- 705
- 441
- 64
Update 29
Vipin Soni ke muder ko ab takreeban 3 mahine ho chale the. Na to qatil ka kuchh pata chal paya tha aur na hi kisi ka koi surag mil saka tha. Newspapers bhi ab is baare mein baat kar karke thak chuke the aur rozana jis tarah se vo is baare mein shor macha rahe the ab vo bhi dheere dheere halka padta ja raha tha.
Dheere dheere jab kisi ka kuchh pata na chala to logon ne bungalow ke bhoot ko Vipin Soni ka hatyara maan liya aur baat phel gayi ke Vipin Soni ne jakar aise ghar mein aasra liya jahan ki pret aatma vaas karti hai aur jab Soni ne vahan se nikalne ka naam nahi liya to us aatma ne uska khoon kar diya.
Ab hamari colony mein bhi har koi ye baat jaan gaya tha ke marne wala ek bahut hi ameer aadmi tha jiski ek bahut hi sundar si jawan biwi thi. Har koi janta tha ke vo apni biwi se alag ho gaya tha aur koi dushman na hote hue bhi yahan dara sehma sa pada rehta tha. Logon ka maanna ye tha ke Vipin Soni ek pagal tha par uska pagal hona bhi uski maut ki vajah nahi bata sakta tha.
Khoon hone ka sabse zyada nuksaan agar kisi ko hua to vo Bungalow No 13 aur uske maalik ko hua. Vo ghar jo pehle se badnaam tha ab aur badnaam ho gaya. Log aksar aate aur ghar ke bahar khade hokar usko dekhte. Sab dekhna chahte the ke bhoot bungalow kaisa hota hai aur shaad kuchh is ummeed se bhi aate the ke koi bhook shayad unko nazar aa jaaye.
Kisko nazar aaya aur kisko nahi ye to mujhe nahi pata par mere saath jo ho raha tha vo khud bada ajeeb tha.
Vo gaane ki aawaz jo mujhe pehle kabhi kabhi sunai deti thi ab jaise har raat sunai dene lagi thi. Main bistar par aata hi tha ke us aurat ki aawaz mere kaano mein aane lagti jaise koi mujhe lori gakar sulane ki koshish kar raha ho.
Maine kai baar us aawaz ko raat mein hi follow karne ki koshish ki par ya to vo mujhe har taraf se aati hui mehsoos hone lagti ya phir meri talash Bungalow No 13 ke saamne aakar khatam ho jati. Vo aawaz saaf taur par ghar ke andar se hi aati thi par hairat ki baat ye thi ke yahan se mujhe mere kamre tak sunai deti thi. Log kehte the ke us ghar mein ek bhootni rehti hai par ye kitna sach tha main nahi janta tha.
Phir bhi is baat se inkaar nahi kar sakta tha ke maine khud apni aankhon se ghar mein ek aurat ko ghoomte dekha hai, aur ek baar kuchh logon ko andar dekha tha jo mere andar jaane par gayab ho gaye the aur is baat se to main anjane mein bhi inkaar nahi kar sakta tha ke mujhe ek aurat ke gaane ki aawaz sunai deti thi.
Mere alawa vo aawaz kisi aur ko aati thi ya nahi iski mujhe koi khabar nahi thi aur na hi maine iska kisi se zikar kiya.
Ek baar maine raat ko restaurant mein Mishra se is baare mein baat karne ki sochi zaroor thi par phir irada badal diya tha ye sochkar ke vo mujhe pagal samjhega.
Vipin Soni ke baad us ghar mein koi rehne nahi aaya. Makaan malik ne newspaper mein ghar ke khaali hone ka ad zaroor diya tha par mujhe yakeen tha ke log usko padhkar shayad hase hi honge. Bhala Bhoot Bungalow mein rehne ki himmar kaun kar sakta tha. Ghar ke bahar ab ek bada sa tala pada rehta. Andar jitna bhi furniture Soni ne kharid kar rakha tha vo sab Bhumika bech chuki thi.
Log aksar ghar ke saamne se agar nikalte to jitna door ho sake utni door se nikalte. Par is sabke bavajood ajeeb baat ye thi ke us Bungalow ke dono taraf ke gharon mein log rehte the. Vo kabhi khaali nahi hue aur na hi unke saath koi ajeeb harkat hui. Log unke ghar zaroor aate par Bungalow 13 ki taraf koi nazar uthakar na dekhta.
Ajeeb tha ke us ghar ke dono taraf ke logon ko bhoot bilkul pareshan nahi karta tha par us ghar mein rehne wale ko zinda nahi chhodta tha. Khud mere ghar ki chhat se bhi us Bungalow ka ek hissa nazar aata tha aur Soni ke khoon se pehle maine beete saalon mein kuchh bhi ajeeb nahi dekha tha vahan.
Soni ke khoon se jin logon ko fayda hua tha unmen khud ek Rukmani bhi thi. Ab uske paas batane ko aur nayi kahaniyan mil gayi thi jinhen vo aksar bethkar mujhe aur Devyani ko bataya karti thi aur nuksaan ji logon ko hua tha unmen ek Mishra bhi tha.
Bhale uski naukri nahi gayi thi par ek aisa aadmi jiski vardi par koi daag nahi tha aur jisne apne hisse mein aane wale har case ko solve kiya tha, us aadmi ke hisse mein ab ek aisa case aa gaya tha jisko vo solve nahi kar saka tha.
Isi tarah se takreeban ek mahina aur guzar gaya. Sardiyan ja chuki thi par Devyani ab bhi vahin ghar mein hi tiki hui thi jiski vajah se mujhe akela rehne ki aadat pad gayi. Ab us gaane ki aawaz mujhe pareshan nahi karthi thi balki main to aksar har raat intezaar karta tha ke vo aurat gaaye aur mujhe chen ki neend aa jaaye.
Court mein vo rape case ab bhi chal raha tha aur ab sirf tareekh hi mila karti thi. Ladka bail par bahar aa chuka tha par Ladki case continue karna chahti thi. Uske baad na hi kabhi mujhe koi dhamki phone par mili.
Mishra se hi mujhe pata chala ke Rashmi India aa chuki thi aur ab yahin Mumbai mein hi settled thi. Mishra ke suspects ki list mein uska bhi naam tha par uske khilaaf bhi vo koi saboot nahi juta paya tha. Aisi hi ek mulaqat mein usne mujhko bataya ke Soni Murder case ab CBI ko diya ja raha hai aur iske liye usne bhi haan kar di.
"Kya?" Maine hairat se puchha "Tune haar maan li?"
Usne haan mein sar hilaya
"10 lakh ka nuksaan?" Maine Bhumika Soni ke announce kiye hue inaam ki taraf ishara kiya
"Abe 10 crore bhi deti to kuchh nahi hone wala tha yaar. Mujhe nahi lagta ke vo hatyara kabhi pakda jaayega" Usne cigerette jalate hue kaha
"Sahi keh raha hai" Maine uski haan mein haan milayi. Iske baad mere aur Mishra ke beech kaafi time tak is case ke baare mein koi baat nahi hui. Ham dono apne dil mein ye baat maan chuke the ke Soni ka hatyara jo koi bhi tha, vo bachkar nikal chuka hai.
Usi shaam dinner table par Rukmani ne mujhe aur Devyani ko phir se Bungalow ke bhoot ke baare mein kahani sunani shuru kar di.
"Galey par ungliyon ke neele pad chuke nishaan, aankhon mein khoon utra hua, Chehre par darr aur ghar andar se band, isko dekhkar to koi bachcha bhi bata sakta hai ke khoon ek bhoot ne hi kiya hai" Vo boli
"Rukmani tum bhool gayi shayad par Soni ka khoon ek khanjar se hua tha" Maine haste hue kaha
"Tumhein kaise pata ke vo khanjar tha?"
Usne mujhe puchha "Kya khanjar mila kabhi? Nahi mila na. Yakeen karo Ishaan vo hathyaar us aatma ka hi tha"
"Well us case mein to phaansi bhi nahi ho sakti usko. Jo mar gayi ab usko sarkar dobara kaise maregi?" Main ab bhi has raha tha "Come on Rukmani. Mujhe hairat hoti hai ke tum jaisi samajhdaar auart is bakwaas par yakeen karti hai"
"Mujhse bhi zyada samajhdaar log karte hain" Usne rotiyan meri taraf badhate hue kaha "Ved purano mein bhi pret aatmaon ka zikr hai. Tum muslims mein bhi to hai ke jinn aur pret hote hain"
"Shart lagati ho?" Maine kaha "Main ek poori raat us Bungalow mein jakar so jata hoon aur dekhna mujhe kuchh nahi hoga"
Mera itna kehna hi tha ke Rukmani ke munh se cheekh nikal gayi. Devyani ke chehre par bhi khauff saaf dikhai de raha tha
"Tum aisa kuchh nahi karoge Ishaan" Vo lagbhag cheekte hue boli
"Ok ok" Maine kaha "Main to sirf mazak kar raha tha"
Thodi der ke liye ham sab khamosh ho gaye. Kisi ne kuchh na kaha aur chupcap khana khaate rahe. Thoder der baad khamoshi Rukmani ne hi todi.
"Us ghar mein jo roshni dikhai deti hai, uske baare mein ka kehna hai tumhara?" Usne mujhse puchha.
Is sawaal ka mere paas koi jawab nahi tha. Roshni wali baat se main bhi inkaar nahi kar sakta tha kyunki vo maine bhi dekhi thi, khud apni aankhon se. Maine koi jawab nahi diya.
"Mera yakeen karo Ishaan. Aditi ki aatma aaj bhi bhatakti hai vahan"
"Aditi?" Naam sunkar maine Rukmani ki taraf dekha
"Haan. Yahi naam tha us aurat ka jiska khoon aaj se kai saal pehle us Bungalow mein hua tha" Rukmani ne kaha
"Vahi jisko uske pati ne maar diya tha?"
Maine puchha to Rukmani haan mein sar hilane lagi.
To be continued....