ellysperry
Humko jante ho ya hum bhi de apna introduction
- 3,334
- 13,645
- 144
Jabardast updateUpdate 31Agle din Subaj hi pandit ji aake baithe hue the.
Savitri: Pandit ji. Mere do poto ki shaadi karwani hai. Koi achha sa muhurat nikaliye.
Pandit ji charo ki kundli milwate hai aur panchang se 15 din baad ka achha muhurat nikalwate hai.
Pandit: 15 din baad shaadi ka bahot achha muhurat hai. Aap chahe toh ussdin shaadi karwa sakte hai. Aur 13 din baad sagai. Nhi toh agle saal hi hoga.
Savitri: Nhi nhi agle saal bahot late hojayega.
Smita: Par Maa ji 15 din mein sab taiyaariyan kaise hongi. Nandini aur Shruti ki halat bhi toh abhi achhi nhi hai.
Nandini: Choti Mummy hum thikk hai.
Ragini: Iss mamle mein tumdono ekdumm chup rahogi. Tumdono akeli jaan nhi ho. Tumhare andar ek aur pal raha hai. Apna nhi toh uska khayal rakho. Aur Smita chinta mat karo. Saari taiyaari hojayegi.
Ishant: Haa Mummy. Aap chinta mat kijiye. Hum sab sambhal lenge.
Smita: Dekhlo jaisa tumlog thikk samjho.
Savitri: Toh 15 din baad ka hi thikk karte hai.
Sab haa mein gardan hila dete hai.
Deepak: Toh Maa hum bhi aaj hi nikalte hai humhe bhi toh taiyaariyan karni hogi.
Savitri: Thikk haiii.
Meera: Kyaa hum Sonal ko saath lejaaye. 15 din baad toh yeh humesha ke liye yehi aajayegi. Kam se kam yeh 15 din humare saath rahe.
Smita: Sonal ki marzi ho toh le jao.
Meera: Sonal chalogi.
Sonal jiska mann toh nhi tha Raj se alag hone ka par phir bhi woh haa boldeti hai aur apni packing karne upar chali jaati hai. Saath mein Swati bhi.
Ishant: Main Yash ko boldeta hu woh aapsab ki tickets karwa dega.
Deepak: Thikk hai.
Phir sablog apne apne kaam mein lag jaate hai.
Dopahar ko Raj aur Yash dono aajate hai office se.
Yash: Yeh aaplogo ki tickets aur 2 ghante baad flight hai.
Deepak: Thank You Beta.
Yash: Aree isme Thank You kaisa.
Ragini: Raj Yash jara innlogo ko Airport chorr aao.
Dono: Jiiii.
Phir dono jaldi se fresh hote hai aur sabko leke Airport chale jaate hai.
Yash: Toh tum jaarahi ho.
Swati: Bas 15 din. Uske baad toh humesha aapke saath hi rehna hai.
Yash: Haaye yeh 15 din pata nhi kaise gujrenge.
Swati: Sabar kijiye. Sabar ka fhal meetha hota hai.
Yash: Bahot mushkil se katenge yeh 15 din.
Swati: Hum intezaar karenge aapka. Jaldi aaiyegaa.
Yash: Bolo toh saath chalu. Shaadi ki taiyaariyon mein madad hojayegi.
Swati: Jii nhiii. Aap yaha ki taiyaariyan dekhe.
Thodi der mein sab Airport aajate hai.
Sonal: Apna khayal rakhiyega.
Raj: Hmmm.
Sonal: Aap khush hai naa.
Raj: Haaa. Khush hu.
Phir sab Airport ke andar jaane lagte hai toh Raj Sonal ko bulata hai.
Raj: Sonal.
Sonal: Jiii.
Sonal: Thikk se jaana. Aur pahonch ke call kardena.
Sonal yeh sunke bahot khush hoti hai. Jiiiii.
Phir wohlog andar chale jaate hai aur yehlog ghar aajate hai.
Vijay: Raj ab shaadi tak office nhi jaaoge.
Raj: Par bade papa shaadi 15 din baad hai. Toh itni jaldi office se chutti kisliye.
Ragini: Kyoo koi problem hai. Aree bhai humhe bhi toh taiyaariyan karni hogi ki nhi.
Raj: Jiii.
Shruti: Mummy main kya bolti hu. Agar main aur Ishant Jaipur chale jaaye toh kaisa rahega. Waha unhe bhi madad hojayegi.
Ishant: Haa Mummy. Waha sirf Samar aur Deepak Uncle hi hai. Woh akele padh jaayenge.
Smita: Socha toh achha hai. Thik hai phir kal tumdono waha chale jaao. Yash aur Ishu yaha humare paas aajayenge.
Shruti: Thikk hai.
Idher Sonal ne jabse mumbai chora tha uska mood off tha.
Swati: Kyaa hua Sonal.
Sonal: Kuch nhi di.
Swati: Main dekh rahi jab se humne Mumbai chora hai tera chehra utra hua hai. Kyaa Mumbai itna pyaara hogya. Yaa mumbai ka koi yaad aaraha hai.
Sonal: Aisa kuch nhi hai di.
Swati: Tum yeh kyo bhul jaati ho Sonal tum mujhse kuch nhi chippa sakti. Raj ki yaad aarahi hai.
Sonal haa mein gardan hila deti hai.
Swati: Pagal sirf 15 din ki toh baat hai. Phir humesha uske saath hi toh rehna hai.
Sonal: Hmmm.
Swati: Waise Mumbai call kiya yaa nhi.
Sonal: Areee baap ree. Main toh bhul hi gayi. Raj ne bola tha pahonch ke call kardena.
Swati: Par tu yaha pahonchi kaha hai. Teri body yaha hai par dil dimaag dono waha pe hi hai. Chal jaldi se call karke bata de.
Sonal jhatt se Raj ko call karti hai.
Raj: Haa Sonal pahonch gayi.
Sonal: Sorry Raj. Main bhul gayi thi call karna.
Raj: Koi baat nhi. Itne samay baad ghar gayi ho toh dimaag se nikal gaya hoga.
Sonal: Aapne dinner kiya.
Raj: Haa karliya.
Sonal: Kiyaa naa.
Raj: Haa karliyaa. Tumne kiya.
Sonal: Nhi bas karungi.
Raj: Hmm Thikk hai. Aaram karo Good Night.
Sonal: Good Night Raj.
Phir call cut hojaata hai.
Agle din subah hi Ishant aur Shurti Jaipur ke liye nikal jaate hai. Deepak Meera aur baakisab inko dekh kar bahot khush the.
Meera: Shruti beta kyaa jarurat thi iss halat mein travel karne ki.
Shruti: Aunty travel aaj nhi toh kuch din baad mujhe karne hi tha. Mere bhai aur devar ki shaadi hai. Aur aap akele kaise sab sambhalti isiliye main aagayi.
Meera: Bahot achha kiya beta. Warna main akele kya kya karti samaj nhi aaraha tha. Card chapwane hai invitation list taiyaar karni hai marriage hall book karna hai kitna kaam hai.
Ishant: Sab hojayegaa. Aap tension naa le. Marriage hall maine kal hi book kardiya tha raat mein. Uski tension nhi hai ab. Aap Shruti Swati aur Sonal milke Invitation list banale. Tab tak main aur Samar jaake invitation card chapwane ke liye de dete hai aur ek hotel bhi book kardenge. Phir sham ko humlog shaadi ki shopping ke liye chalenge.
Deepak: Bahot achhe beta. Tumne toh aate hi saara kaam ka schedule banwa liya. Par yeh hotel kisliye.
Ishant: Uncle Mumbai se jitne bhi log aayenge woh hotel mein hi rahenge. Saare mehmaan aur Baarat bhi wahi se niklegi aur wapas wahi pe jaayegi.
Deepak: Hotel kyo. Humara ghar hai. Yaha pe rahenge sab.
Ishant: Nhi Uncle. Yeh Sonal aur Swati ke maayka hai. Yaha se kaise dono baarat eksaath niklegi.
Deepak: Hmmm. Thikk hai. Par Maa Shruti Nandini Aarav Ishita aur woh Nandini ki behen yehi pe rahenge. Woh hotel mein nhi jaayenge.
Ishant: Thikk hai.
Meera: Chalo ab tumlog kuch khaa lo.
Shruti: Chaliye main aapki madad karti hu.
Meera: Agar kitchen mein pairr rakha toh abhi ke abhi wapas Mumbai bhej dungi. Chup chaap baith ke aaram karo. Koi kaam nhi karogi tum. Yeh bol Meera kitchen mein jaake jaldi se naashta taiyaar karti hai.
Phir yehlog naashta karke apne apne kaam mein lag jaate hai.
Meera: Swati Sonal aao guest ki list bana lete hai.
Swati: Mummy kyaa Khanna Uncle Aunty ko bulayenge.
Meera: Invitation toh dena hogaa.
Swati: Par woh Vickyyyy.
Sonal: Di uski wajah se hum uncle aunty se kyo galat behave karee. Hum unhe invitation jarur denge.
Shruti: Sonal ne sahi kaha Swati. Bhabhi ne mujhe bataya tha college wala case.
Phir yehlog saare mehmaano ki list banane lagte hai.
Idher Samar aur Ishant jaake pehle Hotel ki booking karte hai aur waha pe saari baat bhi karlete hai phir jaake Invitation card chapwane ke liye de dete hai.
Ghar mein Mehmaano list taiyaar hogyi thi. Tab tak Ishant aur Samar bhi ghar aagaye the.
Sham ko sablog milke shaadi ki shopping ke liye jaate hai. Sonal ne apne liye dress lene ki jagah Raj ke liye dress lene start kardiye. Usne shaadi aur sagai ke liye Raj ki sherwaani choose karli.
Sonal: Didi yeh dono maine Raj ke liye select ki hai. Kyaa unhe pasand aayega.
Shruti: Sonalll. Hum yaha tumhari shopping ke liye aaye hai aur tum apni shopping ki jagah uski shopping kar rahi ho.
Sonal: Nhii didi woh toh mujhe bas yeh dikha toh maine bas pasand kiya. Boliye naa kyaa yeh unhe pasand aayega. Yeh wala sagai ke liye aur yeh wala shaadi ke liye.
Shruti: Dono bahot achhe hai. Raj pe bahot achhe lagenge. Ruko main mumbai mein bhi dikhati hu. Yeh bol woh Nandini ko video call karti hai.
Nandini: Haa Shruti bolo.
Shruti: Bhabhi aapki devrani ne apni shopping ki jagah apne hone wale husband ki hi shopping kardali. Mujhe toh pasand aaya. Aap bhi dekhlijiye phir yehi se final kardete hai.
Nandini: Yeh ladki puri tarah pagal hai. Dikhao. Phir Nandini Raj ki sherwaani dekhti hai toh usko bhi bahot pasand aata hai.
Shruti: Toh yeh final kardete hai Raj ke liye.
Nandinj: Haa yehi kardo. Aur Sonal tum apni shopping pe dhyaan do. Yaha pe Raj ke liye bahot jan hai.
Sonal: Jii bhabhi.
Phir call cut hojaata hai.
Shruti: Hone wala pati ka toh hogya. Ab patni ka bhi karle.
Sonal: Sharmaa ke. Hmmm.
Phir Shruti jaake Sonal ki shopping pe nazar deti hai. Aur Raj ke sang match ho aisi dress leti hai.
Idher Ishant ne bhi Shruti ke liye shopping karli thi jiske baare mein Shruti ko pata nhi tha.
Shruti: Chalo tumhara toh hogya. Ab main thoda Ishant ka dekhlu.
Sonal: Jiii.
Shruti Ishant ke paas aati hai toh woh ladies section mein tha.
Shruti: Mister husband aap ladies section mein kyaa kar rahe hai.
Ishant: Apni biwi ki shopping jo lagbhag hochuki hai.
Shruti: Kyaaaaa aapne meri shopping ki.
Ishant: Haaa. Yeh lo.
Shruti: Howww sweet. Phir sabki nazre bachake Ishant ke gaalo mein ek kiss kardeti hai.
Ishant: Agar shopping karne pe aisa inaam milta hai toh main roj karu.
Shruti: Lalach nhi karna chahiye. Yeh bol hasne lagti hai. Ab chaliye aapne meri shopping toh karli main aapki shopping karlu.
Ishant: Chalooo.
Phir Shruti jaake Ishant ki shopping karti hai.
Idher Meera ne Swati ki shopping karwa di thi.
Innsabki shopping hote hote raat hogyi thi. Phir yehlog jaldi se kuch khaa ke ghar aate hai aur sidha apne kamre mein jaake sojaate hai.
Dusre din invitation card aagaye the. Toh list ke hisaab se sabko card dene jaana thaa.
Meera: Main aur Samar Khannas ke paas chale jaate hai. Tumlog baakiyon ke paas chale jaao.
Sab: Thikk hai.
Meera aur Samar phir Khannas ke ghar ke liye nikal jaate hai aur thodi der mein waha pahonch jaate hai.
Mrs. Khanna: Aree aaplog aaiye aaiye. Kaise hai aaplog.
Meera: Hum thik hai aaplog kaise hai.
Mrs. Khanna: Aaiye baithiye.
Yehdono andar aate hai toh Vicky hall mein hi baitha hua tha. Vicky ko dekh kar ekbaar toh Meera aur Samar ko bahot gussa aata par woh shant hojaate hai aur usko complete ignore karte hai. Mrs. Khanna ko bhi samaj aaraha tha.
Mrs. Khanna: Bataiye kaise aana huaa.
Meera: Yeh shaadi ka invitation dene aaye the.
Shaadi ke baare mein sunke Vicky ke kaan khade hojaate hai. Par woh itna react nhi karta kyoki usko laga Swati ki shaadi hogi.
Mrs. Khanna: Shaadi. Kyaa Swati ki shaadi hai.
Meera: Sirf Swati ki shaadi nhi hai sath mein Sonal ki bhi shaadi hai.
Sonal ki shaadi ki baat sunke Vicky ko bahot bada jhatka lagta hai. Woh gusse se inlogo ko dekhne lagta hai jo Samar ne dekh liya.
Mrs. Khanna: Sonal ki shaadi. Kisse aur achanak. Ladka kaun hai kyaa karta hai.
Meera: Hum Mumbai gaye the Swati ke liye ladka dekhne par waha pe Sonal ki hone wali saas ne Sonal ka haath maang liya. Ladka achha hai parivaar humare jaan pehchan ka hai aur sabse badi baat Sonal ki aur uske bhai behen ki marzi thi isiliye rishta fix kardiya.
Mrs. Khanna: Oooo. Chalo bahot achhi baat hai. Hum shaadi mein jarur aayenge. Shaadi kyaa yaha hai yaa Mumbai mein.
Meera: Shaadi yehi hai. Dono behen dekha jaaye toh ek hi ghar mein jaarahi hai. Sonal ki hone wali nanad ka devar hai Swati ke liye.
Mrs. Shaadi: Oooo. Achhi baat hai. Waise ladke kyaa karte hai.
Meera: Ladko ka khud ka business hai. Dono bahot achhe dost hai. Swati ke liye jo ladka chuna hai uska naam hai Yash aur Sonal ke liye Raj.
Raj ka naam sunte hi Vicky ko bahot gussa aata hai aur usko apni beizaati yaad aajati hai.
Vicky: Mann mein. Ooo toh matlab dono ne plan karke inko ready karwaya hai shaadi ke liye. Sonalllll yeh tune achha nhi kiya. Tu agar meri nhi hosakti toh tujhe kisi aur ki bhi nhi hone dungaa. Aur tere uss Raj ka aisa intezaam karunga ke woh pachtayegaa.
Meera: Achha ab hum chalte hai. Aur aaplogo ko shaadi mein jarur aana hai.
Mrs. Khanna: Bilkul aayenge. Aur shaadi mein koi bhi madad ki jarurat ho toh humhe yaad kijiyega.
Meera: Areee nhi nhi Swati ke jeth aur jethani aagayi hai madad ke liye. Aur aate hi saara kaam apne kandho pe le liya hai.
Mrs. Khanna: Ooo achhi baat hai.
Phir Meera aur Samar waha se chale jaate haii. Unke jaate hi Vicky bolta hai.
Vicky: Humlog iss shaadi mein nhi jaayenge.
Mrs. Khanna: Aur woh kisliye.
Vicky: Jiss ladki ki wajah se aapke bete ki beizaati hui aaplog usi ki shaadi mein jaayenge.
Mrs. Khanna: Beizaati tumne khud apni karwaayi hai apni ghatiya harqato se. Mujhe toh laga tha tumhari neech harqat ke baad yehlog humse rishta hi todd denge par iss shaadi mein bulake humhe maaf kiya hai.
Vicky: Gusse mein. Maine kaha naa humlog iss shaadi mein nhi jaayenge.
Mrs. Khanna: Tumhe kisne kaha hai jaane ko. Shaadi mein main aur tumhare papa jaayenge. Aur tum yehi rahoge. Hum nhi chahte waha shaadi mein tumhari wajah se humari aur beizaati ho. Aur agar yaha nhi reh sakte toh shaadi hone tak jaipur ke bahar raho. Waise bhi kaam dhanda toh hai nhi saare din loafer ki tarah ghumte rehte ho.
Vicky apni maa ki jali kati baate sunke aur jyaada gussa hojaata hai uska mann toh kar raha tha jaake abhi Sonal ko maar de. Woh gusse mein waha se nikal jaata hai aur Rajesh ki call karta hai aur shaadi ki baat batata hai.
Vicky: Yeh shaadi nhi honi chahiye. Iss shaadi mein khushiyan nhi maatam honi chahiye.
Rajesh: Aisa hi hogaa. Yeh shaadu uss Raj aur uske parivaar walo ke yaad gaar rahegi. Phir woh Vicky ko ek plan batata hai jisse sunke Vicky jor jor se hasne lagta hai.
Vicky: Bahot badiyaaa. Isse iss Sonal se apni beizaati ka badla bhi le lunga. Par uska woh bhai jo police hai uska kyaa.
Rajesh: Chinta mat karo. Iss kaam ke liye mere paas ek aisa aadmi hai jo agar pakda bhi gaya tab bhi humara kuch nhi bigdega.
Vicky: Bahottt khubbbbb. Phir call cut hojaata hai.
Sonallll tune uss Raj ke liye mujhe beizaat kiya aur mujhe reject kiya tha naa. Ab dekhna tujhe teri shaadi ka main aisa gift dunga jisse tu zindagi bhar yaad rakhegi. Yeh bol jor jor hasne lagta hai.
Ye Vicky abhi bhi nhi sudhra hai