- 11,212
- 4,507
- 229
UPDATE--6
Gaadi ne break lagaye aur main fir se ateet se waapas laut kar aa gaya……Driver ne utar kar darwaza khola aur main gaadi se baahar aakar samne bani badi si building ki taraf badh gaya…….Raj Nagar (kalpaniknaam)….. Bharat ke paschimi tat par basa hua ek tezi se viksit ho raha shahar tha……..yeh building–Sanjay Appartment ,jis mein main rehta tha,Raj Nagar ke South civillines ilaake mein thi…………yeh kaafi posh ilaka tha…. mera flat building ke 5th floor par tha….. main building ki lobby mein aya aur lift se apne flat ki taraf chal diya………..5th floor par aakar main apne flat ke saamne pahuncha ,door ko unlock kiya,aur andar dakhil ho gaya……..agle 15 minutes main
kapde change karne aur fresh hone mein laga diye……..fir fresh hokar main balcony mein aakar khada ho gaya…….yeh building beach ke bahut najdeek thi….koi 1 km doori par……..balcony par khade hokar door najar
daudane par samandar saaf saaf dikhayi pad raha tha……. Main kuchh der aise hi khada raha aur fir kamre ke andar aakar phone utha kar ek number lagaya………..iss building ke saamne ek restaurant tha……..maine restaurant mein khane ka order diya aur fir baahar balcony mein aagaya………..iss baar main wahan padi ek chair par baith gaya aur fir saamne samandar ki lehro ko dekhne laga……oonchi-
oonchi buildings ki roshini samandar ke paani mein pad rahi thi….jis-se aisa lag raha tha jaise kaale aasman mein rang-birange sitaare chamak rahe ho……………..samandar ki lehro ko dekhte dekhte main fir se purani yadon mein kho gaya…………..
-----------------------------------------
Uss din jab Sardaar ji waaps aaye to maine aur Happy ne unko saari baat batayi…….Sardaar ji sunkar bahut khush huye……aur bole
“beta..jab bhi mauka lage iss aadmi se milkar jaroor aana……..kya maloom tujhe apne yahan kisi naukri par hi rakhle….”
Maine sar hilaya aur fir apne kaam mein lag
gaya…………fir se wahi routine work shuru ho
gaye…….tabels ki safaayi ,baratano ka intezam….aur grahako ke aate hi unki farmayish ko poora karna…………..kab raat ho
gayi maloom hi nahi pada…. Uss raat ko main school nahi jaa paya…..din bhar bahut jyada kaam ki wajah se thak gaya tha….isliye jaldi hi so gaya…..
Subah utha to mere liye koi bhi nayi baat nahi thi…..wahi roj marra ke kaam kaaj, dopahar mein Happy ke saath baith kar time paas aur fir shaam ka routine work……Iss hi tarah 7-8 din nikal gaye……..main lag-bhag bhool bhi chukka tha ki maine kisi aadmi ka mobile sahi kiya tha aur unhone mujhe apna
card diya tha…….. Fir ek din……..main hamesha ki tarah dopahar ka kaam nipta kar khana kha raha tha…tabhi dhabe par ek aadmi aaya…….uske kapde dekh kar hi pehchana ja sakta tha ki woh ekdriver tha……….bilkul safed vardi aur sar par safed cap….woh mere paas aaya aur bola……….
“Yahan par Raju kaun hain?“
maine khana khate khate kaha“main hoon
Raju……….batao, kya kaam hai“
usne ek baar oopar se neeche tak mujhe dekha aur fir bola “tumhe Chaudhry saab ne bulwaya hai……….woh tumse abhi milna chahte hain………”
uski baat dhabe ke andar baithe Sardaar ji ke
paas tak bhi pahunch gayi thi…woh bhi baahar aa gaye aur uss aadmi se bole “kya kaam hai Chaudhry saab ko Raju se?“
“Mujhe kya maloom Papaji…………..main to
naukar aadmi hoon…….jaisa saab ka hukum
hua…….waisa hi aapko bol diya……….ab aap
batao kya karna hai?“
Sardaar ji kuchh seconds meri taraf dekhkar
kuchh sochte rahe aur fir bole “tum ruko……Raju abhi tumhaare saath chalega“
Maine unki taraf dekha………..unhone sar hila kar mujhe jaise ek ishara kiya………main jaldi jaldi khana khatam karne laga…..
5 minute baad hi main ek lambi si gaadi mein baith hua tha………. woh aadmi gaadi ko chala raha tha aur mujhe nahi maloom tha ki main kahan ja raha hoon……..bas apne aap par ek vishwas tha ki jo kuchh bhi mere saath hoga, achchha hi hoga....