#72
Yeh awwaz unke room se attached doosre room se aa rahi thi ………….jo lobby cum sitting room tha ……… main us darwaaze ke paas pahuncha jo unke bedroom aur lobby ke beech main tha …….aur main abhi darwaaze ko kholne ke liye haath badhaya hi tha ki andar se aati awaaz ne mujhe rukne par majboor kar diya ……… yeh Sharad ki awaaz thi ……..jo wahan , anadar kamre mein maujood tha……….
“ …yeh sahi nahi hai Uncle …………aapko aisa karne se pehle ek aur baar aur sochna chahiye ……..”
“maine jo faisla kiya hai …….kaafi soch samajh kar hi kiya hai Sharad………aur tum jaante ho ki main koyi bhi faisla jaldbaaji mein nahi karta ……….” Mr.Chaudhry ne kaha ………….
Main wahin ruk kar aage ki baat sunne laga ……….ab Sharad bol raha tha ……
“ main jaanta hoon Uncle ki aapke faisle hamesha sahi hote hain ………par iss baar shaayad aap jaldbaaji kar rahe hain ……..aur aapko hum sab se ek baar discuss to karna chahiye tha ………..”
“discuss karne ke liye hi to tumhe yahan bulaya tha ………..main jaanta hoon ki jo tumko sahi lagega , wahi bhai saahab aur Nidhi ko bhi manzoor hoga ………..” Mr.Chaudhry bole …..
“par aap to pehle se hi faisla kar ke baithe hain Uncle …………I am sorry to say , par agar aap aisa karte hain to yeh aapke bachcho ke saath bahut badi na-insaafi hogi …….uss ko itni badi responsibility dene se pehle , aapko mere aur Priya ke baare mein bhi to sochna chahiye…………” sharad ki awaaz mein be-basi aur gussa saaf mehsoos ho raha tha………mujhe samajh nahi aaya ki usne kis ke liye ‘uss ko’ word use kiya tha ……….
“ woh har baat mein tum se jyada kaabil hai Sharad ………yeh baat main bhi jaanta hoon , tum bhi aur Priya bhi …………” Mr.Chaudhry ki awaaz bhi ab pehle se tez ho gayi thi …..” Priya ko to main samjha hi loonga ……..aur tum ko bhi yeh samajh lena chahiye ………jo kaabil hoga, wahi meri nigaah mein iss kursi ka hakdaar hai ………chahe woh mera apna khoon ho ya parayaa……”
mere dil ki dhadkane tez ho gayi thi ………..jis ‘woh’ ki baat ho rahi thi , nischit taur par main hi tha …………..par poori baat meri samajh mein ab bhi nahi aayi ……..
“aap aisa samajhte hain Uncle ………par hum log nahi ………..yeh sab kuchh humare purkho ka hai.......... aapka aur Papa ka hai ……..hum log nahi chahte ki koyi baahar waala aakar iss par kabja kar le , aur kal ko humein bhi baahar ka raasta dikha diya jaaye …………..” Sharad lagataar behas kar raha tha ………..
“ tum galat samajh rahe ho Sharad ………..aisa kuchh bhi nahi hai ………aur main sirf ek hi company ki baat kar raha hoon , poore group ki nahi …….” Mr.Chaudhry ab usko samjhane ke lehze mein bol rahe they …….
“jo bhi hai Uncle …………pehle aapko hum sab se discuss karna chahiye , fir koyi faisla keejiyega……”
“Faisla to main kar chukka hoon …….aur agali board meeting mein isko final bhi kar doonga ………shaayd agle hafte hi ………..” Mr.Chaudhry ne kaha ….
“ fir main bhi dekhta hoon ki aap kaise yeh sab karte hain ……….chahe job hi ho jaaye , main aapko yeh na-insaafi nahi karne doonga ……….” Usne kaha ……..
mere sun-ne ke liye ab kuchh nahi bacha tha ……aur mujhe yeh bhi lag raha tha ki Sharad bhi ab jaldi hi baahar aane waala hai …………main furti ke saath palta aur tezi se chalte huye kamre se baahar nikal gaya ……..aur fir apne room ki taraf chal diya …………
½ ghante baad mein texi mein baitha hua airport ki taraf jaa raha tha , hotel se nikalte samay main Mr.Chaudhry se milta hua aaya tha ,……..aur unka chehra bata raha tha ki kisi baat ko lekar woh pareshaan they………….
Unki pareshani ki wajah mujhe maloom thi , par main abhi bhi yeh samajh nahi paaya tha ki woh mujhe kaun si nayi responsibility dena chahte hain ….jisko lekar Sharad itna pareshaan hai …………
Ek lambi si saans lekar maine gaadi ki seat ke pichhe sar tika diya………jo kuchh bhi hona hai , kuchh dino mein saamne aa jayega ……….
aur tabhi meri jeb mein pada mera mobile bajne laga ……….maine mobile nikaal kar number dekha , yeh Karan ka phone tha ………main call receive ki …..
“ Hello … “
“Hello….Good evening Sir …………..Karan here “
“haan Karan bolo…………? “ maine poochha ..
“aap abhi Mumbai mein hi hain Sir ….? “ usne mujhse poochha …
“Haan ……..bas abhi airport ke liye nikla hoon ……bolo kya baat hai ? “
“ Sir ………..mujhe abhi urgent kaam se apne ghar jaana padega …….apne parents ke paas ……….main aapko bataya tha na ki meri mother ki tabiyat sahi nahi hai ……..abhi phone aaya hai ki woh kaafi serious hain …….” Usne kaha …….uski aawaaz bahut ghabrayi huyi si thi ……..
“Its Ok Karan ………..tum nikal jaao……agar koi pending kaam hai to Nidhi ko bata dena , main manage kar loonga ………..”
“Thanks Sir ……….main bahut jaldi waapas aane ki koshish karoonga ……” usne kaha aur phone disconnect kar diya …………..
maine phone ko waapas rakha aur fir se sochne laga ……….Mr.Chaudhry ke baare mein , Sharad ke baare mein , Neha ke baare mein ………aur inn sab ke beech mere apne baare mein ………………
Sharad ki baaton se mujhe bagaavat ki khushbu aa rahi thi …………zaahir tha ,jo bhi faisla Mr.Chaudhry ne kiya tha , usmein woh unke saath nahi tha ……aur usne yeh bhi keh diya tha ki woh ‘aisa nahi hone dega’……….par kya woh Mr.Chaudhry ke khilaaf jaa sakta hai ………mujhe to aisa nahi lagta ……….jahan tak main jaanta hoon, Lakshmi group ki jo position aaj hai , woh sirf aur sirf Mr.Cahudhry ki wajah se ……
yahi saab sochte huye main airport pahunch gaya …….aur apna bag le kar andar ki taraf chal diya
______________________________