- 33,758
- 150,453
- 304
Iss baare me mein kayi saari baatein keh sakta hu. Par filhaal yahi kahunga ki...
Problem dono jagah hai. Ye jo characters banaaye gaye hai wo no doubt acche hai aur unme kaafi potential hai. But creators isme utni depth nahi dete jiske chalte ye world famous ho sake. Wo bas bana ke chorr dete hai. Aur bas kuch incidents unn comics me include kar dete hai jiss se comics ke kich parts nikal aate hai. But that's it. Unka safar utna hi rehta hai.
Dusri problem aati hai hamari audience me. Wo desi cheezo ko explore karna hi nahi chaahte. Unko jo bade parde par vilaayti shaqal ke log dikhenge wo unhi ke concept aur story ko tagda maante hai.
Yahi galti hai hamaare yaha ke logo ki. Aur yahi kaaran hai ki hamaare yaha motu patlu, chota bheem ke hazaar hazaar episodes bante hai par anime ke naam pe kuch nahi hai. Keval ek anime movie aayi thi Ramayan the Legend of Prince Rama. But wo uss time utni chali nahi thi kyuki wo ek Japanese ne banaayi thi. Kuch scenes usme bilkul hi alag the jiske kaaran ye kaha gaya tha ki Japanese aadmi hamaari Mythology ko sahi se nahi samajh paate. Toh uss samay wo movie utni nahi chali.
But baad me jab logo ko thodi samajh aayi toh pata laga ki kya gazab ki movie thi wo. Ekdum gazab ka animation. Yahi aaj hamaare yaha lack kar raha hai.
Hamaare yaha ke aaj ki generation ke bacche motu patlu dekhna zyaada pasand kar rahe hai. Ab official hi kuch hoega toh hi kuch changes dekhne ko milenge.
Lomdi