• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Funny Baate

Rudrathakur

Active Member
586
3,384
123
Jay Sutar Naina Xabhi Rudrathakur A.B.KING Lovekillsyou

Guys sabhi se ek saval hai ke sabhi ko pata hai hamare pas bhi Superhero characters hai jaise
Shaktimaan, Nagaraj, Parmanu, Super Commando Dhruv, Krrish, Karma, Doga, Shakti-The Female Superhero, Bhediya.

Aise quiet okay characters hai hamare pas phir bhi hamne in par koi bhi live action movie ya phir animation nahi dekha.

Saath hi aap sabhi ke kya openions hai hamare Superhero pop culture ke bareme.
Ban to sakti h pr wo kya h na hm log aisi jgha pr rahte h jahan pr logo ko dusro ki cheezein khud se jyada behtar lgti h.. Aisa hi kuchh apne desi superheroes ke sath bhi ho rha h aur obvious bhi h aisa hona foreign film and comics industries achha khasa apne superheroes ko published krti h ek bahut bade paimane pr sath me unki jo audience h wo bhi full supportive h jbki hmare yaha aisa h nhi ab yehi dekhlo ki last 4 saal SARVNAYAK &SARVNAYAK VISTAR ye do series running me h RAJ COMICS ki aur ek me 11 parts aa chuke h aur ek me i think 3-4 aur wo bhi ek lambe time gap pr starting me to ftaft aaye pr story ke ending hone ke waqt me raftar kam hote chli gyi..maine ye padhi h aur bakai me gajab lgi mujhe dono ek alg hi universe create kiya hua h in dono comics series me but lack of audience, lack of money and publishers aur baki jo bhi reason ho uske pichhe ab lgta h ye series next 10 years me hi finish hongi. Is sabke alawa ek thappa aur lga hua h hmare desi heroes pr COPY CAT ka ab koi inpr movie ya animation bnane ke risk me interest le bhi kyu hi le ab sbko paisa itna pyara h har koi pana chahta h khona nhi use isliye hmarr desi heroes present time me luptpray ho gye h aur next in future koi unke baare me janne wala bhi nhi hoga maybe we will be the last generation jinhone apne yaha ki comics padhi hongi...💝😑
 
Last edited:
  • Love
Reactions: Xabhi

Lovekillsyou

Active Member
653
2,720
124
Jay Sutar Naina Xabhi Rudrathakur A.B.KING Lovekillsyou

Guys sabhi se ek saval hai ke sabhi ko pata hai hamare pas bhi Superhero characters hai jaise
Shaktimaan, Nagaraj, Parmanu, Super Commando Dhruv, Krrish, Karma, Doga, Shakti-The Female Superhero, Bhediya.

Aise quiet okay characters hai hamare pas phir bhi hamne in par koi bhi live action movie ya phir animation nahi dekha.

Saath hi aap sabhi ke kya openions hai hamare Superhero pop culture ke bareme.
Mere pass kahne ke liye kuch nahi sabhi ne kuch na kuch kah diya hain.

Koi action movie bane ya na bane mujhe kya hi fark padega. Àb dekhne se jyada mujhe story padhne me majà aata hain.
 
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,302
304
kahani mein hero ke villain chacha chachi ne hero ki shadi usiki badi bahan se kara di dhokhe se :wth: :rolrun: :roflol:
 

Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,637
174
Tell me about your favourite Anime and what did you learn from them 🙂.
Maine sirf Ben10 dekha tha bahut samay Pahle...
Usme Ben or Gven chahe jitna bhi ladte jhagadte ho pr sikh yhi de jate hai ki Yadi sath hai to sari mishkile asani se Hal kr sakte hai fir chahe Vo kitni hi badi kyo na ho...
Baki to isi forum me Jo mil gya vo padhta rahta hu...
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,302
304
Maine sirf Ben10 dekha tha bahut samay Pahle...
Usme Ben or Gven chahe jitna bhi ladte jhagadte ho pr sikh yhi de jate hai ki Yadi sath hai to sari mishkile asani se Hal kr sakte hai fir chahe Vo kitni hi badi kyo na ho...
Baki to isi forum me Jo mil gya vo padhta rahta hu...
:girlslap: jao jaake nainu unkil ko leke aao
 

AvniTaneja

अहमस्मि योधः
79
421
53
kahani mein hero ke villain chacha chachi ne hero ki shadi usiki badi bahan se kara di dhokhe se :wth: :rolrun: :roflol:
ALBAMA 💯 :akshay::mahboi::ultralul::kekdog::pepelmao:
 

Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,637
174
Jay Sutar Naina Xabhi Rudrathakur A.B.KING Lovekillsyou

Guys sabhi se ek saval hai ke sabhi ko pata hai hamare pas bhi Superhero characters hai jaise
Shaktimaan, Nagaraj, Parmanu, Super Commando Dhruv, Krrish, Karma, Doga, Shakti-The Female Superhero, Bhediya.

Aise quiet okay characters hai hamare pas phir bhi hamne in par koi bhi live action movie ya phir animation nahi dekha.

Saath hi aap sabhi ke kya openions hai hamare Superhero pop culture ke bareme.
Mera to yhi vichar hai ek organized company samne aaye or in sabke rights kharid le fir ek vyavsthit ranniti ke sath unka production kr ek Indian varson me movie-verse bnaye...
Ya is forum me koi himmat jutaye or ek suvyavasthit (romance agree but sex not) tarike se universe bnaye, baki ke writer or reader apna support de use or behtar bnane me...
Yha ek thread open kre jispr sabhi log apne bahumulya sujhav (ideas) den universe ko develop karne ke liye or writers un sabhi ideas ko samjhen or usme modification jaruri ho to karke apply kre story-verse me...

Aise hi mere Chhote Chhote khayal hai ma'm Indian super hero ke bare me...
 

Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,637
174
:girlslap: jao jaake nainu unkil ko leke aao
Unko jb aap nhi la saki to hmari kyA Aukat guru ji to aap bhi ho hmari
 

Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,637
174
:girlslap: jao jaake nainu unkil ko leke aao
Aa gye hai Vo Unhone msg kiya tha thread pr apne
 

Werewolf

ʟʟᴏʏᴅ ꜰʀᴏɴᴛᴇʀᴀ
Supreme
14,259
101,069
259
Jay Sutar Naina Xabhi Rudrathakur A.B.KING Lovekillsyou

Guys sabhi se ek saval hai ke sabhi ko pata hai hamare pas bhi Superhero characters hai jaise
Shaktimaan, Nagaraj, Parmanu, Super Commando Dhruv, Krrish, Karma, Doga, Shakti-The Female Superhero, Bhediya.

Aise quiet okay characters hai hamare pas phir bhi hamne in par koi bhi live action movie ya phir animation nahi dekha.

Saath hi aap sabhi ke kya openions hai hamare Superhero pop culture ke bareme.
Iss baare me mein kayi saari baatein keh sakta hu. Par filhaal yahi kahunga ki...

Problem dono jagah hai. Ye jo characters banaaye gaye hai wo no doubt acche hai aur unme kaafi potential hai. But creators isme utni depth nahi dete jiske chalte ye world famous ho sake. Wo bas bana ke chorr dete hai. Aur bas kuch incidents unn comics me include kar dete hai jiss se comics ke kich parts nikal aate hai. But that's it. Unka safar utna hi rehta hai.

Dusri problem aati hai hamari audience me. Wo desi cheezo ko explore karna hi nahi chaahte. Unko jo bade parde par vilaayti shaqal ke log dikhenge wo unhi ke concept aur story ko tagda maante hai.

Yahi galti hai hamaare yaha ke logo ki. Aur yahi kaaran hai ki hamaare yaha motu patlu, chota bheem ke hazaar hazaar episodes bante hai par anime ke naam pe kuch nahi hai. Keval ek anime movie aayi thi Ramayan the Legend of Prince Rama. But wo uss time utni chali nahi thi kyuki wo ek Japanese ne banaayi thi. Kuch scenes usme bilkul hi alag the jiske kaaran ye kaha gaya tha ki Japanese aadmi hamaari Mythology ko sahi se nahi samajh paate. Toh uss samay wo movie utni nahi chali.

But baad me jab logo ko thodi samajh aayi toh pata laga ki kya gazab ki movie thi wo. Ekdum gazab ka animation. Yahi aaj hamaare yaha lack kar raha hai.

Hamaare yaha ke aaj ki generation ke bacche motu patlu dekhna zyaada pasand kar rahe hai. Ab official hi kuch hoega toh hi kuch changes dekhne ko milenge. ✨
 
  • Like
  • Love
Reactions: Xabhi and Aakash.
Top