- 1,101
- 1,945
- 159
Update#135
Sab shocked they Aly k behaviour se k Aly ko kia hua sab se zyada tou Kalsoom shocked main thi k kch deir pehley tou acha bhala tha ab kia hua lekin baqion ko samjh aa gai thi k Aly Guddu k roop main wapis aa gya hai aur ab us ka zehan ek bachay jesa hai.
Sarfraz ne Kalsoom ko galey se laga lia us k baad Anisa bhi Kalsoom k galey lagi phr nana ki family Kalsoom se milli ab bari aaye Rehana aur Rabia ki who bhi Kalsoom se millien Kalsoom ne bina koi sawal kiey un ko galey se laga lia us k baad Kalsoom Sadia k bhi galey lagi.
Sab ghar aa gaey Aly sarey rastey Kalsoom k sath es trhah raha jesay chotey bachay apni maa k sath rehtey hn Kalsoom abhi bhi shocked thi k Aly ko achanak hua kia hai Ghar main Ayesha aur Habiba khana tyaar kr rahi theen who airport nai gai theen.
Kalsoom: Ye achanak Guddu ko kia hua hai aesay bachon jesa kiun bertaw kr raha hai.
Anisa: Ami ghar chal k aap ko sab bata dein gey abhi chup rahein.
Sab ghar pounchay un ka sawagat Ayesha aur Habiba ne kia Kalsoom un ko deikh rahi thi aur achanak hi unhey galey se laga lia sab es baat se heran they k Kalsoom bina sawal kiey sab se hans k kiun mill rahi hai jabkeh na tou Sadia, Rehana aur Rabia ko janti hai na hi Ayesha ko Habiba ko janti hai lekin ab who bachi nai badi ho gai hai.
Sarfraz: Kalsoom tum se kch baat krni hai.
Kalsoom: Koi nai Merey betey ne sab bata dia hai mujhey aur mujhey es baat se koi farq nai perhta mujhey bas apney bachon se milney ki khushi hai ab tou meri char aur betian hn do bahu k roop main aur do meri behan ki beti k roop main.
Kalsoom ki baat sun k Sadia ki aankhon se khushi k aansu aa gaey sab baatein kr rahey they k achanak Aly roney laga Kalsoom ne Aly ko galey se laga lia.
Kalsoom: Kia hua merey bachay ko.
Guddu: Ami mujhey na bhook lagi hai mujhey khana khilao na.
Kalsoom: Haan merey bachay chal tujhey apney hathon se khilati hoon.
Us k baad sab dinning table pe aaye aur sab ne khana khaya Kalsoom ne Aly ko apney hathon se khana khilaya khana khaney k baad Aly ko neend aaney lagi Aly ab bilkul kisi bachay ki trhah ho gya tha Kalsoom ne us ko bed pe le ja k sula dia aur hall main aa k beith gai yahan sab beithey they.
Kalsoom: Tou ab kon mujhey btaye ga k Aly k sath asal main kia hua hai.
Aadmi: Mein btata hoon.
Us k baad Aadmi ne Aly ki bachey honey se le k ab tuk ki sari kahani suna di jisey sun k Kalsoom ki aankhon se aansu nikalney lagey baqi sab ki aankhon main bhi ansu they Kalsoom apney betey ki dardnak zindagi k barey main sun k ander se hill gai thi.
Kalsoom: Ab merey Guddu k sath kia ho ga.
Mueed: Aanti Dua karein k us k dushmanon ko na pata chaley Aly k es roop k barey main nai tou us k sath jo ga hum soch bhi nai saktey kiun k ab who es situation main nai hai k un ka muqabla ker sakey who tou ab kisi k uncha bolney se hi dar jata hai.
Kalsoom: Tou kia ab mera bacha aesay hi rahey ga.
Aadmi: Shaid us ka roop change ho jaey keh nai saktey k kab aur ager change ho gya tou aap ko Aly dobara nai miley ga.
Aadmi ki baat sun k Kalsoom phr se roney lagi Anisa ne Kalsoom ko galey laga lia.
Anisa: Aap chinta na karein Ami hum Aly ko kch nai honey dein gey humara Pyaar Aly ko wapis laye ga Ami.
Aadmi: Mueed do din baad election hn Aly ne mujhey ek kaam dia tha who tum kr dena lekin shawdani se kisi ko kaan o kaan khaber na ho.
Mueed: G boliey.
Aadmi: Haris 5 Hulkon se election lad raha hai 3 Punjab se aur do Sindh se Punjab k teeno hulkon main 30,000 caror yeni k her hulkey main 10,000 caror lagana hai aur Sindh main 10,000 caror her hulkey main 5000 caror lagana hai.
Us ki Party purey Pakistan se jeet jaey lekin who nai jeetna chaiey theek hai ab mujhey tumhey btaney ki zaroorat nai hai k Pesa kesay lagana hai kisey lagana hai kis ko dena hai yeh tum achi trhah se jantey ho jao abhi se kaam pe lag jao waqt kam hai.
Aadmi k muh se itni raqam sun k Aly k sarey ghar waley usey aankhein phadey deikh rahey they k yeh kia bola hai abhi aesa tou filmon main bhi nai hota real main itna pesa kahan se aa gya.
Sarfraz: Yeh abhi tum kia bol rahey they itna pesa kahan se aaya.
Aadmi: Aap Aly k peson ki baat kr rahey hn yeh jitni main ne raqam boli hai who Aly k total peson ka 1% bhi nai hai.
Ab kia ek hi din main Shocked de k marey ga sab aankhein badi kiey Aadmi ko deikh rahey they un ko yakeen hi nai ho raha tha es umer main Aly ne itna pesa kama kesay lia aur ager hai bhi tou duniya main es ki khaber kisey kiun nai hai.
Aadmi: Mein yeh tou nai bata sakta k Aly k pass itna pesa kahan se aaya kesay aaya yeh aap ko Aly hi bata sakta hai kiun k mein ne kasam khayee hai k mein kisi ko nai btaun ga wesay bhi kisi ko pata chal bhi jaey tou kia farq perhta hai yaqeen koi nai karey ga aur ager koi Money trail mang le tou Aly k pass who bhi hai aur kisi k pass koi saboot nai k yeh sab black money hai.
Kalsoom: Ya ***** merey bachay ki hifazat krna.
Security: Sahab bahir courior aaya hai Austria se.
Aadmi: Zayn jao lagta hai Zaigham aa gya hai lekin dhyaan se who dhadein na Aly dar jaey ga.
Zayn: G.
Kalsoom: Ab yeh Zaigham kon hai.
Gudiya: Bhaiya ka sheir.
Kalsoom: (shocked) Sheir who jungle wala asli sheir.
Anisa: G Ami.
Tabhi Roaaaaarrrrr ki awaz aayee Aly jaag gya aur roney laga Kalsoom aur Aly ki behnein room main gaen tou Aly dara hua roney laga jesay hi us ki nazer Kalsoom pe gai who us se lipat k roney laga sab Aly k es behaviour se preshan ho gaey they sab se zyada tou Ayesha aur Habiba theen.
Kalsoom: Kia hua merey betey ko kiun rou raha hai.
Guddu: (rotey huey) Mujhey dar lag raha hai Sheir ki awaz aaye ami mujhey ghar main sheir aa gya hai usey baghao.
Kalsoom: Kch nai hua merey bachay who bahir TV deikh rahey they usi main Sheir ki awaz aaye thi bas aur kch nai chal chup ho ja merey pyaara beta.
Aly chup ho gya who Kalsoom se galey laga hua tha aur baqion ki traf heran ho k deikh raha tha.
Guddu: Ami yeh kon hn.
Kalsoom: Beta yeh tumhari behan Anisa.
Guddu: DD per who tou koi aur hai.
Kalsoom: Haan lekin ab bari ho gai hai na es liey.
Guddu: (khush hotey huey) DD, DD aap kahan chali gai thi deikho ami aa gaen.
Anisa: Haan Guddu mujhey pata hai.
Guddu: (Rehana, Rabia, Ayesha aur Habiba ki traf ishara kr k) Yeh kon hn.
Kalsoom: (Rehana aur Rabia ki traf ishara kr k) Yeh tumhari behnein hn jesay Anisa hai na wesay hi yeh bhi behnein hn.
Guddu: Aur yeh.
Kalsoom: Pehley mujhey yeh btao k Mein tumharey baba ki kia lagti hn.
Guddu: (masoom si shakal bana k) Aap tou baba ki BV hn.
Kalsoom: Shabash yeh dono aap ki BV hn.
Guddu: Lekin meri shadi kesay ho gai mein tou bacha hn na aap ne hi kaha tha k jab mein bada hn ga tub hi shadi ho gi Habiba se.
Kalsoom: Haan aap barey ho tou gaey ho deikho khud ko kitney barey ho gey ho.
Guddu: (khud ko deikh k) Haan aap sahi bol rahi ho mein bada ho gya hoon.
After 2 Days:
Anchor: Nazrein aaj purey mulk main Election ho rahey hn log apney pasandeeda leader ko vote kr rahi hn voting time subhah 8 bjey se le k sham 5 bjey tuk hai us k baad counting shuru ho gi ab deikhna yeh hai k kon c party yeh election jeetti hai Leading party do hi hn Sarfraz shb ki Awami Insaaf Party aur Nasir shb ki Muslim League H.