CITY HOSPITAL
"Yes doctor??"dhruv doctor ke theatre se nikalte hi bola
"Patient is fine.but i think she need some rest,do you guys know who she is??"doctor me poocha
"I dont think i....."Bolte hi dhruv ruk gaya
Kareeb 30-40 black suit pehne log udhar hi a rahe the
"Ye sab koun hai dhruv??idhar kyun a rahe hain??"sharon ne poochha
"Pata nahi sharon"dhruv bola
"You druv??"ek black suit pehne hue aadmi bola
"Yes,any problem??"dhruv bola
Jhatke ke saath punch naarne ke liye haath badhaya us aadmi ne.lekin dhruv hat gaya aur uske usi haath ko pakad jhuk kar ek dhobi patak de dala
"AGHHHH"karah gita wo aadmi
Ye desh doosre aadmi aage badh hi rahe the ki achanak
"Stop it"ek 16 varshiya ladke ki awaz aayi
Dhruv ne dekha ki ek 16 varshiya ladka unki aur a raha hai,
"Ankan,ankan ganguly naam hai mera.jinka accident hua wo meri maa hai,kaisi hai ab??"rundhe awaz ke saath ladka bola
"Ander hai.hosh aaya nahi dekh sakte ho"sharon boli
"Wo to hum dekhenge hi ,lekin meri wife ko agar kuch hua to aap log gaye"ek kathor awaaz peeche se aayi
Saare black suit pehne log ek taraf hat kar khade ho gaye
Ek 48 varshiya aadmi saamne se aane laga
"Amitabh ganguly naam hai mera,PRISM naam to suna hoga??"amitabh muskurate hue bola
"Jaanta hoon USA ki sabse badi weapon manufacturing com...."dhruv ko rok diya
"Duniya ka, USA ka nahi.agar itna jaante ho to ye bhi jaante hoge ki USA ke saare leaders meri muthi me hai.pentagon ho ya washington dc"amitabh ka ghamand saaf dikh raha tha
"Mujhe pata nahi tha ki ek ameer ghar ki mahila ka accident hua hai.mujhe laga ki ek mahila ka accident hua aur usi hisab se mai unhen yahan laya"dhruv bola
"Jitni umra nahi hai tumhari usse zyada zabaan chalti hai"amitabh bola
"Wo kya hai ki meri zaban log dekhkar chalti hai"dhruv bola
"Dhruv kaafi raat ho gayi yaar bhaiyya bhabhi pareshan ho rahe honge chalo chalte hai"sharon ne maamle ko suljhane ka prayas kiya
Dhruva sharon ka haath pakad bahar nikal gaya aur amitabh apni wife ko dekhne ander chale gaye
-------------------------------------------------------------------------------
Vishal aur dhruv ja chuke the.avinash akele baith breakfast kar raha tha.
Tabhi sharon aur nivedita table par a gaye
"Socha tumhe company de de avinash,akele akele bf kar rahe ho??? nivedita haskar boli
Sunkar avinash muskuraya
"Waise bhabhi suna hai krish ki gf ban gayi??"sharon ne avinash ki aur dekhte hue bola
"Sach??koun hai wo??"nivedita boli
"Are apne yahan kaam karti thi,tanya naam hai uska.achi ladki hai"sharon boli
Naam sunte hi avinash khate khate ruk gaya
"Bhabhi wo ladki kya hai aapko pata hai???usne jo kiya uske bawjood aap....???"avinash bola
"Insan galti karta hai tabhi insaan kehlata hai avinash,ladki achi hai.behek gayi thi.uske saath bhi to dhoka hua hai??"nivedita boli
Avinash chupchap uthkar chala gaya
"Bhabhi ab kya hoga??"sharon ne poochha
"Uske dil me bhi pyaar to hai.lekin nafrat ka chadar odh rakha hai usne.isliye pyar dikh nahi raha hai ise"nivedita boli
"Waise aaj Shaam ko garden me milne ka plan banaya hai krish aur tanya ne"sharon ne thoda zor se kaha taaki avinash ko sunai de
-------------------------------------------------------------------------------
CITY HOSPITAL
"Kaisi ho ab??"amitabh ne pyaar se patni ki aur dekh kar kaha
"Thik hi hoon,mout aayi nahi"mahila muskurate hue boli
"Aisa nahi kehte suchitra,kya ankan tumhara beta nahi??"amitabh bole
"Lekin us bete ka kya jisko mera pyaar nahi mila,uska pyaar mujhe nahi mila??bhagwan jaane milega bhi ki nahi"rote hue suchitra boli
"Aisa na kaho itne vrat,itne upwas jo rakhe hai tumne.bhagwan use bekar nahi jaane dega"amitabh bole
"Aap ki itni pohunch,itna rutba,itne saare politician dost bhi kuch nahi kar sake is maamle me"suchitra ka rona jaati tha
"Dekho itna to pata chala hai ki hamara beta yahin hai,aaj nahi to kal dhoond hi lenge"amitabh ke is baat par suchitra thodi shant hui
"Wo ladka aur ladki kahan hai jinhone mujhe hospital pahunchaya??"suchitra devi ne poochha
"Unhone hi accident karwaya tha suchitra aur mujhe lagta hai tumhe maarna chahte the is..."
"Chup ho jaiye,aapko lagta hai ki sab aapke parivaar ke jaan ke peecha pade hai.mujhe pata nahi.aap un dono ko hamare ghar khane par bulayenge aur wo bhi kal"suchitra devi kadak awaz me boli
"Kal??lekin...."
"KAL"chillate hue boli suchitra devi