Chinturocky
Well-Known Member
- 4,398
- 12,813
- 158
wow bhai nice startUpdate 1.
Ek ladka jo kabhi mohabbat ka mazak udaya karta tha.
Kahta tha pyar mohabbat sab bakwas hai ye sab log apni apni sexual need puri karne ke liye ek dosre ko mahabbat ke naam se use karte hai.
Aaj wahi apni mohabbat ko gali gali me dhund raha hai.
Usne kabhi socha bhi nahi tha ke usko kabhi mohabbat hogi magar taqdeer usko mahabbat ke paas laker hi gayi.
Aaj mausam ka mijaaz kafi tadak ta bhadak ta tha barish kafi zoro se baras rahi thi aisa maloom hota tha ke ye mausam kisi ke dukh me ro raha hai.
Wahi aisi barish me log idhar se udhar bhag rahe the koi chata khol raha tha toh koi kisi saya dar jaga per pani se bachne ke liye thaher gaye they toh koi chai ki chuski lerahe they.
Aise me ek ladka barish me bheeg raha tha aur kuch badbada raha tha.
Aisa lag raha tha jaise ye barish us ko bohat hi shiddath se kisi ki yaad dila rahi thi.
Aisa maloom pad raha tha ke woh iss barish ke zariye se kisi ko mehsus kar raha ho.
Us ke ankhon se pani nikal raha tha magar woh pani bhi iss barish me kahi gum hota ja raha tha.
Woh lakda aise hi najane kitni hi der barish me khada raha use kuch hosh hi nahi tha ke use log badi hi ajeeb nazron se dekh rahe hai.
Aisa maloom pad raha tha ke usko in logo se koi farq hi nahi pad raha ho.
Woh bas yahi kah raha tha ke kyun chod gayi tum mujh ko.
kyun, kya mujh par zara bhi bahrosa nahi tha.
Ya meri mohabbat pe bharosa nahi tha.
kya meri mohabbat itni kamzor thi ke tumne us per bharosa nahi kiya.
Woh yahi badbada raha tah ke uske kandhe per kisi ka hath mahsoos kar ke woh hosh me ata hai aur mudh ker dekha toh uske dost ahmad aur imtiyaz uske paas khade hai aur us ke kandhe per ahmad ka hath hai.
Toh woh ahmad se kahta hai.
Ladka : ahmad yaar kya meri mohabbat itni kamzor thi ke woh mujh ko yun chod gayi. kya usko mujh per aur meri mohabbat pe inta bhi yakeen nahi tha ke usne mujhe kuch kahne ka mauka bhi nahi diya.
Aur chod kar chali gayi.
Kyun yaar kyun kiya usne aisa kyun.
Ye kah kar woh ladka uske dost Ahmad ke gale lag kar zor zor se rone lagta hai.
Ahmad : ( with tears ) nahi yaar usko tujh per pura bharosa tha.
Kuch wajah rahi hogi warna yaar woh bhala kyun tujh ko chod jati.
Woh toh tere ko tere se bhi ziyada pyar karti thi.
Yeh kah kar ahmad bhi us ko kaske gale laga leta hai aur use samhja ne lagta hai.
Itne me imtiyaz jo inke sath hi khada tha situation ko halka karne ke liye kahta hai.
Imtiyaz : Abe ab kya aise hi khade rahoge kya.
log hume ghoor rahe hai jane kya kya sonch rahe honge.
Ab chalo bhi ab kya yahi khada rehna ya shopping bhi karni hai.
Yeh kah kar woh un dono ko kheech ne lagta hai jisse dono alag hojate hai.
Alag hokar ahmad kahta hai.
Ahmad : humare aise gale milne se tujhe mirchi lag rahi hai toh tu bhi milley kisi kutte wutte se.
Yeh kah kar woh bhi mahol halka karne ke liye hasne lagta hai.
Imtiyaz : mil toh lu mai bhi kisi kutte se gale magar kya hai na mere yaar ajju (Azeem ) ke gale pahle hi ek kutta mil raha hai.
Yeh kah kar woh bhi hasne lagta hai.
Jisse sun kar ahmed imtiyaz ke peeche bhaagta hai.
Ye kahte huwe.
Ahmed : sale tune muje kutta kaha ruk abhi batata hoon ke kon kutta hai.
Ruk sale bhagta kaha hai ruk.
Imtiyaz : abe jaja mujhe pata hai tu kya hai batane ki koi zarurat nahi hai.
Ajju ab thoda normal hogaya tha woh bhi ab in log ke sath shamil hojata hai.
Ajju : are tum dono ladna band karo aur chalo shopping karne.
Ahmad : sale aaj toh tu ajju ki wajah se bach gaya agli baar dekh lunga.
Imtiyaz : chal thik hai phir isi baat per tujhe meri taraf se cigarette ka ek pocket free.
Ajju : are abhi nahi yaar baad me pahle shopping karte hai phir kisi acche se restuarant me lunch karte hai phir koi movie bhi dekh lenge.
Ahmed : haan yaar ye sahi rahega.
Imtiyaz : toh thik hai phir chalo jaldi se shopping karke nikalte hai.
Phir teeno shopping karne lagte hai.
Shopping ke baad teeno wahi mall me hi lunch karte hai aur wahi mall me hi movie dekhte hai.
Imtiyaz : Yaar movie acchi thi yaar.
Ahmed : Kya khak acchi thi isse acchi toh maihi acting kar leta.
Imtiyaz : abey tujhe kya pata movies ke bare me sale koi kaam toh sahi se hota nahi hai bada aya acting karne wala.
Ahmed : kya bola bey mere se koi kaam sahi sa nahi hota.
Tu toh bada mr perfect hai na.
Ajju : Are yaar ab bas bhi karo.
Kya har waqt ladte rahte ho chalo ghar chale.
Teeno gadi me baith jate hai.
In car :
Imtiyaz : aur bhai kal chalna hai na meeting me.
Ajju : haan chalna hai maine presentation bhi ready karli hai.
Imtiyaz : ok phir thik hai.
Ahmed :Haan haan tujhe toh thik hi lage ga kaam chor kahi ke.
Imtiyaz : kya bola be phirse bol.
Ahmed : yahi ke tu kaam chor hai.
Imtiyaz: aur woh aisa q.
Ahmed : woh is liye ke ye presentation tujhe tayyar karni thi.
Imtiyaz : haan toh kya hua maine kiya ya ajju ne ek hi baat hai.
Ahmed : haan toh isi liye hi toh kaha hai kaam chor.
Abhi imtiyaz kuch kahta ajju ne dono ko chup kara diya.
Jo itni der se dono ki bahes sun aur dekh raha tha.
Ajju : chup hojao tum dono jab dekho tab ladne lag jate ho.
Aur kaan khol kar sunlo kal tum dono ko mai present karne wala hoon.
Yaad rahe waha koi gadbad ki toh tum dono ki aisi halat karonga koi pahchan hi nahi payega.
Imtiyaz : haan toh mai kaha kuch karta hoon yahi sab karta hai.
Ahmed : haan sale jaise ke tu toh doodh ka dhula hai kuch bhi nahi karta.
Ajju : are tum log phir se shuru hogaye.
Aise hi baat karte karte ye log ghar pohanch gaye
Teeno ke ghar ek hi Colony me they.
Pahle imtiyaz ka ghar lagta hai toh usko us ke ghar ke paas drop karke dono ne use bye kaha aur kal ke liye jaldi ready rahne ko kaha. Aur apni car agey barhadi.
Ahmed : Aaj achanak uski yaad kyun agai thi tujhe.
Ahmed ne car imtiyaz ke ghar se thoda agay ane per ajju se pucha.
Ajju : tujhe toh pata hi hai na yaar us ko barish kitni pasand thi.
Aaj barish ko dekh kar uski yaad agai ke kaise woh barish me bachon ki tarha bheega karti thi.
Na kisi ka daar tha usko na kisi ki parwah.
Bas usko barish me bheegna hota tha jo woh bheeg kar hi rahti thi.
Bas yaar aaj barish ko dekh kar aisa laga ke woh bhi wahi per bheeg rahi hai aur mujhko apne paas bula rahi hai.
Ye kahte huwe ajju ki ankhen thodi si nam hojati hai.
Ahmed : Haan yaar mujhe pata hai usko barish kitni pasand hai.
Magar yaar tu baar baar aise sad mat hojaya kar accha nahi lagta.
Ajju : kya karu yaar bohat yaad ati hai woh.
Aaj toh barish ki wajah se aur bhi yaad arahi hai uski.
Ahmad : chal chod yaar aur bata uncle aunty kaise hai aur didi kaisi hai.
Bohat din hogaye unse mile hue.
Aaj millunga.
Ajju : sab acche hai.
Mummy tujhe bohat yaad karti hai.
Aur didi bhi tere se bohat naraz hai.
Teri toh beta lagne wali hai.
Hahahaha.
Ahmed : sale dara mat pehle hi aunty ne kaha tha milne ke liye.
Aur didi ko manana bhi hai uske liye alag se papad belne padenge.
Ajju : hahahahaha sale kisne mana kiya tha tujhe ghar aney ke liye.
Maine kai baar bola ke ghar per aakar mille.
Per nahi sahab ko toh fursat hi nahi.
Aise hi bate karte huwe dono ajju ke ghar pohanch jate hai.
Ab zara ajju ke family ka intro kar lete hai.
Name : M.A Ghani Qureshi ajju ke dad
Age : 47
Magar dikhte nahi apni fitness ka khas khayal rakhtey hai.
Aaj bhi koi inko ajju ke sath dekhe toh.
Inko baap beta nahi bada bhai hi samhaj te hai.
ye ek businessmen hai.
Ye India ke jane mane industrial hai.
Inke kai sare shopping mall aur companies complexes aur bhi kai sare business hai.
Inke ek eshare per sarkare palat jati hai.
Doulat hone ke bawajud bhi ye kisi ko bhi apne se chota nahi samjahte aur ghareeb o besahara logon ki hamesha madad karte hai.
Inko duniye me sab se pyara inka pariwar hai.
Aur apne dono bachon me inki jaan basti hai.
Ye in ke liye kuch bhi kar sakte hai.
Name : Faima Qureshi ajju ki mom.
Age : 45
Magar lagti nahi hai apni sehat ka ziyada khayal rakhti hai.
Koi bhi in ko dekh ker ye nahi kah sakta ke ye do bacchon ki maa hai.
Aise dikhti hai ke abhi abhi shadi hui hai.
Ye ek house wife hai aur apne husband aur apne dono bacchon se bohat pyar karti hai.
Ye Nature ki bohat hi shant hai magar koi inke husband ya inke bacchon ko kuch bhi kahe toh utni hi khatarnak hojati hai.
Name : M.A Azeem Qureshi ( ajju ) ( Hero )
Age : 24
Colour : Fair.
Dekhne me ek dam hollywood ke hero ki tarha koi bhi ek bar dekhe toh bhool na paye.
Har koi isko pyar se ajju bolte hai.
Ghar ke chote aur ek lautey bete hai.
Bachban se hi ye khush mijaz ke hai har kisi se tameez se milna apne se badon ki izzat karna choton ko pyar karna.
Bade baap ki ek lauti aulad hone ke bawajud bhi is me zara bhi ghamad nahi hai.
Isko hamesha se hi sadgi pasand hai.
Ye ziyada showoff nahi karta.
Ye hamesha simpe hi rahta hai.
Is ko duniya me sab se ziyada apni famliy pyari hai.
Ye apni family se bohat pyar karta hai.
Aur khas kar apni didi se jo isse 1saal badi hai.
Iss me iss ki jaan basti hai.
Agar didi ko zara sa bhi bukhar(fever) hojaye toh ye raat raat bhar jaag kar in ki dekh bhal karta hai.
Iss ke char best friend hai.
Jin ke liye ye kuch bhi karne ko taiyyar rahta hai.
Ahmed
Imtiyaz
Nizam
Alauddin
Aur bhi friends hai magar ye iss ke best buddies hai ye bachpan se hi inke sath bada hua hai.
School aur college me bhi ye sath hi rahe.
Name: shaheen qureshi
Age:25
Colour : Fair
Dekhne me ekdam masoom aur bohat hi khubsurat hai.
Ye thodi si chulbuli aur natkhat hai.
Magar gussa toh madam ki naak per rahta hai.
ye ek docter hai inko bachpan se hi docter banne ka shauq tha aur iss ko inho ne apna passion bana liya.
Ye apne mom dad ki ladli hai.
Aur ye apni dad ki jaan hai.
Aur inki jaan inka ek lauta bhai ajju hai.
Ajju naam bhi inhi ka diya hua hai bachan se hi ye iska khayal rakhte hue ayi hai.
Inko inki family bohat pyari hai.
Ahmed aur imtiyaz ko bhi ye apne bhai ki tarha hi treat karti hai. Aur Ahmed imtiyaz bhi inko apni sagi bahen ki tarha hi mante hai.
Ahmed family intro.
Name : Amjed baig. ( Ahmed dad )
Age : 45
Colour : fair
Ye ek businessmen hai in ka moter parts ka business hai.
Ye bhi ek rich family se belongs karte hai.
Inka nature tohda sakht hai.
Ye apne bete Ahmed ki sharaton se bohat pareshan rahte hai.
Magar pyar bhi bohat karte hai magar dikhate nahi har waqt us ko kuch na kuch kahte hi rahte hai.
Ye apni beti ko bhi bohat pyar karte hai.
Ye apni family se bohat pyar karte hai.
Name : Shaziya baig(Ahmed mom)
Age : 45
Colour : fair
Ye ek house wife hai.
Inko apne husband aur bachao se bohat ziyada lagao hai.
Ye ziyada waqt apne ghar me hi rahti hai.
Ye apne bete se bohat pyar karti hai jab bhi ahmed ke dad usko dante hai ye beech me aker isko bacha leti hai.
Name : Ahmed baig.
Age : 25
Colour: fair
Dekhne me handsome hai aur ye ek dil phek ashiq hai.
Jo bhi ladki inko acchi lage uske sath flirt karna apna dharam samhaj te hai.
Aur kai baar ladkiyon se chata bhi kha chuke hai.
Ye C.A hai. Mathematics me inko bohat intrest hai.
Ye apne doston per jaan chidak ta hai.
Apne doston ke liye kuch bhi kar guzar jata hai.
Ye apne maa baap ke ek laute bete hai.
Aur eklaute hone ka pura fayda uthate hai.
Imtiyaz family intro.
Name : Ishaq mirza ( Imtiyaz dad ).
Age : 50
Colour: fair
Ye ek retire major hai. Ye bhi ke rich family se belong karte hai.
Ye niyamo ke bohat shakt hai.
Inko niyamo ko na manne wale bohat hi zaher lagte hai.
Inke char bete hai.
Ye apne beton ko bhi apne jaisa fauji banana chahte hai.
Inke teen beton ne toh ikni baat manli magar ek ne nahi.
Ye bohat hi sakht khisam ke hai.
Inka manna hai ke jo insaan apni zingadi me niyam nahi banata woh kabhi bhi kamiyab nahi hota.
Waise toh ye apne family se bohat pyar karte hai.
Magar kabhi dikhate nahi.
Name : Ayesha mirza. ( Imtiyaz mom )
Age : 45
Colour: fair
Ye ek house wife hai inko apne bacchon aur husband se bohat pyar karti hai.
Ye apne husband ki har baat ko support karti hai.
Bus apne chote bete se bohat pyar karti hai
Isi liye is ko inho ne fauj me jane nahi diya.
Name : Imran Mirza. ( kernal in indian army ) big brother .
Name : Asif Mirza ( major in indian army) second brother .
Name : Arshad Mirza ( lieutenant in indian army) third brother.
Name : Imtiyaz Mirza.
Age : 25
Colour : fair
Dekhne me handsome hai aur intelligent bhi bohat hai.
Ye ek software engineer hai.
Inko bachpan se hi computer me interest hai.
Ye computer aur mobile me hamesha lage rahte hai.
Ye apne sacche pyar ki talash me hai.
Inka manna hai ke zindagi bina pyar ke nahi kat sakti.
Yah humesha haste aur hasate rahte hai.
Inki life me inke family aur best friends hi inke liye sab kuch hai.
Ye apne friends ke kuch bhi karne hamesha taiyyar rahte hai.
(Aur bhi log ayenge jinka intro agey hoga toh ab story per agey badte hai ).
Jaise hi ajju aur ahmed gahar ke paas jate hai watchman inki car dekh kar gate kholta hai.
Phir ajju car garage me park karke ata hai aur dono andar jate hai.
Jaha per ajju ki mom hall me baith kar TV per koi show dekh rahi thi unho ne jab dono ko dekha toh TV band kar deti hai.
Dono ne ajju ki mom ko salam kiya.
Ajju : assalamu alaikum mom.
Ahmed : assalam alaikum aunty
Mom : wa alaikum assalam beta ji.
Arey beta aap is taraf kaise bhatak gaye.
Aaj hum ghareebon ki kaise yaad agayi.
Ahmed unke aisa kahne ka matlab samhaj chuka tha isi liye usne agey bad kar kaha.
Ahmed : arey aunty aisa kyun kah rahi hai aap.
Aap ko toh pata hi hai na mai mere nani ke paas gaya hua tha.
Mom: arey bhai aap ko aye hue bhi kitna time hua ye bhi bolye.
Ahmed : arey aunty mai thoda busy tha.
Thik hai aunty sorry ainda aisa nahi hoga.
Ye kah kar ahmed ne apne kaan pakad kar masoon si shakal banai jise dekh kar ajju aur uski mom ki hasi nikal gayi.
Ajju : chalo mom maaf kar bhi do dekho toh kaisa bechare si shakal bana rakhi hai isne.
Aur waise bhi didi se bhi toh saza milni hai.
Ye kah kar ajju apni mom ke paas chala gaya.
Mom : chal mai toh maaf kar deti hoon.
Per yaad rahe agli baar bilkul bhi maaf nahi karongi.
Aur baitho tum logao ke liye coffee bana kar lati hoon.
Ye kah ker mom chali gayi.
Mom ke jate hi ahmed aur ajju sofe per baith gaye.
Ahmed : aunty didi kaha per hai nazar nahi arahi.
Sofe per baith kar ahmed ne ajju ke mom ko awaz laga kar pucha.
Mom : beta woh hospital gayi hui hai ati hi hogi.
Jaise hi ajju ki mom ne bola waise hi door bell baji.
Bell ki awaz sun kar mom ne ajju se kaha.
Mom : beta dekh teri didi ayi hogi ja jaker door toh khol.
Ajju ne uth ker door khola aur dekha ke baher uski didi khadi thi.
Ajju ne side hat kar didi ko jaga di toh didi ander ayi aur akar sofe par baith gayi.
Unhone ahmed ki taraf ek baar dekha aur usko ignore kardiya.
Ahmed jo door bell bajne ke time se thoda sa dara hua tha ab didi ka khud ko aise ignore karne se aur bhi ziyada daar gaya.
Aur sofe se uth ke didi ke paas gaya aur unse kaha.
Ahmed : assalamu alaikum didi kaisi hai aap.
Ahmed ke salam karne per bhi didi ne uske taraf nahi dekha aur ajju se kaha.
Didi : aur smarty aaj tu shopping per jane wala tha na gaya ya nahi.
Ye kah kar didi ne apna phone nikala aur usme aise hi dekhne lagi.
Ahmed ko pata tha didi usse naraz hai isi liye uski baat ko ignore karke ajju se shopping ka pucha.
Ajju : haan gaya tha na didi aur shopping bhi ki aur movie bhi dekhi.
Ahmed jo didi ka is tarha ignore karne se samhaj gaya tha ke didi usse bohat naraz hai isi liye usne apne shopping bags jo usne ajju ke ghar aney ke baad sofe per rakhe they uske paas gaya aur usme se ek bag nikal kar didi ke paas gaya.
Aur didi se kaha.
Ahmed : ye lijiye didi apke liye.
Aur bag didi ke taraf barha diya.
Ahmed ki awaz aur apne samne khade ahmed ko didi ne ek nazar utha kar uski taraf dekha aur apne phone me busy hogai.
Didi ko aisa karte dekh ahmad ne didi ke samne gutnon ke bal baith gaya aur apne kaan pakad kar didi se kaha.
Ahmed: sorry didi maaf kardijiye na.
Didi ne is baar ahmed ki taraf dakha aur didi ne ahmed ki jagha ajju se kaha.
Didi : ajju kah do isse ye chala jaye yaha se mujhe isse koi baat nahi karni.
Ye kah kar didi sofe se uth kar kitchen ki taraf chali gayi.
Didi ko aisa jata hua dekh ahmed bhi unke peeche bhaga.
Ahmed: are didi meri baat toh suno na plz.
Didi: mujhe koi baat nahi karni tumse.
Ahmed: are iss baar maaf kardijiye na next time se aisa nahi hoga.
Didi : haan haan har baar ka yahi hai tumhara didi next time nahi hoga kahna aur phir ghayeb hojana huh.
Ahmed: are nahi didi aaj ke baad aisa nahi hoga pakka promise.
Aisa kahte hue ahmed ne ajju ki taraf dekha jaisa kah raha ho bhai please kuch kar na yaar.
Ajju jo itni der se sab dekh raha tha aur maze le raha tha aur maze lene ke liye usne apni jaga se uthte hue apni didi se kaha.
Ajju : haan haan didi aap sahi kah rahi ho her baar ye aisa hi karta hai.
Aur maine kitni baar isse kaha bhi ke didi tere bare me puch rahi hai ek baar ghar aaker mille.
Har baar yahi kahta haan bhai thik hai ajaonga magar ata hi nahi.
Ahmed ko bilkul bhi iski ummid nahi thi ke ajju aisa bhi kuch kahega usne jaldi se didi se kaha.
Ahmed : ( hadabada kar ) are nahi nahi didi ye jhoot bol raha hai mai toh yaha tha hi nahi.
Mai apne nani ke paas tha isi liye nahi aya yaha per warna mai toh har roz yaha ka ek chakkar zarror lagata hi hoon.
Didi jo itni der se gussa hone ka natak kar rahi thi ahmed ke is tarha hadbada kar bolne se unki hasi nikal gayi aur woh zor zor se hasne lagi aur ajju bhi hasne laga unke sath sath.
Jise dekh ahmed bhi samhaj gaya ke didi usse naraz nahi hai bus usko satane ke liye drama kar rahi hai
Didi : ( haste hue ) hahaha ahmed mujhe pata tha ke tum apne nani ke yaha gaye hue the isi liye yaha nahi aye.
Ye sab drama toh mujhe ajju ne karne ko kaha tha jab tum log ghar per aye toh iss ne mujhe massage kar kaha ke ahmed ghar me aya hua hai aur aap ko usse koi baat nahi karni aur woh kuch bhi bole aap ko bas gusse wala hi look dena hai.
Isi liye maine aisa kiya.
Didi ki baat sun ahmed ne aaju ki taraf gusse se dekha
Ahmed : kamine toh ye sab tera kiya dhara hai ruk bhagta kaha hai.
uske taraf bhaga.
Ajju jab didi ahmed se sab kah rahi thi tabhi se bhagne ke liye ready tha usko pata tha aisa hi kuch hoga.
Isi liye ahmed ke pakad ne se pahle hi bhagne laga.
Ajju : are are bhai mai toh bas mazak kar raha tha.
Ahmed : tu ruk tera mazak mai abhi nikal ta hoon.
Bada shaukh chada hai na tujhe mazak karne ka ek baar mere hath aja phir batata hoon tujhe.
Ahmed bhi uske peeche bhagne laga.
Dono aise hi bhaag rahe the ki utne me ajju ki mom kitchen se apne hath me coffee ki tray le kar ati hai.
Aur dono se kahti hai.
Mom : are band karo ye bacchon ki tarha bhagna aur ladna kab tak aise hi rahoge tumlog kab bade honge.
Ajju aur ahmed bhi mom ki baat sun kar ruk jate hai aur aaker sofe per baith jate hai.
Baith kar apna apna coffee ka cup utha kar chup chap coffee pine lagte hai.
Sabhi kahmoshi se coffee pete hai.
Coffee pine ke baad ajju ki mom ahmed se kahti hai.
Mom : aur beta ghar me sab kaise hai mom aur dad.
Aur tumhare nana nani ki tabiyat kaisi hai.
Tumhari mom toh ab ati hi nahi hai.
Bohat din hogaye hai usne mile hue.
Aur tumhare mama mami kaise hai.
Ahmed: ji aunty sab acche hai mom dad bhi acche hai.
Nana nani ki tabiyat bhi acchi hai.
Aur mama mami bhi badiya hai.
Aur mom ne bhi aap ko salam kaha hai aur ye bhi kaha hai ke jald hi aap se milne bhi ayengi.
Mom : tumhari mom ko bhi mera salam kahna aur kahna ke mai bhi unka intezar karongi.
Aise hi bate karte rahe hum log.
Didi : waise ahmed kuch laye the tum mere liye kaha hai woh.
Ahmed : ( muskurate hue )are mai kaha kuch laya mai toh bas aise hi aap ko manane ke liye bol raha tha.
Didi : ( jhootha gussa dikhate hue )huh jao mai tum se baat nahi karti.
Ahmed : are didi aap toh naraz hogai mai toh bus mazak kar raha tha.
Ye lijiye aap ke liye aap ke favorite color ki dress.
Ye kah kar ahmed ne apne paas ke sofe per rakhe bags me se ek bag ajju ki didi ko deta hai.
Didi : wow ahmed ye toh bohat hi beautiful hai. Thanks.
Ahmed : are ye kya didi thanks kah kar apne paraya kardiya na.
Didi : are nahi bhai mera aisa koi matlab nahi tha.
Agar tumhe bura laga toh sorry.
Ahmed : are nahi didi mujhe bura nahi laga mai toh bas aise hi kah raha tha its ok.
Didi : aisa hai toh its ok. Aur ajju tune kya laya mere liye.
Ajju : mai bhi dress hi lene wala tha but isne le liya toh mai ne aap ke liye yeh sandals aur ye watch liya hai. Aur mom aap ek liye ye sadi aur dad ke liye ye panjabi laya hoon.
Yah kah kar ajju ne apne paas rakhe bags me se ek bag apni didi ki taraf badha diya.
Aur do bags apne mom ko diye.
Didi : wow ye toh matching hai thanks bhai tum dono world ke sab se acche bhai ho.
Ye kah kar ajju ki didi ne dono ko ek hug diya.
Ajju ki mom jo sab kuch itni der se apne bacchon ke bheech ki meethi takar aur pyar ko dekh rahi thi uth kar apne bacchon ki peshani( matha ) ko choom kar kaha.
Mom : tum logon ke pyar ko kisi ki nazar na lage. Tum log aise hi ek dusre ke sath rahna.
Aur ye imtiyaz kaha hai aya nahi tum logon ke sath.
Ajju : mom woh bhi aya tha humare sath shopping bhi ki but kal meeting me uska presentation bhi hai uske liye usko uske ghar chor kar aye hai.
Mom: ok chal thik hai kal meeting ke baad usko bhi ghar lekar ajana.
Ajju : ok mom.
Mom : thik hai tum log baten karo mai dinner ki tayyari kar leti hoon. Waise bhi ab thodi der me tumhare dad bhi ate hi honge.
Ye kah kar mom kitchen me chali gayi unke sath didi bhi unki help karne chali gayi. Ab ahmed aur ajju hi dono hall me baithe hue the.
Ahmed : toh kal kya karne wala hai tu.
Ajju : ( with smile )kya karna hai tujhe jaan kar. Daar lag raha hai kya tujhe.
Ahmed : abey mai toh aise hi puch raha tha. Mujhe kyun daar lagne laga.
Ajju : haan haan pata hai tu kitna bahadur hai. Chal ye chod aur bata tune apna presentation banaya hai ya nahi.
Ahmed : haan yaar mai ne toh sab tayyari karli hai. Tujhe toh pata hi hai mai kitna mehanti hoon.
Ajju : haan mujhe pata hai tu kitna mehanti hai isi liye puch raha hoon ki banaya hai ya nahi. warna aisa na ho ke tu mere hath se zaya na hojaye.
Ahmed : nahi nahi yaar aisa kuch bhi nahi hai tu toh khama kha mujh per shak karta rahta hai. Maine sab ready kar rakha hai.
Ajju : aisa hi hona chahiye isi me teri bhalayi hai.
Aise hi dono me bate hoti rahti hai ki door bell bajti hai toh ajju jaker door kholta hai.
Baher uske dad khade the apne hath me office bag liye hue.
Ajju: assalamu alaikum dad.
Dad : wa alaikum assalam.
Salam karne ke baad ajju uske dad ko ander ane ke liye jagha deta hai.
Ahmed : assalam alaikum uncle.
Dad : wa alaikum assalam beta.
Aur ahmed ko dekh ker.
Dad : aur beta ahmed kaise ho.
Ahmed : accha hoon uncle.
Dad : aur beta ghar me sab kaise hai.
Ahmed: sab acche hai uncle. Aap kaise hai.
Dad : mai toh ek dam fit hoon.
Baten karte hue teeno sofe per baith jate hai. Ajju ki mom kitchen se pani laker ajju ke dad ko deti hai.
Mom : assalamu alaikum kaisa raha aaj ka din.
Dad : wa alaikum assalam accha gaya. Aap sunaiye aap ka kaisa gaya din.
Mom : humara kya hai bin bhar bas ghar me rahna hai aur ghar ka kaam karna aur kya.
Dad : haan bhai ye toh hai. Aur tum dono sunao kaisa chal raha hai tum logo ka kaam. Maine suna hai kuch naya karne wale ho.
Ajju : ji dad sahi suna hai apne. Hum ek naye project per kaam kar rahe hai. Aur almost pura ho chuka hai.
Dad : ye toh badi acchi baat hai. Best of luck kal ke liye.
Ajju : thanks dad.
Ahmed : thanks uncle.
Dad : ok tum log bate karo mai jab tak fresh hoke ata hoon.
Mom : ok aap jaiye mai bhi jab tak dinning table tayyar karti hoon.
Dad apne room me aur mom kitchen me chale jate hai. Ajju aur ahmed bhi baten karte baith jate hai. Thodi der me dad bhi fresh ho ker ate hai. Aur mom bhi didi ke sath dinning table set karke awaz laga ti hai.
Mom : dinner ready hai sab aajao idhar.
Mom ki awaz sun kar hum sab dinning hall me ajatey hai.
Sab apni apni chair per bhaith jate hai.
Sabhi log baten karte hue dinner karte hai.
(Ab zara ajju ke ghar per ek nazar dallete hai.
Ye bungalow totally luxury hai. Is ghar me har cheez luxury hai.
Ye ek duble story ( floor ) bungalow hai jisme total 8 room 2 hall ek kitchen ek dinning hall aur ek living room hai.
Ghar me enter hote hi bada hall hai right side per kitchen aur left side per dinning hall hai. Hall se sidha jate hi right side per stairs ( sidhi ) hai jo first floor per jate hai.
Stairs se sidha jate hi right side per 2 room aur left side per 2 room hai. Jisme se right side ka room ajju ke mom dad ka hai. Aur ek ajju ke dad ka study room hai. Aur left side me ek room guest room aur ek store room hai.
First floor per 4 room hai right side per 2 room lift side per 2 room hai. Aur Ek bada hall hai jisko ghar me chote mote partys ke liye use kiya jata hai. Right side ka first room ajju ka hai aur second room ajju ka study room hai. Jiska door us ke room se bhi khul ta hai. Left side first room ajju ki didi ka room hai aur second room didi ka lab hai jisko woh apne chote se clinic ki tarha bhi use karti hai. Har room me attached bathroom hai.
Bungalow ke backyard me chota sa garden hai aur ek swimming pool bhi hai. Aur ek garage bhi hai jaha per unke cars khadi rahti hai.
Ye log jis society me rahte hai ye ek pausch socaity hai jahajaha per ziyada tar higher class ke log hi rahte hai.)
Dinner ke baad sabhi hall me baith kar baten karte hai.
Ahmed : ok uncle, aunty mai chalta hoon.
Mom : are beta itni jaldi ja rahe ho. Thodi der or ruk jate.
Ahmed : nahi aunty ab mai nikalta hoon. Ghar per mom , dad intezar karrahe honge.
Dad : ok beta thik hai jao. Allha hafiz. Aur haan salam kahna apne mom, dad ko humari taraf se.
Mom : aur haan apni mom ko kahna ke hum unhe yaad karrahe hai.
Ahmed: thik hai mai kah dunga.
Didi : ok apna khayal rakhna bhai. Bye Allah hafiz.
Ahmed: aap bhi apna khayal rakhna bye Allah hafiz.
Sab se milne ke baad ahmed ajju ke sath baher ata hai.
Ajju : kal time se ajana office. Or haan presentation ko ek baar acchi tarha se check kar lena thik hai.
Ahmed : ( mazak se ) yes sir jaisa apne kaha waisa hi hoga aur kuch sir.
Ajju : (with smile ) aur kuch nahi bus itna hi kafi hai tumhare liye.
Ahmed : thik hai bhai mai sab check karke hi niklonga. Aur time se office pohach jaonga.
Ajju : ok thik hai bye dekh ke jana allah hafiz. Uncle aunty ko salam kahna mera.
Ahmed : ok bye Allah hafiz kah donga salam.
Ahmed apne ghar ko nikal jata hai aur ajju bhi apne ghar me chala jata hai.
Ghar me uske mom dad apne room me sone ke liye chale gyar the. Ajju ki didi hall me baith tv dekh rahi thi. Ajju bhi apne didi ke paas ja kar baith jata hai.
Didi : toh sunao hero kaisa raha aaj ka din
Ajju : accha raha didi.
Didi : toh kya kya kiya aaj tum logon ne.
Ajju : kuch khas nahi pehle shopping phir movie aur last me ek restaurant me lunch bhi kiya. Aur Aap ka din kaisa raha?
Didi : hmmm accha hi raha din bhar patient ko dekhna aur kya.
Ajju : aap bore hojati hongi na didi roz roz mareezon ( patient's) ko dekh kar.
Didi : are nahi bhai mai kyun bor hongi bhala mujhe accha lagta hai logon ko help karna. Aur waise bhi maine bachpan se yahi toh chaha hai. Logon ki help karne me jo kushi hai na woh kisi aur me nahi. Tumhe pata hai jab log dilse khush hote hai tab unke ander ki Khusi ko jab baher latay hai na unko dekh ker itna sukoon milta hai ke unko lafzon bayan ( explain ) karna mushkil hai.
Ajju : haan didi aap sahi kah rahi ho kisi ki help karne me jo khushi milti hai woh kahi aur nahi milti.
Didi : haan isi liye toh mai doctor banna chahti thi.
Ajju : ok didi ab chaliye sone chalte hai. Mujhe kal jaldi jana hai office. Kal bohat kaam hai.
Didi : haan bhai chal thik hai.
Ajju ne tv off kiya aur hall ki aur kitchen ki light off ki aur apni didi ke peeche peeche uper agaya.
Didi : bye ajju goodnight. Kal ke liye best of luck.
Ajju : bye didi goodnight. And thanks.
Ajju ki didi ajju se baat karke apne room me chali jati hai aur ajju bhi apne room mi chala jata hai.
Room me ane ke baad ajju apni dress change kar apna night dress pahen ker bed per baith jata hai. Baith ker apne bed ke paas rakhe table lamp ke drawer se apni dairy nikal ta hai aur usme likhne lagta hai.
In dairy : Kaha chali gayi tum mujhe akela chor kar tumhe pata hai na mai tumhare bina ek pal bhi nahi rah pata phir bhi mujhko chor kar chali gayi tum. Aaj jab barish ho rahi thi toh aisa laga jaise tum mujhe apne paas bula rahi ho aur kah rahi ho ke ajju ajao aur mujhe apne seene se laga lo. Mujhe aaj bhi yaad hai ke tumhe barish kitni pasand thi. Tum humesha jab bhi barish hoti toh ek pal bhi gawaye bina apna sab kaam chor kar barish me bheegne lagti. Aur mai tumhe mana karta phir bhi tum nahi manti. Mujhe bhi apne sath lejati phir mai gussa hojata toh tum mujhe manati. Please ab mai kabhi bhi tum per gussa nahi karonga ajaona please tum mujhe bohat yaad ati ho.
Dairy me likhte hue ajju ki ankhon me ansu ajate hai. Jise saaf karna bhi woh zaroori nahi samhajta. Dairy me likhne ke baad dairy ko wapas drawer me rakh kar ajju apne bed per let jata hai aur sone ki koshish karte hue sonchne lagta hai.
Ajju : ( apne aap se ) kya waqai me mai itna bura hoon ke usne mujhe chor kar jana sahi samjha. Aur ek baar bhi mujhse baat karne ki koshish nahi ki. Kya mujhse hi koi ghalti hui hogi jiske liye usne aisa kiya. Haan shayed maine hi aisa kuch kiya hoga jo mujhe nahi karna chaiye tha. Ya phir kuch aur wajha rahi hogi.
Aise hi jane kya kya sonchte hue ajju neend ki wadiyon me khoja hai. Apne ane wale kal ke intezar me.
Kahte hai na kuch log apne peeche kuch aise nishan chod jate hai ke unke sath na rahne per bhi unke rahne ka ahsaas karte hai.
Ajju ke sath bhi aisa hi horaha hai.
Dekhte hai ajju apne pyar ko dhond pata hai ya nahi. Aur apne pyar se milta bhi hai toh halat kaise rahte hai.
Aur
Dekhte hai ke aisa kya hua ajju aur uske pyar ke sath jo ek dosre se BE-INTEHA ISHQ karne wala pyar achanak se kaha chala gaya aur aisa kya hua hoga uske sath jo usne ajju ko bina bataye chali gayi. Iss me ajju ki ghalti thi ya pyar ki majburi ya kisi ki sonchi samji sazish...... janne ke liye bane rahe mere sath BE-INTEHA ISHQ.
Written by ( MAQ ) MOHAMMED AZEEM QURESHI.
Pahla update kaisa laga comment me zaroor batana.
6153 words
awesome updateUpdate 2.
Ek ladki apne room me aram se so rahi thi. Uske chahre per is waqt bohat hi pyari aur dil ko chu lene wali muskuraht thi. Usko dekh ke koi bhi kah sakta hai ke woh is waqt koi bohat pyara sapna dekh rahi hogi.
Achanak hi woh hadbada kar uth jati hai.
Uth kar dekhti hai ke koi uske bed ke paas khada hai aur gusse se use kuch kah raha hai.
Uske achanak uth kar baith ne ki wajha bhi. woh samne khada shaks hi tha. Kaise ? Toh thoda peeche chalte hai.
Ek lady ek room me jati hai aur us room me ek ladki bed per soyi hui hoti hai. Woh us ladki ko awaz laga kar uthati hai magar ladki nahi uthti toh woh paas me pada pani ka jug us ke uper dal deti hai. Jisse woh ladki hadbad kar uth jati hai.
Lady : ( gusse se ) Maharani sapne dekhna khatam hogaya ho toh jaldi uth ja aur kaam karle.
Ladki : ( darte hue ) ji...j...i ma..i abh..i ati hoon.
Lady : ( ghurte hue ) 10min me tum kitchen me hona chahiye.
Ladki : ji thik hai.
Woh lady usko kitchen me anay ka bol kar room se baher chali jati hai. Lady ke jate hi woh ladki apne apse kuch badbate hue uthti hai.
Ladki : chal beta mahi uth ja aur lag ja kaam pe aise baithe rahi toh phir miss hitler ( Nadiya ) ajayegi aur kahe gi tum logon ko ek baar me baat samhaj nahi ati kya.
Apne aap se baat karte hue mahi washroom me jaker fresh hoti hai. Aur room se nikal kar sidha kitchen me chali jati hai.
New intro.
Name : Miss Nadiya khanam
Age : 50
Colour: Fair
Ye ek yateem khana( orphanage ) chalati hai. Ye ek sakht khisam ki khatoon (lady) hai. Ye kafi time se ye yateem khana chala rahi hai. Ye bachon se bohat hi sakhti se pesh ati hai. Ye in bachon se bohat kaam karati hai. Ye ek lalchi kism ki aurat hai. Yaha per bohat sare bache rahte hai. Inko in bachon se koi matlab nahi hai. Inko bas paiso se matlab hai. Ye bachon ke naam per kai bade bade logon se chanda ( fund ) leti hai. Aur isi se ye yateem khana ( orphanage ) chalta hai. Ye ek bewa ( widow ) khatoon hai inke shoher ka inteqal ( death ) inki jawani me hi hogaya tha inki koi aulad nahi hai. Aur ye yateem khana bhi inke waleed ( father ) ne shuru kiya tha ghareeb or yateem bachon ke liye. Unke waleed ke inteqal ( death ) ke baad ye inke under me agaya.
( MISS NADIYA KHANAM )
Yaha per kaam karne per hi kahana milta hai yaha per chote aur bade bache hai aur ye yateem kahne me sirf ladkiyan hi rahti hai.
Name : kahiroon bee.
Age : 50
Colour : Fair.
Ye ek mazakiya maijaz ki aurat hai ye her hamesha kisi na kisi se mazak karti hi rahti hai. Inki bhi koi aulad nahi hai magar ye yaha ke bachon ko apne bachon ki tarha hi pyar karti hai. Ye talak shuda aurat hai. Ye ek ghareeb family se belongs karti thi. Inke sasural walon ne in per bohat zulm kiya tha aur shauher ( husband ) bhi sharabi tha her roz marna pitna aur apne gharwalon se bhi galiya dene lagata tha. Magar ye kuch bhi nahi kahti thi per jab zulm bohat ziyada hogaya toh inho ne iske bare me apne ghar walon ko kaha magar gharwale bhi kya karte inki itni takhat kaha thi ke kisi ke khilaf kuch kar sake isi liye inke gharwalon ne inko saber karne ko kaha. Jab inko apne gharwalon se bhi koi madad na mili toh ye apne aap ko kahtam karne ke liye chali gayi thi. Ye apne aap ko train ke niche aker apni jaan deni hi wali thi ke kisi ne aker inko waha se peeche kheench liya. Ye nadiya ke baba ( father ) the inho ne inko waha se apne yateen khane ko laye aur inko apne apko kahtam karne ki wajha puchi toh. Kairtoon bee ne inko apni kahani batayi jab nadiya ke baba ne inki kahani suni toh inho ne inki madad karne ke liye kaha aur inko inke shauher se talak bhi dilwaya. Tab se ab tak ye yahi rahti hai. Yaha per sabhi bachon ki dekh bhal yahi karti hai.
Ye ziyada tar hyderabadi basha ka istemal karti hai.
( KHAIROON BEE )
Name : Mahira Chaudhary. ( HEROIN )
Nick name : Mahi.
Age : 23
Colour : Very Fair
Ye ek sidhi sadhi si lakdi hai. Dekhne me ek dam masoom aur bholi bhali si ye ladki medium hight gol chara badi badi ankhe Curley ( ghugrale ) baal ek dam slim aur bohat hi khubsurat ladki hai. Koi ek baar dekhe toh bhool hi nahi sakta. Mahi yaha per bachpan se hi hai. Ye ek khush mijaz ladki hai. Ye her kisi ki help karti hai. Mahi nadiya ke baba ko ek sadak ( road ) ke kinare behosh padi mili thi. Mahi jab nadiya ke baba ko mili thi tab uske paas me ek locket tha jisko nadiya ke baba ne pehle toh dekha phir mahi ke gale me pahna kar mahi ko apne sath le gaye. Jab mahi nadiya ke baba ko mili thi tab sirf 2saal ki thi. Mahi ko jab nadiya ke baba apne ghar ( orphanage ) laye aur usko doctor ko dikhaya thodi der ke baad jab mahi ko hosh aya tab nadiya ke baba ne uske bare me pucha toh usse kuch bhi maloom nahi kar sake. Toh unho ne apne area ke police station me iski khabar ki toh police walon ne mahi ke bare me pata karke bolne tak usko nadiya ke baba ke paas hi rahne ko kaha. Police walon ne mahi ke bare me maloom karne ki koshish bhi ki per kuch bhi pata na chala sake toh uski custody nadiya ke baba ne leli. Tab se mahi yahi per rahti hai. Yaha per mahi ko sabhi log pasand karte hai. Khas ker kahiroon bee ka mahi ke sath bohat lagao hai. Khairoon bee mahi ko apni sagi beti ki tarha pyar karti hai. Bachpan se mahi ko unho ne hi palpos ke bada kiya hai. Mahi ek bohat hi hoshiyar aur talented ladki hai usne isi saal MBA kiya hai. Aur ab naukri ki talash kar rahi hai. Aur pyar se sabhi ise mahi kahke bulate hai.
( MAHIRA CHAUDHRY ).
Waise toh yateem khane me aur bhi ladkiya hai but unka bohat hi kam role hai jab bhi kisika rol important hoga uska ek short intro ho jayega.
Ab agey badte hai.
Mahi jab kitchen me jati hai toh waha per kahiroon bee pahle se hi rahti hai.
Mahi : assalamu alaikum ammi. ( mahi bachpen se hi khairoon bee ko ammi hi kah kar bulati hai. )
Kahiroon bee : wa alaikum assalam uth gaye beti tum.
Mahi : ji ammi abhi hi uthi hoon madam ne aker uthaya hai. Aur bohat gusse me bhi lag rahi thi. Mai toh unko dekh ker daar hi gayi thi.
Khairoon bee : ( haste hue ) hahaha are bete woh toh humesha aisich ( aise hi ) rahti hai. Tum unko dekh ke kaiku ( kyun ) daar gayi. Unka kaam ich( hi ) hai bachon ku darana.
Mahi : haan apne sahi kaha. Khair chodo ye sab chai toh apne banadi hogi. Laiye mujhe dijiye mai madam ko dekar ati hoon. Phir hum dono bhi breakfast karenge.
Dono baat hi kar rahi thi ke baher se nadiya ki awaz ati hai.
Nadiya : are kaha maar gaye sab ke sab abhi tak nashta bana bhi hai ya nahi.
Khairoon bee : lo inka suba suba ( subha subha ) shuru hogaya. ( zor se awaz lagate hue ) abhi layi madam.
Mahi : aap rehne do mai leker jati hoon.
Nadiya ki awaz sun kar mahi jaldi jaldi se ek tray me bread teapot cup aur milk pot aur sugar ek trolly me rakh kar kitchen se baher dinning hall me lejati hai. Jaha miss nahida apne mobile me kuch karrahi thi.
Mahi unke samne jaker sab kuch dinning table per rakh deti hai aur unko ek cup me chai ( tea ) daal ker deti hai.
Miss nadiya humesha akeli hi breakfast lunch aur dinner karti hai.
Mahi ko unho ne ek nazar dekha aur apne mobile ko side me rakh kar breakfast karne lagi.
Mahi unko breakfast de kar wapas kitchen me ati hai.
Khairoon bee bhi mahi ke ane tak do cup me chai aur bread nikal kar rakhti hai. Mahi ke ate hi dono mil kar breakfast karne lagte hai.
Khairoon bee : toh mahi kab hai tera interview tayyari karli na puri.
Mahi : ji haan ammi maine puri tayyari kar li hai bas aap dua karo ke mujhko job mil jaye. Kal jana hai dekhte hai kya hota hai. Bohat jagha try kiya hai sabhi jaghon per mere se kam padhi likhi ladkiyon ko job miljati hai. Woh ladkiya uske liye qualified bhi nahi hoti per un ko job mil jati hai. Kyunki unke paas kisi na kisi ki pahchan hoti hai. Jab ke mai toh un ladkiyon se ziyada qualified hoon per mujhe job nahi milti kyun ke mere paas sirf degree hai. Kisi ki pahchan nahi. Aur waise bhi ek yateem ladki ko kon itni value deta hai.
Kahiroon bee : khaberdar jo kabhi apne aap ko yateem kaha toh. Kya mai teri ammi nahi kya maine tujhe kabhi apni beti nahi mana. Aur rahi baat naukri ki toh allah per bharosa rahkho usne sabhi ke liye accha hi soncha hota hai. Usne tumhare bare me bhi kuch accha hi soncha hoga. Kabhi bhi allah se na ummed mat hona. Bohat jald tumko bhi koi na koi acchi job milhi jaye gi. Bas tum aise baten apne dil se nikal diya karo. Mujhe bohat takleef hoti hai jab tum apne aap ko yateem kahti ho.
( ye sab kahte hue kahiroon bee ke ankhon me ansu ajate hai ).
Mahi jaldi se khairoon bee ke gale jati hai.
Mahi : ( with tears ) sorry ammi mujhe maaf kardo mera aap ka dil dukhane ka koi irada nahi tha. Mai toh bas aap ko bata rahi thi ke aaj kal talent ki khadar nahi bas pahchan batao. Aap toh meri pyari ammi jaan hai mai bhala aapko takleef kaise de sakti hoon. Accha thik hai ammi mai ainda se aisa kabhi bhi nahi kahongi. Ab aap aise roya mat kijiye mujhe bhi accha nahi lagta.
Khairoon bee : accha chal thik hai phir kabhi aisa boli toh tere tanga ( tangey ) todongi samjhi chal ja apne kamre ( room ) me . Mere ku bhi kaam karna hai.
Mahi : thik hai ammi mai bhi apne room ko set kar leti hoon.
Khairoon bee : thik hai ja.
Idhar miss nadiya breakfast karne ke baad baher girls ke quarters me ja kar waha ka jaiza lene lagti hai. Jaha per sabhi ladkiya apne kaam me lagi hui thi.
Sabhi ladkiyon ke liye ek alag quarters tha jaha per ladkiya rahti aur kaam bhi karti. Ziyada ter ladkiya silayi ka kaam karti aur jo padhi likhi ladkiya hai woh bhi kahi na kahi per job karti thi. Yaha ka ek niyam ( rule ) hai jo miss nadiya ne banaya hai khas kar badi ladkiyon ke liye. Jo bhi kaam karega usko uski salary ka 30percnet hissa is yateem khane ko dena hoga aur jo bhi ladki 18saal ke upper ki hai aur yahin quarters me rah rahi hai unko yaha ka kiraya ( rent ) bhi dena hoga.
Sabhi ladkiyon ne breakfast karliya tha aur apne apne kaam per jane ki tayyari kar rahe the. Koi factory me jarahi thi toh koi job per jane ke liye ready thi.
Miss nadiya ek ladki se baat karrahi thi jo yaha ke ladkiyon ki incharge ya kahu yaha ke ladkiyon ki dekh bhal aur unke kaam ko dekhti hai.
Iska naam jabeen hai ye bhi ek yateem ladki hai jo yaha per sabhi ladkiyon ka kaam aur inke khane peene ka intezam dekhti hai. Isko yaha per sabhi ladkiya didi kah ker bulate hai. Ye ek bohat hi acche mijaz ki ladki hai. Sabhi ladkiyon ko ye apni bahen ki tarha hi samhajti hai.
Nadiya : jabeen sabne breakfast karliya.
Jabeen : ji haan madam.
Nidiya : toh kal ka maal ( stork ) jo rasheed sahab ki company se aya tha uska kiya hua.
Jabeen : Rasheed sahab ka maal toh godam me rakha diya hai abhi pahle ka kaam bakhi hai. Uske pura hote hi ye kaam shuru kara dongi.
Nadiya : thik hai kal ka jo bhi kaam bakhi hai aaj pura karado aur jaldi se jaldi naya wala kaam shuru karado.
Jabeen : ji madam jaisa apne kaha hai waisa hi hoga.
Nadiya : thik hai mai zara baher ja rahi hoon. Shayed kuch der hojaye kuch bhi zarurat hoto raheem chaha se kah dena.
Jabeen : ji thik hai madam.
Jabeen se baat karne ke baad miss nadiya waha se baher aker apni car me baith kar chali jati hai.
Raheem chacha ye ek umer daraz shaks hai. Bohat time se yaha per kaam karte hai.
Yaha sabhi inko raheem chacha hi kahte hai. Yaha per sab kuch baher se jo bhi lana ho wahi latey hai. Kaam karne ke liye materials aur khane ke liye saman ye sab kuch raheem chacha hi latey hai. Yaha per aur bhi admi hai kaam karne wale sabhi umer wale hi hai.
Ye orphanage bohat bada hai yaha badon ke liye alag quarters hai aur bachon ke liye alag quarters hai. Ye orphanage pura 5acer per hai. Jaha per total 4 buildings hai jisme se ek building bade ladkiyon ka quarter hai aur ek chote ladkiyon ka quarters hai aur ek quarter me silayi ( stitching factory ) ka kaam hota hai. Aur ek building me miss nadiya khairoon bee aur mahira rahte hai.
3buildings me her ek building 3floor ki hai jisme her floor per 15rooms hai.
Orphanage me ek ground bhi hai jaha per chote bachche khalte hai. Bachchon ko school se ane ke baad yaha per khelne ki permission hai. Yaha per chota sa flowers garden bhi hai.
Jis building me miss nadiya rahti hai woh building 2 floor ki hai jo total luxurious hai. Building ke main entrance se andar jate hi ek bada hall hai. Hall me ek bada sa LED Tv aur sofa set hai. Hall se sidha jate hi right side per sidhi ( upstairs ) hai jo uper ke floor per jati hai. Stairs se sidha jate hi right side per ek bada room hai jo full luxurious aur full hitch hai jisme miss nadiya ke alawa aur kisi ko jane ki permission nahi hai. Lift side me bhi ek bada room hai jisko miss nadiya library aur study room ki tarha use karti hai. Rooms se sidha jate hi right side per kitchen hai aur left side per dinning hall hai. 2nd Floor per 4 room hai ye luxury nahi hai ye normal hi hai yaha per sadhi se uper jate hi corridor se right side per 2 room hai pahla room kahiroon bee ka hai dosra mahi ka room hai. Ye room normal hi hai. Left side per 2 room hai jisme se ek room miss nadiya ka office hai aur ek store room hai.
Idher kahiroon bee ghar ka kaam karne ke baad lunch ki tayyari karne lagti hai.
Aur idher mahi kitchen se ane ke baad apne room me aker pehle apne room ki safai karne lagti hai. Safai ke baad apne almari ( almira ) se apne kapde nikal kal unko fold karti hai. Aur phir apne bed ko sahi karti hai. Bed sahi kake usper baith jati hai aur apne aap se baat karti hai.
Mahi : ( apne aap se ) room ki saaf safai toh hogayi ab kya karon kuch hai bhi nahi karne ko. Ab toh free hi hoon jab job lag jayegi toh mere paas time hoga ya nahi. Kya ye job mujhe milegi bhi ya nahi. Kash ke ye job mujhe miljaye mai bhi apne pairon per khadi hona chahti hoon ammi ( khairoon bee) ne mere liye bohat kuch kiya hai. Yaha iss ghar me rahne ko bhi mujhe ammi ki hi wajha se mila hai nahi toh mujhe bhi akele un ladkiyon ki tarha rahna padta tha. Mai bhi unke liye kuch karna chahti hoon. Ya allah meri madad karna mujhe job dilwade.
Aise hi apne aap se baat karte hue mahi apne room se baher ati hai aur apne ammi ko bata kar ladkiyon ke silayi ki building ( factory ) me jati hai. Jaha per sabhi ladkiya apne kaam me lagi hui thi. Mahi idher udhar dekhti hai jabeen ko toh woh kisi ladki se baat karrahi hoti hai. Mahi jabeen ke paas jati hai.
Mahi : assalamu alaikum jabeen didi.
Jabeen mahi ki awaz sun kar ladki ko uska kaam bata kar mahi ke taraf ati hai.
Jabeen : wa alaikum assalam mahi kaisi ho.
Mahi : ji mai bilkul thik hoon aap bataiye kaisi hai aur aap ne nashta karliya.
Jabeen : mai bhi acchi hoon aur maine karliya nashta. Aur tumne karliya.
Mahi : ji maine bhi karliya nashta. Ghar me kuch kaam tha nahi toh soncha aap ke paas ajati hoon. Waise aaj aap bohat busy lag rahi ho. Maine aker aap ko disturb toh nahi kiya na.
Jabeen : are nahi mahi mai busy toh hoon magar tumhare ane se mai bhala kyun disturb hongi. Waise bhi toh tum kahli baithti hi kaha ho kuch na kuch meri hi help kardeti ho.
Mahi : ye toh acchi baat hai ke mere aney se aap ko disturbance nahi hota. Aur rahi baat aap ki help karne ki ye toh mera farz hai ke mai apni badi bahen ke kuch kaam asakti hoon.
Jabeen : ( mazak se ) are wah kya baat hai badi acchi baten karne lagi hoon.
Mahi : ( ruthne ka natak karte hue ) kyun didi mai pahle kya buri baten karti thi.
Jabeen : ( haste hue) are nahi bahna pahle bhi tum acchi baten karti thi ab bhi acchi hi baten karti ho mai toh bas mazak kar rahi thi. Aur sunao aaj kal kya kar rahi ho. Job ka kuch hua ya nahi.
Mahi : kaha didi her jaga per her koi apni kisi nai kisi ki pahchan bata kar job leleta hai. Ab mere paas kis ki pahchan hai jo un logon ko bata saku bas jaha per bhi interview hote hai jati hoon koi kahta hai kisi ki pahchan batao. Toh koi hum aapko call karke bata denge kah kar bhej dete hai.
Bas aise hi chal raha hai. Ab kal ek interview hai dekhna hai ke waha kya hota hai.
Jabeen : sabar karo inshallah sab sahi hoga aur iss baar allah kare ki tumko ye job mil jaye.
Mahi : kash ke jaisa aap kah rahi ho waisa hi ho. Khair ye chodiye ye bataiye ke mere liye kuch kaam hai yaha per jisse aap ki kuch madad kar sakoon.
Jabeen : kaam toh kuch khas nahi hai bas kuch bills hai jin ki entry karna hai computer me jo ki mai baad me karlongi.
Mahi : baad me kyun mai yaha free hi toh hoon layiye mai kardeti hoon aap jab tak dusra koi kaam hoto karlo.
Jabeen : are nahi mahi woh koi aisa bada kaam thodi hi hai jo mai baad me nahi kar sakti. Tum bas baitho yaha per aram se.
Mahi : kya didi aap bhi kamal karti ho mai yaha khali kyun baithu jab ki yaha per kuch kaam karhi sakti hoon. Bas mujhe kuch nahi sunna aap mujhe woh bills dijiye mai entry kardeti hoon.
Jabeen : ( haste hue ) thik hai laker deti hoon. Tumse bahes me bhala kon jeet sakta hai.
Mahi : ( haste hue ) haan toh phir bahes karte hi kyun ho aap jab aap ko pata hai ke aap mujhse jeet hi nahi sakte.
Jabeen mahi ko building ke office me lejaker usko woh bills deker baher chali jati hai aur mahi bhi un bills ko computer me entry karne lagti hai.
Aise hi kaam me lunch time hojata hai. Mahi bhi bills ko computer me entry karne ke baad jabeen se baten karke apne ghar ( miss nadiya ki building ) ko ajati hai.
Ghar aney ke baad mahi apni ammi ( khairoon bee ) ke paas jati hai.
Mahi : ammi lunch ready hogaya.
Khairoon bee : haan beta hogaya hai. Tu ja kar fresh hoja mai tab tak khana lagati hoon. Aur sun haatan ( hands ) accha dho karkhane ( factory silayi ki ) se ayi na haatan ( hands ) gande hogaye hunge isliye bolriyon ( bol rahi hoon ).
Mahi : thik hai ammi.
Mahi apne room me jaker fresh hoti hai. Aur tab tak khairoon bee ne bhi khana laga diya tha.
Mahi fresh hokar apne ammi ke room me jati hai. Jaha khairoon bee ne khana dastarkhan per laga kar rakha tha.
Ye log apna khana humesha yahi per khate hai. Dinning table per nahi. Waha per sirf miss nadiya hi khati hai.
Mahi dastar pe baith jati hai aur khairoon bee ke sath lunch karne lagti hai.
Lunch ke baad mahi apne room me jakar rest karne lagti hai. Kahiroon bee ne bhi lunch ke baad sab kuch neeche lejakar saaf karti hai aur woh bhi apne room me jakar rest karti hai.
Mahi jab sokar uthti hai aur fresh hokar neeche ati toh dekhti hai ke miss nadiya neeche sofe per baith kar kisi se phone per baat kar rahi hai. Mahi apne ammi ko dekhti hai woh kitchen me kuch kaam kar rahi hai. Mahi apne ammi ke paas jati hai.
Mahi : ammi aap kya kar rahi ho.
Khairoon bee : kaam karriyon aur kya dikhra tere ku. ( kaam kar rahi hoon aur kya dikhayi de raha hai tujhe ).
Mahi : are ammi ye toh mujhe bhi dikhayi deraha hai ke aap kaam kar rahi hoon. Mai ye puch rahi hoon ke dinner bana rahi ho ya banana hai.
Khairoon bee : toh aisa bolna. hau khana pakadi mai ( haan khana bana liya hai maine ). Bas miththa ( meetha ) banana hai.
Mahi : thik hai aap bolo kya banane wali ho.
Meethe me mai bana deti hoon.
Khairoon bee : konsa bhi ( koi bhi ) banale.
Mahi : thik hai mom mai kheer bana leti hoon.
Khairoon bee : acchi baat hai ( thik hai ).
Mahi kheer banane lagti hai aur khairoon bee dinning table per khana lagati hai.
Kheer banane ke baad mahi kheer miss nadiya ko dene jati hai.
Mahi : madam ye lijiye kheer.
Nadiya : rakhdo table per. Aur kaha thi tum aaj dikhayi nahi di dopaher ( afternoon ) me.
Miss nadiya ke aise puchne se mahi thoda daar jati hai.
Mahi : ( darte hue ) j...i....ji wo..h mai apne room thi. Factory se ane baad thoda sogayi thi.
Nadiya : ( rudely ) din me sone ki adath kharab adath hai. Aise soyegi toh office me kaam kya karogi tum.
Miss nadiya ke aise bolne se mahi ke ankhon me ansu ajatey hai. Jise woh jaldi se saaf karke kahti hai.
Mahi : ( neeche sir karke ) ji madam agay se khayal rahongi.
Nadiya : hmm thik hai jao aur haan kal tumhara interview hai na.
Mahi : ji haan.
Nadiya : uski tayyari ki ya sara din sote hi rahi.
Mahi : ji madam tayyari karli hai.
Nadiya : hmm accha hai. Iss baar pass zaroor hojana humesha ki tarha fail math hona.
Miss nadiya ke aisa kahne se mahi ko bohat bura laga phir bhi woh kya kah sakti thi. Isi liye bas apni ankhon me ansu liye khamosh hi khadi rahi.
Miss nadiya mahi se baat karte hue apna dinner khatam karti hai. Aur mahi bhi miss nadiya ke is tarha bole jane se dukhi hokar apne room me chali jati hai.
Miss nadiya ke paas jab se mahi kheer lekar gayi thi tab se aur mahi ke apne room me jane tak jo bhi hua woh sab khairoon bee ne dekha tha. Miss nadiya ka mahi ko aisa kahna khairoon bee ko accha nahi laga unke bhi ankhon me ansu agaye they.
Magar woh bhi kuch nahi kar sakti thi isi liye unhone apne aap ko sambhala aur kitchen me jakar apna aur mahi ka khana lekar apne room me rakha aur mahi ke room me gayi.
Mahi apne room me aker apne bed per gir jati hai. Aur rone lagti hai.
Kahiroon bee ne jab mahi ko aisa rote dekha toh unki bhi ankhon me ansu agaye. Khairoon bee mahi ke paas jakar uske ser per hath pher kar kahti hai.
Khairoon bee : ( nam ankhon se ) kya hua beta kyun ro rahi hai tu.
Mahi jab apni ammi ki awaz sunti hai toh apne ansu saaf karkar jaldi se uth jati hai.
Mahi : kuch nahi ammi woh ankh me kuch chala gaya tha isi liye ankh se pani araha hai shayed.
Khairoon bee : tereku maloom na tu mere ku jhoot nai bol sakti toh kaiku bolri. Mai tere ku paida nai kari toh kya hua tere ku bachpan se maich pali so hoon toh mere se jhoot nakko bol samjhi.( tujhe pata hai na tu mujhe jhoot nahi bol sakti toh kyun bolti hai maine tujhe janam nahi diya toh kya hua tujhe bachpan se pala hai maine toh mere se jhoot mat bol samjhi. ).
Mahi apni ammi ki baat sunke rone lagti hai.
Khairoon bee : mai bi suni nadiya maidam
Ke batan kya bole so uno tu kaiku rori tension nakko le allah sab kuch thik karinga inshallah bas apne rab pe humesha bharosa rakh. ( maine bhi sona nadiya madam ke baton ko kya bola unho ne tu kyun ro rahi hai tension math le allah sab kuch thik kardega inshallah bas apne rab per humesha bharosa rahko. ).
Mahi : ( rote hue ) mai kya apni marzi se fail hoti hoon. Jo pass hoti hai woh ladkiya kya mujhse behtar hai. Mai humesha apna best hi deti hoon. Woh logon ko job deni hi nahi hoti toh dete hi nahi toh iss me mera kya kasoor hai. Woh log sirf apni pehchan walon ko hi job dena chahte hai. Dosre chahe kitne bhi acche ho ya kitne bhi khabil ho. Unko isse koi farq hi nahi padta.
Mahi ke aisa kahne se khairoon bee ko lagta hai ke mahi ke dil o dimag me ek hi baat baith gayi hai. Toh pahle us baat ko uske dimag se nikal na hoga nahi toh ye humesha yahi sonchti rahegi ke baghair kisi ki pahchan ke naukri ( job ) nahi milegi.
Yahi sab sonch kar khairoon bee mahi se kahti hai.
Khairoon bee : ( serious hokar ) mahi ek baat kahu bura math manna.
Mahi apne ammi ko serious dekh kar apne ansu saaf karke kahti hai.
Mahi : kahiye ammi aap kya kahna cahti hai. Mai bhala aap ki kisi bhi baat ka bura kyun manugi. Ek aap hi toh ho jo mere sabse khareeb ho. Aap ke siwa mera hai hi kon. Bachpan se lekar aaj tak aapki hi toh baton ko sunti ayi hoon. Aap bejhijak kahiye aap ko jo bhi kahna hai.
Khairoon bee : dekho mahi beta mujhe pata hai ke tum bohat hoshyar ho aur bohat hi acchi ladki bhi ho. Mujhe kahna toh nahi chahiye magar mai kah rahi hoon isliye ke tumko samjha sakon. Tum jo ye baar baar ek hi baat kahti ja rahi ho ke har jagha par pahchan hi pucha ja raha hai bina pahchan ke koi bhi kaam nahi deta ye baat tum apne dimag se nikal do.
Mahi : kyun ammi maine kya ghalat kaha hai jo horaha hai wahi bol rahi hoon.
Khairoon bee : beta meri baat abhi khatam nahi hui hai. Pehle meri puri baat sunlo phir tumhi faisla karna ke mai ghalat kah rahi hoon ya nahi itni toh tum samhajdar ho higayi ho.
Mahi : are ammi aap aisa kyun kah rahi ho. ok mai sunrahi hoon aap kahiye.
Khairoon bee : toh pehle ye baat apne dimag se nikal do ke job tumhe kisi ki pahchan se hi milsakti hai. Kyun ki her koi pahchan per hi job nahi deta kuch log talent walon ki khadar bhi karte hai. Aur rahi baat pahchan ki toh pahchan ka istemal woh log karte hai jinko apni khud ki koi pahchan banani nahi hoti. Woh zindagi bhar bas dusron ki hi pahchan per hi zindagi guzar dete hai. Kya tum bhi aisa hi chahti ho ke log tumko tumhari pahchan ki jagha kisi aur ki pahchan se jane.
Mahi : nahi mai aisa nahi chahti ke log mujhe kisi aur ki pahchan se jane. Mujhe apni ek alag pahchan banani hai.
Khairoon bee : toh iske liye tumhe bohat mahnat karni hogi.
Mahi : mai karungi ammi mai mahmat se nahi darti.
Khairoon bee : kaise karogi tum mahnat. Jab ke log toh apne kisi na kisi ki pahchan bata kar job hasil kar lete hai. Tumko toh koi job dega hi nahi kyun ki tumhare paas kisi ki pahchan hi nahi hai.
Mahi : kisi ki pahchan nahi hai toh kya hua. Mere paas mera honsla hai aur har koi ek jaisa tohdi hi hota hai. Koi toh hoga jiske paas talent ki khadar hogi. Bas mai ab kabhi bhi ye nahi sonchugi ke kiske paas kis ki pehchan hai. Mujhe bas apne aap per bharosa rakhna hai. Aur mere allah per bharosa rahna hai.
Khairoon bee : bohat acchi baat kahi tumne mai bhi tumko yahi sab samjhana chahti thi. Bas tumko apne aur apne allah per bharosa karne chahiye kamiyabi khud ba khud tumahre khadam chumegi.
Mahi apni ammi ki baat se bohat hi accha feel karrahi thi. Apne ammi ki baat sun kar woh unke gale lag jati hai.
Mahi : shukriya ammi jaan apne mujhe aaj bohat hi acchi tarha se samjhaya hai. Mai humesha yaad rakhugi aap ki ye baat.
Khairoon bee : maar khaigi tu mere hath se. Ammi ko shukriya kahti hai.
Mahi : are sach me ammi mujhe bohat accha laga apne jo bhi kaha.
Khairoon bee : chal tujhe samhaj aya mere liye yahi bohat hai. Ab uth muh hath dholey mai jab tak khana garam karke lati hoon abtak toh thanda bhi hogaya hoga.
Mahi : ok ammi aap chalo mai abhi ati hoon fresh hokar.
Khairoon bee mahi ke room se apne room me jakar khana lekar kitchen me jati hai aur garam karne lagti hai.
Mahi bhi apne ammi ke jane ke baad washroom me jakar fresh hoti hai aur apne ammi ke paas jati hai aur khana nikal ne me apni ammi ki madad karti hai. Dono khana leker room me ate hai aur dastar dal kar khana katey hai. Khane ke baad mahi plates wagaira lejaker kitchen me rakhti hai aur unko dhokar saaf karke jama deti hai.
Plates saaf karne ke baad mahi apne ammi ke room me jakar unko good night kahke apne room me aker door lock karti hai. Aur washroom me jakar wazu banakar ati hai aker jahenamaz bicha kar insha ki namaz padti hai. Namaz padne ke baad mahi dua karti hai.
Mahi : ( Dua ke liye hath utha kar ) ya allah mere malik tujhe toh har baat ka ilm hai tujhse kuch bhi chupa hua nahi hai. Beshak tu dilon ke raaz bhi jaanta hai. Ya allah kal mera interview hai usme mujhe kamiyabi ata farma. Aur mujhe itni takhat ata farma ke mai acchi mahnat karsaku aur apne ammi ka naam roshan kar saku. Mujhe itni takhat ata farma ke mai tere bandon ki madad kar saku. Ameen summa ameen.
( MAHI IN NAMAZ )
Namaz padne ke baad mahi apne room ki light off karke apne bed per aker sojati hai.
Kal subha ke intezar me. Ke kal woh apna interview desake aur usme pass hosake.
Dekhte hai ke mahi ki agli subha kya rang lati hai uski zindagi me.
Dekhte hai ke mahi ko job milti hai ya nahi uski zindagi badalti hai ya nahi. Uske sapne sach hote hai ya nahi.
Dekhte hai kal ka din mahi ki zindagi ko kis mod per lejata hai.
Janne ke liye mere sath bane rahe BE-INTEHA ISHQ se. Aapka apna maq.
Written by ( MAQ ) MOHAMMED AZEEM QURESHI.
Story kaisi lagi comment karke zaroor batana.
5517 words.
nice updateUpdate-3
Ajju side :
Subha jab ajju soker utha aur time dekha toh 5am ho rahe the ajju uth kar washroom me jata hai aur fresh hokar ata hai. Fresh hone ke baad ajju apne cupboard se ek track suite nikal kar pahenta hai. Aur neeche chala jata hai. Aur waha se jogging per nikal jata hai.
Ajju ke jane ke thodi der baad ajju ki mom uthti hai aur fresh hokar bahar ati hai. Bahar aker main gate se doodh aur newspaper le kar andar ati hai. Newspaper hall me table par rakhkar doodh le kar kitchen me jane lagti hai toh dekhti hai ke ajju ki didi sedhion se neeche arahi hai.
Didi : assalamu alaikum mom & good morning.
Mom : wa alaikum assalam beta & very good morning.
Didi : mom dad nahi uthe.
Mom : haan beta woh abhi tak so rahe hai.
Didi : toh aap dad ko uthaiye mai jab tak breakfast banane jati hoon. Aap ye doodh mujhe dijiye.
Mom : thik hai ye le doodh aur haan ajju ke liye juice bhi bana lena woh ata hi hoga jogging se.
Didi : thik hai mom.
Mom dad ko uthane chali jati hai aur didi kitchen me breakfast ready karne.
Thodi der me ajju bhi jogging karke wapas ajata hai. Jogging se akar apne room me jakar fresh hoke change karke neeche aker dinning table per baith jata hai.
Ajju ke aney tak ajju ki didi ne bhi breakfast ready karliya tha. Ajju ki didi ne ajju ko juice diya. Ajju pine laga. Thodi hi der me ajju ke dad bhi aker dinning table per baith gaye.
Ajju ki mom aur didi ne table per breakfast lagaya aur sabhi sath me baith kar breakfast karne lage.
Dad : toh beta aaj aap ki meeting hai company ke board members se.
Ajju : ji dad aaj ek bade project ke bare me baat karni hai isi liye ye meeting bulayi hai.
Dad : hmm thik hai mujhe bhi mere secretary ne bataya ke aaj meeting hai tumhare sath.
Ajju : ji dad aap ko bhi ana hai.
Dad : haan bhai hum bhi ayege. Hum bhi toh dekhe ke aisa konse bade project ke liye tumne ye meeting bulayi hai.
Ajju aur uske dad baten karte hue breakfast kar rahe the toh ajju ki mom ne undono ko tokte hue kaha.
Mom : are aap dono nashta toh sukoon se karlo jab dekho tab kaam kaam kaam.
Dad : ( haste hue ) are madam kaam nahi karege toh kya karege aap hi bata dijye.
Mom : kaam hi karo maine kab mana kiya hai khane ke time toh ye sab band rahko bas.
Didi : ji haan mom apne sahi kaha. Kaam office me karna chahiye nake ghar me.
Dad : accha beta aaj mom ki side per ho. Kya baat hai mom se kuch chahiye kya.
Didi : ( muskurate hue ) aisi koi baat nahi hai dad mai toh bas jo sahi hai woh hi bol rahi hoon. Haina mom.
Mom : ji beta mujhe pata hai meri beti kitna sahi ke sath rahti hai.
Ye kah kar mom hasne lagti hai aur mom ke sath sath ajju aur dad bhi.
Didi : ( jhoota gussa karte hue ) ye kya mom maine aap ka sath diya aur aap hai ke mera hi mazak uda rahi ho. Jao mai aap se baat nahi karti.
Mom : ( haste hue ) are meri beti toh naraz hogayi ab mai kya karon.
Ajju : ( muskurate hue )mom mai hoon na aap ka ladka beta aap mere se baat karlo. Didi toh aap se naraz hai na.
Dad : sahi kaha ajju ne aur mai bhi toh hoon.
Mom : aap dono rahne do aap ko toh aap ke office se fursat hi nahi milti. Meri beti toh mere sath humesha rahti hai. Haina beti.
Didi jo sab ka drama dekh rahi thi woh bhi haste hue kahti hai.
Didi : haan mom mai aap ke sath humesha rahongi.
Mom : haan meri bacchi mujhe pata hai.
Aise hi baten karte hue Sab ka breakfast hojata hai.
Breakfast karne ke baad ajju apne room me jakar apna laptop , mobile aur car ki key lekar baher ata hai.
Bahar uski didi bhi ready thi hospital jane ke liye aur dad bhi ready the.
Ajju apni mom ko bye kahke baher apne garage me jakar apni car nikal kar bahar ata hai. Bahar uski didi bhi khadi thi toh ajju unke paas jata hai.
Ajju : kya hua didi aap nahi ja rahi kya aaj.
Didi : ja rahi hoon bhai but meri car kharab hogayi hai isi liye yaha khadi hoon tum mujhe chodh kar apne office chale Jana.
Ajju : thik hai didi ajao.
Ajju apni car ka door kholta hai. Ajju ki didi bhi aker baith jati hai. Ajju car ko road per nikal leta hai.
In car.
Didi : toh bhai bata kal tu kyun sad tha.
Ajju : kahan didi mai toh accha hi hoon mujhe kya hona hai. Waise aap ko aisa kyun laga.
Didi : ajju mere bhai mai tumhe dekh ke bata sakti hoon ke tum kab kaise mood me ho. Chal ab ye natak chodh aur bata kal kyun sad lag raha tha . Sach batana warna mai tujhse baat nahi karongi.
Ajju bhi haar mante hue.
Ajju : thik hai didi kal mai thoda sa sad tha.
Didi : haan mujhe pata tha tu sad hai. Mai kal hi puchne wali thi. But isliye nahi puchi ke tu khud hi bata dega. Magar tumne nahi bataya toh mujhe hi puchna pada. Ab bolo kyun sad they.
Ajju : kal barish ho rahi thi toh bas uski yaad agayi thi.
Didi : toh ye baat hai. Haan usko barish bohat pasand thi. Woh toh barish ko dekh ke jaise pagal hojati thi.
Ajju : haan isi liye kal uski bohat yaad arahi thi.
Didi : aisa kabtak chalega bhai. Tu kab tak usko aise hi yaad karta rahega. Bhool kyun nahi jata tu usey.
Ajju : kab tak ka pata nahi haan magar rahi baat usko bhool ne ki toh woh mujhse nahi hoga.
Didi : toh kya zindagi bhar aise hi uski yaad me tadapte rahoge.
Ajju : nahi didi mai usko dhundh ke rahunga. Mujhe bhi toh pata hona chahiye na ke mujhse BE-INTEHA ISHQ karne wali achanak se aise mujhe chodh kar kyun chali gayi.
Ye sab bolte hue ajju ki ankhon me ansu ajate hai. Ajju ko aise dekh kar uski didi ne ajju ke kandhe per hath rakh kar kahti hai.
Didi : ( ankhon me ansu liye ) mujhe nahi pata ke usne aisa kyun kiya aur mujhe isse koi farq bhi nahi padta mujhe bas tumhe aise dekh kar accha nahi lagta tum bas khush raha karo.
Ajju bhi apne aap ko samhal leta hai aur car Chalene lagta hai. Thodi hi der me dono ajju ke didi ke hospital pohanch jate hai. Ajju car ko rokta hai toh ajju ki didi car se utar kar kahti hai.
Didi : bye bhai apna khayal rakhna aur wapsi me mujhe lene ajana.
Ajju : ok didi mai ajauga aap bhi apna khayal rakhna bye allah hafiz.
Ajju apni car ko agey barha kar ahmed aur imtiyaz ko call karta hai.
In call :
Ajju : kaha ho tum dono.
Ahmed : bas raste me hai bhai abhi pohanch jayenge.
Ajju : kitni der me.
Imtiyaz : bas 10min me office me honge.
Ajju : agar nahi hue toh tum dono ki khair nahi.
Ahmed or imtiyaz se baat karne ke baad ajju car ko apni office ki taraf barha deta hai or kuch hi der me woh apne office me pohanch jata hai office ke bahar khade watchman ajju ki car ko dekh kar gate kholta hai ajju apni car ko main entrance ke samne rok kar car ki key watchman ko deta hai park karne ko aur khud apne office me cahla jata hai.
Ab zara office ke bare me baat karlate hai.
Ye ek building jo ki puri tarha kanch ki bani hui hai. Jo 3floor ki hai. Isme sirf office work hota hai aur board meetings hi hoti hai. Ye A.S GUROP OF INDUSTRIES ka head branch hai. Jaha se inke bakhi sabhi branchs ko control kiya jata hai.
Iske chairman ajju ke dad hai aur ceo ajju hai. Ye industry ajju ke dad ne shuru ki thi. Isko unho ne apne dam per akele hi shuru kiya tha. A.S ye naam inho ne apne bachon ke naam per rakha hai A ( azeem ) S ( Shaheen ) ye industry India ke top 5 me ati hai. Iss industry ke branch's India ke kone kone me hai. Iss industry me her cheez banai jati hai. AS GROUP OF INDUSTRIES ke kai shopping mall hospital's aur complexes hai.
Main entrance se andar jate hi ek bada corridor hai jaha se sidha samne sadhi hai jo first floor per jati hai. Corridor se right side per receptions counter hai jaha per ek receptionist baithi hoti hai. Left side per ek lift hai jo upar lejati hai. First floor per lift se uper ati hi sidha ek corridor hai jiske left aur right side per kai sare cabins hai jaha per employee apna kaam karte hai. Second floor per lift se sidha jate hi corridor se right jate hi 4 cabins hai jo ki puri tarha se luxurious hai. Cabins me sab se pahla cabin ajju ke dad ka hai dusra ajju ka hai aur bakhi dono abhi use me nahi hai. Left side per ek meeting room hai jo ki bohat bada hai jaha per meetings hoti hai. Ye office puri tarha se luxurious hai. Yaha har cheez luxurious hai.
( A.S GROUP OF INDUSTRIES ).
Ab agye badte hai.
Ajju jaise hi ander ata hai. Ajju receptionist ko dekh ke uske paas ati hai.
Receptionist : good morning sir.
Ajju : very good morning miss reshma. Meeting ki puri tayyari hogayi hai na.
Reshma : ji haan sir sabhi tayyari hogai hai. Sab ko bata diya hai ke aaj ek zarori meeting hai.
Ajju : ok toh jab sabhi log ajaye toh mujhe bata dijiye aur haan ahmed aur imtiyaz jaise hi aye unhe mere cabin me bheje.
Reshma : ji thik hai sir.
Ajju reshma se baat karke uper apne cabin me chala jata hai aur apne laptop me kuch kaam karne lagta hai.
Idher ahmed aur imtiyaz bhi jaldi se office pohanch jate hai aur apni car ko watchman ko de kar ander ate hai. Ander undo ko dekh reshma undo ko wish karti hai.
Reshma : good morning sir.
Ahmed : very good morning reshma aunty aap ko kitni baat kaha hai ke aap humko sir na kaha kijiye aap Hume naam se bula sakti hai.
Imtiyaz : aur nahi toh kya aap humari apni aunty jaisi hai. Hum us ajju jaise khadoos thodi hai jo aap Hume sir kah rahi ho.
Reshma : accha thik hai tum log jaldi se uper jao. Ajju sir agaye hai aur aap dono ko bhi bulaya hai. Aur haan nashta kiya hai ya nahi.
Ahmed : ( bura muh banate hue ) kaha kiya aunty aap ko toh pata hi hai ke ye ajju kaam ke time kitna serious rahta hai zara bhi late hue toh sar per chadh jata hai.
Reshma : ( haste hue ) haan mujhe pata hai. Thik hai ab baten chodo aur jao sir ke cabin me. Mai abhi coffee bhejti hoon.
Imtiyaz : thank u aunty aap bohat acchi ho. Bye baad me milege.
Dono reshma se baten karke ajju ke cabin me pohanch jate hai. Jaha ajju laptop me kaam kar raha tha.
Dono cabin ke door ko knock karke ander aker samne rakhe chairs me se do chair per baith jate hai.
Ajju : agaye tum dono mujhe toh laga kahi meeting raat ki hai samhaj kar tum dono kahi raat me na ajao.
Imtiyaz : are yaar traffic thi toh thoda time lag gaya.
Ahmed : haan yaar bohat traffic thi road per. Aur waise bhi meeting ko bohat time hai na toh tu kyun itne gusse me hai.
Ajju : traffic thi mai bhi wahi road se aya hoon mujhe kyun nahi mili traffic. Aur kya bola be tu time hai meeting me toh kya tu meeting se 10min pahle ata. Aur gussa is liya araha hai ke tum logon ko presentation dena hai aur tum log ab arahe ho.
Imtiyaz : bhai tu tension math le maine sab kuch set karliya hai. Kal raat hi meri reshma aunty se baat hogai thi unhone sab kuch set kara diya hai. Bas ek baar mai check kar leta hoon.
Ahmed : haan yaar tu khama kha tension leraha hai. Sab kuch sahi hoga.
Ye teeno baten karrahe hote hai. Itne me door knock hota hai. Ajju come in kahta hai toh ek peon teen cup coffee laker table per rakh kar chala jata hai.
Ajju : ye miss reshma ne tumhe sar per chadha rakha hai. Baat karni padegi unse.
Ahmed : khaberdar beta jo tune aunty se kuch kaha toh.
Imtiyaz : aur tu unhe naam se kyun bulata hai bey. Kitni baar kaha hai unko aunty bol woh kitni acchi hai aur sabhi ki kitni care karti hai.
Ajju : dekh bhai mai yaha office me kisi se bhi freely baat nahi karta hoon. Woh employee hai aur mai unka boss. Aisa nahi hai ke mai unki izzat nahi karta mai bhi unki itni hi izzat karta hoon jitni tum log karte ho. Bas kuch usool banaye hai jinko mai nahi badal sakta. Khair jao tum dono jaker check karlo kuch kami toh nahi rah gayi. Thodi hi der me meeting shuru hojayegi.
Ahmed & imtiyaz: thik hai hum check karke ate hai.
Dono ajju ke cabin se nikal ke meeting room me jaker sab kuch check karte hai.
Idher neeche ajju ahmed aur imtiyaz ke Jane ke baad ajju ke dad bhi ajate hai aker apne secretary mr faisal se mil kar meeting ki details lete hai. Thodi hi der me sabhi board ke members aker meeting room me jama hojate hai.
Reshma aunty apne husband ke sath kaam karti hai ye yaha per receptionist hai aur inke husband Mr Faisal ajju ke dad ke personal secretary hai ye dono bohat hi acche nature ke hai. Ajju indono ki bohat izzat karta hai. Ahmed aur imtiyaz bhi inse utna hi pyar karte hai. Ye bhi Ajju ahmed aur imtiyaz ko apne bachon ki tarha hi samhajti hai. Inki ek beti hai jiska intro baad me ayega.
Ajju bhi sab kuch ek baar check karke meeting room me ajata hai. Jaha per sabhi log uska hi intezar kar rahe the. Ajju jakar apni chair per baith jata hai aur ek nazar pure room me delta hai sabhi board ke members waha per maujud they uske dad bhi they waha per. Sabhi dekhne ke baad ajju bolna shuru karta hai.
Ajju : good morning everyone aap sab ka yaha per aney ke liye shukriya. Jaisa ki aap sab jante hai ke AS group of industries India ki jani mani industry hai humare kai sare business hai. Jisko humne bohat hi mazboti se pakad rakha hai. Aur inshallah agay bhi aisa hi rahega. Ab ate hai main mudde per jaisa ki aap sab ko bataya gaya hai ke humari industry khane peene aur pahenne ka toh sab kuch banati hai. Aur kuch electronic ke bhi product banati hai.
Magar hum communications me bohat peeche hai kya humko bhi iss me hath dalna nahi chahiye. Mai aap sab se janna chahta hoon ki iss me aap sab ki kiya rai hai.
Ajju ki baton ko sabhi ne khamoshi se suna.
Sabhi ko pata hai ke ajju her ek kaam soch samhaj ke karta hai isi liye sabhi khamosh hi rahe. Jab ajju ne unki rai mangi toh pehle sabhi iss bare me sonchne lage. Phir ek member ne kaha.
Member1 : ye toh sahi kaha aap ne mr azeem humari industry ne iss field ke bare me kabhi soncha hi nahi tha.
Member2 : mai inki baat se sahmat hoon ke humne iss taraf kabhi dhiyan hi nahi diya tha.
Member3 : lekin humko Iska koi tajruba bhi toh nahi hai na. Agar hum iss field me aye toh humko jo pahle se maojud hai unse bhi mazboot hona hoga. Nahi toh hum market me tik nahi payenge.
Sabhi members apni apni rai derahe the ajju sabhi ko khamoshi se sun raha tha. Ajju ke dad jo itni derse khamosh baithe the unho ne kaha.
Dad : tumhare paas kuch aisa plan hai toh batao hum log usko sunne ke baad faisla karege ke iss business me hath dalna hai ya nahi.
Sabhi board ke members bhi iss baat se apni sahmati jatate hai.
Ajju : ji haan mere paas is ka plan hai isi liye toh aap sabko yaha bulaya hai. Iss ko batane se pahle mai aap sab ko kisi se introduce karwana cahta hoon.
Ye kahke ajju ek button ko press karta hai. Jiski awaz sunke ahmed aur imtiyaz andar ate hai. Dono andar ane ke baad apni apni chair per baith jate hai. Ahmed aur imtiyaz ko board ke sabhi members jante the ke ye dono ajju ke dost hai.
Ajju : toh gentlemen ye dono ko toh aap sabhi jante hi honge ke ye kon hai jo nahi jante unko mai bata doon ke ye mere friends hai. Ye mai Mr ahmed aur ye Mr imtiyaz hai.
Sabhi dono ko jante hi the phir bhi hi hello kar lete hai.
Ajju : aaj ki jo meeting bulayi gayi hai iske peeche yahi dono hai. Inhi dono ne mujhe ye bataya ke humari industry me agar hum communications network per kaam karenge toh humko kitna profit ho sakta hai. Toh ye dono aap sabko batayege inke plans. Aur haan mai aap sabko pahle hi bata doon ke ye dono jo bhi kahe iss ko mere friends samhaj kar na sune. Inki khabiliyat per hi aap sab ke jawab ho nake mere friends hone ki wajha se.
Ye kah kar ajju baith jata hai. Ahmed aur imtiyaz ko isahra karta hai. Ahmed uth kar pahle apne laptop ko waha lage projector se connect karta hai aur imtiyaz bhi apne laptop me kuch karne lagta hai. Sab kuch set karne ke baad ahmed apni chair per baith jata hai aur imtiyaz wahi khada rah kar kahta hai.
Imtiyaz : Good morning everyone mera intro toh Mr Azeem ne dediya hai. Mai aap sabko batata hoon ke hum ko communications ki duniya me apne kahdam kaise mazboot hosakte hai. Aaj ke period me koi bhi insaan bina cell phone aur internet ke apna guzara karhi nahi sakta. Isi liye har koi apna business expand karne ke liye kisi na kisi network se apna business jodne lage hai. Koi app ke zariye toh koi partnerships ke zariye. Hum apna khud ka network bana kar har kisi ko apne taraf attract kar sakte hai. Aaj kal incoming aur outgoing calls ko internet ka use karke call rate ghata diya gaya hai. Humko market me rahne ke liye bas itna karna hai ke apna khudka ek brand banaye aur usme har woh facility de jo ek acche cell phone me honi chahiye bas uski kheemat aisi honi chahiye har koi usko khareed sake.
Imtiyaz ki baat ko sabhi board members bade ghaur se sun rahe the jab imtiyaz ne bolna band kiya toh kuch der shanti chayi rahi phir ek board member ne imtiyaz se sawal kiya.
Member 4: aapki baat bilkul sahi hai ke aaj kal har koi cell phone ka use sabse ziyada karta hai. Lekin kya ye mumkin hai jo apne kaha ke humko ek minimum price ka mobile banana chahiye. Kyun ke aaj kal log toh costly se costly cell phone khareed na chate hai aise me hum apna ye cheapest price ke moblie ko kaise sale kar sakte hai.
Borad member ki baat sunke imtiyaz sabhi ki taraf dekhta hai sabhi use hi dekh rahe the.
Imtiyaz : aut bhi kisi ko mujhse koi bhi sawal puchna ho toh woh puch sakte hai.
Member 5 : mujhe puchna tha ke. Humse b
pahle bhi logon ne aise hi ideas use karke mobile phones ko launch kiya tha magar woh log ziyada time tak market me tik nahi paye the kya aap ke koi aisa plan hai jisse ye scheme kamiyab hosake.
Imtiyaz : aur koi sawal hai toh puch sakte hai.
Koi kuch nahi kahta toh imtiyaz ahmed ko kuch ishara karta hai toh ahmed laptop me kuch files open karta hai jo projector ke zariye samne nazar ati hai.
Imtiyaz : toh mai pahle aap ki baat ka jawan deta hoon sir jo apne kaha ke pahle bhi kuch logon ne ye ideas use kar chuke hai. Toh mai aap sab ko batadu ke ye jo aap log pic aur details dekh rahe ho woh inhi sab logon ki hai jo fail hue hai unme se har ek ke paas kuch na kuch aise defects hai ke logon ko woh cell phone use karne me dikkat horahi thi.
For example: jaise ki ye ek cell phone xyz company ka hai jisme ye defect hai ke usme aap ziyada application download toh kar sakte hai lekin jab aap usko use kare toh pata chalta hai ke aap ka cell phone kitna hang aur heat hota hai. Isi liye logon ne ise use karana chodh diya hai.
Dusra ye dekhiye ye cell phone abc company ka hai is me aap ko battery toh ziyada hai lekin jitne bhi isme application hai sab ziyada battery use karlete hai pahle toh logon se ise bohat pasad kiya but thode time baad ye cell phone bhi down logaya. Aise kai sare cell phones market me aye aur chale gaye. Ye kah ke imtiyaz ne screen per kai sare pics dikhaye jis me kai sare company ke cell phones aur uske defects ke bare me information thi.
Sab kuch dekhane ke baad imtiyaz ne agay kaha.
Imtiyaz : hum jis cell phone ko launch karege usme insab chizon ka dhiyan rakhege.
Member 6: hmm woh sab toh thik hai. Lekin Mr imtiyaz jab hum aisa karenge toh humko woh cell phone mahenga padega nake sasta. Toh hum us ko cheapest price me kaise sale kar sakte hai.
Us member ki baat ka sath aur bhi members ne diya. Unki baat sunkar imtiyaz ne ahmed ko ishara kiya. Ahmed apni jagha se uth kar imtiyaz ki jagha agaya.
Ahmed : goodmorning everyone mujhko bhi aap sab jante hi honge. Mai aur imtiyaz isi per kafi time se kaam kar rahe hai. Humne kai sare companies ko ghoom kar unki manufacturing aur kai sare aise chize maloom karne me lage rahe jisse hum aisa mobile bana sake jokey ceap and best ho. Finally humko kamiyabi mil hi gayi.
Imtiyaz ek software engineer hai toh usne kuch aise designs aur applications tayyar kiye hai. Jo hum usey apne cell phone me use karsakte hai. Jisse costumers ko ise use karne me koi issue nahi hoga. Infact isse hum ko ek lead milegi apne cell phone ko launch karne me.
Ye kahke ahmed ne kuch pics aur application ko screen per dikhaya jisko dekhne ke baad sabhi borad members ne apni manzoori dedi aur iska project bhi indono ko hi complete karne ko kaha.
Aur isi ke sath meeting khatam hui sab ke jane ke baad ajju ke dad imtiyaz aur ahmed ke paas aye.
Dad : congrats boys bohat hi accha presentation diya hai. Ab bas isko pura kar ke apna naam roshan karo.
Ahmed : thanks uncle ye sab aap ke support ke wajha se hua hai. Warna kaha koi bhi humari baat sunne ko tayyar hota.
Dad : are nahi bachon maine kuch nahi kiya hai jo bhi kiya hai tum dono ne hi kiya hai. Aise hi mahnat karte raho.
Imtiyaz : thanks uncle aap ki dua humare sath rahi toh hum aise hi agey badhte rahege.
Ahmed aur imtiyaz se baat karne ke baad ajju ke dad apne cabine me chale jate hai aur ye teeno ajju ke cabil me ajate hai.
Ajju : so guys congratulations apna pahla project pane ke liye.
Ahmed : abey aise sukha sukha nahi chalega hum ko party chahiye.
Imtiyaz : haan aur nahi toh kya chal ab party de.
Ajju : abey tum dono pagal hogaye ho kya jo mujhse party mang rahe ho. Sharam karo kuch project tumhe mila hai aur party mai doon chalo niklo yaha se ghareeb kahin ke.
Ahmed : abey toh iss me konsi badi baat hai project hum ko mila toh kya hua tu bhi toh humara dost hai. Humko project milne ki khushi me ek party bhi nahi desakta kya kanjoos kahi ka.
Imtiyaz : sahi kaha ahmed tune chal be party de nahi toh accha nahi hoga.
Ajju : abey kya zabardasti hai. Project tumko mila aur tum dono toh aise react kar rahe ho jaise ye tumko nahi mujhko mila hai. Ulta mujhe tumse puchna chahiye magar nahi tum toh mujh se hi mang rahe ho aur kanjoos bhi mujhe hi kah rahe ho. Ghareeb kahi ke. Tumko dena hai toh do warna chup chap baithe raho.
Ahmed : haan tu kanjoos hai toh hai. Ek party hi toh mangi hai aisa konsa tere se asmaan mang liya jo itna bol raha hai. Thik hai chal di tujhe party tu bhi kya yaad rakhega kis raees se pala pada hai.
Ahmed ki baat sun ke jaha ajju bura sa muh banata hai wahi imtiyaz hasne lagta hai. Aise hi hasi mazak karte hue lunch time hojata hai. Teeno ne baher lunch karne ka plan banaliya tha. Isi liye ajju ki car se bahar lunch karne nikal jate hai.
Iska continues update4 me hoga jisme aagey kya hoga janne ke liye bane rahe
BE- INTEHA ISHQ se mere sath aap ka apna MAQ.
Written by ( MAQ ) MOHAMMED AZEEM QURESHI.
Story kaisi lagi comment karke zaroor batana.