• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance BESHARAM (Completed)

Spider-Man

New Member
88
116
18
Simran: bhagban kare kabhi use hamare sath ki jarurat na pade…uski jindagi mein kabhi bura time na aye…

Seema: han sahi kaha…

Fir aise hi thodi der baat karne ke baad dono ne phone kaat diya…uske baad us din kus khas nahi huya…

Ab age…

Agle din college mein sabhi canteen mein baithe the Divya aur Sam ne apne rishte ke bare mein abhi kisi ko nahi bataya tha…dono normally behave kar rahe the but jab Sam wahan se apne ghar Jane ke liye bahar nikla toh Divye bhi uske piche piche chali gayi...Sam apni gadi mein baithne wala tha k Tabhi Divya ne use awaj di…

Divya: Sam…

Sam (palat kar): kya huya kus kaam hai…

Divya: nahi kya ap mujhse kahin bahar mil sakte hain…mujhe apse kus baat karni hai…dekhiye plz mana mat kijiyega baat boht important hai…

Baat toh Sam ko bhi karni thi…

Sam: thik hai aj sham ko 5:00 baje yahin samne wale park mein…

Divya: thik hai main time par pahunch jaungi…ok see you later…

Sam:OK…

Fir Sam aur Divya apne apne ghar ke liye nikal pade…Sam ghar pahunch kar apne kamre mein gaya aur Divya ke bare mein sochne laga…

Sam(man mein): ab Divya ko kya baat karni hogi…chalo Jo bhi baat ho…mujhe bhi baat toh karni hi hai main apni baat kar lunga…par kya mujhe Divya ko sab bata Dena chahiye…agar iske baad Divya ne shadi ke liye mana kar diya toh main papa ko kya jawab dunga…maine unse promise kiya hai k main Divya ki family ke sath khada hounga…

Sam Apni in sab sochon mein uljha tha…par divya ka irada saaf tha use sirf Sam ki khusi se matlab tha…Divya yahan dil se soch rahi thi wahin Sam dimag aur dil ke beech uljha pada tha…ek taraf uska dimag keh raha tha k wo aisi ladki se shadi na kare jisse wo pyar hi nahi karta par dusri taraf uska dil keh raha tha jis pariwar ke log use itna pyar karte hain aur Divya uski itni achi dost hai us pariwar ka is muskil waqt mein sath de…

Khair aise hi 4:30 ho gaye…aur Sam Divya se Milne nikal pada…dono time par park mein pahunch Gaye...

Divya: hi Sam kaise ho…

Sam: thik hun…toh chalo wahan us bench par baithte hain…

Fir dono ek bench par jakar baith gaye…Sam abhi bhi confuse tha wo soch raha tha k wo kya bole par usne faisla kiya k pehle Divya ki baat sun li jaye…

Sam: toh batao Divya kya baat Karna chahti thi tum…

Divya: Sam dekhiye main apse shadi karne ko lekar boht khus hun…but main yeh bhi nahi chahti k ap apni khusi ke bina shadi karein…mujhe aisa lagta hai k ap is rishte se khus nahi hain…

Sam: nahi Divya aisi baat nahi hai…

Divya ne Sam ka hath apne hathon mein le liya…

Divya: Sam dekhiye hum ache dost hai isliye ap mujhe sab saaf saaf bata sakte hain…

Sam: nahi yaar aisi baat nahi hai main khus hun…

Divya: toh yeh baat ap meri ankhon mein dekh kar bol dijiye mujhe yakeen ho jayega…

Sam ne himmat karke Divya ki ankhon mein dekha usne Jaise hi uski ankhon mein dekha pata nahi use kya huya wo apne ap ko un ankhon mein khoya sa mehsus karne laga…Uske munh se wo nikal gaya Jo wo bolna nahi chahta tha aur yeh uske dimag mein bhi nahi tha…but kehte hain na jab dil bolta hai dimag fail ho jata hai…Sam ke sath bhi yahan kus aisa hi huya…

Sam(Divya ki ankhon mein dekh kar): Divya main boht khus hun tumse shadi karne ko lekar…main kabhi soch bhi nahi sakta tha k mujhe tumhare jaisi ladki milegi…

Sam jab yeh bol raha tha toh uski ankhon mein sachayi thi…aur Divya ko yakeen ho gaya k Sam is rishte se khus hai…Par Sam is waqt Jo bhi bol raha tha us par uska koi control nahi tha najane kion par sab apne ap uske munh se nikal raha tha…

Ab Sam ko boht gussa a raha tha apne ap par k wo kya bolne aya tha aur najane kaise yeh sab bol gaya khair thodi der baat karne ke baad Divya wahan se chali gayi…wo boht khus thi uske man ka bojh halka ho gaya tha…par Sam boht confuse tha uska dil najane kion uske control se bahar ho raha tha aur Sam ke na chahte huye bhi Divya ke liye sapne saja raha tha…

Sam Jaise taise ghar pahuncha aur apne kamre mein door lock karke bed par Peeth tika kar baith gaya aur aj ki mulakat ke bare mein sochne laga…

Sam(man mein): yeh Maine kya kar diya main Divya ko sab batana chahta tha par uski ankhon mein dekh kar najane Mujhe kya ho gaya Jo yeh sab bol gaya…mera dil kion uske liye sapne saja raha hai…kion wo baar baar mujhe apni patni ke roop mein najar a rahi hai…mera dil mujhse baghawat kion kar raha hai…kahin mujhe us se pyar toh nahi ho gaya na…nahi aisa nahi ho sakta Sameer Khurana ko kabhi kisi se pyar nahi ho sakta…aj tak aisi ladki nahi paida huyi hogi…jiske liye mera dil dhadhke par fir bhi kion Mujhe ek ek dhadkan ke sath Divya ka naam sunayi de raha hai…Akhir aisa kya tha uski ankhon mein Jo main apna control kho baitha…kahin uska pyar dekh kar main bhi toh uski taraf nahi badh raha…

Sam ke man mein boht udedh bun chal rahi thi…hamare sath bhi kayi baar aisa huya hoga k hamara dil kisi chij ke liye tadap raha ho par hamara dimag bole k nahi yeh nahi hona chahiye …aise waqt mein kayi log galat faisle kar lete hain…par kya Sam yahan par apne ander chal rahi is ladayi se jeet payega yah nahi…

Khair Sam aise hi apne kamre mein baitha yeh sab soch raha tha sham ko dinner ke time Uske door par knock huya…Sam ne uth kar door khola aur uski mom ander ayi…

Simran (Sam ke chehre par uljhan dekh kar): beta kya huya tumhe aise kion munh banaya hai…

Sam: mom kus nahi bas aise hi koi faisla nahi le pa raha hun…

Fir Simran bed par baith gayi aur Sam ka sir apni god mein rakh kar use lita diya…aur uske sir ko sehlane lagi…

Simran: beta mujhe pata hai tu apni shadi ke faisle ko lekar pareshan hai…

Sam: han mom but kus aur bhi hai Jo mujhe pareshan kar raha hai…

Simran: kya huya beta agar koi pareshani hai toh mujhe bata…

Sam: mom asal mein main aj kal Divya ke bare mein kus jyada hi soch raha hun…

Simran: beta kion kya huya…

Sam: mom main Divya se pyar nahi karta…par mera dil baar baar uske bare mein sochta rehta hai…hamesha uski tasveer ankhon ke samne ati rehti hai…main boht pareshan hun mom…

Simran: beta kabhi kabhi aisa waqt ata hai life mein…par hamein jyadatar faisle dil se hi lene chahiye…

Sam: mom dimag ka kya Jo mujhe kehta hai main Divya se pyar nahi karta hun…

Seema: beta dimag har chij ko boht jyada samajh kar faisla karne ki kosish karta hai…jab hum kisi chij ke prati apna faisla pehle se bana lete hain toh dimag use itni jaldi nahi badlta…isliye hume dimag par jyada stress na dal kar dil ki baat sunni chahiye…

Sam: ap sahi keh rahi ho mom…par agar main dil ki baat sun lun but baad mein dimag aur dil ke beech pista rahun…toh main apni life mein kabhi age nahi bad paunga…

Simran: beta aise faisle jaldbaji mein nahi lene chahiye…thoda sabar se kaam lo dhire dhire koi na koi rasta nikal hi ayega…jo sahi hoga…ab jaldi chalo aur dinner kar lo…

Sam: nahi mom man nahi kar raha…

Simran: beta kabhi khane se munh nahi modna chahiye life mein utar chadhaw toh ate rehte hain…

Fir thodi der ke baad Simran Sam ko khane ke liye mana kar le gayi…

Toh dosto din aise hi gujrate gaye aur Sam aur Divya ki shadi ki date paas ati gayi…matlab exams paas ate gaye…Divya ka pyar Sam ke prati badhta hi gaya…aur Sam bhi Divya ki taraf khinch raha tha but abhi bhi wo apne dil aur dimag ke beech faisla nahi kar pa raha tha…

Unke sabhi doston ko bhi Sam aur Divya ke rishte ke bare mein pata lag chuka tha...aur sab khus the but Sam ke sabse kareebi dost Ashu ko hi pata tha k asal mein Sam majburi mein shadi kar raha hai…

College ka akhri din tha uske baad sabhi exams ke time Milne wale the…

Rachna: yaar hum sab alag ho jayenge…exams ke baad…

Nisha: are aise kaise…hum college chod kar ja rahe hain duniya chod kar nahi…aur dost hain milte rahenge…

Sam: yaar aisi batein nahi karte…hum sab kabhi alag nahi honge…

Ashu: han yaar sahi kaha…

Divya: Aur abhi toh exams ki tension lo baad ki baad mein dekhi jayegi…

Nisha: are madam ap kion exam ki tension lene wali itna handsome life partner Jo mil gaya…aur college se nikalte hi shadi…tumhe toh exams ke jaldi se khatam hone ka intzar hoga…

Nisha ki baat se Divya sharma gayi…aur Sam ke man mein fir wahi ladayi shuru ho gayi…isliye usne ghar bhagne ki hi Sochi…

Sam: OK guys main ghar ja raha hun…ab exams ke time milenge…

Deepak: OK bhai…main bhi jata hun kus kaam hai…

Fir sabhi apne apne ghar chale gaye…

Toh dosto Sam ki life ka yeh flashback ant ke kareeb pahunch raha hai…aur sayad jaldi hi yeh pata chal jaye k akhir huya kya tha Sam aur Divya ke beech...BESHARAM ko aise hi support karte rahiye…aur apne dost SIDHU ko pyar dete rahiye…

To be continued…
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18
Sam: OK guys main ghar ja raha hun…ab exams ke time milenge…

Deepak: OK bhai…main bhi jata hun kus kaam hai…

Fir sabhi apne apne ghar chale gaye…

Ab age…

Toh dosto din gujarte rahe…aur exams bhi nikal gaye aur sab ke exams ache ho gaye…aur dus din baad Sam aur Divya ki shadi thi…sab khus the bas Sam ko chhod kar… yeh bhi nahi keh sakte k wo dukhi tha but han wo pareshan tha par khud se kionk itne time mein bhi wo faisla nahi kar pa raha tha halanki uske dil mein Divya ke liye feelings paida ho rahi thi…par wo us feeling ko daba raha tha sayad uski ego keh sakte hain yah kus aur par mujhe nahi pata kya tha…

Khair aj subah ke time sabhi khana kha rahe the par tabhi Sam ke phone ki ring baji…Sam chup chap khana khata raha…

Simran: beta dekh lo na kiska phone hai…

Sam: mom khana khatam karke dekh lunga…

Rajeev: beta koi jaruri call na ho…

Sam ne fir apna phone nikala aur dekha toh Divya ka number tha…Sam ne phone uthaya…

Sam: yaar kya hai subah subah pareshan kar rahi ho…khana toh khane de…

Par samne se Divya ki awaj ayi toh Sam ka dil darne laga…kionk Divya ro rahi thi…

Divya (rote huye): Sam…

Sam: kya huya Divya tum ro kion rahi ho…sab thik toh hai na…

Divya: nahi Sam kus thik nahi hai…papa ki tabiyat boht kharab hai…wo hospital bhi nahi ja rahe…wo baar baar keh rahe hain k Sam ko bula do…

Sam: main abhi aya Divya…

Sam ne faltu batein nahi ki aur apna khana beech mein hi chod kar uth gaya…Sam ko pareshan dekh kar Simran ko bhi tension hone lagi…

Simran: beta kya huya sab thik toh hai na…

Sam: mom uncle ki tabiyat boht kharab hai…main unke ghar ja raha hun…ap log bhi a Jana…

Yeh bol kar Sam wahan se nikal gaya…Aur apni car utha kar Divya ke ghar ki taraf nikal pada…wo kafi jyada pareshan tha…

Divya ke ghar pahunch kar wo seedha ander gaya aur bina kus dekhe seedha Shiv aur seema ke kamre mein ja pahuncha sab wahin khade the…pura pariwar…

Sam ko dekhte hi Divya Sam ki taraf daudi aur uske gale lag kar rone lagi…aur Sam ne bhi uski Peeth par thapki di aur use chup hone ko kaha…

Sam: Divya chup ho ja aise nahi karte…dekh main a gaya hun ab sab thik ho jayega…

Fir Sam ne Divya ko alag kiya aur uski ankhein saaf karke Shiv ke paas bed par jakar baith gaya…Shiv ki halat boht kamjor thi…wo badi muskil se Sam ki taraf dekh pa raha tha…

Sam: uncle apko kus nahi hoga hum abhi hospital jate hain…

Shiv ne Sam ka hath pakda…

Shiv: beta mujhe yeh pehle se pata tha k aisa hi hoga…tum log mujhe nahi bacha sakte…par kya ek promise karoge mujhse…

Sam: ap boliye uncle kya karna hai…

Shiv ne Divya ko apne paas bulaya aur uska hath apne dusre hath mein pakad liya…

Shiv: beta tum mujhse wada karo k hamesha Divya ka sath nibhaoge…aur Divya tum bhi Sam ke sath mil kar pure pariwar ko sambhalogi…

Itna bolte hi Shiv ko khansi shuru ho gayi…tabhi Sam ke mom dad bhi wahan a gaye aur Seema ke paas ja kar khade ho gaye…

Shiv: beta jaldi bolo mere paas jyada time nahi hai…

Sam: han uncle main promise karta hun jab tak meri sansein chalengi…tab tak main Divya aur baki family ke sath khada rahunga…

Divya: papa apko kus nahi hoga…

Divya ne abhi itna hi bola tha k tabhi Shiv ne Divya ka hath Sam ke hath mein diya…aur apni ankhein band karlin…

Divya (Shiv ko hilate huye): Papa utho…papa ap uth kion nahi rahe ho…(Divya ne rona shuru kar diya tha) papa plz uthiye na…

Par Shiv ab kabhi nahi uthne wala tha wo hamesha ke liye is duniya ko chod kar chala gaya tha…Sam ne uski ankhein band kardin…sab ne rona shuru kar diya tha Seema ko Simran aur Rajeev hausla de rahe the…aur Riya aur Sahil Sam se lipat kar ro rahe the Divya abhi bhi apne papa ke paas baithi ro rahi thi…ankhein Sam ki bhi nam thi par wo apne apko control kar raha tha kionk use sab ko sambhalna tha…

Sam ne Bachon ko alag kiya aur Divya ko utha kar apne gale se laga liya aur use samjhane laga…

Sam: Divya aise rote nahi hain…kehte hain Jane wale ko khusi khusi bida karna chahiye…use swarg mein jagah milti hai…kya tum nahi chahti k tumhare papa ki atma mukat ho jaye…

Sam ko in sab baton ka koi matlab nahi pata tha par wo Divya ko samjhane ke liye yeh sab bol raha tha…use khud kus nahi pata tha…

Divya: Sam papa ko kya ho gaya…

Sam: ache logon ki bhagban ko bhi jarurat hoti hai…isliye wo unhe jaldi bula lete hain…ab tum chup ho jao bas karo ro mat…

Fir Aise hi Sam bari bari sabko samjhata raha…Dhire dhire sabhi rishtedar aur friends a gaye…aur antim sanskar ki tyarian karne mein lag gaye…Sam ne arthi ko kandha diya aur Agni bhi di…

Baki log chale gaye aur Divya ke ghar mein kewal pariwar wale aur Sam ki family bache the…Divya ko kisi bache ki tarah Sam ne sambhal rakha tha…wo kabhi use pani pilata kabhi uske ansoo pochta aur kabhi use samjhata…ab sab log ek sath niche hi baithe huye the Shiv ki tasveer ek table par rakhi huyi thi…

Is waqt Sab kus shant sa tha kehte hain na Jane wale kabhi nahi laut te bas reh jati hain toh unki yadein…aur ab Shiv ki sirf yadein hi bachi thin…aur Ghar walon ke ab ansoo bhi sookh chuke the…Seema ko boht dukh tha uske pati ke Jane ka par wo iske liye pehle se tyar thi…par Divya ke liye yeh kisi Bure sapne se kam nahi tha…Riya aur Sahil bhi bechare sixth mein padne wale bache unke Sir se baap ka saya uth gaya…

Raat ho gayi wahin baithe baithe par na Jane kaise but jab se Shiv ka antim sanskar karne ke baad sab ghar laute hain…tab se lekar ab tak kisi ke munh se ek shabad nahi nikla…Ghaton ki is khamoshi ko Rajeev ne toda…

Rajeev: toh ab hamein ghar chalna chahiye…

Seema(ankhon par sukh chuke ansuon ke nishan ab bhi the): han ap log ab jaiye jyada Raat ho gayi hai…

Simran: theek hai...Par Sam yahin ruk jayega…

Sab ke chehre se udaasi saaf jhalak rahi thi…khair Sam wahin ruka aur Uske parents ghar chale Gaye…

Ab bhi sabhi wahin baithe the…Sam ne adha breakfast kiya tha aur toh kisi ne subah se ek niwala tak nahi khaya tha…

Seema: beta chalo tum log khana kha lo…

Riya: mom bhukh nahi hai…

Seema: beta aise nahi karte chalo jaldi se khana kha lo…tum dono bhi a jao (Sam aur Divya ki taraf dekh kar)…

Is waqt Divya Sam ke sath tek lagaye baithi thi…Jab khane ke liye puchne par Sam ne use uthana chaha toh wo so rahi thi…

Sam: aunty yeh toh so gayi hai…main ise ander leta deta hun…

Seema: thik hai beta…Chalo Riya Sahil tum dono khana kha lo…

Sam Divya ko Apni god mein utha kar uske kamre mein lejane laga…uske kamre mein pahunch kar Sam ne Divya ko bed par leta diya…

Divya sote waqt badi pyari lag rahi thi na koi udaasi na koi pareshani thi…bas thi toh sirf masoomiyat uske chehre par…Sam kus time tak bina kus bole Divya ko dekhta raha…fir ek balon ki lat ayi Jo uske chehre par jakar giri…Sam ne use apne hathon se is tarah alag kiya k Divya ki neend na kharab ho...

Fir use najane kya sujhi …wo age badha aur usne Divya ke mathe par chum liya…aisa karte waqt Sam ka hath Divya ke hath ke paas gaya…jab Sam kiss karne ke baad Jane laga toh Divya ne neend mein hi uska hath pakad liya…

Sam ko laga k agar wo hath chudane ki kosish karega toh kahin Divya ki neend na khul jaye…isliye wo wahin bed par Divya ke paas niche pair karke baith gaya…yeh soch kar ke jab Divya uska hath chodegi tab wo chala jayega….

Aj Sam ke ander chipa Divya ke liye pyar…wahi pyar jise wo dabane ki kosish kar raha tha…wo reh reh kar bahar a raha tha…sayad isliye kion divya Aj dukhi thi aur use choti choti khusiyan dekar Sam ke man ko sukoon mil raha tha…Aj Sam ke man mein na toh koi ladayi thi aur na hi kus aur…thi toh sirf Divya ki khusi ke kiye kus bhi karne ki bhawna…

Khair Sam is umeed mein baitha raha k Divya uska hath chodegi…par Divya ne hath nahi choda…Seema bhi ayi thi Sam ko bulane par Sam ne kaha k Divya jaag jayegi…

Par na toh Divya uthi aur na usne Sam ka hath choda…is beech pata nahi kab Sam ki wahin baithe baithe ankh lag gayi…aur wo Divya ke bagal mein kus is tarah lait gaya k uske pair bed se neeche the aur uski upper body Divya ke bagal mein kus is tarah lait gaya k uske pair bed se neeche the aur uski upper body Divya ke bagal mein….

Toh dosto aj ke liye itna hi…umeed hai ap logon ko pasand aya hoga…par hamein abhi bhi is raaz ke khulne ka intzar hai k akhir Sam aur Divya ke beech huya kya tha…Tab tak ke liye BESHARAM ko aise hi pyar dete rahiye aur Apne dost SIDHU ka hausla badhate rahiye….

To be continued…
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18
Khair Sam is umeed mein baitha raha k Divya uska hath chodegi…par Divya ne hath nahi choda…Seema bhi ayi thi Sam ko bulane par Sam ne kaha k Divya jaag jayegi…

Par na toh Divya uthi aur na usne Sam ka hath choda…is beech pata nahi kab Sam ki wahin baithe baithe ankh lag gayi…aur wo Divya ke bagal mein kus is tarah lait gaya k uske pair bed se neeche the aur uski upper body Divya ke bagal mein….

Ab age…

Agle din subah pehle Divya ki ankh khuli…wo ankhein maslati huyi uthi aur Jaise hi usne Sam ko apne paas leta dekha toh wo ek pal ke liye ghabra gayi…par agle hi pal Sam ko sote dekh kar Divya ko ajeeb sa sukoon mila…kionk sote huye Sam boht pyara lag raha tha…kus time tak Divya aise hi laiti Rahi…fir wo bed se uthi aur thodi kosish ke baad Sam ko bed par achi tarah Lita diya aur uske upar blanket di…

Divya Sam ke mathe par kiss karne ke baad washroom mein ghus gayi…Divya ke chehre par halki udaasi thi par ab wo pehle se kus behtar lag rahi thi…

Khair thodi der baad Sam ki ankh khuli aur Sam ne jab apne ap ko Divya ke room mein bed par leta paya toh use samjhane mein der na lagi k wo raat mein wahin baitha baitha so gaya…Fir Usne idhar udhar dekha toh Divya wahan nahi thi…use laga k bahar gayi hogi…isliye wo uth kar washroom Jane laga…wo abhi door ke paas pahuncha hi tha…tabhi door khula aur Divya ander se nikli…

Sam ko achanak apne samne dekh kar Divya dar gayi…kionk yeh sab achanak ho gaya tha…is wajah se Divya ki jor se cheekh nikal gayi…Divya ki cheekh se Sam bhi dar gaya…

Divya ki cheekh itni jordar thi k Seema bhi bhagti huyi Divya ke room mein pahunch gayi…

Seema(hamfti huyi): kya huya beta sab thik toh hai na…

Divya(apni sansein normal karte huye): han mom kus nahi huya wo achanak Sam ko apne samne dekh kar dar gayi thi…

Seema: pagal kahin ki…

Yeh bol kar Seema wahan se chali gayi…

Sam: kya main tumhara washroom use kar sakta hun…

Divya: Sam hamare beech kus tera mera nahi hai…

Yeh bol kar Divya wahan se chali gayi…Sam bas use dekhta hi reh gaya…kionk aj Tak Divya aur Sam mein sirf dosti ko chhod aur kus nahi tha…Halanki Sam yeh janta tha k Divya usse pyar karti hai…par Divya ne kabhi Sam ko propose nahi kiya tha…

Khair Sam washroom mein chala gaya…fresh hone ke baad Sam hall mein gaya Seema wahan akeli hi baithi thi…

Sam(Seema ke paas baithte huye): Aunty baki sab kahan gaye…

Seema: beta Riya aur Sahil boht udaas hain toh Divya unke kamre mein gayi hai…

Sam: OK aunty…vaise main apko sorry kehna chahta tha…

Seema(hairani se): wo bhala kion…

Sam: kal main Divya ke room mein hi so gaya…

Seema(Sam ke galon par hath rakh kar): beta koi baat nahi Mujhe tum dono par pura bharosa hai…aur vaise bhi tum dono ki shadi hone wali hai…

Sam: Thanks aunty mujhe samjhne ke liye…

Aise hi din gujrate gaye Shiv ki yaad toh sabko ati thi but ab koi jyada rota nahi tha…Divya ne shadi postponed kardi thi…Sam ab Shiv ka business dekhta tha…Divya bhi Sam ke sath reh kar thoda boht seekh rahi thi…ab dhire dhire sab normal ho raha tha…Sam bhi ab Divya se pyar karne laga…sayad karta toh pehle se hi tha but samjhane mein kafi der lag gayi…

Abhi bhi dono mein se kisi ne bhi propose nahi kiya tha…bus chori chori ek dusre ko dekhna…aur ek dusre se dheron batein karni…kabhi kabhi Ek dusre ki ankhon mein kho jana…Sab kus hota tha bas kami thi toh ek proposal ki…

Us din Friday tha…Shiv ko gaye lagbhag ek saal ho gaya tha…Sam aur Divya ki shadi thi…Sunday ko shadi thi…Sab boht khus the dono gharon mein chehal pehal thi…

Sam ke dost Sam ke ghar aye huye the…sab Sam ke room mein baithe the…

Ashu: are bhai parson ko shadi hai…tu toh gaya samajh…

Deepak: bhai bakra halal hone wala hai…

Lucky: kash koi mujhe bhi halal karde…

Sam: sale kaise dost hain koi toh dara raha hai kisi ko apni bani hai…

Ashu ko abhi bhi lagta tha k Sam majburi mein shadi kar raha hai…isliye wo Sam ke kaan mein dhire se bola…

Ashu: bhai abhi bhi soch le agar shadi se khus nahi hai toh mana karde…baad mein kus nahi hone wala…

Deepak: oye kya khusar fusar kar raha hai…kahin hamari baat toh nahi kar raha…

Ashu: yaar main toh soch raha tha k Sam ko bechlor party deni chahiye…

Lucky: Han bhai maja ayega…

Deepak: bhai party toh banti hai…

Ashu: thik hai aj Raat ko arrangement karte hain…

Lucky: aj Toh maja hi a jayega…

Sam(thodi tension mein): salo kameeno tum logon ne mujhe marwana hai kya…koi party warty nahi hogi…

Ashu: Bhai fikar kion karta hai…kisi ko pata nahi chalega…

Lucky: yaar manja na hum puri tarah se secret rakhenge…

Sam: OK OK but ek sharat par yeh baat hum Charon ke beech hi rahegi…

Ashu: are han bhai pakka…chal thik hai…raat ko 8 baje tujhe pick karne a jayenge…

Sam: thik hai but dhyan se…

Ashu(deepak aur lucky se): chalo ab tum dono mere sath…tyari karte hain…

Deepak: han par karenge kahan…

Ashu: Yaar mere chacha ka ghar hai wo khali pada hai wahin karenge…

Lucky: OK toh chalo bhai…

Fir wo teeno wahan se chale gaye…Sam ko thodi tension thi k kahin ghar par kisi ko pata chal gaya toh kya hoga…par use Divya ki jyada fikar thi kionk use apne kameene doston par pura bharosa tha k wo kaisi party rakhenge….

Raat ko 7:50 baje Ashu Sam ke ghar aya…wo sidha Simran ke paas gaya kionk use pata tha k agar aunty ko mana liya toh rasta saaf samjho…ghar mein har taraf chehal pehal thi…aur Simran hall mein khadi thi…

Ashu(seema ke paas ja kar dhire se): aunty apse ek permission leni thi…

Simran: bolo beta…

Ashu: wo aunty hum Sam ko apne sath leke Jana chahte hain…

Simran: beta uski shadi hai…Ghar mein mehman aye huye hain…agar wo nahi rahega toh acha nahi lagega…

Ashu: wo aunty bas do ghante ki baat hai 10 baje tak chhod jayenge…

Simran: chalo theek hai but kya kaam hai usse…koi party warty ka plan toh nahi hai…

Simran bina kahe hi samaj gayi thi Ashu kisi pakde gaye chor ki tarah idhar udhar dekh raha tha…

Simran: are daro mat koi baat nahi tum logon ki yahi umar hai…par jyada late mat karna…

Ashu (khus hote huye): thanks aunty…

Fir Ashu Sam ke room ki taraf lagbhag bhag kar gaya aur fir Sam ko sath lekar Ashu wahan se bahar a gaya…

Sam (ashu ki bike par Uske piche baithte huye): oye wo dono namune kahan hain…

Ashu(bike start karte huye): Bhai wo dono wahin hain…

Fir bike Ashu ke chacha ke ghar ki taraf badha di…wahan pahunch kar Sam Toh ekdum khus ho gaya kionk un logon ne kamal ka arrangement kiya tha…

Fir party shuru huyi…Sam ko chhod kar sabhi drink karte the isliye Sam ne cold drink se hi kaam chala liya…

Un teeno kameeno ne Boht jyada pi li isliye Sab out ho gaye…par kus aur bhi locha tha…Sam ki soft drink mein kus mila huya tha wo bhi chakar kha kar gir gaya…

Udhar ghar par sab boht pareshan ho rahe the…Kionk 2:00 baj chuke the par Sam ghar nahi aya tha…aur na hi koi phone utha raha tha…

Subah bhi ho gayi…abhi bhi kisi ka koi pata thikana nahi…Rajeev aur Simran boht jyada pareshan the…

Simran: wo log abhi tak nahi aye 8:00 baj chuke hain…

Rajeev: tumhe pata hai wo kahan gaye hain…

Simran: nahi bas itna pata hai k party ke liye gaye hain…

Abhi wo dono batein kar hi rahe the k Tabhi Simran ke phone par divya ka call aya…Simran ne kus soch kar phone utha liya…

Divya(pareshan si lag rahi thi): aunty Sam kahan hai…

Simran: wo beta asal mein wo party ke liye gaya tha abhi tak ghar nahi aya(Simran ne sach batana hi sahi samjha)...

Divya: aunty mujhe pata hai wo log kahan hain…main apko address SMS karti hun ap bhi a jaiye…

Simran: thik hai beta...par tumhe kaise pata chala…

Divya: aunty kisi ne phone kiya tha but naam nahi btaya…

Simran: thik hai hum log abhi wahan jate hain…

Toh dosto aj ke liye itna hi…ab dekhte hain akhir yeh sab ho kya raha hai…kya wahan Sam milega aur yeh kon hoga jisne Divya ko phone kiya aur kisne Sam ki drink mein kus milaya aur kion milaya….in sab sawalon ke jawab janne ke liye BESHARAM ke sath bane rahiye….apka apna SIDHU…

To be continued…
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18

Update 13

Divya: aunty mujhe pata hai wo log kahan hain…main apko address SMS karti hun ap bhi a jaiye…

Simran: thik hai beta...par tumhe kaise pata chala…

Divya: aunty kisi ne phone kiya tha but naam nahi btaya…

Simran: thik hai hum log abhi wahan jate hain…

Ab age…

Divya jaldi hi apni car lekar Ashu ke chacha ke ghar pahunch gayi…usne wahan pahunch kar apni gadi park ki...gadi se nikal kar Divya ne ek baar address check kiya…yahi address tha…fir wo age badhi aur door bell bjayi…par kisi ne gate nahi khola…

Usne kayi baar try kiya but koi na aya…wo kafi pareshan ho gayi thi…

Divya(apne ap se): yaar koi door hi nahi khol raha…dekhun agar door khula huya toh aise hi chali jaungi…I hope k koi musibat na ho…

Divya ne ek baar bhagban ka naam liya aur himmat karke door khola…aur wo door unlock hi tha isliye jaldi hi khul gaya…Divya dar bhi rahi thi…kionk use nahi pata tha k kisne phone kiya tha use…ho sakta tha k koi khatra ho uske liye but Sam ke liye wo koi bhi khatra uthane ko tyar thi…

Toh Divya ne himmat ki aur ander chali gayi…ander hall mein kus khali bottles padi thin…Divya idhar udhar dekhte huye Aur darte darte ek kamre ke bahar pahunchi use khol kar dekha toh room khali tha…

Fir Divya ne wo door band kiya aur agle room ki taraf chal padi…usne Jaise hi agle room ka door khola toh uski ankhein fati ki fati reh gayin…uske pairon tale se jameen khisak gayi…use apni duniya barbad hote nazar a rahi thi…

Kionk samne ek bed par Sam leta tha usne upar ek blanket le rakha tha…par uski upper body blanket se bahar thi aur uspar koi kapda nahi tha…lekin problem yeh thi k Sam ke sath usi blanket mein ek ladki so rahi thi…wo ulti leti huyi thi…usne apna ek hath Sam ke upar rakha huya tha…aur us ladki ki upper body par bhi koi kapda nahi tha…

Ab ap Sam aur us ladki ki halat se samjh hi gaye honge k Divya ko kaisa mehsus huya hoga…ek aisi ladki Jo kisi ladke se Apni jaan se bhi jyada pyar karti ho…uske liye kus bhi karne ko tyar ho…aur usi ladke se uski shadi ho par shadi se ek din pehle wahi ladka kisi aur ladki ke sath is condition mein mile toh kya bitegi us ladki par…

Yahi haal us waqt Divya ka tha Sam ko is tarah dekh kar Divya wahin apne ghutno ke bal baith gayi aur apna sir pakad kar Rone lagi…wo ander se puri Tarah se tut chuki thi…use kus samaj nahi a raha tha k use kya Karna chahiye…

Par agle hi pal Divya ko najane kya huya wo ekdum se uthi aur apne ansoo poch kar wahan se gusse mein nikal gayi…wo jis tarah se wahan se bhagi thi….isse saaf pata chal raha tha k wo boht jyada gusse mein hai…khair Divya ne apni gadi nikali aur apne ghar ki taraf chal padi…Divya apne ansoo rokne ki kosish kar rahi thi but ansoo baar baar beh rahe the…

Khair Divya ke Jane ke baad Sam ki neend khuli…wo utha aur apne as paas dekha…use jab laga k wo apne kamre mein nahi hai toh usne apne dimag par jor dala par use kus yaad nahi a raha tha…uske Sir mein boht tez dard ho raha tha aur use chakar se bhi a rahe the…par tabhi uski nazar apne sath padi us ladki par padi aur jab usne apni aur uski halat dekhi toh use kus samaj mein nahi a raha tha…

Sam (dhire se apna sir pakad kar): sala yeh kya locha hai…main yahan kaise aur yeh ladki kon hai…wo bhi is halat mein…main toh Ashu ke sath aya tha…

Sam yeh sab sochta huya utha aur apne kapde pehan kar us kamre se bahar nikla aur baki ke kamron mein apne doston ko dhundhne laga…ek kamre mein use wo teeno ek hi bed par pade mile…Sam unke paas gaya aur unko uthane laga…

Sam: oye uth jao kameeno yahan pata nahi sab gadbad lag raha hai…

Khair Ashu toh jaldi hi uth gaya par baki ke dono abhi bhi so rahe the…

Ashu (apni ankhein maslate huye): kya yaar bhai sone de na kion tang kar raha hai…

Sam(ashu ka hath pakad kar use khinchte huye): bhai mere sath a tujhe kus dikhata hun…

Ashu Sam ke peeche peeche adha soya sa chalta gya…par Jaise hi Sam ne use wo ladki dikhayi toh uske hosh udh gaye…uski neend aise gayab huyi Jaise gadhe ke sir se seengh…

Ashu(hairani se): bhai yeh kahan se ayi aur is halat mein kion laiti huyi hai…

Sam: yaar kus pata nahi par problem is baat ki hai k main abhi abhi iske sath so raha tha aur wo bhi bina kapdon ke…

Ashu: kya bol raha hai bhai tu…yeh sab kaise huya…

Tabhi door bell baji…un dono ke pasine chhut gaye kionk pata nahi kon aya hoga aur agar usne Us ladki ko yahan is halat mein dekh liya toh kya hoga…

Sam(pareshan sa hokar): bhai ek kaam kar main dekhta hun kon hai…tu dhyan rakhna kahin yeh ladki bahar na a jaye…

Ashu: thik hai bhai…

Fir Sam darta darta door ke paas gaya aur boht himmat juta kar door open kiya…aur Jaise hi uski najar samne padi uski dar ke mare fat gayi…use samaj nahi a raha tha k wo kya kare…kya kahe kionk samne Uske parents khade the…isse pehle Sam kus bolta Rajeev bol pada…

Rajeev: beta tu yahan hai aur hum ghar par pareshan ho rahe hain…

Sam(haklate huye): wo dad Raat mein jyada late ho gaya aur hum log yahin so gaye…chaliye ghar chalte hain…

Sam nahi chahta tha k uske mom dad ander ayein aur us ladki ko dekhein…isliye wo jaldi se jaldi wahan se bhagna chahta tha…aur usne aisa hi kiya isse pehle k uske mom dad jyada swaal karte wo unhein lekar car mein baith gaya aur ghar ki taraf chal pada…wo drive kar raha tha aur uske dad uske sath wali seat par baithe the…

Rajeev ko Sam ke chehre se kus gadbad lag rahi thi…jaise k wo boht jyada pareshan ho…

Rajeev: beta koi pareshani hai kya…

Sam(samne dekhte huye): nahi dad main boht thak gaya raat boht late soya tha toh tired feel ho raha hai…

Rajeev(shak ke najar se Sam ki taraf dekhta huya): thik hai beta…

Fir wo log Jaise hi ghar pahunche toh Sam jaldi se car ko park karke apne kamre mein chala gaya…wo apne mom Dad se jitna ho sake dur rehna chahta tha taki wo usse koi swaal na puch sakein…

Sam fresh hone ke baad apne bed par baitha tha…tabhi uske phone par Ashu ka phone aya…Sam ne phone uthaya…

Ashu: bhai tu kahan chala gaya tha mujhe fikar ho rahi thi…

Sam: yaar wo mom dad the door par toh main in logon ko wahin se wapis le aya…nahi toh problem ho jati…aur us ladki ka kya huya…

Ashu: Bhai wo toh chali gayi…boli k Raat ko boht maja aya…bhai sach sach bata tune kya kiya Raat ko…

Sam: bhai main bol raha hun na k mujhe kus nahi pata…aur tu kabse mujh par shak karne laga…

Ashu: nahi bhai aise hi puch liya…chal chhod jaan bachi toh lakhon paye…acha huya uske bare mein kisi ko kus pata nahi laga…

Sam: han nahi toh problem ho jati…ok aj sham ko ghar mein shadi ke function hain tum log jarur ana…bhul mat Jana…

Ashu: yaar kaisi baat kar raha hai…bhai ki shadi ho aur main na aun yeh ho nahi sakta…bhai tu dekhna main dhoom macha dunga…tu yaad rakhega…

Sam: Chal ab jyada mat ud…ok yaar ab main aram karta hun…

Fir Sam ne phone kaat diya aur wo aram karne laga…tabhi wahan Simran ayi…wo kafi pareshan lag rahi thi…

Sam: mom kya huya ap boht pareshan lag rahi hain…

Simran: beta pata nahi but Divya aur Seema ayi hain…aur Divya tum se akele mein kus baat karna chahti hai…tum logon ke beech kus gadbad toh nahi hai na…

Sam: nahi mom…koi problem nahi hai…

Seema: OK beta main usko tere room mein bhej deti hun…bhagban kare sab thik ho…

Fir Simran wahan se chali gayi…aur Sam bhi soch mein pad gaya k akhir kya baat ho sakti hai…

Khair thode time baad Divya Sam ke room mein ayi…wo kafi udaas thi…

Sam: divya kya baat hai Jo tum yahan ayi ho mujhe bula leti…

Divya(sapast lehje mein): Sam wo ladki kon thi…

Sam(hairani se): konsi ladki…

Divya ke ab ansoo nikal aye the…

Divya: wahi Jo aj tumhare sath bed mein…

Divya isse age kus nahi bol payi aur bed par baith kar Rone lagi…Sam Ki bhi halat kharab ho chuki thi…use samaj mein agaya tha k Divya kis bare mein baat kar rahi hai…

Sam divya ke paas gaya aur uske samne niche baith kar usne uska hath pakda aur use samjhane ki kosish karne laga…

Sam: Divya main nahi janta k tum kaise wahan pahunchi…but mera yakeen Karo k main use nahi janta…mujhe nahi pata k wo wahan kaise ayi…main hosh mein nahi tha…

Divya (rote huye): Sam mujhe tum par pura yakeen hai…bas tum ek baar yeh boldo k tum dono ke beech aisa kus nahi huya…

Divya ki baat ka Sam ke paas koi jawab nahi tha kionk use khud nahi pata tha k huya kya hai…Sam ne Divya ka hath chhoda aur chup chap side mein jakar deewar ki taraf munh karke khada ho gaya…

Divya(Sam ke paas jakar): Sam tum aise bhag nahi sakte…main nahi chahti k hum dono ki shadi ki buniyad ek galtfehmi par tike…

Par Sam ab bhi kus nahi bola…Divya ne Sam ki khamoshi ka galat matlab nikal liya use laga k Sam us ladki ke sath kus galat kar chuka hai…kehte hain na jab insan gusse mein ho yah pareshan ho toh wo aksar galti kar deta hai…aur Divya bhi aj subah se boht pareshan thi aur thode gusse mein bhi…isliye wo Sam par baras padi…

Divya(aur jyada rote huye): Sam mujhe tumse yeh umeed nahi thi…main tumse pyar karti thi yeh jante huye bhi k tum mujhse pyar nahi karte ho…mujhe laga k dhire dhire tum bhi mujhse pyar karne lagoge…but main galat thi…Ashu ne sahi kaha tha k tum kisi ke nahi ho sakte…na Jane kitni ladkian ayi aur gayi but tum toh ladkion ko kapdon ki tarah change karte ho…tum kya samjoge meri feeling ko…main toh tumhare liye koi mayane hi nahi rakhti…mujhe toh pehle se hi shak tha k tum majburi mein shadi kar rahe ho…but tum mujhe seedha bol dete itni giri huyi harkat karne ki kya jarurat thi…

Divya ki yeh baat Sam ko boht jyada buri lagi…Sam ko gussa badi jaldi ata hai toh use Divya par bhi boht gussa aya aur Jo galti Divya ne gusse mein kardi thi wahi galti Sam ni bhi ki…aur Jo usne aj tak nahi kiya tha wo kar diya...

Sam Divya ki taraf palta aur bina kus dekhe Divya ki gaal par ek jordar thapad maar diya….Ek pal ke liye Divya ke beh rahe ansoo ruk se gaye…Divya sann khadi thi…halanki wo gusse mein thi but use umeed thi k Thodi behas ke baad Sam aur uske beech sab kus normal ho jayega…but use yeh nahi pata tha k yeh behas aisa roop le legi…ab galti kiski hai yeh toh nahi pata…

Toh dosto aj ke liye itna hi…insan gusse aur pareshani mein galat faisle le leta hai…aur yahi Divya aur Sam ke sath bhi huya….aur dusri wajah yeh rahi k Sam ne kabhi bhi apna pyar Divya ko show nahi hone diya…isliye aj gusse mein Divya ko Ashu ki kahi batein sahi lagne lagi aur wo Ashu ki baat se bhi jyada age ka soch gayi…Khair ap log bane rahiye BESHARAM ke sath…apka apna SIDHU…

To be continued…
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18

Update 14

Sam Divya ki taraf palta aur bina kus dekhe Divya ki gaal par ek jordar thapad maar diya….Ek pal ke liye Divya ke beh rahe ansoo ruk se gaye…Divya sann khadi thi…halanki wo gusse mein thi but use umeed thi k Thodi behas ke baad Sam aur uske beech sab kus normal ho jayega…but use yeh nahi pata tha k yeh behas aisa roop le legi…ab galti kiski hai yeh toh nahi pata…

Ab age…

Divya dari sehmi si Sam ki taraf dekh rahi thi…Par Sam ke upar toh bhoot sa swaar tha…kayi baar hum galti karte hi use samjh jate hain but Sam nahi samjha wo abhi bhi Divya ko gusse se dekh raha tha…aj tak kisi ne use itna jaleel na kiya tha jitna Divya ne kiya tha…wo sahi bhi tha k use khud nahi pata tha k yeh sab kaise ho gaya…ek toh wo pehle se pareshan tha upar se Divye ki aisi kadwi batein…but wo galat bhi tha k wo sirf apne najriye se dekh raha tha…

Divya ne bhale hi gusse mein jyada bol diya ho par wo us waqt pareshan thi…Akhir kaise koi ladki Apne pyar ko kisi aur ke sath aisi halat mein dekh sakti hai…upar se Sam ki chupi...

Sayad Sam Divya ko samjhata toh baat ka hal niklta…par ab baat badh chuki thi…Divya wahan na ruki aur rote huye bahar nikal gayi…Sam bhi apna sir pakad kar bed par baith gaya…

Divya ko is tarah rote huye bahar ata dekh Hall mein khade Sabhi log hairan pareshan se ho gaye…Divya seedha Seema ke paas gayi aur uske gale lag kar Rone lagi…sab Divya ki taraf hairani se dekh rahe the…

Seema(Divya ke balon ko sehlate huye): beta kya huya...ro kion rahi ho…

Tabhi Simran bol padi…

Simran: beta yeh tumhare gaal par nishan kaisa hai…sab batao beta kya huya…

Divya(rote huye): aunty Sab khatam ho gaya…

Simran: beta kya huya hai mera man boht ghabra raha hai…

Seema: han beta batao toh sahi…

Rajeev: tum aisa karo ise room mein leke jao…aur pani wani pilao…bache hain thoda boht jhagda huya hoga…

Fir Seema Aur Simran Divya ko room mein le gaye...use pani pilaya aur bed baitha kar uske ansoo poche…

Seema (Divya ke ansoo pochte huye): Beta ab toh batao na akhir huya kya hai…

Fir Divya ne rote huye aj subah se lekar ab tak ki sari batein bata di…Sam ke bare mein aisa sun kar Seema aur Simran hairan thin…unhe yakeen hi nahi ho raha tha k Sam aisa kus kar sakta hai…

Seema(hairani se): beta yeh tum kya bol rahi ho…Sam aisa nahi kar sakta…

Divya(siskate huye): mom usne aisa hi kiya hai…jab Maine usse baat karni chahi toh mujh par hath bhi uthaya…

Simran: beta main abhi usse baat karti hun…use tum par hath nahi uthana chahiye tha…

Divya (Simran ka hath pakad kar): nahi aunty ap usse kus nahi kahogi…wo is waqt boht gusse mein hai…hum baad mein baat karenge…mujhe pata hai wo jaldi hi khud a kar mujhse mafi mang lega…

Simran(Divya ka gaal sehlate huye): kitni achi hai tu…han thik hai hum baad mein baat karenge…

Fir Divya apni mom ke sath apne ghar chali gayi…is umeed mein k wo aur Sam ek dusre se maafi mang lenge aur sab normal ho jayega…par Sam toh thehra ek number ka akdu…apni ego ke chakar mein aj tak Divya ko propose nahi kiya…aur aj uspar hath bhi apni ego ke chakar mein utha diya…

Sam ko sham tak kisi ne tang nahi kiya…par sham ko uske mom dad uske room mein aye aur Sam ke paas bed par akar baith Gaye…Sam bhi unko dekh kar bed par apni Peeth tika kar baith gaya…

Rajeev(narmi se): beta tumhe aisa nahi karna chahiye tha…us bechari ne tumhe us tarah kisi aur ladki ke sath dekha is liye pareshan thi…

Sam(halke gusse se): papa main use bol raha tha k main kus nahi janta...main khud subah se pareshan tha k yeh sab kya huya…par usne toh yahan tak bol diya k main uski feelings ki respect nahi karta…main ladkion ko koi chij yah kapda samjhta hun…kya main aisa hun papa…wo mujhe apna dost samjhti thi but kabhi mujhe samajh nahi payi…mana main kisi se pyar nahi karta par ladkion ki respect mujhe bhi ati hai…mana Maine usse majburi mein shadi ka faisla kiya but uske pariwar ki khusi ke liye…

Simran(Sam ke galon par apne hath rakh kar): beta koi baat nahi kabhi kabhi galtfehmi ho jati hai…par humein yeh sab sehna padta hai…nahi toh rishte tut jate hain…

Sam: mom ap kehna chahti hain k ek aise rishte ke liye yahan pyar vishwas kus nahi hai main us rishte ko bachane ke liye BESHARAM ban jaun…nahi mom ab sab khatam ho chuka hai…aur main jaldi hi Australia ja raha hun…

Yeh bol kar Sam wahan se khada huya aur washroom mein chala gaya…Simran aur Rajeev bhi nirasha ke sath uthe aur apne kamre mein ja kar in logon ne Seema ko sab bata diya...

Khair Divya ko bhi pata chal gaya k Sam ab uske sath koi rishta nahi rakhna chahta…aur sabko chhod kar Australia Jane wala hai…uski akhri umeed bhi tut chuki thi…pehle toh use boht dukh huya aur apne kiye par afsos bhi baad mein uski ego ki jeet huyi aur usne age badhne ka faisla kiya…aur usne yeh decision liya k agar Sam ko apni galti ka koi afsos nahi toh wo bhi nahi jhukne wali…

Sam bhi apne sabhi doston se mila aur unhein apni shadi tutne aur Australia Jane ke bare mein bata diya…Sab boht udaas the…

Khair Sam ko jis din jana tha usse ek din pehle sham ko Seema uske ghar ayi par Sam usse Milne bahar nahi nikla…toh Seema khud hi Sam ke room mein chali gayi…

Seema(door khol kar ander ate huye): beta naraz hai mujhse bhi…

Sam(khada ho kar Seema ke paas jakar): nahi aunty bas aisi baat nahi hai apko face karne ki himmat nahi ho rahi thi…Maine uncle se kiya promise tod diya…

Seema(Sam ko pakad kar bed par bithate huye): beta dekh tumne kus nahi kiya bas halat galat the…par acha bhi huya kionk jab tum Divya se pyar hi nahi karte the toh puri jindagi ek sath kaise gujarte…

Sam: aunty baat pyar ki nahi viswas ki hai…par use toh mujh par viswas hi nahi raha…

Seema: chalo Jo bhi ho but ek baat yaad rakhna k tum hamesha mere bete rahoge…

Sam: jarur aunty…main wapis jarur aunga…par abhi mood boht kharab hai toh mujhe Jana hi padega…

Seema: Han beta main samjti hun…intzar rahega…aur phone karte rehna…

Sam: ji aunty…par mera ek kaam kar dijiye ga plz…

Seema: bolo beta…

Sam: aunty Divya ko kabhi pata nahi chalna chahiye main Uncle ki bimari ki wajah se usse shadi kar raha tha…

Asal mein Sam nahi chahta tha k Divya ko aur dukh pahunche…kehte hain na bhale hi kitni bhi duri ho par jab kisi ke sath dil ka rishta hota hai…chote boht jaghdon se nahi tut sakta…

Khair Seema wahan se chali gayi…Sam bhi agle din Australia chala gaya aur thode din baad Uske parents bhi…Sam ko sab yaad karte the par Divya ne age badhne ka faisla kar kiya tha…

Divya apne papa ka business sambhalne lagi thi aur Sam ki yadon ko apne dilo dimag se nikalne lagi thi…par yeh itna asan nahi tha…Sam Divya ki masoomiyat uski hansi uski wo chanchlta sab apne sath hi le gaya tha…

Wahin Sam ka bhi Divya se dur jakar bura haal tha…aur wo baar baar Divya ki un masoom baton ko miss kar raha tha...halanki wo bhi puri tarah se business mein apne papa ke sath jut gaya tha…par wo Divya ko nahi bhula sakta tha…wo tha bhi emotional…jitni jaldi gussa ata tha utni jaldi yaad bhi ane lagi…

Ek saal beet gaya…par na toh Divya age badh payi aur na hi Sam…dono Apni Professional life mein khus the par personal life wahin ki wahin ruk gayi thi…

Sam jab bhi Seema se baat karta toh Divya ke bare mein jarur puchta tha aur Seema jab batati k Divya hasna khelna bilkul bhul chuki hai toh Sam ko apne ap par bada gussa ata…

Akhirkar Sam ne yeh faisla kiya k wo India jayega aur Divya ko mana kar hi lautega…chahe uske liye use BESHARAM hi kion na banna pade…par wo apni ki huyi galtian sudharega…aur is baar wo apne pyar ko chupayega aur bina kisi umeed ke pyar karega…aur Hitler Divya ko fir se wahi cute Divya bana kar rahega…

(Ab present mein):

Riya (ankhein nam ho chuki thin): bhaiya galti toh Divya di ki bhi thi…toh mafi sirf ap kion mango…

Sam: Riya rishton mein thoda boht adjust toh karna padta hai na…agar main usi waqt thande dimag se kaam leta toh yeh sab na hota…

Riya: bhaiya ab ap kya karoge Divya di toh apse boht nafrat karti hai…

Sam: wo sirf aisa dikhati hai…asal mein wo bhi meri tarah abhi bhi pyar karti hai…aur uska pyar toh hai bhi pehli najar ka itni jaldi khatam nahi hoga…

Riya:bhaiya apne pehle hi di ko propose kion nahi kiya…

Sam: yahi galtian toh sudharne aya hun…

Riya(kisi mujrim ki tarah Sam se swaal par swaal puch rahi thi): di ko kisne btaya k Ap Ashu ke chacha ke ghar par ho…

Sam(kus sochte huya): yahi toh mujhe khaye ja raha hai…agar wo mujhe pata chal jaye toh yeh bhi pata chal jayega k meri cold drink mein milawat kisne ki thi…aur wo ladki wahan kaise pahuchi thi...

Riya (kisi jasoos ki tarah): mujhe toh lagta hai yeh sab Saand Chaudhry ne kiya hoga…

Sam: ho sakta hai par bina sure huye hum kisi par shak nahi kar sakte…

Riya: toh ab ap kya karne wale ho…

Sam: Divya ko pehle jaisa banane ki kosish…

Riya: yes bhaiya main apke sath hun aur Sahil ko bhi main sari batein bata dungi fir wo bhi apki help karega…

Sam(Riya ke haal khinchte huye): thanks princess…

Riya(drama karte huye): ahhh meri gaal dukh gayi…

Sam(muskurate huye): chal nautanki kahin ki…

Fir wo dono kafi der masti majak karte rahe…Dinner ke time Seema in dono ko bulane ayi…

Toh dosto flashback toh khatam ho gaya…par ek swaal chhod gaya k in sab ke peeche kon tha…par ab jyada important yeh hai k Sam apni Divya ko wo purani Divya bana payega yah nahi…Toh bane rahiye BESHARAM ke sath…apka apna SIDHU…

To be continued…
 
  • Like
Reactions: DINNA

Mr. Perfect

"Perfect Man"
1,434
3,733
143
:congrats: for starting new thread here_____

I hope this story will touch our heart____
 

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 15

Riya(drama karte huye): ahhh meri gaal dukh gayi…

Sam(muskurate huye): chal nautanki kahin ki…

Fir wo dono kafi der masti majak karte rahe…Dinner ke time Seema in dono ko bulane ayi…

Ab age…

Dinning table par sabhi baithe the…included Divya…Sam toh Divya ko dekhte hi khus ho gaya…par Divya ne Jaise hi Sam ko ate dekha toh usne apna munh fer liya...

Riya ne Sam ko ishara karke niche hone ko kaha taki wo uske kaan mein bol sake…Sam neeche huya toh Riya ne Uske kaan ke paas munh karke bola…

Riya: bhaiya ap aisa kijiye Di ke sath wali chair par…nahi nahi unke samne wali chair par baithiye…

Fir Sam ne Riya ke gaal par kiss kiya aur high five karke dono dinning table par baith gaye…Sam Divya ki samne wali chair par aur Riya Divya ke sath wali par…Sahil bhi Sam ke sath wali chair par baitha tha aur Seema centre chair par…

Toh fir sabhi ne khana shuru kiya…Divya jab bhi samne dekhti toh Sam ko use ghurta huya pati…wo kafi frustrated ho chuki thi…par wo koi tamasha nahi Karna chahti thi…isliye bas Apne khane par dhyan laga rahi thi…

Par Sam kahan peeche hatne wala tha…Sam ne halke se apna pair age karke Divya ke pair se laga diya…halanki yeh baat alag thi k aisa karne ke liye use boht himmat ki jarurat padi thi…par usne kar diya…

Aur Divya ka reaction bhi dekhne layak tha…wo as paas dekh rahi thi…par Sam ki taraf nahi…usne apne pair boht jyada peeche kar liye taki Sam dobara aisi harkat na kare…

Ab Sam kus nahi kar sakta tha…kionk Divya usse baat toh kar nahi rahi thi…na uski taraf dekh rahi thi…isliye ab use koi aur scheme lagani thi…par wo jaldbaji mein koi problem nahi hone de sakta tha….isliye wo bhi chup chap khana khane laga…par kabhi kabhi uski aur Divya ki najrein mil hi jati thin…

Khair sabne dinner khatam kiya aur sab apne apne rooms mein chale gaye…Aur sab jaldi hi so gaye…

Next day Monday…

Subah Sahil aur Riya apne school ja chuke the par Divya abhi office nahi gayi thi…kionk use kisi meeting ke liye out of city Jana tha…toh wo seedha ghar se hi Jane wali thi…

Sam apne room mein baitha kus soch raha tha…

Sam (man mein): ab main kya karun kus samajh mein nahi a raha…koi toh hal nikalna padega…par Divya se seedha baat toh kar nahi sakta wo toh mujhe ghar se hi nikal degi…koi aur rasta nikalna hoga…par kya…

Sam ko kus samajh nahi a raha tha…kionk Divya toh puri tarah se use ignore kar rahi thi…khair Sam ne filhal shant reh kar koi acha idea lagane ka man bana liya…

Udhar Divya bhi ab Jane ko tyar thi wo apni mom ke paas gayi…

Divya(time dekhte huye): OK mom main ja rahi hun…sham ko jaldi wapis a jaungi…aj office nahi jaungi….meeting se seedha hi ghar a jaungi…

Seema: OK beta jao...aur dhyan rakhna apna…

Fir Divya wahan se bahar ki taraf chali gayi…aur Seema Sam ke kamre mein…wo jab kamre mein gayi toh Sam bed par laita kus soch raha tha aur Seema ko dekh kar Bed par baith gaya…

Seema(Sam ke paas baithte huye): Kya soch raha hai beta…

Sam: kus nahi aunty…bas Divya ke bare mein soch raha tha…

Seema: kion kya huya…

Sam: aunty wo mujhse baat nahi karti hai…wo toh meri taraf dekhti tak nahi…main kya karun…use manane ke kiye…

Seema(Sam ke sir par hath firate huye): beta yeh toh tu bhi janta hai k wo tumse aj bhi utna hi pyar karti hai…jitna pehle karti thi…bas thodi naraz hai…

Sam: fir bhi aunty use manana toh padega hi na…par kaise manaun yeh toh samjh nahi a raha…

Seema(kus soch kar): tu kus aisa kar jisse tu Sara din uske samne rahe…

Sam(sad si shakal bana kar): ab yeh kaise hoga wo toh Sara din office mein rehti hai…

Seema(kus soch kar aur apne chehre par ek muskan lakar): ek rasta hai…

Sam: kya….

Seema: dekh tere uncle ki death ke baad tu Aur Divya unki company ko mil kar sambhalte the…

Sam(nasamjh sa ban kar): han toh…

Seema: to kya budhu ab bhi vaisa hi karo…

Sam(hairani se): aunty apko pata hai ap kya bol rahi ho…wo mujhe office mein ghusne tak nahi degi…

Seema: main sab janti hun…but wo bhale hi kitni bhi badal gayi ho…par abhi bhi dil ki badi komal hai…aur meri baat nahi talegi…main use kaise bhi mana lungi…thoda muskil hoga par Mujhe yakeen hai k wo maan jayegi…

Sam: toh kya wo man jayegi…

Seema: yeh tu mujh par chhod de…tu bas kal se office Jane ki tyarian kar…

Sam(khus hote huye): thank you so much aunty….you are so sweet…apne toh meri sari problem hi dur kardi…

Seema: akhir tu mera pyara beta Jo hai…ok beta ab main chalti hun…

Fir Seema wahan se chali gayi…aur Sam kafi khus tha uski khusi uske chehre se saaf jhalak rahi thi…wo toh itna jyada khus ho gaya k usne Ashu ko usi waqt phone laga liya…

Ashu: han bhai bol Kya kaam tha…

Sam: sale koi kaam nahi hai…tujhe ek khuskhabri sunani hai…

Ashu: kya khuskhabri hai…Divya maan gayi kya…

Sam(halke gusse mein): yaar puri baat toh sun le…

Ashu: chal bata bhai…

Sam: main kal se office ane wala hun…

Ashu(hairani se): Kya…

Sam: kion kya huya tujhe…

Ashu: nahi huya toh kus nahi but Divya kaise maan gayi…

Sam: are yaar wo abhi nahi mani…but aunty ne kaha hai k wo baat karengi usse…

Ashu: toh sale tu pehle hi itna khus kion ho raha hai…agar Divya ne mana kar diya toh…

Sam: sala Kali juban wala…Aunty mana lengi use…aur aise kaise mana kar degi…company aunty ke naam hai…hum jabardasti ghus jayenge….

Ashu: sale tu toh kabza karne ki baat kar raha hai…chal agar Divya maan jaye toh achi baat hai…

Sam: Han yaar Fir Toh Sara din uske samne rahenge…

Ashu: chal saikhchilli ki aulad…mujhe kaam karne de ab…

Sam: han han karle sala Hitler ka chamcha…

Fir Sam ne phone kaat diya aur apne bed par tension free ho kar lait gaya…aj wo sach mein boht khus tha…

Jab Sahil aur Riya school se aye toh change karne ke baad dono Sam ke room mein chale gaye…Sam apne laptop par kus kaam kar raha tha…un dono ko dekh kar usne apna laptop side mein rakh diya…

Riya(Sam ke paas baith kar): bhaiya Maine apki aur Divya di ki puri story Sahil ko bata di hai…ab yeh bhi hamari team mein hai…

Sahil(Sam ki dusri taraf baith kar): Bhaiya main toh hamesha apke sath hun…ab hum sab mil kar Divya di ko pehle jaisi bnayenge…

Sam(dono ke sir par hath fer kar): are tum dono toh Hamesha mere best friend ho…hamesha mera hi sath doge na?

Fir un teeno ne mil kar boht masti ki…udhar Seema Divya ka wait kar rahi thi…Divya aj thoda jaldi hi a gayi thi…

Seema(Divya ko ate dekh): are a gayi beta…teri meeting kaisi rahi…

Divya: achi rahi mom…

Seema: beta tu apne room mein chal main tere liye pani leke ati hun…

Divya: ji mom…

Fir Divya apne room ki taraf chali gayi…Aur Seema bhi pani ka glass lekar uske peeche peeche chali gayi…Wo ab Divya se Sam ke office Jane ke bare mein baat karne wali thi…usne Sam ko toh bol diya tha k wo Divya ko mana legi…par use khud nahi pata tha k Divya kya karegi…

Toh dosto aj ke liye itna hi…ab dekhte hain k age kya hota hai…kya Divya Sam ko office mein ane ki permission degi yah nahi…ap log aise hi BESHARAM ke sath bane rahiye…aur apne dost SIDHU ko pyar dete rahiye…

To be continued…
 

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 16

Seema: beta tu apne room mein chal main tere liye pani leke ati hun…

Divya: ji mom…

Fir Divya apne room ki taraf chali gayi…Aur Seema bhi pani ka glass lekar uske peeche peeche chali gayi…Wo ab Divya se Sam ke office Jane ke bare mein baat karne wali thi…usne Sam ko toh bol diya tha k wo Divya ko mana legi…par use khud nahi pata tha k Divya kya karegi…

Ab age…

Khair Seema ne ek thandi sans bhari aur Divya ke kamre mein chali gayi…Divya wahan nahi thi…sayad washroom mein hogi…Seema ne pani table par rakha aur bed par baith kar Divya ka intzar karne lagi…

Thodi der baad Divya washroom se bahar nikli…wo change karke ayi thi aur sayad shower bhi liya tha…usne ek lower suit pehan rakha tha…wo apna towel pass mein padi ek chair par daal kar Seema ke paas a kar baith gayi…

Divya: mom ap kus tension mein lag rahi hai…kya baat hai…

Seema(apne ap ko normal karte huye): beta kus nahi…wo mujhe tujhse kus baat karni thi...

Divya: han boliye…

Seema: pehle pani pi lo…

Fir Divya ne table se pani uthaya aur pi kar boli…

Divya: Han ab boliye…

Seema: pehle promise karo k meri baat puri sunogi aur gussa nahi karogi…

Divya: mom ap aisi kya baat karne wali ho…

Seema: tum bas promise karo…

Divya: thik hai mom…promise main gussa nahi karungi…

Seema(thodi relax ho kar): Beta tum janti ho na k tumhare papa ke Jane ke baad Sam ne hamari boht help ki aur tumhare sath business mein bhi hath btaya…

Divya Sam ka naam sun kar hi thoda gusse mein a gayi thi…par kionk usne Seema ko promise kiya tha isliye wo apne apko shant rakhne ki kosish kar rahi thi…par chup na reh saki…

Divya: mom dekhiye mujhe Sam ke bare mein koi baat nahi karni hai…

Seema(Divya ka hath pakad kar): beta meri baat toh suno…main bas itna chahti hun k tum Sam ko office mein ane do…chahe tum use bulana mat…

Divya(abhi bhi apna control rakhe huye thi): Mom aisa nahi ho sakta…mujhe uski koi jarurat nahi hai…main use ghar mein bhi isliye rehne de rahi hun kionk ap aur uncle chahte ho…

Seema: beta plz meri baat manlo…

Divya(Seema se apna hath chudwa kar khadi hogayi): Mom plz Maine ek baar keh diya na…aur main company ko ache se sambhal rahi hun na toh uski kya jarurat hai…

Seema(thode dukhi man se): beta agar tera usse koi rishta nahi hai toh mera toh hai na…main toh use apna beta manti hun na…main chahti hun k wo apne uncle se kiya huya promise nibhaye…plz beta use office Jane de…chal tu mere liye na sahi apni company ke liye hi use ane de…

Divya(apni mom ki taraf palat kar nam ankhon ke sath): mom papa ne toh uske hath mein mera hath bhi diya tha par usne toh badi jaldi chhod diya…ab ap uske promise ki baat kar rahi ho...han main manti hun usne papa ke baad company ko boht ache se sambhala…par ab main thik hun aur apni company ko sambhalne layak hun…

Seema(Divya ke samne hath jod kar): plz beta mere liye hi maan ja…aj tak Maine tumse kus nahi manga…plz beta…

Seema ko is tarah khada dekh Divya ka kathor dil bhi pighal gaya…aur usne Seema ke hath apne hath mein pakade…

Divya: mom mujhe nahi pata k ap kion use office bhejna chahti ho…but ap plz request mat kijiye…thik hai wo a sakta hai…but ek sharat par…

Seema(khus ho kar): kya sharat hai beta…

Divya: hum dono sirf Professional batein hi karenge…wo bhi tab jab majburi ho…uske ilawa na toh wo mere samne ayega aur na mujhse baat karega…

Seema: thik hai beta…thanks ab main chalti hun…tum aram karo…

Fir Seema wahan se chali gayi…wo kafi khus thi k Divya ne Sam ko office Jane ki permission de di hai…wo seedha Sam ke room mein chali gayi…Sam ke room mein Riya aur Sahil bhi the…

Seema(ander ate huye): Beta tum dono jao Mujhe Sam se kus baat karni hai…

Riya: ji mom…

Fir wo dono ache bachon ki tarah Seema ki baat maan kar wahan se chale gaye…aur Seema door band karke Sam ke paas bed par baith gayi…

Sam: kya baat hai aunty sab thik toh hai na apne in dono ko bahar kion bhej diya…

Seema(serious ho kar): beta maine tumhare office Jane ke bare mein Divya se baat ki…

Seema ko is tarah serious dekh kar Sam thoda tension mein a gaya…use laga k Divya ne mana kar diya hoga…

Sam(dukhi man se): chalo koi baat nahi aunty hum koi aur plan bana lenge…

Seema: toh thik hai main Divya ko mana kar deti hun k tum office nahi a rahe…

Seema ne Jaise hi yeh bola toh Sam puri tarah se confuse ho gaya…

Sam: kya matlab aunty…

Seema(muskurate huye): are budhu Divya maan gayi hai…

Sam ne Jaise hi yeh suna toh wo khusi ke mare dance karne laga aur Seema ko khada karke bina music nachwane laga…Seema Sam ko is tarah dekh kar boht khus thi…fir Sam achanak ruk gaya…

Sam: aunty Divya sach mein maan gayi hai…

Seema: han beta wo sach mein maan gayi hai…

Sam fir se ho ho karte huye nachne laga…aur Seema use dekh kar muskurati rahi…

Seema: ab bas bhi kar… tu toh aise khus ho raha hai Jaise Divya tujhse shadi ke liye maan gayi ho…

Sam(ruk kar): are han thodi energy bacha kar rakhni padegi…

Sam ki baat par Seema Hans padi…aur Fir thoda serious ho kar boli…

Seema: beta par uski ek sharat hai…

Sam: Kya aunty…

Fir Seema ne Sam ko Divya ki sharat bata di…

Sam: koi baat nahi aunty...abhi ke liye itna kafi hai…jab khada hone ki jagah mil gayi hai dhire dhire laitne ki bhi jagah mil jayegi…

Seema: han beta yeh kaam dhire dhire hone wala hai…ismein jaldbaji nahi karni chahiye…

Sam: par aj toh party banti hai…

Seema: Toh thik hai aj ka dinner tumhari pasand ka…

Sam (seema ke gaal par kiss karke): thanks aunty…

Seema(majak mein): thik hai ab jyada maska mat laga….main chali dinner banane…

Fir Seema wahan se chali gayi aur uske jate hi wo dono shaitan fir se a gaye…aur Sam ke paas jakar khade ho gaye…

Sahil: bhaiya mom kya bol rahi thi…

Riya: han sab thik toh hai na…

Sam(dono ko pakad kar apne dono side bed par baitha kar): Are mere shaitano sab thik hai...

Fir Sam ne un dono ko puri baat batayi…

Riya(khus hokar): wow bhaiya…ab ap roj di ke sath office jayenge…

Sahil: han Bhaiya…par ap pura din ghar par nahi rahoge…hum bore ho jayenge…

Sam: meri bughi…main sham ko ghar hi aunga...

Sahil: ok bhaiya aur jab di ko mana liya toh fir ap hamare sath hi rahoge na…

Sam: pakka…

Fir un logon ne full masti ki…aur fir sab dinner ke liye dinning table par gaye…sab khana Sam ki pasand ka tha…Divya ko bhi pata chal gaya k aj Seema ne Sam ki pasand ka khana bnaya hai but wo kus boli nahi aur chup chap khana khatam karke apne room mein chali gayi…baki sab ne bhi khana khatam kiya aur apne apne room mein jakar so gaye…

Toh dosto aj ke liye itna hi…ab dekhte hain kal ko office mein kya hota hai…Umeed hai apko aj ka update pasand aya ho…BESHARAM ko support karte rahiye…aur apne dost SIDHU ko pyar dete rahiye…

To be continued…
 

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 17

Sahil: ok bhaiya aur jab di ko mana liya toh fir ap hamare sath hi rahoge na…

Sam: pakka…

Fir un logon ne full masti ki…aur fir sab dinner ke liye dinning table par gaye…sab khana Sam ki pasand ka tha…Divya ko bhi pata chal gaya k aj Seema ne Sam ki pasand ka khana bnaya hai but wo kus boli nahi aur chup chap khana khatam karke apne room mein chali gayi…baki sab ne bhi khana khatam kiya aur apne apne room mein jakar so gaye…


Ab age…

Next day Tuesday…

Aj Sam ko office Jana tha toh jaldi uth kar tyar hone laga…wo boht khus tha…wo sab kaam jaldi jaldi nipta raha tha…Wo puri tarah se professional kapde pehan kar tyar ho gaya…wo.kafi smart lag raha tha…

Abhi wo Tyar hokar khud ko mirror mein dekh hi raha tha k tabhi Seema ayi aur use breakfast ke liye bula kar chali gayi…Sam bhi Fir bahar gaya aur dinning Table par baith gaya…Divya wahan pehle se baithi thi…

Sam(chair par baith kar): Good morning everyone…

Riya: good morning bhaiya…ap toh boht handsome lag rahe ho…

Sahil: han bhaiya Riya bilkul sahi bol rahi hai…

Sam: thanks yaar…

Fir sab ne khana khaya aur Divya pehle khatam karke jab bahar ki taraf Jane lagi toh Seema ne use rok liya…

Seema: beta rukna plz…

Divya (peeche palat kar): kya huya mom…

Seema: tum dono ko ek jagah hi Jana hai toh sath mein hi chale jao…

Divya(thode gusse mein): koi aur car le ayega…

Yeh bol kar Divya wahan se nikal gayi…aur Seema kus na bol payi…

Sam(Divya ko jate dekh): aunty kya beti paida ki hai…hitler…

Seema(Sam ko ghurte huye): acha toh is Hitler ke peeche kion pada hai…

Sam ke paas koi jawab nahi tha isliye wo idhar udhar dekhne laga…

Sam: wo toh mujhe us par taras a gaya…isliye main wapis a gaya…

Sam ki baat sun kar sab Sam par hasne lage…

Sam: han han haslo mera bhi din ayega…

Seema: Sam ab tum office jao…nahi toh late ho jaoge…

Sam (time dekh kar): han bhai 7:50 ho gaye…ok bye…

Fir Sam wahan se chala gaya aur apni car lekar office ke liye nikal gaya…Sam aj boht khus tha k wo Sara din Divya ke paas rahega…aur nervous bhi tha k wo Aj pure ek saal baad office Jane wala tha…

Aise hi sochte sochte kab office a gaya kus pata hi nahi chala…Sam ne apni gadi parking mein park ki aur fir office ke bahar khada hokar ek baar achi tarah se dekha aur ek thandi saans bhar kar ander ki taraf chal pada…

Ander pahunchte hi Jaise hi wahan kaam karne walon ne Sam ko dekha toh sab use khade ho kar good morning wish karne lage…kionk jyadatar employees wahi the Jo Ek saal pehle the…do char naye the Jaise k Ashu(halanki wo Sam ko janta tha) par jab dusre sabhi kisi ka itni garmjoshi se welcome karein toh admi khas hi hoga na…

Sabhi khus bhi boht the kionk Sam banda hi aisa tha Dildar…Khair Sam sabko wishes ka reply karta gaya aur Jaise hi wo Ashu ke table ke paas pahuncha toh wo bhi dusron Ki tarah Good morning sir bola…aisa dekh kar Sam wahin ruk gaya…

Sam (Ashu ko gale laga kar): sale bhai hai tu mera…sir toh main dusron ke liye hun…

Yeh bol kar Sam apne cabin ki taraf chal pada aur Ashu halka sa muskura diya…fir Sabhi apni apni jagah par baith gaye…

Jaisa k Maine apko btaya k kus naye bhi the office mein…toh ek ladki bhi thi Neha...

Neha(apne sath wali se): yaar yeh handsome kon hai…

Ladki(Neha ke thoda kareeb jakar dhire se): yeh Sameer Khurana hai…mam se iski shadi hone wali thi par kisi wajah se tut gayi…

Neha: acha toh ab kya karne aya hai…

Ladki: ab bade logon ke nakhre main kya samjun…tu bhi rehne hi de aur Chup chap apna kaam kar…

Fir Neha ne apne honth aise kiye mano wo us ladki ko Sadu kehna chahti ho…aur apna kaam karne lagi…

Udhar office mein Sam Jaise hi pahuncha toh use cabin aj bhi vaisa hi laga jaisa ek saal pehle tha…uski tasweer abhi bhi ek diwar par lagi huyi thi…har ek chij yahan Sam ko achi lagti thi wahin rakhi huyi thi…

Sam(cabin mein har ek chij ke kareeb ja kar dekhta huya): Divya tum maan kion nahi leti k tum mujhe kabhi nahi bhul paogi…kion apne aap ko is tarah tadapa rahi ho…Tum mujhe toh apne as paas bhi nahi ane deti aur meri chijon ko aj bhi sambhal kar rakha hai…

Khair Sam ne sabhi saman dekha aur fir apni chair par baith gaya…

Sam(baithte huye): yaar kisi ko bulana padega…dekhta hun kya kaam hai…

Fir Sam ne bell bajayi aur kus time baad ek peon cabin mein aya…

Peon(Sam ko dekhte huye khus hokar): good morning sir…apko dekh kar boht acha laga…

Sam: good morning yaar…aisa karo Divya mam se pucho k mujhe kya karna hai…

Peon: ji sir…

Fir wo peon wahan se seedha Divya ke cabin ki taraf chala gaya…peon ne cabin ka door knock kiya…

Divya(kus files dekhte huye): Come in…

Fir peon ne door khola aur ander jakar Divya ke samne khada ho gaya…

Divya(uski taraf dekhte huye): boliye kaise aye…

Peon: mam wo sir puch rahe hain k kya karna hai…

Divya: kon Sam?

Peon: ji mam…

Divya(kus soch kar): tum aisa karo Neha ko mere paas bhej dena…

Peon: ji mam…

Fir wo bahar chala gaya aur thodi der baad Neha cabin mein ayi…

Neha(Divya ke samne table ki dusri taraf khadi ho kar): mam apne mujhe bulaya…

Divya(ek file uski aur badha kar): Han Neha tum aisa karo k yeh file le jao aur Sam ko dekar unhe Shimla wale project ke bare mein samjha do…

Neha(file lete huye): ji mam…

Divya: tum janti toh ho na k Sam kon hain…

Neha(nature se thodi bachon jaisi thi is liye thoda jyada hi excited ho kar boli): han wo Jo aj aye hain handsome dashing…

Neha iske age bhi kus aur bolti usse pehle hi Divya ne ankhein badi karke uski taraf dekha toh Neha k wahin break lag gaye…

Neha(sir niche karke): sorry mam…main toh bas kehna chahti thi k mujhe pata hai…

Divya(thode sakht lehje mein): thik hai ab jao aur suno koi galti mat karna tumhe is project ke bare mein sab pata hai toh unko bhi ache se batana…

Neha: ji mam…

Fir Neha wahan se chali gayi…aur Divya use tab tak ghurti rahi jab tak k wo uski najron se dur na ho gayi…

Neha wahan se nikal kar Sam ke cabin ki taraf Jane lagi aur apne munh mein badbadane lagi…

Neha(badbadte huye): pata nahi kya samjti hai apne apko Hitler kahin ki…ek toh maine bataya k main use janti hun upar se ankhein dikha rahi thi…

Aise hi wo Divya ko kosti huyi Sam ke cabin mein chali gayi aur Sam ke samne jakar khadi ho gayi…

Sam(Neha ki taraf dekhkar): ap kon…

Neha: Sir main Neha Sharma…main yahan kaam karti hun…

Sam: OK toh baithiye…aur bataye kaise ayi ap…

Neha(chair par baith kar): Sir Divya mam ne bheja hai…hamara Shimla mein ek restaurant ka kaam chal raha hai…Aur main uska part hun…

Sam: acha toh Divya chahti hai k main uska kaam dekhun…

Neha: ji sir…

Sam(man mein): yeh Hitler jaldi thik nahi ane wali…bahar ka project thama diya ab wahan ana Jana padega…

Neha (Sam ko sochte dekh kar): Sir koi problem hai kya…

Sam(ekdum se): are nahi main toh bas kus soch raha tha…vaise thik hai tum is Project ka pura data mujhe de do main study kar lunga…aur fir kaam shuru kar dunga…

Neha: ji aur agar meri kisi help ki jarurat ho toh bata dijiyega…

Sam: sure…aur ab ap ja sakti hai miss…

Neha: ji Neha…

Sam: han Neha…

Fir wo wahan se chali gayi aur Usne Sam ko pura data de diya…Sam bhi use read karne laga…

Toh dosto aj ke liye itna hi…ab dekhte hain k age kya kya hoga…aur tab tak ke liye ap aj ka update enjoy kijiye…Aur BESHARAM ko support karte rahiye…apka apna SIDHU…

To be continued…
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 18

Sam: sure…aur ab ap ja sakti hai miss…

Neha: ji Neha…

Sam: han Neha…

Fir wo wahan se chali gayi aur Usne Sam ko pura data de diya…Sam bhi use read karne laga…

Ab age…

Sam(files aur laptop se data dekh kar): are wah kitna khubsurat restaurant bana rahi hai meri divya...main puri kosish karunga k main uski umeedon par khara utrun ho sakta hai wo isse mujhe maaf hi karde…

Yeh soch kar Sam fir se files mein dub gaya…udhar Divya pata nahi kion par apne cabin mein idhar udhar pareshan si ghum rahi thi…use kus acha nahi lag raha tha…jab bhi koi uske paas ata toh sab par baras rahi thi…

Wo baar baar window se bahar dekh rahi thi…par pata nahi kya huya tha…bas baar baar ek hi baat bol rahi thi…

Divya: Maine yeh kya kar diya Sam ko Shimla wala project de diya…kahin kus gadbad na ho jaye…

Divya yahi sab soch rahi thi...aur Sam bas us project mein puri tarah se kho sa gaya tha…itne kam time mein hi wo project uski jaan ban chuka tha…sirf is liye k wo Divya ka aj tak ka sabse bada project tha…

Sam ko kus baat samajh nahi ayi…usne kafi kosish ki samjhne ki par pata nahi chala Toh wo file utha kar bahar chal pada aur Neha ko dhundhne laga…

Use jab Neha dikhi toh wo uske table ki taraf chal pada…Divya bhi sab kus dekh rahi thi…aur abhi bhi bas usi tension mein thi…

Sam(Neha ke table ke paas jakar): excuse me miss Neha…

Neha (PC se najar hata kar): are sir ap…mujhe bula lete…

(Yahan Neha ka short intro de dun…
Name- Neha sharma… Age- 23 years…Rang gora…height 5’-5”…boht hi khubsurat aur masoom si ladki hai…aur nature se boht natkhat hai)

Sam: koi baat nahi…tum kaam chhod kar ati…aur agar main a gaya toh main konsa ghis gaya…

Neha(halka sa muskura kar chair se khadi ho gayi): sir ap chair par baithiye…

Sam: are koi baat nahi…tum baitho aur ab aur formality nahi meri baat suno…

Neha(chair par baith kar): ji sir boliye…

Sam(File Samne table par rakh kar apne hath table par rakh kar): Mujhe yeh samjh mein nahi a raha…

Fir Neha Sam ko samjhane lagi…aur Sam bhi achi tarah se samjhne laga…Par koi tha Jo nahi smajh raha tha….Divya…

Divya bhale hi Sam se dur bhag rahi thi par sach toh yeh hai k uska dil aj tak kewal Sam ke liye dhadakta tha…aur aj bhi wo kisi aur ko Sam ke paas sehan nahi kar sakti thi…

Divya(khud se): main kitni pagal hu Maine Sam ko Shimla wala project de diya…ab yeh pagal Neha uske sath rahegi…aur Sam toh hai hi aisa ise kisi ladki ki koi fikar nahi…pehle bhi mujhe dhokha de chuka hai…ab toh main Sam se keh bhi nahi sakti…wo kahin yeh na soche k main ab bhi usse pyar karti hun…

Divya ander hi ander tadap rahi thi par kus kar nahi pa rahi thi…udhar Sam ne apna kaam kiya aur fir apne cabin mein chala gaya…

Uske Jane ke baad Neha apne man mein sochne lagi…

Neha(khud se): yaar Sam sir kitne ache hain aur Divya mam kitni khadoos…jarur Divya mam ki wajah se hi in dono ka rishta tuta hoga…nahi toh Sam sir toh kitne ache hain…

Neha yahi Sab soch rahi thi…aur tabhi Divya uske pass ayi…aur Divya ko dekhte hi Neha ki halat aise ho gayi mano usko chori karte huye police ne dekh liya ho…

Neha(chair se khadi hokar): mam ap yahan…

Divya: kion main a nahi sakti…

Neha(thoda haklate huye): nahi mera wo matlab nahi tha…main toh bas yahi keh rahi thi k ap mujhe bula leti…

Divya: nahi koi baat nahi main toh sirf itna puchne ayi thi k Sam yahan kya kar rahe the…

Neha: kus nahi mam…wo unko project ke bare mein kus puchna tha…

Divya: acha kus aur nahi bole…

Neha: aur toh kus nahi…

Divye fir wahan se chali gayi…wo Kus aur bhi puchna chahti thi…but wo chah kar bhi na puch payi…aur apne cabin mein chali gayi…

Aise hi wo din nikal gaya aur dono ghar ki taraf chal pade…Seema ka plan superhit raha…aj yahan Sam khus tha toh wahin Divya Sam ko lekar tension mein…

Seema ne sahi hi kaha tha k jab Sam Divya ke samne rahega toh kus na kus toh hoga hi...aur huya bhi aj jab wo dono ghar laute toh Seema ne dono ki shakal dekh kar andaza laga liya k kiska kya haal hai…

Sam Toh puri tarah se khila pada tha aur Divya ke chehre se hi pata chal raha tha k wo puri tarah se jal bhun chuki hai…

Khair pehle Divya ghar ayi thi aur baad mein Sam…wo Jaise hi aya Seema ne use Hall mein hi rok liya…

Seema(sofe par baithi thi): Sam jara yahan ana…

Sam(us taraf chal pada): ji aunty…

Fir Sam seema ke paas jakar baith gaya…

Sam: boliye aunty kya kaam hai…

Seema(Sam ke balon mein hath ferte huye): Beta kus nahi…aur bata kaisa raha tera din…

Sam: acha Raha…aur han Divya ne mujhe Shimla ka ek project diya hai…

Seema(khus hote huye): yeh toh achi baat hai…

Sam: han aunty ho sakta hai iske baad divya ka dil pighal jaye...

Seema: yeh toh hai…aur sunao aur kya huya aj…

Sam(kus soch kar): han ek ladki mili kya naam tha uska…wo kafi achi ladki lagi…

Seema: acha par dhyan rakhna Divya ko jyada naraz mat kar dena…

Sam: ap fikar mat karo aunty aisa kus nahi hoga…

Seema: toh theek hai ab ja aur aram kar…

Fir Sam apne room ki taraf chal pada…par use aram kahan…uske Jane ke thodi der baad hi dono shaitan bhi wahan paunch gaye…aur kud pade uske bed par…

Sahil: bhaiya ap a gaye aur humse mile nahi…

Riya: han apko sabse pehle humse milna chahiye tha…

Sam(hath jod kar): bas karo tum dono meri bhi sun lo…

Riya(itrate huye): chalo ap bhi bol lijiye…

Sam: bhai main abhi abhi aya hun abhi pani tak nahi Piya hai…

Sam ki baat sun kar unko thoda Taras a gaya us par…

Riya: sorry bhaiya main apke liye abhi pani lati hun…

Sam: thanks yaar… lado pani…

Fir Riya gayi aur Sam ke liye pani lekar ayi…Sam ne pani piya aur fir un dono ne mil kar Sam se sath boht batein ki…

Wo din aise hi nikal gaya…us din kus khas nahi huya uske baad…agle din Wednesday ko abhi Sam office jane ke liye tyar ho hi raha tha k tabhi wahan sahil aur Riya a gaye aur Sam ke kapdon ko dekh kar bole…

Riya(gandi si Shakal bana kar): bhaiya bilkul bekar kapde hain…

Sam: tumhe kya pata ladkon ke style ka…

Sahil: Bhai sach mein bekar kapde hain…

Sam: toh aur kya pehnu…

Sahil: hum dhundh kar denge…

Fir Sahil aur Riya he Sam ke kapde nikale aur use diye…Sam me washroom mein Jakar change kiya…aur thodi der baad bahar nikla…

Sach mein is blue coat mein Sam bada handsome lag raha tha…fir Sam tyar hokar niche ki taraf chal pada…

Toh dosto aj ke liye itna hi…umeed hai apko update pasand aya hoga…Apka apna dost SIDHU…

To be continued...
 
  • Like
Reactions: DINNA
Top