• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,303 83.2%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 26 1.7%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 202 12.9%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 35 2.2%

  • Total voters
    1,566

Hero tera

Active Member
1,166
3,223
144
Still Waiting Reaction GIF by MOODMAN
Justin Timberlake Waiting GIF by MOODMAN
 

bd sharkar

Active Member
1,826
5,075
158
Mega update

Update - 21 ~ The Truth
Ab tak...

Ladki : Prakaash uncle!?


Aadmi : Jii!?

Ladki : Jaaiye...

Aadmi : Jii Madam!!!


Aur agle hi pal Prakaash campus se andar college ki building me jaane laga.

Ab aage...

Kal raat jab Ragini samet Dinesh apne ghar laute toh andar ghar me pravesh karte hi unhe ek bada jhatka laga tha. Ghar ke baahar gate pe jo guard unki rakhwaali ke liye khada rehta tha, wo iss waqt khud andar hi pillar se chipke hue rassiyo se bandha hua tha.


Uski ye haalat dekh bhaagte hue Ragini aur Dinesh uske paas pohuche aur jese hi uski rassiya kholi toh usne bataaya,
"Saahab! Saahab... Andar... Andar Bhabhi jii..."

Aur bas uska itna kehna tha ki dono Ragini aur Dinesh daudate hue andar gaye jaha pohuch ke unhe dusra jhatka laga.

Ragini ki maa~ Rohini, single seat waale sofe par bandhi hui behosh padi thi. Ghabraate hue dono ne usse churraaya aur usse hosh me laaya uske baad Rohini ne saari baatein bataayi ki kese kuch gunde unke ghar me aake usse baandh ke chale gaye, jis kaaran se na hi wo police me complaint kar paayi na hi kisi ka phone utha paayi aur na hi laga paayi.

Ragini : Iska matlab... Shayad isliye udhar ghar me mere baare me kisi ko nahi pata tha... Shayad isliye Kavya ne ye keh diya tha ki mein yaha ghar pe hu... Kyuki hamaare saath waha kya ho raha tha, kisi ko uski khabar hi nahi thi...

Sochte hue wo ek gehre chintan me doob gayi. Uske liye khatra tala tha ya fir aur musibate aane waali thi!? Ye toh waqt hi bataane waala tha. Par aaj usse itna zaroor samajh aa chuka tha ki duniya me kese kese log rehte hai aur kya kya kar sakte hai. Shayad ab... Shayad ab wo samajh chuki thi ki kuch logo se kyu nahi bhidna chaahiye.

***

Idhar Veer ko kal raat me hi Pari ke dwaara mission completion par 40 points mil chuke the. Jisse usne apne stats me invest kar liye the. Aur itna hi nahi, uski Pari bhi ab level 3 par aa chuki thi.

Ab wo baaki logo ke stats dikhaane me bhi saksham ho chuki thi. Saath hi saath kuch sawaal the jo Veer ke mann me, unhe bhi wo answer karne waali thi.

Veer ne apne stats me, 5 points apni strength me daale, intelligence me usne iss baar seedhe 15 points bhar daale, wahi bache hue 20 points usne 5-5 karke apni agility, aur endurance me daale aur appearance me last me akhiri 10 points jo bache the wo daal diye. Ab uske stats kuch iss prakaar the...

[ Stats :
Strength - 50/100
Intelligence - 35/100
Agility - 15/100
Endurance - 15/100
Appearance - 22/100]

Kal Veer ne saare hi points upyog kar liye the aur ab uske paas Skill shop se khareedne ke liye koi points nahi bache the. Skills dekh ke wo itna chakra gaya tha ki uski samajh me hi nahi aaya kon si skill wo khareede aur wese bhi, abhi usse skills ki itni koi zaroorat nahi thi, aisa soch usne saare points apne stats me daalna hi behtar samjha.

Abhi woh baithe baithe khayaalo me hi dooba hua tha ki tabhi Nidhi uski class mein andar aayi. Kyunki pahla lecture ussi ka tha.

Veer ko dekhte hi wo muskuraayi aur board pe usne ek question likha jisse sabhi students solve karne me lag gaye. Veer bhi bade mann laga ke padh raha tha.

Kal usne appearance me 10 points add kiye the, uska asar aaj subah hi Shreya samet Nidhi ko bhi dikha tha, aaj dono ne hi uss se kaha tha ki wo smart dikh raha hai pehle se...

Yaha tak ki Kavya bhi abhi kuch derr pehle yahi baat bol ke gayi thi. Par unhe kya pata tha...

Ki ye kamaal toh appearance stat ka tha.

Veer ko yu padhta dekh, Nidhi mann hi mann muskuraayi. Kal na keval Veer ne uss se saari baatein saanjha kii thi balki itna sab kuch hone ke baad bhi wo college aane ke liye bilkul bhi na katraaya.

Wo Veer ke liye sacche mann se khush thi. Wo aaj kitna aage aa chuka tha apni pichle dino ki zindagii se, jidhar Nidhi ne usse bas ek toote hue insaan ke roop me hi dekha tha.

Aaj waapas se uske andar aatmvishvaash, nishtha aur prerna dekh Nidhi behad khush thi. Usse aisa feel ho raha tha jese uske kuch yogdaan ke kaaran kisi ka jeevan ujadte ujadte bach gaya.

Aur Veer ko uss sthiti se baahar laane ke liye wo behad khush thi. Wo khud par proud mehsoos kar rahi thi.

Dheere dheere uske kadam Veer ki taraf apne aap hi badh gaye aur usse khud pata na chala ki kab wo Veer ke bagal se aake khadi ho gayi.

Aahat paate hi jese hi Veer ne apna sarr utha ke dekha toh paaya ki Nidhi uske bagal se khadi usse hi ghoor rahi thi.

Apne hontho pe muskaan laate hue Veer ne usse ek smile pass ki toh Nidhi bhi badle me muskura baithi.

Usne Veer ki copy dekhi, aur uski khushi aur bhi badh gayi. Veer ne solution ekdum sahi dhang se solve kiya tha.

Nidhi mann hi mann muskuraayi, 'Iska matlab Veer waqai dhyaan de raha hai... Mujhe laga tha uska baahar jaana, apni gf se milna julna aur... Inn sab ke maare uska dhyaan padhaayi me nahi rahega. Par shayad mein galat thi...'

Nidhi ab bhi yahi sochti thi ki Veer ki koi gf zaroor hai jis se milne wo jaata rehta tha. Bhale hi Veer ne kal usse sab kuch sach bata diya tha par uss din uske gale me lage wo hontho ke nishaan ke peeche ki sachaayi abhi tak bayaa na kari thi usne.

Aur shayad yahi kaaran tha, jiske chalte Nidhi yahi assume karti thi ki koi na koi gf zaroor hai Veer ki.

Agle hi pal jese Nidhi ko kuch yaad aaya toh usne abhi hi bataana sahi samjha,

"Vee... Veer!?" Usne dheemi awaaz me Veer ko pukaara.

Veer : Huh!?

Nidhi : Veer... Aaj mujhe... Wo...

Veer : Kya hua Ma'am!?

Nidhi (dheemi awaaz me) : Veer! Aaj mujhe 1 baje thoda kaam se ek jagah jaana hai. Matlab mein, break me hi college se nikal jaungi. But... But don't worry, mein departure hone se pehle tumhe lene aa jaungi, okay!?

Veer : Kuch... Kuch zaroori kaam hai kya Ma'am!?

Veer ke sawaal se hi Nidhi ekdum chup pad gayi, usne ek gehri saans lii aur boli,

Nidhi : Hmm! Mujhe kaam hai Veer. Isliye, mujhe thoda jaana hai. Okay!? Mein departure ke pehle aa jaungi. Isliye, mene socha tumhe bata du, kahi tum mujhe dhundne na lago.

Veer (smiles) : Okay Ma'am!

Nidhi (smiles) : Hmm!

Aur itna bol Nidhi palat ke board ki taraf jaane lagi. Par uske palat'te hi Veer ke hontho pe jo muskaan thi wo agle pal hi gaayab ho gayi aur wo Nidhi ko peeche se jaate hue bas ghurta raha.

'She's hiding something.'

[Kese master!?]

'Tumne dekha nahi Pari!? Wo kehte waqt apni ungliya chatka rahi thi, unki nazre meri aankho me nahi thi, balki idhar udhar hi daud rahi thi. Aur khaaskar wo fake smile... I can tell ki wo definitely ek fake smile thi.'

[Nice observation master.]

'Unki favourability kitni hai ab!?'

[48 master!]

'Hmm! Par aisi kya baat hai jiske chalte wo mujhse jhooth bol rahi hai!? Shayad wo mere saath ye share nahi karna chaahti!? Maybe ye unka niji maamla ho shayad isliye!?'

[Maybe master... Nidhi thodi reserved hai. Aapko khud uske muh se nikalwana padega yadi aap kuch jaan'na chaahte ho toh. Kyuki wo khud se nahi bataegi.]

'Hmm! Also, Pari... Mujhe ab uss sawaal ka jawaab chahiye. Ab tum level 3 pe ho, toh mujhe koi bahana nahi chahiye.'

[Konsa sawaal master!? If you're qualified, then I'll tell you.]

'Tumne kaha tha ki tum sirf wahi dekh sakti ho, jo mein dekh sakta hu. Right!?'

[Exactly master.]

'Toh fir uss din tumhe ye kese pata chala tha ki Ragini bhabhi kaha pe hai!? Tumne wo kese dekh liya!? Mission dete waqt tumne mujhe unki location bhi dii thi. Mujhe ye baat samajh me nahi aa rahi.'

[Hmmm! Fine! I'll tell you. Master! Mein abhi bhi keval utna hi dekh sakti hu jitna aap dekh sakte ho.]

'Then...!?'

[Samjhaati hu. Imagine kariye ki aasmaan se dherr saari balls gir rahi hai.]

'Hmm!'

[Ab aap apne aap ko maaniye ki aap system hai aur wo saari balls missions hai.]

'Okayyyy!'

[Hmm! Toh kya aap ko abhi pata hai ki wo saari jo balls gir rahi hai unme kaun kaun se missions hai!?]

'Nahi!?'

[Ab maan lijiye aapka haath apne aap aage badhta hai aur aap ek ball ko pakad lete ho jisme mission ki saari details dii hui hai. Toh ab toh aapko pata chalega na ki kaun sa mission mila hai!?]

'Haan bilkul! Yadi uss ball me sab kuch likha hai mission se related... Wait... Iska matlab...'

[That's right master. Mujhe nahi pata rehta ki mission kon sii location par hai, aur missions kaun se hai. Ye sab kuch randomly aate hai jinhe mein show karti hu.]

'Hmm! Ye toh ekdum hi alag nikla meri expectations se. Matlab tumhare haath me nahi hai ye control karna. Saare missions randomly apne aap aate hai.'

[Yes master!]

'Hmm! Aur ye kese hota hai...!?'

[You're not qualifi...]

'Fuck this!!'

[I cannot help it master.]

***

Abhi teesra lecture hi chal raha tha ki tabhi Veer ki class me ek anjaan aadmi aaya aur teacher ko ek parchi thamaaya aur kuch bola.

Parchi dekhte hi, teacher ne uski baat sunn awaaz lagaayi,
"Veer!? Hai koi!?"

Veer : Yes Sir!

Teacher : Go... Someone wants to talk to you.

Veer : Huh!?

Confuse hote hue Veer ne anjaan aadmi par nazar daali, jo ki dikhne me 45 kuch ka lag raha tha aur kapde wagarah kaafi acche pehne hue tha.

'Who is this guy!??' apni bauhe sikodte hue Veer mann me chintan kar dheere dheere uss aadmi ki taraf aage badha, jo muskuraate hue usse hi dekh raha tha.

Class se jese hi dono baahar aaye toh Veer ne sawaal kiya,
"Do I know you!? Kaun ho aap!?"

Aadmi : Mein!? Haha~ Mujhe bhi jaan jaoge... Par pehle... Neeche kyu nahi chalte!? Hmm? Koi aur hai jo tumse milne ke liye intezaar kar raha hai.

Veer : Mujhse milne ke liye!?

'Kaun ho sakta hai bhala!?'

[ 🤷🏻‍♂️ ]

'Pari kahi ye log...'

[I don't know master.]

'Damn it!'

Aadmi : Toh chale!?

Usne apna ek haath felaate hue chalne ka ishaara kiya toh Veer ne haa me gardan hila dii.

Jese hi dono seedhiyo se neeche jaa rahe the, wahi side ki ek class me Nidhi ki nazar achanak hi ittefaaq se Veer par padd gayi aur ye dekhte hi wo vichaar me pad gayi.

'Veer!???? Ye aadmi kaun hai uske saath!? Koi ghar ka sadasya!?'

Pata nahi Nidhi ko kya hua ki wo class me 5 minute me aane ka instruction deke baahar aa gayi aur unn dono ke peeche peeche jaane lagi.

Jese hi Veer aur wo aadmi campus me aaye, Veer ki aankhein phati ki phati reh gayi.

Campus me side me ek black Rolls Royce hai khadi hui thi. Aur jese hi uski nazre bagal se khadi do ladkiyo par gayi toh usse ek aur jhatka laga.


Kuch hi palo me Veer aur wo aadmi unn do ladkiyo ke saamne the...

'Don't tell me ki ye dono mujhse milne aayi hai. Oh man!! This girl... She's... Too beautiful... Just like her...'

Jese hi Veer ne qareeb se unn dono ko dekha toh uske hosh hi udd gaye. Keval wahi nahi, campus me jo bhi log maujood the wo sabhi unn dono ko hi taad rahe the.

Unn dono ke upar se logo ki nazre hatt hi nahi rahi thi. Yaha tak ki canteen ke workers aur guards tak taadne me lage hue the.

Par inn dono me se, ek zyaada khubsoorat thi. Aur wo thi jisne professional outfit pehna hua tha. Saree waali mahila bhi khubsoorat thi par utni nahi jitni wo young waali ladki lag rahi thi.

Veer ki bolti hi band ho gayi thi. Yadi uss club waali ladki ki sundarta ko koi match kar sakta tha toh woh yahi ladki thi, jo iss waqt uske saamne khadi thi.

Ab tak Veer yahi sochta tha ki Club waali ladki ab tak sabse khubsurat ladki thi jo usne dekhi thi par ab ye kehna thoda mushqil tha. Kyuki ye ladki bhi uss club waali ki sundarta ko takkar de sakti thi.

Jese hi uss ladki ne Veer ko dekha, apne aap hi uski aankho me ek chamak aa gayi. Wo muskuraate hue usse dekhne lagi. Uski nazre Veer ki aankho me hi tiki hui thi jiske chalte bechaare Veer ko sharam aa rahi thi, kyuki wo thi hi itni attractive.

Par jese hi usne Veer ke chehre aur haatho me lagi jagah jagah bandages aur ek do patti dekhi, uski muskaan gaayab ho gayi aur ek chinta uske chehre par aa gayi.

Ladki : Are you okay!?

Aur uss ladki ki madhur awaaz Veer ke kaano me padi. Itni pyaari awaaz jo kisi bhi kathor se kathor aadmi ko yu pighla de... Uss anokhi awaaz ka anubhav Veer ekdum saamne se kar paa raha tha. Aur sabse badi baat... Wo ladki uss se uski haalat ke baare me puch rahi thi. Kitna Lucky hona padega logo ko aisa anubhav paane ke liye?? Veer mann me khud se puch raha tha...

Veer : Huh!? Mein!? Yes...

Ladki : Ye chot...

Achaanak hi usne apna haath aage badhaate hue Veer ke gaal pe rakh diya jaha bandage lagi hui thi. Aur unn komal haatho ka sparsh paate hi jese Veer maano jannat me pohuch gaya tha.

'Fuckkkkkkk! Her hand... Itna... Itna softtt!???'

Veer (blushes) : Ohh!? Ye!? Ye... Kal... Wo... Fight me... Ahahahaha~

Ladki : Ohhh!!

Veer (blushes) : Yeah...

Idhar Nidhi unhe follow karke neeche aa chuki thi aur wahi building ke paas se saamne chal rahe scene ko bhali bhaati dekh paa rahi thi.

Usne dekha ki ek behad hi khubsoorat ladki Veer ke gaalo ko thaame usse nihaar rahi thi. Saath hi saath ek aur khubsoorat mahila bagal se khadi hui thi aur yaha tak ki itni luxurious gaadi unke side se khadi thi jo saaf batla rahi thi ki wo kisi bade gharaane se thi.

Par...

Pata nahi kyu...

Veer ko aise yu uss ladki ke saath dekh...

Nidhi ko andar hi andar kuch toh ho raha tha. Jissse wo ya toh samajhna nahi chaahti thi ya uss feeling se anjaan thi.

'Kaun hai ye sabhi!? Veer ke ghar se!? Relatives!? Haa! Wahi hone chahiye... Itne pyaar se toh gharwale hi pesh aate hai. Shayad ye acche log hai jo Veer se prem karte hai? Ya nahi!? Ek minute!!! Kahi ye Veer ki girlfrie....!?? Huh!?!??! Is she really....!?'

Aur Nidhi bechaari na jaane kya kya sochne lagi thi. Par isme uski koi galti nahi thi. Scene hi aisa tha.

Idhar Veer sharam ke maare uss ladki se nazre nahi mila paa raha tha.

'Fuckkkkkkkk! Why is she staring at me like that Pari!??? It's making me uncomfortable... Mujhe sharam aa rahi hai...'

[Hang on master...]

Ladki : Do you know me!?

Veer : Hmm? Ohh haa! Mein yahi puchne waala tha. Kya aap mujhse milna chaahti hai!?

Ladki (smiles) : Mmm-hmmm!

Veer : Par... Mein toh aapko nahi jaanta. Aur... I don't think ki aap bhi mujhe jaanti ho!? Hum ek dusre se pehle kabhi nahi mile hai...

Ladki (smiles) : Mile hai...

Veer (surprised) : Huhhh!?

Ladki : I mean kind of... Hehe~

Veer : I... I don't get it...

Tabhi uss ladki ne apna haath milaane ke liye aage badhaaya aur boli,
"I'm Sonia!!"

Veer (haath milaate hue) : And... I'm...

Sonia (smiles) : Veer... I know...

Veer (shocked) : Huhhhhhh!??? Aapko... Kese....!?

Sonia : Why don't we go somewhere else and talk about it!?

Iss se pehle Veer kuch keh paata, peeche se wo dusri ladki jisne saree pehni hui thi wo Veer ke paas aayi aur usse ghur ke dekhne lagi...

Veer : Umm... !??

Sonia (smiles) : Ah right! She's Suhana... My elder sister.


Suhana

73459bddc9c1f81c84f505adf39fc12b
Veer : Umm... Hello!?

Par Suhana na toh kuch boli aur na hi kuch kiya usne... Wo bas apni aankhein sikode Veer ko ghur ghur ke dekh rahi thi. Aur agle hi pal wo palti, aur car ki orr jaate hue boli,
"Sonu!! You will lose the bet. Apna vaada yaad rakhna."

Veer : Huh??

*Thud*

Aur car ka darwaza band kar wo andar baith gayi.

Idhar Sonia apni badi behan ki ye harqat dekh apni aankhein ghumaate hue naa me sarr hilaayi.

Sonia : Well... So!? Veer!? Shall we!?

Veer iss se pehle koi jawaab de paata, Sonia ne uska haath thaama aur usse kheechte hue car ke andar le gayi...

Idhar Suhana aur Prakash Sonia ki iss harqat par thoda achambhit reh gaye.

Suhana (mann me) : Sonu!??? Sonu ne... Uska haath pakda!? Kuch derr pehle bhi uske gaal pe... How can she...!?

Sonia ne car me ghuste hi Veer ko apni side se baithaaya.

Uske shareer se aati khushboo Veer ko pagal kiye jaa rahi thi.

'Kya lagaati hai yaar ye ladkiya!? Kon se talaab me dub ke aati hai!? Itni sugandh kyu aati hai inse!? Fuccckkk! Mujhe kuch kuch ho raha hai Pari...'

[ :blush:]

Car me Suhaana window ke paas thi, beech me Sonia khud thi aur uske bagal se Veer tha.

Car drive toh Prakaash hi karne wala tha, uski driving skills par Sonia behad bharosa jo karti thi.

*Vroooom*

Aur agle hi pal car jitni jaldi waha aayi thi utni hi jaldi waha se nikal gayi...

Peeche khadi Nidhi bas hairaani aur thodi duwidha me sab kuch ghatit ho rahe scene ko dekhti rahi. Mann me dherro sawaal the jinhe wo Veer se puchna chaahti thi. Par abhi sahi samay nahi tha. Usse khud kuch derr me apne kaam ke liye nikalna tha aur isliye, apne sawaaliya mann ko thodi derr shaant kar wo andar waapas chali gayi.

***

Idhar Veer jaha college se nikla toh wo ab sheher ki sabse mehngi 5 star hotel me se ek hotel me baitha hua tha.

Wo bas ek poker face banaaye ek hi jagah dekhte jaa raha tha. Kuch hi minutes ke andar usne itni saari ayyaashi waali cheeze dekh lii thi ki inn sabko hazam karne me uska time toh lagne hi waala tha.

Rolls Royce ki andar ki wo luxury aur comfort, uske baad itni badi aalishaan hotel me lage wo bade bade jhoomar, aisa lag raha tha maano wo kisi palace me aa gaya ho.

Wahi Suhana aur Sonia itna comfortably baithi hui thi maano jese ye unka roz ka routine tha.


Sonia
96f02fcfdd3ef60d9a72bc561f4a467a

Sonia : Do you know who I am?

Veer : Actually, Abhi aapke naam ke alaawa I don't know anything.

Sonia (giggles) : Fufu~ You know ****** motors!?

Veer : Huh!? Saare desh me mashoor hai ye company. Iske baare me kaun nahi jaanta!?

Sonia (smiles) : Ohh thank you so much! Mere great grandfather founder the iske. Abhi dad owner hai. Aur mein CEO thi... But abhi mene wo position kisi aur ko de dii hai. Ab mein COO hu.

Maano ek bomb sa phod diya tha Sonia ne Veer ke upar. Kya kaha!? ***** Motors ki CEO thi ye ladki pehle!? Great grandfather founder the!? Baap owner hai!? Soch ke hi Veer jo pehle hi awkward mehsoos kar raha tha, uska shareer ye sunte hi air stiff ho gaya.

Veer : Kyaaaaa!??? You're joking right!?

Sonia (giggles) : I'm not...

Veer : Wow! I mean... Wooowww!

Sonia (smiles) : Thank you! Toh shuru kare!?

Veer : Huh!? Ahh... Sure... Sure... Thanks!

'Huh? Thanks!? Fucccckkkkk.... Who tha fuck says Thanks? Thanks ke badle me hi thanks bol diya mene!? Pari... Help me... Mere muh se utt pataang shabd nikal rahe hai... I'm getting embarrassed...'

[ 🤷🏻‍♂️]

Sonia (surprised) : Thanks? Kisliye!?

Veer (blushes) : Ummm... Wo...

Sonia : In fact, thanks to you... Veer!

Sonia ne bolte hue achanak hi uske haath par apna haath rakh diya, jiske chalte ek baar fir ye gesture Suhana aur Prakash ki nazro se na chooka.

Achanak hi Sonia ki awaaz dheemi ho gayi, aur wo bade hi pyaar se Veer ko dekh rahi thi. Saath hi saath kuch aisa tha jo uski aankhein bayaa kar rahi thi. Glaani!??

Veer (surprised) : Thanks!!? Mu...mujhe!? Wo kis liye bhala!?

Sonia (smiles) : You don't remember!?

Veer : Hmm?

Sonia : You saved me...

Veer : Hnn?

Sonia : That day... Remember... You had a car accident!?

Accident shabd sunte hi Veer ko dubaara se wahi manzar yaad aane laga, wo pal, wo din...

Ajay ke saath ladaayi... Wo baarish... Shareer me jagah jagah wo ghaav... Uske haatho se flower vase ka tootna... Brijesh ka usse ghar se nikaalna... Uske parivaar waalo ki wo nirdaayi aankhein... Dar badar bhatakna... Aur...

Aur wo raaste me car se accident.

Agle hi pal Veer ka sarr unn sab baato ko yaad kar jhuk gaya. Zakhm gehre the... Bharne me samay toh lagna hi tha.

Par kya pata...

Wo zakhm bhar bhi rahe the ya aur gehre ho rahe the!?

Veer : Hmmm... I remember.

Sonia abhi aage bolni hi waali thi ki tabhi bagal me khada Prakaash achanak hi sarr jhuka liya aur Veer se bola,

"Wo hamaari Madam ki hi car thi. Aur mein hi usse drive kar raha tha. Jo kuch bhi hua, usme meri galti thi. Uske liye mein aapse maafi maangta hu."

Prakaash ki baat sunn ek bada jhatka sa laga Veer ko. Aur usse jese realize hua.

Veer : Ohhhh! So... Isliye...

[Aaahhh! So that's what happened. Master! These people won't harm you. You can lower your guard.]

Sonia : Prakash uncle! Mein baat kar rahi hu na.

Prakash : Sorry Madam!

Sonia : Aur galti keval aapki nahi thi. Car me mein bhi thi, car meri thi, mere kaaran hi aap speed me the.

Prakash : Madam! Isme aap ki koi galti nahi thi... Galti saari...

Suhana : Ssssshhhhhhh! Pehle usse samjhao fir aapas me behas karna.

Sonia (blushes) : Aah! Right! Veer...

Veer : J...jii!?

Sonia : Actually... Ye lambi kahani hai. But, mein sirf tumhe utna hi bataungi jitna tumhara jaan'na zaroori hai.

Veer : Okay!

Sonia : Darasal, Uss din mein Prakash uncle ke saath kahi se laut rahi thi, hum boht jaldi me the. Baarish ke kaaran drive karne me bhi dikkat aa rahi thi aur upar se raat ka waqt...

Veer keval chup chaap saari baat sunta jaa raha tha.

Sonia : Aur... Koi hai jo meri jaan ke peeche pada hua tha.

Veer (shocked) : Huh!??

Sonia : Yes! Uss raat... Prakash uncle mujhe bachaane ke liye tezz raftaar me gaadi chala rahe the. Wo log... Hamaare peeche hi the... Unka bas ek hi target tha... Wo thi mein... Aur jese hi mod aaya, achanak se saamne tum aa gaye the. Jiske chalte wo haadsa hua...

Veer (surprised) : I... I see...

Veer ka reaction dekh, Sonia ne uska haath ek baar fir thaam liya.

Sonia : I... I'm so sorry Veer! I'm so sorry!

Veer ki samajh me hi nahi aa raha tha wo kya kare aur kya hi kahe. Aap ka accident hua, aap kuch dino baad uss haadse se ubhre par achaanak hi aapko pata chalta hai ki aapke saath wo haadsa karne waali ek behad hi khubsoorat ladki hai jo aapse milne kayi dino baad aayi hai aur aapse sach bata ke maafi maang rahi hai.

Uss waqt kya karenge aap!? Kya kahenge!? Kya uss ladki ko dosh denge!? Uss se medical fees ka kharcha maangege!? Uske khilaaf complaint darj karenge!? Ya maaf kar denge!?

Inhi sawaalo me Veer phassa hua tha. Uski samajh me hi nahi aa raha tha ki kya bole par iss waqt uske paas aur bhi kuch tha jo hamaare me se kisi ke paas nahi tha...

Wo thi Pari...

Apni buddhi ka istemaal karte hue Pari ne agle pal hi Veer ko suggestion diya,

[Master! Forgive her. I think ye hamaare boht kaam aaenge aage chal ke. Also, ye Sonia guilty feel kar rahi hai. Make her feel more guilt. Forgive her.]

'As you say then.'

Veer : It's okay! Mene aapko maaf kiya... Jo bhi baatein thi wo pichli baatein thi... Aur unn dino ko mein bhula chuka hu... Hospital me hosh aane ke baad se hi... Jo bhi yaadein bana raha hu, bas unhe hi yaad rakhna chaahta hu.

Uski baat sunn, Sonia kuch pal Veer ko yu hi dekhti rahi. Pehle toh usse vishwaash hi nahi hua ki Veer ne usse aise hi maaf kar diya. Same haal Prakash aur Suhana ka bhi tha. Unhe yakeen hi nahi hua ki Veer ne aise hi asaani se maamla rafa dafa kar diya.

Uske baad Sonia ke saath wahi hua jiska sanket Pari ne kiya tha. Uski glaani ke bhaav badh gaye...

Sonia : I... I... Mein tumse milna tak na aa saki. Bhale hi tumhara meri gaadi ke saamne ek ittefaaq tha, par Veer...

Veer : ?

Sonia : Tumhaare beech me aane se hi... Uss raat meri jaan bachi thi. Accident ke baad jo shor waha hua tha aur bheed jama hui thi... That saved me... Uss kaaran se wo log hamaari car ko catch na kar paaye...

Veer (smiles) : Ye toh... Acchi baat hai na!?

Uski muskaan dekh, Sonia ne apna nichla honth daato tale daba liya, "Par... Tumse ek baar bhi milne na aa saki mein... Mujhe wahi utar ke sabse pehle tumhe hospital le jaana chahiye tha par mein... Mein khud ki jaan ki parvaah kar, tumhe yu waha akela raaste me chorr ke chali gayi. I'm... I'm sorry Veer."

Veer : It's okay!

Sonia (tezz awaaz me) : Noooo! It's not okay!

Sonia : I mean... I... Jo kuch bhi hua. Usme meri galti thi. Aur isliye...

Suhana : Isliye, bolo kitne chahiye!? 1 lakh? 2 lakh? 5 lakh? 10 lakh? Kitne...!?

Veer : Huhhh!?

Suhana ke muh se shabd sunte hi Veer ko achambhav hua. Aur wo stabdh nigaaho se usse dekhta raha. Fir usne, Sonia ko dekha jo ek aas liye usse dekh rahi thi.

Saara maamla jese hi Veer ko samajh aaya toh woh gusse se uth khada hua...

Veer : Aap mujhe yaha isliye laayi thi!?

Suhana : Well! Haa! Mene toh kaha tha ki tumse milne ki koi zaroorat nahi hai. Jo kuch bhi tha keval ek ittefaaq tha aur mujhe nahi lagta ki tumse baat karne ki koi zaroorat thi par meri choti behan badi hi bholi hai aur ziddi bhi. Uska maan'na hai ki galti uski hai aur isliye uski bharpaayi wo aise karna chaahti hai. Tum apni maang rakhoge toh Sonu ke upar se thodi guilt gaayab ho jaegi... Toh batao... Kitne!? 5 lakh ? 10 lakh? Kitne!? Jaldi se batao toh ye matter close kare.

Sonia (chillaa kar) : Diiii!?? Ye kese bol rahi ho aap!? He'll misunderstand me...

Suhana ke ghamand se bhare shabd jab Veer ke kaano me pade toh uska mood aur bhi bigad gaya.
Kahi na kahi... Suhana ki chhavi uske pita Brijesh se mel khaa rahi thi. Vase toot'te waqt bhi uske pita uss samay vase ki keemat par zyaada dhyaan de rahe the na ki uski choto par.

Unn baato ko yaad kar Veer jaane ke liye palta par usne ek baar peeche dekha aur bola,

"Yadi keval ek baar hospital me mulaqaat karne aa jaati, toh uss se badi cheez mere liye kuch na hoti. In fact, abhi bhi maafi maangne ke baad mene aapko maaf already kar hi diya. Par ek galti kar dii...
Paiso ko beech me le aayi aap...
Even though mere paas paise nahi hai. Iska matlab ye nahi ki mein aise paiso ko apnaane laga. Paiso ka guroor, kabhi sahi nahi hota. Yaad rakhna!"

Aur bina kuch aage kahe Veer waha se chal diya.

"Veeeeeeeer.... Waaaiiiitttt!!" Sonia chillaayi par uska chillaaana bematlab tha. Kyuki na hi Veer peeche muda aur na hi usne Sonia ke chillane par koi response diya. Wo kuch hi derr me uski aankho se ojhal ho chuka tha.

Ek gehri saas lete hue Sonia waapas se apni kursi par baith gayi aur fir shuru ho gayi,
"What is wrong with you Dii!? Matlab great... Ab wo mujhe ek ghamandi paiso waali ladki samajh raha hoga."

Suhana : What is wrong with me!? Arre... What is wrong with you??

Sonia : Haan?

Suhana : Just how many times you touched him!? Tum, jiske peeche ladke khaali ek jhalak paane ke liye marte hai, itne bade bade gharaano ke ladke tumhaare paas rishta leke aate hai, jo tumse baat karne ke liye taraste hai aise logo ko tumne aaj tak bhaav na diya. Aur wo ladka... You touched him thrice. I noticed it. Tum kab se aise logo se baate karne lagi Sonu!? He doesn't even deserve to talk with you... Jinhe paiso ki aukaat ke baare me nahi pata wo kabhi paisa nahi kama paate. He's a fool... Jaane do usse... Yaha mein soch rahi thi, ki wo sabhi logo ki tarah laalchi niklega aur paiso ki maang karega... Aur fir mein tumse lagi shart jeet gayi hoti par... Nahi! Ye toh aur bhi bada waala bewakoof nikla... Haath me aa rahe paiso ko laat maar ke chala gaya waah...

Sonia : Dii! He's my benefactor. Ussi ke kaaran aaj mein tumhaare saamne hu. Bhale hi wo ittefaaq tha par hai toh fact hi. Yadi wo uss waqt saamne na aata, toh aaj pata nahi mein kaha hoti? Hoti bhi ya nahi!?

Suhana : Tum usse uski zaroorat se zyaada credit de rahi ho. Aur tumhe kuch nahi hua hota. Ek toh yaha usse college se utha ke yaha tak laaye aur uske baad bhi akad toh dekho uski... Usse pata bhi hai ki wo kiske saath baith ke baate kar raha tha!? Mann toh kar raha tha ek baar me usko uski aukaat dikha du. Par tum jo thi saath me... Fir tumhe bura lag jaata...

Sonia : Mujhe akele hi aana chaahiye tha. Na jaane wo kya soch raha hoga mere baare me...

Suhana : Sonuuu!?? Tum kab se ye sab sochne lagi!?? Ki dusre tumhare baare me kya sochte hai? Wo koi tumhara lover nahi hai Sonu, na hi koi celebrity ya crush hai jiske liye tum itna soch rahi ho. Arre usse toh khush hona chaahiye ulta aur hume thank you kehna chaahiye. Usse pehli baar Rolls Royce me baithne ka mauka mila, aur pakke se pehli baar itni badi hotel me aaya hoga. Fir bhi akad toh dekho uski... Hmph! I hate such men.

Ek aah bharte hue, Sonia apni behan ke bartaav par sarr hilaate hue seat se uthi aur baahar car ki orr chal dii.

'Will you hate me now!? Veer!?'

***

*Click*

Gaadi me se chaavi nikaalte hue Nidhi apni scooty se utri. Saamne ek bada ghar tha. Aaj usse yaha bulaaya gaya tha. College me recess ke waqt hi wo nikal gayi thi aur apni manzil par pohuch chuki thi.

Veer aur uss ladki ki chhavi abhi bhi kahi na kahi uske mann me mandra rahi thi. Usse bas jaan'na tha ki wo ladki kaun thi. Aur, Veer ki kya lagti thi.

Aage kadam badhaate hue Nidhi ghar ki entrance ki taraf badhi. Wo deewaare jo halki peele rang ki thi, wo rang jo aksar khushiyo ko darshaat hai.

Parantu, iss waqt Nidhi ki bauhe sikudi hui thi, chehre par shikan aur chinta thi. Aur uske dil ki dhadkane normal se kayi guna tezz ho chuki thi.

Jese tese kadam badhaate hue wo entrance par aayi aur usne door bell bajaayi,

*Ding* *Dong*

Aur kuch derr ke andar hi Darwaaza khula aur ek jaana maana ek aurat ka chehra uski nazro me pada.

Aurat ne dekhte hue usse andar aane ke liye raasta diya...

*Thud*

Aur gate band kar diya.

***

"Damn it! Damn it!! Arre yahi chaavi toh thi... Lag jaa taala..." Idhar Shreya ghar me apne haatho me spare chaaviyo ka guccha liye frustration nikaal rahi thi.

Uske saath me hi Juhi khadi hui thi jisse Shreya khud school jaake jaldi leke aa gayi thi.

Juhi : Maasi!?? Hum kaha jaa rahe hai!?

Shreya : Tumhari Mummy ke paas...

Juhi : Hmm? Mummy kaha gayi hai!?

Shreya : Sab pata chal jaega Juhi... Aao...

Aur Shreya Juhi ki ungli pakad forun se ghar se nikal ek taxi kar chal padti hai.
.
.
.
.
.

.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!

Like maar dena..😁
Marvelous update... Ye Shuna Badi ghamondi lag rah hey...
 

bd sharkar

Active Member
1,826
5,075
158
Update - 22 ~ Don't you dare touch her!
Ab tak...

Uske saath me hi Juhi khadi hui thi jisse Shreya khud school jaake jaldi leke aa gayi thi.


Juhi : Maasi!?? Hum kaha jaa rahe hai!?

Shreya : Tumhari Mummy ke paas...

Juhi : Hmm? Mummy kaha gayi hai!?

Shreya : Sab pata chal jaega Juhi... Aao...


Aur Shreya Juhi ki ungli pakad forun se ghar se nikal ek taxi kar chal padti hai.

Ab aage...

Hotel me Veer ke naraaz hoke chale jaane ke baad, Sonia aur Suhana gaadi me baith waapas apne apne kaamo ki taraf jaa rahi thi.

Jaha Suhana ka mood ye bayaa kar raha tha ki usse kisi baat ki koi chinta hi nahi thi wahi dusri taraf uski choti behan, Sonia window se baahar nazre gadaaye kisi chinta me doobi hui thi jisse Suhana ne bhaanp liya tha.

Suhanaa : Oh c'mon Sonu!? Really!? You are still thinking about him!? Aisa kya khaas dekh liya tumne usme!?

Sonia apni behan ki baat sunn palat ke usse dekhti hai.

Sonia : Fine then... I'll tell you!

Suahana : Hmm!?

Sonia : You remember Pushkar right!?

Suhana : Hmm! Usse kese bhul sakti hu. Tumhara childhood friend.

Sonia : Yes! Dii...

Suhana : !??

Sonia : Aap jaanti hai na!? Pushkar ki death ka kaaran!?

Iss baar usne bada hi serious hote hue kaha. Ye topic kitna sensitive tha ye baat Suhana bhi bhali bhaati jaanti thi aur isliye wo bhi serious ho gayi.

Suhana : Hmm! Uska gharwaalo se jhagda ho gaya tha, fir usne ghar chorr diya tha. Tumne boht manaaya tha usse, bechaara galat raah pakad liya tha woh. Aur wahi raah usse le ke chali gayi iss duniya se...

Sonia : Hmm! Veer ke saath bhi aisa hi kuch hai dii...

Sonia ki baat sunn iss baar Suhana ko realize hua. Usse sab samajh me aa gaya tha ki kyu Sonia aisa behave kar rahi thi uske saamne. Sonia ne apne mitr Pushkar ko khoya tha. Aur Veer ke halaat bhi same hi the. Ye samajhne me derr na lagi Suhana ko ki kyu Sonia itna desperate thi hotel me.

Suhana : Ohh! Toh ye baat hai...

Sonia : Hmm! Uske gharwaalo ne usse ghar se nikaal diya hai. Currently he's living with his teacher. And jis raat wo meri car se bhida tha... Uss raat hi usse ghar se baahar nikaala gaya tha. He was probably searching for a place to stay. Par kismat dekho... Uska accident ho gaya mere haatho. I don't want him to lose the track... I know uske paas paise nahi honge, I can guess... Mein nahi chaahti meri wajah se wo Pushkar ki tarah... Isliye, meine usse aaj bulaaya tha.

Suhana : Aur tumhe ye sab kese pata chala!?

Suhana ke sawaal par gaadi drive kar rahe Prakash ne ek pal ke liye peeche dekha aur muskuraaya,
"You are welcome Madam!!!"

Suhana : Ohhh! Toh aapne details laake dii saari uski!?

Sonia : Hmmm!

Suhana : Well! Mein samajh sakti hu tumhare emotions ko but dekho... Usne hamaare saamne paise reject kiye hai. Ab isme mein bhala kya karu!? Mujhe nahi pata tha wo itna bewakoof hoga. Uske kaaran meri bet chali gayi... Hmph!

Sonia : Don't worry! Aapki bet... I'll still comply with it. Aapko wo dikhaana hai na apni friends ke saamne!? I'll request Dad...

Suhana apni behan ki baat sunn itna khush ho jaati hai ki agle hi pal usse apni baaho me bhar leti hai aur uske gaal ko choom leti hai,

Suhana : Oh my god! Really!? Sonu!? Tum... Tum sach me!? Mein toh bet haar gayi... Uske baad bhi!?

Sonia (smiles) : Hmm!

Suhana : You are the besttttt!!!

Wo usse aur zorr se hug kar leti hai. Na jaane kya bet lagi thi inn dono behno ke beech. Par jo bhi tha, dekh ke toh yahi lag raha tha ki Suhana jo chaah rahi thi wo karne ke liye Sonia raazi ho chuki thi.

***

Idhar Veer hotel se baahar nikalne ke baad apne college ki orr hi jaa raha tha par raaste bhar Pari uske peeche hi pad gayi thi.

[Maaaasssttteeerrrr!??? Aapne aisa kyu kiyaaa!? Why did you rejected that money!?]

'Why!? Pari!? Ye tum puch rahi ho?? Tumne dekha nahi? Uss aurat me kitna guroor tha paiso ko lekar. Wo paise aise de rahi thi mujhe jese maano...'

[Maano kya...!?]

'Nothing...'

[Master! Hume toh paiso se matlab hai. Wo kitna guroor rakhti hai uss se nahi. Also, mene kaha tha na wo lady aapke kaam aa sakti hai. She's damn rich master. Aapko connections banaane hi honge. Initial phase me aap akele kuch nahi kar sakte master.]

'I know what I'm doing Pari. I know I need money. Par aise nahi... Wo paise aisa lag raha tha maano feke hue ho. Aur mujhe batorne ke liye keh rahi ho woh. Ek na ek din uska guroor zaroor todunga mein.'

[*Sigh* Well... Alright master. But yadi wo Sonia aapse future me firse baat karna chaahe then mana mat karna. She's a good lady I think. Also, aapne check kyu nahi kiya unn dono ko!?]

'Ahh!? Oh... Well... Umm...'

[Hmmm! I see! They were too beautiful and you forgot to check them.]

Pari ki baat sunn na chaahte hue bhi Veer ke gaal sharm se laal ho hi gaye.

Wo apne college pohuch chuka tha aur usne pata kiya ki Nidhi bhi apne kisi kaam ke liye nikal chuki thi.

'Looks like unhe koi urgent kaam hai!?'

Sochte hue wo apni class me chala gaya. Aaj ka lunch bhi uska miss ho chuka tha.

***

Yaha Nidhi jese hi uss ghar ke andar kadam rakhi, toh uski nazar achanak hi wahi sofe par baithi ek mahila par gayi, jiski goad me ek nanha sa baccha tha aur wo mahila ek bottle me doodh liye uss nanhe se bacche ko muh me laga ke pila rahi thi.

"Dhruvvvvv......... Meraaaa bacchhaaaa!!!!"

Nidhi zorr se chillaayi aur tezz kadmo ke saath bhaagte hue uss mahila ki taraf bhaagi aur uske haatho se apna bacche leke apni goad me uthaa lii.

Wo mahila uthi aur makaan maalkin ki taraf dekhi.

Aurat : Pee liya usne!?

Mahila : Jii maalkin. Thoda sa piya hai.

Aurat : Tum jaa sakti ho ab. Aur kal kaam pe jaldi aa jaana.

Mahila : Jii maalkin.

Kehte hue wo mahila baahar nikal gayi. Ye mahila iss ghar me kaam kaaj sambhaalti thi par saath hi saath Nidhi ke bacche ko kabhi kabhi doodh pilaana bhi ussi ki zimmedaari thi.

Apne pyaare se bacche ko dekh Nidhi ki aankho me aasu aa gaye. Wo uska chehra choomte hue uske gaalo se apne gaal sehlaane lagi, puchkaarne lagi.

Ek baccha janm ke baad apni maa ka doodh peeta hai, par yaha uska bacche ko ye sukh bhi naseeb nahi ho paa raha tha. Pati patni ke rishte ke beech ki daraar ke chalte bechara uska Dhruv iss sukh se tak vanchit tha aur saath hi saath Nidhi bhi. Aisa nahi tha ki kabhi Nidhi ne apne bacche ko stanpaan nahi karwaaya tha par ek maa jo roz roz apne bacche ko apni goad me baitha ke pyaar se usse stanpaan karwa ke lori gaa ke usse sulaati hai, iss sukh se dono hi Nidhi aur uska baccha vanchit the.

Rote rote Nidhi wahi baith gayi aur agle hi pal usne apne blouse ko khol apna ek stan baahar nikaala aur Dhruv ke muh ko uss se laga liya.

Jese hi uske bacche ne uske stan se doodh peena shuru kiya toh kuch derr me hi uske stano se doodh risne laga. Bechaari Nidhi ki aankho me aasu aur bhi zyaada umad aaye. Wo pyaar se puchkaarte hue, uske sarr ko sehlaate hue apna doodh pila rahi thi. Maano jese koi kabhi bhi uss se uska Dhruv chheen lega.

Sisak sisak ke rote hue chup chaap wo bas apne bacche ko doodh pilaa rahi thi aur wo aurat bhi chup chaap baithe hue Nidhi ko ghur rahi thi.

Jese hi Dhruv ne doodh piya, kuch shan baad hi usse neend aa gayi aur wo apni Maa ki goad me hi so gaya. Aur agle hi pal wo aurat uthi, Nidhi ke paas aayi aur uski goad se Dhruv ko uthaane lagi.

Nidhi ne apne haath kasste hue Dhruv ko pakda aur kuch bolna chaaha par shabd beech me hi kahi atak ke reh gaye, aur wo aurat Nidhi se Dhruv ko chhina ke apne saath leke bistar par baith gayi.

Apne blouse ko thik kar Nidhi ne apne dono gaalo se aasu poche aur apne bacche ke sote chehre ko nihaarne me lag gayi.

Iss waqt Dhruv ka sota pyaara chehra dekh wo khush toh boht thi, par saath hi saath ek atyant hi dard bhari peeda usko andar se todte jaa rahi thi.

Pal bhar ke liye apne bete ko thaamne ka wo sukh jese uss se yu chheen liya gaya tha.

Abhi wo Dhruv ke chehre me khoyi hi hui thi ki uss aurat ki awaaz uske kaano me padi aur wo hosh me aayi,

Aurat : Yadi, chup chaap aurat ki tarah rehti toh aaj ye din nahi dekhna padta. Hmph! Jao andar ab... Kamre me... Wo aata hi hoga naha ke.

Ye aurat aur koi nahi balki uski saas Chhaaya thi. Pata nahi aisa kya hua tha inn sab ke beech jo aisi daraare bani hui thi rishto me.

Nidhi na chaahte hue bhi jese tese himmat karke uthi, aur palat palat ke Dhruv ko dekhte jaa rahi thi. Na jaane kitna aur tadapna padega usse apne bacche ko waapas se thaamne ke liye.

Wo kamre me gayi, jis kamre se wo bhali bhaati parichit thi. Iss kamre me hi toh wo dulhan bann ke aayi thi. Par shaadi ke baad se hi jese uske kasht shuru ho gaye the.

Sab kuch pehle ki hi tarah prateet ho raha tha kamre me. Wo photo frames, wo deewaar ka rang, wo jagah jagah rakha samaan, sab kuch. Ekdum pehle jesa hi tha.

Abhi wo bed par baithi apni saree ke bhaag ko haath se zorr se bheeche hue thi. Andar se uske dil ki dhadkan kayi dafa tezz ho chuki thi aur agle hi pal...

*Click*

Room me hi maujood bathroom ki chatakni khulne ki awaaz aayi aur Nidhi ka badan sihar utha.

Andar se ek aadmi sirf ek lower pehne baahar kamre me aaya aur Nidhi ko dekhte hi uske chehre par ek gandi sii muskaan aa gayi.

Aadmi : Aa gayi!? 5 minute late ho tum...

Usne ghadi me dekhte hue kaha.

Par Nidhi kuch na boli, bas shaant baithi rahi jese hi Nidhi ne uss aadmi ko dekha, uski chhaathi par bikhre baalo ko dekh Nidhi ne apni nazre ferr lii.

Wo aadmi dheere dheere Nidhi ke bagal se guzra aur darwaaze ke paas aake usne...

*Click*

Darwaaza andar se lock kar diya. Aur uss awaaz ko sunte hi Nidhi ke kaan khade ho gaye. Wo achanak hi peeche palti aur paaya ki uss aadmi ne door andar se hi band kar diya hai.

Aankhein faade Nidhi uski ye harqat dekh rahi thi aur apni saree ko aur zorr se usne bheench liya.

Ye aadmi koi aur nahi uska hi pati tha ~ Rajat.

Rajat : Kya hua? Haha~ Privacy rahe isliye band kiya hu. Tumhe kya laga!?

Kehte hue wo ajeeb dhang se muskuraaya jiske chalte Nidhi aur chinta me aa gayi. Sehamte hue uski ungliyo me paseena aane laga aur uski saree ka bhaag haath me kasse hone ke kaaran geela sa pad gaya.

Rajat uske paas aaya aur fir usne bed pe ek tshirt utha ke pehn lii. Wo bagal se baitha aur Nidhi ko dekha,

Rajat : Darr lag raha hai!?

Par Nidhi kuch na boli.

Rajat : Mene pucha darr lag raha hai!?

Nidhi ne iss baar sehamte hue maa me sarr hila diya.

Rajat (smiles) : Oh! Toh darr nahi lagta tumhe mujhse!? Fir kya problem hai mere saath rehne me haa?

Nidhi : Mu... Mujhe... Mujhe kis liye bulaaya hai yaha!?

Rajat : Hmm! Dekho! Mein jaanta hu tum kabhi kaamyaab nahi ho paogi. Seedhe tareeqe se maan jao, ek aurat ki tarah mere ghar me raho, aur sab kuch...

Nidhi (chillaate hue) : Aurat ki tarah!?? Ya gulaam ki tarah????

Wo tezz swar me chilaayi aur Rajat ko ghoorne lagi. Uske bol me na jaane kitno dino ka gussa bhara pada tha jo ab baahar aa raha tha.

Rajat : Gulaam? Nahi! Kon se gulaam ko uska maalik itni saari cheeze laake deta hai? Gulaam ka matlab bhi pata hai tumhe? Gulaam ki tarah rakhta toh zinda bhi na bachti tum... Isliye...

Nidhi (screams) : I don't want to...

Rajat ek aah bharte hue bistar se utha aur bagal me lage cupboard ke upar rakhi candles ke paas se lighter uthaaya.

*Flick* *Flick*

Lighter ko jalaate hue wo candles ko jalaane laga jo wahi rakhi hui thi. Aur ye dekhte hi maano jese Nidhi ko saanp soongh gaya.

Uska dil zorro se dhak dhak karne laga. Itna darr shayad hi usse kabhi laga hoga.

Apne dono hatheli ko mutthi bana ke usne apne dusre haath se usse zorr se bheench liya.

Rajat ne jese hi Nidhi ka ye reaction dekha uske hontho pe ek qaatil muskaan fel gayi.

Rajat : Getting PTSD? Huh? Haha~

Wo dheere dheere uske paas aage badha aur Nidhi sarakte hue thoda peeche ho gayi. Uska seena tezz saaso ke chalte zorro se upar neeche ho raha tha.

Rajat : Dekho! Mein chaahu toh abhi issi waqt tumhe tumhari aukaat dikha du. Par mene tumhe ek mauka diya. Kyu? Kyuki mujhe pata hai... Tumse kuch nahi hone wala. Hahaha~ aur ant me jab tum gidgidaogi mere saamne, fir waapas se pehle ki tarah rahogi... Wo dekhne laayak hoga. Hai ki nahi?

Aur wo Nidhi ki taraf firse badhne lagta hai...

***

Idhar Shreya aur Juhi taxi me baithe nikal chuke the tabhi Shreya kuch soch ke Veer ko call laga deti hai.

Veer : Hello?

Shreya : Tum college me ho iss waqt!?

Veer : College gaya tha toh college me hi rahunga na!?

Shreya : Bakwaas mat karo aur ye batao ki Dii nikal chuki hai na? College me nahi hai na wo abhi?

Veer : Wo toh break me hi nikal gayi thi. Break over ho chuka hai ab.

Shreya : Okay!

Veer : Kuch baat hai kya!? Yadi koi pareshaani ho toh mein help kar dunga.

Shreya (mann me) : Kya karu? Isse batau ya nahi? Ye hamare ghar ka niji maamla hai, Dii kahi chillaa na de mujhe. Par... Par waha dii... Mein akeli pad jaungi... Bula hi leti hu. Ek se bhale do sahi. Dii ko baad me samjha dungi...

Shreya : Haa zara suno...

Veer : Hmm?

Shreya : Mein tumhe address bhej rahi hu, uss address pe jitni jaldi pohuch sakte ho pohucho...

Veer : O... Okay! Wese... Sab kuch theek toh hai na?

Par Veer ki baat sune bina hi Shreya beech me hi phone kaat deti hai.

'Damn! This girl...'

[Master...]

'I know! Let's go!'

***

Shreya kuch hi minute ki duri tay karne ke baad Rajat ke ghar pohuchti hai, aur andar Juhi ko leke wo jese hi ghar me pravesh karti hai usse Nidhi ki saasu maa Chhaaya dikhaayi de jaati hai jo bistar pe baithi hui thi aur uske hi bagal se Nidhi ka baccha Dhruv so raha tha.

Juhi : Chotu bhaaaaiiii!!

Juhi daudte hue apne chote se bhai ke paas jaake uske gaal tatolne lagti hai toh Chhaaya usse daant ke peeche kar deti hai.

Chhaaya : Arreee! Dikh nahi raha kya? So raha hai woh. Jaisi maa, wesi ladki... Udhmi ekdum...

Shreya : Juhiiii! Idhar aao...

Shreya Juhi ko leke peeche ho gayi aur idhar udhar nazar firaayi par kahi par bhi usse Nidhi nazar nahi aa rahi thi.

Shreya : Meri dii kaha hai?

Chhaaya : Hmm? Andar baat kar rahi hai.

Aur Shreya haa me sarr hila ke wahi sofe par baith jaati hai.

Par abhi kuch derr hi hui thi usse baithe hue ki tabhi usse...

"Aaaahhhhhhhhh"

Ek dabi sii cheenkh sunaayi deti hai...

Aur ye sunte hi Shreya hadbada ke khadi ho gayi.

Shreya : Ye... Ye awaaz... !? Dii kaha hai? Andar se aayi hai na ye awaaz? Kya chal raha hai?

Chhaaya : Tum kyu itna pareshan ho rahi ho? Dono pati patni hai, aapas me baat kar rahe hai. Bhulo mat ki abhi paper par naa hi Nidhi ne sign kiya hai aur na hi mere bete ne. Dono abhi bhi pati patni hai. Sign bhi tab hi honge jab Nidhi hamaari maang ko poora kar ke dikha paegi...

Shreya : I don't care... Meri Dii kaha hai itna bataiye mujhe...

Chhaaya : Kyu?

Shreya : Bataaaiyeee jaldi...

Chhaaya : Kyu batau? Tum kaun hoti ho yaha miya beewi ke beech ho rahi baato me aane ki? Huh?

Shreya : Wo meri badi behan hai. Iss se pehle ki mein police ko bulau...

Chhaaya : Hahahaha~ Bula lo fir. Mein bhi dekhti hu. Kya karti hai police. Tumhari yaadaasht sahi hai ya nahi? Mera beta Sheher ke mashoor lawyers me se ek hai aur ussi ke ghar pe tum police bulaane ki dhamki de rahi ho.

Chhaaya ke bol sunte hi iss baar Shreya ki bolti hi band ho gayi. Baat ekdum sahi thi. Police bulaane ka koi matlab bhi nahi tha aur upar se ye ghar ka maamla tha. Par wo itni badi duwidha me pad chuki thi ki uska dimaag kaam karna band ho chuka tha. Wo itni zyaada bechain ho chuki thi ki uski samajh nahi aa raha tha kuch.

Wo Juhi ki ungli pakad aage badhi aur andar ek kamre ke paas gayi, jaha se awaaz aayi thi.

Aur agle hi second ek baar fir wahi dabi sii awaaz aayi jisse sunn Shreya ko confirm ho gaya ki andar pakke se uski dii thi.

Andar kya ho raha tha, ye soch ke hi uski dhadkane tezz ho gayi.

Aur wo darwaaza peetne lagi,

Shreya : Kholooooo.... Diiiii!? Are you in there??? Diiiii??

Idhar couch par baithe Chhaaya saare nazaare ko bade hi lutf leke dekh rahi thi. Jese usse pata tha ki Shreya ki koshisho ka koi fayda nahi hone waala.

Shreya : Mein kehti ho kholo.... Kholo darwaaza...

Juhi : Mummmyyyyy... Mummmyyyyy...

Bechaari Juhi bhi Shreya ko dekh aur uske chehre ki tension ko dekh darwaaza peetne lagi. Bacche mann ke sacche hote hi hai. Juhi ko itna samajh aa gaya tha ki uski maasi boht hi bechain hai aur chinta me hai, isliye wo bhi darwaaza peetne lagi.

Aur agle hi pal...

*Click*

Achanak se darwaaza khula...

Aur andar ka nazaara dekh Shreya ki aankhein phati ki phati reh gayi...

Rajat (smiles) : Ohhhhh! Toh saali sahiba bhi aayi hai? Aaiye aaiye... Aur ye kya? Meri moongphalli bhi aayi hai?

Rajat jhukte hue Juhi ko thaamne hi waala rehta hai ki Juhi bhaagti hui andar jaati hai aur Nidhi se jaake chipak jaati hai. Nanhe haatho ko aage badhaate hue wo Nidhi ke aasu pochne lagti hai aur khud bhi aasu bahaane lagti hai.

Fir wo bade hi gusse me Rajat ko dekhti hai,

Juhi : Aap gande hooo....

Rajat : Hahaha~ Aise baat nahi karte beta...

Juhi (chillaate hue) : Aap gande hoooooo...

Aur iss baar Juhi ki tezz awaaz sunn, Rajat ke chehre se muskaan gaayab ho jaati hai.

Rajat : Abhi se tumne apne sanskaar de diye lagta isse haa!?

Shreya : Dur raho... Dur raho meri dii se... Dii chaliye

Rajat : Abhi bhi mauka hai Nidhi. Jesa mein keh raha hu wesa karo aur apna jeevan jiyo. Sukhi rahogi...

Nidhi (chillaate hue) : I will neverrrrr... Neverrrr...

Rajat (frowns) : Tummm....

Wo aage badh iss baar Nidhi ke baalo ko zorr se bheench leta hai,

"Aaaaaahhhhhh!!"

Aur nanhi Juhi ye dekhte hi Rajat ke dusre haath ko thaamte hue apne daato se kaatne lagti hai.

Rajat : Ye.... Bacchiiii....

Wo kheejte hue Juhi ka haath zorr se thaam leta hai jiske chalte bechaari Juhi rone lagti hai. Shreya sab kuch achanak se panpe drashya ko dekh agle hi pal Rajat ka haath pakad uski grip ko loose karne lagti hai taaki Juhi ko churraa sake.

Sabhi aapas me bhide Rajat se chhootne ka prayatn kar rahe the.

Ki tabhi unke kaano me ek awaaz padi...

Ek jaani maani awaaz...

"Ma'am!?"

Ye sunte hi Nidhi, Shreya, Juhi aur Rajat ki nazre forun hi darwaaze par gayi.

Paaya ki Veer unhe stabdh nigaaho se dekh raha tha.

Saath hi saath ekdum se bhaagte hue Veer ke peeche hi Chhaaya aayi aur wo bhi sab kuch ho rahe drishya ko dekhne lagi.

Par agle hi pal...

Veer ki nazre Nidhi par gayi...

Usne dekha ki Nidhi ka ek gaal laal tha...
Uske haatho aur pait pe mombatti ki wax lagi hui thi....
Unn komal aankho me dherr saare aasu...
Wo sundar sundar kesh kisi ki jabt me the...

Usne dekha Juhi ko jo neeche hi khadi hui thi...

Juhi ke gulaabi gaalo se aasuo ki bunde behte hue gir rahi thi...
Uska nanha sa haath kisi ki jabt me tha...

Usne dekha Shreya ko jiske chehre par bhayanak darr tha...
Dono haath uske Juhi ko churraane ke liye lage hue the...

Tabhi uske kaano me awaaz padi,
"Veeeeerrr maaamuuuuu..."

Aur bas...

Veer ka itna sunn'na tha ki...

Uske andar gusse ka wo jwalamukhi trigger ho gaya.

Aur uske hontho se ekdum dheemi awaaz me bas kuch shabd nikle...

"Don't you dare touch her!!!!"

Aur agle hi pal fir wo hua jisse dekh ke waha maujood sabki aankhein phati ki phati reh gayi.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!

Don't forget to like.
 

bd sharkar

Active Member
1,826
5,075
158
Update - 23 ~ Complex Feelings
Ab tak...

Veer ka itna sunn'na tha ki...


Uske andar gusse ka wo jwalamukhi trigger ho gaya.

Aur uske hontho ekdum dheemi awaaz me bas kuch shabd nikle...

"Don't you dare touch her!!!!"


Aur agle hi pal fir wo hua jisse dekh ke waha maujood sabki aankhein phati ki phati reh gayi.

Ab aage...


Bina ek pal gawaaye Veer itni speed me aage badha aur usne sabse pehle Rajat ka haath jo Juhi ko pakde hue the usse zorr se thaam ke uski mutthi apne bahubal se khol Juhi ko churraaya. Juhi ke choothate hi, Shreya ne Juhi ko pakad ke peeche kheench liya.

Veer ne Rajat ka fir dusra haath, jo Nidhi ke sundar kaale kesho ko bheenche hue tha usse pakad ke ekdum se marod diya,

"Aaaaahhhhhh!"

Haath marud jaane par agle hi pal, Rajat dard se karaaha aur uski pakad Nidhi ke baalo se chooth gayi.

Par iske pehle ki wo sambhal paata aur apne dusre haath ka prayog kar paata...

*Poooooowwwww*

Ek zordaar ghusa uske nichle jabde me aake pada aur wo uss ghuse ke impact se hi peeche ki orr jaake dhadaam se gir pada.

Ye sab kuch itni jaldi hua ki waha khade log bas hairat me dekhte reh gaye. Jese unhe samajh hi nahi aaya ki ekdum se kya ho gaya.

Pal bhar me Veer aaya, unhe churraaya aur agle hi pal Rajat zameen pe tha. Sab kuch itni jaldi hua tha ki wo sabhi saamne ho rahe action ko process hi nahi kar paaye.

Apne jabde ko malte hue jese hi Rajat zameen se utha, tabhi Veer ne aage badh uski collor ko dono haatho se jakda aur usse hawa me uthaate hue peeche deewaar me bhed diya.

*Bang*

Ab scene kuch aisa tha kii Veer ke dono haath Rajat ki collor par the aur Rajat hawa me deewaar se chipke Veer ki giraft me latka hua tha.

"Don't you dare touch her you piece of shit..."

Veer ne waapas se apne shabd dohraaye. Uski aankho me itna gussa tha, aur itni laal thi maano abhi abhi wo Rajat ka yahi khoon kar dega.

"Ughhh... Choorrr... Saaaleee..." Rajat karaahte hue chootne ka prayaas karne laga. Par koshish bekaar thi. Veer ki strength Rajat se zyaada jo thi.

Ek aam aadmi ki strength 30 se 50 ke beech hi rehti hai aksar. Zyaada ze zyaada Rajat ki 40 ke kareeb hogi. Aur peshe se wese hi wo ek lawyer tha koi gunda mawaali nahi, jiska ladna roz ka kaam ho.

Zaahir si baat thi ki Veer ki pakad se chhutne me wo naakamyab tha.

Par peeche khadi uski Maa, Chhaaya ne jese hi ye sab dekha wo chillaate hue aage badhi,
"Rajattttt!"

Ghabraate hue wo aage tezz qadmo ke saath aayi aur Veer ke haatho ko zorr se pakad ke kheechne ka prayaas karne lagi.

Nidhi bechaari aankhein faade sab kuch dekh rahi thi par kuch bhi bol nahi paa rahi thi. Maano jese ye sab kuch boht zyaada tha uske liye. Rajat ka usse prataadit karna aur fir achanak se uski behan aur beti ka aa jaana, saath hi saath Veer ka yu Rajat ko pakad ke maarna. Nidhi ki kuch samajh me nahi aa raha tha. Wo bas stabdh sii khadi hui thi.

Jese hi Shreya ne dekha ki Chhaaya Veer ke haatho ko pakad ke kheench rahi hai, par kheench nahi paa rahi, Shreya Juhi ko wahi par chorr aage badhi aur usne peeche se zorr se Veer ko hug kar liya.

"Veer... Chorro... Veeeeeeeeeerrrr.... Chorro usse... Please!!! Please Veeerr!! Let him gooo..." Shreya usse peeche se jakde hue aagrah karte hue boli.

Aur kuch hi pal me jese Shreya ki vaani ne Veer ko finally control kar liya.

Na chaahte hue bhi, Veer ke haath dheele pad gaye.

*Crash*

Aur Rajat jo deewar se sata hua tha wo dhadaam se neeche gir gaya.

*Cough* *Cough*

Khaaste hue usne apne gale ko mala, aur fir achanak hi hassne laga.

Rajat : Hahahahaha~

Bagal me khadi uski Maa Chhaaya ne usse sambhaala aur usse neeche baithaal ke pakde rahi. Aur idhar Shreya bhi Veer ko pakde peeche ki orr kheechte hue le aayi.

Rajat ki hassi kuch derr me ruki aur fir usne apna sarr upar kar Nidhi samet sabhi ko dekha. Uske chehre pe ek kutil muskaan thi. Jese wo bataana chaah raha tha ki ab tum logo ka khel khatam hai.

Rajat : Hahaha~ Maaa! Tune dekha!? Ye dekho... Apne pati se abhi talaak liya nahi isne ki yaha agla boyfriend haazir hai.

Uski baat sunn, Nidhi ne iss baar bauhe sikodi aur aage bolne ke liye apna muh khola par iske pehle ki wo kuch keh paati, Veer bol pada.

Veer : I'm not her boyfriend you bastard... I'm her student.

Usne gurraate hue bola aur aage ek baar fir wo badhne waala tha ki Shreya ne usse aur kass ke thaam liya.

Rajat : Hahaha~ Tujhse yahi umeed thi Nidhi... Yahi umeed thi... Apni bacchi ko bhi yahi sanskaar dogi hai na!??

"You...." Zorr se chillaate hue Veer ek baar fir tezzi se aage badha, iss baar bhi Shreya Veer ko rokne ke liye usse jakdi par Veer ki strength ke chalte wo iss baar haar gayi.

Wo khud uske saath khichi chali gayi aur jab usne dekha ki Veer Rajat ko waqai firse maarne waala hai wo zorr se chillaayi,
"Nooooooooo... Veeeeeeeeeeerrr!!"

Uski cheenkh se jese Veer ko dhyaan aaya aur uske kadam wahi theher gaye.

Shreya (cries) : Please!!! Let's go... Chorro usse... Aur chalo Veer... Please... I beg you...

Shreya jo ab tak apne aasuo ke baandh ko roke hue thi wo akhir khul hi gaya. Aur tezzi ke saath uske aasu uske gaalo se hote hue behne lage. Usne apne haatho se Veer ke seene me shirt ko bheench liya.

Wo uss se ek nivedan kar rahi thi jese. Usne boht kuch dekh liya tha. Wo nahi chaahti thi ab aur kuch ho aur baat aage badhe.

Wo kheechte hue Veer aur Nidhi samet Juhi ko baahar le jaane lagi.

Rajat : Dekh lunga saale tujhe... Veer hai na tera naam!? Bataata hu tujhe bhi. Ek ek ko dekh lunga. Khaaskar Nidhi tumhe meri jaan...

Wo andar hi kamre se chillaata raha par uski baatein sune bagerr hi Shreya sabhi ko baahar le aayi.

Shreya : Dii... Ghar chaliye... Jald se jald... Veer tum dii ko gaadi me baitha ke le jao, Mein Juhi ko leke aa jaungi.

Veer : Nahi! Balki, Aap teeno jao gaadi me... Mein aa jaunga...

Ye dono aapas me hi lage hue the ki achanak Nidhi bhaybheet hote hue rone lagi,

Nidhi : Hey bhagwaaaannn....

Wo neeche girte hue rone lagi, toh Veer aur Shreya ne forun hi usse uthaaya...

Nidhi : Shreyaaaa...

Shreya : Diii....

Nidhi : Shreya... Ye sab kya ho gaya!? Ye bilkul bhi accha nahi hua Shreya... Shreya wo pakka kuch na kuch karega ab... Nooooooo! This wasn't supposed to happen Shreya... I... I....

Apni behan ki ye haalat dekh Shreya ko uss pe itna taras aa raha tha ki wo bayaa nahi kar sakti thi. Usne Nidhi ko kandhe se pakadte hue jhanjhora aur usse hosh me laaya.

Shreya : Diii... Diiii... Look at me... Nothing will happen... Okay!!? Nothing will happen!

Nidhi : Nahi... Nahi... Shreya... Wo... Wo...

Shreya : Look at me Dii, aap sahi salaamat ho. Juhi sahi salaamat hai. Kisi ko kuch nahi hua. Aur wo kuch nahi karega. Hmm? Okay!? He can't do anything. Jab tak time period khatam nahi ho jaata wo kuch nahi kar sakta. Hmm? And, aap dekhna jald se jald Dhruv aapke aur hamaare paas hoga...

Kehte hue usne Nidhi ko zorr se apni baaho me kheench liya aur Nidhi bechaari fut fut kar rone lagi.

Siski lete hue Nidhi apni behan ke seene se lag bilakhte hue ro rahi thi. Peeth par haath ferrte hue aur usse puchkaarte hue Shreya ne usse samjhaaya aur usse chup karaane lagi.

"Mummmyyyyyyy!"

Idhar Juhi apni Maa ko aise rota dekh khud bhi zorr zorr se rone lagi. Bacche apni Maa ko jab rota dekhte hai toh bhala khud kese shaant reh sakte hai? Wo bhi rona shuru kar dii. Bechari Shreya ko ab samajh nahi aa raha tha ki pehle kisko chup karaaye. Wo khud rone ki kagaar pe aa gayi thi.

Tabhi...

Usne dekha...

Veer ne aage badhte hue Juhi ko apni goad me uthaaya aur uske pyaare gaalo se aasu pochte hue usne Juhi ke dono gaalo pe pappi lii aur tehalte hue usse chup karaane laga.

"Veeeellll maamuuuuu..."

Rote rote Juhi apne aasu Veer ki shirt me uske kandhe par ragad rahi thi. Aur Veer uski peeth sehlaate hue usse chup karwa raha tha.

Juhi : Veeeelll Maaaamuuu...

Veer : Hmmm!?

Juhi : Papa dande hai...

Veer : Kya hai!?

Juhi (cries) : G... Gande...

Veer : Hmm! Accha unhe chorro... Juhi... Chocolate khaegi!? Hmm? Chalo Veer maamu aapko mast wali chocolate dilaenge.

Juhi : Mmmmmm

Veer : Juhi khaegi na??

Juhi (rote hue) : Hmmmm...

Veer : Par uske liye... Pehle rona band karna padega.

Juhi : Mmm...

Dheere dheere sisak kar Juhi jese tese chup hui toh Veer ne muskurate hue ek baar fir uske gaal choom liye, badle me Juhi ne bhi uske gaal choom liye.

Veer : Ye hui na baat, ab dekhna Veer maamu tumhe mast chocolate dilaenge...

[Hehe~ Master!? Really? Paise hai aapke paas!?]

'Ye bolna zaroori tha tumhara Pari? Shut up!'

[Hehehe~ I wonder aap Juhi ko chocolate kese dilaenge fir? Aur wo bhi mast waali? Paise toh hai nahi. Kyuki jab wo Sonia madam paise haatho me dhar ke jaa rahi thi toh mere master ko mahaan bann'na tha. Thukra diye wo paise. Ab chocolate toh kya uska wrapper bhi nahi khareed paenge.]

'Pari! You don't understand. Ek din dekhna, aaj tumhe mera ye decision bhale hi galat lag raha ho, par aage chal ke tumhi bologi ki master. Aapne sahi kiya tha jo Sonia se paise nahi liye.'

[Hmm! Well master, I'll wait for that to happen.]

'Ek din dekhna, Mein Juhi ke liye poori chocolate ki factory khulwa dunga.'

[Hmm.. hmm.. I'll wait!]

Pari se baatein karne ke baad Veer Juhi ko leke ghoomne laga par wo apne peeche ho rahe drishya se anjaan tha. Shreya aur Nidhi dono hi ashcharyachakit aur achambhit ekdum wahi khadi hui Veer ko peeche se ghur rahi thi.

Shreya surprised nigaaho se Veer ko dekh rahi thi. Jo ladka kuch derr pehle hi itna aag baboola tha, jisse sambhaalna bhi uske liye itna mushqil tha, wahi ladka iss waqt nanhi sii Juhi ko goad me uthaaye usse itne pyaar se chup karwa raha tha. Dono hi bartaavo me zameen aasmaan ka antar tha, par dono hi bartaav Veer ke hi the.

Shreya ko zyaada umeed nahi thi ki Veer ki uski kuch zyaada madad kar paega. Par kuch derr pehle jo bhi kuch hua, usse dekhne ke baad, Veer ki ek nayi chhavi uske dil aur dimaag me bann gayi thi.

'Just what kind of guy this is...!?'

Idhar Nidhi ke saath kuch aur hi tha. Wo toh jaanti hi thi Veer ki acchi personality ko. Aur issi ke chalte toh woh usse apne ghar me saath rakhne ke liye raazi hui thi.

Par aaj...

Aaj jo bhi kuch usne dekha...

Wo sab naya tha uske liye. Veer ka wo roop, wo gusse waala roop jisme usne Rajat ki khatiya khadi kar dii thi, uss roop ko dekh Nidhi darr gayi thi.

Par andar hi andar usse ek ajeeb sii feeling sataa rahi thi. Wo feeling kahi se bhi buri nahi thi. In fact, usse andar se accha mehsoos ho raha tha.

Veer ko uske prati chinta vyakt karte dekh, uski aankho me wo gussa jab usne Rajat ke haatho ko uske baal pakde hue dekha tha, wo gussa jab Veer ne Juhi ko rote hue dekha, ye sab dekh kahi na kahi Nidhi ko andar se itna accha mehsoos ho raha tha ki wo shabdo me bata nahi sakti thi. Aaj tak uske liye aisa kisi ne nahi kiya tha. Par aaj...

Aaj Veer ne jo uske liye kiya, usse dekh ke wo andar hi andar behad khush thi par saath hi saath ek darr bhi usse sataa raha tha.

Darr tha ki Rajat ke saath jo kuch bhi hua, Ab Rajat kya karega? Wo shaant toh bilkul bhi nahi rahega kyuki Nidhi bhali bhaati Rajat ko jaanti thi.

Wo zaroor kuch na kuch karega. Aur jo bhi kuch karega wo uske aur uske parivaar ke liye bilkul bhi accha nahi hoga. Bas yahi ek darr usse khaaye jaa raha tha.

Wo dekh paa rahi thi Veer ko, apni bacchi ko, jo uski goad me iss waqt khil khila ke hass rahi thi.
Kitna khush dekh rahi thi Juhi Veer ki godi me. Wahi kitna ro rahi thi wo Rajat uske pita ke haatho me bandhe...


Kaha uska apna pati, jo uske saath aisa vyavhaar kiya aur uski bacchi ke haath ko marod usse rula diya tha toh kaha Veer jo usse bachaane aaya, Rajat ko maar ke usse churraaya, aur uski bacchi ko yu gaod me uthaaye uspe pyaar barsa raha tha. Dono hi vyaktiyo me kitna antar tha. Jabki Rajat uska pati tha, aur Veer keval uska student jo bas abhi kuch hi hafte pehle se uss se familiar hua tha.

'Veer... Tum... kitne acche ho...' Wo Veer aur Juhi ko dekhte hue mann me boli aur tabhi usse dhyaan aaya ki wo kya sochne lagi thi.

Apne sarr ko hilaate hue usne apne aasu poche aur Veer ko awaaz lagayi,

Nidhi : Veeeer!!

Veer (palat kar) : Hmm?

Nidhi (smiles) : Chalna hoga yaha se...

Veer : Hmmm...

Veer unke kareeb aaya toh Nidhi boli,
"Shreya... Tum jao!"

Shreya : What? Kaha jau? Aur aap log?

Nidhi : Tum meri gaadi lo aur ye chaavi bhi. Ghar jaake gate kholo... Aur... Tab tak... Mein Veer aur Juhi aate hai.

Shreya : What? But mein akele...!? Aur chaavi hai mere paas already...

Nidhi : Thik hai! Toh tum ghar jao, meri gaadi leke... Hum aate hai... Don't worry! Mein theek hu ab.

Shreya : Are you sure!?

Nidhi : Haa Shreya! Go don't worry!

Shreya : O... Ok

Wo kehte hue Nidhi ki gaadi utha ke waha se chali gayi. Ab keval Veer, Nidhi aur Juhi hi bache hue the.

Veer : Hume bhi chalna chaahiye Ma'am.

Nidhi : Hmmm...

Abhi wo aage hi badhti ki uske pehle hi Veer ne usse rok diya,

Veer : Rukiye Ma'am.

Nidhi : ???

Veer achanak hi uske kareeb aaya aur usne Juhi ko neeche utaara. Nidhi sawaaliya nazro se usse ghoor rahi thi.

Veer : Thoda sa dard hoga.

Kehte hue usne apna haath aage badhaaya, Nidhi kuch samajh paati ki tabhi...

Uske nagn pait par Veer ka haath aaya aur...

Achanak hi...

"Aaahhh!" Ek halki dabi sii aah uske muh se nikli.

Usne aankhein khol dekha toh paaya ki...

Veer ne uske nagn pait se kuch kheench ke nikaala. Usne dekha ki Veer ke haatho me mombatti ka wo wax ka tukda tha jo Nidhi ke pait par chipka hua tha.

Uske gaal sharm ke maare halke gulaabi pad gaye the. Wo kehna chaahti thi ki wo khud se nikaal legi aur aise Veer ka yu uske pait par se wo sab nikaalna accha bhi nahi lagta. Par bechaari Nidhi sharm ke maare kuch keh hi nahi paa rahi thi. Kyuki Veer uske hit ke liye hi ye sab kar raha tha. Wo toh chinta ke maare ye kar raha tha.

Halaki ek sawaal zaroor aaya uske mann me ki kya Veer ko bhi iss waqt sharm aa rahi hogi apne haatho ko uske pait par sparsh karte hue?

Yahi dekhne ke liye ki Veer ke chehre par kya expressions the Nidhi ne dheere dheere apni nazre uthaayi aur Veer ko dekha.

Par jese hi usne dekha toh usse ek jhatka sa laga...

Achambhit bhi thi wo aur confused bhi...

Veer ki aankho me atyant hi gussa tha, saath hi saath ek dard aur chinta bhi. Nidhi logo ko unki aankho ko dekh unhe pehchaan ne me maahir thi. Aur jese hi usne wo saare bhaav Veer ke chehre aur uski aankho me dekhe toh pata nahi kyu par pal bhar ke liye uski dhadkane tezz ho gayi.

Wo kuch keh paati ki uss se pehle hi firse Veer ka haath uske nange pait par laga...

"Aahh!"

Usne ek siski bhari aur fir Veer ne baaki wax ke tukdo ko bhi dheere dheere karke nikaal diya.

Veer ne bhale hi araam se nikaal diye wax ke tukde par idhar bechaari Nidhi ki haalat kharaab ho chuki thi. Halka fulka dard toh tha par usse dard ki chinta nahi thi. Iss waqt uska seena zorro se upar neeche ho raha tha.

Jitni baar Veer ka haath uske nagn pait se sparsh hota, utni baar uski saasein tezz ho jaati. Ant me khud ko sambhaalne ke liye usne Veer ke seene me uski shirt ko apne dono haatho se bheench liya.

Aur uske iss action se iss baar Veer bhi sharma gaya...

Veer (blushes) : Wo... Ho gaya Ma'am.

Nidhi (blushes) : Aahh!? Ohhh... Hmmmm.

Nidhi ne apne haath dheele kiye, apne pait par fere aur Veer se thoda dur ho gayi. Uske hatate hi Juhi firse godi me aane ki zidd karne lagi. Veer ne usse waapas se apni godi me liya aur chalne ke liye kaha toh Nidhi ne bhi haami bhari aur dono hi waha se nikal pade.

Wo abhi paidal hi chal rahe the ki Veer ne achanak hi shaanti todi,

Veer : Ye sawaal thoda personal hai, par yadi aapki permission ho toh kya mein puch sakta hu?

Nidhi : Hmm? Haa pucho na Veer.

Veer : Meri samajh me nahi aata ki, jab aapke husband aisa behaviour aapke saath karte hai toh aap complaint kyu nahi karti? Police me jaiye aur...

Nidhi : Jitna asaan dikhta hai utna asaan hai nahi Veer. Lambi kahani hai... Aur... Mein majboor hu.

Veer : Hmm! I hope aapko jald hi koi solution milega. Aur... Aap mujhse kabhi bhi koi bhi help maang sakti ho, aapko pata hai na?

Nidhi (glances at him) : I... I know

Kuch derr yuhi chalne ke baad usne firse Veer ko dekha aur boli,

Nidhi : Tumne lunch kiya!?

Veer : Nope! Mein lunch ke pehle kahi kaam se gaya hua tha.

Nidhi (mann me) : Matlab unn do ladkiyo ke saath... Should I ask!? No. It's his personal matter. I... I... Shouldn't...

Veer : Kya aapne kiya!?

Nidhi : Huh? Ohh! Na...nahi... Mein lunch ke pehle hi college se nikal aayi thi Veer.

Veer : Ohh! Then hum dono ne hi nahi kiya...

Nidhi : Let's...

Veer : Hmm!?

Nidhi : Let's go to a hotel. Waha... Waha kha lenge kuch!?

Veer : Are you sure?

Nidhi (mann me) : Mein toh kuch bhi kha lu, and I really shouldn't spend money like this... But... He did so much for me... Then mujhe itna toh consider karna hi hoga uske liye... Right!?

Nidhi : Umm... Yes! I'm sure Veer! Chalo... Dekho wo rahi... Hotel...

Veer : Wo?? Kaafi mehngi lag rahi hai...

Nidhi : Huh? It's... It's okay! Let's go...

Veer : O...okay!

Aur kuch hi derr me Veer aur Nidhi dono hi hotel ke andar the.

Nidhi : Excuse me... Umm... We...

Receptionist : You need a table for two Ma'am!?

Nidhi : Ahh! Yes...

Receptionist : Or maybe three!?

Wo Juhi ko Veer ki goad me dekhte hue puchi.

Veer : Yes!

Receptionist : Okay! Shivani!? Ma'am and Sir ko table pe le jao...

Shivani : Aaiye Ma'am!

Nidhi : Hmm!

Aur wo Shivani wahi hotel me kaam karne wali Veer aur Nidhi ko hotel me ek area me le gayi, jaha kayi saari rounded tables lagi hui thi aur luxury sofe the baithne ke liye.

Shivani : Sir, Ma'am this is your table. Please have a seat.

Nidhi : Ummm.. thank you!

Shivani : It's okay Ma'am!

Aur wo waha se chali gayi. Saari ladkiya waha pe kaam karne waali maid type ki black and white dress pehni hui thi aur sabhi ek se badh ke ek thi. Isse kehte hai business strategy.

Aadmi 2 ki jagah 4 rotiya khaa ke jae yadi aisi serve karne waali ho. Bhale baad me ghar jaake pait kharab ho jaaye.

Nidhi : Pasand aayi gayi kya Veer koi? Hmm? Fufu~

Wo Veer ko chedte hue boli, kyuki kaafi derr se wo dekh rahi thi ki Veer unn ladkiyo ko dekhe jaa raha tha.

Veer : Hmm? No! No one is better than you...

Wo itna kehke waapas se unhe dekhne laga jese maano aur koi dhund raha ho ki shayad koi Nidhi ki khubsoorti ki takkar ki koi dikh jaaye.

Par idhar Nidhi ke ye sunte hi kaan khade ho gaye.

Aur uske dil ki dhadkan ek baar fir tezz ho gayi... Wo aankhein faade Veer ko dekh rahi thi jo kahi aur apni nazre ghumaane me busy tha.

'Wait! Is he??... Did he just!? Did he just flirt with me?'

Usne sochte hue apne agal bagal nazre ghumaayi toh uski aankhein aur phati ki phati reh gayi jab usse realize hua...

Realize hua ki wo abhi kaha par baithe hue the.

Table par hi jaha tissues rakhe the uske bagal se hi ek chota sa stand tha jispar ek board laga hua tha. Aur uss board par likha hua tha...

Wednesday ~ Couple's special.

Agal bagal unke saare couples hi couples baithe hue the. Kuch married, toh kuch boyfriends aur girlfriends. Koi ek dusre ke haatho me haath liye the toh koi pyaar bhari baatein kar rahe the, toh koi khaane me lage hue the.

Aur jese hi Nidhi ko ye realize hua uski sharam ki koi seema nahi thi. Ekdum gulaabi gaal liye wo neeche nazre kar apne haatho ki ungliyo ko tatol rahi thi.

Nidhi : Ahh! Ye... Ye....

'Ye kaha le aayi wo hume!?? We are not couples. He's my student.'

Par isme ab uss Shivani ki kya galti thi bhala?? Nidhi thi ek khubsoorat aurat. Saath me Veer jo Nidhi se halka sa height me already bada tha aur upar se uski goad me thi Juhi. Bhala koi bhi dekh ke confuse ho jaaye aur unhe pati patni hi maan le.

Wo abhi kuch keh paati ki tabhi, Order lene waiter aa gaya.

Waiter : Yes Sir! You order!?

Nidhi : Umm... Wo...

Veer : Juhi!? Kya khaogi tum!?

Juhi : Jo aap khaoge... Aur chocolate bhi...

Veer : Hmm!!!

Nidhi (mann me) : Wait... Oh my god... He doesn't even know... Usse pata hi nahi hai ki hum kaha baithe hai. Ohh god... This is... So...

Veer : Ma'am se puchiye...

Waiter (nods) : Ma'am your order!?

Nidhi : Ehhh!? Ohhh! Haa... Umm...

Jese tese Nidhi ne order diya aur kuch hi derr me khaana bhi aa gaya.

Veer apne haatho se kabhi Juhi ko khilaata toh kabhi khud khaata. Aur uske saare actions Nidhi observe kar rahi thi.

'He's such a gentleman. He'll be a very good husband...'

Wo veer ko dekh sochte sochte apne khayaalo me doob gayi. Par jese hi usse dhyaan aaya ki wo kya soch rahi thi usse khud pe hairaani hui aur ek shock bhi laga.

'Mein... Mein kya sochne lagi achanak!? No wayyy...'

Khaana khaane ke baad hi Juhi bechaari itni thakaan aur ann ke nashe ke baad apne Veer maamu ke kandhe par sarr rakh ke neend ki waadiyo me jaa chuki thi.

Abhi wo uthane hi waale the ki waiter aaya aur unhe 3 badi chocolates ek tray me serve kiya.

Waiter : Wednesday special hai Sir, Ma'am.

Aur itna bol wo chala gaya.

[Ab isse kehte hai kismat master.]

'Hahaha~ Ab bolo!? But waqai... Ek din... Ek din mein Juhi ke liye poori chocolate ki factory khareedunga.'

[I'll wait!]

Nidhi : Shreya ke liye bhi pack karwa lete hai kuch.

Veer : Jii!

Wo dono baahar bill pay karne ke baad baahar nikle aur kuch hi derr me apne ghar ki orr pohuch chuke the.

Veer ne Juhi ko bed pe litaaya hi tha ki...


*Ding*

[Mission ~ Go on a date with Nidhi has been completed.]

[30 points have been rewarded.]

'Huh!? Wait.... Whaaaaaaaaaaaatttt!?'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!

Dhanyavaad!
Excellent update
 

bd sharkar

Active Member
1,826
5,075
158
Update - 28 ~ The Chase
Ab tak...

*Ding*


[Mission : The chase
Info - Chase down the unknown guy and bring back the diamond ring.

Rewards - 1) ?? Points.
2) Life time favour from Suhana.

Time Limit - 6 days.]


'Fuuuuccckkkkkkk!!!'

Ab aage...

Veer ke Bhumika ki hotel se chale jaane ke baad sabse bada jhatka iss waqt hotel me hi khadi Bhumika ko laga tha. Uske hotel se itni keemti diamond ki ring chori ho jaana, upar se wo ring kisi aise wese vyakti ki nahi thi. Sonia jesi hasti uske hotel me thi, saath hi saath Veer ka waha aa jaana.

Iss waqt wo tension ke chakravyuh me fassi hui thi. Jhatka usse ring ke chori hone se toh laga hi tha par abhi abhi jo usne dekha wo sab kuch usse aur dang karte jaa raha tha.

Veer Sonia ke saath saath baitha tha, ekdum baraabri se, uske baad Veer ne Suhana ko aise shabd bole ki wo dekhti reh gayi. Aisa lag raha tha maano, ek parent apne bacche ko samjha raha hai. Aur sabse zyaada hairaan kar dene waali baat ki...

Suhana kuch nahi boli. Bhumika jaanti thi ki Sonia aur uski behan Suhana me zameen aasmaan ka antar tha. Wo jaanti thi ki Suhana kis type ki aurat thi. Uske bawajood, Veer ke dwara itna sunn'ne ke baad wo kuch na boli.

Bhumika dekh paa rahi thi ki Suhana aankhein faade Veer ko jaata hua dekh rahi thi par bol kuch bhi nahi paa rahi thi.

'W-What!? What just happened?'

Mann me kayi sawaal liye usse majbooran pehle anguthi ki gutthi suljhaane me lagna pada.

Police ko already inform kar diya tha Sonia ne. Par Suhana ke kehne par ki anguthi chori hone ki baat unke Dad ko na bataayi jaaye, Sonia ne police waalo ko keval apne se hi contact me rehne ke liye keh diya.

Na keval yahi, Sonia ne jwellery shop waale ko bhi saari baatein bata dii aur uss se help karne ke liye request kari. Pehle toh wo nahi maana par Suhana aur Sonia dono ne hi jab kayi baar request kari toh usse akhir me maan'na hi pada.

Kal unki Mom ka b'day tha aur Sonia aur Suhana ke Dad kal besabri se apni wife ko anguthi dene ke intezaar me the. Jwellery waale ko bas jhooth kehna tha ki diamond ring kisi cheez ke chalte late ho gayi hai aur bann'ne me thoda aur time lag jaega.

Usse iss jhooth kehne pe zaahir sii baat thi ki daant padne waali thi par yahi pe Sonia aur Suhana ne usse aasvashan diya ki wo dono hi apne Dad ko samjha dengi aur sambhaal lengi.

Kherr! Yaha se baahar nikal ke Veer maano iss waqt khud ki kismat ko kos raha tha.

'Wtf Pari!? Wtf!? Ring dhund ke lau mein!? Really? Are you kidding me? Kitne acche se mene uss Suhana ki bacchi ka muh band kiya tha aur ab ussi ke liye Ring dhundu? Fuuccccckkkkk!'

[I-I... I can't help it master.]

'Fuccccckkkk! Dammmnnnn!'

[...]

'And what the hell is this mission? Huh? Chase down the unknown guy? Abe jab pata hi nahi ki kisne churaayi hai toh kaha se dhundu usse? And how am I supposed to chase him? Kaun hai wo, kaha hai wo mujhe kaha pata hai kuch? Aur iss baar location kyu nahi mili mujhe uski?'

[Master! Don't worry! Maybe mission will get updated. Aur uske baad kuch aur details aapko shayad mile. Mein assume kar rahi hu ki jisne bhi ring churaayi hai wo abhi iss waqt ek jagah par nahi hai. Isliye system didn't gave you the exact location. Ragini ke case me alag tha. She was kidnapped and was held as a hostage in that building. So, aapko waha system ne location dii thi.]

'I see!'

Apni Apache ko repte hue Veer ek society ke baahar pohucha aur gaadi rok ke waha khada ho gaya.

[You missing Juhi!?]

'Hmm!'

[Then go and meet her.]

'You know I can't. Wo peeche pad jaegi. Mein usse rulaana nahi chaahta.'

Veer society me hi gaadi par baithe upar Nidhi ke flat ki balcony me dekh raha tha ki achanak peeche se uske kaano me ek awaaz aayi,

"Veer!?"

'Huh!?'

Palat ke jaise hi usne dekha toh saamne Shreya aur uski ungli pakde Juhi khadi hui thi. Shreya ekdum stabdh apna muh khole usse dekh rahi thi.

"Veeeeeerrrr maaaamuuuuuu!"

Juhi achanak hi chillaayi aur Shreya ke haath se apni ungli churaate hue tezz kadmo ke saath bhaagti hui seedha Veer ke paas aayi.

Aur...

"Veeeer maaamuuuu!"

Aate hi uske perr se chipak gayi.

"Juhi!!!"

Ek pal nahi laga, ki Veer ne forun hi gaadi se utar kar Juhi ko apni goad me utha liya. Aur usse goad me lete hi Juhi kisi bandar ki tarah uske gale se lag ke chipak gayi.

"Maaaamuuuu!"

Kuch derr tak bas khaamoshi hi chhaayi rahi.

Shreya dheere dheere aage badhi aur Veer ke sameep aayi. Uske haath me ek thaili thi jisme kuch sabziya nazar aa rahi thi. Aur Veer samajh gaya tha ki Shreya dinner ke liye sabziya lene gayi thi. Ye kaam Nidhi aur Veer karte the college se saath me lautate waqt. Par lagta hai, uske jaane ke baad se ghar ka routine kayi hadd tak badal chuka tha.

Shreya ne boht hi halki sii ek muskaan dii aur boli,
"Kese ho?"

Veer : I-I'm good. Aap?

Shreya (smiles) : I'm trying to be good.

Uske bol sunn, Veer ko bilkul bhi accha na laga. Jis haal me Veer ne Shreya ko last time dekha tha. Wo jaan gaya tha ki Shreya bhi boht udaas hai aur ek sukhi zindagi jeene ke liye athak prayaas kar rahi hai.

Shreya : So? Kidhar ho abhi tum?

Veer : Mein... Wo... Bhabhi ke yaha.

Shreya : ?? Bh-Bhabhi?

Veer : Hmm!

Shreya (frowns) : Par...

Veer : It's okay! Boht sii baatein sort out ho chuki hai. There's no need to worry now.

Shreya : If you say so.

Veer : Umm... Wo... H-How's she?

Uske sawaal par Shreya ne kuch pal usse dekha fir maayusi bhari ek muskaan dete hue boli,

"She's sad..."

Veer : ...

Shreya : and broken...

Veer : ...

Shreya : Desperate...

Veer : ...

Shreya : and...

Veer : Bas... Please! I-I know... And Please, unhe mat bataana. Wo mujhe firse waapas laane ki zidd karengi. And, you know me right? Mein aise nahi reh sakta. I-I... I have to go now.

Veer ne kehte hue jese hi Juhi ko utaarna chaaha toh wo chillaate hue aur zorr se uski shirt ko bheenchte hue uss se chipak gayi.

Veer : J-Juhi!? Veer maamu ko kaam hai. Please! Jaane do unhe.

Juhi : Niiiiiiiiiiii...

Veer : Maamu tumhare liye chocolates laaenge!

Juhi : Niiiiiiiiii...

Veer : Juhi! Please!

Par Juhi toh jese maan'ne ko hi taiyaar nahi thi.

Shreya : Sab tumhari galti hai. Ab bhugto! Kyu itna pyaar dete ho jab jhela nahi jaata? Ab tum hi sambhalo, mein koi madad nahi karne waali.

'Pari!? Shreya jii ki favourability kitni hai?'

[38]

'Ohhh! I never thought ki unki favourability itni hogi. Wait! I never checked Juhi. Juhi ki kitni hai? Kya mein uski dekh sak..'

[72]

'Huh!?'

[I said, 72]

'Wtf?????'

Veer ne apna chehra mod waapas se Juhi ko dekha jo iss waqt uss se lipti hui thi aur kahi se bhi uske iraade Veer ko chorrne ke nazar nahi aa rahe the. Uska apne prati itna pyaar dekh, aur usse aise haal me chorrne ke liye Veer ko na jaane kyu par khud pe hi gussa aane laga.

'I-I... Damn it! I'll fix everything. I'll fix everything soon. I'll make them happy. Thoda samay aur Juhi. Thoda samay aur... Dekhna... Tumhaare maamu sab kuch sahi kar denge.'

[🥺]

Juhi ke gaalo ko chumte hue Veer ne na jaane uske kaan me aisa kya kaha ki Juhi palat ke usse dekhi aur fir puchi,

Juhi : Pakka?

Veer (nods) : Pakka!

Juhi : Hmm!

Aur agle hi pal Juhi apne aap se Veer ki goad se utri aur Shreya ke paas jhatt se aake uski ungli pakad lii.

Shreya (surprised) : Aisa kya kaha tumne isse?

Veer (smiles) : Wo hamara secret hai.

Shreya : Tum dono bhi...

Veer : I have to leave now.

Shreya (frowns) : Ek baar atleast unse mil lete.

Veer : Nahi! Unse milunga toh... Wo mujhe rok lengi. I must leave. Urgent kaam hai. And... Yadi koi bhi dikkat ho, you have to call me no matter what. Okay!?

Shreya : O-Okay! I will!

Veer : Hmm!

Aur Veer Nidhi ke society se nikal pada apni dusri destination ki orr.

Jo ki tha uska apna ~ college.

Departure hone me bas kuch hi minute baaki the aur Veer khade hue campus ki entrance me hi nazre gadaaye hue tha. Uski bike abhi bhi chaalu thi.

Kuch derr me hi departure hua aur Veer ki nazre jisse dhundh rahi thi wo usse dikhaayi dii.

Nidhi ek navy blue saree me baahar aayi, wo kisi ladki ko chalte chalte kuch samjha rahi thi.



images-14

Veer ki aankhein Nidhi ko dekhte hi uspe hi tik gayi. Jese wo maano kisi chumbak ki tarah thi jis se nazre hataana mushqil tha.

Behad khubsoorat!

Pata nahi isse sanjog kahe ya kismat par Nidhi ki nazre achanak hi waha gayi jaha Veer khada hua tha.


images-15

'Shit!'

Veer ne jese hi bhaanpa ki Nidhi idhar dekhne wali hai toh usne gaadi ko turant hi accelerate karke aage badha diya.

Nidhi : ?????

'Huh!?? Kya wo...!? Veer tha!? No! Uske paas gaadi nahi hai. Then why did he...?? He looked like Veer. Kya ye mera veham hai ya waqai wo waha pe tha? Am I thinking too much?'

Wo sochte sochte apni gaadi ki orr chal dii.

Idhar Veer laut ke jese hi Ragini ke ghar aaya tabhi...

*Ding*

[Mission updated :

Info : Chase down the unknown guy and bring back the diamond ring.

Location : XXXXXXXXXXX Train from Mumbai to Jaipur.

Time : 11 : 15 PM

Rewards : 1) ?? Points.
2) Life time favour from Suhana.

Time Limit - 6 days.]

'Huh? Wtf!??? Jaipur? Train? Mazaak chal raha hai kya? Kaun gandu hai ye jo chura ke bhaaga hai mc? What nonsense is this? Pari? The fuck is this? I have to go Jaipur? Rajasthan kyu jaa raha hai ye gaandu? Who the hell is this guy? Itna maarunga na saale ko. Saala idhar hi nahi ghum sakta tha? Shitttt! Reservation ka kya Pari!? TC gaand maar lega bija reservation ke baithe toh. Fuccccckkkk! Ab toh reservation bhi nahi milega.'

[Aapko bina ticket ke hi travel karna hoga. You will have to chase him inside the train.]

Pari ki baat sunte hi Veer ke shareer ke roye khade ho gaye. Usse na jaane kese kese mod par laake khada kar rahe the ye missions. Uss din Ranga ke khilaaf ladaayi me jese uski jaan jaate jaate bachi thi. Aur ab ye...

Bina ticket ke ek anjaan aadmi ko train me dhundna jisne 1.57 crores ki ring churaayi hai.

[Start your packing and prepare. Aapko paise lagenge. Also, jitna bhi zaroori samaan hai sab bag me rakh lijiye.]

'But... M-Mene kabhi aise train me bina ticket ke...'

[Don't worry! You are not alone.]

Pari ke saath hone se Veer ki bechaini thodi boht kam toh hui thi par andar se jo darr tha wo abhi bhi khatam nahi hua tha.

Darr tha ek anjaan se.

Usse nahi pata tha wo kis disha me jaa raha hai, kaun hai jisne churaayi hai ring, usse kuch bhi nahi pata tha. Aur yahi darr Veer ko sata raha tha.

'Show me my stats!'

[ Stats :
Strength - 50/100
Intelligence - 35/100
Agility - 30/100
Endurance - 30/100
Appearance - 22/100]

'Phew! Looks better than before.'

[Don't worry! I'll guide you.]

'Hmm!'

Veer ne packing shuru kar dii thi. Jab Ragini usse shaam ke waqt snacks khaane ke liye bulaane gayi toh wo hairaan ho gayi ki Veer apne backpack me samaan rakhe jaa raha tha.

Ragini : Kaha jaa rahe ho Veer!?

Veer : Kaam se sheher se baahar jaa raha hu.

Ragini (shocked) : Whaaaaatttt!?

Veer : Jiii! Please! Puchna mat. Abhi nahi bata sakta. Mera jaana zaroori hai.

Ragini : H-Huh!? No! Wait! W-What!?? Ye tum kya..?

Veer : Don't ask me Bhabhi! Bas itna samajh lijiye mujhe jald se jald abhi kisi urgent kaam ke liye jaana hai.

Ragini : P-Par aise achanak se kaha Veer? Aur Sheher ke baahar kis liye? Kaun rehta hai sheher ke baahar jis se milne jaa rahe ho? Kaha jaa rahe ho? Kaun se sheher? Aur akele kese? Mujhe bataya kyu nahi? Kya kaam hai...!?

Veer : Bhabhi! Please! Shaant! I cannot tell you the details. But... Trust me, I'll be fine. Kuch kaam hai. Boht urgent.

Ragini : ...

Veer : Please!

Ragini : Promise me you'll tell me. Waapas aane ke baad. Promise me.

Veer : I... *Sighs* Fine! I promise.

Aur uss se promise lete hi Ragini jhatt se bhaagte hue neeche gayi aur kuch derr baad upar aayi.

Aate hi usne kayi saara cash Veer ko thama diya.

Ragini : Take this! And haa, mein na nahi sunungi. Tumhaare liye mein tiffin bhi bana ke rakh rahi hu. So wait!

Veer : Bhabhi! Iski koi zaroorat nahi hai. Mein picnic ke liye nahi jaa raha.

Par Ragini ne toh jese ek na suni. Usse poora ready kar diya jaane ke liye. Jese ek parent apne bacche ko school bhejne se pehle ready karta hai bilkul waise hi.

Raat ke 10 baj chuke the aur Veer ghar se nikalne waala tha.

Ragini : Be safe.

Veer : Hmm!

Ragini : Tumhara... Tumhara b'day...

Veer : ??

Ragini : 2 din baad hai. Will you come by then?

Veer : I... I won't be able to. Sorry!

Ragini : ....

Veer : Really... I... I'll try...

Ragini : I'll wait! Be safe.

Veer : Bye!

Ragini : B-Bye!

Aur Veer ghar se station ke liye chal pada.

Station pohuchte hi uski dhadkane aur tezz ho chuki thi.

*Huff* *Huff*

Uski saasein zorr zorr se chal rahi thi.

[Caaaaalmmm downnnn master!]

'Y-Yeahhh!'

[Don't worry! I'm here!]

'Yeah!'

[Kya aapne iske pehle kabhi train me akele safar nahi kiya?]

'Never!'

[I see! You'll have to be wary of TC. Uss se bach ke rehna hoga.]

'Yeahhh!'

Aur jis samay ka intezaar tha wo aa hi gaya.

Train platform par aa chuki thi. Raat ke 11:15 ho chuke the aur raat ke samay me thand bhi mehsoos kari jaa sakti thi.

*Fuuuuuu*

Ek gehri saas chorr Veer train me ghusa. Wo sleeper coach me hi ghusa. Ticket nahi thi uske paas. Keval apna ek backpack daale wo andar ghus gaya.

*Ding* *Dong*

"Yaatri gadh kripya dhyaan de..."

Baahar station par shor sharaaba chaalu tha. Kayi saare log aa rahe the aur jaa rahe the. Train me ghuste hi Veer ek jagah dhundne laga. Kyuki Train Mumbai se hi bann ke jaati thi toh abhi station par lagte time poori khaali padi hui thi. Aur bheed Mumbai se hi pehle ghusi.

Kuch hi palo ke andar Train kaafi kuch bhar chuki thi.

Veer ek RAC ki birth pe baith gaya. Aur aane jaane waale logo ko dekhne laga jo samaan leke idhar udhar coach me ghuste jaa rahe the.

'Shit! How am I supposed to find him. Itne saare logo ke beech. Pari! I can't... This is madness.'

[Use the elimination method.]

'Huh?'

[Aapko sabhi ko check karne ki zaroorat hi nahi hai. First we'll try the elimination approach.]

'What do you mean by that?'

[It's exactly as it sounds.]

'???'

[Unhe check kariye jo kam samaan leke enter hue hai. Probably young logo ko. Jo thode badmaash se bhi nazar aate hai unhe bhi. And check only boys. I don't think ki koi ladki ne ye chori ki hai.]

'But what if they are partners? Aisa bhi toh ho sakta hai ki ladka ladki ne mil ke chori ki ho aur safety ke liye ladka Ring ladki ko dede taaki kisi ko shaq na ho?'

[Hmm! You can be right too. Uske liye hum dusri approach try karenge. You have enough time. Train kal 2 baje ke aas paas Jaipur pohuchegi. You have more than enough time.]

'But... Yadi wo beech me hi kisi station me utar gaya toh!?'

[Mission will get updated. So don't worry!]

'I see!'

[Nazar banaaye rakhiye. Keep checking. Iss coach me jitne bhi hai sabhi ko check kar daalo. And then...]

'I know... I got it.'

Veer utha aur dheere dheere chalte hue harr ek shaksh pe nazre daal usse ahista ahista check karta gaya. Kabhi wo kuch derr wahi khada ho jaata aur jese tese kar unhe check kar unka status read karta. Aur jab koi na milta toh waapas se aage badh jaata.

Usse na jaane kitne log mile. Koi khaana khaane me busy tha toh koi berth pe chaadar bicchha raha tha, koi apne bags set kar raha tha toh koi hassi mazaak me laga hua tha.

Par Veer yaha ekdum tensed tha. Ek galti... Aur uske haath se chor yu nikal ke bhaag sakta tha.

'Check!'

[Name - Nishant...]

'Check'

[Name - Mohit...]

'Check'

[Name - Baldev...]

'Check'
'Check'
'Checkkkkk!!'
.
.
.
'Checkkkk! Dammmnnn itttt!!!'

[...]

'Poora coach chhaan maara ye. But yaha nahi hai wo.'

[You just searched one coach. 20 se zyaada honge abhi toh.]

'Fuuuccckkkk!'

Abhi Veer dusre coach me ghusa hi tha ki ek awaaz ne uske kaan khade kar diye.

"Ticket... Ticket!"

'Shiiiiitttttt!!!'

Saamne hi uske Ticket checker khada hua tha. Wahi kaala blazer aur kaala pant daale.

Veer palat'te hue tezz kadmo ke saath washroom ki orr bhaaga.

Par...

Wo akela nahi tha...

Jese uske saath koi aur bhi bhaaga. Veer ne jese hi washroom ka gate khola, andar ghusa aur gate waapas se band karne ke liye hua ki tabhi...

Uss se pehle hi ek aur shaks uske saath andar ghus gaya.

'Wtf?????'

[...]

Baahar washroom ke paas waali berths me baithi kuch mahilaayo ne jese hi ye dekha toh unke muh khule ke khule reh gaye.

"Haiye daiyaaa!"

"Baap re!!! Kese kese shauk rehte hai re..."

"Wahiii! Kya dekh liya mene bhi. Do marad ek saath ek bathroom me."

"Kese bhaagte hue andar gaye."

"Na jaane kya kar rahe honge andar!"

"Dhattt! Ab tu kya sochne lagi?"

Idhar baahar ho rahe scene se anjaan Veer iss waqt hakke bakke khade andar aaye vyakti ko dekh raha tha.

'Yooo wtf?? What the hell is wrong with this dude?'

Ladka : Wo... Asal me... Mere paas ticket nahi hai. Isliye.

Veer : Huh?

Ladka : ...

Veer : Ohh! Wo... Mere paas bhi actually...

Ladka : Accha!

Aur bas itna bol wo chup ho gaya.

'Damn! Meri tarah ye bhi bina ticket ke safar kar raha hai.'

Veer aur wo ladka yu hi khade rahe. TC ke jaane ka dono hi wait kar rahe the. Aur andar mahaul itna awkward tha ki pucho mat.

Jagah mootne ke liye thi, par mootne waala koi nahi tha. Andar 2 log the. Par bas ajeebo gareeb mahaul tha.

'Fuuucccckkkkkk!!'

Veer ne khamoshi me hi khade reh ke saamne uss bande ko dekha. Dikhne me umr me uss se bada prateet ho raha tha. Haath me ek chota sa kaala bag.

Sar pe topi aur jeb me chashme. Veer ne dekha ki wo ladka kuch baat nahi kar raha tha aur na hi uss se nazre mila raha tha.

Ye bhaanpte hi Veer ki bauhe sikudi par tabhi...

Wo banda gate khol baahar nikalne laga.

'Check!'

[Mission Target
Name - Jatin

Age - 28
Bio - Jatin, apne boss ka right hand aadmi. Jeevan me keval paisa kamaana hi uddeshya hai. Haath ki safaayi aur choriyo ke liye jaana jaata hai. Peshe se gunda hai.

Favourability - 0
Relationship - Strangers.]

Upar likhe do shabd ~ Mission Target

Saaf saaf batla chuke the ki uska matlab kya tha.

Yahi insaan tha target.

Unn shabdo ko dekhte hi uski aankhein felti chali gayi...

"Shit!!! You bastard!!"

Veer chillaaya aur aage badh washroom se nikal usse jakadne ke liye usne apne haath badha ke uss Jatin ke peeche ki shirt thaami.

Par jese Jatin ne forun hi bhaanp liya tha.

Aur agle hi pal...

*Thud*

Ek zorrdaar dhakka usne Veer ko ghumte hue diya aur usse side me dhakel diya.

Washroom ke bagal se hi train ka darwaaza tha jo ki badkismati se khula hua tha...

[...]

Veer ki aankho ne jese uss ek shan me apni maut dekhi...

Uski body aage ki orr jhukti hui baahar hi girti ki tabhi...

'Huh!??'

Ek khichaav sa mehsoos hua usse apni shirt ke peeche.

Aur agle hi pal...

Kisi ne zorr se usse kheench ke peeche kiya.

"Haah.... Haaah!!!"

Zorr zorr se saasein lete hue Veer achanak hi wahi ghutno ke bal gir gaya.

Side me khule darwaaze se aa rahi hawa aur train ki awaaz jese uske dimaag me ghanti baja rahi thi aur bata rahi thi ki wo marrte marrte bacha hai.

Uske baal hawa se idhar udhar ho rahe the aur saasein ekdum train ki raftaar ke maafiq...

"Thik ho na bhai??"

Tabhi ek awaaz uske kaano me padi.

Usne dekha ki ek uske hi jitni umr ka ladka khada hua tha. Dikhne me koi ameer ya middle class family ka nahi lag raha tha. Boht hi simple se kapde pehne hue tha.

Veer : Wo...

Ladka : Mene dekha tha... Wo ladka tumhe dhakka deke gaya. Madarchod saala. Koi dushmani hai kya uss se? Jaan lene jaa raha tha wo tumhari.

Veer : Mein usse hi dhund raha tha. Anyways! T-Thanks for saving me.

Ladka : Itni angrezi nahi aati bhai. Itni angrezi aati toh mein bina ticket safar nahi kar raha hota. Hahaha~

Wo hasste hue Veer ko uska haath pakad uthaaya.

Ladka : Kya naam hai wese?

Veer : Mein Veer... Aur tum?

Ladka : Golu bula sakte ho. Toh? Wo sab kya tha?

Veer : Kuch nahi! Bas...

Golu : Puraani dushmani?

Veer : Huh!? Shitttt! Kaha gaya wo...! Mujhe jaana hoga.

Bina peeche mude Veer aage bhaagte hue coach me ghus gaya.

"Arre... Suno toh..."

Golu ki awaaz aayi peeche se par Veer na ruka. Iss waqt sabse zyaada zaroori kaam tha uss Jatin ko pakadna.

'Daaaamnnn ittt! Damn it! Damn it! Damn it! Shiiiittttt!!! He was right there... Asaani se daboch liya hota mene usse. Shiiitttt! Fuccccckkk! Where did he went??'

[It's okay! Kam se kam we know his name and his appearance now. And... Aap... For a second I got scared there. But thanks to him. Usne aapko pakad liya sahi waqt pe peeche se.]

'Y-Yeah!!'

Veer ne zyaada kuch na kehte hue apne kadam badhaaye. Uska dil itni zorr se dhadak raha tha maano jese baahar hi aa jaega.

Pal bhar ke liye uske mann me ek sawaal aaya ki...

Yadi aaj uski yaha maut ho jaati toh?

Nidhi ka kya hota!? Juhi!?? Kavya? Shreya!? Kya hota inn sab ka?

Veer toh inn sabhi ko firse kabhi na dekh paata. Ye khayaal aate hi uske darr ke maare raungte khade ho gaye.

Shayad ab usse iss baat ka abhaas ho gaya tha ki akhir kyu aadmi maut se itna darrta hai.

*Huff* *Huff*

[Calm down! Calm down master!]

'...'

[Lambi saasein lijiye. Don't worry! We'll find him. 6 days. Y-You have 6 days.]

'H-Hmm!'

Khud ko kaabu me kar wo aage badha. Train ek station par pohuch chuki thi.

Na jaane wo Jatin kidhar pe chhupa hua tha par itna toh pakka tha ki uski manzil bhi Jaipur hi thi.

Yadi wo yaha se bhaag gaya hota toh pakke se mission update ho chuka hota aur Veer ko nayi location mil gayi hoti.

Par aisa kuch bhi nahi hua tha. Iska matlab saaf tha.

Jatin idhar hi kahi tha.

Train se utarte hue Veer station me idhar udhar nazre maarte hue poore area ko scan karne laga. Iss waqt Jatin ko dhundna, uske liye kisi khet me suyi dhundne jitna kathin kaam tha.

'Damnnnn itttt!!!'

Raat ke 3 baj rahe the aur Veer ko ab neend aana shuru ho chuki thi.

Pari ke kehne par usne thodi derr araam karna hi behtar samjha. Ek khaali jagah milte hi Veer waha baith gaya.

Manzil yadi uss Jatin ki bhi wahi thi toh araam karne me koi harz nahi tha.

Akhir wo Jatin bhi iss waqt kahi na kahi chhup ke araam hi farma raha hoga.

Raat bhar ke samay pata nahi kese nikal gaya, Veer ki jab neend khuli toh already 7:30 baj chuke the.

Mission me koi changes nahi aaye the iska matlab, Jatin ab bhi train me hi kahi maujood tha.

Ek baar fir wo apne mission ko anjaam dene ke liye ready hua par...

Par ya toh isse ab badksimati kahe ya ek ittefaaq par Veer ko Jatin kahi bhi nahi mila.

Shayad Jatin jese samajh chuka tha ki Veer uske peeche hai aur wo mauka dekh ke harr station par utar utar ke jese apni position badal raha tha. Ek baat aur thi, wo ye ki uske paas cap aur chashma tha.

Wo badal badal ke apna unhe pehenta aur ek coach se dusre coach me jaata rehta.

Dekhte hi dekhte Veer ki train apni destination par pohuch chuki thi.

Veer ki aankhein kam sone ke kaaran ekdum laal ho chuki thi. Saath hi saath usne Ragini ke dwaara bheja gaya tiffin tak nahi khaaya tha. Bhook bhi zoro ki lagi thi usse.

'I'll kill him. That bastard. He was going for the kill. Usne zara bhi nahi socha mujhe dhakka dene se pehle...'

Veer train se baahar aaya aur firse...

Usne dekha...

Ekdum bhakkam bheed thi station me. Poora bhara hua tha. Aise me usse uss Jatin ko dhundna tha jo ab na keval train me rehne waala tha balki poore Jaipur me kahi bhi jaa sakta tha.

'Damnnn ittt!! Just where did he went???'

Usne kheejte hue mann me chillaaya. Lagta hai... Ye safar uska... Lamba hone waala tha.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!

Pasand aaye toh like kar dena.
Eexcellent
 

bd sharkar

Active Member
1,826
5,075
158
Update - 30 ~ The Best Gift

Ab tak...

Jese hi usne aankhein khol ke dekha toh paaya ki...

Suman ekdum nangi apni dono doodh ki thailiya uske seene par tikaaye usse hi nihaar rahi thi aur muskuraa rahi thi.

Uske baad wo boli,

"Subah ho gayi... Ma-Maalik!"

'Huh?? Wait!!!! What did she sayyyy???'


Ab aage...

Mumbai...
At Nidhi's Home...

Subah subah Nidhi badi hi pareshaan sii hall me hi sofe par viraajmaan thi. Haatho me phone tha aur aankho me nami.

'He doesn't even replies to me. Phone karti hu toh wo bhi nahi uthaana hai usse. Kya itna bura laga hai usse meri baato ka? Jo ab wo mujhse baat bhi nahi karna chaahta? Kya ho gaya tha mujhe bhi uss din? Uss... Uss din itna kese bhadak gayi mein uspe? Meri hi galti hai. Bura laga hai usse tabhi toh dekho na... Na mere calls utha raha hai, na meri baatein maan raha hai college roz aane ki, na messages seen kar raha hai. Itna... He's... He's stupid... Idiot... Pagal... He...'

Nidhi bechaari, Veer ke hi baare me sochi jaa rahi thi. Akhir uska contact jo nahi hua tha Veer se uss raat se. Bechaini se bharpoor thi wo iss waqt. Upar se Rajat ka alag tension. Kahi Rajat ne Veer ko kisi pareshani me toh nahi daal diya. Dherr saare sawaal umad rahe the uske mann me.

Apni aankho me bann rahe aasuo ko poch wo uthne hi waali thi ki uski jaangh pe uske gown ko kisi ne pakad ke kheencha,

Dekha toh Juhi thi jo abhi abhi apni aankhein malte hue uske paas aayi thi.

"Uth gayi meri bacchi!?" Nidhi ne usse thaamte hue apne seene se laga liya.

Juhi : Mmmm

Nidhi : Chalo! Ready kar du tumhe. School bhi jaana hai.

Juhi : Mummy aap yaha kyu baithi ho? Tiffin me kya rakhogi aaj?

Nidhi : Kuch nahi betu. Tumhaare Veer maamu... Boht tang karte hai tumhari mummy ko...

Juhi : Mmm? Veer maamu!? Veer maamu se toh mein parso hi mili thi Ehehehe~

Juhi ki baat sunte hi jese Nidhi ko ek jhatka laga. Uski beti bhala kab aur kaha mil lii Veer se?

Nidhi : ??? Tum?? Kaha!??? Kaha mili thi beta Veer se? Wo toh...

Juhi : Hmm? Parso jab mein maasi ke saath bazaar gayi thi toh waha se jab aaye... Toh Veer Maamu neeche hi khade thi bike pe.

'Bike!??? That means... It was him!!!!!!!'

Nidhi apni bacchi ko kass ke thaame usse ghur rahi thi. Aur uss se jaldbaazi me sawaal karte jaa rahi thi. Jese maano Veer se judi harr ek information wo Juhi se jaan'na chaahti thi.

Nidhi : T-Toh? F-Fir kya hua? Kya kaha usne? Aapke Veer maamu ne?

Juhi : Wo bole unhe kuch kaam hai aur chale gaye... Mummy! Mujhe toilet aayi hai...

Juhi itna bol Nidhi ke aachal se nikal tezz kadmo ke saath andar washroom me bhaag gayi.

Par Nidhi ka sawaal poora nahi hua tha. Sabse bada sawaal ki Veer iss waqt kaha reh raha hai...?? Ye toh woh puchna hi bhul gayi.

Ye khayaal aate hi jese hi wo palti aur Juhi ko awaaz lagaane waali thi ki tabhi, usne dekha ki Shreya darwaaze ki dehleez pe khade usse hi dekh rahi hai.

'???'

Shreya : Don't worry! Wo apni Bhabhi ke saath reh raha hai. Remember? Wahi Bhabhi... Jinhe wo uss din bachaane gaya tha?

Nidhi (surprised) : Tumhe...?? Noo!!! Wo tumse milne aaya aur tumne mujhe bataaya tak nahi Shreya? Itni badi baat...

Shreya : Chill!!! Uska kehna hai ki wo aapke saath nahi reh sakta. Kyuki wo aapki situation jaanta hai aur wo guilt conscious banda hai. Uss se aise nahi raha jaega. Isliye, wo waha reh raha hai.

Nidhi : Aur kaun tha jisne usse meri sacchaayi ke baare me bataaya!? Haa?

Shreya : I...

Nidhi : Mene tumhe mana kiya tha na Shreya? Mene mana kiya tha na? Fir kyu tumne usse...

Wo Shreya ko acchi khaasi sunaati par tabhi usse kuch shabd yaad aa gaye.

'Shreya ji ko mat daatiyega, unhone mujhe wo sab batana zaroori samjha isliye bataaya tha shayad.'

Aur bas...

Nidhi ke khule honth apne aap hi band ho gaye. Letter me Veer ne spasht likha tha ki Shreya jii ko na daanta jaaye. Ab bhala Nidhi uski baat kese nahi rakhti? Uski maujoodgi na hone par bhi, iss tarah se uska mehatv bann chuka tha uske ghar me.

"Idiot...!"

Wo badbadaati hui uthi aur seedhe kitchen me chali gayi.

Par saamne khadi Shreya sab kuch dekh paa rahi thi. Wo dekh paa rahi thi ki kitna significance tha Veer ka Nidhi ke upar aur saath hi saath Juhi par bhi... Even uske khud ke upar bhi.

Wo khud ek gehre chintan me doob gayi.

'I wonder how it would look if he was my Sister's husband!...'

'????'

'Huh?? Wtf!?? Wait! Mein kya sochne lagi??'

Apna sarr hilaate hue wo andar chali gayi.

***

Rajasthan...
At Suman's home...

Veer : Hmm! Toh ab bataogi ki ye kya chakkar hai? Kyu mujhe aap...

Suman : Tum kehke bulaaiye mujhe maalik... Tum... Tum keh ke... Kripya kar!

'She..'

Veer (sighs) : Hmm! Toh ab bataogi ko ye sab kya chakkar hai? Kyu tum... Kyu tum mujhe maalik keh ke bula rahi ho?

Veer kal ki hui ghatna ke baad mann me dherr saare sawaal liye hue tha. Ab chuki wo dono ka hi clear mind tha, Veer ne forun hi sawaal puchna sahi samjha.

Wo iss waqt ussi bistar par baitha hua tha jispe kal raat dono ne hi rangreliyaa manaayi thi. Uske perro ke paas uski jaangh par haath rakhe Suman baithi hui thi jo keval muskuraa ke Veer ko dekhe jaa rahi thi.

Suman (smiles) : Ye toh hona hi tha ek na ek din maalik!

Veer (frowns) : Kya matlab!?

Suman : Maalik! Ye toh hona hi tha... Jis pal mene aapka seena dekha tha.

'Mera seena!?'

Sochte hue Veer ne jese hi apne seene par nazar maari toh usse nazar aaya...

Uska pendant. Wahi pendant jo uski Maa ne diya tha. Wo shirt ke baahar hi tha.

'Huh!?? So... That's why she kept looking at me like that!?'

Veer ne apne haatho me uss pendant ko thaama jo ek sone ki chain ka tha aur usme ek bada hi anokha sa neela patthar chipka hua tha.

Veer : Tumhara matlab hai ye?? Mera pendant?

Suman (nods) : Jii Haa maalik! Yahi! Aur isliye aaj se ye Suman aapki Daasi hai.

'Huh??? Wtf?? Did I heard that right!?'

[Hahaha~ You don't know. You just found the diamond. Wo Heere ki anguthi kuch bhi nahi, asli heera toh ab aapko mila hai master. Haha~ Who needs a diamond ring? When you can have a slave? Hahaha~]

'Oh come on Pari! This is serious.'

[Hehe~]

Veer (pendant pakadte hue) : Isme aisa kya hai?

Suman (surprised) : Maalik? Kya aapko waqai kuch nahi pata iske baare me?

Veer : Hmm? Nahi! Kyu?

Suman Veer ko aise dekh rahi thi jese maano koi bhoot dekh liya ho.

Suman : Maalik!??? Ya toh aap mazaak kar rahe hai ya anjaan bann rahe hai.

Veer : Dekho Suman...

Suman : *smiles*

Veer : ???

Suman : Mujhe accha laga aapne akhir kaar mujhe mere naam se bulaaya. Aur mera ye anurodh hai ki... Aage bhi... Aage bhi maalik... Aise hi mujhe bulaaye.

Veer : Ahem! Haa! Toh dekho Suman... Mein waqai kuch bhi nahi jaanta hu. Tum kya keh rahi ho meri samajh me kuch bhi nahi aa raha hai.

Suman : Par aisa kese ho sakta hai!? Huh!?? Zara rukiye maalik...

Wo hairaan hote hue kuch sochti hai aur fir Veer ko punah dekhti hai,

Suman : Ye aapko kisne diya? Aapke paas ye kese aaya?

Veer : Hmm? Ye!? Ye meri Maa ne mujhe janm ke waqt pehnaaya tha.

Suman (shocked) : Aapki Maa ne!?

Veer (frowns) : Hmm! Tum... Kya tum kuch jaanti ho?

Suman : Aapki... Aapki Maa ka naam kya hai!?

Veer : Bhavana!

Suman ye sunte hi forun khadi ho gayi hai aur muh faade Veer ko dekhne lagi. Stabdh nigaaho se wo usse ghur rahi thi.

Suman : Bh-Bhavana!?

'There's something wrong!'

[Ask her every possible detail master! Something is fishy!!!]

'Yeaaahhh!!'

Veer (frowns) : Tum! Kuch zaroor jaanti ho. Hai na!?

Veer ne khade hote hue agle hi pal kivaad ki chatakni andar se hi band kar lock laga diya.

Veer : Jawaab do!!

Suman haa me sarr hilaayi aur tezz kadmo ke saath almaari ki taraf gayi, usse khol wo kuch hi palo ke andar ek chaavi dhund ke laayi.

Uske baad wo neeche jhuki aur ussi bistar ke neeche se usne ek peti sarka ke nikaali.

Suman ki harr ek harqat Veer dekh raha tha aur uska dil zorr se dhadak raha tha. Zaroor... Zaroor kuch na kuch usse pata chalne waala tha jiske chalte usse shayad jhatke bhi lag sakte the.

Andar peti me se usne ek tasveer nikaali jo photo frame me saji hui thi aur Veer ki taraf badhaayi.

'??'

Sawaalia nazre liye jese hi usne wo photo dekhi...

Usse dikhaayi diya ki ek behad hi shandaar sa mahal ya haweli keh lo jo kaafi badi thi aur phoolo se saji hui thi. Koi bhi insaan nahi tha photo me. Keval ek mahal jitni badi haweli hi thi.

Veer (frowns) : Iska matlab kya hai!?

Suman : Maalik! Mein aapko zyaada kuch nahi bata sakti. Keval itna hi bata sakti hu ki...
Mein aur mera parivaar, mere purvaj asal me...
Hamesha se iss haveli me rehne waale logo ki seva karte aaye hai. Itne pehle se ki sahi anumaan lagaana naamumkin hai.

Veer : Kaun hai ye log? Aur ye haveli?

Suman : Mein nahi bata sakti. Mujhe maaf kijiyega. Mein vachan baddh hu. Bas itna jaan lijiye ki... Mein aur hamaare poorvaj iss haveli ke logo ke sevak the aur hai aur aane waale samay me bhi rahenge.

Veer : Par tumne abhi abhi kaha ki tum meri daasi...!? Wait!! Huh??

Jese usse realize hua...

Suman (smiles) : ....

Veer : Iska matlab toh yahi hua ki... Mein iss haweli se hu... Jo ki bilkul bhi sach nahi hai.

Suman : Ye jo aapke gale me tanga hua hai na??

Veer : Hmm!

Suman : Ye mene iss haveli me rehne waale logo ke paas dekha tha. Aur... Ye unka beshkeemti gehna tha.

Veer (surprised) : Yadi iss hisaab se chale toh... Doesn't that means ki meri Maa... Wo iss haveli ke logo me se ek thi?

Suman : ....

Veer : Ye log kaha hai abhi? Ye haveli kidhar hai?

Suman : Mein nahi bata sakti maalik! Mein vachan baddh hu.

Veer : Dammmn it!!! Toh... Toh ye toh bata sakti ho na ki tumhe ye vachan kisne diya?

Suman (nods) : Meri Nani ne...

Veer : Nani? Okay!! G-Good! Toh chalo... Kaha hai wo? M-Mujhe unse milna hai.

Suman : Maaf kijiyega par... Wo ab iss duniya me nahi hai maalik!

'Fuuuuccccckkkkkkk!!!!'

'There's something wrong!! Yadi Suman ka kehna hai ki wo aur uska parivaar Inn haveli ke logo ki sewa karta tha toh yaha toh wo meri sewa kar rahi hai. Keval mere pendant dekhne ke baad. Kyuki uske hisaab se ye pendant unn haweli ke logo ka beshkeemti gehna tha. Toh fir Mom ke paas kese aaya ye pendant? Did she stole it? No I don't think so. Iska matlab toh bas yahi darsha raha hai ki Mom inn haveli waale logo ke beech ki ek sadasya thi. Ya fir unhone Mom ko ye gehna diya ho? Par wo itna beshkeemti gehna kyu denge bhala? Aaaarrrghhhhhh!!!'

Veer ne kheejte hue apne baal noche. Itne saare sawaal umad rahe the ki uski kuch soojh nahi raha tha kya kare.

[Don't worry! Ye kaafi uljhi hui gutthi hai. Atleast aapko apni Mom ke baare me kuch information mili.]

'Yeaahhh! No wait....'

Kuch sochte hue wo forun hi palta aur Suman se pucha,

"Toh kya tum meri Maa ko jaanti ho? Bhavana?"

Suman Veer ko dekhi aur fir naa me sarr hila dii.

Suman : Nahi maalik!! Mein unhe nahi jaanti.

Veer (frowns) : Par tumhaare haav bhaav toh kuch aur hi the jab tumne mere muh se unka naam suna tha.

Suman : Jesa ki mene kaha maalik. Mein unhe nahi jaanti. Rahi baat mere haav bhaav ki... Toh mein iss se zyaada kuch bhi kehne ke liye vachan badhh hu maalik. Mujhe maaf kar dijiye maalik!

Suman ko Veer ne gaur se dekha aur ant me ek aah bhari. Kyuki Suman ko dekh ke hi pata lagaaya jaa sakta tha ki wo bilkul bhi jhooth nahi bol rahi thi.

Abhi wo baitha hi hua tha ki tabhi uska phone bajne laga,

Screen pe dekha toh...

'Ragini Bhabhi!?'

Veer : Hello?

Ragini : Happy Birthday Veeeeeeeerrrr!!

Ragini ki khil khilaati hui awaaz uske kaano me padi. Aur ye sunte hi Veer ke hontho pe ek muskaan fel gayi.

'I almost forgot... Ki aaj toh mera b'day hai. Bhabhi ko yaad tha!? I wonder... Aur kisse yaad hoga?'

[Fuck! It's your birthday master!? Happy Birthday my dear master.]

'Thanks Pari!'

[Ab gift ke taur pe fataak se mujhe Level 4 pe pohuchao.]

'Gift jiska b'day hota hai wo nahi deta idiot. Wish karne waale dete hai usse.'

[Huh? Ohh yeah! Fuck! I forgot! Ahahaha~]

Veer (sighs) : Thank you Bhabhi!

Ragini : Welcome! Toh!? Wo... Wo... Tum aa rahe ho na? Kab tak aaoge?

Veer : Kal! Aaj reservation karwa lunga. Aur aaj raat me baith jaunga. So kal tak...

Ragini ki tabhi udhar se thodi udaasi bhari awaaz aayi,

"Toh! Tum b'day par yaha nahi rahoge matlab."

Veer : Chaahta hu par possible nahi hai. Kal hi aa paunga.

Ragini : Well! Right! Kal then... I have a surprise for you! Kal aao... And... Acche se safar karna okay?

Veer (smiles) : Jiii!

Ragini : Okay! Toh... Mein rakhu..!?

Veer (smiles) : Jii!

Aur call end ho gaya.

Bechaari Ragini call toh badi hi utsaah se lagaayi thi. Par usse wish karne ke baad samajh hi nahi aa raha tha ki apne dewar se bhala ab aur kya baatein kare. Aur iske chalte usse khud pe sharam aa rahi thi. Wo jald se jald phone rakhi aur khud ko baatein sunaate hue andar chali gayi.

***

Veer ka birthday toh tha hi par saath hi saath aaj kisi aur ka bhi b'day tha. Wo shaks aur koi nahi balki Suhana aur Sonia ki Maa thi ~ Jyoti!

Ek badi sii hotel me ek poora hall booked tha. Poore hall ko sajaaya gaya tha. Andar dherr saari lights jal rahi thi aur mand mand awaaz me instrumental music chal raha tha.

Waiters me saari ki saari khubsoorat ladkiya thi jo khubsoorat sii attire pehne guests ko kahi cold drinks toh kahi snacks serve kar rahi thi.

Toh kuch entrance pe unke swaagat ke liye khadi hui thi.

Guests bhi ek se badh ke ek the. Sabhi raees aur bade gharaano se belong kar rahe the.

Mahaul kul milaake boht khushnuma tha par...

Par iss waqt ussi hotel ke ek kamre me do behad hi khubsoorat auratein atyant hi chintan me doobi hui thi.

Ye aur koi nahi balki Suhana aur Sonia hi thi.

Suhana idhar se udhar tahelte hue khud ko shaant karne ki koshish kar rahi thi.

"Kuch nahi hoga Suhana! Phew! Calm down! Phew!"

Sonia : Wo aate hi honge.

Suhana : Tum mujhe aur darra rahi ho Sonu!

Par Suhana ki baat pe Sonia kuch na boli bas muh ferr ke kahi aur dekhne lagi.

Aur uska ye rukhapann Suhana ko andar hi andar tadpa raha tha. Wo Sonia ke sameep aayi aur uske chehre ko apne haatho se ghumaate hue apni orr kii.

Suhana : Ab bhi naraaz ho mujhse?

Sonia : ....

Suhana : Sonuuu! Please! Don't! Tere bina adhuri hu mein ye baat tu bhi jaanti hai. Aur mein tujhse maafi maang chuki hu na. Mene maana hai na ki uss Veer ne ring nahi churaayi hogi kyuki tum uske saath thi. Toh ab kya dikkat hai?

Sonia : ....

Suhana : Sonu!!! Maaf kar de!!! Dekh! Mein kaan pakadti hu.

Wo kaan pakad paati ki uske pehle hi darwaaza khula aur ek aadmi andar aaya. Upar se leke neeche tak wo mehnge kapdo se saja hua tha.

Sonia : Dad!?

Sonia aur Suhana ke pita, yaani ki desh ki jaani maani automobiles company ke maalik ~ Shailendra.

Shailendra : Bolo! Kya baat hai? Tumlogo ko beta waha hall me rehna tha. Sabhi guests kya sochenge?

Suhana apne pita ko dekh ekdum kaanp rahi thi. Akhir kese wo bataegi ki jo ring wo dene waale hai. Wo toh chori ho chuki hai.

Sonia : Dii ko aapse kuch kehna hai.

Shailendra : Hmm? Kya baat hai beta? Jaldi kaho... Baahar bhi jaana hai. Tumhari Mom bhi ready ho hi gayi hai.

Suhana Sonia ko hairani bhare bhaav se ghur rahi thi. Andar aane se pehle hi Sonia ne uss se kaha tha ki Sonia uski madad karegi. Par yaha toh wo jese uski taraf dekh hi nahi rahi thi.

'Oh no!!! Sonu!!! She's really mad...'

Yaha Sonia apne alag hi vichaaro me leen thi.

'Mene kitna call kiya Veer ko. Ki aaj party hai. I wanted to say sorry to him again. Par... Abhi tak uska koi reply na aaya. He probably hates me now. Akhir... Dii ne uski itni beizzati kii hai ki wo mujhe hi inn sab ka kaaran samajh baitha hoga. Par Veer... Kese batau tumhe... Sacchaayi!?'

Shailendra : Bolo beta!

Suhana : Wo... Wo...

Shailendra : Haa?

Suhana : Asal me...

Shailendra : Arre bolo bhi...

Suhana : Wo dedh crore ki ring chori ho chuki hai.

Wo ek saas me bol gayi.

Aur agle hi pal...

Poore kamre me sannaata sa chhaa gaya.

Shailendra : ???

Sonia : ....

Suhana : ....

Shailendra : K-Kya? Kya kaha tumne?

Suhana : Wo... Wo... Dedh crore waali ring... Jo aap Mom ko dene waale the wo... Wo chori ho gayi hai.

Aur agle hi pal Shailendra ki aankhein felti chali gayi.

Uske baad jab Suhana ne poori sachhai bataayi toh Shailendra ka gussa saatve aasmaan par pohuch chuka tha.

Wo aag baboola hoke Suhana aur Sonia dono ko dekh raha tha.

Aisa lag raha tha ki kisi bhi waqt wo dono ko tamaacha jadd dega.

Par usne aisa kiya na...

"Kal tak yadi Ring nahi mili... Toh Suhana... Hmph!"

Daant meeste hue wo agle pal hi mobile nikaal kaan se lagaaya aur baahar nikal ke...

*Slaaammmm*

Zorr se usne darwaaza band kar diya.

Aur Suhana ye dekhte hi bilakhte hue rone lagi. Wo jaanti thi ki jab uske Dad kuch nahi bolte the toh wo kitna naraaz aur gusse me rehte the. Sonia se chipak ke wo rone lagti hai.

Ab usse Veer ke kahe shabd yaad aa rahe the.

"Didn't you said that few minutes ago!? Money can buy happiness. Paisa sab kuch hai. Paisa hi khushiya laata hai. Paise se hi aap khush rehte ho? Paise se kabhi koi udaas reh hi nahi sakta. Didn't you said that!? Then why do you look sad now? Mujhe toh abhi keval yahi dikhaayi de raha hai ki... Paise se... You are not even happy... Look! How distressed you are. Look at yourself. Kaha gaye ab wo shabd??? Hmm?? I can't hear them..."

Iss waqt bhi...

Wo ro rahi thi. Aur kahi se bhi happy nahi thi. Uske shabd jese ekdum sahi saabit ho rahe the. Pata nahi kyu par iss baar Suhana ko Veer ka dhyaan aate hi... Iss baar usse gussa nahi aaya. Keval rulaayi hi chooth rahi thi.

***

Idhar Veer reservation karwa ke Jaipur ke station pohuch chuka tha. Ragini ke diye gaye paise waqai boht kaam aaye the uske liye.

Na keval Suman ne idhar apne ghar me poora taala laga diya balki wo apne ghar ki chaavi bhi pados me de aayi ye kehke ki yadi uska pati waapas se aaye toh usse dhundne ki koshish na kare.

Keval Suman hi nahi, Aabha aur Sonali bhi uske sang thi. Suman ka kehna tha ki ab wo Veer ki daasi hai toh harr pal uske aas paas hi rahegi aur uski sewa karegi.

Shaam ko bhi Suman ke aakarshan ke chalte Veer se raha na gaya aur usne ek baar aur Suman ko pel diya.

Pehli baar me jo sex usne Suman ke saath kiya tha uske chalte usse 35 points mile the aur usse bachaane ke 30 points. Toh kul milaake uske paas 65 points maujood the jinhe wo spend nahi kiya tha.

Wo ghar lautne ke baad hi inn points ka sahi istemaal kese karna hai ye decide karne waala tha.

Ab chuki aa toh gaya tha wo station par usne dekha ki Sonali bade hi gusse se usse dekh rahi thi. Aur baat bhi nahi kar rahi thi. Bas dekhti aur gusse se aag baboola ho jaati. Par bolti kuch nahi. Veer ne bhi ignore karna hi behtar samjha filhaal ke liye.

Train aa chuki thi reservation unka AC 1 coach me tha. Veer samaan rakh ke abhi baahar hi aake kuch chips aur biscuits khareedne me laga hua tha jab usse sunaayi diya,

"Bhaiya!! Oo bhaiya! Hello jii!?"

Usne dekha toh paaya ki saamne ek dusri train me ek mahila khidki se apna ek haath nikaale kisi ko awaaz laga rahi thi.

Veer kuch soch aage badha toh agle hi pal uss mahila ki nazar Veer par gayi.

Dono ki nazre jab aapas me takraayi toh uss mahila ne forun hi firse pukaara,

"Betaa! Suno..."

Usne haath se ishaara karte hue Veer ko bulaaya.

Veer jab uske sameep aaya toh thoda hairaan reh gaya. Paas se gaur se jab usne dekha toh paaya ki...

Wo mahila waqai khubsoorat thi. Aur saree nahi balki ek kaali t shirt pehni hui thi. Jisme uski gori twacha alag hi khil ke dikhaayi de rahi thi.

Veer : Jiii!?

Aurat : Beta! Kya tum mere liye waha shop se ek paani ki bottle laa doge please? Mein khud le aati par... Meri back me thoda pain hai.

Veer (smiles) : Sure!

Aurat : Ohh! Th-Thank you beta!

Veer (smiles) : Isme thanks kesa? Aap rukiye! Mein aata hu.

Veer uske diye gaye paiso se ek bottle liya aur apni taraf se usne ek biscuit ka packet bhi liya aur wo leke uss aurat ke paas aaya.

Aurat (surprised) : Ye!?

Veer (smiles) : Ye meri taraf se... Rakh lijiye! Back me pain hai aapki. Aage station me aapko utarna na pade.

Aurat kuch derr ke liye usse dekhi aur fir ek badi hi pyaari sii muskaan usne dii.

Na jaane kyu par wo muskaan dekh Veer ekdum shaant pad gaya.

Aurat : Thank you beta! Wese iski koi zaroorat nahi thi par fir bhi thank you! Aur ruko...

Tabhi wo apne bagal me rakhe bag se kuch tatolti hai aur ek candy ka packet usse thama deti hai.

Aurat : Ye meri taraf se... Haha~

Veer (smiles) : Iski koi zaroorat nahi...

Aurat : Na na! Haha~ Ab ye rakhna padega. Thank you once again.

Veer (smiles) : Jii! Chalta hu! Safe journey!

Aurat (smiles) : Okay! You too!

Aur tabhi uss aurat ki train aur saath hi saath Veer ki bhi train chalne lagti hai.

Ek baar fir wo Veer ko khidki se dekhti hai toh paati hai ki Veer bhi usse hi dekh raha tha. Dono bas muskuraa dete hai.

Veer lapak ke train me chadhta hai par achanak usse pata nahi kya sujhta hai ki...

Wo palat ke ek baar fir uss aurat ko dekhta hai aur...

'Check!'

[Alias name - Geeta
Real Name - Bhavana Singh.
Bio - Bhavana! Ek behad hi strong woman hai. Boht peeda me hai jo kayi saalo se wo bardaasht karti aa rahi hai. Loves her daughter too much. Ek aas hai usse. Aur kisi ki talaash. Peshe se Archeologist hai.

Favourability - 70
Relationship - Mother.]

Aur ye padhte hi Veer ko uski life ka sabse bada jhatka laga tha.

Aaj usse apne janmdin par koi gift mila ho na mila ho. Ye jese...

Uske liye best gift tha.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!

Don't forget to like. 😁
Fabulous update...
Last me jhatka laga..
 
Top