• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Bungalow No. 13

Status
Not open for further replies.

dead man143

Active Member
623
1,297
138
Woow yaar suspence pe suspence de rahe ho yaar ab kya hoga yaha kya bhumika sone kuch important baat ke liye apne hero ishaan ko bulaya hai yaaa iske bhi niche bohot aag lagi hai use bhujane bolaya hai or sala yeh shaam ko gana kaun gaata hai yaar dekhte hai aage


Waiting for next update bro
 
  • Like
Reactions: Ravi

Ravi

Jahan Chaah Wahan Raah
705
441
64
Update 27

Pichhli baar jis Bhumika ko maine dekha tha aur ab jo Bhumika mere saamne bethi thi un dono mein zameen aasmaan ka farak tha. Jisko maine police station mein dekha tha vo ek pati ki maut ke gham mein doobi hui aurat thi aur ab jo mere saamne bethi thi vo ek so called high society woman thi jiske ek haath mein sharab ka glass tha.

Jo pichhli baar mili thi vo ek sidhi saadi si middle class aurat lagti thi aur jo ab mil rahi thi uske har andaaz mein paise ki bu aa rahi thi. Jis Mrs Soni se main pehle mila tha vo ek saree mein lipti hui ek vidhwa thi jo apne pati ki maut ke baare mein sunkar police station mein hi behosh ho gayi thi aur ab jo mere saamne bethi thi vo ek western outfit mein lipti hui ek crore pati aurat thi jiske chehre par gham ka koi nishaan nahi tha.

"Paisa aa jaaye to insaan ke chehre par apne aap hi noor aa jata hai" Usko dekhkar maine dil hi dil mein socha
"Kya piyenge?" Usne mujhse puchha "Whisky, Wine, Beer?"

"Ji main sharab nahi pita" Maine inkaar mein sar hilate hue kaha

"Oh haan" Usko jaise kuchh yaad aaya

"Aap to muslim hain. Kya isliye?"

"Ji kuchh isliye bhi aur kuchh isliye ke mujhe ek aisi cheez peene ka matlab samajh nahi aata jo insaan ko insaan se bandar bana de" Maine muskurate hue jawab

"Well vo to depend karta hai ke aap kaise peete hain aur kitni peete hain" Usne kaha

"Khair vo chhodiye Mrs Soni...."Maine kehna shuru hi kiya tha ke usne mer baat kaat di

"Call me Bhumika"

"Ok" Maine kaha "Mujhe kaise yaad kiya Bhumika"

"Koi vajah nahi hai" Usne kaha "Aapse kaafi waqt se mili nahi thi aur aap vo shakhs hain jo mere pati se unke aakhri waqt mein mile the aur shayad akele shakhs hain jinse mere pati ne apne aakhri dino mein baat ki thi. To maine socha ke shayad aap mujhe unke aakhri kuchh dino ke baare mein bata saken"

Mujhe uski baat samajh nahi aayi aur jis tarah se maine uski taraf dekha usse vo samajh gayi ke mujhe uski baat palle nahi padi

"Yaadein you know" Usne kaha "Maine apni pati ke aakhri dino ki yaadein apne saath rakhna chahti hoon"

Uski baat sunkar maine badi mushkil se apni hasi roki. Is aurat ko dekhkar to koi bevakoof hi kahega ke isko apne pati ki maut ka gham hai. Aur ek baar phir usne mere chehre ko padh liya.

"Main janti hoon tum kya soch rahe ho Ishaan" Usne kaha "Yahi na ke mujh dekhkar to koi bevakoof hi kahega ke mujhe apne pati ki maut ka gham hai. Par vo kehte hain ke jaane wala to chala gaya. Ab unke pichhe rote bethkar main kaun sa savitri ki tarah yamdev se unko vapis le aaongi. Kyun hai na?"

Main haan mein sar hilaya

"Vaise vo inspector, kya naam tha uska ...... "

"Mishra" Maine yaad dilaya

"Haan Mishra" Usne kaha "Kuchh surag mila usko Mr Soni ke khoon ke baare mein"

"Kuchh nahi" Maine jawab diya "Na kuchh ab tak pata chala hai aur sach maniye Bhumika Ji to jis hisaab se sab kuchh ho raha hai to usse to mujhe lagta hi nahi ke Mr Soni ka khooni kabhi pakda jaayega"

"Mujhe bhi aisa hi lagta hai" Usne apne khaali ho chuke glass mein aur wine daali "Aur shayad aapko pata nahi ke maine apne pati ke khooni ke baare mein koi bhi jaankari dene wale ko 10 lakh ka inaam dene ki baat newspaper mein chapvayi hai"

Ye sach ek nayi baat thi jiska mujhe koi andaza nahi tha

"Nahi is baare mein mujhe koi khabar nahi thi" Maine kaha

"Well agar 10 lakh ka lalach dekar bhi kuchh pata na chala to main bhi yahi kahungi ke kabhi kuchh pata nahi chalega" Usne ek lambhi saans li
"Shayad" Maine kaha "Aapke pati ki maut hue 2 mahine se zyada ho gaye hain aur har guzarte din ke saath khooni ke pakde jaane ki chances bhi kam ho rahe hain"

"Phir bhi Mr Soni ki beti ko lagta hai ke vo apne baap ke khooni ko saza zaroor dilvayegi" Usne halke se haste hue kaha. Main chaunk pada

"Rashmi?" Maine puchha

"Haan" Bhumika boli "Abhi Australia mein hi hai vo. Kal meri phone par baat hui thi. Jab tak ham usko dhoondh kar uske baap ki maut ke baare mein batate tab tak takreeban ek mahina guzar chuka tha. Ab vo agle hafte aa rahi. Ab vo age hafte aa rahi hai. Keh rahi thi ke har haal mein apni baap ki maut ka badla legi.

"Mujhe lagta to nahi ke unko koi khaas kaamyabhi milegi" Maine kaha

"Aap usko jante nahi Ahmed sahab. Apne baap ki tarah ziddi hai vo aur unki tarah hi hoshiyaar bhi. Jo ek baar karne ki thaan leti hai to phir chahe zameen phat pade ya aasman gir jaaye, vo karke hi dam leti hai" Bhumika ne wine ka glass neeche rakhte hue kaha.


Agle din main office mein aake betha hi tha ke Priya mere saamne aa bethi.

"Sir ek baat karni thi" Usne mujhse puchha

"Haan bol" Maine saamne rakhi ek file par nazr daalte hue kaha. Usne jab dekha ke mera dhyaan file ki taraf hi hai to aage badhkar file mere saamne se hata di.
"Aise nahi. Sirf meri baat suniye filhal. Kaam baad mein karna"

"Achha bol" Maine bhi apne haath se pen ek side mein rakh diya

"Aur promise kijiye aap mere har sawal ka jawab poori imaandari se denge aur mujhe yahan se jaake apna kaam karne ko nahi kahenge"

"Kyun aisa kya puchhne wali hai tu?"

"Aap promise kijiye bas" Usne bachchi ki tarah zid karte hue kaha

"Achha baba promise. Ab bol aur jaldi bol mujhe thodi der mein court ke liye bhi jaana hai" Maine ghadi par ek nazar daalte hue kaha

"Aap kehte ho na ke mujhe pehle ek ladki ki tarah lagna padega uske baad hi mujhe koi ladka milega...... "Usne baat adhuri chhod di

"Haan to .... " Maine sawal kiya.
"To ye ke main to hamesha se aisi hi rahi hoon to mujhe to kuchh pata nahi aur dost bhi nahi hain mere koi ek aapke siwa. To maine socha ke aapse hi madad li jaaye." Usne khush hote hue kaha

"Kis tarah ki madad?" Maine sawal kiya

"Are yahi ke ladkiyon wale styles kaise sikhun, make up vagerah aur doosri cheezen" Usne kaha

"Tujhe nahi lagta ke tujhe ye baaten apni maan se karni chahiye?" Maine kaha

"Maan ke saath vo baat nahi aayegi jo ek dost ke saath aati hai. Aapke saath main ekdam khulkar baat kar sakti hoon par apni maan ke saath itna free nahi" Usne kaha to main bhi muskura utha

"Achha to bol ke kya puchhna hai?" Maine kaha

"Sir ye bataiye ke ladke ladkiyon mein kya dekhte hain?" Usne sawal kiya to main chaunk pada

"Ye kis tarah ka sawal tha?"

"Bataiye na" Usne kaha

"Pehle tu ye bata ke is tarah ke sawal tere dimag mein aaye kaise?"

"Vo main shaadi mein gayi thi na?" Usne kaha

"Haan to?"

"Vahan meri ek cousin mujhe mili aur shaadi mein ek ladka ham dono ko pasand aaya. Meri cousin ne mujhse shart lagayi ke vo us ladke ko khud patayegi aur yakeen maniye sir, vo bahut chhoti si hai height mein aur bahut dubli patli hai. Ladkiyon wali koi cheez nahi hai uske paas phir bhi vo ladka usse phas gaya. Isliye puchh rahi hoon"

Uski baat sunkar main has pada. Tabhi meri table par rakha phone bajne laga. Maine uthaya to line par mera ek client tha jo mujhse milna chahta tha. Maine thodi der baat karke phone rakh diya aur Priya se kaha

"Ek kaam kar. Abhi to mujhe ek client se milne ke liye nikalna hai. Shaam ko dinner saath karte hain office ke baad. Tab baat karte hain"

Usne bhi haan mein sar hila diya to main utha aur kuchh papers bag mein daalkar office se nikal gaya.

Client ke saath meri meeting kaafi lambi chali aur uske baad court mein hearing mein bhi kaafi waqt lag gaya. Us waqt vo case mera sabse bada case tha kyunki usmein usmein sheher ke ek jaane maane aadmi ka beta involved tha.

Ye case bilkul ek hindi film ki kahani ki tarah tha Ilzaam tha rape ka. Us ladke ke office mein hi kaam karne wali ek ladki ne ilzaam lagaya tha office ke baad kaam ke bahane ladke ne us ladki ko office mein roka aur baad mein uske saath sex karne ki koshish ki. Ladki ne jab inkaar kiya to ladke ne uske saath zabardasti ki.

Medical test mein ye saabit ho chuka tha ladka aur ladki ne aapas mein sex kiya tha par ladke ka dawa tha ke ladki apni marzi se uske saath soyi aur baad mein usse paise lene ke liye blackmail karne ki koshish ki. Ladke ne jab mana kiya to ladki ne uspar rape case kar diya.

Main vo case ladki ki taraf se lad raha tha. Ladki ke ghar par uske maan baap ke sivay koi nahi tha isliye is case mein mere liye paisa to koi khaas nahi tha par sheher ka doosra koi bhi vakeel ye case lene ko taiyyar nahi tha.

Rukmani ne kaha ke agar main ye case le loon to bhale baad mein haar hi jaoon, par isse mera naam phelega jo mere liye achha sabit ho sakta tha. Main is mamle zyada sure to nahi tha par uske kehne par maine ye case le liye.

Mere paas saabit karne ko zyada khaas kuchh tha nahi. Saare saboot khud ladki ke khilaf thi. Jaisa ki hindi films mein hota hai, ladke ne badi aasani se office ke doosre logon se ye gawahi dilva di thi ke ladki badchalan thi aur doosre kai logon ke saath so chuki thi.

Shuru shuru mein to mujhe laga tha ke ye case main bahut jald hi haar jaoonga par case mein jaan tab pad gayi tab us office mein shaam ko office band hone ke baad safai karne wale ek aadmi ne mere kehne par ye gawahi de di ke usne ladki ke cheekhne chillane ki aawaz suni thi.


Case abhi bhi chal raha tha aur main usi ki hearing se nipatkar court se nikla aur office ki taraf badha.


To be continued....
 
  • Like
Reactions: Mr.X796

Ravi

Jahan Chaah Wahan Raah
705
441
64
Update 28

"Hello" Mera phone baja to maine uthaya. Call kisi anjaan number se thi.

"Ishaan Ahmed?" Doosri taraf se ek ajnabi aawaz aayi

"Ji bol raha hoon. Aap kaun?" Main puchha

"Main kaun hoon ye zaroori nahi. Zaroori ye hai ke tum koi aisi rakam batao jo aaj tab tumne sirf sochi ho, par dekhi na ho" Us ajnabhi ne kaha

"Main kuchh samjha nahi"

"Baat saaf hai vakeel sahab. Aap ek rakam kahiye, aapke ghar pahunch jaayegi aur badle mein aap ye case haar jaaiye"

Main dil hi dil mein has pada. Ek filmi kahani mein ek aur filmi mod. Vakeel ko kharidne ki koshish.

"Main phone rakh raha hoon. Khuda hafiz" Maine haste hue kaha.

Us aadmi ko shayad mujhse ye ummeed nahi thi. Ek to ye jhatka ke main phone rakh raha hoon aur doosra ye ke main has bhi raha hoon.

"Sun be vakeel" Ab vo badtamizi par aa gaya "Saale ya to case se pichhe hat ja varna teri kabar khodne mein zyada waqt nahi lagega hamen"

"Kabar khodne ka kaam karte ho tum?" Maine mazak udaate hue kaha

"Mazak karta hai mere saath?" Usne kaha "Saale to us ladki ka rape case lad raha hai na? Janta hai tere ghar ki har aurat ko, teri maa behen ko iske badle mein beech bazar nanga ghuma sakta hoon main"

Mera dimaag sanna gaya. Khoon jaise sar chadh gaya

"Ab tu meri sun. Jo phone par dhamki dete hain unki aukaat mere liye gali mein bhaukne wale kutte se zyada nahi. Saali agar tu randi ki aulaad nahi hai to saamne aake bol.

Mera naam janta hai to tu mera office bhi janta hoga. Subah 9 se leke shaam 5 tak vahin hota hoon. Hai agar tujh mein itna gurda to aa ja"

Ye kehkar maine phone kaat diya. Mujhe is phone ke aane ki ummeed bahut pehle thi isliye na to main is phone ke aane se hairan hua aur na hi dara. Par meri ma behen ko jo usne gaali di thi us baat ko lekar mera dimaag kharab ho gaya tha.

Thodi der ruk kar main vahin car mein aankhen band kiye betha raha aur gussa thanda hone par phir office ki taraf badha.

Office pahuncha to Priya jaise mere intezaar mein hi bethi thi. Shaam ke abhi sirf 6 baje the isliye dinner ka to sawal hi paida nahi hota tha. Ham log office ke paas hi bane ek coffee shop mein jaake beth gaye. Par vahan kaafi bheed thi isliye Priya ko vahan baat karna theek nahi laga.

Uske kehne par ham log vahan se nikle aur paas mein bane ek park mein aakar beth gaye. Halka halka andhera phel chuka tha isliye park mein zyada log nahi the.

"Haan bataiye" Usne bethte hi puchha
"Kya bataoon?" Maine kaha

"Are vahi jo maine aapse puchha tha. Ladke ladkiyon mein kya dekhte hain?"

"Priya ye kaafi mushkil sawal hai yaar" Maine kaha

"Mushkil kyun?"

"Kyunki ye baat ladke ya ladki ki nahi hai. Ye baat hai insaan ki. Har insaan ki apni alag pasand hoti hai. Kisi ko kuchh pasand aata hai to kisi ko kuchh aur" Maine kaha

"Main generally puchh rahi hoon" Usne kaha

"Again ye bhi depend karta hai ke vo ladka kaun hai aur kis tarah ka hai" Maine kaha

"Ofho" Vo chid gayi "Achha koi bhi ladka chhodiye aur apna hi example lijiye. Aap sabse pehle ladki mein kya dekhte hain?"
Usne sawal kiya. Maine sochne laga aur isse pehle ke koi jawab deta vo hasne lagi.

"Has kyun rahi ho?" Maine puchha to vo muskurakar boli

"Kyunki main jawab khud janti hoon"
"Kya?"

"Yahi ke aap ladki mein sabse pehle ye dekhte hain" Usne apni chhatiyon ki taraf ishara kiya

Jaane kyun par mera chehra sharam se laal ho gaya

"Aisi baat nahi hai yaar" Maine kaha

"Aur nahi to kya. Aisi hi baat hai. Aapki nazar har baar meri chhatiyon par hi atak jaati hai aakar" Vo har baar ki tarah bilkul besharam hokar bole ja rahi thi. Maine koi jawab nahi diya.

"Dekh ye depend karta hai" Aakhir mein maine bola "Agar ladka shariff sa hai, to vo usually ladki ka chehra hi dekhga ya uska nature. Agar ladke ke dimaag mein kuchh aur chal raha hai to vo kahin aur hi dekhega"

"To aapke dimaag mein kya tha sir?"

Usne phir vahi sharat aankhon mein liye kaha

"Matlab?"

"Matlab ye ke aapni nazar to meri chhatiyon par thi. To aapke dimaag mein kya chal raha tha" Usne kaha
Mujhe laga jaise main ek court mein khada hoon aur saamne wale vakeel ne aisi baat keh di jiska mere paas koi jawab nahi tha.

"Are yaar" Maine sambhalte hue kaha "Tere saath vo baat nahi hai. Tera chehra hi dekh raha tha main pichhle 6 mahine se se. Aur tere baare mein aisa kuch bhi mere dil mein kabhi tha nahi. Tune kabhi notice kiya us din se pehle ke main teri chhatiyon ki taraf ghoor raha tha?"

Usne inkaar mein sar hilaya

"Exactly" Maine jaise apni daleel pesh ki "Kyunki main nahi ghoor raha tha. Par aakhir hoon to ladka hi na yaar. Opposite sex hamesha attract karta hai. Us din tu mere saamne pehli baar yun bra mein aa khadi hui to meri nazar pad gayi vahan"

Usne jaise meri baat samajhte hue sar hilaya. Phir kuchh kehne ke liye munh khola hi tha ke main pehle bol pada.

"And for your information, mujhe ladkiyon mein sabse zyada chhatiyan pasand nahi hain"

"To phir?" Usne fauran sawal daag diya
Ham jahan bethe the vahin ek lamp post bhi tha isliye vahan par roshni thi. Iski vajah se ek family apne bachcho ke saath vahin ghaas mein aakar beth gayi.

Hamare liye ab is baare mein khulkar baat karna mumkin nahi tha isliye hamne phir kabhi is baare mein baat karne ka faisla kiya. Park se bahar nikalkar main Priya ke liye ek auto roka aur uske jaane ke baad car lekar ghar ki taraf nikal gaya. Hairat ki baat ye thi ke us din phone par mili dhamki ko main poori tarah bhool chuka tha.


To be continued....
 
Status
Not open for further replies.
Top