• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Bungalow No. 13

Status
Not open for further replies.
392
1,140
138
Nice update.. waiting for more
 
  • Like
Reactions: Ravi

AP 316

Politically Correct And Motivated.
Divine
10,895
578,208
259
:congrats: for the Story :yourock:
 
  • Like
Reactions: Ravi

aka3829

Prime
3,369
12,319
159
Bahut hi khatarnaak he ye shamli bai to. Isase ti bach kar rehna padega re bawa. To akhir manchanda ka game baja dala kisi ne. Ab is baat ki chanbin hogi aur is suspense se bhi parda uthega ki akhir bangal no 13 me aisa he kya.
Mast update tha bhai lekin in sab chakaro me to bechari priya ki shopping reh hi gayi aur use ladki bhi to banana tha wapas se
Waiting 4 nexr update
 
  • Like
Reactions: Ravi

Ravi

Jahan Chaah Wahan Raah
705
441
64
:thanks: a lot doston
 

Ravi

Jahan Chaah Wahan Raah
705
441
64
Update 8

Mujhe uski baat par jaise yakeen hi nahi ho raha tha. Kuchh der tak main khamoshi se khana khata raha. Samajh nahi aa raha tha ke kya kahun. Kal raat hi to main Manchanda ko achha bhala chhodke aaya tha.
"Kab hua ye?" Maine khana khate hue puchha
"Kal raat kisi waqt. Exact time to post-mortem ke baad hi pata chalega." Mishra ne meri taraf badi gaur se dekhte hue kaha
"Aise kya dekh raha hai?" Maine puchha
"Tu kal tha na uske saath. Manchanda ke? Raat ko?" Usne kaha to main chaunk pada.
"Tujhe kaise pata?" Main puchha
"Saamne hi police chowki hai. Policewale ne bataya ke kal raat usne tum dono ko ek saath Bungalow ke andar jaate dekha tha" Mishra bola.
"Tujhe kya lagta hai?" Maine muskurate hue kaha "Maine maara hai usko?"
Mishra khana kha chuka tha. Vo haath dhone ke liye uth khada hua
"Chances kam hi hain. Tere paas usko maarne ki koi vajah nahi thi aur ghar se kuchh bhi gayab nahi hai to nahi, mujhe nahi lagta ke tune usko mara hai" Vo haath dhote hue bola
Ham dono police station mein bethe khana kha rahe the. Jab maine bhi khatam kar liya to main bhi haath dhone ke liye uth gaya. Ek constable aakar table se plates uthane laga
"Shukriya" Maine Mishra se kaha "Ke aapne mujhe suspects ki list se nikal diya"
"Vo chhod" Mishra vapis apni seat par aakar bethte hue bola "Tujhe kuchh ajeeb laga tha kal raat ko jab tu Manchanda se mila tha?"
"Mujhe to vo aadmi aur usse judi har cheez ajeeb lagti thi. Par haan kuchh aisa tha jo bahut zyada ajeeb tha" Maine kaha aur kal raat ki Manchanda ke saath apni mulaqat usko batane laga.
"Ajeeb baat ye thi yaar ke mujhe pura yakeen hai ke maine khidki par 2 logon ko khade dekha tha par jab main uske saath andar gaya to vahan koi nahi tha" Maine apni baat khatam karte hue kaha
"Ho sakta hai vo log chhup gaye hon" Mishra bola to main inkaar mein sar hilane laga
"Manchanda jaane kyun mujhe is baat ka yakeen dilana chahta tha ke ghar mein koi nahi hai isliye usne mujhe ghar ka ek ek kona dikhaya tha. Yakeen maan Mishra ghar mein koi nahi tha. Jise maine khidki par dekha tha vo log jaise hawa mein gayab ho gaye the." Maine kaha
"Tune kaha ke tu darwaza khatkhatane ke baad jab kisi ne nahi khola to police chowki ki taraf gaya tha. Ho sakta hai us dauran vo nikalkar bhaag gaye hon" Usne apna shak jataya
"Nahi. Main Bungalow se mushkil se 5 kadam ki doori par gaya tha aur jahan main aur Manchanda khade baat kar rahe the vahan se hamen bungalow ka darwaza saaf nazar aa raha tha. Balki ham dono to khaas taur se Bungalow ki taraf hi dekh rahe the. Agar koi bahar nikalta to hamen zaroor pata chalta." Maine kaha
"Ajeeb kahani hai yaar." Mishra bola "Is chhote se shehar mein jitna mash-hoor vo Bungalow hai utna hi ye case bhi hoga. Bhoot Bungalow mein ajeeb halat mein murder hua, ye headline hogi ka newspaper ki. Media wale mare ja rahe hain mujhse baat karne ke liye. Kahani hi ajeeb hai"
"Poori baat bata" Maine cigerette jalate hue kaha
"Subah ghar ki naukrani ne darwaza khola aur andar Manchanda ko mara hua paya. Vo usi waqt chillati hui bahar nikli aur chowki se policewale ko bulake laayi jisne phir mujhe phone kiya. Jab main vahan pahuncha to ghar ka sirf vo darwaza khula tha jo naukrani ne khola tha. Uske alawa ghar poori tarah se andar se band tha aur naukrani ke kholne se pehle vo darwaza bhi andar se hi band tha. To matlab ye hai ke Manchanda ka khoon us ghar mein hua jo andar se poori tarah se band tha" Mishra bola
"Come on Mishra. Ghar ke main door ki aur bhi chaabiyan ho sakti hain yaar ya phir ho sakta ho kisi ne bina chaabi ke lock khola ho" Maine kaha
"Nahi" Mishra ne phir inkaar mein gardan hilayi " Ghar ke andar lock ke siwa ek chain lock bhi hai. Vo naukrani kaafi waqt se us ghar mein kaam kar rahi hai isliye jaanti hai ke chain lock ke hook darwaze ke paas kis taraf hai isliye vo apne saath hamesha ek lakdi leke jaati hai. Darwaze ka lock kholne ke baad halka sa gap ban jata hai jismen se vo ladki andar ghusakar chain lock ko hook se nikal deti thi. Main khud vo chain lock dekha. Ye mumkin hai ke use bahar se kisi cheez ki madad se hook se nikala ja sake par aisa bilkul bhi mumkin nahi hai ke bahar khade hoke vo chain vapis hook mein phasayi ja sake" Mishra bola
"Aur subah vo chain apne hook mein thi. Yaaki ke chain lock laga hua tha" Maine kaha to Mishra ne haan mein sar hilaya
"To isliye uska khoon ghar mein us waqt hua jab vo ghar mein bilkul akela tha." Mishra bola "Aur phir saamne chowki par jo policewala tha usne mujhe bataya ke Bungalow mein tere nikalne ke baad na to koi andar gaya aur na hi koi bahar aaya"
"Suicide?" Maine phir shak jataya
"Nahi. Jis andaaz mein uspar saamne se vaar kiya gaya tha, aisa ho hi nahi sakta ke usne khud apne dil mein kuchh ghusa liya ho. Aur phir hamen vo hathyaar bhi nahi mila jisse uska khoon hua tha. To aisa nahi ho sakta ke usne suicide ki ho aur marne se pehle hathyaar chhupa diya ho" Mishra bola
"Rishtedaron ko khabar ki tune?" Maine puchha
"Ye doosri museebat hai" Mishra bola "Sala pata hi nahi ke vo kaun tha kahan se aaya tha. Maine Bungalow ke malik se baat ki par usko bhi nahi pata. Usne to Manchanda ko bina sawal kiye hi Bungalow kiraye par de diya tha kyunki us ghar mein vaise bhi koi rehne ko taiyyar nahi tha."
"To ab kya irada hai?" Maine Mishra se puchha
"Ye case bahut bada banega yaar kyunki vo sala Bungalow bahut badnaam hai. Media wale is case ko khoob mirch masala lagake pesh karenge. Ab museebat ye hai ke pehle ye pata karo ke marne wala tha kaun, phir ye pata karo ke kisne mara aur kyun mara" Mishra gusse mein bola
Mishra ke paas se main jab vapis aaya to shaam ho chuki thi. Main office pahuncha to Priya vahan se ja chuki thi. Main office se kuchh files uthayi aur unhen lekar vapis ghar aaya. Ghar pahuncha to Rukmani jaise mujhe Manchanda ke khoon ke baare mein batene ko mari ja rahi thi. Main uska excitement kharab nahi karna chahta tha isliye maine uski poori baat aise suni jaise mujhe pata hi nahi ke Manchanda ka khoon ho chuka tha.
Mujhe apni zarooart ka kuchh samaan khareedna tha isliye shaam ko takreeban 8 baje main ghar s market ke liye nikla. Jaate hue main Bungalow 13 ke saamne se niklat to dil mein ek anjana sa khauff utar gaya. Pehli baar us ghar ko dekhkar main tez kadmon se uske saamne se nikal gaya. Sirf ek yahi khyaal mere dimag mein aa raha tha ke kal tak is ghar mein ek zinda aadmi rehta tha aur jo aaj nahi hai. Kya sach mein ye ghar manhoos hai? Saman kharidte hue bhi poora waqt yahi khyaal mere dimag mein chalta raha ke usko kisne mara aur kyun mara?
Raat ko kareeb 10 baje main ghar lauta. Rukmani mujhe kahin dikhai nahi di. Apne kamre mein saman rakhkar main kitchen mein pahuncha. Mujhe bahut zor se bhookh lagi thi aur main jald se jald kuchh khana chahta tha. Kitchen mein pahuncha to vahan Rukmani khadi hui kuchh fry kar rahi thi.
Use pichhe se dekhte hi jaise meri bhookh fauran khatam ho gayi. Rukmani ke jism ka jo hissa mujhe sabse zada pasand tha vo uski gaand thi. Lagta tha jaise bananewale ne usko banate hue sabse zyada dhyaan uske jism ke isi hisse par diya tha aur badi fursat mein banaya tha. Uski gaand jis andaaz mein uthi hui thi aur chalte hue jaise hilti thi use dekhkar achhe achhe ka dil munh mein aa jaaye. Vo us waqt vahi nighty pehne khadi thi jo usne kal raat pehen rakhi thi. Vo dheeli si nighty uske ghutno tak aati thi aur jis tarah se uski gaand us nighty mein dikhai deti thi, vo dekhkar hi main deewana ho jata tha. Is umar mein bhi uska jism bilkul kasa hua tha. Kai baar maine bistar par uski gaand maarne ki bhi koshish ki thi par usne karne nahi diya. Ek baar jab maine lund ghusane ki koshish ki to vo dard se chilla uthi thi aur uske baad usne mujhe kabhi koshish karne nahi di.
Usko kitchen mein pichhe se dekhkar mera lund phir se zor maarne laga. Main dheere se chalta hua uske kareeb pahuncha aur pichhe se dono haath uski bagal se lakar uski dono chhatiyon par rakh diye aur lund uski gaand se sata diya.
"Oh Rukmani" Maine uske kaan mein bola " Khana baad mein. Filhal thoda sa jhuk jao taaki main pehle tumhen kha sakun"
Mere yun kareeb aate hi vo aise chhitki jaise 1000 watt ka current laga ho aur mujhse fauran alga hui. Uski is achanak harkat se main ladkhadaya aur girte girte bachi. Vo mujhse thodi door ho palti aur usko dekhkar meri aadhi saans uper aur aadhi neeche reh gayi. Jo aurat mere saamne khadi thi vo Rukmani nahi koi aur thi.
Vo aankhen khole hairat se meri taraf dekh rahi thi aur main uski taraf. Ham dono mein se koi kuchh nahi bola. Uska chehra Rukmani se bahut milta tha aur kad kaathi bhi billul Rukmani jaisi hi thi. Tabhi kitchen ke bahar kadmon ki aahat se ham dono sambhal gaye. Rukmani kitchen mein aayi aur mujhe vahan dekhkar muskurayi.
"Aa gaye" Usne kaha aur phir saamne khadi aurat ki aur dekha "Devyani ye Ishaan hai. Maine bataya tha na. Aur Ishaan ye meri behen Devyani hai. Abhi 1 ghanta pehle hi aayi hai."
Mujhe dhyaan aaya ke kai baar Rukmani ne mujhe apni chhoti behen ke baare mein bataya tha jo London mein rehti thi aur Rukmani se 2 saal chhoti thi. Vo kisi college mein professor thi aur kabhi shaadi nahi ki thi. Tabhi ye kambakht Rukmani se itni milti hai, behen jo hai, maine dil hi dil mein socha aur usko dekhkar muskuraya. Vo bhi jawab mein muskurayi to meri jaan mein jaaan aayi ke ye Rukmani se kuchh nahi kahegi. "Main soch rahi thi ke tumhen bataoongi ke Devyani aane wali hai par bhool gayi." Rukmani ne kaha . Maine haan mein sar hilaya aur fauran kitchen se bahar nikal gaya.
Us raat main bistar par akela hi tha. Devyani ke aane se Rumani aaj raat apne kamre mein hi so rahi thi taaki apni behen se baat kar sake. Bistar par lete hue main jaane kab tak bas karwat hi badalta raha. Neend aankhon se koso door thi. Bas ek hi khyaal dimag mein chal raha tha ke Manchanda ko kisne maara. Aur jo baat mujhe sabse zyada pareshan kar rahi thi ke ghar mein koi hote hui bhi mujhe kal raat andar koi kyun nahi mila? Aisa kaise ho sakta hai ke 2 log khade khade hawa mein gayab ho gaye. Aur band ghar mein Manchanda ka khoon hua kaise?

To be continued....
 
  • Like
Reactions: aka3829

aka3829

Prime
3,369
12,319
159
Bahut hi sandar update. Ab police walo ki aisi ki taisi pakki honi he. Pehle ye nahi pata ki manchanda he kaun. Dusara use band ghar me mara kisane. Kahi bunglow me koi tehkhana to nahi he. Aur ye vakeel babhu ko thoda sambhal kar rehna chahiye . Rukmani ke chakar me usane to aaj devyani ki maar lithi
Waiting 4 next update
 
  • Like
Reactions: Ravi

Ravi

Jahan Chaah Wahan Raah
705
441
64
Update 9

Raat ko main badi der tak jagta raha jiska nateeja ye nikla ke main subah der se utha. Bhagta daudta taiyyar hua aur office jaane ke bajay sidha court pahuncha jahan 11 baje mujhe ek case ke silsile mein jana tha.
Hearing ke baad main office pahuncha. Priya subah se mujhe phone milane ki koshish kar rahi thi par court mein hone ki vajah se main phone utha nahi saka.
Office pahuncha to vo mujhe dekhte hi uchhal padi.
"Kahan ho kal se Ishaan?" Vo mujhe sir ye boss kehne ke bajay mere naam se hi bulati thi
"Are yaar subah bahut der se utha tha isliye office aane ke bajay sidha court hi chala gaya tha" Main bag neeche rakhta hua bola
"Ek phone hi kar dete. Main subah se pareshan thi ke tum hearing ke liye pahunche ke nahi" Usne kaha to main sirf muskura kar reh gaya
"Aur kal kahan gayab ho gaye the?" Usne kal ke baare mein sawal kiya
"Dopahar ko office aaya to tu nahi thi. Tabhi vo Inspector Mishra aa gaya aur mujhe uske saath jana pada. Shaam ko vapis aaya to tu ghar ja chuki thi" Main hamesha ki tarah usko apne poore din ke baare mein batata hua bola. Hamesha aisa hi hota tha. Vo meri office ke saath saath personnel life ki secretary bhi thi.
"Haan vo main kal thoda jaldi chali gayi thi" Vo muskurate hue boli "Tum nahi aaye to maine socha ke main akele hi kuchh kapde le aaon"
"Kapde?" Maine hairani se uski taraf dekha
"Haan vo tumne hi kaha tha na. Ladkiyon ke jaise kapde" Usne yaad dilate hue kaha
"Achha haan. To kuchh pasand aaya?"
"Haan laayi hoon na. Tumhen dikhaoongi sochkar kal ghar hi nahi le gayi. Yahin chhod gayi thi" Kehte hue usne table ke pichhe se ek bag nikala aur usmen se kuchh kapde nikalkar mujhe dikhane lagi. 2 ladkiyon ke tops aur 2 jeans thi. Rang aise the ke agar vo unko pehenke nikalti to gali kar har kutta uske piche pad jata. Par main uska dil nahi todna chahta tha isliye kuchh nahi kaha.
"Kaise hain?" Usne khush hote hue kaha
"Achhe hain" Maine jawab diya. Sach to ye tha ke vo kapde agar koi free mein bhi de to mere hisab se inkaar kar dena chahiye tha
"Munh udhar karo" Usne mujhse kaha aur aage badhkar office ka gate andar se lock kar diya
"Matlab? Kyun?" Mujhe uski baat kuchh samajh nahi aayi
"Are pehenke dikhati hoon na. Ab yahan koi seperate room ya changing room to hai nahi. To tum munh udhar karo main change kar leti hoon" Usne khidki band karte hue kaha
"Tu pagal ho gayi hai?" Mujhe yakeen nahi hua ke vo pagal ladki kya karne ja rahi thi "Yahan change karegi? Baad mein pehenke dikha dena abhi rehne de"
"Nahi. agar theek nahi lage to aaj shaam ko vapis kar doongi. Aaj ke baad vo vapis nahi lega" Usne ek top nikalte hue kaha
"To washroom mein jaake change kar aa" Maine use ladies room mein jaane ko kaha. Building ke us floor par ek common toilet tha.
"Pagal ho? Vahan kitna ganda rehta hai. Ab tum udhar munh karo kaldi" Kehte hue usne apni shirt ke button kholne shuru kar diye. Mere paas koi chara nahi bacha sivay iske ke main doosri taraf dekhun.
Thodi der tak kapde utarne aur pehenne ki aawaz aati rahi.
"Ab dekho" Usne mujhse kaha aur main palta. Us ek pal mein main 2 cheezen ek saath mehsoos ki. Ek to mera zor se hasne ka dil kiya aur doosra main hairat se Priya ki taraf dekhne laga.
Vo halke saawle rang ki thi aur uspar vo bhadakta hua laal rang ka tight top laayi thi jo uspar bahut zyada ajeeb lag raha tha. Ye dekhkar mera hasne ka dil kiya. Par jis doosri baat ne mera dhyaan apni taraf kiya vo tha Priya ka jism. Vo hamesha ladko ke style ki dheeli si shirt aur ek dheeli si pent pehne rakhti thi aur uspar se ladko ke jaisa hi andaaz. Maine kabhi usko ek ladki ke roop mein na to dekha tha aur na hi socha tha par aaj vo mere saamne ek tight top aur utni hi tight jeans mein khadi thi. Aaj maine pehli baar notice kiya ke vo actual mein ek ladki hai aur bahut khoob hai. Uski chhatiyan us tight top mein had se zyada badi lag rahi thi. Lag raha tha top phaadke bahar aa jayengi. Meri nazar apne aap hi uski chhatiyon par chali gayi. Ek nazar padte hi main samajh gaya ke usne andar bra nahi pehen rakha tha. Uske dono nipples kapde ke uper saaf taur par ubhar aaye the. Dil hi dil mein main ye soche bina nahi reh saka ke uski chhatiyan itni badi thi aur aaj tak maine kabhi ye notice nahi kiya
"Kaisi lag rahi hoon?" Usne ithlate hue puchha to mera dhyaan uski chhatiyon se hata. Aur agle hi pal usne jo harkat ki usse mera dil jaise mere munh mein aa gaya. Vo mujhe dikhane ke liye ghoome aur apni peeth meri taraf ki. Ladkiyon ke jism ka ek hissa meri kamzori hai, unki gaand aur Priya ki gaand to aisi thi jaisi maine kabhi dekhi hi nahi thi. Usne Rukmani aur Devyani ko bhi pichhe chhod diya tha. Vo hamesha ek dheeli si pent pehne rehti thi isliye aaj se pehle kabhi mujhe ye baat nazar hi nahi aayi thi.
"Bahut achhi lag rahi ho" Vo phir se meri taraf palti to maine kaha.
"Doosra pehenke dikhati hoon" Usne kaha aur doosri jeans uthayi
Main hamesha usko ek saaf nazar se dekhta tha aur uske liye mere dil mein koi bura vichar nahi tha. Par aaj usko yun dekh kar ek pal ke liye meri neeyat bigad gayi thi aur mujhe dil hi dil mein is baat ka afsos hua. Maine fauran usko roka
"Abhi nahi. Shaam ko. Abhi vo Mishra aane wala hai" Maine bahana banate hue kaha.
"Mishra?" Usne mera jhooth maan liya.
"Haaan. Tum dobara pehle wale kapde pehen lo" Maine kaha aur phir se doosri taraf palat gaya taaki vo change kar sake. Palatne se pehle maine ek aakhri nazar uske kapdo par daali. Mujhe vahan koi bra nazar nahi aaya. Priya ne bra pehen bhi nahi rakha tha. Iska matlab saaf tha ke vo bra pehenti hi nahi thi jispar mujhe bahut hairat hui. Itni badhi chhatiyan aur bra nahi pehenti?

Naam liya aur shaitan hazir. Ye kahwat maine kai baar suni thi par us din sach hote bhi dekhi. Maine Priya se Mishra ke baare mein jhooth kaha tha par vo sach mein 15 min baad hi aa gaya.
"Kya kar raha hai?" Usne office mein aate hue puchha
"Kuchh khaas nahi" Maine kaha
"Mere saath chal raha hai? Teri colony hi ja rahe hain. Vo Bungalow No 13 jaana hai investigation ke liye to maine socha ke tujhe saath leta chalun. Pehle soch raha tha ke phone karun par phir chala hi aaya" Mishra bina mujhe bolne ka mauka diye bolta hi chala gaya
Maine Priya ki taraf dekha. Vo gusse se mujhe ghoor rahi thi. Mera jhooth pakda gaya tha. Vo samajh gayi thi ke maine use jhooth kaha tha ke Mishra aa raha hai.
Main Mishra ke saath ho liya aur thodi hi der baad ham dono phir se Bungalow No 13 ke andar aa khade hue. Aakhri baar jab main is ghar mein aaya tha to ye ghar tha par ab ek police investigation scene. Mishra ne mujhe ishare se kamre ka vo kona dikhaya jahan Manchanda ki laash mili thi. Dekhkar hi mere jism mein ek ajeeb si khauff ki lehar daud gayi.

To be continued....
 
Status
Not open for further replies.
Top