- 14,126
- 100,122
- 259
Last edited:
Suhana (palatate hue) : Don't fuck with me!!
Suhana : Ek number ka chutiya hai!!!
Suhana : He's a fucking idiot!
Suhana is a queen!Suhana : Bhaad me gaya tumhara Nik!! Gaand me lelo usse apni.
Room numbers ka koyi connection hona killings mein abhi ke liye sambhav nahin lagta... But, the assumption of Pari regarding The Nightwalker attacking people in the group of two... Ye shayad sahi nahin hai... Because, Chester ke pichhe jab bhaaga tha wo, tab Chester akela hi tha... Room nos. bhi kisi order mein nahin dikhayi de rahen hain... Let's see next update mein iske baare mein aur kya jaan ne ko milta hai...'47... Hmm!! Mera 47... Zoey ka 79... Hmm! Chester ka 50... Tommy 29... Ronnie ka kya tha Pari?'
[24.]
'I see!!! Aur Jacob ka... Yeah... 26... Emma ka I think, 22 tha. Hmmmm~ Mike ka toh mere bagal se hai, 28.'
Mem jo nahi likhte aap ko un readers se kya problem hai?Batao... Aur ek taraf wo readers h jinke haath kaapte h keyboard par kuch type karne k liye...
2 shabd se zyada unke kuch nikalta hi nhi... Par aapka review mne poora padha... Too good...
Kiske kaha treasure nahi hai?agar treasure hi nahi to fir nightwalkers ki sachai kya hai
Bilkul hoegi yadi Divya issi tarah Veer ko mamuli samajhti rahi toh.romanchak update .suhana aur divya ke bich tu tu me me chalu ho gayi ,dono haar maanne ko taiyar nahi hai ,waise divya kuch jyada hi harami aur ghamandi hai jo apne pati ko support kar rahi hai ye jaante huye bhi ki usne veer ko galat jagah fasa diya hai jabki wo na police hai na detective .
Hmm! Usse itna pata chal gaya ki Veer thoda boht ladna jaanta hai. Par usse nahi pata ki Veer boht pohuchi hui cheez hai.nightwalker ne 2 logo ka shikar kar liya .aur ab veer ko mission bhi mila hai ki nightwalker ko maarne ka .
shayad veer ki taakad ka tboda bahut andaja ho gaya hoga nightwalker ko
Sab ujagar ho jaega agle update me. Bane rehne ka.sab darr ke bhag rahe the par veer ne uska saamna kiya aur usko bhagne par majbur kar diya .
aur ye emma koi jasus ya police type to nahi jo wo bata nahi rahi ki waha kaise aayi hai . par uska darr dekhkar aisa lag nahi raha .
aur ek ko kamre me ghuksar to nahi maar diya .jab nightwalker ka sab jaal bichhaya hua hai to usko ye bhi pata hoga kisi kamre me kaise jaate hai .
Sorry for that bhai. Majboori hai, shabd hi nahin hain mere paas.
Veer ne kaha kill kiya abhi nightwalker ko bhai!? Thanks btw!
Awesome, mind blowing
Veer kill night Walker.
congratulations for 100 updates bro rat lo likhna yed ni raha
Super wonderful awesome update
Thank you guys.For completed 100 updates on your story thread.....
Dono bachpan ki dost k beech achchi khasi bahes huwi veer ko leker Suhana n Divya ko uske pati ko leker achcha sunayaMega UpdateAb tak...
Century Special
Update - 100 ~ A Night at the Mansion (2)
[Note : This update contains blood and gore elements.]
Sab ne andar se apne room ko lock kar liya. Raat me woh ghoomta tha, tabhi uska naam pada tha. Nightwalker!!!
Khauf ke maare sab andar dubak gaye. Veer bistar par lete kuch soch raha tha jab achanak hi...
"Eeeeaaarrrrrrrrrrrrrgggggghhhhhhhh"
Ek raungte khade kar dene waali cheenkh poore mansion me goonj gayi.
Ab aage...
"Tension mat lo... He'll be fine!!"
Awaaz thi Divya ki jo khadi hoke Suhana ko dekh rahi thi. Suhana ghar ki khidki ke paas khade hoke baahar aasmaan ko ghoor rahi thi. Divya ke ghar me keval wahi dono the. Nik kisi kaam se baahar gaya hua tha.
Suhana ka mann itna vichlit tha ki bechaari bechaini ke chalte kuch bhi nahi bol paa rahi thi.
Par akhir kab tak maun rehti woh? Ek lambi saans lene ke baad usne bolna shuru kiya,
Suhana : Kyu kiya Nik ne aisa?
Divya : Huh? Kya? What did he d-
Suhana : Don't fuck with me DIVYAAA!!
Wo achanak hi chillaa uthi,
Divya : S-Suhana--!?
Suhana (palatate hue) : Don't fuck with me!! Kya mein jaanti nahi hu? Nolan ne kaha tha Nik ko ki woh apni team se kisi ko bheje. Uski himmat kese hui Veer ka naam aage karne ki?
Divya : Suhana wait! I know mera husband-
Suhana : Ek number ka chutiya hai!!!
Divya : H-Huhh??
Suhana : He's a fucking idiot! And you know that too. Tumhare kehne par mein Veer ko yaha laayi. Only because you asked me to... Uss din usne tumhari jaan bhi bachaayi. Itna sab kuch kaafi tha prove karne ke liye ki woh ek normal average insaan nahi hai. He knows some methods. Par uske baad bhi tumne...
Divya (bauhe sikodte hue) : Suhana! I can agree to some things. Par iska ye matlab nahi ki tum mere husband Nik ko aise--
Suhana : Bhaad me gaya tumhara Nik!! Gaand me lelo usse apni.
Divya : Y-You--
Usne ghoor ke Suhana ko dekha.
Suhana : Hmph~ Kya mein jaanti nahi? Nik tumhe investigation ki field me leke aaya tha. Par tumne uski hi field me aake usse maat dedi. Ab isme tumhari kya galti yadi tum uss se zyada hoshiyaar ho toh? Lekin Nik thehra ek mard. Wo kese bardaasht karta ki uski patni uss se zyada kama rahi hai? Tabhi toh harr public cases me apni taang adaata hai woh. Ye dikhane ke liye ki wahi sabse maahir hai. Hmph~ Idiotic thinking!
Divya (frowns) : Suhana! You're going overboa--
Suhana : I'm telling you! Yadi usse kuch hua toh saara ka saara blame mein tum par hi daalne wali hu. Keep that in mind.
Divya (gusse me) : What the fuck Suhana?? Tum ek aerre gerre teesre ladke ke liye hamaari bachpan ki dosti ko yu daav pe laga dogi?
Suhana (uchi awaaz me) : Don't you ever call him like that. Woh koi aerra gerra nahi hai. You hear me? Wahi tha jisne meri sabse badi tension ko dur kiya tha. Aatish ko maar ke. And what did I do in return?
Divya : ...
Suhana : Usne in fact mujhpe favour kiya tha. Par badle me mene uspe favours chadha diye. Tumhari ye buri aadat jo lag gayi hai mujhe. Sometimes... Sometimes I just pity him and regret my decision. He never complains about it. He does whatever I ask him to do. And never asks for anything in return.
Divya : ??!
Suhana : Aur... Aur yaha mein usse apni zimmedari par leke aayi hu. Yadi usse kuch ho gaya toh kya muh dikhaungi uske chaahne waalo ko? Tumhe zara bhi khabar hai uske ghar ki?
Divya : Wh-What?
Suhana : Tumhe nahi pata. Of course! Haha~ Toh mein bataati hu tumhe. Uske baare me...
Uske baad Suhana ne Veer ka saara ateet bata daala. Jitna usse pata tha utna hi. Divya ne jab Veer ke baare me jaana ki woh bechaara ghar se nikaal diya gaya tha aur apni asli Maa ki talaash me tha. Toh apne aap uske mann me Veer ke prati ek hamdardi jaag gayi.
Divya : I-I see! Mujhe nahi pata tha ki Veer...
Suhana : You better take back your words.
Divya : You go first. Nik ke baare me tumne abhi jo bhi bola.
Suhana : Huh? Fuck off! Mene sirf aur sirf sach kaha. Tum kitna hi khud se jhooth bol lo. Andar hi andar tum jaanti ho ki your husband is not a good match for you. A toad simply wishing to eat the meat of a swan. Hmph~
Suhana ne ye keh ke Nik ki poori izzat ki dhajjiya udaa dii thi. Saath hi Divya ki bhi. Uska kehna tha ki Nik wo langoor tha jiske haath me angoor tha.
Sach kaha jaaye toh waqai Nik shaqal se itna handsome aur smart nahi tha. Divya ke bagal se usse yadi khada karo toh koi bhi ye nahi kahega ki woh pati patni hai.
Suhana ki ye baat dil me zorr se chubhi Divya ke. Par wo bhi kaha peeche rehne waali thi?
Divya (smiles) : Hmph! Oh really? Then I can say the same thing for you.
Suhana : Huhhh? A-At least Gaurav is still better than Nik.
Divya : Ghanta better hai. Don't give me that lame excuse. Mujhse behtar koi nahi jaanta tumhare aur Gaurav ke baare me.
Suhana : I...
Divya (smiles) : Kahi isliye toh tumne Veer ko apne paas nahi rakha hai? Hmm? Getting bored of your husband Suhana? Haan?
Suhana : Sh-Shut up!!!!
Divya : Look how you're denying haha~
Suhana jaanti thi Divya se muh ladaana matlab bhains ke aage been bajane jese tha. Na wo apni baato se peeche hattne waali thi aur na hi uski koi baat sunn'ne waali thi.
Suhana : Uss se contact karne ka koi tareeqa bhi nahi hai. Koi network hi nahi mil raha hai. Damn it!!!!
Divya : He will be fine. Don't worry!!
Divya ne keh toh diya par andar hi andar woh bechaari khud vyaakul thi. Suhana idhar kuch na boli. Bas khamosh thi. Lekin uska mann nahi.
'You better come back alive. Veer!!!'
***
Time : 9:46 PM
Idhar sunsaan island ke mansion me alag ghatnaaye ghatit ho rahi thi. Aadha ghanta beet chuka tha. Ye woh samay tha jab Veer aur baakiyo ko milke khazana dhundna tha.
Par sab ke sab nakamyab the. Uss aadhe ghante me unhe kuch bhi haath na laga. Sabhi apne apne rooms me waapas laut ke aa chuke the. Room ki banavat bhi badi hi vichitr thi.
Keval ek single bed tha jispar ek aadmi hi lait sakta tha. Yadi ek se zyada laitna ho toh thoda adjust karne ki zaroorat padti thi. Deewar par jagah jagah paintings lagi hui thi. Ek lamp tha bagal me, upar ventilation ke liye ek gol akaar me gap tha. Aur ek behad bada sa flower vase tha jisme koi phool maujood nahi tha. Thodi boht lights aur ek fan. Bas! Zyada kuch nahi.
Aur ek khaas baat ye thi ki room keval aur keval andar se hi lock ho sakta tha. Uski kundi sirf andar hi maujood thi. Yaani yadi aapne andar se kundi band kii toh jab tak aap usse kholo na, baahar waala vyakti andar nahi aa sakta tha.
Ab sawaal uthata tha ki jab Nightwalker ghoom hi raha tha toh kyu na sabhi ek saath ho jaaye? Aise me kese maar paega woh? Par sabhi iss faisle se raazi nahi the.
Kaaran? Pehla kaaran ye ki sabhi ko ek dusre par bharosa nahi tha. Pehli baar hi woh mile the. Kese yakeen kar sakte the itni asaani se? Kya pata unhi me se ek Nightwalker toh ho?
Aur dusra kaaran ki woh sabhi aapas me competitor the ek dusre ke. Bilkul! Yadi saath me rahenge toh akele me chhaan been kese karenge? Aur yadi kisi ek ko khazana mila aur baaki sabhi uss par jhapat liye toh? Yahi do kaaran the jiske chalte sabhi apne aap me rehna chaahte the. Aur apne apne kamre ko chun ke hi usme theherne ka faisla liya.
Par kya iss waqt sabhi apne apne kamre me hi maujood the?? Shayad nahi!?
"J-Jacob! Do you really think there isn't any Nightwalker?"
Awaaz thi Emma ki, jo ahista ahista darr darr ke chalte hue Jacob ke peeche peeche aa rahi thi.
Jacob : Of course! I think it's just a rumour! They do that so that people won't have enough time to search for the treasure.
Jaha sabhi apne apne rooms me the. Jacob aur Emma apne rooms se baahar nikal ke treasure dhundne nikle the. Jacob akela jaa raha tha par Emma ne ussi waqt usse room se nikalte hue dekh liya tha jab wo corridor me jhaak ke check kar rahi thi.
Nateeja? Woh bhi darrte darrte uske peeche peeche chal padi. Jacob ka kehna tha ki Nightwalker maatr ek afwaah thi. Aisa isliye kehte hai log taaki koi fir uske khazane ko dhund na sake. Par kya ye waqai afwaah thi?
Jacob : I'll find the treasure before them and then I'll leave this fucking island! Hahaha~
Woh hasste hue aage badha. Uska mann Veer aur baaki sabhi ko chidha raha tha. Woh chutiyo ki tarah rules follow karke andar baithe hue the aur yaha woh unn sab ke pehle hi khazana dhundh ke rafu chakkar hone waala tha.
Emma : W-Waittt! J-Jacob, where are you going? Are you going to the second floor? W-Wait! We haven't checked that area. I-It's so dark here. I-I can't see you! Don't move too fast!!! J-Jaaacccoobbbb!!!
Jacob tezzi se aage badhte hue dusre maale par jaane laga. Ye woh floor thi jisse Veer aur baaki sabhi ne milke check nahi kiya tha. Kyuki poori floor andhere me dhaki hui thi. Upar koi lights nahi thi. Emma bechaari upar chadh ke aa toh gayi par uski aankhein iss andhere me uska saath nahi de rahi thi.
Usse kuch bhi nazar nahi aa raha tha siwae khidkiyo se aati aasmaan ki thodi boht roshni ke.
Emma : J-Jaacooobbb???
Jacob kaafi aage nikal chuka tha. Ek corridor me wo jaake ghus gaya. Uska maan'na tha ki khazana aisi hi kisi jagah me hoga. Aur woh sabhi bewakoofo ki tarah neeche dhundh rahe the.
Emma ki awaaz uss floor par goonj uthi. Par Jacob ka koi jawaab na aaya.
Jab Emma apne phone ki torch jala ke thoda aage badhi toh usne dekha saamne ek corridor maujood tha. Par uske dusre chhorr par poora ka poora ghapp andhera tha. Corridor ke uss orr kya tha kuch bhi nazar nahi aa raha tha.
Emma : J-Jaaacoooobbbb!! Wh-Where are youuu??? Answer me! Are you in there???
Usne andar jaane se pehle ek baar fir awaaz lagaayi. Uska jee ab ghabra raha tha. Kyuki Jacob koi bhi uttar nahi de raha tha.
Emma : J-Jaaaaccccoooobbbb????
Aur tabhi,
*Sccchllliiiiinnnnggggggg*
Ek awaaz uske kaano me padi. Awaaz saamne uss corridor ke dusre chhorr se hi aayi thi jidhar sab kuch andhkaar me dooba hua tha.
Emma : A-Ahhhh??? J-Jacccoobb? Is that you??
Woh sehmi sii awaaz me pukaari. Lekin ek baar fir, Jacob ka koi uttar na aaya. Saamne torch maarte hue wo dekhne ki koshish kar rahi thi. Par mobile ki torch ki roshni akhir kitni dur tak jaati?
Aur agle hi pal,
*Click*
Uss corridor ki achanak se lights jal uthi.
Emma : H-Huhhhh?
Emma ka muh taajub me khula ka khula reh gaya. Corridor ki deewaare chatak laal rang ke wallpaper se dhaki hui thi. Upar ek ke baad ek chandelier latke hue the jo roshni se jagmaga rahe the.
Corridor ke baahar hi dono taraf soldiers ke armour suits khaali pade hue the. Par saamne...
Emma : J-Jaaacoobbb? Jacob don't jest with me. I'm scared. Answer me!!!
Akasmaat hi saamne ki orr dhua utha. Dhue ka rang alag tha. Aur saamne Emma ko kuch nazar aaya. Andhere ke ekdum beecho beech...
Emma : H-Huhh? J-Jacob??? Is that you?
Usne apni aankhein sikodte hue jese hi dhyaan se dekha. Emma ke shareer se jese uski aatma nikal gayi. Beech me jisse wo Jacob samajh rahi thi. Woh Jacob nahi tha. Uske saamne uss dhue me tha...
Nightwalker!!!
Par iske pehle ki woh react kar paati, uske perro ki taraf kuch ucchal ke ludakta hua aaya.
Maano jese kisi ne badi sii gend pheki ho. Woh jo bhi tha, wo ludakte hue aake uski lambi nagn taango se takraaya. Emma ko perr me mehsoos hua jese gend par baal lage hue the. Usne kaanpte hue apne perro ki orr sarr jhukaya aur jese hi usne apne neeche dekha. Uski rooh kaanp gayi aur poora badan thanda pad gaya.
"Eeeeaaaarrrrrrrrrgggghhhhhhhhhhhhh!!!"
Wo itni zorr se cheenkhi ki uski awaaz poore mansion me goonj uthi.
Neeche uske perro par...
Jisse wo gend samajh rahi thi woh asal me gend nahi thi. Balki...
Jacob ka dhad se alag kata hua sarr tha.
Jacob ki mundi ki aankhein ekdum khuli thi aur unn aankho ki putliya Emma ko hi ghoor rahi thi, jese marrte waqt usse pata hi nahi chala ki uske saath kya hua. Muh khula, aur kate hue gale se khoon ki nadiya beh rahi rahi thi. Andhruni nasse uske gale se latak rahi thi.
Emma zorr se cheekhte hue waha se palti aur haafte hue poori tezzi me bhaagi, uske peeche hi...
*Dhammm* *Dhaammmm* *Dhaaaammm*
Nightwalker apna daraavna mask pehne, chamakti hui aankho ke sang bhaari kadam lete hue daud ke uski taraf hi aane laga. Uska harr bhaari qadam poore floor par kampan fela raha tha. Jisse Emma bhali bhaati mehsoos kar paa rahi thi.
Peeche uss bade se aadmi ko, uss khaufnaak mask ko dekhte hi Emma ke shareer ke raungte khade ho chuke the. Uska dil itni tezz dhadak raha tha maano jese baahar hi aa jaega.
"Nooooooooooooo~ Eeeaaaaarrrrrgghhh!!!"
Wo chillaate hue neeche ki orr bhaagi. Peeche se usse Nightwalker ke bhaagne ki awaaz saaf saaf sunaayi de rahi thi. Wo uske qareeb aata jaa raha tha.
*Schliiiiiinnnnngggggg*
*Krrrrriiiiiiiinnnnnggggggg*
Na jaane kaun sa hathiyaar liya tha woh. Par itna zaroor spasht tha ki ussi hathiyaar se usne Jacob ka sarr dhad se alag kiya tha. Aur wahi hathiyaar woh hawa me andha-dhundh paagalo jese chalaate hue uske peeche bhookhe jangli bhediye ki tarah aa raha tha. Usse maarne...
Kisi bhi waqt uski maut usse lene aa sakti thi. Par woh bhaagti rahi. Wo 1st floor par aayi wahi paintings waale hall me. Aur waha se nikalte hue uski jaan halak me aa gayi. Usse pal bhar ke liye aisa laga jese harr ek painting usse hi dekh rahi thi. Uski maut ka nanga naach dekh rahi thi jese woh.
Aankhein band kar, apni jaan bachaane ki iccha shakti baandhe wo daudte hue apne corridor ke liye bhaagi,
"Eeeeeaaaaaaaaaaaaaaaa~"
Aur uski jese hi ye cheenkh nikli, mansion me sabko sunaayi de gayi.
Veer jo apne room me laita hua mansion ke baare me hi soch raha tha. Cheenkh sunte hi uske mann me...
*Ding*
[Mission : Catch The Nightwalker!
Rewards : 1) ??? Points.
2) ??? Fame Points.
Time Limit : Before 6 AM.
Mission failure penalty : 4000 Points Deduction.]
Wo turant hi uth ke baith gaya.
'Pari!!!'
[Right! Something happened Master!!]
Veer ne sarr haan me hilaaya aur foran hi woh uth ke baahar aaya. Baahar aate hi usne apne agal bagal nazar daali toh dekha ki Mike aur Zoey bhi cheenkh sunn ke kamre ke baahar aa chuke the.
Teeno ne ek dusre ko dekh haami bhari aur bina kuch kahe hi, wo left waale corridor ki orr bhaage. Jidhar baaki sabhi thehre hue the.
Daudte hue woh jese hi unke rooms tak pohuche toh paaya ki Ronnie, Chester, Tommy teeno hi kamre ke baahar the.
Mike : What happened?
Chester : Didn't you hear the scream?
Mike : We all heard it. That's why we came to check.
Zoey : Where's Emma???
Zoey ke puchne par unn sabhi ne Emma ka room check kiya toh paaya ki Emma ka room khula hua tha. Andar koi bhi nahi tha. Aur room keval andar se hi lock ho sakta tha.
Chester : Shiiittttt!!! She's not here! Where did she go?? We should move and check out.
Tabhi Tommy peeche se bhaagta hua hai,
Tommy : G-Guyysss!!! *huff* *huff* Jacob too!! Jacob isn't in his room.
Mike : Damnnnn it!!!! Veer?
Mike ne Veer ko dekha. Veer ishara samajh chuka tha. Mike chhaan been karne ke liye keh raha tha.
Par iss se pehle ki woh Emma aur Jacob ko dhundhne nikal paate,
"Eeeaaaaaaaaaaaaaaaaaaa~"
Firse wahi cheenkh unhe sunaayi dii. Iss baar behad qareeb se. Aur agle hi pal, Emma andhere me se nikalte hue bhaagti hui unke qareeb aayi.
Aur seedha aake Veer ki baaho me kood gayi. Uske baal bikhre hue the. Gaalo par aasuo ki boonde saji hui thi. Aur uska poora huiya hi khauf ke maare bigda hua tha. Poora badan uska darr se thitur raha tha.
Veer : ??
Chester : E-Emma??? What happened??? Why were you screaming? No! Where were you? Where's Jacob?
Emma (rote hue) : I saw it... I saw it... Huuuuuuuuuu~ H-He killed him... He killed Jacob... *sniff* *sniff*
Emma apna muh Veer ki chaathi me chhupaaye badbadaye jaa rahi thi. Par uski baat sabhi ne sunn lii thi. Aur unn sabhi ko ek bada jhatka laga tha. Jacob!! Marr chuka tha. Ye baat kehna galat nahi hoga ki Jacob ki maut ke baare me jaan ke unke khud ke raungte khade ho gaye the.
Zoey : I... I think we should first head inside. Remember!? It's Nightwalker's time right now!!!
Emma : He's... He's behind me... He's coming... He'll kill me!!! H-He will kill me... I-I will die... *sniff* I don't want to die...
Veer ne uske kandhe par apne dono haath rakhe aur uski aankho me dekha,
Veer : Calm down!!! Okay?
Emma : Ahhh!? I... *cries* I don't wanna die!! I don't... *sniff*
Tommy : Let's go in my room!
Mike : Right!!!
Abhi sabse pehla kaam jo zaroori tha woh tha ek kamre ke andar hona. Kyuki ye samay Nightwalker ka tha. Baahar rehna khatre se khaali nahi tha.
Tommy ki baat maan sabhi uske kamre me chal diye. Aur Tommy ne andar se door band kar diya.
Single bed par beech me Emma baithi hui thi. Uski ek orr Veer tha toh dusri orr Zoey. Ladki hone ke naate Zoey hi usse acche se comfort de sakti thi iss mahaul me. Veer ke bagal se Tommy khud baitha hua tha. Aur Mike, Ronnie avum Chester deewaar se tik ke haath baandhe khade hue the.
Mike : Now tell us what exactly happened?
Uske baad Emma ne kaanpte hue poori vardaat ka varnan diya. Jisse sunn waha maujood harr insaan andar tak hil ke reh gaya.
Khaas kar jab unhe Jacob ke kate hue sarr ke baare me jaan'ne ko mila.
Aise khaufnaak mahaul me jis baat ki least expectation thi ki kam se kam ye na hoye. Par unki kismat kharaab, wo bhi ho gaya.
*Rumble* *Rumble*
Baahar baadal zorr se garje aur muslaadhaar baarish shuru ho gayi. Bijli chamki aur kamre ki khidki se uski cham-chamaati roshni andar kamre me aa padi,
*Kadkadkadkadkad*
"Aaahhhhhhhhhhh!!!!"
Bijli kadakne aur badal garajne ki awaaz se Emma aur darr ke maare Veer ke seene se lipat gayi. Ye awaazein iss kaali raat ko aur bhi daraavni bana rahi thi. Pata nahi kyu, par Veer ke gale se lage rehne me hi wo khud ko salamaat mehsoos kar rahi thi.
Zoey bagal se usse dekh rahi thi. Woh bhi thi yaha. Par Emma usse chorr Veer ki baaho me kood rahi thi. Jo Zoey bhaanp chuki thi.
Veer kuch na bola. Uski nazre ek baar punah Zoey se takraayi, uske baad usne kehna shuru kiya.
Veer : I have a question for you all.
Tommy : What is it?
Veer : How did you guys arrive here?
Tommy : Huh?
Chester : I don't know about others. But me and Tommy are in a music band together. Tommy's father loves fishing so he owns a runabout boat. We came here by that only.
Chester ne apne aur Tommy ke aane ka saadhan bataaya ki woh ek runabout boat se aaye the. Runabout boat kuch aisi thi ~
Veer (Ronnie ko dekhte hue) : What about you?
Ronnie : I came by a motor boat.
Veer ne haami bhari aur fir Zoey ko dekha jo zameen ki orr dekh rahi thi. Aur bina Veer ko dekh woh boli,
Zoey : I rented a jet ski and came here.
Akhiri bachi thi Emma par woh bataane ko taiyaar nahi thi ki woh yaha kese aayi.
Emma : I'm... I'm sorry! It's personal! I-I cannot tell you...
Chester : What about you Veer?
Veer (smiles) : Mike's friend is rich. He owns a copter.
Chester : Damnnn! You guys came here by a helicopter???
Tommy : That's cool!
Ronnie : Then that leaves Emma only. Guys! Jacob got killed when he was with Emma. And now she's not even telling us how did she arrive here. You do the math!!!
Aisa kehke Ronnie ne seedha vaar Emma pe kiya. Zaahir tha ki uska shaq Emma par jaana hi tha. Emma aur Jacob saath me the aur ab Jacob marr chuka tha. Emma ye bhi nahi bata rahi thi ki wo kese yaha par aayi thi. Toh? Shaq ki sui Emma par jaake toh rukni hi thi.
Emma ne jab apne upar shanka ki nazre mehsoos kari toh woh ro padi,
Emma : Wh-Whaaaatttt??? N-Nooooo!!!! I didn't kill Jacob... I didn't... *cries* Trust me!!! How... How can I?? V-Veerrr??? M-Mikke??? T-Trust me!!! I didn't kill him... He was killed by that Nightwalker. He's real!!! He's out there to hunt us down. *sniff* *sniff* I-I didn't...
Veer ne uski peeth par haath ferra, Emma uski aankho me dekhi,
Veer : I know you didn't! Don't worry!
Emma : Ahh! Th-Thank you~
Uske naino se aasu chhalak uthe. Par Ronnie Veer ki baat se sehmat nahi tha.
Ronnie : How can you be so sure? She's the only one who's the most suspicious here.
Veer : Then she can stay with me. If I got killed, then that will prove she's the one. Right?
Ronnie : Y-Youuuu~
Veer ne Ronnie ki bolti band kar dii. Usne saaf saaf keh diya ki Emma uske saath reh sakti hai aur yadi woh marra toh Emma ek qaatil hai ye prove ho jaega. Par yadi woh nahi marra toh Emma ka innocence bhi prove ho jaega.
Emma bechaari Veer ko dekh aur zorr zorr se rone lagi aur uski chaathi me sama gayi. Zoey chup chaap uske bagal se sab kuch hota dekh rahi thi.
Ronnie : Do whatever you want. Tch!!!
Veer : But I have something to tell you guys. Mike???
Mike : Yeah?
Veer : We didn't see any boats out there when we arrive here right?
Mike : Yes! There weren't any.
*Booooooooooommmm*
Ye sunte hi unn sabhi ke mann me ek visfot hua. Sabhi ka chehra darr ke maare peela pad gaya.
Behas shuru ho gayi. Wo ghabraane lage. Veer aur Mike hi the jo akhiri me aaye the. Aur yaha aate waqt unhe koi bhi boat samudr me nazar nahi aayi thi siwae paani ki ufanti lehro ke alaawa.
Mike : Guys! Guys! Listen! Don't worry! I can take you out from here. We need to calm down first. Okay? And we need to find what happened with Jacob.
Emma : I'm... I'm not going there again. I'm not!!
Mike : You can stay with Veer. Veer? Do you have any problem with that?
Veer : None!
Mike : Alright! It's all clear then. Me, Chester and Tommy. We three will go and look for Jacob. I want to see with my own eyes what happened to him. And Veer, Emma, Zoey and Ronnie. How about you guys check the basement?
Mike ne sujhaaya. Jo ki sahi tha. Do hi jagah thi Mansion ki jaha ab tak unn logo ne apne qadam nahi rakhe the. 2nd floor aur basement. Emma waapas upar jaane se darr rahi thi roh Mike ne Veer ki team ko basement me tehqiqaat karne ki zimmedaari saup dii.
Ronnie : Fine!
Zoey : It's okay!
Mike : Then it's decided. After 12, we'll move out immediately.
Jab tak 12 nahi baj gaya tab tak woh sabhi Tommy ke kamre me hi thehre hue the. 12 bajte hi ground floor ki woh clock ki ghanti firse baji,
*Ding* *Dong*
Aur sabhi ek dusre ko akhiri baar dekh Tommy ke kamre se nikal gaye.
Veer basement ki disha me jaa hi raha tha jab achanak hi peeche se Mike ne usko awaaz dii,
Mike : Veeeerrrr!!!
Veer : Hmm?
Aur Mike ne apne haatho se kuch feka. Veer ne apne dono haatho se usse catch kiya.
Mike : Hold onto that. If something happens. Contact me!!!
Aur wo palat ke Chester aur Tommy ke saath 2nd floor ki disha me nikal gaya. Veer ke haatho me tha ~ Ek walkie talkie.
[Nicely done!!! Ye kaafi kaam aaega Master.]
'Indeed!'
Aur Veer, Zoey, Emma aur Ronnie ke sang chal diya. Neeche basement ki orr.
Aur basement me jese hi unlogo ne qadam rakhe. Saamne ka nazaara dekh unke badan ke ruye khade ho gaye.
Itna lamba hallway tha. Aisa lag raha tha ki iska chhorr hai bhi ya nahi? Par itna hi nahi. Agal bagal se kai mod bhi the jo dusre hallways se mil rahe the. Aisa lag raha tha poori ki poori ek colony basi hui hai yaha.
Jagah jagah inverters aur generators bhi maujood the. Lights ceiling par lagi hui thi aur floor paani se geeli padi hui thi.
Emma : I don't wanna go in there... I don't wanna... P-Please? Can we go back?
Veer : No!!! We must check this area out.
Aur wo aage badhe. Ronnie unke peeche peeche chal raha tha. Emma Veer ki baazu thaame uss se satt ke chal rahi thi. Toh wahi Zoey unke aage thi. Phook phook kar qadam aage badha rahe the woh.
Wahi dusri orr Mike 2nd floor par jaa raha tha. Aage wahi chal raha tha. Aur uske peeche Chester aur Tommy. Woh bina peeche dekhe baat karte jaa raha tha. Par kuch derr woh shaant raha. Jab wo corridor tak pohuch gaya toh bola,
Mike : Stay behind me guys. Okay?
Par peeche se usse koi jawaab na aaya. Jab usne palat ke dekha toh... Uske peeche koi nahi tha. Chester aur Tommy usse akela chorr waha se kab nau do gyaarah ho chuke the, usse pata hi na laga.
'Tch!!! These bastards!!!'
Mann me hi unko gaali bak, Mike ne apni torch jalaayi aur corridor ke andar chal diya. Laalach sach me buri bala hoti thi.
Mike ko uske khud ke haal par chorr idhar Chester aur Tommy beech raaste se hi katt liye the.
Tommy : Chester? Do you think we did the right thing? I mean leaving him alone.
Chester : Shut the fuck up man! We are here to get our pockets filled. Not to pick up dead bodies. Let them do those chores.
Toh Chester tha jisne Tommy ko pakad ke raasta badal liya tha. Uski soch hi bata rahi thi woh kya karne nikla tha. Woh yaha paise kamane aaye the. Laasho ko uthaane nahi.
Wo dono hi khazana dhundne nikal gaye. Par pichli hi baar ki tarah iss baar bhi kisi ke haath kuch na aaya. Saath hi ab ek darr baitha hua tha sabhi ke andar. Unke hi beech ka ek sadasya maut ke ghaat utar chuka tha. Agla number unka khud ka ho sakta tha.
Idhar basement me Ronnie peeche chalte chalte achanak hi ek mod me mud gaya. Iss orr se sewer ke liye pipes nikle hue the jiski smell ke chalte Veer Emma aur Zoey andar nahi ghuse.
Par Ronnie mauka dekh ke palti maar liya. Andar ghuste ghuste achanak hi uski nazar ek lakdi ke box par padi. Usne usse khola. Aur jese hi andar dekha, Ronnie ki aankhein khushi ke maare felti chali gayi.
Andar sone ke chamakte hue biscuits pade hue the.
"Holy fucking shitttt!!!! I-I found it. Hahahaha~ I knew it. I knew the treasure won't be in the building. It's lying here in filthy sewage. Hahaha~ Fuck! I'm rich now!!!"
Woh khud se hi baat karne laga jab,
"R-Ronnieeeee?!?"
Emma ki pukaarne ki awaaz usse sunaayi di. Wo sab kuch band kar waapas bhaaga. Aur mod se nikalte hue usne dekha sabhi uska intezaar kar rahe the.
Zoey : Where were you???
Ronnie : Ahahaha~ I was just checking that sewage area. Nothing's there.
Zoey : Okay! Let's move on!
Aur pichli baar ki tarah ye aadha ghanta bhi keval chhaan been me guzar gaya. Udhar Mike ka haal behaal tha jab usne Jacob ki laash ki haalat dekhi. Laash ko Jacob ne wese hi rehne diya. Bas jitna ho sakta tha utna check kiya. Ye uska koi pehli baar nahi tha.
Dekh ke usse pata lag chuka tha ki kisi sharp object se gale ko kaata gaya hai. Wo bhi ek slash me. Hathiyaar ki dhaar boht hi zyaada rahi hogi.
"It's more serious than I thought. This is brutal. Damn it!!!"
***
Time : 12:35 AM
Pichla aadha ghanta unka barbaad chala gaya. Lekin Ronnie ka nahi. Usse toh jese jiski talaash thi woh usse mil chuka tha.
Veer ke sang uske bistar par Emma baithi hui thi. Dono hi khamosh the jab Veer ne iss shaanti ko bhang kiya,
Veer : Why do you trust me so much?
Emma : Ah! I-I don't know. I feel secure around you. I don't know why...
[Master!!! Hum iske chakkar me yaha bandh ke reh gaye hai.]
'Yeah! Kuch karta hu.'
Veer apna dimaag chalane laga. Usse pata tha Nightwalker koi aur hi tha. Unme se nahi. Veer ne sabhi ko check kar liya tha. Par usse kisi ke bhi status me alias name Nightwalker nazar nahi aaya. Emma ke me bhi nahi. Yaha tak usne Muke ko bhi check kiya tha. Aur itna hi nahi usne apne room me rakhi cheezo ko bhi check kiya tha. Par usse sab kuch normal hi laga.
Pal bhar ke liye Veer ke zehen me ye bhi khayaal aaya tha ki kahi darwaaze me toh woh golden bars nahi chipke? Kahi wahi toh nahi? Par jab usne darwaaza check kiya,
*Ding*
[A Metal Door.]
Toh usse kuch bhi haath na laga. Mission mil chuka tha. Usse kese bhi karke room ke baahar nikalna tha.
***
Idhar Zoey bagal waale kamre me abhi kuch minutes pehle hi andar aayi thi jab usne dekha ki uski water bottle me paani khatam ho chuka tha.
'Shitttt!!!!'
Par usse boht zorr se pyaas lagi thi. Washroom toh woh interval me ho aayi thi. Par paani bharna bhool gayi. Uska gala zorro se sookh raha tha. Himmat baandh ke usne bottle haath me lii aur room khol woh chal dii neeche.
Wo abhi stairs tak pohuchi hi thi jab usne dekha left waale corridor se nikal ke koi neeche jaa raha tha.
'Huhhh? That... R-Ronnie??? Why is he-!?'
Woh Ronnie tha. Mann me shanka liye woh Ronnie ke peeche peeche dabe paav chal padi. Dil toh uska bhi ghabra raha tha boht. Par woh chalti gayi. Ruki nahi!!
Ronnie basement me jab ghusa toh Zoey ka jee aur ghabraane laga.
'Basement? Why is he going to the basement again? Didn't we check it just now?'
Ronnie badi hi furti me bhaag raha tha. Jiske chalte Zoey ko peecha karne me dikkat ho rahi thi. Wo pakdi bhi nahi jaa sakti thi. Dabe paav jo chalna tha.
'Sh-Shittttt!!!! I lost him!!!'
Zoey jab tak hallway me aayi, usse Ronnie kahi nahi dikhaayi diya.
Ronnie mann me khushi ke laddu liye poori tarah se excited apne kamre se jhola leke aaya tha. Yaani apna backpack. Woh fatafat ussi lakdi ke box ke paas gaya. Aur usse khola,
Beshaq, saare gold bars wahi maujood the.
"Hehehe~ Fuck Fuck Fuck!!! I'm fucking filthy rich now!!!"
Wo saare gold bars bator ke apne bag me bhara aur sab kuch bhar lene ke baad woh palta. Aur aage badha.
Par...
Par aage badhte waqt, usse apne do perro ki jagah... Chaar perro ki awaaz aa rahi thi.
Ronnie : H-Huhhh??
*Badump*
Uska dil zorr se dhadka. Woh rukk gaya. Apne gale ke thook ko nigalte hue usne dheere dheere apni mundi peeche paltaayi. Aur jese hi usne apne peeche dekha... Uske peeche ka manzar tha,
*Thud*
Ronnie ke haath se uska bag chhutak kar neeche gir gaya. Aadhe gold bars nikal ke neeche floors par bikhar gaye. Uski awaaz halak me hi atak ke reh gayi.
Badan thar tharaane laga.
***
Idhar basement ke hallway me Zoey Ronnie ko dhund rahi thi jab usse ek mod se kuch awaaz aayi. Ye wahi sewer waali jagah thi. Idhar ki lights bhi band thi. Andhera itna tha ki kuch dikhaayi nahi de raha tha.
Apne mobile ki flashlight jala ke woh aage badhi. Aur abhi woh kuch dur hi chali thi jab, saamne ka nazaara dekh uski hawaaiya udd gayi.
Ek kata sarr dala hua tha. Khoon aise beh raha raha tha jese kisi ne paani ke gubbaare me ek cheera laga diya ho.
Aur usse dekhte hi,
*Gwak*
Zoey ko achanak se akbakayi aayi, ulti uski halak tak pohuchi par muh par haath rakh usne khud ka dhadakta dil sambhala. Aur agle hi shan usse apne peeche kisi ke hone ka ehsaas hua.
Wo turant hi tezzi me palti...
Aur...
Andhere me se usse kuch aata hua nazar aaya. Uske kad se kayi inch aur upar.
Jese hi Zoey ne wo dekha...
"Aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa~"
Uski cheenkh poore basement me goonj gayi.
Woh bhaagi, baahar nikalne ke liye.
*Schhlliiiiiiinnngggggggg*
Ek tezz awaaz uske kaano me padi. Palat ke usne bhaagte hue dekha toh jese hi Nightwalker ujaale me aaya, Zoey ne dekha uske haath me khoon se sani hasiya maujood thi. Uski rooh kaanp gayi.
Zoey ne waha se sarpat daud lagaayi. Woh haafte haafte jese hi hallway me pohuchi toh achanak hi geele floor ke chalte fisal ke gir gayi.
"Ahhhhnnnnnnnn~"
Jab uthne ke kiye hui toh...
Zoey : N-Noooooo!!! I can't die... I can't... Not just yet... I...
Uski aankho se aasu chhalak uthe. Saamne Nightwalker apna wahi mask pehne uske saamne khada tha.
Uska haath hawa me upar utha aur hasiya Zoey ki gardan ko kaatne hi waali thi jab,
*Kllliiiiinnnngggggggg*
Uski hasiya kisi se takra ke ek jagah ruk gayi.
Zoey toh apni maut ka intezaar kar rahi thi. Par jab usne apni aankhein khol ke dekhi toh uske theek saamne Veer khada hua tha. Uske haatho me ek lohe ki rod thi. Ek rod jo ground floor par chimney ke paas rakhi hui thi.
Usne apni himmat kho dii thi. Par Veer toh uske liye jese doobte ko tinke ka sahaara tha.
Uske aasu aur zorr se behne lage,
"Z-Zoeeeyyyyy!!!!"
Peeche se usse Emma ki awaaz sunaayi dii. Jo apne haatho me ek lakdi ka tukda pakdi sehmi sii waha khadi hui thi. Zoey ne khud ko uthaaya aur Emma ke nazdeek aayi.
Veer ne jab Nightwalker ko saamne dekha toh uske khud ke badan me raungte khade ho gaye the. Woh mask... Woh mask bhale hi sundar tha. Par sundar se zyaada woh darr ki anubhooti karwa raha tha.
Nightwalker ne apni hasiya peeche kheech Veer ko dekha aur zorr se uske kandhe par vaar kiya,
*Whoooooosssshhhh*
Side me dodge kar Veer bacha aur jese hi usne Nightwalker ko maarna chaaha, Nightwalker Veer ke upar se focus chorr full speed me Emma aur Zoey ki taraf bhaaga.
Emma bechaari ki toh ye dekh ke hi phat ke chaar ho gayi. Uske haath se lakdi ka woh tukda gir pada. Perr kamzor pad gaye. Nightwalker shaatir tha. Jo Veer ko yu chorr diya.
'Shhhitttttt!!!!!'
*Ding*
[Beowulf's Blessings has been turned ON.]
*Whoooooosssshhhh*
Veer ke senses badhe, woh aage sprint kiya. Par Nightwalker ne Veer ko qareeb aate mehsoos kar liya.
Emma aur Zoey jaha khadi thi, unke bagal ki hi deewaar se dherr saare lohe ke poles jo aksar tent ke kaamo me lagte hai wo lade hue the.
Nightwalker Veer ki speed dekh ke hi taajub me tha. Veer ke vaar se bachne ke liye usne apna direction halka sa badla aur Zoey aur Emma ke bagal ke gap se nikal gaya. Par jaate jaate...
*Clinnngggg*
Usne unn poles par apne haath chala diye.
[Maaastttterrrr~]
'Fuuuccckkkkk!!!'
Dherr saare poles hawa me neeche gire aur Zoey aur Emma ne dono ko ek dusre ko gale laga ke apni aankhein band kar lii.
*Klaaangggg* *Klaaaangggg*
Aur kuch seconds tak bas poles ke girne ki hi awaaz aati rahi. Par Zoey aur Emma ko kuch bhi feel na hua.
Zoey : Huhh??
Emma : ???
Jab unhone aankhein khol dekha toh... Hairaani ke maare unka muh khula ka khula reh gaya. Dekha ki Veer apne haath felaaye unn dono ko cover kiya hua tha. Woh ek shield bann ke unhe protect kiya.
Dono ye dekhti hi namm aankhein liye ro padi. Zoey bhi. Itna kuch kaafi tha usse rulaane ke liye. Hamdardi aur chinta ke chalte woh dono Veer se lipat gayi. Dekhne lagi ki woh theek bhi hai ya nahi.
[Maaastttteeerrrr~]
'I'm okay Pari!!!'
[Noooo you are not!!!! I can feel it. Aapki peeth dard me hai.]
'Ye maamuli hai. It's alright!'
[I should have switched to Bone Reaper.]
'Nahi Pari!!! You did great. Tumne ekdum sahi samay par Beowulf activate kiya. Warna shayad mein samay par nahi pohuch paata. Aur Bone Reaper ki abhi zaroorat nahi. Beowulf hi theek hai.'
[B-But...]
'That bastard!!! Na keval woh shaatir hai balki tezz bhi hai.'
[Don't worry! We'll definitely catch him.]
Veer Zoey aur Emma andar gaye. Sewer area me. Veer ko kuch check karna tha. Aur unhone dekha ki neeche gold bars bikhre hue the.
Lekin jese hi Veer ne jhukte hue ek gold bar uthaaya. Uska sunehra rang uske haatho me paani ki tarah chipakne laga.
Zoey : T-They are fake!!!????
Zoey aur Emma ko yakeen nahi ho raha tha.
Veer : Yes! They are...
Sach kehte hai. Harr chamakne waali cheez sona nahi hoti. Ronnie bechaara toh bekaar me hi maara gaya.
Ronnie ki maut ki khabar sansani ki tarah unke beech fel gayi. Aur ab, jo bhay pehle tha wo ab chauguna unke andar sama chuka tha.
***
Time : 2:13 AM
Firse ek baar wo sabhi ek hi room me the. Veer ke room me. Dono ladkiyo ko sabse bada sadma laga tha. Akhir wahi dono thi jinhone laash ko itne qareeb se dekha tha. Mike ke alaawa.
Bechaari Emma toh bhaaga daudi me behosh ho chuki thi. Par usse kisi ne nahi uthaaya. Zoey khud tensed thi.
Aur baaki sabhi maun the. Apni apni soch me doobe hue the.
Veer apne mann me Pari se baate kar raha tha.
'47... Hmm!! Mera 47... Zoey ka 79... Hmm! Chester ka 50... Tommy 29... Ronnie ka kya tha Pari?'
[24.]
'I see!!! Aur Jacob ka... Yeah... 26... Emma ka I think, 22 tha. Hmmmm~ Mike ka toh mere bagal se hai, 28.'
Pari aur Veer room numbers par charcha kar rahe the.
'Kya tumhe kuch odd lag raha hai kya Pari?'
[Nothing master! It's odd! Par mujhe kuch bhi nahi soojh raha hai. Lekin, Mene do baatein zaroor notice kii hai.]
'Tell me!'
[Pehli ye ki master, jab jab koi maara gaya hai, tab tab woh log pair me the. Matlab pehli baar me Emma aur Jacob the. Jisme se Jacob maara gaya. Aur dusri baar me bhi, Zoey aur Ronnie the.]
'Ye ittefaaq bhi toh ho sakta hai.'
[Haan! Ho sakta hai. Par aapne notice kiya? Mere khayaal se uski tactic yahi hai ki do logo ko alag karna aur fir ek ek karke unki jaan lena. Aapne dekha nahi? Wo hum teen logo ko saath dekh waha se kese bhaag gaya.]
'Hmm! Aur dusri cheez kya notice kii?'
[Mujhe nahi pata ye important hai ya nahi. Par jaha jaha jo jo paintings mujhe nazar aayi hai. Aapne dekha nahi? Sabhi ke sabhi insaan jo paintings me maujood the. Unke chehre par ek bhi muskan nahi thi. Ekdum feeling-less jese.]
'I see!!'
***
*Ding* *Dong*
3 baj chuke the. Ye akhiri aadha ghante the unke liye. Yadi iss baar bhi kuch na mila. Toh khaali haath hi jaana padega yaha se. Aur kya pata? Jaa paa bhi paate ho ya nahi?
Emma behosh thi. Usse aisi haalat me nahi chorra jaa sakta tha. Veer ne Zoey ko uske sang rakha. Zoey ne bhi ab haar maan lii thi. Usse paise se ab koi matlab nahi tha. Veer ke hi room me woh darwaaza andar se lock kiye Emma ke bagal se baith gayi.
Aur idhar baaki ab punah nikal chuke the.
Chester aur Tommy me se, Tommy ghabra chuka tha. Isliye woh apne kamre me theher gaya. Chester ko usne boht manaaya par Chester na maana.
'Hahaha~ Nightwalker? What Nightwalker??? Even if Nightwalker comes after me, I'll still be able to survive.'
Wo apne guroor me khud se bola. Jese woh jaanta tha kuch.
Wo bina kisi se darre khullam khulla ghoom raha tha mansion me. Painting hall me woh pohucha.
Usne dekha ki ajeeb sa frame tanga hua tha. Deewaar me chaukor gap tha aur uske agal bagal photo frame.
"Hmm?"
Usne nazre ferr lii. Kuch aur paintings dekhi usne. Shayad inhi me kuch chhipa hua tha.
Par eka-ek jab uski nazar punah uss frame pae padi. Usne dekha...
Jaha pehle uss frame ke wo aar paar dekh paa raha tha. Ab uss frame me...
Uss jagah par... Nightwalker khada hua tha.
Apni hasiya liye.
Uske baad ka varnan karne ki zaroorat nahi. Chester waha se aise bhaaga jese kisi race me daud raha tha woh. Peeche Nightwalker bhaagta hua hasiya hawa me chalaate hue aa raha tha.
Chester bhaagta hua apne kamre me ghusa aur usne seedha andar se gate lock kar liya.
"Hahahahahaa ~ You fucker!!!! You can't get in here. Fuck off bitch!!!! You bastard!!! Hahaha~"
Wo andar se hi Nightwalker ko chidhaane laga.
Aur baahar ek sannaata chha gaya. Chester sahi tha. Room ke andar bhala Nightwalker kese aa sakta tha? Nateeja? Nightwalker ko dusre shikaar ke liye jaana pada.
***
Time : 3:28 AM
2 minute baaki the, jab Veer aur baaki sabhi ikhatta hue.
Mike : Is everyone here?
Tommy : N-Noooo!!! Chester is not here!
Mike : Where is he?
Tommy : He told me he will look outside.
Mike : Let's go and check his room!
Woh sabhi Chester ke room me pohuche toh Chester ka room band tha. Matlab koi andar tha. Chester hi toh tha.
Unhone darwaaza peeta aur awaaz lagaayi.
Par...
Andar se koi awaaz na aayi!!!!
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Ye update more than 7.1k words ka hai. Ab tak ka sabse bada update. Boht mehnat kii hai iss par guys. Toh dil se like thokne ka aur revos rakhne ka. Aur bakchodi ni pelni ka ki beech me scene chorr diya. Jitna ho sakta tha utna dikhaya hai. Saari baatein next me sort out ho chuki hongi.
Dhanyavaad!
awesome fantastic updateMega UpdateAb tak...

Dekhte hai kya hota hai man! Thanks!As always ek shaandaarrr update bhaii...shayad akhri main sirf chaar log hi bache veer,mike, emmma nd zoey...mujhe lagta hai veer ki list main yeh dono bhi shamil ho chuki haiii....
Hmm! Usse pata lag gaya ki Veer sadharan nahi. Thanks!Mast
Pahli baar night walker bhi soch mai aaya hoga ki veer kaisa insan hai
Pehli story tak toh padhi nahi ju ne meri. Aur khaas reader...Nahi... Wo aisa nahi karenge... Main unki khaas reader hu...
Iss maamle me aap akele nahi hai. Par mere case me, mein horror stories suna karta tha. Alag craze tha bhutiya kahaniyo ka.toh qissa kuch youn hai keh bachpan me mere hath kuch horror stories wala rasala lag gaya tha.. kabhi horror stories padhi nahi thi.. jab padhna shuru ki to maza bohut aaya..
din ka time tha na isliye maza to fir aana hi tha..
raat ko jab firse wahi rasala utha ke stories padhni shuru ki to pata chala keh jitna maza din me liya tha stories padh kar.. raat me utna hi darr bhi lagta hai, darr kya hota hai, tab main achhe se jaan paya tha..
tab condition aisi hui thi keh laga keh jo kuch main story me padh raha hon, vaisa hi kuch mere aas paas bhi hone laga hai.. jhat se rasala band kiya, usay takiye ke neeche rakha(dheere dheere).. aur robotic andaz me dheere dheere karke charpaai se neeche utra.. kahi aahat ho aur jo koi mere aas paas maujud hai, wo meri aahat ko paa na sake..
charpaai se utar kar ekdumm speed se bhaag kar room se bahar jana, jahan sab ghar wale so rahe hote han.. garmiyon ka mausam tha.. full pasine me bheege hue, pankhe ke saamne charpaai par let kar,chadar apne upar karte hue charon aur achhe se lapet kar so jaya karta tha..
kahi hawa ke sath wo bhi chadar ke andar se mujhe apni lapet me na le le....
aisa hi kuch scene is update ko bhi padhkar create ho sakta tha, agar main update raat ko padhta to..
Par asli feeling toh raat me hi aati hai bhai...par meri kismat achhi thi.. jo maine din ke time is update jo read kiya.. warna bachpan to mujhe puri tarha se yaad aa hi jata.. sath me nani bhi yaad aa jati..
Ye sirf mera nahi hai. Harr writer ke sang aisa hi hota hai. Woh jitna likhta hai, jitna dedication deta hai story ke prati, jitni lagan se gyaan anya jagah se praapt karta hai. Sabhi baate usse aur nipud banati jaati hai lekhni me. Aur ye story aisi hai ki sach me mujhe boht zyada push karte karte na jaane kaha le jaegi. Koi doubt nahi hai ki ye mujhe behtar bana rahi hai.is update se aapne kai aur level bhi cross kar liye han bhai.. pari ke rehte veer ke jitne levels upgrade ho rahe han.. usse kahi badhkar aapke level upgrade ho rahe han.
jaise jaise time beet raha hai, story aage badh rahi hai.. aapki skills me bhi hairat angez izafa ho raha hai.. bohut se silent readers aapki story ko read karne ke baad comments karne par majbur hote jaa rahe han..
Dhanyavaad aapka bhi. Apni baat yaha rakhne ka. Aise hi bane rahiyega!Thank You So Much WereWolf Bhai For This Wonderfull ND Amaizing Update..
Thanks brother!Jabardasttt Updateee. Maza aagaya padhkee.
And for century