Avinashraj
Well-Known Member
- 2,000
- 5,643
- 159
Nyc update bhaiUpdate 18
Aaj shaista ka birthday tha aur subha se hi mahi apne sabhi kaam karke sham hone ka intezar karrahi thi.
Mahi ke ziyada friends nahi they aur jo bhi they woh ab mahi se contact me nahi they.
Iske do reasons they.
Pehla reason mahi ziyada kisi se friendship nahi karti thi ya ye kahlo ke ziyada tar log hi mahi se friendship nahi karte they. Kyun ke unko lagta tha ke mahi unke status ki nahi hai. Isi liye jo log mahi ke sath padte they woh sirf mahi ko use karte they kyun ke mahi padhai me kafi tez thi humesha top hi ati thi chahe school ho college ho ya university sabhi jagha mahi ne apni ye position sambhal kar rakhi thi.
Jab bhi exams atey toh woh sabhi jo mahi ko apne status ki nahi samhajte they mahi ke paas atey aur usse apna kaam nikal kar phir ghayeb hojate they. Aisa nahi hai ke mahi ko ye sab pata nahi tha usey sab pata tha aur usey isse boaht bura bhi lagta tha magar mahi don't care kardeti thi. Kuch hi ladkiya aisi thi jo mahi ko sach me dost manti thi aur uski friends bhi thi.
Shaista mahi ki friend toh thi magar woh bhi unhi logon me se thi jo mahi ke paas bas uske top hone se uske paas atey they, magar shaista ne mahi ko choda nahi tha, haan magar thi toh woh bhi bade baap ki aulad hi har jagha apne paison ka rob jharti phirti thi. Woh mahi ko like karti nahi thi bas apni studys ke liye uske sath rahti thi. Shaista mahi se jalti bohat thi magar kabhi mahi ke samne show nahi kiya tha.
Mahi ko lagta tha ke shaista uski ek acchi aur sacchi friend thi. Woh sonchti ke ek bade baap ki beti hone bawajud bhi woh mahi ke sath rahti hai isi liye mahi usko apni best friend samhajti thi. Mahi ki kuch hi friends thi jinme shaista uski best friend thi.
Dusra reason ye tha ke mahi ke paas mobile nahi tha. Mahi ne kabhi mobile ke bare me soncha bhi nahi tha usey ye sab cheezen fizul aur waste lagti thi isi liye mahi ne apni padhai puri hone tak mobile nahi lene ka faisla kiya tha. Uske kai friends ne usse kaha ke ek mobile lele magar mahi humesha yahi kahti ke mujhe iski zarurat hi nahi hai jab hogi tab lelongi.
Asal baat ye thi ke mahi ke paas mobile ke liye na toh paise they aur naa hi uske paas insab cheezon ke liye time tha use bas zindagi me kuch banna tha aur apne pairon per khade hona tha. Mahi humesha apne aap se bas yahi kahti ke ye sab cheezen hum jaison ke liye nahi bani aur agar mai abhi se insab cheezon me pad gayi toh mai bohat peeche rah jaongi. Uski life ka bas ek hi goal tha pahle pad likh kar kuch ban jao uske baad toh puri zindagi padi hai insab cheezon ke liye.
Is liye mahi kisi se bhi contact me nahi thi. Shaista se bhi uski mulaqat kafi waqt baad hui thi.
Khair agey badte hai.
Jab sham hui toh mahi ready hone apne room me gayi aur apni almira se apne sabhi kapde nikal kar check karne lagi uske paas ziyada kapde toh they nahi. Jo bhi they woh sabhi regular use ke hi they.
Mahi jab apne kapdon ko dekhti hai toh use ek bhi kapda aisa nahi milta jise pahen kar party me jasake.
Mahi ne kabhi bhi kisi chesz ki demand nahi ki thi. Jo bhi khairoon bee lakar deti woh use khushi khushi lekar pahen leti.
Uske paas special functions ke liye kuch hi dresses thi jo ki ab purani ho chuki thi.
Mahi ko samhaj nahi araha tha ke ab kya kare kyun ki uske paas toh ab aisi koi dress nahi thi jise pahen kar woh shaista ke birthday party me jasake.
Mahi udas hokar apne bed per baith jati hai aur uski ankhe nam hojati hai.
Woh sonchti hai bachpan se lekar aaj tak usne sirf aur sirf dard hi uthaye hai. Jab choti thi toh dusre bacchon ke paas acche acche khilone dekh kar uska bhi dil karta un khilonon ke sath khelne ka. Jab woh un bacchon ke paas jakar khelne ke liye kahti toh bacche uske sath khelne se mana kardete ye kah kar ke meri mummy ne tumhare sath khelne se mana kiya hai. Mahi waha se rote hue ghar ko chali jati thi toh khairoon bee use samjha bujha kar chup kara deti thi. Bura toh unhe bhi lagta tha magar woh bhi kya kar sakti thi.
Aur jab thodi badi hui toh dusre bacchon ko acche acche kapde pahne hue dekh kar uska bhi dil karta tha acche kapde pahanne ko magar ab tak use pata chal gaya tha ke ye sab cheezen uske liye nahi bani.
Uska bohat dil karta ke woh bhi dusre bachchon ki tarha ghoome phire acche acche khilonon se khele acche kapde pahne aur uske zid karne par uski sabhi khahish puri kare magar use ye bhi pata tha ke woh ek yateem ( orphan ) hai aur yateem ki zindagi me ye sab cheezen nahi hoti is liye usne apne aap ko jo hai usme hi khush rahne ki adat dalli thi.
Mahi yahi sab sonch kar dukhi horahi thi ke uske room ka door khol kar khairoon bee andar ati hai aur mahi ko aise baitha dekh kar aur room ki halat dekh kar samhaj jati hai ke mamla kya hai.
Khairoon bee mahi ke paas jakar pyar se uske ser per hath pher kar kahti hai.
Khairoon bee : kya hua meri beti ko itni udas kyun baithi hai. Subha se toh bohat chahek rahi thi ab kya hua ?
Mahi : kuch nahi ammi bas aise hi.
Khairoon bee : kuch nahi hai toh phir aise muh latka kar kyun baithi hai aur tujhe shaista ke paas bhi toh jana hai na toh chal jaldi se ready hoja.
Mahi : nahi ammi mera dil nahi karraha waha jane ka. Sonch rahi hoon ke ghar per hi rahon.
Mahi apni ammi ko nahi kahti ke kyun nahi jana chati.
Khairoon bee : haaain subha se toh tu sham hone ka intezar karrahi thi aur ab kah rahi hai ke jane ka dil nahi hai. Chal jaldi ja aur jakar ready hokar aa.
Mahi : nahi ammi mujhe accha nahi lagraha. Wahan kitne sare bade bade log ayenge aur un sab ke beech mai waha uncomfortable feel karongi. Aur waise bhi woh party bade logon ke liye hai na ki hum jaison ke liye. Humare jaison ko toh woh andar bhi na jane den.
Khairoon bee : khaberdar jo apne aap ko kisi se bhi chota samjha toh. Tu kya kisi se kam hai. maine tujhe kitne nazon se pala hai ye mai hi janti hoon. Aur jin bade logn ki tu baat karrahi hai woh kisi ke apne nahi hote. Insaan paise se nahi apne karam se bada hota hai aur mujhe insab baton ke bareme batane ki zarurat nahi hai ye sab tu mujhse ziyada janti hai. Aur mujhe pata hai tu ye sab kyun kah rahi hai.
Mahi apni ki baat sunkar kuch samhaj nahi pati.
Mahi : mai samjhi nahi ammi aap kis ki baat karrahi hai ?
Khairoon bee apne hath me pakde plastic bag ko mahi ke agey karte hue kahti hai.
Khairoon bee : iski baat karrahi hoon.
Mahi apni ammi ke hath se plastic bag lekar usey kholkar dekhti hai toh usme ek dress hota hai jise dekh kar mahi ki ankhon me ansu ajate hai.
Mahi : ammi aap ko kaise pata chala ke mujhe iski zarurat hai..
Khairoon bee mahi ko apne gale laga kar kahti hai.
Khairoon bee : maa hoon na toh sab pata chal jata hai. Maine tujhe janam nahi diya magar apne seene se laga kar apni beti ki hi tarha pala hai. Mujhe pata hai tere paas kya hai aur kya nahi samjhi chal ab ye rona band kar aur jaldi se mujhe ye pahen kar dikha.
Mahi : thank you ammi agar aap nahi hoti toh pata nahi mera kya hota. Allah ka bohat bada ahsaan hai mujh par jo aap jaisi ammi mujhe mili.
Khairoon bee : maar khayegi tu chal ja jakar ready ho warna der hojayegi.
Ye kahkar khairoon bee room se bahar chali jati hai.
Thodi der baad jab mahi ready hokar neeche ati hai toh use dekh kar khairoon bee bohar khush hoti hai aur apne ankh se kajal nikal kar mahi ke kaan ke peeche laga kar kahti hai.
Khairoon bee : meri beti ko kisi ki nazar na lage. Bohat pyari lag rahi ho.
Mahi ne iss waqt ek gray colour ka suite pahna tha jisme light pick colour ka embroidery work bhi tha aur uska duptta bhi light pink colour ka hi tha jo uske takhne ( toe ) tak araha tha. Mahi us dress me bohat hi khubsurat lag rahi thi.
Mahi apni ki baat sunkar kuch samhaj nahi pati.
Mahi : mai samjhi nahi ammi aap kis ki baat karrahi hai ?
Khairoon bee apne hath me pakde plastic bag ko mahi ke agey karte hue kahti hai.
Khairoon bee : iski baat karrahi hoon.
Mahi apni ammi ke hath se plastic bag lekar usey kholkar dekhti hai toh usme ek dress hota hai jise dekh kar mahi ki ankhon me ansu ajate hai.
Mahi : ammi aap ko kaise pata chala ke mujhe iski zarurat hai..
Khairoon bee mahi ko apne gale laga kar kahti hai.
Khairoon bee : maa hoon na toh sab pata chal jata hai. Maine tujhe janam nahi diya magar apne seene se laga kar apni beti ki hi tarha pala hai. Mujhe pata hai tere paas kya hai aur kya nahi samjhi chal ab ye rona band kar aur jaldi se mujhe ye pahen kar dikha.
Mahi : thank you ammi agar aap nahi hoti toh pata nahi mera kya hota. Allah ka bohat bada ahsaan hai mujh par jo aap jaisi ammi mujhe mili.
Khairoon bee : maar khayegi tu chal ja jakar ready ho warna der hojayegi.
Ye kahkar khairoon bee room se bahar chali jati hai.
Thodi der baad jab mahi ready hokar neeche ati hai toh use dekh kar khairoon bee bohar khush hoti hai aur apne ankh se kajal nikal kar mahi ke kaan ke peeche laga kar kahti hai.
Khairoon bee : meri beti ko kisi ki nazar na lage. Bohat pyari lag rahi ho.
Mahi ne iss waqt ek gray colour ka suite pahna tha jisme light pick colour ka embroidery work bhi tha aur uska duptta bhi light pink colour ka hi tha jo uske takhne ( toe ) tak araha tha. Mahi us dress me bohat hi khubsurat lag rahi thi.
Mahi : thank you ammi jaan.
Khairoon bee : accha thik hai ab tum jaldi se chali jao iss pahle ke madam tumhe jate hue dekhle aur tumhara mood kharab hojaye. Maine raheem chacha ko kahdiya hai woh tumhe shaista ke ghar per chodh denge aur wapas ane se pahle unko phone kar dena woh tumhe lene bhi ajaenge. Raheem chacha ka number toh hai na tumhare paas ?
Mahi : ji ammi unka number hai mere paas.
Khairoon bee : thik hai ab jao aur haan wapas jaldi ajana.
Mahi : ji ammi mai jaldi hi wapas ajaongi. Thik hai khuda hafiz.
Phir mahi bahar nikalti hai jaha raheem chacha pahle se hi uska wait karrahe the mahi unke sath unki bike per baith kar shaista ke ghar ki taraf nikal jati hai....
__________________________________________
Idhar ajju bhi subha late hi utha tha aaj office off hi tha toh woh bhi aaj late hi utha tha.
Waise toh kuch kaam tha nahi toh uth kar kartha bhi kya jab woh utha toh suraj sar per agaya tha. Uski didi apne hospital chali gayi thi. Aur dad bhi apne kisi kaam se bahar chale gaye they. Waise toh didi weakened me ghar per hi rahti thi magar kabhi kabhi agar emergency agayi toh chali gayi thi.
Ajju uth kar fresh hoker neeche aya aur dinning table per baith kar apni mom ko awaz deta hai jo is waqt kitchen me kuch kaam karrahi thi.
Ajju : mom mom kaha ho aap ?
Mom jo is waqt kitchen me kaam karrahi thi ajju ke pukarne se kitchen se bahar akar kahti hai.
Mom : kya hai kyun shor macha rahe ho ?
Ajju : mom mujhe bhook lagi hai jaldi se breakfast do na.
Mom ajju ko wall clock ki taraf ishara karke kahti hai.
Mom : breakfast nahi lunch kaho din ke 12 se uper horahe hai aur tum ab uth rahe ho.
Ajju : kya karon mom aaj kuch kaam nahi tha karne ko toh soncha kyun na aaj ek lambi neend leyli jaye isi liye iss time utha hoon.
Mom : kaam ho ya na ho insan ko jaldi uthna chahiye.
Ajju : mom aap toh aise kah rahi hai jaise ke mai har roz isi time per uthta hoon. Aap ki baton ko sunkar mujhe us bete ke jaisa feel ho raha hai jo nakara hota hai kuch bhi nahi karta bas ghar me baitha rahta hai.
Ajju ki baat sunkar mom hasti hai aur haste hue kahti hai.
Mom : ( haste hue ) kash tu bhi waisa hi hota tujhe har roz aise baten sunane me mujhe kitna maza ata.
Ajju : ye lo log aise bete na ho bolkar dua karte hai aur aap ho ke itne honhar bete ke milne per bhi aisi baten kar rahin hai.
Mom : ( haste hue ) ye ghalat fahmi tujhe kab se hogayi ke tu honhar hai.
Ajju : kyun mai honhar nahi hoon ?
Mom : agar honhar hota toh ab tak shadi karleta aur mujhe ye sab kaam karne se chutti dila deta magar tujhe toh mera khayal hi nahi hai.
Ajju : ( mazak karte hue ) ye kya mom aap toh aise kah rahi ho jaise boaht hi ziyada budhi hogayi ho jise ab chala bhi nahi jaraha aur waise bhi abhi toh didi ki bhi shadi nahi hui aur aap mujhe shadi karne ko kahrahi hain.
Mom : bhudi hi toh hogayi hoon ab toh mere se kaam bhi nahi horaha tu jaldi se shadi karle aur mujhe iss sab se chutti dilade. Teri biwi ayegi toh wohi sab kuch sambhalegi aur rahi baat teri didi ki toh hum log teri didi ke liye ladka dekh rahe hai. Allah ne chaha toh uski bhi shadi jaldi hi hojayegi.
Ajju : ye toh bohat hi acchi baat hai aur rahi baat meri shadi ki aur ghar ke kaam ko sambhal ne ki toh agar aap se ab kaam nahi hota toh kisi kaam wali ko rakhlo woh karlegi ghar ka kaam is ke liye mujhe shadi karne ki kya zarurat hai.
Mom : haiiiiin kaam wali ko kyun rakhun mai jab mere paas ek beta hai woh bhi shadi layak.
Ajju : toh kya aap ko bahu nahi kaam wali chahiye ?
Mom ajju ki baat sunkar zor hasti hai aur haste hue kahti hai.
Mom : ( haste hue ) haan tujhe kya laga mujhe bahu chahiye mujhe toh muft me kaam karne wali chahiye.
Ajju : chi chi mom kaisi baten karrahi hai aap. Khair ye sab chodiye aur mere liye breakfast ya lunch jo bhi ho woh dedijiye mere pet me chuhe kud rahe hai.
Mom : ( haste hue )meri baat yaad rakhlena aur agar kisi ko tum pasand karte ho toh use ye sab bata dena nahi toh woh bechari pareshan hojayegi.
Ye kah kahkar haste hue mom kitchen me chali jati hai aur ajju ke cahre pe kuch der ke liye udasi ajati hai magar jab ajju dekhta hai ke uski mom plate me uske liye breakfast lekar arahi hai toh apne aap ko normal karle ta hai.
Ajju ki mom ajju ko breakfast dekar wapas kitchen me chali jati hai aur ajju breakfast karte hue sonchne lagta hai.
Ajju : ( apne aap se ) kash ke aaj alfisha mere sath hoti toh mai mom ko usse milta aur mujhe yakeen hai ke woh mom ko pasand bhi ati. Kya kya soncha tha aur kya hogaya. Jane kaha hogi meri alfi. Jaan tum jaha bhi ho mai tumhe dhundh nikalonga.
Ye sab sonchte hue ajju breakfast karta hai aur phir apne room me jakar kisi ko call laga kar usse baat karta hai.
Ajju : hello kya hua kuch pata chala uska ?
Other side : nahi sir abhi tak mujhe unki koi bhi information nahi mili aur naa hi unke family ki, magar mai puri koshish karrah hoon jald hi aap ko kuch na kuch toh zarur dunga.
Ajju : mujhe kuch na kuch nahi chahiye mujhe puri information chahiye. Maine baat karte waqt hi kaha tha daam tumhara hoga aur kaam mera aur mujhe adhure kaam aur adhuri information se saqt nafrat hai.
Other side : ji sir mai janta hoon aur aap befikar rahiye mai unhe jaldi hi dhundh nikaonga. Maine aaj tak koi bhi kaam adhura nahi chodha aur naa hi aap ka chodunga.
Ajju : mujhe bhi yahi umeed hai agar aisa nahi hua toh aap khud samhajdar ho.
Ye kah kar ajju phone kat deta hai.
( ye kon hai aur ajju isse kis ke bareme information nikal raha hai ye baad me pata chalega ).
Phir aise hi din dhal jata hai aur shaam hojati hai. Ajju din bhar apne room me raha kahi per bhi nahi gaya. Ajju ki mom hi ajju ko akar yaad dilati hai ke use aaj sikandar raza ( shaista ke dad ) ki beti ke birthday party me jana hai.
Ajju bhi ok bol kar ready hone lagta hai. Ajju jab ready hokar neeche ata hai toh uski didi joh kuch waqt pahle hi hospital se wapas ayi thi ajju ko dekh kar siti marti hai jise sunkar ajju ki mom ka dhiyan bhi ajju ki taraf jata hai.
Ajju ne iss waqt tree piece suit pahna hua tha jo maroon colour ka tha. Uske andar white colour ki shirt aur hath me rolex ki watch aur chocolatey colour ke shoes pahne they. Jisme ajju bohat hi handsome lag raha tha.
Didi : kya baat hai bhai aaj toh gajab lag rahe ho. Party me jarahe ho ya mere liye bhabhi dhundhne ? Waha party me toh aaj ladkiya qatal hi ho jayengi.
Mom : chup kar mere bete ko nazar math laga mera beta kitna handsome lag raha hai kisi ki nazar na lage.
Ye kah kar ajju ki mom apne ankh ka kajal nikal kar ajju ke kan ke peeche laga deti hai jise dekh kar didi hasne lagti hai aur ajju bhi chid jata hai.
Ajju : ( chidte hue ) ye kya mom aap mujhe chote bacche ki tarha kyun ye kajal laga rahi ho.
Didi : arey arey ye kya bhai aisa kyun kah rahe ho. Mom ne toh tumhe buri nazar se bachne ke liye lagaya hai. Kyun mom sahi kahana mom ?
Ye kah kar mom se bachkar didi ajju ko ankh mar deti hai.
Mom : haan bilkul sahi kaha ye agar aise hi chala gaya toh kisi ki bhi nazar lag sakti hai.
Ajju : kya mom aap bhi kaisi baten karti hai ab ye kajal mujhe nazar se bachayega. Aur waise bhi mai ab chota baccha nahi raha jo ap kajal laga rahi ho kisi ne dekh liya toh mera mazak udayenge. Dekho itna bada businessmen hokar bhi kajal laga kar phirta hai.
Mom ajju ki baat sunkar muskurate hue kahti hai.
Mom : ( muskurate hue ) bacche kitne bhi bade kyun na hojayen woh apne maa baap ke liye bacche hi rahte hai, aur rahi logon ki baat toh log toh kuch bhi kahte hai agar unki baton ko dil pe loge toh zindagi me agey nahi bad paoge.
Ajju apni mom ki baat sunkar unke gale lag jata hai aur muskurate hue kahta hai.
Ajju : kya mom mujhe laga aap meri baat sunkar gussa karengi magar aap toh uske ulat mujhe hi samjha rahi hai. Mujhe pata hai ye aap ka pyar hai aur mai bhi mazak hi karraha tha.
Mom muskurate hue ) mai janti hoon beta. Aur agar tum ye sab gusse se bhi kahte toh bhi mai tumhe aise hi samjhati. Agar mai bhi gussa karongi toh tumhe sahi aur ghalat ke bareme kon samhjayega.
Mom ki baat sunkar didi kahti hai.
Didi : ( drama karte hue ) aap dhanye ho maatey aap dhanye ho. Aap ke jaisi maa ko pakar hum dhaniye hogaye hai. Aap ke charan kaha hai mai aap ko sakh shat dandwat pranam karna chati hoon.
Didi ki baat aur unko aise drama karte hue dekh kar ajju aur uski mom haste hai phir thodi bohat baat chit karke ajju apni car lekar pahle ek gold ki shop per jata hai aur waha se ek accha sa bracelet leta hai aur shaista ke ghar ki taraf nikal jata hai.
Thodi hi der me ajju location per pohanch jata hai. Ajju apni car ko park kar ke andar cahla jata hai jaha use kai log milte hai jinse ajju bhi bohat hi khush dili se milta hai.
Ye party shaista ke ghar per hi thi. Ise ghar kahna ghalat hoga ye ek boaht hi bada bungalow tha.
Bungalow ko bohat hi acchi tarha se sajaya gaya tha. Pure bungalow per colour colour ki lights focus aur rang birange phulon se sajaya gaya tha. Jo bhi bungalow ko dekhta tareef kare bina nahi rahta tha.
Shaista ke dad sikandar raza bhi ek acche businessmen they. Shaista inki ek lauti beti thi aur woh apni beti se bohat pyar karte they.
Sikandar raza ek acche nature ke insaan they woh apni beti ko bhi waisa hi banana chahte they. Magar unki biwi ne apne lad pyar se shaista ko bigad diya. Shaista ki mom uski har zid ko puri karti chahe woh acchi hoya buri. Iska asar ye hua ke shaista ek ziddi ladki bangayi.
Party me bohat log aye they jinme ziayda tar businessmen hi thay aur shaista ke friends me bhi aise hi log they jo apne baap ki daulat per ghamad karte they. Unhe lagta tha ke unke paas paisa hai toh woh kiske bhi sath kuch bhi karenge.
Ajju ko aye thodi hi der hui thi ke shaista uske paas jakar usse hello kahti hai.
Shaista : hello mr azeem aap yaha akele kyun kahde hai.
Ajju : ji maine aap ko pahchana nahi.
Shaista : jiske birthday party me aap aye ho woh mai hi hoon. By the way my name is shaista.
Ajju : ohh i am so sorry mujhe nahi pata tha. Nice to meet you and Wish you a very very happy birthday.
Aur ye kah kar ajju apna laya hua gift use deta hai jise lekar shaista muskurate hue kahti hai.
Shaista : thank you so much.
Ajju : waise aap ko mera naam kaise pata. I mean mai aaj se pahle aap se kabhi nahi mila na is liye puch raha hoon.
Shaista : arey ye aap kaisi baat karrahe hai. Aap ko kon nahi janta A.S GROUP OF INDUSTRIES ke chairman ek laute bete ko kon nahi janta.
Ajju : ( mazak karte hue ) mujhe nahi pata tha ke mai itna famous hoon.
Shaista : waise mai bhi kuch din pahle hi ayi hoon india apni padhai puri karke.
Shaista ajju ko impress karne ke liye kahti hai.
Ajju : o really waise kaha per gayi thi aap padne ke liye ?
Shaista : Australia me rah kar maine apna MBA kiya hai.
Ajju : ye toh bohat hi acchi baat hai.
Shaista : waise aap ko toh pata hi hoga ke mere dad ki company aap ki company se kuch deal karne wali hai.
Ajju : haan suna hai maine apne dad se. Lagta hai aap ko bhi business me intrest hai.
Shaista : Australia isi liye toh gayi thi. Takey dad ki company ko acche se handle kar sakon aur waise bhi unke baad toh mujhe hi sab sambhal na hai. Toh abhi se kyun nahi isi liye kuch kuch malumat rakhti hoon..
Ajju shaista ki baton se itna toh samhaj hi gaya tha ke shaista ek ghamadi ladki hai jo apne baap ki daulat per bohat ghamad karti hai. Magar ajju don't care karke baat ko agey barhata hai.
Ajju : impressive mujhe nahi pata tha ke khubsurat ladkiya bhi business me intrest rakhti hai. Mujhe laga tha unhe bas shopping aur makeup me hi interest rahta hai.
Dono aise hi baten karte hai toh shaista ko call ata hai toh woh ajju ko excuse me kah kar waha se chali jati hai.
.............................................To be continued.
Agey janne ke liye bane rane mere sath BE-INTEHA ISHQ ke sath apka apna MAQ.
Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI.
Update kaisa laga comment me zaroor batana.