Sabrina sruthi ke hi batch me thi aur uski bahut acchi dost thi. par jabse kareem ne surthi ko pareshan krna suru kiya tha tabse sruthi ne Sabrina se baate krna band kr di thi.
sruthi apne room me bethi bethi soch rhi hoti h ki jab hum mumbai me the toh kitna mazza aata tha. bhaiya bhi humare saaath hi rehte the. par jabse woh kand hua. tabse sab bugad gya. bechare bhaiya ko papa ne kanpur bhej diya. agar bhaiya yaha hote ho kisi ki majaal thi ki mujhe kuch keh sakta.
seema - aree sruthi kin khyaalo me khoi hui h tu. aur abhi tak bed me hi padi h. college jana nhi h kya aaj tujhe .
sruthi - kya karungi college jaake. wese bhi padhai me toh mann lg hi nhi rha h mera upper se wph kareem aur uske chamche mujhe pareshan krenge. isse accha ghar me hi rehti hu. aur soch rhi hu distance se coruse kr deti hu. yeh college jaane ka tension hi khatam.
seema - esa kyu soch rhi h pagali. tere papa mla sahab se baat krenge. tu tension na le. fir kareem tijhe pareshan nhi karega.
sruthi- maa kyu na me bhaiya ko bta du. ek hi baar me sari tension khatam ho jayegi. bhaiya khud sambhal lenge.
seema - kyu tujhe yaad nhi tere bhai ne mumbai me kya kiya tha. uski wajah se yaha aana pda. ab yaha kuch karega toh kaha jayenge. tere papa baar baar transfer toh le nhi sakte na.
sruthi - ab mumbai me jo hua use toh badal nhi sakte. par ese sidhe banke rahenge toh jeena muskil ho jayega.
seema - woh sab chor abhi tu aur jaake taiyaar ho jaa aur college jaa.
seema ke kehne par sruthi taiyaar ho jaati h aur college chali jaati h. yaha maa pareshan hoti h kyuki woh khud bhi sanju ko bulana chahti thi par pati se darti thi.
sruthi jese hi college pahuchti h aur aoni classes attend krti h ki Sabrina uske paas aajaati h aaur sath me hi Beth jaati h.
Sabrina- kya hua sruthi, tum bahut dino se college nhi aarhi thi. koi problem thi kya.
sruthi - haa problem toh thi hi, aur woh h tera bhai kareem. Sabrina tu appne bhai ko samjha de, mera picha krna chor de. warna accha nhi hoga.
Sabrina- sruthi tu bhi na. Kareem bhai tujhse kitna pyaar krte h aur tu h ki humesha bhaw khati h. kya kami h mere bhai me.
sruthi - yeh tu puch rhi h. Gunda h tera bhai. aur college se bahar apne dosto ke beth kr kya krta h tujhe nhi pta kya..?
chal mera muh mat khulwa. aur mujhe padhai me dhyaan dene de ...
dusri taraf kareem college ke bahar bethe apne dosto ke sath ladkiyo ko cher rha hota h.
kareem ka dost - bhai, woh aaj sruthi bhabhi dikhi thi college me.
kareem - accha tune kab dekh li.
bhai woh me canteen gya tha jab samose lene ke liye tab dekha tha.
kareem - waah mere sher, kya mast khabar sunai h tune. tu yahi ruk me jaake milke aata hu aoni maal se. aur saalo yahi wait krna piche piche mat aajana.
kareem college se andar jaata h aur sruthi ko dhundne lgta h par use sruthi dikhti nhi h. woh lab me jaa ke dekhta h toh use Sabrina milti h.
Sabrina- kya baat h bhai, aaj aap lab me kese. lgta h padhai me intrest aagya h aapko.
kareem - me aur padhai, tu sapne mat dekh khulo aankho se. me toh teri bhabhi ko dhundte huye yaha aagya. accha tune dekha use, kaha h.
Sabrina- dekha toh h par batane se mera kya fayda hoyega.
kareem - aree bta dena behena, tere bhai ka bhala ho jayega. acha kya chahiye tujhe yeh bta.
Sabrina- ek dress pasand ki h mene woh dilwa do. toh bta dungi.
kareem - toh mangwa le na. kisi ne manna kiya h kya. payment me kr dunga.
Sabrina- sachi bhaijaan. wese bhabhi library me h. aur ha sambhal ke baat krna h bahut gusse me h woh.
kareem sidhe library ki taraf jaata h aur andar jaake dekhta h ki sruthi ek side me bethi hai aur book pad rhi h. Kareem jaake uske pas beth jaata h. par sruthi use ignore krti h aur book read krne lgti h.
kareem uske haath se book le leta h.
kareem - meri jaan, kaha in kitaabo me gussi hui ho. tumhara Hine wala husband tumhare saamne betha h aur tum in bejaan kitaabo me lgi hui ho. chalo na aaj movie dekhne chalte h.
sruthi - tu aur mera husband, sapna dekh rha h kya. tujhe toh me apna watchman bhi na banao. aur tujhse kitni baar kaha h mera picha mat kiya kr warna sidhe principle sahab se complete karungi teri.
kareem sruthi ka haath pakadta h aur apni taraf khichta h.
kareem - sun meri jaan. yaha ka principle toh kya seher ka governor bhi humara aadmi h. toh mera toh koi kuch nhi ukhaad sakta.
aur tu jitni jaldi maan jayegi utna tere liye aur tere gharwalo ke liye accha hoga.
yeh kehte huye kareem bahar chala jaata hai. sruthi ka mood bhi kharaab ho jaata h aur woh bhi bahar nikal jaati h.
dusri taraf Vijay aaj apne office se leave leta h aur apne purane dost dsp ranveer sisodiya ke saath taiyub Ali Khan ke party office me jaata h.
Vijay- dekh ranveer tu toh mujhe jaanta hi h ki me kitna shanti priye insaan hu. aur me nhi chahta ki mujhe kisi pareshani me padna.
ranveer - tu chinta mat kr me sab sambhal lunga . me mla sahab se khub baat karunga. bas tu shant bethna.
thodi der me taiyub Ali khaan aajaata h aur dono uske cabin me pahuchte h.
taiyub - aaiye aaiye dsp sahab, aapne yaha aane ki jehmat kese li. mujhse keh dete me khud hi aajaata h aapke darbaar me haajiri lagane.
ranveer - ji baat hi kuch esi thi ki waha karna munasif nhi hota. yeh mere bahut purane dost h Vijay ji, yahi Bank me job krte h. inki kuch pareshani hai jo aap hi dur kar sakte hai.
taiyub - Vijay ji bataiye kesi sewa kr sakta hu me aapki. humare hote huye humare seher ke nagrik ko pareshani ho toh humara hona bekaar hai.
Vijay taiyub ko saari baat batata h ki kese kareem sruthi ko pareshan kr rha h. taiyub saari baate sunkar kaafi pareshan ho jaata hai.
taiyub - aap fikar na kare Vijay ji, aage se kareem ki taraf se aapko aur apki beti ko koi pareshani nhi hogi. wese aapne accha kiya ki mere paas aagye. yeh aajkal ke bacche ma baap ki di hui ajaadi ka najayas fayda utha te hai. par aap fikar na kre. me use samjha dunga.
dusri taraf kareem college se bahar nikalta h aur apne dosto ke saath paas wale club me chala jaata hai. club me kareem kuch drinks leta hai.
kareem ka dost - bhai kya hua, mood kyu kharaab ho rkha hai apka. bhabhi ne kuch keh diya kya..
kareem - us saali ke bahut nakhre h yaar. kitna samjha rha hu ki kitna pyaqr karta hu usse par woh hai ki maanti hi nhi.
agar pyaar na karta toh kabka utha le jaata usse.
kareem ka dost - bhai yeh pyaar ka mamla hai na, yaha jabardasti nahi chalegi. jo krna hai woh pyaar se hi krna padega aapko.
kareem kuch drinks leta hai ki tabhi kuch ladke waha aajaate hai aur drinks lene lgte hai. usme se ek ladka kareem ke phone me sruthi ki photo dekh leta hai.
woh ladka - waah, kya mast maal yaar. teri setting hai kya, bolna. chup kyu hai badwe, bolna. accha ek kaam kar bta kitna legi yeh neri setting krwa de isse. bahut mast maal h saali.
uski baat sunkar kareem ka para saathwe aasmaan me chala jaata hai aur woh paas padi beer ki bottle uske sar pe de maarta hai.
kareem - saale meri jaan ke baare me esa bolne ki teri himmat kese hui. aaj teri laash hi yaha se jayegi.
woh ladka - dekhte hai kiski lash jayegi aaj yaha se.
woh ladka bhi kareem pe tut padta hai. kareem de Dana Dan mukko ki barsaat kr deta hai. tabhi us ladke ke dost bhi waha aa jaate hai aur kareem pe tut padte hai. Kareem ke dost bhi aajaate hai aur ab dono taraf se maar pit chaalo jo jaati h. dono group me jordaar maar pit chalo ho jaati hai. tabhi club ke bouncers aake ladai rokte hai.
woh ladka - saale tune is 2 take ki ladki ki wajah se mere se panga liya hai na dekh teri aur teri is rakail ki kya haalat krta hu.
woh ladka dhamki dete huye bhaag jaata hai apne dosto ke saath. tab tak club ka manager police ko bula leta hai.