• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Bungalow No. 13

Status
Not open for further replies.

Ravi

Jahan Chaah Wahan Raah
705
441
64
Update 21

Bhumika ke liye Ambulance bulayi gayi aur uske baad main police staion se sidha apne court pahuncha. 1 baj chuka tha aur 2 baje ki meri ek case ki hearing thi.

Court se case niptane ke baad main apne office gaya

"Aaiye aaiye" Mujhe dekhkar Priya uthte hue boli "To yaad aa gaya aapko ke aap office bhi aate hain?"

Usko dekhkar main chaunk pada. Vo muskura rahi thi. Kal raat vo jis tarah khamoshi se gayi thi usse to mujhe laga tha ke vo ab kabhi mujhse baat nahi karna chahegi aur shayad resign hi kar de. Par vo mere saamne khadi muskura rahi thi, aise jaise kuchh hua hi na ho. Maine rahat ki saans li.

"Haan yaar" Maine kaha "Vo subah subah Mishra ne bula liya tha"

"Kya baat hai aajkal police station ke kaafi chakkar lag rahe hain?" Usne mujhse puchha

"Bataoonga baad main" Maine chair par bethte hue bola "Filhal pani pila"

Uske baad sab kuchh normal raha. Priya ke bartav mein koi badlav nahi tha jisko lekar main khush tha. Vo ek achhi secretary thi jisko main khona nahi chahta tha. Meri har baat ka poora dhyaan rakhti thi aur hamesha waqt par office pahunch jaati thi. Par jo baat mujhe pareshan kar rahi thi vo thi uska yun kuchh na kehna.

Mujhe samajh nahi aa raha tha ke kya vo kal ki baat par sach mein naraz nahi hai ya drama kar rahi hai. Kya vo sahi mein muskura rahi hai ya dil mein kuchh aur dabaye bethi hai. Jab bardasht na hua to maine aakhir soch hi liya ke main hi koi baat karun.

"Sun Priya" Maine kaha

Usne gardan uthakar meri taraf dekha
"Yaar main kal raat ke liye bahut sharminda hoon. Pata nahi kaise......"

Maine apni baat keh hi raha tha ke vo beech mein bol padi

"Its ok sir" Uthkar vo meri table par mere saamne aakar beth gayi

"No its not. Jis tarah se tu gayi thi mujhe to laga tha ke ab nahi aayegi. Main maafi chahta hoon yaar" Maine kaha
"Are ismein maafi ki kya baat hai" Vo haste hue boli "Aur phir aapne koi zabardasti to nahi ki thi mere saath. Main khud bhi to khamosh khadi thi"

Ye baat usne keh to di par phir khud hi sharma gayi. Sharam se usne nazar doosri taraf pher li aur halke se muskurane lagi. Maine is baare mein aage koi baat na karna hi theek samjha. Kuchh der tak ham yun hi khamosh bethe rahe

"Ek baat bataiye" Kuchh der baad vo khud hi boli. Maine nazar uthakar uski taraf dekha. Vo shararat se muskura rahi thi.

"Aapki nazar ho ya aapka haath, dono sidha yahin kyun pahunch jaate hain" Kehte hue usne ek nazar se apni chhatiyon ki taraf ishara kiya

Is baar sharmane ki baari meri thi. Kal raat maine ek haath uski chhatiyon par rakh diya tha aur vo us baare mein hi baat kar rahi thi. Mujhe sharmate dekhkar vo khilkhila kar hasi aur mujhe chhedne lagi.

"Batao na sir" Kehte hue vo aage ko jhuki. Thodi der pehle ki sharam ab uski aankhon aur chehre se ja chuki thi.
"Kya bataoon?" Maine kisi chor ki tarah puchha

"Yahi ke kya hai yahan aisa jo aapki nazar yahin aakar atak jaati hai. Aur mauka milte hi aapka haath bhi yahin pahunch gaya"

Main jawab mein kuchh nahi kaha par vo to jaise apni baat par ad gayi thi. Sawal phir dohraya.

"Are yaar" Maine jhallate hue kaha "Ek ladke ki nazar se dekh. Jawab mil jayega"

"Kaise dekhun. Ladka to main hoon nahi. Vo to aap ho isliye aap hi bata do" Usne vahi shararat bhari aawaz mein kaha
"Theek hai sun" Maine gusse mein apne saamne rakhi vo file band kar di jise dekhne ka main natak kar raha tha

"Ladko ko aam taur par badi chhatiyan pasand aati hai. Aisi jaisi teri hain. Aur tune khud hi kaha ke main ladka hoon. Isliye meri nazar baar baar yahan atak jaati hai"

"Aur mauka milte hi haath bhi yahin atka diya?" Vo boli aur zor zor se hasne lagi. Ulta ho raha tha. Ladki vo thi aur sharma main raha tha.

"Achha aur kya hai mujh mein aisa jo aapko pasand aata hai?" Vo hasi rok kar boli

"Tu jayegi yahan se ya nahi?" Maine gusse mein usko ghoora to vo sorry bolti vahan se uthkar apni desk par jakar beth gayi. Aankho mein ab bhi vahi sharat thi.


To be continued....
 
  • Like
Reactions: aka3829

Ravi

Jahan Chaah Wahan Raah
705
441
64
Update 22

Us raat main ghar pahuncha to ghar par sirf Devyani hi thi.

"Aaiye Ahmed sahab" Vo mujhe dekhte hue boli "Kaisa raha aapka din?"

"Kuchh khaas nahi" Maine jawab diya "Bas vahi usual court cases. Rukmani kahan hai?"

"Bahar gayi hai" Vo mere paas zara ada se chalte hue aayi "Mujhe bhi keh rahi thi chalne ke liye par phir maine socha ke agar main bhi chali gayi to aapka ghar par dhyaan kaun rakhega?"

"Main koi chhota bachcha nahi hoon" Main zara muskurate hue bola "Apna dhyaan khud rakh sakta hoon"

"Haan rakh to sakte hain par aapke paas hathon se karne ko aur bhi behtar kaam hain" Vo boli aur has padi

Uski kahi baat ka matlab main ek pal ke liye samjha nahi aur jab samjha to jawab mein uski taraf aise dekha jaise ke mujhe samajh hi na aaya ho

"Main kuchh samjha nahi" Maine bholi si soorat banate hue kaha

"Ab itne bhi bhole nahi hain aap Ishaan Ahmed" Usne aise kaha jaise meri chori pakad rahi ho
Mujhe samajh nahi aaya ke aage kya kahun. Main khamoshi se khada hua aur bag uthakar apne kamre ki taraf badh gaya.

"Kuchh khaoge?" Usne mujhe jata dekhkar pichhe se kaha

"Ek cup coffee filhal ke liye" Maine palatkar kaha aur apne kamre ki taraf badh chala
Sardiyon ka mausam chal raha tha aur mera poora jism dukh raha tha jaise mujhe bukhar ho gaya ho. Maine bag rakha aur apne kapde utarkar bathroom mein dakhil hua. Main abhi naha hi raha tha ke mere kamre ka darwaza khulne ki aawaz aayi.

"Ishaan coffee" Aawaz Devyani ki thi
"Vahin table par rakh dijiye" Maine jawab diya
Kuchh hi pal guzre the ke maine bathrom ke darwaze par aahat mehsoos ki. Bathroom mere kamre ke andar hi tha isliye maine darwaza lock nahi kya. Mere poore chehre par sabun laga hua tha isliye aahat kaisi thi dekh nahi paya par phir agle hi pal mujhe ehsaas ho gaya ke darwaza kholkar koi andar dakhil hua hai.
"Kaun?" Maine kaha par jawab nahi aaya.

Maine shaower on kiya aur chehre se sabun saaf karke darwaze ki taraf dekha. Darwaze par Devyani khadi muskura rahi thi. Main usko yun khada dekhkar chaunk gaya aur phir agle hi pal mujhe dhyaan aaya ke main bilkul nanga tha. Maine fauran side mein latka towel khincha aur apni kamar par lapet liya.

Main kuchh kehne hi ja raha tha ke Devyani meri taraf aage badhi. Main chup khada uski taraf dekh raha tha aur vo meri taraf dekhte hue mere kareeb aa khadi hui. Shower ab bhi on tha isliye jab vo mere paas aayi to pani mere saath uske uper bhi girne laga. Ham dono ke beech koi kuchh nahi keh raha tha aur na hi ab koi muskura raha tha. Bas ek doosre ki nazar mein nazar daale ekdam kareeb khade hue the.

Ab tak Devyani bhi poori tarah bheeg chuki thi aur uski white color ki nighty uske jism se chipak gayi thi. Andar pehni black color ki bra aur panty uske baaki jism ke saath saaf nazar aa rahi thi.

Devyani ne apna ek haath uthakar meri chhati par rakha. Jaane kyun par main aise chhitka jaise current laga ho. Main fauran 2 kadam pichhe ho gaya mano vo mera rape karne wali ho. Mere aisa karne par vo zor se has padi.
"Kya hua Ishaan?" Vo mujhe dekhte hue boli "Us din kitchen mein to mujhe is tarah pakda tha jaise mera rape hi kar doge aur aaj yun door ho rahe ho?"

Maine uski baat ka koi jawab nahi diya aur ek nazar uspar uper se neeche tak daali. Pani mein bheegi hui vo kisi apsara se kam nahi lag rahi thi jo kisi bhi rishi ka dhyaan bhang kar sakti hai aur mere saath bhi aisa hi hua. Uske bheega hua takreeban aadha nanga jism dekhkar mere dil aur lund mein harkat hone lagi. Main abi soch hi raha tha ke ghar ke bahar horn ki aawaz sunai di.

Gaadi Rukmani ki thi. Devyani ne ek baar phir meri taraf dekha, muskurayi aur bathroom se bahar chali gayi.

Dinner table par ham teeno ne khamoshi se khana khaya. Khana khatam hone ke baad Rukmani uthkar kitchen ki taraf gayi.

"15 mins hain tumhare paas. Sirf 15 mins" Uske jaate ho Devani mujhse boli. Uski baat ka matlab mujhe samajh nahi aaya aur maine hairani se uski taraf dekha. Tabhi Rukmani kitchen se vapis aa gayi.

"Main zara walk ke liye ja rahi hoon" Devyani ne kaha "15 mins mein aa jaoongi"

Main uski baat ka matlab samajh gaya. Vo Rukmani ke saath mujhe akele mein 15 mins de rahi hai.

Uske ghar se bahar nikalte hi maine fauran Rukmani ko pakda aur usko hontho par apne honth rakh diya. Vo bhi shayad mauke ka intezaar hi kar rahi thi aur fauran mere choomne ka jawab diya. Mere haath uske chehre se hote hue neeche sarke aur ek hath uski chhatiyon aur doosra uski gaand tak pahunch gaya.

Usne ek blue color ki nighty pehen rakhi thi jiske uper se mere haath uske jism ko naapne lage. Rukmani ka apna bhi ek haath pajame ke uper se mere lund ko tatol raha tha.

"Kapde utaro" Main usko choomta hua bola
"Nahi" Usne kaha "Poora kapde mat utaro. Devyani kabhi bhi vapis aa sakti hai"

Mujhe bhi Devyani ki 15 mins wali baat yaad aayi to maine bhi zid nahi ki. Usko pakadkar sofe tak laya aur sofe par usko bethakar khud uske saamne khada ho gaya. Rukmani mera ishara samajh gayi aur phir vo kaam karne lagi jiske liye main uska kaayal tha. Mera pajama neeche sarak chuka tha aur mera lund uske munh mein andar bahar ho raha tha.

Uska ek haath kabhi mere lund ko ragadta to kabhi meri baals ko sehlata. Kuchh der lund chusvane ke baad maine usko neeche floor par khincha aur ghumakar uski gaand apni taraf kar li. Usne apne haath sofe par rakhe aur ghutno ke bal neeche floor par jhuk gayi.

Pichhe se usko yun dekhkar meri nazron ke saamne fauran Priya ki gaand ghoomne lagi aur mere dil mein ek pal ke liye khyaal aaya ke agar Priya is tarah se jhuke to kaisi lagegi?
"Jaldi karo?" Rukmani ne kaha

Maine uski nighty uthakar uski kamar par daal di aur panty khinch kar neeche kar di. Uski choot aur gaand mere saamne khul gayi. Jab bhi main usko is tarah dekhta tha to hamesha mera dil uski gaand maarne ka karta tha aur aaj bhi aisa hi hua. Maine apne lund nikala aur uski gaand par ragadne laga. Vo samajh gayi aur meri taraf gardan ghumakar muskurayi.
"Nahi Ishaan"

"Please bas ek baar" Maine zid karte hue kaha
"Dard hota hai" Usne apni aankhen chhoti karte hue kaha

Waqt zyada nahi tha aur main is mauke ka poora fayda uthana chahta tha isliye zid chhod di aur apna lund uski choot par rakhkar ek jhatke mein andar ghusata chala gaya.

Bhumika Soni ka us din police station mein behosh ho jana pata nahi ek natak tha ya haqeeat par mujhe Mishra se pata chala ke vo theek thi aur will settle karne ke liye Mumbai gayi hui thi. Body usne claim kar li thi aur Vipin Soni ka kriyakarm vahin sheher ke shamshaan mein kar diya gaya tha.

Uske agle din tak kuchh khaas nahi hua. Meri routine life chalti rahi. Priya ke kisi rishtedaar ke yahan shaadi thi isliye vo 2 hafte ki chhuti lekar gayi hui thi. Maine akela hi office mein bethta aur ghar aa jata. Ghar par bhi us din ke baad na to mujhe Rukmani ke saath koi mauka mila aur na hi Devyani ke saath baat aage badhi.


To be continued....
 

Ravi

Jahan Chaah Wahan Raah
705
441
64
Update 23

Aise hi ek saturday ko main ghar par betha TV dekh raha tha ke phone ki ghanti baji. Rukmani aur Devyani dono hi ghar par nahi. Maine phone uthaya to doosri taraf Mishra tha.

"Kya ho raha hai?" Maine puchha

"Kuchh khaas nahi yaar" Usne jawab diya "Vahi Soni murder case mein uljha hua hoon"

"Kuchh baat aage badhi?"

"Nahi yaar" Mishra ne lambi saans lete hue jawab diya "Vahin atka hua hoon. Ek inch bhi aage nahi badha"

"Uski biwi kahan hai?" Maine sawal kiya
"Mumbai mein hi hai filhal to. Ek do din mein aayegi vapis" Mishra bola

"Tu ek baar uske baare mein pata kyun nahi karta?" Maine apna shak jataya
"Kya kehna chah raha hai?" Mishra ki aawaz se zahir tha ke usko meri baat par hairat hui thi "Tujhe lagta hai usne mara hai apne pati ko?"

"Haan kyun nahi ho sakta. Vo abhi jawan hai aur Soni buddha tha aur ameer bhi. Uske marne se sabse zyada fayda to Bhumika ko hi hua hai" Maine kaha
"Nahi yaar. Mujhe nahi lagta" Mishra ne mera baat ko taal diya par maine apni baat par zor dala.

"Bhale hi aisa na ho par dekhne mein kya harj hai. Aur ho sakta hai ke yahin se tujhe koi aur lead mil jaaye. Filhal to kahin se bhi baat aage nahi badh rahi na"
Usko shayad meri baat mein dam nazar aaya isliye vo maan gaya ke Bhumika Soni ke baare mein pata karega aur agar kuchh haath laga to mujhko bhi batayega. Thodi der aur baat karke hamne phone rakh diya.

Dopahar ke 2 baj chuke the. Mujhe samajh nahi aa raha tha ke kya karun. TV dekhkar bore ho chuka tha. Bahar colony mein shamshaan jaisa sannata phela hua tha. Bahar bahut thandi hawa chal rahi thi aur sab apne ghar mein ghuse hue the. Mujhe bhi jab kuchh samajh nahi aaya to main vahin sofe par let gaya aur aankhen band karke sone ki koshish karne laga.

Aise hi koi aadha ghanta beet gaya par mujhe neend nahi aayi. Jism mein ek ajeeb si bechaini thi jaise bukhaar ho gaya ho aur dimag sukoon lene ko taiyyar hi nahi. Kabhi koi baat to kabhi koi aur par dimag mein kuchh na kuchh chal hi raha tha. Main parshan hokar phir sofe par uthkar beth gaya aur mujhe phir vahi aawaz sunai di.

Vo is baar bhi jaise koi lori hi ga rahi thi jaise koi maan apne bachche ko sulane ki koshish kar rahi ho. Us raat ki tarah hi mujhe ab bhi lori ke bol samajh nahi aa rahe the aur na hi koi music tha. Bas ek bahut meethi si halki si aawaz jaise koi bahut dheere dheere ga raha ho.

Ab to main ye bhi nahi keh sakta tha ke Devyani ya Rukmani ga rahi thi kyunki dono hi ghar mein nahi tha. Aawaz bahut dheemi thi isliye andaza laga pana mushkil tha ke kis aur se aa rahi hai par phir bhi maine dhyaan se sunne ki koshish ki.

Aawaz khidki ki taraf se aa rahi thi matlab ke bahar koi ga raha tha. Main utha aur apne ghar se nikalkar bahar road par aaya. Mujhe ummeed thi ke bahar aane par aawaz shayad thoda saaf sunai degi par aisa hua nahi. Ab bhi volume utna hi tha.

Vahi dheemi shaant thehri si aawaz. Sadak sunsaa thi balki us waqt to poori colony hi koi veerana lag rahi thi. Chaaro taraf oonche oonche ped aur thandi chalti hawa ki aawaz aur uske beech aati us gaane ki aawaz. Maine phir dhyaan lagakar suna to mujhe aawaz apne ghar ke saamne ke ghar se aati hui mehsoos hui.

Main ghar ki taraf badha par jaise jaise kareeb hota gaya aawaz door hoti gayi. Jab main us ghar ke saamne pahuncha to mujhe laga ke aawaz mere apne ghar se aa rahi hai. Apne ghar ki taraf palta to laga ke aawaz hamare side ke ghar se aa rahi hai. Jab us ghar ki taraf dekha to aawaz kahin aur se aati mehsoos hui.

Aur us raat ki tarah hi is baar bhi us gaane ka asar hona shuru ho chuka tha. Sadak par khade khade hi meri aankhen is tarah bhari hone lagi thi jaise main kai saal se nahi soya. Ek pal ke liye mujhe lagne laga ke main vahin sadak par letkar hi so jaoonga. Maine kadam vapis apne ghar ki taraf badhaye aur andar aakar sofe par gir pada. Gaane ki aawaz ab bhi sunai de rahi thi aur mujhe pata hi nahi chala ke main kab neend ke aagosh mein chala gaya.

Uske baad agle kuchh dino tak meri zindagi jaise ek hi dharre par chalti rahi. Main subah office ke liye nikal jata aur shaam ko ghar aa jata. Rukmani aur Devyani ke saath dinner karta aur jakar so jata. Devyani kab tak yahan rehne wali thi is baat ka na to mujhe andaza tha aur na hi mujhe kuchh Rukmani se puchhe ka mauka mila par ab uske vahan hone se mujhe ajeeb si chid hone lagi thi.

Vo hamesha apni behen se chipki rehti aur ek pal ke liye bhi mujhe Rukmani ke saath akele na milne deti. Uske uper se jab bhi mauka milta to vo mujhe chhedne se baaz nahi aati thi. Jaankar mere saamne dheele gale ke kapde pehenkar aati aur mauka milte hi jhuk jaati taaki main uske kapdo ke andaz ka nazara saaf dekh sakun. Par isse zyada baat nahi bani.

Office mein bhi ab Priya nahi aa rahi thi. Uske bade bhai ki shaadi thi jiske liye usne 2 mahine ki chhutti li hui thi. Main office jata to vahan koi na hota aur roz raat ko main bistar par bhi akela hi sota.
Vipin Soni ka khoon hue 2 mahine se bhi zyada waqt ho chuka tha par ab bhi rozana hi newspaper mein uske baare mein kuchh na kuchh hota tha. Mishra se meri baat is baare mein ab nahi hoti thi.

Maine kai baar usko phone karne ki koshish ki par vo mila nahi aur na hi usne kabhi khud mujhe phone kiya. Dheere dheere mera interest bhi case mein khatam ho gaya aur ab mere liye Vipin Soni ka case sirf newspaper mein chhapne wali ek khabar hota tha.
Jitna maine newspaper mein padha us hisaab se Vipin Soni koi bahut bada aadmi tha. Ek bahut hi ameer insaan jiske paas beshumar daulat thi.

Uski pehli biwi se usko ek beti thi aur biwi ke mar jaane ke baad usne budhape mein Bhumika se doosri shaadi ki thi. Ek zamane mein vo politics mein bahut zyada involved tha aur ye bhi kaha jaata tha ke jis tarah se Maharashtra ke political world mein uski pakad thi, us tarike se vo din door nahi jab vo khud ek din Maharashtra ke chief minister hota. Mumbai ka vo jaana mana businessman tha aur shayad hi koi industry thi jahan uska paisa nahi laga hua tha. Par apni biwi ke guzarne ke baad jaise usne apne aapko duniya se alag sa kar liya.

Politics se usne rishta tod diya aur uska business bhi uske managers hi sambhalte the. Pata nahi kitna sach tha par uske kisi naukar ke hawale se ek newspaper ne ye bhi chhapa tha ke apni biwi ke guzarne ke baad Soni jaise aadha pagal ho gaya tha aur ek psychiatrist ke paas bhi jata tha.

In sab baaton ka nateeja ye nikla ke media ne uske khoon ke mamle ko dabne na diya. Newpapers aur tv channels to jaise din gin rahe the aur rozana hi ye baat chhapti ke Soni ka khoon hue itne din ho chuke hain aur police ko uske khooni ka koi surag ab tak nahi mil paya hai.

Aise hi ek din main apne office mein akela betha tha ke darwaza khula aur Mishra daakhil hua.

"Bade din baad" Main usko dekhkar muskurata hua baola "Aaj is gareeb ki yaad kaise aayi?"

"Puchh mat yaar" Vo mere saamne bethta hua bola "Zindagi haram ho rakhi hai saali"

"Kyun kya hua?" Maine puchha

"Are vahi Vipin Soni ka case yaar" Uske haath mein ek newspaper tha jise vo meri taraf badhata hua bola "Meri jaan ki aafat ban gaya hai ye case. Vo sala Soni politically involved tha aur kayi bade logon ko janta tha. Rozana hi mere office mein phone khadakta rehta hai ke case mein koi progress hai ke nahi"

"Hmmmm" Maine uske haath se newspaper liya

"Aur uper se ye media wale" Vo akhbaar ki tarah isara karte hue bola "Baat ko dabne hi nahi de rahe. Aur aaj ye ek naya tamasha chhap diya"

"Kya chhap diya?" Maine akhbaar khola. Us din subah main court ke liye late ho raha tha isliye newspaper uthane ka waqt nahi mila tha

"Khud padh le" Usne kaha aur saamne rakhe glass mein pani daalkar peene laga
Maine newspaper khola aur headline dekhkar chaunk pada

"Padhta reh" Mishra ne kaha

Newspaper walo ne khule taur par police ka mazak udaya tha aur is baat ko ke police 2 mahine mein bhi khooni ki talash nahi kar paayi thi police ki nakamyabi bataya tha. Jis baat ko padhkar main chaunka vo ye thi ke newspaper mein Mishra ke naam ka saaf zikr tha.

"Naukri par ban aayi hai yaar" Mishra ne aankhen band ki aur kursi par aaram se phel gaya "Samajh nahi aata kya karun"

"Koi suraag nahi?" Maine Newspaper ko ek taraf rakhte hue kaha

Mishra ne inkaar mein sar hilaya. Mujhe yaad tha ke aakhri baar jab maine Mishra se is baar mein baat ki thi to maine usko Bhumika Soni ke baare mein pata karne ko kaha tha.

"Uski biwi ke baare mein pata kiya tune?" Maine Mishra se sawal kiya

"Abe yaar tu yahi kyun kehta hai ke khoon usne kiya hai?" Mishra ne sawal kiya
"Main ye nahi kehta ke khoon uski biwi ne kiya hai" Maine jawab diya "Main sirf ye keh raha ha ke aisa ho sakta hai."

"Nahi yaar" Mishra ne kaha

"Kyun?" Maine puchha

"Pata kiya hai maine. Perfect alibi hain uske paas. " Mishra bola. Kamre mein kuchh der khamoshi rahi

"Yaar jis tarah se vo ab tak apne pati ke khoon ko le rahi hai us hisaab se main to kehta hoon ke zara bhi gham nahi hai usko apne pati ki maut ka. Aur us din yun police station mein behosh ho jana bhi sala ek drama tha" Maine apna shak jatate hue kaa

Agle ek ghante tak Mishra mere office mein betha raha aur main ye kehta raha ke Bhumika ne khoon kiya ho sakta hai par vo nahi mana.


To be continued....
 
Last edited:
  • Like
Reactions: aka3829
Status
Not open for further replies.
Top