- 14,073
- 99,784
- 259
Last edited:
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाईUpdate - 96 ~ RiddleAb tak...
Suhana : Hum acche dost hi hai. Par woh aisi hi hai. Aur lagta hai woh tum me interested hai. Wo koshish karegi tum se harr baat jaan'ne ki but you better stay silent okay?
Veer : Alright!
Suhana : Aur jitna ho sake uss se duri bana ke rakhna.
Veer : Hmm~
Suhana : Let's go now!!
Aur Divya ke hi peeche peeche Suhana sang Veer bhi chal diye. Apne suitcase ko kheechte hue Veer aage badha, uski nazre paini hokar Divya ki peeth par jam gayi.
Ab aage...
*Vrrrrrooooooooommmm*
Car Las Vegas ki makkhan jesi smooth roads par bhaag rahi thi. Divya car drive kar rahi thi, aur Veer-Suhana dono hi peeche baithe hue the.
Car ka interior dekh, Veer kaafi fascinated tha. Kya hi gazab ka interior tha. Adhbhut!
Suhana ne bhi ye Divya ki car notice kii toh wo puch uthi,
Suhana : Ye kab lii tumne?
Divya (smiles) : Looks nice right? Ye mene kuch mahine pehle hi lii. Ek tough case solve ho chuka tha toh uski khushi me ye mene khareed lii. Do you like it?
Suhana : Hmm~
Divya : I can gift you one you know?
Suhana : No thanks!!!
Divya : Awww~ Hamesha ki tarah tumhara jawaab aaj bhi naa hi hai.
Veer surprised tha. Suhana ne ek car ka offer yu hi thukra diya? Kyu? Veer ne Suhana ko dekha toh woh jese samjhi ki Veer uss se kuch puchna chaah raha tha. Fir woh Veer ko samjhaate hue boli,
Suhana : Divya ek detective hai. Kaafi famous yaha par. Aur uske husband bhi. Dono hi popular hai crime studies me.
Par Veer ko toh pehle se hi ye pata tha. Usne Divya ko check jo kar liya tha. Fir bhi usne naatak karte hue haan me sarr hila diya. Divya se zyada Veer ko toh iss car me interest tha.
Veer : Ye kitne ki hogi?
Veer ne wese toh pehle hi system se car ko check kar liya tha. Lekin uske bio me price mentioned nahi tha. Jis kaaran se usse Suhana se ye sawaal puchna pada.
Suhana : Umm... I guess...
Suhana jawab de paati ki uss se pehle hi Divya ne unn dono ko mirror me dekh khud hi jawaab de diya,
Divya : Yadi tumhari Indian currency me convert kare toh, around 7-8 crore kii hai ye car. Veer!! Maybe uss se zyaada bhi haha~
Wo mirror se hi usse aankh maarte hue boli. Khaas kar uske naam ko thoda zorr deke pukaari aur sharaarti dhang se muskuraayi.
Veer unfazed tha. Iss nakli flirt ke aage wo jhuk jaaye aur mantra mugdh ho jaaye? Sawaal hi paida nahi hota. Bhale hi Divya khubsoorat thi par iska ye matlab nahi tha ki Veer harr sundar ladki ke saamne pighal jaaye.
Wo jaanta tha Divya ke status me kya likha hua tha. Jawaan ladko ke saath flirt karna aur unki feelings ke saath khelna uski aadat thi. Ek hobby. Behtar yahi tha ki uski befaaltu ki flirtings par dhyaan na diya jaaye.
Aur Veer ne wahi kiya. Jab usne Divya ki harqato par koi reaction na diya, toh Divya aur curious ho uthi. Uski muskaan aur fel gayi.
[Master~ Hum iss se bhi behtar car lenge future me. Don't worry!]
'Yes Pari!!! Definitely!!'
Suhana : Toh? Kaha chal rahe hai hum?
Divya : Mere ghar of course, aur kaha?
Suhana : Okay! Par tumne toh kaha tha ki serious issue hai.
Divya : Of course dear. Uske liye hume shaam ko nikalna hoga. Meeting hogi aaj. You have to be there. Isliye toh tumhe abhi ghar le jaa rahi hu. Acche se araam karna. Jetlag bhi ho raha hoga abhi.
Suhana : Fine~
Divya : Wese maan'na padega Veer. Waqai tum boht handsome ho. Mujhe laga nahi tha Suhana jab tumhe yaha leke aaegi toh mujhe itna bada surprise milega haha~
Veer : Aapko pata tha ki mein yaha aa raha hu?
Divya : Hahaha~ Pata tha? In fact, I was the one who told her to bring you along.
Veer : Whaaatttt?
Ab ye ek nayi news thi Veer ke liye. Divya ne hi Suhana ko kaha tha ki Veer ko yaha leke aaye?
Divya : Well yes! Suhana ko mera ek purana favour repay karna tha. Toh mene uss se ye karne ko kaha. Tumhe kya laga? Suhana ko ye favours ke saath khelne ki tricks kisne sikhaayi hai? Hahaha~
Veer : Whaaattttt!!!!?
Veer ko ab samajh aaya tha ki Suhana jo itne favours leti thi uss se. Wo asal me Divya ki hi den thi. Usse dekh ke hi Suhana ne ye seekha tha.
Suhana idhar apna muh chhipaaye hue thi. Uske gaal iss baar thode laal the.
Suhana : Stop it Divya...
Divya : Hahahaha~ Why now!? Dekha tumne Veer? She learned it from me. Well! Tumhari kaafi tareefe kari thi Suhana ne toh mene uss se yahi kaha tha ki bring Veer along with you. Mein bhi toh dekho kya khaas baat hai tum me? And you both are here now.
Veer khamosh reh gaya. Toh ye maajra tha. Suhana ke upar ateet me kabhi Divya ne koi favour kiya tha. Aur uske badle me aaj Suhana idhar aayi hui thi. Uss favour ko chukaane. Saath me Veer bhi lapete me tha.
'I see~'
Divya : Toh ab pata chala tumhe wo kyu meri car ka offer nahi le rahi? Hahahahaha~
Veer : Ohh!
Tohh ye baat thi. Yadi Suhana Divya ke haatho dii gayi car le leti, toh kahi na kahi ye bhi ek tarah se favours me hi gina jaata.
'Ohh! I see now!'
[This woman is so crafty Masterrr~]
Divya : Par Suhana dear. Sach me mein koi favour nahi kar rahi. I can gift you a same car like this you know.
Suhana : No! I don't need one.
Divya : Anyways!!! Veer!!! I'm not at all disappointed after seeing you now. You have definitely piqued my interest.
Usne kehte hue ek baar fir aankh maar apna nichla honth daato tale daba liya.
[This bitttttcchhhh~]
Suhana (frowns) : Divya...
Divya : Alright alright!! I won't snatch your Boyfriend Suhana. Calm down!!!
Suhana : Whaaaatttt? He's not my Boyfriend Divya. What are you talking about??? I'm already married. Tum jaanti ho. Don't joke like that...
Divya : Hey hey~ Calm down! Kya hua? I was just kidding okay?
Suhana kuch na boli. Par Veer ne ye zaroor notice kiya tha ki uske gaalo par halki laali chhaayi hui thi.
Aur fir car me ek shaanti chha gayi. Vegas ki uchi uchi buildings, wo tezz raftaar me aati jaati gaadiya, bade bade fly overs dekh Veer uss nazaare me kho gaya.
Aur car kab Divya ke ghar ke baahar aa kar ruk gayi iska pata hi nahi chala. Samay yu beet gaya.
Divya : Okay~ Here we are...
Car se utar kar dekha toh Divya ka ghar kaafi bada aur aalishaan tha.
Ghar ke theek saamne bagal se ek bada sa swimming pool bhi tha. Jagah jagah hare bhare ped paudhe aur sundarta badhaane ke liye kuch anokhe patthar bhi rakhe hue the.
Ek aisa ghar, jo ek baar dekhte hi pasand aa jaaye.
Divya : I hope tumhe pasand aaya hoga? Veer?
Veer : It's nice...
Divya : Well! Ye waala badi mushqil se mila hai. Aur thoda mehnga bhi hai. Haha~ Anyways! Come inside.
Andar aate hi Veer aur bhi dang reh gaya. Interior decor toh aur bhi khubsoorat tha.
Veer : Kitne log rehte hai yaha?
Veer ko jawaab pata tha. Lekin fir bhi usse apne aap ko anjaan dikhaana tha.
Divya : Just me and my husband. Make yourselves comfortable. Mein coffee ready karti hu. You guys can take a bath and freshen up. Washroom is right there on the right. Fir lunch ki taiyaari karti hu.
Suhana : Mujhe pata hai already kaha hai washroom.
Divya (smiles) : Ohh! Of course dear~ Tum pehli baar thodi hi aa rahi ho. Mein toh Veer ko bata rahi thi. Fufu~
Uski paini nazar ek baar fir Veer ki aankho se pal bhar ke liye takraayi.
[Maaaastttteerrrr~ Don't look at her!!! Hmph~]
Veer Pari ki baat maan washroom me chal diya. Aur andar aate hi wo ek baar fir ghar ki luxury dekh mugdh reh gaya.
Usse kuch derr pehle ke Divya ke bol yaad aa gaye, 'Ye waala badi mushqil se mila hai. Aur thoda mehnga bhi hai. Haha~'
'No wonder ye mehnga mila hoga. Really! Mujhe bhi ek ghar lena hai. Then, Bhabhi mein aur baaki hum sab uss waale me raha karenge.'
[Hmm hmm Master! Definitely!!! Master bathtub me bath loge aap?]
'Naah!'
30 ghante ke safar ke baad, usse zaahir tha ki ek behatreen shower ki zaroorat thi. Body odour aur sweat ko hataane ka sabse behtar upaay aur kya hi tha?
Shower ke neeche wo khade Pari se baato me lag gaya.
'Tumhe kya lagta hai Pari? Divya! Kya woh kuch chhupa rahi hai? Usne mujhe saath me laane ko kyu kaha Suhana se?'
[Don't talk about her Masteeerrr!!! I don't like that bitch. Hmph~ Aur usko aap nahi dekhoge ab. I don't like it.]
'Haha~ Ye tumhe kya ho gaya achanak se? Are you jealous?'
[I... I... Aaargghh!! Mene kaha na Massttteerrr!! Usse mat dekho. Aap mujhse baat kiya karo.]
'Alright Alright! Pari! Suno... Mere stats me intelligence 10 points se badha do aur baaki stats 20 points se.'
[As you wish Master. 900 points aapke use hoenge isme.]
'Go ahead!'
*Ding*
[All done Master.]
[Ye raha aapka full status.]
'Good!!'
***
Shower ke baad, Veer aur Suhana dono ne hi halka fulka khana khaane ke baad araam farmaaya. Jetlag se nijaat paane ke liye.
Aur sooraj dhalte hi wo dobaara se car me baith chal diye.
*Thud*
Car ka door band hua aur tezz kadmo ke saath Suhana, Divya aur Veer crime investigation ke ek office ke andar jaane lage.
Jagah jagah afra tafri ka mahaul tha. Veer ko aisa laga jese woh kisi stationary ki factory me ghus gaya tha, kyuki siwae panno ki gandh ke alawa waha aur koi gandh samajh me hi nahi aa rahi thi.
Chaaro orr nazre ghumaate hue wo peeche peeche hi chalta raha jab achanak se...
'Huh!!???'
Ek ajeeb sii feeling usse mehsoos hui. Badan me rongte khade ho gaye. Usse aisa laga jese usse koi dekh raha tha, ghoor ke.
'There's something wrong.'
Andar aate hi Divya ne ek ek jodi gloves fekte hue dono Suhana aur Veer ko diye. Jo dono ne hi pehen liye.
Uske baad ek jawaan sa ladka daudate bhaagte hue aaya, wo haatho me ek plastic ki transparent thaili liye hue tha.
Divya : Evidence?
Ladka : Yes ma'am!
Divya : Okay! You can leave now!
Aur wo chala gaya.
Veer ne notice kiya ki aas paas ke log unhe kuch zyaada hi acchi nazro se nahi dekh rahe the.
Packet ke andar evidence maujood tha. Kisi crime ka...
Suhana : This...
Divya : Issi ke liye tumhe yaha bulaaya hai.
Veer : Yaha pe koi object kyu nahi kar raha? Mein ye mehsoos kar sakta hu ki ye log mujhe yaha paa kar khush nahi hai. Fir bhi koi kuch keh nahi raha.
Divya : Kyuki mein khadi hu tumhare saath. Veer! Suhana ek prakaar se meri assistant hai. Aisa samajh lo ki usse yaha ki thodi boht access mili hui hai.
Veer : And what about me?
Uske sawaal par Divya usse apna sarr upar kar dekhi.
Divya : Kaha na... Tum mere saath khade ho. They won't do anything.
Suhana : Mujhe ye batao baat kya hai!? Jaldi!!!
Aur fir Divya ne evidence ko baahar nikaala.
Andar khoon se sana ek pen tha. Ek kaagaz ka tukda aur uss kaagaz ke tukde par kuch likha hua tha.
Suhana : Mein kuch samjhi nahi.
Divya Suhana ko kuch samjha paati ki tabhi,
"You are not allowed here brat!!!"
Ek kathor awaaz unke peeche se aayi. Palat ke dekha toh Divya ka pati, Nicholas khada hua tha.
White shirt ke upar ek long coat daale, aur sarr par typical detective waali cap pehen wo waha khada unhe ghoor ke dekh raha tha. Khaas kar Veer ko.
Divya (khade hote hue) : Nik!!!
Nicholas : Tell him to get lost. Only Sonny babe can stay...
Suhana : I told you not to call me by that name ever again...
Pal bhar me teeno ek dusre ke upar chadh pade. Jaha Nicholas Veer ke yaha hone se niraash tha toh wahi Divya uske iss ravaiyye se gussa thi aur wahi Suhana isliye tilmila uthi kyuki Nik ne usse Sonny kehke pukaar diya.
'Lagta hai Suhana ka past inn dono se juda hua hai.'
[Yes master!!!]
Mauka dekh ke Suhana ne confused Veer ki orr jhukte hue usse samjhaaya,
Suhana : Divya ek personal detective hai Veer. Personal detectives general cases me apni hastakshep nahi karte. Inhe paise zyaada milte hai. Well... Ek prakaar se ye dalaal jese hote hai. Isliye Divya ke paas itna paisa hai.
Veer : I see...
Suhana : Nik bhi ek personal detective hai. Aur isliye yaha ki general investigation unit hume acche se nahi leti kabhi. Kyuki harr tough cases ko aksar hum log solve kar dete hai. Jiske chalte GIU haath par haath dhare baithe reh jaate hai.
Veer : Tabhi woh hume ghoor ke dekh rahe the.
Suhana : Haan! Par Nik... Well! He likes to keep some lackeys around. Wo GIU me apne chele bana ke rakha hua hai. Jis kaaran se uska yaha virodh utna nahi hota. Par Divya ka aisa nahi hai. She doesn't like boot licking...
Veer : In other words, Nik paisa fek yaha chele banaaye hue hai toh wahi aapki friend Divya wahi paise liye apni jebo me daal rahi hai!?
Suhana : Exactly!!!
Yaha Divya ne jese tese Nik ko manaaya toh maamla shaant hua aur Veer ke yaha hone se bhi ab koi dikkat nahi thi. Filhaal ke liye...
Nik samet baaki investigators bhi baithe hue the. Screen par ek ke baad ek graphic images aa rahi thi.
Qatl ki...
Aur qatl bhi kiska? Unke apne ek investigator ka...
Saamne khada Nik ne jab bolna shuru kiya, toh sab shaant ho gaya.
Kal!!! Kal hamaare crime investigations ke members me se ek bade hi mehanti investigator ne apni jaan kho dii.
Jaan khoyi nahi, usse bedardi aur badi hi kroorta se maara gaya.
Daniel hamaara khaas tha. Par jaate jaate apne antim palo me usne hamaare liye ek sandesha chorra hai. Hume kuch bataane ke liye.
Aur hum iski teh tak jaake Daniel ke hathiyaare ko saza dilwaa kar hi rahenge...
"YEEEESSSSSSSS!!!"
Sabhi ek saath waha par chillaaye. Nik ne jab kehna band kiya toh usne evidence Divya ke haatho se lete hue saamne sabhi ko dikhaaya.
Khaas kar uss paper ko...
Jisme Daniel ki hi likhawat me likha hua tha,
Heinous thoughts destroys the mind.
Often the glee tuns into, Unhappiness.
Sorrow remains but shall be forgotten. Emergence of a new beginning prevails.
Opulent, rich thoughts fills the mind once more.
Fend off the fiend this time.
Kindle the fire in yourself. Intensify it. Lure the evil out of it. Lecherous demons shall be punished.
Escape if you realize you cannot handle it.
Remember, there ain't a single one, if you do get caught...
Soul shall burn!!!
Aur uss parche me likhi gayi saari likhaawat peeche badi sii screen par ujaagar ho gayi.
Panne me jagah jagah khoon laga hua tha. Zaahir tha ki kitni hi jaldbaazi me Daniel ne likha hoga isse. Ek paheli thi. Jo kisi orr ishaara kar rahi thi.
Las Vegas ki harr guzarti raat ki tarah kal raat bhi, Daniel keval aur keval ek party me gaya tha apne jeevan ki rozzmarra busy life se thoda relaxation paane ke liye.
Par dikkat tab ho gayi jab woh...
Ussi hotel me ho rahi kisi aur party me ghus gaya. Ek aisi party jidhar usse kabhi nahi ghusna chaahiye tha.
Daniel akela tha. Uske saath koi aur uski pehchaan ka nahi tha. Party me harr vyakti aankho me mask lagaaye anjaan logo se baatein kar rahe the. Daniel ko kya pata tha ki uski itni choti si bhul uski jaan lene waali thi.
Jese hi wo uss party me ghusa...
Na jaane usne aisa kya dekha ya aisa kya suna ki usne forun hi office me team ko call lagaana chaaha. Wo Paseene se tar batar...
Lekin jese uske haatho se phone chhina liya gaya tha. Phone se keval Daniel ka hello hi sunn'ne ko mil paaya.
Shayad koi usse maarne ki koshish kar raha tha. Bhaago!!!!! Yahi khayaal aaya usse. Daniel jese chakma dene me kuch waqt ke liye toh qamyaab bhi ho gaya. Aur ussi beech usne ye likha.
Aur uske baad...
*Sppllluuuurrrtttt*
Subah uski laash hotel ke baahar dustbin me paayi gayi.
Police sahet investigators site ka muaayna lene pohuche par siwae Daniel ke khoon ke alaawa unhe aur kuch bhi haasil nahi hua.
Hotel me puch taach ki toh pata laga ki hotel me party me boht saare log aaye the. Aur jidhar Daniel ko maara gaya, waha koi bhi cctv camera maujood nahi tha.
Yaha tak ki... Footprints bhi saaf saaf ujaagar nahi ho paaye.
Evidence ke taur par kuch bhi nahi chorra tha hatyaare ne. Daniel ki maut chaaku ke vaar se hui thi. Filhaal toh blood ki jaanch aur Daniel ka post mortem hi kuch bata sakte the. Fir bhi eye witnesses ke liye khoj jaari thi.
Aur wo clue... Jisse Daniel ne likha tha. Zaahir hai wo clue hi tha.
Nik ne jab bolna band kiya toh woh baahar chala gaya. Tough cases me Divya aur Nik dono ko hi yaad kiya jaata tha. Bhale hi koi unhe pasand kare ya na kare. Akhir professionalism bhi koi cheez hoti thi.
Assistant Sheriff se khaas pehchaan bhi thi Nik ki. Jis kaaran se usse aur Divya ko aksar ye cases mil jaate the.
Nateeja? Paisa aur tarakki.
Suhana : Toh ye baat hai? Isliye tumne mujhe yaha bulaaya?
Divya : Hmm! Daniel pehla nahi hai Suhana.
Suhana : Tumhara matlab...!??
Divya : Yes! Daniel teesra shikaar hai. Pehle do investigators bhi maare gaye. Aur unke murderers ka pata bhi nahi chala abhi tak. Par iss baar Daniel... Wo khaas tha team ka. Aur ye ussi ki wajah se jo usne hamare liye ek note chorra hai... Mujhe pehle hi pata tha ye saare murders connected hai. Isliye... I called for your help.
Suhana : Hmm...
Divya : You will help me. Right?
Suhana : Hmm~
Divya (smiles) : Thanks!!!
Suhana : Tumhe kya lagta hai Veer!?
Veer ki aankhein projector par hi jami hui thi. Uss likhawat par... Daniel ne jo likha tha..
Uska saral shabdo me matlab ye tha ki...
Daniel aagah kar raha tha. Mann ke bhre vichaaro se dur raho. Ye waha le jaate hai jaha kabhi nahi jaana chahiye. Aur baad me ye musibat me daal dete hai. Aisi musibat jis se aap baahar nahi aa sakte.
Aur jab aapko pata lag jaaye ki aap baahar nahi aa sakte. Toh bhaagiye iss se. Bhaagiye!!! Warna... Ye maut ka kaaran bante hai.
Kuch aisa hi likha hua tha ghuma fira ke Daniel ne.
Par inn sab ka uske murder se kya lena dena??
Divya khud zorr dete hue dekhne lagi jab kuch derr baad hi...
Uske poore badan ke ruye khade ho gaye aur wo apni jagah se chillaate hue uth khadi hui hai.
"Aaaaaaaaaaahh....."
Nik : Whaaatttt!!!?
Suhana : Divya?????
Veer : !!??
Ek ek ki nazar uske upar jamm gayi...
Aur wo haklaate hue fir boli,
"I-I got it... It was so easy!! But nooooo!!!!! Noo no no no no.... This is huge!!!!! It's a big problem... Ohhhhh goooodddd!!!!"
Divya jese paagal ho chali thi. Na jaane usne aisa kya dhundh liya tha Daniel ki likhawat me.
***
Mumbai...
Evening ~ 6 : 24 PM
*Whoooooosssshhhh*
Aasmaan se ek vimaan neeche utar airstrip par land kiya.
Andar se ek aurat aur ek naujavaan khubsoorat ladki baahar nikli.
Aur wo ek cab me sawaar ho gayi.
"Hum kidhar jaa rahe hai? Kuch toh kahiye!" Wo ladki kheejte hue puchi.
"Mene kaha na! Tum ek bhi sawaal nahi karogi."
"Par mujhe jaan'ne ka haq hai. Hum yaha kis se milne aaye hai? Aur kya karne?"
"Mein abhi nahi bata sakti."
"Par kyuuuuu? Aap aisa kya chhupa rahi ho mujhse!?"
Lekin uss aurat ne ek na suni. Cab ek hotel ke saamne ruki aur dono hi mahilaaye andar chali gayi.
Uss aurat ne receptionist ko kuch diya aur badle me kamre ki chaavi thaam wo ladki ke saath upar kamre ki orr chali gayi.
"Akhir kab tak aap mujhse chhupaogi?"
Ek baar fir ladki uchi awaaz me puchi,
"Ek baar me samajh me nahi aati kya Tej??? Mene kaha hai na. Mein nahi bata sakti abhi."
Jii haan! Ye Tej aur Bhavna hi thi.
*Thud*
Aur kamre ke hi andar Tej ko lock kar Bhavna baahar chal dii.
Gusse me aa kar Tej ne apna bag yu hi bistar par patka aur woh window khol kisi soch me doob gayi.
Mumbai ki ye mand mand hawa pata nahi kyu par... Usse ek apnepann ka ehsaas de rahi thi.
'I feel strange... Somewhat... Familiar!!'
***
Wahi baahar idhar Bhavna ghanghor chinta me thi. Uske haath mobile ko thaame hue the aur zorr zorr se kaanp rahe the.
'That was it.... Yes!!! That was it... Mein galat ho hi nahi sakti. Meri aankhein chakma khaa hi nahi sakti. I definitely saw it. Aur yadi wo chori ka nahi hai then he is none other than...'
Sochte sochte ek sihran uske badan me machal gayi.
Aankh band kar ke bhi wo pendant ko maatr chhu kar pehchaan sakti thi. Toh dekhna to dur ki baat thi.
Usne fatafat ek call bhidaaya,
"Hello?"
Bhavna : Hello! Purvi!!!!!
Purvi : Haan? Bhavna? Kya tum ho?
Bhavna : Haan! Mein hi hu, Purvi! Bhavna!
Purvi : Oh my god!! Kaha se bol rahi ho tum? Kaha thi itne din? Ab yaad kiya mujhe?
Bhavna : Purvi! I'm sorry... Par unn sab ka samay nahi hai.
Purvi : H-Hey calm down you know-
Bhavna : I need you!!!!! Right NOW!!!!
Purvi : H-Huh???
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
I'm still not fuly recovered yet. Toh full potential se nahi likh paaya hu iss update ko. But like thokne ka aur revos rakhne ka. Thodi paheliya, thodi mysteries, thoda romance aur dherr saara action aana shuru hoega ab. Sorry for the late update too.
Baaki, keep supporting!
Dhanyavaad!
Apni bhi yahi maang hai bhaya bhut uhal Raha hai .divya ko rough chodna hai veer ko isse jyada koi demand nahi ..
ek to divya line maar rahi hai veer pe aur uska pati kuch jyada hi ghamandi hai ..isliye aisa idea aaya dimaag me .
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाईUpdate - 97 ~ Jim the SlipperyAb tak...
Bhavna : Hello! Purvi!!!!!
Purvi : Haan? Bhavna? Kya tum ho?
Bhavna : Haan! Mein hi hu, Purvi! Bhavna!
Purvi : Oh my god!! Kaha se bol rahi ho tum? Kaha thi itne din? Ab yaad kiya mujhe?
Bhavna : Purvi! I'm sorry... Par unn sab ka samay nahi hai.
Purvi : H-Hey calm down you know-
Bhavna : I need you!!!!! Right NOW!!!!
Purvi : H-Huh???
Ab aage...
*BANG*
"Moooommm!!!"
*BANG* *BANG*
"Mom darwaza kholiyeee!!! Aap mujhe andar band nahi kar sakti. Mein jaanti hu aap baahar hi hai. Open the door mom!!!"
Darwaaze ko peetate hue Tej kamre ke andar se zorr se chillaayi.
Uski Maa, Bhavna ne usse room ke andar hi band kar diya tha. Usse sach jaan'na ka poora haq tha ki akhir ye sab chal kya raha tha?
"Thodi der... Mein thodi derr ke liye hotel se baahar jaa rahi hu. Tab tak tum chup chaap andar hi rahogi Tej. No questions asked."
Bhavna ne kamre ke baahar se awaaz lagaate hue kaha aur fir waha se nikal gayi. Tej vyarth hi andar chillaati reh gayi.
Par eka-ek uske andar khayaal aaya,
'Mom achanak se Mumbai mujhe leke aayi hai. Aur ab kahi jaa rahi hai? Mujhe bata bhi nahi rahi? Aisa kya reason akhir-- Huh???'
Aur ek tezz sansani macha dene waala vichaar uske mann se hoke guzra.
'K-Kahi... Is it because of him??? Haan!!! Yahi! Yahi reason hai. There's absolutely no way ki Mom mujhe yaha befaaltu me lekar aayi hai. It must be because of him!! My... My brother!!!!!! Oh God!!!! Mene pehle kyu nahi iss baare me socha? I have to see him...!!!'
'Mein Mom ko akele nahi karne de sakti kuch bhi. Warna mein apna chance uss se milne ka kho dungi. Mom jaan bujh ke mujhse chhipa rahi hai baatein. I cannot-- I absolutely cannot let her go alone.'
Chinta me doobte hue wo kamre me idhar se udhar tehelne lagi,
'Kya karu? Kya karu? Shit!!! I'm trapped inside. Service call! Right!! I can call them!'
Apna huiya theek kar wo fatafat wahi rakhe landline me ek call bhidaayi jo hotel ki room service ke liye tha.
Tej ne bataaya ki uski Mom usse galti se band kar ke chali gayi hai.
Hotel waalo ne fauran hi Tej ki request suni aur extra spare card se uske room ko unlock kiya.
Room ke liye key card lagta tha. Jisse scan kar room ka door unlock hota tha. Dikkat ye rehti thi ki yadi aap bina card liye baahar nikle aur door band hua toh door poori tarah se lock ho jaata tha.
Isliye hamesha key card ko saath me leke hi nikalna padta tha. Bhavna to key card leke baahar nikal gayi thi. Aur Tej ne issi baat ko ek bahaane me tabdeel kar diya.
Ki wo galti se andar trapped ho gayi hai. Jabki aisa nahi tha. Uski Maa jaan boojh ke usse band kar ke gayi thi. Kherr! Hotel waalo ko kaun sa kuch pata chalne waala tha.
Baahar aate hi Tej ne jese hi door band kiya. Door firse lock ho gaya. Ab wo bina key card ke nahi khulne waala tha. Jo ki accha hi tha. Andar unka samaan maujood tha.
Aur Tej Bhavna ko dhundne jo nikal rahi thi. Toh dikkat wali koi baat hi nahi thi.
Wo tezz qadmo ke saath waha se lift me gayi aur foran hi neeche reception area me pohuchi.
Tej : Excuse me??? Aapne abhi kisi lady ko baahar jaate dekha? Arre! Abhi just thodi derr pehle aapne mujhe unke saath check-in karte dekha hoga.
Receptionist : Yes ma'am! She went outside.
Tej : O-Okay! Thanks!
Tej hadbadi me bhaagte hue baahar nikli. Na jaane uski Mom kaha chali gayi thi.
'Akhir kaha gayi hongi wo? Unhone kaha tha thodi derr me aa jaengi. Baahar nikal aas paas dhundti hu. Ho sakta hai aas paas hi kahi ho?'
Ye soch wo hotel se baahar nikal aayi.. Daudate bhaagte hue wo haaf haaf kar ek jagah se dusri jagah apni nazre daudaane lagi. Par Bhavna kahi nazar nahi aa rahi thi.
'Kahi wo dur nikal gayi kya? Shit! Yadi aisa hai toh mein nahi jaan paungi wo kya karne gayi hai.'
Wo haar maan hi chuki thi jab achanak se uski nazar road ke uss paar ek cafe ki orr gayi.
'Huh?'
Aur beshaq, andar uski Maa Bhavna baithi hui thi. Par wo akeli nahi thi. Uske saamne waali seat par ek aur mahila viraajmaan thi.
'Y-Ye? Ye kiske saath Mom baithi hai? I must listen to them...!'
Tej unn dono ki nazro se bachte hue cafe me andar aayi aur unke hi aas paas ki table par menu card utha ke apna chehra chhipaate hue baith gayi.
Cafe ki seating iss prakaar ki thi ki Tej aur Bhavna ke beech ek seperation tha. Aur keval thoda uth ke hi uss paar ke nazaare ko dekha jaa sakta tha.
Tej ko dekhne ki zaroorat hi nahi thi. Usse toh bas dono ki baatein sunn'ni thi.
Aur Bhavna Purvi iss baat se anjaan ki Tej unke uss paar baithi hui hai, apni baato me lagi hui thi.
Purvi : Bhavna tum achanak se yaha? Kahi kuch...!?
Bhavna : Haan Purvi haan! Chinta waali hi baat hai. Mene dekha Purvi... Mene dekha...
Kehte hue usne Purvi ka haath apne dono haatho me thaam liya.
Purvi : K-Kya dekha tumne Bhavna? Aisi kya baat ho gayi? Batao mujhe!
Bhavna : Pendant!!!! Mene apni aankho se dekha Purvi. Apni aankho se. Wo wahi pendant tha. Mein galat ho hi nahi sakti...
Ye baat sunn uss paar baithi Tej ke kaan khade ho gaye.
'Pendant? Kesa pendant? Mom kya baat kar rahi hai?'
Par tabhi uske paas waiter aa gaya, "Your order ma'am?"
Tej : Ughh!!! J-Just a coffee.
Waiter : Okay ma'am!!
Uske jaate hi Tej ne punah apne kaan unki baato ko sunn'ne me lagaaye,
Purvi : P-Pendant? Ek... Ek minute Bhavna. Tum kya keh rahi ho meri kuch samajh nahi aa raha.
Bhavna ki aankho me ab aasu aa chuke the.
Bhavna : Purviiiiii~ Pendant!!!!! Wahi Pendant!!! Mene dekha...
Purvi koi bewakoof insaan nahi thi. Jab usne Bhavna ke aasu dekhe aur baar baar pendant shabd uske muh se suna, toh usse ye andaaza lagaane me derr na lagi ki Bhavna kis Pendant ki baat kar rahi thi.
Purvi : T-Tumhara matlab hai ki...
Bhavna (nods) : Haan! Haan Purvi!!! Haan!!! Wahi pendant. Mene dekha... Apni aankho se... Wo wahi Pendant tha.
Purvi : Ek... Ek minute!!! Kaha? Mera matlab tumne kaha dekh liya wo Pendant? Ruko!!! Wo Pendant to uske paas hona chahiye tha na? Toh tumne kaha aur kese...!?
Bhavna : Purvi!!!!! Meri Egypt ki investigation ke dauraan meri mulaqaat ek ladke se hui thi.
Purvi : Ladka?
Bhavna : Haan!!! Kareeb 20-22 saal ki umr ka tha. Lamba, sundar, kaali aankhein... Madhur awaaz...
Bataate bataate Bhavna apne aap hi Veer ko yaad kar uski chhavi me kho gayi.
Bhavna : Wo bhi Mumbai se tha. Usne apna naam Vikram bataaya tha. Wo investigation me keval apni skills ke kaaran hi liya gaya tha. Achanak se hi wo hamaare campaign me shaamil ho gaya tha. Raato raat wo aaya tha ekdum se...
Purvi : That's...
Bhavna : Aur jab wo jaane laga toh mein usse airport tak chorrne gayi thi. Tab... Mene tab hi wo Pendant dekha... Uske gale me Purvi... Uske gale me *sniff*
Purvi : Kyyyaaaaa??? Iska matlab...!!
Bhavna : Iske do hi matlab ho sakte hai Purvi...
Purvi : ???
Bhavna : Ya toh wo pendant uss ladke ne kahi se churraya ho, ya kahi se khareeda ho. Ya fir usse kahi se mila ho... Ye ho sakta hai.
Purvi : Aur dusra matlab hai ki...
Bhavna (cries) : Haan!!! *sniff* haan Purvi!!! Dusra matlab yahi hai ki... *sniff* Wo mera apna kaleja hai. Mera laal Purvi *sniff* Mera baccha!!!!
Purvi ko toh jhatka laga hi tha ye sunke par uss se bhi zyaada bada jhatka laga tha unn dono ke uss paar baithi uss naujavan ladki ko...
Tej!!! Usse aisa laga jese uski saasein pal bhar ke liye atak gayi thi. Usse kuch sunaayi nahi de raha tha. Jese uske senses shan bhar ke liye kaam karna band ho chuke the.
'W-What???'
Veer ka chehra usse yaad aane laga. Wo pal, jab wo kese uss se ladd bhid rahi thi. Wo shan jab Veer ne usse underground site me girne se bachaaya tha. Kese wo uski baaho me thi. Uske wo mazboot haath jo uski kamar par bandhe the.
Wo saare pal jab jab usne Veer se baatein kii thi. Usse ab sab yaad aa raha tha. Saalo se usse apne bhai ki talaash thi. Aur bhagwaan ne unn dono ko milaaya bhi. Par bechaari apne bhai ke itne qareeb hone ke bawajood bhi wo usse jaan na paayi.
'Wo... Mera bhai tha? Mera bhai!? M-My brother? M-Mera apna chota bhai!?? I...'
Tej ko seene me andar se ek tezz dard utha ki usne apne top ko zorr se bheench liya.
Uski aankhein paani paani ho chali. Itne qareeb thi woh uske. Andar uske glaani ka baandh bhi toot gaya.
'H-He... He was my little brother!!??? W-Wo mere itne paas tha... So close... I couldn't even... Oh God...'
Aas paas ke log usse rota dekh rahe the. Par Tej ko koi hosh nahi tha. Hatheliyo se wo apne aasu pochti jaa rahi thi, lekin aasu the jo rukne ka naam hi nahi le rahe the.
Purvi : N-Nahiiii! Aisa kese ho sakta hai? Kya naam bataaya tha usne tumhe?
Bhavna : V-Vikram... *sniff*
Purvi : Kya tumne uski ID check kii?
Bhavna : Haan! ID toh sahi hi lag rahi thi.
Purvi : P-Par aisa kese ho sakta hai? Mera matlab hai... Toh mera laadle ka naam Vikram hai? Par... Wo bhala Egypt kyu jaega? Aur itni kam umr me bhala woh ye sab kese??? Ek minute... Kahi...
Bhavna : ???
Purvi : Kahi wo tumhe yaani ki apni Maa ko dhundne toh nahi aaya tha?
Bhavna : Ahhh!!!!
Purvi : Haan! Aisa ho sakta hai...
Bhavna : N-Nahi! Ye sambhav nahi. *sniff* Uss ghar ke logo ne mere baare me usse kuch bhi nahi bataaya hoga. Aur itni jankaari usse itni asaani se nahi mil sakti. Par mera mann baar baar keh raha hai... Wo mera lalla tha... Mera khoon... *sniff*
Purvi : Ohhh God!!! Mera toh sarr chakra gaya. Pehle ye batao, Tej kaha hai? Kya usse saath me nahi laayi? School me thi jab tab mene usse dekha tha. Uske baad se tum ek baar bhi usse lekar nahi aayi.
Bhavna : Ab aa gayi hu na. Jee bhar ke mil lena apni laadli se... Mein usse hotel me hi room me chorr kar aayi hu.
Purvi : Hmm~ aur ye charcha hume mere ghar par baith ke vistaar se karni hogi.
Bhavna : Bilkul!!!
Purvi : Tumne Tej ko ab tak nahi bataaya?
Bhavna : Nahi Purvi! Mein majboor hu. Tum jaanti hi ho. Yadi Tej ko pata chala ki uska bhai bhi hai yahi iss sheher me toh...
Purvi : Wo bhaagti hui waha jaane ki koshish karegi.
Bhavna : Bilkul! Bas isliye... Mene uss se ab tak chhipa ke rakhi hai baat.
Purvi (chinta me) : Kab tak chhipaogi Bhavna? Kab tak? Kya usse apne bhai ke baare me jaan'ne ka haq nahi?
Bhavna : Haq hai! Par yadi usse pata lagna hoga. Toh sahi samay aane par bhagwaan raasta dikha denge. Mein nahi bata sakti usse kuch. Ye sab kuch sab ki bhalaayi ke liye hai...
Purvi (sighs) : Anyways! Tum ek kaam karo. Ya toh Tej ko leke mere ghar chalo. Ya tum mere saath chalo aur Tej ko baad me wahi bula lenge.
Bhavna : Hmm! Mein tumhaare saath chalti hu. Tej ko phone kar mein bula lungi. Arre nahi...!!!
Purvi : Kya hua?
Bhavna : Mein toh key card leke aa gayi hu. Baahar se lock karke. Wo baahar kese aaegi?
Purvi : Toh usse jaake key card deke aao. Aur fir mere saath mere ghar chalo.
Bhavna : Haan! Yahi karti hu. Kyuki uske saamne baatein nahi ho paengi.
Purvi : Hmm~ baad me usse bula lena. Mera ghar zyaada dur bhi nahi hai yaha se. Wo araam se aa jaegi. Apni muh boli maasi se issi bahaane mil bhi legi acche se.
Bhavna : Haan! Purvi tum yahi ruko. Mein abhi aati hu. Aur...
Purvi : ??
Bhavna : Shukriya Purvi! Mere ek call par yaha aane ke liye. Mein...
Purvi : Kar diya na parayaa? Bhavna! Jese ye maamla tumhaare liye gambheer hai wese hi mere liye bhi hai. Tumhara lalla mera lalla bhi hai. Tumhaari gerr haazri me doodh pilaaya hai mene bhi usse apna ye baat bhulo nahi... Jese wo tumhara beta hai. Wese hi mera bhi. Toh uski maasi hote hue mein kese nahi aati?
Bhavna (smiles) : Tumne sahi kaha. Jitna haq mera uss pe hai. Utna hi haq tumhara bhi hai uspe...
Purvi (smiles) : Ab tum jao aur card deke jaldi se waapas aao. Fir hum nikle yaha se...
Bhavna : Haan!!!!
Jab Tej ko pata chala ki uski Maa waapas se hotel jaane waali hai toh woh hadbada ke uthi aur bhaagte hue cafe se baahar nikli.
"Ma'am aapki coffee!??" Peeche se waiter awaaz lagaata hi reh gaya. Par Tej toh tab tak rafu chakkar ho chuki thi.
Yaha wo hotel pohuch neeche hi rukk gayi. Aur jese hi Bhavna aayi toh Tej ko baahar dekh hairaan reh gayi,
Bhavna : Tum yaha neeche?
Tej : Aap mujhe lock jo kar aayi thi. Call karke mene room khulwaya fir. Kaha gayi thi aap.
Bhavna : Ek zaroori kaam tha. Ussi ke liye.
Tej : Kaun sa zaroori kaam?
Bhavna : Wo...... tha ek kaam.
Tej : Mein wahi puch rahi hu. Kaun sa zaroori kaam? Mumbai me aapko kaun sa kaam aan pada achanak se?
Bhavna : Tumhaari muh boli maasi rehti hai idhar. Tum unse bachpan me school time me mili thi. Mein unhi se milne gayi thi. Unke ghar jaa rahi hu. Kuch baat karni hai. Mein tumhe baad me call karungi toh tum wahi aa jana. Ye card rakh lo...
Bhavna ne Tej ko card thamaaya aur wo nikal gayi.
Kam se kam iss baar usne koi jhooth nahi bola tha. Iss baat ki Tej ko khushi thi.
Ho na ho, wo kese bhi kar ke apne bhai ka pata lagaane hi wali thi.
***
Las Vegas
Night ~ 9:54 PM
Raat ke andhere me aur Las Vegas ki 24 ghante chaalu sadko par jagmagaati city lights ke beech, police ki 3 cars ek ke peeche ek nikalti jaa rahi thi.
Aur unn police cars ke theek peeche hi kuch private cars chal rahi thi.
Jinme se ek me maujood the...
Veer, Divya, Nik aur Suhana.
Kuch derr pehle hui meeting me ek boht bada sach saame jo aaya tha. Aisa sach jisse jaan kar poore crime department me sansani mach gayi thi.
Aur wo sach tha~ Daniel ka akhiri message.
Jisse Divya ne decode kar liya tha.
Message me likhi gayi wo baat ek hint thi. Hint ek bade raaz kii.
Daniel ne jo likha tha badi hi chalaaki se likha tha. Message ke Capital letters ko yadi alag se dekha jaaye toh uttar bann raha tha ~ House of Killers.
Jab Divya ne iss message ko decode kiya toh wo bhauchakii toh thi hi par uss se bhi zyaada bada jhatka usse tab laga jab usne message ko aur dhyaan se padha.
Daniel ka likha gaya secret code sirf ye bataane ke liye nahi tha. Balki wo poora message uski sthiti ko darsha raha tha.
Heinous thoughts destroys the mind.
Often the glee tuns into, Unhappiness.
Iss line ka matlab tha, bure vichaar mann ko nasht karte hai. Jiske chalte, aksar hamaari khushiya niraasha me tabdeel ho jaati hai.
Matlab? Matlab saaf tha. Daniel ke mann me uss shan koi bura vichaar aaya tha. Par kyaaa??? Wo aisa kya soch raha tha uss waqt?
Party me jaana? Iske alawa aur kya hi ho sakta tha?
Sorrow remains but shall be forgotten. Emergence of a new beginning prevails.
Iss doosri line ka matlab tha~ Dukh toh bana rahega par usse bhoolne ka prayaas karn chahiye. Tabhi, ek nayi shuruaat janm leti hai.
Teesri line ~ Opulent, rich thoughts fills the mind once more. Fend off the fiend this time.
Jiska arth tha ~ Acche khayaal mann me punah aaenge. Par iss baar mann ke mel ko haawi hone na dena.
Shayad Daniel aagah karne ki koshish kar raha tha.
Chauthi line ~ Kindle the fire in yourself. Intensify it. Lure the evil out of it. Lecherous demons shall be punished.
Jiska matlab tha ~ Apne andar ki aag ko jalaao. Bhadkao. Aur uss shaitaan ko baahar nikaalo. Bhrastacharan shaitaan ko maar feko.
Shaitaan!!! Daniel kis shaitaan ki baat kar raha tha?
Paachvi line ~ Escape if you realize you cannot handle it. Remember, there ain't a single one, if you do get caught...
Jiska arth tha ~ Yadi sambhaal nahi paa rahe ho, toh bhaag jaana. Yaad rakhna! Veh ek nahi hai. Yadi pakde gaye toh...
Aur akhiri line ~ Soul shall burn.
Jiska matlab tha ~ Maut!!!!
Yadi pakde gaye, toh seedha maut. Aur Daniel ke saath kya hua tha?
Bas isliye... Isliye Divya ghabraayi hui thi.
Nik car drive kar raha tha, par uska mann kahi aur hi bhatka hua tha. Uske bagal se Suhana front seat par baithi hui thi. Toh wahi peeche Veer ke saath Divya virajmaan thi.
Divya : Yadi mein galat nahi hu, toh yahi baat honi chahiye.
Suhana : Mujhe nahi laga tha, maamla itna serious hoga.
Unki manzil thi, roadside alleys. Wo sakri kuliyaa jidhar raat ke andhere me kaarnaame hote the.
Daniel ke message se ye pata lag chuka tha ki koi gang thi. Aisi wesi gang nahi. Boht badi gang. Aur wo ek saath apne kaamo ko anjaam de rahi thi.
Khushkismati se ye bhi pata lag gaya tha ki gang me ek shaks tha~
Jim!!!!
Unka aaj ka pehla target.
Jim the Slippery ke naam se wo pehle hi Vegas me baar baar police ke changulo se nikal jaane ke liye mashoor tha.
Jiske chalte uska ye naam pada ~ Jim the Slippery.
Par unn sabhi ne ye nahi socha tha ki Jim House of Killers se juda hua tha.
Divya : Jim!!! Jim booze, girls aur drug dealing ke liye famous hai. Tonight we must catch him.
Suhana : Kya wo aaj bhi unn alleys me drug dealing karne waala hai?
Divya : Yadi hamaare detectives ki info sahi hai. Toh haan! Aaj raat dealing unhi kisi alleys ke andhere me hoegi.
Suhana : Toh range haatho pakadne ka mauka hai hume.
Divya : Yes!!!!
Ye dono baato me lagi hui thi. Toh wahi Veer peeche ki seat par chup chaap baitha hua tha.
Wo soch me dooba hua tha. Kyuki Basic Enemy Tracker kaam nahi kiya. Aisa pehli baar hua tha.
[Master! Iska ek hi matlab ho sakta hai.]
'What?'
[Yahi ki jisse hum track karna chaahte hai wo apne kisi worker ko apna nahi maanta. Ya wo uske apne nahi hai. Yadi Jim ke lackeys uske apne hai toh hi Basic Enemy Tracker kaam karegi.]
'So that means...'
[Yes! Jim ne kisi unknown logo ko kaam ke liye rakha hai. Aise me Basic Enemy Tracker uske saathiyo ko track nahi karegi. Because they are not related to each other. This guy is definitely smart.]
'I see... In that case... Mujhe kuch aur hi approach lagaani padegi.'
Aur tabhi....
*Ding*
[Mission : Capture Jim the Slippery.
Rewards : 1) ???? Points.
2) Divya's change of view.
3) ??? Fame Points
Venue : Roadside Alleys.
Time limit : 1 hour.]
'Issi ka toh intezaar tha.'
*Screeeeeeccccchhhh*
Car ke brakes lage aur car unn alleys se kuch duri par rukk gayi.
Baari baari wo sabhi car se utre. Police bhi maujood thi. Unki safety ke liye. Kyuki yaha kuch bhi ho sakta tha.
Nik : We will start from here. The network of alleys expands as we go deeper. Take your connection devices. If you see anything suspicious, send out your location. Keep checking your mobile phones for other's locations as well.
Nik ne unhe suchit karte hue kaha. Usne sabhi ko devices pakdaaye hue the. Kaan me unhe laga ke wo ek dusre se sampark kar sakte the. Aur mobile me hi GPS active tha. Jiske zariye unn sabhi ko ek dusre ki locations nazar aa rahi thi.
Nik : You two ladies!!! Are you coming with me?
Divya (smiles) : No!!! I'll be with Suhana.
Nik : Alright! Be careful. I'll go first.
Kehte hue wo andar unn kuliyo ke raasto me chala gaya.
Toh wahi Suhana aur Divya bhi Veer ko akhiri baar ishaara kar waha se andar ki orr chali gayi. Aur Veer akela bacha tha toh woh bhi ek raasta pakad andar chal diya.
Sakri alleys me andhera hi andhera tha. Kahi dust bins pade hue the toh kahi jungli billiyaa idhar se udhar raasta kaat rahi thi.
'Pari!!!'
[Mein samajh gayi Master.]
*Ding*
[Path Tracker has been activated.]
Aaj ki raat patrolling ki raat thi. Veer samet wo sabhi drug dealers ko pakadne nikle the. Par niraasha waali baat ye thi, ki abhi tak kuch bhi unke haath nahi laga tha.
Kuch chand minute hi bache the Patrol khatam hone ke liye. Raat ke andhere me alleys me khamoshi bikhri hui thi. Aur harr ek alag alag alleys me Veer, Suhana - Divya aur anya team members bikhar kar chhaan been me lage hue the.
Veer idhar ek alley me tehel raha tha. Aankhein uski kuch zyaada hi laal thi, uske senses kayi guna badh chuke the. Beowulf's Blessings ON tha.
Ek mod se jese hi wo muda, achanak hui harqat se woh chaukanna ho gaya jab ekdum se ek figure andhere me se uski taraf aake ruka. Aur usse dekhte hi Veer thoda chakit reh gaya,
Veer : Aap??
Saamne Divya khadi hui thi.
Divya ko dekhte hi, Pari ne forun hi card ko OFF kar diya. Veer ki aankhein waapas se normal ho gayi.
*Ding*
[Beowulf's Blessings has been turned OFF.]
Yadi Divya uski aisi aankhein dekh leti, toh zaroor Veer sawaalo ke ghero me pad jaata.
Divya : Ohhh!! Tum ho. I thought mujhe koi clue mil gaya.
Veer : Miss Suhana kaha hai?
Divya : Well! Wo chalte chalte thak gayi thi toh mene usse car ke paas tak chorr diya hai aur mein khud hi investigate kar rahi hu.
Veer : I see!!
Divya : Par tum usse 'Miss' kehke bulaate ho, ye waqai ajeeb baat hai. Haha~
Veer : Isme ajeeb kya hai?
Divya : Nothing! Aaj kal naujavaan hot-headed hote hai. Ya toh naam se hi bulaate hai, ya didi kehkar!? ya fir kuch aur? Par tum kuch zyaada hi respectful waale bande ho.
Veer ne badle me koi jawaab na diya. Jesa ki Suhana ne kaha tha, Stay away from her. Veer wahi kar raha tha.
Divya : Hmm~ That's strange!
Veer : What?
Divya : Yahi ki ek khubsoorat lady akeli hai tumhaare saamne and you are not attacking. Ab tak toh tumhe mere upar haath saaf kar lene chaahiye the right?
[What the hell??? Isne samajh ke kya rakha hai apne aap ko? Maaasteeerr!! I want to slap her so bad!!! Fucking bitchhhh!!!]
Veer shaant tha. Jab Veer ki taraf se Divya ko koi response na mila toh woh chalte chalte hi beech me rukk gayi aur peeche mud ke Veer ki orr dekhi, jidhar Veer sarr jhukaaye hue khada tha. Uske chehre par kya expressions the woh dekh nahi paa rahi thi. Aur fir...
Veer : Detective!!!!
Divya : Huh????
Veer : Don't try to be oversmart!!!
Divya : Wh-What!?
Veer : My eyes can see all your tricks. Airport par mujhe jaan bujh ke Vegas ki dirty nightlife ke baare me bataana. Wo bhi Miss Suhana ke saamne, just to observe her reaction. Samay samay par unke saamne mujhe flirty looks dena. Even in front of your own husband. Baat baat par bahaane se mujhe touch karna. You think I'm stupid? I was observing all your tricks. Yadi mere baare me jaan'ne ka itna hi shauk hai toh seedhe muh se puch lo. Ye bachkaani harqate karne ki zaroorat nahi. Also, you should stay away from me. If you'll come too close to me, then...
Kehte hue wo Divya ke nazdeek aaya aur iss baar uske kaan ki orr jhukte aur bola,
Veer : You might get BURN!!!
Aur pal bhar ke liye, Divya ke badan me ek zordaar sihran daud gayi. Uska dil jese usse ahaat kiya... Ki uske saamne khada ye insaan, woh nahi tha jo baahar se dikh raha tha. Aur iss se ulajhna theek nahi tha.
Divya : T-Tummm....!!!
Veer toh itna bol Divya ko ignore kar aage nikal gaya. Usse zara bhi pasand nahi tha jab koi oversmart bann ke usse taunt maare. Aur usne ek namoona de hi diya tha abhi Divya ko. Yadi ab bhi woh silent nahi hui, toh Veer ke paas aur bhi tareeqe the.
Wahi peeche khadi Divya ki pride par jese keechad uchhla tha aaj. Veer koi pehla banda nahi tha jiske saath woh flirt kar rahi thi. There were countless men she had conversed with. Aur aaj tak kabhi kisi ne iss tarah uska palat ke jawaab nahi diya tha. Fir ye Veer kaun hota tha uske saath iss tarah behave karne waala?
Par jese gusse ke saath hi saath uski curiousity uske gusse par haawi ho gayi.
'I see!! Interesting!! Very interesting!! Tumhaare saath waqai mazaa aane waala hai iss investigation me... Veer!!!'
Antatah, wo bhi Veer ke peech peeche chal padi.
Aur abhi wo kuch kadam hi aage badhi thi jab...
*Rustle* *Rustle*
'Huh!?'
Unhe kuch awaazein sunaayi padi. Divya agle hi pal apne detective mode me waapas se aayi aur Veer ka haath thaam usse lekar dheere dheere aage badhne lagi.
"Take these away. C'mon Quick! Quick!!!"
Ek awaaz unhe sunaayi dii. Ye awaaz ek mod se aayi thi.
Unn dono ne deewaar se satt ke mod me jab jhaank ke dekha. Toh jiski unhe talaash thi, wo unke saamne tha.
Badi badi gaadiyo me drugs thailiyo me bhare jaa rahe the. Aur unko manage karne waala banda... Wahi baitha hua tha ~ Jim!!!
Divya ke haath ye dekhte hi apni kamar par gaye aur usne apni handgun unholster kii.
Usne baakiyo ko message bhi bhej diya aur apni location bhi.
Aur fir...
"Hands up!!!! You guys have been surrounded."
Wo ekdum se aage badh unpe aim laga ke khadi ho gayi.
Waha khade log ekdum se iss halchal se ghabra gaye par jab dekha ki unke saamne ek amla naari akeli khadi hui thi. Toh sab relaxed ho gaye.
Jim : Huh? A beautiful lady? What are you doing here Miss???
Kehte hue usne apni jeebh se nichla honth geela kiya. Jese wo Divya ko upar se neeche dekh parakh raha tha.
Jim (mann me) : She'll fetch a good price. I must capture her here.
Jim : Take her!!!
Aur uske ek ishaare par waha maujood kuch aadmi aage badhne lage. Toh wahi kuch apni gun nikaal uski orr taan ke khade ho gaye.
"Run!!!!"
Veer ne mauka dekh Divya ko thaama aur usse kheech ke lekar bhaagne laga.
Jim : Catch them!!! Quick!!!
Aur unke peeche baaki aadmi bhaag ke aane lage.
Veer (daudate hue) : What were you doing???
Divya : Whaaaattttt??? Unhe pakad rahi thi. Tumne waha se mujhe bhagaaya kyu? I had the gun.
Veer : Guns unke paas bhi thi. We got outnumbered.
Divya : Damnnn ittt!!!!! But still...
Alleys se Divya aur Veer familiar nahi the. Jiska nateeja? Wo aadmi log ghoom ke unke saamne ke raaste se aa gaye aur unhe gher liye.
Veer : Stay behind me. Time to fight!!!!
Divya : Huh!!??
Aur bas... Ab koi chaara nahi tha.
*Ding*
[Beowulf's Blessings has been turned ON.]
*Whoooooooooosssshhhhhh*
Divya : Wh-Whaaattttt???
Veer apni jagah se itni tezzi me move kiya ki waha khade log ye dekh wahi jamm ke reh gaye.
*Bang* *Bang* *Bang*
Veer ko jaha jaha move hota hua unhone dekha unn sabhi ne fire kar diya...
Par bullets toh Veer ki afterimages se jaa guzri. He was too fast.
Divya ek support liye khud ko defend kar peeche se phati aankho se sab kuch dekh rahi thi. Aur usse ab samajh aa chuka tha ki iss bande ne Aatish aur Slogan ko kese maara tha.
'This... This guy...!!!!'
Uska muh khula ka khula reh gaya.
*Thud* *Bang*
Ek ke baad ek aadmi waha dherr hota jaa raha tha aur bechaari Divya saamne ghatit ho rahe scene ko stabdh nigaaho se dekh rahi thi.
Jab almost sabhi pitne ke baad neeche girne waale the tab hi peeche se...
"You bitch!!!!!"
Jim ne Divya ko thaam liya.
"Urrrgghhh!!!!!"
Unn dono ke beech hathapaayi me Jim ne jaha knife se Divya ka haath chotil kiya toh wahi Divya ne apni taang se Jim ke antolo ko nasht kar diya.
"Aaaaaaaaaaaaaarrrrrrghhh!!!"
Dekhte hi dekhte Jim ki toli par Veer aur Divya bhaari pad chuke the.
Jim apni gun nikaal Divya ko udaane hi waala tha jab ek lohe ki rod tezz raftaar me hawa me udti hui uski orr aayi aur uske kandhe par zorr se lagi,
Haatho se gun choothi, wo zameen par gira aur Divya uss par toot padi.
Maar maar ke jab tak wo sabhi adhmari haalat me na aa gaye, tab tak Veer aur Divya ruke nahi.
Aur uske baad hi waha sab kuch shaant hua. Veer ka hona Jim ke poore plan par paani ferr chuka tha. Aisa kuch bhi hone ki unhe umeed nahi thi.
Itni asaani se wo police ke haatho me phass jaega? Keval aur keval iss ek naye ladke ke kaaran.
Veer ne aage aa kar komalta se apna haath aage badhaaya, uske haath ko thaam ke Divya ahista se khadi hui. Chaahe kitna bhi kyu na bhaag le woh, jab young men ke attractions ki baat aati thi toh woh aksar unse flirt karne lag jaati thi. Uski personality hi aisi thi. Aur Veer bhi uske liye unme se ek tha. Par Veer ke dil ki parat ko Divya apne charm se tod ke andar pravesh nahi kar paa rahi thi. Aur yahi challenge usse gussa bhi dila raha tha par saath hi saath usse excite bhi kar raha tha.
Wo kehte hai na, shikaar jitna mushqil ho, usse pakadne me utna hi mazaa aata hai. Divya ko bhi abhi Veer ko pakadne ke challenge me aisa hi mehsoos ho raha tha.
Veer ne idhar apne jeb se emergency ke liye rakhi hui ek bandage nikaali aur Divya ke haath par badi hi savdhaani se woh usse baandhne laga. Khoon fauran hi bandage par absorb hona shuru ho gaya. Par iss waqt, na hi khoon aur na hi bandage thi jo Divya ka dhyaan kheeche hue thi. Divya ki pulse nirantar badhti jaa rahi thi, jese jese Veer ki ungliyo ki chhuvan uske haath par pad rahi thi. Kayi ladke dekhe the usne par Veer jesa aaj tak koi na dekha. Kuch alag hi baat thi usme.
Wo saumya sparsh hi kaafi tha Divya ke dil ki dhadkano ko tezz karne ke liye. Jab Veer ne bandage baandh dii toh usne apna sarr upar kar Divya ko dekha jo usse hi chup chaap nihaar rahi thi.
Veer : Filhaal ye khoon ko thoda rok ke rakhegi. You will get stitches. Mein team ko call kar raha hu. You cannot continue now.
Divya : Thank you~
Divya ne iss baar apne dil se kaha. Aur uski aankho me jhaakti rahi jab tak Veer khud uski aankho me dekh raha tha. Veer ne abhi bhi uska haath thaama hua tha, jiske baare me soch Divya ke hontho par apne aap ek muskaan sajj gayi. Aur beparvaahi se, bina kuch soche samjhe hi, Divya ne apna angutha Veer ke haath par komalta se mal diya.
Attraction waqai boht hi shaktishaali hathiyaaro me se ek tha. Divya ye baat kese bhool sakti thi!?
'Ohhh noooooo~ Ye mene kya kiya? Shikaari mein hu. Woh nahi. How can I lose myself in his charm?'
Jab usse apni harqat ki bhanak lagi toh woh apna sarr na me hilaate hue khud ki tezz saaso ko thaamne ki koshish karne lagi. Veer ne turant hi team ko call kar apni nayi location bhej dii aur beshaq, kuch derr baad hi...
"Divvvyyyaaaaaaa!!!!"
Achanak aayi Suhana ki awaaz ne unn dono ko sachet kar diya. Dono hi ek dusre se thoda dur khade ho gaye. Dekha toh paaya ki Suhana ke sang Nik aur do aur team members bhi aa rahe the. Saath hi peeche hi car bhi maujood thi.
Nik (paas aate hue) : What the hell happened here?
Sabhi ki nazre Divya ke bandaged haath ki taraf gayi toh Divya ne apna sarr jhuka liya. Na jaane kya soch rahi thi.
Divya : We found all the guys. I got injured by Jim. But thanks to Veer. Not only he handled them well, he also protected me. He provided me with the first aid. I'm in a much better state compared to how I would have ended up without him.
Nik : You are fine? What the hell you are talking about? Look at your hand. Quick! We need Medical help.
Aur wo Divya ko thaam ke le jaane laga. Par jaane se pehle usne ek baar peeche mud Veer ko zaroor dekha aur bola,
"Thanks!!"
Aur woh usse lekar aage badh gaya. Divya ne bhi ek jhalak peeche mud ke dono hi Suhana aur Veer ko dekha. Veer ko khaas kar aur fir woh car ke andar baith gayi. Aur idhar,
Suhana : Thanks~
Veer : Hmm??
Suhana : Thanks for saving her. You know, Woh jesi bhi hai. Meri boht hi khaas dost hai. Sabse khaas. She has supported me in my darkest times. Toh uska tumhaari taraf rude behaviour hone ke baad bhi tumne uski help kii. Really!! Thanks!!
Veer : Alright!!
Suhana : And...
Veer : !!???
Suhana : Are you okay?
Puchte hue woh Veer ki taraf aage badhi aur uske badan ko bareeki se dekhne lagi ki kahi Veer toh chotil nahi hua.
Veer : I'm fine!!!
Veer ke kehne par Suhana ki nazar fir peeche alley me gayi jidhar kayi saare aadmi pade hue the. Aur unhe uss haalat me dekhte hi uske badan me ek kampan fel gaya. Aur woh ek soch me pad gayi.
'Just how much strength is needed to handle all those guys alone?? Veer... Tum... Kitne sach chhipaoge mujhse?'
Veer : We should move as well.
Suhana : Ahh!! Right~
Aur kuch issi prakaar se, 'Jim the Slippery' unke haath laga. First Criminal was captured. Issi ke saath, mission bhi clear ho chuka tha.
*Ding*
[Mission : 'Capture ~ Jim the Slippery' has been completed.]
*Ding*
[You have been rewarded 3000 Points.]
[Divya now has a fixed favourability of 50. Her thinking has been changed towards you. No matter what actions you take, Divya's favourability won't drop below 50.]
[You have established a name of yourself by catching the criminal splendidly. You have been rewarded 200 Fame Points]
'One target down!!! Na jaane kitne baaki hai abhi.'
[It's going to be really tough Master! Really tough!!!]
Pari ki baat se sehmat hoke, Veer chal diya Suhana ke sang car ki orr.
Pehla criminal toh asaani se pakad aa gaya. Par kya baaki bhi itni asaani se pakad me aane waale the? Ye toh waqt hi bataane waala tha.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Ye update almost 6k words ka hai. Ek prakaar se Mega update hai ye. Toh likes thokne ka aur apne revos rakhne ka.
Dhanyavaad!
Membership lene wale hi apne post ko waha stick kar skte hai. Wo bhi unke membership ke according. Uske bhi kuch rules hai.Aur haa, mistakes batana to bhul hi gayi main... Grammatical errors mile h bas...
I couldn't find anything other than those.
Also ye sticky threads kese h??? I mean jo main soch rahi hu vahi h na? Sticky hote h ye?? Front page se remove ni hote... Right?? To sticky threads me stories kese aati h? Iska procedure kya h??? Randomly hota h kya?
I was just curious... Aapki story kyu ni h sticky thread pe??? Mujhe iss topic pe samjhana aap... Werewolf Sir.
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाईUpdate - 98 ~ The NightwalkerAb tak...
[You have established a name of yourself by catching the criminal splendidly. You have been rewarded 200 Fame Points]
'One target down!!! Na jaane kitne baaki hai abhi.'
[It's going to be really tough Master! Really tough!!!]
Pari ki baat se sehmat hoke, Veer chal diya Suhana ke sang car ki orr.
Pehla criminal toh asaani se pakad aa gaya. Par kya baaki bhi itni asaani se pakad me aane waale the? Ye toh waqt hi bataane waala tha.
Ab aage...
Duniya me harr tarah ki ghatnaaye ghatit ho rahi hoti hai. Chaahe khushi ke pal ho, ya naraazgi, kisi se gussa, toh kisi se maar peet. Kahi fame hai toh kahi crime. Kahi controversies toh kahi bhrashtachar.
Aur aise hi Vegas me kal raat ek crime karne waale criminal ko pakda gaya tha. Iss ghatna ko anjaam diya gaya tha.
Aur Iss Operation ka hero kaun tha? Beshaq, Veer!
Par kya khatra tal chuka tha? Hargiz nahi! Jim toh keval shatranj ke khel me ek pyaada tha. Woh pyaada, jo khel me sabse pehle maara jaata tha.
Unn pyaado ke peeche ek se ek dhurindhar baithe hue the. Aise log jinka naam sunn log kaanp uthate.
Ye baat Divya bhali bhaati jaanti thi. Usse ye abhaas ho gaya tha ki boht hi badi koi planning kar raha hai. Par sawaal ye tha usse itna sab kese pata chala?
Kya Divya kuch aur bhi baat chhupa rahi thi? Veer ne ye bhaanp liya tha. Divya kuch na kuch toh zaroor chhipa rahi thi. Par kya? Ye jaan'na baaki tha.
Tab tak Mumbai me kya ho raha tha ye bhi jaan'na zaroori tha.
Idhar Ragini subah ka naashta Suman aur Shweta ke sang banaane ke baad chup chaap apne ghar ki terrace par khadi hui thi.
Bechaari ka mann hi nahi lag raha tha kahi. Kese lagega? Veer ke jaane se pehle hi Ragini ne jee bhar ke usse chooma tha. Aur wo ehsaas usse paagal kar chuka tha.
Ab toh ek pal bhi uske bina jeena mushqil ho raha tha.
'Hey Bhagwaan!! Mene uske jaane se pehle hi kyu kiya wo sab? Ab toh mujhse raha bhi nahi jaa raha. Baar baar wahi yaad aa raha hai. Akhir roz roz kitni video call karu usse?'
Wo apne aap se baatein kar ek chinta me doob gayi. Roz roz video calls par wo Veer se kam se kam ek ghante to baat kar hi leti thi.
Veer ki yaad Ragini ko itni zyaada sataaegi usse iss baat ka bilkul andaaza nahi tha. Pichli baar jab Veer Egypt gaya tha ya Rajasthan. Tab Ragini ko itni yaad nahi aayi thi. Shayad isse hi dil-lagi kehte the!?
Wo yaha niraasha me khadi hui thi ki uske peeche se tabhi Suman baalti bhar kapde leke aayi aur upar taar me geele kapde felaane lagi.
Aahat paate hue Ragini ne mud ke Suman ko dekha aur firse muh ferr ke wo udaasi me doob gayi. Parantu Suman nahi. Uske chehre par ek kutil muskaan saji hui thi. Wo kapde zaroor fela rahi thi, par uski nazre Ragini ki peeth par hi gadi hui thi.
"Veer jii ko yaad kar rahi ho?"
Ragini ke kaano me Suman ki awaaz peeche se padi. Pal bhar ke liye wo hichkichaayi. Lekin jab usse dhyaan aaya ki Suman toh uski apni hi thi. Ghar ke sadasyo me se ek thi woh. Toh usne dheere se sarr haa me hila diya.
Suman (smiles) : Mein jaanti thi yahi baat hogi.
Ragini : Uski aadat jo ho gayi hai. Uski baatein sunn sunn ke din kese guzar jaata tha pata hi nahi chalta tha. College ke liye jab wo jaata tha toh saara samaan mein ready kar ke deti thi usse. Par uske jaane se din jese katt hi nahi rahe ab...
Suman : Hmm! Ye baat toh hai. Par chinta mat kariye. Veer jii jald hi laut aaenge.
Ragini : Haan! Par kya karu? Mann hai ki maanta nahi. Kherr! Aap bhi araam kar lo. Subah subah machine me itne kapde dhoye hai aaj aapne.
Kehte hue woh neeche jaane lagi, toh Suman ne dheemi sii awaaz me kaha,
"Keval aap hi nahi ho jiski raato ki neend haraam hui hai. Ghar me mere aur aapke alaawa bhi aur koi hai jo mujhse aur aap se bhi zyaada bechain hai... Fufufu~" wo khil-khilaayi.
Suman ki khuspusaahat sunn Ragini palti,
Ragini : Kuch kaha kya aapne?
Suman (smiles) : Hmm? Nahi! Kuch bhi toh nahi.
Ragini : Ohh! Shayad mere hi kaan baj rahe hai...
Kehte hue wo neeche chali gayi. Aur Suman idhar muskuraate hue kapde jhatkaar kar dubaara unhe felaane lagi.
Uske labo se muskaan gayab hone ka naam hi nahi le rahi thi. Na jaane kya soch rahi thi woh.
***
Wahi idhar Nidhi ke ghar me subah subah Juhi bawaal machaaye hue thi.
Shreya toh job ke liye nikal gayi thi. Par aaj dono Maa beti ne chhutti lii hui thi. Juhi ghar me bechaari Nidhi ko hila ke rakhi hui thi. Aur zidd pe zidd kar rahi thi,
Juhi : Maamu se baat karao pehle... Ni toh mein breakfast nahi khaungi...
Nidhi : Juhiiii~ Gandi baatein nahi karte. Bad manners hai na ye!? Mamma ne samjhaaya hai na aapko. Breakfast ke time zidd nahi karte... Chup chaap breakfast karo apna.
Juhi : Niiiiiiiiii~ Pehle maamu se baat karao!!!
Nidhi : Tumhaare maamu yaha nahi hai. Wo baahar gaye hai.
Juhi : Phone pe baat karao pehle... Ni khaungi mein warna...
Nidhi : Tum bhi na!!!! Hey Bhagwan! Kya karu iss ladki ka!? J-Juhi... Beta... Maamu busy honge... Unhe call karna sahi nahi.
Juhi : Maamu Juhi ke liye busy nahi hote kabhi... Pehle baat karao... Ni to mein ni khaungi... Maamu se mujhe chocolate mangaani hai...
Nidhi : Kal hi toh itni badi chocolate khaayi thi na? Ab aur nahi!!! Roz hi khaati ho tum. Daanto me cavity ho jaegi toh sab chidhaenge tumhe fir school me. Bolenge dekho Juhi ke toh daant kharaab ho gaye. Hassenge sab.... Fir mat aana mamma ke paas rote hue.
Juhi : Haan???
Nidhi : Haan!!!!
Juhi : Toh mein Nana jii ki tarah naye daant lagwa lungi. Jese unke daant nikal jaate hai na? Mere bhi doctor uncle nikaal ke new new daant laga denge.
Nidhi : Ugghhh!!!!! Ye ladki... J-Juhi!!! Tumhaare Nana jii ki batteesi nakli hai.
Juhi : Maamu se baat karaoooo!!!!
Nidhi (sighs) : Ye ladki aise nahi maanegi.
Ab toh phone lagaana hi tha. Aur kya hi kar sakti thi Nidhi? Usne phone laga ke seedha Juhi ko hi pakda diya. Kisi kaaran vash wo Veer se baat karne me hichkicha rahi thi.
Par ye pehle ki tarah naraazgi nahi thi. Kuch aur hi baat thi. Kuch alag sii baat...
Nidhi : Z-Zyaada lambi baat mat karna Juhi.
Juhi : Helllooooo???? Maaaaamuuuuuu~
Veer : Juhiii??? Kesi ho??
Juhi : Acchi hu...!!!!
Veer : School nahi gayi aaj?
Juhi : Aaj mamma aur mein dono nahi gaye. Hehehehe ~ Aaj chhutti...
Veer : Ohh!! Accha?? Aur tumhari mummy kidhar hai?
Nidhi ne phone jaan boojh ke loudspeaker par kar ke diya tha Juhi ko. Toh usse saari baatein sunaayi de rahi thi.
Juhi : Mamma yahi khadi hai.
Veer : Kya kar rahi hai? Bas khadi hi hai kya?
Juhi : Mamma mujhe daant rahi thi. Maamu mamma keh rahi hai ki chocolate khaane se daant kharaab ho jaate hai... Maamu... Aap chocolate laoge na mere liye?
Veer : Hahahahaha ~ Roz roz khaane se toh sach me daant kharab ho jaate hai. Hmm! Mein zaroor launga tumhaare liye chocolate.
Juhi : Badi waalii...
Nidhi : Juhi nahiiii!!! Badi chocolate nahi!!!
Veer : Hahaha~ Theek hai baba badi waali le ke aaunga. Aur tumhari mummy kyu bhadak rahi hai?
Juhi : Mamma roz aisa karti hai. Mamma maamu ko miss kar rahi thi... Aur keh rahi thi...
Nidhi : J-Juuuuuhhhhhiiiiiiiiii...
Iss se pehle ki nanhi Juhi aur raaz khol paati Nidhi ne forun hi uske haatho se phone chhina liya.
Nidhi : H-Hello!!??
Juhi ka apna kaam toh nikal hi gaya tha. Chocolate badi waali aane waali thi. Maamu se baat bhi ho gayi thi. Baccho ka mann wese hi chanchal hota hai. Ek jagah zyaada derr unka mann tikta kaha hai. Apna kaam nikalwaane ke baad wo TV chaalu kar apna favourite program dekhne me lag gayi. Aur sofe par ucchal naachne lagi.
Idhar uski Maa bechaari phone pakde awkwardly wahi khadi hui thi.
Veer : Hello... Ma'am!!
Nidhi : Mmm~
Veer : Kaisi hai aap?
Nidhi : M-Mein theek hu.
Bechaari Nidhi ki awaaz itni dheemi thi ki Veer ko dhang se sunaayi hi nahi dii pal bhar ke liye.
Veer : Aur Shreya jii kesi hai?
Nidhi : W-Wo bhi acchi hai. Office ke liye nikal gayi.
Veer : Accha!!!
Nidhi : T-Tum...
Veer : ???
Nidhi : Tum... Kab tak lautoge?
Veer (smiles) : Are you missing me?
Nidhi (blushes) : Wh-Who would??? Mein... Mein toh Juhi ke liye puch rahi thi. Wese bhi... Tum kaun sa college aate ho? Inn sab ke liye tumne kabhi dhyaan hi nahi diya. S-So who will miss you? I-I don't... Bas! Apni studies pe dhyaan do... Aur...
Veer : Hahahahahahahaha~
Nidhi : Wh-Whaatt? Hass kyu rahe ho?
Veer : Hass isliye raha hu ki itna safed jhooth jab aap bolti ho toh usse pakadne ki zaroorat hi nahi padti. Alag hi pata lag jaata hai. Aur... Yahi baatein aapko cute banaati hai.
Veer ki baat sunn Nidhi ke gaal surkh laal ho chale. Wo jawaab me kuch na boli.
Bas khamosh reh gayi.
Veer : Mujhe aane me abhi thoda samay lag sakta hai.
Nidhi : I-I see!!
Veer : Ek urgent call aa raha hai. Mein aapse baad me baat karta hu.
Nidhi : O-Okay!!
Aur Veer ne phone kaat diya.
Nidhi : B-Bye...!!!
Bechaara Veer Nidhi ka bye sunn hi nahi paaya. Ek lambi aah bharte hue Nidhi ne phone rakha. Juhi ko ek nazar dekha jo apna kaam nikalwa ke ekdum mazze me uchhal kood rahi thi. Kya hi Zindagi thi uski.
Aise pyaar lutaane waale maamu mile the usse. Shan bhar ke liye Nidhi ko jalan sii mehsoos hui. Par fir wo Juhi ke liye khush bhi ho gayi.
Gaal abhi bhi laal the uske. Mann ke vichaaro se baahar aane ke liye wk kitchen me bhaag gayi.
***
Veer waha Vegas me tha par uske khilaaf bil me ghuse saanp yaha haath par haath dhare nahi baithe the.
Chaahe Niharika ho, chaahe Pranjal ya chaahe Rajat. Teeno hi apni saazish ko anjaam dene ke liye sahi mauke ka intezaar kar rahe the.
"Yessssss~ Suck my clit bitchesss!!!!"
Harr baar ki tarah, Niharika washroom me thi. Neeche se poori nangi. Uska ek perr toilet seat par tha aur dusra neeche farsh par. Aur uski do slaves, uski chut chaatne me lagi hui thi.
Unn dono ke baalo ko kheech kar wo unka muh apni chut me daba rahi thi.
"Suck it!!!! Zorr se chaato kutiyo!!!! Zorr se!!! Aahhhhnnnn!!!! Mmmm~ Aise hi... Daana chabao... Haan!!! Yessssss~ Chusoooo chusoooo... Aur chusoooo mmmmm~"
Apni kamar matkaate hue wo apni geeli chut ko unke chehre par ragad rahi thi. Unki jeebh ko apne chut ke chhed me ghusa ke woh kamar hilaate jaa rahi thi.
Kahi ek ladki ke muh me apni chut deti toh kahi dusri ke , toh kahi dono ko hi saath me chaatne kehti woh.
Par mann me uske kuch aur bhi chal raha tha. Jab se Veer ne uske dono chhedo ko choda tha. Tab se hi usse masturbation se wo santushti nahi mil paa rahi thi. Yaha tak ki lesbian sex me bhi usse wo maza nahi aa raha tha.
Aur iss baat se Niharika ko apne aap par itna gussa aa raha tha ki usse kuch samajh nahi aa raha tha ki kya kare. Woh ek aurat... Kese ek mard ke neeche aa sakti thi???? Par uska jism toh kuch aur hi maang raha tha.
Kheejte hue wo pareshaan ho chuki thi. Jab jab wo chut me ungli karti, ya apni slaves se apni chut chatwaati, Veer apna lund uske chhedo me daalte hue... uski woh chhavi uske mann me aa jaati. Aur nateeja?
Uski aankhein khul jaati, aur saari banaayi gayi uttejna gusse ke chalte kahi gaayab ho jaati.
"Fuuuuckkkk thisss....!!!! Urrrgghhhh!!!"
Aaj bhi wahi hua. Jab wo apne climax par lagbhag pohuch hi gayi thi. Tabhi, usse wo drishya yaad aa gaya, jab Veer uski chut me apna lund pel raha tha aur uska apna pati darwaaze ke theek baahar maujood uss se baat kar raha tha.
"Aaarggghhhhh!!!! I hate him soooo muchhh!!!!"
Yaad karte hi uski aankhein khul gayi gusse me par...
*Drip*
"H-Huhhhhh!!??? Ahhnnnnnnnnn ssssss~"
*Sqquiiiiiirtttttt*
*Sqquiiiiiirtttttt*
Uski chut kisi fuwwaare ki tarah khuli aur dherr saara paani bahaate hue unn do ladkiyo ke chehro ko bhigo diya.
"Wh-Whhaaaaattttt? Ahhnnnnnnnnn!!! This... This....!???"
Niharika ko vishvaas hi nahi ho raha tha. Wo jhar gayi??? Jese hi usse pata laga ki wo kya soch ke jhari... Uska badan kaanp utha.
"N-Nooo!!! It can't be!!!"
Wo jhari thi... Veer ko yaad karke. Uski chudaayi yaad karke. Bhale hi wo apne mann se kitna hi kyu na hate kare Veer se. Par ek aurat ka jism kabhi nahi jhooth bolega. Wahi hua...
Apne pati se chhup ke anjaan jawaan ladke se tabadtod chudaayi karwaana. Ye vichaar hi uske jism me ek aag laga diya tha. Kitna hi kyu na chidh le wo Veer se. Par chut ye nahi dekhti thi ki lund kiska hai.
Lund yadi mazboot ho, toh chut uske aage haar hi jaati hai. Niharika bhi haar chuki thi. Aur uski chut bhi.
"Nahiiiiii!!! Aisa hargiz nahi ho sakta.... Uss kameene ke saamne mein jhuk jau? H-Hargiz nahi!!!"
Aur fir usse wo drishya yaad aaya. Jab Veer ke mazboot haath uske baalo ko jakde hue the. Aur kese wo car ke andar usse pakad ke jhukaaya hua tha. Kese wo uske vishaal lund ko muh me bhar ke choos rahi thi. Kese Veer ki dusri slave Suman saare nazaare ko mazze se dekh rahi thi.
*Splllluuuurrrrtttttt*
*Drip* *Drip*
"Aaaaaahhhhhhhhhhnnnnnnnnn~"
Aur ek baar fir, uski chut ne apna pani chorr diya.
Niharika apni chut ko aankhein faade aur muh khole hairat me dekhne lagi. Aisa kese ho sakta tha bhala? Wo ek dominator thi. Submissive female nahi. Fir aisa kese ho sakta tha?
Kese uski chut itna pani bahaa rahi thi???
"I FUCKING HATE THISSS SO MUCCCH!!"
Usne zorr se chillaate hue apne haatho me lii hui apni panty dur fek dii.
"Dur hato kutiyo!!!!! GET FUCKING LOST!!!!"
Wo gurraayi!!! Aur apni dono hi slaves ko baahar bhaagne bol dii.
Uski dono slaves, jinme se ek Ayushi thi. Shreya ki colleague toh wahi dusri ka naam tha Ishani. Dono majboori ke chalte Niharika ki daasi bani hui thi.
Par dono iss baat se anjaan thi, ki unki ye maalkin khud kisi mard ki daasi banti jaa rahi thi.
Niharika haafte hue toilet seat par baith gayi. Chut ka haal behaal tha. Paani chorr chorr ke wo poori geeli ho chuki thi. Aur lund lene ke liye tadap rahi thi.
"Uggghhhhh!!!!" Usne zorr zorr se ungli kari aur kuch hi shan bhar me punah ek baar....
*Splurrrrtttttttt*
*Sqquiiiiiirtttttt*
Wo fir jharr gayi.
"I... *huff* I must do something! *huff* Mujhe uske... Mujhe uske paas se wo video haasil karni hi hogi. Yesssss!!! *huff* Veer! Khud ko boht smart samajhte ho??? *huff* Mene already tumhaare phone me keylogger install kar rakha hai. *huff* Hahahaha~"
Sochte hue ek khatarnak muskaan uske chehre par sajj gayi.
"Jald hi... *huff* Jald hi tum mere perro ki neeche hoge...!!"
***
Vegas
Evening ~ 7:14 PM
Subah Veer ki baat jab Nidhi se ho rahi thi. Tab usse ek urgent call aa gaya tha beech me. Jo kisi aur ka nahi, Karan ka tha.
Ek khushkhabri thi.
Veer ne apna paisa jis Vatsala Steel Industries ke shares par lagaaya tha. Uske daam badh chuke the.
Karan ko toh vishvaas hi nahi ho raha tha. Jo company itne loss me chal rahi thi woh akhir achanak se upar kese uth sakti thi? Aur yadi uthi bhi toh Veer ko pehle se itna bharosa kese tha company pe? Usse kese pata chala?
Iska raaz toh Veer hi jaanta tha. Stock Master!!! Ekmaatr skill jo uske business me uski madad ke liye thi.
Veer ne baithe baithe hi laakho rupaaye ka profit kar liya tha. Aur ye lakh jald hi crore me tabdeel hone waale the.
Aaj ki unki toli waapas se investigation department ki orr jaa rahi thi.
Sab pehle ki hi tarah baithe hue the. Driver seat par Nik, uske bagal se Suhana. Aur peeche Divya sang Veer.
Kal ki hui vardaat ke bawajood, Divya apne haatho par patti baandh ke kaam kar rahi thi.
Baat hi kuch aisi thi. Police ne jab Jim ki acchi tarah khaatirdaari kari toh kayi ghanto ke baad jaake Jim ne apna muh khola.
Aur usne kuch details dii thi. Next criminal ki...
Jese hi wo jankaari crime investigation waalo ko pata chali, woh jaan ke unki rooh kaanp gayi.
Divya aur Nik bhi unme se ek the. Din ka daura toh unka chhaan been karne me hi guzar gaya tha. Woh Daniel ki post mortem reports bhi check karne gaye the. Toh wahi crime scene ke aas paas bhi jitna ho sakta tha utna pata lagaya. Par haath kuch na aaya.
Aur Jim ki dii gayi jaankaari ke chalte, uski pushti karne ke liye investigation department ne Connor ko bheja tha.
Woh bhi ek detective tha. Ek senior detective.
Anubhav me koi kami nahi thi uske paas. Sahi nirnay, sahi samay pe lena bakhubi aata tha usse.
Beshaq, wo maut ke kuye me tha ek prakaar se. Par ye hi toh uska kaam tha.
Lekin, jis baat ka darr tha wahi hua. Divya aur Nik ko urgent call aaya achanak8 department se ki woh jaha kahi bhi hai, jald se jald department pohuche.
Isliye, sabhi firse uss orr jaa rahe the.
Peeche ki seat par Divya aaj Veer ko alag nazro se dekh rahi thi. Kal Veer ne points badhaaye the. Appearance ke bhi. Zaahir tha uski twacha aur khili khili nazar aa rahi thi. Divya isliye aaj usse badi hi jigyaasa se nihaar rahi thi.
Kabhi wo sharaarti dhang me kuch soch muskuraati toh kabhi Veer ko dekh usse aankh maar deti.
Eka-ek Veer ki nazar jab Divya par gayi toh usne dekha ki woh uski orr thoda jhukte hue apna ang pradarshan kar rahi thi.
Uske gore badan ka cleavage saaf saaf jhalak raha tha. Veer ko woh smile karte hue dekh rahi thi.
Aur fir badi hi dheemi awaaz me boli,
Divya (smiles) : You can touch them.
Veer : Huh??
[I will fuckiinngggg killll herrrr!!!! (ʘᴗʘ✿) Maaassttteeerrrr~ Don't touch her!!]
Divya ki harqat Veer toh dekh hi raha tha acche se par saamne driver seat par baitha Nik bhi mirror se sab kuch dekh chuka tha.
Woh sunn toh nahi paaya ki uski patni ne kya kaha par woh itna zaroor jaan gaya tha ki Divya Veer ke saath flirt kar rahi thi. Filhaal woh kuch nahi bola. Par aankhein gada ke unko dekhta raha toh majbooran Divya ko apni flirting rokni padi.
Unhe nahi pata tha ki department ki taraf se urgently kyu bulaaya gaya hai. Isliye abhi woh aage aane waale jhatke ke pehle thoda relaxed the.
Gaadi ruki, sabhi uss se utre aur andar gaye.
Veer aur Suhana ko baahar hi rok diya gaya tha. Department ke Head ke cabin me keval aur keval Nik aur Divya hi gaye the.
***
*Click*
Darwaaza band hua aur dono pati patni, department ke Head yaani ki Nolan ke saamne baithe hue the.
Nik : What happened ?
Nolan : Look for yourself.
Kehte hue usne dono ke sarr par ek ek headphones pehna diya. Saamne computer screen thi.
Aur connection seedha Conner se tha.
Conner gaya hua tha ek Mansion me. Nik aur Divya dono hi Connor ki shaqal dekh sakte the. Camera connected tha. Aur Audio bhi.
Unn dono ko Connor ki saare baatein sunaayi de rahi thi.
Nolan : It's not live. It happened just a few minutes ago.
Aur fir unhone dekha...
Connor kuch keh raha tha. Uska chehra poora paseene se bheega hua tha. Chehre se ekdum rang udaa hua tha. Bhaybhheet poora!!! Lambi lambi saans lete hue haaf raha tha woh.
Uski haalat dekh aisa lag raha tha jese usne koi bhoot saamne dekh liya ho.
Aur wo bolna shuru kiya,
"I WILL FUCKING DIE!!!!! I'M TRAPPED!!!! I'M TRAPPED!!!! *huff* H-Help me!"
"This is much bigger than we thought of... It's insane... We all will die here!!! Listen to me!!! *huff* This is live killing!!!! FUCKING LIVE KILLING!!! There are few of us. They too participated here. But we are being recorded!! IT'S FUCKING DARK WEB!!!!"
"H-HE WILL KILL ONE OF US!!! REMEMBER! HIS NAME IS... *********** PEOPLE ARE PAYING TO WATCH US GETTING KILLED!!! IT'S A FUCKING HOUSE OF KILLERS. DANIEL WAS GODDAMN RIGHT!! *huff* *huff* THERE'S AIN'T A SINGLE ONE. *huff* P-PLEASE!!! GUYS!!! SEND ME THE HELP!!! SEND ME THE HELP!!!! I DON'T WANNA DIE HERE!!!!"
"H-Huhhhhhh????"
Par tabhi...
Connor kisi jagah dekh ghabraaya. Uski saasein atak gayi. Woh chillaaya,
"WHAT'S...? WHAT'S HAPPENING? N-Nooooo!!?!!!"
Aur agle hi pal...
*Thud* *Thud* *Thud*
Uske haatho se camera gira...
Cheekhne chillaane ki awaaz aane lagi. Connor ki cheenkh waha aur Nik aur Divya ke headphones me goonjne lagi.
Aur fir camera me jo Nik aur Divya ne dekha. Usse dekh dono ka badan thanda pad gaya. Maano jese saanp soongh gaya.
Divya apna muh dhak zorr zorr se bilakhte hue rone lagi. Uske poora badan ke ruye khade ho gaye.
Darr ke maare uska shareer kaanpne laga. Woh ghabraate hue daud kar baahar nikal ke aayi.
Idhar baahar Veer aur Suhana kareeb 1 ghante se unn dono ke baahar aane ka intezaar kar rahe the.
Veer : 1 ghante ke upar ho chuka hai. What are they doing inside?
Suhana : I have no clue!
Veer : Ohhh! Wo aa gaye...!
Suhana : Hmm??
Suhana ne jab Veer ki nazro ko follow kar uss orr dekha toh paaya ki Divya ghabraate hue baahar nikli aur seedha apne ghutno ke bal gir padi.
Suhana : Divyyyaaaaa!!!!
Dono Veer aur Suhana daudate bhaagte hue uske paas aaye aur usse sambhaal ke uthaaya.
Suhana : Divya kya hua????
Par Divya kuch na boli. Usse sambhalne me thoda samay lag gaya.
Jab uski haalat thodi theek hui toh usne rote hue bataaya,
Divya (cries) : C-Connor is dead!!!!
Suhana : Whaaaaaaaaatttttt?
Divya : Connor is dead Suhana.... He died!!!!
Suhana : ...
Divya : I must... I must show you something!!!
Wo aasu poch uth ke andar gayi. Aur usne jo dekha, uska ek paper par printout nikaalne lagi computer screen ko sahi timestamp par rok ke.
Idhar Nolan Divya ko aata dekh apni baat rakha,
Nolan : Who decided to send him alone there?
Nik : That... It was decided in the meeting in the morning.
Nolan : That's what I'm asking... Who voted for him to go there alone?
Nik : Th-That's....
Nolan (chillaate hue) : ANSWER MEEE!!!!
Divya : W-We all supported it. C-Connor too opted for it.
Nolan : YOU DUMB IDIOTSSSS!!!!!!! WE LOST HIM!!! WE LOST OUR ANOTHER PERSON!!!!!! I DON'T CARE WHAT YOU GUYS WILL DO NOW. BUT NEXT... I WANT YOU GUYS TO SEND SOMEONE FROM YOUR TEAM NOW MY SO CALLED PRIVATE DETECTIVES.... WE WON'T BE SENDING OUR DEPARTMENT'S DETECTIVES NOW!!!!!!! YOU GET THAT....??
Nik : W-We... We do!!!
Nolan : YOU CAN LEAVE!!!!
Divya jese hi baahar aayi, woh Suhana aur Veer ko haath pakad apne cabin me le gayi.
Divya : The second criminal...!!!!!
Veer : Huh???
Suhana : !!????
Aur agle hi pal... Usne table par ek paper patakte hue rakha. Ye wahi printout tha...
Usse dekhte hi Suhana ka badan kaanp utha.
Saamne printout me jo tha, wo tha...
Ek wanted paper!!!!
Divya : And his name is...
Veer : ?????
"THE NIGHTWALKER!!!!"
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Samay samay par mein Mumbai ka zikr bhi dikhaunga. Baaki, like thokne ka aur revos rakhne ka. Ye sab banaane me mehnat lagti hai.
Dhanyavaad!