• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance BESHARAM (Completed)

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 19

Fir Sahil aur Riya he Sam ke kapde nikale aur use diye…Sam me washroom mein Jakar change kiya…aur thodi der baad bahar nikla…

Sach mein is blue coat mein Sam bada handsome lag raha tha…fir Sam tyar hokar niche ki taraf chal pada…

Ab age…

Niche Dinning table par Divya aur Seema baithi thin…Sam jakar Divya ke samne wali chair par baith gaya…

Sam: good morning aunty…

Seema: good morning beta…

Sam(Divya ki taraf dekh kar): are wah aj subah kitni suhani hai…

Sam ki is baat par Divya naak sikod kar gusse mein khana khane lagi…tabhi Riya aur Sahil bhi a gaye wahan…

Riya(Divya ki taraf dekh kar): Di kya huya apne kisi se jhagda kiya kya…aise gusse mein khana kha rahi hain…

Divya ko gussa toh kal se a raha tha…par ab use apna gussa nikalne ka bhana mil gaya tha…

Divya(apna chamch plate mein rakh kar): Riya tu na chup chap khana kha…meri dadi banne ki kosish mat kar…badi ayi mujhse puchne wali…

Riya(Gusse se): ab Maine kya kaha apko sirf pucha hi hai na…ap kahin ka gussa mujh par nikal rahi hai…

Riya ki baat sun kar Divya apni chair se khadi huyi aur pure gusse mein boli…

Divya(Riya ko ghurte huye): Main tumhe gusse mein lag rahi hun…kisi ko main gusse mein lag rahi hun…

Divya ki baat ka kisi ne koi jwaab nahi diya…par uski is harkat par Sab hasne lage…ab koi itne gusse mein yeh puchega k kya main gusse mein lag raha hun toh hansi toh ayegi hi na…

Divya(Frustrated ho kar): tum Sab bas karo…mujhe ab office Jana hai…

Divya ka khana toh ho hi chuka tha toh wo wahan se seedha bahar nikla gayi…uske jate hi Riya ke daant pad gayi…

Seema: Riya yeh kya harkat thi…wo tumhari badi Behan hai…

Riya: han par hansi toh ap Sab ko bhi ayi thi na…

Riya ki baat sun kar sabko fir se Divya ki wo harkat yaad a gayi aur sab fir se hasne lage…

Sam(apni hansi control karte huye): par use huya kya hai…kion aise rudra roop le rakha hai…

Seema: kya pata…kal se office se ane ke baad se hi aise hi gusse mein hai…

Sahil: bhaiya sayad office mein kus huya hoga…

Sam: nahi yahan tak mujhe pata hai aisa kus nahi huya…

Seema: chalo chodo uska yeh chalta hai…kisi na kisi par gussa huyi rehti hai…

Seema ki baat sun kar Sam ka chehra murjha gaya…kionk agar wo use chhod kar na jata toh wo kabhi aisi na banti…ab Sam wahan aur na baitha aur apna briefcase utha kar bina kisi se kus bole wahan se chala gaya…

Seema(Sam ko jate dekh): ab tujhe kya huya…

Par Sam wahan na ruka…aur chup chap bahar chala gaya…

Riya (apna matha peet kar): dono ke dono ek Jaise hain…

Udhar Sam dukhi man se ghar se nikal gaya…Wo abhi thodi dur hi gaya tha k tabhi uske phone ki bell baji…usne apna earphone Jo Phone se connected tha wo Kaan mein lagaya...

Aur call pick karke dukhi se lehje se bola…

Sam: hlo…

Samne se Simran ki awaj ayi…

Simran: beta kaisa hai tu…aur yeh bata itna Sad kion hai…

Sam(apni mom se kus nahi chipata tha): Mom kus nahi purani batein yad karke man sad ho jata hai…

Simran(pyar se): beta fir purani batein yaad karta hi kion hai…

Sam: a jati hai na mom…

Seema: Acha abhi kya kar raha hai…

Sam: kus nahi office ja raha hun…

Main yahan ap sabhi ko yeh btana chahunga k Sam apne mom dad se roj baat karta tha aur un logon ko puri baat btata tha…

Seema: toh aisi shakal leke jayega…sun ab purani baton ko bhulja aur Divya aur apne kaam ki taraf dhyan laga…

Sam: ji mom…

Seema: chal ab itna kion sharmata hai Hans bhi de…

Sam(thoda khus ho kar): OK meri maa…ab khus hans diya…aur suno ab main office paunch gaya hun apse baad mein baat karunga…

Seema: OK take care…love you beta…

Sam: love you too maa…

Fir Sam ne phone rakha aur car se nikal kar Office ki taraf chala gaya…par jab ander pahuncha toh use kus samjh na aya…

Huya toh kus nahi tha aj bhi sabhi use khade ho kar good morning wish kar rahe the…par aj Sab ke shakalon par ek khuaf sa dikh raha tha…jaise terrorist attack ke time high alert ilake ke logon mein hota hai…

Sam Sab ko reply karta gaya aur jab Ashu ke paas pahuncha toh wo bhi baki Sab ki tarah sehma sa tha…

Sam (ashu se): yaar kya huya aj sabhi aise kion khade hain jaise…abhi yahan bomb gira ho…

Ashu(dhire se): bhai wo Divya hai na usne aj pata nahi kion sabki band Baja dali…aisa lag raha tha jaise ghar se gusse mein ayi ho aur nishana hum sabhi ban gaye…

Sam(hairani se): Abe aisa kya kiya usne…

Ashu: bhai abhi thodi der pehle jab wo ayi…

Toh dosto dekhte hain kya huya thodi der pehle…

Jab Divya office ayi toh wo ghar se hi boht gusse mein thi…uske ane par Sab use good morning wish kar rahe the…par tabhi uski najar Neha par padi…wo apne mobile par kus kar rahi thi…

Divya ne Jaise hi yeh dekha toh wo gusse mein uski taraf badhi…Par Neha ka bilkul bhi dhyan nahi tha…

Divya (neha ke kareeb ja kar jor se): Miss Neha…

Neha ne Jaise hi Divya ki yeh dil dehlane wali awaj suni toh wo foran apni chair se khadi ho gayi…

Neha(haklate huye): yeees maammm…

Divya(Gusse mein Neha ko ghurte huye): tum yeh kya kar rahi ho…

Neha(darte huye): kya kar rahi hun mam…

Divya(ungli se mobile ki taraf ishara karke): yeh…

Neha ne apna mobile jaldi se table par rakh diya aur darte huye boli…

Neha: mam wo mujhe ek jaruri msg aya tha usi ka reply kar rahi thi…

Halanki Neha ne koi khas galti nahi ki thi par Divya ko toh Neha ko dhantne ka bahana chahiye tha…

Divya: yeh office hai yahan tum kaam karne ati ho…chatting nahi…

Neha(sir jhuka kar): ji mam….

Fir Divya ne sab ki taraf munh karke raubdar awaj mein bola…

Divya: agar mujhe koi bhi yahan time pass karta dikha toh mujhse bura koi nahi hoga….

Yeh bol kar divya wahan se chali gayi par uska khauf sabhi ke dil mein baith gaya…

Ashu se puri story sunne ke baad Sam ko Divya par hansi bhi a rahi thi aur Neha par Taras…

Sam: yaar Divya puri pagal ho chuki hai…

Ashu: kya pata Bhai ab tu bhi apne cabin mein ja nahi toh tera toh kus nahi jayega par meri watt lag jayegi…

Sam: thik hai thik hai…darpok kahin ka…

Yeh bol kar Sam apne cabin mein chala gaya….cabin mein pahunch kar Sam ne apna coat utar kar chair par dala aur fir baith gaya…

Sam(khud se): yaar yeh Divya ko kya ho gaya hai kaisa ajeeb behavior kar rahi hai…pehle bilkul bhi aisi nahi thi par ab kitni badal chuki hai…sirf meri bajah se…mujhe ek baar wo ladki yah fir wo sajish rachne wala mil jayein main chodunga nahi…

Sam ne fir wahi project ka data nikala aur fir se lag gaya use dekhne mein…

Toh dosto aj ke liye itna hi ab age dekhna hai k kya kya hota hai…par kus bhi ho apki entertainment band nahi hogi…apka apna SIDHU…

To be continued…
 

Spider-Man

New Member
88
116
18

Update 20

Yeh bol kar Sam apne cabin mein chala gaya….cabin mein pahunch kar Sam ne apna coat utar kar chair par dala aur fir baith gaya…

Sam(khud se): yaar yeh Divya ko kya ho gaya hai kaisa ajeeb behavior kar rahi hai…pehle bilkul bhi aisi nahi thi par ab kitni badal chuki hai…sirf meri bajah se…mujhe ek baar wo ladki yah fir wo sajish rachne wala mil jayein main chodunga nahi…

Sam ne fir wahi project ka data nikala aur fir se lag gaya use dekhne mein…

Ab age…

Udhar Divya apne cabin mein chair par gusse se bhari baithi thi aur khud se batein kar rahi thi…

Divya: Sab mujhe tang karte hain…pehle Sam ne dhokha diya ab Riya bolti hai k main gussa karti hun…yeh Neha bhi yahi sochti hogi k main kitni badi Hitler hun…koi mujhse pyar nahi karta…bas sabko main buri lagti hun…koi bhi meri feelings ko nahi samjhata…

Divya khud se hi batein karke apne man ki bhadhas nikal rahi thi…Par wo apne gusse ki asli wajah ka jikar khud se bhi nahi kar rahi thi…

Udhar Sam apne cabin mein Kus soch raha tha…uska dhyan files mein nahi lag raha tha…

Sam(khud se): yaar bechari Neha ko bewajah daant padi…us bechari ki koi galti hi nahi thi…uska toh aj mood hi off ho gaya hoga…

Sam Neha ke bare mein soch raha tha…pata nahi kion but use Neha se ek ajeeb sa lagao mehsus ho raha tha…Neha ki wo masoomiyat uski bachon wali harkatein ek din mein hi Sam ke dil mein utar gayi thin…

Sam tha bhi dildar banda…wo ek baar jiske sath dil se rishta bana leta tha…use kabhi dukh mein nahi dekh sakta tha…isliye Sam ne bell bjayi aur Peon cabin mein aya…

Peon (ander ate huye): Ji sir…

Sam: yaar plz wo Neha ko bhej dijiye…

Peon: kon Neha sharma Sir…

Sam: han wahi…

Peon: sir abhi bhejta hun…

Itna bol kar peon cabin se bahar chala gaya…aur thodi der baad Neha cabin mein ayi…uski shakal bilkul utri huyi thi…uski wo masoomiyat wo chulbulapan pata nahi kahan gayab tha…Sam ko use aise dekh kar bilkul bhi acha nahi laga…

Sam: ao Neha baitho…

Sam ne samne wali chair ki taraf ishara karke kaha…Neha bina kus bole wahan baith gayi…

Neha(baith ne ke baad dukhi se man se boli): Sir apne mujhe bulaya koi kaam tha kya…

Sam: nahi koi kaam toh nahi tha…bas aj laga k tum sad ho toh puchna tha k sab thik toh hai na…

Sam Neha se seedha Divya ke dhantne wali baat nahi karna chahta tha…

Neha(wo dil ki saaf thi aur koi baat chipati nahi thi): Sir aj mujhe Divya mam ne danta…pata nahi kion Maine toh kus….

Neha isse age kus na bol payi…usne rona shuru kar diya…Sam ne jab use rote dekha toh use bilkul bhi acha nahi laga k itni pyari ladki ro rahi hai…use Neha mein purani Divya najar ati thi…aur use dekh kar Sam ko wo din yaad a gaya jab Shadi se ek din pehle Divya uske kamre mein baat karne ayi thi aur uske thapad marne par Rone lagi thi…

Sam(Neha ko apna rumal dete huye): Neha plz chup ho jao…kus nahi hota aisa chalta hai…

Neha(rumal pakad kar apni ankhein saaf karte huye): Sir aj tak mujhe kisi ne is tarah nahi daanta…Divya mam boht buri hain…main kal se kaam par nahi aungi…

Sam(pyar se samjhate huye): dekho Neha wo dil ki buri nahi hai…wo aj gusse mein thi ghar par bhi jhagda kiya…aur usne Jo kus tumse kaha sirf gusse mein kaha…

Neha: par sir koi aise thodi karta hai...sabke samne meri insult kardi…ab sab mujh par hasenge…mera majak udayenge…

Neha yeh sab badi masoomiyat se bol rahi thi…aur wo bilkul Jaise bache karte hain na k class mein sab mera majak banayenge…vaise hi kar rahi thi…aur Neha ki is masoomiyat par Sam ko hansi a gayi aur wo apni hansi rok nahi paya…

Neha (Sam ko hansta huya dekh kar): Sir dekhiye ap bhi mujh par Hans rahe hain…main abhi apne ghar ja rahi hun…

Sam(hasna band karke): OK OK sorry baba…main ab nahi hasunga…aur main Teri baat par has raha tha tujh par nahi…kya tum meri friend banogi…

Yeh bol kar Sam ne apna hath age badaya…Neha bhi kisi bache ki tarah Sam ki dosti ke offer par khus ho gayi aur usne Bina jyada soche samjhe Sam ka hath apne hath mein liya…aur hand shake kiya…

Neha(khus ho kar): han hum friends…par meri kus shartein hain…

Sam(hairan hote huye): kya shartein…

Neha(apni uglion par count karte huye): ek toh main ab apko Sir nahi kahungi…dusra hum ek dusre se kus nahi chipayenge…teesra ap kabhi mujh par hansenge nahi…chautha main ap par kisi baat ko lekar Hansun toh ap gussa nahi karenge…

Sam(beech mein tokte huye): bas bhi kar yaar main dosti kar raha hun yah kisi company ke sath contract…

Neha: main last yahi bolne wali thi k ap meri koi baat puri sune bina beech mein nahi tokoge…

Sam(hath jodte huye): thik hai meri maa…par Maine kabhi nahi suna k itni conditions par dosti hoti hai…

Neha(apne kandhe uchkate huye): mujhe is bare mein nahi pata…par main toh aisi hi hun…ab dosti karni hai toh karo…warna main chali…

Sam(thoda soch kar): hmmm…chal thik hai…mujhe Teri sari shartein manjur hai…

Neha(khus hote huye): chal fir thik hai aj se tu mera friend…

Sam: chal thik hai...

Yeh bol kar dono ne ek baar fir se hand shake kiya…ab Neha khus lag rahi thi…wo muskura bhi rahi thi Sam use dekh kar apne hi khyalon mein kho gaya…

Sam(man mein): kitna acha lagta hai kisi ke chehre par muskurahat Lana…kitna acha lagta hai jab koi apki wajah se khus ho…pata nahi Divya ko main kab wapis hasa paunga…kab uske chehre par Neha jaisi hi masoomiyat aur khusi wapis laut ayegi…

Sam bas apne hi khyalon mein khoya huya tha aur Neha use aise baithe dekh rahi thi…jab Sam kafi der aise hi baitha raha…Toh Neha Sam ke samne chutki bajane lagi…

Neha: oye kahan kho gaya…ajeeb admi hai jagte huye sapne dekhta hai…

Neha ki baat se Sam hosh mein aya…

Sam(hadbada kar): kus nahi yaar bas aise hi…

Neha: chal thik hai ab main chalti hun bad mein jab free huyi toh ache se batein karungi…

Yeh bol kar Neha wahan se chali gayi…par ek baat toh thi k Neha ko dekh kar Sam ko apni wahi purani Divya yaad a gayi thi…jise dekh kar Sam na chahte huye bhi usse pyar kar baitha tha…

Ab Sam ka irada aur pakka ho gaya tha k wo Divya ko mana kar hi rahega…par use kus samajh nahi a raha tha k wo usse baat kaise kare…par tabhi uske dimag mein kus aya…

Sam(khud se): yaar is tarah baithe baithe toh kus hoga nahi…mujhe Divya se baat cheet shuru karni padegi…par Kaise…han usne kaha tha k main usse professional batein kar sakta hun…

Yeh soch kar Sam ke chehre par muskan fail gayi…usne files uthayi aur chal pada Divya ke cabin ki taraf... Wo kafi dara huya aur nervous bhi tha…use samajh nahi a raha tha k wo baat kaise shuru karega…

Par Jaise taise wo Divya ke cabin ke bahar pahunch gaya…wo abhi Door kholne hi wala tha k tabhi ashu a gaya…

Ashu(Sam ke paas jakar): kya huya bhai…

Sam(hairani se): yaar kya hona tha mujhe…

Ashu (Sam ke mathe par hath laga kar): bhai tu toh thik lag raha hai…

Sam: yaar tu kya bake ja raha hai…mujhe bhala kya hoga…main ekdum thik hun…

Ashu: yaar mujhe laga k kahin tujhe bukhar hai aur tera bukhar dimag ko chhad gaya hai…

Sam(swaliya nazron se Ashu ki taraf dekh kar): kya matlab…

Ashu(Halka sa muskura kar): matlab toh boht saaf hai....tu ja Raha hai Hitler ke paas aur tu yeh bhi janta hai k wo tujhe dil khol kar jalil karegi…agar tu yeh sab Jante huye uske paas ja raha hai toh pakka tu normal nahi hai…

Sam: bhai fir main kya aise hi baitha rahun…

Ashu: Maine aisa kab kaha par aj mat ja…aj wo pehle hi boht gusse mein hai…tujhe dekhegi toh pure office ke samne Teri izzat ki maa Behan kar degi…

Sam: bhai main nahi Darta usse…tu aisa kar tu usse bachne ka solution dhundh main toh ja raha hun uske paas…

Ashu(wahan se apne table ki taraf jate huye): ja bhai…jaisi Teri marji…

Yeh bol kar Ashu wahan se chala gaya par jate jate Sam ko sochne par majbur kar gaya…aur Sam wahan khade hokar sochne laga k use apni Izzat jyada pyari hai yah pyar…

Toh dosto aj ke liye itna hi…umeed hai ap logon ko update pasand aya ho..
Apka apna SIDHU…

To be continued…
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18
Sam: bhai main nahi Darta usse…tu aisa kar tu usse bachne ka solution dhundh main toh ja raha hun uske paas…

Ashu(wahan se apne table ki taraf jate huye): ja bhai…jaisi Teri marji…

Yeh bol kar Ashu wahan se chala gaya par jate jate Sam ko sochne par majbur kar gaya…aur Sam wahan khade hokar sochne laga k use apni Izzat jyada pyari hai yah pyar…

Ab age…

Sam boht dara huya aur nervous tha…

Sam(khud se): bhai baat toh Ashu ki sahi hai…par kya karein jana toh padega hi…nahi toh baat kaise hogi…aur vaise bhi mere hath mein yeh file hai na...

Sam ne ek baar apne hath mein pakdi file ko dekha…aur ek lambi saans bhar kar ghus gaya cabin mein…Divya apne lappy par kus kar rahi thi…ek baar toh Sam ne socha k yahi se wapis ho jaye…par usne aisa nahi kiya…aur chup chap jakar Divya ke table ke samne ja kar khada hogaya…

Sam(thoda darte huye): excuse me Divya…

Divya ne Jaise hi yeh suna toh usne Sam ki taraf dekha…use Sam ko dekhte hi gussa a gaya…aur bina kus soche samjhe boli…

Divya(gusse mein): tumhari himmat kaise huyi mere cabin mein ane ki…

Sam kus bolna chahta tha par Divya toh boht jyada gusse mein thi wo kahan sunne wali thi…

Divya: maine tumhe office mein ane diya itna boht hai…tu mere cabin mein ghus raha hai…maine mom se pehle hi kaha tha k yeh meri life mein mujhe sirf pareshan karne ata hai…

Sam ne is baar kus nahi bola kionk use pata tha k Divya uski sunne wali nahi hai…toh wo chup chap chair par baith gaya…

Divya (aur jyada gusse se): main kya yahan song suna rahi hun…jo aise aram se baith kar sun raha hai…

Sam fir bhi kus na bola…Sam ke aise behavior se Divya boht jyada frustrated ho gayi thi…

Divya (unchi awaj mein): tumhe kus sun nahi raha kya…behre ho gaye ho…yah sharam Khatam ho chuki hai Jo Besharam ban kar insult karwa rahe ho…

Par Sam fir bhi chup raha…akhir kar Divya Thak haar kar apni chair par sir pakad kar baith gayi…ab bechari kab tak akeli bolti rehti…Divya ke chup hote hi Sam bola…

Sam: ho gaya tumhara ab meri bhi sunogi…

Divya(Sadu si awaj mein): han bako kya hai…

Sam: mujhe koi shauk nahi hai tere paas ane ka wo toh mujhe yeh project ke bare mein kus baat karni thi…

Sam ki is baat par Divya thodi thandi pad gayi thi…kionk usne khud kaha tha k professional muddon par Sam usse baat kar sakta hai…isliye use laga k usne gusse mein over react kar diya hai…

Divya(thodi narmi ke sath): han bolo…

Sam(kus sochte huye): wo asal mein wo…

Baat asal mein yeh thi k Sam yahan a toh gaya tha par use yeh nahi pata tha k wo kya baat karega…ab use kus na kus toh Divya ko kehna hi tha…par sochne samjhane ka jyada time nahi tha…

Divya: jaldi se bolo k kya baat karni hai…aur jao yahan se…

Sam(ek dum se): han Jana…yahi toh baat karni thi mujhe…

Divya(hairani mein ): yeh kya baat huyi…kahan jana hai tumhe….

Sam: wo main yeh batane aya tha k mujhe is project ko ache se samjhne ke liye wahan Jana hoga…yahan yeh kaam hone wala hai…

Divya: matlab tumhe shimla Jana hai…

Sam: han…

Divya toh Sam se vaise bhi chutkara chahti thi…is liye usne bina jyada soche samjhe Sam ko han keh di…

Divya: chalo thik hai…tum chale Jana…

Sam: OK…ab main chalta hun…

Divya(khus ho kar): abhi ja rahe ho kya…

Sam: main apne cabin mein ja raha hun…

Divya: han han jao…

Sam wahan se apni file utha kar bahar ki taraf chal pada…aur munh mein badbadane laga…

Sam: Hitler kahin ki Sara din sadu batein karti hai…

Fir Sam wahan se nikal kar apne cabin mein chala gaya…aise hi wo din nikal gaya…aur sham ko dono ghar chale Gaye…

Sam ke ghar ate hi Seema uske kamre mein gayi…Sam bed par baitha kus soch raha tha…wo kafi tension mein lag raha tha…Seema jakar Sam ke paas baith gayi…

Seema: kya huya…

Sam: kus nahi aunty…

Seema: toh Fir aise munh latkaye kion baitha hai…

Sam: aunty aj Maine Divya se baat ki…

Seema(chintit ho kar): toh fir kya huya…jhagda toh nahi ho gaya na dono ka…

Sam: nahi aunty…

Seema: toh huya kya hai…kion aise baitha hai…

Sam ne Seema ko puri baat btayi…aur Seema bhi ab thodi tension mein a gayi…

Seema:yeh tune kya kar diya…kiye karaye par pani fer diya…

Sam: aunty Maine konsa jaan bujh kar kiya hai…

Seema: itni muskil se tumhe Divya ke samne rehne ka mauka mila tha…sab Barbad kar diya…

Sam: aunty us waqt aur kus sujha hi nahi…Jo dimag mein aya bol diya…

Seema: ab Fir chala Jana shimla…aur tere ane tak Divya ne pure thande dimag se tujhe yahan se bhagane ka plan bana Lena hai…

Sam: ab aunty ap kion tont mar rahi ho…

Seema: main koi tont nahi mar rahi sachayi bata rahi hun…agar tu shimla chala gaya toh Divya yahan bilkul cool minded ho kar tujhe yahan se bhagane ka sochegi…

Sam: are aunty apki baat toh sahi hai…par ab kya karein…

Seema: mere dimag mein toh kus nahi a raha…tu hi soch…vaise bhi kaam karne se pehle sochna chahiye…

Sam: are Aunty main akela kya sochunga…

Seema: mujhe na ab dinner ka dekhna hai…nahi toh wo Hitler mera khoon pi jayegi…

Yeh bol kar Seema wahan se chali gayi…aur Sam bas use jate huye dekhte reh gaya…Sam bechara bura fans gaya tha…use koi rasta najar nahi a raha tha…

Sam(khud se): kion be Sameer Khurana…bada hero banne chala tha…Ashu ki baat man leta toh na tujhe jhuth bolna padta aur na hi shimla Jana padta…ab bhugat...aur Divya ne bhi jhat se han kardi…kion bhai wo han karti kion na…wo toh chahti hi yahi hai k tu uska peecha chhode…

Sam ab apne ap ko hi kos raha tha…wo apna pura deemag laga Raha tha…par use abhi bhi koi idea nahi mil raha tha…

Sam: Miss Divya Patel…aj khus toh boht hogi na tu…kionk aj hum is pyar aur gusse ki Jung mein tumse pichad gaye…par yaad rakhna mera naam bhi sameer Khurana hai…koi na koi jugad toh mil hi jayega…isliye acha yahi hoga k time waste karne ki jagah tu mujhe maaf karde…vaise bhi yeh toh main ache se janta hun k tum pyar ab bhi boht karti ho mujhse…

Lakin tabhi Sam ke deemag ki batti jati…uski bakwas baton se hi use idea mil gaya…aur dimag mein idea ate hi uske honthon par ek muskan fail gayi…

Sam(apne ap ko shabash dete huye): shabash Sam…ise kehte hain deemag…jo muskil waqt mein bullet train bhi fast chale…ab dekhta hun…Divya mujhe kaise apne se dur bhejegi…ab bas main apne shaitano ke paas chalta hun…unki thodi help mil jaye toh kaam aur bhi asan ho jaye…

Yeh soch kar Sam apne kamre se nikla aur Sahil aur Riya ke kamre ki taraf chal pada…

To be continued...
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 22

Lakin tabhi Sam ke deemag ki batti jali…uski bakwas baton se hi use idea mil gaya…aur dimag mein idea ate hi uske honthon par ek muskan fail gayi…

Sam(apne ap ko shabash dete huye): shabash Sam…ise kehte hain deemag…jo muskil waqt mein bullet train se bhi fast chale…ab dekhta hun…Divya mujhe kaise apne se dur bhejegi…ab bas main apne shaitano ke paas chalta hun…unki thodi help mil jaye toh kaam aur bhi asan ho jaye…

Yeh soch kar Sam apne kamre se nikla aur Sahil aur Riya ke kamre ki taraf chal pada…

Ab age…

Sam Riya aur Sahil ke kamre mein gaya toh wo dono abhi bed par baithe padh rahe the…Sam unke paas gaya…

Sam: kaise ho shaitano…

Riya: thik hai ap batao…

Sam: main bhi thik hun…agar tum logon ko padhna hai toh main baad mein a jaunga…

Sahil: are nahi bhaiya ap baithiye…aur btaiye k aj hamare kamre mein kaise ana huya…

Sam: are wah yaar tum toh bade samjhdar ho kaam ka swaal kiya hai…well mujhe tum logon se kus baat karni hai…

Riya: han boliye par pehle baithiye…

Fir Sam Riya ke bed par baith gaya…

Sam: acha toh main tum logon ko batane aya hun k main shimla ja raha hun…

Abhi Sam ne baat shuru hi ki thi k Riya us par barsh padi…

Riya(gusse mein): ap hamesha aisa karte ho…hamein chhod kar chale jate ho…ap boht bure ho…

Sam(hath jod kar): meri maa meri baat toh sun le pehle…main khud nahi Jana chahta…

Riya(confuse hokar): fir kion ja rahe ho…

Fir Sam ne Riya ko puri baat batayi…aur Sahil aur Riya ne bhi Sam ki baat badi Gaur se suni…

Sahil: acha toh yeh baat hai par ab ap kya karoge…kionk agar na Gaye toh Divya di ne apki jaan le leni hai…

Sam(Halka sa muskurate huye): humne bhi kachi goliyan nahi kheli…maine ek plan banaya hai par usmein mujhe tum dono ka sath chahiye hoga…

Riya: toh bataiye plan kya hai…

Fir Sam ne apna pura plan Riya aur Sahil ko samjha diya…

Riya: thik hai bhaiya hum yeh kaam toh kar denge…par ap pehle yeh batao k yeh Neha kon hai…

Sam ne un logon ko sab kus bata diya Neha ke bare mein aur unki nayi friendship ke bare mein…

Jab Riya aur Sahil ki puri investigation Khatam ho gayi toh un logon ko kus shanti mili…

Sahil: bhaiya ab ap chill maro…samjho apka kaam ho gaya…

Sam(Sahil ki gal khinch kar): are wah mere chote chetan…toh kya ab main tension free ho kar so jaun…

Riya: han bilkul…ab apki puri tension hamari…

Itne mein wahan Seema a gayi…

Seema(ander ate hi): are tum teeno chalo aur khana kha lo...fir batein kar Lena…

Fir wo teeno Seema ke sath bahar chale gaye aur dining table par baith gaye…thodi der mein Divya bhi wahan a gayi…uska mood aj bada acha lag raha tha…

Divya(chair par baithte huye): kaise ho sab…

Sam ko pata tha k agar wo bola toh Divya gussa karegi aur wo yeh nahi chahta tha k Divya uski wajah se khana chhod kar jaye… isliye wo toh chup hi raha…

Riya(muskura kar): thik hain di…ap bataiye…

Divya: main bhi thik hun…toh ab dinner shuru karein kya…

Seema: Han…

Fir sab ne dinner shuru kiya…Sam Divya ko baar baar dekh raha tha…par use ehsan nahi hone de raha tha…kionk ab wo chahta tha k wo Divya ko apni taraf ane de na k khud uski taraf jaye…

Aise hi sab ne nashta shuru kiya aur sab apne apne rooms ki taraf chale gaye…thodi der baad Riya aur Sahil bhi Divya ke room mein chale Gaye…

Divya bed par baithi laptop se kus kar rahi thi aur Riya aur Sahil ja kar uske paas baith gaye…

Divya(lappy side rakhte huye): aj tum dono yahan kya baat hai…

Riya: di baat toh kus nahi hai…bas apse ek request karni hai…

Divya: are aise nahi bolte tu toh meri gudiya hai…bol kya chahiye tujhe…

Riya(bholi si shakal bana kar): Di ap plz…Sam bhaiya ko humse dur na hone dijiye…

Divya(hairani se): Maine kya kiya…

Riya: Di apne kus nahi kiya…par wo Neha hai na…

Neha ka naam sunte hi Divya ke kaan khade ho gaye…wo toh pehle se hi Neha se insecure feel kar rahi thi…ab Jab Riya ne Sam ke matter mein Neha ka naam liya toh wo puri tarah se gusse mein a gayi…

Divya: kya kiya us neha ne…

Riya(rondu si shakal Bana kar): Di wo bhaiya ke sath shimla Jane wali hai…

Divya ne itni baat suni thi k uska dimag gusse se fatne laga par wo yeh baat Riya aur Sahil ke samne show nahi karna chahti thi k wo Neha se insecure feel kar rahi hai…isliye usne aisa kiya Jaise use is baat se koi farak hi nahi padta…

Divya(pyar se): fir kya huya gudiya…wo office mein kaam karti hai…aur is project mein shamil hai…wo Sam ke sath jayegi toh ismein kya hai…

Sahil: nahi di wo bhaiya ki friend bhi ban gayi hai…hamein dar hai k kahin wo shimla tour ke dauran bhaiya ko apne pyar ke jaal mein na fasa le…aur kya pata baad mein bhaiya hamare ghar kabhi na ayein…

Sahil ki baat se Divya puri tarah se dar gayi thi…wo yeh kabhi nahi chahti thi k Sam usse hamesha ke kiye dur ho jaye…halanki wo Sam se boht jyada naraz thi par kahin na kahin uske dil mein Sam ke liye boht jyada pyar bhi tha…

Divya ghabra toh khud gayi thi par show aisa kar rahi thi…mano wo sab Sahil aur Riya ke liye karna chahti ho…

Divya: koi baat nahi tum dono ki khusi ke liye main kus bhi karungi…main kus na kus sochti hun…abhi tum dono jao aur aram se so jao…subah school bhi toh Jana hoga na…

Riya(Divya ke gale lag kar): thanks di…and I love you…

Divya: I love you too beta…

Fir wo dono Divya ko good night wish karne ke baad wahan se chale gaye…par Divya ko tension jarur de gaye…khair wo dono kamre se nikal te hi…aise khus hone lage mano un dono ne koi boht bada killa fateh kar Liya ho…

Riya(Sahil ke sath high 5 kar ke): yeh kaam toh ho gaya…

Sahil: han ab bhaiya ke paas chal kar unhein bata dete hain…

Fir wo dono Sam ke kamre ki taraf chal pade…wo log aise khus ho rahe the mano Olympic mein gold medal jeet kar wapis India laut rahe hon…

Kamre mein Sam idhar udhar ghum raha tha…wo bechain sa tha k akhir kya hoga…kya Sahil aur Riya Divya se baat kar payenge…

Jaise wo dono room mein aye Sam ne sawalon ki barshat kar di…

Sam: kya huya…Divya se baat huyi kya…kya reaction tha uska…wo kus boli…

Riya (Sam ka munh apne hath se band karke): bas karo bhaiya hamari jaan loge kya…itni mehnat karke aye hain pehle thoda aram toh kar lein…fir puri baat batate hain…

Yeh bol Kar wo dono bed par lait gaye aur Sam un logon ke paas baith gaya…

Sam(bechain sa hokar): ab bata bhi do na tum dono…

Fir Riya ne Sam ko puri baat bata di…Sam ko thodi rahat toh mili…

Sam(sukun ke sath): chalo kam se kam Divya se baat toh huyi…ab dekhna hai wo kus karegi bhi yah nahi…ab toh sab kus usi ke hath mein hai…

Riya: are koi baat nahi bhaiya ap fikar mat kariye sab thik ho jayega…

Sam: han jab tum dono aur seema aunty mere sath ho toh kus galat ho hi nahi sakta…

Sahil: han hum toh hamesha apke sath hi hai…

Riya: han bhaiya hum kabhi apka sath nahi chhodenge par ap bhi kabhi humein chhod kar mat Jana…

Sam: promise kabhi tum logon ko chhodke nahi jaunga…

Riya: pakka wala promise?

Sam: han boht pakka wala promise…

Fir Sahil aur Riya Sam ke gale lag gaye…

To be continued…
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 23

Sam: promise kabhi tum logon ko chhodke nahi jaunga…

Riya: pakka wala promise?

Sam: han boht pakka wala promise…

Fir Sahil aur Riya Sam ke gale lag gaye…

Ab age…

Aise hi thodi der batein karne ke baad wo dono wahan se chale gaye…Sam bhi so gaya…

Agle din Thursday subah sabhi breakfast kar rahe the…Divya thodi tension mein lag rahi thi…Sam use notice kar raha tha…

Aisa lag raha tha mano Divya ka dhyan kahin aur ho…wo kisi gehri soch mein dubi huyi thi…khair usne apna khana Khatam kiya aur office ke liye nikal padi…

Sam bhi uske Jane ke thodi der baad sabko bye bol kar office ke liye nikal pada…office pahunch kar Sam apne cabin mein gaya…

Use aye huye abhi thoda time hi huya tha k tabhi peon uske cabin mein aya…

Peon: Sir apko mam ne bulaya hai…

Sam: Divya ne?

Peon: Ji sir…

Itna bol kar peon wahan se chala gaya…Sam ko pata tha k Divya uske sath Shimla Jane wali baat karne wali hai…Sam apne cabin se nikla aur Divya ke cabin ki taraf chal pada…

Divya apni chair par baithi door ki taraf hi dekh rahi thi…sayad Sam ka hi wait kar rahi ho…Jaise hi Sam cabin mein aya toh Divya ne use baithne ko kaha…

Sam chair par baith gaya…aur chup chap baitha raha wo chahta tha k Divya hi baat shuru Kare…

Divya: Sam wo Maine Suna hai k tum Shimla wale project ke liye Neha ko sath lejane wale ho…

Sam: han…

Divya: par tum akele bhi toh ja sakte ho na…

Sam: han par mujhe us project ke liye agar kisi help ki jarurat padi toh Neha meri help kar sakti hai…

Divya: OK…but Neha ko office mein apna kus kaam finish karna hai…

Sam ko pata tha k Divya saaf saaf Behane bana rahi hai…par usne kus nahi kaha aur wo Neha ko lejane ki Jid karta raha…

Sam: plz Divya baat ko samjho Neha ka mere sath hona is project ke liye boht jaruri hai…wo is project ko ache se read kar chuki hai…

Divya: par Sam tum meri baat ko bhi samjho na agar Neha yahan na rahi toh uska pending kaam kon pura karega aur isse company ko boht loss hoga….

Divya ne ek aur bahana maar diya tha par Sam bhi kacha khiladi nahi tha…

Sam: dekho agar aisi baat hai toh use apna kaam Khatam karne do shimla ka kaam toh abhi shuru karna hai…use thoda delay kar dete hain…par main akela us project ko pura nahi kar sakta…

Divya: acha tum aisa karo Ashu ko sath le jao…

Sam: tum majak toh nahi kar rahi ho na…yeh baat tum bhi ache se janti ho k Ashu us project ka part nahi hai…Ashu ko khud pehle use ache se read karna padega…isse acha hai k main Neha ka pending work Khatam hone ka intzar karun…

Divya ko ab koi rasta nahi sujh raha tha isliye use wo bolna pada Jo wo kisi bhi keemat par nahi bolna chahti thi…

Divya(thode dukhi man se): dekho Neha ki yahan boht jarurat hai aur rahi baat shimla wale project ki toh main tumhare sath chali jaungi…par hum use delay nahi kar sakte…

Sam toh man hi man dance kar raha tha…uska plan akhirkar kamyaab ho hi gaya…usne yahi socha tha k yah toh Divya use Jane se rok legi yah khud uske sath jane ko tyar ho jayegi…aur huya bhi yahi…

Sam(apni khusi chipate huye): thik hai jaisa tum thik samjho…

Divya: OK but meri kus shartein hongi…

Sam: main kion manu tumhari shartein agar Jana hai toh jao nahi toh main Neha ko le jaunga…

Sam ki Is baat se Divya bilkul backfoot par a gayi thi…use lag raha tha k ab wo kus bhi apni marji se nahi kar sakti…par fir bhi usne ek last kosish karne ki Sochi…

Divya: main bas itna chahti hun k tum mujhse faltu batein na karo…

Sam: toh thik hai vaise bhi mujhe koi shauk nahi hai tumhare sath batein karne ka…ok ab main chalta hun…aur hum kal subah hi niklenge…aur car se hi jayenge…

Divya: car se kion…flight se bhi toh ja sakte hain…

Sam: kionk mujhe car mein hi Jana hai…ab main tumhari ek baat man raha hun toh tumhe bhi meri ek baat manni padegi…

Sam ne toh bechari Divya ko bilkul back foot par la kar khada kar diya tha…Divya ke paas Sam ki baat manne ke ilawa aur koi rasta nahi tha…

Divya(bujhi si awaj mein): OK thik hai…

Fir Sam wahan se nikal kar apne cabin mein chala gaya…wo cabin mein jate hi dance karne laga…wo boht khus tha…isliye dil khol kar bina music ke naach raha tha…wo itna khus tha k use as paas ki koi sujh bujh hi nahi rahi thi...

Itne mein kisi ke hasne ki awaj ayi aur Sam wahin ruk gaya…usne palat kar dekha toh Neha darwaje par khadi Sam ko dekh kar has rahi thi…

Sam(Neha ke paas jate huye): kya huya sadma laga hai kya…

Neha(haste huye): sadma toh lagega hi na jab mera naya naya dost paglon ki tarah bina music ke dance karega…

Sam: toh tum mujh par has rahi ho…

Neha: han aur kis par hasungi…tum hi toh paglon wali harkat kar rahe the…

Sam: wo asal mein Main Divya ke sath Shimla Jane wala hun isliye aise khus ho raha tha…

Neha: acha…par yaar yeh tumhara aur Divya ka kya chakar hai…sab bolte hain k tum dono ki shadi hone wali thi…toh huyi kion nahi…

Sam(thoda dukhi hokar): yaar wo kisi ne mere sath boht badi sajish ki jiski wajah se shadi tut gayi…

Neha: acha aisa kya huya tha…

Fir Sam ne wo bechlor party wali baat Neha ko batayi…Neha ko yeh sun kar bada jhatka laga…

Neha: yaar mujhe toh yakeen hi nahi ho raha k koi tum Jaise ache insan ke sath aisa kar sakta hai…

Sam: kya pata yaar kon tha aur aisa kion kiya…

Neha: chal chhod par ab tu kya Divya ko wapis manane aya hai…

Sam: han…

Neha: yeh toh achi baat hai…agar kabhi meri help ki jarurat ho toh batana…

Sam: aj tumhari help se hi toh Divya mere sath shimla ja rahi hai…

Neha(hairan hote huye): Maine kab tumhari help ki…

Fir Sam ne apne banaye huye plan ke bare mein Neha ko bataya aur jab Neha ne puri baat suni toh uski hansi chhut gayi…

Neha: yaar tu toh bada jugadi nikla…aur Divya mujhse kion itna jalti hai…aur mujhe lagta hai kal Jo mujhe usne bewajah sunaya wo bhi isi wajah se hoga...

Sam: kya pata par sayad tumhe mere sath dekh kar insecure feel karti hogi…

Neha: han par yeh toh achi baat hai iska matlab toh yahi huya na k wo abhi bhi tumhse boht pyar karti hai…

Sam: wo toh mujhe pata hi hai tabhi toh yahan aya hun use manane…chal chhod tu bata yahan kion ayi thi koi kaam tha kya…

Neha: yaar koi kaam nahi tha isliye toh ayi thi…socha kus der batein karke time paas kar lun…

Sam: OK…

Neha: chal yaar ab main chalti hun agar Divya ne mujhe yahan dekh liya toh meri fir se band Baja degi…

Neha ki baat par Sam halka sa muskura pada…fir Neha wahan se chali gayi aur Sam bhi apne kaam mein lag gaya…

To be continued…
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 24

Neha: yaar koi kaam nahi tha isliye toh ayi thi…socha kus der batein karke time paas kar lun…

Sam: OK…

Neha: chal yaar ab main chalti hun agar Divya ne mujhe yahan dekh liya toh meri fir se band Baja degi…

Neha ki baat par Sam halka sa muskura pada…fir Neha wahan se chali gayi aur Sam bhi apne kaam mein lag gaya…

Ab age….

Wo din aise hi nikal gaya jab sham ko wo dono ghar gaye toh yahan Sam boht jyada khus tha wahin Divya kus khoyi khoyi si lag rahi thi….

Kionk Divya ke man mein do tarah ke bichar a rahe the…ek taraf toh wo is chij se khus thi k Sam Neha ke sath na jakar uske sath Jane wala hai…dusri taraf wo is baat se upset bhi thi k wo dobara se Sam ki taraf badh rahi hai…agar dobara use wahi dard mila toh wo kahin tut kar bikhar na jaye…

Khair Fir sabhi ne mil kar dinner kiya…dinner ke baad Seema Divya ke sath uske kamre mein aur Riya aur Sahil Sam ke sath uske kamre mein chale gaye…kionk wo dono aj apni shimla ke liye packing karne wale the…

Sam ke kamre mein wo teeno full masti kar rahe the…aur sath mein packing bhi kar rahe the…

Sam(apni ek T-shirt suitcase mein dalte huye): Yaar tum dono ko main kaise thanks kahun…agar tum dono meri Help na karte toh main aj akela Jane ke liye packing kar raha hota…

Riya: are bhaiya hum toh hamesha apke sath hain…aur ab yeh faltu ki batein chhodo aur packing karo…

Fir un teeno ne milkar packing Khatam ki…aur sabhi bed par baith gaye…

Sahil(ek lambi sans lete huye): yaar Thak gaya itna kaam life mein kabhi nahi kiya…

Riya: tu na rehne de tune aj tak koi kaam bhi nahi kiya…aj bhi kya kiya bas sirf bhaiya se puch kar batata raha na k konsi chij kaam ki hai…

Sahil: han toh Fir yeh kaam koi asan kaam hai…pata hai baar baar bolne se mera munh dukh gaya…

Sahil ki baat sun aur uski shakal dekh kar wo dono hans pade aur Sahil chhid kar wahan se bhag gaya…

Sam: are yeh kya kar diya…ab use manana padega…

Riya: Nahi bhaiya ab ap chup chap so jaiye subah itne lambe safar par Jana hai…use main samjha dungi…

Sam: OK meri dadi amma…

Riya(bed se khade ho kar): OK good night my sweet jiju…

Sam: good night Sali sahiba…

Fir wo dono khud ki baat par hi Hans pade aur fir Riya wahan se chali gayi aur Sam aram se so gaya…

Udhar Divya apni packing Khatam karne ke baad apne kamre mein bechain si idhar se udhar ghum rahi thi…

Divya (khud se): yaar main kion kar rahi hun…kion mera dil Sam ki itni fikar karta hai…kion use kisi aur ke sath dekh mujhe acha nahi lagta…main toh apna pyar ek saal pehle hi Khatam kar chuki hun…main sirf us Sameer Khurana se nafrat karti hun…

Ab bhala is Divya ko kon samjhaye k pyar itni asani se Khatam nahi hota…aur itni si baat par itni nafrat bhi achi nahi…par ab kar kya sakte hain…Divya ki batein hi sunte hain…

Divya: main ab fir se Sam ko aisa mauka nahi dungi k wo mera dil dobara tod sake…mujhe pata hai wo sirf aya hi is liye hoga taki wo meri kahi huyi baton ka badla le sake…ek thapad Marne se uska man kahan bhara hoga…par main use yeh mauka nahi dene wali….par main apne man ka kya karun yeh toh har waqt uski taraf bhagta rehta hai…jab ek saal tak mujhse dur tha tab toh kisi tarah khud ko sambhal leti thi…par ab use samne dekh kar na Jane kya ho jata hai…man chahta hai k wo mujhe apni bahon mein bhar le aur bole k Divya main bhi tumse utna hi pyar karta hun jitna tum karti ho…

Divya apne man mein chal rahi is kasmkas se boht pareshan a chuki thi aur wo balkani mein jakar khadi ho gayi…raat ko chal rahi thandi hawa ke jhonke uske chehre se takrate toh use sukoon sa milta…

Khair wo aise hi kafi der wahan khadi rahi aur fir jakar apne bed par lait gayi…dhire dhire use bhi neend a hi gayi…

Agle din Friday subah sabhi dinning table par baithe breakfast kar rahe the…Divya chup chap si baithi thi sayad apne apko is trip ke liye prepare kar rahi thi…

Baki sab batein karte huye breakfast kar rahe the…khair sabhi ne nashta Khatam kiya aur fir Riya aur Sahil sabko bye bol kar school ke liye nikal gaye…

Unke Jane ke thodi der baad Sam aur Divya bhi apna apna smaan lekar hall mein aye aur Seema se mil kar bahar garage mein a gaye…

Divya(Driver ko): chalo gadi nikalo…

Sam: iski jarurat nahi hai main drive kar lunga…

Divya: acha toh tumhe bhi drive ati hai…mujhe toh pata hi nahi tha…

Sam: aj pata chal jayega…chalo apna smaan rakho aur baitho car mein…

Divya: tujhe koi manner nahi hai kya…ladkion ka smaan khud rakhte hain…tabhi toh tum ek gentleman banoge…

Sam: oh hlo miss Patel…yeh na apna lecture kisi aur ko dena…main tujhe apne sath lejane ke liye maan gaya itna hi kafi hai tumhare liye…

Divya: acha toh main tumhare sath jane ko tyar ho gayi tumhare liye bhi yahi boht hai…ab mera smaan rakho car mein…

Sam: main kion rakhun…tum khud rakho apna smaan…

Abhi wo dono apas mein lad hi rahe the k tabhi wo driver unke paas a kar bola…

Driver: ji Maine ap dono ka saman rakh diya hai car mein…

Driver ki baat sunte hi wo dono chup ho gaye…ab becharon ke paas ladne ka koi bahana hi nahi bacha tha…isliye wo dono chup chap car mein baith gaye…

Par ladayi fir se shuru ho gayi…kionk Divya backseat par baith gayi…

Sam: Divya age a kar baitho…

Divya: main kion baithun…main nahi baithne wali tumhare sath…

Sam: dekho main tumhara driver nahi hun…chup chap age a kar baitho…

Divya: ja nahi ati kya kar lega tu…

Sam: dekho Divya main boht serious hun…age a jao…

Divya: chal thik hai par pehle plz bolo…

Sam: tum age a rahi ho ja nahi…

Divya: bolo plz…

Sam (tang a kar): plz age a jao…

Fir Divya car se utri aur Sam ki bagal mein a kar baith gayi…

Divya: yeh huyi na ache bachon wali baat ab chalo jaldi se…

Sam(munh mein badbadate huye): koi na mera bhi time ayega…

Fir Sam ne gadi start ki aur chal pada apni manjil ki aur...Divya Sam ki taraf nahi dekh rahi thi…aur Sam bhi apni driving ki taraf dhyan laga raha tha…par Sam is baat se khus bhi tha k Divya aj khul kar batein kar rahi hai…usse jhagda rahi hai…

Dono chup chap baithe the…tabhi Sam ne music player on kiya…song shuru huya…

Humein Tumse Pyaar Kitna Yeh Hum Nahi Jaante
Magar jee nahin sakte tumhare binaa

Humein Tumse Pyaar Kitna Yeh Hum Nahi Jaante
Magar jee nahin sakte tumhare bina
Hume tumse pyaar...

Suna Gham judaai Ka Uthaate Hai Log
Jaane Zindagi Kaise Bitaate Hai Log
Din Bhi Yaha To Lage Baras Ke Samaan
Hume Intezaar Kitna Yeh Hum Nahi Jaante
Magar Jee Nahi Sakte Tumhaare Bina
Hume Tumse Pyaar Kitna Yeh Hum Nahi Jaante
Magar Jee Nahi Sakte Tumhaare Bina
Hume Tumse Pyaar....

Tumhein Koi Aur Dekhe to jalta Hai dil
Badhi Mushkilon Se Phir Sambhalta Hai dil
Kya Kya Jatan Karte Hain Tumhe Kya Pataa
Yeh Dil Beqaraar Kitna Yeh Hum Nahi Jaante
Magar Jee Nahi Sakte Tumhare Bina
Hume Tumse Pyaar Kitna Yeh Hum Nahi Jaante
Magar Jee Nahi Sakte Tumhaare Bina
Hume Tumse Pyaar.....

Kishore da ke is legendary aur romantic song ne mahol ko thoda halka toh kar hi diya tha reh reh kar dono ke dil mein ek dusre ke prati pyar a raha tha…

Divya bhi ab kabhi kabhi chor najron se Sam ki taraf dekh rahi thi aur Sam bhi kabhi kabhi driving se dhyan hata kar Divya ki taraf najar maar hi leta tha…

To be continued….
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18
Kishore da ke is legendary aur romantic song ne mahol ko thoda halka toh kar hi diya tha reh reh kar dono ke dil mein ek dusre ke prati pyar a raha tha…

Divya bhi ab kabhi kabhi chor najron se Sam ki taraf dekh rahi thi aur Sam bhi kabhi kabhi driving se dhyan hata kar Divya ki taraf najar maar hi leta tha…

Ab age…

Sam chahta tha k wo Divya se kus batein kare par Divya ne use pehle hi mana kar rakha tha is liye wo chup hi raha…khair dono ko ab tak ghar se chale huye kafi time ho gaya tha…Divya bhi ab baithe baithe bore ho chuki thi…par wo Sam se baat karke khud ki ego ko hurt nahi Karna chahti thi…par jhagda toh kar hi sakti thi na…

Divya: Maine kaha tha k flight se chalo…ab tak toh kabke pahunch jate…

Sam: yaar pahunch jayenge…tumhe itni kion jaldi ho rahi hai…

Divya: kionk main tumhare sath aur der nahi baith sakti...

Sam: main tumhe khane nahi wala…chup chap baithi raho…

Divya: par mujhe tumse nafrat hai…wo toh mom ne pata nahi tumhe office kion bheja…aur ab main tumhare sath yahan akar fas gayi…

Sam: dekho Maine tumhe nahi kaha k tum yahan mere sath ao…main Neha ko apne sath lane wala tha…

Divya: main nahi chahti k tum uski bhi life spoil karo…

Sam(gadi ke ek dum se break laga kar): kya matlab tumhara…

Divya: mujhse kya puch rahe ho…tum toh ho hi aise…kisi ladki ki feelings toh samjhte nahi…sirf use dhokha dena jante ho…mujhe diya aur wo bhi pata nahi kon hogi jiske sath tum ek hi bed par chii…uski bhi tumne life kharab kardi hogi…

Vaise toh Sam ab jaldi kisi ki baat ka gussa nahi karta tha…par Divya ki yeh batein uske dil ko cheer gayi thi…use boht dukh ho raha tha k Jo ladki kabhi usse itna pyar karti thi wo aj uske prati jehar ughal rahi hai…Sam ki ankhon mein halke ansoo bhi a gaye the…

Sam (dukhi si awaj mein): pata hai Divya tumhare aise hi kadwe lafjon ki wajah se hum tab bhi alag huye the aur aj bhi tum wahi par khadi ho…

Par Divya apni galti toh manne se rahi use toh sirf Sam hi galat najar ata tha…aur jab Sam ne use aisa kaha toh wo kafi gusse mein a gayi…

Divya(gusse mein): tab ki baat alag thi mujhe bhi dukh huya tha alag hone ka par ab mujhe tumse koi farak nahi padta…main apni life mein age badh chuki hun…

Sam(vyangatmak lehje mein): achi baat hai k tum age badh chuki ho…vaise tumhare bf ka kya naam hai..

Divya: bf?

Sam: han bf …acha acha tumhara koi bf nahi hai yah Fir tum kisi se shadi karne wali ho…

Divya: kya bakwas kar rahe ho…

Sam: nahi tumne hi toh kaha k tum age badh chuki ho mujhe laga mujhe bhul ke tumne koi bf banaya hoga…

Divya(topic se bachte huye): mujhe tumse koi faltu baat nahi karni hai…

Iske baad Sam ne bhi koi baat nahi ki aur na hi Divya ne koi baat ki…

Kafi lambe aur thaka dene wale safar ke baad dono shimla ke ek khubsurat hotel ke samne ruke…

(shimla ki main koi khas tareef nahi karunga kionk sab uske bare mein jante hain…agar fir bhi kisi ko na pata ho toh wo uske bare mein search kar sakta hai kionk main khud shimla ke bare mein kus nahi janta)

Khair dono gadi se bina bole nikle…kionk unki booking pehle se hi thi toh hotel ke staff ne unka smaan unke kamron mein pahuncha diya…

Wo log bhi keys lekar apne apne kamron mein chale gaye…wo dono boht Thak gaye the toh dono ne shower liya aur aram karne lage…dono kafi thake huye the…dinner apne apne room mein kiya aur fir so gaye…

Next day dono uthe fresh huye aur fir Divya Sam ke kamre ki taraf chal padi…Sam kamre mein bed par baitha tha…Divya ne knock kiya toh Sam ne uth kar door khola…

Sam kus bolta usse pehle hi Divya bol padi…

Divya: Sam chalo…

Sam: kahan Jana hai abhi…

Divya: jis kaam ke liye hum aye hain…

Sam: acha toh chalo main thoda change kar lun…

Divya: OK thik hai…main room mein ja rahi hun mujhe bata dena…

Sam: OK…

Fir divya wahan se chali gayi aur Sam change karne ke liye…thodi der baad Sam divya ke room ki taraf chal pada…

Sam ne door knock kiya aur Divya ne door open kiya…

Sam: toh ab chalein…

Divya: OK..

Fir wo dono wahan se nikal gaye…Sam ne parking se car nikali aur us jagah ki taraf chal pade yahan restaurant banne wala tha…

Sam(drive karte waqt): Divya kitni dur hai wo jagah…

Divya: bas kus hi dur hai…

Fir thodi hi der baad dono wahan pahunch gaye…Sam ne us jagah ka ache de muayna kiya…aur ache se samjha…

Isi tarah is project ke silsile mein do din nikal gaye…Sunday wale din kareeb sham ko Divya Sam ke room mein ayi…

Divya: Sam hum log ghar ja rahe hain...

Sam(hairani se): yaar tum pagal ho gayi ho kya…sham ke 4:00 baje rahe hain…ab kaise jayenge…

Divya: mujhe kus nahi Sunna mujhe subah tak ghar pahunchna hai…

Sam: yaar tum baat ko samjho Raat ko drive karna safe nahi hoga…

Divya: nahi mujhe kus nahi sunna…

Sam: plz meri baat ko samjho hum kal subah jaldi hi nikal jayenge…

Divya: main kal subah ka wait nahi kar sakti…mujhe abhi Jana hai…

Sam: chal thik haj but tujhe Karna kya hai itni jaldi jakar…

Divya: kus bhi Karna ho tum apne kaam se kaam rakho…

Sam: dekho agar bataogi nahi toh main nahi Jane wala…tum pehle batao agar mujhe laga k Jana jaruri hai toh hum chalenge…

Divya (kus soch kar): acha thik hai…mujhe kal subah ek jaruri meeting attend karni hai…

Sam: yaar tum ek meeting ke liye itni jaldi kion bhag rahi ho…postponed kardo…

Divya: dekho Sam ab jyada behas mat karo…maine bata diya hai aur main yeh meeting postponed nahi kar sakti…mujhe abhi chalna hai…

Sam: Yaar tum itni jiddi kion ho…

Divya: han hun…ab main last time puch rahi hun…agar nahi Jana toh mujhe car ki keys do main khud chali jaungi…

Sam ab Divya ko akele toh itni late Jane nahi de sakta tha…aur Divya maan nahi rahi thi toh use han karni hi padi…

Sam: OK yaar thik hai…chalte hain…

Divya: toh thik hai tyar hone mein time waste mat karo…aise hi chalte hain…

Sam ko bhi Divya ki yeh baat sahi lagi…waise bhi dono ne car mein hi Jana tha…aur ghar hi Jana tha…isliye Sam lower aur t-shirt mein aur Divya bhi ek salwar kameez mein chal padi…dono ne apna smaan uthaya aur hotel se check out kiya…

Fir dono parking se car lekar nikal pade ghar ki taraf…abhi time 4:20 huye the…par ghar pahunchte huye adhi raat ho jani thi…

Shimla ke pahadi raston ko toh cross kar hi liya…aur Raat hote hote wo log maidani ilake mein pahunch gaye…

Dono apne ghar ki taraf chup chap badhe ja rahe the…par mujhe kion aisa lag raha hai k yeh shanti kus hi time ki hai…kus na kus hone wala hai…

To be continued…
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18
Shimla ke pahadi raston ko toh cross kar hi liya…aur Raat hote hote wo log maidani ilake mein pahunch gaye…

Dono apne ghar ki taraf chup chap badhe ja rahe the…par mujhe kion aisa lag raha hai k yeh shanti kus hi time ki hai…kus na kus hone wala hai…


Ab age…

Dono apne ghar ki taraf badhe ja rahe the…abhi dono maidani ilake mein the…kabhi koi gaon ata toh kabhi koi sehar ata…par wo dono ek dusre se bilkul bhi baat nahi kar rahe the…

jab se dono shimla gaye the tab se ek dusre se kam hi baat karte the…sayad us din Jo Divya ne Sam ko kus kadwe bol bole the…usi ka asar tha…

Khair Divya toh bas bahar dekh rahi thi…aur Sam as paas dekh raha tha…aise hi dono age badhte ja rahe the…ab tak andhera bhi ho chuka tha…Raat ke 8:30 ho rahe the…

Divya baithi baithi bore ho gayi…aur wo Sam se seedhe munh baat karne se toh rahi…toh usne bas aise hi bina matlab jhagda karne ki Sochi…

Divya(halke banawati gusse se): Sam thoda tez chalo…

Sam: dekho mujhe driving sikhane ki jarurat nahi hai…chup chap baithi raho…

Divya: aise toh hum late ho jayenge..

Sam: mujhe kus nahi sunna…main faltu mein tez chala kar risk nahi Lena chahta...

Divya(Sam ko chidhate huye): acha toh tumhe dar lag raha hai…

Sam: mujhe koi dar bar nahi lag raha…aur bahaduri aur bewkufi mein boht thoda fark hota hai…main bewkuf nahi hun…

Divya: tum boht bade fatu ho…

Sam: kus bhi kaho but mein tez nahi chalane wala…aur wo dekho samne jungle hai ho sakta hai koi janwar ek dum se gadi ke samne a jaye…

Divya ne bhi samne dekha toh ek vishal aur ghana jungle tha samne…use ab dar lagne laga…kionk jab wo log aye the toh us waqt din tha…par ab Kali raat mein yeh jungle ke beech se gujrti road…par Divya apna dar Sam ko dikha kar khud ko kamjor nahi dikhana chahti thi…

Divya: fir kya huya…lao mujhe do main chala leti hun…

Sam: yaar chup chap baitho…

Divya bhi ab chup ho gayi…Car ab us jungle mein enter kar chuki thi…road ke as paas ped hi ped the…aur upar se wo ped apas mein mil kar ek under bridge sa bana rahe the…

Ab tak wo dono is ghane jungle ke bilkul beech mein pahunch gaye the…Divya ko ab boht dar lag raha tha…par wo Sam ko aisa ehsas nahi hone dena chahti thi…is liye usne apna dhyan kisi aur taraf lagane ke liye Sam se fir se tez chalane ko lekar jhagda karna shuru kar diya…aur Sam mana karta raha…

Tabhi Divya ne apni seat belt kholi aur driving seat ki taraf jhuk kar Sam se steering pakadne ki kosish karne lagi...

Divya: chalo seat change karo…main drive karti hun…

Sam: Divya aram se baitho accident ho jayega…

Abhi Sam ne itna bola hi tha k divya se car ka steering thoda right ki taraf mud gaya aur car out of control ho gayi…aur jungle ke ander ki taraf daudane lagi…Sam ne kafi kosish ki brakes lagane ki par uska koi control na raha…

Car jungle ke kafi ander tak chali gayi…Divya toh dar ke mare lagbhag behosh si ho gayi thi aur lagatar cheekh rahi thi…aur Sam har ek ped se bachata huya car ko kafi ander tak le aya…aur tabhi Car ek ped se takra gayi…

Takar jyada jor ki toh nahi thi…seat belt pehne hone ke karan Sam ko kus nahi huya but divya driving seat ki taraf munh karke bina seat belt ke hi baithi thi…aur jhatka lagne se uska sir seedha steering se ja takraya…

Jaise hi gaadi ruki toh Sam ne dekha k Divya steering se takra kar uski god mein a giri thi…uske sir se halka khun bhi Beh raha tha…Sam ne jhat se apni seat belt kholi aur Divya ko utha kar uski seat par bithaya…

Usne Divya ko uthane ki kosish ki…

Sam(Divya ko hilate huye): Divya….utho divya…jyada chot toh nahi lagi na…

Par Divya toh behosh ho chuki thi…Sam ne kafi kosish ki use uthane ki par wo na uthi…Sam ne pani ke chinte bhi mare par koi fayada na huya…

Fir usne socha k pehle bleeding rokni padegi…usne car se first aid box nikala aur Divya ke mathe par saaf karke patti bandh di…

Fir usne car start karne ki kosish ki par car start na huyi…Fir wo car se bahar nikla…

Sam(Apne mathe par hath rakh kar): ab kya karun…Divya toh behosh ho chuki hai…aur agar car thik kar bhi li toh use is halat mein kahan lekar jaunga…upar se itni raat…

Khair usne car se torch uthayi engine dekhne ke liye…usne as paas bhi torch ghumayi toh use paas hi ek khali jagah par ek ghar najar aya...

Par aisa lag raha tha Jaise wahan koi na ho…na toh koi light thi na hi kus aur aisa jisse wahan kisi ke hone ka saboot mile…

Sam (khud se): Yaar mujhe is jagah ko dekhna chahiye…ho sakta hai kus kaam ki jagah ho…vaise bhi agar yahan aj Raat rukne ka itzaam ho jaye toh acha hoga…tab tak Divya ki halat bhi kus behtar hogi…

Yeh soch kar Sam ne car ke doors ko lock kiya aur us ghar ki taraf kus dar aur ghabrahat ke sath badh chala…

Jaise Jaise Sam us ghar ke kareeb ja raha tha uska dar badh raha tha…aur yeh natural hai k ek vishal jungle mein ek sunsan sa ghar dekh koi bhi dar jayega…

Khair Sam us ghar ke kareeb aya aur usne kus soch kar aur thoda darte huye knock kiya…par kisi ne na toh darwaja khola…na hi koi awaj di…sam ne do teen baar aur try kiya…par koi jawaab na mila…

Sam (khud se): lagta hai yahan koi nahi hai…chalo ek baar awaj dekar dekhta hun nahi toh khud hi khol kar ander chala jaunga…

Sam(thoda jor se): koi hai kya…humein madad ki jarurat hai…

Par fir bhi koi jawaab na aya…toh Sam ne khud hi ander jakar dekhne ka socha…usne darte huye darwaja kholne ki kosish ki…aur darwaja badi asani se khul gaya…

Sam ne darwaje par hi khade khade ander torch ki help se dekha…toh use pata chala k yeh koi ghar nahi hai sirf ek room hai…yahan ek charpayi padi thi aur ek bistar…aur kus bartan aur stove….

Dekhne mein aisa lag raha tha mano aj hi kisi ne yahan ki safayi ki ho…sab saaf suthra tha…Sam ne sab dekh kar jab yeh mehsus kiya k ander koi khatra nahi hai toh wo ander chala gaya…

Ander jakar usne sab dhyan se dekha…wahan kone mein ek matka bhi pada huya tha…Sam ne uska dhakan utha kar dekha toh usme pani tha aur lag bhi aisa raha tha mano aj yah kal hi kisi ne bhar kar rakha ho…

Khair Sam ne sab kus check kiya…toh use yeh room boht pasand aya aur aise khatarnak jungle mein aisa saaf suthra aur khali room kisi swarg se kam nahi tha…

Sam ne wahan pade ek lamp ko jalaya(wahin lamp ke paas ek machis ki dibiya bhi padi thi)…fir usne apni torch side mein rakhi…

Fir wahan padi khatiya ko jhad kar bisaya…us par wo bistar daal diya…aur wo bistar bhi ek dum saaf suthra tha…

Sam ne fir apni torch uthayi aur bahar nikal kar fir se apni car ki taraf chal pada…usne car unlock ki Divya ko apni god mein uthaya dobara lock laga kar wo fir se usi room ki taraf chal pada…

Room mein ja kar Sam ne Divya ko bistar par litaya…aur door band kiya…wo khud ek kambal bicha kar niche hi lait gaya…

Wo baar baar Divya ko dekhta k wo hosh mein a rahi hai yah nahi…par Divya ko abhi tak hosh nahi aya tha…Sam ne phone par dekha toh wahan network bhi nahi tha…

Sam aise hi wahan niche baitha raha…aur Divya ke hosh mein ane ka intzar karta raha…ab Divya ko hosh kab ayega aur age kya hoga yeh toh waqt hi bata sakta hai…

To be continued…
 

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 27

Wo baar baar Divya ko dekhta k wo hosh mein a rahi hai yah nahi…par Divya ko abhi tak hosh nahi aya tha…Sam ne phone par dekha toh wahan network bhi nahi tha…

Sam aise hi wahan niche baitha raha…aur Divya ke hosh mein ane ka intzar karta raha…ab Divya ko hosh kab ayega aur age kya hoga yeh toh waqt hi bata sakta hai…

Ab age…

Sam aise hi sari raat na toh so paya aur na hi thoda aram kar paya…wo kabhi toh bahar ki awajein sunne ki kosish karta aur kabhi Divya ko dekhta…aise hi subah ke 3:45 baj gaye…

Pata nahi kaise par Sam ki ankh lag gayi…Sam boht thaka huya tha toh use boht gehri neend a gayi…

Tabhi us room ka darwaja khula…kus log ander aye…5-7 ladke the dekhne mein gunde lag rahe the…

Sam boht gehri neend mein so raha tha toh use koi hosh nahi tha…wo log pehle Sam ki taraf badhe…Sam ko ache se dekh jab unhein laga k yeh jaldi uthne wala nahi hai toh wo log Bistar par laiti Divya ki taraf badhe…

Divya abhi bhi so rahi thi…uske mathe par bandhi patti ke upar bhi uske khoon ka halka nishan ban gaya tha…wo boht pyari lag rahi thi sote huye …par un gundon ko Taras kahan…

Un logon ne Divya ko dhyan se dekha…aur fir ek dusre ko koi ishara kiya…Un logon mein se do ne Divya ko uthaya aur bahar leke Jane lage…fir un logon ne use gadi mein dala aur wahan se leke chale gaye…

Kafi time baad Sam ki ankh khuli aur wo ankhein malte huye uth baitha…usne sabse pehle khatiya ki taraf yeh dekhne ke kiye najar Mari k Divya ko hosh aya yah nahi…

Par Divya toh wahan nahi thi…use thodi fikar hone lagi…fir laga k kahin bahar na gayi ho…wo uth kar room se bahar nikla…

Usne as paas dekha par Divya wahan nahi thi…wo aur bhi jyada ghabra gaya….Fir usne Divya ko boht jor se awaj lagayi…par koi jawaab nahi…kayi baar awaj lagane par bhi jab koi reply na mila toh use fikar hone lagi…

Itne mein use Divya ki ear rings padi mili…usne use utha kar dhyan se dekha…aur sath hi wahan ek car ke tyres ke nishan the…

Sam ko pata chal gaya k Divya jarur kisi musibat mein hai…Sam ne un tyres ke nishan ka picha karne ki Sochi…vaise bhi ab ujala ho gaya tha toh torch ki toh jarurat nahi thi…

Usne ek mota danda uthaya aur us nishan ke piche piche tez kadmon se chalne laga…wo chalta gaya…kafi dur tak chalta gaya…uske pairon mein dard hona shuru ho gaya tha par wo chalta hi gaya…

Par yeh tyres ke nishan ko age hi age ja rahe the…par uske paas inka peecha karne ke ilawa koi option hi nahi tha…

Sam apna man maar kar age badhta gaya…tabhi wo nishan Khatam ho gaye…aisa toh tha nahi k yahan koi pani yah pakki jamin thi…toh jarur wo car yahi kahin hogi…usne thode se baki bache nishano ka peecha kiya toh wo kus jhadion ke piche ja rahe the…

Boht badi badi jhadiyan thin…Sam darte darte unke piche gaya toh wahan ek car khadi thi…Sam ki saans mein saans ayi par use thodi ghabrahat bhi ho rahi thi…

Sam ne darte darte us car ke ander dekha par wahan toh koi nahi tha…Sam ne ache se sabhi khidkion se dekha…par koi najar na aya…

Ab use kus pata nahi tha k Divya kahan hai…wo as paas dekhne laga…wahan koi ghar yah kus aur bhi nahi tha yahan Divya ko rakha ja sake…

Wo wahin as paas ghum kar dekhne laga…kionk use pata tha k Divya kisi musibat mein hai toh wo use awaj nahi de raha tha…wo chup chap use dhundhne ki kosish kar raha tha…

Itne mein kisi ladki ke chikhne ki awaj ayi…Sam ka dhyan us awaj ki taraf gaya…par pata nahi kahan se yeh awaj ayi thi…

Itne mein fir se bachao ki awaj ayi…aur Sam ko awaj se yeh toh pata chal gaya tha k yeh Divya ki hi awaj hai…par kahan se a rahi hai use yeh nahi pata chala…

Itne mein uska dhyan ek Pathron se bani gufa par gaya…jo ek jyada badi toh nahi thi…Sam us guffa ki taraf chal pada…par use yeh dar bhi tha k koi bhalu yah sher yahan na rehta ho…

Wo guffa ke kafi kareeb chala gaya…itne mein wo bachao ki awaj fir se sunayi di…is baar wo awaj saaf sunayi de rahi thi toh Sam ko pakka yakeen ho gaya k Divya isi guffa mein hai…

Sam dhire dhire us gufa ke ander ghus gaya…guffa jyada badi nahi thi toh thoda age jate hi use roshni dikhayi dene lagi…Sam ab dhire dhire deewar ke shahare age badne laga…

Tabhi uski najar wahan par padi yahan Divya thi…wahan 7-8 gunde khade the unke paas hathiyar the…aur Divya ek chair par bandhi baithi thi…

Uske hath aur pair chair ke sath bandhe huye the…aur wo ro rahi thi aur bachao bachao chila rahi thi…aur sabhi gunde Hans rahe the…

Gunda1: chilla le chhori jitna man kare…par tujhe yahan bachane koi nahi ane wala…

Gunda2: bhai ise bachane kon ayega…jab iske paas pade us launde ko nahi pata chala k ise hum utha laye hain…

Gunda3: are yaar wo toh ghode bech kar so raha tha…

Gunda1: sone do use ab humein toh fayda hi fayda hai…bada chaukha maal mila hai is baar toh…bech kar khub paise kamayenge…

Gunda4: han bhai nahi toh gaon ki wo Dubli palti si laundian milti hain…hadion ke bhala kon paise dega…par yeh sehari chhori toh chalta firta khajana hai hamare liye…

Us baat par sab hasne lage…par Sam boht ghabra gaya k yeh log Divya ko bechne ki soch rahe hain…aur Divya toh unki baat sun kar Rone lagi thi…

Divya(rote huye): Plz Jane dijiye mujhe…maine ap logon ka kya bigada hai…

Gunda 1: are chhori aise kaise Jane dein…tu hamara jackpot hai…boht maal milega tumhe bech kar…

Divya is baat se aur bhi dar gayi aur jor jor se Rone lagi…

Divya(gidgidate huye): plz chhod dijiye mujhe…main mar jaungi…

Gunda3: are chhori ghabra mat ismein hum sabhi ka fayada hai…hum logon ko paise mil jayenge aur baad mein tujhe maje dene ke liye tarah tarah ke murge ayenge..

Us admi ki baat par sabhi has pade…Divya toh bechari ro ro kar kamli ho gayi thi…par Sam ko us gunde ki baat par bada gussa aya…usne ek bada sa pathar uthaya…

Ek admi uski taraf Peeth karke khada tha uske hath mein ek pistol thi…Sam dhire se chipte huye uske paas pahuncha aur pure jor se wo pathar Us admi ke sir par mar diya…

Wo admi chilate huye wahin gir pada…aur sabka dhyan us taraf gaya…par tab tak Sam uska pistol utha chuka tha…isse pehle wo gunde kus karte Sam ne gusse mein us gunde ke mathe mein goli mar di jisne Divya ko ghatiya si baat boli thi…

Sab gunde ek pal ke liye sun se pad gaye…kisi ko kus samjh mein nahi aya k kya huya…par Sam toh pure gusse mein tha…usne aw dekh na taw…Gunda 2 aur gunda 4 ko bhi uda diya…

Tab tak wo gunde bhi action mein a Chuke the…un logon ne andha dhundh Sam par firing shuru kar di…wo toh acha huya k Wahan pade ek bade se pathar ke piche Sam chip gaya…

Kus time firing ke baad firing band ho gayi…ek gunda apni gun ko samne karke dhire dhire us pathar ki taraf badha…jaise hi wo Pathar ke paas a kar Sam par goli chalane laga Sam ne ek dum se trigger daba diya…aur wo gunda wahin dher ho gaya…

Divya wahin chair par bandhi huyi dar rahi thi...uska rona band ho gaya tha aur wo subak rahi thi…Gunda1 Jo sayad in sab ka leader tha wo bhi ek bade pathar ke piche chup gaya…

Baki bache dono gunde Sam par firing karne lage par sab golian pathar par hi lag rahi thin…Sam bahar nahi nikal sakta tha…use pata tha k wo Jaise hi uthega toh ek do golian bade aram se ar paar ho jayengi…

Par Sam ko kus toh karna tha toh usne ek scheme ladayi...usne Jo gunda pathar ke piche Mara tha uski gun uthayi…fir usne ek gehri sans bhari Aur Pathar ke piche se roll karke side mein nikla aur teji se dono guns se firing start kar di...

Kus golian off target lagi par usne akhirkar in dono gundo ko lutdka hi diya…ab Sam ko laga k aur koi nahi bacha toh Sam Teji se Divya ki taraf bhaga…

Usne Divya ke paas jakar pehle uske hath khole fir pair khole…Divya ajad hote hi Sam ke gale se lag gayi aur jor jor se Rone lagi....Sam uske sir ko sehla kar use chup hone ko kehne laga…

Divya(siskate huye): Sam tum kahan reh gaye the pata hai kitna dar gayi thi main…

Sam: sorry yaar main pata nahi kaise itni gehri neend so gaya…par ab fikar mat karo main a gaya hun na…

Divya: sorry Sam mujhe tumhari baat pehle maan leni chahiye thi…agar main faltu li jidd na karti toh na hamari car takrati aur na main yahan fasti…

Sam: chal koi baat nahi ab sab kus thik ho gaya…ab hum jaldi hi ghar ke liye nikal jayenge…

Abhi Sam ne itna hi bola tha k tabhi Divya ne pata nahi kya dekha usne chilate huye Sam ko dhaka dekar side mein gira diya…isse pehle Sam kus samjh pata ek goli seedha Divya ko akar lagi aur uske munh se ek dardbhari cheekh nikal gayi…

Itne mein Sam Jor se chilaya…

Sam: Divyaaaa….

Aur wo ekdum se uth gaya…usne as paas dekha toh wo abhi bhi usi kamre mein tha yahan wo soya tha…iska matlab yeh sab ek bura sapna tha…

Sam ka chehra pasine se tar ho chuka tha…par ab jab use pata chala k yeh ek sapna hai usne chain ki sans li…usne apni najar wahan mari yahan Divya so rahi thi…

Par Yeh kya Divya wahan nahi thi…Sam ko fir se fikar hone lagi…ab Divya kahan hai yeh toh nahi pata par itna jarur pata hai k is baar koi sapna nahi hai…

To be continued…
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 28

Sam ka chehra pasine se tar ho chuka tha…par ab jab use pata chala k yeh ek sapna hai usne chain ki sans li…usne apni najar wahan mari yahan Divya so rahi thi…

Par Yeh kya Divya wahan nahi thi…Sam ko fir se fikar hone lagi…ab Divya kahan hai yeh toh nahi pata par itna jarur pata hai k is baar koi sapna nahi hai…

Ab age…

Sam ko Divya ki fikar hone lagi thi wo utha aur kamre ke bahar chala gaya…wo Jaise hi kamre se bahar nikla toh uski saans mein saans ayi…

Kionk Divya wahin khadi thi…Sam Divya ke paas gaya aur us par baras pada…

Sam: tum pagal ho kya Jo aise bahar chali ayi…ghumne ko yeh koi park nahi hai…

Divya: ab kya wahin laiti rahun aur sun abhi main ladne ke mood mein bilkul nahi hun…

Sam: kion tu toh Sara din ladti rehti hai…

Divya: Han par aj tune mujhe bachaya toh chal thanks…

Sam(hairani se): aj yeh sala suraj kidhar se nikla hai…

Divya: ab na tum jyada mat bolo…aur tumne mujhe bachaya toh iska yeh matlab nahi k Maine tujhe maaf kar diya…

Sam ko yeh baat sun kar jyada hairani nahi huyi…use pata tha k Divya use itni jaldi maaf nahi karne wali…aur usne yeh sab maafi ke liye nahi kiya tha…

Sam(halki si awaj mein): kus kaam aise hote hain Jo bina kisi matlab ke kiye jate hain…maine bhi wahi kiya…

Yeh bol kar Sam apni car ke paas chala gaya aur use thik karne laga…Divya Sam ki baat sun kar chup kar gayi…kionk yeh sach tha k Sam ne bina kisi matlab ke Divya ko bachaya tha…Aur jab se Divya hosh mein ayi thi tab se uska Sam ke prati gussa kahin mar sa gaya tha…

Khair Sam aise hi apni car thik karne ki kosish karta raha…aur Divya chup chap khadi use dekhta rahi…Khair Sam ne car ko dobara start kar hi liya…

Sam(apna pasina saaf karte huye): chalo kam se kam car toh chalu huyi ab ghar chalte hain…

Itna bol kar Sam car ke ander baith gaya par Divya wahin khadi rahi…Sam ne jab dekha k Divya wahin khadi hai toh usne horn Mara…par Divya na hili toh Sam khud car se bahar nikla aur Divya ke paas chala gaya…Divya pata nahi kin sochon mein khoyi huyi thi…

Sam: yaar ab yahin rehne ka irada hai kya…chalo ghar chalte hain…

Divya(udaas si awaj mein): Sorry Sam meri wajah se hum is problem mein fase…par plz yeh baat tum ghar ja kar mom se mat bolna…

Sam ne Jaise hi Divya ki baat suni toh wo jor jor se has pada….kionk Divya yeh sab aise bol rahi thi Jaise bache apni galti apne parents ko batane se mana karte hain…

Divya(halke gusse se): ab tumhe kya huya kion aise has rahe ho…ab chalna nahi hai kya…aur han agar tumne mom ko kus bhi bataya…toh dekh Lena…

Sam: OK but yeh Jo itna bada dent pad gaya isse pata nahi chalega kya…

Divya: simple bol dena k tumse takar lag gayi…

Sam: oye hlo mujhe kisi pagal kutte ne kata hai kya…main nahi jhuth bolne wala…

Divya: aise kaise nahi bolte…main bhi dekhti hun…aur jyada satyabadi mat bano mujhe pata hai k tum kaise ho…jhutha kahin ka…

Sam: acha main jhutha toh tum maha jhuthi…aur mujhe toh lagta hai k tum pagal bhi ho gayi ho…

Sam ne Jaise hi Divya ko pagal bola toh wo boht gusse mein a gaya…

Divya(Sam ko ghurte huye): tumne mujhe pagal bola…itni himmat…

Sam: ismein himmat ki kya baat hai…jo sach hai wo hai…tu pagal hi toh hai nahi toh kal ko gadi ka accident kion karwati…

Sam ki baat sunte hi Divya Sam ki taraf use Marne ke liye gusse se badhi…par Jaise hi wo uske kareeb pahunchi toh uska pair ek chote se pathar se takra gaya aur uska balance bigad gaya…

Wo seedha Sam ko sath lekar uske upar giri…wo niche Sam ke upar Jaise hi giri toh dono ki najrein ek pal ke ek dusre se milin…Divya ki najar wahin thehar gayi…

Divya Sam ki ankhon mein dekhte hi pata nahi kion par madhosh si ho gayi thi…use kus hosh na raha wo bas Sam ki ankhon mein dubti chali gayi…

Sam(halki si awaj mein): Divya utho humein ghar bhi chalna hai…

Aisa nahi tha k Sam Divya se alag hona chahta tha but use yeh bhi tha k wo dono jaldi se is jungle se nikal jayein…upar se usne subah subah Jo sapna dekha wo bhi uske dimag mein ghum raha tha…

Khair Sam ki awaj se bhi Divya ko koi farak na pada…

Sam: Divya utho na yaar…

Divya(madhosh si hokar): pehle tum uthoge toh hi main uthungi…aur kion besharamon ki tarah mere upar lete huye ho…

Divya ki baat sun kar Sam ko laga k sir mein chhot lagne se kahin sach mein toh satak nahi gayi na…

Sam(Divya ko hilate huye): Divya kya bole ja rahi ho…tum mere upar ho…ab jaldi se utho ghar nahi chalna kya…

Sam ke hilate hi Divya Jaise hosh mein ayi…aur khud ko Sam ke upar laita pakar wo shakrma gayi aur jaldi se uth kar sir jhukakar khadi ho gayi…

Divya ko is tarah sharmata dekh Sam ke hothon par bhi muskan fail gayi…par abhi in logon ko yahan se niklna tha…

Isliye Sam ne Divya ka hath pakda aur use khinchte huye Car ke paas laya…pehle dusri taraf ka door khola aur Divya ko baithneko ko kaha…aur fir khud jakar driving seat par baith gaya...

Divya toh Jaise abhi bhi kisi alag si duniya mein thi wo chup chap baithi thi lagatar samne dekhe ja rahi thi…chahe wo jitna bhi lade par sach toh yahi tha na k Divya Sam se apni jaan se bhi jyada pyar karti thi…aur Jo uske man mein narajgi thi wo Sam ke is tarah care karne se Khatam ho gayi thi…

Itne time baad khud ko Sam ki bahon mein pakar kahin kho si gayi thi…aur Sam ko bhi pata tha k Divya aise behavior kion kar rahi hai…par wo abhi kus bolna nahi chahta tha kionk wo jaldi jaldi Divya ko is jagah se bahar nikalna chahta tha…

Sam (apni seat belt laga kar): Divya seat belt laga lo…chhot lag sakti hai…

Par Divya ko toh abhi kus samajh hi nahi a raha tha…

Divya(Jaise use kus Suna hi na ho): kya bol rahe ho…

Sam ne Divya ki baat sun kar apne mathe par hath Mara aur khud us taraf jhuk kar Divya ki seat belt lagane laga…Sam ko fir se apne itna kareeb pakar Divya ne apni ankhein band kar li aur uske chehre ki smile bata rahi thi k use kitna sukoon mil raha hai…

Khair Sam ne seat belt laga kar Jaise hi Divya ke chehre ki taraf dekha toh use bade time baad apni purani Divya najar ayi…aur wo khus bhi tha k chahe yeh accident hi tha…par iske baad kus na kus toh badla hi tha…

Khair usne halki si smile ki aur car wahan se nikali...paidon ke beech se nikalte huye wo car ko road par le aya aur fir car usne ghar ki taraf badha di…

Divya chup chap si baithi thi…aur ab wo apni madhoshi se bahar nikal ayi thi…aur kus soch rahi thi…

Divya(man mein): mera Sam bilkul bhi nahi badla…wo abhi bhi vaisa hi hai…dusron ki help karne wala…man karta hai k abhi use apni bahon mein bhar lun…but abhi nahi…main usse naraj hun…usne mujh par gussa kiya tha toh mera bhi haq banta hai…ek toh mujhe thapad Mara upar se itne time baad wapis aya…yeh achi baat nahi hai…aur ab main ise bataungi k kitna tadpi hun main ek saal iske kiye…har roj subah uthte hi yeh sochti k aj mera Sam ayega aur mujhe apni bahon mein bhar kar kahega k bhul jao us manhoos pal ko jab hum lade the…par na toh yeh aya aur na iska koi msg…aur jab aya bhi toh apne papa ke kehne par koi office ke kaam ke liye…

(Oh Teri ki toh yeh baat thi…main bhi sochun k Jo ladki Sam se itna pyar karti hai wo itni naraj kion hai…use is baat ka gussa hai k wo use manane nahi aya balki apne business ke liye apne papa ke kehne par aya hai)

Divya(man mein): aur jab mom ne kaha k Sam office ayega toh mujhe laga k mujhe manane ayega…isliye thode nakhre karne ke baad han kardi….but Sam ne fir se mera dil tod diya…aur office mein yah toh apne kaam mein laga rehta hai yah fir us Neha ki baton mein…par aj akhirkar ise meri fikar ho hi gayi…aj isne meri kitni care ki…par ab main ise asani se maaf nahi karungi…taki age se aisi galti na kare….ache se kaan khichungi iske…

Yeh sab sochte huye Divya ke hothon par ek khubsurat smile thi…bhagban ne is safar mein dono ke beech ki duri ko kus toh kam kar diya tha...wo kehte hain na k pyar mein kus bhi plan ke hisab se nahi hota…jab hona hota hai khud hi ho jata hai…ab Sam ne bhi Divya ka gussa kam karne ke liye kitne plan banaye but koi fayada nahi…aur ek din Dil se uski care ki toh Divya ke dil ki kadwahat bhi kam ho gayi…

(Divya baithi apne hi sapne saja rahi hai par age kya hoga yeh toh upar wala hi Jane…lekin itna toh pata chala k pyar toh dono hi boht karte hain…but Jo problem ek saal pehle thi wahi aj hai…dono mein se koi kus bolta nahi hai)

To be continued…
 
  • Like
Reactions: DINNA
Top