• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,301 83.2%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 26 1.7%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 202 12.9%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 35 2.2%

  • Total voters
    1,564

Werewolf

ʀᴏɢᴜᴇ ɴɪɴᴊᴀ
Supreme
13,763
98,345
259
WHAT A TWIST! 🤯

Some of it was expected. Nice way to set up veer’s re-entry for round 2! I would have thought he would have been bit smarter for round 2! But heavy damage from earlier not enough to win!
Veer was smart here already...! He deduced Jaw Long's Aura Vision weakness and about it's upgrades. That knife wasn't just thrown to test the dodging abilities of Jaw Long.
The black aura feels so similar to Naruto’s nine tails!
Naruto's nine tails had an aura of orange color. Here it's black. :D But yeah... You can kind of take it as a reference.
It’ll be interesting to see what happens next! One thing that seemed clear was - if points hit zero - system holder may die. What will happen of veer?
No! :?:
Who told you that? :?:
When did I say that having no points will kill any system holder? :hmm:
Points are points. :dazed: You utilise them to buy skills, scrolls, or cards. They can obviously go zero if you buy a lot of skills. There's nothing like the concept of dying after points hit the zero. :sigh:
Even if he wins, will he be back to as he was? Will Pari now have some sort of permanent partial control on veer all the time? pari’ s expressions are creepy.
That we will have to see. He's just unconscious. Right now Pari has taken over. What will happen after? We'll see.
Really looking forward to the next chapter!

Great update Werewolf! Looking forward to what you’ve got cooking for us!
Thanks a lot and keep supporting. ✨
 
  • Like
Reactions: parkas and teceo

Sushilnkt

Well-Known Member
3,008
5,308
143
गजब अजब

Ava ने अपने अब सही साबित किया है। या यूं कहें वो वापस से रुख करना चाहती है। अपनी पुराने जीवन मे जहां खुसिया थी। वो अपनी दोनों सहेली ओर वीर का साथ चाहती है।

अब वो कब क्या कैसे करेगी वो अपना लेखक कलम चला कर बता देगा। क्यो की इसका पता नही कलम से कब गुपचुप में कही और भेज दे छोरी को,😁

अब एक छोरी जो कभी जंग का मुह तक ना देखी और उसके सामने विशाल काय ओर शक्तिशाली राक्षस जैसी देहि वाला खतरनाक इंसान हो, जो देख रही हो, उसे कहि अधिक शक्तिशाली साथी भी उसका कुछ नही कर पा रहा है। उसकी तो औकात ही क्या है।

फिर भी वो अपना जो दे सकती है। वो सहयोग कर रही है।

अब बापू ने जो कहा उसके मन मे वही धारणा ava के लिए बन गयी है। क्यो की उसे अभी बाहरी लोगों की समझ नही है। कब किसी कैसे सहयोग लिया जाता है। या वीर ने तो कभी दुश्मन बनाये ही नही है। वो तो सब का भला ही चाहता आया है।

जिसको जब समझ आता है। वो वीर पर मर मिटता है।

अब वीर ने अपनी शक्ति का अच्छा प्रदर्शन किया है। इसमें कोई शक नही है। और ना वो कहि भी चुका है।

जावा लांग की मदद उसका वो इलाका कर रहा है। क्यो वो उसकी जगह है। वहा की परिस्तिति उसके अनुकूल है।
उसने पहले फेश में कुछ किये बिना ही वीर को 50% थका दिया था। उसके बाद जब वो आया तो गलती कहि नही वीर की,

अब परी ने क्या सोच रखा था, या वो क्या सोचकर अपने आप को वीर से आगे चल रही है। कह नही सकते, परि का अपना ईगो भी है। वो साबित करना चाहती है।

अब अपने लेखक भाई का कलम से नीव रखेगे, परी के इस किरदार के लिए ये वही जाने, मन मे कई अवधारणा बन सकती है। जिनका तोड़ लेखक देगा।
 
  • Love
  • Like
Reactions: parkas and Werewolf

Werewolf

ʀᴏɢᴜᴇ ɴɪɴᴊᴀ
Supreme
13,763
98,345
259
Bhayanak, shamdar, excellent, extraordinary, fantabulesh update brother
I just love your writting skill
Keep it more please
Thanks. And keep supporting. ✨
Ise kehte hai aag lagana

Salute to your mind-blowing super
Fantastic update
Thanks a lot. ✨
Bheeshan ladati. Erica bhi is ladayi me kafi mature ho gayi hai. Ava ka Veer ke liye pyar bhi saaf jhalak gaya hai. Lekin ladayi ka vivaran bahut hi bhibhats tha. Har cheez bahut intelligently cheorogaph ki gayi thi. Ava aur Erica bhi khub jam kar ladi.
Abhi Prem nahi hai yeh. :nope:
Erica concerned thi Veer ke liye. Ye kehna behtar hoga ki uska ravaiyya ab Veer ke liye thoda badal chuka hai. Veer ki chhavi uske mann me ab behtar ho chuki hai. Prem nahi hai abhi bhi ye. :nono:
Pehle to Ava ka past aur phir Erica aur Renshu ke huye conversation ne sab baatein clear kar di ki Ava kaise wahan aa gayi aur kyon Erica Ava par vishvas nahi kar rahi thi. Uske baad aise-aise naye cards nikale ki padh kar sir hi ghoom gaya. Pure stats bhi dikh gaye. Very innovative.
Shukriya. Unhe banaane me hi adhiktar samay jaata hai.
Lekin ant me Veer ka Pari ko surrender karna, aur Veer ke ander se ek tarah ka evil aura nikalna, bilkul samajh nahi aaya. Shayad agle update me clear ho.
Agle update me sab clear ho jayega. Dhairya rakhe. ✨
Bhai kya update diya h
Heads off h bhai
Aaj tak aisa update na kisi ne pda hoga na kisi ne socha hoga bhai maan gaye
Wait for next update
Dhanyavad. Saath bane rehne ka.✨
What the fuck🤯 mindblasting update return of ava was just amazing and this fight is giving me goosebumps and the takeover of veer by pari and his last words i am the weapon are enough to increase our anxiety thqnks bro for this fabulous update
Thanks a lot bro. Keep supporting as usual. ✨
Jabardast update sir
Kya isiliye pari use bar bar mumma bolne ko kah Rahi thi ya uska koi aur role hai.
Mumma bolne ke bad bhi yahi hona tha ya kuch alag.
But pari ka ye roop dekhne me maja aayega.❤️❤️❤️
Keh sakte hai.... Aur nahi bhi. Pari ki ye personality thodi sugar mommy type ki hai. Mumma bolna ke baad toh woh toh aur bhi kuch kar deti. :laugh:
 

S M H R

Active Member
678
1,566
138
Mega Update

Update - 177 ~ Berserk
[Note : Contains Gore related scenes.]

Ab tak...

Magar, sirf itna hi nahi tha. Ava apni maa ko bachaane ke liye ye sab kari thi. Aur, isliye Island chorr kar jaane se pehle Veer ne ek vaakya aur kaha tha. Itni dheere ki sirf use hi sunaayi de sake. Lekin, Ava ne woh sunn liya tha.

Woh bol the-

'Go and protect your loved one now.'


Ab aage...

Pedo ki daalo ke upar Erica chhalang maarte hue aage badhti jaa rahi thi. Hawa se uske baal lehra rahe the aur bauhe bechaini ke maare kasi hui thi.

'Veer!!!'

Badi mushqil se usne apne darr ke upar qaabu paaya tha. Kahi na kahi mann hi mann woh khud ko dosh bhi de rahi thi ki woh yaha aayi toh Veer ko bachaane thi magar khud hi sakpaka ke baith gayi. Kya aise woh apne pita ko proof karne waali thi ki woh ab frontline missions ke liye taiyaar thi?

Dekha jaaye toh galti uski bhi nahi thi. Woh kabhi bhi aisi paristhiti me padi nahi thi aur na hi usne kabhi aise drishya apni aankhon ke saamne dekhe the. Jis wajah se woh hamesha cheezon ko halke me le liya karti thi. Bilkul waise hi jaise ek kue me baitha mendhak, upar kue ki golayi se dikh rahe aasmaan ko dekh ye samajhne lagta hai ki aasmaan bas itna hi hai. Magar, baad me kue se nikalne ke baad use pata chalta hai ki aasmaan asal me kitna vishal hai. Aaj Erica ko poorn roop se abhaas ho gaya tha ki asli darr kya hota hai, duniya me kitne khatarnak log hote hai, apno ko khone ka bhay kya hota hai aur ek jaan ki qeemat kya hoti hai.

'Hang in there.'

Bhaagte hue use kuch theek sa nahi lag raha tha. Jaise ye khamoshi use bechain kar rahi thi.

'Achanak se itni shaanti kyu chha gayi hai?'


[Something is off.]

Jaw Long ke Animal Kingdom card ka asar khatam hote hi saare janvar waha se afra tafri me dur bhaag chuke the. Toh wahi neeche chal rahi Veer aur Jaw Long ki ladayi bhi Veer ke ghayal hone ke chalte lagbhag samapt ho chuki thi. Yahi kaaran tha ki ab Erica ko koi bhi shor sunayi nahi de raha tha. Magar, jitni vatavaran me khamoshi fel rahi thi Erica ki bechaini utni hi badhti jaa rahi thi. Kahi ye kisi anhoni ke ghatit hone ka sanket toh nahi tha? Woh nahi jaanti thi. Woh toh bas itna jaanti thi ki Veer ko iss daldal se baahar nikaal ke use sahi salamat wapas leke jaana hai.

[Woh dono yaha nahi hai, Erica. Ab ya toh woh pul ke uss paar gaye hai ya fir neeche.]

Erica dusre pul tak pahuch chuki thi jaha se Veer neeche gira tha. Pul ke uss paar se toh use koi bhi dhwani sunayi nahi di. Ab yaha se talashi karne ke do raaste the.

'Kaha gaye honge woh? Aage dekhe Genie?'


[Mere khayal se aage badhne se pehle hume neeche dekh lena chahiye. Neeche bhi kaafi jagah hai. Jangal neeche bhi hai. Neher ke uss orr dekho Erica.]

'Par bhala neeche kyu jayega woh?'

[Kyu nahi jayega woh? Judging by how he was escaping from those animals... There's a high possibility he might have chosen that route. Zara socho. Itne saare janvaro se bachne ka sabse behtar vikalp kya ho sakta hai? Insaan kaha jayega? Seedhe raaste par jaha janvar lagatar uska peechha kare? Ya fir neher ka sahara lete hue dusre chhor par jaha janvar aa hi na paaye?]

'You have a point, Genie! Theek hai toh fir. Pehle neeche hi talashi lete hai.'

Nirnay lete hue Erica pul ke madhya aayi, neeche dekhi, aur bina jhijke iss baar paani me kood gayi.

*Splaaaashhhhh*

Chhapak ki awaaz ke saath girte hi woh tairte hue fauran chhor par aayi aur khud ko neher se nikaalte hue ek gehri saans chhori. Iss baar usne paani me koodne ke liye koi shikayat nahi ki. Woh jaise sthiti ki gambheerta ko ab samajh rahi thi. Woh sambhalte hue aage badhi. Dheere dheere woh jangal ki gehrayiyo me pravesh karne lagi. Daudate daudate hi use kuch derr baad zameen par dur kuch nazar aaya. Aur, jaise hi woh aakriti uski nazro me aur spasht hui uski aankhein darr ke maare fel gayi. Qadmo ki gati aur tez ho gayi.

'N-Noooo-!!!!'

Ghabrahat! Ek ajeeb si ghabrahat uske andar janm li. Seene me vichitr sa ek bharipann mehsoos hua aur geele badan pe raungte khade ho gaye. Dur zameen par Veer ka shareer khoon se lathpath bejaan sa pada hua tha. Erica ki toh jaisi saari umeedein hi toot gayi. Kya usne derr kar di? Kya woh sahi samay par nahi pahuch paayi? Tamaam sawaal uske mastishk aur dil dono par chot karne lage.

Woh tez raftar se Veer ke nazdeek aayi aur ghisatate hue khud ko roki. Jhukte hi usne Veer ke sarr ke peeche ek haath le jaate hue uske sarr ko badi hi savdhani se uthaya aur apne kaan ko neeche uske seene par le jaate hue lagaya. Aur-

*Ba-dump*

*Ba-dump*


Agle hi shan uski aankhon me aansu apne aap panap aaye. Dil dhadak raha tha..! Usne kabhi nahi socha tha ki kabhi kisi ki dhadkan sunn ke use itna sukoon milega, itni khushi milegi, itni raahat milegi. Ek dil ki dhadkan ka mol jaise aaj use pata chal gaya tha.

Kabhi usne nahi socha tha ki Veer jaise ladke ke liye woh aisa kuch mehsoos karegi. Pehle din se hi Veer aur uska rishta koi khaas nahi tha. Magar, iss waqt Veer ke dhadakte dil ki awaaz sunn jo woh mehsoos kar rahi thi, unhe shabdo me bayaa kar paana uske liye behad mushqil tha.

'Thank God-!! Thank God!!! You idiot!!! *sniff* You are alive.'


[Ek minute!! Agar, Veer yaha hai. Toh, Jaw Long kaha hai?]

Genie ke prashn karte hi Erica ko jaise dhyaan aaya. Khatra woh janvar nahi the. Asli khatra toh Jaw Long tha. Uske baare me sochte hi uski aankhein satarkta ke chalte fel gayi.

Woh idhar udhar apni gardan ghumate hue chaaro orr dekhi. Magar, Jaw Long kahi bhi use dikhayi nahi diya. Woh toh aise gayab tha jaise cheel ke ghosle me maans.

Aur, tabhi-

*Booooooooommmmmm*

Dur use kuch shor sunayi diya. Aisa lag raha tha maano do log aapas me lad rahe the.

'What? What's happening?'

Uske sawal ka jawab bhi use jaise agle hi pal mil gaya. Dur jangal ki gehrayiyo se nikalta hua Jaw Long bhayanak tez raftar me uski orr hi aa raha tha. Ek shan pehle uski koi upasthiti nahi thi aur agle hi shan woh khud uski orr pagal saand ki tarah dauda chala aa raha tha.

'Huh!?'

Jab Erica ne danav jaise Jaw Long ko apni orr aata dekha toh maano uski haalat hi patli ho gayi. Jaise jaise woh nazdeek aa raha tha uski aakriti badhti jaa rahi thi. Asal me woh kitna vishal tha ye ab Erica ko samajh aa raha tha. Jaw Long ke haatho me uska wahi bada sa kulhada bhi tha. Ek baar hi uske chalane par Erica ke shareer ke do tukde ho sakte the.

Ye sochte hi woh bechari itna ghabra gayi ki usne neeche letey Veer ko apne seene se lagaya aur aankhein band kar apne haath khade kar diye. Agar, yahi unka ant tha... Toh wahi sahi.

Magar, iss se pehle ki Jaw Long unn tak pahuchta-

*Whooooooosshhhh*

Ek saaya unn dono ke beech aake khada ho gaya. Jab aakriti spasht hui toh pata chala ki ye Ava hi thi. Erica ne jab khamoshi ko mehsoos kar apni aankhein kholi toh apne saamne Ava ko khada dekh dang reh gayi.

Aur, uske hosh aur bhi zyada tab ude jab usne Ava ko check kar ye pata lagaya ki woh bhi ek system holder thi.

'Whattttt!!?? Wh-Who is she!?'

Ava agar chaahti toh camouflage activate kar woh fake status dikha sakti thi. Parantu, usne aisa na kiya. Veer ko dhoka dene ke baad se jaise use iss skill se nafrat si ho gayi thi.

Woh Jaw Long ke saamne nidarta se khadi hui thi. Usne apne kandhe ke upar se peeche halka sa mud Erica ko dekha jisne apne seene se Veer ko laga rakha tha. Uski nazre Erica ke seene aur Veer ke chehre par kuch zyada derr hi tiki rahi. Kuch shan baad woh boli.

Ava : Kuch samjhane ka time nahi hai. Uske wounds deep hai. Uska system andar hi andar bleeding ko rokne ki koshish kar raha hoga. Tab tak uski safety, mein tumhare haatho saunpti hu.

Erica itni zyada confused thi ki use kuch bhi samajh nahi aaya. Kaun thi ye ladki? Kar kya rahi thi ye yaha? Aur, Veer ko kaise jaanti thi?

Erica (frowns) : Who are you?

Ava : I'm... I'm someone who owes him a debt.

Erica (frowns) : Ye mere question ka answer nahi! Who exactly are you? Aur, mein tum par bharosa kyu karu?

Ava (smiles) : Kya waqai iss waqt tum ye sawal puch rahi ho? Saamne dekho apne. Agar, mein yaha se hatt gayi toh anjaam kya hoga?

Erica ne jaise hi Jaw Long ko dekha jo abhi tak satark hue unke saamne khada tha, uski bauhe ghabrahat ke chalte sikud gayi. Ava ki baat sahi thi. Agar, woh unke saamne se hati toh woh dono hi maare jaane waale the.

Ava : Shayad ab tumhe samajh aa gaya hoga ki tumhe mujhpe bharosa kyu karna chahiye. Right?

Erica : ...

Ava (exhales) : Take care of him! Use abhi move mat karna. Warna, blood flow hota rahega. Bleeding ruki nahi hai. Bas, uski hifazat karo. Bleeding ke rukte hi use yaha se leke nikal jaana.

Erica chup chaap sab kuch sunn rahi thi. Sawaal dher saare the uske mann me magar filhal unhe taal dena hi behtar tha. Kya iss ladki par bharosa kiya jaa sakta tha? Uske Dad bhi yaha nahi the. Ek decision hi unn dono ki life ya toh bacha sakta tha ya fir khatam kar sakta tha. Ek bahut badi zimmedari iss samay uske sarr thi.

Usne ek gehri saans lete hue fir apna nirnay liya. Haami bharte hue woh boli,

Erica (nods) : Theek hai! I'm trusting you.

Ava : Good! I will stall him until then. Yaad rakhna! Bleeding band hote hi tumhe use leke yaha se nikalna hai.

Erica : Hmm!

Aur, itna bol Ava wapas se apne saamne khade Jaw Long par focused ho gayi. Jaw Long jaan boojh ke hamla nahi kar raha tha.

Veer ke alawa uske saamne do do system holders maujood the. Zahir hai woh jaldbazi me koi galat qadam nahi uthana chahta tha. Aur, Ava ki woh zordar kick jo use padi thi. Uss se kahi na kahi use andaza lag gaya tha ki ye system holder ladki sirf kehne ki system holder nahi thi.

Woh kehte hai na, 'fook fook kar chalna hi samajhdari hoti hai.' Baad me dukhi hone se behtar tha ki abhi satark raha jaaye. Kisi tareeqe se woh Ava ko chakma deke yaha Veer aur Erica ko maarne ke liye aa toh gaya tha. Par, saamne khadi Ava ko dekh uske qadam sanshay me thame hue the.

Aur, Ava ne bhi jaise uske sanshay ka abhaas kar liya. Woh palak jhapakte apni jagah se gayab hui aur Jaw Long ki taraf lapki. Uske haath me ek katana talwar uski sheath se bahar nikli aur seedhe Jaw Long ke gale ki orr badhi.

Kuch bura abhaas hote hi Jaw Long ki aankhein sankat ke chalte chaudi ho gayi. Bhay ke maare woh peeche hua aur isi prakar Ava Jaw Long ko Veer aur Erica se dur karne me safal ho gayi.

Toh wahi idhar Erica Ava aur Jaw Long ko bhidte dekh ek alag anubhav le rahi thi. Usne apna dhyaan Veer par jaise hi punah daala toh veh ghabra uthi.

'My god...!'

Veer ke zakhm gehre the. Erica ne apne jeevan kaal me kayi maut apni aankhon ke saamne dekhi thi. Par, kabhi bhi kisi system holder ko iss tarah ghayal nahi dekha tha.

Ek system holder ka iss tarah zakhmi hona kis baat ka saboot tha? Iss se ye pata chalta tha ki Jaw Long unke liye kitna bada khatra tha. Agar, Veer unki madad na kar ke Jaw Long ko yaha baandh ke na rakhta toh kya hota? Woh sochna bhi nahi chahti thi.


[He's badly injured.]

'Uss ladki ne kaha ki Veer ka system use heal kar raha hoga andar hi andar.'

[So, he does have a healing skill huh?]

'Pata nahi! Card bhi ho sakta hai. Lekin, ye ghaav...! Kitna dard saha hoga Veer ne Genie?'

Erica Ava ke chehre ko poori tarah se nahi dekh paayi thi. Ava uss se baat karte samay bas halka sa hi mudi thi, jis kaaran vash use Ava ki soorat poori tarah se spasht dikhayi na padi. Parantu, woh Ava ke baare me kaafi kuch jaanti thi.

Woh jaanti thi ki Ava ek system holder thi. Veer ko Crimson se bachane ke baad Renshu ne use kaafi kuch bataya tha. Use ab bhi apne pita ke saath kiya gaya woh sanvaad yaad tha.


'Woh celebrity Natalia Martin bhi ek system holder hai, Erica!'

'Really?'

'Hmm! Aur, uss ladke ki maut ka ek kaaran bhi bann sakti thi. Agar, mein sahi samay par waha na pahuchta toh-'

'Hmph! Aap jab se waha se aaye ho uss ladke ke baare me hi baat kare jaa rahe ho. Akhir kaun hai woh?'

'Haha! Jo bhi hai bahut hi kaabil naujavan hai. Aur, rahi baat ki kaun hai woh? Jald hi tumhe pata lag jayega. Mera ek favour hai uspe ab. Jise chukaane wo zaroor yaha aayega. Tab, tum khud apni aankhon se dekh lena.'

'Hmph! I don't care! Balki, aap celebrity Natalia ke baare me mujhe kuch bataiye.'

'Uske baare me mein zyada nahi jaanta aur na hi uss se mila hu. Lekin, itna zaroor pata hai mujhe ki uss ladke ko shadyantra me phasane waali woh bhi ek thi. Maine itna anuman laga liya tha.'

'Woh kaise?'

'Ladka jab samundar me doob raha tha tab maine use waha se bachaya tha. Uss dauran, woh Natalia Martin helicopter me upar baithi neeche nazre gadayi sab kuch dekh rahi thi.'

'Ohhh-!?'

'Lloyd ne mujhe bata diya tha ki wo bhi ek system holder thi.
Mujhe poore shadyantra ke baare me jankari to nahi hai. Lekin, kaafi kuch anumaan mein laga sakta hu.'

'I see!'

'Uske paas camouflage kar ke ek skill hai.'

'Camouflage?'

'Hmm! Uski madad se wo nakli status laga ke ghum rahi thi.'

'Iska matlab-!'

'Haan! Usi ke chakkar me shayad wo naujavan ek khatarnak shadyantra ka shikar ho gaya. Kherr, woh zinda hai abhi yahi acchi baat hai. Shayad, tab uss Natalia ne Camouflage ko band kar rakha tha. Tabhi, Lloyd use check kar paaya tha. Aur, asliyat ka pata laga paaya tha.'

'Hmm! Lekin, aapko kaise pata chala Dad ki Natalia ke paas Camouflage skill hai?'

'Kyuki jab maine use check kiya tha tab uska status mujhe dikhayi de raha tha. Woh nakli tha. Lloyd ne sahi pehchan baad me ki thi.'

'Ahh!'

'Erica!!!'

'Huh!?'

'Agar, kabhi tumhara saamna iss Natalia Martin se ho. Toh uss par bharosa mat karna. Celebrity hone ka matlab ye nahi ki kisi ka dil saaf ho.'


'Jii dad. Mein aapki baat ka dhyaan rakhungi.'


Ye baatein use acchi tarah se yaad thi. Magar, uska dhyaan to abhi uski jaangh par sarr rakha yeh naujavan kheenche hue tha.

Genie chup chaap Erica ke emotions ko padh rahi thi. Kaise Erica ke kaanpte hue haath Veer ke zakhmo par haule se fir rahe the. Jaise wo ghaav dekh ke hi unhe mehsoos kar paa rahi thi ki kitna dard hua hoga Veer ko jab ye chotein uske shareer par aayi hongi. Uski sarsari nigaahein Veer ke uttam kataav waale badan par bhi fir rahi thi.


[Tum uski dressing kyu nahi kar deti? Hamare paas rakhi hui hai na?]

'Arrey haan! M-Mujhe to dhyaan hi na raha.'

Usne apni jebo me se dressing ke liye kuch first aid ki pattiyaan nikaali aur Veer ke ghaavo ko saaf kar unn par savdhani se baandhne lagi. Bhale hi inse zyada madad nahi milne wali thi par ghaavo ko khula chorrne se toh ye behtar hi tha.

Dressing baandhte baandhte Erica ki nazre baar baar Veer ke chehre par phir rahi thi.

'G-Genie-! I... I was just thinking... Veer ki kya favorability hai mere liye?'

Sawaal sunte hi mann hi mann jaise Genie muskurayi. Woh jaise bhaanp gayi ki ye sab kis orr jaa raha tha.


[Sach me jaanana hai tumhe?]

'N-Nahi aisi koi khaas wajah nahi hai. M-Mein toh bas yuhi- curious thi...! Isliye- socha ki-'

Apne baalo ki latt ko ungli se ghumate hue woh khusur-pusur karte hue boli.


[Uski favorability tumhare liye 90 hai.]

Ank sunte hi Erica ki jaise aankhein phati ki phati reh gayi.

'Wh-What-!???'

Use pata tha ki 70-80 ke upar favorability ka hona kya darshata tha.

Pyaar!!!

Samajh aate hi uske gaal laal tamatar ki tarah laal hote chale gaye. Par, agle hi shan, maano jaise Genie ne uske sarr par thande paani se bhari balti udel di.


[Hahaha! Just kidding. Asli favorability 22 hai.]

'Y-You-!!! Genieeeeee!!!!'

Woh mann hi mann Genie par barsi. Toh wahi Genie uska reaction dekh aur zyada thahaake lagaane par majboor ho gayi. Genie jaan boojh ke mahaul ko halka karne ki koshish kar rahi thi. Aur, usme woh poori tarah se qamyab thi. Erica ka aisi sthiti me calm hona behad aavashyak tha.

'Ahinda se aisa tumne kabhi kiya na, toh mein tumhe sleep mode me daal dungi.'


[What?? H-Hey! Wait a minute! It was just a joke. Okay? Aur, maine ab bata to di asli favorability. It's 22. Twenty two. Jise dusri bhaasha me-]

'Haan pata hai!! Sunn liya maine. Sunn liya. I-It's not even a good number. Why are you yelling so much??? Enough! Sunn liya maine. 22 hai. I know! Hmph!'

[What? Kya tum chaah rahi thi aur zyada ho?]

'Wh-Who cares? *blushes* Ahem! Anyways! Mera ek sawal hai. System jab ek dusre ko check nahi kar sakta toh ek dusre ki favorability kaise bata deta hai?'

[Hmm! A very good question.]

'Please, ab baatein mat ghumaana.'

[Nahi nahi! I will tell you. Look! Hum sabhi system ek dusre ke prati satark rehte hai. Koi bhi system ye nahi chaahta ki agla system unke stats dekh paaye. We are afraid of each other.]

'Afraid?'

[Hmm! System apne stats ko hide kar sakta hai. Isliye, check karne par hume kuch bhi info haath nahi lagti. Ek prakar se ye hamara defensive mechanism hai. Par, Erica...! Emotions chhipaye nahi jaa sakte.]

'Ah!'

[Bhale hi stats hide kar diye gaye ho par feelings ko hide nahi kiya jaa sakta. Agla system holder tumhare liye kya bhaav rakh raha hai woh asaani se dikh jaata hai. Jaw Long ko dekhte hi uski ill intent humne mehsoos kar li. Zahir hai favorability minus me hai uski.]

'Right!'

[Wahi Veer ki 22 hai. Tumhare Dad ki tumhare prati 90 hai. Of course, it's all fatherly love.]

'Dad to meri chinta hi nahi chorrte. Mein badi ho gayi hu ab. *sighs* Toh aise work karta hai ye. Samajh gayi. Thanks Genie! Ohh! Look, woh ab saansein behtar dhang se le raha hai.'

[Uske system ne blood flow ko control me rakha hai. I think wo neend me hai.]

'Use araam ki sakht zaroorat hai. So, just-'

Iske pehle ki wo apni baat poori keh paati Jaw Long ki tezz dahaad ne uska dhyaan kheencha.

"Shebaaaaaaaaa-!!!!!"

*Keeeeeeaaaaaarrrrr*

Aur, beshaq...! Wahi baaj hawa me apne parr felaaye uske ek bulaave par haazir ho gaya. Sheba udta hua seedhe Erica ki orr aaya.

'Ahhh!'


[Careful!!]

Par, iss baar Erica ghabra ke dur nahi bhaagi. Usne apni peeth par peeche khusi hui kisi cheez ko baahar nikaala. Aur-

'This time...! I won't run!!'

*Fwoosh*

Seedha uss baaj ki orr usne wo fek diya. Wo cheez hawa me sansanati hui gol gol ghoom ke udte Sheba ko giraane ke liye aayi.

Sheba tezz raftaar se apni orr aa rahi cheez ko dekh baukhlate hue hawayi marg se hatt gaya. Aur, woh cheez jo hawa me feki gayi thi woh wapas se ek golaayi ka raasta apnaate-

*Thuck*

Erica ke haatho me aa thami.

Ek boomerang!!! Magar, koi sadharan boomerang nahi. Uske ird gird metal ke kuch nukeele tukde lage hue the. Kisi prakaar ki dhaar-daar blades. Jo nishchit roop se kisi ko ghayal karne ke liye hi lagayi gayi thi.

Metal bhi koi aisa wesa nahi. Ye tha titanium. Sabse halka aur mazboot metal. Aur, iss anokhe boomerang ki rachayita koi aur nahi ~ Swayam Erica thi.

Uska ek maatra card ~ Metallurgy!!!



web-7

Ek aisa card jo use saara gyaan, saari kshamtaye aur saara kaushal pradaan karta tha metals se hathyar banaane ke liye. Usne Garofano ke liye bhi kuch needles bana ke use di thi.

Erica ki aankhon me iss baar tej tha. Aur, uske mann me tabhi-

*Ding*


[Mission : Safeguard Veer until he recovers.
Rewards : Skill ~ Basic Seer Vision.
Mission failure penalty :
1) Loss of Order.
2) 10,000 points deduction.]


'Iss baar...! Mein peeche nahi hatne waali. Chaahe kuch bhi ho jaaye. Jab tak Veer recover nahi ho jaata! Mein yahi hu-!!!'

Aur, dur se use Sheba se ladta dekh, idhar Ava ke hontho par ek halki si muskan bikhar gayi.

***

Kintu, hua kya tha? Ava yaha kaise pahuchi? Woh itne din kaha thi? Veer yaha hai iss baare me use kaise pata chala? Aur, yaha aane ka uska maqsad kya tha?

Ye tamaam sawaal Veer ke mann me the behosh hone se pehle. Jinka uttar keval aur keval Ava hi apne muh se de sakti thi.

Kuch derr pehle...

Jab Veer eastside ki entrance se pravesh kar raha tha. Tab, woh nahi jaanta tha ki theek uske peeche Ava bhi use follow kar rahi thi.


[There he is, Miss! Thoda aur nazdeek jaa sakte hai hum. Itna peeche chalne ki zaroorat nahi.]

'Nahi Lily! Veer ke paas Beowulf hai. Senses badh jaate hai uske. Ho sakta hai usne activate kar ke rakha ho. Agar, mein iss se zyada nazdeek gayi toh wo meri presence ko mehsoos kar lega.'

[Ohh!]

Ava ne Veer ki aankhon me woh laal rang ki parat pehle bhi dekhi hui thi. Lily ne hi use khoj ke bataya tha ki Veer ke paas Beowulf card tha.

[Toh ab?]

'I will follow him from a distance.'

[Okay!]

'Lily...! What does he think of me now?'


IMG-20240407-165213

[His favorability towards you is only 10.]

Ava ke chehre par ek muskan bikhar gayi. Magar, iss muskan me kahi na kahi nirasha bhi chhipi hui thi.

'10... is not a bad number.'


[My dear Miss! Is 10 really a good number?]

'Lily! Jo maine kiya tha...! Uske baad toh iss favorability ko minus me hona chahiye tha. *smiles* 10 is already a great number.'


IMG-20240407-165758

[You've been smitten by him. *sighs* Kya hoga aage? I don't even know.]

'N-No-! That's not it! I-'

[Jhooth bolne ki zaroorat nahi hai. I can feel your emotions.]

Ava uske jawab me kuch na boli. Woh chupke chupke Veer ka peecha karti rahi. Veer jab uss blood trail ko laangh ke aage gaya toh Ava kuch shan wahi ruk gayi.

[Ye ek sensory type boundary ho sakti hai.]

'Andar jaane ke liye ise cross karna hi hoga.'

Aur, blood trail ko paar karte hue woh khud bhi Veer ki disha ki orr aage badh gayi.

Uske andar aate hi Jaw Long ko do vyaktiyo ke andar ghusne ke baare me pata lag chuka tha. Magar, Ava jaise pehle hi sab kuch plan kar ke chal rahi thi.

Seedhe taur par ladayi me na ghuste hue woh ped ki daali par baithe dur se sab kuch dekhti rahi.

'Yaha se mein uss par nazar rakh sakti hu. Jaise hi situation bigdegi, mein waha pahuch jaungi.'

Sirf Erica hi nahi thi, Veer ko unn janwaro se bhaagta dekh Ava ka badan bhi kaanp utha tha. Akele Veer ka waha ladna...! Woh kisi yoddha se kam nahi lag raha tha. Aur, uski woh nidarta se bhari chhavi Ava ke dil me aur nayi tarange utpann kar rahi thi.

Magar, akhir use Veer ke thikaane ka pata kaise laga? Yeh koi raaz nahi tha.

[Death Flag]

Wahi skill, jo Ava ne Veer par mark ki thi. Tab jab woh aur Suhana Las Vegas me uske concert me pehli baar daakhil hue the. Yeh wo skill thi jo ek vyakti ko mark kar ke rakhti thi. Ek seemit range tak uss vyakti ke zinda ya mrit hone ke baare me batati thi.

Tab se leke ab tak Veer par Death Flag ki woh marking bani hui thi. Kintu, Veer ke ruth ke jaane ke baad, Ava ne kuch kiya tha. Apne system ke saath. Uski system Lily ko bhi saari baatein yaad thi. Island par Veer jab use akela chorr ke chala gaya tha. Uss raat-


'Lily!'

[Yes?]

'Upgrade Death Flag's range!'


[What?]

'Suna nahi tumne? Maximize the range.'

[Jaanti ho na upgrade ke liye kitne points lagte hai? The first upgrade will take 5000 points. And, the second upgrade will take 10,000 points. Total 15,000 points.]

'Yes! Jaanti hu! Do it!'

[My dear Miss! Why are you so determined? Kis liye itne points ikhatta kiye the? Ab jab hum itna close hai Maisie's cure ke liye, you want to waste them on Death Flag's upgradation?]

'Lily!!!'


[Fine then!]

*Ding*


[Death Flag's range has been maxed out.]

'Good!'


Yahi woh pal tha jab Ava ki skill Death Flag ki range maximum ho chuki thi. Na sirf ab woh jeevit ya mrit ke baare me bataane me saksham thi balki, insaan ki ab location bhi woh saaf saaf dekh sakti thi. Veer duniya ke kisi bhi kone me hi kyu na rahe, agar Death Flag uss par marked thi toh Ava uski location ko asaani se dekh sakti thi.

Woh uss tak jab chaahe tab pahuch sakti thi. Aur, isi tarah woh yaha Veer ko dhundh paayi.

Veer ka achanak Mumbai chorr yaha China aana. Woh jaan chuki thi ki kuch gadbad thi. Yahi kaaran tha jo woh khud yaha chali aayi. Aur, uska sanshay ekdum sahi tha.

Aaj woh yaha na hoti toh Veer bahut bade jokhim me pad jaata. Kam se kam ab woh uske liye kuch samay nikaal sakti thi. Aur, yahi uska prayshchit tha. Bhale hi... Uski jaan hi kyu na chali jaaye.


[I just don't understand. Why are you so focused on him? Kya waqai aapko uss se-!?]

'He...! He gave me happiness, Lily. Jab mein use trap me fasaane ke liye uske khilaf chaale chal rahi thi. Tab woh meri khushiyo ka dhyaan rakhte hue mujhe protect kar raha tha. Can you imagine it?'


IMG-20240407-165200

[...]

'Maine kabhi nahi socha tha unn moments ko mein firse enjoy kar paungi. Meri asli khushiyaan Mumbai me hi thi Lily. Jab mein chhoti thi. Mera bachpan...! Kaera aur Sonia ko chorr ke aane ke baad woh saari khushiyaan jaa chuki thi.'

[...]

'Veer ka saath jaise mujhe unhi lamho me le gaya. Par, kya kiya maine uske saath? I don't deserve his friendship. I don't deserve to be around him.'


IMG-20240407-170303

Ho na ho, Veer hi woh kaaran tha jiski wajah se aaj Ava jeevit thi. Warna, France ki unn vardato ke baad usne-

[W-Wait!!! What are you doing?]

Uska uss pahaad ki choti par khade hona. Aur, neeche khaayi ki orr dekhna.

[D-Dear! Stop it! What the hell are you doing? H-Hey don't scare me! Please!]

'There's nothing left now! I must go as well! Lily...!'


[W-Wait!! N-Noooooo!]

Woh khud khushi karne jaa rahi thi. Aur usne apna perr aage badha bhi diya tha.


[Noooooooooooooo!!!!!]

Par, usi waqt Veer ke akhiri shabd uske mastishk me punah goonj gaye.


'Go and protect your loved one now.'

Aur, usne apne santulan ko girne se bacha liya.

[You idiot!!! You scared the shit outta me. Ye... Ye kya kar rahi thi dear? Whyyy?]

'I'm sorry-!!! *sniff* I'm sorry, Lily. I'm so sorry!!! Maine tumhare baare me zara bhi nahi socha. N-No-!! I didn't even think of him either-!!'

[Huh!?]


'Usi ne kaha tha na!? Th-Then I must protect him!'

[Y-You-!!!?]


*Clang* *Clang*

Ateet se baahar aate hue Ava ki aankhein saamne Jaw Long ke harr move ko padhne me vyast thi.

Woh prahar karti jaa rahi thi magar Jaw Long peeche fall back karte hue khud ko bacha le raha tha.

Jaw Long uss se direct fight nahi le raha tha. Pata nahi kyu, par woh Ava ke hathyar katana se kaafi bhaybheet sa nazar aa raha tha.

Ava ne apni tactic turant hi badli aur apni jeb se usne handgun nikaal seedha dur khade Jaw Long ki upar taan di.

'Kisi wajah se woh mujhse directly nahi lad raha hai. Agar woh long ranged fight hi chaahta hai toh theek hai. He can have a kiss of my bullet.'



IMG-20240223-195059

*Bang*

Jaise Jaw Long ne kuch bhaanp liya. Woh tezz raftar me daudta hua apni jagah se bhaagne laga. Aur, Ava ki bullets apne nishaane se choonk gayi.

'Shit!! Kaash mere paas perfect aim ki koi skill hoti.'

*Bang* *Bang* *Bang*

Bullets gun ki nozzle se nikalti jaa rahi thi, par harr baar Jaw Long apni speed ke chalte unse bachta jaa raha tha. Saari bullets ya toh hawa me ya fir pedo ke tane par lag unke parchhatte udhedte hue nikal gayi.

Ava ko bhi mission mila hua tha. Magar, uska mission Jaw Long se bhidant ka nahi tha. Uska mission tha~


[Mission : Stall the time.
Description : Don't let your loved one die.
Rewards : ??]


Koi bhi penalty nahi dikh rahi thi. Iska matlab... Penalty death thi. Aur, system ko kho dena.

'Veer se ladne ke baad lagta hai ye aadmi kaafi thak chuka hai. I might be able to take him down.'


[Filhal toh wo hamari saari bullets se bach raha hai. Hume use jald se jald ghayal karna hoga.]

'Toh ek baar me ek bullet enough nahi haan? Alright then!'

Agle hi shan usne apni jacket khol andar se ek aur handgun nikali. Aur, dono handgun Jaw Long ke bheje ki orr taan usne trigger daba diya.



IMG-20240223-195029

*Bang* *Bang*

Do sansanati hui bullets guns se nikal Jaw Long ki chithde udaane ko aayi. Lekin, lagatar tez gati se bhaag raha Jaw Long unhe chakma dene me qamyab raha. Magar, khel yahi samapt nahi hua tha. Fire karte hi Ava ne unn dono guns ko upar hawa me ucchaal diya. Guns hawa me upar gol ghumti hui gayi aur tabhi-

Ava ne apni jacket punah khol aur do handguns usme se nikali. Unse fir se bhaag rahe Jaw Long ki taraf nishana lagaya. Aur, iss baar jaise Jaw Long ke chehre par dehshat saaf nazar aa gayi.

*Bang* *Bang*

Hawa ko cheerte hue woh bullets uske maans me dhassne ko aayi aur Jaw Long darr ke chalte ped ke peeche jaa dubka. Woh bullets ped ke tane ko ukhaadte hue usme jaa dhansi.

Idhar Ava ne haath me pakdi dono guns ko bhi turant hi hawa me uchaal diya. Jaise hi usne ye guns hawa me feki, pichhli do guns jo usne pehle se hi hawa me feki hui thi woh gravity ke chalte tezi se neeche aayi.

Unhe punah haath me thaam usne firse-

*Bang* *Bang*

Aur, wapas se unhe hawa me uchhal diya. Upar feki gayi baaki ki do guns fir neeche aayi aur iss baar unhe thaam-

*Bang* *Bang*

Woh do guns hawa me fekti, do se fire karti aur fir unhe hawa me fekti aur pichli do guns se fire karti. Ek baar me hi... Woh 4 handguns istemal kar rahi thi.

Aur, ye sab kuch itni tezi se ho raha tha ki aam insaan ko bas Ava ke haath ki dhundhli aakritiyaan hi nazar aati. Uske haath after images bana rahe the. Guns itni tezi se hawa me uchhal ke neeche gir rahi thi aur wapas se hawa me jaa rahi thi ki pata laga paana mushqil tha kaun si gun pehli waali thi aur kaun si dusri.

Usne itni bullets ped pe daag di ki ped ka tana hi toot ke bikhar gaya. Jaw Long kisi bheegi billi ki tarah ek ped se dusre ped ki aadh me khud ko chhipane par majboor ho gaya.

Ab tak close ranged fight me woh bada hi guroor dikha raha tha. Par, bandook ke saamne aate hi woh dubak ke chhupne par vivash ho gaya.


[Such skill of handling weapons. She's a skilled warrior.]

Yaha tak ki uska khud ka system bhi Ava ki weapon handling ki tareef karne me peeche na raha.

'Kai! Agar, aise hi chalta raha toh-'

Woh mann me kehte hue ek ped ki aadh lene bhaaga jab tabhi-

*Bang*

*Squelch*


"Urrrghhh!"

"Finally! I got him!"

Akhir kaar ek bullet ne apna kaam kar hi diya. Kandhe ke paas aake bullet maans ko cheerte hue andar ghusi. Aur, Jaw Long ki ek dabi dard bhari karah muh se nikal gayi.

'Agility badhani hogi, Kai!'


[Long! Tumhare paas sirf 3000 points hi baaki hai.]

Kehte hue usne uske mann me hi full status dikha diya.


web-9


web-10

'Jaanta hu! Lekin, Aura vision ko upgrade karne ke liye mere paas paryapt points nahi. Agility ki zyada zaroorat hai.'

[Accha? Aur, sleep ka kya? Bina sleep ke points nahi badhne waale. Stats me points invest karna bekar hai.]

'...'

Jaw Long kuch na bola. Kai ki baat sahi thi. Agar, agility me points invest kar bhi diye to bina neend ke woh nahi badhne waale the.


[Intezar kiska kar rahe ho? Apne trump cards ka istemal karo. Aur, jald se jald ye ladayi khatam karo. Straight way se ghuse Li Renshu aur unke aadmi kahi mine tak na pahuch jaaye.]

'Hmm!'

Kai ki baat maante hi Jaw Long ke ird gird ki hawa badalne lagi. Woh poori tarah se gambheer ho gaya. Wahi, yaha Ava ki bullets ki saari magazines khatam ho chuki thi.

Woh ab apni katana ko haath me pakdi wapas se close combat ke liye taiyaar thi. Magar, Jaw Long ke haav bhaav use satark rehne par majboor kar rahe the.

Aur, fir-

*Ding*


['Berserk' has been equipped.]

*Ding*

['Berserk' has been activated.]


web-6

Agle hi shan Jaw Long ka saara intelligence dhadalle se neeche girne laga. Ek ke baad ek uske intelligence ke 150 points girte chale gaye. Aur, usi ke saath ye points uski 180 strength me judne lage. Jaha ek taraf intelligence ghat raha tha toh wahi dusri orr strength badhti jaa rahi thi.

Berserk! Ek aisa card jo intelligence aur strength stat ke beech apna game khelta tha. Ek aisa card jisme intelligence ka balidan dene ke baad uske saare points strength stat me liye jaa sakte the.

*Ding*


[Intelligence has reached zero.]

[Strength stat has reached 330.]


Intelligence ke saare ke saare points strength me jaa chuke the. Jaw Long ke ird gird ki hawa bhaari mehsoos hone lagi. Uske lambe baal hawa me lehrane lage.

330 ki strength. Akhir kitni taqat rakhti thi? Woh kisi pagal khule saand ki tarah ho chuka tha. Jo raaste me aaye kisi bhi insaan ke tukde tukde karne ko taiyaar tha.


[This is bad!!! I can feel it. He's using something. Dear! Distance leke hi fight lena. Woh kisi prakar ka card istemal kar raha hai. Uski taqat badhti hui mehsoos ho rahi hai. Be careful!]

Lily ki chinta janak awaaz Ava ke mann me goonji. Ava ki bauhe bhi bhay aur duwidha ke chalte sikudi hui thi. Jaw Long ka aura woh feel kar paa rahi thi.

Aur, tabhi-

"Haaaaaaaarrrggghhhh!!!"

Jaw Long dahaad maarte hue hawa me uchakta uski orr aaya. Ava ghabrate hue peeche koodi aur Jaw Long ka taqatvar mukka zameen par jaa gira.

*Boom*

Ava ne jaise hi uss jagah ko dekha jaha woh pehle khadi hui thi uski aankhein khauf ke maare fel gayi. Zameen ke chithde udd chuke the. Ek mukke se hi waha par crater bann gaya.

'Wh-What kind of power is he using?'


[Maine kaha tha na. Usne kisi prakar se apni strength badhayi hai. Warna iss tarah ka damage asaani se nahi kiya jaa sakta. Beware! Agar ek bhi attack hume laga, to hamare liye mushqil ho jayegi.]

'Yeah!'

Jaw Long par jaise bhoot sawar ho chuka tha. Ava ko maarne ke liye jaise hi usne dusra mukka feka, Ava peeche gulati maarte hue uss se distance bana ke bachi aur ped ki aadh lete hue peeche ho gayi.

Parantu, ped jaise hi Jaw Long ke mukke ke sampark me aaya-

*Smaaaashhhhh*

Aisa laga maano ped me kisi ne bomb laga ke chorr diya ho. Kyuki, kisi visfot ki tarah hi uske parchhatte udd gaye. Ped tukdo tukdo me toot ke hawa me bikhar gaya. Itna vishalkaay ped yu ek hamle se hi dhwast ho gaya. Ava ki haalat iss samay shabdo me bayaan kar paana mushqil tha. Usne aaj tak aisi taaqat ka namoona nahi dekha tha. Ghabrahat ab uske andar janm le chuki thi.

'Th-That's-!'

Woh abhi koi rann-neeti sochti ki tabhi kisi vyakti ki awaaz aayi.

"Hahaha! Koi bhi bhaag nahi sakta ab Lord. Maine saare pul ki rassiya kaat di hai. Ab sabko-"

Kehte hue woh nadaan tribe ka member jaise hi Jaw Long ke nazdeek aaya. Jaw Long ne uska kandha thaam use wahi jakad liya.

"Huh?"

Apne Lord ki bina aankhon ki putliyo waali chhavi qareeb se dekh uss tribe ke aadmi ka moot uski jaanghiya me hi nikal gaya.

"L-Lord?"

Aur, ye uske akhiri shabd the. Kyuki, palak jhapakte hi-

*Bammmm*

"A-Ah-!!!"

Ava ki aankhon me dehshat saaf nazar aayi. Saamne ka drishya dekh uska badan kaanp utha. Jaw Long ne aisa mukka maara ki uss tribe member ka sarr kisi tarbooj ki tarah fatt gaya. Khoon sahet dimag ke chhote chhote tukde, aur andhruni ang bhi kayi tukdo me vibhajit hote hue chaaro orr fel ke gir gaye. Uska bina sarr ka bacha hua shareer bhi ladkhada ke zameen par dhamm se gir pada.

Aur, vatavaran me khoon ki gandh fel gayi.

*Blurgh*

Ava ko vomiting jaisa feel hua. Usne iss tarah ki maut kabhi nahi dekhi thi. Neeche uss tribe member ke dimaag ke tukde, toh kahi aankh ki putliyaan, uske chehre ke alag alag ang dale hue the jo ab pehchan me bhi nahi aa rahe the.

Yahi tha Berserk card! Jo apno aur dushmano ke beech antar karne me asaksham tha. Jaw Long ne apna intelligence sacrifice kar strength ko apnaya tha. Ab 15 minute tak bas Berserk ka hi prakop chalne wala tha.


[He's a monster!]

'H-How am I gonna fight him?'

[Tabhi toh keh rahi hu. Iski koi zaroorat nahi. Just run and escape.]

'N-No Lily! I can't-! And, I won't! Mein use yaha chorr ke nahi jaa sakti.'

[You-!!!]

'I'm sorry, Lily. But please...! Help me this one last time.'

[ *sighs* Fine!]

*Ding*


Vinona-s-mark

['Vinona's Mark' has been equipped.]

['Vinona's Mark' has been activated.]

['Vinona's Mark' has been applied on the target.]

[20 minutes...! Sirf 20 minutes hai. Hume uss se tez rehna hoga. Tabhi uske attacks se bach payenge. Defensive hote hue uss par bas ek ek vaar karti jaana. 10 consequent hits lagte hi use 150% zyada dard pahuchega. Aur, bleed bhi apply ho jayega.]


'I know! Par, uss se bachna hi sabse bada challenge hai.'

[Lekin, hume karna hoga.]

'How many points do I have?'

[See for yourself!]

*Ding*


Ava-status-1


Ava-status-2

Ava ka full status uske samaksh tha. Points ki kami dekh usne apne nichle honth ko gusse me daanto tale daba liya.

'Sirf 1500!?'


[You purchased 'Rekkaken' and 'Judo Combat' last month. Aur, Masie's cure ke liye itne saare points Death Flag me istemal ho gaye the. Mission bhi itne time baad mila hai. Of course, we have a shortage of points.]

'Damn it!'

Ava zyada derr tak apni vartalap Lily ke sang na kar paayi kyuki, Jaw Long chhalaang maar apni jagah se uda aur use maarne ke liye aaya.

Vinona's Mark activate hote hi Ava apne Judo combat style ko apnaate hue stance me aa gayi.

'Come!'

Weapon Master card ki wajah se woh harr hathyaar ko chalaane me saksham thi. Magar, Judo Combat usne ab tak kisi pe istemal nahi ki thi. Ye skill nayi thi. Aur, uska pehla hi pratidwandi Jaw Long tha.

Jaw Long ka mukka uski kamar par lagne ko aaya toh Ava chhalaang maarte hue peeche hui aur perr zameen par rakhte hi-

*Whoosh*

Woh jhatke se Jaw Long ke peeche aayi. Aur, ek strike seedhe Jaw Long ki peeth par maari.

*Thuck*

Maarte hi woh hawa ki gati se peeche hatt gayi. Aur, ye ekdum sahi faisla tha. Jaw Long ne apni laat itni tezi me peeche ghumayi ki agar woh waha khadi rehti toh uski haddiya toh tootati hi saath hi woh kayi metre dur jaake girti.

Idhar strike padte hi Jaw Long ko jaise kaafi kshati pahuchi. Vinona's Mark marked target par 120% damage zyada karta tha. Ava ki strength 150 par thi.

150 strength ka 120% zyada damage. Matlab 330 ka physical damage. Ava khud bhi nahi jaanti thi ki woh itna damage kar sakti thi. Usne kabhi bhi Vinona's Mark ka itna istemal nahi kiya tha. Aur, na hi Judo Combat ka.

Woh nahi jaanti thi ki uska damage Jaw Long ke damage ke barabar pahuch chuka tha. Ya yu kahe ki usne uss detail par utna dhyan hi nahi diya tha. Jaw Long ko jaise hi peeth par woh vaar pada, uski peeth ki maans peshiyaan andar hi andar phatne ko ho gayi.


[Bas 9 hits aur...!]

Bleed apply karne ke liye Ava ko 9 baar aur vaar karna tha. Aur, woh bhi bina ek bhi attack apne upar liye. Tabhi, uske attacks consequent kehlaate.

Woh datt kar aage badhi. Magar, pichli baar wali chaal iss baar qamyab na ho saki. Jaisi hi woh Jaw Long ki taraf feint attack karne ko aayi.

Sheba na jaane achanak kaha se uske bagal se apne panje felaata use nochne ko aa gaya. Woh ghabrati hui jaise hi mudi-

Uss se yahi par galti ho gayi. Sheba apne pankh fad-fadata hua wapas upar uda aur Jaw Long ko yaha mauka mil gaya.


[Shit...! Dear, careful!]

Parantu, kaafi derr ho chuki thi. Ava jaisi hi wapas palti-

*Pooooowwwwwww*

Jaw Long ka punch uske pait par pada aur woh hawa me udti hui kayi feet dur jaa giri. Uske muh se khoon nikalne laga.

Internal bleeding!!!


[Dear...!]

Lily chintit swar me chillaayi. Aisa lag raha tha maano andar ki saari atadiyo par 100 kilo ka wazan rakh diya ho. Uski saansein ukhdi ukhdi prateet hone lagi. Jaw Long ka endurance 200 par tha. Magar, wahi Ava ka maatr 150. Zahir hai uski dard sehen karne ki kshamta Jaw Long se kam thi.

"Urgghhh!!!"


[D-Dear-!!]

Na chaahte hue bhi Ava apne ghutno par gir padi.

'It hurts like hell...! Urrghhh! L-Lily!'


[Y-Yes!!?]

'Aisa lag raha hai jaise andar se kisi ne mere ango ko noch ke daba diya ho. Ahhh-!!'

[Bear with it, dear. Just bear with it.]

Magar, use react karne ka samay hi nahi diya gaya. Jaw Long uske saamne aake khada ho gaya.

[N-No-!!! Dear!!! RUNNN!]

***

Jab Jaw Long aur Ava dur ladne me vyast the. Toh wahi Veer apni neend me kaafi recovery kar chuka tha.

Pari ne Beowulf ko kuch derr ON rakh Veer ki healing ko badha diya tha. Aur, jaise hi bleeding band hui, usne use wapas se band kar diya. Kyuki, woh jaanti thi ki Beowulf aage kaam aane waala tha.

Veer ki palke jhapki... Aur, woh apne hosh me aaya. Neend ki wajah se usne jo points pehle add kiye the woh ab invest ho chuke the.

[Are you awake now?]

'Pari-!!!'

Saamne ka dhundhla drishya jaise hi spasht hua toh Veer ne paaya ki uske saamne Erica baithi hui thi. Erica bhi jaise use hosh me aata dekh chehek uthi.

Erica : Ahhh!!! Tumhe hosh aa gaya!!!?

Veer (breathes heavily) : Erica???

Erica (nods) : Haan! Tum theek ho na?

Veer : T-Tum yaha?

Erica : Uh-huh!

Veer : Tum yaha kya kar rahi ho?

Erica : M-Mein tumhe yaha se le jaane aayi hu obviously. Jaw Long bahut zyada shaktishali hai. Hum abhi uske level par nahi hai.

Veer : Jaw Long! Th-That's right! W-Wait-!!! Ava...! Ava kaha hai?

Jaise ab use sahi se hosh aaya. Woh uth ke baitha aur apne shareer ko idhar udhar mod apne dheele aur ghayal purjo ko usne jaise sahi kiya.

Erica : Ava?? Kaun Ava?

Veer : Wahi jisne mujhe bachaya. Jo yaha aayi thi...! Jaw Long mujhe maarna aa raha tha aur woh-

Erica : Oh tumhara matlab woh ladki? System holder?

Veer : Yeah!!

Erica : Wahi toh jab se Jaw Long se bhidi hui hai.

Veer : She's fighting Jaw Long?

Jab Veer ke chehre par uss ladki ke liye chinta ke bhaav Erica ne dekhe toh woh asahaj sa mehsoos karte hue tapaak se puchi,

Erica : K-Kaun hai woh ladki?

Veer : Ava-!!! She's none other than... Natalia Martin!

Erica (stands up) : Whaaatttt???

Apne pita ke wahi bol Erica ko fir yaad aa gaye. Chaahe kuch bhi ho jaaye Natalia Martin par bharosa mat karna. Aur, yaha woh usi Natalia Martin ke bharose pehle hi baithi hui thi.

Erica : U-Uss par bharosa nahi kar sakte hum. Hai na?

Uske sawal par Veer khamosh raha. Uski chuppi ko dekh Pari ne kaha.

[Boy-!!! What are you thinking?]

'Woh move...! Maine wo knife feki thi uss Jaw Long ki taraf.'

[Yeah, so? Pata laga liya hai humne already ki uske paas koi dodging skills nahi hai.]

'Ho sakta hai...! Par-! Maine woh sirf isliye nahi feki thi.'

[Huh!?]

'Aura vision!!! Non living things nahi dekh sakti-!!'

Pari ne jaise hi ye suna uske dil ne jaise ek dhadkan phaand li. Agar woh yaha uske saamne khadi hoti toh uske badan me khade hue raungte Veer saaf saaf dekh paata.

[You fucking-! Hahahahaha!!!!]

Woh zorro se hassne lagi.

Aura vision non living things nahi dekh sakti thi jab tak ki use upgrade na kiya jaaye. Yahi kaaran tha jo Jaw Long Ava ke dwara nikaali gayi katana se itna bhaybheet hoke dur bhaag raha tha.

Kyuki, use katana dikhayi hi nahi de rahi thi. Woh sirf Ava ke haath ke movements ko padh andaaza laga ke uss se ladd raha tha. Ava ke haath me hathyaar kitna lamba tha woh bas iska anumaan hi laga sakta tha. Aur, isliye woh Ava ki guns se bhi bhaagta raha. Na hi woh guns dekh paa raha tha aur na hi bullets. Kyuki, ye sab non living things thi.

Veer ne na sirf woh knife fek ke ye check kiya ki Jaw Long ke paas koi dodging skills thi ya nahi, balki ye bhi check kar liya tha ki Jaw Long ne Aura vision upgrade ki hui thi ya nahi. Aur, isi ke chalte use ye baat bhi pata lag gayi ki Jaw Long ke paas Aura vision ko upgrade karne ke paryapt points nahi the.

[If I would have been in my physical form. I swear I would have crushed your head while hugging you. Hahahahahahaha!!!]

Pari ka excitement iss waqt charam pe tha. Agar woh saamne hoti toh uske chehre par ek khaufnak muskan feli hui hoti.

'It's time for Round 2!'

Gehri saans lete hue Veer uth khada hua. Badan abhi bhi dard kar raha tha. Ghaav abhi bhi gehre the. Magar, samay yaha baith ke araam farmaane ka nahi tha.

Erica : U-Utho mat! Just rest! Bleeding abhi abhi band hui hai. Agar, tum zyada chaloge firoge to ho sakta hai firse shuru ho jaaye.

Veer : I need to go-!

Erica : What???

Veer : Erica! Kya tum mujhe yaha reh ke protect kar rahi thi?

Erica : Uh-huh! M-Mujhe mission bhi mila tha.

Usne jaise hi bola, uske mann me tabhi ghanti bhi baj uthi.

*Ding*

['Mission : Safeguard Veer until he recovers' is completed.]

*Ding*


[You have been rewarded with the skill 'Basic Seer Vision.']

[Skill : Basic Seer Vision.
Description : Allows the host to witness all the events that transpired at a particular place within an hour prior from the running time.]


Erica : O-Oh! Mission poora ho gaya.

Veer : Thanks!

Erica : Ehh??

Veer : Meri safety ka dhyan rakhne ke liye thanks. You... have grown up!

Erica : ...!!!?

Veer : Now I need to fulfill my role.

Erica : Wait-! Tum iss haalat me-

*Whoosh*

Kintu, uski baat adhoori hi reh gayi. Kyuki, Veer hawa ke jhonke ki tarah waha se jaa chuka tha.

Erica (shouts) : Veeeeerrrrrr!!!!

***

'I think... This is the end, Lily!'


[Noooo-!!! Get up and run!!!]

'I... I can't-! Mere perr kaanp rahe hai.'

Jaw Long uske saamne uski maut bann ke khada hua tha. Ek hit me hi Ava ka shareer atyadhik damage le chuka tha. Endurance kam hone ka nateeja tha ye.

Jaw Long bhi kaafi ghayal tha. Magar, Berserk use tike rehne ki himmat de raha tha. Usne apna haath hawa me uthaaya aur uss tribal ke aadmi ki tarah woh Ava ke sarr ke chithde udaane hi wala tha jab-

Bagal se aati ek zordaar kick ne use dur girne par majboor kar diya. Jab Ava ne saari umeedein chorr di thi, tab ek baar fir Veer uske saamne aake khada ho gaya.

Ava : !!!??

Veer uski taraf peeth kar ke khada hua tha. Woh nahi jaanta tha ki iss waqt Ava ki aankhon me aasu the.

Veer : I told you to never show me your face. Right?

Ava : ...!

Woh khamosh rahi. Apna sarr jhukaate hue woh apne hontho ko daanto se kaat khud ko dosh dene lagi. Kya kar sakti thi? Woh apne dil ke aage bebas thi.

Veer ne aage kuch na kaha. Woh bas Jaw Long ki taraf daud pada. Aur, idhar Ava ke chehre ke bhaav taajub me tab badle jab use apne mann me woh notification sunayi diya.

*Ding*


[Veer's favorability has increased to 20.]

Ava bas aashcharya me dur jaate Veer ki peeth ko dekhti reh gayi.

'V-Veer-!!?'

Veer Jaw Long se bhid baitha. Berserk ko khatam hone me abhi 2 minute baaki the. Woh tez raftar ke saath uske paas pahucha. Jaw Long ne jaise hi Veer ki taraf apni kick maarni chaahi-

Veer neeche jhuk gaya. Zordar force waali kick uske sarr ke upar se nikal gayi. Aur, Veer ka taqat se bhara mukka seedha Jaw Long ki jaangh pe jaa ke laga.

*Pooowwww*

Uska santulan bigda aur woh ladkhadaya. Mauka dekh Veer seedhe uske peeche gaya. Uske dono haath Jaw Long ki kamar par lipte-

Aur, agle hi shan itna bhari bharkam Jaw Long hawa me tha. Peeche se Veer ne use uthaaya aur peeche hi le jaate hue-

*Baaaaaaammmmm*

Neeche zameen par use sarr ke bal patak diya. Zameen par ek crater bann gaya.

Haafte hue Veer Jaw Long ki kamar ke peeche se baahar nikla. Sarr par bahut zorr ke padi thi Jaw Long ko.

'Did I... win?'

Veer abhi khade hue ye soch hi raha tha kyuki Jaw Long koi bhi harqat nahi kar raha tha. Par, achanak hi-

'Shit-!!!'

Jaw Long ne akasmat hi uske ankle ko apne haath me jakad liya. Uski pakad itni mazboot thi ki uss se chhootna namumkin sa tha.

Jaw Long uchakta hua Veer ko apne saath hawa me upar le gaya aur fir-

Usne itni zorr se neeche Veer ko patka ki ek shockwave uss poore ilaaqe me fel gayi. Sahi samay par Pari ne Bone Reaper equip kar liya warna Veer ki haddiyon ko aaj choorma bann jaata.

"Veeeeeer-!!", Ava dur se hi kamzor awaaz ke saath uski orr chillaayi. Lekin, koi fayda na tha.

Veer ka ang ang dard se tadap raha tha. Magar, Jaw Long wahi par nahi ruka. Usne punah Veer ke perr ko kheencha aur use-

*Craaaassshhhhh*

Ped se bhedte hue ped ke tukde kar diye. Veer ek baar fir khoon se lathpath dur jaata hua gira.

Jo bhi bleeding pehle ruki thi woh dheere dheere wapas se behna shuru ho rahi thi.

[Agar, aise hi chalta raha toh tum blood loss se hi marr jaoge.]

Tabhi-

*Swoosh* *Swoosh*


*Swoosh* *Swoosh*

Kuch teer Veer ke ird gird golaayi me jaa ke zameen par dhansne lage. Parantu, woh sirf teer nahi the. Unke chorr par insaano ki asli khopdi latki hui thi.

Berserk ka samay samapt ho chuka tha. Jaw Long wapas se apne hosh me aa chuka tha.

"Shebaaaaaa-!!!!"

Baaj ko awaaz lagaate hi woh baaj jaise ishara samajh kahi udta hua chala gaya.

Jaw Long fir Ava ki taraf badhne laga. Usne Ava ke baalo ko apne haath me jakda aur use kheenchte hue le jaane laga.

"Nnnghhh!!!"

Veer ne apni ardh khuli aankhon se jab ye dekha toh himmat kar woh uthne ki koshish karne laga. Magar, dard ke chalte woh wapas se gir gaya.

'N-No-!!!'

[Tumhari chaheeti ko baalo se pakad ke woh le jaa raha hai. Toh? Ab kya karoge tum?]

'Pari-!!'

[Fufu~ Yes?]

Bhaagti hui aayi Erica ne jab ye manzar dekha toh ek sihran uske badan me fel gayi. Ava ko bachaane ke liye usne apna boomerang Jaw Long ki orr feka.

Toh, Jaw Long ne ek haath se uss boomerang ko pakad liya.

Erica : K-Kaise-!?

Woh majbooran uski orr bhaagi. Peeche nahi baith sakti thi. Magar, nateeja wahi. Erica ko pakad ke jaise hi Jaw Long ne ek ped se bheda, bechari Erica ke sarr se khoon behna shuru ho gaya. Sirf do mukke hi kaafi the Erica ko ghaayal karne ke liye. Dono haatho me do sundariyo ke kesho se unhe jakadte hue Jaw Long unhe zameen me ghaseetata hua le jaane laga.

Veer apna haath aage badha ke unki taraf jaane chaahta tha. Lekin, uska shareer jawab de raha tha.

[What are you gonna do now?]

Pari toh jaise uski iss haalat par lutf le rahi thi. Jaise woh kuch soch ke baithi hui thi.

'A-Ava-!! Erica!!!'

Jaw Long ne unn dono ko bhi ek ek jagah par patak diya. Aur, unn dono ke ird gird bhi teer zameen par baari baari khuse hue the. Aur, unke chhor se insaano ki khopdiyaan latak rahi thi.

Jaw Long zameen par baitha. Aur, tabhi-

*Keaaaarrrrrr*

Sheba akaash me udta hua uski orr aane laga. Uske panjo me kuch tha jo bilbila ke tadap raha tha. Ek murga!!!

Murge ko hawa me chorrte hue Sheba wapas se ped ki daali par baithne chala gaya. Toh wahi Jaw Long ne uss murge ko pakda aur apni vidhi ko shuru karne ke liye taiyaar ho gaya.

Uske muh se vichitra bhaasha me bol nikalne lage. Aisi bhaasha... Jise Veer kya, kisi ka bhi system pehchaan na saka.

[He's using Gong Tau!!!]

Pari ke bol tabhi Veer ke mann me goonje.

Gong Tau ek black magic skill thi. Aur, iska upyog karne ke peeche ek hi kaaran tha ~ Laalach!

Gong Tau ek vashikaran ki kriya thi. Jiski madad se targets ko control kiya jaa sakta tha. Vashikaran hone ke baad agar targets ko maar diya jaaye toh unke saare cards aur skills Jaw Long ke paas aa jaane waale the.

Isi laalach ke peeche woh iss kriya ka upyog karne laga. Woh kuch padhta jaa raha tha. Aur, nirantar uski awaaz badhti jaa rahi thi.

Achanak hi-

*Rattle* *Rattle*

Teer par khusi khopdiyaan apne aap kampan karne lagi. Kad-kad ki awaaz ke saath woh thar-tharaane lagi. Hawaaein tezz ho gayi. Aur, Jaw Long ne fir uss murge ko pakda-

*Slit*

Uske gale ke paas ek cut maara...! Murge ko latkaya toh uska khoon neeche tapakte hue kisi vichitra si dikhne waali cheez par girne laga.

Khoon kuch maatra me giraate hi Jaw Long ne uss murge ko feka toh murga apni peeth ke bal hawa me perr kiye zameen par gir pada. Jaw Long ne ye dekh haami bhari. Iska matlab tha ki aatmao ne uski kriya ko sweekar kar liya tha.

Aur tabhi-

Woh murga jiska gala kaata gaya tha woh apne aap uth khada hua aur pankh fad-fadaata hua waha se bhaag utha. Idhar Jaw Long apni kisi prakar ki tantra vidyao me wapas se lag gaya.

Aur, ab Veer ko apne shareer me kuch gadbad mehsoos hone lagi. Sirf Veer hi nahi, Ava aur Erica ka bhi yahi haal tha.

[He's taking control of your body...! Agar tumne kuch nahi kiya. Toh, sab khatam hai.]

'P-Pari-!! Help me-!!!'

Veer ki bahut kamzor awaaz uske mann me aayi.

[Hmm? I didn't hear you-!?]

Jaw Long ke garajte bol apna asar kar rahe the. Veer samet Ava aur Erica ke haath apne aap unke gale par jaake jakad gaye. Woh sabhi apne apne gale ko kass ke dabaane lage. Erica aur Ava dono ki aankhon me aasu the.

Jaha ek taraf Ava haar maante hue sab kuch sweekar kar chuki thi aur mayus aankhein liye Veer ko dekhti jaa rahi thi jaise ye antim shan tha ek dusre ko akhiri baar dekhne ka toh wahi Erica ka chehra kuch aur keh raha tha. Use dekh ke lag raha tha maano jaise woh marrna nahi chaahti thi. Bebasi uske chehre par saaf jhalak rahi thi. Aankhon se mote mote aansu uske gaalo se behte hue gir rahe the.

'Pariiii-!!!'

[Hmm?]

'H-Help me-!!'

[Ohh? Mujhe kuch sunayi nahi de raha! Fufu~]

'I beg you-!! Please!!!'

[Ohh!! Waqai?]

'Please!!'

Veer ki saansein ukhdi ukhdi aa rahi thi. Pari kuch derr shaant rahi. Veer ke haath apne aap gale ko dabaate hue kasste jaa rahe the.

"Urrghhh!"

'P-Pari...!!!'

Agle hi shan Pari ki awaaz thodi badal gayi. Maano jaise woh bhayanak gusse me uss se baat kar rahi thi.

[THEN...! ARE YOU WILLING TO GIVE YOUR BODY TO ME???]

'Huh!??'

[DO YOU WANT ME TO TAKE CONTROL? TO DEFEAT THIS PUNY LITTLE BASTARD?]

'H-Haan-!!'

[ARE YOU WILLING TO HAND OVER YOUR POINTS TO ME???]

Woh chillaayi.

'Haan! *Gwakh* H-Haan!'

[THEN GIVE THEM TO ME-!!!]

'Hmmm!!'

[YOU ARE DOING THIS BY YOUR OWN ACCORD. RIGHT???]

'Y-Yes-!!!'

[THEN GIVE ME... THOSE POINTS!]

'Hmmm-!'

Aur, tabhi Veer ke 5692 points jo usne emergency ke liye bachaaye the. Woh dhadalle se ghatne lage.

[YES...! YES...! GIVE THEM TO ME!! THAT'S RIGHT!!! KEEP IT COMING!! THE MORE THE BETTER...!]

Woh points kaha jaa rahe the, unka istemal kaha ho raha tha Veer kuch nahi jaanta tha. Woh toh Pari ki baat maan vivash hote hue apne saare points daav par laga diya tha.

[YOU MUST THANK ME LATER KID-!!! IT'S YOUR GOOD LUCK THAT I WAS HERE-!!! OTHERWISE, YOU WOULD'VE BEEN DEAD!!!]

Veer ki consciousness dheere dheere jaane lagi. Aur, kuch hi shano me woh behosh ho chuka tha. Pari ne poore shareer pe takeover kar liya tha. Ghatate ghatate Veer ke saare points zero par aake ruk gaye.

[Hahahahahahahaha-!!!]

Pari paaglo ki tarah hass rahi thi.

[Hahahaha-!!! THIS BODY...! IT'S WEAK!!! BUT YOU'RE LUCKY KID-!! BECAUSE I'M THE ONE POSSESSING IT NOW.]

Veer ka badan jab gale ko dabaate hue gir pada toh Erica ne rote hue apni nazre ferr li. Use laga ki Veer iss duniya se jaa chuka hai. Magar, Ava ki nigaahein ekdum Veer ke shareer ke upar sthir tiki hui thi.

Death Flag me aisa koi bhi notification nahi aaya tha. Woh jaanti thi ki Veer zinda tha.

Aur, fir-

Achanak hi Veer ka shareer gravity ke viruddh uski iccha ke bina upar uthne laga. Aas paas ke neeche bikhre sookhe patte kaapne lage. Uske uthate hi uski zulfo ne uski aankhon ko dhak liya.

Ava, Erica samet Jaw Long khud palat ke use dekhne par majboor ho gaya. Ye chal kya raha tha?

Jaw Long ko poora yakeen tha ki Veer kaafi damage le chuka tha. Uske baad bhi iss tarah uth khade hona...! Zaahir hai use hairangi honi hi thi. Use kya, yaha par uski jagah koi bhi system holder maujood hota toh uska bhi yahi reaction hota.

Na pehle kabhi aisa kuch dekha gaya, na suna gaya aur na hi aisa kuch hone ki kisi system holder ne kabhi kalpana bhi kari thi. Kintu, Jaw Long sab kuch mehsoos kar paa raha tha. Aur, ye sab kuch asal me ho raha tha. Uske saamne khada yeh naujavan ladka iska jeeta jaagta udahran tha ki aisa kuch bhi sambhav tha.

Veer utha. Uska muh achanak hi khula aur usne ek gehri saans muh se chorri. Kintu, raat me jangal me thand hone ke chalte uski garam saans dhue me tabdeel ho gayi. Aur, dhua uske chehre se chhatate hi uske hontho par ek bhayanak, daanavi aur kutil muskaan fel gayi.



IMG-20240408-203544


'Huh!?'

Jaw Long ka badan iss baar ek jhatka khaaya, pal bhar ke liye shareer par ruye khade ho gaye. Thand iska kaaran nahi thi. Uski vidhi beech me hi ruk gayi. Harr insaan ka aura neele rang ka hota tha.

Par... Par kabhi bhi usne aisa kuch aaj tak nahi dekha tha. Veer ka aura...

Veer ke badan se jo aura nikal raha tha. Woh pichli baar ki tarah neele rang ka nahi tha. Uske badan se... Iss baar... Woh bhayanak gehre kaale rang ke aura ki lapto se ghira hua tha. Aura keval andar hi nahi tha. Balki, Veer ke badan ke baahar ird gird bhi lapte maarta hua nikal raha tha.

Aisa lag raha tha jaisa nark se koi bhayanak pishaach dharti par aa gaya ho. Jaw Long ne iske pehle bas aatmao ki nakaratmak urjao ke aura ko hi halke kaale rang se lipta dekha tha. Aura vision urjao ko bhi halke rango se dikhaane me saksham thi.

Bhoot, pret, pishaach jeevit praani nahi hote the lekin nakaratmak urja ka strotra zaroor hote the isliye, unka bhi kahi na kahi thoda bahut aura hota tha. Magar, woh aura itna prachand nahi hota tha. Kaali lapte zaroor hoti thi par behad maamuli si. Par, idhar-

Veer ke badan se bheeshan kaali lapte aise nikal rahi thi jaise maano uss par kisi ne aag laga di ho. Bas, farq itna tha ki lapte peeli nahi kaali thi. Beshaq, ye lapte kisi ko bhi dikhayi nahi de sakti thi.

Veer ke naye roop ko dekh Jaw Long do qadam apne aap peeche ki orr chala gaya. Woh samajh raha tha ki savdhani baratna kitna zaroori tha yaha par.

Kintu, Veer poori tarah se shaant khada hua tha. Uski aankhein uske baalo se chhipi hui thi aur muh se nikalti saans nirantar thand ke chalte bhaap me badalti jaa rahi thi. Uske hontho par saji muskan kahi se bhi uski prateet nahi ho rahi thi. Lag raha tha maano uske andar kisi aur jeev ne apna vaas kar liya ho. Kisi aur ne uske shareer par qabza kar liya ho.

Iss waqt uska roop bhayanak, raudra, aur prachand maalum pad raha tha. Yuhi nahi Jaw Long ne apne qadam peeche liye the. Chaah ke bhi Veer ki iss badli hui sthiti ke baare me use kuch pata nahi lag paa raha tha. Yaha tak ki uska system bhi iss paristhiti se anjaan tha.


[Kuch gadbad hai. Samajh nahi aa raha ki kaun se card ya skill ka istemal kiya gaya hai.]

Ava jo Veer ko uthata dekh ek raahat ki saans li, usne apni katana ko hawa me feka jo Veer ke bagal se jaa ke zameen par khus gayi.

Ava : Take it... Veer!!!

Magar, Veer ke muh se uske baad jo bol nikle woh uske nahi the. Awaaz uski hi thi, parantu bol Pari ke the.

"I don't need any weapons...! I AM THE WEAPON!!!"
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
This update consists of 10.6k words. Ye thoda aur lamba jaata magar kisi bhi cheez ki zaroorat se zyada maatra haanikarak hoti hai. Isliye, ise yahi rokna sahi tha. Agle update me sab kuch samapt hai. Maine keh hi diya tha ki fight 4 updates legi. Teen update ho chuke hai. Bas ek baaki hai. Aur, uske baad shayad ek update aur rahega jo arc ke closure ke liye rahega. Update bahut late aaya hai jaanta hu. Par, mein vivash hu dosto. Baaki, likes thokne ka aur revos dene ka. Target apna 200 hi hai. Pahucha do. Agla update jald dene ki koshish rahegi.

Dhanyavad!
Is update mein bahut kuch dekhne ko mila

Jaise Ava k sath kya kya hua or Ava ne kya kya Kiya Veer k Jane k baad
Ava ne Veer k liye apni Jaan ki baazi laga di jo usne pehle galti ki thi uska thoda bahut pachtawa kar liya

Wahi Erica or uske system k bich ki conversation jo shayad kuch logo ko boring Lage lekin jaise ap caracter ko dikhate ho uske hisab se Erica ki feeling bhi humko Janna jaruri tha

Veer ne 1bar phir se maut jo lagbhag aa he gayi thi usko maat de di
Jaw Long sach mein 1 khatarnak dushman hai jiske pass bahut he jabardast power or skills ka Malik hai
Usne apna akhiri daav khel Diya hai

Wahi Pari ne bhi 1 naya or khatrnak roop dikhya hai jo kya kya karega yeh agle update mein shayad clear ho jaye

Li Renusha ne kya kya Kiya is dauran yeh bhi dekhna hai
 
  • Like
  • Love
Reactions: parkas and Werewolf

Mink

Avid reader
567
1,297
124
Bahut hi jabardast update AVA ke woh 4 handgun chalane wali style bahut unique thi aur berserk kamal ka skill hai bas jaw long jaise log hi usko use kar sakte 🥺 hein usko magar kahin na kahin pari ka jo mystic nature raha hai shuruaat se🥲 aur ab Jaw long ke aura vision se joh pata chala Pari normal system toh nahi hai (shayad koi special mommy system 😜 hi hogi) jiske iss weapon wale roop ko dusre system holder bhi asani se analyze/detect nahi kar paa rahe hein.

Erica abhi ek dam se samajh gayi ki veer ki kahi baatein magar ein mauke pe apna nerve control karne mein AVA bhi veer ke aaspas nahi pahunchi hai..

Khair iss arc ke last wale scene dekhne mein maja jarur aayega tab tak Waiting for your next update 😂

Note : lekhak ji ne fight scene mein badhiya jaan phoonki hai jaisa lag raha hai samne chal rahi ladai ko saamne mein kursi pe baith kar aaram se enjoy kar raha hun😊 (I don't think isse bakwas appreciate kisi ne kiya ho kisi writer ko magar mere manna hai ki ek writer agar reader ko apni likhi hui cheezein feel karwa de toh usse jyada satisfaction wali cheez kuch nahi ho sakti so isliye cheers 🥂 to Werewolf sir for your beautiful writing and for such a lovely and engaging fighting scene naration) and yeah sach mein crimson se one step aage hai.
images
 

Werewolf

ʀᴏɢᴜᴇ ɴɪɴᴊᴀ
Supreme
13,763
98,345
259
Update padke esa laga koi fighting movie dekh rha hu pesa vasool update tha
Dhanyavad!!!
Kya hi update tha bhai Aish laga koi horror movie dekh raha hu ak dam clear vision tha bhai
Fantastic and Update 👍🏻
Thanks a lot Bhai. Saath bane rehne ka. ✨
Amazing update 🤩🤩🤩....but how does pari is taking control...is it some hidden secrets of pari 👀...
We will come to know about that in the next update. Thanks btw. ✨
Yaha like se upar koi button do bhailog.

Beyond awesome update. Rongte to hamare khade hue hai.

Take your time bro and keep them coming.
Thanks man. :five:
Like ke upar koi cheez hai toh woh hai ju logo ke revos. Wahi dete rehne ka. Unhi ke liye mein aata hu yaha pe. :thumbup:
Werewolf kuch toh hai aap mei ...bahut hee accha likhte hai...update padhte waqt har ek scenes saamne chalta hai....lagta hai jaise koi movie...dekh rhi huu ......kisi din rich huye na 😅...pakka ek movie banaoongi aapko writer leke...
Aise hi thodi story contest jeet gaya tha :Pepeshy:Thanks and keep supporting. ✨
Agar Pari Veer ko possess kar sakti hai, to shyad Kai Jaw Long ko bhi kar sakta hai ⁉️
Because both of them are systems.
Agle update me hume iska uttar milega. Abhi spoiler hai ye.
भैंचो, रोएँ खड़े हो गयें बे पढ़ते पढ़ते... ऐसा भी कोई लिखता है क्या... हद करते हो यार... उफ्फ्.... पूरा पसीना पसीना हो गया... इतना पसीना तो सेक्स करते समय भी नही आता भैंचो । अगर best से भी उपर कोई तमगा होता है तो वो इसमे सटीक बैठता है...
पसीना पोंछ लो भाई। :sweat:
आने वाले अपडेट्स ऐसे ही हैं। अगला अपडेट भी बेहतरीन होने वाला हैं। :D और कई राज़ भी खुलेंगे इस आर्क के खत्म होते होते। लेकिन, कई नए सवाल भी खड़े कर जायेगा। साथ बने रहने का...
Buddy superb and dhasu block buster update jo mene padha 1 ghanta kab beet Gaya paat hi nahi chala
Ju ko padhne me ek ghanta lag gaya toh socho likhne me kitna gaya hoga samay. :D
buddy Mera bas ek sawaal hai ki ye perk hunt kya chiz hai
Wo keval Jaw Long aur Renshu ke system me dikha hoga. Unka level 10 ka system hai toh wahi Veer ka abhi 9 pe. Toh andaza laga sakte ho ki kuch Naya hi hai. :D
Uss baare me mat socho zyada. Uske baare me already sahi samay par sab bata diya jayega.
Is baar itna hi review isi liye kyu ki now iam back in business main pichle update ke review de paya kyu main thoda mind free karne trip per tha but ek baar firse rush hour lag Chuka order aachuka hai and firse Bina tel ke lene Raha hai abhi bhi office main hi hu party ko 2 moth ke under 2 tarah ke parst jo hum banate hai unka unka consignment cahiye isi liye iss baar itna hi but jese jese free hote hounga review rakhta jaunga

Sorry buddy main itne acche update par review nahi Dee paya
Koi na. Jab samay mile tab dene ka ..! Niji jeevan pehle hai. :thumbup: Thanks and keep supporting. ✨
Bhai iss story ka sabse thriller update tha end mai jo hua woh unexpected tha brilliant and beautiful update
Thanks a lot. ✨
Bhayanak….exploding…load with super duper thrill…mesmerising…update…😮
Dhanyavad.
Bhai lajawab
anime mein bhi video se Aisa seen create karna bhut muskil hai aur aapne srip words mein ye seen fill Kara Diya bhai legend ho bhai fight seen create karne mein
Aur bhai ye perk scroll kya hai ?
Agar animation karna asaan hota bahut toh mein isme kuch scenes animate kar unhe gif form me zaroor daalta. :approve:
Unfortunately animation utna easy nahi. Thanks btw and keep supporting.
Perk scroll jaisa kuch nahi. :nana:
Wo perk hunt hoga. Perk hunt aage samjhaya jayega. Uss par dhyaan mat do abhi.
Sala iski maa ka saki naka kiya update diya hai AC me paseena nikal update Diya hai sub saley system holder ek doosre ko chakit kar rahey they aur sab se zada end me chakit kia Veer ne ya yu kahoon sab ki kundalini hila ke rakh di. Wow kia dhasu update thaa.
Haha! Wese ye kisi ne expect nahi kiya tha shayad ki aisa kuch bhi ho jayega. :D Aur agar kiya bhi hoga toh socha hoga ki ye sab kahani ke end me hoga. Par Maine abhi hi aisa kuch laa Diya. Right?

Kahani lambi hai aur aage bahut kuch hone wala hai. Aisa jo readers kabhi imagine nahi kar sakte. :hint: Bas padhte raho.
Maza aa gaya bhai. To aakhir kaar Aunty Pari sorry Mummy Pari ne Veer ko submission per majboor kar hi Diya hai aur ab apne auqat pe aa gayi hai aur yah Jaw Long ke liye to qatayi accha nahi hai. Ab dekhna hoga usko kaisay bachta hain.
Waisay accha to yah Veer ke liye bhi nahi lag raha hain. Lag raha hai jaisay uski sari humanity hi khatam ho gayi hai is baar.
Veer toh unconscious hai. :dontknow:
Use thodi pata kuch ki kya ho Raha hai. Poora control pari ke haatho me hai. Wo hi uski body control me li hui hai. Aage Veer jo kuch bhi karne waala hai woh Veer swayam nahi, Pari karegi. Keval shareer Veer ka hoga.
Kaha sab ko Dil se lagane wala Veer ek dam se ek Demon me tabdeel ho gaya hai. To yah kahna bhi sahi rahega ki Jaw Long ki jagah ab yah dekhna hoga Veer khud ko apni is nahi personality se kaisay bachata hai aur yah sab uske jeevan me kiya changes laatey hain.
Abhi demon me tabdeel ho gaya aisa toh kahi kuch nahi likha. 😅
Veer ne bas apni consciousness khoyi hai. Wo wapas se concious state me aa jayega. Par dekhna hoga ki Pari use aane deti hai ya nahi. Pari kya karti hai, kya usne istemal kiya hai aur ye sab kaise hua unn sab ke jawab next update me hai.
Jaha tak mera sixth sense kahta hai shayad yaha is arc ke end me ya phir next arc me Veer ko system and system se related bohat kuch RAAZ ka pata chalega.
Ye to mein pehle hi bata chuka hu ki ek Raaz to abhi hi khul jayega iss arc ke end me.
Bhai please please please next update Zara jaldi dijiyega. Ab intezar nahi hoga.
At the End aap sab readers and Xforums ke members ko Happy Eid Mubarak.
Bhai, mein toh Koshish hi kar sakta hu. 😅
At the end, samay mere according nahi chalta. Mujhe hi uske according chalna hota hai. Job se aane ke baad hardly kuch karne ki iccha hoti hai. Lagta hai bas araam farmao, kuch accha Khao piyo aur so jao. Ya fir kuch entertainment ke liye kuch dekh lo. Par mere naseeb me wo sab nahi. Mujhe wo sab sacrifice kar ye likhna hota hai. Jo ki mushqil se daily aadha ek ghanta hi mil paata hai. Dekhte hai... Jitna jaldi ho sakega taiyaar karne ki koshish karunga. Thanks and keep supporting. ✨
 
Top