat me saara kaam kaaj waha ka nipta ke hi ghar lautati thi.
Kavya aur Arohi ek hi room me apni baato me lagi thi aur Sumitra ghar ki maid ke saath khaane ki taiyaari kar rahi thi.
Jab Pranjal ko mauka sahi laga toh usne apni baatein rakhna chalu kiya.
Pranjal : Dada jii!
Manorath : Hmm?
Pranjal : Dada jii! Aap akhiri baar hamaari kul devi ke mandir kab gaye the?
Manorath : Hmm? Accha... Beta kayi saal ho gaye.
Pranjal : Ye kya Dada jii!? Naya saal aa raha hai. Aur naye saal ki shuruaat me mere khayaal se aapko udhar jaana chahiye. Mein toh bachpan me gaya tha. Mujhe toh yaad bhi nahi waha ka kuch bhi. Kyu na hum log waha hoke aaye!?
Vivek : Chota sahi keh raha hai Dada jii! Akhir... Itne saal ho haye aapko khud ko gaye. Aur mein toh last time gaya bhi nahi tha. Naye saal ki shuruaat yadi devi jii ke ashirvaad se ho toh kitna badhiya rahega.
Dono ne jab ye baat kahi toh Manorath ko bhi waqai laga ki baat ekdum sahi thi. Jab naye saal me aadmi acche dhan, sukh, samridhhi prapti ki iccha karta hai toh sabse pehle Bhagwaan ko hi yaad karta hai. Aaj Manorath ke paas bhagwan ka diya sab kuch hai. Toh aise me usse apni kul ki devi ka ashirwaad lene waha jaana hi chaahiye aur waha pe bhi kuch karwaana chaahiye.
Manorath : Tum dono ki baat bilkul sahi hai. Waqai! Hume jaana chaahiye...
Pranjal (smiles) : Waqai!?
Manorath (smiles) : Kyu nahi beta!? Bilkul! Hum saparivaar jaenge... Hamaari taraf se mandir me jo kuch bhi ban padega hum karenge aur udhar bhandaare ka aayojan bhi karenge. Naye saal ki ye shuruaat devi jii ke ashirvaad se hi honi chaahiye. Bilkul! Mujhe ye jaan ke behad khushi hui ki aaj ke iss samay me bhi mere pote... Pooja paath se kitna jude hue hai. Wahi tumhaare pita ko dekho... Unn dono bhaiyo ko... Hmph! Subah shaam paisa paisa paisa... Aaj bhojan ke liye late hue toh dekhna kya haal karta hu unka.
Pranjal : Ye hui na baat Dada jii! Bas toh fir tay raha. Hum sabhi 31st ko jaenge aur ek raat wahi theher ke new year mana ke waha se lautenge.
Manorath : Par mujhe ab bhi vishwash nahi hota. Tum dono naya saal manaane ke liye udhar gaav jaane ke liye ready ho gaye!?
Pranjal : Harr saal toh hum hotel ya kahi aur party kar naya saal manaate hi hai na Dada jii? Fir ek saal gaav me jaane se aisa thodi hai ki koi nuksaan ho jaega hamaara? Aur hum toh devi jii ke liye jaa rahe hai. Wo toh jaha bhi viraajmaan ho wo harr bhumi shubh hai.
Pranjal ki baat sunn Manorath ki aankhein namm ho gayi aur wo apna chashma nikaal apni aankhein malne lage.
Manorath : Mere pote kitne samajhdaar hai. Devi jii ki kripa hai sab.
Pranjal : Aur Dada jii...
Manorath : ??
Pranjal : Darasal mene ye request isliye saamne rakhi kyuki... Mein devi jii se ek khwaaish maangna chaahta hu...
Manorath : ??
Pranjal : ki jald se jald Veer aur Tau jii ke beech jo bhi jhagda hai wo khatam ho jaaye aur mera pyaara bhai ghar laut aaye. Mein uska poora khayaal rakhunga. Uske bina ye ghar adhoora hai Dada jii. Mujhe yakeen hai ki devi jii meri baat zaroor sunengi aur Veer aur Tau ji ko dekhna aap ek karwa dengi...
Veer ka zikr hote hi Manorath ekdum shaant pad gaye. Unhe Veer ka hi chehra apne mann me nazar aane laga.
Manorath (mann me) : Mera Veer...
Manorath : Veer ko bhi hum..
Vivek : Wo... Veer Ragini ke saath ruka hua hai Dada jii. Chinta ki koi baat hi nahi hai. Ragini ki saheli bhi uske ghar me hai. Toh aisi koi chinta ki baat hi nahi. Meri bhi yahi khwaish rahegi devi jii se... Ki jald se jald Ragini ghar laut aaye.
Manorath : Isme galti saari tumhaari thi. Hmph! Fir bhi... Devi jii ka naam leke sacche mann se iccha maangna aur Ragini bitiya ke paas jaa kar maafi bhi. Dekhna wo zaroor laut aaegi.
Vivek : J-Jii Dada jii!
Aur Manorath itna bol apni aankhein band kar apne chintan me doob gaye toh wahi Pranjal aur Vivek ek dusre ko dekh rahe the. Na jaane kya vichaar chal rahe the unke mann me.
Kuch boht bada hone waala tha shayad...
***
30th December...
At Night...
Nidhi's House...
Nidhi as usual apne khaana banaane me vyast thi andar kitchen me toh wahi Shreya aur Juhi hall me baithe hue the.
Juhi toh apne T.V me lagi hui thi par Shreya apne hi vichaaro me leen thi.
'Meri job already lag chuki hai. Aur earning bhi theek thaak hai. But still... Hamesha mera dhyaan youtuber bann'ne ke liye jaata hai. I want to do it. But uske liye mere PC ko accha khaasa banaana padega pehle... Uske baad ek accha internet connection. Uske baad hi kuch ho paega. Maybe part time me mein stream kar sakti hu. Yeah! Right! And I can even invite Veer to join my stream... Dheere dheere meri popularity badhti jaegi. People will knowa about me. About Veer too... Ohh it's so romantic. Veer aur mein saath me stream karenge! People will comment about us ki are you both in relationship!? Haha~ We will react to videos together... Play games together. It'll be so...'
"Shreyaaaaaaaaaaa!!!"
Par iske pehle ki Shreya apne mann me bann rahe laddu khaa paati, andar se Nidhi ki awaaz jese usse hosh me laayi.
Shreya : H-Huh!? K-Kya!?
Nidhi : Andar aao thode ye aalu rakhe hai mene cooker me... Inhe peel kar do.
Shreya : Alright!!!
Aaj ghar me aalu ke paraathe bann rahe the jo Shreya ke favourite the. Wo bhi Nidhi ke haatho ke. Toh wo madad karne se peeche kese hatt sakti thi? Akhir Nidhi itne pyaar se uske liye jo bana rahi thi.
Shreya : Dii!
Nidhi : Hmm!?
Shreya : Kal ka kya plan hai!?
Nidhi : Kya!?
Shreya : For god's sake... Dii! Kal saal ka akhiri din hai. Naya saal aane waala hai... Aur aapka koi plan nahi hai?
Nidhi : I-I don't have any... Aur kya naya saal? Harr saal ek jese hi guzarte hai mere... Mere liye koi naya saal nahi hai...
Uski awaaz sunn Shreya ka mann maayus ho gaya. Isme bechari Nidhi ki koi galti nahi thi. Galti thi toh bas uski kismat kii. Par Shreya nahi chaahti thi ki uski behan ka ye saal ka akhiri din itna sadhaaran tareeke se beete...
Usne fatafat aalu peel kiye aur Nidhi ko diye aur wo jhatpat apne phone leke hi kitchen me ghusi aur kisi ko call karne lagi.
Aur jese hi udhar side se kisi ne phone uthaaya toh Shreya ne baat karna shuru kii...
Shreya : Haan hello Veer!??
Aur bas...
Veer ka naam sunte hi Nidhi ek jhatke me palti aur usne Shreya ko dekha. Jese maano puchna chaah rahi ho ki bhala Veer ko kyu call kari thi woh.
Par Shreya ne Nidhi ko dekhne ke bawajood usse ignore kar diya aur apni baatein jaari rakhi.
Shreya : Wo... Kal saal ka akhiri din hai. Toh tumhara kya plan hai!?
Veer : Filhaal toh koi plan...
Shreya : Ohh that's so great toh tumhara koi plan nahi hai!? Wonderful!
Veer : H-Huh!?
Shreya apne baalo ke sath khelte hue Veer se baatein karti jaa rahi thi aur Nidhi ko bhi dekhti jaa rahi thi jo palat palat ke beech me usse dekh rahi thi.
Shreya : Toh tay raha... Tum mein Juhi aur Dii... Hum sabhi raat me celebrate karne chalenge. Okay!?
Veer : ???
Veer toh surprised tha hi par sabse zyaada surprised thi Nidhi kyuki wo ek jhatke me palat gayi.
Veer : Umm... Well... Kya Ma'am ready hoengi? I don't think unke paas time ho...
Shreya : Of course! Dii ready hai! She's all prepared...
Nidhi (shocked) : Shreya tum...
Shreya : Ohh! Lagta hai Dii ko tumse baat karni hai... Ye lo Dii...
Nidhi : W-Wait...!
Aur agle hi pal Shreya ne apne haatho se phone seedha Nidhi ke kaano me laga ke usse thama diya...
Nidhi : ....
Veer : ....
Shreya nahi jaanti thi ki Veer akhiri time Nidhi se jab mila tha toh thappad kha ke gaya tha. Toh aise me iss waqt Nidhi se baat karna kitna awkward tha uske liye ye baat wo nahi jaanti thi.
Aur na keval Veer ke liye balki Nidhi ke liye bhi ye utna hi awkward tha.
Nidhi : ...
Veer : Umm... Hello!?
Veer ki awaaz sunn Nidhi ke honth khule par fir achanak hi band ho gaye. Na jaane kyu wo itna katra rahi thi.
Usne bebas nigaaho se Shreya ko dekha par Shreya toh jese aur encourage kare jaa rahi thi.
Shreya : Kya hua? Aree baat kariye...!
Aur majbooran Nidhi ko muh kholna hi pada.
Nidhi : H-Hello!?
Veer : Hello... Ma'am!! Wo... Shreya jii ne kaha... ki kal ka plan hai... Kuch...
Nidhi : Umm...
Veer : ???
Nidhi : Wo...
Par Nidhi kuch keh paati tabhi baahar washroom se Juhi ki awaaz aayi...
"Maaaasiiiiii.... Sabun khatam ho gaya hai..."
Shreya : Aayi Juhiii....
Aur Shreya agle hi pal baahar nikal gayi.
Ab bache the toh keval Nidhi aur Veer phone pe. Ye atmosphere aur bhi awkward ho chuka tha unn dono ke liye.
Veer : Wo... I'm sorry ma'am. Y-Yadi... Aap mujhse baat nahi karna chaahti then it's okay. Don't worry! Mein yaha se call cut kar deta hu... Shreya jii ko bol dunga network problem thi. It's.. it's totally fine. So...
Nidhi : N...Noooooo!!
Par agle hi pal ek desperation se bhari awaaz Nidhi ke muh se nikli...
Nidhi : A-Aisi koi... koi bhi baat nahi hai.
Veer : I... I see!
Nidhi : ....
Veer : So!? Umm... Aapne mujhe maaf kar diya!?
Nidhi : I... Hmm!
Veer : O-Okay!!! You know... Mere wese koi bhi intentions nahi the ma'am. I... I don't know... I just wanted to hold you.
Nidhi bechaari ye sunte hi... Uski aankhein hairaani ke maare felti chali gayi aur uski saasein bhi lambi hone lagi...
Veer : I mean... Just to give you... Emotional support you know. M-Mera koi bhi galat iraada nahi tha. S-So... I just wanted you to know ki... Mein aapki maayusi sehan nahi kar paata... And I always miss you. Aisa nahi hai ki mein apni Bhabhi ke ghar me hu toh ab mujhe aapke ghar ki yaad nahi aati. I always think of you... I mean... All of you...
Shreya : Ho gayi baat!? Lao do mujhe...
Shreya washroom se aayi aur Nidhi ke haatho se usne phone le liya aur baahar chali gayi.
Bechaara Veer jawaab ke taur par kuch bhi nahi sunn paaya.
Par...
Nidhi na jaane kya soch rahi thi. Par uski nazre ek jagah hi tiki hui thi. Saasein pehle se thodi tezz. Aur unn aankho ke saamne uske baal the jo uske expression ko chhupaaye hue the.
Kya hone waala tha kal!? Inke iss plan me!? Toh wahi Pranjal aur Vivek ke plan me!? Aur saath hi saath... Slogan!!!! Jiski activities Veer ke palle nahi pad rahi thi.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Like maarne ka aur apne thoughts rakhne ka.
Dhanyavaad!
Update - 49 ~ The Last Day of the YearAb tak...
Bechaara Veer jawaab ke taur par kuch bhi nahi sunn paaya.
Par...
Nidhi na jaane kya soch rahi thi. Par uski nazre ek jagah hi tiki hui thi. Saasein pehle se thodi tezz. Aur unn aankho ke saamne uske baal the jo uske expression ko chhupaaye hue the.
Kya hone waala tha kal!? Inke iss plan me!? Toh wahi Pranjal aur Vivek ke plan me!? Aur saath hi saath... Slogan!!!! Jiski activities Veer ke palle nahi pad rahi thi.
Ab aage...
31st December...
At Morning...
Kal Shreya se jab Veer ki phone par baat hui thi toh Veer ki haami liye bagerr hi Shreya ne usse apne plan me shaamil kar liya tha. Aur tay hua tha ki aaj ki raat Veer, Shreya, Nidhi aur Juhi sabhi saath me enjoy karne jaenge aur late night tak naye saal ka swaagat kar thoda celebration kar ke hi ghar lautenge.
Veer ko uss mission ke 200 points mil chuke the par abhi tak usne unn points ko spend nahi kiya tha siwae 10 points ke. Usne Appearance me 10 points kal raat me hi invest kar diye the. Aur ab uske stats kuch iss prakaar se the.
[ Stats :
Strength - 56/100
Intelligence - 70/100
Agility - 50/100
Endurance - 50/100
Appearance - 50/100]
Veer shayad apne bache hue points ko ekdum effectively use karna chaahta tha. Shayad shop me aisi kisi anokhi skill ki talaash thi usse jo uske behad kaam aa sake.
'Show me my full status Pari!'
[Sure thing, Master!]
[Name : Veer
Age : 21
Status : Student
Stats :
Strength - 56/100
Intelligence - 70/100
Agility - 50/100
Endurance - 50/100
Appearance - 50/100
Skills :
1) Sex Protection : ON (Silver Tier Skill)
2) Basic Martial Arts Skill (Bronze Tier Skill)
3) Hawkeye (Diamond Tier Skill)
System's Internal Features :
Check-I, Check-II, Path Tracker, Past Illustration.
Relationships :
1) Suman : Loyal Slave (Favourability : 84)
2) Aabha : Familiar (Favourability : 58)
3) Sonali : Familiar (Favourability : 30)
4) Ragini : Close Friend (Favourability : 60)
5) Nidhi : Close Friend (Favourability : 52)
6) Shreya : Close Friend (Favourability : 64)
7) Juhi : Best Friend (Favourability : 85)
8) Suhana : Close Friend (Favourability : 59)
9) Sonia : Good Friend (Favourability : 50)
10) Kavya : Very Close Friend (Favourability : 80)
11) Arohi : Good Friend (Favourability : 55)
12) Bhumika : Familiar (Favourability : 20)
13) Shweta : Familiar (Favourability : 8)
System Level : Level 4
(56 EXP more to reach Level 5)]
'Hmm!! I need to earn money and need more points. Meri priority yahi hai abhi.'
[Right master!]
'So!? Umm... Miss Kaera ki favourability nahi dekh sakta kya mein!?'
[Dekh sakte ho but not now. Yadi kisi ka status nahi dekh sakte toh aap uski Favourability bhi nahi dekh paoge.]
'Hmm! I see! Alright! Let's go...'
Aaj Veer ke 2 jagah plans the. Ek toh wahi Shreya aur baaki sabhi ke saath raat ka plan tha aur dusra Ragini aur baaki sabhi ke saath.
Jab Veer ne ye baat bataayi thi ki wo raat me free nahi rahega, ye sunn ke Ragini kaafi udaas ho gayi thi. Par usne behla fusla ke Ragini ko jese tese mana liya aur din me ghoomne chalne ko keh diya. Yaha Veer ko ek aur baat jaan'ne ko mili ki Kavya aur baaki sabhi parivaar ke saath kul devi ke mandir ke liye subah nikal chuke the.
Beshaq! Veer iss achanak trip se unki thoda aascharya chakit tha par usne zyaada nahi socha. Kavya ka kehna tha ki uske Dada jii ne Veer ko saath le chalne ke liye bhi bola tha par Vivek ne beech me kood kar Dada jii ke kaan bhar diye aur wo baat wahi tal ke reh gayi.
Kherr! Aaiye, toh wahi chal ke dekhte hai ki waha kya chal raha tha iss waqt...
Iss samay subah ke 8 baj rahe the aur sabhi ghar waale do badi badi gaadiyo me baithe hue the apni aur apne gaav ki orr jaa rahe the.
Veer ke parivaar ke poorvaj saalo se uss devi mata ki pooja karte aaye the aur uss mandir ki sthaapna bhi unke poorvajo ne hi kii thi par jese jese samay guzarta gaya aur aane waali peedhi sheher se judti gayi, wo mandir dheere dheere waha ke trust me samarpit kar diya gaya.
Kaaran!? Kaaran tha ki ab Veer ka parivaar sheher me panap raha tha aur ghar ka koi sadasya roz roz mandir ki dekh bhaal ya chakkar lagaane ke liye kisi ke paas itna samay nahi tha. Toh uss mandir ko wahi ke trust me samarpit kar diya gaya. Ab uss mandir ki poori zimmedari unn trust waale logo ki thi.
Par aaj bhi, jab bhi Veer ka parivaar, khaas kar Manorath jii jab bhi waha jaate the, gaav ke sabhi log unhe bade hi aadar aur satkaar ke saath unka swaagat karte the. Yaha tak ki wo ye bhi kehte the ki ab bhi ki wo mandir unhi ka hai aur hamesha unhi ka rahega. Shayad aaj bhi unki acchi khaatirdaari hone waali thi.
Unn do cars me se, ek car me Brijesh sang Bhumika, Shweta, Kavya aur Manorath viraajmaan the.
Toh wahi dusri me Karunesh sang Sumitra, Vivek, Arohi aur Pranjal.
Dono hi car me do drivers the. Sheher se kuch ghanto ki duri par hi unka gaav tha.
Kavya : Dada Jii aapne... Veer bhaiya ko nahi bulaaya!?
Manorath : Beta mene kaha tha par Vivek bola ki aaj Veer shayad kahi aur jaa raha hai... Meri toh koi sunta hi nahi hai. Jese jese budha hota jaa raha hu, meri baato ko ab log hawa me udaate jaa rahe hai.
Brijesh : Papa jii... Aisi baat kyu keh rahe ho aap!? Hum sab aapki baat maante hai. Ab uss baare me charcha mat kariye aap. Mandir jaa rahe hai, accha mood rakh ke chaliye.
Brijesh ki iss baat pe sabhi shaant pad gaye. Wo aage driver ke sang baitha hua tha. Toh wahi peeche side ki seat par Manorath aur unke bagal se Kavya, fir Bhumika aur fir Shweta.
Bhumika : Aaj saari responsibility Nandini ko deke aayi hu Mom.
Nandini unke hotel ki manager thi. Jo sab kuch badi hi acchi tareeke se manage kar leti thi.
Shweta : Hmm! Chinta ki koi baat nahi hai. Wo acche se dekh legi.
Bhumika : Hmm! Bas koi bada client ya guest na aa jaaye. Aur aisa na ho ki kuch problem ho jaaye.
Shweta : Don't overthink! Just enjoy the day mera baccha...!
Bhumika (smiles) : Hmm!
Aur kuch ghanto ki doori tay karne ke baad hi wo pohuch chuke the apne kuldevi ke mandir.
Sabhi ka waha harr baat ki tarah bade hi aadar ke saath swaagat kiya gaya. Saath hi saath waha unke rukne aur khaane ki bhi vyavastha kii gayi.
Darshan kar lene ke baad sabhi khaana khaane me lage hue the jab Vivek aur Pranjal aapas me baith na jaane kya baatein kar rahe the.
Pranjal : Saara plan ready hai bhaiya... Bas derr hai toh usse anjaam dene kii...
Vivek : Nahi chote... Aaj nahi...! Hume wese bhi kal nikalna hai. Aaj risky hai. Kal karna... Wese bhi yaha se naashta karne ke baad hi niklenge hum.
Pranjal : Thik hai bhaiya! Kal sahi fir...
Na jaane dono kis plan ko anjaam dene ki baat kar rahe the.
***
Idhar Veer din me apne parivaar ke saath ho rahi baato se anibhigya Ragini aur baaki sabhi ke saath aaj ghoomne nikla hua tha.
Par achanak hi raaste me usse nazar aaya ki kuch ladies kisi kapde ki sale par humgama kar rahi thi.
Veer : Kya ho raha hai udhar!?
Ragini : Virodh!
Veer : Virodh!? Kesa virodh!?
Ragini : Umm... Wo dekho na... Mahila mandal jama ho gaya poora udhar. Kisi sale ki peeche ladaayi ho gayi hai. Shayad kuch ghapla kiya hai sale waale ne. Isliye aurate itni awaazein laga rahi hai.
Aur waqai! Jab Veer ne dhyaan se dekha toh usse samajh aaya ki naye saal ki sale ke bahaane kapdo ka business karne waala aadmi kuch phate aur bekaar pieces ko nikaalne ke liye ye sale rakha hua tha. Aur wo kapdo ki wrapping ko kholne nahi de raha tha.
Jab kuch aurato ne khol ke kapdo ki jaanch kii toh unhone dhaava bol diya. Ittefaaq se mahila mandal wahi se kahi aur jaa rahi thi aur ye virodh dekh wo bhi unke saath jud gayi aur poori tarah se waat laga dii uss dukaan daar kii.
Ragini (sighs) : Harr sale me kuch na kuch hota hi hai.
Veer bade hi dhyaan se sab kuch dekh raha tha aur achanak hi jese uske dimaag ki ghanti baji aur agle hi pal uske hontho par ek muskaan bikhar gayi.
Veer : Bhabhi!
Ragini : Hmm!?
Veer : Meri aap se ek request hai. Aap poori karogi!?
Ragini : Hmm? Okay! Kya baat hai!?
Veer : Kya aap... Kya aap Suman jii ko sheher ke poore taur tareeke sikha sakti ho? Mera matlab hai saare niyam kaayde, khareed-daari se leke devices ko operate karna sab kuch. Ek modern vyakti ka poora knowledge jitna apa de sakti ho... Kya aap kar sakti ho?
Ragini (surprised) : Huh!? P-Par ye ekdum se aise kyu!?
Veer : Suman jii ne mujhse hi khud kaha tha. Kyu hai na!? Suman jii!?
Suman : E-Ehhh!? Ohhh! Haa haa! Mene kaha tha...
Suman baat ko samajh forun hi haa me sarr hilaayi aur apni razamandi dii. Par uski samajh me nahi aa raha tha ki uske maalik ke dimaag me akhir chal kya raha tha.
Ragini : O-Okay! Mein apni poori koshish karungi inhe sab kuch bataane me...
Veer (smiles) : Thank you Bhabhi!
Ragini : Umm... It's okay!
Lunch ke samay, Ragini aur Veer agal bagal hi baithe the jab Veer ne Ragini ke chehre par maayusi ko turant hi bhaanp liya...
Veer : Aap pareshaan lag rahi ho Bhabhi!
Ragini : Huh!? N-Nahi toh!? Mein bhala kyu pareshaan hone lagi!?
Veer : Jhooth mat boliye! Mujhse toh bilkul bhi nahi! Vivek bhaiya ka call aaya tha na!?
Veer ki baat sunn Ragini iss baar dheere se haa me sarr hilaayi aur apne nigaahe neeche kar baith gayi.
Veer : Kya kaha unhone!?
Ragini : Wo... Wo sabhi aaj hamaari kuldevi ke mandir gaye hai.
Veer : Unhone aap ko bhi bulaaya hoga!?
Ragini (nods) : Umm...
Veer : Toh!??
Ragini ne apni nigaahe upar kar ek pal ke liye usse dekha... Unn aankho me nami jo panap rahi thi wo Veer asaani se dekh paa raha tha.
Ragini : I... Mein... Mein kabhi bhi mandir ke naam par devi ka tiraskaar nahi karti mana kar ke... Par...
Veer : ....
Ragini : Par...
Veer : Aapka mann nahi kiya zara bhi...
Ye vaakya sunn Ragini chaunki aur Veer ko ghurne lagi.
Bhala uske mann ki baat Veer ne kese bhaanp lii thi!?
Veer : Itne dino se aap ke saath reh raha hu. Thoda boht toh mein bhi aapko samajhne laga hu.
Kehte hue usne jese hi apna haath Ragini ke haath ke upar rakha toh bechaari Ragini ki idhar haalat hi bigadne lagi. Wo phati aankho se Veer ko ghure jaa rahi thi.
Uske gulaabi honth khule... Par keval halki sii hawa hi baahar nikli, koi shabd nahi.
Aur aankhein jyo ki tyo Veer par tiki thi.
Veer : I don't know ki aap kya decision logi. But aap jo bhi decision logi. Hum sab aapke saath hai. But if... Yadi aapne Vivek bhaiya se sach me alag hone ka decision liya then... I was wondering ki... Kya hum aise hi reh paenge!? I mean... Fir aap uss ghar ki sadasya nahi rahogi aur mera aur Suman jii ka aapke ghar rukna...
Wo apni baat aage rakh paata ki uske pehle hi Ragini ne apna haath uske hotho par rakh usse rok diya.
Ragini : Veer! Mein uss parivaar ki sadasya rahu ya na rahu. Tum aur Suman jii mere apne sadasya ho. Wo ghar mera akele ka nahi hai. Tum sabhi ka bhi hai. Aur kya karungi mein itne bade ghar me akele reh ke!? Bhulo mat Veer... Tum bhi... Uss parivaar se alag ho chuke ho. Toh aise me yadi mein bhi hoti hu... Toh... Aren't we the same!?
Usne muskuraate hue kaha par Veer jaanta tha. Ki uss smile ke peeche kaafi kuch chhipa hua tha. Jisse shayad vyakt karna abhi Ragini ke bas me nahi tha.
Aur bilkul wesa hi hua... Bhaavuk hote hue Ragini ne forun hi apna chehra ferr liya aur jab usne dekha ki Suman samet sabhi counter se waapas uski aur Veer ki taraf aa rahi hai toh forun hi apni aankhein mal seedhi hokar baith gayi.
Ant me unn sabhi ne thoda enjoy kiya jiske chalte Ragini ka mood kaafi hadd tak theek ho chuka tha.
Par ab samasya thi raat ki...
Veer ko Nidhi ko jo face karna tha. Wese toh Nidhi ne usse maaf kar diya tha. Par...
Pratkyash aamne saamne milna ek alag baat thi.
Aur zaahir hai ki dono ke beech awkwardness barkaraar rehne waali thi.
***
31st December...
At Night...
Veer apni bike par tha aur wo theek Nidhi ki society me hi neeche khada hua tha jab Nidhi samet Juhi aur Shreya neeche utarti hui aayi.
Shreya : Arre kya koi mehmaan ho tum haan!? Jo ek minute ke liye bhi upar nahi aa...
Par uske bol wahi tham gaye jab usne paas aate hue Veer ko dekha.
Appearance me 10 points daalne ka asar tha ye!?
Shreya (blushes) : You... You look good!
Veer (smiles) : Thanks!
Shreya (blushes) : Aisa... Aisa kya laga rahe ho aajkal huh!? Hume bhi bata do...
Veer (smiles) : It's a secret!
"Maaaaaamuuuuuuuu!!!"
Aur beshaq! Veer ko dekhte hi uski pyaari fuljhadi bole toh Juhi sarpat daudati hi aayi aur uske perr se lipat gayi. Veer ne forun hi usse godi me uthaay aur uska gaal choom liya.
Veer : Aa gayi Juhi!? Kya pehni ho aap!? Ohhhh! New jacket!??
Juhi : Hmm! Maasi ne dilaayi!
Veer : Kya baat hai!? Boht kharche ho rahe hai!?
Shreya : Kyu na honge!? Ab mein kamaane jo lagi hu.
Veer (smiles) : Hmm!
Shreya (blushes) : Wese bhi... Sab tumhari hi wajah se toh hai.
Veer aage kuch keh pata ki tabhi...
*Tuck* *Tuck* *Tuck*
Usse heels ki awaaz sunaayi dii aur usne dekha ki Nidhi ek khubsoorat sii saree pehne aur ek shawl upar daale neeche aa rahi thi.
Aaj wo itni khubsoorat dikh rahi thi ki Veer khud apne aap ko kuch derr yu taktaki lagaye usse dekhne se na rok saka.
Dono ki hi nazre mili aur pal bhar ke liye dono hi jese bhul gaye ki wo dono akele nahi hai. Aas paas bhi log hai.
Shreya : Toh chale!?
Veer : Ah! Y-Yeah! Right!
Juhi : Mein Maamu ke saath baithungi... Aage bike pe...
Shreya : Huh!?
Nidhi : Nahi Juhi! Mere saath baitho chalo. Maasi ko baithne do unke saath. Hum apni scooty me chalte hai.
Wese toh iss baat se Shreya boht khush thi ki usse Veer ke saath baithne ka mauka mil raha tha par fir bhi... Wo apni behan se bhi utna hi pyaar jo karti thi. Aur uski fiqr bhi.
Nidhi saree me thi. Aur aise me scooty chalana wo bhi Juhi ko lekar, raat ke waqt. Ye kitna kathin tha wo jaanti thi. Aur khatarnak bhi ho sakta tha.
Isliye...
Shreya : Nahi dii! Aap aur Juhi Veer ke saath baithiye! Aapne saree pehni hui hai Dii. Dikkat jaegi. Aur mera kya hai? Mein toh jeans me hu. Mein scooty se chalti hu.
Nidhi ne ek pal Veer ko dekha jo bina kuch kahe hi uske nirnay ka intezar kar raha tha aur fir akhir kaar Nidhi ne finally dheere se haa me sarr hilaaya aur Veer ke theek peeche jaake wo baith gayi.
Ye pal...
Veer ke hontho par apne aap hi muskaan laa diya. Aise hi toh ek saath baith ke college se lauta karte the wo. Aise hi toh Nidhi uske peeche yu baitha karti thi. Aaj itne dino baad ussi anubhuti ko firse mehsoos kar paa raha tha Veer. Par sabse aham baat ye thi ki iss waqt chaand bhi apne poore rang dhaaya hua tha. Poora chamak raha tha aur apni roshni bakhoobi bikhere hue tha.
Aur finally Veer aur baaki sabhi society se nikle.
Raat ka plan simple tha. Koi acchi si jagah jaake pehle thoda entertainment. Fir dinner aur ant me new year celebration ke fireworks dekhne ka plan.
Sabse pehli jagah Veer aur baaki sabhi amusement park me gaye the. Amusem park toh nahi tha, ek pradarshini lagi hui thi. Bhale hi amusement park se thoda chota tha par rides idhar bhi thi.
Juhi baccho waali rides enjoy kar rahi rhi, toh wahi Shreya uski photos utaar rahi thi. Aur wahi Veer aur Nidhi side me khade unhe dekh rahe the.
Juhi : Mummyyyyy! Mujhe wo bade waale me baithna.
Usne ishaara karte hue kaha. Uska ishaara Giant wheel ki orr tha.
Nidhi : Huh? Nahi Juhi! Bilkul bhi nahi! Darr jaogi baad me tum hi. Dekh rahi ho kitni upar tak jaata hai.
Shreya : Juhi! Wo dekho! Wo train waali me baithe apan!? Mein bhi baitha sakti hu usme toh.
Juhi : Haa chalo chalo maasi... Jaldi...!
Aur wo kheech ke Shreya ko le gayi.
Ab bache the toh keval Veer aur Nidhi.
Veer : Umm... Kya aap chalna chahogi!? Ma'am!? Giant wheel me!?
Nidhi : Huh? M-Mein!? N-Nahi... Mein nahi...
Veer : O-Okay!
Wo jawaab dete hue apni nazre jhuka liya. Par jese Nidhi ne uska expression dekh liya tha toh wo puchi,
Nidhi : Umm... Kya tumhe ride karna hai!?
Veer : Hmm? Y-Yeah! Mein kabhi baitha nahi hu inn rides me. Kabhi koi laaya hi nahi...
Usne ek feeki smile dete hue kaha toh Nidhi ko jese yaad aaya ki Veer ka bachpan kese guzra tha. Aur ye yaad karte hi wo bauhe sikode usse dekhne lagi aur ek duwidha me phass gayi.
Nidhi : O-Okay! If... If you want then... Hum chal sakte hai!
Bas fir kya tha kuch hi derr me Veer aur Nidhi dono hi Giant wheel par sawaar the. Par...
*Ding*
[Mission : Hug Nidhi! Let her know you are her support.
Rewards : ?? Points
Time limit : Before 12 A.M
Mission Failure Penalty : 50 Points Deduction.]
'What the fuckkkkkkkkk!?'
[Hahaha~]
'Mazaak chal rahi hai? No seriously!? Mazaak hai? Fuckkkk! Uss din hi mene unke haathe se thappad khaaya tha aur ab ye? Jhoote padwaane ki planning hai kya? Wtf is this mission?'
[I cannot help it master! Execute this mission properly. Aur... Haa~ iss Mission ke complete hote hi mein level up ho jaungi. But I'll be in sleep mode for loading your new resources. Toh pehle se hi wish kar deti hu. Happy new year master! Enjoy your time! Hehe~]
'W-Wait what!??? Wtf??? Sleep mode achanak kyu?'
[I told you kuch surprise hai right? So wait for it!]
Nidhi : Ummm...
Nidhi ne uska dhyaan kheecha toh Veer hosh me aaya. Giant wheel ghoomte hue upar jaa raha tha.
Aur Nidhi aur Veer agal bagal baithe hue upar se poora nazaara dekh rahe the.
Nidhi : It's so beautiful...
Veer : Bilkul aap ki tarah...
*Badump*
Nidhi (gasps) H-Huhhhh!?
Veer : Mene kabhi iss ride pe sawaari nahi kii thi. Aaj aap aayi toh ye bhi ho gaya... Thanks for agreeing.
Nidhi : It's... It's fine!
Nidhi : Veer!
Veer : Hmm?
Nidhi : Sach kahu... Toh I'm really mad at you.
Veer : ??
Nidhi : Kitna kehti rehti hu tum se. Kitna keh chuki hu pehle bhi. Don't leave your studies. Par tum ho ki sunte hi nahi. Kya karna chaahte ho aage!? Kya karoge!? Kuch plan hai ki nahi? Mein tumhe daant nahi rahi hu. Tumhari teacher bhi hu. Tumhare career ki chinta mujhe lagi rehti hai. Aur tum toh mere khaas student ho. Ek tarah se parivaar ka hissa bhi ban gaye the tum haal hi me. Toh kidhar jaana chaahte ho, koi lakshya hai ki nahi? Kya kar rahe ho abhi? Study nahi karte toh kya karte ho din bhar? Kuch socha hai future ke baare me? Kyu nahi aate ho college!? Ye saare sawaalo ke jawaab tumhe acche se pata hone chaahiye Veer.
Wo lagataar bole jaa rahi thi. Par Veer chaand ki uss roshni me keval Nidhi ke husn ko hi dekhta raha aur bas muskuraata raha.
Abhi bhi Nidhi ko Veer ke bhavishya ko lekar chinta thi.
Veer (smiles) : Aapki yahi baatein toh mera dil jeet leti hai.
Nidhi : Huhhhh!??
Veer : M-Mera matlab hai... Aapko meri itni chinta hai?
Nidhi : Kyu nahi hoegi? Akhir tum...
Kehte hue wo ruk gayi.
Veer : Akhir tum!?? Akhir tum kya ma'am!?
Wheel ekdum upar aa chuka tha jab Nidhi ne Veer ke chehre ko dekha aur uska chehra apne ekdum sameep paaya toh uske bol wahi tham gaye.
Nidhi : Kuch... Kuch nahi...!
'Fuckkk! I'm doing it. Jo hoga dekha jaega. Ek thappad aur kha lunga.'
Aur agle hi pal Veer ne Nidhi ko zorr se apni baaho me kheech liya.
Iss achanak hamle ki umeed Nidhi ko bilkul bhi na thi. Wo apni aankhein faade abhi abhi jo kuch hue usse digest karne ki koshish kar rahi thi. Aur jese hi usse abhaas hua ki iss waqt wo Veer ki baaho me thi aur Veer usse zorr se bheencha hua tha, Nidhi ki saasein tez ho gayi.
Usne apna haath upar le jaake Veer ke seene par rakha aur usse dhakelne hi waali thi jab Veer ke shabd uske kaano me pade,
"Sabse pehle toh thank you ma'am. Mujhe uss daldal se nikaalne ke liye. Fir apne saath rakhne ke liye, mera itna support karne ke liye ye jaante hue bhi ki aap khud itni pareshaani me ho. Uske baad thank you ki aapne harr hardship me mera saath diya. Aaj bhi aapko meri parvaah hai, thank you ki aap aaj aane ke liye taiyaar hui, mere saath ride me baithne ke liye taiyaar hui. Rahi baat mere aim ki... I'm leaving the college ma'am. Because I know ki mujhe kya karna hai. Thank you so much! Aap hamesha hi meri ma'am rahogi, chaahe mein college jau ya nahi. And lastly... Jese aapne mera saath diya wese hi mein bhi aapka saath dunga. I'm here for you. Always!"
Unn baato ko sunte hi Nidhi ka haath jo Veer ko dhakelne ke liye the wo ekdum se dheela pad gaya.
Dono ke hi chehre aapas me behad qareeb the. Dono hi ek dusre ki garam saaso ko bakhubi mehsoos kar paa rahe the.
Aur na jaane aise kya hua ki Veer apne aap hi Nidhi ki orr jhukne laga.
Nidhi ka attraction jese usse kheech raha tha.
Paas aate hi usse sunaayi dii... Nidhi ke tezz dhadkate hue dil ki heartbeat. Kitni zorro se dhadak raha tha uska dil.
Wo bas lambi lambi saasein liye jaa rahi thi.
Par jese hi Veer uske ekdum kareeb aa gaya, jab wo uske hontho se bas kuch hi centimetres ki duri par tha, Nidhi ne zorr se dhakka deke usse peeche dhakel diya.
Nidhi : N-Nooooooooooo!!!!!!!!
Aur ek baar fir dono ke beech me wahi awkwardness ka mahaul chha gaya.
Uske baad toh jese dono me hi koi baat nahi hui.
Dinner ke baad bhi wo dono ek dusre se baat nahi kiye. 12 bajte hi jab fireworks ka show shuru hua toh dono hi baithe zaroor the par dono ke beech me Juhi baithi hui thi.
Aur dono hi pal do pal apni nazro ko ek dusre se milaate par nateeja wahi, koi bhi kuch kehne ki haalat me nahi hota.
Aur tabhi...
*Ding*
[System has reached Level 5.]
*Ding*
[In-built feature ~ Translator has been unlocked.]
*Ding*
[In-built feature ~ Slot has been unlocked.]
*Ding*
[Quest hunt is now accessible.]
'Huh!??!'
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Nice update
Eagerly waitingWill arrive around 1.