Update 44
Raj bas wahi baitha rehta hai aur Nandini ki baato ko sochta rehta hai. Sochte sochte uska sir dard karne lagta hai isiliye woh sone ki koshish karta hai par tabhi uske paas Sonal ka call aata hai.
Raj jab dekhta hai Sonal ka call hai toh uske chehre mein apne aap ek muskurahat aajati hai.
Raj: Hello.
Sonal: Hello Rajj.
Raj: Haa Sonal bolo.
Sonal: Ghar aagaye aap.
Raj: Haa aagaya.
Sonal: Dinner kiyaa.
Raj: Haa karliya. Tumne kiyaa.
Sonal: Haa karliya. Aapki tabiyat toh thikk hai naa Raj. Aapki awaaz se lag raha hai aapki tabiyat kharab hai.
Raj Sonal ki baat sunke sochne lagta hai kitna pyaar karti hai yeh mujhse. Mere se itna durr rehke bhi sirf meri awaaz sunke isko meri halat ka pata chal raha hai.
Sonal: Hello Rajjj. Rajjj aap kuch bolte kyo nhi. Aapki tabiyat thikk hai naa.
Raj: Haa. Haa meri tabiyat thik hai Sonal. Bas thoda sir dukh raha hai. Aur tum meri itna fikr mat karo. Tum waha enjoy karne gayi ho toh enjoy karo.
Sonal: Kyaaa aapka sir dukh raha hai. Jarur jyaada der laptop mein kaam karne se hua hoga. Main kehti rehti hu jyaada der laptop mein mat busy raha kijiye par meri sunta kaun hai. Aapka sir dukh raha hai aur main waha aapke paas bhi nhi hu. Aapna bilkul apna khayal nhi rakhte hai Raj. Main kal hi wapas aarahi hu.
Raj: Sonal shant hojao. Main thikk hu. Bas halka sa sir dard hai. Aur tumhe aane ki koi jarurat nhi hai. Aur maine jyaada der laptop mein nhi bitaya hai.
Sonal: Aise kaise Raj. Mere liye sabse jyaada jaruri aap hai yeh sagai nhi.
Raj: Main thikk hu Sonal. Aur itni fikr mat kiya karo.
Sonal: Dheere se. Kaise naa karu Raj. Aap nhi jaante aapko kuch hojaata hai toh mujhe kaisa mehsus hota hai.
Raj: Kuch kaha tumne. Halaki Raj ne sunn liya tha.
Sonal: Nhii. Aap ek kaam kijiye bed ke left drawer mein Balm rakha hai woh lagaiye usse thoda aaram milega aur neend aajayegi.
Raj: Thikk hai. Aur koi hukum.
Sonal: Filhal ke liye itna hi. Baaki ka kal dekhti hu. Agar kal subah aapki tabiyat kharab rahi toh main kal hi wapas aaungi. Ab achhe se so jaaiye. Good Night.
Raj: Good Nighttt.
Phir call cut hojaata hai.
Raj: Tum mere se kitna pyaar karti ho Sonal. Kyaa main sach mein tumhare pyaar ke layak hu. Yeh bolte hue Raj Sonal ke sang bitaye har ek pal ko yaad karne lagta hai jisme uska aur Sonal ka ghumne jaana. Thodi bahot masti karna hasi mazaak karna Sonal ka uske liye harwaqt samne rehna yeh sab sochte hue hi woh so jaata hai.
Idher Sonal ne jabse suna tha Raj ka sir dukh raha hai usko thodi tension hogayi thi.
Swati: Sonal sirf halka sa sir dard hai kyo itna tension le rahi ho.
Sonal: Unse milne ke baad aisa pehli baar hai di ke unko koi problem hai aur main unke paas nhi hu.
Swati: Woh thikk hai Sonal. Chalo so jaao.
Sonal: Mujhe abhi neend nhi aarahi hai di. Aap so jaaiye.
Swati: Sonal maine kaha na so jaao. Dekhna kal subah jab call karogi tab woh ekdum thikk hogaa.
Sonal Swati ke bolne pe so toh jaati hai par uska dil dimaag Raj ki tabiyat ke upar hi thaa.
Idher raat ko Raj ko sapne mein Megha ke saath tha.
Raj: Kaisi ho Meghaa.
Megha: Main bilkul bhi achhi nhi hu.
Raj: Kisliye Meghaa.
Megha: Kyoki tum pareshan ho. Kyaa baat hai Raj kisliye pareshan ho.
Raj: Tum toh jaanti ho naa Megha. Sonal mujhse kitna pyaar karti hai kyaa main uske layak hu.
Megha: Achhaa. Pehle mujhe yeh batao kyaa tum bhi usse pyaar karte ho.
Raj: Yeh tum kyaa bol rahi ho Megha. Main tumse pyaar karta hu.
Megha: Main tumhara kal thi Raj. Par Sonal tumhara aaj hai aur woh tumse bahot pyaar karti hai. Aur tum bhi usse pyaar karte ho par maan nhi rahe ho.
Raj: Nhii Megha yeh sach nhi hai.
Megha: Achha toh apni aankhe band karo aur apne mann mein dekho tumhe kiska chehra nazar aata hai.
Raj Megha ki baat sunke apni aankhe band karke dekhta hai toh usko jaha humesha Megha ka chehra nazar aata tha waha ab Sonal ka hasta muskurata hua chehra nazar aaraha tha jisko dekhte hue Raj ke chehre mein bhi muskurahat aagayi thi.
Megha: Kiska chehra dikha Raj. Sonal ka naa.
Raj kuch nhi bolta.
Megha: Tum bhi Sonal se pyaar karte ho Raj. Aur ab time aagaya hai ke tum Sonal ko uska pyaar do. Usko woh sab do jiski woh haqdaar hai. Usne bahot intezaar kiya hai Raj. Ab uska woh intezaar khatam kardo. Bolo karoge naa. Samaj lo tum apni Megha ke saath hi ho.
Aur isi ke saath Raj ki neend toot jaati hai kyoki uska alarm bajne lagta hai.
Raj: Main aaraha hu Sonal. Aur tumhe ab tumhara pyaar jarur milega. Tumhe woh harchiz milegi jiski tum haqdaar ho. Par tumhe thoda sa intezaar aur karna hoga. Tumhe special tarike se tumhara pyaar milega.
Yeh bol woh jaldi se nahane chala jaata hai aur phir ready hoke nichhe aata hai jaha Nandini baithi hui thi.
Raj: Bhabhi jaldi se nashta de dijiye mujhe late horaha hai.
Nandini: Kaha jaarahe ho.
Raj: Pune apni Sonal ke paas. Aur haa Thank You so much.
Nandini Raj ko khushi aur hairaani se dekhti rehti hai. Kyaa bola tumne kiske paas.
Raj: Apni Sonal ke paas.
Nandini: Apni Sonal matlab tum usse....
Raj: Haa bhabhi. Main apni Sonal ko aur nhi tadpaunga usko uska pyaar uska pura adhikaar usko dunga. Par thoda special tarike se jiske liye usko thoda intezaar karna padega.
Nandini: Main bahot khush hu Raj. Ab jaake uss bechari ka intezaar khatam hoga.
Raj: Woh mujhse itna pyaar karti hai bhabhi meri zindagi khushiyon se bhar di haj usne. Ab meri baari hai ke uski zindagi ko khushiyon se bhar du. Usko harwoh chiz du jiski woh haqdaar hai. Usse keh saku ke main bhi usse pyaar karne laga hu.
Nandini: Bahot achhe Raj. Tum baitho main abhi tumhare liye nashta leke aati hu.
Thodi der mein Raj nashta karke Airport ke liye nikal jaata hai jaha Yash pehle se khada tha phir dono flight mein baithke Pune ke liye nikal jaate hai.
Idher Sonal subah se hi Raj ka phone try kar rahi thi par uska phone switch off aaraha tha. Jisse woh aur tension mein aagayi thi.
Sonal: Yeh Raj ka phone band kyo hai. Kahi tabiyat jyaada toh nhi bigad gayi. Bhabhi ko call karti hu.
Nandini: Bolo devrani ji. Humhe kaise yaad kiya.
Sonal: Bhabhi Raj kaha hai unka phone kabse band aaraha hai. Raat ko unki tabiyat bhi kharab thi. Ab kaise hai woh thikk toh hai naa.
Nandini: Achha toh saiya ji ke liye humse contact hua hai. Raj toh subah hi nikal gaya. Kaha gaya pata nhi.
Sonal: Unki tabiyat kharab thi aur woh nikal gaye. Unhe apna bilkul bhi dhyaan nhi hai.
Nandini: Sonal shant hojao. Raj ki tabiyat thikk thi. Tum chinta mat karo. Hum sab hai naa yaha.
Sonal: Kaise chinta naa karu bhabhi. Unse milne ke baad aisa pehli baar hua hai ke main unke saath nhi. Main yaha kaise hu mujhe pata hai.
Nandini: Aree pagal chinta mat karo. Woh jaise hi aayega main khud baat karwaungi. Thikk hai.
Sonal: Thikk hai.
Phir call cut hojaata hai. Par Sonal ka ab kisi kaam mein mann nhi lag raha tha. Woh baar baar apne mobile mein dekh rahi thi.
Idher Raj aur Yash pune pahonch gaye the. Unhe receive karne Samar aaya hua tha jisse Raj ne raat ko hi boldiya tha.
Samar: Kaise aap dono.
Dono: Hum thik hai. Tum kaise ho.
Samar: Main bhi thikk hu. Chale.
Dono: Haa chalo. Waha kisi ko bataya toh nhi hai na.
Samar: Nhi kisi ko nhi. Par pata nhi kyo Sonal di subah se pareshan hai.
Raj: Ab uski jitni bhi pareshani hai sab khatam hojayegi. Tum chinta mat karo.
Thodi der baad dono ghar aajate hai.
Rashmi: Raj Yash tumdono aagaye. Bahot late kardiya aane mein.
Dono Rashmi ke pair chute hai aur bolte hai. Kaam hi aisa padh gaya ke uss waqt nhi aa paaye.
Rashmi: Koi baat nhi. Chalo aao baitho.
Raj aur Yash ki nazar Sonal aur Swati ko dhund rahi thi par woh kahi nhi dikh rahi thi.
Rashmi: Jinko dhund rahe ho woh dono upar hai. Samar inko lejaa.
Phir Samar dono ko upar leke jaata hai. Jaha Swati Rashi ke saath thi par Sonal waha nhi thi.
Samar: Didi dekhiye kaun aaya hai.
Swati: Kaun aaya hai.
Samar beech mein se hatt jaata hai toh Raj aur Yash andar aajate hai.
Swati inndono ko dekh kar bahot khush hui khaash kar Yash ko dekh kar.
Swati: Yashhhhh Rajjjj aagaye aaploggg.
Yash Swati ko dekh kar bahot khush hua. Uska mann toh kar raha tha abhi jaake usko baahon mein le le. Par Raj ki nazar toh uski Sonal ko dhund rahi thi.
Raj: Swati Sonal kaha hai
Swati: Pata nhi kyaa hua achanak uska mann nhi lag raha kahi bhi isiliye woh bagal wale kamre mein hai akeli. Tumhari tabiyat kaisi hai ab.
Raj: Ab thikk hai.
Swati: Tum jao mil lo usse. Kal se pareshan hai tumhare liye.
Raj jaldi se bagal wale kamre mein jaata hai aur door knock karta hai.
Sonal: Aajaiye. Darwaza khula hai.
Raj andar jaata hai toh dekhta hai Sonal khidki ki taraf chehra karke khadi hai. Raj bas usko dekh raha tha aur apni aankho mein basa raha tha. Par Sonal toh bahar hi dekh rahi thi.
Raj: Agar mujhse baat nhi karni ho toh main wapas chala jau.
Sonal yeh awaaz sunke pichhe mudd ke dekhti hai toh uski khushi ka tikana nhi tha. Par uski aankho se aansu bhi beh rahe the.
Sonal daud ke aati hai aur Raj ke gale lag jaati hai aur rone lagti hai.
Raj: Aree aree kyaa huaa. Kyo ro rahi ho. Kyaa mera aana achha nhi laga. Toh main wapas chala jaata hu.
Sonal yeh sunte hi Raj ko aur kash ke gale laga leti hai jaise usko choregi toh woh kahi chala jaayega.
Sonal ko aihsaas hi nhi tha ke abhi uski situation kyaa hai. Par Raj ko situation ka pura aihsaas tha par woh jaanta tha iss waqt Sonal ki condition kyaa hai.
Raj: Sonalll kyo ro rahi ho. Chup hojaao.
Sonal: Alag hote hue. Kaha thee aap. Phone kyo band tha aapka. Pehle bataiye aapki tabiyat kaisi hai. Aap thikk toh hai naa. Kyaa hua thaa aapko.
Raj: Sonal ke aansu pochte hue. Aree aree shant shant. Sab batata hu. Pehle yeh aansu pocho. Mujhe meri biwi ke aankho mein aansu achhe nhi lagte. Mujhe meri biwi humesha haste aur muskurate hue hi achhi lagti hai. Aur main bilkul thikk hu. Mera phone band isiliye tha kyoki main flight mein tha baad mein onn karna bhul gaya.
Sonal: Aapko pata hai main kitni pareshan hogayi thi.
Raj: Aur woh kisliye.
Sonal: Aapki tabiyat kharab thi aur aapka phone band tha toh mujhe tension hogyi thi.
Raj: Ab toh thikk hai naa.
Sonal haa mein gardan hila deti hai.
Raj: Achha batao. Surprise achha laga.
Sonal: Bahot achha laga. Aapne breakfast kiya hai naa.
Raj: Haa kiya hai. Tumne khaya.
Sonal: Thoda sa.
Raj: Kisliye.
Sonal: Woh achha nhi lag raha tha.
Raj: Very bad. Jao jaldi se apne liye nashta leke aao. Aur mere saamne baithke karo. Abhiiii. Aur koi sawaal jawaab nhi.
Sonal bhi chup chaap chali jaati hai aur thoda sa naashta leke upar aati hai.
Kuch der mein nashta hone ke baad Sonal bolti hai.
Sonal: Aap fresh hojaaiye.
Raj: Hmmm. Par uske pehle yeh lo.
Sonal: Yeh kyaa hai.
Raj: Yeh kal liya tha tumhare liye. Agar tum sagai mein yeh pehnogi toh mujhe achha lagega.
Sonal box kholke dekhti hai toh usme ek blue colour ki saree thi.
Raj: Pasand aaya.
Sonal: Bahot achhi hai. Main sagai mein isse hi pehungi. Thank You.
Raj smile kardeta hai phir fresh hone chal deta hai aur Sonal Raj ki di hui saree ko apne seene se laga leti hai.
Sonal bahot khush thi pehle toh Raj ka surprise phir Raj ki taraf se gift jisse woh khushi se naach rahi thi. Par udher kuch log iski khushiyon ko nazar lagane ka plan bana rahe thee.
Rajesh aur Ranjeet ne Raj ke upar nazar rakhne ke kiye ek aadmi ko uske pichhe laga rakha tha jo unndono ko Raj ki har khabar deta tha. Aur usi se unko yeh pata chala ke Raj pune gaya hua hai.
Rajesh: Humari zindagi barbaad karke woh Raj khushiyan mana raha hai.
Ranjeet: Chinta mat kijiye dad. Bahot jald uski khushiyon ko maatam mein naa badla toh mera naam Ranjeet nahi.
Rajesh: Issbaar usko jaan se nhi maarenge usko zindagi bhar tadapne ke liye chor denge. Woh marna bhi chahe toh marr nhi paaye. Usse uski har pyaari chiz chinn lenge aur iski suruaat karenge uski khubsoorat biwi se.
Ranjeet: Bilkul. Par jo bhi bolo uski Biwi hai badi mast. Aisa lagta hai jaise swarg ki koi apsara hai.
Rajesh: Aur uss swarg ki apsara ka dharti pe koi kaam nhi hai usko wapas swarg hi bhej denge.
Ranjeet: Bas ek sahi mauka. Phir uss Raj se uss Sonal humesha ke liye durr kardenge.
Rajesh: Ekdumm. Tu apne aadmi ko bol uss Raj ki harqat pe nazar rakhe. Ekdum saaye ki tarah uska pichha karte rahe.
Ranjeet: Thikk hai.
Idher raat ko pune mein sablog busy the kyoki agle din sagai thi isiliye jo jo kaam baaki the sab pure kiye jaarahe the.