DARK WOLFKING
Supreme
- 15,571
- 32,018
- 259
nice update ..maya se bahut saari jaankari mili ..par ye aditya khan se har baat jhooth kyu bol raha hai ..Vaapis Mumbai main phir vaise hi pahuncha jaise ke Puna gaya tha. Aate hue phir vahi gareeb mazdoor ka bhes dhara, ek truck wale se lift maange aur Mumbai mein daakhil hua. Phir ek auto kiya aur Dharavi pahuncha.
Hairat ki baat thi ke jaate hue mujhe jitni pareshani ka samna karna pada tha, aate hue uske muqable bade aaram se Dharavi tak pahunch gaya. Shayad policewalo ko yahi lag raha tha ke main shehar se bahar nikalne ki koshish hi karunga, vaapis kyun aana chahunga.
Kismet ki baat thi ke main jaise hi lodge mein daakhil hua, mujhe saamne receptionpar hi Khan khada mil gaya.
"Aa gaya ganja" Mujhe dekhte hi vo mere huliye ke bavajood pal bhar mein pehchan gaya "Kahan mar gaya tha saale?"
Maine uski baat ka jawab dene ke liye munh khola hi tha ke phir khamosh ho gayaaur apne kamre ki taraf chalne ka ishaya kiya.
"Which part of Do not step out was so difficult to understand?" Kamre mein ghuste hi vo mujh par phat pada.
"Arrey yaar ...." Maine bolne ke liye munh khola hi tha ke usne meri baat kaat di.
"Saaf saaf kaha tha maine tujhe ke apne kamre ke bahar jhankna bhi mat. Mumbai police tujhe kutte ki taraf talash karti phir rahi hai aur tu saale sair sapate par nikla hua hai"
"Arrey bhai mujhe bolne ka mauka bhi toh de ....."
"Saale agar nahi jaan pyaari to bata de mujhe, main hi goli maar deta hoon na. Main kyun kutte ki tarah teri jaan bachane ke liye bhaaga phir raha hoon?"
"Mere bhai meri baat sun ....."
"All that you had to do was sit in your room, eat drink and watch TV and let me handle the rest, itna nahi ho raha tujhse?"
"Mujhe bolne dega? Tune kaha tha na ke yahan isi lodge mein mat rehna, badalte rehna chhupne ki jagah toh vahi dekhne gaya tha ke yahan se boriya bistar baandh kar kahan le jakar rakhun" Maine saaf jhooth bol diya.
"Ohhhhh" Meri baat sunkar vo pal ke liye khamosh hua par phir dobara shuru ho gaya "Toh iske liye khud bahar apna noorani chehra lekar nikalne ki kya zaroorat thi. Aur main jo kal se phone par phone mila raha hoon, uthata kyun nahi? Saala mujhe toh fikar ho chali thi ke mar mara toh nahi gaya kahin?"
"Is phone ki halat dekh" Maine apni jeb se vo purana phone nikala jo maine us lodge wale ladke se kharida tha "Marne ki kagar par hai ye. Kal se call receive nahi ho rahi" Maine phir jhooth bola.
"Toh palat kar mujhe call nahi kar sakta thakya?"
"Do you see another phone in this room?" Maine apne haath phela kar kamre ki taraf ishara kiya "Aur tune kaha tha ke bahar mat jana isliye main bahar gaya nahi. Mujhe lag hi raha tha ke tu aa hi jayega milne agar maine call receive nahi ki toh"
Main pata nahi kyun par jhooth par jhooth bole ja raha tha. Vo shayad uske is tarah ekdam naraz hokar mujhpar chillane lag jaane ki vajah se meri himmat nahi pad rahi thi ke use bata sakun ke main Pune tak ka chakkar laga aaya tha.
Jaane se pehle us lodge wale ladke ko mainkeh kar gaya tha ke agar Khan aa jaaye tohuse na bataye ke main kabse gaya hoon. Bas yahi keh de ke main abhi abhi bahar gaya hoon. Isliye main janta tha ke Khan konahi malum ke main kal se gayab tha.
"Hmmmm" Uska gussa thoda thanda pada"Mili koi theharne layak jagah?"
"Nahi yaar. Aas paas kuchh aisa dikha hi nahi jagah ruk sakun 2-3 din" Ye main sach keh raha tha. Dharavo mein badi der tak dhakke khaane ke baad mujhe ye ek lodge dikhai diya tha.
"Koi nahi" Vo table par rakhe jug se ek glass mein pani dalta hua bola "Main karta hoon kuchh intezaam"
"Kuchh pata chala Geetanjali ke case mein?"
"Nahi" Vo pani ke ghoonth bharta hua bola.
"To kya plan hai ab?"
"Plan simple hai bahut. Create an alibi"
"Little more details please" Maine apni jeb mein haath dalkar cigarette ka packet nikala. Khan ne fauran meri taraf ghoor kardekha.
"Bigger picture please. This is the least of our concern right now" Maine fauran shakal banate hue kaha aur cigarette jala li.
'Yeah i guess you are right" Vo hathyaar se daalte hue bola.
"Plan kya hai?"
"Plan ye hai dost ke 2 alibi create karne hain tere liye. Aur thoda post mortem waloko paise khilane hain"
"Abhi bhi samajh nahi aa raha"
"Arrey sidhi si baat hai yaar, 2 log taiyyar karne hain. Ek toh jo ye bole ke khoon ke waqt tu uske saath tha aur doosra jo ye bataye ke tu vahan khoon hone ke baad pahuncha tha"
Actually khoon ke waqt main Bijli ke saath tha par is waqt usse mere liye gawahi dene ki ummeed main kar nahi sakta tha.
"Par is saare jhol jhal mein ek problem hai"Khan ne baat jaari rakhi.
"Kya?"
"Dekh khoon hone aur tere vahan jaane ke beech zyada waqt ka fasla nahi hai toh ye saabit karna mushkil ho jaayega ke tu kahan tha aur vahan kab pahuncha. Toh jis kisi ne bhi post morem report likhni hai usethoda bahut khila pila kar sirf ye karvana hai ke maut ka waqt thoda ek do ghante pichhe kar de aur court mein gawahi de de ke maut ya toh uske bataye waqt par hui thi ya usse pehle. That will increase our time window a bit"
"Hmmmm" Maine sochte hue kaha "Ek chhoti si baat ka dhyaan rakhna bas"
"Kya?"
"Marne se pehle Geetanjali ne mujhe phonekiya tha. Toh maut ka waqt itna pichhe mat khiska dena ke un call records se match na ho paaye"
"That doesnt matter. Koi saboot nahi hai is baat ka ke phone tujhe Geetanjali ne kiya tha. Tune phone uthaya hota toh baat alag thi par uske phone se number toh tera koi bhi dial kar sakta hai"
______________________________
khan ek achche dost ki tarah usko bachane ki koshish kar raha hai aisa dost har kisiko nahi milta jo itne bure waqt me bhi saath de ..