• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,301 83.2%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 26 1.7%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 202 12.9%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 35 2.2%

  • Total voters
    1,564

ROHIT RAJ SINGH

New Member
44
98
18
Bhai kya hi likh dala hai ye!!!
Hr update ko padhne ke bad ek question aata hai mn me ki ab isse badhiya kya hi hoga pr phir agle update me hi answer mil jata hai ki ye hoga

Without any doubt this is the greatest fight scene I have ever read...And for writing such updates a massive :respekt:for you...Last part ko padh ke to literally goosebumps aa gye pura

Jb suru me aapne bola tha ki ye fight scene 4 updates lega to mn me ye bat aayi thi ki 4 updates kewal fight ke liye to boring ho jaiega...lekin sayad tb mai bhul gya tha ki kiski story padh rha tha😂

Literally itne sare twist n turns aur jabardast scene aaye inn 3 updates me ki ek word ke liye bhi boriyat feel nhi hui...Aur aapka unique and best style of writing to hai char chand lgane ke liye updates me...Sare scene kisi movie ke tarah samne chalne lgte hai aake update padhne ke bad...Aur itna tagda fight scene likh kaise lete ho aap?? mtlb itni imagination kha se late ho aise scene likhne ke liye , koi bhi scene aisa nhi lgta ki repeat ho rha ho sare scene ekdum fresh aur jadardast lgte hai

To Ava ko Veer ka location death flag ke through pta chalta tha...Last update padhne ke bad mere dimag me bhi thore der ke liye ye Death flag wala point aaya tha ki Ava ko Veer ka pta isi ke through lga hoga pr fir usi time lga ki nhi ye nhi ho skta hai kyuki agar death flag location btata to Ava ko Veer ko location tb kyu nhi pta chala jb Renshu ne Veer ko france me bacha liya tha aur Ava ko lga tha ki Veer mr chuka hai...Ab mujhe kya pta tha ki Death Flag update hone bad range badhane ke sath sath location bhi btane lgega:):idk1:

I'm feeling a bit sad for Ava after this update....Bechari puri tarah se akeli hai abhi apne life me....Bap ko cr
imson ne bhut phle hi chin liya , Uski Maa jo uske jine ka ek matr sahara hua krti thi unko bhi usse chin liya gya , ek dost ko bhi chin liya gya usse ( jisko house of killer ke time mara gya tha wo jahrili sarab pila kr , ab nam nhi yaad aa rha) , Bachpan ke do khas dost Sonia aur Kaera se bhi koi connection nhi hai , aur Veer jiske sath rhna Ava ko pasand hai ya jisse wo pyar bhi kr baithi hai wo usse buri tarah se naraz hai..Itni bdi Singer aur system holder hone ke bawjud she has nothing with her right now
I think she deserves a second chance....Ha manta hu ki usne Veer ko dokha deke usko marne ka plan bnaya pr uss time uske pas aur koi option bhi to nhi tha , I mean jb ye plan usne bnaya tha uss Veer was nothing for her whereas her mother whose life was on stack was everything for her
Aur fir aaj jo Veer jinda bach paya wo bhi kewal Ava ke karan hi sambhav ho paya...

Aaj ke update ke sare fight scene hi jabardast aur well written the
Ava ka 4 banduko ke sath ladna bhi ek kamal ka scene tha...Ye scene mujhe bhut hdd tk ek circus ke scene ko resemble krte lge...Ava as a circus ringmaster balls ke jagah gun ka juggling kr rhi thi aur iss circus ringmaster(Ava) ne Jaw Long jaise sher ko bhi apne isare pe nacha diya joki actually ek circus me hota hai😂🤣

Iss update me fight ke alawa kafi sari information bhi dekhne ko mili such as Jaw Long and Ava's system stats card and information about different skill and cards
Jaw Long one more interesting and powerfull card Berserk... Ye card ek do dhari talwar ke tarah hai jo opponent and host dono ko nuksan pahuca skti hai...Intelligence zero hone ka bharphur faida opponents bhi utha skte hai pr iske chalte power me jo massive increase hota hai wo kafi hai kisi ko bhi pel ke rakh dene ke liye

Ab to iss kahani me itni sari information ho gyi hai (such as all the information about different different cards , skills , stats , etc. etc.) Ki lgta hai ek copy pe notes bnana pdega iss kahani ke liye 😂...Idk aap kaise yad rakh pate hoge itni sari information akele...

Update ke first half ko to puri tarah se dono beauties ne hi control kiya jb Veer behosh tha...Aur jis tarah ki condition Veer ki update ke starting me dikhai gai thi usko dekh ke to ye bhi lga tha ki sayad usse jldi hosh na aaye aur uska role iss update me na ho , pr pari ke rhte jyada der tk kaise kuch ho skta hai Veer ko:cool:
Finally Veer hosh me aaya aur hosh me aate hi kya dhamake dar information di Jaw Long ke khilaf:bow:...Aise hi thore na sb ladkiya mrti hai Veer pr:cool:

Erica ko to Jaw Long ne majak me hi liya...Usse ladne khud na jakar apne paltu chil ko bhejta hai , 2 mukko me mar ke behosh kr deta hai...Pr Erica ne bhi har nhi mani aur hrr bar uska samna krne gyi....Usse ab Veer ki khi gyi bat badhiya se samaj aa gyi hogi ki - 'You can't even imagine the chaos when 2 system holders fight each other without any restraint.'...

Iss update ke end ke bare me to kya hi bolu , kya hi ending ki hai:shocked2:🤯
Hrr bar jb kabhi koi update kisi suspense ke sath khatam hota hai to dimag me ek hint aa jaya krta hai ki ye reason ho skta hai iss suspense ke piche , pr aaj ka update padhne ke bad to bss dimag me yhi aaya ki agla update kb aaiega:eek1:...I hvae literally no clue about what happened at the end of the update:idk1:

Pichle update ke review me maine likha tha ki Jaw Long kuch jyada hi serious lg rha hai iss fight ko leke...Ab smajh me aaya ki kyu wo itna serious hai , Mine to sayad se kabhi uske liye utna important tha hi nhi...Uska vision to mine se khi jyada bda tha...Use system holders cahiye the jinhe wo apne kale jadu se marke uske sare powers chin na cahta tha...Aur agar wo aaj isme kamyab ho jata to fir to uski power unimaginable ho jati...Ek to phle se hi itna takatwar hai aur upr se 3-3 system holders ke cards skill lene ke bad to literally uske pas sare type ke skill aur card ho jate...

Pr jb tk Pari hai Veer ko koi itni aasani se kaise mar skta hai...Uske pas always plan B ready rhta hai...Pr aaj wala plan B kuch jyada dark nhi ho gya??:omg1:
Mtlb Veer ke pure body pe hi control le liya?? Veer to behosh hai , usko to pta bhi nhi hoga ki kya kregi Pari ab Jaw Long ke sath
Jis tarah se Pari bat kr rhi thi uss hisab se to wo koi completely different Pari lg rhi hai....Veer to wapas aa jaiega ...hai nn??:sweat:

Ek aur chiz hai jo aksar mere dimag me aati hai ki kya System ek acchi chiz hai??...Mtlb kya system sach me logo ke bhalai ke liye hai ya wo apne host ke through koi aur hi maksad pana cahte hai??...I don't know why , pr kabhi kabhi mujhe inn sb system se negative feeling aati hai....jo bhi ho itna to confirm hai ki system ke raaz bhut gahre hai aur sayad hme iss arc me kuch kuch dekhne ko bhi mile system ke bare me , jiski neev issi update me rakh bhi di gyi hai

Btw , feeling sad for Pari:cry2:...Jaw Long ko to hara degi pr sigma Veer se mommy nhi hi bulwa pai ant me bhi😂

AS ALWAYS A GREAT UPDATE ONCE AGAIN:bow::applause:
KEEP WRITING...
WAITING FOR NEXT...
 
Last edited:

Werewolf

ʀᴏɢᴜᴇ ɴɪɴᴊᴀ
Supreme
13,765
98,372
259
Behtareen update warewolf bhai. Kya fight seen likha h.... Legendary !!! Now its time for pari to show some skills. Aur end to oye hoye hoye...I AM THE WEAPON!!!👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻 intzaar nhi ho rha ab next upadte me jaw long ki gaand tutegi😃. Renshu v other end se aa skta h erica ko bachane k chakkar me. Wo v dekh le veer ka ye roop🤣 dekhna hoga divya kese react krti h after all of this. Great story. Keep it up
Thanks a lot Bhai. :five:
Renshu se toh udhar uljha hai bhai. Use nahi pata Veer and baaki sab exactly kaha par hai. Trace karne ki skill nahi hai uske paas koi. Keep supporting. ✨
Bhai apki Ye update lajwab thi....
Next update jldi do yrr..
Dhanyavad
Fantastic bro 💯
Dhanyavad
Goosebumps Aa Gaya Padhke Update ♥️ ♥️ ♥️
Abhi aur bhi aayenge
Sorry... I'm late... I'm quite busy these days. 😁

Aate hi 2 updates mil gye pdhne ko... I thought you would have uploaded only 1 update (coz you're always so late.. 🤭)
Itna bhi late lateef nahi hu mein. :roll:
but it was a surprise... Seeing you have already uploaded two updates. Reading one after the another... Updates with such lengths... It took time... It took hell lot of time for me to grasp each and everything (which I still couldn't do it fully 🤭) and to read carefully without losing the grip (thanks to your immaculate narration skills which takes the hold of our mind like different poles of magnets attracting to each other)
Thanks a lot. ✨
Updates are of great lengths these days so better pay attention to them. Since the arc's closure is near there will be tons of new informations and new questions as well.
I'm speechless for now. I need a few hours to digest what happened in last two updates. To reply for those two updates... I need some time. So... Thorough review I'll give later. I don't have anything to say now. 🤐 I'll be back with my review. Have a nice day ❤️
I'm waiting for the revo. :waiting:
The future belongs to a different kind of person with a different kind of mind: artists, inventors, storytellers-creative and holistic ‘right-brain’ thinkers.”
Supar hit updet bro... Ek dum jkaass likhte ho bro tum
Shukriya bhai. And keep supporting. ✨
बहुत सुंदर और लाजवाब अध्याय गुरु जी
बहुत बहुत धन्यवाद
ऐसे ही महा अध्याय की प्रतीक्षा है
Jald hi aa jayega. Dhairya banaaye rakhe. ✨
Werewolf bhai ek qus. Ki baki sabhi systm holder ke system ki personality level badne badalti hai kya pari ke jese..???
Iska jawab mil jayega aage. Abhi ye spoiler hai. Sabr rakho. Sab jawab milenge.
Or jese jese pari ne take over kiya hai veer ko. Wese hi kya baki syatm bhi kr skte hai kya
Iska jawab bhi next update me hai. Keep reading.
 

Awan Badshah

Well-Known Member
2,093
5,453
158
Mega Update

Update - 177 ~ Berserk
[Note : Contains Gore related scenes.]

Ab tak...

Magar, sirf itna hi nahi tha. Ava apni maa ko bachaane ke liye ye sab kari thi. Aur, isliye Island chorr kar jaane se pehle Veer ne ek vaakya aur kaha tha. Itni dheere ki sirf use hi sunaayi de sake. Lekin, Ava ne woh sunn liya tha.

Woh bol the-

'Go and protect your loved one now.'


Ab aage...

Pedo ki daalo ke upar Erica chhalang maarte hue aage badhti jaa rahi thi. Hawa se uske baal lehra rahe the aur bauhe bechaini ke maare kasi hui thi.

'Veer!!!'

Badi mushqil se usne apne darr ke upar qaabu paaya tha. Kahi na kahi mann hi mann woh khud ko dosh bhi de rahi thi ki woh yaha aayi toh Veer ko bachaane thi magar khud hi sakpaka ke baith gayi. Kya aise woh apne pita ko proof karne waali thi ki woh ab frontline missions ke liye taiyaar thi?

Dekha jaaye toh galti uski bhi nahi thi. Woh kabhi bhi aisi paristhiti me padi nahi thi aur na hi usne kabhi aise drishya apni aankhon ke saamne dekhe the. Jis wajah se woh hamesha cheezon ko halke me le liya karti thi. Bilkul waise hi jaise ek kue me baitha mendhak, upar kue ki golayi se dikh rahe aasmaan ko dekh ye samajhne lagta hai ki aasmaan bas itna hi hai. Magar, baad me kue se nikalne ke baad use pata chalta hai ki aasmaan asal me kitna vishal hai. Aaj Erica ko poorn roop se abhaas ho gaya tha ki asli darr kya hota hai, duniya me kitne khatarnak log hote hai, apno ko khone ka bhay kya hota hai aur ek jaan ki qeemat kya hoti hai.

'Hang in there.'

Bhaagte hue use kuch theek sa nahi lag raha tha. Jaise ye khamoshi use bechain kar rahi thi.

'Achanak se itni shaanti kyu chha gayi hai?'


[Something is off.]

Jaw Long ke Animal Kingdom card ka asar khatam hote hi saare janvar waha se afra tafri me dur bhaag chuke the. Toh wahi neeche chal rahi Veer aur Jaw Long ki ladayi bhi Veer ke ghayal hone ke chalte lagbhag samapt ho chuki thi. Yahi kaaran tha ki ab Erica ko koi bhi shor sunayi nahi de raha tha. Magar, jitni vatavaran me khamoshi fel rahi thi Erica ki bechaini utni hi badhti jaa rahi thi. Kahi ye kisi anhoni ke ghatit hone ka sanket toh nahi tha? Woh nahi jaanti thi. Woh toh bas itna jaanti thi ki Veer ko iss daldal se baahar nikaal ke use sahi salamat wapas leke jaana hai.

[Woh dono yaha nahi hai, Erica. Ab ya toh woh pul ke uss paar gaye hai ya fir neeche.]

Erica dusre pul tak pahuch chuki thi jaha se Veer neeche gira tha. Pul ke uss paar se toh use koi bhi dhwani sunayi nahi di. Ab yaha se talashi karne ke do raaste the.

'Kaha gaye honge woh? Aage dekhe Genie?'


[Mere khayal se aage badhne se pehle hume neeche dekh lena chahiye. Neeche bhi kaafi jagah hai. Jangal neeche bhi hai. Neher ke uss orr dekho Erica.]

'Par bhala neeche kyu jayega woh?'

[Kyu nahi jayega woh? Judging by how he was escaping from those animals... There's a high possibility he might have chosen that route. Zara socho. Itne saare janvaro se bachne ka sabse behtar vikalp kya ho sakta hai? Insaan kaha jayega? Seedhe raaste par jaha janvar lagatar uska peechha kare? Ya fir neher ka sahara lete hue dusre chhor par jaha janvar aa hi na paaye?]

'You have a point, Genie! Theek hai toh fir. Pehle neeche hi talashi lete hai.'

Nirnay lete hue Erica pul ke madhya aayi, neeche dekhi, aur bina jhijke iss baar paani me kood gayi.

*Splaaaashhhhh*

Chhapak ki awaaz ke saath girte hi woh tairte hue fauran chhor par aayi aur khud ko neher se nikaalte hue ek gehri saans chhori. Iss baar usne paani me koodne ke liye koi shikayat nahi ki. Woh jaise sthiti ki gambheerta ko ab samajh rahi thi. Woh sambhalte hue aage badhi. Dheere dheere woh jangal ki gehrayiyo me pravesh karne lagi. Daudate daudate hi use kuch derr baad zameen par dur kuch nazar aaya. Aur, jaise hi woh aakriti uski nazro me aur spasht hui uski aankhein darr ke maare fel gayi. Qadmo ki gati aur tez ho gayi.

'N-Noooo-!!!!'

Ghabrahat! Ek ajeeb si ghabrahat uske andar janm li. Seene me vichitr sa ek bharipann mehsoos hua aur geele badan pe raungte khade ho gaye. Dur zameen par Veer ka shareer khoon se lathpath bejaan sa pada hua tha. Erica ki toh jaisi saari umeedein hi toot gayi. Kya usne derr kar di? Kya woh sahi samay par nahi pahuch paayi? Tamaam sawaal uske mastishk aur dil dono par chot karne lage.

Woh tez raftar se Veer ke nazdeek aayi aur ghisatate hue khud ko roki. Jhukte hi usne Veer ke sarr ke peeche ek haath le jaate hue uske sarr ko badi hi savdhani se uthaya aur apne kaan ko neeche uske seene par le jaate hue lagaya. Aur-

*Ba-dump*

*Ba-dump*


Agle hi shan uski aankhon me aansu apne aap panap aaye. Dil dhadak raha tha..! Usne kabhi nahi socha tha ki kabhi kisi ki dhadkan sunn ke use itna sukoon milega, itni khushi milegi, itni raahat milegi. Ek dil ki dhadkan ka mol jaise aaj use pata chal gaya tha.

Kabhi usne nahi socha tha ki Veer jaise ladke ke liye woh aisa kuch mehsoos karegi. Pehle din se hi Veer aur uska rishta koi khaas nahi tha. Magar, iss waqt Veer ke dhadakte dil ki awaaz sunn jo woh mehsoos kar rahi thi, unhe shabdo me bayaa kar paana uske liye behad mushqil tha.

'Thank God-!! Thank God!!! You idiot!!! *sniff* You are alive.'


[Ek minute!! Agar, Veer yaha hai. Toh, Jaw Long kaha hai?]

Genie ke prashn karte hi Erica ko jaise dhyaan aaya. Khatra woh janvar nahi the. Asli khatra toh Jaw Long tha. Uske baare me sochte hi uski aankhein satarkta ke chalte fel gayi.

Woh idhar udhar apni gardan ghumate hue chaaro orr dekhi. Magar, Jaw Long kahi bhi use dikhayi nahi diya. Woh toh aise gayab tha jaise cheel ke ghosle me maans.

Aur, tabhi-

*Booooooooommmmmm*

Dur use kuch shor sunayi diya. Aisa lag raha tha maano do log aapas me lad rahe the.

'What? What's happening?'

Uske sawal ka jawab bhi use jaise agle hi pal mil gaya. Dur jangal ki gehrayiyo se nikalta hua Jaw Long bhayanak tez raftar me uski orr hi aa raha tha. Ek shan pehle uski koi upasthiti nahi thi aur agle hi shan woh khud uski orr pagal saand ki tarah dauda chala aa raha tha.

'Huh!?'

Jab Erica ne danav jaise Jaw Long ko apni orr aata dekha toh maano uski haalat hi patli ho gayi. Jaise jaise woh nazdeek aa raha tha uski aakriti badhti jaa rahi thi. Asal me woh kitna vishal tha ye ab Erica ko samajh aa raha tha. Jaw Long ke haatho me uska wahi bada sa kulhada bhi tha. Ek baar hi uske chalane par Erica ke shareer ke do tukde ho sakte the.

Ye sochte hi woh bechari itna ghabra gayi ki usne neeche letey Veer ko apne seene se lagaya aur aankhein band kar apne haath khade kar diye. Agar, yahi unka ant tha... Toh wahi sahi.

Magar, iss se pehle ki Jaw Long unn tak pahuchta-

*Whooooooosshhhh*

Ek saaya unn dono ke beech aake khada ho gaya. Jab aakriti spasht hui toh pata chala ki ye Ava hi thi. Erica ne jab khamoshi ko mehsoos kar apni aankhein kholi toh apne saamne Ava ko khada dekh dang reh gayi.

Aur, uske hosh aur bhi zyada tab ude jab usne Ava ko check kar ye pata lagaya ki woh bhi ek system holder thi.

'Whattttt!!?? Wh-Who is she!?'

Ava agar chaahti toh camouflage activate kar woh fake status dikha sakti thi. Parantu, usne aisa na kiya. Veer ko dhoka dene ke baad se jaise use iss skill se nafrat si ho gayi thi.

Woh Jaw Long ke saamne nidarta se khadi hui thi. Usne apne kandhe ke upar se peeche halka sa mud Erica ko dekha jisne apne seene se Veer ko laga rakha tha. Uski nazre Erica ke seene aur Veer ke chehre par kuch zyada derr hi tiki rahi. Kuch shan baad woh boli.

Ava : Kuch samjhane ka time nahi hai. Uske wounds deep hai. Uska system andar hi andar bleeding ko rokne ki koshish kar raha hoga. Tab tak uski safety, mein tumhare haatho saunpti hu.

Erica itni zyada confused thi ki use kuch bhi samajh nahi aaya. Kaun thi ye ladki? Kar kya rahi thi ye yaha? Aur, Veer ko kaise jaanti thi?

Erica (frowns) : Who are you?

Ava : I'm... I'm someone who owes him a debt.

Erica (frowns) : Ye mere question ka answer nahi! Who exactly are you? Aur, mein tum par bharosa kyu karu?

Ava (smiles) : Kya waqai iss waqt tum ye sawal puch rahi ho? Saamne dekho apne. Agar, mein yaha se hatt gayi toh anjaam kya hoga?

Erica ne jaise hi Jaw Long ko dekha jo abhi tak satark hue unke saamne khada tha, uski bauhe ghabrahat ke chalte sikud gayi. Ava ki baat sahi thi. Agar, woh unke saamne se hati toh woh dono hi maare jaane waale the.

Ava : Shayad ab tumhe samajh aa gaya hoga ki tumhe mujhpe bharosa kyu karna chahiye. Right?

Erica : ...

Ava (exhales) : Take care of him! Use abhi move mat karna. Warna, blood flow hota rahega. Bleeding ruki nahi hai. Bas, uski hifazat karo. Bleeding ke rukte hi use yaha se leke nikal jaana.

Erica chup chaap sab kuch sunn rahi thi. Sawaal dher saare the uske mann me magar filhal unhe taal dena hi behtar tha. Kya iss ladki par bharosa kiya jaa sakta tha? Uske Dad bhi yaha nahi the. Ek decision hi unn dono ki life ya toh bacha sakta tha ya fir khatam kar sakta tha. Ek bahut badi zimmedari iss samay uske sarr thi.

Usne ek gehri saans lete hue fir apna nirnay liya. Haami bharte hue woh boli,

Erica (nods) : Theek hai! I'm trusting you.

Ava : Good! I will stall him until then. Yaad rakhna! Bleeding band hote hi tumhe use leke yaha se nikalna hai.

Erica : Hmm!

Aur, itna bol Ava wapas se apne saamne khade Jaw Long par focused ho gayi. Jaw Long jaan boojh ke hamla nahi kar raha tha.

Veer ke alawa uske saamne do do system holders maujood the. Zahir hai woh jaldbazi me koi galat qadam nahi uthana chahta tha. Aur, Ava ki woh zordar kick jo use padi thi. Uss se kahi na kahi use andaza lag gaya tha ki ye system holder ladki sirf kehne ki system holder nahi thi.

Woh kehte hai na, 'fook fook kar chalna hi samajhdari hoti hai.' Baad me dukhi hone se behtar tha ki abhi satark raha jaaye. Kisi tareeqe se woh Ava ko chakma deke yaha Veer aur Erica ko maarne ke liye aa toh gaya tha. Par, saamne khadi Ava ko dekh uske qadam sanshay me thame hue the.

Aur, Ava ne bhi jaise uske sanshay ka abhaas kar liya. Woh palak jhapakte apni jagah se gayab hui aur Jaw Long ki taraf lapki. Uske haath me ek katana talwar uski sheath se bahar nikli aur seedhe Jaw Long ke gale ki orr badhi.

Kuch bura abhaas hote hi Jaw Long ki aankhein sankat ke chalte chaudi ho gayi. Bhay ke maare woh peeche hua aur isi prakar Ava Jaw Long ko Veer aur Erica se dur karne me safal ho gayi.

Toh wahi idhar Erica Ava aur Jaw Long ko bhidte dekh ek alag anubhav le rahi thi. Usne apna dhyaan Veer par jaise hi punah daala toh veh ghabra uthi.

'My god...!'

Veer ke zakhm gehre the. Erica ne apne jeevan kaal me kayi maut apni aankhon ke saamne dekhi thi. Par, kabhi bhi kisi system holder ko iss tarah ghayal nahi dekha tha.

Ek system holder ka iss tarah zakhmi hona kis baat ka saboot tha? Iss se ye pata chalta tha ki Jaw Long unke liye kitna bada khatra tha. Agar, Veer unki madad na kar ke Jaw Long ko yaha baandh ke na rakhta toh kya hota? Woh sochna bhi nahi chahti thi.


[He's badly injured.]

'Uss ladki ne kaha ki Veer ka system use heal kar raha hoga andar hi andar.'

[So, he does have a healing skill huh?]

'Pata nahi! Card bhi ho sakta hai. Lekin, ye ghaav...! Kitna dard saha hoga Veer ne Genie?'

Erica Ava ke chehre ko poori tarah se nahi dekh paayi thi. Ava uss se baat karte samay bas halka sa hi mudi thi, jis kaaran vash use Ava ki soorat poori tarah se spasht dikhayi na padi. Parantu, woh Ava ke baare me kaafi kuch jaanti thi.

Woh jaanti thi ki Ava ek system holder thi. Veer ko Crimson se bachane ke baad Renshu ne use kaafi kuch bataya tha. Use ab bhi apne pita ke saath kiya gaya woh sanvaad yaad tha.


'Woh celebrity Natalia Martin bhi ek system holder hai, Erica!'

'Really?'

'Hmm! Aur, uss ladke ki maut ka ek kaaran bhi bann sakti thi. Agar, mein sahi samay par waha na pahuchta toh-'

'Hmph! Aap jab se waha se aaye ho uss ladke ke baare me hi baat kare jaa rahe ho. Akhir kaun hai woh?'

'Haha! Jo bhi hai bahut hi kaabil naujavan hai. Aur, rahi baat ki kaun hai woh? Jald hi tumhe pata lag jayega. Mera ek favour hai uspe ab. Jise chukaane wo zaroor yaha aayega. Tab, tum khud apni aankhon se dekh lena.'

'Hmph! I don't care! Balki, aap celebrity Natalia ke baare me mujhe kuch bataiye.'

'Uske baare me mein zyada nahi jaanta aur na hi uss se mila hu. Lekin, itna zaroor pata hai mujhe ki uss ladke ko shadyantra me phasane waali woh bhi ek thi. Maine itna anuman laga liya tha.'

'Woh kaise?'

'Ladka jab samundar me doob raha tha tab maine use waha se bachaya tha. Uss dauran, woh Natalia Martin helicopter me upar baithi neeche nazre gadayi sab kuch dekh rahi thi.'

'Ohhh-!?'

'Lloyd ne mujhe bata diya tha ki wo bhi ek system holder thi.
Mujhe poore shadyantra ke baare me jankari to nahi hai. Lekin, kaafi kuch anumaan mein laga sakta hu.'

'I see!'

'Uske paas camouflage kar ke ek skill hai.'

'Camouflage?'

'Hmm! Uski madad se wo nakli status laga ke ghum rahi thi.'

'Iska matlab-!'

'Haan! Usi ke chakkar me shayad wo naujavan ek khatarnak shadyantra ka shikar ho gaya. Kherr, woh zinda hai abhi yahi acchi baat hai. Shayad, tab uss Natalia ne Camouflage ko band kar rakha tha. Tabhi, Lloyd use check kar paaya tha. Aur, asliyat ka pata laga paaya tha.'

'Hmm! Lekin, aapko kaise pata chala Dad ki Natalia ke paas Camouflage skill hai?'

'Kyuki jab maine use check kiya tha tab uska status mujhe dikhayi de raha tha. Woh nakli tha. Lloyd ne sahi pehchan baad me ki thi.'

'Ahh!'

'Erica!!!'

'Huh!?'

'Agar, kabhi tumhara saamna iss Natalia Martin se ho. Toh uss par bharosa mat karna. Celebrity hone ka matlab ye nahi ki kisi ka dil saaf ho.'


'Jii dad. Mein aapki baat ka dhyaan rakhungi.'


Ye baatein use acchi tarah se yaad thi. Magar, uska dhyaan to abhi uski jaangh par sarr rakha yeh naujavan kheenche hue tha.

Genie chup chaap Erica ke emotions ko padh rahi thi. Kaise Erica ke kaanpte hue haath Veer ke zakhmo par haule se fir rahe the. Jaise wo ghaav dekh ke hi unhe mehsoos kar paa rahi thi ki kitna dard hua hoga Veer ko jab ye chotein uske shareer par aayi hongi. Uski sarsari nigaahein Veer ke uttam kataav waale badan par bhi fir rahi thi.


[Tum uski dressing kyu nahi kar deti? Hamare paas rakhi hui hai na?]

'Arrey haan! M-Mujhe to dhyaan hi na raha.'

Usne apni jebo me se dressing ke liye kuch first aid ki pattiyaan nikaali aur Veer ke ghaavo ko saaf kar unn par savdhani se baandhne lagi. Bhale hi inse zyada madad nahi milne wali thi par ghaavo ko khula chorrne se toh ye behtar hi tha.

Dressing baandhte baandhte Erica ki nazre baar baar Veer ke chehre par phir rahi thi.

'G-Genie-! I... I was just thinking... Veer ki kya favorability hai mere liye?'

Sawaal sunte hi mann hi mann jaise Genie muskurayi. Woh jaise bhaanp gayi ki ye sab kis orr jaa raha tha.


[Sach me jaanana hai tumhe?]

'N-Nahi aisi koi khaas wajah nahi hai. M-Mein toh bas yuhi- curious thi...! Isliye- socha ki-'

Apne baalo ki latt ko ungli se ghumate hue woh khusur-pusur karte hue boli.


[Uski favorability tumhare liye 90 hai.]

Ank sunte hi Erica ki jaise aankhein phati ki phati reh gayi.

'Wh-What-!???'

Use pata tha ki 70-80 ke upar favorability ka hona kya darshata tha.

Pyaar!!!

Samajh aate hi uske gaal laal tamatar ki tarah laal hote chale gaye. Par, agle hi shan, maano jaise Genie ne uske sarr par thande paani se bhari balti udel di.


[Hahaha! Just kidding. Asli favorability 22 hai.]

'Y-You-!!! Genieeeeee!!!!'

Woh mann hi mann Genie par barsi. Toh wahi Genie uska reaction dekh aur zyada thahaake lagaane par majboor ho gayi. Genie jaan boojh ke mahaul ko halka karne ki koshish kar rahi thi. Aur, usme woh poori tarah se qamyab thi. Erica ka aisi sthiti me calm hona behad aavashyak tha.

'Ahinda se aisa tumne kabhi kiya na, toh mein tumhe sleep mode me daal dungi.'


[What?? H-Hey! Wait a minute! It was just a joke. Okay? Aur, maine ab bata to di asli favorability. It's 22. Twenty two. Jise dusri bhaasha me-]

'Haan pata hai!! Sunn liya maine. Sunn liya. I-It's not even a good number. Why are you yelling so much??? Enough! Sunn liya maine. 22 hai. I know! Hmph!'

[What? Kya tum chaah rahi thi aur zyada ho?]

'Wh-Who cares? *blushes* Ahem! Anyways! Mera ek sawal hai. System jab ek dusre ko check nahi kar sakta toh ek dusre ki favorability kaise bata deta hai?'

[Hmm! A very good question.]

'Please, ab baatein mat ghumaana.'

[Nahi nahi! I will tell you. Look! Hum sabhi system ek dusre ke prati satark rehte hai. Koi bhi system ye nahi chaahta ki agla system unke stats dekh paaye. We are afraid of each other.]

'Afraid?'

[Hmm! System apne stats ko hide kar sakta hai. Isliye, check karne par hume kuch bhi info haath nahi lagti. Ek prakar se ye hamara defensive mechanism hai. Par, Erica...! Emotions chhipaye nahi jaa sakte.]

'Ah!'

[Bhale hi stats hide kar diye gaye ho par feelings ko hide nahi kiya jaa sakta. Agla system holder tumhare liye kya bhaav rakh raha hai woh asaani se dikh jaata hai. Jaw Long ko dekhte hi uski ill intent humne mehsoos kar li. Zahir hai favorability minus me hai uski.]

'Right!'

[Wahi Veer ki 22 hai. Tumhare Dad ki tumhare prati 90 hai. Of course, it's all fatherly love.]

'Dad to meri chinta hi nahi chorrte. Mein badi ho gayi hu ab. *sighs* Toh aise work karta hai ye. Samajh gayi. Thanks Genie! Ohh! Look, woh ab saansein behtar dhang se le raha hai.'

[Uske system ne blood flow ko control me rakha hai. I think wo neend me hai.]

'Use araam ki sakht zaroorat hai. So, just-'

Iske pehle ki wo apni baat poori keh paati Jaw Long ki tezz dahaad ne uska dhyaan kheencha.

"Shebaaaaaaaaa-!!!!!"

*Keeeeeeaaaaaarrrrr*

Aur, beshaq...! Wahi baaj hawa me apne parr felaaye uske ek bulaave par haazir ho gaya. Sheba udta hua seedhe Erica ki orr aaya.

'Ahhh!'


[Careful!!]

Par, iss baar Erica ghabra ke dur nahi bhaagi. Usne apni peeth par peeche khusi hui kisi cheez ko baahar nikaala. Aur-

'This time...! I won't run!!'

*Fwoosh*

Seedha uss baaj ki orr usne wo fek diya. Wo cheez hawa me sansanati hui gol gol ghoom ke udte Sheba ko giraane ke liye aayi.

Sheba tezz raftaar se apni orr aa rahi cheez ko dekh baukhlate hue hawayi marg se hatt gaya. Aur, woh cheez jo hawa me feki gayi thi woh wapas se ek golaayi ka raasta apnaate-

*Thuck*

Erica ke haatho me aa thami.

Ek boomerang!!! Magar, koi sadharan boomerang nahi. Uske ird gird metal ke kuch nukeele tukde lage hue the. Kisi prakaar ki dhaar-daar blades. Jo nishchit roop se kisi ko ghayal karne ke liye hi lagayi gayi thi.

Metal bhi koi aisa wesa nahi. Ye tha titanium. Sabse halka aur mazboot metal. Aur, iss anokhe boomerang ki rachayita koi aur nahi ~ Swayam Erica thi.

Uska ek maatra card ~ Metallurgy!!!



web-7

Ek aisa card jo use saara gyaan, saari kshamtaye aur saara kaushal pradaan karta tha metals se hathyar banaane ke liye. Usne Garofano ke liye bhi kuch needles bana ke use di thi.

Erica ki aankhon me iss baar tej tha. Aur, uske mann me tabhi-

*Ding*


[Mission : Safeguard Veer until he recovers.
Rewards : Skill ~ Basic Seer Vision.
Mission failure penalty :
1) Loss of Order.
2) 10,000 points deduction.]


'Iss baar...! Mein peeche nahi hatne waali. Chaahe kuch bhi ho jaaye. Jab tak Veer recover nahi ho jaata! Mein yahi hu-!!!'

Aur, dur se use Sheba se ladta dekh, idhar Ava ke hontho par ek halki si muskan bikhar gayi.

***

Kintu, hua kya tha? Ava yaha kaise pahuchi? Woh itne din kaha thi? Veer yaha hai iss baare me use kaise pata chala? Aur, yaha aane ka uska maqsad kya tha?

Ye tamaam sawaal Veer ke mann me the behosh hone se pehle. Jinka uttar keval aur keval Ava hi apne muh se de sakti thi.

Kuch derr pehle...

Jab Veer eastside ki entrance se pravesh kar raha tha. Tab, woh nahi jaanta tha ki theek uske peeche Ava bhi use follow kar rahi thi.


[There he is, Miss! Thoda aur nazdeek jaa sakte hai hum. Itna peeche chalne ki zaroorat nahi.]

'Nahi Lily! Veer ke paas Beowulf hai. Senses badh jaate hai uske. Ho sakta hai usne activate kar ke rakha ho. Agar, mein iss se zyada nazdeek gayi toh wo meri presence ko mehsoos kar lega.'

[Ohh!]

Ava ne Veer ki aankhon me woh laal rang ki parat pehle bhi dekhi hui thi. Lily ne hi use khoj ke bataya tha ki Veer ke paas Beowulf card tha.

[Toh ab?]

'I will follow him from a distance.'

[Okay!]

'Lily...! What does he think of me now?'


IMG-20240407-165213

[His favorability towards you is only 10.]

Ava ke chehre par ek muskan bikhar gayi. Magar, iss muskan me kahi na kahi nirasha bhi chhipi hui thi.

'10... is not a bad number.'


[My dear Miss! Is 10 really a good number?]

'Lily! Jo maine kiya tha...! Uske baad toh iss favorability ko minus me hona chahiye tha. *smiles* 10 is already a great number.'


IMG-20240407-165758

[You've been smitten by him. *sighs* Kya hoga aage? I don't even know.]

'N-No-! That's not it! I-'

[Jhooth bolne ki zaroorat nahi hai. I can feel your emotions.]

Ava uske jawab me kuch na boli. Woh chupke chupke Veer ka peecha karti rahi. Veer jab uss blood trail ko laangh ke aage gaya toh Ava kuch shan wahi ruk gayi.

[Ye ek sensory type boundary ho sakti hai.]

'Andar jaane ke liye ise cross karna hi hoga.'

Aur, blood trail ko paar karte hue woh khud bhi Veer ki disha ki orr aage badh gayi.

Uske andar aate hi Jaw Long ko do vyaktiyo ke andar ghusne ke baare me pata lag chuka tha. Magar, Ava jaise pehle hi sab kuch plan kar ke chal rahi thi.

Seedhe taur par ladayi me na ghuste hue woh ped ki daali par baithe dur se sab kuch dekhti rahi.

'Yaha se mein uss par nazar rakh sakti hu. Jaise hi situation bigdegi, mein waha pahuch jaungi.'

Sirf Erica hi nahi thi, Veer ko unn janwaro se bhaagta dekh Ava ka badan bhi kaanp utha tha. Akele Veer ka waha ladna...! Woh kisi yoddha se kam nahi lag raha tha. Aur, uski woh nidarta se bhari chhavi Ava ke dil me aur nayi tarange utpann kar rahi thi.

Magar, akhir use Veer ke thikaane ka pata kaise laga? Yeh koi raaz nahi tha.

[Death Flag]

Wahi skill, jo Ava ne Veer par mark ki thi. Tab jab woh aur Suhana Las Vegas me uske concert me pehli baar daakhil hue the. Yeh wo skill thi jo ek vyakti ko mark kar ke rakhti thi. Ek seemit range tak uss vyakti ke zinda ya mrit hone ke baare me batati thi.

Tab se leke ab tak Veer par Death Flag ki woh marking bani hui thi. Kintu, Veer ke ruth ke jaane ke baad, Ava ne kuch kiya tha. Apne system ke saath. Uski system Lily ko bhi saari baatein yaad thi. Island par Veer jab use akela chorr ke chala gaya tha. Uss raat-


'Lily!'

[Yes?]

'Upgrade Death Flag's range!'


[What?]

'Suna nahi tumne? Maximize the range.'

[Jaanti ho na upgrade ke liye kitne points lagte hai? The first upgrade will take 5000 points. And, the second upgrade will take 10,000 points. Total 15,000 points.]

'Yes! Jaanti hu! Do it!'

[My dear Miss! Why are you so determined? Kis liye itne points ikhatta kiye the? Ab jab hum itna close hai Maisie's cure ke liye, you want to waste them on Death Flag's upgradation?]

'Lily!!!'


[Fine then!]

*Ding*


[Death Flag's range has been maxed out.]

'Good!'


Yahi woh pal tha jab Ava ki skill Death Flag ki range maximum ho chuki thi. Na sirf ab woh jeevit ya mrit ke baare me bataane me saksham thi balki, insaan ki ab location bhi woh saaf saaf dekh sakti thi. Veer duniya ke kisi bhi kone me hi kyu na rahe, agar Death Flag uss par marked thi toh Ava uski location ko asaani se dekh sakti thi.

Woh uss tak jab chaahe tab pahuch sakti thi. Aur, isi tarah woh yaha Veer ko dhundh paayi.

Veer ka achanak Mumbai chorr yaha China aana. Woh jaan chuki thi ki kuch gadbad thi. Yahi kaaran tha jo woh khud yaha chali aayi. Aur, uska sanshay ekdum sahi tha.

Aaj woh yaha na hoti toh Veer bahut bade jokhim me pad jaata. Kam se kam ab woh uske liye kuch samay nikaal sakti thi. Aur, yahi uska prayshchit tha. Bhale hi... Uski jaan hi kyu na chali jaaye.


[I just don't understand. Why are you so focused on him? Kya waqai aapko uss se-!?]

'He...! He gave me happiness, Lily. Jab mein use trap me fasaane ke liye uske khilaf chaale chal rahi thi. Tab woh meri khushiyo ka dhyaan rakhte hue mujhe protect kar raha tha. Can you imagine it?'


IMG-20240407-165200

[...]

'Maine kabhi nahi socha tha unn moments ko mein firse enjoy kar paungi. Meri asli khushiyaan Mumbai me hi thi Lily. Jab mein chhoti thi. Mera bachpan...! Kaera aur Sonia ko chorr ke aane ke baad woh saari khushiyaan jaa chuki thi.'

[...]

'Veer ka saath jaise mujhe unhi lamho me le gaya. Par, kya kiya maine uske saath? I don't deserve his friendship. I don't deserve to be around him.'


IMG-20240407-170303

Ho na ho, Veer hi woh kaaran tha jiski wajah se aaj Ava jeevit thi. Warna, France ki unn vardato ke baad usne-

[W-Wait!!! What are you doing?]

Uska uss pahaad ki choti par khade hona. Aur, neeche khaayi ki orr dekhna.

[D-Dear! Stop it! What the hell are you doing? H-Hey don't scare me! Please!]

'There's nothing left now! I must go as well! Lily...!'


[W-Wait!! N-Noooooo!]

Woh khud khushi karne jaa rahi thi. Aur usne apna perr aage badha bhi diya tha.


[Noooooooooooooo!!!!!]

Par, usi waqt Veer ke akhiri shabd uske mastishk me punah goonj gaye.


'Go and protect your loved one now.'

Aur, usne apne santulan ko girne se bacha liya.

[You idiot!!! You scared the shit outta me. Ye... Ye kya kar rahi thi dear? Whyyy?]

'I'm sorry-!!! *sniff* I'm sorry, Lily. I'm so sorry!!! Maine tumhare baare me zara bhi nahi socha. N-No-!! I didn't even think of him either-!!'

[Huh!?]


'Usi ne kaha tha na!? Th-Then I must protect him!'

[Y-You-!!!?]


*Clang* *Clang*

Ateet se baahar aate hue Ava ki aankhein saamne Jaw Long ke harr move ko padhne me vyast thi.

Woh prahar karti jaa rahi thi magar Jaw Long peeche fall back karte hue khud ko bacha le raha tha.

Jaw Long uss se direct fight nahi le raha tha. Pata nahi kyu, par woh Ava ke hathyar katana se kaafi bhaybheet sa nazar aa raha tha.

Ava ne apni tactic turant hi badli aur apni jeb se usne handgun nikaal seedha dur khade Jaw Long ki upar taan di.

'Kisi wajah se woh mujhse directly nahi lad raha hai. Agar woh long ranged fight hi chaahta hai toh theek hai. He can have a kiss of my bullet.'



IMG-20240223-195059

*Bang*

Jaise Jaw Long ne kuch bhaanp liya. Woh tezz raftar me daudta hua apni jagah se bhaagne laga. Aur, Ava ki bullets apne nishaane se choonk gayi.

'Shit!! Kaash mere paas perfect aim ki koi skill hoti.'

*Bang* *Bang* *Bang*

Bullets gun ki nozzle se nikalti jaa rahi thi, par harr baar Jaw Long apni speed ke chalte unse bachta jaa raha tha. Saari bullets ya toh hawa me ya fir pedo ke tane par lag unke parchhatte udhedte hue nikal gayi.

Ava ko bhi mission mila hua tha. Magar, uska mission Jaw Long se bhidant ka nahi tha. Uska mission tha~


[Mission : Stall the time.
Description : Don't let your loved one die.
Rewards : ??]


Koi bhi penalty nahi dikh rahi thi. Iska matlab... Penalty death thi. Aur, system ko kho dena.

'Veer se ladne ke baad lagta hai ye aadmi kaafi thak chuka hai. I might be able to take him down.'


[Filhal toh wo hamari saari bullets se bach raha hai. Hume use jald se jald ghayal karna hoga.]

'Toh ek baar me ek bullet enough nahi haan? Alright then!'

Agle hi shan usne apni jacket khol andar se ek aur handgun nikali. Aur, dono handgun Jaw Long ke bheje ki orr taan usne trigger daba diya.



IMG-20240223-195029

*Bang* *Bang*

Do sansanati hui bullets guns se nikal Jaw Long ki chithde udaane ko aayi. Lekin, lagatar tez gati se bhaag raha Jaw Long unhe chakma dene me qamyab raha. Magar, khel yahi samapt nahi hua tha. Fire karte hi Ava ne unn dono guns ko upar hawa me ucchaal diya. Guns hawa me upar gol ghumti hui gayi aur tabhi-

Ava ne apni jacket punah khol aur do handguns usme se nikali. Unse fir se bhaag rahe Jaw Long ki taraf nishana lagaya. Aur, iss baar jaise Jaw Long ke chehre par dehshat saaf nazar aa gayi.

*Bang* *Bang*

Hawa ko cheerte hue woh bullets uske maans me dhassne ko aayi aur Jaw Long darr ke chalte ped ke peeche jaa dubka. Woh bullets ped ke tane ko ukhaadte hue usme jaa dhansi.

Idhar Ava ne haath me pakdi dono guns ko bhi turant hi hawa me uchaal diya. Jaise hi usne ye guns hawa me feki, pichhli do guns jo usne pehle se hi hawa me feki hui thi woh gravity ke chalte tezi se neeche aayi.

Unhe punah haath me thaam usne firse-

*Bang* *Bang*

Aur, wapas se unhe hawa me uchhal diya. Upar feki gayi baaki ki do guns fir neeche aayi aur iss baar unhe thaam-

*Bang* *Bang*

Woh do guns hawa me fekti, do se fire karti aur fir unhe hawa me fekti aur pichli do guns se fire karti. Ek baar me hi... Woh 4 handguns istemal kar rahi thi.

Aur, ye sab kuch itni tezi se ho raha tha ki aam insaan ko bas Ava ke haath ki dhundhli aakritiyaan hi nazar aati. Uske haath after images bana rahe the. Guns itni tezi se hawa me uchhal ke neeche gir rahi thi aur wapas se hawa me jaa rahi thi ki pata laga paana mushqil tha kaun si gun pehli waali thi aur kaun si dusri.

Usne itni bullets ped pe daag di ki ped ka tana hi toot ke bikhar gaya. Jaw Long kisi bheegi billi ki tarah ek ped se dusre ped ki aadh me khud ko chhipane par majboor ho gaya.

Ab tak close ranged fight me woh bada hi guroor dikha raha tha. Par, bandook ke saamne aate hi woh dubak ke chhupne par vivash ho gaya.


[Such skill of handling weapons. She's a skilled warrior.]

Yaha tak ki uska khud ka system bhi Ava ki weapon handling ki tareef karne me peeche na raha.

'Kai! Agar, aise hi chalta raha toh-'

Woh mann me kehte hue ek ped ki aadh lene bhaaga jab tabhi-

*Bang*

*Squelch*


"Urrrghhh!"

"Finally! I got him!"

Akhir kaar ek bullet ne apna kaam kar hi diya. Kandhe ke paas aake bullet maans ko cheerte hue andar ghusi. Aur, Jaw Long ki ek dabi dard bhari karah muh se nikal gayi.

'Agility badhani hogi, Kai!'


[Long! Tumhare paas sirf 3000 points hi baaki hai.]

Kehte hue usne uske mann me hi full status dikha diya.


web-9


web-10

'Jaanta hu! Lekin, Aura vision ko upgrade karne ke liye mere paas paryapt points nahi. Agility ki zyada zaroorat hai.'

[Accha? Aur, sleep ka kya? Bina sleep ke points nahi badhne waale. Stats me points invest karna bekar hai.]

'...'

Jaw Long kuch na bola. Kai ki baat sahi thi. Agar, agility me points invest kar bhi diye to bina neend ke woh nahi badhne waale the.


[Intezar kiska kar rahe ho? Apne trump cards ka istemal karo. Aur, jald se jald ye ladayi khatam karo. Straight way se ghuse Li Renshu aur unke aadmi kahi mine tak na pahuch jaaye.]

'Hmm!'

Kai ki baat maante hi Jaw Long ke ird gird ki hawa badalne lagi. Woh poori tarah se gambheer ho gaya. Wahi, yaha Ava ki bullets ki saari magazines khatam ho chuki thi.

Woh ab apni katana ko haath me pakdi wapas se close combat ke liye taiyaar thi. Magar, Jaw Long ke haav bhaav use satark rehne par majboor kar rahe the.

Aur, fir-

*Ding*


['Berserk' has been equipped.]

*Ding*

['Berserk' has been activated.]


web-6

Agle hi shan Jaw Long ka saara intelligence dhadalle se neeche girne laga. Ek ke baad ek uske intelligence ke 150 points girte chale gaye. Aur, usi ke saath ye points uski 180 strength me judne lage. Jaha ek taraf intelligence ghat raha tha toh wahi dusri orr strength badhti jaa rahi thi.

Berserk! Ek aisa card jo intelligence aur strength stat ke beech apna game khelta tha. Ek aisa card jisme intelligence ka balidan dene ke baad uske saare points strength stat me liye jaa sakte the.

*Ding*


[Intelligence has reached zero.]

[Strength stat has reached 330.]


Intelligence ke saare ke saare points strength me jaa chuke the. Jaw Long ke ird gird ki hawa bhaari mehsoos hone lagi. Uske lambe baal hawa me lehrane lage.

330 ki strength. Akhir kitni taqat rakhti thi? Woh kisi pagal khule saand ki tarah ho chuka tha. Jo raaste me aaye kisi bhi insaan ke tukde tukde karne ko taiyaar tha.


[This is bad!!! I can feel it. He's using something. Dear! Distance leke hi fight lena. Woh kisi prakar ka card istemal kar raha hai. Uski taqat badhti hui mehsoos ho rahi hai. Be careful!]

Lily ki chinta janak awaaz Ava ke mann me goonji. Ava ki bauhe bhi bhay aur duwidha ke chalte sikudi hui thi. Jaw Long ka aura woh feel kar paa rahi thi.

Aur, tabhi-

"Haaaaaaaarrrggghhhh!!!"

Jaw Long dahaad maarte hue hawa me uchakta uski orr aaya. Ava ghabrate hue peeche koodi aur Jaw Long ka taqatvar mukka zameen par jaa gira.

*Boom*

Ava ne jaise hi uss jagah ko dekha jaha woh pehle khadi hui thi uski aankhein khauf ke maare fel gayi. Zameen ke chithde udd chuke the. Ek mukke se hi waha par crater bann gaya.

'Wh-What kind of power is he using?'


[Maine kaha tha na. Usne kisi prakar se apni strength badhayi hai. Warna iss tarah ka damage asaani se nahi kiya jaa sakta. Beware! Agar ek bhi attack hume laga, to hamare liye mushqil ho jayegi.]

'Yeah!'

Jaw Long par jaise bhoot sawar ho chuka tha. Ava ko maarne ke liye jaise hi usne dusra mukka feka, Ava peeche gulati maarte hue uss se distance bana ke bachi aur ped ki aadh lete hue peeche ho gayi.

Parantu, ped jaise hi Jaw Long ke mukke ke sampark me aaya-

*Smaaaashhhhh*

Aisa laga maano ped me kisi ne bomb laga ke chorr diya ho. Kyuki, kisi visfot ki tarah hi uske parchhatte udd gaye. Ped tukdo tukdo me toot ke hawa me bikhar gaya. Itna vishalkaay ped yu ek hamle se hi dhwast ho gaya. Ava ki haalat iss samay shabdo me bayaan kar paana mushqil tha. Usne aaj tak aisi taaqat ka namoona nahi dekha tha. Ghabrahat ab uske andar janm le chuki thi.

'Th-That's-!'

Woh abhi koi rann-neeti sochti ki tabhi kisi vyakti ki awaaz aayi.

"Hahaha! Koi bhi bhaag nahi sakta ab Lord. Maine saare pul ki rassiya kaat di hai. Ab sabko-"

Kehte hue woh nadaan tribe ka member jaise hi Jaw Long ke nazdeek aaya. Jaw Long ne uska kandha thaam use wahi jakad liya.

"Huh?"

Apne Lord ki bina aankhon ki putliyo waali chhavi qareeb se dekh uss tribe ke aadmi ka moot uski jaanghiya me hi nikal gaya.

"L-Lord?"

Aur, ye uske akhiri shabd the. Kyuki, palak jhapakte hi-

*Bammmm*

"A-Ah-!!!"

Ava ki aankhon me dehshat saaf nazar aayi. Saamne ka drishya dekh uska badan kaanp utha. Jaw Long ne aisa mukka maara ki uss tribe member ka sarr kisi tarbooj ki tarah fatt gaya. Khoon sahet dimag ke chhote chhote tukde, aur andhruni ang bhi kayi tukdo me vibhajit hote hue chaaro orr fel ke gir gaye. Uska bina sarr ka bacha hua shareer bhi ladkhada ke zameen par dhamm se gir pada.

Aur, vatavaran me khoon ki gandh fel gayi.

*Blurgh*

Ava ko vomiting jaisa feel hua. Usne iss tarah ki maut kabhi nahi dekhi thi. Neeche uss tribe member ke dimaag ke tukde, toh kahi aankh ki putliyaan, uske chehre ke alag alag ang dale hue the jo ab pehchan me bhi nahi aa rahe the.

Yahi tha Berserk card! Jo apno aur dushmano ke beech antar karne me asaksham tha. Jaw Long ne apna intelligence sacrifice kar strength ko apnaya tha. Ab 15 minute tak bas Berserk ka hi prakop chalne wala tha.


[He's a monster!]

'H-How am I gonna fight him?'

[Tabhi toh keh rahi hu. Iski koi zaroorat nahi. Just run and escape.]

'N-No Lily! I can't-! And, I won't! Mein use yaha chorr ke nahi jaa sakti.'

[You-!!!]

'I'm sorry, Lily. But please...! Help me this one last time.'

[ *sighs* Fine!]

*Ding*


Vinona-s-mark

['Vinona's Mark' has been equipped.]

['Vinona's Mark' has been activated.]

['Vinona's Mark' has been applied on the target.]

[20 minutes...! Sirf 20 minutes hai. Hume uss se tez rehna hoga. Tabhi uske attacks se bach payenge. Defensive hote hue uss par bas ek ek vaar karti jaana. 10 consequent hits lagte hi use 150% zyada dard pahuchega. Aur, bleed bhi apply ho jayega.]


'I know! Par, uss se bachna hi sabse bada challenge hai.'

[Lekin, hume karna hoga.]

'How many points do I have?'

[See for yourself!]

*Ding*


Ava-status-1


Ava-status-2

Ava ka full status uske samaksh tha. Points ki kami dekh usne apne nichle honth ko gusse me daanto tale daba liya.

'Sirf 1500!?'


[You purchased 'Rekkaken' and 'Judo Combat' last month. Aur, Masie's cure ke liye itne saare points Death Flag me istemal ho gaye the. Mission bhi itne time baad mila hai. Of course, we have a shortage of points.]

'Damn it!'

Ava zyada derr tak apni vartalap Lily ke sang na kar paayi kyuki, Jaw Long chhalaang maar apni jagah se uda aur use maarne ke liye aaya.

Vinona's Mark activate hote hi Ava apne Judo combat style ko apnaate hue stance me aa gayi.

'Come!'

Weapon Master card ki wajah se woh harr hathyaar ko chalaane me saksham thi. Magar, Judo Combat usne ab tak kisi pe istemal nahi ki thi. Ye skill nayi thi. Aur, uska pehla hi pratidwandi Jaw Long tha.

Jaw Long ka mukka uski kamar par lagne ko aaya toh Ava chhalaang maarte hue peeche hui aur perr zameen par rakhte hi-

*Whoosh*

Woh jhatke se Jaw Long ke peeche aayi. Aur, ek strike seedhe Jaw Long ki peeth par maari.

*Thuck*

Maarte hi woh hawa ki gati se peeche hatt gayi. Aur, ye ekdum sahi faisla tha. Jaw Long ne apni laat itni tezi me peeche ghumayi ki agar woh waha khadi rehti toh uski haddiya toh tootati hi saath hi woh kayi metre dur jaake girti.

Idhar strike padte hi Jaw Long ko jaise kaafi kshati pahuchi. Vinona's Mark marked target par 120% damage zyada karta tha. Ava ki strength 150 par thi.

150 strength ka 120% zyada damage. Matlab 330 ka physical damage. Ava khud bhi nahi jaanti thi ki woh itna damage kar sakti thi. Usne kabhi bhi Vinona's Mark ka itna istemal nahi kiya tha. Aur, na hi Judo Combat ka.

Woh nahi jaanti thi ki uska damage Jaw Long ke damage ke barabar pahuch chuka tha. Ya yu kahe ki usne uss detail par utna dhyan hi nahi diya tha. Jaw Long ko jaise hi peeth par woh vaar pada, uski peeth ki maans peshiyaan andar hi andar phatne ko ho gayi.


[Bas 9 hits aur...!]

Bleed apply karne ke liye Ava ko 9 baar aur vaar karna tha. Aur, woh bhi bina ek bhi attack apne upar liye. Tabhi, uske attacks consequent kehlaate.

Woh datt kar aage badhi. Magar, pichli baar wali chaal iss baar qamyab na ho saki. Jaisi hi woh Jaw Long ki taraf feint attack karne ko aayi.

Sheba na jaane achanak kaha se uske bagal se apne panje felaata use nochne ko aa gaya. Woh ghabrati hui jaise hi mudi-

Uss se yahi par galti ho gayi. Sheba apne pankh fad-fadata hua wapas upar uda aur Jaw Long ko yaha mauka mil gaya.


[Shit...! Dear, careful!]

Parantu, kaafi derr ho chuki thi. Ava jaisi hi wapas palti-

*Pooooowwwwwww*

Jaw Long ka punch uske pait par pada aur woh hawa me udti hui kayi feet dur jaa giri. Uske muh se khoon nikalne laga.

Internal bleeding!!!


[Dear...!]

Lily chintit swar me chillaayi. Aisa lag raha tha maano andar ki saari atadiyo par 100 kilo ka wazan rakh diya ho. Uski saansein ukhdi ukhdi prateet hone lagi. Jaw Long ka endurance 200 par tha. Magar, wahi Ava ka maatr 150. Zahir hai uski dard sehen karne ki kshamta Jaw Long se kam thi.

"Urgghhh!!!"


[D-Dear-!!]

Na chaahte hue bhi Ava apne ghutno par gir padi.

'It hurts like hell...! Urrghhh! L-Lily!'


[Y-Yes!!?]

'Aisa lag raha hai jaise andar se kisi ne mere ango ko noch ke daba diya ho. Ahhh-!!'

[Bear with it, dear. Just bear with it.]

Magar, use react karne ka samay hi nahi diya gaya. Jaw Long uske saamne aake khada ho gaya.

[N-No-!!! Dear!!! RUNNN!]

***

Jab Jaw Long aur Ava dur ladne me vyast the. Toh wahi Veer apni neend me kaafi recovery kar chuka tha.

Pari ne Beowulf ko kuch derr ON rakh Veer ki healing ko badha diya tha. Aur, jaise hi bleeding band hui, usne use wapas se band kar diya. Kyuki, woh jaanti thi ki Beowulf aage kaam aane waala tha.

Veer ki palke jhapki... Aur, woh apne hosh me aaya. Neend ki wajah se usne jo points pehle add kiye the woh ab invest ho chuke the.

[Are you awake now?]

'Pari-!!!'

Saamne ka dhundhla drishya jaise hi spasht hua toh Veer ne paaya ki uske saamne Erica baithi hui thi. Erica bhi jaise use hosh me aata dekh chehek uthi.

Erica : Ahhh!!! Tumhe hosh aa gaya!!!?

Veer (breathes heavily) : Erica???

Erica (nods) : Haan! Tum theek ho na?

Veer : T-Tum yaha?

Erica : Uh-huh!

Veer : Tum yaha kya kar rahi ho?

Erica : M-Mein tumhe yaha se le jaane aayi hu obviously. Jaw Long bahut zyada shaktishali hai. Hum abhi uske level par nahi hai.

Veer : Jaw Long! Th-That's right! W-Wait-!!! Ava...! Ava kaha hai?

Jaise ab use sahi se hosh aaya. Woh uth ke baitha aur apne shareer ko idhar udhar mod apne dheele aur ghayal purjo ko usne jaise sahi kiya.

Erica : Ava?? Kaun Ava?

Veer : Wahi jisne mujhe bachaya. Jo yaha aayi thi...! Jaw Long mujhe maarna aa raha tha aur woh-

Erica : Oh tumhara matlab woh ladki? System holder?

Veer : Yeah!!

Erica : Wahi toh jab se Jaw Long se bhidi hui hai.

Veer : She's fighting Jaw Long?

Jab Veer ke chehre par uss ladki ke liye chinta ke bhaav Erica ne dekhe toh woh asahaj sa mehsoos karte hue tapaak se puchi,

Erica : K-Kaun hai woh ladki?

Veer : Ava-!!! She's none other than... Natalia Martin!

Erica (stands up) : Whaaatttt???

Apne pita ke wahi bol Erica ko fir yaad aa gaye. Chaahe kuch bhi ho jaaye Natalia Martin par bharosa mat karna. Aur, yaha woh usi Natalia Martin ke bharose pehle hi baithi hui thi.

Erica : U-Uss par bharosa nahi kar sakte hum. Hai na?

Uske sawal par Veer khamosh raha. Uski chuppi ko dekh Pari ne kaha.

[Boy-!!! What are you thinking?]

'Woh move...! Maine wo knife feki thi uss Jaw Long ki taraf.'

[Yeah, so? Pata laga liya hai humne already ki uske paas koi dodging skills nahi hai.]

'Ho sakta hai...! Par-! Maine woh sirf isliye nahi feki thi.'

[Huh!?]

'Aura vision!!! Non living things nahi dekh sakti-!!'

Pari ne jaise hi ye suna uske dil ne jaise ek dhadkan phaand li. Agar woh yaha uske saamne khadi hoti toh uske badan me khade hue raungte Veer saaf saaf dekh paata.

[You fucking-! Hahahahaha!!!!]

Woh zorro se hassne lagi.

Aura vision non living things nahi dekh sakti thi jab tak ki use upgrade na kiya jaaye. Yahi kaaran tha jo Jaw Long Ava ke dwara nikaali gayi katana se itna bhaybheet hoke dur bhaag raha tha.

Kyuki, use katana dikhayi hi nahi de rahi thi. Woh sirf Ava ke haath ke movements ko padh andaaza laga ke uss se ladd raha tha. Ava ke haath me hathyaar kitna lamba tha woh bas iska anumaan hi laga sakta tha. Aur, isliye woh Ava ki guns se bhi bhaagta raha. Na hi woh guns dekh paa raha tha aur na hi bullets. Kyuki, ye sab non living things thi.

Veer ne na sirf woh knife fek ke ye check kiya ki Jaw Long ke paas koi dodging skills thi ya nahi, balki ye bhi check kar liya tha ki Jaw Long ne Aura vision upgrade ki hui thi ya nahi. Aur, isi ke chalte use ye baat bhi pata lag gayi ki Jaw Long ke paas Aura vision ko upgrade karne ke paryapt points nahi the.

[If I would have been in my physical form. I swear I would have crushed your head while hugging you. Hahahahahahaha!!!]

Pari ka excitement iss waqt charam pe tha. Agar woh saamne hoti toh uske chehre par ek khaufnak muskan feli hui hoti.

'It's time for Round 2!'

Gehri saans lete hue Veer uth khada hua. Badan abhi bhi dard kar raha tha. Ghaav abhi bhi gehre the. Magar, samay yaha baith ke araam farmaane ka nahi tha.

Erica : U-Utho mat! Just rest! Bleeding abhi abhi band hui hai. Agar, tum zyada chaloge firoge to ho sakta hai firse shuru ho jaaye.

Veer : I need to go-!

Erica : What???

Veer : Erica! Kya tum mujhe yaha reh ke protect kar rahi thi?

Erica : Uh-huh! M-Mujhe mission bhi mila tha.

Usne jaise hi bola, uske mann me tabhi ghanti bhi baj uthi.

*Ding*

['Mission : Safeguard Veer until he recovers' is completed.]

*Ding*


[You have been rewarded with the skill 'Basic Seer Vision.']

[Skill : Basic Seer Vision.
Description : Allows the host to witness all the events that transpired at a particular place within an hour prior from the running time.]


Erica : O-Oh! Mission poora ho gaya.

Veer : Thanks!

Erica : Ehh??

Veer : Meri safety ka dhyan rakhne ke liye thanks. You... have grown up!

Erica : ...!!!?

Veer : Now I need to fulfill my role.

Erica : Wait-! Tum iss haalat me-

*Whoosh*

Kintu, uski baat adhoori hi reh gayi. Kyuki, Veer hawa ke jhonke ki tarah waha se jaa chuka tha.

Erica (shouts) : Veeeeerrrrrr!!!!

***

'I think... This is the end, Lily!'


[Noooo-!!! Get up and run!!!]

'I... I can't-! Mere perr kaanp rahe hai.'

Jaw Long uske saamne uski maut bann ke khada hua tha. Ek hit me hi Ava ka shareer atyadhik damage le chuka tha. Endurance kam hone ka nateeja tha ye.

Jaw Long bhi kaafi ghayal tha. Magar, Berserk use tike rehne ki himmat de raha tha. Usne apna haath hawa me uthaaya aur uss tribal ke aadmi ki tarah woh Ava ke sarr ke chithde udaane hi wala tha jab-

Bagal se aati ek zordaar kick ne use dur girne par majboor kar diya. Jab Ava ne saari umeedein chorr di thi, tab ek baar fir Veer uske saamne aake khada ho gaya.

Ava : !!!??

Veer uski taraf peeth kar ke khada hua tha. Woh nahi jaanta tha ki iss waqt Ava ki aankhon me aasu the.

Veer : I told you to never show me your face. Right?

Ava : ...!

Woh khamosh rahi. Apna sarr jhukaate hue woh apne hontho ko daanto se kaat khud ko dosh dene lagi. Kya kar sakti thi? Woh apne dil ke aage bebas thi.

Veer ne aage kuch na kaha. Woh bas Jaw Long ki taraf daud pada. Aur, idhar Ava ke chehre ke bhaav taajub me tab badle jab use apne mann me woh notification sunayi diya.

*Ding*


[Veer's favorability has increased to 20.]

Ava bas aashcharya me dur jaate Veer ki peeth ko dekhti reh gayi.

'V-Veer-!!?'

Veer Jaw Long se bhid baitha. Berserk ko khatam hone me abhi 2 minute baaki the. Woh tez raftar ke saath uske paas pahucha. Jaw Long ne jaise hi Veer ki taraf apni kick maarni chaahi-

Veer neeche jhuk gaya. Zordar force waali kick uske sarr ke upar se nikal gayi. Aur, Veer ka taqat se bhara mukka seedha Jaw Long ki jaangh pe jaa ke laga.

*Pooowwww*

Uska santulan bigda aur woh ladkhadaya. Mauka dekh Veer seedhe uske peeche gaya. Uske dono haath Jaw Long ki kamar par lipte-

Aur, agle hi shan itna bhari bharkam Jaw Long hawa me tha. Peeche se Veer ne use uthaaya aur peeche hi le jaate hue-

*Baaaaaaammmmm*

Neeche zameen par use sarr ke bal patak diya. Zameen par ek crater bann gaya.

Haafte hue Veer Jaw Long ki kamar ke peeche se baahar nikla. Sarr par bahut zorr ke padi thi Jaw Long ko.

'Did I... win?'

Veer abhi khade hue ye soch hi raha tha kyuki Jaw Long koi bhi harqat nahi kar raha tha. Par, achanak hi-

'Shit-!!!'

Jaw Long ne akasmat hi uske ankle ko apne haath me jakad liya. Uski pakad itni mazboot thi ki uss se chhootna namumkin sa tha.

Jaw Long uchakta hua Veer ko apne saath hawa me upar le gaya aur fir-

Usne itni zorr se neeche Veer ko patka ki ek shockwave uss poore ilaaqe me fel gayi. Sahi samay par Pari ne Bone Reaper equip kar liya warna Veer ki haddiyon ko aaj choorma bann jaata.

"Veeeeeer-!!", Ava dur se hi kamzor awaaz ke saath uski orr chillaayi. Lekin, koi fayda na tha.

Veer ka ang ang dard se tadap raha tha. Magar, Jaw Long wahi par nahi ruka. Usne punah Veer ke perr ko kheencha aur use-

*Craaaassshhhhh*

Ped se bhedte hue ped ke tukde kar diye. Veer ek baar fir khoon se lathpath dur jaata hua gira.

Jo bhi bleeding pehle ruki thi woh dheere dheere wapas se behna shuru ho rahi thi.

[Agar, aise hi chalta raha toh tum blood loss se hi marr jaoge.]

Tabhi-

*Swoosh* *Swoosh*


*Swoosh* *Swoosh*

Kuch teer Veer ke ird gird golaayi me jaa ke zameen par dhansne lage. Parantu, woh sirf teer nahi the. Unke chorr par insaano ki asli khopdi latki hui thi.

Berserk ka samay samapt ho chuka tha. Jaw Long wapas se apne hosh me aa chuka tha.

"Shebaaaaaa-!!!!"

Baaj ko awaaz lagaate hi woh baaj jaise ishara samajh kahi udta hua chala gaya.

Jaw Long fir Ava ki taraf badhne laga. Usne Ava ke baalo ko apne haath me jakda aur use kheenchte hue le jaane laga.

"Nnnghhh!!!"

Veer ne apni ardh khuli aankhon se jab ye dekha toh himmat kar woh uthne ki koshish karne laga. Magar, dard ke chalte woh wapas se gir gaya.

'N-No-!!!'

[Tumhari chaheeti ko baalo se pakad ke woh le jaa raha hai. Toh? Ab kya karoge tum?]

'Pari-!!'

[Fufu~ Yes?]

Bhaagti hui aayi Erica ne jab ye manzar dekha toh ek sihran uske badan me fel gayi. Ava ko bachaane ke liye usne apna boomerang Jaw Long ki orr feka.

Toh, Jaw Long ne ek haath se uss boomerang ko pakad liya.

Erica : K-Kaise-!?

Woh majbooran uski orr bhaagi. Peeche nahi baith sakti thi. Magar, nateeja wahi. Erica ko pakad ke jaise hi Jaw Long ne ek ped se bheda, bechari Erica ke sarr se khoon behna shuru ho gaya. Sirf do mukke hi kaafi the Erica ko ghaayal karne ke liye. Dono haatho me do sundariyo ke kesho se unhe jakadte hue Jaw Long unhe zameen me ghaseetata hua le jaane laga.

Veer apna haath aage badha ke unki taraf jaane chaahta tha. Lekin, uska shareer jawab de raha tha.

[What are you gonna do now?]

Pari toh jaise uski iss haalat par lutf le rahi thi. Jaise woh kuch soch ke baithi hui thi.

'A-Ava-!! Erica!!!'

Jaw Long ne unn dono ko bhi ek ek jagah par patak diya. Aur, unn dono ke ird gird bhi teer zameen par baari baari khuse hue the. Aur, unke chhor se insaano ki khopdiyaan latak rahi thi.

Jaw Long zameen par baitha. Aur, tabhi-

*Keaaaarrrrrr*

Sheba akaash me udta hua uski orr aane laga. Uske panjo me kuch tha jo bilbila ke tadap raha tha. Ek murga!!!

Murge ko hawa me chorrte hue Sheba wapas se ped ki daali par baithne chala gaya. Toh wahi Jaw Long ne uss murge ko pakda aur apni vidhi ko shuru karne ke liye taiyaar ho gaya.

Uske muh se vichitra bhaasha me bol nikalne lage. Aisi bhaasha... Jise Veer kya, kisi ka bhi system pehchaan na saka.

[He's using Gong Tau!!!]

Pari ke bol tabhi Veer ke mann me goonje.

Gong Tau ek black magic skill thi. Aur, iska upyog karne ke peeche ek hi kaaran tha ~ Laalach!

Gong Tau ek vashikaran ki kriya thi. Jiski madad se targets ko control kiya jaa sakta tha. Vashikaran hone ke baad agar targets ko maar diya jaaye toh unke saare cards aur skills Jaw Long ke paas aa jaane waale the.

Isi laalach ke peeche woh iss kriya ka upyog karne laga. Woh kuch padhta jaa raha tha. Aur, nirantar uski awaaz badhti jaa rahi thi.

Achanak hi-

*Rattle* *Rattle*

Teer par khusi khopdiyaan apne aap kampan karne lagi. Kad-kad ki awaaz ke saath woh thar-tharaane lagi. Hawaaein tezz ho gayi. Aur, Jaw Long ne fir uss murge ko pakda-

*Slit*

Uske gale ke paas ek cut maara...! Murge ko latkaya toh uska khoon neeche tapakte hue kisi vichitra si dikhne waali cheez par girne laga.

Khoon kuch maatra me giraate hi Jaw Long ne uss murge ko feka toh murga apni peeth ke bal hawa me perr kiye zameen par gir pada. Jaw Long ne ye dekh haami bhari. Iska matlab tha ki aatmao ne uski kriya ko sweekar kar liya tha.

Aur tabhi-

Woh murga jiska gala kaata gaya tha woh apne aap uth khada hua aur pankh fad-fadaata hua waha se bhaag utha. Idhar Jaw Long apni kisi prakar ki tantra vidyao me wapas se lag gaya.

Aur, ab Veer ko apne shareer me kuch gadbad mehsoos hone lagi. Sirf Veer hi nahi, Ava aur Erica ka bhi yahi haal tha.

[He's taking control of your body...! Agar tumne kuch nahi kiya. Toh, sab khatam hai.]

'P-Pari-!! Help me-!!!'

Veer ki bahut kamzor awaaz uske mann me aayi.

[Hmm? I didn't hear you-!?]

Jaw Long ke garajte bol apna asar kar rahe the. Veer samet Ava aur Erica ke haath apne aap unke gale par jaake jakad gaye. Woh sabhi apne apne gale ko kass ke dabaane lage. Erica aur Ava dono ki aankhon me aasu the.

Jaha ek taraf Ava haar maante hue sab kuch sweekar kar chuki thi aur mayus aankhein liye Veer ko dekhti jaa rahi thi jaise ye antim shan tha ek dusre ko akhiri baar dekhne ka toh wahi Erica ka chehra kuch aur keh raha tha. Use dekh ke lag raha tha maano jaise woh marrna nahi chaahti thi. Bebasi uske chehre par saaf jhalak rahi thi. Aankhon se mote mote aansu uske gaalo se behte hue gir rahe the.

'Pariiii-!!!'

[Hmm?]

'H-Help me-!!'

[Ohh? Mujhe kuch sunayi nahi de raha! Fufu~]

'I beg you-!! Please!!!'

[Ohh!! Waqai?]

'Please!!'

Veer ki saansein ukhdi ukhdi aa rahi thi. Pari kuch derr shaant rahi. Veer ke haath apne aap gale ko dabaate hue kasste jaa rahe the.

"Urrghhh!"

'P-Pari...!!!'

Agle hi shan Pari ki awaaz thodi badal gayi. Maano jaise woh bhayanak gusse me uss se baat kar rahi thi.

[THEN...! ARE YOU WILLING TO GIVE YOUR BODY TO ME???]

'Huh!??'

[DO YOU WANT ME TO TAKE CONTROL? TO DEFEAT THIS PUNY LITTLE BASTARD?]

'H-Haan-!!'

[ARE YOU WILLING TO HAND OVER YOUR POINTS TO ME???]

Woh chillaayi.

'Haan! *Gwakh* H-Haan!'

[THEN GIVE THEM TO ME-!!!]

'Hmmm!!'

[YOU ARE DOING THIS BY YOUR OWN ACCORD. RIGHT???]

'Y-Yes-!!!'

[THEN GIVE ME... THOSE POINTS!]

'Hmmm-!'

Aur, tabhi Veer ke 5692 points jo usne emergency ke liye bachaaye the. Woh dhadalle se ghatne lage.

[YES...! YES...! GIVE THEM TO ME!! THAT'S RIGHT!!! KEEP IT COMING!! THE MORE THE BETTER...!]

Woh points kaha jaa rahe the, unka istemal kaha ho raha tha Veer kuch nahi jaanta tha. Woh toh Pari ki baat maan vivash hote hue apne saare points daav par laga diya tha.

[YOU MUST THANK ME LATER KID-!!! IT'S YOUR GOOD LUCK THAT I WAS HERE-!!! OTHERWISE, YOU WOULD'VE BEEN DEAD!!!]

Veer ki consciousness dheere dheere jaane lagi. Aur, kuch hi shano me woh behosh ho chuka tha. Pari ne poore shareer pe takeover kar liya tha. Ghatate ghatate Veer ke saare points zero par aake ruk gaye.

[Hahahahahahahaha-!!!]

Pari paaglo ki tarah hass rahi thi.

[Hahahaha-!!! THIS BODY...! IT'S WEAK!!! BUT YOU'RE LUCKY KID-!! BECAUSE I'M THE ONE POSSESSING IT NOW.]

Veer ka badan jab gale ko dabaate hue gir pada toh Erica ne rote hue apni nazre ferr li. Use laga ki Veer iss duniya se jaa chuka hai. Magar, Ava ki nigaahein ekdum Veer ke shareer ke upar sthir tiki hui thi.

Death Flag me aisa koi bhi notification nahi aaya tha. Woh jaanti thi ki Veer zinda tha.

Aur, fir-

Achanak hi Veer ka shareer gravity ke viruddh uski iccha ke bina upar uthne laga. Aas paas ke neeche bikhre sookhe patte kaapne lage. Uske uthate hi uski zulfo ne uski aankhon ko dhak liya.

Ava, Erica samet Jaw Long khud palat ke use dekhne par majboor ho gaya. Ye chal kya raha tha?

Jaw Long ko poora yakeen tha ki Veer kaafi damage le chuka tha. Uske baad bhi iss tarah uth khade hona...! Zaahir hai use hairangi honi hi thi. Use kya, yaha par uski jagah koi bhi system holder maujood hota toh uska bhi yahi reaction hota.

Na pehle kabhi aisa kuch dekha gaya, na suna gaya aur na hi aisa kuch hone ki kisi system holder ne kabhi kalpana bhi kari thi. Kintu, Jaw Long sab kuch mehsoos kar paa raha tha. Aur, ye sab kuch asal me ho raha tha. Uske saamne khada yeh naujavan ladka iska jeeta jaagta udahran tha ki aisa kuch bhi sambhav tha.

Veer utha. Uska muh achanak hi khula aur usne ek gehri saans muh se chorri. Kintu, raat me jangal me thand hone ke chalte uski garam saans dhue me tabdeel ho gayi. Aur, dhua uske chehre se chhatate hi uske hontho par ek bhayanak, daanavi aur kutil muskaan fel gayi.



IMG-20240408-203544


'Huh!?'

Jaw Long ka badan iss baar ek jhatka khaaya, pal bhar ke liye shareer par ruye khade ho gaye. Thand iska kaaran nahi thi. Uski vidhi beech me hi ruk gayi. Harr insaan ka aura neele rang ka hota tha.

Par... Par kabhi bhi usne aisa kuch aaj tak nahi dekha tha. Veer ka aura...

Veer ke badan se jo aura nikal raha tha. Woh pichli baar ki tarah neele rang ka nahi tha. Uske badan se... Iss baar... Woh bhayanak gehre kaale rang ke aura ki lapto se ghira hua tha. Aura keval andar hi nahi tha. Balki, Veer ke badan ke baahar ird gird bhi lapte maarta hua nikal raha tha.

Aisa lag raha tha jaisa nark se koi bhayanak pishaach dharti par aa gaya ho. Jaw Long ne iske pehle bas aatmao ki nakaratmak urjao ke aura ko hi halke kaale rang se lipta dekha tha. Aura vision urjao ko bhi halke rango se dikhaane me saksham thi.

Bhoot, pret, pishaach jeevit praani nahi hote the lekin nakaratmak urja ka strotra zaroor hote the isliye, unka bhi kahi na kahi thoda bahut aura hota tha. Magar, woh aura itna prachand nahi hota tha. Kaali lapte zaroor hoti thi par behad maamuli si. Par, idhar-

Veer ke badan se bheeshan kaali lapte aise nikal rahi thi jaise maano uss par kisi ne aag laga di ho. Bas, farq itna tha ki lapte peeli nahi kaali thi. Beshaq, ye lapte kisi ko bhi dikhayi nahi de sakti thi.

Veer ke naye roop ko dekh Jaw Long do qadam apne aap peeche ki orr chala gaya. Woh samajh raha tha ki savdhani baratna kitna zaroori tha yaha par.

Kintu, Veer poori tarah se shaant khada hua tha. Uski aankhein uske baalo se chhipi hui thi aur muh se nikalti saans nirantar thand ke chalte bhaap me badalti jaa rahi thi. Uske hontho par saji muskan kahi se bhi uski prateet nahi ho rahi thi. Lag raha tha maano uske andar kisi aur jeev ne apna vaas kar liya ho. Kisi aur ne uske shareer par qabza kar liya ho.

Iss waqt uska roop bhayanak, raudra, aur prachand maalum pad raha tha. Yuhi nahi Jaw Long ne apne qadam peeche liye the. Chaah ke bhi Veer ki iss badli hui sthiti ke baare me use kuch pata nahi lag paa raha tha. Yaha tak ki uska system bhi iss paristhiti se anjaan tha.


[Kuch gadbad hai. Samajh nahi aa raha ki kaun se card ya skill ka istemal kiya gaya hai.]

Ava jo Veer ko uthata dekh ek raahat ki saans li, usne apni katana ko hawa me feka jo Veer ke bagal se jaa ke zameen par khus gayi.

Ava : Take it... Veer!!!

Magar, Veer ke muh se uske baad jo bol nikle woh uske nahi the. Awaaz uski hi thi, parantu bol Pari ke the.

"I don't need any weapons...! I AM THE WEAPON!!!"
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
This update consists of 10.6k words. Ye thoda aur lamba jaata magar kisi bhi cheez ki zaroorat se zyada maatra haanikarak hoti hai. Isliye, ise yahi rokna sahi tha. Agle update me sab kuch samapt hai. Maine keh hi diya tha ki fight 4 updates legi. Teen update ho chuke hai. Bas ek baaki hai. Aur, uske baad shayad ek update aur rahega jo arc ke closure ke liye rahega. Update bahut late aaya hai jaanta hu. Par, mein vivash hu dosto. Baaki, likes thokne ka aur revos dene ka. Target apna 200 hi hai. Pahucha do. Agla update jald dene ki koshish rahegi.

Dhanyavad!
Fantastic update
 
  • Like
Reactions: Werewolf

Werewolf

ʀᴏɢᴜᴇ ɴɪɴᴊᴀ
Supreme
13,765
98,372
259
😍😍😍😍😆😆😆Roj roj online naa aane ka fayda ki ek sath do update padhne ko mile. It almost took 1.5 hour to read both.

That why he is the goat.
I am straight but agar samne hota to tumari puchi le leta. Maa kasam kya likha hai.
Shukriya man. :five:
Aur pucchi mein laundo se na leta :nana:
Sirf Sundar naariyo ko hi uska adhikar hai. :Pepeblush:
BC kuch time to process hi nahi hua sab kuch mind blowing, pehle socha padhke chhod deta hu but ispe review dena to banta tha.

Dono update me kya jabrdast khatrnaak action dala hai, purely goosebumps.
Abhi ek update baaki hai bhai. Usme bhi action hai. :approve: but saath hi bahut saari info aur surprises bhi hai.
System holder ki line lagi padi hai Jo aa rha hai vahi system holder. Chinatown arc ki jagah system arena hona chahiye tha naam😁.

Fight scenes are well organized and over the top.
Ye ju ko hairan kar gaya? :D
Zara imagine karo, saare bache hue system holders ek jagah pe. Kya hoga tab?
Update 176 me Ava ki entry mast thi, ye to shuru se pta tha ki Ava Zinda hai aur jarur aayegi, lekin yahan use expect nahi Kiya tha. Everyone including me thought ki garofano yahan aayegi, but you always did the unexpected.
Even Erica ka sabne expect Kiya tha. But it was Ava. :D Jaan boojh ke uss tarah likha gaya tha update aur uss tarah dikhaya ki Erica Veer ki jaan bachaane ke liye jaa rahi hai so it's obvious wahi pahuchi hogi. But guess who was back? :D:
And Ava aur Jaw long ki fight to ekdum jabardast specially vo ek sath char gun ek sath handle karne vala scene mast tha and I find it slightly funny. ki Ava goliya chala rhi hai aur Jaw long apni gaa*d bacha rha hai😆 I mean apni Jaan bacha rha hai.
Now Imagine that scene again but in super fast speed and in an anime style. Ava's hands are forming after images and guns are just rotating one after the other in the air as they are being shot. Also, Ava is changing her direction of aim to the right since Jaw Long is running in the right direction towards different trees to escape from it. Now, add the sound effects of gunshots in a rapid succession as per the actions. :D
Vaise to meri favourite Bhawna aur Nidhi aur kavya hai but yahan main pighal gya. Veer ne maaf kiya yaa nahi but maine to Ava ko maaf kar diya.
Akhirkaar vo hande ki judwa hai.
😆
Men will be men. Death Kiñg :heh:
Bechara vo tribal man bina baat ke apna khopda khulva betha, isliye kabhi apne se tagdi fight me nahi ghusna chahiye.
Uski galti nahi thi. Galti uski timing ki thi. Wo tab ghusa jab Jaw Long Berserk activate kiye hue tha. Intelligence zero hai toh berserk ki info toh padhi hi hogi. It can't distinguish between a friend and a foe. Harr aadmi ek samaan hai. Yaani ki uske raaste me aayi adhchan.
Erica realised what real fight is, what happened when two system holder clash with each other.
Yup.
Crimson arc tak card, skills sabke naam aur unki powers pta thi, lekin ab to unhe yaad rkhna mushkil ho gya hai, I can understand how hard it is for you. Two create and remember every system powers, card, skills, stats. Now I just go with the flow without too much focusing on system stats.
Vo kaam to Werewolf Bhai sambhal lenge.
Maine pehle hi kaha tha. Jaise jaise story progress karegi meri liye aur mushqil hota jayega. Kyuki ye wesi story hai jo jitni zyada progress hoti hai utni kathin hoti jaati hai. :sweat: Aur, abhi itne hi system holders hai. Aage jo aur aayenge unke baare me alag info. :sweat:
Inn do update se ek chiz aur samjh aayi yaa phir aur confuse kar di ki system ka raaz unimaginable hai, uska potential bahut jyada hai. Gennie ka Erica ko btana ki blood se related lakho skill ya card hai then what kind off powers the system has is beyond my imagination.
You do realise the fact that Pari isn't from our planet right? :D Ye update 4 me hi information di gayi hai btw. If you're confused just read update 4 and you'll get the hint what I'm talking about. Shayad most of the people bhool na gaye ho iss baare me. But she's not from our planet Earth.

Toh ab andaza laga lo ki wo jaha se bhi hai waha ki sthiti kya hogi. Of course system is powerful. Tabhi to ek aise world me... Jaha human powers ka koi source hi nahi hai. Waha bhi normal humans ko aisi aisi powers provide ho rahi hai. It's like lighting a fire in a place without any oxygen. You get the point? :smartm:
Second thing maybe pari is different from other systems, she is special and extraordinary. Jis tarah se pari ne fight ke bich me jaw long ke sabhi skills aur cards ki jankari itni jaldi veer ko di, Ginnie ke comparison me. Halaki ye isliye bhi ho sakta hai ki unn dono ka level alag alag hai but I think pari knows more than any other system about systems.
You'll come to know. I always say... Pari is the best. :blush1:
System ke raaz dheere dheere khulte jayenge. Ek Raaz abhi khul jayega. Aur, wo kaafi bada Raaz hai. But poora khulasa to kahani ke ant me hi hoga.
And the ending of 177 update proves it that she is different and not totally in control of host body.
Familgia arc me veer ka pari dwara baar baar incestuous relation ki taraf push karna bhi pari alag vajah se kar rhi hai.
Hmm! She has her reasons. Or maybe kinks.. :laugh:
Mind-blowing awesome update.

Keep updating, take your time and deliver the best as always.🙂
I can wait for weeks😆
Thanks a lot man for such a wonderful and long revo. :five:
Aise hi aate rehne ka aur revos dete rehne ka. Mera motivation inhi se aata hai aage likhne ka. Koshish jaari hai. Umeed hai agla update jald hi aa jayega aur hum next arc par chal denge. Lekin, next arc ke liye again mujhe uski ek blueprint banani hogi. Mind toh roughly hai sab. Par kuch naye factors ko include karne ka socha hai maine.

Disembowler's arc kaafi short rakhne waala tha mein. Chinatown se short. But, abhi lag raha hai ki kuch naye factors ko include karunga toh ye badhiya interesting ho jayega. Saath hi kuch cheezein jinn par kaafi kaam bacha hai wo bhi ho jayengi. For example Veer's love life, some characters who haven't been in a limelight for long, and some family + emotional drama along with some side progressing of businesses. Baaki dekhte hai. Thanks once again and keep supporting man. :dost:
 
Last edited:

RAAZ

Well-Known Member
2,323
6,256
158
Bhai, mein toh Koshish hi kar sakta hu. 😅
At the end, samay mere according nahi chalta. Mujhe hi uske according chalna hota hai. Job se aane ke baad hardly kuch karne ki iccha hoti hai. Lagta hai bas araam farmao, kuch accha Khao piyo aur so jao. Ya fir kuch entertainment ke liye kuch dekh lo. Par mere naseeb me wo sab nahi. Mujhe wo sab sacrifice kar ye likhna hota hai. Jo ki mushqil se daily aadha ek ghanta hi mil paata hai. Dekhte hai... Jitna jaldi ho sakega taiyaar karne ki koshish karunga. Thanks and keep supporting. ✨
Aapki baat bilkul sahi hai naukri karne walo ke pass apna time khatam ho jata hai aur aapki writers logo ki isi baat ki respect hai ki hum logo ki mohabbat Mai aap log apne precious time se humay waqt detay hain.
 
  • Love
Reactions: Werewolf

Werewolf

ʀᴏɢᴜᴇ ɴɪɴᴊᴀ
Supreme
13,765
98,372
259
Kya bolu kahan se start karu kuch samajh nahi araha 😅 bas dimaag faad update 🙆‍♂️🤌
Arey jaha se start karna ho waha se kar do Bhai. :D apna hi thread hai.
storyline system holders ke ird gird converge ho rahi hai which is exciting , thrilling and a treat to read 👌
Ye toh hona hi tha. Crimson ne bas ye bataya tha ki Veer akela system holder nahi hai. France me hume pata chala ki Ava aur Renshu bhi hai. Toh zahir hai ab Chinatown me aur system holders se mulaqat honi hi thi. :D
coming to this thread , begining me last update ka cliff Hanger complete hua ki Ava kyu kese pahuchi - everything was smooth as always 👏👏

yaha ek cheez worth mentioning hai ki hum readers bas patience rahe.. saare doubts , questions and broken links time ke sath apke har update me milte jayenge 😂
Exactly! :approve:
You just have to be patient. Fir saare sawalo ke jawab apne aap milte jayenge. Unn sawalo ke jawab bhi milenge jinke baare me kaho bhool gaye ho. Mujhe acchi tarah se pata hai ki kaun kaun si paheliya abhi baaki hai sulajhne ke liye. Juhi ke liye chocolate factory waale vaade se leke, woh Slogan ki gaadi me Priya kya kar rahi thi? Jisko bachaane ka mission Veer ko Mila tha, etc. ye saari paheliya sulajhna baaki hai. Aur sab kuch mujhe yaad hai. Aur sab kuch hoyega. Bas sahi samay aane par.
lekin boss ek to story , apke mind blowing narration aur update ke akhir me cliff hangers ye sabhi maa behen ek kar dete patience ki 🤣 result - next update ka besabri se intzaar.. 😌
Quality dene me time lagta hai bhai. Jitna behtar content utna adhik time ki requirement. Kyuki, mein kaafi vyast rehta hu.
Ava ka description aur erica ki entry sab Obviously bahut acha tha 👍 mujhe personally Yaha thoda sa boring laga , ,
actually update itne awaited hote hai ki jab bhi aate (bhale hi itne late lateef 😒 lekin sab well understanding hai ki kyu late aate hai = quality is top notch ✨,) mai regardless of time, place, situation, read karne baith jata. Jab update aaya ya nahi check karne site Open ki to luckily 12 minute pehle hi aap post kar chuke the bas to padhne laga me fauran 😅 lekin is boring juncture par aake mene padhna band kar diya ki kaam karlu sham/raat ko aaram se read karunga.
I know. Par, aisa kabhi karna nahi chahiye. Now let me give you a suggestion. Wese toh sabhi ko apne according padhne ka haq hai aur mein apni raay kisi pe thopta nahi hu. Par harr product ke peeche uske instructions likhe rehte hai na? How to use? :D

Toh bas wahi samajh ke rakh lo ye suggestion. Wese ye suggestion sabhi ke liye hai jo ye kahani padhte hai.

Mere update padhne ka sabse accha samay hota raatri me. I know kayi baar mein late night de deta hu update aur kabhi kabhi alag hi time par. But trust me... Agar thoda aur wait karo...aur use raat me padho. Toh uss se behtar samay aur koi ho hi nahi sakta.

Ekaant me ekdum baith ke, saath me kuch halke snacks ya peene ke liye koi beverage aur raat ka samay. Bas!!! Ye ideal atmosphere hai. Baaki karna na karna, ye toh sab apne apne upar hai. Mera kaam tha bas batana... :D
But but but , jab sham ko padhna start kya aur Ava & System holder Tarzan ki fight start hui bas fir to sama bandhta chala gaya 😍💀😭
tabadtod story telling maza aa gaya 💀🤩
jese hi Ava ka wo 4 pistol stunt start hua bas ek analogy aa gayi thi mind me.. let me share it with you, actions scenes itne dekh liye logo ne ki kuch bhi New and afresh nahi lagta unme lekin here comes SS Rajamouli .. Bahubali and RRR , dono me unhone innovative action scenes dikhaye the aur same yaha apne .. Ava ka wo 4 pistol juggle very New aur creative tha 👏👏
uske baad twist and turns phir game tarzan ke hak me aa jana.
Yes. I agree. Action padhna bhale hi mazedar lage par trust me action likhna utna hi boring kaam hota hai. Kyuki ek writer hone ke naate aapko wo feel aata hi nahi jo readers feel karne waale hote hai. Action likhna apne aap me ek challenging task hota hai. Aur unhe behtar banate hai non repeated movements. Jo ki mein harr baar laane ki koshish karta hu. Jaan ke khushi hui ki ju ko acche Lage. :five:
ek baat noticing hai apka haal to aisa hai bhai ki ab to aap agar ek dot ( ".") Bhi type kar do to hum yahi sochenge ki iska bhi koi reason hoga koi meaning hoga 🤣 ye baat me update ke title ke niche jo disclaimer likhe the aap uske context me bol raha hu. Absolutely justifying 💯 👌
Likhna padta hai. Jab Gore scenes zyada ho aur animal related ho toh likhna zaroori hai bhai. Aur, jab mujhe lagta hai ki update kaafi detailed hai toh mein alag se note daal deta hu ki itminaan se padhna. Ye sab experience badhaane ke liye aur koi dikkat na aaye beech me uske liye.
aur Veer to phir Veer hai , akela woh lucky nahi hai ki use system mila. Uska system Pari bhi equally lucky hai ki use veer mila. Ye baat me jab Veer ne Tarzan ki aura sight skill ki weakness ko decode kiya tha us reference me bol raha hu. Pari ka reaction mazedaar tha waah waah waah 👏👏👏✨✨🙆‍♂️🙆‍♂️
She was getting horny. :laugh:
Witch craft activites well narrated 👌 aur bas fir aata hai dhamakedaar last segment update ka jiski tareef me to words naa hai mere paas 💀
Daanshu, bawandar, outstanding , fabulous , gand faad ye sare praising words unsuitable hai iss last segment ke aage 💥🔥
Witchcraft activities ka aur zyada detail dene ka socha tha but... Wo bahut zyada lamba kheench leta update ko...
Aur, ye story uss theme par based nahi hai. Wesi themes ki stories alag se hai jo future me aayengi kabhi. :D But jaan ke accha laga ki pasand aayi hai logo ko.
ab kuch queries hai - ki Ava ne jo points bachaye the wo kisliye bachaye the ye grey area for me. (Joki usne flag skill me use kar liye the)
Umm... Ye sawaal hai? Ye toh already mentioned hai kahani me. 😅

Update 148 :declare: Yahi tha shayad. Title demise tha. Check kar lena. Jab Veer island se Ava ko chhor ke jaa raha hota hai. Wo scene hai uss update me. Ava ne Masie's cure ke liye itne points jama kiye the. 15k around kuch jama kiye the usne.

Latest update me bhi ye baat mentioned hai. Lily ke dwara...! Nazar gayi hogi ju ki. :?: Ya fir bhool gaye? Masie's cure. One of the legendary scrolls. Ye scroll Ava ki maa Grace ko coma se baahar nikaalne ke liye tha. Scroll me woh vidhi (procedure) batayi gayi thi jis se Grace Martin coma se baahar aa sakti thi. Farq nahi padta ki coma kis prakar ka tha. Harr coma related problems ka solution hai Masie's cure me.

Par, Veer ke jaate hi Ava ne woh saare 15k around points Death Flag ko upgrade karne me laga diye the. Aur uske theek baad Grace Martin is dead ka notification uske paas aa gaya tha. Remember? Death Flag pehle se hi Grace par marked thi. Lekin, range sirf 1 km ki thi. Jaise hi Ava ne uss time wo upgrade kari thi use Apni mom ke status ka notification aa gaya tha. Kyuki, range maximum kar li thi usne. Usne ye Veer ke liye Kiya tha. Kyuki Veer ne kaha tha ki kabhi apni shaqal na dikhaaye... Aur wo jaanti thi ki Veer ke peeche log padenge. Khatre me rahega.

'Go and protect your loved one now.' usi ko bol ko yaad kar aa gayi woh yaha. Wahi karne... Jo Veer ne uss se kaha tha. Abhi bhi Ava ke paas Masie's cure ka legendary scroll hai. Par unlocked nahi hai. 20k points lagte hai use unlock karne me. Hope you get it now. :D
Dusri, ki veer ke points dakaar kar pari ne akhir kara kya?? Kya system level upgrade hua ya koi skill ke liye gambling hui ya Kuch aur .. Totally sus.
Iska jawab spoiler hai. So ye toh next update me hi pata lagega.
Now about ur last note, ending sahi hui update ki 👍 isse behtar cliff Hanger bhala aur kya ho sakta tha. Aur bhai 🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣 ye update late nahi balki jaldi aya hai agar hum recent past ke kuch updates ko consider kare to 😅. Lekin haan ap maan rahe ki ye update late hai to meri ye baat bhool jao aur agle updates jaldi jaldi de do 🥺🤤
I mean... One week waale schedule ke hisaab se dekhe toh ye late hi tha na. 😅
Mein monthly thodi deta hu updates. Wo to bas USC ke chalte aur swastha ke chalte itna late ho gaya tha iss baar. Kya karu... Vyastata bahut hoti hai. Reply karne ka hi samay beech beech me nikalna padta hai. :sweat: Acchi baat ye hai ki ads wagarah mujhe aate nahi hai. Toh one tap me xforum khol leta hu kahi bhi. :D Bas screen apne saamne rakhta hu.
bahut bak bak ho gayi par ye update forced kiya ki nahi mamu ye update ke liye aaye thoughts apne munna bhai (aap🤣) tak pahuchne ka 😊😊
:good:
bhai mere jaise kayi readers bhale hi active na ho iss Amazing thread par , like nahi dete , comment nahi karte but bro at first place mere jaise kayi to login hi nahi karte. Bas xforum ye site open karte bhi hai to sirf baadshah ke liye 😅
Jaanta hu bhai. Mein waqif hu. Bahut se aise hai jo chale bhi Gaye hai kahani chorr ke. Par wo nahi jaante ki woh kya miss karne waale hai aage. Iss kahani ka climax hi iska sabse bada point hai, jisko aane me thoda samay hai. Jo akhiri tak tike rahenge wo jaanenge ki kya pak raha tha itne saalo se... Jab achanak se nuclear phatega. Tab samajh aayega unhe. Wahi jo chale gaye hai already... Unko toh bhai ab kya hi kahe. Baaki Jo chhip ke padhte hai. Unse guzarish hai ki yaha aaye. Account banaaye aur thread ka hissa bane. :pray: Apun ko accha lagega. :smile:
haan jo log active hai unko to 1000000% like , comment sab karna chahiye u deserve all this so badly so -bows-
Thanks man. Wese mere readers bahut pyaar dete hai. Kabhi kabhi behek jaate hai no doubt. Par, dil ke sab acche hai. Mein Jo kehta hu use maante zaroor hai aur poora support dikhaate hai. Toh I guess I'm lucky to have them. :smile2:
Phewww likhne ko to aur bhi bahut kuch hai, praise to jitni ki jaye utni kam hai . Apka target bhale hi 200 ho lekin I am sure ki 200 ke minimum 6-7 guna log taraste hai is kahani ke har update ke liye 🤌🤌
Thank you so fucking much bhai for this out class super duper story 😍😌
Thanks a lot Bhai. ✨ :five:
Itne bade aur detailed revo ke liye dil se dhanyavad. :love3:
Aise hi saath bane rehne ka. Keep supporting as usual. ✨
 
Last edited:

Werewolf

ʀᴏɢᴜᴇ ɴɪɴᴊᴀ
Supreme
13,765
98,372
259
इस स्टोरी का एक्सन सीन्स , फाइटिंग सीन्स पढ़कर यह सौ फीसदी क्लियर हो गया है कि आप यदि फिल्मी लाइन मे होते तो नम्बर वन स्टंट डायरेक्ट अवश्य होते ।
क्या ही एक्सन सीन्स लिखा है आपने ! न कुछ कहने लायक छोड़ा है आपने और न ही कुछ लिखने लायक ।
मुझे नहीं लगा था आप इस तरह के एक्शन सीन्स को इतना पसंद करेंगे। :D लेकिन, आपके मुंह से ये सुनना अपने आप में बड़ी उपलब्धि हैं मेरे लिए। बहुत बहुत धन्यवाद। ✨
इस फाइटिंग सीन्स की अपेक्षा था हमे क्योंकि प्रीवियस अपडेट तक फाइटिंग मुकम्मल नही हुआ था । अगर कुछ हैरान करने वाला वाक्या था तो वह था एवा का अचानक से यहां टपक पड़ना ।
लेकिन वह न सिर्फ टपकी बल्कि जाॅउ लोंग को हमेशा के लिए इस दुनिया से टपकाने की व्यवस्था भी कर दी ।
जाॅउ लोंग साहब की नानी याद दिला दी इन्होने । कवच कुंडल रूपी सिस्टम से लैस जाॅउ लोंग साहब को जंग के मैदान से भागने को विवश कर दिया ।
एवा जितनी नाज़ुक दिखती हैं उतनी ही ज़्यादा ताकतवर हैं वो। :D वेपन मास्टर और खास कर विनोना मार्क। ये दोनों ही कार्ड्स बेहद शक्तिशाली हैं। विनोना मार्क तो अलग ही स्तर का कार्ड हैं। जॉ लॉन्ग की ताकत के समान अगर आपका कार्ड आपको ले आए तो वो कितना शक्तिशाली होगा? परंतु, एवा दो चीजों में मात खा गई। एक तो था उसका एक्सपीरियंस। और दूसरा उसकी सहनशीलता। जो दोनों ही जॉ लॉन्ग से कम थी।
जिस तरह वह चार - चार रिवाल्वर को अपने दोनो हाथों से एक ही वक्त मे हैंडल करते हुए गोलियों की बौछार कर रही थी वह किसी भी कल्पना से परे था । यह वास्तव मे अविश्वसनीय सीन्स और आउटस्टैंडिंग लेखनी था ।
बहुत बहुत धन्यवाद। आगे भी इसी तरह के सीन्स आते रहेंगे। मैं एक्शन सिंपल ढंग से नहीं दिखता हूं। और, अब तो ये बात आप जानते ही होंगे।
इरिका मैडम ने अपनी क्षमतानुसार इस युद्ध मे पार्टिशिपेशन किया । वीर के सलामती के लिए हरसंभव काम किया । वीर के लिए फिक्रमंद हुई । मौत को सामने देखकर भी रणक्षेत्र से पलायन नही करी । यह इस लड़की की बहादुरी नही है तो फिर क्या है !
तभी तो वीर ने उस से कहा ~ "you have grown up."

और ये वीर के मुंह से सुनना एरिका के लिए काफ़ी मायने रखता हैं। क्योंकि वीर ने ही उसे बतलाया था कि वो कितनी कमज़ोर हैं।
जाॅउ लोंग साहब ने एक बल्डंर गलती कर दी । ऐसी गलती जो उनके मौत का कारण बन सकती है । साहब को अपना इंटेलिजेंट प्वाइंट शुन्य नही करना था । अपनी शारीरिक ताकत , स्ट्रैंथ को बढ़ाने के लिए इंटेलिजेंट की गठरी को रिक्त कर दिया ।
जॉ लॉन्ग ने अपने इंटेलिजेंस के पॉइंट्स अपनी मर्ज़ी से नहीं शून्य किए हैं भाया। ये कार्ड का ही फीचर हैं। वो कार्ड ही ऐसा हैं।
वगैर दिमाग के , वगैर बुद्धी के , वगैर चेतना के मनुष्य एक पागल मनुष्य माना जाता है । एक पागल व्यक्ति के अंदर भले ही दस हाथी का बल आ जाए फिर भी वह किस काम का ! एक विवेक शुन्य व्यक्ति युद्ध के दौरान अपने रणकौशल का प्रयोग कैसे कर सकता है !
आपने सही फरमाया। वो रणकौशल का प्रयोग नहीं कर सकता लेकिन, लड़ ज़रूर सकता हैं। एक क्रिकेट खेलने वाला स्पोर्ट्स मैन भी अगर पागल हो जाए फिर भी वो बल्ला चलाना नहीं भूलेगा। यह बात ज़रूर हैं कि फिर वो अपनी बुद्धि का इस्तेमाल कर ये अंदाज़ा नहीं लगा पाएगा कि बॉलर के मन में क्या चल रहा हैं, अगली गेंद कहा आ सकती हैं, फील्डिंग किस तरह से जमी हुई हैं। यही हाल यहां जॉ लॉन्ग का हैं। उसके पास बल बहुत हैं मगर वो वीर जैसी बुद्धि नहीं हैं।

लेकिन, अब तो berserk कॉर्ड की टाइमिंग भी समाप्त हो गई हैं भाया। जॉ लॉन्ग वापस से अपने होश में सही से आ गया हैं। :D
जाॅउ लोंग साहब की हार सुनिश्चित है और इसके लिए कोई वास्तव मे जिम्मेदार है तो यह नतालिया मार्टिन है जिसने अपने रिवाल्वर के हैरतअंगेज कारनामे से जाॅउ लोंग को गलती करने पर मजबूर कर दिया ।
बेशक। इसमें एवा का बहुत बड़ा रोल रहा हैं। अब बारी वीर की हैं।
वीर के सामने सिर्फ एक चुनौती है , उसे जाॅउ लोंग के प्रहार से खुद को सुरक्षित रखना । वह अपने विवेक का इस्तेमाल कर आसानी से उसे मात दे सकता है ।
जाॅउ लोंग ने महिलाओं के साथ निर्दयता दिखाकर अपनी ताबूत पर स्वयं ही आखिरी कील ठोंक लिया ।
बिलकुल। और वीर फिलहाल परी के नियंत्रण में हैं। देखते हैं आगे क्या होता हैं।
बहुत ही खूबसूरत अपडेट वोल्फी भाई ।
हमेशा की तरह ही यह अपडेट भी जगमग जगमग था
आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग।
बहुत बहुत धन्यवाद भाया। ऐसे ही साथ बने रहने का। ✨
 
Top