#62
Mr.Chaudhry ke room ke baahar jaakar maine knock kiya aur fir dheere se andar jhanka………unke saamne staff ka ek aadmi khada hua tha aur woh kuchh papers sign kar rahe they …….. main andar gaya aur unke saamne padi huyi chairs mein se ek par baith gaya …..
woh papers sign karte rahe aur main sar ko jhukaye baitha raha ………..mere oopar unki shakhsiyat ka ek alag hi asar tha……..bilkul jaise ek chhota bachchha apne ghar ke bade logo se darta hai , theek waisa hi mere saath bhi tha ……….. main unse kabhi faaltu baat nahi karta tha , aur main samajh nahi pa raha tha ki aaj ki iss harkat par main unko kya safaayi doonga ……..
unke saamne khada aadmi files lekar baahar nikal gaya , tab woh mujh se bole …….
“ Bank vault ka kaam kahan tak pahuncha Rajiv ? “
“ Ji , complete ho chukka hai …….maine aaj saari testings bhi kar li hai …” maine dheere se bola…….
“Good ……….aur construction work ? “ woh fir aage bole …..
“ who bhi complte hone wala hai Sir ………..I think , by next couple of days.” Maine bataya…..
“ very good ……….to fir hum unn logo ko demo ke liye kab bula sakte hai ? “ woh meri taraf dekhte huye bole , hamesha ki tarah bilkul shaant swar mein …….
“ kal ke baad jab bhi aap chahein ? …..main chahta hoon ki kal ek baar aap khud sab kuchh check kar kein ? “ maine kaha …..
“ OK ………tum kal ka programme set kar lo , kal hum sab ek baar chal ke dekh lenge ………”
“ OK Sir …………..i will arrange “ maine kaha aur fir chup chap baith gaya ……..mujhe maloom tha ki ab woh kya baat karenge , aur wahi hua ….kuchh seconds apne saamne rakhe laptop ko dekhne ke baad , woh meri taraf dekhne lage aur bole ……..
“ Kal tumhaare oopar kisi ne hamla kiya aur tumne mujhe bataya bhi nahi ? “
“ Ji………aapko kaise pata laga ? “ maine unse ulta sawaal kiya …
“ kaisi baat kar rahe ho Rajiv ? tum jaante ho Raj nagar koi bahut bada shahar nahi hai …, yahan chhoti si baat bhi bahut jyada dino tak chhupi nahi reh sakti , aur yeh to humaare apne bete ke saath ghati ghatna thi ……….tumne uss hi samay humein phone kyon nahi kiya ?” woh thoda naraazgi bhare huye swar mein bole ……
“ Chhoti si baat thi Sir……….mujhe aapko disturb karna sahi nahi laga …” maine kaha aur fir sar neeche jhuke liya ………..unki aankhon ka saamana karne ki himmat mere andar nahi thi …………..
“ chhoti si baat nahi hai Rajiv ………..mere liye yeh jaan-na bahut jaroori hai ki woh kaun hai jo tumhaari jaan ka dushman hai , aur kyon ? “ unhone kaha….fir apne saamne rakhe gilaas mein se paani piya aur bole ..
“ waise kal tumhaare saath Neha bhi thi na ? “
main kuchh seconds chup raha aur fir bola “ Ji haan ……….aur usko hi chot lagi hai ……..mere oopar jo chaku se vaar kiya gaya tha, woh usne apne oopar le liya….”
“ Hmmmm…………..main tumse iss hi baare mein baat karne tumhaare cabin mein aaya tha ………..” woh bole aur fir kuchh seconds laptop ki screen ko dekhne ke baad , meri taraf dekhe bagair bole “ tum Neha ko achchhi tarah se jaante ho na ? “
“ Ji haan ……..” maine jawaab diya …
“ Sab kuchh ……. Mera matlab hai uski pichhli jindagi ke baare mein bhi ?.”
“ Ji haan ……… “
“ Kaise …? “
“ Ji........Usne khud hi bataya tha ……”
woh fir mer taraf ghum gaye aur bole “ tumhe lagta hai ki usne tumhe sab kuchh sach sach bataya hoga ? “
“ Ji haan ……mujhe ummeed to yahi hai …..” main dheere se bola ..
“ aur tumhe kya lagta hai ……..jo kuchh uske saath beeta , uske baad bhi woh tumhaare liye ek sahi choice hai ? “
“ Ji haan Sir , mujhe to aisa hi lagta hai ……..aur jo kuchh bhi uske saath hua Sir , usmein uski to koyi galati nahi hai “
“ tumhe shaayad aisa lagta hai Rajiv ………par har koyi aisa nahi samajhta ……”
kuchh der ke liye hum dono hi chup ho gaye ………aur fir ek lambi saans lekar woh aage bole …………
“ Hmmmm……..main hamesha se tumhe ek samajhdaar aur suljha hua insaan manta hoon ………apne se bhi jyada samajhdaar……par mera yeh tazurba hai ki kabhi kabhi dil dimaag par haavi ho jaata hai aur uss haalat mein samajhdaari kaam nahi aati hai …………… isliye , jo tumhe theek lage , woh hi karna ……..par achchhi tarah sochne aur samajhne ke baad” fir kuchh seconds rukne ke baad woh aage bole …..” waise maine tumhaare liye kuchh aur hi socha hua tha Rajiv …… par yeh tumhaari apni life hai aur main iss ka faisla tumhaare oopar hi chhodta hoon ……..”
“ Thanks Sir …………..”
“ Theek hai fir ……….kal subah saath saath bank chalte hain ………fir next project par discuss karenge …………” kehte huye woh fir se apne laptop ki screen mein busy ho gaye …………aur main uth kar baahar aa gaya…………..
main apne cabin mein waapas aa gaya……. Main bahut khush tha kyon ki main khud bhi Neha ke baare mein Mr.Chaudhry ko batana chahta tha , par samajh nahi paa raha tha ki kaise bataoon……..ab kyon ki saari baat khud-b-khud hi clear ho gayi thi ……..mere liye yeh ek surprise se kam nahi tha ……….
Main kal ke testing ki tayyari karne laga………shaam kareeb 5 baje tak main busy raha aur fir jab main wahan se nikalne ki soch raha tha , tab maine Neha ko phone lagaya ……..uske intercom ki ghanti bajti rahi par phone nahi uthaya …
Fir maine uske mobile par try kiya………kaafi der bell bajne ke baad usne call receive ki ……
“hello ………..”
“Neha…………kahan ho tum ? “ maine poochha..
“main ghar par aa gayi thi Rajiv ……………” udhar se bahut dheemi awaaz aayi ……..
“ achanak !!! ……………kya hua ? “
“ kuchh nahi ………..bas aise hi , tabiyat kuchh theek nahi lag rahi thi ….” Usne jawaab diya…
“ohh………….doctor ke paas chalna ho to batao , main aa jaata hoon ………” maine kaha …
“ Nahi ……….iski jaroorat nahi hai Rajiv……….kuchh der araam karoongi to shayad sahi ho jaayega ……………”
“ Ok……….tkeek hai , tum araam karo …….kisi cheez ki jaroorat ho to mujhe call kar dena , main ab ghar hi ja raha hoon……” maine kaha aur phone disconnect kar diya ………..
fir main apne office se baahar nikal kar , building se neeche aa gaya………thodi der baad hi main apni gaadi mein baitha hua , ghar ki taraf ja raha tha ……….. Mr.Chaudhry se baat karne ke baad aur unki taraf se green signal milne ke baad , mera mood tha ki aaj main Neha ke saath iss ko celebrate karoon , par uski tabiyat achanak kharaab hone ki wajah se mera saara programme chaupat ho gaya tha…….. Mr.Chaudhry ke achanak mere cabin mein aa jane se woh shaayad kaafi darr gayi thi , aur wahi darr ab bhi uski awaaz mein jhalak raha tha ………….
“ chalo koyi baat nahi ……aaj na sahi , fir kabhi sahi “ maine man hi man socha aur fir gaadi tezi se apne ghar ki taraf badha di …………..
______________________________