UPDATE 6
Mahi ko lagta hai ke ajju ne hi apni gadi se us lady ko takkar mari hai. Mahi gusse se us taraf jati
hai.
Ab agey.
Mahi ajju ke samne jakar khadi hokar kahti hai.
Mahi : Jab car chalani nahi ati toh kyun nikalte ho lekar.
Ajju jo us lady ko check kar raha tha achanak kisi ki awaz sunkar apna cahra utha kar dekhta hai
toh samne restuarant wali ladki usse kuch kah rahi thi.
Ajju : excuse me kya aap mujh se kah rahi ho.
Mahi : aur nahi toh kya mai apne aap se baat karrahi hoon.
Ajju : mujhe kya pata. Hoga apko aisa bhi koi shauq.
Mahi : mera shauq apne aap se baat karna hai toh kya apka shauq rah chalte logon ko takkar
marna hai kya.
Ajju mahi ki baat sunkar chauk jata hai.
Ajju : ye kya bak rahi ho.
Mahi : wahi jo sach hai.
Ajju : lagta hai tumhara dimag kharab hai jo aisi baten karrahi ho. Mai toh inki madad karraha
hoon.
Mahi : haan har koi apni ghalti chupane ke liye yahi kahta hai.
Ajju : dekho kuch bhi kahne se pahle sonch samhaj kar bolo aisa naho ke baad me tumhe
pachtana pade.
Mahi kuch bolti usse pahle woh lady jo road per giri hui thi woh karrane lagti hai. Jise dekh kar
mahi us lady ke khareeb jati hai aur apne handbag se pani ka botel nikal kar unke cahre per pani
ke chinte marti hai. Aisa karne se us lady ko thoda hosh ata hai aur woh pani pilane ko kahti hai
toh mahi unko pani pilati hai. Pani peene ke baad wo lady tohda relax hoti hai toh mahi unko
sahara dekar uthati hai aur side me bitha kar puchti hai.
Mahi : aunty aap thik toh hai na apko chot toh nahi ayi na.
Lady : nahi beta mujhe koi chot nahi ayi. Mai thik hoon.
Lady ke kahne ke baad mahi ajju se kahti hai.
Jo tab se us lady ke hosh me ane ke baad se mahi ko unki help karte hue dekh raha tha.
Mahi : Allah ka shukar manao baj gaye tum. Isliye ke inko kuch nahi hua warna.
Ajju : o hello jab se dekh raha hoon tum mujh per ilzam per ilzam lageye jarahi ho. Mai khamosh
hoon iska matlab ye nahi ke tum kuch bhi bologi mai sunta jaunga.
Mahi : wah wah tumhari himmat ki toh daad deni padegi ek toh inko takkar mari aur uppar se
mujhe hi sunaye jarahe ho.
Ajju : ye kya kahrahi ho tum maine inko kab takkar mari. Tumahra dimag toh thikane par hai na.
Tum khamakha kuch bhi bole jarahi ho. Pucho inko ke kya maine inko takkar mari hai. Bataiye
aunty kya maine apko takkar mari hai.
Mahi : haan aunty bataiye kya hua tha.
Woh lady jo ab tak tohda thik ho chuki thi dono ki baat sunker mahi se kahti hai.
Lady : beta ye sach kah raha hai isne mujhe takkar nahi mari aur na hi kisi aur ne mari. Mai toh
bas road cross karrahi thi ke achanak chakkar agayi aur mai yaha beech road per gir gayi.
Mahi : aunty aap sach kahrahi ho ya kisi ke dabao me aker kahrahi ho. Aisa hai toh aap bilkul bhi
fikar na kare mai hoon na aap ke sath apko koi kuch nahi kahege.
Ajju mahi ke baton se frustrated hojata hai. Use mahi per bohat gussa araha tha phir bhi woh
apne aap ko sambhal kar kahta hai.
Ajju : ye tum kaisi baten karrahi ho bhala koi unko kyu dabao dalega aur woh khud kah rahin hai
toh tum kyun unse zabardasti kuch bhi kahelwa rahi ho. Aur tumko kya lagta hai kisi bhi shareef
aur izzatdar admi per aise ilzam lagana acchi baat hai.
Mahi ajju ki baat sunker pahle toh zorse hasti hai phir serious hokar kahti hai.
Mahi : o hello mai kyun inse zabardasti karungi mujhe laga ke tumne inko daraya dhamkaya
hoga isi liye puch rahi hoon. Aur kya kaha tum ne shareef aur izzatdar. Huh tum toh mujhe kahi se
bhi shareef aur izzatdar nahi lagte. Aur mujhe toh ye bhi lagta hai ye car jo tum lekar apne apko
shareef aur izzatdar batane aur dikhane ki koshish karrahe ho woh bhi tumhari nahi lagti. Zaroor
kisi ki churai hogi ya mang kar laye hoge. Bade aye shareef aur izzatdar. Huh.
Ye kah ke mahi apna mu tedha kar leti hai. Aur ajju ko toh apne kanon per vishwas hi nahi ho
raha tha. Uski itni beizzati kabhi nahi hui thi. Ajju ko bohat gussa ata hai aur woh kuch kahta usse
pahle hi uska phone bajta hai. Ajju phone nikal kar dekhta hai. Call uski didi ka tha ajju call receive
karta hai.
Ajju : hello didi.
Didi : bhai kaha per ho tum abhi tak aye nahi.
Ajju : araha hoon didi bas raste me ek billi milgayi thi. Abhi bas 10min me aap ke paas pohanch
jaonga.
Didi : thik hai aram se ana koi jaldi nahi hai.
Ajju : haan thik hai didi aram se hi aunga.
Ajju call per baat karne ke baad mahi se kahta hai.
Ajju : abhi toh mai jaraha hoon dua karo ke hum dobara phir kabhi na mile.
Mahi : mujhe bhi koi shauq nahi hai tumse dobara milne ka.
Ajju mahi ko gusse se ghoor kar apni car me baith kar chala jata hai.
Ajju ke jane ke baad woh lady jo indono ke darmiyan jo bhi baat hui usko samhaj ne ki koshish
karrahi thi jab unhe laga ke baat bigad gayi hai. Woh undono ko kuch samjha pati baat bigad gayi
thi.
Woh lady ajju ke jane ke baad mahi se kahti hai.
Lady : beti ye tumne kya kiya bina wajha us ladke ko itna kuch suna diya.
Mahi : bina wajha kaha aunty ghalti uski thi aur woh apni ghalti maan hi nahi raha tha isliye mujhe
usko sunana pada aap tension na le woh phir kabhi kisi ke sath aisa nahi karega.
Mahi ki baat sunker woh lady apna sar pit kar kahti hai.
Lady : are beta mai tumko ab kaise samjhaon us ladke ki zara si bhi ghalti nahi thi. Na usne mujhe
kuch kiya aur nahi kisi aur ne woh bechara toh meri madad karraha tha aur tum agayi aur lag gayi
usko sunnane.
Mahi ko lady ki baat sunker jhatka lagta hai.
Mahi ko ab apni ghalti ka ahsas hota hai ke jald bazi me usne ek bekasoor ko kitna kuch suna
diya. Mahi unse kahti hai.
Mahi : ye aap kya kah rahi ho. Ye baat apko pahle batani chahiye thi na.
Lady : beta ye baat toh maine pahle kahi bhi thi lekin tumhe na jane kya hogaya tha na tumne meri
baat suni na uski baat suni. Bas apni hi usko sunane legi.
Mahi : Ya mere khuda ye mujhse kya hogaya. NaJane kya kya kahdiya maine us bechare ko. Kya
sonch raha hoga woh mere bare me. Mai bhi na ek number ki pagal hoon pahle puri baat sunna
chahiye phir kuch bhi kahna chahiye. Khair ab pachtaye kya hota hai jab chidiya chug gayi khet.
Mahi apne apse baat karne lagti hai. Jise dekhker woh lady kahti hai.
Lady : khair beta jo hua ab use badla toh nahi jasakta. Lekin Phir kabhi woh ladka mil jaye toh
usse is bareme baat zaroor karlena.
Mahi : ok thik hai aunty. Waise aap yaha kya karrahi ho aur aap rahti kaha ho aur apko ye chakkar
kaise ayi thi.
Lady : beta mera naam saeeda hai. Aur mai yahin paas me hi rahti hoon. Mai yaha per kuch kaam
se ayi thi. Yahin paas me meri car kharab hogayi thi. Mai is taraf auto ya cab miljayega ye sonch
kar edhar ayi thi ke achanak mujhe chakkar agyi aur mai yaha per gir gayi. Mere girne ke baad
woh ladka mere paas aker mujhe check karne laga aur phir tum ayi.
Saeeda aunty ki baat sunker mahi unse kahti hai.
Mahi : oh ok aunty chaliye phir hum hospital chalte hai.
Saeeda : uski zarurat nahi hai beta. Mujhe na high bp hai isi liye aisa hua hai. Aaj mai apni
medicine lena bhool gayi thi. Tum mujhe bas thoda sa pani dedo mere bag me woh medicine hai.
Mai woh kha lungi toh thodi der me thik hojayega.
Mahi apne bag se pani ka bottle nikal kar aunty ko deti hai. Aunty ke pani peene ke baad mahi
apna bottle apne bag me rakh leti hai.
Idher shaista bhi apni car nikal kar baher main gate ke paas mahi ko dhoodh rahi thi woh apni car
ko side me rok kar edhar udhar dekhti hai usko mahi ek ladke ke sath dikhti hai aur mahi usse
bahes karrahi hoti hai. Woh mahi ke paas jati usse pahle hi woh ladka ( ajju ) apni car me baith
kar chala jata hai. Phir woh mahi ke paas jati hai jo is waqt ek lady se baat karne ke baad usko
pani pala rahi hoti hai. Shaista mahi ko aisa karte dekh kar apne aap se kahti hai.
Shaista : ( apne aap se ) ye mahi kabhi nahi badal sakti isko kahi bhi lejao isko koi na koi madad
ke liye milhi jata hai. Puri duniya badal sakti hai magar ye mahi kabhi nahi badal sakti. Huh.
Aise hi sonchti hui Shaista mahi ke paas pohanch jati hai.
Shaista : mahi tum yaha per ho mai tumko waha per dhudh rahi hoon. Mai kitna ghabra gayi
thi tumhare na milne se thank god ke tum mil gayi. Ek toh tumhara contact number bhi nahi hai
mere paas.
Shaista ghabrane ka natak karte hue kahti hai. Jise dekh ke mahi muskurakar kahti hai.
Mahi : kya baat karrahi ho shaista maine tumko dekha tha jab tum apni car se nikal kar mujh ko
dekh rahi thi jab mai us ladke se bahes karrahi thi meri nazar padi thi tum per tum humari hi tafaf
dekh rahi thi.
Darasal baat ye hai ke jab mahi ajju se bahes karrahi thi toh mahi ka face restuarant ke main gate
ki taraf tha aur ajju ki pit us taraf thi. Shaista ne ajju ka face nahi dekha tha. Jab tak shaista inke
paas ati ajju apni car me baith kar ja chuka tha.
Shaista ko pata nahi tha ke mahi ne use dekh liye hai. Phir woh apni baat ko sambhal kar kar
kahti hai.
Shaista : are mai tumhe restuarant me dhoond rahi thi. Jab tum mujhe ander nahi mili toh mai
baher ayi toh tumko ek ladke se baat karte hue dekha aur tumhare paas ayi. Jab tak mai tumhare
paas ati woh ladka ja chuka tha.
Mahi shaista ki baat sunke halka sa muskurati hai aur kahti hai.
Mahi : are tumhe yaad nahi tumne hi toh mujhe baher bheja tha apni car parking se lane se pahle.
Khair chodo.
Aiye aunty hum apko apke ghar tak chod dete hai.
Mahi ki baat shaista ko acchi nahi lagti. Usko kisi bhi rah chalte ko apni car me bithana accha
nahi lagta. Shaista kuch kahti usse pahle saeeda aunty kahti hai.
Saeeda : are nahi beta tumne pahle hi meri bohat madad ki hai. Ab ap jao mai chali jaungi. Waise
bhi thoda agey hi auto stand hai mai waha se auto leker chali jaungi.
Mahi : chaliye thik hai hum apko apke ghar na sahi stand tak toh chodh hi sakte hai. Kyun shaista
kya kahti ho.
Mahi ko pata tha shaista ko accha nahi lagta kisi anjaan ko apni car me bithana. Magar mahi
saeeda aunty ko aise road per chodh kar jana nahi chati thi isi liye usne shaista se pucha.
Shaista ko na chate hue bhi haan kahna pada. Shaista ke haan kahne ke baad saeeda aunty bhi
ziyada kuch na kahte hue unke sath chalne ko ready hojati hai. Phir teeno shaista ki car me aker
baith jate hai aur shaista car ko agey badha deti hai aur thodi hi der me car auto stand ke paas
pahonch jati hai. Car ke rokne ke baad saeeda aunty car se baher nikalti hai aur mahi ko thanks
kah kar kahti hai.
Saeeda : shukriya beti tumne meri madad ki tumko kabhi bhi meri madad ki zarurat ho to ye
mera card rakhlo aur bejhijak kabhi bhi call karsakti ho.
Mahi bhi card le kar rakhleti.
Mahi : thik hai aunty mujhe kabhi bhi apki zarurat padi toh mai aap ko yaad zaroor karugi. Waise
mai aap ko apna naam batana bhool gayi mera naam mahira hai aur sabhi mujhe pyar se mahi
kah kar bulate hai.
Mahi ki baat sunker saeeda aunty kahti hai.
Saeeda : are haan beta mai toh tumahra naam bhi puchna bhool gyi. Bohat pyara naam hai. Aur
mai bhi tumhe mahi hi kahkar bulaongi. Aur haan is card per mera address bhi hai. Kabhi waha se
guzar hoto ana zaroor.
Mahi : thik hai aunty mai zaroor aungi ab mai chalti hoon. Aap bhi apna khayal rakhna bye allah
hafiz.
Saeeda aunty bhi mahi aur shaista ko bye aur thanks kahker auto ki taraf chali jati hai.
Shaista bhi car ko agey badha deti hai. Car me is waqt khamoshi thi dono hi kuch nahi bolrahe
they.
Shaista mahi ke apni car me kisi anjaan ko bithane se gussa thi toh mahi ajju ko bina wajha itna
kuch sunane ka afsoos ho raha tha.
Dono hi khamosh apni manzil ki taraf badh rahe the thodi hi der me shaista mahi ke orphanage
ke samne car ko rokti hai jisse mahi apni sonch se baher ati hai.
Car ke rukne ke baad mahi car se baher nikalti hai aur shaista se kahti hai.
Mahi : thanks shaista aaj ki treat ke liye aur mujhe yaha tak lift dene ke liye. Chalo ander ammi se
bhi mil lena.
Shaista : nahi mahi aaj nahi phir kabhi zaroor awongi. Ek baat toh kahna mai bhool hi gayi aaj ss
thik ek hafte baad mera birthday hai aur tumko ana hai mai invitation bhejdongi ok.
Mahi : thik hai mai puri koshish karongi aneki.
Shaista : koshish nahi tumko ana hi hoga warna mai tumse baat nahi karongi.
Mahi : accha thik hai mai ajawongi bye Allah hafiz uncle aur aunty ko mera salam kahna.
Shaista : thik hai bye allah hafiz.
Shaista apni car agey badha deti hai aur is waqt uske cahre per ek zahrili si smile thi jise mahi
nahi dekh saki thi.
Mahi bhi khushi khushi apne ghar ( orphanage ) me chali jati hai is baat se bekhaber ke uski life
me ab bohat kuch hone wala hai jo ke usne socha bhi nahi hoga.
Saeeda aunty ka intro agey ayega.
___________________________________________
Ajju side :
Ajju apni car ko chalate hue apne aap se baat karraha tha.
Ajju ( apne apse ) dikhne me kitni masoon aur bholi lag rahi thi likin thi bilkul khali dimag are
pahle puri baat toh janleti ate hi shuru hogayi aur najane kya kya kahne lagi mujhe toh us per
bohat gussa araha hai. Agar dobara mujhe mili na woh ladki toh mai usko bataonga ke ajju kya
cheez hai. Aur mai use chor aur magne wala dikhai de raha tha ye car meri nahi hai maine churai
hai ya mang kar laya hoon uski himmat toh dekho ahhhhh mai usko chodunga nahi.
Aise hi sonchte aur gussa hote hue ajju uski didi ke hospital pohanch jata hai aur apni didi ko call
karke bolta hai ke woh agaya hai jaldi se neeche ajaye.
Thodi hi der me ajju ki didi neeche ati hai aur akar ajju ke sath baith jati hai. Didi ke baith ne ke
baad ajju car ko agey badha deta hai. Ajju ki didi dekhti hai ke ajju ka mood bigda hua hai toh ajju
ki didi ajju se puchti hai.
Didi : kya hua bhai tumhara mood kyun kharab hai?
Ajju apni didi ki baat sunker ek thandi saans chodh kar kahta hai.
Ajju : ab kya bataon didi apko mere sath abhi abhi kya hua hai. Aap sunogi toh aap bhi hairan
hojaogi ke aise bhi log duniya me hai.
Ajju ki didi uski baat sunke kahti hai.
Didi : aisi kya baat hai bhai jise sunke mai hairan hojaongi. Aur aise log se kya matlab hai. kisi se
jhagda hua hai kya tumhara?
Ajju apnj didi ki baat sunker halka sa hasta hai aur kahta hai.
Ajju : are nahi didi kisi se jhagda nahi hua hai bas ek pagal ladki se mulakat hogai thi aur mera
dimag kharab kardiya usne.
Ajju ki baat sunker uski didi pahle ajju ko dekhti hai jo pahle has raha tha aur akhri baat kahte hue
bura sa muh bana leta hai.
Jise dekh kar ajju ki didi ajju se haste hue kahti hai.
Didi : ( haste hue ) kon ladki bhai kahi love shav toh nahi hogaya us ladki se kon hai woh kaha
rahti hai aur kya naam hai uska.
Ajju ki didi ajju ke maze lene ke liye kahrahi thi jise sunker ajju aur bhi bura muh bana kar kahta
hai.
Ajju : kya didi aap bhi kaisi baten karti ho. Love aur usse woh agar duniya ki akhri ladki bhi hui na
toh mai usse pyar nahi karunga. Bhala aisi bhi ladkiya hoti hai mujhe aaj pata chala. Kitna bolti hai
rukne ka naam hi nahi leti bas ek baar bolna shuru hui toh bas. Mujhe toh lagta hai ke uper wale
ne usme stop ka button lagana bhool gaya hoga.
Ajju ki baat sunke didi haste hue kahti hai.
Didi : kya baat hai bhai badi barki se muaina ( examine ) kiya hai us ladki ka. Hmm aur duniya bhar
ki burai bhi nikal rahe ho irade kya hai janab ke. Kuch baat toh zaroor hai us ladki me warna mera
bhai kisi bhi ladki ke bare me aisi baten nahi karta.
Ajju apni didi se aisi baat sunker kahta hai.
Ajju : didi agar meri jagha aap hoti toh mai guarantee ke sath kah raha hoon aap uska sar phod
deti.
Didi : accha thik hai bhai batao toh sahi ke aisa kya kiya hai us ladki ne. Mujhe bhi toh pata chale
ke aisa kya kiya hai us ladki ne jiske liye agar tumhari jagha mai hoti toh uska sar phod deti.
Ajju apni didi ki baat sunker unko mahi se hui puri baat sunata hai. Jise sunker uski didi pahle toh
khamosh rahti hai phir haste hue kahti hai.
Didi : ( haste hue ) bhai mujhe yahi sonch kar hasi arahi hai ke itne bade businessmen ke bete ko
woh ladki chor aur mangne wala kahgayi. Aur tum use kuch bhi nahi bol paye. Manna padega us
ladki ko mai toh fan hogai uski ek baar zaroor milna chahungi us ladki se.
Ajju apni didi ko aise haste hue dekh kar kahta hai.
Ajju : haan haan haslo haslo apko toh bada maza araha hai uski baten sunkar aur agar dubara
woh mujhe milgayi na toh mai use bataonga ke mai kya cheez hoon.
Ajju ki baat sunke ajju ki didi apni hasi ko rok kar kahti hai.
Didi : bhai kuch bhi kaho ladki me dam toh bohat hai. Warna aaj ke zamane me kon kisi ke liye
aise kisi se bhi ladta hai. Tumhi soncho jaha aaj ke zamane me bhai bhai ki jaan ka dushman hai
log ek dusre ki jaan lene se pahle ek baar bhi uske pariwar ke bare me nahi sonchte. Aise mahol
me woh ladki kisi aur ke liye tumse ladi toh isme ghalat kya hai. Haan uski ghalti ye hai ke usne
tumhe bina wajha ulta sidha suna diya. Use pahle tumse puchna chahiye tha ke baat kya hai phir
kuch kahti. Magar uski bhi ghalti nahi hai aaj kal log kisi ko bhi takkar mar kar chale jate hai.
Mere hi hospital me aise bohat se case ate hai jinhe log takkar mar kar marne ke liye chodh kar
chale jate hai. Aise me agar usne tumse kuch kah bhi diya toh kya hogaya.
Ajju apni didi ki baton ko ghorse sunta hai phir kuch sonch kar kahta hai.
Ajju : aap sahi kahrahi ho didi shayed mai kuch ziyada hi react karraha tha. Uski bhi ghalti nahi
thi us situation me agar koi aur bhi hota toh shayed woh bhi aisa hi karta. Magar usko bhi pahle
agey wale ki baat sunni chahiye. Ye toh accha hua waha per mai tha agar koi aur hota toh baat
bigad sakti thi.
Ajji ki didi ajju ki baat sunker kahti hai.
Didi : kya baat hai badi jaldi meri baat samhaj me agayi aur uski side bhi lerahe ho. Abhi toh usko
boaht kuch kah rahe the. Eradey toh nek haina janab ke kahi dil wil toh nahi agaya.
Ye kahke ajju ki didi hasti hai jise dekh ke ajju bura sa muh banakar kahta hai.
Ajju : ye kya baat hui didi pahle aap hi uski side leti ho aur jab mai aap ki baat ko maan raha hoon
toh aap mera mazak uda rahi ho. Apko toh pata hai na meri life me ab kisi aur ke liye jagha nahi
hai. Mujhe uske siwa koi aur nazar nahi ata.
Puchege zaroor unse ke ye ishq kaisa hai.
Nazron se door rah kar ye ishq kaisa hai.
Ati nahi kya unko kabhi humari yaad.
Unke baghair ye be-inteha ishq kaisa hai.
Ye sher kahte hue ajju ki ankhen nam hojati hai. Jise dekh kar ajju ki didi ki bhi ankhen nam hojati
hai.
Ajju ko is tarha dekh kar ajju ki didi kahti hai.
Didi : bhai mai toh bas mazak kar rahi thi. Mujhe laga tumko bhi accha lagega agar tumko meri
kisi bhi baat se bura laga ho uske liye sorry bhai.
Ye kahke ajju ki didi apna sar ajju ke shoulder per rakh deti hai. Ajju bhi apni didi ki baat sunker
apne aap ko sambhal kar apni ankhen saaf karke kahta hai.
Ajju : aap sorry kyun kah rahi ho didi. Mai hi mazak mazak me serious hogaya. Aap ka pura haq
hai aap mujhe kuch bhi kah sakti ho. Khair ye sab chodo aur sunao aaj aap jaldi ghar ja rahi ho
aisa kyun kuch kaam hai kya ghar per.
Ajju ki didi bhi ajju ki baat sunker relax hoti hai aur kahti hai.
Didi : kaam toh kuch bhi nahi hai bas soncha aaj jaldi ghar chali jati hoon. Ghar jakar thoda relax
karongi.
Ajju : mujhe toh daal me kuch kala nazar araha hai. Kyun ke aap hospital se kabhi bhi jaldi ghar ko
nahi jati aur aap aaj kuch ziyada hi khush nazar arahi ho. Hmm. Baat kya hai.
Ajju ke aisa kahne se ajju ki didi hasti hai aur haste hue kahti hai.
Didi : kyun bhai mai kya kabhi khush nahi rahti ya phir mai kaam se jaldi ghar ko nahi jasakti. Mera
dil aaj ghar jaldi Jane ko hua toh mai jarahi hoon bas aur khush toh mai humesha hi rahti hoon
tumne hi shayed dhiyan nahi diya hoga.
Ajju : haan haan mujhe pata hai aap kitna khush rahti ho aur kitna nahi aur rahi kaam ki baat toh
aap bhi janti ho aur mai bhi janta hoon ke aap ko ye job kitni pasand hai. Khair jo bhi khichdi aap
paka rahi ho woh toh ghar jane per pata chal hi jayegi phir bina wajha sonch kar kyun pareshan
hona.
Ye kahke ajju chup hojata hai aur ajju ki didu bhi ajju ki baat sunker muskurati hai per kuch kahti
nahi.
Aise hi thodi der me dono ghar pohanch jate hai. Ajju car ko door ke samne rokta hai toh uski
didi utar jati hai aur ajju car ko garage me park karne chala jata hai.
Ajju car park karke jab door ke paas ata hai toh dekhta hai ke door lock hai aur didu bhi waha
per nahi hai toh ajju bell bajata hai thodi der baad door khulta hai aur koi ajju ke uper kud jata hai.
Jisse ajju hadbada jata hai. Aur jo ajju ke upper kuda hua hai use dekh kar ajju chonk jata hai.
Aaj ke liye itna hi.
Dekhte hai ke ajju aur mahi ki agli mulakat kaisi hoti hai. Kya hoga jab dono ki dobara mulaqat
hogi.
Agey janne ke liye bane rahe BE-INTEHA ISHQ Ke sath aap ka apna MAQ.
Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI ( MAQ).
update kasia laga comment karke zarur batana.