"Kya aana zaroori tha sharon??"dhruv ne sharon se poochha
"Dekho dhruv,aunty ne khud call kar bulaya hai,waise bhi mil kar chale ayenge.upar se maine kabhi private island nahi dekha"sharon boli
Dhruv has pada,sharon ka bachpana abhi tak nahi gaya
"Sir we have arrived"helicopter ka pilot bola
Mr amitabh ka private helicopter dhruv aur sharon ko recieve karne aaya tha.dhruv ka man bilkul nahi tha lekin sharon ke chakkar me aana pada
Helicopter land hote hi dhruv aur sharon ko amitabh ganguly aur unki patni nazar aaya,saath me ankan bhi tha aur saath me aur kuch log the
"Security sir"bol jaise hi Do hathiyar band log sharon aur dhruv ki talashi ke liye aage aaye
Suchitra devi aage aakar rok lagai
"But ma'am it's a protocol,secu..."ek hathiyar band bola
"Shut up,to hell with your protocol"daant lagakar sharon ke gale lag gayi suchitra
"Aaj jo zinda hoon to tum dono ki wajah se,dono se milne ka bada mann tha.aane me koi takleef to nahi hui??"suchitra ganguly ne poochha
"Aisa na kahiye aunty,aap se khud milna chahte the hum.lekin suna aap hospital se discharge ho gayi,aur takleef bilkul nahi hui ,hai na dhruv??"sharon ne poocha to dhruv waise hi chup khada raha
"Dhruv???"dheere se kohni maari sharon ne dhruv ke pet me
Aur suchitra ganguly khilkhilakar hasne lagi.mr amitabh dekh rahe the,zamana ho gaya unki patni ko hasta dekhkar
Is ladke aur ladki ne aate hi suchitra par Jadoo sa kar diya
"In logo se mila doon,ye meri behen sunanda aur unke pati shekhar,aur unka beta vivek,aur amitabh se to tum log mil hi chuke ho,aur ye ankan mera beta"suchitra sab se introduce karwa rahi thi
Dhruv aur sharon ne haath jod kar sabko namaskar kiya
Fir gappon ka silsila shuru hua.sharon sab se ghul mil gayi
Sunanda aur Sekhar ek middle class family the.vivek ek bright student tha.aur ankan apne papa ki tarah ghamandi aur diler
"Itna sab kuch??"hairani se dhruv bola
Dining table par ek inch ki jagah bhi nahi thi.
"Sab ke sab maine khud banaya dhruv,tumhare hotels me bane khane jaisa to nahi hoga lekin koshish ki hai"suchitra boli
Lekin dhruv na jaise hi ek niwala liya.kahne par toot pada
Itna lazeez khana zindagi me khani nahi khaya tha usne
Sharon to dekhkar hairan thi.jabki suchitra ko bohut acha lag raha tha.lekin wo aankhen???
Wahi hont,wahi ......nahi nahi ye nahi ho sakta
"Waise beta tumhare parents se milna tha ekbar"suchitra boli
"Ji iske liye aap sabhi ko aana padega hamare ghar"sharon haste hue boli
"Time milega to zaroor aa..."amitabh ke baat ko beech ne tokte hue boli suchitra
"Hum zaroor aayenge beta"apne pati ko gusse se dekhte hue boli Suchitra
Aur fir bidai lene ke baad sharon aur dhruv wapas ghar ki aur chale
-------------------------------------------------------------------------------
Avinash ki neend udi hui thi
3-4 din se hi dekh raha tha krish kuch zyada hi mobile me chat kiye ja raha hai
Zaroor tanya se chat kar raha hoga.lekin use kya??usne to tanya ko apni zindagi se hata diya
Aaj bhi park me tanya ko chupkar dekh raha tha.man hi man sharm aur gussa dono a raha tha lekin kare to kya kare
Udhar tanya phone par baat kar rahi thi nivedita se
"Bhabhi unko aise nahi dekh sakti,bohut takleef ho rahi hai unko,mai kal hi flight pakadkar ja rahi hoon india"tanya boli
"Nahi beta Aisa nahi kehte sab thik ho jayega"nivedita boli
"Nahi bhabhi kuch thik nahi hoga,shayad mere hisse me pyaar tha hi nahi .bye"bol tanya garden se nikal aayi
Aur avinash use dekhta raha