• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance BEAUTY AND THE BEAST 2 (COMPLETED)

RAAZ

Well-Known Member
2,295
6,197
158
Guys please is story ko support kijiye aur apna review dijiye
Teen teen baar poora likhkar bhi delete karke update de raha hoon
Jaan nikal rahi hai update dene me
Problem ye hai ki ye meri apni story hai, copy paste nahi hai. Har update soch samajh kar dena hota hai kyunki har ek update ke saath story ghoom jaati hai
So please apna valuable reviews dete rahiye
Love you all guys
Hat's off aapki dedication ko. Bhai aapke aisay hi to fan nahi hai na humlog. Aur paschatap kyu rok do beech me woh bhi acchi story hai lekin second time aapne usko thandey bastey me daal diya hai. Sab Se acchi baat woh ek naya concept lekar aaye hai aap.
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,589
34,753
219
Guys please is story ko support kijiye aur apna review dijiye
Teen teen baar poora likhkar bhi delete karke update de raha hoon
Jaan nikal rahi hai update dene me
Problem ye hai ki ye meri apni story hai, copy paste nahi hai. Har update soch samajh kar dena hota hai kyunki har ek update ke saath story ghoom jaati hai
So please apna valuable reviews dete rahiye
Love you all guys
Swaraj bhai ham sab aapke sath hain.... Aapki mehnat bekar nahi ja rahi....

Keep it up
 

Kirti.s

Member
404
1,361
123
"bhook lagi hai??" ranvijay ko pata tha ki payal ne lunch nahi kiya hoga
Is engagement ke aanan fanan me lunch to kya, ek glass Paani tak nahi piya tha payal ne
Ranvijay ne to breakfast aur lunch dono skip kiya tha

"bhook nahi hai" payal boli.itna sab kuch ho gaya usme kya khana ab

"lekin kuch to khana padega hi, driver koi aas Paas star hotel me Gaadi ghumao" ranvijay bola

"sir hum lucknow se kareeb 50 km door hai, fir wapas Jaana fir aana matlab 2-3 ghante aur pakad lijiye kyunki traffic jam ab dabakar hoga"driver bola

Itna time nahi tha ranvijay ke Paas waise bhi is engagement me uska poora din barbaad ho chuka tha

" fir koi restaurant me ghumao" ranvijay bola

"sir highway me kaha apko restaurant milega, dhaba hi milega" driver bola

"dhaba...... Lekin....." ranvijay thoda ruka aur payal ki aur dekhne laga

"dhaba hi le chaliye, waise bhi aapke staff ne kuch nahi khaya Mr ranvijay" payal boli

"OK dhaba ki aur le chalo" ranvijay bola aur Gaadi ek dhaba ke Saamne ruki aur kuch staff dhaba ke Ander gaye

"car me mini fridge bhi hai, agar softdrink ya chocolates chahiye to le sakti ho" ranvijay bola

"no thanks" payal boli aur car se bahar nikal kar dhabe ki aur gayi
Khana kha rahe staff payal ko dekh khana chod khade ho gaye

"are are aap log khade kyun ho gaye. Baith jaiye" payal muskurakar boli
Ranvijay jaisa bhi hai in staff ki koi galti nahi hai ye sirf ranvijay ki galti hai

"chacha ek plate parathe mere liye lagwa dijiye" payal boli

"madam ye aap logo ke khane ki jagah nahi hai yahan" ashwin hairan hokar bola

"khana khane ki koi jagah hoti hai ashwin bhaiyya??" bol payal ne aage badh kar parathe wali thali le liya aur khane lagi

Mr ranvijay ki wife uske staff ke saath aise jagah par kha rahi thi
Staff chupchap khane lage

"wow khana bohut tasty tha, hai na ashwin bhaiyya" payal boli

"j ji madam" ashwin bola

"to chalein aapka khadus boss wait kar raha hai" payal boli

Saath hi saath payal wapas a gayi

"itna time khana khane me lag gaya??" ranvijay ne poocha

"time dekhkar khana khaya nahi Jaata Mr ranvijay enjoy karke khaya Jaata Hai" payal boli
Aur ranvijay gusse se wapas apni jagah baith gaya
Gaadi wapas anandpur ki aur chalne lagi

"a aap hotel jakar k khana kha lijiye, aapne kuch nahi khaya" payal khidki se nazare dekhte hue boli

Ranvijay hairan hokar payal ki aur dekhne laga. Payal utarkar apne ghar chali gayi aur ranvijay ki Gaadi aage badh gayi

"sir" ashwin bola

"bolo" ranvijay apni aankhen band kar bola

"ab aap apni nayi zindagi shuru karne wale hai, kya ab aapko is badle ki aag se nikalna thik nahi lagta??" ashwin bola

Ranvijay ne kuch nahi bola. Bas sochne laga
Aur uska chehra sakht hota gaya aur sharir gusse se kaampne laga

"sir please dawai le lijiye please" bol ashwin ne dawai aur Paani ranvijay ki aur badhaya
Ranvijay ne dawai li aur shant hokar so gaya

"he bhagwan aur kitni pariksha lega is insan ki" ashwin ranvijay ke sote hue chehre ko dekhkar bola
Gaadi apni speed ke saath hotel pohunch rahi thi
----------------------------------------------------------------------
Ashmita aaj late ho gayi ghar pohunchne me
Har din apne bete ke sawalo ka jawab dete nahi banta tha
Kahan se layegi uske papa ko??? Jo Insaan uski kokh bhar gaya aur use chorkar chala gaya use to thik se pehchanti bhi nahi

"maa pata hai sushil aur kaveri ke papa unko ghumane le gaye" rishi bol pada

"to thik hai beta hum bhi jayenge Saath me sarita dadi ko bhi le lenge, kya Kehte ho??" ashmita apne bete se boli

Rishi ko ye sunkar zyada khushi nahi hui shayad, bas wahi feeki si muskurahat ke saath sofe par baith gaya

"kya hua beta" ashmita be apne bete ke sar par haath ferkar bola

"kuch nahi maa, sone ja raha hoon" rishi bol apne bed ki aur chala haya

Ashmita use rokna chahti thi, lekin rok nahi paayi
Kuch to use rok raha tha, khud ko achanak guilty feel karne lagi wo
Lekin isme uski kya galti?? Kya dosh???
Har din wo bas yahi chahti hai ki sab kuch thik ho lekin kahi na kahi rishi ghuma firakar papa ki zid par ada rehta hai. Kya kare wo??

Apne khayalon me itni khoi hui thi ki use pata hi nahi chala ki uska mobile baj raha tha
Usne screen dekha, India ka number to tha nahi
Koun phone karega use???

"hello??" ashmita ne thoda sankoch karte hue phone uthaya

"hello ashmita ji kaisi hai??" ek Awaaz doosri aur se sunai di use

"sorry lekin mai aapko..."

"pehchanti nahi hai, hai na?? Mai shivraj. Ek chota sa business man hoon madam. Lekin aapke liye bade kaam ka banda ban sakta hoon" shivraj bola

"matlab??" ashmita ne poocha

"50 crore poora white money, account me ho sakta hai. Aapko USA ka green card mil sakta hai. Bachhe ko acha education mil sakta hai" shivraj bola

"itni Meherbani kyun sir??" ashmita

"Meherbani isliye kyunki aap hame wo factory mrs sarita se dilwane me madad karengi, board members aapke bina koi decision lenge nahi aur aap... He he he" shivraj hasne laga

"sorry Mr shivraj factory ka future already decide ho gaya hai,please ainda phone mat kijiye" Ashmita boli

"abhi time hai madam, soch kar phone kar dijiyega ya sms, rakhta hoon" call cut gaya

50 crore?? Ashmita ne ekbar apne bete ki aur dekha jo doosre kamre me tha
Itne paise se uska future ban sakta hai, usko papa ki zaroorat hi nahi padegi
Ashmita ne shayad kuch thaan liya tha.
brilliant update sir ji
ranvijay jaisa khadoos insaan ne payal ko lunch ke liye pucha ye kafi badi baat hai or sath mein sare staff ko bhi lunch karwaya payal ne bhi unhe company di woh toh hai hi zameen se judi hui uske vyavhar se sare log khushi bhi hai or shayad aage ja ke ranvijay bhi us se prabhavit ho jaye.or is update mein aap ki mahnat saaf nazar aa rhi hai sir ji :applause: :applause:
 

Swaraj

Well-Known Member
6,740
25,052
219
Hat's off aapki dedication ko. Bhai aapke aisay hi to fan nahi hai na humlog. Aur paschatap kyu rok do beech me woh bhi acchi story hai lekin second time aapne usko thandey bastey me daal diya hai. Sab Se acchi baat woh ek naya concept lekar aaye hai aap.
Thanks bro
Paschatap samajhne ke liye yahan public nahi hai bro, yahan sabko simple story chahiye hoti hai, dark characters or dark plot hamesha flop hoti rahi hai is forum me
Mujhe zyada appreciation nahi mila isliye maine beech me use dump kar diya
AJNABEE 2 ko bhi maine dark karna chaha tha lekin public gussa karne lag gayi
Isliye usme mujhe zabardasti masala dalna pad gaya
Lekin ending dark hi karunga mai us story me
Is story ko support karne ke liye thanks bor
Saath rahiye
 

Swaraj

Well-Known Member
6,740
25,052
219
Swaraj bhai ham sab aapke sath hain.... Aapki mehnat bekar nahi ja rahi....

Keep it up
Thanks bro
Mehnat karna isliye padta hai bro kyunki mai masala daalkar readers ko khush nahi karna chahta
Readers ke man me wo plot chap jaaye aur wo ek mast impact daal de, Saath me ek lesson bhi seekhe ko mile meri hamesha yahi koshish rehti hai
Isliye mere updates me timeag Jaata hai
Saath rahiye
 

Swaraj

Well-Known Member
6,740
25,052
219
brilliant update sir ji
ranvijay jaisa khadoos insaan ne payal ko lunch ke liye pucha ye kafi badi baat hai or sath mein sare staff ko bhi lunch karwaya payal ne bhi unhe company di woh toh hai hi zameen se judi hui uske vyavhar se sare log khushi bhi hai or shayad aage ja ke ranvijay bhi us se prabhavit ho jaye.or is update mein aap ki mahnat saaf nazar aa rhi hai sir ji :applause: :applause:
Thanks kirti ji
Ranvijay aur payal ki chemistry to chalti hi rahegi lekin unke aas Paas ke log bhi utne important hai
Saath rahiye
 
Top