#112
subah 8.30 baje meri aankh khuli ………….maine jaldi jaldi apne daily routine ke kaam niptaaye aur fir room se nikal kar bahaar aa gaya ……….fir hotel se baahar aakar main ek PCO par aa gaya ………aur Kamal ka number lagaya ………..kuchh hi rings jaane ke baad usne call receive kar li …………….
“Hello ……..!!”
“Haan Kamal………… main hoon …………..” maine sirf itna hi kaha ……….par woh meri awaaz pehchaan gaya …………
“Ohh……………tum Rajnagar pahunch gaye …….?? “ usne poochha …….
“Haan…………main raat hi yahan aa gaya tha …………” maine kaha ……
“Theek hai dost ………main tumhari aur Mr.Verma ki mulaakat karwaane ka intezam karta hoon …………fir tumhe phone karoonga ………” usne kaha ……….
“Ok …………tumhaare paas mera number to hai na ……?? “ maine poochha ……….
“Haan……….., par ek baat batao dost ………..tum unse miloge kaise ?? ……..mera matlab hai ki tumhaari talaash to abhi tak ho rahi hai ……..?? “ usne kaha ……….uska matlab police se tha , jo mujhe dekhte hi pakad sakte they………
“uski fikra mat karo Kamal…………mujhe ab koyi bhi aasani se nahi pehchan sakta hai …………..” fir maine usko apne naye get-up ke baare mein bataya ….aur bola “ fir bhi tum koshish karna ki humaari mulaakat kisi anjaan jagah par hi ho ………….”
“OK ……….. tum mere phone ka wait karna ……………jaise hi mujhe koyi mauka milega , main tumhe bula loonga” usne kaha aur phone disconnect kar diya …………..maine bhi phone rakha aur PCO se bahaar aa kar ek restaurant ki taraf badh gaya …………
restaurant mein jaakar maine naashta kiya aur fir wahan se baahar nikal kar main Raj Nagar ki public library ki taraf chal diya ………….library wahan se kuchh door thi ….par kyonki mere paas bahut time tha , main paidal hi chalta raha aur kareeb 20 minute ke baad library pahunch gaya ………….
Library mein aakar maine pichle kuchh dino ke local news papers check karne shuru kar diye …………jiss din main yahan se gaya tha , tab se lekar aaj tak ………lagbhag sabhi news papers ke front page par yahi news thi ………… bank vault mein robbery ka attempt , Neha aur Neeraj ki maut , Chaudhry saahab par hamla ……..inn sab ko aapas mein joda gaya tha , aur mujhe iska main accused banaya jaa raha tha ………mere photos bhi news papers mein publish kiya gaye they …………
Agle 1 ghante se bhi jyada samay tak main papers padhta raha aur fir Library se baahar nikal kar waapas apne hotel aa gaya…………apne room mein aakar maine TV on kar liya aur time paas karne laga ……….saath hi saath Kamal ke phone ka intezar bhi ………….
Mera yeh intezar bhi bahut lamba khinch gaya………….1 ghanta, 2 ghanta aur uske baad bhi Kamal ka koyi phone nahi aaya……….maine apne hotel room mein hi lunch ka order de diya……….aur lunch ke baad fir se intezar karne laga ………….4 baj chuke they ………aisa lagne laga tha ki shaayad woh bhool hi gaya hai ….ki tabhi mere mobile ki ghanti bajne lagi …….maine number dekha aur call receive kar li ……..
“Hello ………..”
“Hello ……………sorry dost , tumhe bahut der wait karna pada…..” usne kaha…….
“Nahi koyi baat nahi ……….mujhe to yeh laga tha ki kahin tum bhool to nahi gaye “ maine hanste huye kaha…….
“kyon majaak kar rahe ho yaar ……….yeh bhi koyi bhoolne waali baat hai ? ……darasal , Mr.Verma apni beti ka antim-sanskaar yahin karna chahte they …….isliye uss ki vyavastha karni padi aur fir unn sab se nipat kar abhi faarig huya hoon …………..” usne bataya ……..
“Ohh……………” maine kaha …….aur fir aage poochha “ fir batao !!..........kya programme hai ………….?”
“maine Mr.Verma se baat kar li hai ………..woh mere saath chalne ke liye tayyar hain ……..maine unko yeh bataya hai ki main iss case par alag se kaam kar raha hoon , isliye mujhe unse akele main kuchh baatein karni hain ………main 1/2 ghante ke baad unko lekar Aryan restaurant mein pahunchunga ………….tum wahin mera wait karna ………..” usne mujhe samjhaya……
“Ok ……….main time se pehle hi pahunch jaaoonga ………” maine kaha aur fir call disconnect kar di ……….
Phone rakh kar main tayyar hone laga…………tayyar hone ke baad, ek baar bathroom mein jaakr maine apne aap ko fir se sheeshe mein dekha………halki daadi aur moochh , sar ke oopar pagdi aur patle frame ka chashma ………main bilkul bhi pehchaan mein nahi aa raha tha …………
Hotel room se baaahr nikal kar main road par aa gaya……..aur fir paidal hi Aryan restaurant ki taraf chal diya ………..yeh restaurant bhi jyada door nahi tha , kul 15 minute mein hi main wahan pahunch gaya ………..restaurent ke first floor par kuchh cabins bane huye they ……..main unmein se ek main jaakar baith gaya ……..cabins glass ke bane huye they …….maine saamne waala parda hata diya aur restaurant ke gate ki taraf dekhne laga ………….
Kamal ne 1/2 ghante ke liye kaha tha …….par mujhe yahan baithey huye hi 20 minute se jyada ho gaye they ……….main ab tak ek baar coffee manga kar pee chukka tha , aur dobara order dene hi waala tha ki mujhe restaurant ke darwaaze ke andar ghusta huya Kamal dikhayi pada ……..usne idhar udhar dekha aur fir oopar ki taraf aa gaya ……..Mr.Verma bhi uske saath hi they ……..jiss cabin mein main baitha huya tha , uske saamne woh dono ruke aur fir aage badh gaye …………jaahir tha ki Kamal bhi shaayad mujhe pehchan nahi paya tha………..woh dono agle waale cabin mein ghus gaye ……..aur fir main bhi wahan se uth kar baahar aa gaya …….aur uss hi cabin mein pahunch gaya , jahan woh dono gaye they ………….
Mujhe apne cabin mein ghuste dekh kar ek baar to Kamal bhi chaunk gaya ……aur fir uske chehre par ek halki si smile aa gayi ………usne mujhe saamne baithne ka isharaa kiya …………ek table ke dono taraf sofe pade huye they , ek taraf woh dono baithey huye they aur ek taraf main baith gaya ………..