ellysperry
Humko jante ho ya hum bhi de apna introduction
- 3,383
- 13,784
- 144
Jabardast updateUpdate 21Idher Deepak ne bhi Mr. Khanna se baat karli thi unko bhi woh sunke bahot bura laga. Unka sir sharm se jhukk gaya tha. Kyoki unko pata tha unka beta kaisa hai. Woh Deepak se maafi maangte hai aur yeh assure karte hai aisa phir kabhi nhi hogaa.
Mrs. Khanna ne bhi Meera se phone karke maafi maangi.
Idher Vicky college se apni beizaati karake jab apne flat mein aaya toh usko bahot gussa aaraha tha. Usne apne flat ki saari chize todni suru kardi.
Vicky: Gusse mein. Sonallllll. Tune yeh achha nhi kiyaaa. Tune sabke saamne meri beizaati ki. Tu jisse pyaar karti hai woh Raj usko toh main chorunga nhi teri aankho ke saamne usko maarunga. Tu agar meri nhi hosakti toh tujhe kisi aur ki bhi nhi hone dungaa.
Tabhi uske paas uske maa baap ka call aata hai. Woh usko sang sang jaipur bulate hai. Vicky bhi apni halat thik karke jaipur aata hai. Jaise hi woh ghar aata hai uske maa baap usko maarne lagte hai.
Mr. Khanna: Tu itna neech niklega yeh nhi pata thaa. Teri wajah se hum kisi ko muh dikhane ke layak nhi rahe.
Mrs. Khanna: Teri wajah se humara sir sharm se jhukk gaya hai. Humne tujhe azaadi di aur tune uss azaadi ka galat faiyda uthaya. Tune Sonal ke upar buri nazar rakhi. Teri himmat kaise hui. Tere kehne pe hum unse baat karne gaye. Humhe laga tu Sonal se pyaar karta hai. Par nhi tu toh....mujhe kehne bhi sharm aati hai. Chiiiiii.
Vicky chup chap sab sunn raha tha. Usko koi fark nhi padh raha tha. Woh bas apne gusse ko andar hi andar paal raha tha. Usko bas ab apna badla lena tha Raj aur Sonal se.
Idher mumbai ke ek jail mein 2 aadmi kaidd thee.
A1: Uss Raj ko hum chorengee nhi. Uski wajah se aaj humari yeh halat hai. Humara business humari izaat sab mitti mein mil gayi.
A2: Ussko jaan se maarenge tabhi iss dil ko chainn aayega. Humare har kaam mein woh beech mein aaya. Usko uske gharwalo ke saamne beizaat karne ka socha toh waha bhi bach gaya. Aur hum jail mein aagaye.
A1: Nhi nhi jaan se nhi maarenge. Usse uski sabse pyaari chiz chinn lenge. Jisse uski zindagi maut se bhi badtar hojayegi. Ekbaar hum yaha se nikle uske baad uss Raj ki zindagi ko tabah kardengee.
A2: Bas aur kuch waqt phir hum azaad honge aur Raj tabah hogaa.
Idher Raj jab office pahoncha toh Yash waha pehle se baitha hua thaa.
Yash: Kyaa baat hai Raj. Aaj itna latee kaise hogya. Itna late toh tu kabhi nhi huaa.
Raj: Woh Sonal Payal aur Ishu ke college mein problem hogyi thi usi mein late hogyaa.
Yash: Aisa kyaa hogyaa.
Phir Raj Yash ko saari baat batata hai. Bas Sonal ke uss jhoot ko nhi bataya.
Yash: Achha sabak sikhaya. Aise ladko ko saath aisa hi hona chahiye thaa.
Raj: Haaa sahi kaha.
Phir yehlog apna apna kaam karne lagte hai.
Raat ko dinner ke baad Sonal Karan ke room mein jaati hai.
Sonal: Bhaiyaa. Kya main andar aasakti hu.
Karan: Aree Sonal. Haa aao naa. Kuch kaam tha.
Sonal: Haaa. Woh actually kuch puchna tha.
Karan: Haa pucho.
Sonal: Woh actually maine humesha Raj ko shant dekha hai. Kabhi kisi se uchi awaaz mein baat karte nhi sunna. Phir aaj Raj ka yeh roop.
Karan: Dekho Sonal. Raj jitna shant hai. Utna hi Aggressive bhi hai. Aur yaha toh baat uske dost ki thi. Aur dost ke liye Raj jab school mein strike karwa sakta hai uske samne yeh kuch bhi nhi tha.
Sonal: Whatttt Strikeee.
Karan: Haaa Strike. Uss waqt Raj 13-14 saal ka hoga. Main Shruti Ishant Yash aur Raj ek hi school mein padhte the.
Yash thodi shaitaani karta tha aur Raj shant rehta tha. Yeh dono ek hi class mein the. Aur hum inke seniors the.
Humare school mein ek sir the sab unse darte the. Raj bhi darta tha. Woh choti choti galtiyon pe saza dete ya toh maarte.
Toh ekdin unhone exam liya tha. Jisme Yash ke number sabse kam aaye the. Toh unhone gusse mein Yash ko maara. Galti Yash ki thi isiye sab chup the. Par phir uss sir ne Yash ko unke jutee se maarne ki koshish ki. Yash ko ek baar kandhe pe maara toh Raj ka dimaag ghumm gaya. Dusri baar maarne ki koshish ki toh Raj ne jaake unka haath pakad liya.
Sir: Gusse mein. How dare you. Tumhari himmat kaise hui mera haath pakadne ki.
Raj: Sir aap galat kar rahe hai. Yeh kisi teacher ko shobha nhi deta ke woh ek student ko jutee se maare.
Sir: Mera haath choro. Aur tum mujhe shikaoge. Tumhari itni himmat. Yeh bol unhone apnr haath jhatka aur Raj ko usi jutee se maara.
Raj: Sir aap apni limit cross kar rahe hai. Agar ab aapne maara toh main yeh bhul jaunga aap ek teacher hai. Aur umar mei mujhse bade hai.
Sir: Kyaa karega tu. Maarega mujhe. Yeh bol wapas Raj ko maarne aate hai toh Raj unka haath pakad leta hai aur unko ek jordaar thappad maarta hai. Thappad ki gunj pure class mein gunji thi. Saare students shock reh gaye the.
Raj: Aapko kaha tha apni limit cross mat karna. Par aapne nhi manna. Ab ek student apni limit cross karega.
Sir: Apne gaal mein haath rakhe hue. Teri itni himmat tune ek teacher pe haath uthaya. Aaj teri haddiyan naa tod di toh dekhna. Aur tumdono ko aaj rusticate karwaunga.
Raj: Rusticate toh aaj aap honge.
Sir Raj ko maarne aate hai toh Raj table pe rakhe duster ko utha ke unke sir pe maarta hai. Jisse unki chikh nikal jaati hai aur bagal ke classes mein unki awaaz aati hai.
Bagal ke classes se teachers aake dekhte hai Raj uss teacher ko maar raha hai. Yeh sabhi ke liye shock tha.
Kyoki sabko pata tha Raj sabse shant bachha hai. Class ke students iss action se shock the toh khush bhi the kyoki sir ne students ko bahot torcher kiya tha par koi complain nhi karta tha isiliye unki himmat hadd se jyaada badh gayi thi.
Idher kuch teachers aake Raj ko aur uss sir ko durr karte hai. Aur tab tak principal bhi aachuke the.
Principal: What is this Raj. Tumhari himmat kaise hui apne teacher ko maarne ki. Kyaa yehi sikhaya hai tumhare parents ne tumhe.
Raj: Sir samjhiye aapka beta school mein padh raha hai. Aur aapke bete ko kam marks aaye hai. Aur uss subject ka teacher thoda strict hai. Jisko kam marks aate hai unko maarta hai. Toh aapke bete ko bhi maar padhi. Toh aapki nazar mein kaise maar padhni chahiye.
Principal: Haath se. Yaa stick se.
Raj: Agar uss teacher ne aapke bete ko jutee se maara hota toh aap kyaa karte.
Principal: Yeh kisi bhi teacher ke ethics mein nhi girta. Aur jo teacher aisa karta hai uske upar action liya jayega.
Raj: Maine bhi wahi kiya hai. Inhone kam marks aane pe Yash ko maara. Par phir inhone usse jutee se maara. Kis haq se. Unko yeh adhikar kisne diya. Aur jab maine protest kiya toh mujhe bhi maara gaya. Par maine inko warn kiya tha par yeh nhi maane. Tab jaake maine attack kiya.
Principal: Uss Sir se. Kyaa yeh sach hai. Aapne Yash ko aur Raj ko jutee se maara tha.
Sir: Nhi sir yeh jhoot bol raha hai. Main aisa kyo karunga.
Raj: Sir saare students gawahi denge.
Students: Haa Sir inhone maara tha.
Saare students ki gawahi pe Principal ko gussa aajata hai. Aur unhone sabke saamne uss sir ko bura bhala kaha. Phir sabko class mein jaane ko kaha.
Raj: No Sir. Yeh aaj ka nhi hai. Inhone pehle bhi aisa kiya hai. Aapko inko unn har students se aur Humdono se maafi maangni hogi aur inko rusticate karna hoga.
Raj ki baat sunke saarr teachers woh Sir aur principal shock hojaate hai.
Principal: Yeh possible nhi hai Raj. Abhi exams aane wale hai aur itni jaldi dusra teacher appoint karna possible nhi. Aur inki saza dene ka haq mera nhi hai. Higher Authority ka hai.
Raj: Toh thik hai jab tak inko saza nhi milti hum class nhi karenge. Hum strike karenge. Jab tak inko saza nhi mil jaati humari strike jaari rahegi.
Yeh bol saare students ground mein jaake baith jaate hai.
Jab humhe pata chala toh humne unhe samjhane ki bahot koshish ki par koi nhi suna. Principal ne saare students ke parents ko bulaya.
Jab Parents ko strike ki wajah malum hui toh unhone bhi rusticate karne ki aur maafi maagne ki maang ki.
Parents ke support se Raj ki strike aur badh gayi. Principal ko Higher Authority ko contact karna padha aur unko saari baat batani padhi.
Thodi der mein waha School Secretary aate hai aur puri baat ko sunte aur samajte hai.
Secretary: Tumhari himmat kaise hui bachho ke saath aisa behave karne ki. Kyaa yehi tumhare parents ne tumhe sikhaya hai. Tum abhi ke abhi saare students aur unke parents se maafi maangoge. Aur main tumhe abhi rusticate karta hu. Aur yeh decide karta hu ke tumhe phir kisi school ya college mein job naa de.
Sir Secretary ki baat sunke shock hojaata hai. Woh unse maafi maangta hai par koi baat nhi suni jaati. Sir ne sabse maafi maangi. Specially Raj aur Yash se. Phir unhe rusticate kiya gaya. Aur Raj ko aise protest karne ke liye shabasi di gayi thi.
Sonal Karan ke muh se yeh sab sunke puri tarah shock thi. Usko nhi pata tha Raj aisa bhi kar sakta hai.
Sonal: Raj ne aisa bhi kiya tha. Unke dekh kar lagta nhi woh aisa bhi kar sakte the.
Karan: Bola na Raj jaisa dikhta hai waisa hai nhi. Chalo ab so jao. Kal college jaana hai naa.
Sonal: Jii Good Night.
Karan: Good Night.
Phir Sonal apne room mein aake so jaati hai.
Aise hi 6 mahine guzar jaate hai. Raj aur Sonal ke beech ab bhi waisi hi dosti thi. Par Sonal toh Raj ko aur jyaada pyaar karne lagi thi. Par usko Raj ki taraf se koi idea nhi horaha thaa.
Yash aur Swati bhi apne long distance love mein magna the. Woh roj video call yaa voice call mein ghanto baate karte rehte.
Nandini aur Shruti dono maa banne wali thi. Dono 1-2 mahine ka hi difference tha. Dono bahot khush thee. Agarwal family mein iss waqt sirf khushiyan thi.
Vicky apne badle mein puri tarah pagal hogyaa tha. Woh unse badla lene ke liye tadap raha tha. Par usko koi mauka nhi mil raha tha.
Ishita aur Samar ke beech bhi thoda bahot aage badh gaya tha dono ab achhe dost the. Par long distance friendship.
Aise hi ekdin Sonal Payal ko Ishita College mein thi. Inki chutti hogyi thi. Aarav aaya hua tha inko lene ke liyee.
Aarav: Chaliye jaldi aapke liye ek surprise hai.
Sonal: Kya surprise hai.
Aarav: Bata diya toh kaisa surprise. Chaliye khud dekhlijiyegaa.
Phir dono ghar aate hai. Ghar aakar Sonal puri tarah se shock hojaati hai.
Sonal: Mummy Papa Didi Samar aaplog yahaa. What a surpriseee. Sonal bhagg ke aati hai aur Swati ke gale lag jaati hai.
Swati: Kaisi hai Sonalll.
Sonal: Main achhi hu didi aap kaisi ho.
Swati: Ekdum masttt.
Meera: Sonalll apni mummy se nhi milegi.
Sonal apni Mummy ke gale kas ke lag jaati hai. Meera bhi Sonal ko kas ke gale laga leti hai. Aakhir 6 mahine baad dono maa beti mil rahe theee.
Meera: Kaisi hai meri bachhi. Tu thik hai naa.
Sonal: Main bahot achhi hu mummy. Aap sabko dekh kar toh aur bhi achhi hogyi hu.
Phir Sonal Deepak aur Samar se bhi milti hai.
Aarav: Toh kaisa laga surprise. Pasand aaya.
Sonal: Bahot pasand aaya. Par aap sab achanak aise bina bataye.
Meera: Bas tujhe surprise dene ke liye aagaye.
Sonal smile kardeti hai.
Nandini: Sonal jao jaake fresh hojaao. Phir lunch karlo.
Sonal: Jii bhabhii.
Sonal jaldi se fresh hoke aati hai aur lunch karti hai. Phir Swati ke saath apne kamre mein aake baate karne lagti hai.
Samar bhi Aarav ke saath nikal gaya.
Sham ko jab Ashok Vijay aur Raj ghar aate hai aur inko dekhte hai toh woh bhi khush hote hai.
Dinner ke waqt sab hall mein baithe the.
Deepak: Ashok Vijay bhaiya humara yaha aane ka ek reason hai. Humdono aaplogo se kuch baat karna chahte hai.
Vijay: Kyaa baat hai.
Deepak: Ab Swati ki umar shaadi ke layak hogyi hai. Toh ab hum iske liye ladka dekh rahe hai.
Swati yeh sunti hai toh uska haal aisa hojaata hai jaise kaato toh khoon nhi.
Swati: Mann mein. Yeh kyaaa hai. Yeh kyaa baat kar rahe hai yehlog. Meri shaadi. Nhiii. Main Yash ko chorke kisi se shaadi nhi karungi. Mujhe inhe rokhna hogaa.
Swati: Mummy Papa. Mujhe abhi shaadi nhi karni.
Meera: Aur kyo nhi karni. Tum shaadi ki age hogyi hai. Ab nhi karogi toh kab karogi. Aur humne toh ladka bhi pasand karliya hai. Humare yaha aane ka main reason yehi hai.
Swati: Kyaaaaaaa. Aaplogo ne itna sab karliya aur mujhse puchaa tak nhi.
Meera: Aree abhi sirf humne pasand kiya hai. Tumhara rishta thodi naa jorr diya hai. Agar pasand nhi aaya toh baat khatam.
Swati: Mann mein. Pasand toh aagaya hai. Aur aaplog jiske liye aaye hai usko toh main dekhungi hi nhi. Mujhe Yash se jald se jald baat karni hogi.
Sonal: Dheere se. Kyaa baat hai di aapki toh nikal padi.
Swati: Tu chup karegi. Tujhe badi jaldi se meri shaadi ki.
Sonal: Aree aapki hogi tabhi toh mera raasta clear hogaa.
Swati: Tu behen hai yaa dushman. Apne liye meri bali chadha rahi hai.
Sonal: Aree di problem kyaa hai. Ek na ek din toh karni hi hai. Agar ladka pasand aagaya toh achhi baat hai naa. Kahi aapne apna dil kisi aur ko toh nhi de diya.
Swati: Ghabrake. Nhii nhii aisi koi baat nhii hai. Bas mujhe abhi shaadi nhi karni.
Sonal mann hi mann hasne lagti hai.
Smita: Meera kaun hai woh ladka.
Meera: Aaplog usse jaante hai. Hum jab yaha Shruti ki shaadi mein aaye tab usko dekha tha. Aur tab woh mujhe meri Swati ke liye achha laga. Phir kuch din baad jab maine inhe bataya toh inko bhi woh achha laga.
Swati: Mann mein. Kis chachundar ko pasand karliya inhone. Aree meri zindagi barbaad hojayegi. Aisa mat karooo.
Ragini: Aree naam bhi toh batao. Jara hum bhi toh sune kaun hai woh.
Raj: Mann mein. Betaa Yashh tera patta katne wala hai tune late kardiya. Ab teri Swati kisi aur ki hojayegi.
Deepak: Woh Shruti ka devar hai naa Yashh. Hum uski baat kar rahe hai.
Raj Sonal aur Swati yeh naam sunte hai bahot khush hote hai. Swati ki aankho mein toh ek pal aansu aajate hai.
Swati: Mann mein. Abhii Papa ne kyaa bolaa Yashhh. Shruti didi ka devar. Matlab inhone ne mere liye mere Yash ko hi choose kiya hai. Areee merii haaa haiii. Main karungi shaadi. Jarur karungiiii.
Raj: Mann mein. Areee waaahhh. Betaa Yashhh tu bachh gaya. Teri naiyaa toh paar hogyii. Par teri band toh bajungaa rukh.
Smita: Areee waaah. Bahottt achhi pasand hai. Yash humare liye bilkul Raj jaisa hai. Bahot achha ladka hai. Swati bahot khush rahegi uske saath. Aur phir Shruti bhi toh wahi hai.
Ragini: Bilkulll. Bahott achhi soch hai. Yash bahot achha ladka hai. Swati uska saath bahot khush rahegi. Aur yeh dono toh ekdusre ko jaante bhi hai.
Meera: Haaa. Maine sagai aur shaadi ke waqt dekha tha. Mujhe uska behaviour baat karne ka salikha mizaaz bahot pasand aaya. Isiliye maine uske liye puchha. Par kahi woh kisi aur ko toh pasand nhi karta naa.
Raj: Aree nhi nhii. Yash kisi ko pasand nhi karta. Main toh kehta hu aaplog kal hi jaake rishte ki baat karle. Kahi derr naa hojaaye.
Vijay: Haaa bilkul Raj ne sahi kaha. Subh kaam mein deri kaisi.
Deepak: Bas hum isi liye yaha aaye hai. Aur aaplogo se achha Yash ko kaun jaanta hai.
Smita: Par Swati se toh puchlo. Usko pasand hai yaa nhi.
Sonal: Haa di boliyee. Kyaa kehna hai aapka Yash ke baare mein. Agar aap haa kahengi toh yaha mere paas hi rahengiii.
Swati: Mann mein. Areeee main toh readyy hi huuu. Parr haa kaisee kahu. Mujhe toh sharmm aarahi hai. Aur yeh Sonal isko toh kuch jyaada hi jaldi hai.
Meera: Bolo Swati. Agar tumhe pasand nhi toh hum baat aage nhi badhayenge. Aur agar tumhe koi aur pasand hai toh bolo hum uske ghar walo se baat karte hai.
Swati: Gardan neeche karke. Nhi mummy aisa kuch nhi. Jaisa aaplog thik samjhee.
Ragini: Chaloo ab toh Swati ki bhi manjuri mil gayi. Hum kal hi chalte hai. Nandini beta Shruti ko phone lagao.
Nandini: Khushi se. Jiii mummy.
Sonal: Kyaa baat hai di. Pehle toh mana kar rahi thi. Aur ab haa kehdiya. Kuch samaj nhi aaya.
Swati: Ab mummy papa ne pasand kiya hai toh achha hi hoga naa. Main toh bas isiliye mana kar rahi thi kyoki mujhe unhe chorke jaana achha nhi laga.
Sonal: Mann mein. Abhi bhi kitna jhoot bol rahi hai. Mann mein toh laddu foot rahe hongee. Khushi toh dekho chehre mein saaf dikh rahi hai.
Shruti: Hii bhabhi. Kaisi hai aap.
Nandini: Main thikk hu. Tum kaisi ho. .
Shruti: Main bhi thikk hu.
Nandini: Lo Mummy baat karengi.
Ragini: Beta kal tumlog ghar mein hi honaa.
Shruti: Haa badi mummy. Kal humlog ghar mein hi hai. Kyo kyaa hua.
Ragini: Kal hum tumhare ghar aarahe hai. Kuch jaruri baat karni hai.
Shruti: Kyaa baat hai badi mummy.
Ragini: Kal ghar mein aake baat karenge. Ishant ko bolna ghar mein rahe aur haa Yash ko kal ghar mein hi rakhnaa.
Shruti: Jii.
Ragini: Chalo apna khayal rakhnaa.
Phir call cut hojaata hai.
Thodi der baad sab apne room mein chale jaate hai.
Room mein aake Raj Yash ko call karta hai.
Raj: Betaa tu toh gaya. Kal tere liye rishta leke aarahe hai ghar wale.
Yash: Kyaaaaaaa. Rishtaa mere liyeee. Abeee mainn shaadi nhi karne walaa.
Raj: Tu kuch naa kar saktaa. Maine bahot koshish ki rokhne ki par koi naa sun raha. Kal taiyaar rehne. Ladki wale ko saath aarahe hai.
Yash: Mann mein. Abee yeh toh problem hogyiii. Main Swati ko kyaa bolungaaa. Woh toh meraa khoon kardegiii. Nhiii nhiii. Main Swati ko chorke kisi aur se shaadi nhi kar saktaaa. Mujhe yeh rokhnaa hogaa. Haa main kal subah hi ghar se jaldi nikal jaungaa.
Raj: Abee kaha marr gaya. Shaadi ke sapne dekhne laga kyaa.
Yash: Mujhe bali chadha ke puch raha hai kaha marr gaya. Tu dost nhi dushman hai.
Raj: Abee maine kyaa kiyaa. Maine toh bahot koshish ki. Par koi meri sune tab naa.
Yash: Toh bol deta mera kisi ke saath lafda chal raha hai. Apne aap mana kardete.
Raj: Kyaaa tune kabhi bataya nhiii. Kaun hai woh ladki. Aur kabseee. Agar pehle bata deta toh main kuch kar sakta thaa.
Yash: Par ab mera kyaa hogaa. Woh mera khoon kardegi.
Raj: Pehle ladki ka naam bata.
Yash: Woh woh Swati.
Raj: Abee kaun Swati.
Yash: Aree woh Sonal ki didi. Jaipur se.
Raj: Kyaaaa. Saale itna lambaa haath maara. Aur kabbb maara.
Yash: Wohh bhaiya ki shaadi mein. Tabhi humdono ne ekdusre ko. Par kuchh kar yaar. Main Swati ke bina kisi aur se shaadi nhi karungaa.
Raj: Main abhi kuch nhi kar saktaa. Ek kaam karna. Kal ladki ko dekh ke reject kardena. Ab teri marzi ke khilaf toh jaayenge nhi.
Yash: Haa yeh thikk rahegaa. Par agar koi naa maana toh.
Raj: Toh chadd jaa ghodi. Waise maine ladki ko dekha hai. Achhi hai dikhne mein. Tere saath achhi jamegi.
Yash: Tu phone rakhhh.
Phir call cut hojaata hai.
Raj: Betaa tu aaj saari raat tension mein guzaar. Kal tere ko surprise milega. Par kahi Swati Yash ko naa bata de. Sonal ko bolta hu.
Yeh bol usko call lagata hai
Raj: Sonal tum dekho kahi Swati Yash ko bata naa de ke kal hum aarahe hai. Usko surprise denge.
Sonal: Thikk hai.
Phir Sonal Swati ka mobile leke switch off kardeti hai.
Swati: Sonal yeh kyaa kiyaa. Mera mobile switch off kyo kardiyaa.
Sonal: Bas aise hi. Aapse mujhe bahot baate karni hai.
Agar beech mein call aagaya toh. Isiliye off kardiya.
Swati: Mann mein. Aree ab Yash ko kaise batau. Chalo koi nhi unko kal surprise milegaa.
Idher Yash ke aankho se toh neend udd chuki thi. Woh Swati ko call kar raha tha par uska phone band aaraha tha. Isiliye usne msg send kardiyaa
Yash ko tou solid surprise milega