Update 42
Agle din Sonal jaldi uth kar sare kam khatam karti hai aur phir Raj ko utha deti hai.
Raj ka mann udash tha par phir bhi kuch nahi kehta aur Sonal ke sath mandir chala jata hai. Sonal ne red colour ki saree peheni thi aur Raj ne white colour ka kurta payjama. Dono mandir me pravesh karte hai.
Sonal: Pandit ji aaj meri behen ka janam din hai par ab wo is duniyaan me nahi hai unka naam Megha hai unhi ki yaad mujhe badi puja karwani hai aur kapde daan karne hai.
Sonal ke aise bolne se Raj puri tarah shock hojaata hai aur uski aankho mein aansu aajate hai .
Pandit: Yeh to apne bahut hi achha socha hai isse unki aatma ko shanti milegi main abhi karta hun.
Sonal: Raj main jaanti hun ki Megha aap k liye kya thi par humein aaj ke din use haste hue yaad karna chahiye na ki udas hokar aur haan aap mujhe agar bata dete ki kis wajah se aap udash hai to sayad main isse achha kuchh kar pati par wo mujhe pata hi kal sham ko chala isliye... socha ki... maine kuchh galat to...
Raj naa mein gardan hila deta hai.
Pandit aake Raj aur Sonal ke saath milke achhe se puja karwata hai. Phir dono dakshina deke kapde daan karne lagte hai.
Raj ko wakai bahut sukun mil raha tha wo bhi sirf Sonal ki wajah se. Aaj use pura yakeen ho gaya tha ki Sonal se achhi sangini use mil hi nahi sakti thi aur Sonal se jyada use koi samajh hi nahi sakta. Yahan tak ki wo khud apne aap ko itana nahi samajhta tha jitna Sonal use samjhati thi. Ab Raj ke dil me Sonal ke liye izzat aur pyar aur bhi badh gaya tha. Thodi der baad dono mandir se ghar aate hai phir dono taiyaar hokar office aur college ke liye chal dete hai.
2 din baad Sonal ke paas Swati ka call aata hai.
Sonal: Haa di boliye.
Swati: Mummy papa ka call aaya tha Rashi ki engagement fix kardi hai Mamaji ne isiliye humsab ko invite kiya hai. Waha bhi call aaya hoga.
Sonal: Mujhe issbaare mein kuch nhi pata. Aur itni jaldi shaadi.
Swati: Mummy bata rahi thi ke ladka achha hai Mamaji ke jaan pehchan ka hai aur Rashi ko bhi achha laga isiliye abhi sirf engagement kar de rahe hai. Tu waha pe puchle call aaya hai yaa nhi. 7 din baad engagement hai.
Sonal: Thikk hai.
Phir call cut hojaata hai.
Sonal jab lunch karne nichhe aati hai tab Smita usse puchti hai.
Smita: Sonal.
Sonal: Ji Mummy.
Smita: Tumhare Mamaji ka call aaya tha pune se. Unki beti ki sagai hai.
Sonal: Jii Mummy. Mujhe di ka call aaya tha.
Smita: Unhone puri family ko invite kiya hai. Maa ji ki tabiyat thik nhi isiliye woh jaa nhi paayengi. Tumhara papa aur bade papa business ke kaam se bahar gaye hai aur unke bina hum jaa nhi paayenge. Kartik abhi chota hai isiliye usko abhi kisi function bhejna achha nhi lagta hai toh Nandini aur Karan ka bhi nhi hoga. Aarav ka bol nhi sakti. Toh tum aur Raj chale jaao.
Sonal: Thikk hai Mummy jaisa aap kahe. Par agar aap sab bhi aate toh achha lagta.
Smita: Hum shaadi mein jaayenge naa.
Sonal: Jii thikk hai.
Smita: Toh kab jaa rahi ho tum.
Sonal: Raat ko Raj se baat karke kal batadungi.
Smita: Thikk hai. Jaisa tum thikk samjho.
Phir sab apne apne kaam mein lag jaate hai. Raat ko jab Raj office se aata hai Sonal kamre mein hi thi.
Sonal: Aagaye aap. Kaisa tha aaj ka din. Lunch thikk se kiyaa thaa naa.
Raj: Aree patni ji thoda saans toh lijiye. Eksaath kitne sawaal karti ho. Din thik tha. Lunch achhe se kiya agar nhi karta toh tum pata nhi mera kyaa karti.
Sonal: Jyaada kuch nhi bas raat ka khaana nhi milta aapko. Bhuka sona padhta.
Raj: Bas sirf isiliye hi lunch karleta hu. Yeh bol hasne lagta hai.
Sonal: Very Funny. Achha mujhe na aapse ek jaruri baat karni hai.
Raj: Hmm bolo.
Sonal: Abhi nhi aap fresh hoke dinner karlijiye phir karte hai.
Raj: Thikk hai.
Phir Raj fresh hoke dinner karke wapas kamre mein aata hai aur bed mein sone lagta hai.
Sonal: Aap so gaye. Maine kaha tha na mujhe kuch jaruri baat karni hai.
Raj: Soya nhi hu. Bolo kyaa baat hai.
Sonal: Woh meri mama ji ki beti ki sagai hai 7 din baad. Toh waha jaana hai. Pune.
Raj: Achha toh chali jao. Kab jaana hai bolo main tickets karwa deta hu.
Sonal: Mujhe akele nhi humdono ko jaana hai.
Raj: Aahhh Sorry Sonal. Par kal se office mein ek naye project ko leke kaam start hoga. Aur starting mein chorke main aur Yash nhi aapaayenge. Woh bhi itne din ke liye.
Sonal: Udaas hoke. Toh aap nhi chalenge.
Raj: Aree udaas mat ho. Tum chali jaao. Main sagai ke ek din pehle aajunga.
Sonal: Nhi rehne dijiye Hum saath hi jaayenge. Aapke bina main nhi jaaungi.
Raj: Aree tumhara mann hai toh tum chali jao. Aise mann ko nhi maara karte.
Sonal: Aapke bina kaisee.
Raj: Koi baat nhi. Aur maine kaha na main sagai ke ek din pehle aajaunga. Aur tum pehle jaaogi toh apne mummy papa ke saath achhe se time spend bhi karlogi isiliye tum jao.
Sonal thodi der sochne ke baad haa kardeti hai.
Raj: Toh bolo kab jaogi main tickets karwa deta hu.
Sonal: Main kal di se puchke batadungi. Ab akele toh jaa nhi sakti unke saath hi jaaungi.
Raj: Thikk hai. Chalo ab so jaao. Aur subah mujhe thoda jaldi utha dena.
Sonal: Thikk hai. Good Nighttt.
Raj: Good Nightt.
Agle din Sonal Swati ko saari baat batati hai jo uski Raj ke saath hui thi.
Swati: Mujhe bhi kal Yash ne bataya hai ke woh nhi aa sakte.
Sonal: Toh ab aap boliye hum kya karee. Raj ne toh boldiya hai jab main chahu jaa sakti hu.
Swati: Thikk hai toh kal chalte hai. Tu packing karle.
Sonal: Thikk hai di. Main ghar mein baat karleti hu.
Swati: Thikk hai.
Phir call cut hojaata hai aur Sonal Smita se bolta hai.
Sonal: Mummy kyaa main kal jaa sakti hu Pune.
Smita: Kyaa Raj se tumhari baat hogyi hai.
Sonal phir Raj se hui baat Smita ko batati hai.
Smita: Toh kyaa tum akele jaa sakogi.
Sonal: Di mere saath jaa rahi hai.
Smita: Hmm. Thikk hai toh tum apni packing karlo aur Raj ko bolke kalki tickets karwalo. Aur pune apne mama ke yaha call karke bata do.
Sonal: Jii Thank You.
Phir Sonal Raj ko call karti hai.
Raj: Haa Sonal bolo.
Sonal: Aap busy hai.
Raj: Bolo naa.
Sonal: Wohh kyaa aap kalke liye meri aur di ki tickets karwa denge pune jaane ke liye.
Raj: Achha thikk hai main karwa deta hu. Aur kuchh.
Sonal: Jiii aapne lunch karliyaa.
Raj: Bas wahi karna jaaraha hu. Tumne kiyaa.
Sonal: Jii maine karliya.
Raj: Thikk hai. Main kalke liye tum dono ki tickets karwa deta hu. Byee.
Sonal: Byee.
Phir Sonal apni packing mein lag jaati hai.
Raat ko Raj Sonal ko uski tickets pakda deta hai.
Raj: Yehlo tumdono ki tickets. Kal subah ki flight hai. Swati Yash ke saath direct Airport aajayegi. Tum mere saath chalna tumhe drop karta hua main office chala jaunga.
Sonal: Jii. Thank You.
Raj: Tumhari packing hogyi naa.
Sonal: Haa hogyi. Aur aap aayenge naa Sagai mein.
Raj: Main sagai ke ekdin pehle aajaunga.
Sonal: Thikk hai.
Phir dono dinner karke so jaate hai.
Agle din Sonal thoda jaldi uthke sabke liye nashta banake pune jaane ke liye ready hojaati hai.
Raj: Sonal.
Sonal: Jii.
Raj: Yeh lo mera Credit card apne paas rakho. Waha pune mein kaam aayega.
Sonal: Iski jarurat nhi hai Raj.
Raj: Rakhlo. Sagai ka function hai kab jarurat padh jaaye.
Sonal: Thank You.
Raj: Tum ready ho.
Sonal: Haa bas aap breakfast karlijiye phir chalte hai.
Raj: Thikk hai chalo.
Smita: Sonal packing thik se karli naa.
Sonal: Jii Mummy.
Smita: Dhyaan se jaana. Aur yaha ke chinta naa karna. Achhe se enjoy karna. Aur pahonch ke call kardena.
Sonal: Jii Mummy.
Phir dono breakfast karke Airport ke liye nikal jaate hai.
Thodi der mein dono Airport aajate hai jaha Swati pehle se khadi thi.
Raj: Dhyaan se jaana aur apna khayal rakhnaa. Aur pahonch ke call kardena.
Sonal: Aap bhi apna khayal rakhiyega aur time se khaana khaa lijiyega.
Phir dono Airport ke andar chale jaate hai. Raj bas Sonal ko jaate hue dekh raha tha.
Yash: Kyaa dekh raha hai Raj.
Raj: Yaar jab bhi kisi ko aise Airport pe jaate hue dekhta hu naa toh mujhe woh din yaad aajata hai jis din meri Megha bhi aise hi andar jaa rahi thi. Par phir kabhi bahar nhi aayi.
Yash: Aaj achanak yeh baat kisliye Raj. Bhul jaa uss baat ko. Ab teri ek khushal zindagi hai. Itni achhi biwi hai kyo purani baato ko yaad karke khud ko takleef deta hai.
Raj: Main bhale hi kitna bhi aage badh jaau. Par Megha ki yaad humesha mere saath rahegi. Chorr chal late horaha hai. Phir dono office ke liye nikal jaate hai.