- 705
- 441
- 64
Update 19
Us raat neend to jaise aankhon se koso door thi. Main kaafi der tak bistar pe yahan se vahan dolta raha. Karwat badal badal kar thak gaya par neend to jaise naraz si ho gayi thi. Us ladke aur ladke ke beech sex ka khel aur uper se Priya ki gaand par dabta mera lund dimag se jaise nikal hi nahi rahe the. Ek pal ke liye maine socha tha ke jis tarah Priya ki gaand par mera lund daba tha aur usne kuchh nahi kaha tha to shayad baat isse aage badh sake par kuchh nahi hua.
Vo khamoshi se car mein jakar beth gayi aur usi khamoshi se poore raste bethi rahi . Ghar jakar bhi vo car se nikli aur andar chali gayi, bina kuchh kahe. Main buri tarah se garam ho chuka tha aur kismat kharab ke jis waqt ghar pahuncha to Rukmani ke saath koi mauka haath nahi laga. Aur dimag mein ab bhi sex hi ghoom raha tha. Maine har koshish ki sex se dhyaan hatane ki par kamyaab nahi hua.
Pareshan hokar maine Vipin Soni murder ke baare mein sochna shuru kar diya par sochne ke liye zyada kuchh tha nahi sivay iske ke vo ek ajeeb sa aadmi tha aur bahut hi ajeeb tareeke se mara tha. Ajeeb baaten karta tha aur ajeeb sa lifestyle tha. Par haan uski biwi sundar thi. Is baar bhi nakamyabhi hi haath lagi. Sex se dhyaan hatane ki sochi aur ghoom phirkar phir vahin pahunch gaya. Ab Vipin Soni ki biwi aankho ke saamne ghoom rahi thi.
Aise hi pade pade aadhi raat ka waqt ho gaya. Maine ghadi par nazar daali to raat ka 1 baj raha tha. Jab mujhe mehsoos hone laga ke aaj poori raat yun hi guzarne wali hai to maine kamre mein rakhe TV ka remote uthaya. TV on karne hi wala tha ke ek ajeeb si aawaz par mera dhyaan gaya. Aisa lag raha tha jaise koi bahut hi halki si aawaz mein ga raha hai. Maine dhyaan se sunna shuru kiya.
Aawaz kisi aurat ki thi par vo kya ga rahi thi ye samajh nahi aa raha tha. Maine ek nazar TV par daali par vo band tha. Music System ko dekha to vo bhi band. Apne computer ki taraf nazar daali to vo bhi off tha phir bhi lag raha tha jaise kahin door kisi ne music system on kiya hua ho ya volume bahut dheere kar rakha ho par farak sirf ye tha ke music nahi tha. Sirf ek aurat ke halke se gaane ki aawaz.
Mere dimag mein Rukmani ka naam aaya par main janta tha ke vo bahut besura gaati thi jabki ye aawaz jis kisi ki bhi thi vo bahut sur mein ga rahi thi. Ghar mein baaki Devyani hi thi. Main samajh gaya ke aawaz Devyani ki hi hai. Andhere mein yun hi pade pade main uski aawaz par dhyaan dene laga. Jitni achhi tarah se vo ga rahi thi us hisab se to usko Indian Idol mein try karna chahiye tha. Jo baat mujhe ajeeb lagi vo tha gaana. Vo koi filmi gana nahi tha.
Lag raha tha jaise koi maan apne kisi bachche ko lori suna rahi ho. Lori ke bol mujhe bilkul bhi samajh nahi aa rahe the par us aawaz ne mujhpar ek ajeeb sa asar kiya. Kai ghanto se khuli hui meri aankhen bhaari hone lagi aur mujhe pata hi nahi chale ke vo aawaz sunte sunte main kab neend ke aagosh mein chala gaya.
Subah utha to mujhpar ek ajeeb sa nasha tha. Dil mein behad sukoon tha. Lag raha tha jaise ek bahut lambi sukoon bhari neend se sokar utha hoon. Main aakhri baar is tarah kab soya tha mujhe yaad bhi nahi tha. Jab bhi sokar uthta to dil mein ek ajeeb si bechaini hoti.
Us din kya kya karna tha aur kal kya kya baaki reh gaya tha ye saare khyaal aankh kholte hi dimag mein shor machana shuru kar dete the. Par us din aisa kuchh na hua. Mera dimag aur dil dono behad halke the. Aur dino ki tarah main pareshan na utha balki aankh kholte hi chehre par muskaan aa gayi. Main kis baat par itna khush tha ye main khud bhi nahi janta tha.
"Tum gaati bhi ho?" Breakfast table par maine Devyani se puchha
Meri baat sunkar usne hairat se meri taraf dekha. Phir ek nazar Rukmani par daali aur dono hasne lagi.
"Mazak uda rahe ho?" Rukmani ne mujhse puchha.
"Nahi to" Maine inkaar mein sar hilaya "Main to seriously puchh raha tha"
"Oh to seriously mazak uda rahe ho" Devyani ne kaha
"Tumhein kaise pata ke ham dono bahut besuri hain?" Rukmani ne aage kaha
"Besuri?" Maine aankhen sikodte hue kaha
"Haan aur nahi to kya" Devyani boli "Har vo insaan jo hamko bachpan se janta hai isi baat ko lekar hamara mazak udata hai. Agar ham dono mein se koi bhi gaane lage to ghar ke saare sheeshe toot jaayen"
Main un dono ki baat sunkar chaunk pada. Kal raat to vo bahut achha ga rahi thi. Itna achha ke 5 mins ke andar andar main so gaya tha
"To kal raat tum nahi ga rahi hi" Maine Devyani aur Rukmani dono se puchha
"Nahi to" Rukamni boli aur un dono ne inkaar mein sar hilaya "Ham dono bhala raat ko bethke gaane kyun gayenge?"
Thodi der tak main us raat ke gaane ko baare mein sochta raha par phir vo baat dimag se nikal di. Raat ka 1 baj raha tha aur main sone ki koshish kar raha tha. Bahut mumkin tha ke kisi padosi ne gaana chala rakha tha jiski halki si aawaz mujh tak pahunch rahi thi.
Main taiyyar hokar ghar se office ke liye nikla. Aadhe raste mein hi tha ke mera phone bajne laga. Call Mishra ki thi.
"Court mein hearing to nahi hai teri aaj?" Mishra ne puchha
"2 baje ke kareeb ek case ki hearing hai. Kyun?" Maine puchha
"Good. To ek kaam kar filhal police station aa ja" Usne mujhse kaha. Main khud hi samajh gaya ke baat Vipin Soni murder case ko lekar hi hogi
"Kya hua?" Maine puchha
"Are yaar yahan kuchh kanooni baaten hone wali hain aur tu janta hi hain ke ye sab mere palle nahi padta. To maine socha ke mere paas jab ek ghar ka vakeel hai to usi ko kyun na bula loon"
Vo bilkul sahi keh raha tha. Law se related baaten Mishra ki samajh se bahar thi jabki vo ek policewala tha. Uske liye to uska kaam sirf itna tha ke jo bhi galat dikhe pakadke uski haddiyan tod do taaki agli baar kuchh galat karne se pehle hazar baar soche.
"Theek hain main aa jaoonga. Kitne baje aana hai?" Maine puchha
"Abhi" Mishra ne jawab diya
Police station pahuncha to Bhumika Soni aur uska baap already vahan bethe hue the aur Mishra unse kuchh baat kar raha tha. Jaane kyun dil hi dil mein Soni Murder case mein mujhe kuchh zyada hi interest tha jabki isse mera kuchh lena dena nahi tha. Par phir bi main closely is case ko follow karna chahata tha isliye mujhe apne us waqt police station mein hone par behad khushi hui.
To be continued....