DARK WOLFKING
Supreme
- 15,571
- 32,018
- 259
majedar update ..gun point ek jagah hi hai jaise lover point ..Main lagbhag ek ghante aur office mein ruka par tabiyat kharab hone ki vajah se Nisha ko office mein chhod kar vaapis ghar aa gaya. Saanwli ke hostel ke Watchman ko mains number de aaya tha ke taki use jaise hi address pata chale, vo mujhe phone kar ke bata de. Toh filhal mere paas leads ke naam par kuchh bhi nahi tha aur sivaay intezar karne ke aur koi option bhi nahi tha . Ab aage ki kahani sirf isi baat par depend karti thi ke ya toh Saanwli ke phone records se kuchh pata chale , ya Maaya ka address mile aur vo kuchh bataye ya phir bijli se koi jaankari mile.
Main Apne ghar pahuncha toh bahar hi thithak gaya. Mere ghar Ka darwaza khula hua tha . Bahar jo tala main laga kar gaya tha, vo ab vahan nahi tha .
Dheere -2 sawdhani ke sath maine darwaza khola toh andar 4 aadmi mere drawing room mein maujood the . 3 gunde jaise log khade hue the aur ek kale rang Ka pathani suit pehne betha chaai pi raha tha.
"Aaiye aaiye Sharma Ji. Bada intezaar Karaya yaar apne " vo pathani suit wala aadmi mujhe darwaze ke paas dekh kar bola.
Main darwaza poora kholkar apne ghar ke andar daakhil hua.
"Kaun ho tum log? Mere ghar mein kaise ghuse?" Ye baat mere munh se nikalne hi wali thi ke tabhi vahan khade 3 aadmiyon mein se ek ke haath mein mujhe ek pistol dikhai di aur maine apne shabd apni zubaanpar hi rok liye.
"Maaf kijiyega par yahan bethe aapka intezaar kar rahe the toh maine socha ke ekcup chaai hi bana li jaaye. Ummeed karta hoon ke aapko bura nahi laga hoga" Us pathani suit wale aadmi ne kaha.
Umar mein vo koi 50 ke kareeb hoga, rang gehuan, kad 6ft ke uper aur itna chauda ke jis kursi par mere jaise 2 aadmi fit ho sakte the, use vo akela hi poora ghere betha tha. Chhoti chhoti aankhen jinmein se daayin aankh ke neeche ek bada sa nishan aur dono kaan toote hue jo is baat ka saboot the ke vo kabhi kisi zamane mein akhade kapehalwan raha tha. Vaise toh ye baat uski kad kaathi dekh kar hi saabit ho jaati thi, kaan toh bas aakhir mein gawahi de dete the.
In short, ek raubdaar shakhsiyat jiske saamne mujh jaise adiyal ke munh se bhi abtak ek shabd nahi nikla tha.
"Chaai lenge?"
Usne mujhse puchha toh maine inkaar meingardan hila di.
"Arrey le lijiye. Ye Raju ne banayi hai aur ye sala chaai bahut achhi banata hai" Usne apne ek aadmi ki taraf ishara karte hue kaha "Aur vaise bhi ye toh ghar bhi aapka hihai, takalluf kaisa"
Apni hi baat par vo dil khol kar hasa aur uske pichhe pichhe uske aadmi bhi aise hasne lage jaise pata nahi kaun sa bada joke maar diya ho bhai ne.
"Arrey aap khade kyun hain? Bethiye na" Usne mujhe saamne rakhi ek khali kursi ki taraf ishara kiya.
Jab main apni jagah se hila tak nahi toh achanak uske chehre se hasi gayab ho gayi.
"Bethiye" Vo is baar kadak aawaz mein garja jiska nateeja ye hua ke main chup chap kisi robot ki tarah uske saamne jakar beth gaya.
"Mujhe pehchante hain aap?"
Maine phir inkaar mein gardan hila di.
"Chaliye koi baat nahi" Uske chehre par phirse muskurahat laut aayi "Main apna ta'arrufkara deta hoon. Na-cheez ko Sharafat Sheikh kehte hain"
AUr uski ye baat sunte hi jaise pal bhar mein meri aankhon ke aage sara majra saaf ho gaya.
"Aapki aankhon ki badalti taaseer ko dekh kar main is baat ka andaza laga raha hoon ke aap mujhe bhale shakal se nahi par naam se zaroor jaante hain aur ye bhi samajh gaye hain ke main yahan aapke gareeb-khaane mein kya kar raha hoon"
Mere munh se phir bhi koi bol na phoota. Aisa kabhi hua nahi tha mere saath par na jaane kyun apne saamne bethe us lambe chaude insaan ko dekh kar mujhe jaise saanp soongh gaya tha. Usne chaai khatam karke cup vaapis table par rakha aur uske lambe chaude pehalwani haath ko dekh kar mujhe sirf ye khyaal aaya ke agar isne mujhe ek thappad bhi maar diya toh mere munh mein 32 mein se ek bhi nahi bachega.Saare zameen par pade honge.
"Dekhiye Sharma Ji" Hairani ki baat thi ke vo ab tak mere saath itni tameez se pesh aa raha tha jabki us jaise aadmiyon se tameez ki ummeed karna toh ek gunaah jaisa lagta hai "Main bada suljha hua aadmi hoon aur ye mera apna zaati tajurba hai ke jab kaam pyaar mohabbat se ban jaaye toh zor zabardasti nahi karni chahiye. Main toh machchar bhi tab tak nahi maarta tab tak ke vo mujhe kaatne ki koshish na kare. Aap samajh rahe hain na ke main kya kehna chah raha hoon?"
Maine phir goonge ki tarah apni gardan haan mein hila di.
"Ab aap aur main jo baat karne wale hain vo do tarike se ho sakti hai. Ya toh ham dono aaram se bhaiyon ki tarah bethkar baat kar lein yar phir aap gunpoint par mere sawalon ke jawab den"
Kehte hue usne apni pathani suit ke kurte ke neeche haath dala aur ek badi si revolvernikal kar table par rakh di.
"Vaise Gunpoint se yaad aaya, ek maze ki baat batata hoon aapko. Tum bhi suno oye" Kehte hue usne apne aadmiyon ki taraf ishara kiya "Aap yakeen nahi maangenge par bachpan mein mujhe lagta tha ke Gunpoint ek jagah hai, koi shehar ya gaon ya phir koi gali mohalla. Par mujhe hamesha yahi lagta tha ke Gunpoint kisi asal jagah ka naam hai"
"Vo kyun Bhai?" Saath khade aadmiyon mein se ek ne puchha.
"Arrey bhai aaye din news mein sunte nahi, Tourists held at Gunpoint, Gunpoint par din dahade daketi, Ladki ka gunpoint par balatkar. Main sala sochtha tha ke agar ye Gunpoint itni khatarnaak jagah hai toh log jaate hi kyun hain vahan?"
Uski is baat par mujhe chhod kar kamre mein maujood har aadmi dil khol kar zor zorse hasa.
"Lagta hai aapko joke pasand nahi aaya Sharma ji" Vo ek baar phir mujh se mukhaatib hua "Chaliye koi baat nahi. Sabse pehle toh aapke ghar mein yun ghus aane ke liye maafi aur phir aapki cheezon se chhed chhad ke liye maafi. Par kya karun,aap bhi toh mere ghar mein yun ghus aaye the kal aur phir aise meri cheezon ke baare mein puchh taachh karne lage. Toh maine socha ke jab aap yun meri zindagi mein dakhal andaazi kar rahe hain toh hisaab tohbarabar mujhe bhi karna chahiye. Kyun hainna?"
Mere munh se na haan nikla na Na.
"Vaise kaafi mash-hoor aadmi hain aap. Aap kal mere sharab-khane mein tashreef laaye, vahan ke ek cctv camera ne aapka chehra record kiya aur yakeen maaniye aapko talash karne mein zara bhi takleef nahi hui. Fauran aapko pehchan liya gaya kearrey ye toh Aditya Sharma hai"
Mujhe kisne pehchana ye toh nahi maalum par mushkil kaam bhi nahi tha. Main ek bahut lambe arse se ye logon ko dhoondhneka kaam kar raha tha aur nateejatan achhe bure, ameer gareeb, rasookh wale aur aam,har tarah ke logon se meri pehchan thi.
_____________________________
aditya ki to bolti band ho gayi sharafat ko dekhkar ..