- 429
- 518
- 109
Update 7.
Mahi side :
Mahi khushi khushi orphanage ke gate se andar ati hai toh samne raheem chacha baithe hue the. Mahi unke paas jati hai.
Mahi : Assalamu alaikum raheem chacha kaise hai aap.
Raheem chacha : wa alaikum assalam beta mai toh ke dam first class hoon tum batao aaj badi khush nazar arahi ho kya baat hai.
Mahi : mai bhi ek dam first class hoon aap hi ki tarha aur haan apne sahi pehchana mai aaj bohat khush hoon.
Raheem chacha : haan woh toh laghi raha hai tumhare cahre se humko bhi batao baat kya hai.
Mahi : ( khushi se )baat ye hai ke mujhe job milgayi hai aur woh bhi is shaher ki sabse badi company me.
Raheem chacha : are wah ye toh sach me bohat khusi ki baat hai. Boaht bohat mubarak ho beti allah tumhe aise hi har jagha kamiyabi ata farmaiye. Is baat per toh muh meetha hona chahiye aaj toh hum tumahre hath ka gajar ka halwa zaroor khayenge.
Mahi : ameen raheem chacha aur haan apko aaj mere hath ka gajar ka halwa zaroor milega.
Ye kahke mahi agey badjati hai aur apne ghar me jati hai jaha is waqt miss nadiya sofe per baith kar kuch papers check kar rahi thi. Mahi unko dekh kar unke paas jati hai aur kahti hai.
Mahi : assalamu alaikum madam.
Miss nadiya ek nazar mahi per dalti hai aur phir apne papers ko check karti hui kahti hai.
Miss nadiya : wa alaikum assalam kaho kya baat hai.
Miss nadiya ke aise puchne se mahi ka jo chahra is waqt khusi se khila hua tha wo murjha jata hai aur mahi kuch nahi kahti. Mahi ke kuch na kahne se miss nadiya ek baar aur mahi ki taraf dekhti hai aur phir kuch sonch kar kahti hai.
Miss nadiya : aaj tumhara interview tha na kya hua uska. Pass hui ya fail ? Aur tumhe kya hua abhi toh bohat khush nazar arahi thi phir achanak kya hogaya tumhara cahra kyun latak raha hai.
Mahi miss nadiya ki baat sunkar kahti hai.
Mahi : ji mera seletion hogaya hai. Mai aaj interview me pass hogayi hoon.
Mahi ki baat sunker aur uske cahre ko dekh kar miss nadiya kahti hai.
Miss nadiya : are wah ye toh badi khushi ki baat hai toh phir tumahra cahra kyun lakta hua hai. Mere aise puchne se tumko toh maloom haina beta mujhe kitna kaam rahta hai aur mai bhool gayi thi ke aaj tumhara interview hai. Khair chodo ye baaton ko bohat bohat mubarak ho tumko aur is baat per toh muh meetha hona chahiye aur mujhe toh tumhare hath ka gajar ka halwa khana hai jao jaldi se apni ammi ko bhi ye khush khabri dekar mere liye gajar ka halwa bana kar lao.
Mahi miss nadiya ke aise ravaiye ko dekh kar chonk jati hai aur khush bhi hojati hai. Khush bhi kyun na ho aaj kai dini baad miss nadiya ne usse aise baat ki hai. Mahi bhi khushi se kahti hai.
Mahi : shukriya madam mai ammi ko bata kar jaldi se aap ke liye halwa banakar lati hoon.
Ye kahker mahi jaldi jaldi kitchen ki taraf jati hai jaha is waqt khairoon bee kuch kaam karrahi thi.
Mahi ke jane ke baad miss nadiya apne aap se kahti hai.
Miss nadiya : ( apne aap se ) hayyy ye yateem bacche bhi na kitne masoom hote hai inko bewakoof banana kitna asaan hota hai zara si mohabbat dikhao ye pighal jate hai. Bechari mahi isko nahi pata ke mai isko is waqt itni mohabbat se kyun baat karrahi hoon. Ab tum mere kaam ki hogai ho toh tumse rudely kaise baat kar sakti hoon. Ab tumhi toh ho jo apni company ko is orphanage ke liye fund dilwa sakti ho.
Ye kahke miss nadiya phir se apne papers me busy hojati hai.
Idhar mahi kitchen me jakar dekhti hai toh uski ammi kitchen me bartan saaf karrahi thi mahi jakar apni ammi ko peeche gale lag jati hai aur zorse kahti hai.
Mahi : ( zorse aur khushi se kahti hai ) ammi jaan apki dua qubool hogai mujhe job milgayi hai woh bhi aisi waisi company me nahi India ke top 10 companies me se ek me.
Khairoon bee jo bartan saaf karrahi thi mahi ke aise achanak zorse chilla kar kahne se daar jati hai phir mahi ki baat sunkar khush hojati hai aur khushi se kahti hai.
Khairoon bee : kya sach me beta Allah tera lakh lakh shukar hai ke tune meri beti ko naukri diladi. Mai aajich shukrane ki namaz partiyu aur mahi beta tu bhi yaad se padlena chal jaldi se kuch toh bi meetha banainge. Aur beta tere ku bhot boht mubarak ho. Allha tere ku aisich kamiyab karendo. Ameen.
Mahi : ameen ammi mai bhi yaad se namaz parletiyu aap aisich mere wastey dua karo mai kamiyabi ki bulandiyon ko chutey jatiyu aur zara hato samme se mai aaj mere hath ka gajar ka halwa batiyu aaj raheem chacha aur maidam mereku iski farmaish kare ab dekho mai kaisa banatiyu.
Mahi khairoon bee ke sath mazak karte hue Hyderabadi me bolti hai. Jise sunke khairoon bee muskurati hui mahi ka kaan pakad ke kahti hai.
Khairoon bee : ( muskurate hue ) accha beta apni ammi ka mazak udari.
Mahi khairoon bee ke kaan pakad ne se dard hone ka natak karte hue kahti hai.
Mahi : ahhh ammi mai kaha aap ka mazak uda rahi hoon chodo na ammi mujhe dard horaha hai mai toh bas aap ki tarha bolne ka try karrahi thi.
Khairoon bee mahi ka kaan chod deti hai aur dono milker gajar ka halwa banane lagte hai. Thodi hi der me halwa tayyar hota hai. Toh mahi sabse pahle ek plate me nikal kar halwa apni ammi ko khilati hai.
Mahi : chalo ammi jaldi se muh kholo aur batao ke kaisa bana hai mittha.
Akhri line bolte hue mahi hasti hai. Khairoon bee mahi ki baat sunker hasti hai aur kahti kahti hai.
Khairoon bee : badmash apni ammi ka mazak udati hai. La idhar de mai chak ke batatiyu kaisa hai.
Ye kahke khairoon bee mahi ke hath se halwa ki plate lekar usme se mahi ko ek chammach khilati hai aur kahti hai.
Khairoon bee : bohat bohat mubarak ho allah tujhe har woh cheez se nawaze jiski tu haqdar hai.
Mahi bhi apni ammi ki baat sunkar meetha khati hai aur phir apni ammi ko khali kar kahti hai.
Mahi : ammi ye sab apki hi duaon ka asar hai jo mujhe aaj itni badi company me job mili hai.
Ye kahker mahi apni ammi ke gale lag jati hai. Mahol thoda sa emotional hogaya tha jisko normal karne ke liye khairoon bee kahti hai.
Khairoon bee : chal ab bas kar aur ye mittha lekey jakey maidam ku aur raheem chacha ku deke aaja thanda hua toh maidam bura muh banate nai toh. Aur sun ye paise lekey ja aur raheem chacha ku de aur mithai lekey auo bol.
Mahi apni ammi se paise leti hai aur unki baat sunker muskurati hui 2plate me meetha dal kar bahar ati hai ek plate madam ko deti hai aur ek plate raheem chacha ko deti hai. Raheem chacha meetha khakar kahte hai.
Raheem chacha : wah beti bohat hi accha bana hai meeta tumhare haton me toh jadu hai kitna accha halwa banati ho tum.
Mahi raheem chacha ki baat sunker muskurati hui kahti hai.
Mahi : shukriya raheem chacha mujhe khushi hui ki aap ko mere hath ka halwa pasand aya. Aur apse ek kaam tha.
Raheem chacha : haan bolo beta kya kaam hai tumko.
Mahi thoda jhijak rahi thi unko kahne me. Phir bhi kahti hai.
Mahi : woh mujhe na ammi ne paise diye they mithai lane ke liye. Agar aap free ho toh kya aap leayege mithai.
Raheem chacha mahi ki baat sunker muskurate hai aur kahte hai.
Raheem chacha : are toh isme itna sonch kar kyun kahrahi ho lao do mujhe paise mai jakar le ata hoon.
Mahi raheem chacha ko paise dekar kahti hai.
Mahi : shukriya raheem chacha aap bohat acche ho.
Ye kahker mahi ghar me wapas jati toh miss nadiya usko awaz deti hai toh mahi unke paas jakar kahdi hojati hai.
Miss nadiya : mahi beta meetha bohat accha bana tha meetha.
Mahi : shukriya madam.
Miss nadiya : aur mahi tumne bataya nahi ke konsi company me job mili hai tumhe.
Ye khake miss nadiya paas rakhe jag se pani daal kar peene lagti hai. Mahi unki baat sunker kahti hai.
Mahi : A.S GROUP OF INDUSTRIES me madam.
Mahi ki baat sunker miss nadiya jo is waqt pani peerahi thi unko thaska ( coughing ) lagta hai. Jise dekh kar mahi ek glass me pani daal kar deti hai. Miss nadiya mahi se pani ka glass le kar peeti hai aur thodi der baad relax hokar kahti hai.
Miss nadiya : kya baat karrahi ho. Kya waqai me tumhe A.S GROUP OF INDUSTRIES me job mili hai.
Mahi : ji haan madam mai sach kahrahi hoon mai apse jhoot kyun bolongi.
Miss nadiya : hmm ye toh bohat hi acchi baat hai ke tumko iss shaher ki hi nahi is mulk ki sabse badi company me job mili hai. Mujhe khushi hui ye sunkar.
Mahi miss nadiya ki baat sunkar khush hojati hai aur shukriya kah kar waha se kitchen me jati hai. Jaha is waqt khairoon bee kuch kaam karrahi thi. Mahi bartan ke stand se ek plate me halwa daal kar lejate hue apni ammi se kahti hai.
Mahi : ammi mai ye halwa jabeen didi ko dene jarahi hoon waha per thodi der ruk kar aungi.
Khairoon bee : thik hai beta.
Mahi apne ghar se nikal kar silayi ki factory me jati hai aur jabeen ko dhundhti hai toh usko jabeen nazar nahi ati. Mahi waha kaam karne wali ek ladki se puchti hai jabeen kaha hai toh woh ladki usey batati hai jabeen is waqt apne cabin me hai.
Mahi jabeen ke cabin ke paas jakar cabin ko knock karti hai toh andar se jabeen ki awaz ati hai ajao. Mahi cabin ke andar ati hai toh dekhti hai. Jabeen is waqt kuch calculate karrahi thi. Jabeen ne mahi ko nahi dekha. Mahi halwe ki plate ko table per rakh kar kahti hai.
Mahi : assalamu alaikum jabeen didi.
Jabeen mahi ki awaz ko sunkar apna chahra uper utha kar dekhti hai aur mahi ko dekh kar muskurati hui kahti hai.
Jabeen : wa alaikum assalam mahi tum ho mujhe laga koi ladki hai kuch bolne ayi hogi isiliye dhiyan nahi diya. Tum khadi kyun ho baitho na.
Mahi jabeen ki baat sunkar baith kar kahti hai.
Mahi : koi baat nahi didi aap busy lagrahi ho. Ye sab chodo aur ye lo halwa khao maine banaya hai.
Jabeen : kyun bhai kya baat hogayi aaj halwa kis khushi me. Kahin tumhari job toh nahi laggayi.
Mahi : are wah didi apne bilkul sahi pahchana meri job laggayi. Apko pata hai meri job kaha per lagi hai.
Jabeen : kaha per lagi hai tumhari job jo itna khush ho rahi ho.
Mahi : aap sonogi toh hairan hojaogi. Mujhe jaha per job mili hai woh is shaher ki hi nahi balki is mulk ki sabse badi company hai jiska naam hai A.S GROUP OF INDUSTRIES.
Jabeen : are wah ye toh badi khushi ki baat hai.
Ye kahker jabeen apni chair se uth kar mahi ke paas ati hai aur mahi ko gale laga kar kahti hai.
Jabeen : bohat bohat mubarak ho tumko. Mai bohat khush hoon ki tumko job milgayi. Aur ab tum apne pairon per khadi ho gayi ho. Mujhe yakeen hai tum apni mahnat se hum sab ka naam roshan karogi.
Ye kahker jabeen wapas apni chair per baith jati hai.
Mahi : thank you didi mai bohat mahnat karongi aur aap sab ka naam roshan karongi.
Ye dono baat karrahe the ke thodi der baad jabeen ke cabin ka door knock hota hai. Jabeen andar aney ko kahti hai.
Ye raheem chacha they jo mithai lekar aye the ek bade se thal me. Mahi unko dekh kar unke paas jati hai aur unse thal le kar shukriya kahti hai aur jabeen ko sath lekar bahar ati hai aur bahar kaam karne wali ladkiyon me mithai bathti hai. Sabhi mahi ko mubarak baat dete hai.
Phir mahi jabeen ke sath uske cabin me wapas ajati hai aur dono sham hone tak baten karte hai aur sham ko mahi apne ghar ko wapas ajati hai jaha per khairoon bee dinner ready kar chuki thi. Mahi apne room me fresh hone chali jati hai.
Khairoon bee pahle miss nadiya ko dinner deti hai aur phir apna aur mahi ka khana apne room me lejati hai aur mahi ko awaz dekar bulati hai phir dono mil kar dinner karte hai. Dinner ke baad mahi apni ammi ko goodnight bol kar apne room me ajati hai. Mahi apne room me akar pahle wazu karti hai aur namaz ada karke allah ka shukar ada karti hai aur Allah se apni kamiyabi ki dua karti hai. Phir mahi change karke apne bed per akar kal ke bare me sonchti hui sojati hai.
__________________________________________
Idher ajju side :
Ajju jab door bell bajata hai thodi der baad gate khulta hai aur koi ajju ke uper jump marke kud jata hai. Jise dekh kar ajju chonk jata hai.
Ye ajju ke chacha ki beti thi. Jiska naam muneeza hai. Waise toh ajju apni family se bohat pyar karta hai lekin sabse ziyada pyar apni didi ko karta hai ajju ke liye uski didi bohat important hai aur uske baad ajju kisi ko chahta aur care karta hai toh woh uske bade chacha ki beti muneeza hai.
Muneeza ajju ke bade chacha ki ek lauti beti hai aur bachpan se hi ajju aur uski family ke khareeb rahi hai. Ajju ki family muneeza ko apni sagi beti ki hi tarha pyar karti hai aur ajju bhi usko apni sagi choti bahen ki tarha hi cahta hai uski har choti badi wish puri karta hai aur uski har shararat me sath deta hai.
Jab ajju apne uper muneeza ko dekhta hai toh bohat khush hojata hai aur usko gale laga leta hai phir kuch sonch kar usko side karke andar chala jata hai. Muneeza abhi kuch kahne hi wali thi ajju ke aisa karne se muneeza shock hojati hai aur sath me ajju ki mom aur didi bhi jo muneeza ke sath ajju ko surprise dene aye they ajju ke aise karne se sab shock hojate hai. Sabhi andar ajate hai andar akar dekhte hai ajju uper apne room me jaraha hai jise dekh kar muneeza ko bura lagta hai aur uski ankhon me pani ajata hai. Phir muneeza hi kahti hai.
Muneeza : ( nam ankhon se ) shayed bhaiya ko mera yaha ana accha nahi laga. Bade mummy mujhe ghar chordo agar mere yaha ane se bhaiya ko bura lagraha hai toh mere rukne se aur bhi bura lag sakta hai.
Ye kahke muneeza rone lagti hai. Ajju jo sidhiya chadh raha tha muneeza ki baat sunkar ruk jata hai aur wapas neeche akar muneeza ke samne khada hojata hai aur kahta hai.
Ajju : kya kaha tune tera yaha ana mujhe accha nahi laga aur tere rukne se mujhe bura lagega wah bhai wah kya baat kahi hai meri bahen ne wah wah wah dil khush hogaya mera toh ye baat sunker.
Ajju ki baat sunker muneeza ajju se kahti hai.
Muneeza: haan toh phir aap mere se baat kiye bina kyun chale jarehe the. Aap ko pata hai mujhe kitna bura laga aap ke aisa karne se. Akhir meri ghalti kya hai jo aap mere sath aisa kyun karrahe ho mujhe bhi toh pata chale aap mere ane per aisa react kyun karrahe ho.
Muneeza ki baat sunkar ajju ki didi kahti hai jo ajju ka aisa reaction dekh kar khudh hi hairan thi.
Didi : baat kya hai bhai tum kyun aisa kar rahe ho. Mujhe toh laga tha ke tum choti ( muneeza ) ko dekh kar surprise hojaoge aur khushi se mujhe thanks kahoge usey yaha bulane ke liye. Magar tumne toh mujhe hi surprised kardiya.
Ajju ki didi ki baat sunkar ajju ki mom kahti hai.
Mom : baat kya hai beta muneeza se koi ghalti hui hai kya ?
Ajju muneeza apni didi aur apni mom ki baat sunker kahta hai.
Ajju : ab mai kya kahu mom aap ko pata hai last week iski tabiyat kharab hogayi thi magar isne mujhe nahi bataya. Woh toh accha hua ki maine chachi ko aise hi haal chal phuchne ke liye call kiya toh pata chala iski tabiyat kharab hai mai iske paas janey hi wala tha magar chachi ne mana kardiya ye kahker ke isne mujhe batane se mana kiya hai isi liye mai isse naraz hoon. Aur ye kah rahi hai ke iska ana mujhe accha nahi laga. Kya kabhi maine iske yaha aney per kuch kaha hai ? Nahi na ! Toh phir isne aisa kyun kaha isse kahiye mujhe ab isse koi baat nahi karni.
Ye kahke ajju chup hojata hai. Ajju ki baat sunker ajju ki mom aur didi dono zor zor se haste hai aur muneeza bhi hasti hai. Jisse dekh kar ajju chidh jata hai.
Ajju : ab aap logon ko kya hua maine koi jole sunaya hai kya jo aise has rahe ho.
Didi : ( haste hue ) joke nahi toh aur kya hai bhai ye. Maine soncha kuch bohat badi baat hogi magar tumahri baat sunkar aisa lagta hai. Khoda pahad nikla chuha.
Ye kah kar didi aur bhi zorse hasti hai. Didi ko aise haste dekh kar ajju ki mom ajju ko didi se kahti hai.
Mom : chup kar badmash kyun pareshan karrahi hai mere bete ko. Aur muneeza tu kyun has rahi hai ye tere se naraz hai aur tu ise manane ki bajaye iske sath has rahi hai.
Muneeza ajju ki mom ki baat sunkar hasti hui kahti hai.
Muneeza: kya bade mummy apko toh pata hi hai ke bhaiya mujhse naraz rah hi nahi sakte toh tension kyun loon.
Mom : wah beta abhi thodi hi der pahle jo ankhon me pani tha woh kya tha phir?
Muneeza ajju ki mom ki baat sunker haste hue kahti hai.
Muneeza : woh toh bhaiya ko emotional blackmail karne ke liye tha bade mummy.
Ye kahke muneeza didi ko ankh marti hai jise dekh kar didi uska eshara samhaj kar kahti hai.
Didi: aur nahi toh kya hum sab ko pata hai ke ajju iss munjal ( muneeza ) se kabhi naraz ho hi nahi sakta.
Mom : haan ye baat toh hai lekin iska ye matlab nahi ke tum dono mere bete ko pareshan karo. Chal muneeza bhaiya ko sorry bol aur ainda phir kabhi aisa nahi hona chahiye.
Ye kahke mom muneeza ko ankh marti hai jise dekh kar muneeza samhaj jati hai ke usko kya karna hai.
Muneeza : ( masoom si shakal bana kar kahti hai ) iam sorry bahiya maine ye sab jaan buj kar nahi kiya. Maine mom ko is liye apko batane se mana kiya tha ke aap pareshan na ho. Mai nahi cahti thi ke aap meri wajha se pareshan ho aur mujhe pata tha jaise hi aap ko pata chalega aap mere paas ajaoge isi liye mana kiya. Aur jaise hi mai thik hui aap ke hi paas ayi aur aap hai ke mujhse baat hi nahi kar rahe. Jaiye mai apse baat nahi karti.
Ye kahkar muneeza apna muh phula leti hai. Muneeza ki is harkat ko dekh kar mom aur didi dono hi muskura rahi thi phir mom kahti hai.
Mom : ab chup kyun hai tu kuch toh bol dekh meri bacchi kaise udas hogayi hai aur ab tune ise kuch bhi kaha toh ye rone lag jayegi.
Ajju apni mom ki baat sunkar muneeza ke paas jata hai jo is waqt apna face dusre taraf ghuma kar kahdi thi. Ajju muneeza se kahta hai.
Ajju : are meri gudiya toh naraz hogayi accha baba sorry chal Jane de jo hua so hua ab agey se aisa nahi karna.
Ye kahkar ajju apni mom aur didi ki taraf dekhta hai aur agey kahta hai.
Ajju : tu ye sonch rahi hai ke mai ye sab kahuga toh ye tum sabki ghalat fahmi hai. Aap logon ko kya lagta hai ke mai iske mujhe nahi pata kya ye jo drama tum sab karrahe ho. Aur tu mujhse hi naraz hogi. Haan ulta chor kotwal ko dante.
Ye kahke ajju muneeza ka kaan pakarta hai.
Muneeza: acche bhaiya aap jeete hum hare ab mera kaan chodiye mujhe dard ho raha hai.
Ye kah ke muneeza dard hone ka natak karti hai. Ajju muneeza ka kaan chodh deta hai aur use hug karke kahta hai.
Ajju : nautaki kahi ki agar dobara kabhi mujhe nahi bataya toh sach me naraz hojaonga.
Muneeza: ok bhaiya dobara aisa kabhi nahi ok pakka promise.
Ajju : chal thik hai aur suna kaisa hai ab tu.
Muneeza: mai toh thik hoon aap sunao aap kaise hai mere liye kuch laye ya khali hath hi aye.
Ajju : mai bhi accha hoon aur mujhe kaha pata tha tu aney wali hai aur didi ne bhi nahi bataya toh isme meri koi ghalti nahi tujhe jo bhi bolna hai didi ko bol mujhe nahi.
Muneeza ajju ki baat sunker didi ki taraf dekhti hai toh didi bolti hai.
Didi: meri taraf kya dekh rahi hai tuney hi bola tha bhaiya ko surprise dena hai unko mat batana ab mujhe mat ghoor tere bhai ko bol jo bhi bolna hai mujhe nahi waise bhi ye naraz tha tere se mai nahi.
Muneeza didi ki baat sunker ajju ki taraf dekhti hai.
Ajju : kya ? ab mujhe kyun dekh rahi hai mujhe toh maloom bhi nahi tha ke tu ane wali hai warna mai tere liye bohat kuch lekar ata. Aur kya mai apni pyari gudiya se naraz hosakta hoon mai toh bas mazak kar raha tha.
Dono ki baten sunkar ajju ki mom kahti hai.
Mom : ab tum dono meri bacchi do satana band karo aur jaldi se jakar fresh hojao jab tak mai sabke liye juice banati hoon chal beta muneeza hum chalte hai.
Ye kahkar ajju ki mom muneeza ko apne sath kitchen me lekar jati hai aur ajju aur uski didi apne apne room me fresh hone chale jate hai. Thodi hi der me dono fresh hokar neeche ate hai jaha unki mom aur muneeza sofe per baith kar baten karrahi thi. Ye dono bhi unko join karte hai.
Ajju : aur muneeza ghar per sab kaise hai.
Muneeza: sab acche hai bhaiya.
Ajju : kis ke sath ayi thi tu.
Muneeza : mai bade bhaiya ke sath ayi thi. Bade mummy se mil kar gaya hai. Kah raha tha friends ke sath kuch kaam hai.
Ajju : hmmm khair mai usse baad me millunga.
Aise hi baton baton me sham hojati hai. Sham ke time ajju ke daddy bhi ajate hai phir sab mil kar dinner karte hai.
In dinning table :
Dad : aur beta muneeza kaisi chal rahi hai padai.
Muneeza: bohat acchi chal rahi hai bade papa. Aap toh ab atey hi nahi hai. Ghar per sab apko yaad karte hai.
Dad : are bete ab kya bataon tumhe mai. Tumhare is bhaiya ne kaam itna barha diya hai ke pucho mat. Sara din bas meetings me hi guzar jata hai.
Muneeza: ye toh achhi baat haina ke bhaiya ne apne business ko aur agey baraya hai.
Didi : haan tu toh kahegi hi na bhaiya ki chamchi jo hai.
Muneeza: dekho na bade mummy didi mujhe bhaiya ki chamchi kah rahi hai.
Mom : beta ye ghalat baat hai aise nahi kahte ye toh apne bhaiya ki katori hai chamchi toh woh afshan hai. Kyun beta muneeza maine sahi kaha na.
Mom ki baat sunkar sabhi haste hai. Jise dekh kar muneeza kahti hai.
Muneeza: kya bade mummy aap bhi mera mazak uda rahi ho jao mai apse baat nahi karti.
Ye kahkar muneeza apna muh phula leti hai. Jise dekh kar mom kahti hai.
Mom : are muneeza toh mujhse naraz hogai. Woh shopping jo maine iss ke liye ki thi woh kisko doon.
Dad : are is me sonchne wali konsi baat hai afshan hai na usko dedo.
Muneeza: kyun use kyun doge woh mera hai use mai hi loongi.
Mom : magar tum toh mujh se naraz thi na phir mai tumko kyun doon.
Muneeza: kyun ki woh sab kuch jo apne mere liye liya hai woh mera hi hai. Aur rahi baat naraz hone ki toh woh mai ab bhi hoon.
Muneeza ki baat sunkar sabhi muskurate hai. Sabhi baten karrahe the magar ajju kuch nahi bol raha tha jise dekh kar uski didi puchti hai.
Didi : bhai tu kyun chup hai tu bhi kuch bol.
Ajju : mai kya bolu didi aap sabhi mil kar meri gudiya ko sata rahe ho. Isi liye mai chup baitha hoon jab meri gudiya ko meri zarurat hogi mai beech me ajaonga. Kyun gudiya sahi kaha na.
Muneeza: haan bhaiya apne sahi kaha aap hi mere sab se best bhaiya ho.
Didi : badi ayi bhaiya ki katori.
Didi ki baat sunker sabhi haste hai. Aise hi masti mazak karte hue sabhi log dinner karte hai. Dinner ke baad sabhi ek dusre ko goodnight bolkar apne apne room me sone chale jate hai.
Ajju apne room me akar washroom me jakar fresh hota hai aur change karke apne bed per lait jata hai aur apne drawer se apni dairy nikal kar usme likhne lagta hai.
In dairy :
Aaj ek aur din guzar gaya tumhare bina. Tumhe pata hai aaj mere sath ek ladki ki bahes hui jab mai usse pahli baar dekha toh mujhe bohat masoon lagi magar jab usse meri baat hui toh pata chala ke ye toh chalta phirta bomb hai. Magar thi dil ki ek dam saaf mere se bahes bhi woh apne liye nahi kisi aur ke liye hi karahi thi. Use laga ke maine apni car se ek lady ko takkar mari isi liye woh mere se ladh rahi thi. Khair tum kaha per ho jaan jaha per bhi ho kya tumhe meri yaad nahi ati. Tum toh kahti thi mere bina saans bhi nahi lijati phir itne din hogaye tumhe gaye hue kya ab tumhe mere bina saans lena seekh liya hai. Please please jaan laut auna. Ab tumahre bina ek ek din bhi sadiyon barabar lagta hai.
Ye sab likhte hue ajju ki ankhon me ansu ajate hai. Ajju apne ansu saaf karta hai aur apni dairy ko band karke wapas drawer me rakhta hai aur apne bed per lait jata hai. Lait kar apni ankhen band kar ke apni purani yadon ko yaad karte hue neend ki haseen wadiyon me kho jata hai.
Aaj ke liye itna hi.
Agey dekhte hai ke mahi ka office ka pahla din kaisa rahta hai aur uski agli mulaqat ajju se kaise hoti hai.
Agey janne ke liye mere sath bane rahe BE-INTEHA-ISHQ ke sath apka apna MAQ.
Written by ( MAQ ) MOHAMMED AZEEM QURESHI.
Update kaisa laga comment karke zarur batana.

Last edited: