• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Badshah ~ A Tale Of Useless Boy

Yasasvi3

😈Devil queen 👑
1,641
3,792
144
up-----------6

surya bhagta hua aaya aur apni didi priya ke pas ja pohncha

surya -- didi didi aap doctor banengi

surya bade shauk se bola tha

priya ke sath kiran piyush aur avantika bethe baten kar rahe the.

piyush - is chalghoze ko bhi pata ha tum doctor banne ka irada rakhti ho

avantika - oye surya .. tujhe pata ha doctor kon hota ha

surya -- haan didi mujhe pata ha.

avantika - acha to fir bata naaa. mujhe bhi to pata chale. mand buddhi ke pass bhi dimag ha

surya -- wo jo mareezon ko theek karta ha.. usay doctor kahte han

avantika - arre wahhh.. tu to sab janta ha

surya khush ho gaya

akash -- lekin priya jab doctor ban jayegi. aur tu bimar ho jayega to tujhe theek nahi karegi

surya masum lahje me bola -- lekin kyu bhai

akash ne ek lagai -- buddhu mujhe bhai mat bol.. malik bol

sab hasne lage

priya -- haan ye surya naukaron ke sath rah rah kar unke jaisa ban gyaa ha.. sun surya.. mai naukaron ke liye doctor nahi banungi..

surya dukhi hota hua bola -- mai bimar hua to fir kis ke paas jaaunga

priya -- jis ke pass tera dil kare chale jana. lekin mere pass tere jaise buddhu ke liye samay nahi hoga. chal bhag

avantika -- hehehe.. priya aise to na bol.. surya idhar aa

surya avantika ke pass gaya . avantika ne surya ke pichhwade par chutki kati.. aur fir boli -- jab tu bimar ho jayega. aur priya doctor ban jayegi.. fir priya tere yahan

avantika dono hath phela kar ishra karti hui boli -- itna bada teeka lagayegi

surya itna bada teeka jaan kar darr gaya. sab surya ke maze lene lage.. surya dar kar wahan se bhaag gaya....

sab shalini ke kamre me bethe hue the.

priya cheekh padi -- suuurrrryaaaaaaaaaaaaaaaaaaa

sab usay dekhne lage.. priya purani yadon me kho gai thi. wo sab ko khud ko ghoorte pa kar wahan se uthi aur bhag kar apne kamre me ja pohnchi. bed par let roti hui boli

priya - surya mere bhai mujhe shama kar dena... mai aisi kyu ban gai... bhagwan na kare tujhe kuchh ho.. bhagwan meri umar bhi tumhe laga de. mujhe shama kar de mere bhai.. maine tumhare sath badi zayadti kari ha.. har baat ko leke tere sath maze karti rahi. jaise tu insan na hokar hasne hasane aur khelne wali chiz ho.. mujhe maaf kar de

payal singh khule darwaze se priya ko rote dekhti rahi.. uske andr bhi aag aur gusa badhta hi ja raha tha.. usay wo sare thappad yaad aa rahe the. jo usne surya ke mausm galon par maare the. usay wo sare pal yaad a rahe the. jab dher sare naukaron ke hote hue payal ne surya ke sath naukaron ka sa bartav jari rakha tha.. surya ko degrade karke apni friends ke saamne apni value badhaya karti thi..

payal guse me aai whan se palti. apne kamre me gai. wahan ja ke karate practice wala dress pahna.. aur kamre se nikal kar kothi ke lawn me aa gai

ek naukar se boli - jaao ja kar 4 guards ko bula laao

naukar jald hi 4 hatte katte guards ko bula laya.... charon ke hathu me hathyar the

payal -- guns rakh do. aur mere sath fight karo

charon ghabra gaye

payal cheekhi -- jaisa kah rahi hon.. karo.. aur dekho.. serious hokar mujhse fight karna.. jahan moka mile, jitni power ke sath mujhe chot pohncha sako.. pohncha dena

ek guard - malikan.. hum kaise aap se lad sakte han

payal apne aap me nahi rahi thi -- jitna kaha ha utna karo.. warna apne pairon par chalne layak nahi rahoge.. ab aa jao maidan me

payal thode fasle par fight ke maidan me khadi ho gai.. charon guards guns rakh kar ek dusre ko dekhte hue payal ke saamne pohnch gaye..

ek bola - malikan.. hum aapke hukam ke ghulam han.aap chahen to hamari boti boti kar den.. lekin hum ap ke sath fight nahi kar sakte..

payal -- suno mere andr aag jal rahi ha.. mai wo aag fight davara thandi karna chahti hon.. aaj mai tum sab ko khuli chhoot deti hon.. khul kar lado mujhse.. aur tumhe koi kchh nahi kahega

door betha akash payal ko dekh sabko bulane chala gaya. akash ki baat par shalini ko chhod sab ek jaga khade hokar payal ko dekhne lage.. payal jununi mood me aai guards ke sath fight shuru kar chuki thi

bechare guards chah kar bhi payal ko chot nahi pohncha pa rahe the.. payal pentre badal badal kar unhe chot pohnchane lagi. lekin usay sukun nahi mil pa raha tha

fir wo ruki.. aur bhagti hui ek gun utha laai.. gun ka rukh upar karti dhada dhad firing karne lgi.. tab ruki jab pura magazine khali ho chuka tha.

payal --mere sar par khun sawar ha samjhe tum log.. serious hokar lado.. jinti chot mujhe lagegi. jitna khud mera bahega. utna hi mere andr ki aag thandi padegi..

payal ka mood dekhkar bhi wo payal ki nahi maane.. tabhi wahan raj laxmi aai

raj laxmi order deti hui boli - meri poti moam ki bani hui nahi ha.. mai kah rahi hon. apne andaz me lado. jaise wo kah rahi ha. usi tarah lado

raj laxmi ko bhi payal se hamdardi ho rahi thi

fir fight shuru hui.. guards bhi kam ladake nahi the. haan par karate me koi black belt nahi tha. wo pitne lage.. chot khane ke bad wo unka bhi khun garam hone laga.. street fighter to the hi.. apne hisab se ladne lage..

fir charon milkar payal par bhari padne lage.. payal ke jaga jaga choten lagne lagi. yehi choten payal ko sukun pohnchane lagi.. fir wo aur bhi josh me aati hui andaz badal badal kar guards ko punchs aur kick maarti unhe chot deti hui uske khun ko garm aur dimag ko hilane lagi

payal aur guards ke kai jaga khun ki lakeeren namudar ho chuki thi. raj laxmi ke liye wahan ek chair la kar rakh di gai thi. wo chair par bethi payal ki fight ko dekh rahi thi;

akash door khada sanjay se bola - aisi hi aag to hamare dilon me dahakne lagi ha

sanjay - surya ne kamal ki entry maar kar khud ko useless se hero sabat karke humen hamari hi nazron se gira dia ha

pankaj - surya mujhse zayada chhota nahi ha. lekin mai aaj uske aane se pahle tab usay khud se bohut chhota samjh raha tha. itna chhota ke surya hazar janam lekar bhi mere barabar nahi ho sakta tha

pankaj ka lahja dukh bhara tha

arjun jo surya se ek hi saal chhota tha. bola -- surya ke liye hamare dilon vijay bhaiya ki baton ne doubt paida kar diye han.. lekin ek baat ha. surya ki entry par hamare khandan ka naam pahle se kahin badh gaya ha.. pura desh badshah ki charcha kar raha ha. ek dusre se prashan pooch rahe han.. badshah hamare parivar ka beta ha.. youn agar vijay bhaiya ki baaton me sachai na hui.. surya kisi burai ke raste par nahi chal raha ha.. to socho.. surya ka kad hum sab se kitna uncha ho gaya ha. hum sab kitne chhote ho gaye han..

avantika - haan.. hum sab ne surya ko useless samjh kar nazar andaz kar dia tha. warna hum sab ek the aur ek han.. jaise ab hum sab ek han.. koi bhi khud ko ek dusre se badhkar nahi maanta... haan umaro ka fark zarur hai.. usi prakar se value bhi ha. lekin hum sab ek han

kiran - mai to ye soch rahi hon.. komal rani ne kaise bina der kiye surya par bharosa kar lia.. woh bahar ki hi kar surya se jaan pahnchan ke na hote hue bhi uske sath chali gai.. kash aisa hi vishwas hum sab ke dilon me paida ho jaaye..

sab kuch na kuch bol rahe the. vijay door khada sab ki baten sun raha tha. aur dil hi dil ke kudh bhi raha tha. aur surya ki azmat ko leke hairan bhi ho raha tha..

payal ne charon guards ko gira dia tha. wo uth kar firse ladne lagte the. payal bhi kai choten kha kar kai bar gir chuki thi.. lekin fight jari thi...

priya bhi wahin a gai.. usne jab payal ke jununi andaz ko dekha. payal ko ghayal dekha to usay aur bhi rona aane laga

wo karib pohnch kar boli - dekha tum sab ne.. payal surya ke sath galat bartav par kitni guse me aai hui ha

sab usay dekhne lage.... har dil me same vichar the.

paayl ladti ladti gir padi..

tabhi raj lamxi boli - bass ab ruk jaao

payal se utha nahi ja rha tha. fir bhi wo uthne ki koshish karti hui boli

payal - nahi mai abhi aur ladungi..

charon guards bhi ghayal hokar ab thak chuke the. wo chahte the.. ab basss.. ab aur nahi.. lekin bol nahi sakte the...

raj laxmi ka order suna to khush ho gaye. kothi ki 2 naukraniyan aai aur payal ko sahara deti apne sath andr lejane lagi. tabhi priya avantika aur sab bhag kar payal ke paas pohnch gaye

payal unhe dekh pheeke andaz me dekh boli - kaash mera itna stamina hota.. ladte ladte shaam ho jati. fir shaam se raat aur raat s subah ho jati. lekin mai ladti rahti. tab tak ladti rahti.. jab tak mere andr ki aag nahi bujh jati

priya sisakti hui boli - didi .. hamare dilon ki aag ab bujhne wali nahi hai.. haaye didi hum to lut gai.. apni hi nazron me gir gai. kabhi socha nahi tha.. aisa bhi samay dekhna pad sakta hai

payal badi himmat ka sabut de rahi thi. naukraniyo ke sahare par thi. lekin khadi apne pairon par thi. priya ki ye baat "hamare dilon ki aag ab bujhne wali nahi hai" payak ki jaisi himmat jawab dene lagi.. itne barason tak jitna wo karti aai thi. bhala jaise kuch hi lamhon me khatam ho sakta tha..

payal apne pairon par khadi nahi rah saki. wo girti.. usay kai hathu ne thaam lia.. priya kiran aur avantika rone lagi...

---------------

surya komal rani ko liye gufa me andr hi andr ek kamre ke andr ja pohncha.. komal rani andr ka view dekh dono hath moh par rakh gai

komal rani -- wow.. surya ye to aise ha.. jaise hollywood movies me dikhaya jata ha. surya aisa setup tumne kaise bana lia..

surya muskura pada .. wahan ek science room bana hua tha. jahan kai computers pade hue the. kai screens lagi hui thi. kuchh chhoti badi machines padi hui thi. ek foldings strature pada hua tha.. side me 2 strature rakhe hue the. dono stratures ke sides me ek hi tarah ki machines rakhi hui thi..

komal rani karib ja kar dekhti hui boli - surya ye sab tumne banaya ha kyaaa

surya -- nahi.. kuchh kuchh maine banaya ha aur kuchh kisi aur ne

komal rani - kisne ??

surya -- wo aap meri story me jan lijiyega

tabhi ek ladkiyan ek bande ko pakad kar lati dikhai di. komal us bande ko dekh sochne lagi. ise kahin to dekha ha

wo surya ko prashn bhari nazron se dekhne lagi.

surya - ise aap ne kothi par dekha hoga

komal rani -- haan.. maine ise wahin dekha tha. lekin ye yahan kyu ha

surya -- aap ke liye ek surprise ha

komal rani -- kaisa surprise??

surya - ye banda aap ke dushman ka ek sathi hai

komal rani ke andr hulchal machi.. wo tezi ke sath aage badhi . uska mann hua wo uski piati karne lage.. usse pooche kon han uske dushman.. kahan ha us ki maa

surya - komal ji.. ye bada dheet ha.. asani se batayega nahi.. aur abhi aap ke liye ispar apna gusa nikalna uchit nahi ha.. hum ise zaya nahi kar sakte. humen isse jan kari leni hai

komal rani - kaisi jankari

surya - dushmano se is ka kaisa aur kis hadh tak connection ha.

surya - to fir der kyu kar rahe ho surya.. ise maaro. ise peeto. iski haddi pasli ek kar do.. itna peeto ye sab ugal de..ye bata de meri........ maa kaha ha

maa ke naam par komal rani ko apni maa puri shiddat ke sath aane lagi. uski ankhen dubduba gai.. mann hua wo surya ke gale lag apna gham halka kare. surya se apni maa ke bare me baaten karen. lekin josh me bhi wo sharam aur hosh nahi bhuli thi.

surya apni sathi ladkiyon se bola - ise folding strature par lita

wo banda ajib dhang se hasne laga - kya tum aise mere bare me jaan loge. kya mai tumhe sab sach sach bata dungi.. nahi.. umar guzar di maine tum jaiso se takrate takrate.. mere sharir ka ek ek ang alag kar do. tab bhi mere moh se ek shabd nahi niklega..

surya - tujhse poochhna hi kon chahta ha... ye

surya machinon ko dekhta hua bola -- ye machinen tere andr ka sara kacha chatha bahar nikal dengi..

wo banda pahli bar thoda sa ghabraya.. maar dhaad alag baat thi. lekin machinon ko dekh aur uski karkardgi jaan wo confuse ho gaya..

banda - ye machinon mere iradon ko tod nahi sakti ha

komal rani - surya ise itna moh hi kyu laga rahe ho tum

surya dhire se hasa - ise moh lagana hi kon chahta ha komal rani ji. mai to dekh raha hon. dushmano ke aam se gurge bhi kitne dheet mitti ke bane hue han..

usay strature par lia kar chamde ki belts ke sath bandh dia gaya. usne badi koshish kari. lekin surya ki sathi ladkiyan badi jeedar thi..

surya - ise injection do ab

komal rani sab kuch bade dhayan se dekh rahi thi. injecion laga to surya bola

surya - ab wall screen onn kar do

wall screen onn hui to komal rani aur bhi hairan rah gai.. deewar jo pathron ki bani dikhai de rahi thi. ab wo ek screen me badal gai thi.

surya aur komal rani dono bandhey hue dushman ke gurge ke karib chairs par beth gaye.. injection ka asar hone laga.. banda neem behoshi me dooba halki saansen lene laga

ek ladki boli - boss ab ye ready ha

surya - to fir chadhao iske sar par helmat. lagaya iske dimag ke sath sare clips..

sara saman jo komal rani ne hollywood movies me dekha tha. komal rani ko h0llow man movie ka scene yad aane laga. jab ek bande par experiment krte hue usay gayab kia ja raha tha. uske bande ki puri body par kitni chizen attach kari gai thi. komal bade dhayan se ek ek chiz ko dekhne lagi.

surya - komal ji

komal chaunk gai - hmmm

surya - ab aap iske karib aa jaiye.. aur poochiye isse ke ye kon hai

komal rani - kya ye jawab de payega. ye to mujhe hosh me hi nahi lag raha ha. kya ye abhi bolega

surya - nahi.. ye bol nahi payega..

komal - to

komal samjh nahi pai thi

surya wall screen ki orr ishara karta hua bola - aap isse kuchh bhi prashn poochiye.. lekin nazar wall screen par hi rakhiyega.. aap isse kuchh bhi poochen. ye sochega.. jo bhi sochega.. woh sochen iske dimag me ek vision create karengi. har prashn par isay pahle se mile log yaad aayenge.. matlab hamare dimag me jo bhi video khayal paida hote han.. woh sare ke sare aap wall screen par dekh sakengi...

komal rani ka moh gufa ke moh se bhi badhkar khul gaya. wahan khadi dono ladkiyan hasne lagi. surya muskura pada

komal rani ne jhat se apna moh band kar dia .. fir boli - aisa to maine kisi movie me bhi nahi dekha. kahin padha bhi nahi.. surya.. surya kyaa aisa bhi mumkin ha. matlab mai apne dimag me apni jitni bhi purani yaaden han, wo yaadon karun to mujhe screen par dikhai dega

surya ke honto ki muskan gahri ho gai - haan komal rani ji.. aisa hi kuchh hai

komal rani bade josh me aai surya ka hath thaam gai..

komal rani - surya.. surya.. mere dushmano ne mere parivar ki hatya karne ke bad hamari kothi ko aag laga di thi. sab kuch jal kar rakh ho gaya tha. mere pas mere apnu ki koi bhi tasveer nahi hai.. lekin mere dimag me sab han.

komal ankhon me ansu la kar boli - kyaa mujhe wo mere apnu ke chahre photograph ki surat mil sakte han. kyaa mere dimag se photograph nikal payegi.. bolo jawab do surya..

surya - komal ji aap ke liye kuchh bhi mumkin ha. aap akash se chand taare tod kar lane ko kahengi to ye surya inkaar nahi karega.. sab bad me. ab is bande se prashn poochhen..

komal rani ka josh aur shauk seema par tha. fir wo bande ke karib hoti hui usse poochhne lagi..

komal rani - kon ha mere parivar ka kaatil. agar tum usay jante ho to tumhare dimag me uski koi tasveer zarur hogi.. usay yaad karo. apne dimag ki screen par usay mujhe dikhao... mujhe mere parivar ke dushman ko dekhna hai.. mujhe dekhna hai.. wo kutta kaisa dikhai deta hai..
Bhot hi saandaar update h waiting for your next update 🧐
 
big king

Active Member
621
1,055
123
Bahot mast update tha dost agle update ka besabri se intejaar rahega dost jaldi dena bhai update 👌👌👌👌👌👌👌👌👌🙏🙏😊
 
  • Like
Reactions: spritemathews

Mk1

Member
397
425
78
Nice update bro but family ka self realization thoda jldi ho gya
 
Rocky2602

Well-Known Member
7,513
14,408
189
Nice n fantastic
 
Neerav

Active Member
1,456
2,173

Msst bhai
 
deepak365333

Member
308
824
94
Absolute one but bada uss se nafrat karta hai aur chota pyaar yeh galat bhai jaisi karni vaisi bharni
 
Top