• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bewafa by Mrindia.only

Nub_Ag

Well-Known Member
11,212
4,507
229
UPDATE--2
Sabki mubarak baad sweekar karne ke baad

main waapas seat par baith gaya…saamne

stage par aur poore haal mein jo kuchh bhi ho

raha tha..usse bekhabar, mera dimaag mujhe

bahut peeche, saalo peechhe le gaya…..

Mr.Vijay Chaudhry, jinhone abhi mujhe apna

beta kehkar sambhodit kiya tha…yeh unka

badappan hi tha jo woh mujhe apna beta

maante they..par yeh baat main,woh aur

lagbhag sabhi ko maloom thi ki mera aur unka koi bhi khoon ka rishta nahi tha…mujhe abhi tak yaad hai…jab maine hosh sambhala to apne aapko iss duniya mein bilkul akela paaya…main kareeb 7-8saal ka tha jab maine Dilli(Delhi) ki sadko par khud ko jindagi ke liye

sangharsh karte huye dekha…….mere maa

baap kaun they,main kahan paida hua,kahan

se aaya tha…koi nahi jaanta tha…….kabhi

mein gaadiyon ko saaf karta,kabhi signal par

bheekh maangta aur kabhi station par jaakar

boot polish karne lagta……..kuchh yunhi meri

jindagi beet rahi thi…..fir jab main thoda bada hua…yahi koi 10 saal ke aas-paas ka,mujhe railway station ke saamne ek dhaabe par kaam mil gaya…….fir agle 4 saal tak main wahin par kaam karta raha..wahan kaam karte karte maine padhayi karne ki sochi aur raat ke school mein admission le liya……..mera maalik ek sardaar tha jisse mere se bahut mohabbat thi,woh mera saath deta raha aur main apni padhayi aur naukri dono saath saath karta raha………., mera dimaag sahi maayno mein auro se kuchh alag hi tha,….4 saal hi mein main woh sab seekh gaya jo doosre bachche 8-10 saal mein bhi nahi seekh paate….Fir kismet ne ek aur mod khaya….sardaar ji ko apna hotel wahan se shift karna pad gaya …….jahan par hotel bana hua tha,woh jameen illegal thi……sardaar ji apna saara samaan lekar karolbaag pahunch gaye aur wahan apna kaam shuru kar diya…railway station ki tarah ye hotel bahut bada to nahi tha,

par yahan aane waale grahak kuchh doosre

kism ke they,yeh kaam bhi chal nikala…….ek

khaas baat yeh thi ki sardaar ji ne yahan sirf

kuchhhi purane logo ko kaam par rakha tha,

aur unn mein se ek main bhi tha.........



Dosto...iss kahani ka kuchh part Flash-back

mein hai......isliye jahan bhi FB hoga,use main

Green font mein likhunga.......taaki mere dosto ko koi asuvidha na ho
 

Siraj Patel

The name is enough
Staff member
Sr. Moderator
136,002
112,806
354

:applause:wow Bahut hi Shandar aur lajawab Brilliant update bhai ekdum jhakaas dhamakedaar mind blowing,
Aapne sari baton ko bade hi behtareen dhang se dikhaya hai.
Ek ek baat Itni detail Mein likhi Gayi Hai Jaise Kahani na hokar sab kuch asliyat mein ghatit ho raha ho,
Aap ki mehnat aur imagination ne is Kahani Mein Char Chand laga diye hai,

Keep going
We will wait for next update
:yourock:
 

Nub_Ag

Well-Known Member
11,212
4,507
229

:applause:wow Bahut hi Shandar aur lajawab Brilliant update bhai ekdum jhakaas dhamakedaar mind blowing,
Aapne sari baton ko bade hi behtareen dhang se dikhaya hai.
Ek ek baat Itni detail Mein likhi Gayi Hai Jaise Kahani na hokar sab kuch asliyat mein ghatit ho raha ho,
Aap ki mehnat aur imagination ne is Kahani Mein Char Chand laga diye hai,

Keep going
We will wait for next update
:yourock:
credits goes to writer bro anyway thanks
 
  • Like
Reactions: Siraj Patel

Nub_Ag

Well-Known Member
11,212
4,507
229
UPDATE--3
Ek baar fir,taaliyon ki gadgadahat se haal

goonj utha,aur sath hi main bhi apni yaadon ke safar se waapas aa gaya….meeting khatam ho chuki thi……sabhi log apni apni jagah par khade ho gaye they….Sab se pehle

Mr.Chaudhry ko haal se baahar nikalna tha

…woh haal ke beech mein se hote huye

peeche ki taraf chal diye,aur unke peechhe

peechhe main aur kuchh aur log bhi…sabhi log khade hokar unka abhivadan kar rahe they, saath hi sabhi log jo humaare paas mein they, mujhe mubarak baad bhi diye ja rahe they ….mujhe yaad nahi ki iss se pehle maine pehle kabhi itne saare logo se ek din mein,ek jagah par haath milaya ho……….Hum log haal se baahar nikal gaye….Mr.Chaudhry ki gaadi BMW bilkul haal ke baahar unka wait kar rahi thi…woh gaadi ki taraf badhe aur fir peeche mudkar mere se bole…“Rajiv…tum mere saath ghar chalna chahoge?“

“Sorry Sir….If you don’t mind,main abhi apne

flat par jaana chahta hoon…kal subah aapse

office mein milta hoon“

“Its Ok……….as you like…..”keh kar woh

muskuraye aur apni gaadi mein baith gaye

…………saath hi unke 2 bodyguards bhi………fir

gaadi aage badh gayi….Unki gaadi wahan se hat-te hi meri gaadi, Honda City…..uski jagah par aakar ruki…driver ne utar kar darwaza khola..main gaadi mein baith gaya aur gaadi aage ko badh gayi……..Gaadi mein baith-te hi main seat par peeche ko tek laga kar baith gaya…….gaadi bahut tez speed se aage ki taraf badhti jaa rahi thi……….shahar ke bich mein se hoti huyi….dono taraf oonchi oonchi buildings thi…jinki roshini mein poora shahar mano nahaya hua tha…………baahar dekhte dekhte main fir se ateet mein waapas chala gaya………..

Sardaar ji ke hotel ki ek aur khaas baat thi…….

Jaisa ki aur restaurants mein bhi hota hai,

jyada rush keval subah,do-pahar aur raat ko

hota tha…….baaki samay main aur baaki ke

kuchh aur log yahan-wahan time paas karte

they…..Sardaar ji ke hotel ke bagal mein hi ek

electronics ki shop thi……jahan computers aur mobile repair ka kaam hota tha….aaj ki tarah,uss samay mobiles koi common cheej nahi thi, aur itne saste mobiles bhi uss samay available nahi they…….isliye bahut kam,aur bahut khaas grahak hi wahan aate they………..dukaan ka maalik ek ladka tha,koi 24-25 saal ki umar ka,uska naam to mujhe yaad nahi, par sab log pyar se usko Happy kehkar bulate they…aur meri uss se achchhi banti thi……..main apna jyada-tar khaali time uske paas hi baith kar kaat-tatha………aur dheere-dheere mera interest uske kaam mein badhne laga………usko dekh dekh kar hi mujhe mobiles aur computers ke baare mein kaafi kuchh samajh mein aane laga tha………….Din beet-te jaa rahe they……………subah se shaam tak hotel ki naukri,beech beech mein Happy ke paas beith kar time paas aur fir raat ko school ki padhayi……..fir ek din achanak aisa kuchh hua jis ne meri takdeer badal kar rakhdi………..Dopahar ka time tha………main Happy ki dukaan par baith hua tha aur woh apna kaam kar raha tha………….achanak ek aadmi, shandar suit pehne huye,Happy ki dukaan par aa pahuncha,uske saath saath 2 aur bhi aadmi they,shayad uske bodyguards they…………mujhe baad mein maloom pada ki uss aadmi ka naam Mr.Vijay Chaudhry tha………
 

Nub_Ag

Well-Known Member
11,212
4,507
229
UPDATE--4
Haapy ne Mr.Chaudhry ko aate dekha to uth

kar unko namaste ki……Mr.Chaudhry uski

dukaan ke andar aa kar baith gaye…….“Ji Sir

………..kahiye,kaise aana hua aaj………..mujhe

se kaha hota to main hi aajata………..”Happy apni awaaz mein chaashni gholta hua bol raha tha….. uske chehre se hi maloom pad raha tha ki woh iss aadmi ki kitni izzat karta hai,ya kahiye unse darta hai……….

“Kaam hi kuchh aisa tha,mujhe khud hi aana

pada……”Mr.Chaudhry ne kaha aur fir apni jeb

se ek mobile phone nikaal kar Happy ki taraf

badha diya…………..unn dino jo handsets chalte they,unn sab se alag,ek chauda sa aur bahut saari keys waala ek shandaar sa mobile phone tha…………“mera yeh handset chalte-chalte achanak band ho gaya hai Happy………..dekh agar tu kuchh kar sakta hai to?“Mr.Chaudhry kuchh pareshan se awaaz mein bole……..Happy ne handset haath mein liya……….usko 2-3 baar ulat palat kar dekha aur fir uska back cover khol kar check karne mein jut gaya………kareeb 10 minute tak woh handset mein laga raha aur fir bola………….

“Kahan se liya aapne yeh mobile saab?“

“US se………………last month mein New York

gaya tha,tabhi lekar aaya tha………kyon? kya

hua?“Mr.Chaudhry bole Happy ek feeki se hansi hansta hua bola“fir to saab aapko yeh handset wahin se theek karwana padega………….meri to kuchh bhi samajh mein nahi aaya“ Mr.Chaudry ne Happy ko aise dekha jaise unko uska yeh majaak pasand na aaya ho,fir bole

“yaar,tu ek baar aur koshishvkar ke dekh ……….mere bahut saare important numbers iss phone mein hain……….iske bagair to mera

bahut bada nuksaan ho jaayega“

“maine kaha na saab,yeh bilkul latest

handset hai……..main hi kya,poori dilli mein

koi isko sahi nahi kar sakta……..”uske chehre

par mayoosi ke nishan they,aur uske sathhi

Mr.Chaudhry ke chehre par bhi……….Pata nahi achanak mujhe kya hua………maine dono ki taraf ek-ek baar dekha aur fir bola

“Sir…….aap agar kahen to,main iss mobile ko

sahi kar sakta ? hoon“ Haapy ne chaunk kar meri taraf dekha aur Mr.Chaudhry kabhi meri taraf aur kabhi uski taraf dekh rahe they……….fir Happy bola “Kya majak kar raha hai Raju ? tune kabhi mobile haath mein bhi pakda hai?“

“Nahi pakda Happy bhai……….par aapko sahi

karte huye to bahut baar dekha hai“main

poore aatm-vishwas se bola……….najaane

kyon mujhe aisa lag raha tha ki kuchh aisa hai jo Happy nahi pakad paa raha hai………

“Kaun hai yeh?“ iss baar Mr.Chaudhry bole

…………….unki awaaz bata rahi thi ki woh kitne
gambheer hain

“Koi nahi hai saab………..yahin,bagal waale

dhaabe mein kaam karta hai,Raju naam hai

iska “ Happy ek ajeeb si hansi ke saath bola,

mano mera koi wajood hi uski nigaah mein na ho Chaudhry saab seat se uthkar mere paas aaye aur fir neeche ko jhuk kar meri aankhon mein aankhen daalte huye bole “Kyon ? tumko aisa kyon lagta hai ki tum iss mobile ko sahi kar sakte ho“

“maloom nahi saab,par mujhe yakeen hai ki

main aisa kar sakta hoon“maine unki aankhon mein aankhen daal kar bola…….mujhe khud bhi yakeen nahi ho raha tha ki uss samay mere andar itna aatm-vishwas kahan se aa gaya tha…….. Mr.Chaudhry ne kuchh seconds tak meri taraf dekha fir mudkar Happy se bole“Happy,

mobile iss ladke ko theek karne de“

Happy ne aise Mr.Chaudhry ki taraf dekha

jaise use apne kaano par yakeen na hua ho

“Par………….saab yeh ladka to……”uski baat

adhoori hi reh gayi,Chaudhry saab ne usko chup karte huye kaha……..”koi baat nahi,

mobile kharaab hi to ho jaayega…..ek baar iss ko bhi koshish kar lene de“keh kar woh

saamne kuchh doori par padi ek kursi par

jaakar baith gaye……...Haapy kuchh seconds tak mujhe ghoorta raha aur fir apni seat se uth gaya aur mujhe wahan baithne ka ishara kiya……..main uski khaali ki huyi kursi par baith gaya aur woh dukaan se baahar nikal kar wahin pahunch gaya jahan Mr.Chaudhry baithey huye they………….. Maine mobile ko haath mein liya,usko ek baar fir ulat–palat kar dekha aur fir uska back cover khol diya………….agle 5 minute tak main apna sar neeche karke mobile ke 1-1 part ko check karta raha…………..dosto,kabhi kabhi aisa hi hota hai ki koi bade se bada expert kisi aisi cheej ko andekha kar deta hai,jisko koi

anaadi bhi pakad sakta hai………wahi mere

sath bhi hua…………5 minute baad hi meri

samajh mein aa gaya ki ek bahut chote sa

mechanical fault tha jiski wajah se mobile

kaam nahi kar raha tha………ek chhoti si metal strip,jo battery ka current handset tak

pahuncha rahi thi,toot gayi thi………par bahut

gaur se dekhne par hi maloom pad raha tha ki woh metal strip tuti huyi hai…………….. Maine ek chhoti si metal strip kaati………..usko mobile mein fit kiya………battery ko lagaya….back cover fit kiya………….aur dhadakte dil ke sath mobile ko ON karne ke liye key ko push kiya…………2 seconds beete,aur fir ek awaaz ke saath mobile ki screen roshan ho gayi ………….mobile ON ho chukka tha……..mobile

ke ON hone ki awaaz itni to thi hi ki woh unn

dono ke kaan tak pahunch sake.........woh

dono ek saath apni jagah par khade ho gaye,

aur fir tezi ke saath meri taraf jhapte.............
 

Nub_Ag

Well-Known Member
11,212
4,507
229
UPDATE--5
Hum teeno hi uss samay hairaan they…………Happy isliye ki jo kaam woh khud ek expert hokar nahi kar paya,maine kaise kar diya……Main isliye ki yeh chamatkaar mere sath hi kaise hua….aur Mr.Chaudhry isliye ki ek **_** saal ke ladke ne unka woh mobile sahi kar diya,jiske sahi hone ki koi gunjaish nahi thi……. Maine mobile unki taraf badha diya……..woh agle 2 minutes tak apne mobile mein uljhe rahe………..Happy mere paas aa gaya aur mere kandhe ko thap-thapa kar mujhe apne aapse sata liya………ab woh bhi khush dikhayi de raha tha….. fir Mr.Chaudhry ne mobile ko jeb mein rakha aur mujhse bole…….

“shabash beta……..kya naam hai tumhara?”

“Ji..Raju“

“Kahan rehte ho?“unhone aage poochha

“kahin nahi Sir, yahin saath waale dhabe par

kaam karta hoon…raat ko wahin par hi so jata hoon“ maine bataya

“aur tumhare maa-baap?”who mere paas aakar bole

“nahi hain Sir………….jab se hosh sambhala hai,apne aapko akela hi paya hai?”main kuchh udaas se swar mein bola unhone ek baar meri taraf dekha………fir ek baar Happy ki taraf……aur fir apna wallet khola……..100-100 ke kuchh notes nikaale aur meri
taraf badha diye…….

“lo…yehrakhlo“

Maine chaunk kar unki taraf dekha…………..fir

bola “yeh to bahut jyada hain Sir?“

“Rakhlo Raju………yeh paise tumhare kaam ke

liye nahi hain…..balki mera kaam kharab nahi

hua,iske liye hain“ kehte huye unhone fir se

paise meri taraf badhaye,par maine haath

aage nahi kiya aur ek baar Happy ki taraf

dekha…………. Ab Happy ne Chaudhry saab se kaha

“Raju sahi keh raha hai saab………….. yeh kaam itne paise ka nahi hai…….” Fir usne Chaudhry saab ke haath se ek note 100rs ka lekar apni jeb mein rakh liya……..Mr.Chaudhry aage badhe aur fir mere paas aakar mere sar par ek baar sehlaya……fir bole

“Raju….badi baat yeh nahi hai ki tumne yeh

mobile sahi kar diya……..main bhi jaanta hoon ki koi aisi cheej hogi jo Happy ki nazar se chook gayi hogi……..aur tumne uss ko pakad liya……….badi baat yeh hai ki tumhare paas tez dimaag aur ek atma-vishwas hai………tum jaante ho ki tum kya kar sakte ho……aur yeh khoobi har kisi mein nahi hoti………”

Fir unhone apna wallet khol kar ek card nikala aur meri taraf badhate huye bole

“yehlo ………..yeh mera card hai aaj raat ko main baahar ja raha hoon……shayad 4-5 din mein waapas aa jaaonga…….tum mujhse aakar milna….”

Fir woh palte aur tezi se ek taraf ko chal diye

……..saath hi unke bodyguards bhi…..main

aur Happy unko jaate huye dekhte rahe…….jab tak woh aage ek mode mudkar humaari aankhon se ojhal nahi hogaye………fir Happy ne meri taraf dekha aur muskurane laga…………..main abhi bhi samajh nahi paa raha tha ki aaj ki yeh ghatna meri jindagi mein kya badlaav laane waali hai…………..
 
  • Like
Reactions: kamdev99008
Top