Saloni ke jaane ke baad maine kayi baar Nisha ko phone karne ki koshi ki, ye jaanne ke liye ke office band kyun tha par uska phone mujhe sara din not reachable hi mila.Shaam ko main khud office pahuncha toh Saloni bahar khadi mili. Aur ummeed ke khilaff, mujhe mera office ab bhi band mila.
"I am sorry main zara traffic mein phans gaya tha isliye thoda late ho gaya" Main usedekhte hue muskuraya aur jeb se office ki chaabhi nikali.
"Nahi its ok" Vo bhi jawab mein muskurayi"Par i thought aapne kaha tha ki aapki ek assistant bhi hai jo office sambhalti hai?"
Office ka darwaza khol kar ham log andar aaye.
"Ji haan hai toh par pata nahi aaj kahan reh gayi. Usually aisa hota nahi hai ke office band ho. Ya toh vo hoti hai aur agar vo chhutti par ho toh main office mein hota hoon. Par aaj ham dono hi gayab the"
Kehkar main halke se hasa aur office ki sab lights on karke ek chair par Saloni ko bethneka ishara kiya.
"You know i cant thank you enough for taking up my case. Police par mujhe vaise himujhe bilkul bharosa nahi" Vo table ke doosri taraf mere saamne bethkar boli.
"Its no problem, mera toh kaam hi yahi hai"Kehte hue maine A.C on kiya "But before wedo that, i think its better than we run through a few things first and then you can make up your mind"
"Yeah sure" Usne apne purse table par ek side kiya aur khisak kar apne dono haath table par rakhti hui thodi aage ko ho gayi. Vo ab bhi unhi kapdo mein jin mein vo subah mere ghar aayi thi.
"Good, first things first. kuchh baatein shurumein hi clear ho jaayen toh better rehta hai"
"I agree" Vo muskurate hue boli.
"Dekhiye main koi policewala nahi hoon aurna hi James Bond ya Sherlock Holmes. Main sirf ek aisa banda hoon jisne bachpan mein bahut saari jaasoosi kahaniyan padh li aur uske nateeja ye nikla ke maine isi ko apna profession chun liya."
"I guess you are lucky in a way ke aapke apne shauk ko hi apna kaam bana liya"
"Yeah i guess you can say that but again, main jasoos hoon nahi. Sirf khoye hue logonko dhoondhne ki koshish karta hoon. Aur koshish shabd par maine isliye zor diya kyunki 100% success ki guarantee main nahi de sakta. Main koshish karunga par aapki behen ko dhoondh hi loonga, is baat ki guarantee main nahi de sakta. I hope we are clear on that aspect"
"Crystal" Usne jawab diya.
"Doosri baat. Agar main aapki behen ko dhoondh bhi loon, toh vo aapke liye ek khush khabri hi hogi, is baat ki guarantee bhi main nahi de sakta" Maine apne drawermein rakhe cigarette packet ko nikalte hue kaha.
"Main samjhi nahi"
"Dekhiye aapki behen ek mahine se lapata hai. Kahan hai, kaisi hai, uspar kya guzri, what she went through, ye koi nahi janta. Ye bhi ho sakta hai ke ....." Main keh hi raha tha ke usne meri baat kaat di.
"Ke vo mar chuki ho, zinda hi na ho aur aapko uski jagah uski maut ki khabar ya uski laash mile"
"Right" Maine kaha.
"Understood" Usne pehle ki tarah hi jawab diya par ab vo muskura nahi rahi thi.
"Ok. That brings us to the third point. My fee. Main ek standard per week base par charge karta hoon aur meri fees ke alawa iscase mein jitna kharcha aur hoga, vo sab aapko pay karna hoga"
"Jaise ke?"
"Jaise ke kai cases mujhe ek shehar se doosre shehar le jaate hain toh un cases mein flight tickets, hotel bills etc etc. Kai baar logon ko pay off karna padta hai, rishwat you know. Ye sab kharche."
"All right" Main ummeed kar raha tha ke vo shayad is baat par thoda rukegi, sochegi par usne kuchh nahi kaha aur meri haan mein haan mila di.
"Good, then that birngs us to the final point and thats my fee and paper work" Kehte hue maine ek drawer se ek file nikali.
Agle 15 minute ham kaagzi karyavahi mein lage rahe. Maine usse kuchh forms sign karvaye aur uski behen ki ek passpot size tasveer lekar apne purse mein rakh li. Meri fees sun kar vo ek pal ke liye thodi jhijhki thipar phir usne apne purse se ek cheque booknikal kar meri kahi gayi amount usmein bhar di.
Uske jaane ke baad maine ek cigarette nikali aur case ke baare mein betha sochne laga. Amooman taur par main ek waqt par 2 se zyada cases handle nahi karta magar iswaqt mere paas vaise hi koi client nahi tha balki pichhle ek mahine se nahi tha toh main apna poora waqt is ek case ko de sakta tha.
Nisha ka number maine ek baar phir milayapar cell not reachable hi mila. Maine office se bahar nikal kar gate lock kiya aur apni purani Maruti 800 mein beth kar paas hi apne pasand ke ek pub ki aur chal pada.
______________________