Update - 9
Aaj ki subha badi hi khush gawar thi suraj apni kirnon ko phaelaye asmaan me roshni bikher raha tha aur chidyon ki cheh chaha hat asmaan me gunj rahi thi. Ye sab mahi apne ghar ki window se dekh rahi thi. Aaj subha usne uth kar fresh hui aur sabse pahle fajr ki namaz ada ki. Namaz padne ke baad apni window khol kar khudrat ka haseen nazara dekhne lagi.
Phir neeche jakar apni ammi ki madad ki aur office jane ke liye ready huyi. Mahi waqt se pahle hi ready ho gayi thi. Woh nahi cahti thi office ke pahle hi din late hojaye. Mahi apna first impression accha dena chahti thi. Woh kahte hai na You never get a second chance to make a first impression. Ye sonchte hue mahi aaj time per apne office pohanch na chahti thi.
Mahi ready hokar neeche ati hai aur apne ammi ke paas jati hai jo kitchen me kaam karrahi thi.
Mahi : accha ammi ab mai chalti hoon mai office ke pahle hi din late nahi hona chahti.
Khairoon bee: acchi baat hai magar zara ruk.
Ye kah kar khairoon bee mahi ko dahi shakkar khilati hai aur kahti hai.
Khairoon bee: ab jaa kuch bhi accha kaam karne sa pahle muh meetha karna chahiye. Acche se kaam karna aur waha per sabhi se acche se ghul mil jana aur apna khayal rakhna.
Khairoon bee aur bhi bohat kuch kahti magar mahi beech me rok deti hai.
Mahi : ammi ab bas bhi karo mai koi choti bacchi hoon jo ab aisi nasihaten karrahi ho. Aur haan mai apna khayal pura khayal rakhongi. Aap bas mere liye dua kijiye aap ki duain hi meri kamiyabi me madad karti hai. Accha ammi ab mai chalti hoon bye Allah hafiz.
Khairoon bee: accha thik hai sambhal kar jana. Mujhe pata hai tujhe accha nahi lagta mera tujhe nasihaten karna magar kya karon teri fikar rahti hai. Khair khayal rakhna apna allah hafiz.
Mahi apni ammi ki baat sunkar muskurati hui bahar ajati hai. Bahar raheem chacha bhi usko pahle din ke liye dua dete hai. Bahar jabeen bhi milti hai woh bhi mahi ko best of luck kahne hi ayi thi.
Mahi bahar akar bus stop per khadi hoti hai thodi hi der me bus ajati hai. Mahi bus me baith jati hai aur phir thodi hi der me mahi apne office pohanch jati hai.
Mahi office building ko ek baar dekhti hai aur andar chali jati hai. Jaha reception per miss reshma baithi hui thi. Mahi unke paas jakar kahti hai.
Mahi : assalamu alaikum madam.
Miss reshma bhi mahi ko khush dili se jawab deti hai.
Miss reshma: wa alaikum assalam beta. Welcome mahi bilkul correct time per ayi ho. Pahle toh aaj ke first day ke liye best of luck. Aur aaj tumhara pahla kaam bhi agaya hai. Ye lo files aur isse acche se study karke ek file banao iske uper. Tumhe koi problem toh nahi hai na. Kyun ke ate hi maine tumhe kaam bata diya.
Ye kahte hue miss reshma hasti hai.
Mahi : thanks madam. Isme problem ki kya baat hai. Ye toh aur bhi acchi baat hai ke mujhe pahle din bore nahi hona padega. Laiye files mujhe dijiye mai inhe check karleti hoon.
Mahi ki baat sunkar miss reshma muskurati hai aur sath me mr faisal bhi muskurate hue ate hai. Mahi mr ko waha dekh kar unko bhi wish karti hai. Indono ko muskurate hue dekh kar mahi ko kuch bhi samhaj nahi ata toh mahi puchti hai.
Mahi : aap log muskura kyun rahe ho maine kuch ghalat kahdiya kya ?
Mahi ki baat ka jawab mr faisal dete hai.
Mr faisal: kuch ghalat nahi kaha tumne ye tumhara ek chota sa test ths jisme tum pass hogayi.
Mahi ko mr faisal ki baat samhaj nahi ati. Ye baat mr faisal bhi samhaj jate hai isi liye woh mahi se kahte hai.
Mr faisal: darasal baat ye hai mahi ke tumne humse kaha tha na ke freshers ko bhi ek chance dena chahiye toh maine tumhe apne risk per job dilwayi toh mai dekhna chahta tha ke kya tum wakhai me chance ki haqdar ho ya nahi. Maine tumhe job dekar koi ghalti toh nahi ki. Bas isi liye ye ek chota sa test tha. Jisme tum pass hogayi.
Mahi : magar kaise ? mujhe bhi toh bataiye ke mai kaise pass hogayi.
Mr faisal: well tum pass aise hui ke jo files tumhare hath me hai woh sab bekar files hai. Ye bas tumhe test karne ke liye kuch bekar files ko use kiya tha. Darasal baat ye hai ke aaj kal ke bachche job ke pahle din apne apko adjust karne me laga lete hai. Unka pahla din toh logon se pahchan banane ya office dekhne me hi khatam hojata hai. Agar unhe ate hi kaam dediya jaye toh woh ghabra jate hai ya chid jate hai. Magar tumne khushi khushi kaam ko accept karliya isi liye tum pass hogayi.
Mahi : agar mai ghabra jati ya chid jati toh aap kya karte.
Mr faisal: abhi abhi jis gate se tum andar ayi ho usi se tumhe wapas Jana padta tha.
Khair ye sab files tum inhe wapas kardo aur mere sath aou.
Mahi files ko miss reshma ko wapas dekar mr faisal ke sath chali jati hai. Mr faisal mahi ko apne sath apne cabin me lejate hai aur kuch files dekar kahte hai.
Mr faisal: mahi ye files purane tender ki hai jo hume nahi mila hai tum usme se kuch points ko note karke ek naye tendar ki file bana kar mujhe do. Aur haan yaad rahe ye tender ab tak humare hath nahi aya hai toh tumhe iska pura dhiyan rakh kar quota bharna hai. Samhaj gayi.
Mahi : yes sir mai samhaj gayi. Mai puri koshish karongi ke iss baar ye tendar hume hi mile.
Mr faisal: mujhe bhi tumse yahi ummid hai. Ab tum ye file lekar iske baad ke next cabin me chali jao tumhara desk wahin per set kardiya hai.
Mahi mr faisal se file lekar baher ati hai aur paas ke cabin ke samne khadi hokar dekhti hai jis per ek name plate thi. Naam tha M.A AZEEM QURESHI. Mahi cabin ke undar jati hai aur cabin ko charo tarf se dekhti hai. Pura office white aur purple colour se decorate kiya hua tha or pura office luxurious tha. Mahi office ko dekh kar bohat khush hoti hai aur apne desk per jakar baith jati hai aur file ko check karne lagti hai.
___________________________________________
Ajju side :
Idhar ajju neend me apni purani zindagi ji raha tha woh neend me bhi muskura raha tha. Uske chahre per iss waqt wahi muskaan thi jab usne alfisha ko pahli baar dekha tha. Achanak alarm ke bajne se ajju ki neend toot jati hai. Ajju uth kar alarm band karta hai aur bed se tak laga kar baith jata hai. Phir apne drawer se alfina ki photo nikalta hai aur kuch der dekhne ke baad usko wapas rakh deta hai. Phir ajju fresh hokar joging ke liye nikal jata hai. Thodi hi der me joging se wapas ajata hain aur ready hokar neeche akar breakfast karta hai.
In breakfast:
Ajju : dad aaj mai office nahi araha.
Dad : kyun beta sab thik toh haina.
Mom : ( thoda sa tense hote hue ) kya hua beta teri tabiyat toh theek hai na.
Didi : haan bhai bol na kya hua hai tujhe.
Muneeza : haan bhaiya kya hua hai aap ko.
Ajju : are aap log mujhe bolne denge tabhi toh bolunga na.
Mom: haan toh bolna kya hua hai tujhe.
Ajju : relax mom mujhe kuch nahi hua hai mai aaj office is liye nahi jaraha mujhe kuch or kaam se kahi aur jana isi liye bola.
Dad : hmm toh kaha jarahe ho. Kahi koi date wiat ka toh programme nahi hai.
Ajju : kya dad aap bhi kaisi baten karte ho. Apko toh maloom hai na mujhe ye sab cheezen pasnad nahi hai.
Dad : kyun bhai kyun pasand nahi hai. Are bhai aaj kal toh tumhari umar ke ladke ladkiyon ko ghumna phirna hi toh pasand hai aur ek tum ho ke baas kaam kaam karte rahte ho. Are bhai yahi toh umer hai ghumne phirne ki ab nahi karonge toh kab karoge. Kaam toh umer bhar hi karna hai.
Mom : aur nahi toh kya har waqt bas kaam me hi laga rahta hai. Thoda waqt khud ke liye bhi nikal liya kar.
Ajju : kya mom aap bhi dad ka sath derahi ho mujhe laga aap dad ko kuch kahogi magar aap toh ulta mujhe hi gyan detahi ho.
Didi: mom aur dad sahi kah rahe hai bhai tumhe apne bare me bhi sonchna chahiye aise hi kaam me lage rahe toh kaise chalega.
Muneeza: haan bhaiya ye toh acchi baat nahi ke aap apna khayal nahi rakhte.
Ajju sabhi ki baten sunkar kahta hai.
Ajju: are aaj sabko ho kya gaya hai. Aap sabhi mere peeche kyun pade ho mai ek dam mast hoon aur apni life ko bohat enjoy kar raha hoon. Khair ye sab chodiye mai aaj apni mills me jaraha hoon. Mujhe khabar mili hai ke waha per kuch problem chal rahi hai. Mai dekh kar ata hoon ke waha per kya problem kya hai.
Dad : thik hai jao aur sath me ahmed aur imtiyaz ko bhi le jana.
Ajju : haan woh bhi arahe hai. Unke project me abhi time hai toh woh log abhi free hi hai. Thik hai mai nikalta hoon.
Ye kah kahkar ajju apne room me jata hai aur apni car ki key lekar baher nikalta hai.
Mom : dekh kar jana beta apna aur undono ka khayal rakhna.
Ajju : thik hai mom bye allah hafiz.
Ajju sabhi ko bye kahke nikal jata hai aur ajju ke jate hi sabhi apne apne kamon ko nikal jate hai.
Ajju pahle ahmed phir imtiyaz dono ko pick karke apne destination ki taraf nikal jata hai.
___________________________________________
Mahi side:
Mahi apni apne kaam me itni masroof hojati hai use time ka pata hi nahi chalta aur lunch time hojata hai. Use toh tab pata chalta hai koi use akar awaz deta hai. Mahi apni file se nazar utha kar dekhti hai ek shaks khada hai jo full suit boot me hai. Mahi ko pata tha ke ye uske boss hai.
Isi liye jaldi se uth jati hai aur kahti hai.
Mahi : good morning sir.
Mahi ki baat sunkar pahle woh shaks mahi ko uper se neeche tak dekhta hai aur phir apni ghadi me dekh kar kahta hai. Ye koi aur nahi ajju ke dad aur A.S GROUP OF INDUSTRIES Ke chair man Mr M.A Ghani hi they.
Dad : hmm goodmorning mujhe lagta hai aap ko abhi bhi morning hi lag rahi hai. Aap ko bata doon ke iss waqt time 2 'O' clock horahe hai. Or iss waqt morning nahi afternoon hai.
Mahi ajju ke dad ki baat sunkar apni watch me time dekht hai aur use bhi hairani hoti hai ke use waqt ka pata hi nahi chala. Mahi jaldi se kahti hai.
Mahi : sorry sir mujhe time ka pata hi nahi chala isi liye aap ko good morning kaha good afternoon sir.
Dad : very good afternoon. Miss mahira Chaudhary yahi naam haina apka.
Mahi : yes sir.
Dad : kya aap ko pata hai mahira insaan ko time ka pata tab hi nahi chalta ya toh woh bohat masroof hota hai ya phir chain se sota hai. Toh aap indono me se kya karrahi thi.
Mahi dad ki baat sunkar pahle toh ghabra jati hai ye sonch kar ke isko pahle hi din ye sab baten sunne ko milrahi hai. Phir mahi apne aap ko mazboot karke kahti hai.
Mahi : sir mujhe samhaj nahi araha aap aisa kyun kah rahe hai magar mai aap ko bata doon ki mai is tarha ki ladki nahi ke kaam per aker time pass karon ya sojaon. Mai yaha per kaam karne ayi hoon toh kaam hi karongi koi mujhe dekhe ya nahi mujhe isse koi farq nahi padta. Mujhe farq sirf iss baat se padta hai ke agar me salary le rahi hoon toh kaam bhi puri imandari se karon.
Ajju ke dad mahi ki baat se impressed hote hai. Magar dikhate nahi aur kahte hai.
Dad : agar yahi baat hai toh dikhaye ke aaj apne kya kaam kiya hai mai bhi dekhna chahta hoon ke aap itna kaam me busy thi ke aap ko time ka pata bhi nahi chala. Toh iska matlab apne bohat kaam kiya hoga.
Ajju ke dad ki baat sunkar mahi unko mr faisal ki di hui file per kiya hua kaam dikhati hai. Jise dekh kar ajju ke dad khush hokar kahte hai.
Dad : ( khushi se ) hmm bohat accha kaam kiya hai tumne mahira. Ye jis file per tum kaam karrahi ho uska tender hume bohat time se nahi milraha hai. Magar tumhari file dekh kar lagta hai iss baar ye tender hume hi milega. Very good chalo auo mere sath lunch ka time hogaya hai. Lunch karte hai.
Mahi ajju ke dad ki baat sunkar khush hojati hai. Magar last baat sunkar thoda chonk jati hai. Kyun ke ek toh uska aaj pahla din tha aur mahi abhi ajju ke dad se hui baat se thoda nervous ho gayi thi. Mahi ko kuch na bolte dekh ajju ke dad kahte hai.
Dad : are chalo bhai tumne bohat accha kaam kiya hai. Mujhe toh bohat zor ki bhook lag rahi hai Kya tumhe bhook nahi lag rahi ya mere sath ane me kuch problem hai.
Mahi : magar mai kaise sir aap ke sath.
Ajju ke dad mahi ki situation ko samhaj jate hai. Isiliye kahte hai.
Dad : dekho mahira hum sab yaha per ek family ki tarha rahte hai. Sabhi ek dusre ko family ki hi tarha samhajte hai. Isi liye apne dilse ye jhijak nikal do aur kaam ko enjoy karo. Maine thodi der pahle jo bhi kaha woh bas tumhe parakne ke liye kaha tha. Mr faisal ne tumhare bare me mujhe bohat kuch bataya hai toh mai khud tumhe check karna chah raha tha. Isi kiye tumhe woh sab baten kahi. Toh ye sab sonchna chodo aur mere sath chalo aur lunch karo.
Mahi bhi ajju ke dad ki baat sunkar relax hojati hai aur unke sath lunch karne chali jati hai.
___________________________________________
Ajju side :
Ajju apne doston ke sath apne mills me jata hai. Yaha per total teen mill hai jis me kapda banaya jata hai. Iss mill me bohat se log kaam karte hai jinke liye ajju ke dad ne ek basti bana kar di hai.
Ajju ke waha per pohanchte hi waha ka manager ajju ke welcome ke liye ata hai. Aur ajju ko sidha office room me lejata hai.
( Is manager ka naam riyaz hai. Ye ek number ka nihayati kameene kisam ka insaan hai. Yaha per kaam karne walon per apna rob jamata hai aur inse zabardasti extra kaam karata hai aur na kare toh kaam se nikal dene ki dhamki deta hai. Aur extra kaam karne ki tankha bhi nahi deta. Ye sab kuch ajju aur uske dad ko nahi pata tha. Kyun ke woh yaha per ziyada atey nahi they. Agar atey bhi toh woh unko akela nahi chodhta tha. kisi bhi labour ke sath akele me baat karne nahi deta aur sabhi labour usse darte they. Kyun ki usne sabhi ko kahdiya tha ke agar kisi ne bhi mere bare me malik ( owner ) se shikayat ki toh woh usey sirf kaam se hi nahi us basti se bhi nikalwa dega isi liye sabhi usse darte they. ).
Manager : kahiye sir aaj yaha kaise ana hua agar kuch kaam tha toh mujhse kah dete mai khud ajata aap ne aneki takleef kyun ki.
Manager chaplusi karte hua kahta hai. Jise dekh kar ajju ki jagha imtiyaz kahta hai.
Imtiyaz: kyun bhai humara yaha ana tumhe accha nahi laga kya.
Manager: are kaisi baten karte hai sir aap mujhe bhala kyun accha nahi lagega. Mai toh sirf is liye kah raha tha ke aap bade logon ke paas time kaha hota hai. Agar kuch kaam hai toh mujhe bulaliya hota. Bas isi liye kaha.
Ahmed: accha mujhe toh aisa nahi lagta ke tum isi liye kah rahe ho mujhe toh kuch or hi lagta hai.
Ahmed ki baat sunkar manager ko pasina ajata hai. Usey lagta hai ke kisi ne uski shikayat ki hai. Isi liye woh ghabra jata hai. Usko is tarha ghabraya hua dekh kar ajju kahta hai.
Ajju : ab bas karo tum dono kyun pareshan kar rahe ho inko. Riyaz bhai aap relax hojaiye ye dono bas apse mazak karrahe hai.
Ajju ki baat sunkar manager relax hojata hai.
Ahmed: kya yaar ajju tu thodi der khamosh nahi rah sakta tha. Kitna maza araha tha.
Imtiyaz: haan yaar bade dinon baad toh koi haat aya tha thode toh maze lene deta. Pura maza kirkira kar diya.
Ajju : chup hojao tum dono hum yaha per maze lene nahi kaam karne aye hai. Toh pahle kaam karlenge phir maze bhi karenge.
Ajju ki baat sunkar ahmed aur imtiyaz bura sa muh banate hai. Jise dekh kar ajju ko hasi ati hai.
Ajju : haan toh riyaz bhai mujhe yaha ke teeno millon ( mills ) ka jaiza lena hai aur baad me basti me bhi jana hai. Agar apko problem na ho to.
Manager ajju ki baat sunkar ab pahle se bhi ziyada ghabra jata hai magar woh apne apko sambhal kar kahta hai.
Manager: kaisi baten kar rahe hai sir aap mujhe kyun problem hogi. Aap ki mills hai aap kabhi bhi dekh sakte hai. Thik hai sir mai aap ko le chalunga.
Ajju : thik hai toh abhi chalte hai.
Manager: are itni jaldi kya hai sir pahle chai nashta toh kar lijiye. Uske baad hum chalenge mill ki taraf.
Ajju : nahi riyaz bhai hum log ghar se karke aye hai. Ab seedha lunch hi karenge.
Phir charon milkar mill ki taraf jate hai. Ajju sabhi taraf dhiyan se dekh raha tha. Woh jaha se bhi jaraha tha log usko salam karrahe they ajju bhi bade adab ke sath jawab de raha tha. Thodi hi der me ye log pahli mill me pohach jate hai. Yaha per bhi ajju acchi tarha se jaiza leraha tha. Sabhi log kaam karrahe the ajju ghoom ghoom kar kaam karne walon se baten karraha tha aur unse unka haal chal leraha tha. Sabhi log kahna toh bohat kuch chah rahe they magar manager ki wajha se bol nahi parahe they. Aise hi ghoom ghoom kar do mills me kaam karne walon se baten karte jata hai. Jab teesri mill me ajju jata hai toh waha per bhi kuch khas nahi hota sab se haal chal puchta hai aur mill ka jaiza leta hai. Jab akhri mill se ajju bahar ane ko hota hai toh ajju ek jagha per ruk jata hai. Ajju ko ruka hua dekh kar manager puchta hai.
Manager: kya hua sir aap ruk kyun gaye.
Ajju : riyaz bhai humari mills me kaam karne wali aurton ko kya kya facilities dijati hai zara ek baat batana.
Manager ajju ki baat sunkar pahle charo taraf ka jaisa leta hai ke akhir aisa kya dekh liye hai ajju ne ke ye sawal kiya hai usne. Use kuch bhi nazar nahi ata toh usko puri delivery hone tak mill me kaam na karne ki permission hai aur uski tankha har mahina usko dedi jayegi. Aur bhi bohat si facilities hai. Magar aap ye sab kyun puch rahe ho jab ke ye sab facilities toh apne khud banayi hai.
Ajju : kyun ki mujhe nahi lagta ke in facilities ke bare me inlogo ko maloom bhi hai.
Manager: kyun sir kya hua hai.
Ajju : chaliye aiye mere sath mai aap ko dikhata hoon ke mujhe kya hua hai.
Ajju bohat serious hokar ye sab kahta hai. Jise dekh kar manager ki halat kharab hojati hai. Aur idhar imtiyaz aur ahmed bhi samhaj jate hai ke ab zaroor kuch hone wala hai kyun ke ajju bohat kam hi itna serious hota hai aur jab serious hota hai toh bohat kuch kar jata hai.
Ajju ek taraf chalne lagta hai aur uske peeche peeche teeno bhi jane lagte hai. Ajju chalte hue ek lady ke paas jakar ruk jata hai jise dekh kar manager ke pasine chuthne lagte hai.
Darasal jab ajju mill se nikal raha tha toh usne ek pregnant lady ko kaam karte hue dekha. Jab ke yaha per pregnant ladies ko kaam per ane ki permission hi nahi hai. Unko ghar per hi sab kuch pohcha diya jata hai aur unki salary bhi nahi kati jati. Isi liye ajju ne manager se ladies ki facilities ke bare me pucha ek tarha se yaad dilaya.
Ajju : jab humare paas ladies ke liye itni sab facilities hai toh ye yaha per kya karrahi hai mr riyaz.
Ye sab ajju ne bohat hi zorse kaha tah jise sunkar riyaz buri tarha daar jata hai aur usse kuch kahte nahi banta. Magar phir bhi riyaz haklatey hue kahta hai.
Manager: wo...h w...oh s...i...r ba...at y....e ke kuch log humari baat nahi sunte.
Ajju riyaz ki baat sunkar us lady se puchta hai.
Ajju : kya aap ko pata nahi ke yaha per pregnant ladies ko kaam karne ki permission nahi hai.
Woh lady ajju ki baat sunkar daar jati hai. usse lagta hai ke ajju use kaam na karne ke liye kah raha hai. Isi liye rote hue kahti hai.
Lady : hume maaf kardo malik humko kaam se math nikalo warna humare bachche bhooke marjayege. Hum apke hath jodte hai pair padte hai malik humko kaam se math nikalo.
Us aurat ki rone ki awaz sunkar aas paas ke sabhi kaam karne wale kaam chodh kar uske paas ajate hai. Ajju bhi us aurat ke aise rone aur kaam se na nikal ne ki baat sunkar hairan hojata hai. Ajju kuch kahta usse pahle manager kahta hai.
Manager: ye kya rona dhona laga rakha hai chup hojao aur tum sab yaha kya karrahe ho jao aur apne apne kaam karo.
Manager apni ghalti chupane ke liye un logon per gussa karte hue darata hai ye sonch kar ke uske aisa karne se sab apne apne kaam per chale jayege aur woh kisi na kisi tarha ajju ko pata kar yaha se bhej dega. Magar manager ki sonch ghalat sabit hoti hai. Un kaam karne walon me se ek ladka jo ajju ki hi umar ka tha woh manager se kahta hai.
Ladka : kyun chale jaye hum yaha se hum nahi jayege jab tak humko pata nahi chal jata ke yaha kya horaha hai. Hum kahi nahi jayege. Hum tumko manmani isi liye karne dete hai kyun ke agar tumne hume kaam se nikal diya toh hum road per ajayege aur humare gharwale bhooke marjayege lekin agar tum apni manmani aurton per karoge toh hum chup nahi baithege chahe iske liye hume kuch bhi kyun na karna pade.
Ajju pahle us aurat ke rone se hairan tha ke manager ka aisa rawaiya kaam karne walon ke sath dekh kar aur bhi hairan hota hai. Magar usse bhi ziyada hairan us ladke ki baten sunkar hota hai. Idhar ahmed aur imtiyaz bhi pareshan hojate hai ye sab dekh kar.
Manager us ladke ki baat sunkar gusse me ajata hai magar situation ko samhajte hue bade pyar se kahta hai.
Manager: are bhai ye tum kaisi baten karrahe ho yaha per kon kis per manmani karraha hai. Bhala mere hote hue hai kisi ki majal jo kisi per bhi manmani kare.
Sabhi manager ke iss badle hue rang ko dekh kar dang rahjate hai. Kaha ye logon ko galiya de kar zalil karne wala aaj meethi meethi baten karraha hai. Magar ajju samhaj jata hai aur us ladke se kahta hai.
Ajju : suno bhai kya naam hai tumhara aur kon tum per manmani karraha hai.
Woh ladka ajju ki baat ka jawab deta usse pahle manager kahta hai.
Manager: are sir aap bhi kiski baton ko sunrahe hai. Ye log toh aise hi kuch bhi bolte rahte hai. Aap chaliye mere sath.
Agar koi bhi problem hogi toh mai hoon na sab sambhal longa.
Ajju manager ki baat sunkar usko ghoor kar dekhta hai. Jise dekh kar manager ki phat jati hai aur woh samhaj jata hai ke uska bhanda phutne wala hai. Isi liye khamosh hojata hai. Ajju us ladke se phir kahta hai.
Ajju : haan toh tum kya naam hai tumhara aur kon tum logon per manmani karraha hai.
Ajju ki baat sunkar woh ladka ek baar manager ki taraf dekhta hai jise dekh kar ajju us ladke se kahta hai.
Ajju : tumhe darne ki zarurat nahi hai. Mujhe toh tum jante hi hoge toh bejhijak kaho jo bhi kahna hai.
Ajju ki baat sunkar iss baar woh ladka kahta hai.
Ladka : humara naam honey singh hai hum yaha per kafi samay se kaam rahe hai sahab. Ye manager sahab na hum sab per bohat manmani chalate hai. Kabhi bhi humko overnight karne ko bolte hai aur uske paise bhi nahi dete agar koi unse paise mange toh kaam se nikal ne ki dhamki dete hai. Ye hi nahi basti me se bhi nikal ne ki dhamki dete hai. Agar koi inke khilaf bole toh unki tankha bhi nahi dete.
Ajju honey singh ki baat sunkar dang rah jata hai use yakeen nahi horaha tha ke uski mill me ye sab horaha hai aur usey khabar hi nahi. Ajju gusse se manager ko dekhta hai magar kahta kuch nahi. Phir ajju us lady ke paas jata hai aur usse puchta hai.
Ajju : kya aap ko pata nahi ke humari mill me pregnant ladies ko kaam karne ki manai hai.
Ladies: pata hai malik magar hum kya kare humare bhi chote chote bacche hai agar kaam nahi karenge toh khayenge kya.
Ajju : are kaam karne ki manai hai matlab aap kaam per nahi asakti magar apko puri subhida meligi aur tankha bhi milegi. Kya ye bhi aap sab ko nahi pata tha.
Lady : nahi malik hume nahi pata ye subhida ke bare me agar pata hota toh hum kyun ate yaha per kaam karne itini takleef utha kar. Agar humari baat ka yakeen nahi toh kisi se bhi puch sakte hai aap.
Ajju us lady ki baat sunkar manager ki taraf dekhta hai toh woh apna chahra neeche karleta hai jisee ajju samhaj jata hai ke is facility ke bare me isne inko nahi bataya.
Ajju waha per kaam karne se kahta hai.
Ajju : iski taraf se mai aap sab se maafi magta hoon ke humare hote hue bhi aap sabko itni takleef utha ni padi aur humko is sabki khabar hi nahi thi. Lekin ab aap sab befikar hojaye mai sab kuch thik kardunga.
Ye kahkar ajju sab ki taraf dekhta hai toh sabke chahre per khushi thi jise dekh kar ajju ko bhi khushi hoti hai. Phir ajju honey singh se kahta hai.
Ajju : honey singh kya tum mera ek kaam karoge.
Honey singh: are sahab aap aisa kyun kah rahe ho aap bas hukum karo.
Ajju: tum jakar apne mills me jitne bhi log kaam karte hai unhe ek jagha ekhatta karo aur kaho ke mai unse kuch baat karna chahta hoon.
Honey singh thik hai kahker chala jata hai. Ajju bhi mill se nikal kar ahmed aur imtiyaz ke sath riyaz ko lekar chala jata hai jaha per labours se baat karne wala tha.
............................................To be continued.
Agey ka part next update me agey janne ke liye mere sath bane rahe BE-INTEHA-ISHQ ke sath apka apna MAQ.
Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI ( MAQ ).
Update kaisa laga comment karke zarur batana.