"Hmm lekin tumhari sahayata kyun karun???"mr negi bole
"Kyunki mai aapke is help ke badle business ke naye avsar khol dunga"amitabh bola
Apne bhaiyya aur bhabhi ki chita ko aag dekar amitabh ko koi help nahi mili na kanoon se na kisi aur se
Balki kishore ne saare property ko apne naam par kar liya tha
Marta kya na karta, amitabh seedha suchitra ke papa mr gagan negi se milne aaya tha
"Mujhe laga tum kahoge ki tum meri beti se pyaar karte ho isliye uske badle madad maang rahe ho"gagan negi bole
"Nahi negi sahab,jis din mai khud kabil banunga.usi din suchitra ka haath maangunga aapse"amitabh bola
"To thik hai,meri taraf se poori sahayata milegi.plan banao aur mujhe batao"mr negi uth khade hue
Amitabh bhi khada ho gaya aur haath milakar chala gaya
Uske baad chal se,aur shatranj ki chaal chalkar kishore ko kidnap karke saare kaagzaat apne naam kar liye
------------------------------------------------------------------------------
Pani peene ke liye ruke inspector Iyer
Sab chupchap story sunne me lage hue the . amitabh ka haath thame hue thi suchitra
"Uske baad sir??"tanya ne poochha
"Kishore se sab kuch wapas milne ke baad amitabh ke dimag ke kaahil ho gaye the gagan negi,bina der kiye apni ek lauti beti ki shadi amitabh se kar di
Apne kaabiliyat ke bal par bas 2 saal me amitabh ne apna business bohut badha liya tha
Aur usi dauran gagan negi ne apne saare property apni beti aur damad ke naam kar teerth yatra par nikal gaye.udhar jail me hi kishore ne suicide kar liya tha
Usi beech suchitra ne ek nanhe bete ko janm diya
Lekin kisko pata tha ki kishore ka beta brijmohan america me baitha hua tha
Apne dono betl ki shaadi ameer ghar ki ladkiyon se karwakar khud niranjan ke saath rehta tha,jabki bade bete neeraj ki shaadi ke kuch hi saal baad dono baap beto ne milkar tumhari maa ko marwa dala nivedita ,lekin niranjan doosre type ka ladka nikla.bohut pyaar karta tha anuradha se.jab Neeraj aur brijmohan ne plan banaya anuradha ko maarna ka.niranjan ne na sirf iska virodh kiya balki police ko sach bolne ki dhamki bhi di.yahi baat bolne anuradha ko batane ja hi raha tha niranjan lekin usse pehle hi marwa diya accident me brijmohan ne
Udhar jaise hi brijmohan ko pata chala ki suchitra hospital me hai uske kuch aadmi hospital pohunch gaye aur chupke se dhruv ko utha liya.
Lekin ain waqt par amitabh bhaamp gaye aur unhone police bula liya
Police ke saath muthbhed me brijmohan ke lagbhag saare log maare gaye
Gusse me ek aadmi jaise hi jaan lene wala tha police ki goli lag gayi pair me
Darr ke maare usne dhruv ko wahi fenk diya aur bhaag gaya
Aur dhruv ka luck shayad saath tha.tabhi to purane kharab mattress me gira tha
Shayad wahi se anuradha guzar rahi thi.aur dhruv ko rote hue dekh kar use apne saath le gayi"
Inspector Iyer ruk gaye
"Lekin sir, anuradha ne dhruv ke baare me janne ki koshish nahi ki??ya police ko inform nahi kiya??"nivedita ne poochha
"Hmm good question,mujhe lagta hai ki anuradha ki mamta thodi khudgarz ho gayi thi.isliye chupke se usne kisi ko kuch nahi bataya, anuradha niranjan ke mout ke baad lagbhag paagal si ho gayi thi.usi dauran uski behen aur uska pari dono plane accident me maare gaye the.isliye vishal, avinash aur chote krish ki jimmedari us par thi,india apne pati ki asthiyan ganga me bahane gayi thi.lekin ain waqt par dhruv ka milna use ek naya jeevan de gaya tha."
Iyer ne apni baat poori ki
Sab chupchap the.kisi ke paas bolne ko kuch nahi tha
"Lekin sir dadaji ne amitabh uncle ke baare me janne ki koshish nahi ki??"vishal ne poochha
"Vishal hua ye ki niranjan aur Neeraj ke properties ke laalach me usne Amitabh ji ko poori tarah se bhula diya,uska maqsad tumhe paagal karna,dhruv ko maarna,avinash ko laat maarkar nikalna aur krish ko nashe ki aadat me dalna,taaki poori ki poori properties uski ho,lekin dhruv tumne aur sharon tumne,dono ne milkar poore plan ka band baja diya"Iyer muskurate hue bola
Sharon halke se sharma kar muskurai
"Yani riya ne us din dadaji ko baat karte hue suna tha,tabhi raaste me use maar diya gaya"karan bola isbaar
"Haan karan.tumhare aur dhruv ki dosti todne ki yahi chaal thi ki dhruv aur KAMZOR ho jaaye aur toot jaaye.lekin khud anuradha ko maarkar dhruv ko aur strong kar diya tha brijmohan ne,baaki to sabko pata hi hai"Iyer bol aur ghadi dekhte hue bola
"To,mujhe chalna chahiye,mr brijmohan ab lambe samay ke liye jail ki chakki peesenge"Iyer khade hue aur jaane lage
"Are lekin hamare bachhon ki shaadi to attend kijiye"suchitra boli
"Shaadi to ho gayi hai hamari"dhruv bola
"Tu chup kar"suchitra boli
"Nahi maa ji abhi bohut kaam hai,file close karna tha.aur ab mai shanti ke saath thodi neend le sakta hoon,chalta hoon fir milenge,bye"Iyer chala gaya
"Hmm dhruv,tu wahi soch raha hai jo mai soch raha hoon??"vishal ne akele me dhruv ko bulaya tha
"Hamne bohut baar isko lekar discussion kiya hua hai bhaiyya"dhruv bola
"I think ek maa ko apne bete se pyaar karne ka haq hai dhruv,unko teri zaroorat hai.amitabh uncle ka blood pressure,ankan itna chota hai, business sambhalne ke liye koi nahi hai.aur fir ye to tera hi ghar hai.jab marzi hai a jaana"vishal haste hue bola
Dhruv ne vishal ko gale laga liya
"Khush rehna aur pyaar see rehna,kuch bhi problem ho to hum to hai hi"vishal bola
"Koi kahin nahi jaayega,shaadi tum teeno ki isi ghar me hogi,tab tak saari ladkiyan Mrs hasija ke ghar rahengi aur baarat yahan se jayegi wahan"suchitra boli
"Lekin hamari to shadi ho gayi hai maa,sirf avinash bhaiyya ki baaki hai"dhruv bola
"Lekin mujhe idea acha laga "sharon chahakte hue boli
"Aur nahi to kya"nivedita ne haa me ha milaya
"Ekdum cool"tanya ne bhi saath diya
Bas aur kya tha shaadi ki taiyariyan shuru