• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance BESHARAM (Completed)

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 29

Divya(man mein): aur jab mom ne kaha k Sam office ayega toh mujhe laga k mujhe manane ayega…isliye thode nakhre karne ke baad han kardi….but Sam ne fir se mera dil tod diya…aur office mein yah toh apne kaam mein laga rehta hai yah fir us Neha ki baton mein…par aj akhirkar ise meri fikar ho hi gayi…aj isne meri kitni care ki…par ab main ise asani se maaf nahi karungi…taki age se aisi galti na kare….ache se kaan khichungi iske…

Yeh sab sochte huye Divya ke hothon par ek khubsurat smile thi…bhagban ne is safar mein dono ke beech ki duri ko kus toh kam kar diya tha...wo kehte hain na k pyar mein kus bhi plan ke hisab se nahi hota…jab hona hota hai khud hi ho jata hai…ab Sam ne bhi Divya ka gussa kam karne ke liye kitne plan banaye but koi fayada nahi…aur ek din Dil se uski care ki toh Divya ke dil ki kadwahat bhi kam ho gayi…

Ab age…

Pure raste dono ne apas mein koi baat nahi ki…dono chup chap baithe rahe…aise hi wo Dono ghar pahunch gaye…Divya ab kafi khus lag rahi thi…

Aj Wednesday tha toh dono bache school Gaye huye the…Sam Aur Divya ne apna smaan naukaron ko uthane ko kaha aur ghar ki taraf chal pade…

Seema hall mein hi baithi thi…Usne Jaise hi Sam aur Divya ko ghar ke ander ate dekha toh wo boht khus ho gayi…wo apne sofe se uthi aur un dono ke paas chali gayi…sam ne Seema ke pair chuye aur Divya apni mom ke gale mili…

Sam(sofe par baith kar naukar se): yaar pani la ke de boht Thak gaya hun…

Idhar Seema ne Jaise hi Divya ke mathe par patti bandhi dekhi toh use fikar hone lagi…

Seema: beta yeh chhot kaise lagi tujhe…

Divya(halki muskurahat ke sath): are maa kus nahi huya washroom mein pair slip ho gaya tha…

Seema(Divya ka kaan pakad kar): tu na dekh kar nahi chal sakti…faltu mein chhot lagwa li…

Divya: ah mom chhod do dard hota hai…age se dhyan rakhungi…

Seema: chal thik hai ab ja main tere liye pani bhejti hun…

Par Divya toh ab chahti thi k wo jitna Sam ke as paas rahe utna acha hai…isliye usne wahin hall mein baithne ki Sochi…

Divya: are mom main yahin baithti hun apke paas baad mein aram kar lungi vaise bhi main konsa aj office Jane wali hun…

Seema: toh a chal baith kar batein karte hain…

Fir Seema jakar Sam ke sath baith gayi aur Divya dusre Couch par…Sam abhi toh piche ko apna sir latka kar aram kar raha tha…itne mein naukar pani leke aya Aur in dono ne pani liya…

Seema: acha toh Sam batao tumhara trip kaisa raha…

Sam: acha raha aunty…ab project ache se pura kar lunga…

Seema vaise toh kus aur puchna chahti thi par kionk wahan Divya bhi baithi thi toh wo chup hi rahi…aur Divya se batein karne lagi…

Seema: tum batao Divya tumhara kaisa raha…

Divya(Sam ki taraf dekh kar): mom ab main aise bande ke sath jaungi toh bore hi hoga na…

Sam: han aunty Divya ne toh puri kosish ki thi hum dono ko entertain karne ki wo toh Maine aisa hone nahi diya…

Sam ka ishara jungle mein accident wali baat ki taraf tha…aur Divya yeh ache se samajh gayi aur Seema ko pata chalne ke dar se chup hi rahi…

Aise hi thodi der baad Sam uth kar apne room mein aram karne ke liye chala gaya…Divya bhi Seema ke sath thodi batein karne ke baad apne room mein chali gayi…

Seema thodi der baad Sam ke room mein ayi…Sam washroom se fresh ho kar aya tha…

Seema(bed par baithte huye): toh Sam beta tumhari is Hitler se koi baat huyi…

Sam: are aunty baat toh huyi but jab dekho yeh mujhse jhagda karti rehti hai…jab dekho purani baton ko lekar baith jati hai…

Seema: beta uske man mein Jo gussa hai wo utna hi bahar nikalega jitna wo tumhare sath jhagdegi…par han yeh baat hai k yeh jhagda bada na ho jaye…

Sam: are aunty is baar ap fikar mat karo….main pehle wali galti dobara nahi karunga…

Seema(kus soch kar): beta ek baat toh hai…jab se tum log wapis aye ho Divya khus lag rahi hai...kus huya tha kya…

Seema ki baat sun kar Sam ko aj subah Jo Jo jungle mein huya wo sab yaad a gaya…

Sam: han aunty mujhe bhi laga…aj subah se hi Divya kus ajeeb sa behave kar rahi hai…kabhi kabhi toh lagta hai wo pehle wali Divya hi ban gayi hai…

Seema: toh kya aj subah kus huya tha…jiski wajah se uska yeh behavior badla ho…

Sam: aunty huya toh tha par main ek sharat par bataunga…

Seema: han bol…

Sam: aunty Divya ne mujhe yeh baat apko batane se mana ki hai…toh ap is baat ka jikar Divya ke paas nahi karengi…

Seema: han thik hai par baat toh bata…

Fir Sam ne puri baat Seema ko batayi…Seema ko pehle toh Divya ki is harkat par thoda gussa aya…par Sam ke kehne par wo shant ho gayi…

Seema: toh yeh baat hai…asal mein tum dono ki yahi problem hai k tum ek dusre ke prati apne pyar ko show nahi kar pate ho…pehle bhi isi karan tum dono mein misunderstanding huyi thi…

Sam: toh ab kya karna chahiye aunty…

Seema: dekho tumne Divya ka thoda dhyan rakha toh use dekho kitna acha laga…main yeh toh nahi kahungi k jhuthi care karo par Jo tumhare dil mein use bahar lana sikho…tumhara pyar Divya ko bhi pata chalna chahiye…jab bhi kabhi use kisi ki jarurat ho toh pehle tum khade raho uske sath…tum dono ko ek dusre ke liye apne pyar ko sirf apne dil mein nahi rakhna chahiye kionk Pyar sambhal kar rakhne se badhta nahi hai…

(Seema ne Jo bhi kaha wo Sam ne ache se samjha aur yeh sach bhi tha…k agar Sam aur Divya apna pyar chipa kar na rakhte toh ek saal pehle dono ke beech galtfehmi na paida hoti....khair agar wo dono abhi bhi yeh baat samjh jayein toh sab thik ho sakta hai…mujhe lagta hai k Divya toh yeh baat samjh gayi hai…par Sam kab samjhega yahi dekhne wali baat hai…)

Khair Seema thodi der baar wahan se chali gayi aur Sam Seema ki baton ko sochta huya bed par lait kar aram karne laga…

Sham ko tuition se ane ke baad Sahil aur Riya dono Sam ke paas chale gaye…us waqt Sam bed par lait kar aram kar raha tha…uski ankhein band thi aur headphones laga rakhe the…

Un dono ne jaise hi Sam ko is tarah lete dekha toh Riya ke dimag mein ek plan aya Jo usne Sahil ke kaan mein bhi bata diya…aur dono ne ek dusre ki taraf dekh kar ek smile paas ki aur dhire dhire Sam ke paas chale gaye…

Wo dono bina koi awaj kiye Sam ke paas jakar khade huye aur uske pait mein gudgudi karni shuru kar di…

Sam ek dum se dar gaya…par agle hi pal wo hasne laga Aur gudgudi se bachne ke liye bed ki dusri taraf ko khisak gaya…

Wo dono bhi uske sath sath bed par chhad gaye…

Sam(haste huye): Plz bas karo boht gudgudi ho rahi hai…

Riya: pehle batao ke humein chocolate la kar doge…

Sam: han meri maa la dunga par mujhe chhod do…

Fir un dono ne Sam ko chhoda aur bed par chhad kar baith Gaye...Sam bhi lambi lambi sansein lene laga…

Riya: bhaiya kaise ho ap…

Sam: abhi tak toh thik tha but tum dono ne halat Kharab kar di…

Riya: hum toh apka welcome kar rahe the…

Sam: OK but plz age se aisa swagat mat Karna…

Riya: OK nahi karenge…par apko humein riswat dete rehna hoga…

Sam: kaisi riswat…

Sahil: bhaiya riswat matlab chocolate…aur han Didi se chupa kar..

Sam: kion usse kion chupana…

Riya: are agar unko pata chala toh apke sath sath humari bhi pitayi hogi…

Sam: kion wo chocolate nahi khane deti kya…

Riya: nahi bhaiya didi kehti hain k daant kharab ho jayenge…

Sam: fir sahi hi toh kehti hain…

Riya: han but kabhi kabhi khane se toh kus nahi hota na…

Sam: han yeh bhi sahi hai…

Fir wo log aise hi batein karte rahe…aur baad mein dinner karke so gaye….Sam toh kal ko ache se so bhi nahi paya tha isliye use toh badi achi neend ayi…

Next Day Thursday subah sab breakfast kar rahe the….Sam aj bhi apni usi seat par matlab Divya ke samne baitha tha…

Par aj ka najara kus different tha…Divya bhi Sam ki taraf bari bari dekh rahi thi…par ek toh wo seedha nahi dekh rahi thi upar se wo tab dekhti jab Sam na dekh raha hota…

Toh dono ki najrein ek waqt par na takrati…sabhi ne breakfast Khatam kiya aur Bache school chale gaye…

Sam aur Divya bhi office Jane ke liye ready the toh apni apni car lekar wo bhi office ke liye nikal gaye…

To be continued…
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 30

Par aj ka najara kus different tha…Divya bhi Sam ki taraf bari bari dekh rahi thi…par ek toh wo seedha nahi dekh rahi thi upar se wo tab dekhti jab Sam na dekh raha hota…

Toh dono ki najrein ek waqt par na takrati…sabhi ne breakfast Khatam kiya aur Bache school chale gaye…

Sam aur Divya bhi office Jane ke liye ready the toh apni apni car lekar wo bhi office ke liye nikal gaye…

Ab age…

Pehle Divya office pahunchi…aj Divya ka mood acha tha toh wo kisi se ladi jhagdi nahi…sab ko morning wishes ka jawaab dete huye apne cabin mein chali gayi…thodi der baad wahan Sam bhi a gaya…

Sam(Ashu ke paas ja kar): kion be aj kisi ko nahi dhanta kya Hitler ne Sab khus lag rahe hain…

Ashu(halka sa muskurate huye): nahi bhai aj kus nahi kaha usne…

Sam: chal achi baat hai…ok ab main apne cabin mein chalta hun…

Ashu: are bhai ruk na…main tujhe kus batane wala hun…jise sun kar tu khus ho jayega…

Sam: han bol bhai aisi kya baat hai…

Ashu: aj Deepak Aur Lucky ko bualaya hai…par in logon ko bataya nahi k tu a gaya hai…aj office ke baad yahin se chalenge…

Sam: are wah kya baat hai…par a kahan rahe hain yeh kamine…

Ashu: bhai mere ghar par…

Yeh sunte hi Sam kus soch mein pad gaya…use is tarah sochte dekh Ashu bol pada…

Ashu: bhai kya huya kya soch raha hai…tu a raha hai yah nahi…

Sam: bhai a toh raha hun…par yeh batao k yeh Jo tum log daru party karte ho…

Sam ki baat sunte hi Ashu samajh gaya k Sam yeh nahi chahta k wo log party mein daru piyein…

Ashu: oye nahi bhai…jab tumhare sath wo sajish huyi thi toh hum teeno ne usi waqt chhod di…sab huya bhi toh hamari wajah se hi hai na…

Yeh bolte huye Ashu ne apna sir jhuka liya uske chehre par paschatap ke bhaw saaf dekhe ja sakte the…Sam ko apne dost ka jun sharminda hona bilkul acha nahi laga toh usne use gale lagaya…

Sam(Ashu ki peath thap thapate huye ): oye koi na yaar…purani baat hai chhod use…tum logon ne pina chhod diya yahi badi baat hai…

Ashu(Sam se alag hote huye): Bhai wo dono apni girlfriends ke sath a rahe hain…

Ashu ki baat sun kar Sam ko badi hairani huyi…k un Dono namuno ki GF hai…kionk in Charon mein Sam ko chhod kar Ashu ki tha Jo thoda boht acha dikhta tha…wo dono toh ek dum namune the…

Sam: sale tune toh bola tha tune pina chhod diya hai…subah subah hi pikar aya hai kya…Jo un dono ki setting karwa dali…

Ashu: nahi bhai yeh sach hai…kamino ne badi muskil se fasayin hain…

Sam: toh fir sale tu bhi apni GF la raha hai kya…

Ashu: Bhai hum toh single hi hain…koi nahi hai apni…

Sam: chal tu toh hai na mere sath…mujhe laga main akela hi reh gaya hun…

Ashu: han main toh hun…

Sam: chal ab main cabin mein jata hun…tu bhi apna kaam karle nahi toh wo Hitler a jayegi…

Ashu(halka sa muskura kar): chal thik hai…

Fir Sam apne cabin ki taraf chal pada…aur Ashu apne table par baith kar apna kaam karne laga…

Sam apne cabin mein baitha Seema ki kal ki kahi baton ko soch raha tha…

Sam(apne man mein): yaar aunty ne Jo kus bhi kaha… hai toh wo sahi hi…agar main pehle Divya ko apne pyar ka izhaar kar deta toh use yeh kabhi bhi na lagta k main usse pyar nahi karta hun…khair Jo ho gaya so ho gaya…ab age ka kya…usko seedha toh bol nahi sakta…ab wo meri baat ka biswas karegi yah nahi kus pata nahi hai…toh ab kya karun…han dhire dhire pehle uske dil se khud ke liye gussa Khatam karna hoga fir dosti karni hogi aur fir pyar…yaar bada lamba processor hai…

(Ab Sam yeh sab soch toh raha tha par yeh plan kitna kamyab hoga yeh toh waqt hi batayega…kionk plan bana kar toh propose kiya nahi jata…)

Khair Sam inhi sab sochon mein khoya huya tha…tabhi uske cabin ka door khula aur Neha ander ayi…

Neha(Sam ke table ke samne wali chair par baithte huye): kahan khoye huye ho…

Sam Neha ki baat se Jaise hosh mein aya…

Sam: kus nahi yaar bas aise hi kus soch raha tha…tum batao kaisi ho…

Neha: main toh ek dum thik hun…tum batao kya haal hai…aur tumhara trip kaisa raha…Divya ko sab sach bata diya yah nahi…

Itne sare swaal ek sath sun kar Sam ka Sir chakra gaya…k wo kis ka jawaab de kiska nahi…

Sam: are yaar main kahin bhag nahi raha…ek ek karke pucho…aur main thik hun…Trip bhi thik Thak raha…

Neha: tumne main swaal ka jawaab toh diya hi nahi…divya se baat ki Yah nahi…

Sam: nahi ki Yaar…kayi baar socha…par wo jab bhi mujhse baat karti hai yah toh jhagda karti hai yah fir mujhe purani batein sunati rehti hai…

Neha: chal koi na…sab dhire dhire thik ho jayega…aur Suna…

Sam: aur toh kus nahi…aj main raat ko apne Bachpan ke dosto se Milne ja raha hun…

Neha: wow yeh toh kitni achi baat hai…vaise hamare office wala Ashu bhi tumhara dost hai kya…

Sam: Han wo toh mera sabse purana aur kareebi dost hai…

Neha: han acha ladka hai…kabhi meri bhi jaan pehchan karwao usse…

Sam(majak karte huye): tumhe kya pasand a gaya hai wo…

Neha(gusse hone ka natak karte huye): main Marungi tujhe…kus bhi bolta hai...Maine toh aise hi bol diya k tumhara dost hai toh main bhi mil lungi…aur hamare office mein bhi hai…

Sam: dekho ladka acha hai…par rishte ki baat karne mere paas hi ana padega…

Neha : tum mujhse pit kar rahoge aj…

Sam: kion main konsa rishte ke liye mana kiya hai…

Neha (apni chair se uth Kar): Maine tujhse puch kar hi galti ki…mujhe nahi milna tere kisi dost se…aur main ja rahi hun…

Sam: are are ruko majak kar raha tha…tum toh gussa hi kar gayi…milwa dunga…

Neha: nahi mujhe nahi milna…

Sam: Yaar gussa kion karti ho…aur ab milwa dunga na…

Neha: chal thik hai…

Sam: par tum mil kar Propose kaise karne wali ho…

Yeh Baat bol kar Sam jor jor se has pada aur Neha use Marne ke liye daudi…Sam bhi apni chair se uth kar daudne laga…wo dono table ke irad girad ghum rahe the…

Kafi bhagne ke baad Neha Thak gayi aur apni chair par baith gayi aur hamfne lagi…Sam bhi jakar aram se apni chair par baith gaya…usne Neha ko itna jyada hanfte dekh pani ka glass uski taraf badhaya…

Sam: Neha are you OK?...sorry yaar Maine tumhe itna bhagaya…

Neha(pani lete huye): koi baat nahi…tum toh majak kar rahe the main hi paglon ki tarah baghti rahi…

Sam: chal yaar ab majak nahi karunga…aur tumhe apne sabhi doston se milwa bhi dunga…bol kab milna hai…

Neha(glass side mein rakhte huye aur apni Sason ko normal karte huye): aj raat ko hi chalun tumhare sath…agar tumhe koi problem na ho…

Sam: mujhe koi problem nahi hai…tumhare ghar wale tumhe ane denge kya…

Neha: wo kus nahi bolenge…main bhaiya ko bol dungi wo sab sambhal lenge…

Sam: tumhare bhaiya tumse boht pyar karte hain kya…

Neha(halki si muskurahat apne chehre par la kar): han mere mom dad bachpan mein hi mujhe chhod gaye…mujhe mere mama Mami ne apni khud ki beti ki tarah pala hai…aur bhaiya toh mujhe apni gudiya jaise rakhte hain…wo toh mujhe naukari bhi nahi karne de rahe the bole k itna paisa kya ag lagana hai…par Maine jidd ki toh maan Gaye…
Sam: tumhare mom dad ka jaan kar dukh huya…aur tumhare mama Mami aur tumhare bhaiya ache log lagte hain…kabhi mauka mila toh milunga jarur… toh thik hai…aj yahan se seedha hi chalenge…baad mein main tumhe ghar drop kar dunga…

Neha: ok…and ab main chalti hun kus kaam bhi karna hai…

Yeh bol kar Neha wahan se chali gayi…aur Sam apne kaam mein lag gaya…

To be continued…
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 31

Sam: tumhare mom dad ka jaan kar dukh huya…aur tumhare mama Mami aur tumhare bhaiya ache log lagte hain…kabhi mauka mila toh milunga jarur… toh thik hai…aj yahan se seedha hi chalenge…baad mein main tumhe ghar drop kar dunga…

Neha: ok…and ab main chalti hun kus kaam bhi karna hai…

Yeh bol kar Neha wahan se chali gayi…aur Sam apne kaam mein lag gaya…

Ab age…

Neha ke Jane ke baad Sam apna kaam kar hi raha tha k tabhi wahan Divya a gayi…Divya chahti thi k Sam ab uske as paas hi rahe par wo kus bolna nahi chahti thi…isliye wo project ke Bare mein Janne ka bahana bana kar wahan a gayi…

Divya: Sam project ki kya progress hai…

Sam: Yaar kamal karti ho…abhi toh main office aya hun toh utna kaam hi huya hoga jitna humne shimla mein kiya tha…

Sam ki baat sun kar Divya buri tarah se jhenp gayi…aur use kus samjh mein nahi a raha tha k ab wo kya bole…

Divya(thoda haklate huye): nahi wo toh main aise hi puch rahi thi…tum araam se apna kaam karo…

Sam: OK…

Fir Sam ne apna dhyan laptop mein laga diya…Divya kus der wahan baithi rahi par jab Sam kus na bola toh wo uth kar khadi ho gayi…

Divya: Sam ab main chalti hun…

Sam(bina dhyan diye): OK…

Divya : chalo thik hai toh main chalti hun…

Divya baar baar isliye bol rahi thi taki Sam use rukne ko Kahe par yeh ullu Sam laptop mein ankhein gade baitha tha…par tabhi Sam ko Seema ki baat yaad ayi k wo Divya ki taraf dhyan de taki dono ke beech pyar badhe…yeh soch kar Sam ne wo kar hi diya Jo Divya chahti thi…

Sam: Divya ruko…

Abhi Sam ne itna hi bola tha k Divya jaldi se Sam ke samne chair par baith gayi…par ab Sam ko kus samjh nahi a raha tha k wo kya bole …isliye wo lagatar idhar udhar dekh raha tha…par Divya ko is baat se koi farak nahi padta tha k Sam kus bole yah na…use toh bas apna Sam ankhon ke samne chahiye tha…

Sam: wo Divya wo…

Divya(Sam ki taraf dekhte huye): han bolo Sam…

Sam(ekdum se): tum aj boht khubsurat lag rahi ho…

Divya ko is baat se koi farak nahi padta tha…k Sam kya ut patang bole ja raha tha…uske liye itna kafi tha k wo usse baat kar raha hai…

Divya: thanks…par aj kya khas lag raha hai mujh mein…

Sam (haklate huye): wo wo Jo aj tumne jis tarah ke kapde pehne hain na wo…

Divya(ab toh Divya ko bhi thoda at pata laga k aj achanak Sam ko kya ho gaya hai): are main toh roj hi office time isi tarah ke kapde pehnti hun…

Sam: acha aisa hai kya?...

Iske baad dono fir se chup ho Gaye…kafi der baithe rehne ke baad Divya uth kar chali gayi…aur Sam ki saans mein sans ayi…

Sam(ek lambi saans chhod kar): thanks god Bach gaya aj toh…kya kya bakwas batein bak raha tha main…baitha toh liya divya ko par baat koi thi nahi karne ko…sab bhul gaya uske samne baith kar…

Aise hi sham ke 6:30 ho gaye aur Divya ghar ko chali gayi…par Sam nahi gaya…wo Neha ke paas gaya aur use lekar Ashu ke paas chala gaya…

Ashu(neha ki taraf dekh kar): yeh aj gayi nahi abhi tak ghar…

Sam: yeh bhi hamare sath chal rahi hai…

Ashu: par kion …yaar rehne de main toh ise ache se janta bhi nahi...

Yeh sun kar Neha ka chehra utar gaya…kionk Ashu kus jyada hi rudely bol gaya tha…

Sam: tujhe bolne ki akal kab ayegi…aur yeh hamare sath hi ja rahi hai…yeh meri dost hai…

Neha(dukhi man se): nahi Sam agar tumhara friend nahi chahta toh main rehne hi deti hun…

Sam: Yaar yeh toh gadha hai…main bol raha hun na Jane ko…

Sam ki baat sun kar pata nahi kion par Neha ko thoda bura laga…

Neha: Sam aise mat bolo…wo sahi bol raha hai k wo mujhe janta nahi toh sath lekar kion jayega…

Jis tarah se Neha Ashu ki side le rahi thi…wo dekh kar Sam ko shak huya k kahin wo Ashu ko pyar toh nahi karti…aur sayad isi liye wo Ashu se milwane ke liye Sam se bol rahi ho…

Sam: yaar tujhe main Leja raha hun…aur iske kus chahne yah na chahne se koi farak nahi padta…

Neha: tum aisa kion bol rahe ho Ashish ki baat se farak kion nahi padta…agar wo nahi chahta toh main nahi jaungi…

Sam(tang a kar): yaar Ashu bolde ise chalne ko nahi toh mera sir fat jayega…

Ashu: chal thik hai chalo tum bhi sath mein…

Itna sunte hi Neha ka chehra ek dum khil utha aur yeh baat Sam ne notice ki…fir wo teeno Sam ki gaadi se Ashu ke ghar ki taraf chal pade…

Sam: yaar tumhare ghar wale kahan Gaye hain…

Ashu: bhai wo log kisi shadi mein gaye huye hain…isliye wahin Milne ka plan banaya hai sabne…

Sam: ok…

Neha: Ashu tumhare ghar mein kon kon hai…

Ashu(beman se): mere mom dad hain…

Neha: aur koi nahi hai…

Ashu(tang akar): aur kon hoga ab…

Neha: nahi Maine socha tumhari shadi na ho gayi ho…

Sam sab samjh raha tha k Neha ke deemag mein kya khichdi pak rahi hai…par wo in dono ke beech mein kus bol nahi raha tha…dusri taraf Ashu Jo pehle hi Neha ko sath nahi Lana chahta tha…uska toh Neha ke swaal sun kar deemag fat raha tha…

Ashu: yaar abhi meri umar hai kya shadi ki…

Neha: achi baat hai…

Ashu: kya achi baat hai…

Neha: nahi nahi kus nahi…bas aise hi…

Itne mein Sam ne gadi Ashu ke ghar ke samne roki…wo teeno gadi se utre…abhi wo log ghar ki taraf chale hi the k Neha fir se bol padi…

Neha: Ashu tumhara ghar boht khubsurat hai…

Ashu: thanks ab ander chalein…

Neha: han…

Abhi sandy ne door khola hi tha k tabhi do bikes a kar wahan ruki…lucky aur deepak apni girlfriends ke sath aye the…wo log apni bikes se utre aur lucky aur Deepak ki najar jaise hi Sam par padi dono khusi ke Mare pagal se ho gaye…

Wo dono bhag kar aye aur Sam ke gale lag gaye…yeh sab itni jaldi huya k Sam ko kus samjh nahi aya…par agle ki pal Sam ne bhi in dono ko gale laga liya…aur fir teeno gale lage lage ki kudane lage…aur ho ho karne lage…yeh dekh kar wahan maujud sabhi Hans pade…fir teeno alag huye…

Deepak: yaar tu kab aya aur humein bataya kion nahi…

Lucky: han yaar yeh achi baat nahi hai…

Sam: yaar maine Ashu ko kaha tha k tum dono ko bata dega par isne kaha k surprise denge…

Deepak(Ashu ki taraf dekhke ): sale Teri khabar toh baad mein lete hain…Sam aur Suna bhai kaisa hai…uncle aunty kaise hain…

Sam: yaar sab vadiya hai…tum log batao…

Lucky: apni bhi life ab achi chal rahi hai…mujhe toh kal naukari bhi mil gayi…

Sam: achi baat hai…yaar apni girlfriends se nahi milwaoge tum dono…

To be continued…
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 32

Sam: yaar sab vadiya hai…tum log batao…

Lucky: apni bhi life ab achi chal rahi hai…mujhe toh kal naukari bhi mil gayi…

Sam: achi baat hai…yaar apni girlfriends se nahi milwaoge tum dono…

Ab age…

Lucky: han kion nahi…

(Toh main apni taraf se intro de deta hun…sam ke sath sath ap log bhi jaan jaoge…

Ruchi(Lucky ki girlfriend): Age 23…height 5’4”…rang thoda sanwla hai…par nain nakash ache hain…kulmila kar Lucky ke liye toh kus jyada hi khubsurat hai…

Kalpana(Deepak ki girlfriend): Age 23…height 5’2”…rang na jyada gora na hi sanwla…shakal boht hi pyari hai…achi ladki hai…)

Khair un dono ne apni apni girlfriend se Sam ko milwaya…

Kalpana: Toh ap hain Sam…boht kus btaya Deepak ne apke bare mein…

Sam: shukriya…par yeh jyada respect mat do… dosto ki respect mere se hajam nahi hoti…

Kalpana(halka sa muskura kar): ok…

Ruchi(Neha ko dekh kar): Ashu yeh tumhari girlfriend hai kya…

Ruchi ki baat sun kar sab ka dhyan Neha ki taraf gaya…wo log neha ko dekhne lage…Neha ruchi ki baat sun kar sharma gayi…Ashu ko kus samjh na aya k yeh kya bol gayi Ruchi…

Ashu: yaar tum kaisi baat kar rahi ho…yeh meri GF nahi hai…Sam ki friend hai…

Ruchi: oh sorry yaar…By the way…naam kya hai tumhara…

Neha: Neha…

Kalpana: bada acha naam hai…

Sam: yaar tum log yahin gate par khade rahoge yah fir ander bhi chaloge…

Ashu: han Yaar chalo ander…

Fir sab ander chale Gaye…Sab hall mein baith Gaye…

Ashu(Deepak se): chal yaar hum sab ko cold drink serve karte hain…

Fir Deepak ashu ke sath kitchen mein gaya aur cold drink ki bottles aur glass le aya…aur sab ko serve kiya…

Kalpana(Cold drink pite huye): Sam Maine Suna hai tumhari shadi Ashu ki boss se hone wali thi…par tut gayi…mujhe bada bura laga k tumhare sath kisi ne aisa kiya…

Sam: it’s OK yaar…jo kismat mein hota hai…vaise wo Ashu ki boss se pehle hum sab ki dost thi…

Deepak: yaar ab India ane ke baad tumhari usse mulakat huyi kya…

Sam: han roj hi hoti hai…

Lucky(hairani se): kya matlab bhai…

Fir Sam ne puri baat btayi k wo India kion aya…kahan reh raha hai…office Jane tak sab kus…

Deepak: yaar toh tu Divya ko manane aya hai…aur tu usse pyar karta tha toh pehle hi bata deta…

Lucky : han yaar faltu mein itna sab kus huya…wo toh tumse pyar karti hi thi aur yeh baat hum sab jante the…

Sam: yaar bas galti ho gayi kya karta…baat ab samjh mein ayi hai…pehle a jati toh yeh sab na hota…vaise Jo hona tha ho gaya…ab toh use sudharne ka waqt hai…

Kalpana: sahi keh rahe ho tum…apne pyar ko pane ke liye insan ko Jo bhi karna pade wo Karna chahiye…(yeh baat wo Deepak ki taraf pyar se dekh kar boli)

Kalpana ki baat Neha bade dhyan se sun rahi thi…dekhte hain kya karti hai yeh ladki ab…Udhar Kalpana aur Deepak ankhon hi ankhon mein ek dusre se hazaron batein kar gaye…aur Sam ne jab yeh dekha toh wo Deepak ki tang khichne laga…

Sam: are wah bhai yahan bhi sabar nahi tujhe…

Deepak: yaar Maine kya kiya…

Sam: mujhe pata hai tum dono kya kar rahe ho…

Sam ki baat sun kar sab hans pade…aur fir kus der aise hi batein karte rahe Itne mein Ashu bola…

Ashu: Yaar tum dono apni girlfriends ke sath aye ho toh chalo thoda dance hi karlo…hum toh single hain par tum log kion bore ho rahe ho…

Deepak: han yaar kion nahi…

Fir Ashu ne romantic music lagaya…aur Deepak-Kalpana aur Lucky-Ruchi dance karne lage…tabhi Sam ke deemag mein kus aya…kionk Neha un logon ko dance karte dekh Ashu ki taraf Hasrat bhari najron se dekh rahi thi…

Sam Neha ke paas gaya uska hath pakda aur Ashu ke paas gaya…wo dono Sam ko hairani se dekh rahe the…

Sam(Neha ka hath Ashu ke hath mein thama kar): yaar tum dono bhi dance kar lo…

Ashu: par bhai…

Sam: yaar ab tu mujhse swaal jawab karega…

Ashu: thik hai yaar…

Fir Ashu Neha ke sath dance karne laga…Neha toh mano boht khus ho gayi usne ankhon hi ankhon mein Sam ko thanks kaha aur Sam ne bhi vaise hi jawab diya…

Ashu bhi ab Neha ke sath thoda khul kar dance kar raha tha…wo dono apas mein kus batein bhi kar rahe the…par music ki tez awaj mein Sam ko kus sunayi nahi de raha tha…

Sam un dono ko is tarah dekh kar khus tha…pata nahi kion par wo chahta tha k Neha aur Ashu ko ek kare…sayad Jo uske aur Divya ke beech huya wo Neha aur Ashu ke beech mein wo nahi hone dena chahta tha…

Khair aise hi sab dance karte rahe aur Sam un logon ko dekhta raha…Kalpana ne use dance ke liye pucha bhi par usne un logon ka maja kirkira karna sahi nahi samjha…

Dance karne ke baad sab Fir se baith kar batein karne lage…aur fir 10:00 baje ke lagbhag sabne apne apne ghar chalne ka faisla kiya…sam bhi Neha ko sath lekar nikal gaya…

Neha chup chap si baithi thi…Par wo khus lag rahi thi aur kus soch rahi thi….tabhi Sam ne usse pucha…

Sam: ab toh khus ho na…

Neha(jaise ek dum se is duniya mein wapis ayi ho): kis baat ke liye…

Sam: are Maine tumhe apne dosto se milwa diya…

Neha (halki smile ke sath): han sab boht ache hain…

Sam: aur Ashu?...sayad tumhe kus jyada hi acha laga…

Neha(hadbada kar jaise uski koi chori pakdi gayi ho): nahi aisi koi baat nahi hai…

Sam: acha toh aur kaisi baat hai…

Neha: tum fir se shuru ho gaye…Maine bola na koi baat nahi hai…

Sam ko pata tha k Neha kus bhi Kahe par wo Ashu se pyar karti hai…aur Sam yeh baar kaise bhi karke Neha ke munh se sunna chahta tha…

Sam: yaar mujhe pata hai tum Ashu ko like karti ho…

Neha(ekdum se): nahi main use koi like bike nahi karti…

Sam(ekdum se break marte huye): oh Yaar tumne yeh baat pehle kion nahi btayi…khamkha Maine aj us ladki ko Ashu se dur rakha…

Sam ki baat sunte hi Neha ke kaam khade ho Gaye…

Naha: konsi ladki…

Sam: yaar hai koi ab main use Ashu ko propose karne dunga wo achi Ladki hai Ashu use mana nahi karega…

Sam ki yeh baat sun kar toh Neha ka dil jal utha…Sam bhi ache se janta tha Neha yeh baat sun kar sab bol degi aur huya bhi aisa hi…

Neha: nahi Sam aisa nahi ho sakta…Ashu aise kaise kisi ko GF bana lega…

Sam: yaar par kion nahi bana sakta…

Neha (ekdum se): kionk main use pyar karti hun aur koi kaise uski life mein a sakti hai…

Neha ki baat sunte hi Sam Hans pada…Aur Neha hairani se uski taraf dekhne lagi k Sam has kion raha hai...

To be continued…
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 33

Sam: yaar par kion nahi bana sakta…

Neha (ekdum se): kionk main use pyar karti hun aur koi kaise uski life mein a sakti hai…

Neha ki baat sunte hi Sam Hans pada…Aur Neha hairani se uski taraf dekhne lagi k Sam has kion raha hai...

Ab age…

Neha: kya huya ab has kion rahe ho…

Sam(hansi rok kar): hansu nahi toh aur kya karun…tum jab Ashu se itna pyar karti ho toh pehle hi maan jati…faltu mein mujhe jhuth bolna pada…

Ab neha bhi samjh gayi k baat kya hai…aur wo gussa hone ka natak karne lagi…

Neha(jhuthe gusse ke sath): acha toh tumne mujhe jhuth bola...main ab tumse baat nahi karungi…

Sam: dekho yaar ab main us baat ko toh badal nahi sakta…par agar tumhe jhuth acha nahi lagta toh use sach kar sakta hun…Ashu ko koi ladki dhundh deta hun…

Neha (Sam ko majak mein marte huye): tum na mujhse maar khaoge…koi ladki laye toh main tumhe jaan se maar dungi…

Sam: chal thik hai….par main toh Teri baat kar raha tha…ab rehne deta hun…

Ab bechari Neha ko kus samjh nahi a raha tha k wo kya bole kya nahi…Sam toh har baat ko usi ki taraf ghuma deta tha…

Neha(tang a kar): tumhara Jo man aye karo…par mujhse baat mat karo…

Sam: acha sorry yaar maafi chahta hun…main tumhari help karunga Ashu ko patane mein…ab khus…

Sam ki baar sun kar Neha ke chehre par smile a gayi…

Neha: pakka?

Sam: Han bilkul pakka…

Neha: OK toh fir thik hai…par abhi toh ghar chalo…

Sam: han yaar tumhe drop karke mujhe bhi ghar Jana hai…

Fir Sam ne car neha ke ghar ki taraf badha di…Neha rashta batati gayi…akhir neha ne ek ghar ke age car rukwayi…us ghar ko dekh kar lag raha tha k jarur kisi rich family ka ghar hai…

Khair Sam ne Neha ko good night wish kiya aur apne ghar ki taraf chal pada…

Ghar pahunch kar Sam jaise hi hall mein pahuncha toh usne dekha k Seema wahin sofe par baithi thi…wo Sam ko dekhte hi khus ho gayi…

Seema: are agaya beta tu…

Sam: han aunty…ap abhi tak soye nahi…

Seema: beta socha tere ane ke baad so jaun…nahi toh fikar mein neend bhi nahi ani thi…

Sam: are aunty main konsa koi bacha hun…ap fikar mat kiya kijiye...

Seema: OK baba…ab jaldi se jakar so ja…

Sam: OK aunty ap bhi so jao…good night…

Fir Seema ne bhi Good night wish kiya aur apne room ki taraf chali gayi…sam bhi apne room mein chala gaya…

Khair koi tha Jo chhup kar Sam aur Seema ki batein sun raha tha…sayad ap log samjh hi gaye honge k yeh Divya hi thi…asal mein jab Sam ghar nahi aya toh use fikar hone lagi…par dinning table par Seema aur Riya ki baton se use pata chala k wo Ashu ke sath uske ghar gaya hai…

Ab jab Sam ghar a gaya tha toh Divya bhi be fikar hokar apne room mein jakar so gayi…

Agle din Thursday subah sab dinning table par baithe nashta kar rahe the…

Seema: Sam tum kal apne dosto se mil aye…kaise hain Sab…

Sam: unko kya hona hai sab thik hain…

Seema: Acha vaise tumne toh kaha tha10:00 baje tak a jaoge…late kaise ho gaye…

Sam(khana Khate huye): wo aunty main Neha ko uske ghar chhodne gaya tha…

Sam ne Jaise hi yeh baat boli Divya ke toh gale mein khana atak gaya aur wo khansne lagi…Sam ne jhat se pani ka glass uthaya aur Divya ko diya…

Sam: aram se kha office do mint late chali Jana…

Divya(pani pi kar): tumhe kya main jab marji jaun…

Sam: aisa kya…abhi tumhare jane ka time ho gaya hai isliye bol raha tha…

Divya ko Sam ke sath Neha ke Jane se problem thi aur isliye wo gusse mein bhi thi…

Divya: main aj office nahi jaungi…tumhe kya…

Sam ko pata tha k Divya aise hi gusse mein bol rahi hai…Aur ab Sam ko bhi Divya ko chedne mein maja a raha tha…

Sam: mujhe kya nahi Jana toh mat jao…main toh chala…

Yeh bol kar Sam ne sabko bye kiya aur office ke liye nikal gaya…Divya gusse mein pair patakte huye apne room mein chali gayi…

Par room mein jate hi Divya ko laga k usne gusse mein Sam ko akele hi office bhej diya hai…

Divya(khud ko koste huye): le liya maja…gusse mein tujhe Kus samjh nahi ata na…ab bhej diya na Sam ko akele office ab wo Neha khub gappe ladayegi tere Sam ke sath…wo toh ab Sam ke dosto se bhi jaan pehchan badha rahi hai…aur tu baithi reh is kamre mein aur ab khud ko kosti reh…par jaun bhi toh kaise gusse mein bol toh diya k main aj office nahi jaungi par ab Sam ke bina dil nahi lag raha…

Divya apni hi baton mein fas gayi thi wo chup chap bed par baith gayi…wo Sam ke paas Jana chahti thi par khud ko galat sabit bhi nahi hone Dena chahti thi…

Udhar Sam office pahunch gaya tha…Usne office jate hi dekha k Ashu aur Neha ek jagah khade batein kar rahe the…

Sam(man mein): are wah yeh dono toh kafi khul gaye…achi baat hai lage raho…

Yeh bol kar Sam bina un dono ko disturbe kiye apne cabin mein chala gaya…

Tabhi uske dimag mein kus baat ayi…

Sam (apne man mein): yaar Divya ne chhoti si baat par itna jyada react kion kiya…sayad wo mere Neha ke sath raat ko Jane se jal gayi hogi…par ab kya karun wo toh munh fula kar ghar par hi baith gayi...main yahan bore hota rahunga…ab kya karun…

Sam ne kafi socha aur tabhi use kus idea aya aur usne Divya ko phone kiya…Divya ne thoda sochne ke baad phone pick kiya…

Divya(gusse ka natak karte huye): han bolo mera sir boht dard kar raha hai...

Sam(drama karte huye): oho tabhi tum aj office nahi ayi…mujhe laga k tum office aogi…par koi baat nahi main Neha se help le leta hun…

Neha ka naam sunte hi Divya ki sari akad hawa ho gayi…aur wo jhat se boli…

Divya: Sam kya help chahiye thi…bolo main bata deti hun…

Sam: are nahi yaar phone par discuss nahi kar paunga…

Divya(bed se khadi ho kar): are bas 15 mint ruko main abhi ayi…

Sam: yaar tumhara sir dard kar raha hai…main Neha se hi puch lunga tu aram kar….

Divya : Maine kaha na main abhi ati hun…Tum phone rakho main Abhi nikal rahi hun…

Yeh bol kar Divya ne khud hi phone kaat diya…aur apni car lekar office ke liye nikal padi…

Sam apne cabin mein baitha muskura raha tha…kionk Divya ki jaladbaji dekh kar use yakeen ho gaya tha k Divya uske liye kitni possessive hai…

Sam yeh sab soch hi raha tha k Tabhi Neha wahan a gayi…

Sam (neha ko dekh kar): are tum kaise ho…

Neha(smile dekar): main thik hun…

Sam: han bhai thik toh kion nahi hogi…subah subah Ashu se batein Jo kar rahi thi…

Neha: han yeh toh hai…usse baat karne ke baad mujhe alag sa sukoon milta hai…Jaise aur kus chahiye hi na ho…

Sam: ise hi toh pyar kehte hain…jab sirf mehbub hi puri duniya ban jaye…

Neha: han yaar bilkul sahi kaha mujhe bhi ab aisa hi mehsus ho raha hai…

Sam: toh ab tum use bol kion nahi deti…

Neha: kya?

Sam: I love you…

Sam ne jab last wali line kahi toh Divya usi waqt teji se Sam ke cabin mein dakhil huyi…aur Divya ko dekh Sam ki puri tarah se fat gayi…

To be continued…
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 34

Sam: toh ab tum use bol kion nahi deti…

Neha: kya?

Sam: I love you…

Sam ne jab last wali line kahi toh Divya usi waqt teji se Sam ke cabin mein dakhil huyi…aur Divya ko dekh Sam ki puri tarah se fat gayi…

Ab age…

Sam Divya ko dekhte hi pasine se tar hone laga…kionk use dar tha k kahin Divya ne kus sun na liya ho…khaskar last wali line…nahi toh Divya us par fir se shak karegi…

Par wo toh acha huya k jab Divya ne door khola tab tak Sam apni baat puri kar chuka tha aur Divya bhi itni jaldi mein thi k use kus sunayi nahi pad raha tha…toh Sam bach gaya…

Par jaise hi Divya ki najar Neha par padi toh usko boht bura laga k wo itni jaldi mein uske liye yahan ayi aur Sam ne Neha se hi help le li…isliye wo munh latka kar wapis Jane lagi…

Sam ne jaise hi yeh dekha toh wo Neha se bol pada…

Sam: neha main tumse baad mein baat karta hun abhi Divya se kus kaam hai mujhe…

Aur sath hi Sam ne piche ki aur ishara karke Neha ko Divya ke darshan karwa diye….Neha chup chap wahan se uthi aur bahar chali gayi…Divya Sam ki baat sun kar wahin ruk gayi thi…Neha ke bahar jate hi wo jakar Sam ke samne wali chair par baith gayi…

Sam: Divya tumhara sir dard tha toh tum rehne deti main manage kar leta…

Divya: nahi wo maine medicine leli thi isliye ab thik hai…tum batao kya puchna tha…

Sam: oh han main abhi files nikalta hun…

Fir Sam ne drawer se files nikali aur Divya ke samne rakh di aur wo aise hi kus na kus puchta raha…aur Divya uske swalon ka jawaab bade hi pyar se deti gayi…

Sam ko bada acha lag raha tha k Divya ka behavior uske liye thoda toh change huya…par use kya pata k Divya kabhi badli hi nahi…Sirf thoda boht naraj thi aur ab wo narajgi bhi dur ho chuki hai…

Khair aise hi Sam ne kayi swaal puche halanki unka answer Sam ko pata tha par fir bhi Divya se puchta gaya…

Baad mein Sam ne file rakhi aur apni chair par baith gaya…Divya abhi bhi wahin baithi thi…

Sam: Divya thanks yaar tum mere kehne par office mein ayi…

Divya: koi baat nahi mujhe vaise bhi ana hi tha….bore ho jati ghar par…toh ab main apne cabin mein chalti hun…agar fir se kus puchna ho toh jarur bata dena…

Sam: OK…

Fir Divya wahan se chali gayi…Sam ne yeh soch kar chain ki saans li k Divya ko shak nahi huya k Sam bekar se swaal puch raha tha…

Udhar Divya apne cabin mein jakar kus soch rahi thi…

Divya: Sam aise bachon wale swaal kion puch raha tha…aur yahan tak mujhe pata hai wo sab toh use mujhse bhi ache se pata hai…fir in bekar se swalon ke liye usne mujhe phone kion kiya…kahin wo mujhe yahan bulana toh nahi chahta tha…par wo aisa kion karega…sayad wo bhi meri hi tarah…

Yeh soch kar Divya ke chehre par ek cute si muskan a gayi…wo bilkul sahi soch rahi thi par uske paas koi proof nahi tha khud ki baat ko 100% sahi banane ka…aur Sam bhi toh kus nahi bol raha tha…wo abhi bhi nahi samjha tha…


Khair aise hi din nikalte gaye…yahan Sam aur Divya ke beech ek khamoshi thi…wo dono ek dusre ke liye tadap rahe the…wahin dusri taraf Ashu Aur Neha ke beech aisa Kus nahi tha…

Wo dono khul kar batein kar rahe the…ek dusre ke kareeb a rahe the…Ab dhire dhire Ashu ko bhi apne pyar ka ahsah ho raha tha par wo bolne se dar raha tha…

Khair ek din dono ne office se chhuti li aur ek restaurant mein chale Gaye…Ashu ne apni hasiyat se jyada kharach karke ek table book karwaya…us par boht sare flowers se decoration karwaya…

Khair jaise hi wo Neha ko lekar wahan pahuncha toh Neha yeh sab dekh kar boht khus ho gayi…

Neha(excited ho kar): so beautiful…tumne yeh sab mere liye kiya hai Ashu…

Ashu: han sirf tumhare liye…

Neha: tum bhi toh ho na…

Ashu: han sirf hum dono ke liye…chalo ao…

Fir Ashu Neha ko lekar table ke paas gaya…usne chair pull ki neha ko bethne ko kaha aur khud jakar Neha ke samne wali chair par baith gaya…

Neha: thanks Ashu…

Ashu: ab yeh thanks kis liye…

Neha: tumne mere liye itna sab kus kiya…

Ashu: ismein thanks ki kya baat…main tumse kus baat karna chahta tha…isliye tumhe yahan laya hun…

Neha ko bhi pata tha k Ashu kya baar karne wala hai…par wo usi ke munh se sunna chahti thi…

Neha: kab se bol rahe ho baat karni hai baat karni hai…ab bata bhi do k kya baat karni hai…

Ashu(nervous ho kar): wo neha main wo tumse kus kehna chahta hun…

Neha: kya kehna chahte ho…

Ashu: main wo…

Neha(Ashu ka hath apne hath mein pakad kar): kya wo wo laga rakha hai bol bhi do na…

Ashu ko apna hath Neha ke hath mein mehsus karke thoda acha mehsus huya aur confidence bhi mila…

Ashu: Neha…I…

Jaise hi Ashu ne bolna shuru kiya Neha ka dil nach utha…uski ankhon mein ajeeb si chamak thi…wo Ashu ke agle shabdon ka dil tham kar wait kar rahi thi…

Ashu(atakte huye): Neha I ….I…

Neha(pyar se): han Ashu bolo na kya bolna chahte ho…

Ashu: wo neha main wo…

Asal mein Ashu kabhi bhi ladkion ke chakar mein nahi pada tha wo toh college mein kabhi books se munh nikalta hi nahi tha toh ab Neha se baat karna uske liye Ji ka janjal bana huya tha…uski buri tarah se fati padi thi…

Neha ko laga k Ashu kus nahi bol payega…isliye wo thoda nirash ho gayi…aur apni chair se uth gayi…

Neha(dukhi man se): Ashu mujhe ghar Jana hai…main tumhe kal office mein milungi…

Ashu(wo bhi Neha ke paas jakar khada ho gaya): Neha plz baitho na yaar…

Neha: nahi yaar boht der ho gayi…mujhe ghar Jana hai…

Neha yeh bol kar wahan se Jane lagi…par tabhi Ashu ne bolna shuru kiya…

Ashu: Neha plz mat jao yaar aj bolne ki himmat badi muskil se juta paya hun…jab se tumhe dekha hai…tab se dil out of control ho gaya hai…pehle toh fir bhi thik tha par ab toh tum mujhse baat karti ho mujhse hansi majak karti ho toh man karta hai waqt wahin thehar jaye…bas tum aur main hi hon…aur koi bhi nahi…plz aj mat jao…agar aj na bol paya toh kabhi bhi nahi bol paunga…I LOVE YOU NEHA…

Ashu ne puri unchi awaj mein last ke words bole…Neha ka toh Jaise janam Lena safal ho gaya…ek pal ke liye wo sun si pad gayi…wahan maujud har ek shakhs ki najar sirf Ashu aur Neha par tiki huyi thi…

Neha ne apne dhadakte dil ke sath palat Ashu ki taraf dekha toh wo ek hath mein red rose liye apne ghutno ke bal baitha tha…Ashu ki ankhon mein besabari thi…sayad wo Neha ke answer ka wait kar raha tha…usne bina kus soche Jo dil mein aya bol diya tha…ab uski halat us student ki tarah thi…jo paper mein bina padhne jate hain aur kus bhi likh kar answer sheat bhar dete hain aur baad mein baghban se paas karwane ke liye pray karte hain...

Neha ne kus nahi bola wo bas Ashu ke paas gayi…aur pyar se uske hath se gulab liya…aur kapati awaj mein boli…sayad boht jyada emotional ho gayi thi…

Neha: I love you too Ashu…

Ashu ne jaise hi Neha ka reply Suna toh uska dil ek pal ke liye dhadakna band hi ho gaya…aur agle hi pal kisi bullet train Ji tarah speed pakad di…Ashu ki khusi ka koi thikana nahi tha…use samjh nahi a rahi thi k wo kya bole kya kare…wo khada huya aur bas Neha ko apni bahon mein bhar liya….

Sab logon ne in dono ke liye taliyan bajayi…Neha ne bhi Ashu ko apni bahon mein samet sa liya…wo dono ek dusre se aise lipate pade the Jaise dono kabhi bhi alag na hona chahte hon…

To be continued…
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 35

Ashu ne jaise hi Neha ka reply Suna toh uska dil ek pal ke liye dhadakna band hi ho gaya…aur agle hi pal kisi bullet train Ji tarah speed pakad di…Ashu ki khusi ka koi thikana nahi tha…use samjh nahi a rahi thi k wo kya bole kya kare…wo khada huya aur bas Neha ko apni bahon mein bhar liya….

Sab logon ne in dono ke liye taliyan bajayi…Neha ne bhi Ashu ko apni bahon mein samet sa liya…wo dono ek dusre se aise lipate pade the Jaise dono kabhi bhi alag na hona chahte hon…

Ab age…

Kafi der aise hi rehne ke baad dono alag huye aur jab itne sare logon ki taraf neha ka dhyan gaya toh wo sharma gayi...aur uske gore gaal laal ho gaye…

Yeh dekh kar Ashu ke hontho par muskan tair gayi…Neha ki khubsurati ko dekh use aur bhi jyada pyar a raha tha aur wo lagatar uski taraf dekhe ja raha tha…

Yeh dekh kar Neha ko pehle toh sharam ayi par usne Ashu se puch hi liya…

Neha(sharmate huye): aise kya dekh rahe ho…

Ashu: kus nahi bas dekh raha hun k tumhari khubsurati ko kis tarah ankun…koi shabad nahi mil rahe jisse tumhari tareef kar sakun…

Yeh sun kar Neha toh mano ander se khusi ke mare nachne lagi par bahar se wo sharam ke karan jameen mein dhasi ja rahi thi…

Ashu(pyar se): Neha ek baat puchun…

Neha(najrein jameen ki taraf kiye huye): han pucho…

Ashu: tum mujhe kabhi chhod kar toh nahi jaogi na…

Ashu ki yeh baat sunte hi Neha ne apni najrein upar ki aur Ashu ki ankhon mein dekha…Neha ki ankhon mein sirf Ashu ke liye pyar najar a raha tha…wo kus boli nahi par Ashu uski ankhon mein dekh kar samjh gaya k Neha usse kitna jyada pyar karti hai…

Khair in dono ne wahan lunch kiya aur apne apne ghar chale Gaye…udhar office mein Sam bore ho raha tha kionk na toh Ashu tha aur na Neha thi…

Uska aj kaam mein man nahi lag raha tha…usne apni mom ko call kiya…aur Simran ne bhi jaldi hi call pick kar liya…

Simran: kya baat hai beta koi pareshani hai kya…

Sam(hairani se): mom apko kaise pata chala…

Simran: are beta maa hun main tumhari…aur vaise bhi tu kabhi is time phone nahi lagata toh jarur koi khas baat hi hogi…

Sam(halka sa muskura kar): ap toh boht samjhdar ho…asal mein mujhe ek baat samjh mein nahi a rahi…

Simran: bol beta kya baat hai aisi…

Sam: mom pichle kus Dino se Divya ka behavior mere sath kus acha hai…aur ab wo mujh par baat baat par gussa bhi nahi karti hai…

Simran: toh ismein kya hai…yeh toh achi baat hai…

Sam: mom wo toh hai par mujhe kus samjh nahi a raha k Divya se baat karne ke liye yeh time sahi hai yah nahi…

Simran: beta time kabhi bhi sahi galat nahi hota…sahi galat toh hum hote hain…agar hum apna dimag khol kar baat karein toh kus bhi galat nahi hota…

Sam: maa main kus samjha nahi…

Simran: beta main bas yeh bolna chahti hun k tum bas apne dil se bolo aur soch samjh kar bolo k tumhari baat se Divya ko koi dukh na pahunche…dekhna sab thik ho jayega…

Sam: samjh gaya mom…main puri kosish karunga k purani batein na ho...

Simran: han beta agar tum dono unhi baton ko leke baithe rahoge toh kus bhi thik nahi hoga…ek nayi suruwat karo…

Sam: thanks mom…I love you…

Simran: love you too beta…

Sam: bye mom take care…

Fir simran ne bhi bye bola aur phone kaat diya…Sam ki samjh mein yeh toh a gaya tha k use purani baton ko chhod kar ek nayi suruwat karni hogi…par yeh samjh nahi a raha tha k Divya se baat kaise Kare…

Sam( khud se): Yaar ab Divya se baat kaise karun…par baat toh karni hi padegi chup chap baith kar toh kus hone wala nahi hai…ek kaam karta hun use kahin leke chalta hun…agar Jane ke liye maan gayi toh sayad maaf bhi karde…

Yeh soch kar Sam apne Cabin se nikla aur Divya ke cabin ki taraf chal pada…

Divya apne cabin mein chair par baithi kus soch rahi thi…

Divya(apne ap se): yaar Sam toh kus bolta hi nahi…lagta hai mujhe khud hi kus karna padega…wo toh bas idhar udhar ki batein karta rehta hai…mujhe hi use batana padega k kitna pyar karti hun main usse…nahi toh pehle ki tarah kahin mujhe chhod kar na chala jaye is baar toh mar hi jaungi…

Abhi Divya yeh sab soch hi rahi thi k itne mein Sam wahan a gaya…Sam ko dekhte hi Divya ke hothon par smile a gayi aur uske deemag ki sari soch sari tension dur ho gayi…

Sam thoda ghabraya sa Divya ke samne a kar khada ho gaya…Sam ne aj tak kabhi kisi ladki ko yeh sab nahi kaha tha toh use boht nervousness ho rahi thi…aur isi karn use AC mein bhi pasina a raha tha…

Divya(Sam ki halat dekh kar): kya huya sab thik toh hai na…tum aise ghabraye huye kion lag rahe ho…

Sam ne jaise hi Divya ki baat suni toh uski halat aur jyada patli ho gayi k wo kya bole…

Sam: wo main wo tumse kus baat karne aya tha…

Divya: han toh bolo na aur pehle baitho…

Divya ki baat sunte hi Sam aise jhat se baith gaya jaise koi chota bacha apni maa ki baat sun kar baith gaya ho…


Sam ne baithte hi apna pasina rumaal se saaf kiya aur lambi lambi sans li…Divya yeh dekh kar soch rahi thi k Sam akhir kar kya raha hai…akhirkar Sam apni puri himmat jutane ke baad bola…bola kya usne toh mano chhod diya top ka gola…

Sam: Divya kya tum mere sath date pe chalogi…

Sam ki baat sunte hi Divya ka munh khula ka khula reh gaya…aisa nahi tha k Divya ko bura laga par jis tarah se Sam ne bola wo boht ajeeb tha…kionk koi aise kisi ladki ko date ke liye puchta hai kya…aur aise ek dum se toh koi maut ki khabar bhi nahi deta…

Divya(hairani se): kya bol rahe ho…

Divya ki baat sunte hi Sam ko bhi samajh a gaya k usne toh ek dum se bomb fod diya hai…aur ab wo apni baat ko cover karne ki kosish karne laga…

Sam(sochte huye): wo mera matlab tha k kya tum mere sath coffee ke liye bahar chalogi…

Ab Divya bhi apne ap ko sambhal chuki thi…aur ander hi ander boht khus bhi thi k Sam ne use date ke liye pucha…aur ab wo usse khul kar ache se baat kar sakti thi…

Divya abhi yeh sab soch hi rahi thi par Sam uski khamosi ka galat matlab samjh gaya aur dukhi man se bola..

Sam: koi baat nahi agar tum nahi chahti ho toh rehne dete hain…

Divya: yaar aisi baat nahi hai…asal mein main bhi tumse kus kehna chahti thi toh chalte hain par sorry aj nahi…

Divya ki baat sun kar Sam boht khus hua…

Sam: thanks yaar…toh kal ko chalna hai kya…

Neha: han kal ko pakka…

To be continued…
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 36


Divya: yaar aisi baat nahi hai…asal mein main bhi tumse kus kehna chahti thi toh chalte hain par sorry aj nahi…

Divya ki baat sun kar Sam boht khus hua…

Sam: thanks yaar…toh kal ko chalna hai kya…

Neha: han kal ko pakka…

Ab age…

Sam: OK toh ab main chalta hun…

Divya: OK…

Sam apne cabin ki taraf chala gaya…ab use itna toh yakeen ho gaya tha k ab Divya use maaf kar rahi hai…aur wo kafi khus bhi tha…

Sham ko jab Sam aur Divya ghar pahunche toh dono khus the…aur Seema se behtar yeh baat aur koi nahi samajh sakta tha…

Seema ne jab dekha k dono boht khus lag rahe hain toh use bhi badi khusi huyi aur wo Sam ke kamre mein usse uski khusi ka karan Janne ke liye chali gayi…

Sam abhi washroom se fresh hokar nikla tha aur apne kapde pehan kar bed par baitha tha…

Seema: are beta change kar bhi liya…

Sam: han aunty…

Seema: aj bade khus lag rahe ho kya baat hai…

Sam: aunty baat toh boht achi hai…

Seema: acha toh fir mujhe bhi batao k kya baat hai…

Fir Sam ne seema ko puri baat batayi…Aur Seema bhi is baat se boht khus thi k akhir dono baat karne wale hain…aur kya pata dono ki berang jindagi firse hari bhari ho jaye…

Seema: beta bada acha kiya tune…akhir Divya se ek din toh baat karni hi thi…ab toh Divya bhi tumse naraz nahi hai…

Sam: han aunty ab bas sab thik ho jayega…

Seema: jarur beta…

Fir Seema wahan se chali gayi aur Sam bhi apne kamre se nikal kar Riya aur Sahil ke kamre ki taraf chala gaya…wahan un dono ke sath full masti ki aur fir dinner karke Sab apne apne kamron mein chale gaye…

Next day Sunday sab breakfast kar rahe the…

Sam(Divya se): Divya toh kab chalein hum…

Divya(kus soch kar): dopehar mein chalte hain 11:00 baje…

Riya: kahan Jana hai ap dono ko…

Sahil: han humein bhi leke chaliye na…

Seema(halke gusse se): wo dono kisi jaruri kaam se ja rahe hain…tum dono chup chap nashta karo…

Seema ki baat sunte hi wo dono chup chap nashta karne lage…fir sab ne nashta Khatam kiya aur apne apne room mein chale gaye…

Dopehar ko 11:00 baje Sam aur Divya ko coffee ke kiye Jana tha toh wo dono tyar hokar nikal pade…

Dono khus the k akhirkar dono ek sath kahin akele ja rahe hain aur sayad Sab kus thik ho jaye…Divya baithi yeh sab soch rahi thi…wo baar baar muskura rahi thi…jaise wo pagal ko gayi ho…

Aise hi pura rashta khatam huya aur dono apni manjil par pahunch gaye…Sam car se utra aur usne dusri taraf jakar Divya ke liye door khola...aur apna ek hath age badaya…Divya ne uska hath pakda aur muskura kar car se utri…

Fir Sam Divya ko sath lekar ek coffee shop ke ander gaya…Wahan ek waiter ne un dono ka welcome kiya aur Sam ke book kiye table par baitha diya…

Sam ne do coffee order ki aur wo waiter wahan se chala gaya…thodi der baad wo waiter un dono ko coffee serve karne ke baad wahan se chala gaya…

Ab Sam aur Divya ko koi disturbe nahi karne wala tha…wo dono ab akele the…sayad isliye dono nervous bhi the…un dono ko kus samaj nahi a raha tha k baat kaise shuru karein…

Sam abhi soch hi raha tha k kaise wo Divya se baat shuru kare…itne mein Divya hi bol padi…

Divya(apni coffee ka cup uthate huye): Sam toh ab bolo kya baat karne aye ho…

Sam: han wo…main tumse hamare bare mein baat karna chahta tha…

Divya(Sam ki taraf dekh kar): hamare bare mein?

Sam: han…

Divya: aisi kya baat hai jo tum mujhe yahan laye ho…

Sam(ek lambi sans lekar): Divya main ghuma fira kar baat nahi karunga…main yahan India tumhe manane aya tha…

Yeh sun kar Divya ko jhatka laga kionk Seema ne use kaha tha k Sam ko uske papa ne office ke kaam ke liye bheja hai…

Divya(hairani se): tumhe uncle ne nahi bheja kya…

Sam: nahi main yahan tumhe manane aya tha…nahi toh main tumhare ghar mein rukne ki jagah apne ghar mein na ruk jata…

Divya: toh fir mom ne jhuth kion bola tha…

Sam: kionk wo nahi chahti thin k tum mujhe ghar mein rehne se mana kar do…

Divya Sam aur Seema ki kosishon ko galat samaj gayi thi…use laga k Sam Jo kus bhi uske liye kar raha tha wo sab planned tha…aur sayad wo bhi sahi hi thi kionk adha toh planned tha par wo kiya toh usi ke liye hi tha…Usko manane ke liye …par sab ulta ho gaya tha kionk ab Divya ko lag raha tha k Sam Jo kus bhi uske sath acha kar raha tha sab natak tha…

Divya(halke gusse se): toh tum aur mom milkar mujhe bewkoof bana rahe the…tumhara India ana…hamare ghar rukna…office ana…shimla jana…sab plan ka hissa tha…

Sam: nahi yaar ismein koi plan nahi tha main toh bas apne relation ko ek aur chance dena chahta tha…

Divya: nahi Sam tum sirf mujhe dubara dukh dena chahte the…maine socha tum badal gaye ho…tum apni galti maan loge par nahi tum toh mujhe fasane ki planning kar rahe the…taki Jo kasar reh gayi thi use pura kar sako…

Sam: Divya dekho tum galat samjh rahi ho aur ek saal Pehle bhi aisa hi kus huya tha…plz dobara wo galti mat karo…

Divya(gusse se): tumhara matlab hamesha main hi galat hoti hun…us waqt bhi mujha laga tha k tum apni galti manoge aur aj bhi lag raha tha…par main us waqt bhi galat thi aur aj bhi galat hun…tumhe sirf mujhe galat thehrana ata hai…

Divya ab boht unchi awaj mein bol rahi thi…aur as paas baithe sabhi log un dono ki taraf hi dekh rahe the…

Sam(as paas logon ko dekh kar): Divya plz chup raho…kion tamasha kar rahi ho…

Divya(tikhe sawar mein): Sam tum duniya ke sabse bade dokhebaz ho…hamesha mujhe apni chikni chupdi baton mein fasa kar dokha dete ho…main hi pagal hun Jo har baar tumhari baton mein a jati hun…par ab nahi ab mujhe pata chal chuka hai k tum kaise ghatiya insan ho…

Sam bhale hi yeh bol kar aya ho k wo Divya se jhagda nahi karega par koi insan bina galti ke kitna sun sakta hai…toh Sam bhi aur bardast na kar paya wo chup chap table se utha aur Divya ke hath mein car ki keys de di…

Sam(shant tone mein): aram se ghar chali Jana…chot mat kha Lena…meri jimedari par ayi ho toh aunty mujhe gali degi…toh plz dhyan se gadi chalana…

Yeh bol kar Sam ki ankhon mein ansoo a gaye aur wo apne ansoo saaf karte huye coffee shop se bahar chala gaya…par uski baat ne Divya ko ek dum shant kar diya…

Divya apne hath mein keys liye Sam ko jate huye dekh rahi thi…use lag raha tha k uska dil uske sine se nikal kar kahin ja raha hai…ek baar socha k wo Sam ko awaj dekar Rok le…par agar hosh mein ho tab toh roke…

Sam ki akhri kahi huyi baat ne pata nahi kya kiya k Divya sun si pad gayi kionk usne Sam ko itna sunaya par Sam use aram se ghar Jane ko bol kar nikal gaya…

Par Jaise hi use hosh aya toh wo gabhra gayi k Sam kahan chala gaya hoga…aur wo jaldi se uth kar bahar ki taraf bhagi par Sam kahin dikhayi nahi de raha tha…

To be continued…
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 37


Sam ki akhri kahi huyi baat ne pata nahi kya kiya k Divya sun si pad gayi kionk usne Sam ko itna sunaya par Sam use aram se ghar Jane ko bol kar nikal gaya…

Par Jaise hi use hosh aya toh wo gabhra gayi k Sam kahan chala gaya hoga…aur wo jaldi se uth kar bahar ki taraf bhagi par Sam kahin dikhayi nahi de raha tha…

Ab age…

Divya boht jyada pareshan ho gayi aur idhar udhar dekhne lagi…par Sam kahin dikhayi nahi de raha tha…

Divya(jor se): Sam kahan ho tum…plz mujhe pareshan mat karo…mere paas a jao main gusse mein kus jyada hi bol gayi…mujhe maaf kardo plz…

Usne kayi baar awaj di….boht idhar udhar dhundha par Sam use kahin najar nahi aya…wo ab boht jyada pareshan ho gayi thi…

Uski ankhon mein ansoo aur dil mein apne kiye ka boht jyada dukh tha…

Divya(apna matha pakad kar): yeh maine kya kar diya…ab use kahan dhundhun….agar usne kus galat kar liya toh main toh jinde ji mar jaungi…mujhe use dhundhna hoga…

Yeh soch kar Divya hadbadi mein apni car nikalti hai aur Sam ko dhundhne chal padti hai…

Usne boht dhundha par Sam nahi mila…

Divya(pareshan hokar): ab kya karun wo toh mil hi nahi raha…kya pata kahan hoga…ghar par bataun yah nahi…par agar bataungi toh mom pareshan ho jayengi…par agar na bataya toh akele Sam ko kaise dhundhu…oh God plz help me…

Divya yeh sab sochte huye age badhi ja rahi thi…tabhi use beech road mein logon ki bheed lagi dikhayi di…ek toh wo pehle se pareshan thi…upar se log sadak ko roke khade the…

Divya horn pe horn bajaye ja rahi thi…par wo log koi dhyan hi nahi de rahe the…akhir tang a kar Divya apni car se nikli aur gusse se us bheed ki taraf chal padi…

Divya(badbadate huye): najane log kion har jagah bheed laga kar khade ho jate hain…jaise bas isi kaam ke liye paida huye ho…

Divya un logon ko koste huye wahan pahunchi…aur wahan khade ek admi se boli…

Divya: bhaiya kya huya hai itne sare log yahan aise kion ikathe huye hain…

Admi: wo kisi ladke ka accident huya hai…

Yeh sun kar Divya ka gussa thanda ho gaya…kionk kisi ki jaan ka swaal tha…

Divya: toh fir ise hospital kion nahi leja rahe….

Admi: ab madam aise pange mein kon padega…yahan koi ise bachayega…kya pata usi ko is case mein lapet liya jaye…

Divya: jaise apki marji…

Yeh bol kar Divya wahan se jane lagi…thodi dur ja kar use aisa laga k use dekhna chahiye k kon hai….par wo Sam ko dhundhna chahti thi…par akhir kar wo us bheed ki taraf dobara chal padi…

Wo bheed ko chirte huye jaise jaise age badh rahi thi…uski dhadakne tez hoti ja rahi thin…ek anjana sa dar mehsus ho raha tha…

Divya jaise hi us jakhmi ladke ke paas pahunchi toh samne ka najara dekh uski rooh tak kamp uthi…ap sab samaj hi gaye honge k kya huya…

Samne Sam jameen par gira huya tha…uske mathe se khoon bahe ja raha tha…wo behosh tha…aur sab log hijdon ki tarah khade dekh rahe the…par Divya kaise apni jaan ko is halat mein dekh sakti thi…

Divya ki ankhon se jara jar ansoo behne lage…Aur wo Sam ke paas daud kar gayi aur usko hilane lagi…

Divya(rote huye): Sam kya huya yeh sab kaise huya…utho Sam…Mujhe maaf kardo plz…

Fir divya rote huye wahan khade logon ki taraf dekh kar hath jod kar boli…

Divya: plz koi meri help kijiye…yeh mere mangetar hain…inki jaan khatre mein hai…plz koi meri car tak inhein le jane mein help kar dijiye..

Divya ki baat sun kar 3-4 admi aye aur Sam ko utha kar Divya ki car ki taraf le chale…aur fir un logon ne Sam ko back seat par litaya…aur usko girne se bachane ke liye Divya ne seat thodi piche ko kardi….aur fir driving seat par baith kar car teji se hospital ki taraf badha di...

Divya jaise taise hospital pahunchi….aur wahan wo staff ki help se Sam ko car se stretcher Ke jariye hospital mein leke gayi…Wahan Sam ko bed par lita kar icu ki taraf lejane lage…

Divya bhi sath sath chal rahi thi aur lagatar roye ja rahi thi…

Divya(siskate huye): doctor plz ise bacha lijiye agar ise kus ho gaya toh main apne ap ko jindagi bhar maaf nahi kar paungi…

Doctor: dekhiye mam inhein lane mein kafi der ho chuki hai aur khoon jyada beh gaya hai toh main apko pakka nahi bata sakta…inke bachne ke chances kam hain…par main apni puri kosish karunga…

Doctor ki baat sunte hi Divya ke pairon mein jaise jaan bachi hi na ho…aur wo bed ko chhod wahin ek bench par baith gayi aur Sam ko ICU mein lejaya gaya….

Divya boht dar chuki thi…use pata tha k agar ghar par yeh pata chala k yeh sab uski wajah se huya hai toh sab use boht dantenge…is liye usne ghar par bhi phone nahi kiya…aur wahin baithi apna sir pakad kar roti rahi…

Kafi der ho chuki thi…5:00 pm ho chuke the…par Sam aur Divya abhi tak ghar nahi pahunche the…isliye Seema ko boht fikar ho rahi thi…

Seema(ghadi dekhte huye): kitni der ho gayi hai yeh dono abhi tak ghar kion nahi aye…phone karke puchun kya…

Yeh soch kar Seema ne Sam ko call kiya…par Sam ka phone toh wahin accident ke time tut gaya tha…isliye switch off a raha tha…

Seema ko ab aur jyada dar lagne laga…uski fikar badhti ja rahi thi…Seema ne iske baad Divya ke phone par call kiya…

Seema ka number dekhte hi Divya ka dar ke mare bura haal tha…par wo phone kaat toh nahi sakti thi…usne himmat karke phone pick kiya…

Divya(apne ap ko normal karke): hlo…

Seema: beta tum dono abhi tak aye kion nahi…aur Sam ka phone kion switch off a raha hai…jaldi se meri baat karwao usse…

Seema ki baat sunte hi Divya ki ankhon mein ruke huye ansoo beh nikle…aur usne rona shuru ka diya…aur Seema ko bhi yeh mehsus ho gaya k kus gadbad hai…ab uska man aur ghabrane laga…

Seema: beta kya huya ro kion rahi ho…Sam ne kus kaha kya…

Divya(rote huye): mom Sam ka accident ho gaya hai…abhi wo xxx hospital mein ICU mein hai…

Yeh sunte hi Seema ke paon ke tale se jameen khisak gayi…uski ankhon ke age andhera cha gaya…aur wo wahin gutno ke bal baith gayi…

Divya(Seema ki awaj na sunkar): mom kya huya ap kus bol kion nahi rahe ho...ap thik toh ho na…

Seema(dabi si awaj mein): han main abhi hospital ati hun…

Yeh bol kar Seema ne phone kaat diya aur wo himmat karke khadi huyi aur bahar ki taraf chal padi…usne driver se gadi nikalne ko kaha…

Driver ne gadi nikali aur Seema usmein baith kar Hospital ke liye nikal gayi…usne gadi mein baithte hi Driver ko hospital ka naam btaya aur mobile nikal kar Simran(Sam ki mom) ko call kiya…

Simran(call pick karte huye): hlo seema kaisi Ho…

Seema: Simi dekh jyada time nahi hai…mere paas…bas tu aur jiju jaldi se india a jao…Sam ka accident huya hai…

Yeh baat sunte hi Simran ka dil boht ghabrane laga…use samjh nahi a raha tha k wo kya kare…kionk itni jaldi toh wo ja bhi nahi sakti thi…par usne himmat rakhi aur seema se pucha…

Simran: Abhi kaisa hai wo…

Seema: pata nahi mujhe bhi abhi pata chala hai…main hospital ja rahi hun…

Simran: thik hai uska dhyan rakhna hum bhi jaldi hi ane ki try karte hain…

Yeh bol kar simran ne phone kaat diya aur apne husband ko call karke puri baat batayi…aur Sam ke papa ko bhi boht jayada fikar huyi…unhone bola k wo abhi tickets ka intzam karte hain…

To be continued…
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 38


Simran: thik hai uska dhyan rakhna hum bhi jaldi hi ane ki try karte hain…

Yeh bol kar simran ne phone kaat diya aur apne husband ko call karke puri baat batayi…aur Sam ke papa ko bhi boht jayada fikar huyi…unhone bola k wo abhi tickets ka intzam karte hain…

Ab age…

Seema jaise hi hospital pahunchi toh wo daudati huyi ICU ki taraf gayi…wahan Bahar ek bench par Divya baithi thi…uski ankhein lal ho chuki thin…ro ro kar bura haal tha…

Seema ko dekhte hi Divya uth kar uski taraf bhaagi aur gale lag kar rone lagi…

Seema(sir par hath ferte huye): beta chup ho jao…sab thik ho jayega…

Divya(rote huye): mom yeh sab meri galti hai…mujhe aisa nahi karna chahiye tha…

Divya ki baat sunte hi Seema ko ek bada jhatka laga…wo soch mein pad gayi k Divya ne kya kar diya…wo Divya se alag ho kar uski taraf hairani se dekhne lagi…

Seema(hairani se): beta kya bol rahi ho…tumhari wajah se kaise?

Ab Divya apni mom se kus nahi chupana chahti thi toh usne ek gehri sanas lekar bolna shuru kiya aur sab kus bata diya…

Seema yeh sab sunne ke baad bhi gusse aur hairani ke bhaw chehre par liye khadi thi…par wo na toh hospital mein koi tamasha karna chahti thi aur na hi aise waqt jab Sam jindagi aur maut ke beech lad raha tha wo faltu ki baton mein apna dhyan lgana chahti thi…par use Divya ki aisi harkat par gussa toh tha…

Seema(berukhi se): Sam kahan hai…

Seema ki awaj mein berukhi Divya ache se samaj gayi thi par usne kus nahi kaha aur ICU ki taraf ishara karke bata diya…aur bench par dukhi dil ke sath baith gayi…

Seema ICU ki taraf chal padi…wo ander toh ja nahi sakti thi toh bahar hi idhar udhar ghumane lagi aur beshabri se kisi ke bahar ane ka intzar karne lagi…taki Sam ke bare mein puch sake…

Kafi time baad ek doctor bahar nikla…aur use dekhte hi Seema uski taraf gayi…

Seema: doctor Sam kaisa hai ab…

Doctor: abhi toh operation chal raha hai…abhi kus keh nahi sakte…vaise bhi patient ki condition jyada achi nahi hai…chhot kafi lagi hai…aur khoon bhi boht beh chuka hai…

Yeh bol kar doctor toh wahan se nikal gaya…par Seema ko boht jyada pareshan kar gaya…aj use Divya par sach mein boht gussa a raha tha…usne ek baar gusse se Divya ki taraf dekha toh wo apni ankhon se ansoo bahaye ja rahi thi…par Seema ne apni najrein fer lin…

Aise hi kafi time nikal gaya…Raat ke 9:00 baj rahe the…Divya ke phone par ghar se call aya…Divya ne apni ankhein saaf karte huye pick kiya…

Riya(samne se): di kahan ho ap sab…mom bhi nahi hai…

Divya(khud ko normal rakhne ki kosish karte huye): beta hum jara bahar aye huye hain…office ka kus kaam hai…

Riya:par di mom bhi ghar par nahi hain…

Divya: wo bhi hamare sath hi hain…company unke hi naam par hai toh unki bhi jarurat thi…

Riya: ok di kab tak ghar aoge…

Divya: pata nahi aisa karo mom se baat karlo…

Yeh bol kar Divya seema ke paas gayi aur darte darte boli…

Divya: mom Riya ka phone hai…

Divya ki baat sunte hi Seema ne ek baar toh Divya ki taraf dekha aur bina kus kahe phone pakad liya…

Seema: hlo han beta…

Riya: mom apka kaam kab khatam hoga…

Seema(hairani se): konsa kaam…

Riya: are mom di ne bataya k ap log office ke kisi kaam mein busy hain…

Seema: Han beta kus kaam hai…beta aisa karti hun Divya ko ghar bhej deti hun…

Riya: ji mom…

Yeh bol kar Riya ne phone kaat diya…aur Seema ne Divya ko uska phone wapis kar diya...

Seema(rukhi si awaj mein): tum ghar chali jao…

Divya: par mom Sam…

Seema(halke gusse se): tumhe uski itni fikar karne ki koi jarurat nahi hai…main hun yahan uska khyal rakhne ke liye…

Seema ki baat seedha Divya ke dil par lagi…par wo kus bol bhi nahi sakti thi…kionk usne Sam ke liye apne sabhi haq khud hi khoye the…Isliye wo bina kus bole wahan se jane lagi…

Seema: aur han sun dhyan se jana…

Divya ok keh kar wahan se nikal gayi…Seema ki last wali baat se use thodi tasali mili k wo jaldi hi maan jayegi…toh uske man ka bojh bhi kus halka huya…

Seema wahan parshan si thi…kionk ek taraf uska pyara Sam beta ander jindagi aur maut se lad raha tha toh dusri taraf Divya ghar akele ja rahi thi ek toh andhera ho gaya tha upar se wo janti thi k Divya aj dopehar se hi boht pareshan thi…

Seema bhale kitna bhi gussa dikhaye par maa akhir maa hi hoti hai…isliye use tension ho rahi thi…

Khair Divya thik thak ghar pahunch gayi aur car park karke Sam ki fikar mein khoyi huyi ghar ke ander gayi…Sahil aur Riya dono wahin hall mein baithe wait kar rahe the…

Jaise hi Divya ander enter huyi toh dono daud kar usse lipat gaye…

Divya: are kya huya tum dono ko…

Riya: di ghar mein akele dar lag raha tha…

Divya: are itne sare servants toh hain…

Sahil: par ap teeno mein se toh koi nahi tha na…

Divya(sahil ke gaal khinch kar): are mera baby kitni badi badi batein karne laga hai…acha yeh batao tum dono ne dinner kiya hai kya…

Riya: nahi di apka hi wait kar rahe the…

Divya: chalo fir jaldi se baitho aur khana khao…

Fir wo teeno dinning table par baithe…Divya ka khana khane ka bilkul mood nahi tha…isliye usne bola k wo kha kar ayi hai…

Khair uske baad teeno apne apne kamre mein ja kar so gaye…par Divya ki raat badi bhari aur lambi hone wali thi…

To be continued...
 
  • Like
Reactions: DINNA
Top