• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller DARK GIRL (Completed)

Rahul

Kingkong
60,514
70,677
354
awesome update bhai aur isme moral bhi bahut achcha hai ki hame apne gusse par control karna chahiye aur jubaan par bhi kyonki sabdon ke aap kisi ke dil me utar jate to kisi ki nazar me gir bhi jate ishiliye jo bhi karo sonch samajh kar karo
 

Rahul

Kingkong
60,514
70,677
354
shaam tak aur update de sako to de dena
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Chapter 1 - Saloni

Vo ek normal sa din tha, par mujhe koi idea nahi tha ke us din se mere liye museebaton ka ek aisa silsila shuru hone wala tha jiska andaza main shayad khwaab mein bhi nahi laga sakta tha.
Agar mujhe zara bhi pata hota ke aane waledino mein mere saath kya hone wala hai toh shayad main us din subah sokar uthta hinahi ya uthte hi kahin bhaag jata. Chhutti par chala jata, kahin ghoomne nikal jata, bhale hi tirath yatra par chala jata par shehar se nikal jata. Par maine aisa kuchh nahi kiya. Vo ek aam sa din tha aur maine vahi kiya jo main ek aam se din mein karta tha.
Apna boss khud hone ka sabse bada fayda ye hota hai ke you are not answerable to anyone. Jo karna hai aapne karna hai. Koi puchhne wala nahi, koi batane wala nahi. Jab marzi mein aaye utho, jab dil kare so jao. Jab chaho kaam par jao aur jab mood na bane tab mat jao.
Kehne ka matlab ye ke mere 9 baje sokar uthne ki vajah sirf yahi thi ke main apna boss khud tha.
Aur us din toh had ho gayi thi. Maine aankh kholkar ek nigah ghadi par daali toh subah ke 10 baj rahe the.
"Uth ja mohan pyaare" Apne aap se kehta hua main bistar par uth betha.
Saamne deewar par lage poster par bada bada likha tha,
"You wont get rich sitting here all day"
Vo poster maine ye soch kar lagaya tha ke shayad vo mujhe motivate karega. Jab main aalas mein betha time paas karunga toh mujhe yaad dilayega ke mujhe kaam karna chahiye kyunki mujhe zindagi mein ameer hona hai. Ek bada sa ghar kharidna hai, ek lambi si gaadi leni hai. Bank balance itna badha dena hai ke Bank bhi balance na kar paaye.
Par nahi, aisa kuchh bhi nahi ho raha tha. Na toh main ameer ho raha tha aur na hi voposter mujhe motivate kar pa raha tha.
"Yeah i know. I am not getting rich anywaysso doesnt matter" Khud se kehta hua main bed se utha aur bathroom ki taraf badha.
Cell phone mein 10 missed calls thi par maine uth kar dekhne ki zaroorat nahi samjhi. Janta tha ke missed calls kiski thi.
Routine ke mutaabik stove par chaai rakhi aur music system on kar diya. Kamra Rafi sahab ki meethi aawaz se goonj utha.
Khoya khoya chand, khula aasman ......
Unki sur mein apni besuri aawaz milata main sofe par beth gaya aur ek cigrette jalayi.
Mera maanna tha ke Hindustan mein 3 hi singers aise hue jinki na koi barabari kar paya aur na hi koi unse aage nikal paya. Ek Rafi Sahab, Ek lata Mangeshkar aur teesre Kishore Da. Mere poore music collection mein 70% songs sirf in 3 singers ke hi the.
Sofe par betha chaai banne ka intezaar karte hue main cigarette ke kash laga hi raha tha ke darwaze ki ghanti baji.
Kaash mujhe pata hota ke darwaza kholne par mere saath kya hone wala hai toh main darwaza kholta hi nahi. Saara din balki aanewale 7 din aur kamre mein hi band betha rehta par darwaza bilkul nahi kholta. Par nahi, maine darwaza khola. Poora khola.
"Aditya? Aditya Sharma?"
_________________________

The Vampire was a genius.
Read almost all his masterpieces.
Thanks for sharing here Immo bro :thumbup:
 
  • Like
Reactions: The Immortal

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
"Aur sun ... " Maine kehna shuru hi kiya tha ke Chipku ne hi meri baat poori kar di.
"Haan malum hai bhai ke kisi ko bolne ka nahi hai ke aap dhoondh rahe ho, ladki ka exact description kisi ko batane ka nahi hai aur jo bhi pata karna hai chup chap khamoshi ke saath karna hai. Pata hai Adi bhai. Thodi si zaheeniyat khuda ne hamein bhi bakhshi hai" Phir se urdu.
"Samajhdaar hota ja raha hai" Main chair seutha aur jeb se paise nikale "Ye rakh"
"Sohbat ka asar hai Adi Bhai" Usne paise lete hue kaha "Kuchh pata chalta hai toh main khabar karta hoon aapko"
"Good. Chal main nikalta hoon abhi. Pet kaisa hai tera?"
"Theek hai abhi. Jitna aaj sandaas mein betha hoon akkhi life mein kabhi nahi betha"
Uski baat sunkar meri hasi chhut padi.
"Beer ke paise de dena"
"Haan koi waanda nahi hai Bhai. Niklo aap"
Bar se nikalte nikalte maine phir nazar uthakar dekha ke shayad Bijli kahin dikh jaaye par vo nazar nahi aayi. Bahar aakar maine ek baar phir Nisha ko phone kiya par number ab bhi band hi tha. Parking se car nikal kar main ghar ki taraf chal pada.
Talash ke liye pehla kadam main utha chukatha. Doosra kadam tha jism faroshi ki us duniya ki taraf dekhna jo marzi se chalti hai.Jahan maine Chipku Ko dekhne Ko kaha tha vo aisi jagah thi jahan ladkiyon ko zabardasti unki marzi ke khilaff ghusaya jata tha. Middle class aur gareeb gharon ki vo ladkiyan jo majboor hokar ye kaam karti thi. Apne har khwaab ko bhoolkar har raat majboori mein kisi ka bistar garam karti thi ab chahe vo nashe mein dhoot koi rickshaw chalane wala
ho, ya paseene ki badbu marta koi mazdoor. Ek 50-100 ke note ke badle apni asmat bechne par majboor ladkiyan.
Par in sabse alag Jism faroshi ki ek aisi duniya bhi hai jo marzi se chalti hai. Jahan ladkiyan apni marzi se aati hain aur jahan ke rate 50-100 ka ek note nahi balki hazaron mein jaati hain. Ye vo ladkiyan hain jo 2 zindagiyan jeeti hain. Uper se sharafat ka chola aur apni ayyashi ka kharcha poora karne ke lilye pichhe se jism faroshi. In short call girls, ya escort jo
ameeron aur bade logon ko available hoti thi kyunki inke rates efford karna har kisi ke bas ki baat nahi thi. Ye hona tha meri talash ka doosra kadam.
Phir teesra kadam tha police files par ek nazar. Aur chautha kadam tha Saanwli ki apni niji zindagi.
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Chapter 1 - Saloni

Vo ek normal sa din tha, par mujhe koi idea nahi tha ke us din se mere liye museebaton ka ek aisa silsila shuru hone wala tha jiska andaza main shayad khwaab mein bhi nahi laga sakta tha.
Agar mujhe zara bhi pata hota ke aane waledino mein mere saath kya hone wala hai toh shayad main us din subah sokar uthta hinahi ya uthte hi kahin bhaag jata. Chhutti par chala jata, kahin ghoomne nikal jata, bhale hi tirath yatra par chala jata par shehar se nikal jata. Par maine aisa kuchh nahi kiya. Vo ek aam sa din tha aur maine vahi kiya jo main ek aam se din mein karta tha.
Apna boss khud hone ka sabse bada fayda ye hota hai ke you are not answerable to anyone. Jo karna hai aapne karna hai. Koi puchhne wala nahi, koi batane wala nahi. Jab marzi mein aaye utho, jab dil kare so jao. Jab chaho kaam par jao aur jab mood na bane tab mat jao.
Kehne ka matlab ye ke mere 9 baje sokar uthne ki vajah sirf yahi thi ke main apna boss khud tha.
Aur us din toh had ho gayi thi. Maine aankh kholkar ek nigah ghadi par daali toh subah ke 10 baj rahe the.
"Uth ja mohan pyaare" Apne aap se kehta hua main bistar par uth betha.
Saamne deewar par lage poster par bada bada likha tha,
"You wont get rich sitting here all day"
Vo poster maine ye soch kar lagaya tha ke shayad vo mujhe motivate karega. Jab main aalas mein betha time paas karunga toh mujhe yaad dilayega ke mujhe kaam karna chahiye kyunki mujhe zindagi mein ameer hona hai. Ek bada sa ghar kharidna hai, ek lambi si gaadi leni hai. Bank balance itna badha dena hai ke Bank bhi balance na kar paaye.
Par nahi, aisa kuchh bhi nahi ho raha tha. Na toh main ameer ho raha tha aur na hi voposter mujhe motivate kar pa raha tha.
"Yeah i know. I am not getting rich anywaysso doesnt matter" Khud se kehta hua main bed se utha aur bathroom ki taraf badha.
Cell phone mein 10 missed calls thi par maine uth kar dekhne ki zaroorat nahi samjhi. Janta tha ke missed calls kiski thi.
Routine ke mutaabik stove par chaai rakhi aur music system on kar diya. Kamra Rafi sahab ki meethi aawaz se goonj utha.
Khoya khoya chand, khula aasman ......
Unki sur mein apni besuri aawaz milata main sofe par beth gaya aur ek cigrette jalayi.
Mera maanna tha ke Hindustan mein 3 hi singers aise hue jinki na koi barabari kar paya aur na hi koi unse aage nikal paya. Ek Rafi Sahab, Ek lata Mangeshkar aur teesre Kishore Da. Mere poore music collection mein 70% songs sirf in 3 singers ke hi the.
Sofe par betha chaai banne ka intezaar karte hue main cigarette ke kash laga hi raha tha ke darwaze ki ghanti baji.
Kaash mujhe pata hota ke darwaza kholne par mere saath kya hone wala hai toh main darwaza kholta hi nahi. Saara din balki aanewale 7 din aur kamre mein hi band betha rehta par darwaza bilkul nahi kholta. Par nahi, maine darwaza khola. Poora khola.
"Aditya? Aditya Sharma?"
_________________________

Kia likha hai bhai. Bahut hi pyara likhta tha Vampire bhai.
Haan usske singers k choice mein main swargya Mujesh ji ko add karunga :D
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
The Vampire was a genius.
Read almost all his masterpieces.
Thanks for sharing here Immo bro :thumbup:
Thanx casi Bhai .
Kya vampire Bhai ne 4 hi stories likhi thi ya or bhi thi . 1 haweli 2. PAAP . 3. Bangalow no. 13 . And this 4 . Dark Girl
 
Last edited:

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Maine ek nazar use sar se paon tak dekha. Ek behad aam si dikhne wali ladki.
Usko dekh kar hi ye lagta tha ke vo ek middle class family se hai. Ek behad sada sa salwar kameez, gale mein dupatta, lambe baal, medium kad kaathi, halka bhara hua shareer, sawla sa rang.
"So?" Apni taraf dekhte yun pakar usne mujhe toka.
"So what?" Maine jawab diya.
""Kya aap karenge meri madad?"
Uski baat sun kar main muskura utha.
"Dekhiye Saloni ji its not that easy. Ye depend karta hai"
"Kis baat par?"
"Bahut saari baaton par" Maine chaai ka cup ek taraf rakhte hue cigarette sulgayi aur packet uski taraf badhaya "Do you smoke?"
"No thanks" Usne inkaar mein sar hilaya. Vaise toh usko dekh kar hi main samajh gaya tha ke cigarette nahin peeti hogi par phir bhi formality sake puchh liya.
"Main aise hi khade paon koi case haath mein nahi le sakta. Bahut saari baatein hoti hain. Mujhe details sunni hogi aur uske baadhi faisla kar sakta hoon ke main case loongaya nahi"
"Fair enough. Vaise aapne abhi thodi der pehle kaha tha ke HAM missing persons mein deal karte hain. Kya aapke alawa koi aur bhi hai?"
"Nahi nahi" Maine haste hue kaha "Main akela hi hoon. Ek secretary hai jo office sambhalti hai isliye kabhi kabhi munh se ham nikal jata hai"
"Ok" Vo bhi jawab mein muskurayi.
"So. Lets start from the very begining. Why dont you tell me somethng about yourself and your sister?"
"Ok" Usne apne gale mein pada dupatta thoda theek gaya aur aadat se majboor meri tharki nazar ek pal ke liye uske dupatte ke neeche uski chhatiyon par pad gayi.
"36 kam se kam" Aur mere tharki dimag ne uske size ka andaza bhi laga liya.
"Ham log asal mein U.P se hain. Saharanpur,chhota sa shehar hai, shayad aapne suna ho"
"Ji haan suna hai" Maine apna dhyaan uski chhatiyon se hataya aur uski baat gaur se sunne laga.
"Ji ham log vahin se hain. Ghar mein sirf 4 log hain, mere mummy papa aur ham do sisters. Koi saal bhar pehle meri chhoti behen ham sab ki marzi ke khilaff Mumbai aa gayi thi"
"Let me guess" Main beech mein bola"Movies mein kaam karne ke liye?"
"Nahi" Meri baat sunkar vo halke se has padi "Mujhe dekh kar aap andaza toh laga hi sakte hain ke meri behen bhi koi aisi khoobsurat nahi hogi"
"But i am sure size toh uska bhi kam se kam36 hi hoga" Mere tharki dimag ka ghoda phir dauda. Maine fauran lagam lagayi aur kaabu mein kiya.
"Toh phir?"
"Ji vo yahan job ki talash mein aayi thi. Bahut ambitious thi aur Saharanpur jaise chhote shehar mein options ke naam par kuchh bhi nahi hai"
"Ok. And did she find a job here?"
"Yes she did or at least she told us that she did" Uski is baat par mera dimag thanka.
"You didnt know for sure? Kab mili thi aap aakhri baar usse?" Maine sawal kiya.
"Jis din vo Mumbai aane ke liye Delhi se train mein bethi thi" Usne sar jhukate hue kaha.
"Aapne ek saal se apni behen ko nahi dekha tha?"
"Nahi. Vo yahan aayi aur job ki talash mein lag gayi. Aanke ke koi ek mahine baad usne bataya ke usko job mil gayi hai. Kisi office mein assistant ki job. Kaafi khush thi vo us din"
"Ok" Maine cigarette khatam ki aur ash traymein bhujhate hue kaha "Carry on"
"Uske baad agle 6 mahine tak vo rozana shaam ko phone karti thi aur ham logon se baat karti thi. Apne poore din ke baare mein bataya karti thi. Apni job ke baare mein bataya karti thi. Phir dheere dheere uska phone aana kam ho gaya. Pehle 2 din mein ek baar, phir 4 din mein ek baar aur phir hafte do hafte mein ek baar. Hamne puchha toh kehti thi ke job change ki hai, kaam mein bahut busy hai isliye"
"Aakhri baar kab baat ki thi aapne usse?"
"Ji koi 1 mahina pehle. Usne ek din raat ko phone kiya. Mummy Daddy so chuke the tohsirf mujhse baat hui. Kaafi pareshan lag rahithi. Koi 10-15 minute baat ki aur phir baad mein phone karne ka keh kar phone rakh diya. Bas, uske baad phone nahi kiya"
"Ek mahine se aapko apni behen ka phone nahi aaya aur aap log pareshan nahi hue?" Maine sawal kiya
"Hue toh the par uska phone tab aise hi aata tha. Hafte do hafte mein kabhi kabhi aur vo bhi sirf 100-15 minute ke liye. Is baarjab 5 hafte guzar gaye aur phone nahi aaya toh main pareshan hui. Kaafi din se uska mobile bhi switched off ja raha tha. Mujhe laga ke shayad number badal diya hoga"
"Hmmmmm" Maine sochte hue kaha"Naam kya hai aapki behen ka?"
"Saawli" Usne jawab diya
"Ek behen Saawli aur doosri saloni. Saawli Saloni" Maine naam milate hue kaha
"Ji haan" Usne bhi muskura kar jawab diya.
"Aur dono ka size 36" Mera tharki dimag phir zor se chillaya.
___________________
Yahan tak padh liya. Itna interesting aur suspense se bhadi hui hai k rukne ka mann hi nahin. Aguey padhta hoon
 
Top