• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller DARK GIRL (Completed)

DARK WOLFKING

Supreme
15,571
32,018
259
Mujhe laga ke mujhe shayad sunne mein galti hui hai.
"Kaun?"Maine puchha.
"Raghuvanshi"Usne phir naam bataya"Vahi jise tu dhoondhta phir raha hai"
Mujhe sunne mein galti nahi hui thi. Naam vahi tha jo usne pehle bhi bataya tha. Main fauran uthkar khada ho gaya.
"Number kahan se mila?"Mera pehla sawal.
"Kamal hain"Vo thoda haste hue bola"Is number se tu duniya jahan mein phone ghuma raha hai, mere baare mein puchhta phir raha hai aur phir kehta hai ke number kahan se mila"
Bijli of course, maine dil hi dil mein socha. Mujhse baat karte hi usne pehla phone Raghuvanshi ko milaya.
"Bijli ne diya?"Maine phir bhi apni tasalli ke liye puchha.
"Tu sawal bahut karta hai yaar"Vo phir haste hue bola aur jaane kyun mujhe laga ke maine uski aawaz kahin suni thi pehle"Jin sawalon ka jawab pata hai, vo bhi puchhta hai"
"Khan ko kyun maara?"Main sidha matlab ki baat par aaya.
"Galti se. Nishana tu tha, vo beech mein aa gaya"
"Jhooth"Mere andar ek ajeeb sa gussa bharta ja raha tha, lag raha tha jaise khoon khaul utha ho"Agar tune mujhe marna hota toh baad mein maar deta, yun chale nahi jaane deta"
"Maine kahan jaane diya"Doosri taraf se machis jalane ki aawaz aayi aur phir is tarah se saans liya gaya jaise kisi ne abhi abhi cigarette jalayi ho"Sharafat ne jaane diya. Maine toh saaf kaha tha use ke khatam kar de tujhe, par usne chhod diya"
Mujhe Mafatlal ki baat yaad aayi ke Raghuvanshi cigarette bahut peeta tha.
"Nahi. Sharafat ke paas mujhe zinda jaane dene ki koi vajah nahi thi. Agar tune kaha hota ke mujhe maar de vo toh maar deta, chhodta nahi"
"Arrey yaar"Doosri taraf se cigarette ka lamba khash khinchne ki aawaz aayi"Kya sunna chahta hai?"
"Sach. Kyun maara use?"
"Taish mein aake mara. Purana raada tha mera uske saath aur us din vo kuchh zyada hi hero giri dikha raha tha. Mera matha ghooma aur bina soche samjhe goli chala di. Baad mein socha ke policewale ko thokna khatarnaak saabit ho sakta tha isliye halali ka bakra tujhe banaya"
Vo vahi keh raha tha jo ke maine socha tha.
"Tera Khan ke saath kya rada ho sakta hai, tu toh kabhi saamne aata hi nahi. Aur Khan vaise bhi un policewalo mein se tha nahi jo tujh jaiso ke saath bhidte hain. Vo ek be-imaan poliecwala tha, corrupt cop. Vo toh tere jaise logon ke saath kandhe se kandha milake chalta tha apne faayde ke liye"
"Kabhi tasalli se bethke bataoonga, bahut pareshan kiya tha us saale ne ek waqt pe"
"Saanwli kahan hai?"
"Yahi vajah hai ke maine tujhe phone kiya, asal mein toh mujhe bahut pehle kar dena chahiye tha, tera thoda waqt bach jata par kya hai ke mujhe kaafi der se pata chala ke tu use talash kar raha hai"
"Kahan hai vo?"
"Maine kaha na tu bahut sawal karta hai. Is sawal ka jawab tu bhi janta hai ke vo kahan hai ab"Doosri taraf se uski serious aawaz aayi.
"Mar chuki hai?"
"Phir se ek aur sawal"Vo phir se hasa.
"Kyun mara?"
"Aur ek sawal"Vo hasta raha.
"Mujhe phone kyun kiya?"
"Haan"Vo ekdam se hasna rok kar bola"Ab kiya tune sahi sawal. Dekh bhai, mera tere saath koi rada nahi hai. Aur Saanwli ko dhoondhna ab bekaar hai, gayi vo gayi doosri duniya mein. Toh ab tu ek kaam kar, uske gharwalo ko bol ke tu dhoondhne mein nakam raha aur chup chap apni zindagi mein aage badh ja. Kyun ulajh raha hai mujhse"
"To tu chahta hai ke main sab kuchh bhool kar case chhod doon aur shaant hokar beth jaoon?"
"Haan"Vo bola"Maze mein apni zindagi ji na yaar, kyun galat jagah taang phasa raha hai?"
"Maze mein?"Maine tana sa maarte hue kaha"Ek murder ka ilzaam hai mere sar par aur doosra tu bahut jaldi intezaam karke mere matthe madh dega"
"Bhai ab vo teri personnal problem hai, usmein main kya kar sakta hoon. Jaisi karni vaisi bharni. Galat jagah tu khud uljha, ab bhugatna toh padega"
"Geetanjali ko tune mara tha?"
"Arrey yaar jinke jawab tujhe already pata hain, vo sawal kyun kar raha hai. Bhool ja ye sara qissa"
"Aur bhool jaoon ke tune mere bhai jaise dost ko mere saamne maar diya? Bhool jaoon ke teri vajah se main ek kutte ki tarah gali gali bhaaga phir raha hoon?"Main daant piste hue bola.
"Achha?"Use meri aawaz mein mere badalte tevar ka andaza ho gaya"Kya ukhaad lega?"
"Sab kuchh. Tu bas dekhta ja. Teri toh main duniya palat doonga"Maine gusse mein lagbhag chilla hi utha aur phone kaat diya.
Agle kuchh pal main bistar par apne gusse pe kaabu karne ki koshish karne laga. Kuchh der baad hi phone phir baja, call Raghuvanshi wale number se hi thi.
"Achha sun"Maine phone uthaya toh vo haste hue bola"Mujhe laga ke tera kaam thoda sa aasan kar doon, is number ko trace karne ki koshish na kariyo. Farji hai"
"Yahi batane ke liye phone kiya?"
"Haan mujhe laga ke tu phir bhaag daud karega is number ke pichhe toh mujhe taras aa gaya"
Maine ek baar phir phone kaat diya aur sar pakad kar beth gaya. Mera dimag chilla chilla kar is baat ki gawahi de raha tha ke ye aawaz maine pehle bhi kahin suni hui hai, ye hasi ka andaaz pehli bhi mere kaano mein pad chuka hai par samajh nahi aa raha tha ke kahan.
Mere paas filhal karne ko kuchh nahi tha. Pehle maine socha tha ke ladke ke mere ghar se laut aane ke baad usse gun lekar Bijli se milne jaoonga par usne saaf mana kar diya tha. Ek baar saare raaste band se hote nazar aa rahe the.
Maine josh mein aakar Raghuvanshi ko keh toh diya tha ke main uski duniya palat doonga par kaise ye nahi pata tha. Filhal toh itna bhi samajh nahi aa raha tha ke uski duniya toh door, apni palat rahi duniya ko kaise sambhalun.
Ab aakhri ummeed sirf isi baat par tiki thi ke ya toh Saanwli ke saman se kuchh naya surag haath lage ya Geetanjali ke ghar se kuchh mile.
Sochte sochte kab meri aankh lag gayi mujhe pata hi nahi chala.
Achanak baji phone ki ghanti se meri aankh khuli. Ghadi par nazar daali toh main ek ghante se so raha tha. Vo lodge wala ladka bhi ab tak nahi lauta tha.
Maine apne phone ki taraf dekha, number Chipku ka tha.
"Hello"Maine call receive it.
"Adi Bhai, thank god. Mujhe pata nahi tha ke aapka number hai ke nahi ye ya aapne kisi aur ke number se mujhe phone kiya tha"
"Kya hua?"
"Vo Bijli, use thok dala kisi ne"
"Kya?"
"Haan abhi. Idhar Bar mein hi"
"Kisne?"
"Pata nahi. Nachte nachte achanak gir padi. Uthaya toh sar pe goli maari thi kisi ne silencer lagake. Aawaz tak nahi aayi"
______________________________
nice and romanchak update ..khud pratap ne call kiya aditya ko 🙄..aur bahut saare jawab mil gaye ki gitanjali aur khan ko kisne maara ..
par bijli to dhokhebaj nikli itni jaldi number de diya pratap ko 😡😡..

aur jis tarah aditya keh raha hai ki aawaj aur hansii suni huyi lagti hai mujhe lagta hai joshi ,khan ,chipku inse hi jyada baat karta raha hai aditya 🤔🤔..

par sabse jyada shak khan par hai aur second joshi par ki yahi phone par baat kar rahe the .
 
  • Like
Reactions: The Immortal

DARK WOLFKING

Supreme
15,571
32,018
259
Chapter 16
When It All Made Sense
[Last Chapter]


Chipku ki baat ne mera dimag ghuma diya tha. Samajh nahi aa raha tha ke kya karun aur kaise karun. Sab raaste ek ek karke band hote ja rahe the. Khud main ek murder case mein phasa hua tha, doosre ka ilzaam mere sar pe aane mein bas ek do din ki hi deri thi aur jis raaste main kadam badhata tha, vo rasta band kar diya jata tha. Jab bhi ummeed ki koi kiran nazar aati, vo mere us tak pahunchne se pehle hi bujha di jaati thi.
Chipku ke mutaabik us waqt Bar mein 100 se uper log the aur Bijli dance floor par khadi nach rahi thi. Har koi apne mein magan tha. Koi sharab ke ghoonth bhar raha tha, koi patte khelne mein busy tha aur koi betha nach rahi ladkiyon ke aadhe nange jism ghoor raha tha. Tabhi achanak Bijli nachti nachti gir padi. Kuchh pal ke liye toh kisi ko kuchh samajh nahi aaya. Saath khadi ladkiyon ne use uthane ki koshish ki toh tab sar se beh raha khoon nazar aaya aur unhone cheekh maar di. Paas khade bouncers fauran dance floor ki taraf badhe aur tab tak aas paas bethe kuchh log bhi Bijli ke shareer se beh rahe khoon ko dekh chuke the toh vo bhi uthkar dance floor ki taraf aaye.
Bar mein koi dhamake ki aawaz nahi goonji thi. Music baj raha tha par itna tez nahi tha ke goli ki aawaz ko daba jaaye. Aur vaise bhi vahan bethe aadhe se zyada aise the jo log goli bhi pehchante the aur goli ki aawaz bhi. Goli chale aur unke kaan us aawaz ko na pehchane ya kisi dhamake ki aawaz samajhkar nazar andaaz kar dein aisa ho nahi sakta tha. Aakhir mein nateeja yahi nikla tha ke goli jisne bhi chalayi thi, silencer laga kar chalayi thi.
Halanki is khoon se mera koi lena dena nahi tha par jo bhi ho raha tha, us kahani ki main ek bahut importane kadi tha. Ya yun keh lijiye ke jo bhi ho raha tha, bahut had tak meri vajah se hi ho raha tha.Bijli se meri jaan pehchan thi ye kaafi logon ko malum tha, uske marne se kuchh ghante pehle hi maine usse baat ki thi aur jahan tak meri soch ka parinda udaan bharta tha vahan tak mujhe yahi lag raha tha ke kaam ye bhi Raghuvanshi ka hi tha. Isliye koi hairat ki baat nahi hoti agar mere sar par ek teesre khoon ka ilzaam bhi dala jata, Bijli ke khoon ka ilzaam.
Soch soch kar jab sar dard ke maare phatne laga toh main phir bistar par ja gira aur ek cigarette sulgayi. Bijli ka maut ka mujhe kaafi afsos tha. Vaise toh main kabhi usse sidhe munh baat nahi karta tha par ye baat main dil se janta tha ke vo is dhandhe mein marzi se nahi, majboori se aayi hai. Aur phir is daldal mein phase hazaron logon ki tarah chah kar bhi yahan se nikal nahi paayi.
Mujhe achhi tarah yaad tha vo din jab vo mujhe dinner par mili thi. Kis qadar khoobsurat lag rahi thi, kis tarah ek aam si ladki aur kis qadar nafasat se pesh aa rahi thi.
Uski maut ke saath hi mere kayi aise sawal adhure reh gaye the jinke jawab sirf vahi de sakti thi.
Kuchh der baad hi mere kamre ke darwaze par dastak hui.
"Main hoon sahab"Darwaze se us lodge wale ladki ki aawaz aayi.
"Aa andar aaja. Khula hai darwaza"Main bistar se uthta hua bola.
Vo darwaza kholkar andar aa gaya. Haath mein ek kaale rang ki polythene thi jismein kuchh sabziyan rakhi thi.
"Kaam bana?"Maine ummeed ke saath puchha.
"Haan bana na"Vo daant dikhata hua bola aur sabziyon ka bag meri taraf badha diya"Ye lo"
"Sabzi laane bheja tha maine tujhe?"Maine uske haath se sabki ka bag lene ki koi koshish nahi ki.
"Arrey abhi main haath mein toh ghoda leke nahi aa sakta tha na. Vahi aapke ghar ke bahar ek sabzi wala khada tha toh usse kuchh sabziyan kharidi, aapke ghar mein ghusa aur ghoda isi mein dalkar le aaya"
Kehte hue usne us polybag mein haath ghusaya aur sabziyon ke beech se meri pocket pistol nikali.
"Full shana hai tu toh saale"Main uske haah se pistol lete hue bola.
"Abhi kya karega sahab. Waqt sala badi kutti cheez hai, kabhi waqt se pehle shana kar deta hai toh kabhi waqt aane par bhi akal nahi aati"
"Sahi bol raha hai"Maine kaha aur uski tarah ek 500 ka note badha diya"Chal tu nikal"
"Thank you sahab"Vo ek note aur dekh kar fauran khush ho utha aur note mere haath se lekar chala gaya. Uske jaane ke baad maine pistol check ki. Full loaded thi.
Phir poora din main bas yun hi kamre mein betha sochta raha ke ab kya karun. Shaam ho gayi toh khyaal aaya ke kyun na Geetanjali ke ghar aaj hi chakkar laga liya jaaye, kal par baat kyun taalni. Raat ka andhera halka halka phelne laga tha. maine Chipku ko phone karne ke liya apna cell uthaya hi tha ke vo khud hi baj utha. Call Nisha ke number se thi.
"Haan"Maine phone uthaya.
"Saanwli ke hostel ke saamne khadi hoon"Doosri taraf se uski aawaz aayi.
"Pahunch bhi gayi tu?"Maine ghadi ki taraf dekhte hue kaha.
"Haan ghar se thoda jaldi nikal aayi thi ke yahan ka kaam nipta kar dinner aur phir raat ko movie"
"Ok"Main bola"Saman mein mila kuchh"
"Abhi andar gayi nahi hoon, bas pahunchi hi hoon. Andar jakar saman le aaon, phir phone karti hoon aapko"Kehkar usne phone kaat diya.
Main betha phir uske phone ka wait karne laga. Koi 20 min baad ghanti baji.
"Itni der?"Maine call receive ki aur puchha.
"Arrey vo kaali bhains bethi hai na andar, saman dene mein na nukur kar rahi thi. Keh rahi thi ke Saanwli ke garwalon ko hi degi"
"Toh kya raha?"
"Le toh aayi main"
"Good. Mila kuchh?"
"Dekha nahi hai abhi. Ek bag hai bada sa. Gaadi ki taraf ja rahi hoon, andar beth kar dekhti hoon"
Gaadi ka darwaza khulne aur band hone aur ek bag ki zip khulne ki aawaz aayi.
"Kya hai bag mein?"
"Dekh rahi hoon"Doosri taraf se Nisha ki aawaz aayi"Uske kuchh kapde aur kuchh gifts vagerah hain. Aur kuchh purani photos vagerah hain. Ek kaam kariye, main zara saman dekh kar aapko phone karti hoon vaapis"
Is baar usne phone rakha toh phir vaapis call nahi aayi. Koi 15-20 minute wait karne ke baad maine hi uska number milaya toh ek aadmi ki aawaz aayi.
"Nisha?"Maine ek baar apne cell ki screen par nazar daalte hue puchha ke kahin maine number toh galat nahi dial kar diya.
"Main uska mangetar bol raha hoon. Vo zara gaadi ke bahar tak gayi hai ek shop mein. Aaye toh main phone karvata hoon vaapis"
"Ok"Mujhe kuchh samajh toh nahi aaya par maine baat maan li aur phone rakh diya.
Magar is baar bhi palat kar phone nahi aaya. Thak kar maine hi number milaya toh is baar number unreachable aaya.
Aur phir main der raat tak Nisha ka number dial karta raha par vo not-reachable hi rahi. Main yahi aankde lagata raha tha ke vo kahin network se bahar hai, ya uski cell ki battery khatam ho gayi ya kahin cinema theatre ke andar hai jahan number nahi lag raha. Lakh koshish ke baad bhi jab usse baat nahi ho paayi toh maine thak kar phone ek taraf rakh diya.
Subah darwaze par dastak se neend khuli. Maine uthkar darwaza khola toh vo ladka haath mein akhbaar liye khada tha.
"Haan bol"
"Aapke dost ki photo chhapi hai"Kehte hue usne newspaper meri taraf badha diya. Front page par hi Khan ki ek badi si photo lagi hui thi, jaisa ke newspapers ke Obituary section mein hoti hain. Uski photo ke neeche uski paidaish aur maut ki tareekh likhi hui thi aur ek shok samachar type message tha. Aur likha tha ke aaj shaam usko dafnaya ja raha tha.
Ladke ko maine ek cup chaai ke liye bola aur bhaari dil se paper lekar kamre mein aa gaya. Khan ka obituary message padhne ke baad maine paper palta aur page 3 par chhape news ko dekh kar meri aankhen khuli ki khuli reh gayi.
Likha tha ke VT Station ke paas ek car mein ek yuvak aur yuvati ki laashein mili hain. Dono ki goli markar hatya ki gayi thi. Yuvti ki pehchan Nisha Trivedi ke naam se ki gayi hai aur yuvak uska hone wala mangetar tha
______________________________
nice aur jhatka dene wala update ..pehle bijli ki maut aur uske baad nisha aur uske mangetar ki maut 😔😔..lagta hai jo koi bhi hai wo aditya se badlaa le raha hai aur shayad saloni bhi isme involve ho 🤔🤔..

par wo hai kaun jo sabko maar raha hai ..bijli to kuch batati nahi aditya ko aur nisha ke paas us bag me bhi koi khas saboot nahi hoga to kyu maara usko 🤔🤔..
 
  • Like
Reactions: The Immortal

DARK WOLFKING

Supreme
15,571
32,018
259
Nisha ki maut ki khabar ne mujhe andar tak hila diya tha. Main achhi tarah janta tha ke uski aur uske mangetar ki maut ka zimmedar poori tarah se main hoon. Use sirf isliye mara gaya kyunki Saanwli ke saman mein use kuchh mila tha. Par sabse bada sawal ye tha ke vo Saanwli ke hostel jaane wali thi, ye baat sirf main aur vo jaante the, koi aur nahi. Phir bhi uska pichha kiya gaya aur agwa karke uska khoon kar diya gaya. Ye baat kisi aur tak kaise pahunchi ye meri samajh mein bilkul nahi aa raha tha. Vo itni bevakoof nahi thi ke khud kisi ko bataye aur vaise bhi is case se jude kisi aadmi ko vo nahi jaanti thi toh jisne bhi use mara, use ye khabar kaise hui ke vo kahan ja rahi hai aur kya karne ja rahi hai.
Poora din kis tarah se guzra mujhe kuchh khabar nahi. TV on karke main bevakoof ki tarah apne kamre mein betha TV screen ki aur ghoorta raha jabki mujhe kuchh pata nahi tha ke kaun sa programme chal raha hai aur TV par kya ho raha hai. Doston ke naam par mere liye is duniya mein sirf 2 hi log the, ek Khan aur ek Nisha aur dono hi ab duniya se chal base the. Akelapan kise kehte hain iska asal ehsaas mujhe ab ho raha tha. Lag raha tha ke main bheed ke beech khada hoon jahan koi mujhe nahi pehchanta, koi mera hamdard nahi.
Darwaze par kai baar dastak hui par maine uthkar khola nahi. Shayad vo lodge wala ladka hi hoga, din mein aksar khana lata tha. Vo beech mein kayi baar aaya, darwaza knock kiya aur jab maine khola nahi toh vaapis chala gaya.
Yun hi bethe bethe din chadha, utra, shaam hui aur phir se raat ka andhera phel gaya. Meri soch ka silsila ek baar shuru hua toh jaise khatam hone ka naam hi nahi le raha tha. Raat ke kareeb 10 baje mere phone ki ghanti baji, maine nazar ghuma kar dekha toh Chipku ki call thi.
"Bhai kitne baje milne ka hai?"Maine phone uthaya toh vo bola.
"Matlab?"Maine na samajhte hue kaha.
"Arrey vo aap bole the na Geetanjali Thakkar ke ghar ke paas milne ko?"
"Achha haan"Ek pal ke liye maine apna irada badalna chaha par aisa kiya nahi"Raat kareeb 12 baje mil mujhe vahan"
"Vahan kahan? Ghar ke age?"
"Nahi. Uske ghar se thoda sa aage ek grocery ki dukaan hai, is waqt toh band milegi. Usi ke saamne mil mujhe"
Usse baat karne ke baad main uthkar nahaya, kapde badle, apna chhota sa pocket pistol utha kar apne joote ke paas soch ke uper lagaya aur lodge se bahar nikla.
Aas paas nazar ghumayi toh koi auto ya taxi nahi dikhai di. Apni soch mein dooba main paidal hi Geetanjali ke ghar ki aur chal pada aur jaane kab tak aise hi chalta rehta agar ek auto wala mere paas ruk kar mujhe puchhta nahi ke mujhe auto chahiye kya?
Mumbai ka traffic us waqt bhi poore zor par tha. Geetanjali ke ghar pahunchte pahunchte mujhe takreeban 2 ghante hi lag gaye. Jis grocery store ke saamne maine Chipku ko rukne ko kaha tha, vo vahin khada mujhe mil gaya.
Usko lekar main Geetanjali ke ghar ke saamne pahuncha, aas paas ek nazar daudayi ke koi hai toh nahi aur phir ye tasalli karne ke baad ke koi hamein dekh nahi raha main us bade se lohe ke gate par chadh kar doosri taraf kood gaya.
"Tu yahin bahar hi ruk"Maine gate ke doosri taraf se usko kaha.
"Aise bahar khada rahunga toh kisi ko shak ho sakta hai"Usne kaha. Uski baat sahi thi.
"Toh ek kaam kar"Main gate se thoda pichhe hatkar bola"Kood kar is taraf aaja par yahin gate ke paas hi rehna. Koi agar aaye toh mujhe andar call kar dena"
"Theek hai"Kehkar vo meri tarah hi gate kood kar andar aa gaya.
Use gate ke paas khada chhod kar main lawn cross karta hua ghar ki taraf badha. Aakhri baar jab main is ghar mein aaya tha andar Geetanjali ki laash padi thi, aakhri baar jab maine ye gate kooda tha main poora uske khoon mein sana hua tha. Kitna kuchh badal gaya tha tabse ab tak.
Ghar ka door locked tha par mere liye use kholna koi badi baat nahi thi. 3 minute ki mashakkat ke baad main darwaza khol kar andar daakhil hua toh samajh nahi aaya ke exactly jaoon kahan aur kis cheez ki talash karun.
Agle ek ghante tak main uske ghar mein jhak marta raha. Kabhi uske drawing room ke drawers mein, kabhi uske bedroom mein toh kabhi kahin. Beech mein kam se kam 5 baar Chipku ne phone karke puchh liya ke sab theek toh hai na.
"Haan sab theek hai idhar yaar" usne jab phir se phone kiya toh main jhunjhla utha"Tu gate ki taraf dhyaan de aur dekh ke koi aa toh nahi raha"
Uska phone rakh kar main phir se kisi aisi cheez ki talash mein jut gaya jisse mujhe ye pata chal sake ke Geetanjali kya batane wali thi par kuchh bhi haath nahí laga. Uske ghar mein bas uske istemaal ki cheezen thi jo ke har ghar mein hoti hain. Thak haar kar main vaapis lautne ki soch hi raha tha ke achanak mujhe Geetanjali ke bedroom mein usked bed ke paas rakhi table par ek photo album nazar aaya. Aur phir mujhe Nisha ki kahi ek baat yaad aayi jo usne mujhe tab kahi thi jab ke vo Saanwli ka bag lekar aayi thi. "Bag mein kuchh khaas nahi hai, uske kuchh kapde vagerah hain aur kuchh purani photographs"
Aage badhkar maine vo photo album uthaya aur table par rakha ek lamp on karke photos ek ek karke dekhne laga. Zyadatar photos us album mein parties ke the jo shayad khud Geetanjali ki hongi ya jin parties ka vo kabhi hissa rahi hogi. Shayad usne apne albums photos ke hisaab se bana rakhe the aur is wale mein sirf parties ki pictures thi. Photos mein uske saath kayi badi badi hastiyan nazar aa rahi thi jinko main ek nazar dekhte hi pehchan gaya. Kuchh bade politicians, bade businessman, cricketers, filmstars vagerah vagerah.
Aur phir photos palat-te palat- te ek photo mein mujhe 2 aise chehre nazar aaye jo us party mein kahin fit nahi ho rahe the. Na toh vo dono ameer the, na mash-hoor aur na hi bade rasookh wale. Par jis baat ne mujhe sabse zyada hairan kiya vo ye thi ke vo dono saath khade the.
Photo ke saamne ki taraf Geetanjali 2 filmstars ke saath khadi muskura rahi thi aur pichhe background mein, party ke beecho beech bane Bar ke paas khade vo dono baat kar rahe the. Agar main un dono ka pehchanta na toh shayad nazar- andaaz karta hua aage nikal jata. Pichhe photo mein party ke bheed ke beech khade vo dono muskurate ek doosre se baat kar rahe the.
Par un chehron ko main kaise na pehchanta jabke un mein se ek chehra us ladki ka tha jise main dhoondhta phir raha tha, Saanwli Mitra ka.
Maine apna cell=phone nikala, gallery mein jakar vo pic kholi jo Mafatlal ne mujhe ye kehte hue di thi ke ye Raghuvanshi ki hai. Pic ko maine zoom kiya aur shakal ko gaur se dekha. Pic ab bhi kaafi dhundhli thi, zoom karne ki vajah se distort ho gayi thi aur shakal ke aage dhuan thà par ab kyunki main janta tha ke main us chehre mein kiska chehra talash raha hoon toh main hairat mein pad gaya ke ye mujhe pehle dikhai kyun nahi diya.
Ek hi lamhe mein sara majra meri aankhon ke saamne saaf hota chala gaya aur album band karte hue maine apna sar pakad liya. Sirf paheli ka ek hi sira tha jo ab bhi meri pakad mein nahi aa raha tha. Maine apna mobile nikala aur Saloni ka number dial kiya. Kaafi der bajne ke baad usne call receive ki aur uski need mein doobi aawaz mujhe sunai di "Saloni main Aditya Sharma bol raha hoon"
"Aditya ji aap. Itni raat ko? Sab theek toh hai?"
"Vo sab chhodo aur meri ek baat ka sach sach jawab do"
"Haan puchhiye. Vaise main kal khud Mumbai aane wali thi. Ab tak maine ghar par bataya nahi hai ke Saanwli lapata hai"
"Kyun?"
"Kyunki ek ummeed thi ke vo shayad mil jaayegi aur phir ghar par batane ki zaroorat na pade. Mom Dad bahut umar-daraz hain, shayad us jhatke ko bardasht na kar saken. Par ab lagta hai ke batana hi behtar rahega, aur kitne din ye baat chhupa sakungi"
"Tum mere paas kyun aayi thi Saloni?
"Bataya toh tha, mujhe ek private detective ki talash thi aur aapka profile internet par dekha"
"Jhutt" Kehta hua main utha aur usse baat karte karte walk karta drawing room mein aa gaya" Mere paas tumhara aana mehez-ittefaq nahi tha, tum mere paas aayi thi kyunki tum jaanti thi ke tumhein mere paas hi aana hai. Hai na?"
"Nahi aisa".
Usne kehna shuru hi kiya tha ke maine uski baat kaat di.
"Jhooth mat bolo Saloni. Ab sirf tumhari behen ki zindagi ka sawal nahi reh gaya, main khud bhi buri tarah is janjaal mein phas chuka hoon. Aur bhi kayi jaanen ja chuki hain. Please sach bolo ......"
"Mujhe aapke paas aane ke liye kaha gaya tha"Vo kuchh der chup rehne ke baad boli Kisne kaha tha?
"Kisne bheja tha tumhein mere paas?"
"Khud Saanwli ne" Saloni ne meri baat ka jawab diya.
Theek usi waqt jaise mere sar mein ek bomb sa phata. Pichhe se kisi ne phir ek baar mere sar par theek usi jagah vaar kiya tha jahan us waqt kiya tha ja main Sharafat ki boat par tha aur Khan ko goli maari gayi thi. Ek baar phir main neeche gira aur hosh kho betha.
ek aur jhatka denewala update ..
aisa kya mila us album me ki aditya ne saloni ko call kiya 🤔🤔..aur saloni ne kaha ki usko saanwli ne aditya ke paas case ke silsile me jaane ki salaah di thi 🤔🤔.
aur ab ye kisne sar par war kiya aur chipku kaha tha ..
 
  • Like
Reactions: The Immortal

DARK WOLFKING

Supreme
15,571
32,018
259
dhamakedar update ..jab phone par cigarrate peene ki aawaj aa rahi thi tab mujhe laga hi tha ki wo khan hi hoga ,kyunki jo beer pee sakta hai usko cigarrate se itni dushmani to nahi hogi par maine 3 logo par shak kiya,,,jisme joshi aur chipku bhi tha ..

ab saari kahani samajh aa gayi ..agar bijli pehle hi sab bata deti to shayad nisha aur wo jinda hoti ..
par sharafat bach gaya in sabse ..
 
  • Like
Reactions: The Immortal

DARK WOLFKING

Supreme
15,571
32,018
259
overall kahani zabardast suspnese aur thrill bhari thi par aditya ka character bahut bekar laga mujhe ..kisi cheej ki sahi planning nahi thi uske paas ..

agar chipku ko gitanjali ke ghar ke ander le jaata to shayad wo jinda hota ye isliye kaha kyunki chipku ko gate ke bahar rehkar najar rakhne ko keh raha tha aditya ,,kya itni bhi akkal nahi uske paas ki agar koi waha se gujre to chipku ko dekhke sawaal puchhega ya police ko call karega ..chipku ke safai dene par usko ander aakar najar rakhne ko kaha ..
 
  • Like
Reactions: The Immortal

Yug Purush

सादा जीवन, तुच्छ विचार
Staff member
Moderator
24,502
22,504
229
overall kahani zabardast suspnese aur thrill bhari thi par aditya ka character bahut bekar laga mujhe ..kisi cheej ki sahi planning nahi thi uske paas ..

agar chipku ko gitanjali ke ghar ke ander le jaata to shayad wo jinda hota ye isliye kaha kyunki chipku ko gate ke bahar rehkar najar rakhne ko keh raha tha aditya ,,kya itni bhi akkal nahi uske paas ki agar koi waha se gujre to chipku ko dekhke sawaal puchhega ya police ko call karega ..chipku ke safai dene par usko ander aakar najar rakhne ko kaha ..
Kahani yadi xossip pe complete hoti toh alag hi hoti... waha readers bahut jyada the.. aur jaha ye complete hui waha sirf 5-6 ginti ke... t
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Kahani yadi xossip pe complete hoti toh alag hi hoti... waha readers bahut jyada the.. aur jaha ye complete hui waha sirf 5-6 ginti ke... t
Jab Mai ye story post Kar Raha tha tab members hi bohat Kam the , warna is type ki story ko ache readers padhna Pasand karte Hain.
 

Yug Purush

सादा जीवन, तुच्छ विचार
Staff member
Moderator
24,502
22,504
229
Jab Mai ye story post Kar Raha tha tab members hi bohat Kam the , warna is type ki story ko ache readers padhna Pasand karte Hain.
The vampire jab likh rhe the tb ki baat kr rha. Xossip se ban ho gaye the. Fir ek blog me likh jo ab band ho chuka hai.
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354

Hello Everyone :hello:
We are Happy to present to you The annual story contest of Xforum "The Ultimate Story Contest" (USC)..

Jaisa ki aap sabko maalum hai abhi pichle hafte he humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time Pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit chat thread toh pehle se he Hind section mein khulla hai.

Iske baare Mein thoda aapko btaadun ye ek short story contest hai jisme aap kissi bhi prefix ki short story post kar shaktey ho jo minimum 700 words and maximum 7000 words takk ho shakti hai. Isliye main aapko invitation deta hun ki aap Iss contest Mein apne khayaalon ko shabdon kaa Rupp dekar isme apni stories daalein jisko pura Xforum dekhega ye ek bahot acha kadam hoga aapke or aapki stories k liye kyunki USC Ki stories ko pure Xforum k readers read kartey hain.. Or jo readers likhna nahi caahtey woh bhi Iss contest Mein participate kar shaktey hain "Best Readers Award" k liye aapko bus karna ye hoga ki contest Mein posted stories ko read karke unke Uppar apne views dene honge.

Winning Writer's ko well deserved Awards milenge, uske aalwa aapko apna thread apne section mein sticky karne kaa mouka bhi milega Taaki aapka thread top par rahe uss dauraan. Isliye aapsab k liye ye ek behtareen mouka hai Xforum k sabhi readers k Uppar apni chaap chhodne ka or apni reach badhaane kaa.

Entry thread 7th February ko open hoga matlab aap 7 February se story daalna suru kar shaktey hain or woh thread 21st February takk open rahega Iss dauraan aap apni story daal shaktey hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna suru kardein toh aapke liye better rahega.

Koi bhi issue ho toh aap kissi bhi staff member ko Message kar shaktey hain..

Rules Check karne k liye Iss thread kaa use karein :- Rules And Queries Thread.

Contest k regarding Chit chat karne k liye Iss thread kaa use karein :- Chit Chat Thread.

Regards :Xforum Staff.

 

Riky007

उड़ते पंछी का ठिकाना, मेरा न कोई जहां...
18,193
36,314
259
"Aap police ke paas yun nahi gayi? Ya gayi thi?" Maine sawalon ka silsila jaari rakha.
"Gayi thi. Kal FIR darj karayi maine"Usne jawab diya.
"Phir bhi aap yahan mere saamne bethi hain. Is baat ka matlab main ye nikalun ke aapko police par bharosa nahi ya aap apni behen se behad mohabbat karti hain aur uski talash mein you dont wanna leave any stone unturned?"
"Dono" Usna mere lambe se sawal ka chhota sa jawab diya.
"Hmmm" Maine sochte hue phir cigarette jalayi "Ye toh hue basics. I will need some more details"
"Jaise ke?" Usne phir dupatta theek kiya, meri nazar phir lalchayi par is baar kismet ne saath nahi diya.
"Jaise ke vo kahan kaam karti thi, kahan rehti thi, uske dost kaun kaun the vagerah vagerah"
"Uske doston ke baare mein toh main nahi jaanti, kabhi usne bataya hi nahi. Kahan kaam karti thi main ye bhi nahi jaanti kyunki usne sirf itna bataya tha ke kisi private office mein assistant ki job karti hai.Par haan, main ye jaanti hoon ke vo kahan rehti hai aur shayad usse hi aapko aapke pehle do sawalon ke jawab bhi mil jaayen" Vo boli.
"Matlab?" Main uski baat ka matlab samajh toh gaya tha par phir bhi uske munh se sunne ke liye sawal puchh dala.
"I mean vo ek ladies hostel mein rehti thi, you know what i mean?. Working women hostel. Paying guest type, outstation auraton ke liye"
"Haan main samajh gaya" Maine jawab diya "Vahan saath rehne wali ladkiyon ko shayad pata ho ke vo kahan kaam karti thi"
"Yep aur uske doston ke baare mein bhi vo ladkiyan bata sakti hain. Balki vo ladkiyan sab uski dost hi hongi"
"Yep. True. We can ask them" Maine kaha.
"Toh kya main ise aapki haan samjhun?" Usne vo sawal puchha jiska jawab mujhe namein dena tha par aisa hua nahi.
Case dekhne mein bahut simple lag raha tha. Ek outstation ladki jo Mumbai mein rehti thi, kaam karti thi pichhle ek mahine se gayab hai. Ye koi nayi baat nahi thi. Aisa toh Mumbai aur Mumbai hi kya Hindustan ke har shehar mein roz-marra ki si baat hai.Log aksar kho jaate hain. Kabhi kabhi vo milte hain aur kabhi kabhi unki laash aur kabhi kabhi dono mein se kuchh bhi nahi.
Aise cases mein pehle bhi handle kar chuka tha. Log khote hain toh 2 hi suraten nikalti hain. Ya toh vo apni marzi se gayab hain ya apni marzi ke khilaff. Agar marzi se gayab hote hain toh aksar mil jaate hain aur phir mera kaam khatam ho jata hai. Vo kyun gayab hue, kya vajah thi ye unki aur unke gharwalo ki sardardi hoti hai, isse mera kuchh lena dena nahi.
Haan agar apni marzi ke khilaff gayab hon toh ismein bhi 2 suraten nikalti hain. Ya toh vo agva yaani ke kidnap hue ya phir unke saath kuchh anhoni hui. Agar kidnap huen toh aksar ransom call aa jaati hai aur mamla sulat jata hai. Ya toh insaan ghar aa jata hai ya uski laash ka pata mil jata hai. Agar anhoni hui ho toh bhi der sawer pata lag hi jata hai.
Case ek ladki ka tha aur mujhe shuru mein hi andaza ho gaya tha ke kya hua hoga. Agar paise ke liye kidnap hui hoti toh ab tak ransom call aa jaani chahiye thi par aisa hua nahi. Aur uski behen ko dekh kar ye andaza ho hi raha tha ke vo koi bahut ameer gharane ki ladki nahi thi toh ye option toh maine shuru mein hi rule out kar diya tha.
Yaani option number 2 jo ki hamare desh mein ladkiyon ke gayab hone ki sabse badi vajah hoti hai. Aise ayyash kism ke log jo apni tharak mitane ke liye rape ki hadh tak chale jaayen, aise logon ki hamare desh mein koi kami nahi. Ladki ko uthana, uske saath zabardasti karna aur phir kahin use ya uski body ko dump kar dena inke liye koi badi baat nahi hoti aur yahi possibility mujhe is case mein bhi lag rahi thi.
Kisi ne use kidnap kiya, uska rape kiya, aur kyunki ek mahine se uska koi pata nahi toh ye mana ja sakta tha ke rape ke baad uski jaan li aur ab uski laash kahin kisi naale mein padi sad rahi hogi. Aakhri andaza maine is baat se lagaya ke uske ghar par abtak uski maut ki khabar nahi gayi thi toh isliye agar uski jaan li gayi hai aur kisi ko uska pata nahi toh matlab ke laash bhi ab tak mili nahi.
Kul milakar case aasan lag raha tha. Mujhe laga ke main pehle bhi aise cases mein deal kar chuka hoon toh koi badi baat nahi hai.
"Theek hai i will take the case. Aap aaj shaam ko mere office aa jaiyega, kuchh papers vagerah sign karne ke liye aur meri fees vagerah discuss karne ke liye.Baaki ki details bhi main aapse tab hi le loonga"
"Great" Vo ekdam se khush ho uthi aur tab pehli baar mera dhyaan uski badi badi chhatiyon se hatkar uski aankhon ki taraf gaya. Kuchh ajeeb si baat thi uski aankhon mein, ek ajeeb si kashish"
"Aur haan, shaam ko aate hue apni behen kiek tasveer please le aaiyega"
"Vo toh abhi hai hamare paas" Usne apne bag mein haath dala aur ek photo nikal kar meri taraf badhayi. Maine tasveer apne haath mein li aur ek nazar daali.
"Ye toh aapki photo hai" Maine uski taraf dekhte hue kaha. Photo mein jo ladki thi aurmere saamne jo ladki bethi thi vo hubahu ek hi thi, sivaay kapdon ke.
"Nahi vo meri behen hi hai. Ham judva hain.Shakal soorat ekdam 100% milti hai" Usne meri baat ka jawab diya.
_____________________
ये खुद को ही ढूंढवा रही है
 
Top