Vk248517
I love Fantasy and Sci-fiction story.
- 5,794
- 17,882
- 189
Nice updatesHaa to pichli bar maine apne janam ke bare mein bataya.....
to ab main yeh batata ta hun ke maine mere janam ke bare mein khas kyun kaha.....
Baat aisi hai ke mere Nana Nani ekdum dharmik log hai....aur unke sath meri Maa bhi...
to unka kehna hai ...main khas hun...
aur yeh baat bad mein jaake mujhe clear bhi hua....
_________________
Haa to jaisa ke maine bataya tha ke Mere Maa Papa ke love Marriage hua tha...aur Papa ne apne ghar walo ke khilaf jaake shadi ki thi..
to bhai Maa Baap ka gussa hona lajmi hai...
aur isi liye Mere Dada Dadi ne unhe Ghar mein ane nahi diya....
aur Mere Mummy Papa 3 Saalon tak Bahar bhatakte rahe....
aur akhir mein jaake unhone ghar mein bulaya...
lekin meri Maa ki jagah unke najar mein ek Nuakrani se jyada kuch bhi nahi thi ...
Acha ek Baat batao ....ek maa ke liye sabse jyada dukh ki baat kya hai...
yahi na...uske bache ko usse alag kar dena..
mere dada Dadi na bhi yahi kiya...mujhe Mere maa se alag kar diya...
halat aisa bhi tha ke mujhe Maa ka Doodh bhi peene ko nahi mila...
Papa bahar rehte the....hafte mein 1 bar ya 2 bar ghar aate the...
aur jab wo aate the...tab unke samne sab kuch normal hota tha...
lekin jab wo nahi rehte the tab Maa pe itna Julm hota tha...ke main bata nahi sakta ....
Maa bhi kya hi karti...
thi to ek Dharmik aurat...Apni Saas Sasur ko BHagwan Mnati thi...aur unke diye julm ko sehti rehti thi....
unke man mein yahi asha thi ke ekdin sab kuch thik ho jayega..
aur wo Papa ko kuch bata bhi nahi paa rahi thi...
kyunke unko dhamki diya hua tha....ke agar wo Papa ko kuch boli to unko ghar se nialwa denge....
aur dusri ek aur reason yeh bhi thi ke Papa uss waqt Truck chalate the ...aur agar unko Tension diya gaya to...accident ka khatra tha...
Khair main bada hota gyaa...apne Dada Dadi ke pass hi..
maa ko rote huye dekhta...lekin kuch kar nahi sakta tha....aur jyada kuch samjhta bhi kaha tha...
waise bhi ek chhote bache se kya hi ummeed rakhoge..
Lekin ek baat samajh aa gayi thi...jo bhi ho raha hai...wp galat hai..
isliye dheere dheere mera aur maa ke beech mein jo Doori paida kiya gaya tha..
wo main kam karne laga..
kyunke jaisa ke maine batya tha...mujhe mere maa se alag kiya gaya tha....wo bas nam ke liye aur logo ke samne Meri Maa thi...
warna....ghar mein ...mera Khana..peena..nahana...sab kuch meri Dada Dadi hi karte the...aur mujhe apne pass hi sulate the/...
pehle wo mujhe pyar to karte the...kyunke main unke har ek baat manta tha...;lekin main jaise jaise unke baaton ke jagah Maa ki baat manne laga
main bhi unke liye Dushman ho gaya..
Mujhe wo pehle pyar to kartte the...lekin unke liye sab kuch mera Bua ka Beta tha....jise mujhe Bhai kehne mein bhi sharam aati hai..
Khair main bada hota gyaa...aur jab jab maa Ko rota hua dekhta...tab tab mere man mein Mre pure Family ke khilaf gussa palta jata...
aur main Baghi mein badalta gyaa...
kyunke Family mein Mere Maa ke side ke alwa aisa koi nahi tha...jo mujhe aur mere Maa ko pyar karti thi...
Aur Papa wo hain ekdum sidhe sadhe Bhale Manush...unhe sachai kabhi bhi nahi dikhti hai/..
wo khudke tarah hi baaki logo ko samjhte hai...
unke khud ke Maa baap jo unhe use karta hai..abhi bhi...unhe samajh nahi ata..
halaki waqt ke sath sath wo thode sakht huye hai...
lekin abhi bhi unke liye bechain rehte hai...
Mere Baghi hone ke peeche ek aur kaaran hai..
atirikti Paa Bandi...
mujhpe hadh se jayada paa bandi lagayi agyi thi...jo ki mere Dada Dadi ne hi lagaye the....
aur insani ek fitrat hai....
jo bhi cheejein karna mana hota hai...jo cheejein kisi aur ka hota hai.....humara man un sab cheejon ke taraf hi jyada daurta hai....
aur main bhi koi alag nahi tha...
kam umar mein hi Burayi ke dunia mein pohoch gaya tha..
nasha ...karna to mere liye aam baat thi...
haa lekin mere pass Meri Maa ki bhi sikh thi...
jinhone mujhe humesha Morality . Honesty , aur kisi ka hani na karne ki seekh dete the...
is liye mere bhi kuch Ethics the...
main bura tha...lekin itna keh sakta hun ke maine..kabhi kisi ka nuksan nahi kiya aaj tak.....
bad mein bataonga...mere Bure dunia mein beete waqt ke baare mein...
_________________________
main bachpan se humesha hi akela raha hun...
na koi mere pass bolne ko tha...na koi khelne ko....
kyunke mere Gaon ke bache mere se dur hi rehte the...
aur iska karan bhi mera Dada Dadi hi the....
kaise wo aage bataonga...........
ajke liye itna hi.............