• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
32,572
58,800
304
Update 42
Agle din Sonal jaldi uth kar sare kam khatam karti hai aur phir Raj ko utha deti hai.

Raj ka mann udash tha par phir bhi kuch nahi kehta aur Sonal ke sath mandir chala jata hai. Sonal ne red colour ki saree peheni thi aur Raj ne white colour ka kurta payjama. Dono mandir me pravesh karte hai.

Sonal: Pandit ji aaj meri behen ka janam din hai par ab wo is duniyaan me nahi hai unka naam Megha hai unhi ki yaad mujhe badi puja karwani hai aur kapde daan karne hai.
Sonal ke aise bolne se Raj puri tarah shock hojaata hai aur uski aankho mein aansu aajate hai .

Pandit: Yeh to apne bahut hi achha socha hai isse unki aatma ko shanti milegi main abhi karta hun.

Sonal: Raj main jaanti hun ki Megha aap k liye kya thi par humein aaj ke din use haste hue yaad karna chahiye na ki udas hokar aur haan aap mujhe agar bata dete ki kis wajah se aap udash hai to sayad main isse achha kuchh kar pati par wo mujhe pata hi kal sham ko chala isliye... socha ki... maine kuchh galat to...

Raj naa mein gardan hila deta hai.

Pandit aake Raj aur Sonal ke saath milke achhe se puja karwata hai. Phir dono dakshina deke kapde daan karne lagte hai.

Raj ko wakai bahut sukun mil raha tha wo bhi sirf Sonal ki wajah se. Aaj use pura yakeen ho gaya tha ki Sonal se achhi sangini use mil hi nahi sakti thi aur Sonal se jyada use koi samajh hi nahi sakta. Yahan tak ki wo khud apne aap ko itana nahi samajhta tha jitna Sonal use samjhati thi. Ab Raj ke dil me Sonal ke liye izzat aur pyar aur bhi badh gaya tha. Thodi der baad dono mandir se ghar aate hai phir dono taiyaar hokar office aur college ke liye chal dete hai.

2 din baad Sonal ke paas Swati ka call aata hai.

Sonal: Haa di boliye.

Swati: Mummy papa ka call aaya tha Rashi ki engagement fix kardi hai Mamaji ne isiliye humsab ko invite kiya hai. Waha bhi call aaya hoga.

Sonal: Mujhe issbaare mein kuch nhi pata. Aur itni jaldi shaadi.

Swati: Mummy bata rahi thi ke ladka achha hai Mamaji ke jaan pehchan ka hai aur Rashi ko bhi achha laga isiliye abhi sirf engagement kar de rahe hai. Tu waha pe puchle call aaya hai yaa nhi. 7 din baad engagement hai.

Sonal: Thikk hai.

Phir call cut hojaata hai.

Sonal jab lunch karne nichhe aati hai tab Smita usse puchti hai.

Smita: Sonal.

Sonal: Ji Mummy.

Smita: Tumhare Mamaji ka call aaya tha pune se. Unki beti ki sagai hai.

Sonal: Jii Mummy. Mujhe di ka call aaya tha.

Smita: Unhone puri family ko invite kiya hai. Maa ji ki tabiyat thik nhi isiliye woh jaa nhi paayengi. Tumhara papa aur bade papa business ke kaam se bahar gaye hai aur unke bina hum jaa nhi paayenge. Kartik abhi chota hai isiliye usko abhi kisi function bhejna achha nhi lagta hai toh Nandini aur Karan ka bhi nhi hoga. Aarav ka bol nhi sakti. Toh tum aur Raj chale jaao.

Sonal: Thikk hai Mummy jaisa aap kahe. Par agar aap sab bhi aate toh achha lagta.

Smita: Hum shaadi mein jaayenge naa.

Sonal: Jii thikk hai.

Smita: Toh kab jaa rahi ho tum.

Sonal: Raat ko Raj se baat karke kal batadungi.

Smita: Thikk hai. Jaisa tum thikk samjho.

Phir sab apne apne kaam mein lag jaate hai. Raat ko jab Raj office se aata hai Sonal kamre mein hi thi.

Sonal: Aagaye aap. Kaisa tha aaj ka din. Lunch thikk se kiyaa thaa naa.

Raj: Aree patni ji thoda saans toh lijiye. Eksaath kitne sawaal karti ho. Din thik tha. Lunch achhe se kiya agar nhi karta toh tum pata nhi mera kyaa karti.

Sonal: Jyaada kuch nhi bas raat ka khaana nhi milta aapko. Bhuka sona padhta.

Raj: Bas sirf isiliye hi lunch karleta hu. Yeh bol hasne lagta hai.

Sonal: Very Funny. Achha mujhe na aapse ek jaruri baat karni hai.

Raj: Hmm bolo.

Sonal: Abhi nhi aap fresh hoke dinner karlijiye phir karte hai.

Raj: Thikk hai.

Phir Raj fresh hoke dinner karke wapas kamre mein aata hai aur bed mein sone lagta hai.

Sonal: Aap so gaye. Maine kaha tha na mujhe kuch jaruri baat karni hai.

Raj: Soya nhi hu. Bolo kyaa baat hai.

Sonal: Woh meri mama ji ki beti ki sagai hai 7 din baad. Toh waha jaana hai. Pune.

Raj: Achha toh chali jao. Kab jaana hai bolo main tickets karwa deta hu.

Sonal: Mujhe akele nhi humdono ko jaana hai.

Raj: Aahhh Sorry Sonal. Par kal se office mein ek naye project ko leke kaam start hoga. Aur starting mein chorke main aur Yash nhi aapaayenge. Woh bhi itne din ke liye.

Sonal: Udaas hoke. Toh aap nhi chalenge.

Raj: Aree udaas mat ho. Tum chali jaao. Main sagai ke ek din pehle aajunga.

Sonal: Nhi rehne dijiye Hum saath hi jaayenge. Aapke bina main nhi jaaungi.

Raj: Aree tumhara mann hai toh tum chali jao. Aise mann ko nhi maara karte.

Sonal: Aapke bina kaisee.

Raj: Koi baat nhi. Aur maine kaha na main sagai ke ek din pehle aajaunga. Aur tum pehle jaaogi toh apne mummy papa ke saath achhe se time spend bhi karlogi isiliye tum jao.

Sonal thodi der sochne ke baad haa kardeti hai.

Raj: Toh bolo kab jaogi main tickets karwa deta hu.

Sonal: Main kal di se puchke batadungi. Ab akele toh jaa nhi sakti unke saath hi jaaungi.

Raj: Thikk hai. Chalo ab so jaao. Aur subah mujhe thoda jaldi utha dena.

Sonal: Thikk hai. Good Nighttt.

Raj: Good Nightt.

Agle din Sonal Swati ko saari baat batati hai jo uski Raj ke saath hui thi.

Swati: Mujhe bhi kal Yash ne bataya hai ke woh nhi aa sakte.

Sonal: Toh ab aap boliye hum kya karee. Raj ne toh boldiya hai jab main chahu jaa sakti hu.

Swati: Thikk hai toh kal chalte hai. Tu packing karle.

Sonal: Thikk hai di. Main ghar mein baat karleti hu.

Swati: Thikk hai.

Phir call cut hojaata hai aur Sonal Smita se bolta hai.

Sonal: Mummy kyaa main kal jaa sakti hu Pune.

Smita: Kyaa Raj se tumhari baat hogyi hai.

Sonal phir Raj se hui baat Smita ko batati hai.

Smita: Toh kyaa tum akele jaa sakogi.

Sonal: Di mere saath jaa rahi hai.

Smita: Hmm. Thikk hai toh tum apni packing karlo aur Raj ko bolke kalki tickets karwalo. Aur pune apne mama ke yaha call karke bata do.

Sonal: Jii Thank You.

Phir Sonal Raj ko call karti hai.

Raj: Haa Sonal bolo.

Sonal: Aap busy hai.

Raj: Bolo naa.

Sonal: Wohh kyaa aap kalke liye meri aur di ki tickets karwa denge pune jaane ke liye.

Raj: Achha thikk hai main karwa deta hu. Aur kuchh.

Sonal: Jiii aapne lunch karliyaa.

Raj: Bas wahi karna jaaraha hu. Tumne kiyaa.

Sonal: Jii maine karliya.

Raj: Thikk hai. Main kalke liye tum dono ki tickets karwa deta hu. Byee.

Sonal: Byee.

Phir Sonal apni packing mein lag jaati hai.

Raat ko Raj Sonal ko uski tickets pakda deta hai.

Raj: Yehlo tumdono ki tickets. Kal subah ki flight hai. Swati Yash ke saath direct Airport aajayegi. Tum mere saath chalna tumhe drop karta hua main office chala jaunga.

Sonal: Jii. Thank You.

Raj: Tumhari packing hogyi naa.

Sonal: Haa hogyi. Aur aap aayenge naa Sagai mein.
Raj: Main sagai ke ekdin pehle aajaunga.

Sonal: Thikk hai.

Phir dono dinner karke so jaate hai.

Agle din Sonal thoda jaldi uthke sabke liye nashta banake pune jaane ke liye ready hojaati hai.

Raj: Sonal.

Sonal: Jii.

Raj: Yeh lo mera Credit card apne paas rakho. Waha pune mein kaam aayega.

Sonal: Iski jarurat nhi hai Raj.

Raj: Rakhlo. Sagai ka function hai kab jarurat padh jaaye.
Sonal: Thank You.

Raj: Tum ready ho.

Sonal: Haa bas aap breakfast karlijiye phir chalte hai.
Raj: Thikk hai chalo.

Smita: Sonal packing thik se karli naa.

Sonal: Jii Mummy.

Smita: Dhyaan se jaana. Aur yaha ke chinta naa karna. Achhe se enjoy karna. Aur pahonch ke call kardena.

Sonal: Jii Mummy.

Phir dono breakfast karke Airport ke liye nikal jaate hai.

Thodi der mein dono Airport aajate hai jaha Swati pehle se khadi thi.

Raj: Dhyaan se jaana aur apna khayal rakhnaa. Aur pahonch ke call kardena.

Sonal: Aap bhi apna khayal rakhiyega aur time se khaana khaa lijiyega.

Phir dono Airport ke andar chale jaate hai. Raj bas Sonal ko jaate hue dekh raha tha.

Yash: Kyaa dekh raha hai Raj.

Raj: Yaar jab bhi kisi ko aise Airport pe jaate hue dekhta hu naa toh mujhe woh din yaad aajata hai jis din meri Megha bhi aise hi andar jaa rahi thi. Par phir kabhi bahar nhi aayi.

Yash: Aaj achanak yeh baat kisliye Raj. Bhul jaa uss baat ko. Ab teri ek khushal zindagi hai. Itni achhi biwi hai kyo purani baato ko yaad karke khud ko takleef deta hai.


Raj: Main bhale hi kitna bhi aage badh jaau. Par Megha ki yaad humesha mere saath rahegi. Chorr chal late horaha hai. Phir dono office ke liye nikal jaate hai.
बहुत ही बेहतरीन कहानी महोदय,

तो राज और सोनल की जिंदगी सही ढर्रे पर चल रही है। सोनल का मेघा के लिए पूजा करवाना उसके राज के प्रति लगाव को दर्शाता है, जिसके कारण राज़ के दिल मे सोनल के लिए प्यार और इज़्ज़त और भी बढ़ गई।।

राशि की शादी तय हो गई है और सगाई के कार्यक्रम में सोनल जा रही है, लेकिन हवाई अड्डे पर राज को पुरानी बातें याद आ जाती हैं जब मेघा इसी तरह अंदर गई थी और जसके मौत की खबर आई गहि। राज़ इस बात से थोड़ा विचलित है।।
 
Last edited:

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
61,067
244
Uff ye sonal ka is tarah se raj ki chinta karna or idhar raj ka bhi sonal ke prati pyar .. maja aa gaya update me ... Idhar rajesh or ranjeet ab pata nahi kya khichdi paka rahe hai .. par jo kuch bhi hai aage aane update me dhamake hone wale hai ...
Thank you
 
  • Like
Reactions: mashish

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
61,067
244
बहुत ही बेहतरीन कहानी महोदय
Thank you
 
  • Like
Reactions: mashish

Sanjib

New Member
58
203
49
Update 44
Raj bas wahi baitha rehta hai aur Nandini ki baato ko sochta rehta hai. Sochte sochte uska
Raj: Haa Sonal bolo.

Sonal: Ghar aagaye aap.

Raj: Haa aagaya.

Sonal: Dinner kiyaa.

Raj: Haa karliya. Tumne kiyaa.

Sonal: Haa karliya. Aapki tabiyat toh thikk hai naa Raj. Aapki awaaz se lag raha hai aapki tabiyat kharab hai.

Raj Sonal ki baat sunke sochne lagta hai kitna pyaar karti hai yeh mujhse. Mere se itna durr rehke bhi sirf meri awaaz sunke isko meri halat ka pata chal raha hai.

Sonal: Hello Rajjj. Rajjj aap kuch bolte kyo nhi. Aapki tabiyat thikk hai naa.

Raj: Haa. Haa meri tabiyat thik hai Sonal. Bas thoda sir dukh raha hai. Aur tum meri itna fikr mat karo. Tum waha enjoy karne gayi ho toh enjoy karo.

Sonal: Kyaaa aapka sir dukh raha hai. Jarur jyaada der laptop mein kaam karne se hua hoga. Main kehti rehti hu jyaada der laptop mein mat busy raha kijiye par meri sunta kaun hai. Aapka sir dukh raha hai aur main waha aapke paas bhi nhi hu. Aapna bilkul apna khayal nhi rakhte hai Raj. Main kal hi wapas aarahi hu.

Raj: Sonal shant hojao. Main thikk hu. Bas halka sa sir dard hai. Aur tumhe aane ki koi jarurat nhi hai. Aur maine jyaada der laptop mein nhi bitaya hai.

Sonal: Aise kaise Raj. Mere liye sabse jyaada jaruri aap hai yeh sagai nhi.

Raj: Main thikk hu Sonal. Aur itni fikr mat kiya karo.

Sonal: Dheere se. Kaise naa karu Raj. Aap nhi jaante aapko kuch hojaata hai toh mujhe kaisa mehsus hota hai.

Raj: Kuch kaha tumne. Halaki Raj ne sunn liya tha.

Sonal: Nhii. Aap ek kaam kijiye bed ke left drawer mein Balm rakha hai woh lagaiye usse thoda aaram milega aur neend aajayegi.

Raj: Thikk hai. Aur koi hukum.

Sonal: Filhal ke liye itna hi. Baaki ka kal dekhti hu. Agar kal subah aapki tabiyat kharab rahi toh main kal hi wapas aaungi. Ab achhe se so jaaiye. Good Night.

Raj: Good Nighttt.

Phir call cut hojaata hai.

Raj: Tum mere se kitna pyaar karti ho Sonal. Kyaa main sach mein tumhare pyaar ke layak hu. Yeh bolte hue Raj Sonal ke sang bitaye har ek pal ko yaad karne lagta hai jisme uska aur Sonal ka ghumne jaana. Thodi bahot masti karna hasi mazaak karna Sonal ka uske liye harwaqt samne rehna yeh sab sochte hue hi woh so jaata hai.

Idher Sonal ne jabse suna tha Raj ka sir dukh raha hai usko thodi tension hogayi thi.

Swati: Sonal sirf halka sa sir dard hai kyo itna tension le rahi ho.

Sonal: Unse milne ke baad aisa pehli baar hai di ke unko koi problem hai aur main unke paas nhi hu.

Swati: Woh thikk hai Sonal. Chalo so jaao.

Sonal: Mujhe abhi neend nhi aarahi hai di. Aap so jaaiye.

Swati: Sonal maine kaha na so jaao. Dekhna kal subah jab call karogi tab woh ekdum thikk hogaa.

Sonal Swati ke bolne pe so toh jaati hai par uska dil dimaag Raj ki tabiyat ke upar hi thaa.

Idher raat ko Raj ko sapne mein Megha ke saath tha.

Raj: Kaisi ho Meghaa.

Megha: Main bilkul bhi achhi nhi hu.

Raj: Kisliye Meghaa.

Megha: Kyoki tum pareshan ho. Kyaa baat hai Raj kisliye pareshan ho.

Raj: Tum toh jaanti ho naa Megha. Sonal mujhse kitna pyaar karti hai kyaa main uske layak hu.

Megha: Achhaa. Pehle mujhe yeh batao kyaa tum bhi usse pyaar karte ho.

Raj: Yeh tum kyaa bol rahi ho Megha. Main tumse pyaar karta hu.

Megha: Main tumhara kal thi Raj. Par Sonal tumhara aaj hai aur woh tumse bahot pyaar karti hai. Aur tum bhi usse pyaar karte ho par maan nhi rahe ho.

Raj: Nhii Megha yeh sach nhi hai.

Megha: Achha toh apni aankhe band karo aur apne mann mein dekho tumhe kiska chehra nazar aata hai.

Raj Megha ki baat sunke apni aankhe band karke dekhta hai toh usko jaha humesha Megha ka chehra nazar aata tha waha ab Sonal ka hasta muskurata hua chehra nazar aaraha tha jisko dekhte hue Raj ke chehre mein bhi muskurahat aagayi thi.

Megha: Kiska chehra dikha Raj. Sonal ka naa.

Raj kuch nhi bolta.

Megha: Tum bhi Sonal se pyaar karte ho Raj. Aur ab time aagaya hai ke tum Sonal ko uska pyaar do. Usko woh sab do jiski woh haqdaar hai. Usne bahot intezaar kiya hai Raj. Ab uska woh intezaar khatam kardo. Bolo karoge naa. Samaj lo tum apni Megha ke saath hi ho.

Aur isi ke saath Raj ki neend toot jaati hai kyoki uska alarm bajne lagta hai.

Raj: Main aaraha hu Sonal. Aur tumhe ab tumhara pyaar jarur milega. Tumhe woh harchiz milegi jiski tum haqdaar ho. Par tumhe thoda sa intezaar aur karna hoga. Tumhe special tarike se tumhara pyaar milega.

Yeh bol woh jaldi se nahane chala jaata hai aur phir ready hoke nichhe aata hai jaha Nandini baithi hui thi.

Raj: Bhabhi jaldi se nashta de dijiye mujhe late horaha hai.

Nandini: Kaha jaarahe ho.

Raj: Pune apni Sonal ke paas. Aur haa Thank You so much.

Nandini Raj ko khushi aur hairaani se dekhti rehti hai. Kyaa bola tumne kiske paas.

Raj: Apni Sonal ke paas.

Nandini: Apni Sonal matlab tum usse....

Raj: Haa bhabhi. Main apni Sonal ko aur nhi tadpaunga usko uska pyaar uska pura adhikaar usko dunga. Par thoda special tarike se jiske liye usko thoda intezaar karna padega.

Nandini: Main bahot khush hu Raj. Ab jaake uss bechari ka intezaar khatam hoga.

Raj: Woh mujhse itna pyaar karti hai bhabhi meri zindagi khushiyon se bhar di haj usne. Ab meri baari hai ke uski zindagi ko khushiyon se bhar du. Usko harwoh chiz du jiski woh haqdaar hai. Usse keh saku ke main bhi usse pyaar karne laga hu.

Nandini: Bahot achhe Raj. Tum baitho main abhi tumhare liye nashta leke aati hu.

Thodi der mein Raj nashta karke Airport ke liye nikal jaata hai jaha Yash pehle se khada tha phir dono flight mein baithke Pune ke liye nikal jaate hai.

Idher Sonal subah se hi Raj ka phone try kar rahi thi par uska phone switch off aaraha tha. Jisse woh aur tension mein aagayi thi.

Sonal: Yeh Raj ka phone band kyo hai. Kahi tabiyat jyaada toh nhi bigad gayi. Bhabhi ko call karti hu.

Nandini: Bolo devrani ji. Humhe kaise yaad kiya.

Sonal: Bhabhi Raj kaha hai unka phone kabse band aaraha hai. Raat ko unki tabiyat bhi kharab thi. Ab kaise hai woh thikk toh hai naa.

Nandini: Achha toh saiya ji ke liye humse contact hua hai. Raj toh subah hi nikal gaya. Kaha gaya pata nhi.

Sonal: Unki tabiyat kharab thi aur woh nikal gaye. Unhe apna bilkul bhi dhyaan nhi hai.

Nandini: Sonal shant hojao. Raj ki tabiyat thikk thi. Tum chinta mat karo. Hum sab hai naa yaha.

Sonal: Kaise chinta naa karu bhabhi. Unse milne ke baad aisa pehli baar hua hai ke main unke saath nhi. Main yaha kaise hu mujhe pata hai.

Nandini: Aree pagal chinta mat karo. Woh jaise hi aayega main khud baat karwaungi. Thikk hai.

Sonal: Thikk hai.

Phir call cut hojaata hai. Par Sonal ka ab kisi kaam mein mann nhi lag raha tha. Woh baar baar apne mobile mein dekh rahi thi.

Idher Raj aur Yash pune pahonch gaye the. Unhe receive karne Samar aaya hua tha jisse Raj ne raat ko hi boldiya tha.

Samar: Kaise aap dono.

Dono: Hum thik hai. Tum kaise ho.

Samar: Main bhi thikk hu. Chale.

Dono: Haa chalo. Waha kisi ko bataya toh nhi hai na.

Samar: Nhi kisi ko nhi. Par pata nhi kyo Sonal di subah se pareshan hai.

Raj: Ab uski jitni bhi pareshani hai sab khatam hojayegi. Tum chinta mat karo.

Thodi der baad dono ghar aajate hai.

Rashmi: Raj Yash tumdono aagaye. Bahot late kardiya aane mein.

Dono Rashmi ke pair chute hai aur bolte hai. Kaam hi aisa padh gaya ke uss waqt nhi aa paaye.

Rashmi: Koi baat nhi. Chalo aao baitho.

Raj aur Yash ki nazar Sonal aur Swati ko dhund rahi thi par woh kahi nhi dikh rahi thi.

Rashmi: Jinko dhund rahe ho woh dono upar hai. Samar inko lejaa.

Phir Samar dono ko upar leke jaata hai. Jaha Swati Rashi ke saath thi par Sonal waha nhi thi.

Samar: Didi dekhiye kaun aaya hai.

Swati: Kaun aaya hai.

Samar beech mein se hatt jaata hai toh Raj aur Yash andar aajate hai.

Swati inndono ko dekh kar bahot khush hui khaash kar Yash ko dekh kar.

Swati: Yashhhhh Rajjjj aagaye aaploggg.

Yash Swati ko dekh kar bahot khush hua. Uska mann toh kar raha tha abhi jaake usko baahon mein le le. Par Raj ki nazar toh uski Sonal ko dhund rahi thi.

Raj: Swati Sonal kaha hai

Swati: Pata nhi kyaa hua achanak uska mann nhi lag raha kahi bhi isiliye woh bagal wale kamre mein hai akeli. Tumhari tabiyat kaisi hai ab.

Raj: Ab thikk hai.

Swati: Tum jao mil lo usse. Kal se pareshan hai tumhare liye.

Raj jaldi se bagal wale kamre mein jaata hai aur door knock karta hai.

Sonal: Aajaiye. Darwaza khula hai.

Raj andar jaata hai toh dekhta hai Sonal khidki ki taraf chehra karke khadi hai. Raj bas usko dekh raha tha aur apni aankho mein basa raha tha. Par Sonal toh bahar hi dekh rahi thi.

Raj: Agar mujhse baat nhi karni ho toh main wapas chala jau.

Sonal yeh awaaz sunke pichhe mudd ke dekhti hai toh uski khushi ka tikana nhi tha. Par uski aankho se aansu bhi beh rahe the.

Sonal daud ke aati hai aur Raj ke gale lag jaati hai aur rone lagti hai.

Raj: Aree aree kyaa huaa. Kyo ro rahi ho. Kyaa mera aana achha nhi laga. Toh main wapas chala jaata hu.

Sonal yeh sunte hi Raj ko aur kash ke gale laga leti hai jaise usko choregi toh woh kahi chala jaayega.

Sonal ko aihsaas hi nhi tha ke abhi uski situation kyaa hai. Par Raj ko situation ka pura aihsaas tha par woh jaanta tha iss waqt Sonal ki condition kyaa hai.

Raj: Sonalll kyo ro rahi ho. Chup hojaao.

Sonal: Alag hote hue. Kaha thee aap. Phone kyo band tha aapka. Pehle bataiye aapki tabiyat kaisi hai. Aap thikk toh hai naa. Kyaa hua thaa aapko.

Raj: Sonal ke aansu pochte hue. Aree aree shant shant. Sab batata hu. Pehle yeh aansu pocho. Mujhe meri biwi ke aankho mein aansu achhe nhi lagte. Mujhe meri biwi humesha haste aur muskurate hue hi achhi lagti hai. Aur main bilkul thikk hu. Mera phone band isiliye tha kyoki main flight mein tha baad mein onn karna bhul gaya.

Sonal: Aapko pata hai main kitni pareshan hogayi thi.

Raj: Aur woh kisliye.

Sonal: Aapki tabiyat kharab thi aur aapka phone band tha toh mujhe tension hogyi thi.

Raj: Ab toh thikk hai naa.

Sonal haa mein gardan hila deti hai.

Raj: Achha batao. Surprise achha laga.

Sonal: Bahot achha laga. Aapne breakfast kiya hai naa.

Raj: Haa kiya hai. Tumne khaya.

Sonal: Thoda sa.

Raj: Kisliye.

Sonal: Woh achha nhi lag raha tha.

Raj: Very bad. Jao jaldi se apne liye nashta leke aao. Aur mere saamne baithke karo. Abhiiii. Aur koi sawaal jawaab nhi.

Sonal bhi chup chaap chali jaati hai aur thoda sa naashta leke upar aati hai.

Kuch der mein nashta hone ke baad Sonal bolti hai.

Sonal: Aap fresh hojaaiye.

Raj: Hmmm. Par uske pehle yeh lo.

Sonal: Yeh kyaa hai.

Raj: Yeh kal liya tha tumhare liye. Agar tum sagai mein yeh pehnogi toh mujhe achha lagega.

Sonal box kholke dekhti hai toh usme ek blue colour ki saree thi.

Raj: Pasand aaya.

Sonal: Bahot achhi hai. Main sagai mein isse hi pehungi. Thank You.

Raj smile kardeta hai phir fresh hone chal deta hai aur Sonal Raj ki di hui saree ko apne seene se laga leti hai.

Sonal bahot khush thi pehle toh Raj ka surprise phir Raj ki taraf se gift jisse woh khushi se naach rahi thi. Par udher kuch log iski khushiyon ko nazar lagane ka plan bana rahe thee.

Rajesh aur Ranjeet ne Raj ke upar nazar rakhne ke kiye ek aadmi ko uske pichhe laga rakha tha jo unndono ko Raj ki har khabar deta tha. Aur usi se unko yeh pata chala ke Raj pune gaya hua hai.

Rajesh: Humari zindagi barbaad karke woh Raj khushiyan mana raha hai.

Ranjeet: Chinta mat kijiye dad. Bahot jald uski khushiyon ko maatam mein naa badla toh mera naam Ranjeet nahi.

Rajesh: Issbaar usko jaan se nhi maarenge usko zindagi bhar tadapne ke liye chor denge. Woh marna bhi chahe toh marr nhi paaye. Usse uski har pyaari chiz chinn lenge aur iski suruaat karenge uski khubsoorat biwi se.

Ranjeet: Bilkul. Par jo bhi bolo uski Biwi hai badi mast. Aisa lagta hai jaise swarg ki koi apsara hai.

Rajesh: Aur uss swarg ki apsara ka dharti pe koi kaam nhi hai usko wapas swarg hi bhej denge.

Ranjeet: Bas ek sahi mauka. Phir uss Raj se uss Sonal humesha ke liye durr kardenge.

Rajesh: Ekdumm. Tu apne aadmi ko bol uss Raj ki harqat pe nazar rakhe. Ekdum saaye ki tarah uska pichha karte rahe.

Ranjeet: Thikk hai.


Idher raat ko pune mein sablog busy the kyoki agle din sagai thi isiliye jo jo kaam baaki sab pure kiye jaarahe the.
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

Yashu7979

Active Member
1,331
2,333
144
Bhai aaj ka update kab aaiga abb intezaar nahi hota
 
  • Like
Reactions: Jaguaar and Luffy

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
32,572
58,800
304
Update 43
2 ghante baad Sonal aur Swati pune pahonch jaate hai jaha Rashi unhe lene ke liye aayi hui thi.

Rashi: Welcome to Pune didi.

Dono: Thank You aur Congrats Rashi.

Rashi: Thank You didi. Aane mein koi takleef toh nhi hui naa. Aur dono jijaji nhi aaye.

Dono: Aree undono ko bahot jaruri kaam hai isiliye Sagai ke pehle din aayenge. Tu yeh bata yeh achanak sagai ka faisla kaise liya.

Rashi: Mummy Papa ne pasand kiya. Rishta achha laga isiliye maine bhi haa kardiya.

Dono: Achhi baat hai.

Aise hi baate karte hue yehdono ghar aajate hai jaha pe pehle se hi Deepak Meera aur Samar the aur kuch rishtedaar bhi the.

Sonal aur Swati jaake apne maa baap aur bhai ke gale lag jaati hai.

Meera: Kaisi hai meri bachhiyan. Khush toh ho naa.

Dono: Hum achhe hai Mummy aur bahot khush hai. Aaplog kaise ho.

Meera: Tumdono ko dekhliya naa toh ab hum bhi khush hogaye. Aao baitho.

Phir dono baithke sagai ki taiyaari ko leke baate karne lagte hai par uske pehle Mumbai call karke baat karli thi.

Raat ko jab Raj ghar aata hai toh usse mahaul thoda ajeeb dikhta hai. Kyoki baaki ke dino mein jab woh ghar aata tha toh Sonal humesha uske saamne rehti thi aur aaj woh nhi thi isiliye Raj ko mahaul ajeeb laga.

Woh sidha apne kamre mein aata hai toh waha bhi usse same feeling aati hai. Phir woh change karke washroom mein jaake fresh hota hai aur jab bahar aata hai toh bed mein usko uske kapde nhi dikhte aur office ke kapde bhi wahi pade hue dikhte hai.

Raj: Sonal ne meri aadat bigaad di hai. Jab woh thi toh mujhe yehsab kabhi dekhne ki jarurat hi nhi padhti thi. Phir woh khud hi apne kapde nikalta hai aur office ke kapde side karta hai.

Dinner ke baad woh sone aata hai toh usko Sonal ka call aata hai.

Sonal: Aap ghar aagaye.

Raj: Haa aagaya.

Sonal: Dinner kiyaa.

Raj: Haa karliyaa. Tumne kiya.

Sonal: Haa karliyaa.

Raj: Sagai ki taiyaariyan hogyi.

Sonal: Bas chal rahi hai. Aapka din kaisa raha aaj.

Raj: Thikk hi thaa.

Sonal: Achha ab so jaaiye. Kal office bhi jaana hai.

Raj: Hmm Good Night.

Sonal: Good Night.

Phir call cut karke Raj so jaata hai.

Agle din Raj late so ke uthta hai. Kyoki jab se shaadi hui thi tabse Sonal hi roj Raj ko jagati thi.

Raj: Aree aaj itna late hogya Sonal ne mujhe jagaya nhi. Yeh bol woh Sonal ko bulane lagta hai. Sonall sonallll . Aree Sonal toh yaha hai hi nhi. Sonal ki aadat padh gayi hai mujhe.

Phir woh jaldi se uthta hai aur jaldi se ready hoke breakfast karke office chala jaata hai.

Par office jane ke pehle tak Raj ki halat kharab hojaati hai. Usko uska koi bhi samaan nhi mil raha tha. Uski Watch uska purse uski files kapde yaha tak ke usko uska towel bhi nhi mil raha tha. An usko Sonal ki importance samaj aarahi thi. Aur isi chakar mein usne Sonal ko 1 ghante ke andar 10-15 baar call karliya tha puchne ke liye ke uska samaan kaha kaha hai. Aur har baar Sonal patiently Raj ka call receive karti aur jawaab deti.

Sonal ke gharwale aur relatives usko dekh kar hase jaa rahe the par Sonal ko isse koi fark nhi padh raha tha. Uske liye toh itna hi bahot tha ke woh Raj se baat kar paarahi hai.

Agle din Raj sirf usse baat karne ke liye call karta hai jisse Sonal bahot khush hojaati hai.

Usidin raat ko jab Raj office se ghar aata hai toh Nandini usse puchti hai.

Nandini: Raj.

Raj: Jii Bhabhi.

Nandini: Tum kab jaa rahe ho pune.

Raj: Jii Kal dopahar ko pahonch jaunga.

Nandini: Sonal ko bata diya.

Raj: Jii nhi. Socha hai usko surprise dunga. Aap bhi mat bataiyega.

Nandini: Achhi baat hai. Kuch aur bhi baat karni thi.

Raj: Haa Bhabhi boliye naa.

Nandini: Tum iss shaadi se khush toh ho naa. Maana tumne choti mummy ki marzi aur gharwalo ki khushi ke liye shaadi karli hai. Par Sonal bahot ladki hai Raj. Maine dekha hai kis tarah woh pagal yaha sirf tumhare liye jeeti hai. Uski subah tumse hoti hai to raat tumpe khatam hoti hai.

Raj: Main jaanta hu bhabhi ke Sonal bahot achhi ladki hai. Aur shaadi ke itne mahine baad bhi usne bina kuch maang kiye sirf mera saath nibhaya hai. Jabki maine toh usse abhi tak uska pura haq tak nhi diya hai par woh bina iss baat ki parwaah kiye mere saath hai. Aur main yeh bhi maanta hu ke mere liye Sonal se achhi ladki nhi milsakti thi. Woh sach mein bahot achhi hai.

Nandini: Toh tum usko uska pura haq kyo nhi de dete Raj. Maine dekha hai inn 2 dino mein tumhari aankhe sirf aur sirf Sonal ko khojti hai. Tum rehte toh humsab ke saath ho par tumhara dil aur dimaag Sonal ke saath chala gaya hai. Aur kahi na kahi tum bhi shayad usse pyaar karne lage ho.

Nandini ke iss baat pe Raj puri tarah se shock hojaata hai. Khaash kar woh last mein tum bhi se.

Raj: Shock hoke. Kyaa kaha aapne abhi. Phir se kehnaa.

Nandini ne josh josh mein bol toh diya ke Sonal bhi Raj se pyaar karti hai par ab usse apni galti pe pachtava horaha tha.

Raj: Maine kuch pucha hai bhabhi aapse.

Nandini: Ghabrake. Maine maine kyaa kaha.

Raj: Aapne abhi abhi kaha ke ke shayad kahi na kahi main bhi Sonal se pyaar karne laga hu. Iss main bhi se aapka kyaa matlab tha bhabhi.

Nandini ab puri tarah ghabra jaati hai. Woh kyaa bole usko samaj nhi aaraha tha.

Raj: Bataiye bhabhi. Iss main bhi se aapka kya matlab tha. Kyaa Sonal mujhse pyaar karti hai. Bataiye bhabhi.

Raj ke itne baar ek hi baat puchne se Nandini bhi ab sach boldeti hai.

Nandini: Haa woh tumse pyaar karti hai. Aur bahot pyaar karti hai. Usne jis din tumhe dekha tha usi din se woh tumse pyaar karti hai. Par usne shaadi tumse isliye nhi ki ke woh tumse pyaar karti hai balki usne sirf tumhara dard baatne ke liye hi yeh shaadi ki hai.

Nandini ke baat pe Raj hadd se jyaada shock hojaata hai. Aur ab woh andar hi andar guilty feel kar raha tha.

Raj: Yeh sab aapne abhi jo kaha woh sach hai.

Nandini: Yeh utna hi sach hai jitna tum Megha se pyaar karte ho.

Raj shock hoke wahi bed mein baith jaata hai. Usko samaj nhi aaraha tha ke woh kyaa bole kyaa kare.

Nandini: Raj kyaa soch rahe ho.

Raj: Kyaa main sach mein Sonal ke pyaar layak hu. Woh mujhse itna pyaar karti hai aur main yeh aaj tak samaj hi nhi paaya. Usne toh mujhe apne pyaar ka karzdaar bana diya hai bhabhi. Yeh jaante hue bhi ke uska pyaar puri tarah se ek tarfa hai phir bhi usne mujhse pyaar kiya aur sirf mere dukh dard akelapan kam karne ke liye usne apni puri zindagi mere naam kardi. Kyaa main kabhi uske yeh karz utaar paunga bhabhi.

Nandini: Tum aisa kyo soch rahe ho Raj. Sach kahu toh jaise Sonal tumhare liye perfect hai waise hi tum bhi Sonal ke liye perfect ho. Aur pyaar mein yeh karz nhi hota hai Raj. Agar pyaar mein karz hota hai toh shayad Megha bhi tumhare pyaar ki karzdaar hai. Aur hosakta hai iss karz ke chalte abhi tak usse shanti nhi mili hogi.

Aur agar tumhe lagta hai ke tum Sonal ke pyaar ke karzdaar ho toh tum uska yeh karz chuka do shayad isse Megha ke upar jo karz hai woh bhi khatam hojaaye. Aur tumne kaha Sonal ka pyaar ektarfa hai. Par inn kuch mahino mein mujhe aisa nhi laga. Tum bhi kahi na kahi Sonal se pyaar karne lage ho par iss baat ko maan nhi paa rahe ho.

2 din se Sonal tumhare paas nhi hai toh tumhari aankhe sirf Sonal ko khoj rahi hai yeh pyaar nhi toh aur kyaa hai Raj. Tum office jaane ke pehle ek baar pichhe ghum ke dekhte ho ke kahi se Sonal aajaye aur tumdono saath saath niklo yeh pyaar nhi toh aur kya hai Raj. Uske saath tum khush rehte ho uske rehte hue tumhe Megha ki yaad tak nhi aati. Tum humare purane wale Raj ban gaye ho.

Raj bas baitha Nandini ki baato ko sunn raha tha aur soch raha tha ke jo bhi Nandini ne bola hai woh sab sach hi toh hai. Sonal ke bina Raj ka mann bhi jaise ashant hogya hai. Uski aankhe har waqt Sonal ko hi khojti hai.

Nandini: Main aur kuch nhi kahungi Raj. Bas itna kahungi Sonal ko yeh mat batana ke maine tumhe uske pyaar ke baare mein bata diya hai. Aur hosake toh uss bechari ko uska pyaar de do. Usne bahot kiya hai tumhare liye. Itna toh koi nhi karta kisi ke liye.


Yeh bol Nandini waha se chali jaati hai.
बहुत ही बेहतरीन और लाजवाब।

हमें जिसकी आदत हो जाती है और वो हमसे दूर चला जाता है तो ऐसी ही हालात होती है। हर जगह हर वक्त सिर्फ और सिर्फ वही नजर आता है। राज़ को सोनल की आदत हो गई है इसलिए उसे हर समय अपने काम के लिए सोनल की जरूरत पड़ रही है। लेकिन वो भी क्या करे। दिल में अभी भी मेघा बसी हुई है तो सोनल का प्यार उसे कहाँ से नजर आएगा।

सही कहते हैं लोग की जोश में होश नहीं खोना चाहिए। नंदिनी ने जोश जोश में अपना होश खो दिया और उसके मुंह से वो बात बाहर आ गई जिसके लिए सोनल ने मना किया था, लेकिन एक नजरिए से देखा जाए तो ये बहुत अच्छा ही हुआ। कम से कम इसी बहाने राज को सोनल के बेपनाह प्यार के बारे में पता तो चला।।
 

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
61,067
244
बहुत ही बेहतरीन और लाजवाब।

हमें जिसकी आदत हो जाती है और वो हमसे दूर चला जाता है तो ऐसी ही हालात होती है। हर जगह हर वक्त सिर्फ और सिर्फ वही नजर आता है। राज़ को सोनल की आदत हो गई है इसलिए उसे हर समय अपने काम के लिए सोनल की जरूरत पड़ रही है। लेकिन वो भी क्या करे। दिल में अभी भी मेघा बसी हुई है तो सोनल का प्यार उसे कहाँ से नजर आएगा।

सही कहते हैं लोग की जोश में होश नहीं खोना चाहिए। नंदिनी ने जोश जोश में अपना होश खो दिया और उसके मुंह से वो बात बाहर आ गई जिसके लिए सोनल ने मना किया था, लेकिन एक नजरिए से देखा जाए तो ये बहुत अच्छा ही हुआ। कम से कम इसी बहाने राज को सोनल के बेपनाह प्यार के बारे में पता तो चला।।
Thank you
 
  • Like
Reactions: mashish and parkas

Alok

Well-Known Member
11,345
28,000
258
Aaj ka dose kab milega bhai....
 
  • Like
Reactions: Luffy
Top