#92
Tabhi mera mobile bajne laga …….yeh fir ek naya number tha……maine ek baar Kamal ki taraf dekha ………usne mujhe ishara kiya aur khud gaadi se baahar nikal gaya ………..maine call receive kar li ………..
“ Rajiv ………… humne tumse kaha tha ki koyi galat harkat nahi karna ………..tum baaz nahi aaye “ udhar se wahi gurrati huyi awaaz aayi ……….
“Kya ho gaya hai ……….kuchh to batao ? “ main sapaat lehze mein bola ………
“ Tum bank ke saamne police lekar pahunch gaye ho ……aur mujh se poochhte ho ki kya ho gaya hai ……tum shaayad apni mashooka ko waapas zinda nahi dekhna chahte ? “ usne kaha ………..
“ nahi….!! paagal mat bano ……..main kuchh hi der mein police ko yahan se hata doonga …..tum please Neha ko kuchh mat karna …… “ mine aise kaha jaise main us ski baat se waakayi darr gaya hhoon “ tum mujhe sirf 5 minute de do …………”
“Theek hai ………5 minute mein police wahan se hat jaani chahiye “ usne kaha aur phone disconnect kar diya ……..
kuchh hi second mein Kamal fir se gaadi ke andar aa gaya ………aur bola “ humne iss call ko bhi trace karne ki koshish ki …………..par jaisa ki hamesha hota hai ……..woh har baar ek naye number se bolta hai ……..aur hamesha apni position change karta rehta hai ……….iss samay bhi woh kisi nayi jagah se bol raha hai …….”
“ dekho Kamal …….tum nahi jaante ki Neha unn logo ke kabje main hai…….jab tak mujhe uska pata nahi milta, tum inn logo ko kuchh nahi keh sakte ………” maine kaha……
“tum kya chahte ho ? ……..main inn logo ko gold nikaal kar le jaane doon , aur fir blackmailer ke phone ka wait karoon ki woh humein Neha ka pata bata de ?” …….woh mujhe ghoorta hua bola……….uski baat sahi bhi thi ……..par main bhi Neha ko sahi salaamat paana chahta tha ………
“ mujhe ek baar bank ke najdeek pahuchna hai Kamal …….. “ maine uss se kaha ………
Kamal ne ek baar sawaaliya nigaah se meri taraf dekha aur fir gaadi ki driving seat par chala gaya ….aur gaadi ko start kar ke aage badha diya …………fir uss ne ek lamba sa chakkar lagaya aur gaadi ko bank ke theek saamane , uske gate ke paas le gaya …………
bank ke saare guards , gate par hi maujood they ….unko to shaayad abhi maloom bhi nahi pada tha ki andar kya ho raha hai ……….gate ke andar ek van khadi huyi thi , aur vault ke andar jaane waala bada sa darwaaza thoda sa khula huya tha ………
main ek baar Kamal ki taraf dekha aur uske kuchh kehne se pehle hi …………..gaadi se utra aur tez kadmo se bhaagta hua sa guards room mein pahunch gaya ……saare guards ki nigaah mujh par padi aur fir woh sab bilkul alert ho gaye ……..sabhi log mujhe pehchaante they ………sabne ek saath mujhe salute kiya ………
“ andar kaun gaya hai ? “ maine wahan ke supervisor se poochha ………
“Sir …….kuchh log vault ki repairing ke kaam ke liye aaye hain ……….aapne hi to bheja tha ………? “ woh chaunk kar mujh se bola ……….tab tak Kamal bhi gaadi se utar kar mere peechhe aa kar khada ho gaya ………..
fir woh hi uss se bola ……..“Hmmm…………dekho , jinn logo ko yahan aana tha , woh shaayad nahi aaye hain …..aur humein yeh shaque hai ki yeh log koyi galat aadmi hain ……isliye tum log bilkul alert raho ………….”
“Ji janaab …….” Supervisor alert hota huya bola …….aur apne saathiyon ko ishara kar diya ……..sab logo ne jaldi jaldi position lena shuru kar di …………..
“ tumhaara apna koyi aadmi unke saath nahi gaya ? “ Kamal ne poochha..
“ Ji Janaab ……..humaare 2 guards bhi unke saath hi andar gaye they … par unhone waapas bhej diya ...........bola ki confidential kaam hai .........humaare saamne nahi kar sakte ” Supervisor bola……………..
" kya kar rahe they woh log andar ..........? " maine poochha .......
"Ji ......kuchh electronics ke instruments laaye hain.......bole ki andar vault mein lagaane hain " usne kaha
fir maine ek guard se kaha ………..” tum jara dekh kar aao , ki woh log hall mein hein , ya andar ………? “
usne sar hilaya aur dheere se ek deewar ke sahaare chalta huya …main gate tak pahunch gaya …..aur fir dheere dheere sarakta huye andar ki taraf jhaanka ……..fir jaise gaya tha , waise hi waaaps aa gaya …….
“Sir ………woh sab log , andar waale hisse mein hain ………..baahar koyi bhi dikhayi nahi pad raha tha ………”
“Ohhh..…!!” maine kaha aur fir apna mobile nikaal liya ………main ab wi-fi ki range ke andar tha ……………..maine ek number lagaya aur sms kar diya ………..uske baad maine 10 seconds tak wait kiya aur fir main khud dheere dheere sarakta huya , darwaaze ke paas pahunch gaya ……….maine dheere se andar jhaanka ……….vault ka main darwaaza ab band tha………yaani ki mera aakhiri hathiyaar kaam kar gaya tha …………
maine tez kadmo se bhaagata huya fir se main gate par aaya …..aur Kamal se bola …….” Ab woh log andar band ho chuke hain…….baahar nahi aa sakte ………”
Kamal ne hairaani se meri taraf dekha aur fir mujh se bola “ uss se kya faayda hoga….Rajiv .?? “
Main usko gaadi ki taraf ishara kiya aur khud jaakar gaadi mein baith gaya …….fir woh bhi andar aa gaya ……..
Fir maine uski taraf dekhte huye kaha….“ main sirf kuchh der ke liye unn logo ko roke kar rakhna chahta hoon ……..dekho Kamal , yeh baat to pakki hai ki jo bhi aadmi iss saara khel ke pechhe hai ………woh khud to yahan nahi aaya hai……yeh jo log andar hain, mere khyaal se sirf mohre hain…aur woh jahaan bhi hoga , Neha uss hi ke paas hogi ……..uske paas yahan ki ek ek khabar pahunch rahi hai………aur jab tak yahan police hai , woh mujh se koyi baat khul kar nahi kar paayega …….”
“ main chahta hoon ki usse yeh yakeen ho jaaye ki main uss ki har baat maan-ne ke liye tayyar hoon …….aur yeh tab hoga , jab police yahan nahi hogi …………uske saathi yahaan andar fans chuke hain ……….. jaahir si baat hai woh mujhe hi phone karega , unn logo ko baahar nikalwaane ke liye……..aur shaayad tab tum uss ki call ko trace kar sako ……..? “ aakhiri baat maine khud hi adhoori chhod di ………….
woh khud hi jaise chaunk sa gaya aur bola ……” i think , tum sahi keh rahe ho…….par kya tumhe yakeen hai ki woh khud andar nahi hoga ………??”
“I am sure …… aur agar woh khud bhi andar hi hai , to fir humaare liye kaam aasaan ho jaayega …….” Maine kaha “ ab tum apni force ko kaho ki yahan se door chale jayein …………”
usne ek baar meri taraf ghoor kar dekha aur fir wireless par sabko wahan se jaane ke liye instruction dene laga ………..fir khud apni gaadi bhi wahaan se aage badha di …………
______________________________