• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance BE-INTEHA-ISHQ

Status
Not open for further replies.

Maq

Lovely person????
429
518
109
update 18 part 2

UPDATE 18 PART 2.
Idhar mahi ko bhi raheem chacha ne shaista ke bungalow ke paas chodh diya tha aur jate hue
kah gaye ke nikal ne se pahle unhe phone karde woh use lene ajayen ge.
Mahi jab andar jane lagti hai toh use guard rok lete hai.
Guard : aye ladki kaha jarhai ho.
Mahi us guard ki baat ko sunkar dar jati hai aur ruk kar kahti hai.
Mahi : ji..ji.. wo..h ma..i yaha party me ayi hoon.
Guard : kya kaha party me ayi ho kisne invite kiya hai tumhe ?
Mahi : shaista ne.
Guard : invitation card hai tumhare paas ?
Mahi : ji woh toh mai ghar per bhool gayi hoon.
Guard : kya kaha ghar per bhool gayi ho. Mujhe pata hai tum aisa hi kuch kahogi. Chalo niklo yaha
se pata nahi kaha kaha se ajate hai.
Mahi us guard ki baat ko sunkar bohat hi sharmindagi hoti hai. Aur uske ankhon me ansu ajate
hai.
Mahi wahin per khadi rahti hai jise dekh kar guard kahta hai.
Guard : maine kaha na jao yaha se. Abhi bhi yaha kyun kahdi ho.
Mahi : dekhiye mujhe yaha shaista ne hi bulaya hai aap chahe toh usse puch sakte hai. Mai uski
friend hoon.
Guard : dekho mujhe nahi pata ke madam ne tumhe bulaya hai ya nahi agar tum kah rahi ho ke
unki friend ho toh theek hai. Madam ko call laga kar mujhse baat karao.
Mahi : magar mere paas uska number nahi hai.
Guard : tumahre paas madam ka number nahi hai aur tum kah rahi ho unki friend ho. Ye tarike
purane hogaye hai. Bahter yahi hoga ke tum yaha se chali jao.
Mahi ko us guard ki baton se bohat bura lagta hai aur woh sonchti hai ab yaha se chale jana hi
bahtar hoga.
Ye sonch kar mahi jane me liye palatti hai ke peeche se koi use uska naam lekar awaz deta hai
jise sunkar mahi palat kar dekhti hai
Ye shaista hi thi jo tab se mahi ko dekh rahi thi jabse guard uski insult karraha tha. Woh yaha
apne kisi guest ko lene ayi thi aur jab uski nazar mahi per padti hai toh woh uske paas jane lagti
hai magar guard ki baton ko sunkar rukjati hai. Use mahi ko aise dekh kar accha toh nahi lagta
magar woh mahi se jalti thi isi liye chup rahti hai magar jab mahi ko jate hue dekhti hai toh use
awaz dekar rokti hai.
Mahi jab shaista ko dekhti hai toh uske ankhon me ansu ajate hai. Kyunki itni insult uski aaj tak
nahi hui thi.
Shaista jab mahi ke paas ati hai toh usko mahi ko aise rote hue dekh kar maza ata hai jane kyun
use mahi se chid thi.
Woh mahi ke paas akar kahti hai.
Shaista : aray tum wapas kyun jarahi thi ? Chalo mere sath.
Ye kah kar shaista mahi ko apne sath andar lekar jane lagti hai. Jab mahi guards ke paas
pohachti hai toh woh guards se kahti hai.
Mahi : maine kaha tha na mujhe shaista ne bulaya hai.
Guard : sorry madam magar hum kya karen hum bhi apni duty karrahe they.
Mahi : ( phiki hasi haste hue ) haan dekha maine ke aap log kaisi duty karrahe they. Mere samne
kitne hi log andar gaye magar aap ne uhne rukne ko nahi kaha. Magar mujhe kaha Kyun ke mai
car me nahi ayi aur naa hi mahenge kapde pehne hai. Magar yaad rakho admi ki pahchan uske
kapdon aur paison se nahi hoti.
Ye kah kar mahi shaista ke sath andar chali jati hai.
Shaista mahi ko apne sath lekar apne friends ke paas jati hai jo uski hi tarha ameer maa baap ke
bachche they.
Shaista : mahi inse milo ye mere friends hai.
Mahi sab ko salam karti hai. Jise dekh kar uske dost haste hai aur shaista bhi muskurati hai.
Shaista friend : arey yaar shaista ye tu kise apne sath layi hai. Lagta hai baba adam ke zamane ki
ladki hai.
Shaista ki dost ki baat sunkar uske bakhi dost bhi haste hai aur sath me shaista bhi mahi bas
mazak samhaj kar muskurati hai.
Shaista : arey aisa math kaho yaar ye aisi hi hai. Isko aisa rahna hi pasand hai. Maine isko bohat
baar kaha ke tu bhi meri tarha fashion ke kapde pahen magar ye manti hi nahi. Tum log hi kuch
kaho shayed ise kuch samhaj ajaye.
Ye kah kar shaista apne friends ko ankh mar deti hai jo mahi nahi dekhti.
Shaista friend 1 : ( haste hue ) yaar shaista mujhe lagta hai ye fashion karna afford nahi kar sakti.
Shaista friend 2 : ( haste hue ) haan yaar mujhe bhi aisa hi lagta hai aur jo dress isne pahna hai
woh bhi shayed hazar ya do hazar ka hoga isse acche kapde toh mere ghar me kaam karne wali
bai pahenti hai.
Shaista friend :( haste hue ) sahi kaha aur iske hath me jo gift hai usko toh dekho kitna chota hai.
Zara dikhana toh kya hai isme. Hum bhi toh dekhe ke shaista ki iss friend ne iske liye kya laya hai.
Ye kah kar woh ladki mahi ke paas se gift ka lekar usey khol deti hai. Aur usme pen dekh kar zor
zor se hasti hai aur sath me uske friends bhi aur shaista bhi hasti hai.
In logon ke iss tarha hasne se kuch log waha per ikhatta hojate hai aur dekhne lagte hai ke waha
kya horaha hai.
Shaista friend 2 : ( haste hue ) ye kya pen isse sasta aur kuch nahi mila tumhe lane ke liye isse
accha toh tum khali hath ajati.
Shaista friend : ( haste hue ) mujhe lagta hai bechari ke paas isse ziyada paise nahi they honge isi
liye isne ye pen lekar ayi hai.
Sabhi un logon ki baten sunkar hasne lagte hai aur mahi ki toh ankhon me ansu ajate hai aur woh
toh bas bina awaz kiye ro rahi thi.
Itni beizzati uski aaj tak kabhi nahi hui thi. Shaista uske sath aisa karegi usne soncha nahi tha
woh toh use apni sab se acchi dost manti thi isi liye yaha ayi warna mahi kisi ke bhi bulane per
kahi bhi nahi jati thi.
Mahi ko lag raha tha ke mai yaha ayi hi kyun.
Sabhi log has rahe they aur acchi khasi beedh bhi jama hogayi thi.
Idhar ajju bhi party enjoy karraha tha toh use bhi bheed nazar ati hai aur logon ko haste dekh ajju
ko lagta hai ke waha per koi joke sunaraha hai ya kuch funny type kuch horaha hai.
Toh ajju bhi muskurate hue waha per jata hai aur jab uski nazar samne padti hai toh dekhta hai ke
sabhi log has rahe hai aur koi ladki apna chara neeche kiye khadi thi. Usey lagta hai shayed woh
ro rahi hai.
Ajju ko nahi pata tha ke woh ladki koi aur nahi mahi hi hai. Ajju apne paas me kahde ek admi se
puchta hai.
Ajju : yahan kya ho raha hai aur woh ladki kon hai jo aise khadi hai ?
Admi : mujhe bhi nahi pata ke woh ladki kon hai magar shayed ye log uska mazak uda rahe hai
aur woh ladki isi liye ro rahi hai.
Ajju us admi ki baat sunkar samne dekhta hai jaha shaista ke friends mahi ka mazak nahi uski
beizzati karke maze lerahe they.
Shaista mahi se kahti hai.
Shaista : kya hua mahi tum ro kyun rahi ho ? Ye sab toh bas mazak karrahe hai aur tum toh insab
cheezon ko mind nahi karti na.
Mahi shaista ki baat sunkar apna chahra uper karke usko dekhti hai. Jaise puch rahi ho ke maine
tumhara kya bigada hai jo tum mujhe is tarha beizzat karrahi ho.
Mahi jab apna chahra upar karti hai toh ajju ko toh bohat bada shock lagta hai. Use pata nahi tha
ke mahi bhi iss party me arahi hai aur usko aise dekh kar toh woh aur bhi ziyada shock hojata hai.
Shaista mahi ko aise rote hue dekh kar hasti hai aur kahti hai.
Shaista : mujhe tumhe isi tarha dekhna tha mujhe tum bilkul bhi pasand nahi ho. Mai humesha se
tumhe neecha dikhana chati thi. Tum jab bhi college me ya university me first ati toh mujhe bohat
jalan hoti thi.
Woh jagha meri thi aur woh humesha tumhe milti thi tum uske layak hi nahi ho. Maine tumse
dosti isi liye nahi todi ke mujhe tumhe tumhari aukat dikhani thi. Tum kuch bhi nahi ho mere
samne. Samjhi kuch bhi nahi.
Mahi shaista ki baton ko sunkar bohat zor zor se ro rahi thi. Magar waha per koi aisa nahi tha
jo uske ansu puchta waha per sirf paise wale log hi kahde they kisi ne bhi shaista ko rokne ki
koshish nahi ki.
Sabhi is waqt khamosh khade they waha per ek dam pin drop silent thi.
Us kahmoshi ko ek awaz se todi jo kisi ke tali bajane ki thi. Ye tali bajane wala koi aur nahi ajju
tha. Ajju tali bajate hue mahi aur shaista ke paas pohanch jata hai.
Mahi abhi bhi ro rahi thi usne ek baar bhi nazar utha kar nahi dekha ke ye tali kon baja raha hai.
Ajju : wah wah kya baat hai kya baat hai. Ek ladki hokar tumne itne sare logon ke samne iski itni
insult karke bohat hi badhiya kaam kiya hai. Wah bhai wah. Mujhe nahi pata tha ke tum isme bhi
mahir ho.
Ajju ki baat sunkar shaista uski taraf dekhte hue kahti hai
Shaista : ye kya bakwas karrahe ho. Tumko pata bhi haina ke tum kisse baat karrahe ho.
Ajju : haan pata hai ek ameer baap ki bigdi hu beti se baat karraha hoon jo apne samne kisi ko
kuch nahi samhajti.
Idhar mahi jab kisi ko apne liye kahte hue sunti hai toh apni nazar utha kar dekhti hai aur jab usko
samne ajju nazar ata hai jo uske liye shaista ke samne khada hogaya tha toh usko itni khushi hoti
hai jo kabhi nahi hui thi.
Mahi ko ajju uper wale ki taraf se behja hua masiha nazar ata hai.
Jab ajju mahi ko apni taraf dekhte hue pata hai toh uske paas jakar uske ansu saaf karta hai toh
mahi jo kab se ro rahi thi ajju ke aise karne se uske gale lag jati hai aur zor zor se rone lagti hai.
Idhar jab mahi ajju ke gale lagti hai toh sabhi shock hojate hai. Sab se ziyada shock toh shaista
ko laga tha use umeed nahi thi ke mahi aisa kuch karegi. Kyun ke use pata tha mahi kaisi ladki
hai. Magar mahi ko ajju ke gale lage dekh kar toh uski jalan aur badh jati hai.
Shaista : ( gusse se ) wah mahi wah kal tak toh tu badi shareef bani phirti thi ab kya hua. Dikha hi
di na tune apni aukat.
Ajju shaista ki baat ko sunkar ek dam gusse me ajata hai.
Ajju : ( gusse me ) bas bohat bol chuki tum aur bohat sunliya mahi ne ab agar ek bhi lafz tumhare
muh se mahi ke khilaf nikla toh mai bhool jaonga ke tum sikandar raza ki beti ho.
Ajju ke aise gusse se kahne se shaista hi kya waha khade sabhi dar jate hai.
Baat jab bohat bigad gayi toh iski khabar sikandar raza ko bhi hogayi thi aur woh bhi waha agaye
they aur ajju ko mahi ko gale laga hua dekh kar kahte hai.
Sikandar raza : kya hua mr azeem aap iss ladki ko aise pakad kar kyun khade ho ? Aur ye ladki ro
kyun rahi hai ? Hai kon ye ? Aur yaha ho kya raha hai yaha bheed kyun lagi hui hai ?
Ajju : ye sawal aap apni beti se puchiye iss ka jawab ye bohat acchi tarha se de sakti hai. Iss
ladki ke rone ki wajha bhi aap ki beti hi hai. Mujhe nahi pata tha ke aap ke yaha party per bulakar
beizzat kiya jata hai jati hai.
Sikandar raza ajju ki baat sunkar hairan hojate hai.
Sikandar raza : ye aap kya kahrahe hai. Shaista ne aap se kuch kah diya hai kya. Agar iski kisi bhi
baat ka aap ko bura laga hoto iski taraf se mai aap se mafi chahta hoon.
Ajju : agar inhone mere sath kuch kiya hota toh mai bardasht bhi kar leta magar aap ki beti ne
meri family member ke sath battamizi ki hai aur itna hi nahi usko sabke samne beizzat bhi kiya
hai.
Ajju ke mahi ko family member kahne se toh waha per khade sabhi shock hojate hai. Sabhi yahi
sonch rahe they ke ajju ka is ladki ke sath kya rishta hosakta hai.
Aur sab se ziyada shock toh shaista ko laga tha use samhaj nahi araha tha ke ajju mahi ko apni
family member kyun kah raha hai. Shaista ko pata tha ke mahi orphan hai.
Shaista kuch kahti usse pahle uske dad kahte hai.
Sikandar raza : kya ye ladki aap ki family member hai ?
Ajju : ji haan.
Shaista ke dad mahi ki taraf hath jodh kar kahte hai.
Sikandar raza : beti mujhe toh pata nahi ke meri beti ne aap ke sath kya kiya magar mai aap se
uski taraf se maafi mangta hoon.
Shaista apne dad ko mahi se maafi mangte hue dekh kar gussa hojati hai.
Shaista : dad aap kyun maafi mang rahe hai. Iski aukat hi kya hai apke samne jo aap isse maafi
mang rahe hai.
Shaista ne itna hi kaha tha ke uske dad usko zor se ek thappar marte hai.
Chataaaaak
Waha per khade sabhi log shock hogaye they kisi ko bhi iss baat ki umeed nahi thi ke sikandar
raza aisa kuch karenge. Even mahi ko bhi shock laga tha.
Sab se ziyada shock toh shaista ko laga tha woh toh bhuchakki rah gayi thi. Uske dad ne aaj tak
usko kabhi ungli tak nahi lagayi thi. Aur aaj toh sabke samne unho ne use thappad mara tha.
Sikandar raza :( gusse se ) bas bohat kar chuki tum apni manmani. Tum bhul gayi ho kisse kis
tarha baat karte hai. Maine tumhe kitni baar kaha hai ke apne aap ko dusron se bahtar math
samjho. Insaan paise se kabhi bada nahi hota apne amal ( karmon ) se bada hota hai. Uper wale
ne tumhe daulat di iska ye matlab hagiz nahi ki tum jise chaho use apne se chota samjho. Aaj
mujhe bohat afsoos horaha hai ke tum meri beti ho. Kash ke mai tumhe ek acchi beti bana pata.
Phir mahi ke paas jakar apne dono hath jodh kar usse maafi mangte hue kahte hai.
Sikandar raza : beta apni beti ki taraf se mai tumse maafi mangta hoon.
Unko maafi mangte hue dekh kar mahi jaldi se unke hath pakadh kar neeche karke kahti hai.
Mahi : nahi uncle aap maafi kyun mang rahe hai aap ki kya ghalti hai. Ghalti na toh shaista ki hai
na aap ki ghalti toh meri hai jo maine bina sonche ek ameer ladki se dosti ki uksa khamiyaza
( natija ) toh bhugatna hi padega na
Mujhe yaha ana hi nahi chahiye tha. Mai toh ye sonch kar yaha ayi thi ke meri best friend ka
birthday hai agar mai nahi gayi toh woh naraz hojayegi. Mujhe kya pata tha jise mai apni best
friend samhaj rahi thi woh toh mujhse nafrat karti hai.
Mujhe toh dukh iss baat ka hai ke yaha per itne sare log hai jo ke samaj ke izzat dar log hai.
Magar kisi ne bhi meri beizzati hote dekh kar ek baar bhi shaista ko rokne ki koshish tak nahi ki
ulta yaha tahar kar tamasha dekh rahe they jaise yaha meri beizzati nahi koi show chal raha hai
aur sabhi log use enjoy kar rahe hai.
Bachpan se lekar aaj tak mujhe yahi lagta tha ke paisa ho ya naa ho magar insaan ke paas acchai
honi chahiye jisse aap logon ko badal sakte ho magar aaj shaista ne mujhe ye bata diya ke tum
chahey kitne bhi acche kyun na ho agar tumhare paas paisa aur naam nahi hai toh woh acchai hi
tumhari dushman banjati hai.
Aaj mujhe afsoos horaha hai ke maine iss matlabi duniya se koi ummid rakhi, yaha toh bhai bhai
nahi toh mera kya hoga. Khair mujhe yaha per bula kar meri itni beizzati karne liye bohat bohat
shukriya shaista. Aaj ke baad mai kisi per bhi bharosa nahi karongi..
Chalo ajju ab mujhe yaha nahi rahna mujhe yaha se le chalo.
Mahi ki baton ko sunkar waha per kahde sabhi logon ka sar sharmindagi se jhuk jate hai kya
ghalat kaha tha mahi ne kisi ne bhi shaista ko rokne ki koshish tak nahi ki kyun ke woh ek bade
baap ki beti hai is liye.
Mahi ki baat sunkar ajju bhi uske sath bahar nikal jata hai aur mahi ko lekar apni car me bitha leta
hai aur shaista ke bungalow se apni nikal leta hai.
Thodi hi der hui thi unko waha se nikle hue ke mahi phirse rone lagti hai jise dekh kar ajju car ko
side me rok leta hai.
Ajju : ab aise kab tak roti rahogi chalo chup hojao jo hua usey bura sapna samhaj kar bhool jao.
Mahi : ( rote hue ) kaise bhool jaon me ajju kaise ? Jisko mai apni best friend samhajti thi woh
mujhe apna dushman manti hai iss baat ko sunkar mujhe kitni takleef hui hai ye tum nahi samhaj
sakte. Arey meri ghalti kya hai maine uske sath kiya hi kya jo usne mujhe itne sare logon ke
samne zalil kiya.
Kya ghareeb hona gunah hai kya honest hona gunah hai kya apne pairon per khade hone ke liye
mahnat karna gunah hai. Maine aaj tak kabhi bhi kisi ko kuch nahi kaha magar na jane kyun log
mere dushman banjate hai.
Ye kahkar mahi zor zor se rone lagti hai. Ajju ko bhi bohat bura lag raha tha mahi ka aisa rona
dekh kar magar woh bechara bhi kuch kar nahi sakta tha.
Mahi ke sath jo bhi hua woh ghalat hua magar kya karen ye duniya aap jitne seedhe honge utna hi
aap ka imtehan leti hai.
Ajju : dekho mahi mai samhaj sakta hoon ke iss waqt tumhare dil per kya beet rahi hai. Magar
itna zarur kahonga ke tumhare aise rone se na toh unhe kuch farq padega aur naa hi tumhe kuch
hasil hoga. Ye duniya utni seedhi nahi jitna tum samhaj rahi ho jitna tum rote jaogi ye log tumhe
utna hi rulate jaenge. Toh apne aap ko mazboot banao aur inhe batao ke tum woh nahi ho jo ye
log samhaj rahe hai. Inhe dikhao ke ek ladki jab apne per ati hai toh kya kar sakti hai. Jin logon
ne tumhare sath ghalat kiya hai use bhulo math use yaad rakh kar apni zindagi ka lakash banao
aur usi per chalo. Iss sab me mai tumhare sath ek sacche dost ki tarha humesha sath rahonga.
jab bhi tumhe meri zarurat hogi mujhe apne sath paogi. Ab isse ziyad mai tumhe kuch nahi kah
sakta.
Ye kah kar ajju khamosh hojata hai. Mahi jo ro rahi thi ajju ke samjhane aur uski baton se apne
aap ko sambhalti hai aur ajju se kahti hai.
Mahi : sahi kaha ajju tumne mere rone se kisi ko bhi farq nahi padega agar farq padega toh
mujhe khud ke barabar dekh kar. Aaj ke baad mera ek hi goal hai inlogon ko inki aukat dikha na.
Ajju : haan ye hui na baat, ab ye lo pani piyo aur haan in sab me apne iss acche nature ko math
khodena tumhari asli pahchan isi se hai samjhi aur ab hum kisi acche restuarant me jakar dinner
karte hai.
Phir ajju apni car ko road se nikal kar ek acche se restuarant ke paas rokta hai.
Dono andar jakar accha sa dinner karne ke baad waha se nikalte hai.
Ajju : chalo ab mujhe apne ghar ka address batao.
Mahi : kyun ?
Ajju : arey mujhe kya pata tumhara ghar kaha hai is liye puch raha hoon. Tumhe tumhare ghar bhi
toh chodna hai.
Mahi ajju ke address puchne se pareshan hojati hai.
Asal me mahi ajju ko apne bareme itna jaldi nahi batana chahti thi. Aaj jo kuch bhi hua use dekh
kar toh use ab kisi ko bhi apne bareme batane se dar lag raha tha.
Yahi sonch kar mahi ajju ko bas apne ghar ke raste per hi lekar jati hai jab uska ghar thoda
khareeb rahta hai mahi usko rokne ko kahti hai.
Ajju : arey yaha kyun rukvaya ?
Mahi : yaha se agey mai khud chali jaongi. Kal milte hai.
Ye kah kar mahi car se utar jati hai. Ajju bhi kuch nahi kahta woh bhi samhaj jata hai ke mahi usko
apna ghar nahi batana chahti.
Ajju : ok phir kal milte hai bye take care khuda hafiz. Aur haan apne ghar me is sab ke bareme
kuch math batana warna ghar wale khamakha pareshan hojayenge.
Mahi : ok thik hai bye khuda hafiz.
Ye kahkar kar mahi apne ghar ki taraf chali jati hai aur ajju bhi car ko wapas mod kar apne ghar ki
taraf chala jata hai.
Mahi bhi apne ghar me jakar apne room me phale fresh hoti hai phir namaz padh kar apne rab ke
samne apni shikayat karti hai aur phir so jati hai.
Ajju bhi mahi ko chodne ke baar seedha apne ghar ko chala jata hai. Ajju ke ghar me sabhi
sogaye the toh ajju bhi apne room me jakar pahle fresh hota hai aur phir apne aaj ke din ke
bareme apni dairy ne likta hai aur phir neend ki haseen wadiyon me khojata hai.
Aaj ke liye itna hi.
Agey dekhte hai ke mahi aur ajju ki dosti kaha tak pohanch ti hai aur mahi apne lakash ko kaise
pati hai aur ajju usme uski madad kaise karta hai.
Agey janne ke liye mere sath bane rahe BE-INTEHA-ISHQ ke sath apka apna MAQ.

Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI.

update kaisa laga comment karke zarur batana.
 
124
190
58

Bhai zabardast update ab wait krty hain k agla update jldi aye q k story is going interesting
 
  • Like
Reactions: Maq

mashish

BHARAT
8,032
25,909
218
Update 4

Mahi side:

Subha mahi jaldi se uth kar fresh hoker namaz padne ke baad neeche ati hai kitchen me jaha uski ammi pahle se hi maojud thi.

Mahi : assalamu alaikum ammi jaan.

Khairoon bee : wa alaikum assalam beti jaan.

Mahi : nashta tayyar hai ammi

Khairoon bee : haan beta sab ready hai. Tu ruk mai abhi ye nashta madam ko dekar ati hoon.

Mahi : ammi mujhe dijiye mai dekar ati hoon.

Khairoon bee : nahi beta mai dekar ati hoon. Tera aaj interview hai na mai nahi chahti ke woh subha subha tujhe kuch bole aur tera mood kharab hojaye.

Mahi : ok ammi aap jaiye.

Khairoon bee nashte ko trolly me rakh kar baher lejati hai jaha miss nadiya baithi hui thi. Unho ne miss nadiya ko breakfast served kiya aur wapas agayi.

Khairoon bee ke ane tak mahi dono ke liye nashta laga chuki thi. Dono nashta karte hue baten karne lagi.

Khairoon bee : toh beta ready ho na apne interview ke liye.

Mahi : ji haan ammi.

Khairoon bee : acche se interview dena aur kuch bhi math sonchna. Jo bhi hoga accha hi hoga. Allah tumhe zaroor kamiyab karega.

Mahi : ji thik hai ammi mai apna best dongi.

Dono ne nashta kiya aur khairoon bee ne bahar jaker dinning table saaf kiya aur kitchen me akar kitchen ki safai karne lagi.

Miss nadiya bhi apna breakfast karke ladkiyon ki taraf chali gayi thi.

Mahi bhi apne room me jakar time dekhti hai toh abhi bohat time tha interview ke liye mahi bhi ready hojati hai Jane ke liye aur ready hokar neeche ati hai. Neeche aker apni ammi ke paas chali jati hai.

Mahi : ammi mai jarahi hoon.

Khairoon bee : thik hai beta dhiyan se Jana aur apna khayal rakhna. Aur kisi baat ki tension mat lena apna interview acchi tarha se dena allah tumhe kamiyab zaroor karega khuda hafiz.

Mahi : thik hai ammi khuda hafiz.

Mahi apni building se nikal kar bahar ati hai aur dekhti hai ke bahar miss nadiya kahi jane ke liye ready thi aur apni car me baith rahi thi. Aur unke paas me jabeen bhi khadi thi. Mahi unke paas chali jati hai.

Mahi : assalamu alaikum madam aur assalamu alaikum jabeen didi.

Jabeen : wa alaikum assalam mahi.

Miss nadiya : wa alaikum assalam kaha ja rahi ho mahi itni subha subha. ( ye bol kar unho ne mahi ko uper se neeche tak dekha. )

Mahi ko unka aisa kahna aur aise dekhna accha nahi laga magar phir bhi usne ignore karte hue kaha.

Mahi : madam aaj mera interview hai na wahi per ja rahi hoon.

Miss nadiya : accha haan mujhe yaad aya kal tumne kaha tha na tumhare interview ke bare me mai bhool gayi. Khair chodo thik hai jao. Mai bhi jarahi hoon mujhe bhi kisi se milna hai.

Ye kah kar miss nadiya chali jati hai aur waha per dono khadi rah jati hai. Miss nadiya ke jane ke baad jabeen mahi se kahti hai.

Jabeen : acche se dena interview best of luck meri dua tumhare sath hai.

Mahi : thanks didi mai acche se dongi. Ab mai chalti hoon mai late nahi hona chahti.

Jabeen : thik hai bye allah hafiz.

Mahi : allah hafiz didi.

Mahi jabeen se baat karke waha se bahar ati hai aur paidal chalti hui bus stop tak jati hai. Bus stop per ziyada hi bheed thi. Subha ke waqt sabhi apne apne kamon ke liye jate hai isi liye bheed ziyada thi. Mahi bus ka wait karne lagti hai. Thodi hi der me bus ajati hai sabhi jaldi jaldi bus me chadh jate hai. Mahi bhi bus me chadh jati hai. Thodi der me bus mahi ke stop per ruk jati hai. Mahi bus se utar kar paidal hi chalne lagti jane lagti hai jaha per uska interview hona tha. Mahi thodi hi der me waha pohanch jati hai jaha uska interview tha. Mahi abhi ek bohat hi badi building ke samne khadi thi. Mahi us building ko uper se neeche tak dekhti hai aur uske upar lage bade bade words me likhe naam ko padhti hai.

Mahi : A.S GROUP OF INDUSTRIES. Wow kya building hai kash mai yaha per select hojaon bohat maza ayega yaha per kaam karne me. Khair ye toh baat ki baat hai abhi andar jaker dekhti hoon.

Mahi andar jakar receptionist ke paas pahunch kar usse baat karti hai.

Mahi : assalamu alaikum madam mera naam mahira hai kya aap mujhe bata sakti hai ke mera interview kaha per hai.

Reception counter per per baithi miss reshma jo kuch kaam kar rahi thi mahi ki awaz sunkar uski taraf dekhti hai.

Reshma : wa alaikum assalam ji bilkul aap ye right side se sidha jakar samne jo lift hai usme 3rd floor per jayiye 3rd floor se sidha jate hi first cabin hai. Jo humare chairman Mr M.A Ghani ka hai. Wahi per apka interview hai. And Best of luck miss mahira.

Mahi : ( muskurate hue ) thank you madam wapsi per mulakat hogi.

Miss Reshma bhi muskura kar apna kaam karne lagti hai.

Mahi miss reshma se baat karne ke baad right side per chali jati hai jaha per lift thi. Mahi lift se seeda third floor per pohanch jati hai. 3rd floor per akar mahi edhar udhar dehhti hai toh uske right side ek hall tha jaha per use meeting chalti hui dikhti hai aur right side per 4cabins dikhte hai. Mahi cabins ki taraf chali jati hai. Aur M.A Ghani qureshi ( chairman ) naam ke cabin ke samne rukti hai.

Mahi cabin ke samne thaher kar ek lambi sans leti hai aur apne andar ki nervousness ko khatam karke cabin ke door ko knock karti hai. Knock hone ke baad ander se awaz ati hai come in. Mahi cabin ka door khol kar andar jati hai toh cabin ki khubsurti ko dekh kar khush hojati hai. Samne ek bada sa desk laga hua tha aur cabin fully luxurious tha ander ek aur desk tha jaha per ek admi baitha hua tha. Jo ke mr faisal they. Mahi unke paas jaker khadi hojati hai.

Faisal : please sit down miss.

Mahi samne rakhi hui chair per baith jati hai. Mahi ke baithne ke baad mr faisal bolte hai

Mr faisal : mera naam Faisal hai aur mai Mr ghani ka personal secretary hoon aaj aap ka interview sir hi lene wale they but ek zaroori meeting ki wajha se ye mujhe lena pad raha hai. Aap ko koi problem toh nahi hogi na agar aap ka interview mai loon toh.

Yeh kah kar mr faisal khamosh hojate hai.
Mr faisal ki baat sunkar mahi kahti hai.

Mahi : no sir mujhe koi problem nahi hai.

Faisal : good toh phir interview shuru kiya jaye.

Ye kahker mr faisal mahi ki taraf dekhte hai. Mahi apni file unke taraf badha deti hai.
Mr faisal mahi se uski file lekar uski ko file dekhne lagte hai. Puri file dekhne ke baad mr faisal file ko desk per rakh kar mahi se kahte hai.

Mr faisal : toh miss mahira aap ne MBA kiya hua hai. Aur isi saal complete bhi kiya hai aap ke grades ( marks ) school college aur university me bhi acche hi hai. Lekin apke paas koi experience nahi hai.

Mahi : experience bhi toh job karke hi ata haina sir. Baghair job ke experience nahi malta.

Mr faisal : baat toh apne bilkul sahi kahi miss mahira lekin iss company me job karne ke liye aapko experience bhi hona chahiye na. Aapko iss company ke bare me toh pata hi hoga ye India ke top 5 me ati hai toh aap hi sonchiye ke kya koi bina experience ke itni badi company me job desakta hai.

Mahi : ji haan sir apki baat bhi sahi hai. Itni badi company me job karne ke liye experience ka hona bhi zaruri hai. Lekin kya itni badi company ko bhi aise hi logon ki zaruart hai jiske paas experience hai toh phir jo dusre companies hai unke paas bhi aise hi logon ki zarurat hai. Toh hum jaise unexperience logon ko toh koi job hi nahi dega. Maaf kijiyega sir maine aap ke company ke bare me bohat research kiya tha toh pata chala ke ye company alag hai yaha per logon ki khabiliyat par job milti hai naki experience ya kisi ki recommend per lekin shayed mai ghalat thi apko bhi bakhi companies ki tarha experience wale logon ki hi zarurat hai qualified logon ki nahi.

Mahi itna kah kar khamosh hojati hai. Aur sonchne lagti hai ke kya usne jo bhi kaha sahi kaha ya kuch ziyada hi kah gayi. Khair jo hoga dekha jayega. Ye sonch kar khamosh rahti hai.

Mr faisal mahi ki kahi har baat ko ghaur se sunne lagte hai aur mahi ke chup hone ke baad kahte hai.

Mr faisal : toh miss mahira apka kahna hai ke humko unexperience logon ko bhi job per rakh lena chahiye. Chahe usse humara nuksaan hi kyun na hota ho. Right miss mahira.

Mahi : nahi sir mera ye matlab nahi tha.

Mr faisal : toh phir apka kya matlab tha miss mahira. Zara aur khulke bataiye. Mai janna chahta hoon ki aap ka kya matlab hai.

Mahi : dekhiye sir mai bas itna kahna chahti hoon ke logon ko agay badhne ka maukha milna chahiye jisse har koi kamiyab hosake. Jab kaam karangey tabhi toh experience ayega na warna kaha se experience layenge. Har koi experience hi puche toh bina experience wala kaha jayega. Har kisi ke paas experience nahi hota. Mujhe nahi pata ke aap ko meri baten buri lagi ya acchi bas mujhe jo kahna tha maine kahdiya. Ab agey apki marzi.

Mt faisal : thik hai miss mahira aap ka kahna hai ke har kisi ko agey badne ka ek maukha milna chahiye. Chaliye mai aap ki baat ko maan bhi leta hoon. Aap ye samjhiye ke ye maukha aap ko mila toh kya aap mujhe ye proof kar sakti hai ke bina kisi experience ke bhi logon per bharosa kiya jasakta hai.

Ye kah kar mr faisal mahi ki taraf dekhte hai.

Pahle toh mahi ko mr faisal ki baat samhaj nahi ati but jab samhaj ati hai toh mahi ek dam se chonk jati hai aur mr faisal ko hairani se dekhne lagti hai. Thodi der mr faisal ko dekhne ke baad mahi apne aap ko sambahl kar kahti hai.

Mahi : mai samjhi nahi sir aap kya kahna chahte hai.

Mr faisal : yahi ke agar tumko ye job miljaye toh kya tum mujhko ye proof karsakogi ke maine tumko appoint karke koi ghalti nahi ki.

Mahi : ( khushi aur confident ke sath ) ji sir mai aap ko proof karke dikha dongi ke apne koi ghalti nahi ki.

Mr faisal : chaliye phir thik hai mai aap ko ye job apne risk per dila raha hoon. Dekhte hai aap apni baton per kitna khari utarti hai.
Waise toh ye post hum kisi senior ya experience wale ko dena chahte they. Lekin tumhare confidence ko dekh kar mai tum ko appoint karne ko kahta hoon sir se.

Mahi : thank you very much sir mai aap ko nirash nahi karongi.

Mr faisal : mujhe bhi apse yahi umeed hai.
Thik hai aap kalse asakti hai. Humare sir ki personal assistant ke liye. Mai aap ko allotment letter mail kar donga sir se baat karke.

Mahi : thanks sir mere upar bharosa karne ke liye. Thik hai sir mai kalse ajaugi.

Mahi apna interview dekar khushi khushi bahar ati hai. Bahar aker mahi miss reshma ke paas jakar unko khushi khushi apni select hone ki baat batati hai. Jise sunkar miss reshma mahi ko mubarak baat deti hai.

Miss reshma : bohat bohat mubarak ho aap ko miss mahira. Welcome to the A.S GROUP OF FAMILY aaj se aap bhi is family ki member ho.

Mahi : ( Bohat ziyada khush hote hue ) thank you mam mai puri koshish karongi iss family ki ek achhi member bansaku.

Ye kahkar mahi miss reshma ke samne jakar kahdi hojati hai aur masumiyat se kahti hai.

Mahi : mam kya mai aap ko hug kar sakti hoon.

Miss reshma mahi ki iss masoom aur pyar bhari request ko sunke haskar kahti hai.

Miss reshma : kyun nahi beta ayiye.

Ye kah kar miss reshma apne dono hath mahi ke taraf barha deti hai. Mahi bhi jaldi se aker miss reshma ko hug karti hai. Hug karne ke baad mahi miss reshma ko bye kahkar bahar ajati hai.

Mahi aaj bohat khush thi ke usko job milgayi. Ab woh apne pairon per khadi hosakti hai aur apni ammi ke liye bhi kuch kar sakti hai aise hi na jane kya kya sonchti hui mahi bus stop tak pohanch jati hai.

Edhar mahi ke jane ke baad ajju ke dad bhi meeting hall se bahar aker ajju imtiyaz aur ahmed se baat karne ke baad apne cabin me ate hai. Cabin me ane ke baad woh sidha apni chair per baith jate hai. Ajju ke dad ke ane ke baad mr faisal bhi unke paas aker kahde hojate hai.

Dad : aur sunaiye mr faisal kya chal raha hai. Woh ek ladki aney wali thi interview ke liye kya hua ayi ya nahi.

Mr faisal : ji haan sir ayi thi woh lakdi.

Dad : hmm toh apne le liya interview.

Mr faisal : ji sir boaht hi khabil ladki hai.

Aur phir mr faisal ne mahi ke interview ki puri baat batai. Puri baat sunne ke baad ajju ke dad ne thodi der sochna phir mr faisal se kaha.

Mr : sorry sir apki bina permission ke maine us ladki ko appoint karliya.

Dad : are koi baat nahi mr faisal. Mai aap ke faisle se khush hoon mr faisal apne bilkul hi sahi decision liya. Chaliye dekhte hai ke aap ka ye decision kitna kamiyab hosakta hai.

Idhar mahi bus stop per khadi thi aur apne aap me muskura rahi thi. Abhi din ke time bus stop per ziyada log nahi they mahi bhi stop per khadi edhar udhar dekh rahi thi ke sadak ke us taraf ek choti ladki roti hui dekhi toh mahi us ladki ki taraf chali gayi. Ladki ke paas pohanch kar mahi ne us ladki se pucha.

Mahi : kya hua beta aap kyun ro rahi ho.

Mahi ki baat sunkar ladki ne mahi ki taraf dekha aur usse kahne lagi.

Ladki : ( rote hue totli zaban aur masumiyat se kahne lagi ) mai meli mamma te tath ayi ti letin tholi del paile meli mamma tho dayi mai unto tabse dhund lahi hoon letin woh nahi mil lahi hai. Tya apne meli mamma to tahi detha hai.( mai meri mamma ke sath ayi thi lekin thodi der pehle meri mamma kho gayi mai unko kabse dhund rahi hoon lekin woh nahi mil rahi hai. Kya apne meri maama ko kahi dekha hai.)

Mahi ladki ki totli baat aur uski masumiyat dekh ke muskura deti hai aur kahti hai.

Mahi : ( muskurate hue ) apki mamma kho gayi hai. Maine toh nahi dekha apki mamma ko. Chalo koi baat nahi hum dono mil kar apki mamma ko dhudte hai.

Ye kah kar mahi us ladki ko apni goud me utha leti hai.

Mahi : waise aap ka naam kya hai.

Ladki : mela naam anam hai aur sab lod mudhe pyal se pali bulate hai. Aap bhi mudhe pali bula satti hai. (mera naam anam hai aur sab log mujhe pyar se pari bulate hai aap bhi mujhe pari bula sakti hai.)

Mahi ko anan ki pyari baten acchi lagti hai isi liye usse kahti hai.

Mahi : aisa kyun mai toh apko anam hi bulaungi kitna pyara naam hai.

Anam : haan mela naam bohat pyala hai letin sab mudhe pali bulate hai.(haan mera naam bohat pyara hai lekin sab mujhe pari bulate hai.)

Mahi : ( muskurate hue ) aisa kyun.

Anam : ( masumiyat se ) tiyun ti mai pali jaisi latti hoon iti liye tab mudhe pali tahte bulate hai. (kyun ki mai pari jaisi lagti hoon isi liye sab mujhe pari kahke bulate hai.)

Mahi : ( haste hue ) lekin pari ke paas toh par hote hai. Aap ke paas toh par hi nahi hai.

Anam : ( masumiyat se ) mele paas bi hai letin mai unto apne ghal me lakti hoom. Mamma tahti hai te lodone agal dekh liya toh usko chula lenge. (mere paas bhi hai lekin mai usko apne ghar me rakhti hoon. Mamma kahti hai ke logone agar usko dekh liya toh usko chura lenge.)

Mahi anam ki baat sunke zorse hasti hai aur uske gaal per kiss karte hue kahti hai.

Mahi : ( haste hue ) haan anam tum sach me pari jaisi hi dihkti hoon aur apne par sambhal kar ghar me hi rakhna. Warna koi use chura lega.

Aise hi mahi pari se baat karte hue ja rahi thi ke anam zorse kahti hai.

Anam : ( zorse ) didi woh dekho meli mamma waha jalahi hai. Jaldi chalo nahi toh mamma philse tho dayegi. ( zorse chillate hue ) mamma mamma mamma.

Mahi anam ke batai hui jagha per dekhti hai toh use ek aurat kisi ko kuch puchti hui dikhti hai. Mahi bhi us taraf jaldi jaldi chal kar jati hai. Jaise hi mahi us aurat ke khareeb pohanchti hai anam zor se mamma kah kar pukarti hai. Jisko sunkar woh aurat mahi ke paas ati hai aur mahi se anam ko lekar uske chahre ko choomne lagti hai.

Aurat : ( anam ko choomte hue ) meri bachchi tu kaha chali gayi thi. Tu theek toh hai na. Mai kitna dar gayi thi. Tujhe kuch hua toh nahi na.

Aise hi na jane kya kya kah kar woh aurat anam ko choome jarahi thi.

Mahi us aurat ka pyar apni beti ke liye dekh kar sochti hai ke kya uski mamma bhi usko itna hi pyar karti agar woh unke sath hoti toh. Kya uske kho jane per woh bhi itna hi ghabra jati. Haan shayed kyun ki har maa ko uski aulad usko duniya me sabse pyari hoti hai. Ammi ( khairoon bee) bhi toh mujhe bohat pyar karti hai.

Mahi un maa beti ke milan ko dekh kar apni duniya me kho gayi thi ke usko ek awaz ne bahar nikala. Ye awaz anam ki thi.

Anam : ( masumiyat se ) mamma aap taha tho gayi thi mai aapto kabse dhund lahi hoon. Aap to pata hai mai kitna daal gayi thi aur lone bhi lagi thi. Ye didi ne mudhe chup kalaya aur yaha lekal ayi.

Anam ki baat sunkar anam ki mamma jo itni der me kuch samhal gayi thi woh mahi ko dekh kar boli.

Anam mom : bohat bohat shukriya apka jo apne meri beti ko sambhala aur yaha tak lekar ayi. Mai apka ye ehsaan zindagi bhar nahi bhool sakti.

Mahi : are isme shukriya ki kiya baat hai ye toh mera farz tha. Aur rahi baat ehsaan ki toh koi kisi ke upar ehsaan nahi karta insaan hi insaan ke kaam ata hai. Isi ko toh zindagi kahte hai. Ek dusre ke kaam ana yahi toh zindagi hai.

Mahi ki baton se anam ki mom bohat mutasir hoti hai. Aur kahti hai.

Anam mom : bohat acchi baten karti hai aap. Aaj ke zamane me logon ko apne pariwar ke liye time nahi hai woh dusron ke kya kaam ayenge. Khair ye chodiye waise mera naam amena hai aur mai yahi paas me hi rahti hoon. Aur apka kya naam hai.

Mahi : mera naam mahira hai mai xyz road per rahti hoon. Yaha ek interview ke liye ayi thi. Interview dekar jab wapas arahi thi toh anam ko rote hue dekha aur usse puchne per pata chala ke iski mamma kho gayi.

Akhri line bolte hue mahi muskurati hai. Jisko sunkar amena bhi muskurati hai.

Amena : waise anam ne tang toh nahi kiya na ye bohat ziyada bolti hai. Aur ek baar jo bolne lagti hai toh rukti hi nahi hai. Kabhi kabhi toh mai hi pareshan hojati hoon iski baton se.

Amena ki baat sunke mahi bhi hasti hai. Itni der se anam jo sabhi baten chup ho kar sunrahi thi tapak se bolti hai.

Anam : ( totli zaban me ) tya mamma mai bhi yahi pal hoon aap mele hi tamne meli hi bulayi kallahi ho. Mai taha tisi to palesan kalti hu. Aap didi se put sakti ho.

Anam ke aise kahne se dono amena aur mahi ko hasi ajati hai. Mahi haste hue kahti hai

Mahi : ye bachchi toh bohat achhi aur pyari bate karti hai aur isne mujhe zara bhi pareshan nahi kiya.

Anam : ( totli zaban me ) dekha mamma mai ab bali hodayi hoon. Ab mai tisi toh bi palesan nahi kalti.

Sab aise hi baten kar rahe they ke amena ko call ati hai toh woh phone utha kar baat karne lagti hai.

Amena : hello haan thik hai ajao yahi per hai hum log ok thik hai jaldi ajao.

Phone per baat karne ke baat amena mahi aur anam se kahti.

Amena : cholo beta anam humko ab chalna hai. Mahi aap ka ek baar aur shukriya jo apne meri help ki kabhi bhi kisi bhi tarha ki help chahiye mujhe call karna ye mera card hai. Please call zaroor karna.

Amena mahi ko card deti hai mahi bhi card lekar apne hand bag me rakh leti hai. Aur anam se kahti hai.

Mahi : ( haste hue ) anam ab apni mamma ka khayal rakhna aur inhe khone nahi dena ok.

Anam bhi confident se kahti hai.

Anam : thik hai didi mai apni mamm ta acche se thayal rakhogi ap bhi apna thayal lakna ok

Mahi : ( haste hue ) thik hai dadi amma.

Ye sab baten karne me lage the ke itne me ek car akar inke samne rukti hai. Car ke rukne ke baad amena anam ko apni goud me utha leti hai aur mahi se kahti hai.

Amena : chalo mahi mai tumhe tumhare ghar tak drop kardongi.

Mahi : nahi aap jaiye mai chali jaungi aap pareshan na ho.

Amena : are isme pareshan hone ki kya baat hai. Tumne meri itni badi help ki kya mai tumhe ghar bhi nahi chodh sakti.

Mahi : ji bilkul chodh sakti hai lekin aaj nahi phir kabhi mai khud apse kahugi. Aaj aap mujhe bus stop tak chodh dijiye please ab agey kuch mat kahna.

Amena : chalo thik hai ok baat nahi ab toh milte hi rahenge. Driver car ko bus stop ki taraf le chalo.

Driver car agey badha deta hai aur thodi hi der me woh log bus stop per pohanch jate hai. Mahi car se utar jati hai.

Amena : bye apna khayal rakhna aur kabhi bhi kisi bhi cheez ki zaroorat hoto mujhe zaroor batana mujhe khushi hogi tumahri help kar ke thik hai bye allah hafiz.

Mahi : thik hai didi mai apko zaroor bataongi agar kisi bhi cheez ki zarurat hogi toh aap bhi apna khayal rakhna aur pari ( anam ) tum bhi apna aur apni mamma ka khayal rakhan ok bye allah hafiz.

Mahi ko bus stop per chodh kar woh dono chali jati hai aur bhi bus ka wait karne lagti hai.

( Amena aut anam ye dono story me agye ayenge aur inka itro agey jab inki dobara entry hogi jab hoga ye bhi is story ke important characters hai.)

Mahi bus ka wait kar rahi thi ke uske samne ek BMW car aker rukti hai. Mahi apne samne is tarha se car ke rukne se thoda daar jati hai aur tohda sa peeche ko hat jati hai. Mahi ke peeche hatne ke baad car ka window glass neeche hota hai aur ek ladki ki awaz ati hai.

Ladki : are mahi daar kyun rahi ho mai hoon shaista.

Mahi ladki ki awaz aur ladki ka naam sunkar relax hoti hai aur carke samna ati hai.

Mahi : aise bhi koi karta hai kya tune toh mujhe dara hi diya tha.

Shaista : koi karta hai ya nahi mujhe nahi pata per mai toh aise hi karti hoon. Aur suna yaha kya kar rahi hai tu. Chal mai tujhe chodh deti hoon.

Mahi : nahi yaar mai chali jaungi tu suna kya kar rahi hai aaj kal. Apne ko mile bhi bohat time hogaya.

Shaista : haan time toh bohat hogaya hai apne ko mile hue aur mai kya kar rahi hoon woh sab baad me bataongi pahle tu car me baith warna mujhse bura koi nahi hoga.

Mahi bhi ziyada kuch nahi bolti aur car me baith jati hai. Mahi ke baithne ke baad shaista car ko agey barha deti hai.

Mahi : ab bol kya kar rahi hai tu mil bhi nahi rahi kahi bahar gayi hui thi kya.

Shaista : tujhe toh pata hai na ke mai kaisi hoon. Mujhe ghumne phirne ka kitna shauq hai ye baat toh sabhi jante hai. Aur rahi baat kaam karne ki toh mujhe kaam karni ki zarurat hi kya hai. Mere dad itne bade businessmen hai toh mai unki ek lauti beti hoon toh mujhe kaam karne ki kya zarurat hai. Aur haan mai peechle 3 saal se Australia me rah kar MBA kar rahi thi isi saal complete kiya hai. Aur abhi thode hi din pahle ayi hoon. Tu suna tu kya karrahi hai aaj kal.

Shaista ek bade baap ki bigdi hui beti hai isko logon ke samne showoff karne ki adat hai. Abhi bhi ye mahi ke samne ye sab bas isi liye kah rahi hai ke mahi ko bata sake ke woh kitni ameer hai. Shaista ke dad bhi ek jane mane businessmen hai unki bhi is shaher me acchi khasi izzat hai.

Mahi : haan mujhe pata hai tumhe kaam karne ki koi jarurat nahi bas aise hi puch liya tha maine. Aur maine bhi isi saal MBA complete kiya hai aur ab job ki talash me thi aaj interview tha mera aur paas bhi hogayi.

Sahista : hmm chalo accha hai ke tumhe job milgayi. Ab mujhe toh bhook lagi hao chalo kahi jakar lunch karte hai aur uske baad mai tumhe tumhare ghar chod deti hoon.

Mahi mana karne wali thi ke shaista kahti hai.

Shaista : mana karne ki sonch na bhi mat itne din baad mile hai toh ek sath lunch toh karhi sakte hai.

Mahi ko bhi shaista ki baat sahi lagti hai isi liye usne bhi ok kah diya. Phir shaista ne car ko restuarant ki taraf barha deti hai.

Aaj ke liye itna hi.
Agey dekhte hai ke ye lunch party kaisi jati hai.

Ek taraf ajju aur uske dost bhi lunch karne nikle hai.

Aur idher mahi aur shaista bhi lunch ke liye nikle hai. Agye janne ke liye mere sath bane rahe mere sath BE-INTEHA ISHQ ke sath apka apna MAQ.

Written by ( MAQ ) MOHD AZEEM QURESHI.

Update kaisa laga comment me zaroor batana.
nice update
 
Chinturocky

Well-Known Member
4,397
12,810
158
Behtareen update,
Ab dekhana hai ki Maahi ke man me ajju ki party me upsthiti ko lekar sawal uthate hai ya nahi, aur ajju NE use family member kyo kaha?
 
  • Like
Reactions: Maq

mashish

BHARAT
8,032
25,909
218
UPDATE-5
Ajju side :
Ajju ahmed aur imtiyaz teeno ajju ki car se restuarant lunch ke nikal gaye the.
In car :
Ahmed : yaar ajju ek baat toh bata ye alauddin aur nizam kaha per hai aaj kal mil nahi rahe hai.
Ajju : mujhe kya pata mai bhi toh tum logon ke sath hi rahta hoon mujhe kyun puch raha hai sidha
un dono se hi puch na tere paas un ka number nahi hai kya.
Ahmed : number toh hai mere paas magar mujhe laga tere se baat hui hogi. Saley tu toh aise
bahadak raha hai jaise teri shadi me teri sali ko set kar raha hoon.
Ahmed ki baat sunke ajju aur imtiyaz haste hai aur imtiyaz kahta hai.
Imtiyaz : haan yaar ahmed sahi kaha tune ye toh aise bhadak raha hai jaise sahi me tune iski sali
ko set karliya ho.
Ajju : bakwas band karo tum dono mai alauddin ko call mila raha hoon.
Ajju alauddin ko call milata hai aur alauddin bhi pahli ring per call receive karleta hai.
Ajju : assalamu alaikum bade bhai.
Alauddin : wa alaikum assalam chote bhai kaisa hai sab khairiyat.
Ajju : alhumdulillah bhai kaha per hai tu.
Alauddin : mai toh apne office me hi hoon tu bata aaj kaise yaad karliya. Aur wo changu mangu
kaha hai. Tere sath hi honge aur kaha honge woh dono.
Alauddin ki baat sun ke ajju zor se hasta hai aur ahmed aur imtiyaz ki taraf dekhta hai. Alauddin
ka changu mangu kahna aur ajju ke aise hasne se dono chid jate hai aur kahte hai.
Imtiyaz : ( chidte hue ) Abey saley tune hume changu mangu kyun kaha be.
Alauddin : ( haste hue ) sahi toh kaha hai her waqt ladte rahte ho bachchon ki tarha aur jab dekho
tab ajju ke sath rahte ho. Tumhara bas chale toh tum log tatti karne bhi ajju ko sath lejaoge.
Alauddin ke aise kahne se ajju ko bhi hasi ajati hai.
Ahmed : haan toh kya hua ajju humara yaar hai toh hum uske sath nahi toh aur kiske sath
rahenge.
Alauddin : yahi toh tension ki baat hai. Abhi ke liye toh theek hai jab iski shadi hojayegi tab kya
hoga jab ajju kiske sath rahega tum dono ke ya apni biwi ke. Mujhe toh ajju per pura bharosa hai
ke ajju ka taste inta bekar nahi ke woh tum dono changu mangu ke sath rahega.
Ye kah ke alauddin zorse hasta hai jisko sunke imtiyaz kahta hai.
Imtiyaz : tujhe tension lene ke zarurat nahi hai. Humko pata hai kab kya karna hai. Aur tujhe itni
mirchi lagrahi hai toh tu bhi aja.
Alauddin : na bhai na mujhe woh wale shauq nahi hai. Ye shauq tumko hi mubarak. Khair ye sab
chodo aur ye batao ke plan kya hai.
Ahmed : ( chidte hue ) ja bey hum tere sath kyun plan banayege humne toh bas aise hi call kiya
tha.
Ahmed ki dekha dekhi imtiyaz bhi kahta hai.
Imtiyaz : haan haan humne koi plan nahi banaya na hi hum koi party kar rahe hai.
Achanak imtiyaz ke muhse party nikal jata hai jise sunke ajju aur alauddin hasne lagte hai.
Ajju : ( haste hue ) haan bhai humne aaj koi party nahi rakhi aur nahi in dono ko koi project mila
hai hum toh bas aise hi ek restuarant ja rahe the lunch karne soncha tujhe aur nizam ko bhi sath
le chalege. Lekin ab mai tujhe ye nahi batonga ke hum xyz road per khole us new restaurant me
jarahe hai.
Ajju ki baat sunkar ahmed aur imtiyaz bura sa muh banate hai aur alauddin bhi zor se haste hue
kahta hai.
Alauddin : accha toh phir mai bhi us new restaurant me party lene araha hoon. Jo tune abhi abhi
mujhe nahi bataya. Aur sun nizam ko bhi call karlena woh bhi ajayega.
Ajju : thik hai tu nikal office se mai nizam ko call karleta hoon.
Ye kah ke ajju call cut kardeta hai. Call cut karne ke baad ajju imtiyaz aur ahmed ke taraf dekhta
hai.
Ahmed : kya ? aise kya dekh raha hai.
Ajju : dekh raha hoon tum dono ladh kyun nahi rahe ho.
Imtiyaz : tera matlab hum humesha ladte hi rahte hai. Hum toh bas mazak karte hai. log humse
jalte hai isi liye humesha kahte rahte hai ke hum log ladte rahte hai.
Ahmed : haan aur nahi toh kya.
Ajju ahmed aur imtiyaz ki aise harkate dekh kar kahta hai.
Ajju : yaar ahmed tu imtiyaz ke bareme me kuch kah raha tha na us din.
Ahmed : kis din bey mai kab aur kya puch raha tha. Woh bhi iske bare me.
Imtiyaz : haan haan bol kya puch raha tha ye mere bare me. Mai bhi toh sunu ye mere peeche kya
kya kahta phirta hai.
Ahmed : abey ja ja mai tere bareme kyun puchunga. Tu kya meri gf hai. Chal hat bey mujhe kya
padi hai teri.
Imtiyaz : haan tujhe kuch nahi padi toh phir ajju se kyun puch raha tha mere bare me. Jo bhi
puchna hai mujhse puchna mere pith peeche kyun puch raha hai.
Ajju jo dono ki baten sun raha tha aur apni hasi rok raha tha. Zorse hasta hai ajju ko aise haste
hue dekh kar imtiyaz aur ahmed apni bahes rokke uski taraf dekhne lagte hai.
Ahmed : ( chidte hue ) abey pagal hogaya hai kya jo aise gala phad ke has raha hai aur woh bhi
bina baat ke.
Ajju ahmed ki baat sunke bhi nahi rukta hai aur bhi hasta hai jise dekh ke imtiyaz kahta hai.
Imtiyaz : abey kya sach me pagal hoagaya hai jo aise has raha hai kuch toh bol.
Ajju undoko ki baat sunke haste hue kahta hai.
Ajju : ( haste hue ) abhi kya bolraha tha hum toh bas mazak kar rahe they. Ghanta mazak kar rahe
the. Tum dono ko bas mauqa chahiye ladne ka. Abey pahle puch toh lete ke kis baat ke liye ladh
rahe ho. Nahi bas mauqa milgaya aur ladai shuru. Dono me se kisi ne bhi pucha hi nahi ke baat
kya hai. Bas ladna shuru kardiya. Hadh hai.
Imtiyaz : isme puchne ki kiya zarurat hai. Isne kuch pucha hai toh accha toh pucha nahi hoga.
Ahmed : haan toh teri shakal hi aisi hai ke koi bhi tere bareme accha puch hi nahi sakta.
Isse pahle dono aur ladtey ajju bolta hai.
Ajju : chup ho jao tum dono kitna bolte ho muh nahi dukhta kya tumhara. Yaar zara zara si baat
per ladne lagte ho. Hadh hai yaar.
Ahmed kuch kahne hi wala ta ke ajju ne hath ke ishare se rok diya.
Ajju : ab koi kuch nahi bolega. Mai nizam ko call karke usko location bata dunga aur tum dono
restuarant ke ane tak apna muh band rakhna.
Ye kahke ajju dono ko bari bari se dekhta hai aur nizam ko call milata hai. Nizam bhi ek hi ring per
call receive karleta hai.
In call :
Nizam : assalamu alaikum bhai.
Ajju : wa alaikum assalam bhai.
Nizam : khairiyat se hai sahab.
Ajju : ji alhumdulillah bhai. Dua hai mere bhaiyon ki. Aap kaise hai bhai.
Nizam : ji hum toh dekhiye ek dam takatak first class hai. Aap batao aaj humari yaad kaise agayi
bade sait logon ko.
Ajju : hum kaha ke sait hai bhai. Aur is shaher ke sait toh aap hi hai hum toh bas aap ke adne se
ghulam hai. Bas yaad agayi toh karliye yaad. Apko toh humari yaad ati hi nahi. Isi liye hum hi yaad
karliye. Aur sunaiye kya karre hai kuch kaam toh nahi hai na.
Nizam : kaam toh kuch nahi hai. Bas ek new restaurant khula hai wahi per jaraha hoon. Waha
per kuch kaam hai. Tu suna tujhe kya kaam hai. Tere ko kuch kaam hai toh bol pahle tera kaam
karlenge phir mera kaam karlenge. Waise bhi kuch ziyada zaroori nahi hai.
Ajju : mujhe bhi kuch kaam nahi hai. Bas thoda sa chill karne jarahe they toh soncha tujhe bhi
batadon tu free hai toh aja alauddin bhi araha hai.
Nizam : thik hai location bhej mai nikalta hoon. Tu kaha per hai abhi.
Ajju : mai raste me hoon aur usi restuarant ko jaraha hoon jo tune abhi abhi kaha hai. Tu sidha
wanhi per ajana. Thik hai bye Allah hafiz.
Nizam : ok thik hai bye allah hafiz.
Nizam se baat karne ke baad ajju apni car ko full speed me restuarant ki taraf barha deta hai.
Short intro :
Name : Alauddin QURESHI
Age : 28
Colour : fair
Dekhne me ek dam smart hai aur ek accha ladka bhi hai. Ye ajju ke phuppu ( bua ) ka ladka hai.
Ye ajju se ek saal bada hai. Magar ajju aur alauddin ek sath hi bade hue hai. Bachpan se hi ek sath
khelna aur school jana aur friends bhi same hi hai dono ke. Alauddin ke dad bhi ek businessmen
hai. Inke readymade kapdon ki kai factorys hai. Jo ab alauddin chala raha hai. Alauddin ki bas ek
hi kamzori hai ke jo bhi ladki agar isko dekhe toh ye yahi samhajta hai ke wo usko line derahi hai
aur bhai sahab bas lattu hojate hai. Aur kai baar toh gaal sujha kar bhi ate hai. Aisa nahi hai ke ye
bura ladka ya ladkiyon ko izzat nahi karta ye toh bas pyar ka mara hai. Inko bas love marriage
karni hai isi liye inko har ladki me apna pyar nazar ata hai.
(Inki family ka intro agey ayega.)
ALAUDDIN QURESHI.
Name : Nizam Patel
Age : 28
Colour: fair
Dekhne me ek dam cool banda hai. Jitna cool hai. Utna hi bada iska dil hai. Ye apne doston ki
help ke liye humesha ready rehte hai. Kai baar toh log inko emotional blackmail karke inke paas
se paise nikal lete hai. Ajju imtiyaz ahmed aur alauddin ne inko kai baar ye baat kahi hai ke logon
ki help karo magar logon ko uski zarurat ho tabhi karo naki tab jab log tumko emotional karke
paise le. Inka kahna bas yahi rahta ke jane dena bhai usko zarurat hogi tabhi to legaya hoga
khamokha apan kyun sonchna. Halanki inko sab kuch pata hota ke log inko sirf use karte hai.
Magar ye chup hi rahte hai. Inki bas ek hi khahish hai aur woh hai apne dad ko khush rakhna
aur usme ye kamiyab bhi hai. Inke dad inke uper bohat bharosa karte hai. Inke dad bhi ek
businessmen hai inke kai sare malls me Marchant stores hai jise ab nizam hi chalata hai. Shaher
ke sabhi bade restaurants me inke stores se hi saman jata hai aur kai restaurant me toh inki
partnership bhi hai.
Ab agey :
Todi hi der me ajju ki car ek restuarant me aker rukti hai. Jo ke abhi abhi is city me khula hai. Ajju
car ko park karke baher ata hai aur uske sath ahmed aur imtiyaz bhi baher ate hai. Baher aker ajju
apne cell se alauddin ko call milata hai.
Ajju : kaha hai tu hum log pohanch gaye hai.
Alauddin : mai bhi pohanch gaya hoon apne peeche dekh.
Ajju peeche palat ke dekta hai toh peeche se alauddin ki car dikhai deti hai. Alauddin ke just
peeche nizam ki bhi car dikhti hai ajju ko ajju usko bhi apni taraf hath bata kar bula leta hai.
Alauddin aur nizam apni apni car ko park karke ajju unke paas ate hai aur ek dusre ke gale milte
hai. Gale milne ke baad nizam kahta hai.
Nizam : aur mere changu mangu kaise ho tumlog.
Ahmed : ( mazak karte hue )achhe hai be hume kya hona hai. Tu suna dikh nahi raha aaj kal kaha
rahta hai. Kahi koi ladki wadki toh nahi pata li tune.
Imtiyaz :( maze lete hue ) kya baat karta hai yaar ahmed tu bhi ladki aur ye chal be hawa anedey
ye aur ladki patayega shakal dekhi hai iski.
Nizam ; chalo bey mujhe apni tarha samhaj rakha hai kya jo ladki dekhi nahi ke line marna shuru.
Alauddin bhi nizam ka sath dete hue kahta hai.
Alauddin ; sahi kaha nizam tune magar ek baat ghalat kahdi ke ye ladkiyon ko line marte hai.
Nahi ye toh sirf ajju ko hi line marte hai. Dekha nahi aaj kal kahli ajju kehi agey peeche ghumte
rahte hai. Mujhe toh inke iradon per shaq hai kahi ye log woh toh hogaye hai.
Ye kah kar alauddin hasta hai aur uske sath sath ajju aur nizam bhi haste hai. Jise dekh ker
imtiyaz aur ahmed bura sa muh banate hai. Undono ko aisa karte dekh ajju alauddin se kahta hai.
Ajju : jane dena bhi tu kyun inko pareshan kar raha hai. Ab ye pahle jaise nahi rahe ye dono ab
bade hogaye hai. Tumko pata nahi ke indono ne kitna bada kaam kiya hai ander chalo batata
hoon.
Pancho restuarant ke ander chale jate hai.
___________________________________________
Mahi side :
Mahi aur shaista restuarant taraf nikal jate hai. Shaista car ko chalati hua baat karti hai.
Shaista : toh mahi suna kuch apne bare me life kaisi ja rahi hai.
Mahi : meri life toh ekdam simple hai. Pahle jaisi thi ab bhi waisi hai. Meri life me kuch khas nahi
hai sunane ko tum sunao tum toh australia gayi thi na kya kiya waha per khali padhai toh tum
karne se rahi nahi.
Ye kahke mahi muskurati hui shaista ke taraf dekhti hai. Shaista mahi ko aise muskurati hui dekh
kar kahti hai.
Shaista : haan tum sahi kahrahi ho maine waha per bohat enjoy kiya. Aisa bhi nahi ke bas khali
enjoy kiya padhai bhi ki aur enjoy bhi kiya.
Mahi : haan ye sahi kiya tumne padhai ke sath sath thoda bohat entertainment bhi hona chahiye.
Anyway aur sunao shadi kab kar rahi ho ab toh tumko job bhi nahi karni aur apni life ko bohat
enjoy bhi kiya hai. Kuch soncha hai ya kisi ko pasand karti ho.
Ye kahke mahi hasti hui shaista ki taraf dekhti hai. Mahi ki baat sunke pahle toh shaista bura sa
muh banati hai phir kahti hai.
Shaista : are abhi toh mere khalne kudne ke din hai aur tum meri shadi ki baat kahrahi ho. Abhi
toh mujhe bohat kuch karna hai. Kya khali kaam karna hi zindagi ka ek maqsat thodi hi hai. Aur
bhi kai sare aisi cheeze hai jo mujhe karni hai. Aur rahi baat kisi ko pasand karne ki toh tumhe
bata doon shaista ko koi aise waisi cheez nahi jo kisi ko bhi pasand karle. Mere liye jo bhi hoga
woh bohat hi special hoga. Dekhna tum jab hum dono sath me niklege toh duniya dekhti reh
jayegi.
Ye kahke shaista mahi ki taraf ajeeb si hasi haste dekhti hai. Jaise kah rahi hoke mai tum jaisi
mamuli nahi hoon jo kisi maluli insaan se shadi karle aur ghar basa le.
Mahi ko bhi uska khudko aise dekh kar hasna samhaj ata hau lekin woh kuch bhi nahi bolti aur
chup hojati hai.
Ab dono hi khamosh hogaye they car khamoshi se agey badh rahi thi aur kuch hi der me car ek
restuarant ke samne rukti hai. Ye wahi restuarant hai jaha per ajju aur uske friends aye hai.
Car ke rukte hi mahi utar jati hai aur shaista car ko park karne chali jati hai. Kuch hi der me dono
restuarant ke ander chali jati hai.
Ye restuarant is city me abhi abhi new open hua hai. Isme sabhi logon ke liye alag alag sections
hai. Her kisi ke liye alag service hai. Jaise VIPs ke liye alag waiters aur normal logon ke liye alag.
Yaha per ane ke liye bhi alag alag entrance hai. Jaise VIPs ke liye entrance parking area ke paas
se hai aur normal logon ke liye main gate se.
Jaise hi mahi aur shaista andar jate hai. Mahi restuarant ko dekh kar khush hojati hai woh pahle
kabhi aise restuarant me nahi ayi thi. Mahi aur shaista abhi VIPs section me the jo ki puri tarha se
chakta dhamak ta hua tha bade bade jhomar aur full lights aur ek romantic sa music baj raha tha.
Mahi restuarant ki khubsurti me jaise khohi jati hai. Shaista mahi ko aise dekh ke andar hi andar
hasti hai. Aur mahi ko hila kar kahti hai.
Shaista : O madam aise kya dekh rahi ho pahli baar ayi ho kya aise restuarant me. Aur apna muh
band karo sab tumhe hi dekh rahe hai.
Mahi shaista ki baat sunke hosh me ati hai aur ass paas dekhti toh log use hi ghoor rahe they.
Mahi thoda awkward feel karti hai aur shaista ke sath jakar table per baith jati hai. Mahi ke baitne
ke baad shaista mahi ke samne apni shaan batane ko kahti hai.
Shaista : kya yaar mahi tum aise kyun react karrahi ho jaise sach me pahli bar aisi jagha ayi ho.
Kya sach me tum kabhi nahi gayi aise kisi restuarant me.
Shaista ye sab mahi ko jaanbuj kar bol rahi thi. Takey mahi ke samne apnk shaan bata sake.
Mahi : haan mai sach me pahle kabhi aisi jagha nahi ayi aur tumhe toh mere bareme pata hai na
phir bhi tum mujhse puch rahi ho.
Shaista : mujhe laga tum pahle ke muqable me ab badal gayi ho aur waise bhi humko mile hue
bhi kitna time hogaya hai. Mujhe laga tum ab pahle jaisi mahi nahi rahi ho tum bhi waqt ke sath
badal gayi ho. Anyway chodo ye bataon ko aur batao kya khana pasand karogi.
Mahi shaista ke aise kahne se kahna toh bohat kuch chahti hai magar woh chup rehti hai aur
kahti hai.
Mahi : tumhe jo bhi pasand ho wo manga lo. Mujhe waise bhi bhook nahi hai. Aur ghar per bhi
ammi intezar kar rahi hogi. Isi liye jaldi se lunch karke nikalte hai yaha se.
Mahi ke aise kahne se shaista bhi samhaj jati hai ke mahi ko uska aisa kahna accha nahi laga. Isi
liye woh bhi chup rahti hai aur waiter ko bula kar dono ka order deti hai. Thodi hi der me waiter
order lekar ata hai aur dono ko serve karke chala jata hai. Waiter ke jane ke baad dono khana
shuru karti hai. Khane ke dauran bhi dono chup hi rahti hai. Jab khana khatam hota hai toh is
chuppi ko shaista hi todti hai.
Shaista : khana kaisa laga mahi mujhe toh ek dam badiya laga.
Mahi : haan waqai me khana bohat hi laziz tha mujhe bhi bohat pasand aya.
Shaista : toh kya kahti ho kuch meeta hojaye.
Yeh kahke shaista muskurati hai. Jisse dekhke mahi bhi muskura kar kahti hai.
Mahi : thik hai manga lo..
Mahi ke haan kahte hi shaista waiter ko bula kar meethe ka order karti hai. Thodi hi der me order
ajata hai. Meetha finish karne ke baad shaista bill magati hai. Bill ane ke baad shaista bill dene
wali thi ke mahi kahti hai.
Mahi : shaista ye bill mai pay karungi aur please tum mana mat karna.
Ye kahke mahi apne handbag se paise nikal kar waiter ko deti hai. Mahi ka aisa karna shaista ko
apni insult lagta hai isi liye woh mahi se kahti hai.
Shaista : mahi ye tumne thik nahi kiya mai tumhe yaha lekar ayi thi toh bill bhi mai hi deti bill
tumne kyun diya.
Mahi : arey isme bura manne wali kya baat hogai tum bill do ya mai ek hi toh baat hai. Aur rahi
baat ye bill maine is liye diya hai kyun ke aaj mujhe job milgayi hai aur sabse pahle milne wali
tumhi ho isi liye ye treat meri taraf se samjhi.
Mahi ki ko sunke shaista kuch nahi kahta but usko dekh ke lagta nahi ko mahi ki baat se satisfy
hui hai. Bas shaista chup rahti hai. Shaista ko chip dekh ke mahi kahti hai.
Mahi : accha baba sorry next time tum bill pay kardena ab khush. Chalo hume chalna chahiye
mujhe ghar drop karogi ya mujhe paidal karne ka irada hai.
Ye kahke mahi hasti hai jise dekh ke shaista bhi muskurati hui kahti hai.
Shaista : chal thik hai agli baar mai pay karungi aur teri job ke liye congrats aur rahi baat tujhe
ghar chodhne ki toh woh mai kardeti hoon tu bhi kya yaad rakhegi ke kis dilwali se pala pada hai.
Ye kah ke shaista hasti hai aur uth kar baher ki taraf chaldeti hai. Mahi bhi shaista ke peeche
peeche chal deti hai. Shaista bahar aker parking me car lene chali jati hai aur mahi main door ke
paas khadi hojati hai.
___________________________________________
Ajju side:
Charo ander cahle ate hai aur restuarant ko dekh kar tarif karte hue ajju kahta hai.
Ajju : manna padega bhai restuarant toh bohat hi zabardast banaya hai isne.
Nizam : haan bhai restuarant bohat hi accha hai.
Imtiyaz : haan yaar ek dam mast hai.
Ahmed : haan bhai maine suna hai ke ye restuarant apne city ka sabse best restaurant hai.
Alauddin : haan sahi kaha maine bhi suna hai aur ye bhi suna hai ke isme nizam ki bhi partnership
hai. Kyun bhai sahi kaha na.
Ye kahke alauddin nizam ko ankh mardeta hai jisse dekh ke nizam alauddin ko gusse wala look
deta hai. Alauddin ke aisa kahte hi sabhi ajju imtiyaz aur ahmed nizam ki taraf dekhte hai jise
dekh ke nizam ke pasine chutjate hai.
Nizam : ( darte hue ) dekho bhai pahle meri baat suno uske baad kahna jo bhi kahna hai.
Ajju : ( ghoorte hue ) haan bol bhai hum sunrahe hai.
Imtiyaz : ( ajju ka sath dete hue ) haan bhai hume bhi toh pata cahle ke aapne ye baat chupai
kyun.
Ahmed : ab bol na ab kyun nahi bolta muh me laddo hai kya tere.
Alauddin : abey usko bolne ka mauqa toh do bhai.
Ajju : toh chup baith tujhe pahle se pata tha phir bhi tune hume nahi bataya tu bhi iske barabar ka
sathi hai. Toh tu bhi khamosh rah samjha.
Alauddin : are but maine toh bata diya na.
Ahmed : haan magar yaha ane ke baad. pahle bhi toh bata sakta tha na.
Alauddin : are toh isme meri kya ghalti hai is ne mujhe batane se mana kiya tha isi liye nahi
bataya.
Ajju : thik hai tujhe baad me dekhege pahle humare nizam sarkar se toh baat karlen. Haan sarkar
aap kuch kah rahe they.
Nizam : dekh bhai ajju thodi der pahle maine phone per tujhe bataya tha na ke mai is restuarant
ko araha hoon. Toh mai yaha per paper work hi karne araha tha. Maine soncha tha sab kuch hone
ke baad tum logon ko bata donga usse pahle hi tera phone agaya aur tune mujhe yahin bula liya
aur uske baad is kameene ne tujhe ye sab bata diya.
Ajju : chal maan liya ye sab sach hai toh phir ise kaise maloom hai ke ye restuarant me teri
partnership hai ya hone wali hai hmm.
Nizam : bhai baat darasal ye hai ke. Kuch din pahle meri alauddin se baat hui thi toh pata chala ke
ye restuarant ke owner ka apne partner ke sath kuch jhagda hua toh uske partner ne usse uska
hissa manga toh is restuarant ke owner ke ek dost ki alauddin se pahchan hai toh usne alauddin
ke samne kaha toh alauddin ne mujhse kaha aur mujhe bhi offer acchi lagi isi liye maine bhi deal
done kardi.
Ajju : chal thik hai abki baar tujhe chodh raha hoon agli baar koi bhi baat chupai toh wajha kuch
bhi ho chodunga nahi. Aur pary bhi chahiye per abhi apne changu mangu i mean in dono ki party
hai teri party baad me lelenge.
Ajju nizam se baat karte hue ahmed aur imtiyaz ki taraf dekhta hai. Is waqt dono ke mun phule
hue they. Ajju ke changu mangu kahne se dono naraz hogaye they. Dono ko is tarha muh phula
hua dekh ke ajju kahta hai.
Ajju : arey tum dono ne aisa muh kyun banaya hai woh toh mere muh se ghalti se nikal gaya.
Ahmed aur imtiyaz kuch nahi kahte toh ajju phir kahta hai.
Ajju : accha baba ok sorry ghalti hogayi ab please apna mood thik karo aaj toh khusi ka din hai
yaar.
Ajju ka dekha dekhi nizam aur alauddin bhi dono ko manate hai thoda bhaw kahne ke baad dono
maan jate hai.
Ye pancho baat hi kar rahe the ke unke paas se do ladkiya guzarti hai aur unme se ek ladki
restuarant ko dekh kar usme kho jati hai. Usko aisa karte hue ajju sirf ajju ne hi dekha tha. Ye aur
koi nahi mahi hi thi jab ye sab log baten karte hue tables per baith jate hai tab hi mahi aur shaista
bhi restuarant me ate hai.
Ajju ko mahi kafi masoom aur innocent lagi aur uske aise restuarant ko dekhne se ajju ke hoton
pe muskan ajati hai. Jise ek shaqs ne notice karliya tha magar bola kuch nahi bas woh bhi bas
muskura ke rah jata hai. Ajju phir mahi se nazar hata kar apne friends se baten karne lagta hai.
Thodi der baat karte hai phir sabhi ne apni apni pasand ka order kiya kuch hi der me order ajata
hai aur sabhi khane per tut padhte hai. Khana khane ke baad alauddin kahta hai.
Alauddin : kuch bhi kaho yaar khana ek daam lajawab tha maza agaya khake kyun.
Ajju : haan bhai bohat tasty tha sach me.
Nizam : toh bhai ab wait kiska kar rahe ho lage haton meetha bhi manga lo woh bhi chak lenge.
Ahmed : haan yaar nizam sahi kaha bulao waiter ko.
Phir ek button daba kar waiter ko bulate hai aur sweet manga kar khate hai. Sabhi sweet finish hi
hua tha ke ajju ka phone ring hota hai. Ajju phone nikal kar dekhta hai toh phone uske didi ka tha.
Ajju call receive karta hai.
Ajju : assalamu alaikum didi.
Didi : wa alaikum assalam bhai kaha per ho abhi.
Ajju : didi me xya road per hoon. Kyun kuch kaam hai kya apko.
Didi : kaam kuch bhi nahi hai maine tumhe muhje ate waqt kaha tha na mujhe pick karne ko tob
isi liye calk kiya tha. Agar free hoto ajao warna mai ghar per call karke mummy ko bula leti hoon.
Ajju : thik hai didi mai ata hoon aap ruko thodi der me pohanch ta hoon. Ok
Didi : ok bhai sukoon se ana koi jaldi nahi hai thik hai bye Allah hafiz.
Ajju : ok didi bye allag hafiz.
Ajju apne didi se baat karke apne friends se kahta hai.
Ajju : chalo bhai mai nikalta hoon. Didi ne bulaya hai.
Alauddin : sab thik toh hai na. Kuch problem toh nahi hui.
Alauddin ke sath sabhi ajju se puchte hai.
Ajju : are nahi bhaiyon kuch problem nahi hui aaj didi ko mai hi unke hospital lekar gaya tha toh
didi ne kaha tha ate waqt bhi pick karne ko toh isi liye ja raha hoon.
Ajju ki baat sunke sabhi relax hote hai. Ajju ko accha lagta hai uske doston ka uski family ko bhi
importance dena ajju bye bolkar baher nikal jata hai. Aur apni car ko parking se baher nikalta hai
aur jaise hi car ko road per leta hai toh use road ke beech me koi lady giri hui nazar ati hai. Ajju
apni car ko unke paas lejakar rokta hai aur baher aker unko check karta hai.
Idhar mahi bhi just main gate se baher ati hai aur road per idhar udhar dekh rahi thi ke usko ek
lady road per car ke samne giri hui dikhti hai aur unke samne ek ladka batha hua unko check
karta hua dikhta hai. Ye aur koi nahi ajju hi tha. Mahi ko lagta hai ke ajju ne hi apni gadi se us lady
ko takkar mari hai. Mahi gusse se us taraf jati hai.
Agey dekhte hai ke mahi aur ajju ki pahli mulaqat kaisi rahti hai.
Agey janne ke liye bane rahe mere sath BE-INTEHA ISHQ ke is safar me apka apna ( MAQ ).
Written by ( MAQ ) MOHAMMED AZEEM QURESHI.
super update
 
  • Like
Reactions: Maq

mashish

BHARAT
8,032
25,909
218
UPDATE 6

Mahi ko lagta hai ke ajju ne hi apni gadi se us lady ko takkar mari hai. Mahi gusse se us taraf jati
hai.

Ab agey.

Mahi ajju ke samne jakar khadi hokar kahti hai.
Mahi : Jab car chalani nahi ati toh kyun nikalte ho lekar.
Ajju jo us lady ko check kar raha tha achanak kisi ki awaz sunkar apna cahra utha kar dekhta hai
toh samne restuarant wali ladki usse kuch kah rahi thi.
Ajju : excuse me kya aap mujh se kah rahi ho.
Mahi : aur nahi toh kya mai apne aap se baat karrahi hoon.
Ajju : mujhe kya pata. Hoga apko aisa bhi koi shauq.
Mahi : mera shauq apne aap se baat karna hai toh kya apka shauq rah chalte logon ko takkar
marna hai kya.
Ajju mahi ki baat sunkar chauk jata hai.
Ajju : ye kya bak rahi ho.
Mahi : wahi jo sach hai.
Ajju : lagta hai tumhara dimag kharab hai jo aisi baten karrahi ho. Mai toh inki madad karraha
hoon.
Mahi : haan har koi apni ghalti chupane ke liye yahi kahta hai.
Ajju : dekho kuch bhi kahne se pahle sonch samhaj kar bolo aisa naho ke baad me tumhe
pachtana pade.
Mahi kuch bolti usse pahle woh lady jo road per giri hui thi woh karrane lagti hai. Jise dekh kar
mahi us lady ke khareeb jati hai aur apne handbag se pani ka botel nikal kar unke cahre per pani
ke chinte marti hai. Aisa karne se us lady ko thoda hosh ata hai aur woh pani pilane ko kahti hai
toh mahi unko pani pilati hai. Pani peene ke baad wo lady tohda relax hoti hai toh mahi unko
sahara dekar uthati hai aur side me bitha kar puchti hai.
Mahi : aunty aap thik toh hai na apko chot toh nahi ayi na.
Lady : nahi beta mujhe koi chot nahi ayi. Mai thik hoon.
Lady ke kahne ke baad mahi ajju se kahti hai.
Jo tab se us lady ke hosh me ane ke baad se mahi ko unki help karte hue dekh raha tha.
Mahi : Allah ka shukar manao baj gaye tum. Isliye ke inko kuch nahi hua warna.
Ajju : o hello jab se dekh raha hoon tum mujh per ilzam per ilzam lageye jarahi ho. Mai khamosh
hoon iska matlab ye nahi ke tum kuch bhi bologi mai sunta jaunga.
Mahi : wah wah tumhari himmat ki toh daad deni padegi ek toh inko takkar mari aur uppar se
mujhe hi sunaye jarahe ho.
Ajju : ye kya kahrahi ho tum maine inko kab takkar mari. Tumahra dimag toh thikane par hai na.
Tum khamakha kuch bhi bole jarahi ho. Pucho inko ke kya maine inko takkar mari hai. Bataiye
aunty kya maine apko takkar mari hai.
Mahi : haan aunty bataiye kya hua tha.
Woh lady jo ab tak tohda thik ho chuki thi dono ki baat sunker mahi se kahti hai.
Lady : beta ye sach kah raha hai isne mujhe takkar nahi mari aur na hi kisi aur ne mari. Mai toh
bas road cross karrahi thi ke achanak chakkar agayi aur mai yaha beech road per gir gayi.
Mahi : aunty aap sach kahrahi ho ya kisi ke dabao me aker kahrahi ho. Aisa hai toh aap bilkul bhi
fikar na kare mai hoon na aap ke sath apko koi kuch nahi kahege.
Ajju mahi ke baton se frustrated hojata hai. Use mahi per bohat gussa araha tha phir bhi woh
apne aap ko sambhal kar kahta hai.
Ajju : ye tum kaisi baten karrahi ho bhala koi unko kyu dabao dalega aur woh khud kah rahin hai
toh tum kyun unse zabardasti kuch bhi kahelwa rahi ho. Aur tumko kya lagta hai kisi bhi shareef
aur izzatdar admi per aise ilzam lagana acchi baat hai.
Mahi ajju ki baat sunker pahle toh zorse hasti hai phir serious hokar kahti hai.
Mahi : o hello mai kyun inse zabardasti karungi mujhe laga ke tumne inko daraya dhamkaya
hoga isi liye puch rahi hoon. Aur kya kaha tum ne shareef aur izzatdar. Huh tum toh mujhe kahi se
bhi shareef aur izzatdar nahi lagte. Aur mujhe toh ye bhi lagta hai ye car jo tum lekar apne apko
shareef aur izzatdar batane aur dikhane ki koshish karrahe ho woh bhi tumhari nahi lagti. Zaroor
kisi ki churai hogi ya mang kar laye hoge. Bade aye shareef aur izzatdar. Huh.
Ye kah ke mahi apna mu tedha kar leti hai. Aur ajju ko toh apne kanon per vishwas hi nahi ho
raha tha. Uski itni beizzati kabhi nahi hui thi. Ajju ko bohat gussa ata hai aur woh kuch kahta usse
pahle hi uska phone bajta hai. Ajju phone nikal kar dekhta hai. Call uski didi ka tha ajju call receive
karta hai.
Ajju : hello didi.
Didi : bhai kaha per ho tum abhi tak aye nahi.
Ajju : araha hoon didi bas raste me ek billi milgayi thi. Abhi bas 10min me aap ke paas pohanch
jaonga.
Didi : thik hai aram se ana koi jaldi nahi hai.
Ajju : haan thik hai didi aram se hi aunga.
Ajju call per baat karne ke baad mahi se kahta hai.
Ajju : abhi toh mai jaraha hoon dua karo ke hum dobara phir kabhi na mile.
Mahi : mujhe bhi koi shauq nahi hai tumse dobara milne ka.
Ajju mahi ko gusse se ghoor kar apni car me baith kar chala jata hai.
Ajju ke jane ke baad woh lady jo indono ke darmiyan jo bhi baat hui usko samhaj ne ki koshish
karrahi thi jab unhe laga ke baat bigad gayi hai. Woh undono ko kuch samjha pati baat bigad gayi
thi.
Woh lady ajju ke jane ke baad mahi se kahti hai.
Lady : beti ye tumne kya kiya bina wajha us ladke ko itna kuch suna diya.
Mahi : bina wajha kaha aunty ghalti uski thi aur woh apni ghalti maan hi nahi raha tha isliye mujhe
usko sunana pada aap tension na le woh phir kabhi kisi ke sath aisa nahi karega.
Mahi ki baat sunker woh lady apna sar pit kar kahti hai.
Lady : are beta mai tumko ab kaise samjhaon us ladke ki zara si bhi ghalti nahi thi. Na usne mujhe
kuch kiya aur nahi kisi aur ne woh bechara toh meri madad karraha tha aur tum agayi aur lag gayi
usko sunnane.
Mahi ko lady ki baat sunker jhatka lagta hai.
Mahi ko ab apni ghalti ka ahsas hota hai ke jald bazi me usne ek bekasoor ko kitna kuch suna
diya. Mahi unse kahti hai.
Mahi : ye aap kya kah rahi ho. Ye baat apko pahle batani chahiye thi na.
Lady : beta ye baat toh maine pahle kahi bhi thi lekin tumhe na jane kya hogaya tha na tumne meri
baat suni na uski baat suni. Bas apni hi usko sunane legi.
Mahi : Ya mere khuda ye mujhse kya hogaya. NaJane kya kya kahdiya maine us bechare ko. Kya
sonch raha hoga woh mere bare me. Mai bhi na ek number ki pagal hoon pahle puri baat sunna
chahiye phir kuch bhi kahna chahiye. Khair ab pachtaye kya hota hai jab chidiya chug gayi khet.
Mahi apne apse baat karne lagti hai. Jise dekhker woh lady kahti hai.
Lady : khair beta jo hua ab use badla toh nahi jasakta. Lekin Phir kabhi woh ladka mil jaye toh
usse is bareme baat zaroor karlena.
Mahi : ok thik hai aunty. Waise aap yaha kya karrahi ho aur aap rahti kaha ho aur apko ye chakkar
kaise ayi thi.
Lady : beta mera naam saeeda hai. Aur mai yahin paas me hi rahti hoon. Mai yaha per kuch kaam
se ayi thi. Yahin paas me meri car kharab hogayi thi. Mai is taraf auto ya cab miljayega ye sonch
kar edhar ayi thi ke achanak mujhe chakkar agyi aur mai yaha per gir gayi. Mere girne ke baad
woh ladka mere paas aker mujhe check karne laga aur phir tum ayi.
Saeeda aunty ki baat sunker mahi unse kahti hai.
Mahi : oh ok aunty chaliye phir hum hospital chalte hai.
Saeeda : uski zarurat nahi hai beta. Mujhe na high bp hai isi liye aisa hua hai. Aaj mai apni
medicine lena bhool gayi thi. Tum mujhe bas thoda sa pani dedo mere bag me woh medicine hai.
Mai woh kha lungi toh thodi der me thik hojayega.
Mahi apne bag se pani ka bottle nikal kar aunty ko deti hai. Aunty ke pani peene ke baad mahi
apna bottle apne bag me rakh leti hai.
Idher shaista bhi apni car nikal kar baher main gate ke paas mahi ko dhoodh rahi thi woh apni car
ko side me rok kar edhar udhar dekhti hai usko mahi ek ladke ke sath dikhti hai aur mahi usse
bahes karrahi hoti hai. Woh mahi ke paas jati usse pahle hi woh ladka ( ajju ) apni car me baith
kar chala jata hai. Phir woh mahi ke paas jati hai jo is waqt ek lady se baat karne ke baad usko
pani pala rahi hoti hai. Shaista mahi ko aisa karte dekh kar apne aap se kahti hai.
Shaista : ( apne aap se ) ye mahi kabhi nahi badal sakti isko kahi bhi lejao isko koi na koi madad
ke liye milhi jata hai. Puri duniya badal sakti hai magar ye mahi kabhi nahi badal sakti. Huh.
Aise hi sonchti hui Shaista mahi ke paas pohanch jati hai.
Shaista : mahi tum yaha per ho mai tumko waha per dhudh rahi hoon. Mai kitna ghabra gayi
thi tumhare na milne se thank god ke tum mil gayi. Ek toh tumhara contact number bhi nahi hai
mere paas.
Shaista ghabrane ka natak karte hue kahti hai. Jise dekh ke mahi muskurakar kahti hai.
Mahi : kya baat karrahi ho shaista maine tumko dekha tha jab tum apni car se nikal kar mujh ko
dekh rahi thi jab mai us ladke se bahes karrahi thi meri nazar padi thi tum per tum humari hi tafaf
dekh rahi thi.
Darasal baat ye hai ke jab mahi ajju se bahes karrahi thi toh mahi ka face restuarant ke main gate
ki taraf tha aur ajju ki pit us taraf thi. Shaista ne ajju ka face nahi dekha tha. Jab tak shaista inke
paas ati ajju apni car me baith kar ja chuka tha.
Shaista ko pata nahi tha ke mahi ne use dekh liye hai. Phir woh apni baat ko sambhal kar kar
kahti hai.
Shaista : are mai tumhe restuarant me dhoond rahi thi. Jab tum mujhe ander nahi mili toh mai
baher ayi toh tumko ek ladke se baat karte hue dekha aur tumhare paas ayi. Jab tak mai tumhare
paas ati woh ladka ja chuka tha.
Mahi shaista ki baat sunke halka sa muskurati hai aur kahti hai.
Mahi : are tumhe yaad nahi tumne hi toh mujhe baher bheja tha apni car parking se lane se pahle.
Khair chodo.
Aiye aunty hum apko apke ghar tak chod dete hai.
Mahi ki baat shaista ko acchi nahi lagti. Usko kisi bhi rah chalte ko apni car me bithana accha
nahi lagta. Shaista kuch kahti usse pahle saeeda aunty kahti hai.
Saeeda : are nahi beta tumne pahle hi meri bohat madad ki hai. Ab ap jao mai chali jaungi. Waise
bhi thoda agey hi auto stand hai mai waha se auto leker chali jaungi.
Mahi : chaliye thik hai hum apko apke ghar na sahi stand tak toh chodh hi sakte hai. Kyun shaista
kya kahti ho.
Mahi ko pata tha shaista ko accha nahi lagta kisi anjaan ko apni car me bithana. Magar mahi
saeeda aunty ko aise road per chodh kar jana nahi chati thi isi liye usne shaista se pucha.
Shaista ko na chate hue bhi haan kahna pada. Shaista ke haan kahne ke baad saeeda aunty bhi
ziyada kuch na kahte hue unke sath chalne ko ready hojati hai. Phir teeno shaista ki car me aker
baith jate hai aur shaista car ko agey badha deti hai aur thodi hi der me car auto stand ke paas
pahonch jati hai. Car ke rokne ke baad saeeda aunty car se baher nikalti hai aur mahi ko thanks
kah kar kahti hai.
Saeeda : shukriya beti tumne meri madad ki tumko kabhi bhi meri madad ki zarurat ho to ye
mera card rakhlo aur bejhijak kabhi bhi call karsakti ho.
Mahi bhi card le kar rakhleti.
Mahi : thik hai aunty mujhe kabhi bhi apki zarurat padi toh mai aap ko yaad zaroor karugi. Waise
mai aap ko apna naam batana bhool gayi mera naam mahira hai aur sabhi mujhe pyar se mahi
kah kar bulate hai.
Mahi ki baat sunker saeeda aunty kahti hai.
Saeeda : are haan beta mai toh tumahra naam bhi puchna bhool gyi. Bohat pyara naam hai. Aur
mai bhi tumhe mahi hi kahkar bulaongi. Aur haan is card per mera address bhi hai. Kabhi waha se
guzar hoto ana zaroor.
Mahi : thik hai aunty mai zaroor aungi ab mai chalti hoon. Aap bhi apna khayal rakhna bye allah
hafiz.
Saeeda aunty bhi mahi aur shaista ko bye aur thanks kahker auto ki taraf chali jati hai.
Shaista bhi car ko agey badha deti hai. Car me is waqt khamoshi thi dono hi kuch nahi bolrahe
they.
Shaista mahi ke apni car me kisi anjaan ko bithane se gussa thi toh mahi ajju ko bina wajha itna
kuch sunane ka afsoos ho raha tha.
Dono hi khamosh apni manzil ki taraf badh rahe the thodi hi der me shaista mahi ke orphanage
ke samne car ko rokti hai jisse mahi apni sonch se baher ati hai.
Car ke rukne ke baad mahi car se baher nikalti hai aur shaista se kahti hai.
Mahi : thanks shaista aaj ki treat ke liye aur mujhe yaha tak lift dene ke liye. Chalo ander ammi se
bhi mil lena.
Shaista : nahi mahi aaj nahi phir kabhi zaroor awongi. Ek baat toh kahna mai bhool hi gayi aaj ss
thik ek hafte baad mera birthday hai aur tumko ana hai mai invitation bhejdongi ok.
Mahi : thik hai mai puri koshish karongi aneki.
Shaista : koshish nahi tumko ana hi hoga warna mai tumse baat nahi karongi.
Mahi : accha thik hai mai ajawongi bye Allah hafiz uncle aur aunty ko mera salam kahna.
Shaista : thik hai bye allah hafiz.
Shaista apni car agey badha deti hai aur is waqt uske cahre per ek zahrili si smile thi jise mahi
nahi dekh saki thi.
Mahi bhi khushi khushi apne ghar ( orphanage ) me chali jati hai is baat se bekhaber ke uski life
me ab bohat kuch hone wala hai jo ke usne socha bhi nahi hoga.
Saeeda aunty ka intro agey ayega.
___________________________________________
Ajju side :
Ajju apni car ko chalate hue apne aap se baat karraha tha.
Ajju ( apne apse ) dikhne me kitni masoon aur bholi lag rahi thi likin thi bilkul khali dimag are
pahle puri baat toh janleti ate hi shuru hogayi aur najane kya kya kahne lagi mujhe toh us per
bohat gussa araha hai. Agar dobara mujhe mili na woh ladki toh mai usko bataonga ke ajju kya
cheez hai. Aur mai use chor aur magne wala dikhai de raha tha ye car meri nahi hai maine churai
hai ya mang kar laya hoon uski himmat toh dekho ahhhhh mai usko chodunga nahi.
Aise hi sonchte aur gussa hote hue ajju uski didi ke hospital pohanch jata hai aur apni didi ko call
karke bolta hai ke woh agaya hai jaldi se neeche ajaye.
Thodi hi der me ajju ki didi neeche ati hai aur akar ajju ke sath baith jati hai. Didi ke baith ne ke
baad ajju car ko agey badha deta hai. Ajju ki didi dekhti hai ke ajju ka mood bigda hua hai toh ajju
ki didi ajju se puchti hai.
Didi : kya hua bhai tumhara mood kyun kharab hai?
Ajju apni didi ki baat sunker ek thandi saans chodh kar kahta hai.
Ajju : ab kya bataon didi apko mere sath abhi abhi kya hua hai. Aap sunogi toh aap bhi hairan
hojaogi ke aise bhi log duniya me hai.
Ajju ki didi uski baat sunke kahti hai.
Didi : aisi kya baat hai bhai jise sunke mai hairan hojaongi. Aur aise log se kya matlab hai. kisi se
jhagda hua hai kya tumhara?
Ajju apnj didi ki baat sunker halka sa hasta hai aur kahta hai.
Ajju : are nahi didi kisi se jhagda nahi hua hai bas ek pagal ladki se mulakat hogai thi aur mera
dimag kharab kardiya usne.
Ajju ki baat sunker uski didi pahle ajju ko dekhti hai jo pahle has raha tha aur akhri baat kahte hue
bura sa muh bana leta hai.
Jise dekh kar ajju ki didi ajju se haste hue kahti hai.
Didi : ( haste hue ) kon ladki bhai kahi love shav toh nahi hogaya us ladki se kon hai woh kaha
rahti hai aur kya naam hai uska.
Ajju ki didi ajju ke maze lene ke liye kahrahi thi jise sunker ajju aur bhi bura muh bana kar kahta
hai.
Ajju : kya didi aap bhi kaisi baten karti ho. Love aur usse woh agar duniya ki akhri ladki bhi hui na
toh mai usse pyar nahi karunga. Bhala aisi bhi ladkiya hoti hai mujhe aaj pata chala. Kitna bolti hai
rukne ka naam hi nahi leti bas ek baar bolna shuru hui toh bas. Mujhe toh lagta hai ke uper wale
ne usme stop ka button lagana bhool gaya hoga.
Ajju ki baat sunke didi haste hue kahti hai.
Didi : kya baat hai bhai badi barki se muaina ( examine ) kiya hai us ladki ka. Hmm aur duniya bhar
ki burai bhi nikal rahe ho irade kya hai janab ke. Kuch baat toh zaroor hai us ladki me warna mera
bhai kisi bhi ladki ke bare me aisi baten nahi karta.
Ajju apni didi se aisi baat sunker kahta hai.
Ajju : didi agar meri jagha aap hoti toh mai guarantee ke sath kah raha hoon aap uska sar phod
deti.
Didi : accha thik hai bhai batao toh sahi ke aisa kya kiya hai us ladki ne. Mujhe bhi toh pata chale
ke aisa kya kiya hai us ladki ne jiske liye agar tumhari jagha mai hoti toh uska sar phod deti.
Ajju apni didi ki baat sunker unko mahi se hui puri baat sunata hai. Jise sunker uski didi pahle toh
khamosh rahti hai phir haste hue kahti hai.
Didi : ( haste hue ) bhai mujhe yahi sonch kar hasi arahi hai ke itne bade businessmen ke bete ko
woh ladki chor aur mangne wala kahgayi. Aur tum use kuch bhi nahi bol paye. Manna padega us
ladki ko mai toh fan hogai uski ek baar zaroor milna chahungi us ladki se.
Ajju apni didi ko aise haste hue dekh kar kahta hai.
Ajju : haan haan haslo haslo apko toh bada maza araha hai uski baten sunkar aur agar dubara
woh mujhe milgayi na toh mai use bataonga ke mai kya cheez hoon.
Ajju ki baat sunke ajju ki didi apni hasi ko rok kar kahti hai.
Didi : bhai kuch bhi kaho ladki me dam toh bohat hai. Warna aaj ke zamane me kon kisi ke liye
aise kisi se bhi ladta hai. Tumhi soncho jaha aaj ke zamane me bhai bhai ki jaan ka dushman hai
log ek dusre ki jaan lene se pahle ek baar bhi uske pariwar ke bare me nahi sonchte. Aise mahol
me woh ladki kisi aur ke liye tumse ladi toh isme ghalat kya hai. Haan uski ghalti ye hai ke usne
tumhe bina wajha ulta sidha suna diya. Use pahle tumse puchna chahiye tha ke baat kya hai phir
kuch kahti. Magar uski bhi ghalti nahi hai aaj kal log kisi ko bhi takkar mar kar chale jate hai.
Mere hi hospital me aise bohat se case ate hai jinhe log takkar mar kar marne ke liye chodh kar
chale jate hai. Aise me agar usne tumse kuch kah bhi diya toh kya hogaya.
Ajju apni didi ki baton ko ghorse sunta hai phir kuch sonch kar kahta hai.
Ajju : aap sahi kahrahi ho didi shayed mai kuch ziyada hi react karraha tha. Uski bhi ghalti nahi
thi us situation me agar koi aur bhi hota toh shayed woh bhi aisa hi karta. Magar usko bhi pahle
agey wale ki baat sunni chahiye. Ye toh accha hua waha per mai tha agar koi aur hota toh baat
bigad sakti thi.
Ajji ki didi ajju ki baat sunker kahti hai.
Didi : kya baat hai badi jaldi meri baat samhaj me agayi aur uski side bhi lerahe ho. Abhi toh usko
boaht kuch kah rahe the. Eradey toh nek haina janab ke kahi dil wil toh nahi agaya.
Ye kahke ajju ki didi hasti hai jise dekh ke ajju bura sa muh banakar kahta hai.
Ajju : ye kya baat hui didi pahle aap hi uski side leti ho aur jab mai aap ki baat ko maan raha hoon
toh aap mera mazak uda rahi ho. Apko toh pata hai na meri life me ab kisi aur ke liye jagha nahi
hai. Mujhe uske siwa koi aur nazar nahi ata.

Puchege zaroor unse ke ye ishq kaisa hai.
Nazron se door rah kar ye ishq kaisa hai.
Ati nahi kya unko kabhi humari yaad.
Unke baghair ye be-inteha ishq kaisa hai.

Ye sher kahte hue ajju ki ankhen nam hojati hai. Jise dekh kar ajju ki didi ki bhi ankhen nam hojati
hai.
Ajju ko is tarha dekh kar ajju ki didi kahti hai.
Didi : bhai mai toh bas mazak kar rahi thi. Mujhe laga tumko bhi accha lagega agar tumko meri
kisi bhi baat se bura laga ho uske liye sorry bhai.
Ye kahke ajju ki didi apna sar ajju ke shoulder per rakh deti hai. Ajju bhi apni didi ki baat sunker
apne aap ko sambhal kar apni ankhen saaf karke kahta hai.
Ajju : aap sorry kyun kah rahi ho didi. Mai hi mazak mazak me serious hogaya. Aap ka pura haq
hai aap mujhe kuch bhi kah sakti ho. Khair ye sab chodo aur sunao aaj aap jaldi ghar ja rahi ho
aisa kyun kuch kaam hai kya ghar per.
Ajju ki didi bhi ajju ki baat sunker relax hoti hai aur kahti hai.
Didi : kaam toh kuch bhi nahi hai bas soncha aaj jaldi ghar chali jati hoon. Ghar jakar thoda relax
karongi.
Ajju : mujhe toh daal me kuch kala nazar araha hai. Kyun ke aap hospital se kabhi bhi jaldi ghar ko
nahi jati aur aap aaj kuch ziyada hi khush nazar arahi ho. Hmm. Baat kya hai.
Ajju ke aisa kahne se ajju ki didi hasti hai aur haste hue kahti hai.
Didi : kyun bhai mai kya kabhi khush nahi rahti ya phir mai kaam se jaldi ghar ko nahi jasakti. Mera
dil aaj ghar jaldi Jane ko hua toh mai jarahi hoon bas aur khush toh mai humesha hi rahti hoon
tumne hi shayed dhiyan nahi diya hoga.
Ajju : haan haan mujhe pata hai aap kitna khush rahti ho aur kitna nahi aur rahi kaam ki baat toh
aap bhi janti ho aur mai bhi janta hoon ke aap ko ye job kitni pasand hai. Khair jo bhi khichdi aap
paka rahi ho woh toh ghar jane per pata chal hi jayegi phir bina wajha sonch kar kyun pareshan
hona.
Ye kahke ajju chup hojata hai aur ajju ki didu bhi ajju ki baat sunker muskurati hai per kuch kahti
nahi.
Aise hi thodi der me dono ghar pohanch jate hai. Ajju car ko door ke samne rokta hai toh uski
didi utar jati hai aur ajju car ko garage me park karne chala jata hai.
Ajju car park karke jab door ke paas ata hai toh dekhta hai ke door lock hai aur didu bhi waha
per nahi hai toh ajju bell bajata hai thodi der baad door khulta hai aur koi ajju ke uper kud jata hai.
Jisse ajju hadbada jata hai. Aur jo ajju ke upper kuda hua hai use dekh kar ajju chonk jata hai.

Aaj ke liye itna hi.
Dekhte hai ke ajju aur mahi ki agli mulakat kaisi hoti hai. Kya hoga jab dono ki dobara mulaqat
hogi.

Agey janne ke liye bane rahe BE-INTEHA ISHQ Ke sath aap ka apna MAQ.
Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI ( MAQ).

update kasia laga comment karke zarur batana.
ek aur dhasu update
 
  • Like
Reactions: Maq
Status
Not open for further replies.
Top